AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SWEEP-STAKE COMPETITION SHURU HO CHUKA HAI WAHIN DUSRI TARAF APNE MOM DAD KO STAND SE JAATA DEKH ALFREEN BHI APNE STAND SE UNKI TARAF NIKAL JAATI HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(UNFOLD THE RAAZ)
MEGA UPDATE-34
PLANET-EYLSIAN
PLACE-CHOSEN'S
SWEEP-STAKE:-
AGAR IS BAAT KO BHULA DIYA JAAYE KI HUM APNE GRAH PAR NAHI HAIN AUR YE EK MAGICAL COMPETITION NAHI HO RAHA TOH YAHAN KE MAHOUL SE FEELING PURI SOCCER WORLD CUP KE FINALE JAISI AA RAHI HAI NAA!!!
saamne ka adhbhudh nazara aur lagatar ho rahe hooting ko dekhte hue FLORIN ne ye baat kahi jisse sun...
MARIA- absolutely..vibe bhi waisi hi hai...
SORRY FOR INTERRUPTING,BUT KYA AAP USSI EARTH KI BAAT KAR RAHI HAIN JO MILKY WAY GALAXY ME BANE SOLAR SYSTEM KA EK MAATR LIVING PLANET HAI....
FLORIN aur MARIA ke thik peeche baithe ek noujawan shaksh ne unki baat sun jigyasa purn tarike se ye baat kahi jisse sun MARIA aur FLORIN piche palte aur...
FLORIN-jee haan,hum ussi planet se hain...
UNKNOWN-oh,wow..matlab finally....
us noujawan ka reaction un dono me se kisiko bhi samajh me nahi aaya aur isiliye...
FLORIN-matlab!!!hum samjhe nahi...???
UNKNOWN-actually CHOSENS ke 25 thousand years ke history me ab se pehle universe ke lagbhag sabhi planets se yahan padhne SAVENTS aa chuke hain siway EARTH ke jahan se aap aaye hain..
isiliye jaan kar acha laga ki EARTH me bhi GOD GIFTED SAVENT paida hua hai...
MARIA-oh accha..
FLORIN-waise kya aapka bhi koi relative yahan CHOSENS me padhta hai...!!!
UNKNOWN-jee nahi...mai khud yahan ka X SAVENT hun aur har PEACE MAKER ki tarah aaj yahan invite kiya gaya hun...
FLORIN-PEACE MAKER!!!!wo kya hota hai...????
UNKNOWN-lagta hai aap kisi fresher SAVENT ke dad hain???
FLORIN-haan,par tumhe kaise pata chala???
UNKNOWN-kyunki agar aap second ya final PHASE me moujud SAVENT ke parent hote toh aapko PEACE MAKER ka matlab pata hota...
waise chahun toh mai aapko is term ka matlab bata aur samjha sakta hun but filhal ye inappropriate hoga...
sahi yahi hoga ki sabki tarah aapko bhi saari chizen,unka kaaran aur unka mahatv aapke ward ke through PHASE 2 me pata chale....
us noujawan ki baat sun FLORIN aur MARIA ne samajhne waale andaz se apna sir hilaya...
PEACE MAKER-par haan,aapke grah aur yahan se realated ek baat mai aapko bata sakta hun jo kaafi interesting bhi hai aur kyunki aap dono first time aisa kuch sunenge,isiliye aapke liye shocking bhi hoga...
FLORIN-itna kuch dekh liya hai yahan aakar ki ab shock lagna thoda mushkil hai but fir bhi batayiye kya interesting baat hai jo yahan aur hamare EARTH se judi hui hai...
PEACE MAKER-darasal har living planet ek natural way se bana hai...matlab saare living planets GOD MADE hain but CHOSENS jahan hum is waqt moujud hain,ye ek artificial PLANET hai..
kehne ka matlab hai ki isse sirf is INSTITUTION ko dhyan me rakhkar apni shakti se banaya gaya hai....
aur jaante hain,aisa kisne kiya hai...???
us noujawan ke sawal par naa me gardan hilayi dono ne jiske baad..
FLORIN- aap mil chuke honge unse...yahan ke teeno SOVEREIGN'S ki shakti ke ek bohot bade bhaag se bana hai ye PLANET....
us noujawan ki baat sun FLORIN aur MARIA shocked ho gaye the...
PEACE MAKER-arre ye wo baat nahi hai jisse mai interesting aur aap logon ke liye shocking bata raha tha....
interesting baat ye hai ki kyunki ye PLANET artificial hai,isiliye universe ke baaki natural planets se iski timing different way me work karti hai...
har planet aur is planet ke beech ek time loop hai...aur saath hi dino ke hisaab se bhi ye PLANETS universe ke baaki planets se nano aur micro seconds piche yaa aage chalti hai...
nano aur micro seconds ka gap toh maamuli hai jisse planets ke beech 1 saal me 1 se 2 din ka hi difference paida hota hai par jo time loop is planet me aate hi create hota hai,wo bohot bada hota hai...
aur kyunki aap dono earth se hain,toh aapke planet aur CHOSENS ka time loop kuch zyada hi bada hai...
MARIA-zyada???kitna zyada....!!!
PEACE MAKER-aap logon ko yahan aaye kita waqt hua hai...???
FLORIN-6 months...actually abhi dopahar ke 12 baj rahe hain,is hisaab se to be exact hume yahan aaye 6 month aur 12 ghante hi chuke hain.....
kal raat 12 baje exact 6 months hue the...
PEACE MAKER-iska matlab hai ki aapko apne planet ko chhode 2 saal guzar chuke hain...
MARIA/FLORIN-what!!!!
ye toh sach me jhatka tha MARIA aur FLORIN ke liye....
PEACE MAKER-jee..EARTH aur CHOSENS ke beech ka time loop 18 mahine matlab dedh saal ka hai..
jis waqt aapne world door ko cross karte hue yahan CHOSENS me kadam rakha aur wo world door band hua tab aapka planet 18 months aage jaa chuka tha...
aur haan,nano aur micro seconds ke fark un 6 months ke hisaab se hi aage yaa piche hote hain,jis waqt par yahan log pahunchte hain...
aur issi waja se EARTH aur CHOSENS ke beech ke timing ko agar seconds ke hisab se calculate kiya jaaye toh aap kal nahi aaj raat ki date ke hisaab se CHOSENS pahunche the..
kyunki CHOSENS ke calander year me EARTH se difference pure 2 din ka hota hai aur 6 months ke hisaab se ek din jo aaj raat ko 12 baje pura hoga...
us PEACE MAKER ki baat se wakayi FLORIN aur MARIA hairan ho gaye the...
apni apni hairani liye dono hi wapas saamne palat gaye...
par jahan MARIA sirf is time loop ke ganit ke baare me hi soch rahi thi wahin FLORIN ke dimag me ek aur baat aayi jiske aate hi...
FLORIN- MARIA...time loop aur seconds ke badlaaw ki wajah se aaj raat 12 baje hume yahan aaye 2 saal ho jaayenge.. iska matlab samajhti ho...
MARIA ne aakhon me sawal liye FLORIN ko dekha jispar....
FLORIN-HUM RAAZ KE 16TH BIRTHDAY KI NIGHT YAHAN AAYE THE AUR AB TIME LOOP KE HISAAB SE AAJ RAAT 12 BAJE SE RAAZ KA 18TH BITHDAY HAI...
OUTSIDE STADIUM.........
MERE MOM DAD KAHAN HAIN RAAZ....????
stand me rukne ka man nahi hua toh mai STADIUM se baahar nikal thodi door ek ped se tik kar khada tha ki tabhi mere piche se ye awaaz aayi aur jab mai palta toh dekha ki ALFREEN behad hi ghusse me mujhe ghur rahi hai....
kuch seconds usse dekhne ke baad mai wapas palat gaya....
ALFREEN-maine pucha mere mom dad kahan hain RAAZ....
MAI-mar gaye.......
DHAPPPPP......
mere aisa kehte hi mere peeth par kuch bohot bhaari saa laga jiski wajah se mai aage ki taraf udta hua gira....
ye ek urja ray thi jo ALFREEN ke haathon se nikalkar mujhse takrayi thi...
is urja ray ki shakti itni zyada thi ki iske mere body ko chhute hi isne mere pure sharir ko hi khudki urja se dhak liya aur mujhe tez jhatke lagne lage..
jaise ek mirgi ka patient mirgi padne par chatpatata hai,thik waisa hi kuch is waqt mere saath ho raha tha....
WRITER-RAAZ ne jo kaha tha,wo bas hamesha ki tarah ALFREEN ko provoke karne ke liye kaha tha but uski baat ne ALFREEN ka wo ghussa jo wo bohot mushkil se daba rahi thi, trigger kar diya.
ab ALFREEN ek SOUL AMPLIFIED SAVENT thi aur RAAZ ki kahi gayi baat ne uske ussi soul ko trigger kiya tha jiski wajah se anjaane me hi sahi but uske brain,body,blood aur soul ne khudko bind kiya aur jo ray ALFREEN ke haathon se nikli thi,ye inhi chaaron AMPLIFICATION ki taakat thi jiska asar behad gehra pada tha RAAZ par....
wahin anjaane me hi sahi but itni zyada power ek saath release karne ki wajah se ALFREEN ke upar bhi thakan haawi hi gayi thi....
par ghussa abhi bhi ALFREEN ke chehre par dikh raha tha....aur isiliye wo fir se RAAZ par attack karne waali hi thi ki....
OYE PAAGAL HO GAYI HAI KYA???CLASS ME SABSE AAGE HAI TOH KYA KUCH BHI KAREGI TU.....?????
uske baaju se RAAZ ki taraf tezi se badhte hue ACCHUTA ne ye baat kahi thi..uske saath SLUNDER bhi tha....
RAAZ jo ab bhi halka halka chatpata raha tha,uske paas pahunch ACCHUTA aur SLUNDER ne uske dono haathon ko rub karna shuru kar diya....
ALFREEN-chup chaap niklo yahan se warna tumhara haal bhi bura kar dungi mai...
ACCHUTA-haan tere baap ka raaj chal raha hai naa yahan....
ACCHUTA ki baat sun ALFREEN kuch kehne hi waali thi ki....
SLUNDER-tumne bewajah RAAZ par waar kiya hai..humne tumhari baat suni thi..tumhare mom dad wahin apne stand par hi hain...
yahan aane se pehle humne unhe wahan dekha tha....
ALFREEN-ye jhuth hai..maine khud unhe apne stand se baahar jaate hue dekha tha..
ACCHUTA-oye hum tere hired personal watchman nahi hain ki minutes ke hisaab se kaun kab kahan kahan gaya,uska hisaab bhi den aur tujhe yakin bhi dilayen...
tere maa baap wahin stand me jaa..jaakar khud dekh le....
ACCHUTA ki baat sun usse, SLUNDER ko aur fir RAAZ ko ghurti hui palat kar nikal gayi ALFREEN....
WAHAN SE KUCH DOOR:-
AB AAYEGA MAZA...MAHI KI JAGAH USKI SAHELI HI SAHI....
ye kaha tha ANWIR ne MORANA se...yahi the wo do log jo ALFREEN ko apne stand ae baahar nikalte hue dekh rahe the aur uske piche ho liye the....
waise toh wo dono MAHI ko unke khilaaf bolne ke liye punish karna chahte the,but ab ALFREEN jo ki MAHI ki bestie thi,usse yun akela dekh unhe usse sabak sikha uske through MAHI ko message dene ki sochi...
par unhe samajh nahi aa raha tha ki wo kaise ALFREEN ko punish karen par ab shayad ALFREEN ne khud unhe idea de diya tha....
MORANA-mujhe pata hai ki tum kya soch rahe ho ANWIR and i like it...
MORANA ki baat par ANWIR muskuraya aur....
ANWIR-tumhe sirf samajhna hi nahi,karna bhi hai....
ANWIR ki baat sun MORANA bhi muskurayi aur uske agle hi pal....
KAPTAVESA.....
DISGUISE ACCORDING THE IMAGE
aankhon ke aage ALFREEN ke image ko rakh MORANA ke mooh se ye spell uccharit hua jiske agle hi pal....
MORANA ALFREEN me badal chuki thi.....
disguise change karna, roop badalna ek seven percent plus SOUL AMPLIFICATION holder hi kar sakta hai..
aur kyunki MORANA aur ANWIR abhi 10 percent par hain toh isiliye ye karna inke baayen haath ka khel jaisa hai...
ANWIR-now that's my girl...ab jaao,aur haan,josh me aakar un dono par zyada waar mat kar dena...
aakhir wahi dono toh eyewitness hain....
ANWIR ki baat par sir ko haan me hila MORANA aage badh gayi....
toh plan inka ye hai ki RAAZ jiski haalat abhi behad hi kharab hai,usse MORANA jo filhal ALFREEN hai,uspar aur waar karegi....
par sirf itna ki RAAZ mare nahi,par haan marne jaisi haalat me pahunch jaaye..
aisa nahi hai ki MORANA ya fir ANWIR ko hi RAAZ ya kisi aur ki jaan lena galat lagta hai,but isiliye kyunki wo dono jaante hain ki agar RAAZ pe shaktishaali prahaar hua aur wo mar gaya toh first PHASE ka alarm bell baj jaayega jo naa sirf us PHASE ke WHIZZES aur WHIZZDERS ko iske baare me suchit karega balki apni Shakti se gunahgaar ko bhi beparda kar dega....
par agar RAAZ par ek do maamuli waar hue toh aisa kuch nahi hoga...
sirf uski haalat bigdegi aur ACCHUTA aur SLUNDER ke through jo ki eyewitness honge, ALFREEN ko behad kadi punishment milegi...
pura CHOSEN'S is waqt STADIUM ke andar tha jo ki ANWIR aur MORANA ke liye plus point tha...
aage badhte hue MORANA wahin jaakar khadi ho gayi jahan kuch der pehle ALFREEN khadi thi aur....
MORANA-nahi hai mere mom dad apne stand par...
ALFREEN ka roop dhar ussiki awaaz aur andaz me chilla kar boli MORANA...
wahin ACCHUTA aur SLUNDER jo RAAZ ko sahara dekar khada kar rahe the,wo ye awaaz sun palate aur ek baar phir ALFREEN ko dekh chownke par unke chownke ka main reason tha wo current ray jo is waqt ALFREEN ke haathon me chingari sa ban chamak raha tha...
ACCHUTA-tu fir aa gayi...arre agar tere mom dad stand par nahi hain toh hum kya karen...???
jaa aur unhe dhund...baar baar yahan kyun aa jaati hai...???
MORANA-mujhe pata hai ki is RAAZ ne mere mom dad ke saath kuch toh kiya hai..
RAAZ chupchaap bata de ki kahan hain mere mom dad,warna acha nai hoga....
SLUNDER-dekho ALFREEN....hum sach keh rahe hain,humne tumhare mom dad ko unke stand par hi dekha tha aur RAAZ ko toh unke baare me kuch pata hi nahi hai....
MORANA-jhooth....aur tum dono se toh mai baat hi nahi kar rahi hun, RAAZ,bata mere mom dad kaha hain...
RAAZ-bataya toh tha...mar gaye wo dono..
apne nature ke according RAAZ ne baat kahi jisse sun ACCHUTA aur SLUNDER ne apna maatha peet liya par teer toh kamaan se nikal hi gaya tha....
ALFREEN urf MORANA ke haath se ek current ball nikla aur sidhe RAAZ par pada aur.......
ACCHUTA/SLUNDER-RAAAZZZZZ..........
ACCHUTA aur SLUNDER ki cheekh ke saath saath kuch aisa hua jo ANWIR aur MORANA ne apne sapne me bhi nahi socha tha.....
darasal jo current ball MORANA ne RAAZ ki taraf feki thi,uski energy kaafi kam thi par pata nahi kaise,us current ball ke lagte hi RAAZ ka body ekdum piche hawa me ud sa gaya....
RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER is waqt jis ped ke niche khade the,uske kuch piche ek pagdandi bani thi joki asal me ek sankara raasta tha CHOSENS se baahar jaane ka....
pedon ke ghane jhurmut the us pagdandi ke ird gird...
behad tezi se hawa me udta hua RAAZ ka body unhi pedon ke upar se hota hua piche ki taraf jaane laga jisse dekh MORANA aur ANWIR ke bhi hosh ur gaye...
kyunki jo hua,wo unke liye ek impossible chiz thi...
un dono ne hi dekha tha ki piche udta hua RAAZ ka sharir kisi bhi point par neeche aaya hi nahi tha..
wo toh bas udta hua piche ki taraf jaate hi jaa raha tha....
MORANA ko toh ye samajh me nahi aa raha tha ki itne mamuli current ball se jisse 5 feet bhi udte hue girna mushkil hai, jo hua wo kaise mumkin hai kyunki apne pure 10 percent ki SOUL shakti ko ek saath use karne ke baad hi shayad MORANA ye kar paati....
par jo hona tha wo ho chuka tha.. ANWIR aur MORANA dono ko hi lag gaya tha ki itne bade jhatke ke baad RAAZ nahi bach paayega aur isiliye...
ANWIR mind me- MORANA,turant niklo yahan se...
apne mind ko MORANA ke mind se jod ANWIR ne ye baat kahi jiske baad wo dono hi gayab ho gaye...
wahin jab ACHHUTA aur SLUNDER ne ALFREEN urf MORANA ko gayab hote dekha toh wo dono hi RAAZ jis taraf udta hua gaya tha,us taraf bhaagte hue nikal gaye.....
wahin in sabse alag mai ulta hawa me tairta hua sa ek disha ko badhta chala jaa raha tha....
kya hua,kyun hua,kaise hua,in sab baaton ko darkinaar kar maine apne haath faila diye aur is naye safar ke shuruat ki taraf badhne laga...
kuch 2 minute mai yunhi hawa me udta hua aage badhta raha aur fir dheere dheere mera sharir neeche utarne laga aur tabhi....
DHAPP.......
zamin par girte hi is awaaz ke saath me thoda aage fisalta hua ragdata raha mai...
ALFREEN ke pehle waar se mere sharir me ek alag hi jakdan si aa gayi thi aur ab jab mai yun niche gira toh us jakdan ne mujhe ek aur jhatka diya jisse ek pal ke liye meri aankhen badi hui aur fir dheere dheere band hone lagi par aankhon ke band hone se pehle maine apne saamne kuch chamakta hua sa dekha tha jisse dekh behosh hote hote mere mooh se behad dheemi awaaz me nikla...
THE FORBIDDEN FOREST.....
BACK TO SWEEPSTAKE
KAHAN GAYI THI TU....????
ALFREEN ke wapas aate hi MABEL ne ye sawal pucha jisse sun...
ALFREEN-washroom....
MABEL-oh... chal baith,dekh competition kaafi complex aur interesting hota jaa raha hai...
MABEL ki baat sun ALFREEN ne ek baar MAHI ki taraf dekha jo sabko bhul bina palke jhapkayen competition ko aise dekh rahi thi jaise wo spectator nahi balki khud participant ho....
MAHI ko dekh muskurate hue MAHI ne dusri taraf dekha jahan uske mom dad ka stand tha...
apne mom dad ko apni seat par baithe dekh ALFREEN ne chain ki saans li aur tabhi....
BOOMMM.....
ek tez dhamaka hua jo ki maidan ke beech hawa me hua tha...reason....
WICKEDS ki taraf jo aag ki diwal bani thi,usse nikalte gurutwakarshan force ki wajah se aa rahe khichaaw se bachne ke liye WICKEDS ki team ne khudko ek human chain ka roop de diya tha...
WICKEDS ke sabhi SAVENTS ek adrishya rope ke sahare ek dusre se bandhe khudko us gravitational pull me khinchane se rok rahe the aur issi beech jo is chain ke sabse aage khada tha,us SAVENT ne us aag ke diwal par dhamaka kiya taaki gravitational pull ka asar kuch kam ho jaaye aur issi wajah se ye awaaz nikla tha...
sabhi is drishya ko taktaki lagaye dekh hi rahe the ki tabhi.....
CSHHHHHCSHHHHHHHH......
ek ajeeb si awaaz ne sabka dhyan apni taraf kheencha...
ye awaaz aaya tha us paani ke diwal se...
reason....
jahan WICKEDS ki team human chain ka roop le problem ko tackle kar rahi thi wahin dusri taraf MORALS ki team ne alag yukti nikali thi...
wo 10 SAVENTS 5,5 ka group bana us paani ke diwal ke dono taraf khade ho gaye the...
har group ka ek SAVENT apne opposite khade SAVENT se ek adrishya rope ke sahare juda tha...
har SAVENT apni taraf se us paani ke bane chakrawat ke uphaan ke upar jisse gurutwakarshan force generate ho raha tha, uspar energy balls phenk raha tha taaki paani ke uphaan se nikalne waale force ki taakat kuch kam ho aur gravitational pull dheela pade...
sabhi spectators me saath MAHI, MABEL aur ab ALFREEN bhi pure focus aur interest ke saath ye sab dekh rahi thi is baat se bekhabar ki thodi der pehle uski lagayi chingari ne ab aag ka roop le liya hai aur kuch hi der baad wo aag us jwalamukhi me badal jaayegi jisse is kahani se jude har kirdar ki bhumika ko maayne mil jaayenge....
BACK TO RAAZ:-
RAAZZZZZ..........RAAZZZZZ........
ye do alag awaazen thi jo mujhe pukarte hue mere kareeb aa rahi thi....
jaise jaise ye awaaz aur iske maalik mere karib aa rahe the,waise waise mai apni behoshi se baahar aa raha tha....
aankh khulte hi maine gardan upar kar saamne dekha toh....
ABBE SAALE TU ITNI DOOR AAKAR GIRA HAI....
ye ACCHUTA tha jo mere sir par khada mujhse sawal kar raha tha...
SLUNDER-abbe sawal karna chhod aur usse utha...
SLUNDER ke aisa ACCHUTA mujhe uthane laga...uske saath mere dusre taraf se SLUNDER bhi mujhe sahara dekar uthane laga...
ALFREEN ke chhode pehle ray ki wajah se sir se lekar pair tak mujhe abhi bhi akdan mehsoos ho rahi thi aur jis wajah se mujhe halki kamzori bhi aa gayi thi..
ACCHUTA aur SLUNDER dono ne mujhe mere dono kandho se pakde pakde sahara diya..
mai un dono ke sahare khada tha....
ek ek taraf se mujhe halka halka gale lagaye...
ACCHUTA-bhai tune toh dara hi diya tha....
SLUNDER-haan yaar..hume laga ki tu nahi bacha hoga....
ACCHUTA-haan bhai,agar tujhe kuch ho jaata naa,toh hum us ALFREEN ko jaan se maar dete...
SLUNDER-aur nahi toh kya....itne din hum isiliye toh saath nahi rahe ki ye sab hota dekhen...
tujhe sirf............
............HUM MAARENGE...........
KHACCHHHHH.....
KHACCHHHHHH.......
AAKKKKK.......
DHAAPPP.....
apni baat bolte bolte SLUNDER aur ACCHUTA,dono ne mere pet me kuch ghussa diya jisse mere mooh se ek kism ki dakaar nikal gayi...
mere pet me kuch ghussa dono ne mujhe dhakka dete hue piche phek diya....
mere pet me kuch bhi nahi dikh raha tha but fir bhi mujhe aisa lag raha tha ki koi nukili chhurre jaisi chiz mere pet ke pure andar tak dhansi hui hai.....
zamin par girte hi mujhe halke halke jhatke lagne lage aur mai ussi haalat me saamne ACCHUTA aur SLUNDER ki taraf dekhne laga par ye kya......!!!!!
is waqt SLUNDER aur ACCHUTA, dono ke chaaron taraf ek black aura banane laga jisne un dono ko hi pura dhak diya par fir dekhte hi dekhte wo aura chhatne laga aur aisa hote hi mere saamne do log khade the...
par ye ACCHUTA aur SLUNDER nahi the...jahan ACCHUTA aur SLUNDER patle duble sadharan se dikhne waale ladke the,wahin ye dono jo is waqt mere saamne halke hawa me uthkar khade the,behad hi handsome aur lambe chowde the...
ek alag hi aakarshan tha un dono me..paini nazar,lamba aur perfect jaw line se nirmit chehra aur behad confident ATTITUDE....
kaala robe unke vyaktiv ko aur nikhar raha tha....
JAB SHAKTI HI MANZIL HAI,
TOH RAASTE SE KYUN ACHRAJ HAI...
PAAP PUNYA SAB JHUTE HAIN,
SHAKTI HI EK MAATRA SACH HAI....
un dono ne hi ek saath ye baat yaa fir ye kahun ki ye phrase bola tha....
muskurate hue apni gehri aankhon se wo dono mujhe dekh rahe the aur mujhe apni taraf ghurta dekh...
FIRST-jaanta hun bohot se sawal hai tere..waise bhi tu marne waala hai, isiliye tujhe sab bata kar hi rukhsat karenge...
pehle introduction ho jaaye...
bande ko GASTON kehte hain.....
SECOND-aur mai DORIAN hun.....
naam toh yaad hoga aapko in dono ka....GASTON aur DORIAN...
CHOSENS ke itihaas ke sabse kaamiyab SAVENTS.....
wo do log jinhe dhundne ke liye
AKSHAANT aur SHAILA nikle the par wo unhe mile nahi..
milte bhi kaise,jinhe wo baahar dhund rahe the,wo toh unke ghar ke andar baithe hue the..
GASTON-yaar,teri sabse gazab baat yahi hai...tere expressions kabhi nahi badalte....
DORIAN-abbe waqt nahi hai uske paas... jaldi baat khatm kar,hume jaana bhi hai.. humare aura se hume yahan sense kiya jaa sakta hai....
KRRRR.......
apna haath aage kiya GASTON ne aur uske aisa karte hi uske haath se ek strong ray nikal aage badhi aur sidhe jaakar FORBIDDEN FOREST ke entrance me lage shield se takrayi aur khatm ho gayi...
GASTON-ye dekh raha hai...ye ek shield hai jo pure FORBIDDEN FOREST ke chaaron taraf bichi hui hai..
hamare yahan hone ka kaaran bas yahi jagah hai...is FOREST me kuch hai jo hume chahiye aur us chiz ko paane ke liye humne kya kuch nahi kiya but sab bekaar ho gaya...
wo kahani yaad hi hogi jo humne tujhe sunayi thi...
arre wahi SLUNDER aur ACCHUTA waali jinka humne bhes liya hua tha..wo kahani mangadhan nahi thi,sacchi thi bas humne tujhe adhuri baat batayi thi....
SLUNDER aur ACCHUTA ke maa baap ko MIRTHJEEVEN ki haalat me pahunchane ke baad wahi chiz humne SLUNDER aur ACCHUTA ke saath bhi ki thi...
hume un dono ke grah se kuch chahiye tha jiske liye aisa karna zaroori tha par dono raaj gharano ke sabhi sadasyo ke jeeven kan nikalne ke baad bhi jab hume WO chiz nahi mili toh humne ek nahi yukti sochi...
humne socha ki jinki shakti se ye FORBIDDEN FOREST bana hai,zaroor unke bheeter kuch na kuch aisa upay chhupa hoga jisse hum is jagah ke shield ko hata sakenge...
hume ye bhi maalum tha ki ACCHUTA aur SLUNDER dono ka hi chayan yahan CHOSENS ke liye ho gaya hai...
aur isse hamare plan ko execute karna aur aasan ho gaya...
humne un dono ka roop lene ki sochi par ye itna asaan nahi tha....
hume maalum tha ki is INSTITUTION ke SOUL AMPLIFICATION ke dhaarak hamare chhal ko pehchaan lenge..
aur khaas karke wo teeno SOVEREIGN'S....unse bachna asambhav tha...
par jahan mushkile hoti hain,wahan unse nikalne ka marg bhi hota hai...
aur hamari mushkil se nikalne ka maarg tha ACCHUTA aur SLUNDER ke jeevan kan jo humne unse nikal liye the...
humne un dono ke jeeven kano ka khud me samavesh kiya..
aur fir humne apne jeeven kano ko bramhand ke ek durgam maarg me bhej diya..ek aise maarg me jo CHOSENS se juda hua hai taaki jab bhi hum chaahen,hamare jeeven kan hum tak pahunch paayen...
(ye wahi jeeven kan hain doston jinhe GASTON aur DORIAN samajh SHAILA aur AKSHAANT dhundne jaate the par unhe kuch milta nahi tha..)
GASTON-aur humne bas apni Shakti ka ek pratishat apne andar rakha par kyunki hamare andar ACCHUTA aur SLUNDER ke jeeven kan the,isiliye hamari us ek pratishat shakti ke baare me pata lagana lagbhag naamukin tha....
par koi tha,jiske liye humari shakti ko sense karna asambhav nahi tha..
VIOLET....
VIOLET bhale hi first PHASE me padhati thi par uski capabilities 2nd PHASE WHIZZ ke jitni hai. .
aur kyunki 1st PHASE me hone ki wajah se hum ussike under the isiliye AMPLIFICATION process ke waqt VIOLET ko humpar shak ho gaya tha...jahan sabko hum yahan ek weakling SAVENT nazar aa rahe the,wahin VIOLET ko humara AURA feel hone laga tha...
usne ye baat baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ko batayi par jab unhone is shak ko nakara toh usne shakti sense karne ka spell un teeno par kar diya jisse un teeno ke zariye bina saamne aaye bhi wo humari shaktiyon ko sense kar sake...
(SELF BRAWL AUR ACCHUTA,SLUNDER KO MOTIVATE KARTE WAQT VIOLET BAAKI TEENO SE YAHI BAAT KAR RAHI THI)
GASTON-par humne usse aisa mouka hi nahi diya..wo ya aur koi bhale hi humare saamne ho yaa naa ho, hum ACCHUTA aur SLUNDER ke character me bane rahe jisse dheere dheere uska shak bhi jaata raha...
in sabke beech hum lagatar SOVEREIGN'S par nazar banaye rakhe hue the par kuch waqt baad wo teeno hi gayab ho gaye...
humne kuch dino tak unki waapsi ki raah dekhi par jab wo nahi aaye toh humne yahan se jaane ki sochi par hum ye nahi kar sakte the kyunki SOVEREIGN'S ke jaane ke baad us MARILIZA ne CHOSENS ke SENSE SHIELD ke upar ek STOP SHIELD laga di jiske kaaran CHOSENS se naa toh koi baahar jaa sakta tha aur naahi koi andar aa sakta tha..
waise humare liye us STOP SHIELD ko todna koi badi baat nahi thi par aisa karne se humne jo bhi kiya tha,aur jis kaaran se kiya tha,wo ujagar ho jaata aur hum ye hone nahi de sakte the...
aur isiliye hum aaj ke din ki pratiksha karne lage... kyunki aaj SWEEP-STAKE hai, isiliye hume maalum tha ki pure bramhaand se is CHOSENS me padhe SAVENTS aur unke parents zaroor aayenge aur aisa hone dene ke liye MARILIZA us STOP SHIELD ko aaj ke liye hata degi jisse hum asaani se nikal jaayenge....
as simple as that...
ye toh hui hamari kahani par jaanta hai isme tu kahan se aaya???
kisi bhi SAVENT ko maarna toh door chhedne ka bhi hamara koi prayojan nahi tha...
agar aisa hota toh us raat jab MAHI ne humari Shakti ke bhaag ko dekh liya tha,hum usse ussi waqt maar dete...(UPDATE 29,KAALI CHAADAR)
par hume pata tha ki raat ke andhere me dikhi koi cheez ko adhar bana wo kuch saabit nahi kar paayegi,isiliye humne usse kuch nahi kiya...
khair,is bramhaand ke har kism ke maanav aur jeev se hum mil chuke hain,kisi me positive aura hota hai toh kisime negetive, par tere jaisa AURA humne kahin feel nahi kiya...
jab humne tujhe pehli baar karib se dekha tha,toh hume apne andar ek ghutan si mehsoos hui..
ek aisi ghutan jisse bardasht karna bohot mushkil tha kintu humare plan ki wajah se humare paas koi option nahi tha...
hum tujhe ussi waqt mout dena chahte the par hum wo bhi nahi kar sakte the...
kar sakte the toh bas intazar,yahan se nikalne ka aur jaate jaate tujhe maarne ka....
aur dekh kismat se ye dono hi kaam aaj hi ho gaya...
jab ALFREEN ne tujhe maara toh humne socha ki uske jaane ke baad tujhe behosh kar yahan le aayenge aur tujhe maar denge kyunki yahan bichi shield ki wajah se alarm bell kaafi der se teri mout sense karega aur tab tak hum yahan se jaa chuke honge...
par hum tujhe behosh karen,usse pehle hi ek dusri SAVENT aayi jisne ALFREEN ka roop dhar tujhpar attack kiya...
aur jab wo current ball tujhe lagne waala tha toh maine apni shakti se tujhe piche udda tujhe yahan pahuncha diya....
AKKKK.......
lagatar halka halka kampan kar taha tha mai....aur tabhi ek dakaar sa nikla mere mooh se jisse sun muskura diya GASTON....
GASTON- VADIN......
hamara banaya ek khaas astra hai ye jo is waqt tere andar ghussa hua hai...
iske pravesh se sharir par koi cut yaa ghaav nahi hota....par agar ye kisike sharir me ghus jaaye toh iski nok se ek urja nikalti hai jisse sharir ke andar ke har koshika me khichaav aana shuru ho jaata hai aur dheere dheere us manushya ka sharir andar se pura sadh bhi jaata hai aur khokla bhi ho jaata hai...
a very very painful way to die ...
HAHAHAHAHAHAHAHA........
apni baat bol zoron se has pada GASTON wahin uske baaju me khada DORIAN is pure dauran bas mujhe ghure jaa raha tha...
wahin dakaar lene ke baad bhi ab tak meri aankhen halki hi sahi par khuli hui thi jisse dekh
(update-1)
GASTON-hai toh tu ek mamuli mortal,par maanana padega,jaan fir bhi sakht hai...
arre...ye kya kar raha hai.......????
chingari dikhne lagi thi DORIAN ke hatheliyon me,jisse dekh haste hue GASTON ne pucha.....
GASTON-agar aur prahar karna hota toh kya mai ab tak yunhi baaton me waqt gawata....
iske jism se iske rooh ko alag karne ke liye jo waar hume karna tha,hum kar chuke hain...
agar ispe ek bhi waar aur hua toh iske tadapte shareer ko shanti mil jaayegi....
aur pata nahi kyun,ye mai nahi hone dena chahta....isse yun ek kide ki tarah bebas laachar tadapte hue dekhkar bada anand aa raha hai....
yunhi tadapte tadapte dheere dheere marne de isse....iske chehre par umadta ye dard,meri jalti hui kaali rooh par thande paani ka kaam kar rahi hai.......
DORIAN-tumhara bas chale toh tum isse har roz maaro....
GASTON-wajah toh maalum hi hai tumhe...hai toh ye nashwar...maamuli mortal...par pata nahi kyun,iski moujudgi ek ghutan paida karti hai mere andar....
ek chingari naachne lagi GASTON ki aankhon me...
mai unke saamne pada mar raha tha,mera sharir reh reh kar jhatke khaa raha tha,par ab bhi unki aankhon me mere liye wahi ghrina thi,wahi krodh jisse lagatar apne andar zabt karte aaye the wo dono...
wahin neeche zamin par kisi kide ki tarah pada mai unke chehre ko ektak dekh raha tha...
marnasthal par pahunchkar bhi mere aankhon ka sunapan jyon ke tyon tha....
mere chehre par dard saaf jhalak raha tha fir bhi mai bhaav shunya tha...
naa moh na maaya,naa koi khwahish...khush hone waali paristithi toh thi nahi par koi gum tak naa tha mere chehre par....
par haan,ek sawal zaroor uth raha tha mere zehen me..ye wahi sawal tha jo mere zehen me tab se uthta aa raha tha jabse SOCH shabd ka matlab samajh aaya tha mujhe...
aakhir kaun hun mai....????kyun alag hun mai sabse....?????waise toh sabki apni soch hoti hai par kuch baatein toh sabme common hi hoti hai....
par ye khubi bhi mujhme naa thi....khushi aur gum,in dono ehsaason se hi mai aaj tak mehroom tha....
aur ab toh zindagi hi apne aakhri mukam par hai.......apne saare sawaalon ko khudme sametkar ankhen band kar li maine aur tabhi.....
GASTON-tere paida hote waqt tujhe kisi ne tujhe company di ya nahi ye toh hum nahi jaante par haan,marte waqt tujhe saath zaroor milega...
ye bol DORIAN aur GASTON ke haath se do roshni nikal mere left side par padi aur dekhte hi dekhte us roshni ke andar se do log prakat hue...
ACCHUTA aur SLUNDER..par ye asli the aur mere baaju me behosh pade the....
mai jaanta tha ki DORIAN aur GASTON ne ye kyun kiya tha...bhale hi wo dono yahan se jaa rahe the par jo bankar wo yahan aaye the,unka toh yahan hona zaroori tha....
khair,khuli rehne ki ab aur shakti nahi bachi thi meri aankhon me,isiliye....
.................HICH ....................
AUR YE AAYI MERI AAKHRI HICHKI.....
DORIAN-AKHIRKAAR YE KIDA
..........MAR HI GAYA.............
AAJ KE LIYE ITNA HI.....
AAPKA APNA V...J.....