AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF BRAWNY NE AAJ APNI JAAN LENE KA FAISLA KAR LIYA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KI MULAKAT APNE RAICHAITA VIKRAM SE HO JAATI HAI
AB AAGE:-
CHAPTER-2
(UNEARTH THE IMMORTALS)
UPDATE-82
PLANET-EARTH
PLACE-MANDIR
RUKO RAAZ...IS PURI DUNIYA ME YE EKLOUTI JAGAH HAI JAHAN PAIR SE PEHLE SIR AAGE JAATA HAI....
MANDIR me kadam rakhne ke liye maine apne apne pair uthaye hi the ki tabhi VIKRAM ne ye baat kahi jispar maine apne kadam wapas liye aur...
MAI-seriously...ye jinka ghar hai,ye pitah tumhare hain,mai kyun sir jhunkaun unke aage...???
VIKRAM-kisi ke aage jhukne ke liye uska tumhara PITAH hona zaroori nahi...
2 aur bhi wajah hain jiske liye sir jhukte hain..
pehli wajah hai saamne waale ke liye man me izzat...
aur dusri wajah hai saamne waale ki wo haisiyat,wo rutba jiske aage khudki koi aukaad naa ho...
kuch log pehli waali wajah se jhukte hain aur kuch dusri waali wajah se...
ab tum dekh lo,tumhari wajah kya honi chahiye....???
ek baat aur,mere pitah ko rehne ke liye kisi ghar ki zaroorat nahi hai RAAZ...
ye saara jahan unka ghar hai....
MAI-really....???toh fir hum yahan kyun aaye hai,aur ye batao ki jab puri duniya hi GOD ka ghar hai toh specifically ye MANDIR,aur fir line se iske baaju me ye MASJID,ye GURUDWARA aur fir ye CHURCH kis liye...????
VIKRAM-waise toh gyan bhi kahi se bhi liya jaa sakta hai fir specifically schools kis liye..????
koi bhi goli tab tak koi kaam ki nahi jab tak ki wo bandhook ke andar naa ho...
har shakti ke shroth ko khudko nikharne ke liye ek sahare ki zaroorat hoti hai...
ye religious places ussi sahare ki tarah hain jinme apni shradha ki ummid jalaye log pure man se aate hain us vishwas ke saath ki unki har murad puri hogi..
unki wo murad us goli ki hi tarah hai jo yahan aane se pehle khule me padi hoti hai..
us murad me vishwas nahi hota aur isiliye wo pura bhi nahi hota...
par jab unke kadam yahan padhte hain,toh unka vishwas jaagta hai,aur tab wo goli us bandhook ke andar samati hai jisse uski shakti ko sahara milta hai...
aur hum yahan isiliye hain kyunki emotions jaisi pure chiz kisi pure jagah par hi bahar nikali jaa sakti hai..
aur isse pure jagah koi nahi...ye ek maatra aisi jaga hai jahan shaitan bhi galat nahi soch sakta...
is pure bramhand ke har jeevant kone me BLACK ENERGY ka waas hai,par ye ek maarta aisi jagah jiske darwaze par pahunch BLACK ENERGY bhi u turn le leti hai...
MAI-tumne kaha ki emotions bahar nikaalna hai...bahar usse nikala jaata hai jo andar moujud ho..!!!
aur mujhme toh emotions hai hi nahi...
VIKRAM-aisa tumhe lagta hai..
ek rahasya bhari muskaan liye kahi ye baat VIKRAM ne jispar...
MAI-matlab...!!!
VIKRAM-SAVENT HO...duniya bhar ki language pata hogi tumhe...sanskrit bhi....
MAI-haan,toh...!!!
meri baat sun mandir ki chowkhat par apna maatha tek VIKRAM khada hua aur...
VIKRAM- NA JAYATE MRIYATE VA KADACHIN
NAYAM BHUTVA BHAVITA VA NA BHUYAH
AJO NITYAY SHASHVATO YAM PURANO
NA HANYATE HANYAMANE SHARIRE.........
BHAGAVAD GITA,CHAPTER 2,VERSE 20 ka shlok hai ye...aur issi shlok me tumhare sawal ke jawab ka hint hai....
matha teko,aur is shlok ka matlab aur hint, dono khudko samjhate hue andar aao...
ye bol VIKRAM mandir ke andar chala gaya....
radha krishna ke is mandir ko ek baar dekh maine VIKRAM ki hi tarah apna matha teka aur fir uske piche ho liya...
andar aakar maine dekha ki radha krishna ke murti ke saamne neeche zamin par chehre par muskaan liye baitha hua tha VIKRAM....
mai bhi aage badha aur uske baaju me baith gaya aur....
MAI-aatma kisi kaal me bhi naa janmta hai aur naa marta hai aur naa ye ek baar hokar fir abhaavroop hone waala hai....ye aatma ajanma?nitya?sashwat aur puratan hai?sharir ke naash hone par bhi iska naash nahi hota....
yahi arth hai us verse ka aur isme mere kaam ki hint hai AATMA...SOUL....
VIKRAM-not bad....
MAI-toh tum keh rahe ho ki mere emotions mere SOUL ke andar chhupe hue hain..???
VIKRAM-hai nahi the...???
MAI-the matlab.??toh ab kahan hai...???
VIKRAM-ab ye tumhe khud dekhna hai aur isiliye hi toh hum yahan hai...
ye ek holy place hai RAAZ...saamne jo radha Krishna ki murti hai,isse dhyan se dekho...saare if's,but paap,punya,in short saare tathyon ko side kar apne chitt ke bicho beech mehsoos karo isse...
jawab mil jaayega tumhe...
VIKRAM ki baat sun aankhon me sawal liye dekha maine usse....aur jab aisa hua toh...
VIKRAM-hum wahi dekhte hain jo hum dekhna chahte hain RAAZ...sirf murti nahi,us shakti ko dekho jispar bharosa kar iske aage maatha tekte hain log....
task samajhkar hi sahi, puri shradha aur vishwas ke saath utaro saamne dikh rahe image ko apne aankhon ke raaste apni aatma me...
wo darwaze khul jaayenge,jiske piche tumhare sawalon ke jawab chuppe baithe hain....
ek baat toh thi..aur wo ye ki VIKRAM ke baat karne ka tarika,uska confidence itna strong tha ki uski har baat manane ka man kar raha tha mera...
aur yahi wajah thi ki uska wo concept jo abhi usne mujhse kaha tha,usse thik se naa samajh paane ke baad bhi sirf uske confidence ko dekh jo usne kaha tha,mai wo karne ko raazi ho gaya....
ek lambi saans chhod meri nazar saamne RADHA KRISHNA ki murat par gayi aur fir mai puri focus ke saath usse dekhne laga..
ek SAVENT ke focus aur normal logon ke focus me zamin aasman ka fark hota hai..ek SAVENT ka focus itna clear hota hai dekhne waale ko aisa lagega maano wo hypnotize ho chuka hai...
aur abhi bhi kuch aisa hi ho raha tha...saamne rakhe murat ko mai sirf dekh nahi raha tha,balki us chavi ko apne aankhon ke andar utarta chala jaa raha tha...
kuch 15 feet door baitha tha us murat ke par fir bhi mujhe siway us murat ke filhal aur kuch bhi nahi dikh raha tha...
aur jaisa ki VIKRAM ne kaha tha,murat ko nahi,us shakti ko mehsoos karne ki koshish kar raha tha jiske adhaar par log aate hain yahan....
apni complete positive energy jisme vishwas ki shakti thi,usse apne dono aankhon me daal dekh raha tha saamne mai.....
kuch minutes hi beete honge mujhe yun focus karte hue ki tabhi mujhe aisa feel hua maano mere aur saamne rakhi murat ke beech ek connection ho gaya hai..
ek adrishya bridge ban gayi thi hum dono ke beech aur mujhe aisa lag raha tha maano shakti ka ek bohot bada pravah bridge ki us aur se chalta hua meri taraf aa raha hai...
aur kareeb aate aate finally wo shakti pravah mere aankhon se hote hue mere andar samata chala gaya aur jab aisa hua toh...
meri aankhen apne aap band ho gayi...
par jahan ab tak har naye proccess me mujhe dard hota aaya tha,wahin is baar thik uska ulta hua...
us shakti ke mere andar jaate hi mujhe apne andar ek gaadhi WHITE ENERGY ki ray dikhi jisse mere andar ek sheet leher si doud gayi...
wo white ray jo filhal meri puri body ke andar faili hui thi,kuch seconds baad usne khudko sokhna shuru kiya aur fir khudko chota kar mere heart ke paas mere sharir ke beecho beech aakar rook gayi aur jab aisa hua toh...
aankh khul gayi meri...
PLANET-ELYSIAN
PLACE-PHASE 2
HEY BRAWNY, WHAT'S UP...???KAISE HO TUM....???
dopahar ka waqt hai...apne mom dad ke chehre ko apni aakhon me utarne ke baad BRAWNY PHASE 2 city ke beech se hote hue chala jaa raha tha ki tabhi uske kaano me ye awaaz padi jo ki MAHI ki thi..
wahin apne hi khayalon me khoye hue aage badhte chale jaa rahe BRAWNY ki jaise tandra si tooti MAHI ki awaaz sunkar aur fir wo awaaz ki taraf joki uske piche se aayi thi,palat gaya...
MAHI uske paas pahunch hi chuki thi jisse dekh...
BRAWNY-hie MAHI...kaisi ho tum...???
naa khushi,naa gum naa koi aur bhaavna thi BRAWNY ke awaaz me jisse bhaamnp gayi MAHI..
saath hi BRAWNY ka chehra jo uski awaaz ki hi tarah bhaav rahit tha,usse dekh ajeeb laga MAHI ko aur...
MAHI-mai toh thik hun...par tum sahi nahi lag rahe.... kya hua hai...??uncle aunty toh thik hai naa..??
us RAAZ ne fir koi battamizi toh nahi ki unke yaa fir tumhare saath...???
BRAWNY-nahi MAHI...aisa kuch bhi nahi hua hai... mom dad dono hi thik hain....
MAHI-phir tumhe kya hua hai...???khoye hue se lag rahe ho...
BRAWNY-haare hue log aksar khoye hue hi lagte hain....
apne aap me kho sunya ko ghurte hue kahi ye baat BRAWNY ne jispar...
MAHI-haar jeet toh life ka part hai yaar aur wo bhi bohot important...what matters is ki har haar se hum kya sikhte hain..???
agar ye hunar sikh liya toh life ki race me winner banane se koi nahi rok sakta...
BRAWNY-tumhare liye ye kehna aasan hai MAHI..tum ek top SAVENT ho..har competition me excel kiya hai tumne...
MAHI-tumhari baat me key word kya hai,pata hai..???KIYA HAI MAINE..
kuch hota nahi BRAWNY,karna padta hai..wahi kiya hai maine..
apni nakami ke gum se bahar nikal ek positive ATTITUDE ke saath focus karoge,toh result behter nikllenge tumhare...
BRAWNY-har bande ki shoe size ek nahi hoti MAHI...aur jo pehenta hai,sirf wahi ye shoe ki fitting ke baare me jaanta hai...
meri life bhi ek aise shoe ki tarah hai jo mujhe gift toh hui hai par mere size ke according nahi...
MAHI-life shoe ki tarah nahi patthar ki tarah hoti hai BRAWNY...wo patthar jisse agar sahi se tarasha jaaye toh wo patthar heere me convert hota hai aur agar naa tarasha jaaye toh wo patthar, patthar hi reh jaata hai...
BRAWNY-paththar dusro ko chot pahunchati hai, khud chot nahi khaati...par yahan toh takkar bhi hume mili aur chot bhi hume hi laga....
jahan ek taraf BRAWNY ki baat sun MAHI samajh gayi thi ki wo is hadh tak negetive ho chuka hai ki har positive example me bhi wo kuch negetive dhund raha hai...
wahin dusri taraf apne brain me ho rahe chemical loche ki wajah se BRAWNY ki counter negetive tarko se usse ghussa bhi aa raha tha aur abhi jo BRAWNY ne kaha tha,usse wo ghussa aur trigger ho gaya aur..
MAHI-you know what...???tum wakayi ek looser ho... isiliye nahi kyunki tumhari performances ka standerd low hai,balki isiliye kyunki tumhara ATTITUDE minus me chala gaya hai..
aur aise ATTITUDE ke saath competition toh door ki baat hai,tumhe toh kissi bhi bande ke saamne tak nahi jaana chahiye..
warna tumhari ye depressing baatein kisika bhi moral down kar degi...
you should not be a part of any competitive aur even social community...
pata hai,tumhare jaise bande jeete hue bhi are as good as dead...
jahan ye bol nikal gayi MAHI apne raaste wahin uski aakhri line ko sun..
BRAWNY khudse-you are right MAHI...i am just as good as dead...
aur isiliye,is oupchaarik jeeven ko bhi khatm karne jaa raha hun mai....
BACK TO VIKRAM & RAAZ
TOH FINALLY,SAMAJH AA GAYA TUMHE.....!!!!
mere aankh khulte hi VIKRAM ne ye baat kahi thi joki sach bhi thi....
apne EMOTIONS ka saara ganit mujhe samajh me aa chuka tha..
chaliye,aap bhi samajh lijiye mere emotions ka bhedh...
wo bhedh joki wakayi kamal ka tha....
aur wo yun ki VIKRAM ne sach hi kaha tha..mere emotions mere hi andar the...
bas chhupe hue the yaa fir ye kahun ki unhe chhupa diya gaya tha..
aur ye kiya tha mere SOUL ne....aur usne ye isiliye kiya tha kyunki ZEAL planet me jab maine apne SOUL ko haasil kiya,uske baad VIDEOUS ke test ke dauran sirf emotions hi the jo mujhe hara sakte the...
isiliye mere SOUL ne usse khudme chuppa liya tha...
par ye sirf us waqt ke liye tha..kyunki jaise hi meri SOUL mujhme samayi toh uske agle hi pal mere emotions ka pressure badhne laga aur isiliye mere SOUL ne us pressure ko normalize karne aur sahi waqt tak jo ki abhi aaya tha,chhupaye rakhne ke liye uske chaar hisse kiye...
jinme se ek hissa toh usne khudme rakha aur baaki ke teen hisse usne mere baaki ke teen AMPLIFICATION modes matlab mere BRAIN,BODY aur SOUL me transfer kar diye...
aur is theory ke clear hote hi ek aur theory bhi clear ho gayi jisse samajh....
MAI-toh ye reason tha REFINER proccess ke waqt mujhe itne pain hone ka...!!!!
meri baat sun VIKRAM muskuraya aur...
VIKRAM-emotions bhi biwi ki tarah hoti hai...aur kaun si biwi hai jo apne sautan ko pasand kare aur use taklif naa de...
jo external emotions tumne apne andar samaye the,wo tumhare AMPLIFICATION modes ke through unke andar chuppe tumhare apne emotions ko pasand nahi aaye aur natija,extreme pain...
MAI-par tumne toh kaha tha ki emotion heart ke liye hain fir ye mere baaki AMPLIFICATION modes me kya kar rahe hain..???
VIKRAM-hmm.is baat ko aise samjho ki,
kisi electronic show room me toh gaye hi hoge...???wahan par jitne bhi L.E.D,FRIDGE display par rehte hain,wo wahan isiliye reh paate hain kyunki unhe dikhane ka waqt aa chuka hota hai..
par jab tak aisa nahi hota,tab tak wo saare saman us showroom ke godown me rakhe hote hain...
tumhare ye chaaron AMPLIFICATION modes ussi gowdown ki tarah hain jahan tumhare electronics numa emotions tab tak ke liye rakhe gaye hain jab tak ki unki zaroorat aur unka waqt unki asli jagah matlab tumhare heart me pahunchne ka nahi ho jaata...
aur ab wo waqt aa chuka hai....
MAI-toh ab...???karna kya hai...???
VIKRAM-tum batao... jawab tumhare andar hi hai..jhaanko wahan ek baar....
VIKRAM ki baat sun maine dobara thodi der pehle beete us waqt ko reprocess karna shuru kiya jab mujhe apne HIDDEN emotions ke baare me pata chala tha....
mujhe yaad aaya ki emotions ko dhundte waqt radha Krishna ki murat se nikli energy jab mere andar ghum rahi thi aur fir jab wo mere SOUL me shrink ho rahi thi tab maine us energy me ek in out movement mehsoos ki thi...
aisi movement jo kisi locker ki tarah thi jisme kuch bhi rakha jaa sakta tha...
ye khayal aate hi mera pura dhyan issi taraf chala gaya aur jab aisa hua toh kuch hi seconds me mujhe saara ganit samajh me aa gaya...
mujhe ye toh samajh me aa hi gaya ki mujhe kya karna hai par saath ho wo sawal jo mujhe kaafi der se pareshan kar raha tha,ki hum yahan kyun aaye hain,uska jawab bhi mujhe mil chuka tha aur jab wo jawab mere dimag me gunja toh mai turant VIKRAM ki taraf palat usse dekhne laga..
ab baat aisi hai ki yahan ka ganit samajh VIKRAM ki buddhi ka ek baar fir mai kayal hua tha par taarif toh humse hone se rahi isiliye man ke bhaav aankhon ke through hi dikha diye maine usse jisse dekh aur samajh wo bhi muskura diya aur...
VIKRAM-toh saare logics clear ho gaye.....!!!!
MAI-haan..
VIKRAM-toh batao fir,kis niskarsh me pahunche tum...????
MAI-mere emotions ki shakti jo ki mere chaaron AMPLIFICATION modes ke andar chuppi hui hai,usse mujhe is jagah aur baaki ke teeno religious jagahon ki shakti ke hawale karna hai...
baaki ka kaam ye chaaron jagah apne aap kar dengi...
aur isiliye hi hum yahan aaye hain,right...is jagah par sirf WHITE ENERGY hi nahi doudti,balki puri duniya me ye jagah aur issiki tarah MASJID, GURUDWARA aur CHURCH,ye religious places ek POSTIVE AURA bhi release karte hain..
aur ye AURA is jagah par vishwas karne waalon ke HEART se paida hui hai...
yahi wajah hai ki ye jagah us AURA ki wajah se ek maatr aisi jagah hai joki mere emotions ki mere FIFTH AMPLIFICATION MODE "HEART" me utappati karane me saksham hain...
meri baat sun muskaan gaadhi ho gayi VIKRAM ki aur....
VIKRAM-bang on dude...then what are you waiting for... shuru karo extraction...
is LORD OF ANGELS ke kirdar ko nibhane ke liye waqt hi waqt hai mere paas...
par human life ek baar hi milti hai..iske pal yun LORD bankar gawana nahi chahta mai..
VIKRAM ki baat sun mai turant neeche zamin par paused CEREBRATION process me baith gaya...
aur mere aisa karte hi wo URJA jo ab bhi mere SOUL me moujud thi,wo chamakne lagi....
aur jab maine uspar focus kiya toh mujhe apne andar kul chaar jagah roshni ke chote chote gole dikhe...
ye gole issi devine jagah ki energy thi jo mere chaaron AMPLIFICATION modes me jaakar chipki hui thi...
aur isiliye sabse pehle maine apne first AMPLIFICATION mode BRAIN par dhyan lagaya aur mere aisa karte hi mere us mode par chipke us ENERGY ne us mode ke andar se ek nayi energy ko joki mere emotions the, unhe kheenchna shuru kar diya...
aur jab usne us hisse ki puri emotional ENERGY kheench li toh...
ab baari thi mere dusre kaam ki...
maine apne sharir ke AURA ko is jagah ke AURA se mehsoos karana shuru kiya...
aur jab aisa ho gaya toh mere BRAIN se extracted emotions ek jhatke se mere andar se bahar nikal gaye..
aisa hote waqt mujhe dard toh nahi hua,par haan,ek ajeeb si thakan mehsoos hui mujhe...
khair, kuch hi seconds me mera kaam ho chuka tha aur aisa hone ke baad meri aankh khul gayi...
dikha toh kuch bhi nahi par mai apne andar se nikli energy ko mehsoos zaroor kar paa raha tha..
wahin mere aankh khulte hi..
VIKRAM-chalen...
ye bol VIKRAM aage badh gaya aur uske piche piche uth chal pada mai..
par meri chaal thakaan ki wajah se halki dagmagayi hui thi...
MANDIR se bahar aa mai uske baaju me bane MASJID me ghusne ko hua hi tha ki tabhi mujhe MANDIR me ghusne se pehle kahi gayi VIKRAM ki baat yaad aa gayi ki ye puri duniya me ye eklouti jagah hai jahan pair se pehle sir aage jaata hai...
us baat ke yaad aate hi maine MASJID ke chowkhat par apna sir tikaya aur fir andar chala gaya...
ab saare ganit ke eqautions aur unke formulas toh clear hi the...
isiliye jaisa MANDIR me kiya tha,wahi proccess yahan bhi repeat kiya maine...
apne second AMPLIFICATION mode BODY se apne emotions ki energy parts extract kar apne body ke AURA se is jagah ke AURA se joda maine jiske baad mere emotions ki energy ka second bhaag bhi is jagah ne khudme samet liya...
is baar bhi thakaan haawi ho gayi thi mujhme..dheere dheere kadam aur lambi lambi saansein leta hua mai masjid se bahar aaya aur uske baaju me bane GURUDWARA me maatha tek ghus gaya aur jab yahan ka proccess khatm hua toh mere sharir ki 60 perfect taakat khatm ho chuki thi....
behad dheere dheere chalta hua mai bahar aaya..meri haalat dekh muskuraya VIKRAM aur...
VIKRAM-sahara chahiye....!!!
MAI-thaka hun...mara nahi hun...
ye bol jahan apne final stop CHURCH ki taraf badh gaya mai wahin meri baat sun muskura diya VIKRAM...
meri zidh,guroor aur ATTITUDE me uski jhalak thi....
mujhe dekh usse uski kahani ke wo har pal yaad aane lage jo usne kuch saal pehle jiye the...
wo un palon ko mehsoos kar hi raha tha ki tabhi...
KAISE HO MERE BHAI...???
ye awaaz thi ASMODEUS ki jisse sun ek muskaan naach uthi VIKRAM ke chehre par..
ASMODEUS joki is waqt heaven me baitha muskurate hue apne bhai ko dekh raha tha....
wahin uski baat sun...
VIKRAM-kuch aisa pucho jiska andaza nahi ho tumhe...
ASMODEUS-emotions ke un charaon bhaagon ko tum apne andar rakhkar bhi sambhal sakte the...
fir kyun nahi kiya tumne aisa...???
VIKRAM-talwar myan ke andar hi achi lagti hai bhai.... emotions ke pravah ki sahi jagah GOD ke ye pavitra sthan hi hain...
inki shakti se un emotions ki value aur badh jaati hai...
and most importantly, VIDEOUS logon ke ATTITUDE ke saath khelta hai aur wo kaamiyab isiliye hota hai
kyunki logon ke ATTITUDE ki grip strong nahi hoti...
RAAZ ki hi tarah usme meri aur tumhari urja hai..
aise me agar in emotions ki energy par bhi meri hi urja ka sparsh padta,toh RAAZ ko koi extra faayda nahi hota....
par ab in jagahon ke sangrakshan ki wajah se kamsekam emotions toh RAAZ ke intact rahenge...
VIDEOUS RAAZ ka sabkuch badal sakta hai,par wo jazba wo ATTITUDE nahi jinhe ab in emotions ka support milega...
wo naa toh in emotions ki shakti ko badal sakta hai aur naahi isse chhed chaad kar sakta hai....
yahan VIKRAM apne bhai se baat kar raha tha aur wahan CHURCH ke andar....
maine apne last AMPLIFICATION mode se apne emotions ki energy ko extract kar liya tha jiske baad is jagah ki AURA ne us ENERGY ko khudme sokh bhi liya tha..
is puri kriya ke baad 90 percent of my bodies energy has been drained out...
taakat bilkul nahi bachi thi mere andar...sir ghumne laga tha mera..jaise taise khudko sambhalte hue mai church se bahar aaya....
par in chand kadmo me hi meri baaki ki bachi energy bhi lagbhag khatm ho gayi aur....
DHAMMM....
VIKRAM ke theek saamne pahunch mai neeche gir behosh ho gaya...
meri ulti padi body ko sidha kiya VIKRAM ne aur apna haath mere sir se lekar paanv tak ghumate hue mere chaaron AMPLIFICATION modes ki shakti ka halka sa mila jula AURA bahar nikala aur apne haath saamne kar diye...
uske aisa karte hi wo AURA chaar bhaagon me bat CHURCH, GURUDWARA, MASJID aur MANDIR ke andar chala gaya aur aisa hote hi...
un chaaron hi jagahon se ek saath upar ki taraf chaar prakash kunj nikle jo ki mere complete emotions ki energy thi...
aur fir,wo chaaron bhaag badi tezi se ek dusre se takraye aur jab ajsa me hua toh wo puri jagah din me bhi jagmaga uthi....
mere emotions ek chuke the aur aisa hote hi wo tezi se meri aur badhe....
wo energy ka gola thik mere heart wali jagah ke upar aakar thehra aur fir dheere dheere neeche aana laga aur fir....
jaise hi wo energy ka gola jo ki mere emotions the,mere andar samaya toh ek jhatka laga mujhe aur meri aankhen khul gayin aur mai ek jhatke me uthkar baith gaya air aisa hota dekh...
VIKRAM-mubarak ho...jis maksad se aaye the,wo maksad pura ho gaya tumhara...
VIKRAM ki baat sun khada hua mai aur..
MAI-fir mujhe kuch feel kyun nahi ho raha hai...???
VIKRAM-khaana nahi khaya hai tumne jo ek point ke baad pet bharne ki feeling aayegi...
ye emotions hain, waqt, conditions ke saath apne aap ko ujagar karengi jinhe tumhe apne buddhi aur conscience ke according samajhna hai aur judge karna hai....
having said that,ye lo...isse padhna....shayad kaam aa jaaye tumhare...
apni baat keh VIKRAM ne apna haath aage kiya jispar ek patli si kitab thi...
FINDING RADHA....yahi naam tha us book ka jisse maine VIKRAM se le liya....
aur us book ke nichle bhaag ko touch karte hi mujhe kuch gila sa mehsoos hua jo ki paani se aaya tha...
par maine is par dhyan nahi diya....
wahin book ko de....
VIKRAM-jaane ka waqt ho gaya hai..tumhara bhi aur mujhe dobara mile is temporary ohde ka bhi...
VIKRAM ki baat sun ek pal ke liye maine usse dekha aur....
MAI-ek sawal hai mera...???
VIKRAM-pucho....
MAI-kya ye soch kar dar nahi lagta tumhe ki agar mai haar gaya toh kya hoga...???
mera toh bas astitv mitega par tumhare aur tumhare bhai se toh sab kuch chhin jaayega....
tumhara ohda, tumahara samman sab le jaayega VIDEOUS...puri manav jaati uske aadhin ho jaayegi...
aur aisa hone ke chances zyada bhi hain...shakti mehsoos ki hai maine uski...mai kahin nahi theherta uske aage....
mai usse ladh sakta hun,usse thodi der takkar bhi de sakta hun,par usse hara nahi sakta...
bhale hi hum dono hi tumhare urja se bane hain par uske paas laakhon saalon ka advantage hai...
is waqt ko usne khudko nikharne me lagaya hai...saath hi uske paas BLACK ENERGY ki bhi taakat hai jo har badhte pal ke saath aur sashakt hoti jaa rahi hai...
itne negetives hain...kya in negetives se hone waale asar ko samajh ghabrahat nahi hoti tumhe...
apne father GOD ko led down karne ki aashanka nahi hai tumhare andar....???
meri baat sun VIKRAM muskuraya aur...
VIKRAM-jis daur me tum abhi ho,isme mere PITAH GOD nahi,JAIRAJ SINGH hain....
and he is one the most successful people in the this whole world...
par iski shuruat bhi unhone zero se ki thi...kuch nahi se bohot kuch haasil karne ka hunar tha unme aur unhone karke dikhaya bhi..
aise competition the unke aage jisse agar door se dekho toh bas aisa hi lagega ki unka kuch nahi ho sakta..
but hi nailed everything obstacle...ek normal human being aur uski soch ke saath apne har problem ko hara agar wo itna kuch kar sakte hain, toh mai LORD OF ANGELS hone ke baad kaise piche reh sakta hun...???
anyways, jaisa ki tumne kaha ki agar tum haare toh tumhara astitv hi nahi rahega,toh aise me tumhare jaane ke baad kya hoga,iske baare me kyun soch rahe ho tum...???
tumhare hote waqt kya kar sakte ho,iske baare me sochna hai tumhe....???
apni duniya me jaane ke liye taiyar...???
VIKRAM ki baat sun maine haan me apna sir hilaya jiske baad VIKRAM ne apni LORD OF ANGEL ki shakti ko release kar diya aur aisa hote hi us shakti ke ek bhaag ne mujhe aakar chhu liya aur jab aisa hua toh...
mai dheere dheere gayab hona shuru ho gaya...
par isse pehle ki mai pura gayab hota...
VIKRAM-ek baat yaad rakhna RAAZ....jaisa ki tumne kaha ki.........
you cannot BEAT HIM......
that's why,u have to DEFEAT HIM....
the journey he has started,
descendingly........
u have to REPEAT HIM........
AAJ KE LIYE ITNA HI......
AAPKA APNA V...J......