• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Rohit tyagi

Member
281
738
108
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF BRAWNY SUICIDE KE IRADE SE NIKAL CHUKA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO USKE EMOTIONS MIL JAATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-2

(UNEARTH THE IMMORTALS)

MEGA UPDATE-83

PLANET-ELYSIAN

PLACE-PHASE 2 MALL

AB YE TRACK PANTS KA SECTION KAHAN PAR HAI.....????

khudse puchti ALFREEN idhar udhar dekhne lagi....

mid afternoon ka waqt hai... kyunki kal in sabko FORBIDDEN FOREST jaana tha, isiliye ALFREEN apne liye kuch naye track pants lene mall pahunchi thi..

sports wear section me pehle wo kabhi gayi thi nahi isiliye har section se hokar sports section ko dhundte hue wo aage badhne lagi aur tabhi...

usse sports section dikha aur saath hi ussi us section ke ek corner me khadi dikhi MABEL..

par MABEL akeli nahi thi,uske saath VALDIS bhi tha....un dono ko dekh MAHI unki taraf badh gayi....

ALFREEN-hey guyzzz....

piche se aayi is awaaz ko sun jab MABEL aur VALDIS palte toh saamne ALFREEN ko paaya aur...

VALDIS/MABEL-hey AL....

baari baari se greet kiya un dono ne ALFREEN ko jispar...

ALFREEN-tum dono bhi kal forest jaane ke liye hi shopping kar rahe ho....???

MABEL-hmm....

halki awaaz me bas itna hi kaha MABEL ne par jaisa ki har true friend samajhta hai,ALFREEN MABEL ki awaaz ke piche chhupi udasi ko bhaamp gayi aur...

ALFREEN-kya hua MABE.....kuch problem hui hai kya...???

ALFREEN ki baat sun feeki si hasi hothon par laa...

MABEL-machine ko kaise koi problem ho sakti hai...???

pain toh sirf tum jaise human ko hi ho sakta hai naa...!!!

MABEL ne kataksh kiya tha,ye toh samajh gayi thi ALFREEN par kyun kiya tha,ye samajhna abhi baaki toh par isse pehle ki wo kuch puchti...

MABEL-chalo VALDIS...dusre section me chalte hain....

ye bol aage badhne ko hui MABEL par tabhi....

ALFREEN-one second MABE.....

kya hua hai...??tu mere sawal ko aur mujhe avoid kyun kar rahi hai...???

ALFREEN ke sawal par ek baar bade ghusse se ghura MABEL ne usse aur....

MABEL-bura laga...???kyun???hun kaun mai...???teri ek louti friend cum sister to MAHI hai naa,fir mere hone naa hone se kya fark padh jaayega tujhe...

halki dabi par ghusse bhari awaaz me kahi ye baat ALFREEN ne jisse sun hairan ho gayi ALFREEN par phir...

ALFREEN-VALDIS....can you give us a moment....

ALFREEN ki baat par VALDIS kuch keh paata par usse pehle...

MABEL-kahin nahi jaayega VALDIS...aur jaanti hai kyun,kyunki in kuch dino ne jab tu MAHI ke behavior ki wajah se upset thi,jab uski berukhi toh tujhe yaad rahi thi,par tu ye bhul gayi ki ki mai bhi teri friend hun aur anjaane me hi sahi,jo MAHI ne tere saath kiya,wahi tu mere saath kar rahi thi,us pure waqt jab mujhe bhi bohot bura lag raha tha aur tujhe is baat ka ehsaas tak nahi tha,VALDIS tha mere saath...

hamesha tha...usse door se hi meri wo udasi dikhi jo tu paas hokar bhi nahi dekh paayi..

aur dekhti bhi kyun,mai toh machine hun naa jisse tu jab chahe,apne hisaab se use kar sakti hai...

teri tarah mujhe bhi bura lag sakta hai,ye khayal kaise aa sakta tha tere andar,right...!!!!

MAHI ne tujhe avoid kiya,toh tune mujhe avoid kar diya... fantastic...

and thank you for that..in kuch dino me value bata di tune mujhe meri...

MABEL ki baat sun bohot bura lag raha tha ALFREEN ko par wo jaanti thi ki kahin na kahin MABEL sahi thi...

MAHI ke behavior ke chalte usne completely ignore kar diya tha MABEL ko....

is dauran kitne baar hi MABEL uske ghar aayi,usse cheer karne ki koshish ki,par har baar ALFREEN ka behavior negetive hi raha...

infact kuch baar toh irritation me thoda ulta sidha bhi keh diya tha ALFREEN ne MABEL ko...

us waqt toh apne negetiveness ke chalte in saari baaton par ALFREEN ka dhyan nahi gaya,par ab wo saari baatein rewind mode me uske dimag me doudne lagi jisse yaad kar usse guilt mehsoos hone laga tha...

sahi hi toh kaha tha MABEL ne,anjaane me hi sahi,par ek machine ki hi tarah dekha gaya tha MABEL ko....

ek friend usse door hui aur ek friend ko usne khudse door kar diya...

sunya ko ghurti hui ALFREEN ke dimag me ye saari chizen ek saath ghumne lagi thi aur jab ALFREEN back toh present me aayi toh wo chownk gayi...

reason...

MABEL jaa chuki thi....

usne palat kar dekha toh usse door section ke main gate ke paas dikhi MABEL jiski bhale hi peeth thi is waqt ALFREEN k taraf par ALFREEN jaanti thi is waat MABEL ki aankhon me bhi uski anakhon ki hi tarah aansu honge...

wahin in dono ladkiyon se alag MABEL ke saath chalte VALDIS ka chehra bhale hi shaant tha par uska man utna hi khush tha...

aur wo isiliye kyunki in kuch dino me bohot hi chalaki se bina MABEL ko andesha hone diye ki wo usse bhadka raha hai,usne ALFREEN ke khillaf uske kaan bhare the..

khudko innocent aur pure soul dikha ek sache humdard ka mukhouta odhe VALDIS ne lagatar true friendship kaisi hoti hai,uski kayi stories sunayi MABEL ko...

aisa karte waqt wo hamesha usse yahi kehta tha ki mai bhi tumhara in stories me bataye jaane friends ki hi tarah ka friend hun par uski wo stories asal me us zeher ki tarah thi,jo wo MABEL ke andar ALFREEN ke liye daal raha tha...

MAHI toh khudhi alag ho chuki thi isiliye uski toh VALDIS ko koi tention thi nahi....

khair,aaj jaise present kiya tha VALDIS ko MABEL ne ALFREEN ke saamne,usse bada khush tha wo aur isiliye man hi ye baatein chal rahi thi uske andar ki...

VALDIS-dost toh ban gaya tera wo bhi pakka wala...wo log jo tujhe sahi galat me fark bata sakte the,wo bhi nahi hai ab humare beech...

kuch din aur phir,pyar ke beej bhi jaga hi dunga tere andar mai aur uske baad mai tere dil me aur tu mere bistar par hogi MABEL....

aur fir,jab tak mai chahunga,jab tak mera dil nahi bharega,use karunga tujhe aur tere jism ko...

PLACE-THE GIANT MOUNTAIN

KABHI SOCHA NAHI THA KI YE JAGAH MERE ANTIM WAQT KI SAAKSHI BANEGI...

ISKE TALE MERE MRITH SHAV KA SMARAK BANEGA....

THE GIANT MOUNTAIN... FORBIDDEN FOREST ke east me sthith ek behad hi uncha pahad jiski choti par khade BRAWNY ne kahi thi ye baat....

FORBIDDEN FOREST ki book me bataya gaya tha is forest ke baare me....

PHASE se nikalne ke baad tezi se doudte hue FORBIDDEN FOREST ke raaste pahuncha tha BRAWNY yahan...

ab bhale hi BRAWNY ek underperform tha but tha toh ek SAVENT....

aur doudne ke maamle me ek SAVENT ki speed kisi cheetah ki tarah hi hoti hai...

yahi wajah thi ki FORBIDDEN FOREST se hote hue itne bade pahad ki choti tak pahunchne me bhi zyada waqt nahi laga tha BRAWNY ko....

khair.....

THE GIANT MOUNTAIN...is pahad ki ek alag hi khasiyat thi...aur wo ye ki iske teen taraf toh dhalaan thi par chowthi taraf ek bohot hi gehri khaayi thi...

aur issi jagah ko chuna tha BRAWNY ne apne life ke antim flight ke liye...

reason...

us khayi me kudne ke baad tal tak pahunchne me waqt lagna tha aur ussi waqt me hawa ko cheerte hue jab BRAWNY ki body neeche jaane waali thi,toh un nervous palon ko ek aakhri baar jeena chahta tha BRAWNY....

zindagi bhar dar aur underconfidence ke chhaye me raha tha BRAWNY aur ab jab uski zindagi maut ke hawale hone waali thi,toh uski bas itni si khwahish thi ki in aakhri lamho me bina dare mout ka saamna kare wo...

self satisfaction waala ganit hai,aur kuch nahi...

khair,apni baat keh ek chota sa pathar uthakar neeche dikh rahi us anant si khayi me feka BRAWNY ne jispar kuch hi seconds ke baad ek SAVENT ke tez aankhon tak se ojhal ho gaya wo patthar aur aisa hota dekh...

BRAWNY-choti choti chizen bhi darati aayi hain mujhe par aaj aisa nahi hoga....is bejaan pathar ki hi tarah bina dare kudunga mai tere garbh me aur tu dara nahi paayegi mujhe....

zindagi me pehli baar confidence chhalka tha BRAWNY ke mooh se par wo bhi kab,jab wo khudko khatm karne waala tha....

anyways,apni baat keh ek baar upar aakash ko dekha BRAWNY ne aur phir apni aankhen band ki...

aisa karte hi uske saamne uske mom dad ke chehre aa gaye jinhe dekh ek pal ke liye vichlit hua BRAWNY ka man par phir usne khudko sambhala aur...

BRAWNY-nahi..mai kamzor nahi ho sakta...

ek dridhta ke saath kahi ye baat BRAWNY ne aur fir ek bar fir neeche khayi ko dekh usne apna ek pair aage kar liya...

aisa kar khudke body ko jhatka de aage khaayi me kudne hi waala tha BRAWNY ki tabhi....

KITNI NOUTANKI BE...KUDNA HAI TOH KUD..ITNA TIME KYUN LAGA RAHA HAI....???

PLACE-SHEELA'S ABODE

WELCOME BACK RAAZ......TOH KAISA RAHA EXPERIENCE APNE RAICHAITA SE MILNE KA....????

jis tarah VIKRAM ke saamne se mai gayab hua tha, thik waise hi yahan SHAILA ke ABODE me prakat hua mai aur aisa hote dekh SHAILA ne ye baat kahi jispar....

MAI-bohot badhiya....hum log ghumne gaye... nayi nahi jagah explore ki.. bohot si shopping ki par tum teeno ke liye shopping nahi kar paaya hai...i hope u don't mind....

meri baat sun wo teeno hi has diye aur....

AKSHAANT-dekha, emotions milte hi sense of humor bhi aa gaya tumme....

MAI-sense of humor ke liye emotions nahi sense ki zaroorat hoti hai aur sense ke liye brain ki aur wo mere paas pehle se hai....

mere jawab ko sun ke man me hi ek saath un teeno ko khayal aaya ki "ye nahi sudhrega"....

khair,mere jawab ke baad...

SHAILA-tumhare emotions ne un emotions ko hata diya hai jo tumhare andar temporary the....

saath hi tumhare first REFINER ke saath un emotions ne khudko merge bhi kar liya hai....

AKSHAANT-isiliye ab tum bhi baaki SAVENTS ki tarah hi saare metaphisycal activies araam se sikh paaoge...

but haan,tumhari rachna aur tumhare ATTITUDE jo ki rare hai,unki wajah se tumhare emotions ke power bhi baakiyon se alag aur zyada strong honge par unhe use me laane ke liye mehnat toh tumhe karni hi padegi...

MAI-aur kuch....

SHAILA-peeche dekho....

SHAILA ke bolte hi mai piche mooda toh paaya ki wahan ek MAGICAL DOOR khula hua tha jiski dusri taraf tha THE GIANT MOUNTAIN...

MOKALSAR-BRAWNY ka waqt aa chuka hai aur tumhara uske paas jaane ka bhi...

MOKALSAR ki baat suanane ke baad mai rooka nahi aur us door se hota hua uske dusri taraf chala gaya.....

BACK TO THE GIANT MOUNTAIN

BRAWNY ne apne kadam aage badhaye hi the ki tabhi uske piche se ye awaaz aayi jisse sun jab wo piche palta toh aakhen badi ho gayi uski aur...

BRAWNY-RAAZ........

itne zor se mera naam liya BRAWNY ne ki uski awaaz aur mera naam pure area me echo hone laga jisse sun..

Mai-abbe naam chillana hai toh kisi ladki ka chilla..mere naam ka speaker kyun baja raha hai...????

meri baat toh jaise suni hi nahi BRAWNY ne..wo bas aankhen faade mujhe dekhta raha yaa fir ye kahun ki ye yakin karne ki koshish karta raha ki mai wakayi yahan par hun...

kuch der tak mujhe yunhi dekhte rehne ke baad.....

BRAWNY-yahan kya kar rahe ho tum...???

MAI-suicide karne aaya hun....ab jab tu bhi yahin hai,toh chal saath me karte hain...

meri baat sun pehle toh hadbadaya BRAWNY par fir....

BRAWNY-i am serious RAAZ...mujhe pata hai ki tum yahan mere liye aaye ho...isiliye sach batao, tumhe kaise pata chala ki mai yahan hun...???

MAI-tere liye ye janana important nahi hai.....aur waise bhi tu toh marne aaya hai naa...!!!!

toh fir RAAZ ka koi bhi RAAZ jaankar tujhe kya faayda hona hai...???

isiliye saari baaton ko dimag se jhatak aur kood jaa yaa fir mai madad karun...!!!!

baat karte karte mai BRAWNY aur us mountain cliff ke bilkul paas aa chuka tha...

aur yahan pahunch apni baat jaari rakhte hue...

MAI-yaa phir jaise hamesha hota aaya hai,abhi bhi yahi haal hoga...tera fattupan tere faisle ke beech aa jaayega...

dekh,do options hain tere paas...

pehla,yahan se koodkar apne faisle ki izzat rakh le..yaa fir wapas lout aur wahi looser bhari zindagi jee...

waise agar pehla option jache toh tarika yun rakhna,dar kam lagega...

ye bol mai mountain ke bilkul edge me pahunch ulta ho gaya aur apni baahien faila li jisse dekh BRAWNY ki aankhen badi ho gayi aur...

BRAWNY-ye kya kar rahe ho tum...???

MAI-arre bola toh tha tujhe ki mai bhi kudunga yahan se...ab unlike you,mujhe toh apne baat se palatne ki aadat hai nahi..

isiliye.....

ye bol maine apni aankhe band ki aur fir mera sharir piche aur fir piche hokar niche khayi me girta chala gaya jisse dekh BRAWNY ki haalat kharab ho gayi...

par ye sirf ek second ke liye tha.. mujhe yun bindaas hokar khudata dekh BRAWNY ne bhi ek lambi saans li aur thik meri tarah position le apni aakhen band kar piche ki taraf ludakh gaya jiske baad uska sharir bhi tezi se nich girne laga....

wahin dusri taraf mai ab tak kaafi neeche pahunch chuka tha jiska matlab tha ki kisi bhi second meri body zamin ko hit karne waali hai...

par kyunki udne ka hunar maine kuch din pehle sikh liya tha, isiliye aisa hone ke chances kam the par the zaroor...

aur wo isiliye kyunki maine wo hunar apne REFINER ke average power ke dum par sikha tha..

par us average power ko stimulate karne me mere REFINER ko jis emotion ne madad ki thi,wo dusri thi aur abhi jo emotion mere andar hai,wo bhale hi meri hai but unused hai...

normal cases me kisi nayi chiz ko try safe zone me kiya jaata hai par isse bilkul ulat apne emotion aur uski energy ko test karne ke liye maine apna astitv daav par lagaane ka risk liya tha par baat bas itni se hai ki jo risk na le,wo RAAZ nahi ho sakta...

simple moto rakha maine apne liye...

EITHER I WILL FLY OR DIE.....

issi soch ke saath apne SOUL me jhaanka maine aur mere aisa karte hi mere andar chuppi meri REFINER aur uske saath mere emotions chamakne lage aur aisa karte hue wo dono paas aane lage...

paas aate aate finally ek dusre se takraye jiske agle hi pal wo dono ek ho chuke the...

aisa hote hi mujhe pain toh hua par ye pain us pain ke mukabale kuch bhi nahi tha jo mai pehle feel karta aaya tha...

saath hi pain hua zaroor mujhe par sirf ek pal ke baad hi uska asar kam hone laga..

par maine us taraf dhyan diye bina man hi man uccharit kiya MAKSIKA....

wo spell jisse sharir gurutwakarshan force ke niyam ko todta hai...

mere aisa kehte hi meri sharir ek jagah rook gayi aur jab maine ye feel kiya toh maine apni aankhen kholi aur aisa karte hi jo nazara mere saamne aaya,usse dekh ek muskaan naach gayi mere chehre par..

toh baat ye thi ki meri body neeche biche chattan se bas ek inch upar hi rooki thi..

perfect timing...

khair,rookte hi maine khudko sidha kiya aur upar dekhne laga jahan se ek aur body niche aa rahi thi joki BRAWNY ki thi aur filhal halki halki chamak rahi thi jisse dekh mere chehre par fir se muskaan tair gayi...

BRAWNY....

meri hi tarah mountain ki edge par ulta ho kooda tha BRAWNY..kudate hi aankhen band ho gayi uski aur ab bas ek hi cheez ka intazar tha usko...

neeche jo bhi tha,usse takrakar khudko is duniya ke mayajaal se alag karna...

aankhen band karne ke baad BRAWNY ke aankhon ke saamne bas uske mom dad ka chehra tha,aur kuch nahi...

par in sabke beech usse zara bhi andaza nahi hua ki uski puri body abhi ke situation par kaise react kar rahi hai...

darasal jaise hi BRAWNY us cliff se kuda,toh uske agle hi pal uski body se halke halke energy ke rays nikane lage jo beetathe waqt ke saath gaadhe hote chale jaa rahe the...

dheere dheere wo rays kaafi chamakdaar hote chale gaye jisse puri tarah se anjaan BRAWNY apni aankhen band kiye hue the...

aur yunhi tezi se neeche girta hua BRAWNY ka body jaise hi mere baaju me chattan se thik ek inch door pahuncha toh...

utne upar hi rook hawa me ek tez jhatka laga BRAWNY ko jisse uski puri body vibrate hone lagi ...

kuch pal yunhi vibrate hone ke baad wo rays jo BRAWNY ke sharir ke upar chamak rahe the,wo kam hone lage par khatm nahi hue...

aur saath hi un rays ne uski body ko dheere se release kar diya jiske baad uski body neeche chattan par gir gayi...

par ek inch upar hone ki wajah se BRAWNY ko koi nuksaan toh hua nahi par haan,un jhatkon, vibrations aur fir aakhir me us chattan ki thos satah ko mehsoos kar usne apni aankhen khol li aur jab aisa hua toh..

khudko ek chattan ke upar bilkul sahi salamat lete dekh uski hairani ka thikana nahi raha..

aur uski hairani tab aur badhi jab usne mujhe apne baaju me hawa me rook uski taraf dekh haste hue paaya...

par isse pehle ki woh kuch puchta....

MAI-congratulations BRAWNY..tumhara looser se winner me convert hone ka waqt shuru ho chuka hai...

meri baat sun apne chehre par hairangi ke bhaav ko aur badhata hua BRAWNY kuch pal tak kabhi mujhe toh kabhi khudke halke halke glowing body ko ghurta raha aur fir...

BRAWNY-kya hai ye sab....???mai ab tak zinda kaise hun...?? ye chamak kaisi jo mere sharir se nikal rahi hai...???

aur tumne ye kyun kaha ki mere looser se winner me convert hone ka waqt shuru ho chuka hai...????

MAI-itne hi sawal hai yaa aur bhi hain...kyunki baar baar jawab dena mujhe acha nahi lagta....

meri baat sun BRAWNY ne ek baar firse saari ajeeb chizen jo filhal uske saath ho rahi hain,unke baare me socha aur...

BRAWNY-kya ho raha hai mere saath....???

MAI-ye hua naa sahi sawal..short and simple...tum logon ko khamakha lines ko kheenche ki aadat hai....

anyways,jawab se pehle ek sawal ka jawab do...

abhi kuch der pehle tumne apne body me kuch feel kiya tha,right...???

BRAWNY-haan,mere body ko jhatke lag rahe the....

MAI-yaad karo,kya kabhi isse pehle bhi aisa hua hai tumhare saath...???

meri baat sun BRAWNY ke dimag me wo ghatna doud padi jab same jhatke lage the usse...

BRAWNY-haan,first PHASE me ek baar aur aisa hua tha...us din...

MAI-ANWIR aur MORANA ke challenge ko accept kiya tha ALFREEN aur MABEL ne....

ussi waqt unke paused CEREBRATION process ke dauran ek tez light puri class me chamki thi jiske baad tumhara haath apne aap right ki taraf gaya tha aur aisa hote hi tumhare haath se koi powerful energy aakar takrayi jisse tumhe waise hi jhatke lage the jaise abhi kuch der pehle lage the...(update-48)

BRAWNY ki baat ko complete kiya maine jisse uski badhi hui hairani akash ko chhune lagi aur...

BRAWNY-exactly...aisa hi feel kiya tha maine...par tumhe kaise pata...???tum toh us waqt wahan the hi nahi....

MAI-mujhe apne har kaam ki chiz ke baare me pata hota hai...

BRAWNY-matlab...!!!!

MAI-wo sab chhodo aur suno...tum WOOZY PLANET ke royal family ke direct descendent ho.....

tumhare pitah ki wajah se tumhara sidha hakh banta hai wahan ki throne par...

par ye baat tumhe yaa fir tumhare father ko pata nahi hai ki WOOZY ke har mukhya royal blood ko joki deserving hota hai,usse ek inheriting gift milta hai...

aur wo gift hai SENSING DANGER ka...

(NOTE:-apne se nahi likha hai guyzzz..WOOZY ka actual matlab yahi hota hai ki having a feeling to sense danger...google kar lijiye)

meri baat sun BRAWNY ki aankhen badi ho gayi aur...

BRAWNY-aisa kaise ho sakta hai....???agar aisa kuch hota toh ye baat mere father ko pata hoti...

MAI-tumhare grand father ye baat tumhare dad ko batane waale the par sahi time aane par...

par wo sahi time aaye,usse pehle hi unki hatya kar di gayi thi...

BRAWNY-par abhi toh tumne kaha tha ki har eligible royal blood ke paas danger sense karne ka gift hota hai...

toh fir aise mere grand father ko kyun danger sense nahi hua...???

MAI-kisne kaha ki nahi hua...hua tha,par baat ye thi ki jab unhe ye sense hua,tab ek aur baat bhi sense hui aur wo ye ki agar wo kisi tarah bach bhi jaate,toh unki jagah unke bete matlab tumhare PITAH ko unke bhaiyon ne maar dena tha...

us waqt tumhare pitah chhote the, isiliye unka ye danger sense karne ka gift viksit nahi hua tha...

tumhare grand father ko ye bhi pata tha ki agar sirf wo mar jaate,toh unke bhai tumhare pitah ko turant nuksaan nahi pahunchate aur isiliye unhone apni kurbaani de di...

par tumhare grand father ke us kurbaani ka ek benifit mila tumhare dad ko aur wo ye ki unki danger sense karne ki ability naa sirf active ho gayi balki double bhi ho gayi aur isiliye hi anjaane me hi sahi par apne future ke danger ko sense kar wo mehel se nikal gaye...

tumhare pitah ne tumhe ye toh bataya hi hoga ki royal family ne unhe kayi baar maarne ki koshish ki thi par wo har baar bach jaate the...

BRAWNY-arre haan...toh ye ussi gift ki wajah se tha....!!!

(ACCHUTA aur SLUNDER ko apni kahani batate waqt is baat ka zikr hua tha..)

MAI-haan....aur fir janm hua tumhara...ek eligible royal blood jo ki ek future SAVENT bhi hone waala tha matlab double GOD GIFTED banda...

aur upar se apne royal palace me naa pal paane ki wajah se ek unlnown sacrifice bhi kiya tumne jiske liye naa sirf tumhare inherited gift me enhancement aaya balki uske saath merge hote hue tumhe ek extra GOD GIFT bhi mili...

BRAWNY-extra god gift...???

MAI-kabhi socha hai ya fir apne mom dad se pucha hai ki tumhara naam BRAWNY kaise pada...???

BRAWNY-nahi..kabhi dhyan hi nahi gaya is taraf....

MAI-ye naam unhone rakha nahi tha,balki jab tumhare naam rakhne ka waqt aaya tab ye naam un dono ke mooh se apne aap nikal gaya tha aur wo isiliye kyunki tumhara naam hi tumhari wo hidden quality bhi hai aur tumhari pehchaan bhi..

jab jab koi tumhara naam leta tha,toh us naam ka matlab jo ki ek strong power hai aur tumhare andar dabi hui thi,usse aur shakti milti thi...

aur tumhare naam BRAWNY ka matlab hai having muscles which are capable of exerting great physical force...

(NOTE:-ye bhi true fact hai guyzz.naam aur matlab Google kar check kar liyo...)

kitni bhi badi physical shakti kyun naa ho,tumhare body layers aur uske AURA se takrate yaa fir ye kahun ki paas aate hi us shakti ka asar kam yaa fir khatm ho jaayega....

sirf mantron ki shakti ke dwara hi tumhe gehri chot pahunchayi jaa sakti hai par tab bhi us waar ko tumhari shaktiyon aur will power ke hisaab se retaliation milega...

is new revelation ko sun BRAWNY toh jaise sakte me hi aa gaya tha...

usse yakin hi nahi ho raha tha ki uske andar itna kuch hai....

BRAWNY-agar mere paas aisi shaktiyan hain toh maine kabhi unhe sense kyun nahi kiya..???

MAI-bilkul kiya hai... tumhari ek shakti, sensing danger ki wajah se hi tum naa toh ab tak apne CEREBRATION process ke through apne SOUL ko AMPLIFY kar paaye ho aur naahi kisi aur activitiy me excel kar paaye ho aur wo isiliye kyunki danger ka ek bohot bada symptom hai pain..

aur yahan ki har activitiy me pain hona laazmi hai..yahi wajah hai ki jab jab tumhe extreme pain se guzarna pada hai,tab tab tumhari danger sensing power active ho gayi hai aur natija,tum fail hue ho...

BRAWNY-oh...aur meri dusri power... extreme pyscical energy ko jhelne ki shamata,uska kya...???

kuch dino pehle tumne hi mujhe maara tha,yaad hai naa..agar waisi koi shakti mujhme hoti toh kya mujhe sirf ek thappad se utna nuksaan hota jo us waqt hua tha...???

MAI-uski wajah ye hai ki tumhari wo shakti tumhare SOUL ke andar chuppi hai...aur wo sirf tab hi bahar aa sakti hai jab tumpar koi aisa attack ho jisse tum mar jaaoge..

aur aisa ab tak sirf do baar hi hua hai.. pehli baar us din class me jab tumhe jhatka laga tha..

darasal us din is planet ki gravitational energy asthir hui thi jiski wajah se usse nikli energy tumhare baaju me khadi OPHILIA ki taraf badhi thi..

par kyunki us power ki shamata itni zyada thi ki agar wo OPHILIA se takra jaati toh wo toh marti hi par saath hi uske baaju me jahan tum khade the,tumpar bhi us energy ka acha khaas impact hota jisse naa jhel paakar tumhare marne ke bhi chances the aur isiliye us din pehli baar tumhari wo hidden shakti bahar aayi...

aur fir wo bahar aayi hai aaj jab tumhari jaan dobara khatre me thi par kyunki aaj tumne willingly ye kaam kiya hai,yahi wajah hai ki tumhari wo hidden shakti puri tarah se azaad hokar tumse jud chuki hai..

ye jo chamak tum dekh rahe ho apni body me,ye ussi shakti ki AURA hai....

lagbhag saara ganit clear ho chuka tha BRAWNY ka khud ko lekar isiliye...

BRAWNY-toh ab kya...???kya mai aise hi chamakta rahunga...aur tumne kaha tha ki jaise hi mujhe pain hota hai toh meri dusri shakti jo khatre ko bhaampti hai,wo active ho jaati hai toh fir aise me mai kaise yahan ka koi bhi task pura kar paaunga....

itna sab kuch hone ke baad bhi mai toh looser hi raha naa....???

MAI-ab aisa nahi hoga...ye jo chamak tumhare bahar dikh rahi hai,thik aisi hi chamak is waqt tumhare andar bhi hai..

baahri chamak tumhare physical force ki shakti hai aur andruni chamak tumhare dusre god gift SENSING DANGER ki hai...

ye dono shaktiyan ab ek dusre se jud chuki hain..apni aankhen band karo, CEREBRATION process ko paused kar us andruni chamak ko dekho aur fir apne sharir ki is chamak ko usse apnaane ko kaho..

tumhare bolte hi ye dono hi shaktiyan ek ho jaayengi aur jab aisa hoga toh ek taraf tumhari body ki power khudko stabalize kar legi aur dusri taraf tumhari danger sensing power ka control tumhare dimag ke hisaab se ho jaayega jiske baad wo shakti tumhe sirf tabhi aagah karegi jab koi pain tumhe nuksaan pahunchane waala hoga aur tumhe wo pain manzoor nahi hoga...

BRAWNY-aur ye glow...

MAI-ye bhi khatm ho jaayega but haan,jab tum ye karoge toh har wo task aur har wo kaam jisme tum aaj tak asafal rahe ho,usse hui saari frustration ek saath haawi hongi tumhare dimag me jisse tumhe release karna hoga...

BRAWNY-aur ye kaise karunga mai..???

MAI-tarika hai...pehle apne dono powers ko ek karo,fir wo tarika bhi apne aap saamne aa jaayega....

meri baat sun BRAWNY ne apni aankhen band ki, apna CEREBRATION process paused kiya aur lag gaya aone dono power ko ek karne me...

uske man hi man I ACCEPT bolte hi uski dono powers ek hone lagi aur jab aisa hua toh ek taraf uske sharir ki glow kam hone lagi aur dusri taraf extra pressure jo ki frustration ka tha,wo bhi chaddhne laga BRAWNY ke dimag me.

khair,ye toh hona hi tha..

par jaise hi BRAWNY ne apni aankhen band ki toh....

MAI man me-WOOGER.....shuru karo....

man hi man maine ye kaha jiske baad BRAWNY ke thik piche ek WORLD DOOR khul gaya....

aur ab mujhe bad intezar karna tha, BRAWNY ke aankh kholne ka aur mujhe zyada intezar karna bhi nahi pada...

kuch seconds hi beete the ki tabhi BRAWNY ki aankh khul gayi aur aisa hone par jaise hi uski nazar saamne khade mujhpar gayi toh...

maine jab uske dad ka haath toda tha,uski mom ko humiliate kiya tha,wo saare drishya ghum se gaye uski aankhon ke saamne jiske baad wo mujhe maarne ke liye aage badhne hi waala tha ki..

THAAAAPP......

apne SOUL AMPLIFICATION ki shakti ko REFINER ki aadhi shakti se jod uske chest par apne haath se waar kiya maine..

ye waar kaafi shaktishaali tha..agar purane waala BRAWNY hota toh is waar se release hone waale pressure se mar chuka tha par abhi aisa kuch hua nahi...

mere is strong push ke lagne par BRAWNY ladkhadata hua piche ki taraf kuch kadam hi khiska aur gir gaya...

par mere liye itna hi kaafi tha kyunki piche hone ki wajah se ab BRAWNY WORLD DOOR ke dusri taraf pahunch chuka tha...

wahin khudko sambhal BRAWNY meri taraf badhne hi waala tha par isse pehle ki wo apne kadam meri taraf badha paaye, WORLD DOOR band ho chuka tha jiske baad BRAWNY us WORLD DOOR ke dusri taraf hi reh gaya jo ki uska birth place tha,WOOZY.....

PLANET-WOOZY

PLACE-INFRONT OF THE PALACE

AE,KAUN HAI TU......?????

PALACE ke bade se entrance ke aage khade sipahi ne pucha tha ye sawal BRAWNY se jo palace ke andar ghus raha tha...

RAAZ ke dwara WORLD DOOR ke raaste yahan apne hi world me dhakele jaane ke baad jab wo door band ho gaya toh BRAWNY ka frustration aur ghussa,dono hi badh gaye the...

aur ussi ghusse me jab wo piche palta toh paaya ki uska wo rajmahal jo kabhi uska ho naa paaya,jahan se uske pitah ko nikal diya gaya tha aur saath hi jahan par raj gadhi ke moh me aakar uske grand father ki hatya tak kar di gayi thi,uske saamne tha....

aur is drishya ne uske ghusse par aag me ghee ka kaam kiya..

wo turant us rajmahal ki taraf badha jahan darwaze par khade sainik ne usse rok diya tha...

ghusse ki adhikta ki wajah se saansein fuli hui thi BRAWNY ki aur jab us sainik ne usse roka toh wo jwalamukhi jo uske andar ready hi baitha tha,wo fath gaya aur...

KADAK....KADAKK.....

do baar haddi tootne ki awaaz gunji.. pehli baar me us sainik ke us haath ki haddi tooti jisse aage kar usne BRAWNY ko roka tha aur dusri haddi tuti uske gardan ki jisse
piche ki taraf ghuma diya tha BRAWNY ne....

is drishya ko dekh us sainik ke wo saare saathi jo wahan moujud the,aur jinki sankhya kuch 10 ki thi,wo sabhi boukhla gaye aur..

turant BRAWNY ki taraf badhe par tabhi...

bijli ki tezi se BRAWNY ne ek bhaala jo us mare hue sainik ke haathon se chhut gaya tha,usse pakda aur...

KHAACHHHH...

ek disha se aate 5 sainkon ke aar paar kar diya...

is drishya ko dekh dusre side ke paanchon sainik kaamp se gaye aur unke kadam wapas palat mehel ke andar mood gaye...

wahin un paachon sainkon me se 2 ke paas bhaalon ki jagah talware thi jinhe apne dono haathon me thaam aage badh chala BRAWNY..

mehel ke entrance se lekar gallery ke beech kareeb 50 sanikon se saamna ho chuka tha BRAWNY ko aur aur wo saare sainik apni saansein aur zindagi chhod chuke the....

BRAWNY ka pura chehra aut sharir khoon se naha chuka tha aur woh saara garam khoon is waqt usse behad thanda aur aanand daayi feel ho raha tha...

pure mehel me hadkamp mach chuka tha...mout ka aisa nanga naach wahan kisine kabhi suna tak nahi tha par aaj ye nritya wo dekh bhi rahe the aur mehsoos bhi kar rahe the....

ab tak mehel ke andar ye baat pahunch chuki thi ki ki ek sirfira sabko maarte hue mehel ki taraf badh raha hai aur yahi kaaran tha ki kareeb 100 sainik mehel ke madhya bhaag me jahan is waqt rajgharane ka lagbhag har sadasya moujud tha,unhe ghere hue the...

mehel ke first entrance ko band kar diya gaya tha aur uske piche is waqt kareeb 20 sainik apni apni talwar liye khade the par tabhi..

BHADDHHHH....

ej zordar laath padi us gigantic door par jiske baad wo toh toota hi,par usse lag ke khade kareeb 10 sainik bhi us door ke saath udte hue piche ki taraf gire...

khoon se nahaye BRAWNY ko dekh wahan moujud har kisiki haalat kharab ho chuki thi par bhaag wo sakte the nahi aur isiliye sabhi ek saath uski taraf badhe par tabhi..

bijli ki tezi se un sab ke upar se nikla BRAWNY aur aisa karte waqt uski talwar tezi se chalti gayi aur jab wo un saare sainikon ko paar kar neeche zamin par aaya toh uske pairon ke saath saath un saare sainikon ke sir bhi neeche zamin par gir chuke the....

is mahatandav ko dekh baaki ke sabhi sanikon ke haathon se unki talware chhut gayi..

jo BRAWNY ne abhi kiya tha,aur jis tarah se kiya tha,waisa koi normal human nahi kar sakta tha,is ganit ko samajhte hi naa sirf un sabhi ke haathon se unki talware chhuti balki uske agle hi pal saare rajgharane ke logon ko chhod wo sabhi bhaag khade hue....

apne sainikon ko yun bhaagta dekh sabhi rajgharane ke log hadbada se gaye the,khaas kar abhi ke wahan ke raaja joki us aadmi ke bete the jinhone BRAWNY ke grand father ko maara tha aur uske dad ko bhi maarna chahta tha...

ek baar apne sainikon ko dekh joki bhaag chuke the,jab us KING ki nazar apne saamne gayi toh woh bhi dar ke maare kaamp sa gaya..

reason....

uske thik saamne khada tha BRAWNY jisse dekh waise hi kaampte hue...

KING-kaun ho tum...???kisne bheja haj tumhe.. hume kuch mat karna...tumhe jo chahiye,hum sab denge...

KING ki baat sun BRAWNY muskuraya...uske daanton me bhi un saare sainikon ka khun laga tha, jisse dekh aur dar gaya wo KING aur saath hi uska pura parivar...

khair, BRAWNY ek baar us KING ko dekh muskura aur...

BRAWNY-meri sampatti,mera hakh tu
mujhe dega....

BRAWNY ki baat sun chownk gaya KING aur saath hi uska pura parivaar aur...

KING-kya matlab..????

KING ki baat par BRAWNY ne kuch kaha nahi,bas us RAJA ki pagdi uske sir se kheenchi aur fir usse apne chehre par laga khoon saaf kiya aur jab aisa hua toh...

us KING ke ek taraf khada purv KING,uska baap aur BRAWNY ka dusra grandfather chownk gaya aur..

OLD KING-BRAWNY.....tum SHALTON ke bete ho naa..????

BRAWNY ke CHOSENS jaane se pehle ek do baar usse dekha tha old KING ne aur kuch purane logon ne usse uski pehchaan bhi batayi thi aur issi wajah se wo pehchaan gaya tha BRAWNY ko..

wahin apne pitah ke mooh se BRAWNY ka parichay sun baaki sab bhi chownk gaye the..

khair,old KING ki baat sun...

BRAWNY-haan,mai BRAWNY hun....wahi BRAWNY jiske gradfather ko jo ki tera bhai tha,throne ki lalach me tune maar diya tha aur saath hi maarna chaha tha tune mere pitah ko..

tune unse unka hakh chhina aur unhe ek kashtdayi jeeven jeene par majboor kiya....haan,mai ussi SHALTON ka beta hun aur saath hi tera kaal bhi...

KING-dekho,pitaji ki galti ke liye hum tumse maafi...

KHAACHHHH.....

aage bol paata wo KING,usse pehle hi uske pitah ka sir uski gardan se alag kar chuka tha BRAWNY....

stabdh se reh gaye the sab is scene ko dekh..

wahin apne doshi ko maarne ke baad....

BRAWNY-khoon ki keemat khoon se hi chukayi jaati hai,maafi se nahi..

abhi ka KING ek acha aadmi tha,aur apne pitah ki galat harkaton se waakif bhi tha aur dukhi bhi,par apne pitah ko yun marta dekh uska bhi khoon khoul gaya aur...

KING-tune mere piath ko maara....mai tujhe jeevit nahi chhodunga...

ye bol usne apni talwar kheenchi hi thi ki tabhi...

KHAACHHHH....

ek baar aur ghumi BRAWNY ki takwar par is baar kuch zyada bada nahi hua.bas us KING ka woh haath jo uski talwar ke mooth ko touch kar hi raha tha,uspar ek gadha cut padh gaya..

par iske baad BRAWNY ne ek aur waar karne ke liye apni talwar ko uthaya hi tha ki tabhi...

us KING ki mooh boli beti KRISTEN joki BRAWNY ke age ki hi thi,wo turant apne baap aur BRAWNY ke beech aa gayi aur usne apne haath jod liye...

KRISTEN-please mere father ko kuch mat karo....agar chahiye toh meri jaan le lo...

KRISTEN ki baat sun ek baar ghoor kar dekha BRAWNY ne usse par uske ghoorne par bhi KRISTEN ne apni nazar nahi jhukayi aur usse dekhti rahi jispar dheere dheere BRAWNY ka ghussa shaant hone laga aur fir jab uska man kuch shaant hua toh usne apni aankhen band kar li...

lambi lambi saansein le khudko puri tarah niyantrit kar apni aaankhen kholi BRAWNY ne aur fir side me pade apne chote GRAND FATHER ke sir kate hue dhad ko dekha.

par is baar uski taraf dekhte waqt uski aankhon ms ghussa nahi balki aansu the...

par apne un bheegi palko ko turant saaf kar BRAWNY turant palta aur wapas jaane laga par tabhi....

KRISTEN-kya aapko RAJ GADDHI nahi chahiye...???

KRISTEN ke is sawal par BRAWNY wapas muda aur...

BRAWNY-nahi,aur naahi mere pitah ko kabhi iska moh tha..kaash ki ye is baat ko samajh paate...

apne chote GRAND FATHER ke shav ko dekh ye baat kahi BRAWNY ne aur wapas palat mahal se hahar chal diya...

jahan uske aate waqt ye pura mahal ek chawni jaisa tha wahin ab uske khouf se wahan har aur sannata faila hua tha...

khair,mehel se bahar nikal BRAWNY sochne laga ki ab kya..???wapas ELYSIAN kaise jaaye woh...???

par is sawal ke beech hi usse lag gaya tha ki jab uske aane ka intazam kiya gaya hai toh wapsi ka bhi zaroor hoga aur uski ye soch bhi agle hi pal sach ho gayi kyunki jahan wo khada tha,usse kuch door aage dobara se ek WORLD DOOR khul gaya jisse dekh BRAWNY aage badhne ko hua par tabhi...

ek kadam bhi aage nahi badha paaya BRAWNY...uske kadam jahan the,wahin jadh hokar reh gaye..

usne kaafi koshish ki aage badhne ki par kaamiyab nahi ho paaya..

wo is nayi aur achanak utpann hui samasya ke baare me soch hi raha tha ki tabhi...

AGAR TUMHE DOBARA ELYSIAN AUR CHOSENS ME JAANA HAI, APNE MAATA PITAH SE MILNA HAI TOH USKE LIYE TUMHE KUCH DENA HOGA...

ek tez aur bohot hi strong awaaz gunj uthi BRAWNY ke kaano me jisse sun wo hadbada gaya par fir khud ko sambhal...

BRAWNY-kaun ho tum...???aur kya chahiye tumhe mujhse...??

WOOGER naam hai mera aur tum jiski ijazat se yahan aa paaye ho,RAAZ,mai unka sewak hun...

aur agar tumhe yahan se nikalna hai toh tumhe RAAZ ko apni shakti ka SAH SAATHI bana hoga..

taaki tumhari shakti ke kitne hi pratishat bhaag ko mere MASTER jab chahen istemal kar paayenge..

BRAWNY-aur mai aisa kyun karunga...???

WOOGER-jawab de chuka hai mai tumhe par agar wo kaafi nahi hai toh ye dekho..

WOOGER ki awaaz gunjte hi BRAWNY ke saamne ek aur WORLD DOOR khul gaya jiske dusri taraf uske mom dad dikh rahe the..

BRAWNY apne mom dad ko dekh hi raha tha ki tabhi uske baaju me do energy balls banane lagi jinke powerful AURA ko feel kar paa raha tha wo..

banane ke baad wo dono hi energy balls us WORLD DOOR ki taraf chal pade jiski dusri taraf SHALTON aur NAOMI the....

WOOGER-naa tumhare parents ye WORLD DOOR dekh sakte hain aur naahi ye urja ke gole..

bina jaane ki kaise hua,wo dono hi khatm ho jaayenge..

agar tumhari nazar me tumhari shakti ko sajha naa karna tumhare mom dad ke jaan se bhi zyada keemti hai toh thik hai fir...

aakhri baar dekh lo apne parents ko...

WOOGER ki baat khatm hote tak wo dono urja ke gole SHALTON aur NAOMI ke paas pahunch chuke the aur aisa hota dekh...

BRAWNY-rook jaao..mujhe manzoor hai...

WOOGER-ek baar firse apne antarman me jhaanko aur apni shaktiyon se kaho ki khudki tarah mai RAAZ ko bhi tumahara maalik ghoshit karta hun...

WOOGER ne jaisa kaha, BRAWNY ne kiya jiske baad uske andar se bhi uski shakti ka ek bhaag nikal ELYSIAN waale WORLD door se hota hua dusri taraf jahan mai khada tha,chala gaya....

apna kaam kar jab BRAWNY me apni aankhen kholi toh paaya ki uske mom dad waala WORLD DOOR gayab ho chuka hai aur dusra WORLD DOOR dheere dheere band ho raha hai jisse dekh BRAWNY ne jab fir se apne pair aage karne ki koshish ki toh wo is baar araam se aage badh gaya...

BRAWNY turant bhaaga aur isse pehle ki wo WORLD DOOR puri tarah se band hota,wo uske dusri taraf kood gaya....

koodne ki wajah se neeche gire hue BRAWNY ne jab saamne dekha toh rahat ki saans li kyunki wo is waqt FORBIDDEN FOREST ke pahad par hi tha...

wahin mujhe bhi wahan dekh wo khada hua,apne kapde jhaade aur...

BRAWNY-kuch der pehle tak mujhe laga tha ki tum jo bhi kar rahe ho,mere bhale ke liye kar rahe ho par nahi...

tumne toh ye sab apne faayde ke liye kiya....

MAI-kaun sa dukandaar hai jo free me samaan baantha hai...???

there are no free lunches in life dude..you have to pay for every bit you eat...

tumhe toh khush hona chahiye ki bhale keemat kuch bhi chukani padi ho, uske badle chiz sahi mili tumhe...

ek aisi chiz jisse tum apne upar lage looser tag ko hata paaoge...

BRAWNY-tum kuch bhi keh lo RAAZ...tum khudko justify nahi kar paoge...

kisi bhi reason se kiya ho,par mai kabhi nahi bhul sakta ki tumne mere dad ke haath tode the aur mere mom ko humiliate kiya tha....

MAI-justification....RAAZ kabhi justifications nahi deta bacche...

phir bhi,dhyan se sun....

ki agar mai tere ghar waalon ko humiliate nahi KARTA....

toh tu din raat apne hi guilt me kabhi nahi MARTA....

mere ussi ravvaiye se aaj taqdir jaagi hai teri,

fir bhi,nahi samajhna hai toh mat samajh,kyunki RAAZ ko fark nahi PADTA...

AAJ KE LIYE ITNA HI.....

AAPKA APNA V...J.....
Outstanding update brother
I m in love with your writing skills ??
 
paarth

Member
378
1,187
123

Enjoyed every bit of this update and loved it.. Brawny ki rage was something else man and Raaz ka first mazaak it was not quite high on sense of humor but it is quite good
 
Jamesleon

“Failure is not a person, it’s an event.”
541
2,129
139
Guru ji chagaye

ek dam mast bole to zakkash

bhale hi RAAz ka rool vilan style me he

lekin khani ka hero RAAz hi Rahega

Browny ne josh me ake ye sub kand kiye apne grand father ko hi uper phocha diya chosen me lotne ke bad sant dimag se jub browny sochega ga tub use pata chalega RAAZ ne esa kyu kiya tha uske mom dad ke sath

lage raho munna bhai (vjbhai?❤???⛷️?)
 
Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188

Marvelous update bhai
Itna power apne andar liye anjane me sahi looser ka tag liye ji raha tha Browny.
Raaz na sirf uske power se milaya usko humiliate karne ka raaz bhi bataya .
Aur udhar valdis ka chal safal rahi Mabel ko sabse alag karke usko hasil karne ki .
Ab dekhna hai ki Forbidden forest ka adventure kaise jata hai
 
Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
Brawny ko akhir uski powers ke bare me pata chal gaya aur raaz ne uske gusse ko bhi sahi disha me use kara liya usse..sach kahun to mujhe raaz par thoda gussa tha is baat ko lekar kyunki agar raaz chahta to bina itna nautanki kiye bhi ye sab usko dila deta aur last me waise bhi usko sabki powers hi to chahiye kyunki use ladai ladni hai jisme ise jarurat hai inki sabki.chalo achcha hua jo bhi hua mai khus hun...ab ek baat rah gayi hai jisne raaz ko mara uska mu todna hai aur dusri baat mahi ko negative me jane se rokna hai dekhte hain kya hota agle update me..awesome update hai bhai ji fir se padhta hun ek baar hehe
 
Iron Man

Try and fail. But never give up trying
40,665
103,319
304

:reading:
 
Top