• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,514
188
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI THE LAND PLANET KE DONO LANDS KO EK KARNE ME KAAMIYAB HO JAATI HAI,DUSRI TARAF VALDIS SABKO BATATA HAI KI WOH BEELZEBUB AUR BHUVIKA KA BETA HAI WAHIN TEESRI TARAF RAAZ ALIUM PLANET JAANE KE LIYE TAIYAR HO CHUKA HAI.

CHAPTER-3

(THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)

UPDATE-162

PLANET-GOLETH

PLACE-THE DARK DIFFUSION

BEELZEBUB, BHUVIKA....

VALDIS ke mooh se nikle ye do naam joki indirectly hi sahi,par uske maa baap the,sun aankhen badi ho chuki thi ALFREEN and party ki...

saath hi saath unhe ab sahi se andaza bhi hone laga tha VALDIS ki taakat ka..

woh sab samajh chuke the ki VALDIS ko halke me liya nahi jaa sakta tha...

par in saare negetive odds ke beech ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA ka brain bilkul positive tha...

waise bhi,ab woh sab power holders nahi balki power owners the..

and most importantly, RAAZ ka confidence un sab par shrug off sa ho chuka tha jiski wajah se dar waali feeling jaise un sabke andar se gayab ho chuki thi...

yahi wajah thi ki VALDIS ke revelation ko sun kuch pal hairat me pade rehne ke baad woh sab back to normal ho gaye aur...

ACCHUTA-tujhe lagta hai ki kyunki tere naam ke saath do WHITE ENERGY ke powerful owners ka naam juda hua hai, isiliye humpar tera upar hand hai..???

VALDIS-lagta nahi,mai jaanta hun ki tujhe mai keede ki tarah masal dunga..

ACCHUTA-well then prove it....

LOBHIYANDE

UNBIND

apni baat bolte hue hi man hi man is SPELL ko uccharit kar bijli ki tezi se apne haath ko VALDIS ki taraf kiya ACCHUTA ne...

darasal ACCHUTA jaanta tha ki DARK DIFFUSION se judte hue bane ALFREEN ke cage ke saath VALDIS ki urja bhi judi hui hai..

ussi urja ke taar ko kaatne ke liye VALDIS ke pure sharir ko aim karte hue ACCHUTA ne SPELL uccharit kiya tha..

wahin VALDIS ACCHUTA ke SPELL ko aur usse nikle ray ko bade asaani se samajh aur dekh chuka tha..

aur isiliye muskurate hue usne jab woh ray uske paas aayi toh bas apni ek ungli ko us ray ki taraf kar halka sa jhatka usne aur uske aisa karte hi ACCHUTA ki ray gayab ho gayi jiske baad..

VALDIS-ACCHUTA....ghar ghar khelne jitna asaan lag raha hai kya tujhe VALDIS se ladhna...

ACCHUTA-arre waah,kya guess kiya hai... bilkul yahi plan hai.

aur us ghar ko banane ke liye jo mitti chahiye,uska jugad bhi laga liya hai maine...

VALDIS ke pairon ki taraf dekhte hue kahi thi ye baat ACCHUTA ne jispar aankhon me ashanka liye jab VALDIS ki nazar neeche
gayi toh uski aankhein badi ho gayi...

REASON...

uske pairon ke neeche jo kaali mitti thi,woh kisi saanp ki shakl lete hue uske pairon ke chaaron taraf ghum chuki thi...

abhi tak us saanp ka aakar liye mitti ne VALDIS ko chhua nahi tha but jaise hi uski nazar neeche gayi toh theek ussi pal us mitti ne VALDIS ko pairon se jakad sa liya...

ye tha woh dusra attack jo ACCHUTA ne VALDIS par kiya tha...

jo ray usne VALDIS par chhodi thi,usme ek hidden spell bhi tha...

PAASHANAM..

TIE UP...

aur jaise hi VALDIS ne ray ko kaata aur woh ray gayab hui toh invisible hote hue woh sidhe VALDIS jahan khada tha,theek us zamin ke neeche chali gayi...

us mitti me bhi BLACK ENERGY thi jisse apni WHITE ENERGY ki taakat se modify kar aur zyada powerful banate hue us ray ne wahan ki mitti ko WHITE ENERGY ke ek tie up rope joki saanp ki shakl ka tha,banaya aur uske baad jo hua,woh sabke saamne tha...

khudko un saanp numa rays me jakde jaate hue dekh pehle toh VALDIS hadbadaya par phir apne haath neeche ki taraf point kar woh un ropes ko hatane hi waala tha ki tabhi..

SSSSSWSSS...

ACCHUTA ke haath ne harkat ki jo un ropes ko ek aadesh sa tha jiska fouran paalan hua...

un ropes ne aur sakhti se VALDIS ke pairon ko jakda jiske baad usse lete hue un ropes ne sidhe piche DARK DIFFUSION ki taraf jump laga di..

ye ACCHUTA ka socha samjha but at the same time ek drastic kadam tha jisse naa sirf VALDIS us DIFFUSION ki lapton me samakar kuch der ke liye hi sahi par powerless ho jaata balki saath hi saath uske DARK DIFFUSION se takrane ki wajah se ALFREEN ka cage bhi weak ho jaata jiske baad bina kisi problem aur side effects ke woh us cage se bahar aa jaati..

khair, VALDIS ko apne saath lete hue woh rope badi tezi se DARK DIFFUSION ki taraf badh chuka tha but tabhi....

usne badi asaani se ek jhatka sa diya un ropes ko jiski wajah se woh untie hote hue gayab ho gaye..

aur aisa hone ki wajah se DARK DIFFUSION se bas kuch inch pehle hi VALDIS ki body hawa me hi rook gayi aur tab...

VALDIS-impressive..but ab khel ka waqt khatm hua...

SHAKTIYEM RIVADHENUM

POWER ACCUMULATION

apne dono haath ko faila apni DESTRUCTIVE kaali urja ko un hatheliyon me sametne ke liye is SPELL ko uccharit kiya VALDIS ne...

aisa kar woh un DESTRUCTIVE rays se ACCHUTA ki body ke har pore me behne waale WHITE ENERGY ko penetrate karte hue usse ek atyant dard bhari mout dena chahta tha..

aur uski is mansha ko ACCHUTA ke saath uske piche khade baaki saathi bhi jaan gaye the aur isiliye ACCHUTA ki madad karne aur VALDIS ke SPELL se nikalne waali urja ko rokne ke liye woh aage aane ko hue par ACCHUTA ne haath dikha un sabko rok diya..

ye uska battle tha jo usse hi ladhna tha..un sabko rokna unke liye ye message tha jo woh sab samajh chuke the...

khair,ab tak VALDIS ne apni BLACK ENERGY se bani DESTRUCTIVE RAYS ke ek bade amount ko apne dono hatheliyon ke urd gird ikattha kar liya tha aur isiliye face par ek devilish smile liye woh ACCHUTA ko dekhne laga jispar behadh shaant face liye ACCHUTA ne apna ek haath aage kiya aur uske waisa karte hi uske haathon me aa gayi uski GOD GIFTED POWER..

uski BOW...BOW haath me prakat hote hi uske pratyancha ko dusre haath se chhua bhar ACCHUTA ne aur uske aisa karte hi us pratyancha me ARROW dikhna laga..

pure WHITE ENERGY ke vidhwanshak shakti se bana surya sa chamakta BOW aur ARROW jisse nikal rahi thi ek aisi powerful AURA jiski aanch ko feel kar ek pal ke liye VALDIS bhi hadbada gaya tha...

wahin VALDIS ki taraf apne ARROW ko point kar...

ACCHUTA-bring it on VALDIS..mai bhi toh dekhun kitni sakht jaan hai tu....

ACCHUTA ki is chunouti se aankhen kaali hokar dehekne lagi VALDIS ki..

aur iska main reason sirf ACCHUTA ki chunouti nahi balki uske haathon me dikh raha uska BOW aur ARROW tha jisse nikal rahe energy ke tarangon se uski shakti ka andaza lagaya jaa sakta tha..

woh shakti itni zyada thi ki filhal VALDIS ki triggered kaali shakti ACCHUTA ke ARROW ke aage kam thi...

apne mukhya roop se mili shaktiyon ke kamzor aur kam hone ko wajah se hi VALDIS ko ghussa aa gaya tha..

khair,kuch palon tak krodhaagni me jalne ke baad ab baari thi VALDIS ko apne asli chuppe hathiyar ko nikalne ki..

woh shakti jo usse anjaane me hi sahi,par apne maata pitah BHUVIKA aur BEELZEBUB se milti hai..

THE RAW WHITE ENERGY jo bhale hi VALDIS ke paas hone se corrupt ho chuki thi,par kyunki uska base HEIR OF WHITE ENERGY the, isiliye AURA bhi usme unhi ka tha..

aankh band kar VALDIS ne apni us hidden identity ke shakti ko activate karna shuru kiya jiske agle hi pal uski puri body ek naye kaale dhuen se dhak si gayi..

bhale hi woh dhuan kaala tha,par tha woh HEIR OF WHITE ENERGY ka corrupted taakat ka AURA jisse sabse pehle sense kiya ACCHUTA ke BOW aur ARROW ne aur aisa hote hi woh bina ACCHUTA ke ijazat liye hi gayab ho gaye..

ab bhala ek HEAVENLY AURA par woh kaise humla kar sakte the..

wahin VALDIS ki is nayi power ke base ko samajh ACCHUTA aur baaki sab bhi satark ho chuke the..

yahi reason tha ki SLUNDER, BRAWNY, HIDA aur MABEL turant ACCHUTA ke aaju baaju aakar khade ho gaye aur is baar ACCHUTA ne bhi un sabko aisa karne se nahi roka tha...

wahin un sabko ek saath khada hota dekh VALDIS jo apne is chuppi shakti ke unleash hote hi khudko bohot zyada powerful feel karne laga tha,uske face par ek killing smile naach uthi aur...

VALDIS-let the party begin guyzzz....

PLANET-ALIUM

PLACE-THE GIGANTIC GATE OF GRAVE

DHAPPPP.....

MAI-THE GRAVE....

saamne dekhte hue padhe maine ye do shabd joki mujhse kuch door us bade se gate ke entrace point ke upar likhe hue the...

THE GRAVE...

is jagah ko maine isiliye chuna kyunki ALIUM ke atmosphere me enter karte hi is THE GRAVE naam ki jagah par joki ek bohot bade sheher ki tarah tha, mujhe negetivity ke sabse zyada vibe feel hue the...

khair,us bade se board aur uske neeche ka gate jiski chowdayi bhi kisi mohalle jitni thi,uske saamne khade hokar uske dusri taraf THE GRAVE sheher se aa rahi kuch awaazon ko kuch palon tak sunta raha mai joki kuch yun thi.....

YEH...YEHHHHH.YEHHHHH......CUT HIS THROAT......

NO,SNACTH HIS TOUNGE OUT...

PIERCE HIS INTESTINES....

yahi awaazein aur baatein sun raha tha mai aur saath hi saath aankhen band kar un awaazon ke shroth,us chale rahe drishya ko dekh bhi paa raha tha mai par woh filhal meri aankhon ke liye woh scenes blurry the...

khair,blurry hi sahi par mai dekh raha tha kuch logon ke beech ho rahi battle jisme woh sab hand to hand battle, weapons brawl aur magic attacks ke mile jule combat ko use karte hue ek dusre ko ladh rahe the...

kuch der pehle 20 log ek dusre se ladhna shuru kiye the jinme se filhal bas 2 hi apne pairon me khade hue the...

baaki ke 18 log brutally maare jaa chuke the aur aisa hote hi jis point par woh mar rahe the,ussi jagah par ek gaddha ban jaata tha jinme unki body sama jaati thi..

aisa hote hi woh gaddha wapas automatically bhar jaata tha..

ye sab dekh mai samajh gaya tha ki is sheher ko THE GRAVE isiliye hi kaha jaata hai...

khair,us chal rahe scene ko kuch pal dekhne ke baad apne band aankhon ko ek dusri disha ki taraf ghuma diya maine...

ye ghumaav tha mere apne dimag ki taraf jahan jhaankna shuru kar diya tha maine...

REASON..

yaad hoga aapko jab maine ACCHUTA se kaha tha ki BLACK ENERGY se mere brain ka merger ho chuka hai par lagbhagh..

is lagbhagh ka matlab tha us energy ka mere brain ke final point tak pahunchne se just pehle rook jaana yaa phir ye kahun ki mera usse rok dena..

aur ye maine isiliye kiya tha kyunki BLACK ENERGY apne pure potential tak trigger hone ke liye maangti hai apne owner ka surrender...

woh surrender jo mai us waqt nahi kar sakta tha kyunki mere andar ERRAPEL ki WHITE ENERGY thi..

woh energy jo waise toh bohot zyada powerful hai but uske rehte BLACK ENERGY mujhe apna full power nahi deti...

isiliye maine uska pravah aakhri mode par rok diya tha...

tab tak ke liye jab tak mujhe apni ALOUKIK SHAKTIYAN nahi mil jaati kyunki aisa hote hi ERRAPEL ki shakti ke hone ke baad bhi naa sirf BLACK ENERGY bina kisi jhijhak ke mere brain me puri tarah khudko sthapit kar sakti hai balki mai bhi bina dare uske aage samarpan kar sakta hun...

meri ALOUKIK SHAKTIYAN us samarpan me bhi meri raksha karte hue BLACK ENERGY ko mera gulaam bana deti aur wahi is waqt ho raha tha..

is waqt woh BLACK ENERGY mere dimag me puri tarah apna kabza kar uspar adhikar jama rahi thi aur theek same time par meri ALOUKIK SHAKTIYAN un BLACK ENERGY ke control ko mere concious aur subconscious mind se jaise attach kar rahi thi..

ye sab tha mere internal view..par ek change is waqt mere external view me bhi aa raha tha..

jaise jaise meri BLACK ENERGY khudko sthapit kar rahi thi,waise waise mere sharir ke ird gird ek gaadhe kaale dhuen ka cover sa ban gaya tha jisme mera pura sharir dhak sa gaya tha..

aur jab kuch der baad BLACK ENERGY mere brain me completely settle hui toh woh kaala dhuan bhi chhat gaya jiske baad mai THE GRAVE naam ke is city ke entrance gate ke bahar ek naye outlook me khada tha..

sir se pair tak KAALE LABADON se dhak sa gaya tha mai but ye koi ancient robe look nahi tha..

6.2 feet hight aur well build gore rang ka mera sharir is waqt ek slim feet black t-shirt aur neeche black skin tight jeans ke piche chupp chuka tha..

jahan us slim fit t-shirt ke upar maine ek black CARDIGAN joki mere ghutno tak gaya tha,woh pehna hua tha toh jeans ke neeche black colour ke hi floaters the mere..

haathon me black marble jaise patthar se bani ek moti spherical shaped bracelet latak rahi thi meri..

ye sab asal me BLACK ENERGY se bana hua aur mere brain me design kiya hua modern day devil outfit tha jisme mera gora rang kuch zyada hi damak kar saamne aa raha tha..

aankhon ki putliyan aur gehri hokar kaali ho chuki thi par unke beech ek whitish distraction bhi tha jo mere aankhon ko halka grey bhi bana raha tha...

and most importantly,ab har view mere liye clear tha..

only dark powers waalon ka hi yahan par full metaphysical ability use ho paata tha aur filhal mai dark powers ka epitome tha..

khair,apne is naye avtar ke saath kuch pal aur khada raha mai par phir mere kadam THE GRAVE city ke entrance gate ki taraf badh gaye....

PLACE-THE GRAVE

SATTAKKKHHHH..SATAKKHHHH.KADAKKKK.....BITCH.........DOG.....HEY U LOST..NOW YOU ARE MY SLAVE...

ALIUM ke ekloute city THE GRAVE city me enter hote hi yahan ke negetiveness se bhara adhbhudh nazara mere saamne tha...

ek taraf bina rehem kuch log apne se kamzor logon par khulle aam kode barsa rahe the aur woh bhi just for the sake of fun..

dusri taraf open me hi kuch ladke aur ek ladkiyan pyscically intimate ho rahe the aur jab unke jism ki garmi khatm hui toh jo zyada thaka hua hota aur saath hi careless bhi,usse uska hi partner gardan tod maar deta...

apne sex partner ko janm jaat nagn awastha me maar uske mooh me thook kar uska partner usse bitch aur dog bol has rahe the...

ye sab bhi just for the sake of fun...

wahin kuch log saamne waale se kisi na kisi challenge par bet lagate aur jo bhi bet haar jaata,woh bet jeetne waale ka slave ban jaata...

ye sab ho raha tha bilkul khullam khulla and again just for the sake of fun....

khair,mai sadak par araam se chalta hua un sabke beech se hote hue aage badh raha tha..

kisi ko bhi ab tak ungli nahi ki thi maine aur woh isiliye kyunki mai jaanta tha ki jis jagah par mai tha,wahan aag lagane ke liye maachis ki zaroorat nahi padti..

yahan ki garmi hi apne aap jwala bhadka hi degi aur yahi hua.

apne cardigan me lage HOODIE se sir ko dhake hue mai araam se aage badh hi raha tha ki sadak ke dono taraf khade do groups ki nazar mujhpar padi aur jab aisa hua toh...

UNKNOWN 1-hey you....stop....

ek mote kaale bhainse ki tarah dikhne waale shaksh ne chilla kar kahi mujhse ye baat jisse sun wahan moujud log jinki sankhya kul 25 ki thi,woh sab bhi meri taraf dekhne lage..

but jab mai us bande ki awaaz par bhi naa rook araam se aage badhta raha toh ghusse se bhar woh tezi se meri taraf badha..

uski speed supernatural thi...1 second me hi woh mere piche pahunch chuka tha jiske baad apne bade se hatheli ko mere kandhe par zor se rakh usse zor se daba mujhe apni taakat ka andaza dilate hue...

UNKNOWN-how dare you ignore my order...aur hai kaun tu....??hoodie hata....

UNKNOWN 2-jo koi bhi hai..ab mera hai..tu peeche hath...

us mote bande ko piche pull karte hue ek dusre group ki ladki mere paas aayi aur mere ird gird ghumte hue mujhe check-out karne lagi....

waise checkout karne laayak toh woh khud thi...5,11 height par high heels pehne hue hone ki wajah se uski height lagbhagh mere jeetni lag rahi thi...

yellowish fairness,ovel face cut,dark blue aakhon ki sampatti ke saath kuch zyada hi khubsurat thi woh...

ye unhi ladkiyon me se ek thi jisne kuch der pehle sex ke baad apne partner ki gardan todi thi aur phir kapde pehente hue uspar thook kar usse DOG kaha tha...

khair, dhakka padne par kaafi peeche ki taraf ladhkhada gaya tha woh mota par phir khudko santulit kar woh ghusse se us ladki ki taraf badhne ki hua but tabhi us ladki ke kuch saathiyon ne usse jakad sa liya...

wahin ek baar mere aage peeche pura revolve hone ke baad woh ladki theek mere saamne khadi hui aur haath badha usne mera hoodie jiski wajah se mera face nahi dikh raha tha,usse hata diya...

ab mera face uske saamne tha jisse dekh uski aankhon me ek chamak aa gayi thi..

uski aankhon ka har pal badhta lust mere prati uski hawas saaf bata raha tha...

ek jhatke me mere gardan ke paas aayi woh aur mujhe smell sa karti hui upar uth mere aankhon me dekhte hui..

LADKI-kaun se province se ho..??? khair jahan se bhi ho,aaj se,you are my KEEP....

mere aankhon me jhaankte hue kahi ye baat us ladki ne jispar mera face toh shaant hi raha par mere aankhon ki putliyon me halki flame si dahak uthi jiske baad ek second ke liye woh putliyan puri safedh ho gayi..

ye dekh woh ladki jo ab tak bade confidently mere saamne khadi thi,hadbada si gayi aur..

LADKI-who are you...??

MAI-the end....

SOOOBHHHH..

KHADD..KHADDD...KHADD...KHADDDD.....DHOOBBB...DHOBBBB...

meri baat sun woh ladki kuch react karti ki tabhi usse aisa laga jaise koi aandhi uske saamne se nikli ho..

ye meri movement thi jisme itna force tha ki woh ladki ek jhatke me peeche mi taraf udte hue giri...

girte hue bhi usse apne aas paas us tufaan ke hone ka abhaas ho raha tha aur jab tak girne ke baad woh sambhal wapas uthi, apne aas paas ka nazara dekh uske pair aise kaampe ki woh uth hi nahi paayi...

adha second bhi theek se nahi guzra tha aur itne waqt me maine us ladki ko chhod wahan moujud baaki 24 me se aadhe ke sir unki gardan se alag kar diye the aur baaki bache aadhon ke dil cheer kar nikaal diye the...

un sabko abhaas tak nahi ho paaya ki mar chuke hain woh..

bilkul ek lay me lehrate hue woh pure 24 log neeche gir gaye..

yahan moujud har shaksh gunahgar tha.. galath tha..negetive tha..

but jo cruelity maine abhi bas ek second se bhi kam waqt me dikhayi thi,usse dekh us neeche giri padi ladki ko yakin nahi ho raha tha ki koi aisa kaise kar sakta hai..??

yaa phir mere is roop ko dekh woh dar jo uske andar ghar kar gaya tha,usne usse aisa sochne par majboor kar diya tha...

khair,jitne logon ke dil cheer ka nikale the maine, waisa karne ki wajah se mere dono haath khun se san chuke the..

khoon tapak sa raha tha mere dono haathon se jisse halka sa jhatak mai us ladki ki taraf badha aur mere aisa karte hi usse aisa laga jaise mout uski taraf badh rahi thi..

maine us ladki ki strength read kar li thi.wakayi kaafi powerful thi woh but jo abhi maine kiya tha,usse dekh woh apni taakat bhul si gayi thi..

mujhe apni taraf aata dekh woh dar ke maare rengte hue piche hatne lagi thi but mai uske saamne pahunch hi gaya aur mere paas aate hi uski body apne aap jakadti hui sidhi ho gayi..

uska khudpar bas hi nahi chala aur woh mere saamne khadi ho chuki thi jiske baad uske stomach ke upar waale kapde ko kheenchte hue usse apne kareeb le aaya mai..

jahan is waqt woh chehre par khouf liye mujhe aankhen faade dekhe jaa rahi thi wahin mai uske peth ko dhakne waale kapde se hi apne dono haath baari baari kar ponch raha tha aur aisa karte waqt...

MAI-naam kya hai tumhara....!!!

LADKI-KLERA....

darte hue apna naam bataya usne jispar..

MAI-nice to meet you KLERA...i am RAAZ....

now tell me,aage chowrahe me ek battle ho rahi hai..

same waise hi battles is jagah ke aur 5 living borders par bhi chalu hai...kyun...???

KLERA- THE BRAWL OF LEGACY...issi khitaab ke liye har 5 saal me ek baar THE GRAVE ke pure 6 main areas me qualifying battle hoti hai...

in 6 areas me jo bhi battle jeetha hai, woh sab THE BRAWL OF LEGACY ke liye qualify karte hain...

unhe ek nayi jagah jaana hota jahan unhe THE BRAWL OF LEGACY me pehle ek dusre se aur phir last BRAWL OF LEGACY ka jo winner tha,usse ladhna hota hai...

jo bhi us BRAWL ko jeeththa hai,woh agle paanch saal tak is planet ka,THE GRAVE ka EMPEROR banta hai...

MAI-interesting....toh ye BRAWL OF LEGACY kahan hoti hai...is sheher ke beecho beech mujhe ek energy source feel ho raha hai,par woh source locked hai..

ye wahi jagah toh nahi hai...!!!

KLERA-haan,ye wahi hai....har zone ke final participant ke winner bante aur FINAL BRAWL me qualify karte hi uske saamne ek key prakat hoti hai..

ussi key se woh us locked battle ground ke darwaze ko khol FINAL BRAWL me enter karta ha..

aur uske piche uske block,uske zone ke log bhi us BRAWL ko dekhne aur apne saathi ka housla badhane wahan jaa paate hain....

MAI-lets walk...

apni baat bol mai aage badh aur KLERA bhi thoda hichkichate hue hi sahi,par mere saath ho li...

raaste me....

MAI-tum participate nahi kar rahi aage chal rahe battle me..

KLERA-hamare block me jo 2 finalist ladh rahe hain,unme se ek hamare group ka leader hai..GLEKON...

MAI-toh tum uski wajah se participate nahi kar rahi ho...???

KLERA-haan..

MAI-jhooth...

ye bol maine KLERA ke sir par haath rakha aur aisa kar jab maine apna woh haath hataya toh uske sir se ek beam nikal hamare saamne aakar rook gayi..

aisa hone ke agle hi pal us beam ke ek drishyam ban gaya jiske andar chal rahe scene ko dekh KLERA ki aankhein hairat se badi ho gayi...

aur woh isiliye kyunki us drishyam me KLERA ke aaj jiye aur uske kiye saare scenes chal rahe the...

hum dono hi dekh rahe the aaj ki woh kul teen baar fights jo abtak kar chuki thi KLERA aur jisme badi dakshta se woh apne saamne waale se ladhi thi aur phir hume dikh raha tha kuch der pehle ka hi woh scene jisme pehle KLERA ne ek ladke ke saath apna jism thanda kiya aur phir usse maar diya..

but KLERA ki hairangi ka kaaran sirf ye scenes nahi balki pure digital way me chal rahe un scenes ke woh inside secrets the jo aankhon se dikhte nahi the but mai woh naa dikhne waali cheezen bhi us drishyam me dikha raha tha..

darasal KLERA ek CORE STRENGTH SUCKER thi....jisse bhi woh ladhti thi yaa phir kisi bhi tarah ke pyscical draining activity me hissa hoti thi, agar us activity me uska upper hand hua toh woh saamne waale par sirf haavi hi nahi hoti thi,balki uske core strength ko,woh strength jiske buniyad par hi kisiki puri pysical capability nirbhar karti hai, usse suck karte hue khudme sama leti thi.

but aisa woh sirf khudko aur zyada taakatwar banane ke liye nahi kar rahi thi..

balki KLERA un suck kiye hue core strength ko waise hi INVISIBLE mode me uske gang ki taraf se ladh rahe GLEKON ko transfer bhi kar rahi thi taaki uske opponents uski asli taakat ka andaza naa laga paayen aur woh har battle asaani se jeet jaaye..

KLERA ki woh invisible sucked core strength joki udte hue BATTLE RING me uske saathi GLEKON ke paas jaa rahe the,woh bhi us chal rahe drishya me dikh raha tha aur yahi sab dekh pehle toh hadh se zyada hairan hui KLERA but phir man hi man kuch naam liye usne jiske agle hi second....

DHABBB...DHABBBB..DHABBBB..DHABBBB...DHABBBB......DHABBBB....

hum dono ke chaaron taraf kul 6 log upar akash me jaise achanak se hi prakat hokar neeche hamare ird gird jump lagate hue prakat se hue..

woh sabke sab bhi battle outfit me hi the aur un sabke haathon me koi na koi hathiyar tha...

personality bhi kaafi tagdi thi un sabki aur is waqt apni dehekti aankhon se woh mujhe hi dekh rahe the jispar apne sir ko naa me shake karta hue maine KLERA ko dekha aur...

MAI-kya sochkar bulaya inhe...???

KLERA-kuch logon ko maarkar tumhe lag raha hai ki tum ajay ho..

ye GRAVE hai..yahan tumhare jaise bohot milte hain...aur jo log is waqt tumhe gherkar khade hain,unhe THE GRIEVOUS group matlab hamare group ke sabse deadly WARRIORS me se hain..they are gonna tear you apart...

yahan KLERA apne saathiyon ko build up de rahi thi aur ussi waqt mere theek piche ki taraf khada GRIEVOUS GROUP ka banda jiske haathon me ek DIAMOND SHARPENED DARK FIRE BLADE thi,woh us blade ko thaame mere just piche pahunch chuka tha aur ye dekh KLERA ke face par ek deadly smile naach uthi aur tabhi..

SOOBHHH..

mere sir ko do piece me kaatne ke irade se us MR GRIEVOUS WARRIOR ne apni blade chalayi par isse pehle ki woh blade mere sir ko touch ho paati,meri body ek timeless speed ke saath halki left sarak chuki thi..

aisa hone ki wajah se ab woh blade mere kandhe par lagne wali thi par uske lagne se pehle hi maine apne index finger ko us blade ke touch hone waali jagah par rakh diya..

DHABBBB...

mere index finger ko touch hone par kaatne ki jagah sirf touch hone ki hi awaaz aayi us blade se..

pehle toh mai kab side hata,yahi nahi dikha tha wahan kisiko aur phir jab woh DARK FIRE ORIENTED DIAMOND SHARPENED BLADE mere ek ungli ko bhi kaatne me naakamiyab rahi toh aankhen hairat ke saath halki ghabrahat se bhi badi ho chuki thi wahan moujud sabki..

wahin blade ko rokne ke agle hi pal maine us blade ke dhaar waale dono sides ko apne index aur thumb finger ke beech hold kar usse apni taraf jhatka aur mere aisa karte hi woh MR GRIEVOUS jisne badi tightly blade ke handle ko pakda hua tha,woh bhi us jhatke se release hue pressure ki chapet me aa gaya aur udta hua sa mere piche se aage ki taraf udta hua thoda door jaakar gir gaya..

woh DIAMOND SHARPENED DARK FIRE ORIENTED BLADE is waqt mere haathon me thi jisse kuch seconds dekha maine aur..

MAI-lag toh sharp hi rahi hai.. let's check...

KHACHHH..KHACHHHH.KHACCHHHH.....

ek baar phirse timeless speed se move hui meri body jiske baad bas yahi kaatne waali awaaz hi sunayi di KLERA ko..

wahin bas ek second me hi mai wapas apni purani jagah par khada hua tha...

abhi hua toh hua kya tha,ye toh pehle samajh me nahi aaya KLERA ko but phir jab uski nazar mere haathon me pakde blade par gayi toh uski aankhein badi ho gayi..

woh DARK FIRE ORIENTED BLADE filhal laal ho chuki thi aur uske kinaare se khoon tapak raha tha..

us khoon ko dekh hadbadate hue jab KLERA ki nazar chaaron taraf ghumi toh uske aankhon me hairangi ki jagah khouf ne ghar kar liya tha..

REASON..

uske yahan moujud sabhi super strong GRIEVOUS GROUP ke WARRIORS waise toh abhi bhi apne purani jagahon par hi khade the but dheere dheere unki bodies zigzag pattern me left right hone lagi thi aur phir...

DHABBB..DHABBBB..

bina koi bhedh bhaav kiye har bande ke exact 4 piece kiye the maine jo ab neeche girte hue meri nishpakshata bata rahe the..

haan,woh banda jisne mujhpar blade se waar kiya tha,usse ek extra consolation prize diya tha maine..

uski zuban aur dono eye sockets uske face se alag kar diye the maine but haan,baaki body uski bhi exact 4 part me badi safayi se kaati thi maine...

un sabke sir ne ek saath neeche girte hue KLERA ko jaise chaaron taraf se gher liya tha..

apne sathiyon ke kate bodies aur apne paas pade sir ko dekh dar ke maare kaampne lagi thi KLERA..

roothless the uske saathi..aaj se pehle jitne bhi fights hue the,unme 20 se bhi zyada strong meta physically equipped logon ko bhi in 6 me se bas ek hi khatm karne ke liye kaafi hota tha but aaj..

woh pure 6 milkar bhi ladhna aur jeetna toh door, apni jagah se hil bhi nahi paaye the aur un sabki jaan unse nikal alag ho chuki thi...

pathrayi aakhon se apne saathiyon ko dekh dheere dheere sarakti hui piche hatne lagi thi KLERA jispar...

MAI-aur koi back up.... GRIEVOUS GANG ke WARRIORS ko bula phirse shakti pradarshan karne ka koi iraada...???!!!

meri ye awaaz sirf uske kaano me hi nahi balki uske sharir ke har royen me gunj uthi thi.

awaaz ki impact itni zyada thi ki KLERA ko apne andar ek tez jhurjhuri feel hui aur ek baar phirse zamin par thi woh.

aankhon me ek aisa khouf jo shayad apni mout ka samay jaanane ke baad bhi nahi dikhta,woh saaf jhalak raha tha is waqt KLERA ki aankhon me..

sukh chuke gale se thook ko gitakte hue khudko bolne ke liye sakhsham kiya usne aur...

KLERA-whoo..tthhhe bblloddy helll arre yoouuu....

dar ke adhikta ki wajah se haklate hue pucha ye sawal KLERA ne jispar mai chalte hue theek uske paas pahuncha aur ghutna fold kar uske saamne baith gaya aur uske zulfon ko jo girne ke aur dar ki wajah se bikharkar uske face ke saamne aa usse dhak rahe the,unhe apni ungliyon se side kiya maine aur..

MAI-tumhara ye dar mujhe acha laga...

relax KLERA....is pure planet me ek tum hi ho jo safe ho, FILHAL...

and about me...

jisse padhkar sukoon nahi taklif hoti hai,mai woh GRANTH HUN...

jiske moksh ki raah khoon ke samandar se hokar guzarti hai,mai woh SANTH HUN...

har kahani ka aarambh kahin naa kahin se toh hota hi hai,

par jo kahani ko uske anjaam tak le jaaye,mai woh ANTH HUN...

AAJ KE LIYE ITNA HI....

AAPKA APNA V...J...
Ek dam faduuuuu jhakass mast update
 
Rahul

Kingkong
60,514
70,676
354
badhiya update raaz apne asli roop me aa raha hai lekin uske dost fir se uske bina kamjor pad rahe hain
 
Zaigham Bhatti

Active Member
928
2,994
138

Bohat he shandaar update

Amazing Bro

keep it up

and

Bro acchuta and company sy he valdis ka end karwana without help
 
Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,994
173

Super update mitr
 
Top