AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VALDIS NE APNE INHERITED WHITE ENERGY KI SHAKTI SE BANI RAYS KO APNE HAATHON ME IKATTHA KAR LIYA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ ALIUM PAHUNCH CHUKA HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-3
(THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)
UPDATE-163
PLANET-GOLETH
PLACE-THE DARK DIFFUSION
SHOWHI.....!!!!YE KYA KAR RAHE HO..MOVE....
hairani vash apne saamne aakar khade hue SHOWHI ko dekh kahi ye baat SLUNDER ne...
VALDIS ke haathon me dikh rahi super powerful INHERITED WHITE ENERGY ki modified dark rays ko uske dono haathon ke beech behte dekh SLUNDER ne bhi apni puri taakat ko ikattha karna shuru kiya aur jab usse apni shakti ki core strength feel hone lagi toh woh apna GOD GIFTED POWER SHIELD apne aur apne saathiyon ke aage lagane hi waala tha ki tabhi SHOWHI un sabke saamne aakar khada ho jisse dekh kahi thi usne ye baat.
par jab SHOWHI chupchap VALDIS ko face kiye khada raha toh same baat uske baaki sathi bhi karne waale the par usse pehle hi..
VALDIS-kya baat hai SHOWHI.. apni HIDE/SHOW powers se mujhe manupalate kar apne saathiyon ko bachana chahta hai..???
SHOWHI-SHOWHI aapko batana chahega ki SHOWHI jaanta hai ki yahan chal rahe sidhi yudh me agar SHOWHI ne apni shaktioyon ka istemaal kiya toh woh anaitik hoga..
SHOWHI aapko ye bhi batana chahega ki SHOWHI ko apne doston ke bahubal par koi sandeh nahi hai..
SHOWHI jaanta hai ki SHOWHI ke dost aapko harane me shaksham hain..
VALDIS-toh kya beech me margin kheenchne ke liye aaya hai..???
SHOWHI-SHOWHI ko ek aur baat bhi pata hai.. SHOWHI jaanta hai ki is waqt aapke haathon me jo WHITE ENERGY ki modified corrupted urja ki ray hai,woh aapki nahi hai..
woh WHITE ENERGY ki dharohar hai jo aapke paas achi nahi lagti.. SHOWHI aapse woh urja aur woh taakat jo bas ek unchaahe tohfe ki tarah aapko mili hai,woh wapas lena chahta hai..
SHOWHI ke us shakti ko wapas lene ke baad aap apna yudh mere doston ke saath jaari rakh sakte hain..
SHOWHI aap sabke beech nahi aayega..
jahan ek taraf SHOWHI ki baat sun"YE AAKHIR BOL KYA RAHA HAI"ye shabd gunj rahe the uske sabhi saathiyon ke dimag me wahin dusri taraf jo baatien SHOWHI ne kahi,usse sun.
HAHAHAHAHA..
zoron se has pada VALDIS aur..
VALDIS-dimagi santulan hil gaya hai tera SHOWHI..kya bake jaa raha hai..???
ye shakti hai,kapde nahi jo koi bhi utaar ke khud pehen lega..
SHOWHI-SHOWHI apni baat nahi dohrayega.. SHOWHI chahta hai ki aap bhi baaton me waqt naa gavaayen aur SHOWHI par apne haathon me ikattha kiye shaktiyon se humla kare..
HIDA-SHOWHI ye kya bole jaa rahe ho tum..???turant hato saamne se...
SHOWHI-SHOWHI chahta hai ki uske dost uspar bharosa rakhen... khaaskar tab jab bhale hi zubaan SHOWHI ki ho,par usse nikle alfaaz MAHABALI RAAZ ke hon...
ab jo SHOWHI ne bola tha, uske baad MABEL, HIDA, ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY ke paas bolne ke liye kuch bacha nahi tha..
aur ALFREEN jo cage me thi,woh toh shuru se hi shaant thi aur iska reason tha...
A SMALL FLASHBACK:-
SHOWHI, ALFREEN,KUCH DER KE LIYE MERA TUM SAB SE CONNECTION TOOTNE WAALA HAI, ISILIYE DHYAN SE SUNO..
ye thi RAAZ ki awaaz jo sirf SHOWHI aur ALFREEN ke kaano me gunji thi jisse sun ek pal ke liye SHOWHI chownka par phir shaant ho gaya jiske baad..
RAAZ- jab VALDIS ka bas,uski kaali shakti ACCHUTA par nahi chalegi toh woh apni WHITE ENERGY ki modified shaktiyon ko use me laayega..
woh shaktiyan powerful hone ke saath infectious bhi hai..
BEELZEBUB aur BHUVIKA ki urja hone ki wajah se woh WHITE ENERGY ek nayi breed ki power release karengi...
woh shaktiyan ACCHUTA aur baaki sabko zyada nuksaan toh nahi pahuncha paayengi par unke use hote hi jab ACCHUTA, SLUNDER aur HIDA apni GOD GIFTED POWERS ko use karenge toh unhe chhukar VALDIS ki modified shaktiyan unhe bhi kuch hadh tak corrupt kar dengi...
aur filhal waisa hone se rokne ka ek hi tarika hai..TUM SHOWHI...
tumhari GOD PARTICLES me jo WHITE ENERGY hai,woh VALDIS ki shaktiyon se identical hai..
jab bhi VALDIS apni WHITE ENERGY ko use karne waala hoga, uske saamne bina dare khada hona hai tumhe..
apne blood me base un particles ki urja ko release kar VALDIS ki urja se connect karna hai tumhe..
ALFREEN,jab VALDIS aur SHOWHI ki urja takrayegi toh us waqt tumhari cage aur DARK DIFFUSION ka connection bohot weak ho jaayega...
tab tum apne cage ko bina kisi consiquence ki parwah kiye araam se tod sakogi..
FLASHBACK ENDS:-
VALDIS-jaisi tumhari marzi SHOWHI...
SOOBHHHH....
apni baat keh VALDIS ne apne haath jisme uski generated WHITE ENERGY thi,usse SHOWHI ke upar chhod diya...
wahin ab tak SHOWHI ne bhi apne GOD PARTICLES ki urja ko apne haathon me samet liye tha joki INVISIBLE the..
aur jaise hi VALDIS ki rays uske paas pahunche toh SHOWHI ne apna haath aage kar apni invisible urja ko chhod diya aur aisa hote hi...
BOOMMMMM.....
VALDIS aur SHOWHI ke urjaon ke bich ek takkar hui jispar tez dhamake ke saath do chizen hui...
pehli...
SHOWHI ki invisible urja ko joki sirf GOD PARTICLES se hi nahi,balki apne mata pitah ke pure sacrificing elements se bhi bharpoor the,usne VALDIS ki corrupt urja ko khtam kar diya..
dusri..
VALDIS ki urja ko khtam karne ke baad bhi SHOWHI ki urja rooki nahi balki dhamake se bane dhuen ki aad lete hue sidhe VALDIS se takrayi jispar woh naa sirf udte hue piche ki taraf jaakar gira balki saath hi saath uske sharir ke andar ek aur chiz bhi hui..
uske andar nihit woh saari urja joki asal me uske claimed mother aur father BEELZEBUB aur BHUVIKA ki energy thi, SHOWHI ki urja ne un saari shaktiyon ko sokh liya aur aisa hone ke baad woh saari urja apne rightful owner aur BEELZEBUB,BHUVIKA ke true HEIR SHOWHI ke paas wapas chali gayi..
jahan ek taraf jaise hi woh URJA SHOWHI me wapas samayi toh usse kuch glimpses dikhayi diye wahin WHITE ENERGY ki shakti ko khudse nikalte mehsoos kar VALDIS ki puri body ainth si gayi..
usse jhatke lagne lage aur jab woh puri energy usse drain out ho gayi toh VALDIS jaise kuch palon ke liye khuli aankhon aur senses ke saath bhi behoshi ki haalat me chala gaya tha..
haan,par kyunki VALDIS kaali shaktiyon ka bhi ek behadh hi shaktishaali maalik tha, isiliye un kaali shaktiyon ne uski energy restoration process ko shuru kar diya tha par jitne heavy amount me WHITE ENERGY uske sharir se nikli thi,uski kami ko compensate karne me kuch pal toh lagne hi the...
BOOMMMM..
SHOWHI aur VALDIS ki urja takrane ke baad jo dhamaka hua tha,uske kuch palon baad ek aur dhamaka hua..
ye dhamaka ALFREEN jis cage me thi,uske tootne ka hua tha,jiske baad ALFREEN free ho chuki thi..
aur dhuan chattne ke baad jab MABEL, ACCHUTA, SLUNDER,, BRAWNY aur HIDA ki nazar saamne gayi toh woh khush aur hairan, dono ho chuke the.
khushi ALFREEN ko cage se bahar free khada dekhne ki aur hairani VALDIS ki condition dekh...
aur jab thoda paas jaakar un sabne VALDIS ki statue jaisi haalat dekhi toh..
SLUNDER-yaar SHOWHI...kiya kya tune iske saath...???
ACCHUTA-haan bhai...bina ras waale nimbu jaisi haalat ho gayi hai isko toh...
SHOWHI-SHOWHI aap sabko batana chahega ki SHOWHI ne inpar koi jaan leva yaa phir aghat pahunchane waala waar kiya hi nahi tha..
SHOWHI ne toh bas inki aakraman karne waali ray par apni shakti se bani urja chhodi thi..
SHOWHI ko MAHABALI RAAZ ne bas aisa hi karne ke liye kaha tha...
ALFREEN-RAAZ ne kaha tha, itna kaafi hai..kyunki,
jahan logon ki gambhir dhamkiyan bhi kori BAKWAAS HOTI HAI...
wahin mere bhai ki kahi mamuli baat bhi bohot KHAAS HOTI HAI...
PLANET-ALIUM
PLACE-THE GRAVE
HEY,TEAR HIM APART GLEKON....CHOP DOWN HIM IN PIECES....
bohot se log joki i guess THE GRIEVOUS GROUP ke members the,zor se chillate hue saamne bane ek artificial magical field me khade bande se kahe rahe the ye baat...
wahin dusra group bilkul shaant tha aur hona bhi chahiye..
unke group ko represent karne waala banda filhal hawa me latka hua tha yaa phir ye kahun ki GLEKON joki kisi asur se kam personality nahi rakhta tha, usne usse apne metaphysical power se latka diya tha....
aur in sabke beech wapas hoodie sir par chadhaye khada tha mai..
mere baaju me khadi thi KLERA jisse waise toh GLEKON ko jeet ke kagaar par khada dekh khush hona chahiye,par meri moujudgi us khushi ko khouf me badli hui thi..
khair,kuch der apne opponent ko jiske sharir par anginat cuts padh chuke the aur jiski wajah se hue blood loss ke kaaran woh aadha hi sense me tha,hawa me latkaye rakhne ke baad GLEKON ne apne haath failaye aur..
CRARUTHAAH VANITAH AAGHATAM..
FOUR ELEMENTS DESTRUCTION
zor se chillate hue is SPELL ko uccharit kiya GLEKON ne jiske baad uske dono haathon se kul 4 alag alag rays bahar nikli..
ye chaaron rays WATER, AIR, EARTH aur FIRE ki shakti se bane hue the...
un rays ko prakat kar ek evil smile ke saath dekha usne apne hawa me latke opponent ko aur phir apne dono hatheliyon ki disha ek jhatke me uski taraf kar di aur uske aisa karte hi...
AHHHHHHHHH....
ek hriday vidarak cheekh nikli us hawa me lakte bande ke mooh se..
GLEKON ke release kiye chaaron rays uske sharir ke chaar alag alag hisso par pade the jiske asar se uska sharir bhi chaar alag alag tarah se khatm ho chuka tha..
fire ray se uske dono haath aur pair jal chuke the,water ray uske body pores ko pierce karte hue andar blood me jaa mile the aur phir uska stomach area ko blast karte hue woh paani khoon ke saath bahar aa gaya tha..
earth ray ne uske face ko mud mummy me badal diya tha aur khudko usme lapeththe hue usse dhak diya tha..
aur jab earth,water aur fire ray ne apna kaam kar diya toh air ray ne khudko ek turbulence me convert kiya aur us bande ke chithde udaa diye...
jahan woh banda ek behadh hi dard bhari mout mar raha tha,wahin us mout ko jashn manate hue the GRIEVOUS GROUP ke log GLEKON ka naam lete hue zoron se cheer kar rahe the..
aur GLEKON bhi apna haath uthaye apni taakat aur jeet ki khushi mana raha tha..
khair,jaise hi GLEKON ka opponent joki finalist tha,mara tha uske agle hi pal woh cheez prakat hui jiske liye mai itni der se shaant khada hua tha..
THE KEY...
THE BRAWL OF LEGACY ke darwaze ki chaabi joki waise toh DARK thi,par phir bhi ek shining black AURA ke saath woh key chamakte hue GLEKON ke saamne prakat hui aur usse dekh mere ird gird khade log aur zoron se hooting karne lage...
anyways ,key ke prakat hote hi GLEKON uski taraf apne kadam badhane ko hua par tabhi..
I WILL TAKE IT FROM HERE...
ye thi meri awaaz jo wahan gunj si uthi thi aur jisse sun jahan ek taraf baaki sab including GLEKON ka chehra us awaaz matlab ki meri taraf ghoom gaya wahin mere baaju me khadi KLERA toh kaamp hi gayi thi us awaaz se...
khair,apni baat keh hoodie face se hata mai aage jahan GLEKON khada tha, badhne ko hua par tabhi kuch log mere saamne raasta roke khade ho gaye..
saath hi saath piche khade do log mujhe mere kandhon se pakadne ko hue par tabhi..
KHADDDD...
AHHHHHHHH...
mere haath tezi se uthe aur agle hi pal un dono bando ke haath unke shoulders se alag ho chuke the..
jahan ek taraf mere haathon me un do logon ke ukhde hue haath aa chuke the, the,dusri taraf jinke haath ukhde the,woh zamin par gir tezi se chatpata rahe the,wahin teesri taraf jin logon ne mera raasta block kiya tha,woh hadbadate hue side hath chuke the aur mai un sabke beech se hota hua GLEKON ki taraf badh chuka tha..
waise jo maine kiya,usse dekh GLEKON bhi man hi man ghabra gaya tha but jaisa ki aksar taakat ke ghamand me choor bewakuf logon ke saath hota hai, khudko superior samajh woh meri taraf badhne ko hua par tabhi maine apna haath halka upar ki taraf lehraya aur mere aisa karte hi GLEKON ki body bhi waise hi hawa me uthkar atak gayi,jaise kuch der pehle uske opponent ki atki hui thi...
hawa me latak chhatpatate hue woh khudko neeche utaarne ki puri koshish kar raha tha..
kuch SPELLS ke zariye woh mere SPELL ko kaatne me me laga hua tha par aisa toh hone se raha..
ab tak mai chalta hua uske paas pahunch chuka tha aur mujhe saamne dekh GLEKON kuch kehne ko hua joki mujhe sunane ka koi irada tha nahi aur isiliye ek baar aur upar haath uthaya maine aur mere aisa karte hi...
upar bane kaale akash me turant kuch baadal paas aane lage aur aisa hone ke agle hi pal..
KADKADKADKAD...
ek lambi aur superstrong bijli theek GLEKON ke saamne aakar giri yaa phir ye kahun ki sidhi khadi hokar wahin rook gayi jiske baad...
SOOBHHHH...
GLEKON ki atki body ko ek tez jhatka laga aur aisa hote hi woh tezi se upar akash ki taraf uth gaya..
ek achi unchayi par pahunch uski body double speed se neeche aane lagi aur bas kuch hi seconds me..
CHRRRRRRRRRRRR.....
AHHHHHHHHH.....
GLEKON sidhe us BIJLI ke upar aakar gira aur aisa hote hi uski body jaise kisi SWORD ke beech fasti hai,waise hi us bijli ke beech aakar latak gayi..
tez jhatko aur ho rahe aseem dard ko jhelte hue zoron se cheekhta raha GLEKON par jaise jaise uski body galne lagi,waise waise uski cheekh kam hone lagi and finally raakh bante hue GLEKON bhi ALIUM ke vaayu mandal me vilin ho chuka tha..
aur in sabke beech maine toh ek baar bhi GLEKON ki taraf dekha hi nahi tha...
mai araam se us hawa me jhulte KEY ko kareeb se dekh raha tha aur jab GLEKON ki cheekh gunjni band hui toh...
MAI-
RAVADHAM
DETECT
man hi man is SPELL ko uccharit kiya maine jiske baad mere SPELL ke asar se ek invisible ray aage badh us key ko detect karne lagi...
par kuch seconds ke detection ke baad jab ye clear hua ki us key par koi extra tricky magic nahi kiya gaya hai toh haath aage kar us key ko pakad liya maine...
key hold kar jab mai wahan moujud logon ki taraf muda toh paaya ki wahan moujud sabhi log behadh shaant se khade mujhe hi dekh rahe hain..
bina ladhe hi jo haal maine GLEKON ka kar diya tha,usse dekh unme se kisi ki himmat nahi ho rahi thi mujhse bhidne ki but GRIEVOUS GROUP ke logon ke aankhon me mere liye nafrat saaf dikh rahi thi jisse dekh muskuraya mai aur..
MAI-apne saathi ki yaad aa rahi hogi, right...dont worry,tum sab ussi ke paas jaa rahe ho....
meri baat ka matlab theoretically woh sab samajh paate ki tabhi agle hi pal jo hua,woh dekh yaa phir ye kahun ki mehsoos kar un sabko naa sirf sab kuch samajh me aa gaya balki kuch seconds pehle tak unki aankhon me jo ghussa tha,woh ab dar me badal chuka tha...
REASON...
GLEKON ki hi tarah un sabki bodies bhi upar hawa me uth chuki thi..
khudko yun hawa me dekh unhe meri kahi baat ke matlab ka andaza ho chuka tha aur isiliye...
1ST-please mujhe chhod do..i will be your SLAVE for ever..
2nd-please,spare my life...i will do anything you want me to do..
us pehle aur dusre bande ki tarah baaki sabne bhi mujhse maafi ki guhaar lagayi...
par un sabke maafi maange me ek baat common thi.."ME"..
unme se kisine bhi kisi dusre ko bachane ki request nahi ki thi.
woh sab sirf khudke liye hi baat kar rahe the jabki unke saath khade log unke hi group aur gang buddies the...
wakayi ye jagah humans hone ke baawjud humanity ke liye bilkul nahi thi..
khair,un sabki maaf-e-ilteza sun mera pehle se hi soft hearted dil aur pighal gaya isiliye unki baat maan li maine..
un sabki bodies neeche zamin par aane lagi aur ye dekh un sabne bhi chain ki saans leni shuru kar di..
dekhte hi dekhte un sabke pair wapas neeche zamin se touch ho gaye par tabhi...
AHHHHHH..
un sabke pairon ke theek neeche ki zamin aag ke ek chote se swamp me badal chuki thi jispar pair rakhte hi woh aag bhari swamp un sabko jalate hue neeche ki taraf kheenchne lagi..
pairon se hote hue woh aag un sabke upar chadh unhe dheere dheere jalane lagi thi aur isiliye un sabko beinteha dard hone laga...
apni mout dikh chuki thi un logon ko...
par us asahaniya dard ko naa zabt kar paane ki wajah se ab un sabki request badal chuki thi..
SAB-please,WE beg you..hume ek baar me hi maar do...WE cant bear this pain..
arre waah...WE...GAZAB...
chalo accha hai,zindagi ne naa sahi,par mout ne toh in sabko unity sikha di thi...
khair,ek baar phirse un sabki maafi-e-talab se dil pighal gaya mera aur isiliye un sabko us aag-e-daldal me samane ki speed aur kam kar di maine aur saath hi us aag ki tapish,jisme woh sab jal rahe the,usse aur badha diya maine jiske baad un sabki cheekh aur tez ho chuki thi..
wahin in sabke beech ek maatr shaksh jo bilkul safe apne pairon me khadi thi,KLERA,aur jo apne aas paas ka mahoul dekh sadme me thi,jab usne un logon ki guhaar aur uspar meri pratikriya dekhi toh..
KLERA dheere se-you are a DEVIL RAAZ....
bohot dheere se mujhe dekh kahi ye baat KLERA ne par maine uski baat sun li thi aur isiliye uski taraf ghumi meri nazarein aur..
MAI-indeed i am...
pehle se patli hui padi KLERA ki haalat meri baat sun aur zyada kharab ho chuki thi...
par maine usse aage kuch kaha nahi aur bade araam se uske logon ko aag-e-daldal me jhulasta hua dekhta raha aur jab kuch aur der ke cheekh pukar ke baad woh sab us daldal me puri tarah sama gaye toh..
MAI-let's walk KLERA....
jahan ye bol mai ek disha ki taraf badh gaya wahin meri baat sun KLERA bhi hadbadate hue mere piche ho li...
ON THE WAY:-
KLERA-ek baat puch sakti hun..??
thodi der ke shanti ke baad badi himmat karke ye pehli baat boli thi KLERA ne jispar....
MAI-tum kyun ab tak zinda ho,yahi jaanana chahti ho..???
KLERA-haan..
MAI-tumne hi toh kaha tha ki you want me as your KEEP...
so, here i am, KEEPING you...
KLERA-aapne GRIEVOUS GROUP ke saath dusre group ke logon ko kyun maara..???
GLEKON ko maarkar aapne ek tarah se un sabka badla hi liya tha..
BRAWL OF LEGACY me woh aapki taraf se cheer kar sakte the...
MAI-tum jisse cheer bol rahi ho,woh mere liye shor hai aur shor mujhe pasand nahi..
waise bhi,jinki reedh ki haddi me dum nahi hota,wahi dusro ki awaaz me apni taakat dhundte hain...
KLERA-BRAWL OF LEGACY jis jagah hoti hai,woh yahan se kaafi door hai..
hume udkar ya gayab hokar wahan chalna chahiye.. waise bhi,baaki 5 final participants gate enter kar chuke honge..
MAI-yahi gate...
meri baat sun jab KLERA ki nazar saamne gayi toh uski aankhein badi ho gayi..
hum BRAWL OF LEGACY ki gate se bas chand kadam hi door khade the...
itni jaldi bina ude ya gayab hue hi yahan pahunchna, KLERA ko kuch samajh me nahi aa raha tha.
wahin mujhe uski hairat ka andaza tha aur isiliye...
MAI-hum dono ka chala har kadam is gate se hamare 1000 kadam ka faasla kam kar raha tha..
THE WALKING ILLUSION...
ek ancient magic jiske baare me bas suna tha KLERA ne par aaj khud uska hissa bani thi woh..
mere prati hairat aur dar, dono hi ab aur zyada badh chuke the KLERA ke..
khair,aage badhte hue mai us bade black iron se bane entrace door ke saamne pahunch chuka tha jahan total 6 locks the but jinme se 5 already khul chuke the..
matlab KLERA sahi thi...baaki sabhi participants pehle hi andar jaa chuke the..
apne haath me pakdi key nikali aur bache ek maatr lock me us key fasa usse open kar diya maine..
lock khulte hi woh door dheere dheere faint hota hua invisible ho gaya jiske baad mai aur mere piche KLERA us open way se hote hue uske dusri taraf chale gaye...
THE BRAWL OF LEGACY
WOH KAUN HAI....????
saamne ek taraf point karte hue pucha ye sawal maine KLERA se..
THE BRAWL OF LEGACY ek 100 metre lambe aur chowde underground BEDROCK me conduct hoti thi joki is waqt pure GRAVE ke log se bhari hui thi..
wahin kaale rang ki chaadar odhe BEDROCK jisme yahan BRAWL hona tha,usme baaki ke paanchon zones ke champions ek dusre ko ghoorte hue khade ho chuke the aur un sabke supporters apne gale ke aakhri level ko touch kar usse faadte hue apne support show kar rahe the..
wahin is BRAWL OF LEGACY ke entrance door se ghusne ke baad filhal mai aur KLERA bheed ki hadh se halka peeche khade the jahan se mai har taraf ka jaayza le raha tha..
aur aisa karte wart us BRAWL BEDROCK ke aage thoda unchayi par bane throne par, jahan is waqt koi baitha hua tha,us taraf point karte hue pucha tha maine ye sawal KLERA ne jispar....
KLERA-wahi toh hain GRAVE ke moujuda EMPEROR..jinse aakhir me is saal ka BRAWL winner..
MAI-woh nahi.. uske just peeche haath baandhe sir jhukaaye jo patla thigna sa banda khada hai...
woh kaun hai....???
KLERA-uska koi specific naam nahi hai..usse yahan AUGMENTOR bulaya jaata hai..
unki puri nasl joki ek baar me ek hi paida hote hain,yahan ke emperor ke PERPETUITY SLAVES maane jaate hain..
ye khud toh apne appearance ki hi tarah bohot weak hote hain,par emperor ke liye ye kisi abhedya SHIELD se kam nahi hote..
is BRAWL ko chhod jahan emperor banane ka daava kiya jaata hai, EMPEROR ko AUGMENTOR suraksha dete hain..
unke rehte koi bhi emperor ko nuskaan nahi pahuncha sakta..
MAI-aisa....chalo, dekhte hain...
ye bol mai aage badh gaya aur us endless bheed jaise dikhne waale logon ke beech se hota hua mai bhi baaki paanch participants ke saath BEDROCK me jaakar khada ho gaya...
wahin jaise hi mai BEDROCK me khada hua toh gunj raha shor ek dum se band ho gaya...
REASON...
wahan moujud sabhi ko pata tha ki jis zone ki taraf se mai khada hun,usme winner GLEKON tha...
upar se meri bhesh bhusha bhi GRAVE waasiyon se bohot alag thi toh aise me hairani toh sabko honi hi thi..
yahi wajah thi ki mujhe dekh woh sab aapas me khusoor phusoor karne lage the..
aur aisa hi kuch haal emperor ka bhi tha.. EMPEROR ko saare zones ke winners ke baare me pata rehta hai aur isiliye mujhe dekh pehle toh woh bhi shock hua aur phir apni jagah par khada hote hue..
EMPEROR-tum... kaun ho tum..??? tum toh yahan ke nahi lagte..aur yahan BRAWL OF LEGACY me kya kar rahe ho tum..???
GLEKON ki key tumhare paas kaise aayi...apne zone ka vijeta toh wahi hai...phir tum uski jagah kaise...???
ek ke baad ek kayi sawal kiye us emperor ne mujhse jispar..
MAI-maar diya hai maine usse..ab uski jagah mai ladhunga....
jahan meri baat sun wahan moujud log hairan hue wahin maine unke ek champion ko maar diya hai,ye jaan EMPEROR ko aaya ghussa aur...
EMPEROR-tumne jo kiya hai,uske liye tumhe sirf mrityu dand hi milega...
par kyunki tum yahan ladhne ki kaamna liye aaye ho, isiliye tumhe ek nishpaksh mouka diya jaayega...
yahan moujud hamare paanchon champions tumhse ek saath ladenge...
agar bach sakte ho toh bach jaao...
jahan ek taraf emperor ki baat sun wahan moujud sabhi log mujhe khatm karne ki hooting karne lage wahin mai halka sa muskura diya aur..
MAI-ye nishpakshata hai...!!!5 banam 1....
EMPEROR-kyun,kya hua...dar gaye..???hume toh laga tha ki jo insaan bina dare BRAWL OF LEGACY jaise combat me hamare saamne aakar apna paksh rakh sakta hai,woh nirbhik hoga...
lekin tum toh...
MAI-itni jaldi raay mat banaiye maharaj..
zindagi guzar jaayegi,par tab bhi mere baare me sahi anumaan nahi laga paayenge aap..
aur waise bhi aap aur in sabke paas guzaarne ke liye waqt kam hi bacha hai...
meri baat sun ghusse se tamtama gaya us EMPEROR ka chehra jiske baad..
EMPERORS-warriors..kill him and make it brutal...
woh paanchon WARRIORS jaise issi lamhe ka wait kar rahe the..
us EMPEROR ke mooh faadte hi unme se ek ne apne haathon ko jhatka aur uske waisa karte hi uske haathon me ek moti si 6 metre badi DARK FLAIM CHAIN dikhne lagi..
wahin dusre bande ke haathon me ek katana aur teesre WARRIOR ke haathon me ek badi si spear aa chuki thi..
fourth aur fifth bando ke haath me koi hathiyar nahi tha par unke hatheliyon puri red hone lagi thi jisse dekh mai samajh gaya tha ki woh dono magically mujhpar attack karne waale hain..
khair,jaise hi pehle bande ne woh DARK FLAME CHAIN jhatki toh uske agle hi pal usne us chain ko mere peth ka nishana lete hue meri taraf jhatak diya..
uska iraada mere stomach par ek deep cut dete hue DARK FLAMES ke through mujhe hard agony pahunchane ka tha...
wahin is beech mai araam se apni jagah par khada raha.
bas apne ek finger ko halki si jumbish bhar di thi maine...
mere aisa karne ek agle hi pal woh DARK FLAME CHAIN mere behadh kareeb pahunch chuki thi aur phir...
KHACCHHHH.....
lagatar paanch baar ye awaaz ubhri jisse sun aur uske ubharne ke kaaran ko dekh us DARK FLAME CHAIN holder,uske saathi aur saath hi saath wahan moujud sabhi log joki ab tak halla macha rahe the,un sabke mooh khul chuke the aur mooh ek dum se khamosh ho gaye the..
REASON..
jo apni ungliyon ko halki si jumbish di thi maine,uske asar se us crowd me se kul 5 log theek mere saamne aakar ghutne ke bal gire the aur theek usa pal woh DARK FLAME CHAIN un paanchon ke gale ko cheerta hua paar ho gaya tha..
cheekh bhi nahi paaye woh paanchon aur waise hi neeche dher hote chale gaye...
ye sab itni tezi se hua tha ki wahan moujud kisiko kuch pata bhi nahi chala tha..
wahin un paanchon ke neeche gir dum todte hi..
MAI-oh chain waale bhaiye...chain wapas nahi chahiye...
chain ka dusra sira jisse paanchwe bande ke sir katthe hi pakad liya tha maine,uss halka sa lehrate hue kahi ye baat maine jisse sun woh hadbadate hue jaise hosh me aaya aur tab..
MAI-rook..mai madad karta hun..
ye bol us chain ko halka sa jhatka diya maine aur mere aisa karte hi mere haathon se nikli ek acidic flame mere sire se hoti hui chain ke dusre sire par pahunch gayi aur jaise hi us acidic flame me us bande ke haathon ko touch kiya toh...
AHHHHHH...
haath jal gaya uska aur isiliye usne turant chain chhod diya aur tabhi...
KHACHHHH.KHACCHHH...
ek ke baad kul paanch baar chali woh chain aur aisa hote hi pairon se shuru hote hue sir tak paanch pieces me kat gayi us bande ki body..
khoon se naha chuka tha woh chain jisse ek baar phirse jhatakte hue saaf kiya maine..
jahan us WARRIOR ki mout dekh wahan moujud baaki sabhi stabdh se reh gaye the wahin is beech dusre aur teesre bandon ne apni katana aur spear mere taraf fek di thi..
supernatural speed ikhtiyar karte hue woh dono shastra meri taraf badhne ko hue par abhi woh apna aadha safar bhi pura nahi kar paaye the ki tabhi...
CHHHHNNNNN...
tezi se hawa me lehrayi maine apne haath me pakdi chain aur mere aisa karte hi usne us katana aur spear, dono ko hi apne giraft me le liye jiske baad timeless speed se neeche ki taraf laaya maine wo chain aur mere aisa karte hi..
CCHHHHRRRRR....
AHHHHHH......
woh SPEAR aur katana un dono ke hi ek ek haathon ko shoulders se kaaththe hue neeche tak unhe faadte chale gaye....
unhe pata bhi nahi chala tha aur unka adha sharir unse alag ho chuka tha...
dard ki aakhri hadh ko jhelte hue woh dono neeche zamin par gir tadapne lage..
DHOOBBBB...
wahan woh dono gire aur yahan mera sharir bhi peeche ki taraf ud gaya...
REASON....
woh bache do MAGICAL WARRIORS jinki kuch der pehle tak hatheliyan red ho rahi thi,unhone ek ek body piercing ray se mujhpar attack kar diya tha jo sidhe mere dono shoulders par aakar lagi thi..
par body toh meri itni asaani se pierce hone se rahi par haan,un super strong rays ke lagne se mai piche ki taraf ud sa gaya..
wahin apne attack ko partially hi sahi, kaamiyab hota dekh woh dono magical WARRIORS aur unke saath EMPEROR bhi khush ho gaya tha par un sabki khushi shanik hi thi..
achanak hi udte hue mere sharir ke peeche ek MAGICAL GATE open hua jisme meri body samati chali gayi..
aisa hote hi woh gate band ho gaya..
mere yun achanak gayab hone par woh dono WARRIORS hairan jo hi rahe the ki tabhi..
MAI-searching someone...
un dono ke just peeche se aayi ye awaaz jisse sun woh dono hadbadate hue side hatne ko hue par tabhi..
ANGAM JWALAM...
un dono ke peeth ko apne ek ek finger se touch karte hue man hi man uccharit kiya maine is spell ko aur mere aisa karte hi...
AHHHHHHHHHHHH....
pehle,back, fir dono haath aur pair aur aakhir me peth se upar jaate hue gala aur sir.. is pattern me un dono ka sharir jal utha tha...
aag se paida hone waali asahaniya peeda se cheekhte hue woh dono bhi kuch hi palon me raakh ho chuke the..
PIN DROP SILENCE...
is sentence ka practical example is waqt THE BRAWL OF LEGACY hone waale is jagah par saaf mehsoos kiya jaa sakta tha...
yahan moujud har banda kisi living statue me tabdil ho chuka tha.
aankhein faade woh sabhi apne paanchon WARRIORS ke mrit sharir yaa phir ye kahun ki kate chatte aur raakh ban chuke bodies ko dekh rahe the..
wahin aakhri dono bando ko khatm kar meri nazar ghumi upar apne throne me baithe EMPEROR par jiske aankhon me apne logon se zyada vismay bhara pada tha..
aur ye dekh..
MAI-idhar MY HIGHNESS...
mare huo ko dekh kya milega..jo zinda hain,nazar unpar rakhiye..
meri awaaz sun us EMPEROR ki nazar mujhpar aakar tik si gayi..
aankhen jaisi pathra si gayi thi uski aur ek tak woh bas mujhe hi dekhe jaa raha tha..
wahin uske chehre ke us ajeebogarib bhaav dekhkar muskuraya mai aur...
MAI-dar....
tere chehre ke ya dar RAAZ-E-KEHER ki NISHAANI hai...
gala tar karle,mujhe dekh sukh chuka tere sharir ka PAANI HAI...
yahi soch raha hai naa ki kyun maar raha hun sabko!!!
meri marzi,jo chaahe karun,aakhir ye meri KAHANI HAI...
AAJ KE LIYE ITNA HI....
AAPKA APNA V...J....