DRAGO006
Active Member
- 1,448
- 1,935
- 143
Bahut bada zatka tha bhaiiiiAB TAK AAPNE PADHA KI BEELZEBUB SE LADHAYI KE WAQT DEFENDER KHUDKO EK KAWACH NUMA KAID ME FASA LETE HAIN WAHIN BHUVIKA ANALIA KO BHVIKA KI BEHEN BATAKAR EK BOHOT BADA KHULASA KARTI HAI
AB AAGE:-
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
UPDATE-98
PLANET- SHADOW WORLD
PLACE-OPEN GROUND
HEY PARMESHWAR....HUM TOH SABHI ASHA KHO CHUKE THE..KINTU JIS DIN AAPKE DOOTH ST.SEBASTIAN YAHAN AAYE AUR HUME BATAYA KI BOHOT JALD HUME BACHANE KE LIYE HAMARA UDDHARKARTA AANE WAALA HAI,TOH HUMARI KHUSHI KA THIKANA NAA RAHA....
HUMARI MARTI HUI UMMID FIR SE JIVIT HO UTHI....HUM DIL SE HUMARE SWAMI KA INTAZAR KAR RAHE THE KINTU........
USSE PEHLE TUM SABKI MULAKAT MUJHSE HO GAYI.....
is awaaz ko sun saare SHADOWS jo ki kisi zamane me SAMAY SANCHALOKON ke naam se jaane jaate the palte......
aur apne saamne khade shaksh ko dekh kar un sab ke chehre utar gaye......
UNKNOWN- arre mujhe dekh tum sabka chehra kyun utar gaya....?lagta hai mujhe dekh tum sab ko khushi nahi hui...!!!!!
1ST SHADOW- andhere ko dekh ujale ko kabhi khushi nahi hoti BHUVIKA.......
ji haan doston,SHADOWS ke saamne khadi shakhs aur koi nahi balki BHUVIKA hai.....
ab uska yahan kya kaam,ye toh aap sab ko aage padhkar hi pata chalega....?
BHUVIKA- MAHA RANI BHUVIKA....apni RANI ka naam tamiz se lo samjhe.....warna aisi haalat karungi ki tumhari aatma ke saath saath YELUPTUS me dafan tumhari praanhin sharir tak tadap uthegi......
2ND SHADOW- jis dard ki tum baat kar rahi ho wo tum hume pehle bhi de chuki ho.....hum aise taklifon se nahi darte BHUVIKA.....
1ST SHADOW- aur tum jis taakat ke dum par itna ghamand kar rahi hi ho naa,agar hum apne waastavik roop me hote toh tumhari taakat aur tumhare ghamand ko shan bhar me samapt kar dete....
hum SAMAY SANCHALAK hain....humari shaktiyan khud GOD se hain....tumhare jaise bhaade ki shaktiyon se aur wo bhi kaali shaktiyan jinka ek na ek din sarvanash hona nishchit hai,hum nahi darte.....
aur..........
AHHH.....AHHHH..........
isse aage wo SHADOW kuch keh nahi paaye...SHADOWS ki baat sunkar BHUVIKA ko ghussa aa gaya tha.....
is waqt saare SHADOWS ek group me khade the....aur isse pehle ki SHADOW kuch kahe,BHUVIKA ne saamne khade un dono SHADOWS ko jo uska apmaan kar rahe the,unpar apni kaali shaktiyon se nirmit kaaton bhari rays chhod di....
waise toh SHADOW ka koi sharir nahi tha par in rays me aatmaon ko taklif pahunchane ki shakti thi.....
un rays dono SHADOWS ko charon taraf se gher liya aur un rays se nikalte dhardhar kaanton ne SHADOWS ko chubhona shuru kiya jis wajah se un dono ke mooh se dard bhari aah nilkalne lagi...
wo rays kuch samay tak un SHADOWS ko taklif pahunchati rahi aur jaise hi dard ki atyadhikta ki wajah se wo dono SHADOW neeche giri,BHUVIKA ne apni chhodi ray wapas kheench li.....
baaki ke saare SHADOWS apne chehre par bebasi liye apne dono saathiyon ko dekh rahe the....
BHUVIKA- aaj ke liye itna kaafi hai ya abhi bhi man nahi bhara!!!!!
wo dono SHADOWS jo is waqt zameen par pade apne dard ko zabt karne ki koshish kar rahe the,BHUVIKA ki baat sun uski taraf ek fiki muskaan liye dekhne lage.....
1ST SHADOW- tumhe lagta hai ki is dard se hume koi fark padega....
AAHHHH....
AHHHHH....
AHHHHH.....
is baar ye dard bhari cheekh har SHADOW ke mooh se nikli thi....reason...ussi agni ki wajah se jo in sab ke neeche prajwalit hui thi...
ye wahi agni ya fir ye kahun ki wahi saza hai jo saare SAMAY SANCHALAK khudko dete aa rahe hain....
jab tak wo agni un sab ke neeche prajwalit hoti rahi,saare SHADOWS dard se cheekhte rahe wahin unke saamne khadi BHUVIKA aankhon me aascharya liye ye sab dekh rahi thi..
ye pehli baar nahi tha jab BHUVIKA ye sab hote hue dekh rahi thi...jab se ASMODEUS ne usse SHADOW world ki RANI banaya hai ya fir ye kahun ki usse SHADOW WORLD me jaane ki permission di hai ( iske piche ek khaas reason hai jo baad me pata chalega )...
tab se hi wo SHADOWS ko issi agni dwara tadapte hue dekh rahi hai...par jab bhi wo is drishya ko dekhti hai toh aashcharya me padh jaati hai...
BHUVIKA ko ye baat pata thi ki agni se jalne ka faisla khud SHADOWS ka hai par wo ye jaanana chahti thi ki khud ke saath aisa karne ke piche SHADOWS ka kya kaaran ho sakta hai??
jahan BHUVIKA apni soch me goom thi wahin agni ab bujh chuki thi aur saare SHADOWS ki pida bhi kuch hadh tak kam ho chuki thi....aur jaise hi unki peeda kam hui....
1ST SHADOW- abhi abhi jis agni dwara tumne hume jalte hue dekha hai,us agni ko hum sab ne khud prajwalit kiya hai...
hum khud hi us agni dwara diye pida ko saharsh jhelte aa rahe hain wo bhi tab se jab tumhara janm tak nahi hua tha....
aisa kasht jiski tum kalpana bhi nahi kar sakti aur wo bhi har din har pahar lagatar....
tumhe lagta hai ki jo aisi pida ko swayam khud par laakar jhelte hain unhe tumhare dwara saza se koi fark padega..kabhi nahi....
BHUVIKA- bhale fark pade naa pade..par tum logon ko kasht dekar mujhe bada sukoon milta hai....
par agar tum mujhe ye bata do ki tum sab ne khudke liye aisi saza kyun chuni toh mere dwara tum sab ko pida dene se bach sakte ho...
2ND SHADOW- aur ye jaankar tumhe kya laabh?
BHUVIKA- laabh naa sahi par kamsekam meri utsukta toh mitegi....
1ST SHADOW- waise toh humari khud ko di gayi saza waali baat koi bohot bada raaz nahi hai kintu agar isse tumhe shaanti milti hai toh hum kuch bhi nahi batane waale....
tumhe pahunchne waale kisi bhi tarah ke sukoon ke hum k kaaran nahi ban sakte....
SHADOWS ki baat sunkar BHUVIKA ko firse ghussa aa gaya...
BHUVIKA- toh fir dard ke ek anthhin ehsaas aur safar ke liye taiyar ho jaao....
apni baat keh BHUVIKA ne mantra uccharan karne ke liye apne dono haath failaye hi the ki....
JITNA DARD DENA HAI DE DENA...PAR USSE PEHLE APNI JIGYASA SHAANT KAR LO....
ye awaaz BHUVIKA ke piche se aayi thi...aur ye awaaz aur kisi ki nahi balki BEELZEBUB ki thi...
BHUVIKA- tumhe inki khud ko dene waali saza ke baare me kaisa pata???YELUPTUS me inke baare me jaankari dete waqt toh tumne is baare me kuch nahi bataya tha....
BEELZEBUB- wo isiliye kyunki us waqt mujhe khud is baare me gyat nahi tha....COURIOUS se loutne ke baad jab mai wapas FATHER ke paas gaya tha tab maine unse is baare me pucha tha...
aur tab pehli baar FATHER ne is raaz ke upar se parda hataya tha....us waqt tumhe FATHER ne pehli baar yahan bheja tha isiliye tumhe iske baare me pata nahi hai....
BHUVIKA- hmm....toh fir batao ki in sab ne khud ke liye ye saza kyun chuni???
BEELZEBUB- ye sach hai ki jis aag se ye tadapte hain,ye inki khud ke liye nirdharit ek saza hai kintu ye sirf aadha sach hai...
asal baat kuch aur hai.....
BEELZEBUB ne ye baat SAMAY SANCHALAKON ki taraf dekh kar kahi thi..BEELZEBUB ki baat sunkar SHADOWS ko shock laga......
wo bhi jaanana chahte the ki BEELZEBUB kya jaanta hai..
BHUVIKA- aadha sach matlab?
BEELZEBUB- aadha sach isiliye kyunki jis aag se ye khudko jalate aa rahe hain,ussi aag ki wajah se inka astitv bhi zinda hai....
jahan BHUVIKA ko BEELZEBUB ki baat ka matlab samajh me nahi aaya wahin SHADOWS ke shock ka level aur badh gaya...
unhone ye nahi socha tha ki unke raaz ko ASMODEUS jaanta hoga.....
BHUVIKA- mujhe tumhari koi baat samajh me nahi aa rahi....
BEELZEBUB- samjhata hun...darasal jo aag in SHADOWS ke neeche prajwalit hoti hai,wo koi aam aag nahi hai balki jeeven bachane waali agni hai.....
tumhe ye toh pata hi hai ki in sab ka sharir YELUPTUS ki zamin ke andar dafan hai....kintu sharir kitna hi mazboot kyun naa ho,par bina aatma ke uska samooh patan annivaarya hai....
inhe apne sharir se alag hue sadiyan beet chuki hain..uske baawajud inka sharir ab bhi YELUPTUS ke andar surakshit hai..aur iska kaaran wahi agni hai jo in sab ke neeche prajwalit hoti hai....
wo agni asal me ek dhaage jaisa hai jo inke sharir ko inki aatma se jode rakhta hai...jab in sab ki aatma inke sharir ke bheetar thi,tab bhi ye agni inke andar thi....
par sharir aur aatma ke saath me hone ke kaaran wo agni inhe dard nahi pahunchati thi balki ussi agni se inki urja nirantar kaayam rehti thi....
par ab jab aisa nahi hai,toh yahi agni inhe dard pahunchati hai....
BHUVIKA- toh ye inki saza kaise hui???dard me hi sahi,in sab ne khud ko vardan hi diya hai naa..kyunki aisa karne se inke sharir bache hue hain???
BEELZEBUB- haan ye satya hai ki issi agni se inke sharir bache hue hain,kintu issi agni ki wajah se ye moksh prapt nahi kar paa rahe hain....
aur iska kaaran ye hai ki ye jaante hain ki inke samooh naash se PARIVARTAK bhi nasht ho jaayega aur aisa hote hi bramhaand ke saare grahon ki chaal aur disha badal jaayegi..
yahi nahi har grah ki gati aur waqt par bhi prabhav padega..agar ek vaakya me kahun toh inke marte hi pura bramhaand bhi khatm ho jaayega....
is agni ki wajah se ye mar toh nahi paa rahe hain par saath saath jee bhi nahi paa rahe hain...
toh hua na inka dard inka avishaap bhi aur vardan bhi....
BHUVIKA- kya baat hai???agar tum mujhe ye sab nahi bataate toh aisa bhi kuch ho sakta hai iski mai kalpana bhi nahi kar paati....
jaise hi BEELZEBUB ki baat khatm hui,itni der se shaant khade SHADOWS me se ek ne apna mooh khola......
1ST SHADOW- tumhare kathan se pata chalta hai ki ASMODEUS ko is sab ke baare me pehle se gyaat tha....fir usne kuch kyun nahi kiya???
BEELZEBUB-unhe bhala is sab se kya matlab???unhone jo chaha wo haasil kiya...(parivartak).....
ab tum sab khudko bachao ya maaro isse unhe koi nuksaan nahi...is bramhaand ke rehne naa rehne se tumhe fark padta hai,mere FATHER ko nahi.....
BHUVIKA- waise yahan se nikalne ke baad mai tumhare paas hi aane waali thi....
ye jaanane ke liye ki DEFENDER ko tum kaise khatm nahi kar paaye.....ye toh tumhare liye bohot aasaan hona chahiye tha....
BEELZEBUB- nahi BHUVIKA....pichle baar hum dono me se kisika bhi DEFENDER se zyada der tak mukabala nahi hua tha....
uske gaayab hone par humne ye socha ki wo humse dar gaya hai kintu asal me us waqt usse apne dono grahon ko bachana tha isiliye wo gaayab ho gaya tha...
humne jitna socha tha DEFENDER usse kayi guna zyada shaktishaali hai....
isiliye hi toh mujhe usse maarne ke liye apna aakhri astr ka istemaal karna pada....
par isse pehle hi usne apne chaahron taraf ek abhedhya kawach bana diya jisse mai tod nahi paaya....
BHUVIKA- hmm.ye sab toh maine bhi dekha tha kintu mujhe ek baat samajh me nahi aayi....
BEELZEBUB- kaun si baat???
BHUVIKA- yahi ki wo grah setu se baahar aaya hi kyun????mere kehne ka arth hai ki isse usse kya laabh hua?
BEELZEBUB- ye toh mai bhi jaanana chahta hun. Kintu chinta mat karo..maine uske kawach ke charon taraf apni tarange faila di hai..jaise hi wo apne kawach se baahar aaya,mujhe pata chal jaayega aur agle hi pal mai uske saamne pahuch jaaunga.....
aur usse mrityu dene se pehle mai sab jaan lunga......
BHUVIKA- hmm...thik hai....chalo jis kaam se aayi thi wo toh kar lun....
BHUVIKA ki baat sunkar BEELZEBUB has diya......BEEZEBUB ko haste dekh BHUVIKA bhi has di...
dono hi hawa me tairte hue aage badhe..ek jagah pahunch dono rook gaye....jis kaam se BHUVIKA aayi thi wo kar dono gayab ho gaye......
PLANET-EARTH
PLACE- GARDEN
ANALIA,TUM THIK HO NAA.....
ANALIA jo ab bhi lambi lambi saansen le rahi thi,wo is waqt AVANTIKA ke kisi sawaal ka jawab dene ki haalat me nahi thi....
AVANTIKA bhi is baat ko samajh rahi thi isiliye usne aage kuch bhi nahi pucha..wo bas ANALIA ke peeth ko sehlane lagi....
wahin un dono se thodi door khada RONIT toh apne hi khayalon me goom tha....usse samajh nahi aa raha tha ki wo kaise react kare....
RONIT is waqt ye soch raha tha ki usse apna dukh bohot bada lagta tha...usse lagta tha ki GOD ne uske saath hi itni zyadati kyun ki....
par ab wo is baat ko samajh raha tha ki GOD ne uske saath koi zyadati nahi ki..infact GOD kabhi bhi apne bacchon ke saath kuch galat karne ka nahi soch sakte...
par is universe me GOD ke alawa bhi ek power source hai jo pure universe ko apne iccha anusar chalana chahti hai...
aur jab koi uske hisab se nahi chalta aur uske faislon ke khilaf jaata hai toh wo usse saza deti hai....
RONIT ek tak ANALIA ko dekhe jaa raha tha....wo soch raha tha ki is maasoom ko toh ye tak maalum nahi ki iske saath kaisa khel khela gaya hai.....
aur wo bhi iske janm lene se pehle..RONIT ke kaano me ab bhi AVANTIKA ki wo baatein gunj rahi thi jo usne ANALIA ke baare me usse batayi thi....
AVANTIKA ne jab RONIT ko bataya ki unke saamne khadi ladki BHUVIKA nahi balki uski judwa behen hai toh RONIT ko yakin nahi hua...
uske baad AVANTIKA ne RONIT ko ANALIA aur BHUVIKA ki puri asliyat batayi jisse sunkar RONIT ka dimag ghum gaya....
aapko yaad hoga doston ki COURIOUS ke logon ko shrap mukt karte hi V.J ki shaktiyan wapas aa gayi thi....
aur jaise hi V.J ki shaktiyan wapas aayin,usse do cheezen pata chali..
ek toh ASMODEUS ka wo shadyantra jiski wajah se uska wajood usse alag hone waala tha aur iske saath saath V.J ko ek aur baat pata chali thi jisse jaankar wo ASMODEUS ke dimag ki taarif karne se khud ko rok nahi paaya tha...
wo baat yahi thi doston.....V.J ko pata chal gaya tha ki BHUVIKA ki asli sagi behen NISHKALIKA nahi balki ANALIA hai...aur apne astitv ko khone se pehle usne is baare me AVANTIKA ko bhi bata diya tha....
ab aapke zehen me sawal uth sakta hai ye kaise ho sakta hai bhala,kahan COURIOUS aur kahan GLUTO....
uske upar BHUVIKA ka janm ANALIA ke janm ke hazaron saal baad hua tha...aur wo bhi ussi maa ki kokh se jis kokh se NISHKALIKA ne janm liya tha....
fir ANALIA aur BHUVIKA ka behen hona kaise sambhav hai..toh doston maine pehle bhi kaha tha ki jis kisse me ASMODEUS aur VIKRAM shaamil hon wahan kuch bhi ho sakta hai..
par isse zyada mai aapko is baare me filhal nahi bata paaunga. aap sab ko is matter ko samajne ke liye,iski haqiqat se roobaraoo hone ke liye abhi thoda intazar karna padega....
precisely kahun toh wait till the CENTURY UPDATE....
khair,ANALIA ab thik thi..par thik hote hi wo aankhon me dar liye RONIT ko dekh rahi thi...
khudke liye ANALIA ki aankhon me dar dekh RONIT ko accha nahi laga..wo jaanta tha ki ANALIA ek simple si ladki hai jisse anjaane me hi sahi,usne taklif pahuncha di thi...
par RONIT abhi ANALIA ko kuch kehna nahi chahta tha..wo chahta tha ki pehle AVANTIKA ANALIA se baat kar uske dar ko door kare...
AVANTIKA- tumhe darne ki zaroorat nahi hai ANALIA,RONIT tumhe kuch nahi karega....
ANALIA- par unhone humara gal kyun dabaya..???kya humne anjaane me unke saath kuch galat kiya hai....agar kiya hai toh kripiya hume maaf kar dijiye....
ANALIA ki bholi bhaali baat sunkar RONIT ka man glani se bhar gaya....
AVANTIKA- tum kyun maafi maang rahi ho ANALIA....?tum toh pehli baar yahan aayi ho naa.pehli baar isse mil rahi ho..fir tum bhala kaise iske saath kuch bura kar sakti ho???
ANALIA- haan wo toh hai..par jab ye hamara gala daba rahe the tab ye itne ghusse me the ki hume laga ki shayad anjaane me humse koi galti ho gayi hai...
AVANTIKA aur RONIT dono hi ANALIA ki saadgi bhari baaton ko sunkar soch me pad gaye...
dono soch rahe the ki kitna fark hai dono behno me...ek ke man me sirf badle ki bhaavna hai wo bhi ek galat kaaran ko lekar...
aur dusre ke man me tyag ki,maafi ki bhaavna hai jabki uski koi galti hi nahi hai...
RONIT- mujhe maaf kardo ANALIA......darasal maine tumhe koi aur samajh kar aisa kiya tha?
ANALIA- aap maafi mat maangiye...hum aapse maafi maangte hain ki hamare chehre ko dekh aap jaise ache insaan ke dil ko taklif pahunchi....
RONIT- abhi kuch de pehle hi maine tumhara gala dabaya tha..fir tum kaise mujhe ek accha insaan keh sakti ho???
ANALIA- kyunki aap inke saath hain....
ANALIA ne AVANTIKA ki taraf ishara kar apni baat kahi...
RONIT- toh???
ANALIA- inki aur humare kashtharta (V.J) ki wajah se hi toh humara grah itne saalon ki tadap se aazad ho paaya hai....
hume bachane ke liye in dono ko swayam BHAGWAN ne chuna tha....aur aap inke saath hain iska arth ye hai ki aap inke mitr hain...
jisse bhagwan ne hamare uddhar ke liye chuna ho,aise manushya ka mitr toh acha hi hoga naa....
AVANTIKA- tumne bilkul thik kaha ANALIA...ye mere mitr hain..par tumhare kashtharta ke ye sabse ghanisht mitr hain....
ye jaankar ki RONIT VIKRAM ka best friend hai ANALIA bohot khush ho gayi....
AVANTIKA-ek baat batao ANALIA,tum yahan kaise?
itne der se AVANTIKA ke dimag me jo sawaal chal raha tha,wo usne ANALIA se pucha???
ANALIA- sabse pehle toh hum aapka dhanyawaad karna chahte hain....hum jaante hain ki aap ne jo humare liye kiya uske badle me maatr ek dhanyawaad kaafi nahi hai,kintu iske alawa humare paas aapo dene ke liye kuch nahi hai....
ye bol ANALIA ne AVANTIKA ke saamne apne haath jod liye....par ANALIA ke aisa karte hi AVANTIKA ne jhat se uska haath pakad wapas neeche kar diya...
AVANTIKA- tumne hi toh abhi kaha tha naa ki tumhe aur tumhare grah ko bachane ke liye hume bhagwan ne chuna tha....
toh fir dhanyawaad kaisa???hum wahi kar rahe the jisse karne ke liye hume bhagwan ne aadesh diya tha....ab ye sab chhodo aur jo maine tumse pucha hai uska jawab do..tum yahan kaise aayi?
ANALIA- wo darasal aap dono ne hamari itni badi madad ki aur fir bina humse mile wapas chale gaye..hume apna aabhar prakat karne ka mouka bhi nahi diya..isiliye aap dono se milkar aapko dhanyawaad karne ke liye hum yahan chale aaye....
ANALIA ki baaton aur un baaton ko kehte waqt uske chehre ko AVANTIKA bade gaur se dekh rahi thi....
usse andaza ho gaya tha ki ANALIA ne adhuri baat batayi hai..baaki ki baat jo ki asal baat hai wo usse chhupa gayi hai....
par AVANTIKA ne is baat ko filhal ke liye taal diya....
AVANTIKA- itni badi prithvi me tumhe ye kaise pata chala ki hum tumhe yahin par milenge?
RONIT- haan,ye toh mai bhi jaanana chahta hun....
ANALIA- wo darasal jis COURIS vriksh par ASMODEUS ne kaala jaadu kiya tha,jiske phal ko khaakar LORD OF ANGELS ne us vriksh ke andar apni safed urja chhodi aur usse wapas pavitr kiya,ussi vriksh ki madad se hum yahan pahunch paaye hain....
AVANTIKA- mai abhi bhi nahi samjhi ki tum kya keh rahi ho?
ANALIA- darasal baat ye hai ki apni jis safed urja se LORD OF ANGELS ne COURIS vriksh ko shraapmukt kiya tha,wahi urja ab COURIS vrikhsh ke andar bhi behti hai....
jo ki asal me LORD OF ANGELS ki urja hai...aur issi wajah se wo vriksh bhi LORD OF ANGELS se jud chuka hai......
shayad ye LORD ne isiliye kiya tha taaki dobara koi chaahe bhi toh hamare grah ke upar koi kaala jaadu na kar paaye aur naa hi kisi anya tarike se dushit kar paaye...
aapke hamare grah se jaane ke kuch der baad tak ussi vriksh ke phal ko khaane se hum sab COURIS waasi LORD OF ANGELS ko mehsoos kar paa rahe the...
hum sabhi unka dhanyawaad karne hetu unse milne aane waale the kintu aisa karna thik nahi hota...
hum apne grah ko jo ki najaane kitne sadiyon ke baad wapas pehle jaisa shraap mukt hua tha,usse chhodna nahi chahte the...
aur waise bhi,jaise humari urja ka shroth COURIS viriksh me phalne waala phal hai,ussi tarah hamare grah ke urja ka shroth bhi hum hain....
hum sab ke ek saath jaane se hamare saath saath hamari urja bhi hamare grah se chali jaati jiska parinaam acha nahi hota....
isiliye sabne ye faisla kiya ki un sab ki taraf se mai yahan aaun aur LORD OF ANGELS se sabki taraf se dhanyawaad kahun...
RONIT- tum hi kyun?
mera matlab tumse bade bhi toh kayi log wahan honge naa????unme se bhi toh koi na koi yahan aa sakta tha naa???
ANALIA-haan aa sakte the..par mai isiliye aayi kyunki mai hi wo thi jisse sapne me dekh LORD ko hamare grah ke kasht ke baare me pata chala tha....
AVANTIKA- sawaal toh ab bhi wahi hai..ki tum yahan pahunchi kaise?
ANALIA-LORD tak pahunchne ka raasta bhi COURIS vriksh ka phal tha....kyunki usse khaate hi hum kuch palon ke liye LORD ki urja se jud jaate the....
aur ussi dauran apni aantarik shakti ki madad se mai us jagah par pahunch sakti thi jis jagah par mujhe LORD ki urja mehsoos hoti thi.....
fir jab maine tay kiya ki aaj mai yana LORD ke paas aaungi aur issi soch ko sach banane hetu jab maine COURIN phal ka sevan kiya....
pata nahi kyun par mujhe LORD OF ANGELS ki urja mehsoos hona band ho gayi....maine jab ye baat sabko batayi toh un sab ne bhi PHAL ka sewan kiya par koi natija nahi nikla...
kisi ko bhi LORD OF ANGELS ki urja mehsoos nahi ho paa rahi thi...ab hum kuch nahi kar sakte the..
hum sab bohot nirash ho gaye the.....
nirasha ke saath saath hume ye dar bhi satane laga tha ki kahin kuch anisht toh nahi ho gaya....par LORD OF ANGELS ko bhala kya taklif ho sakti hai ye sochkar hum khud ko mana lete the.....
aise hi din beetane lage....hum sab har din is ummid ke saath ki aaj LORD ki urja ko hum mehsoos kar paayenge,hum PHAL ka sewan karte par koi faayda nahi hota....
kintu kuch din pashchat hume wapas LORD ki urja mehsoos hone lagi.hum sab behad khush ho gaye kintu ye khushi bhi kuch hi palon ke liye thi..
kaaran....hum LORD ki urja mehsoos toh kar paa rahe the kintu sirf shan bhar ke liye...
aur itna samay kaafi nahi tha.....LORD tak pahunchne ke liye hume unse aur adhik der tak judne ki awashaykta thi...
hum lagatar COURIN PHAL ka sewan karne lage is ummid ke saath ki hume thodi zyada der tak LORD ki urja mehsoos ho taaki hum us urja ke kendr ko khud se jodkar un tak pahunch saken par aisa hua nahi...
kintu aaj itne samay ke baad hume unki urja thodi zyada der ke liye mehoos hui..aur aisa hote hi humne unki urja ko apne aantarik shakti se jod diya....
par pata nahi kaise LORD ke saamne pahunchne ke bajaaye hum is udyaan me pahunch gaye....
(ANALIA jab yahan pahunchi toh ye wahi time tha jab AVANTIKA aur RONIT yahan se gaayab hokar SECRILLA gaye the)
ANALIA-hume laga ki LORD yahi kahin honge par kaafi der tak dhundne ke baad bhi jab hume wo nahi mile toh hume bohot bura laga..
humne apni saari aantarik shakti yahan aane me laga di thi isiliye ab hum yahan se jaa bhi nahi sakte the....isiliye hum yahan is jagah baith kar kaafi der se ro rahe the...
upar waale se prarthana kar rahe the ki hamari madad kare..humari toh saari aas hi toot gayi thi ki itne me humari nazar aap par padh gayi.....
par tabhi ANALIA ko jaise kuch yaad aaya....
ANALIA- par aap yahan kaise????aur LORD OF ANGELS kahan hain????unhe toh pata chal hi gaya hoga ki COURIOUS se koi yahan aaya hai..bhala unse kuch thodi na chhupta hai....
ANALIA ke sawal par pehle toh AVANTIKA aur RONIT ne ek dusre ki taraf dekha...
dono hi soch rahe the ki ANALIA ko sach batayen yaa nahi.....
sach na batane ki dono ke hi paas do do wajah thi...
pehli ye ki V.J ki condition ke baare me jaankar ANALIA ko dukh pahunchta..
aur dusri ye ki V.J ki condition ke baare me sunkar shayad ANALIA ke mann me ye dar baith jaaye ki jab LORD OF ANGELS hi surakshit nahi hain toh fir unke saath dobara kuch galat hona kaun si badi baat hai..
par in dono soch ke upar ek soch aur thi jo in dono sochon par bhaari thi...
aur wo ye ki ANALIA bina apni parwaah ke apne grah se laakhon light years door prithvi par bas V.J se milne usse thanks kehne aayi hai....
bina is baat ke baare me soche ya fikr kiye ki agar V.J yahan usse naa mila toh shayad aisa koi bhi dusra nahi hai jo usse wapas uske grah me pahuncha paaye....
aur isiliye......
AVANTIKA-filhal V.J nahi aaya hai yahan..aur usse is baat ka abhaas tak nahi hai ki tum yahan aayi ho....
AVANTIKA ki baat sunkar ANALIA chownki...
ANALIA- par ye kaise mumkin hai..jis tarah se COURIS vriksh ke maadhyam se hum unse jude hue hain,ussi tarah wo bhi toh VRIKSH ke maadhyam se humse jude hue honge naa..
aakhir unhi ki urja hi toh abhi hum saare COURIOUS waasiyon ke andar beh rahi hai...
AVANTIKA- tum sab ke andar LORD OF ANGELS ki urja beh rahi hai ANALIA,VIKRAM ki nahi....
ANALIA- hum samjhe nahi..dono toh ek hi hain naa...!!!!
AVANTIKA- ab nahi....VIKRAM se uski urja alag ho gayi hai..aur ye ussi waqt hua tha jis din se tum sab ko uski urja mehsoos hona band ho gayi thi...
AVANTIKA ki baat ko sunkar ANALIA ko samajh nahi aaya ki wo kaise react kare..wo thagi si AVANTIKA ko dekh rahi thi ya fir ye kahun ki uski baaton ko samajhne ki koshish kar rahi thi....
ANALIA- hume abhi bhi samajh nahi aa raha ki aap kya keh rahi hain...LORD OF ANGELS se unki pehchaan kaise chhin sakti hai....
fir AVANTIKA ne shuru se ANALIA ko sab kuch bataya....jaise jaise AVANTIKA saari baat batae jaa rahi thi,ANALIA ke aakhon se aansuon ki dhaar si nikalne lagi thi..
khaas kar ke is baat ko jaankar ki VIKRAM ki ye haalat unhi ko bachane ki wajah se hui hai...
ANALIA soch rahi thi ki naa toh VIKRAM COURIOUS aate,aur naahi unse unki pehchan alag hoti...
ANALIA ke aansuon ko dekhkar AVANTIKA bhi ye samajhne lagi thi ki kahin na kahin ANALIA khudko aur apne planet ko VIKRAM ka gunahgaar maan rahi hai....
AVANTIKA- ANALIA,agar tum ye soch rahi ho ki tum aur tumhare grah ke log VIKRAM ki is haalat ke zimmedar hain toh tum galat ho...
ache logon ko buri shaktiyon se bachana,unki bigdi haalat ko sudharna hi VIKRAM ka farz hai...isiliye hi uska janm hua hai...
aur kabhi kabhi apne farz ko nibhate waqt kuch kurbaniyan deni padti hain..ye kurbaniyan bhi us farz ka hi ek bhaag hai...
toh apne aap ko dosh dena band karo..aur fikr mat karo,bohot jald VIKRAM ko unki pehchaan,unka ohda wapas mil jaayega....
AVANTIKA ki baat sunkar ANALIA ko thoda chain aaya par tabhi uske man me ek dusre sawaal ne ghar kar liya....
ANALIA- par kuch samay se hum sab unki urja ko mehsoos kar paa rahe the...aur aaj toh kaafi der tak humne unki urja ko mehsoos kiya isiliye toh hum yahan unse milne aa paaye..
agar unki urja unke paas nahi hai toh fir hum kisse mehsoos kar rahe the...
AVANTIKA- tum VIKRAM ke urja ko hi mehsoos kar rahi thi..par wo urja is waqt VIKRAM ke paas nahi balki mere paas hai....
AVANTIKA ki is baat ko sunkar ANALIA buri tarah chownki....
ANALIA- kya!!!!par ye kaise sambhav hai....
AVANTIKA- sambhav hai ANALIA..kyunki mai V.J ki shakti hun...
iske baad AVANTIKA ne ANALIA ko apna sach bataya aur ye bhi bataya ki V.J ne kis tarah apni urja ko uske hawale kiya tha...
AVANTIKA ki saari baaton ko sun ANALIA kuch der tak ek tak AVANTIKA ko dekhti rahi...
uske man me kuch chal raha tha jis wajah se uske aankhon me kuch tha jo AVANTIKA pehchaan nahi paa rahi thi....par tabhi....
ANALIA AVANTIKA ke aage jhukti chali gayi....
AVANTIKA- arre ye kya kar rahi ho...
ANALIA- chaahe jis bhi roop me ho,par is waqt LORD OF ANGELS ki urja mere saamne hai..mai ussi ko naman kar rahi hun....
AVANTIKA- iski koi zaroorat nahi.....
ye kehkar jaise hi AVANTIKA ne ANALIA ko uthane ke liye uske kandhe ko chhua....
AVANTIKA-OH SHIT........
AVANTIKA ki awaaz kuch tez thi jisse sunkar RONIT bhi chownk gaya...RONIT ko yaad aaya ki kuch der pehle bhi AVANTIKA ne oh shit kaha tha aur uska result ANALIA ke roop me ek bohot bade jhatke ke roop me laga..
aur ek baar firse AVANTIKA ne wahi shabd kahen hai,iska matlab abhi firse ek aur jhatke ki baari hai.....
jahan AVANTIKA ANALIA ko uthane ke baad ek tak usse dekh rahi thi wahin ANALIA bhi AVANTIKA ko dekh rahi thi....
AVANTIKA- ANALIA,sach batao,tum yahan kyun aayi ho????aur agar tumne jhooth kaha toh mai tumhe bina VIKRAM se milaye bina wapas bhej dungi....
is baar AVANTIKA ki awaaz thodi kadak thi.
AVANTIKA ki baat sunkar RONIT chownka par wo chup hi raha..wo jaanta tha ki AVANTIKA bina wajah aise behave nahi karegi...
ANALIA bhi AVANTIKA ki baat aur baat sunkar pehle toh shocked hui par fir uske chehre par dar ke bhaav aa gaye...
AVANTIKA- sach bolne se daro mat.....sach bologi toh mai waada karti hun ki mai kuch nahi kahungi par agar jhooth bola toh mujhse bura koi nahi hoga..
is baar AVANTIKA ki awaaz me aur sakhti thi jisse sunkar ANALIA ka dar aur badh gaya...
par AVANTIKA ke waade ki wajah se usse thoda housla bhi aaya tha aur isiliye.....
ANALIA- HUM VIKRAM SE PREM KARTE HAIN........
AAJ KE LIYE ITNA HI
AAPKA APNA V..J.....