AB TAK AAPNE PADHA KI EK TARAF VIKRAM,AVANTIKA AUR DUSRI TARAF RONIT & FRIENDS APNE PEHLI CHUNOTI KO PAAR KARNE ME KAAMIYAB HO JAATE HAIN
AB AAGE:-
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
MEGA UPDATE-106
PART-3
PLANET-MIRRORS WORLD
ADVENTURE CONTINOUS
ABBE YE TOH WAHI MIRROR HAI NAA JISSE HOKAR HUM IS DUNIYA KE ANDAR AAYE THE......
HAAN,YE WAHI HAI....DEKHO MIRROR KE NICHE BUDDHI MATHAN LIKHA HAI.....
PAR YE YAHAN KYA KAR RAHI HAI.....????
RONIT ne ek sawal se apni baat shuru ki thi jisse SHAILA ne ek naye sawal ke saath aage badha diya....
toh doston hua yun ki jaise hi RONIT aur baaki teeno ne apne apne naam ki aakrutiyon ko chune ke liye haath aage kiya,un roshni numa aakrutiyon ne mere doston ko apne andar kheench liya aur unhe us jagah par laa khada kiya jis jagah par mere dost is waqt khade the....
is waqt jahan mere dost khade the wo jagah hari bhari ghaas ke layer se bani ek bohot badi field thi....
aur us maidan ke jis point par mere dost khade the,unse thodi hi aage ek bada sa MIRROR hawa me latka hua tha...
ye wahi MIRROR tha jisse hokar mere dost is duniya ke andar pahunche the.....
us mirror ko dekh apna apna aashay bata sab apni apni soch me gum the...
wahin mere doston ke gaayab hote hi DHANUR ke aage ek baar firse ek bada sa parda ban gaya jisse wo mere doston ko aur unke aage tange mirror ko dekh paa rahe the..
par is baar DHANUR ko kuch fark lag raha tha..aur wo ye ki pichli baar us parde par wo mere doston ki awaaz bas sun paa rahe the,par is baar unhe mere doston ki awaaz unke kaano me gunjti hui si mehsoos ho rahi thi..
unhe aisa lag raha tha maano mere dost unke paas hi khade hokar baat kar rahe hon..
aur is baat ke dimag me click karte hi DHANUR ko ek khayal aaya..apne khayal ki sachayi parakhne ke liye.....
DHANUR-kya aap sab mujhe sun sakte hain???
ye awaaz jo DHANUR ne MAGICAL DIMENSION me khade hokar kahi thi,wo maidan me khade mere doston ke kaano me gunj uthi.....
jisse sunkar mere dost shocked hokar idhar udhar dekhne lage...
jahan mere dost shocked the wahin DHANUR asli maajra samajh gaye the......
wo samajh gaye the ki chunouti ke is padhav par unhe apne doston ka sutradhaar banana hai aur isiliye is jagah ne unki awaaz mere doston tak pahunchayi hai...
aur iska reason ye tha ki agli chunouti ko shuru karne ke liye jo ki unhe unse kuch door khadi mirror se milne waali thi,mere doston ko ussi process se guzarna padega jisse is duniya me aane waala har vyakti guzarta hai...
aur isiliye......
DHANUR- yahan wahan mat dekho..tumhe kuch nahi dikhega kyunki mai wahan hun hi nahi..mai ussi DIMENSION me hun jahan se tum sab gaayab hue the.....
aur pichle baar ki hi tarah is baar bhi mai tum sab ko dekh sakta hun....
DHANUR ki awaaz aur baaton ko sun mere doston ne idhar udhar dekhna band kar diya........par sawal toh ab bhi unke andar the aur isiliye.....
RONIT- agar aap DIMENSION me hi hain toh fir hume aapki awaaz kaise sunayi de rahi hai!!!!
DHANUR- ye faisla bhi is jagah ka hi hai..ye chahti hai ki tumhari agli chunouti ko shuru karne ke liye mai tum logon ki madad karun....
jo MIRROR tum dekh rahe ho,tum sab us MIRROR ke thik saamne jaakar khade ho jaao.....
DHANUR ki baat sun mere dost on ne waisa hi kiya jaisa karne ko DHANUR ne kaha tha..
sabhi aage badhe aur MIRROR se kuch 10 feet door uske saamne khade ho gaye..
MIRROR ki chaudayi itni zyada thi ki mere chaaron doston ke ek saath khade hone ke baad bhi mirror unse chouda lag raha tha....
MIRROR ke saamne khade hokar mere dost kuch kehne hi waale the ki tabhi....
ARRE YE SAB KYA HAI????ISNE HUME BAANDHA KYUN HAI????
ye baat mere chaaron doston ke mooh se ek saath nikli thi.....aur wo isilye kyunki jaise hi mere dost us MIRROR ek saamne khade hue,tabhi us mirror se chaar roshni se bani hui rassiyan nikli jisne mere doston ko kas kar lapet liya jisse mere dost shocked ho gaye.....
sabhi us bandhan se azaad hone ki koshish karne lage par wo kaamiyab nahi ho paaye...
taakat ke kaam naa aate dekh mere dost SPELL bolne jaa hi rahe the ki....
DHANUR- SPELL bolne ki koshish bhi mat karna...jis jaaduyi rassi se tum sab is waqt bandhe hue ho,wo koi maamuli rassi nahi hai..
jis MIRROR se wo rassi baahar nikli hai,usme ussi MIRROR ko taakat hai jo bohot zyada hai....agar tum sab ne SPELL bola toh un rassiyon me bijli doudne lagegi jiski shakti itni zyada hogi ki tum sab ek shan me hi jal kar raakh ho jaaoge..isiliye shaanti se khade raho....
DHANUR ki baat sun mere saare doston ka hilna dulna band ho gaya aur wo sab shaant khade ho gaye....
MOKALSAR-par is rassi ne hume baandha hi kyun hai???
DHANUR- astra shashtra ki ladhayi toh tumne ladh li aur jeet bhi li,par ab tumhe dimag ki ladhayi ladni hai...
jo MIRROR tumhare saamne hai usse tumhe buddhi bal ki chunouti milne waali hai...
kcuh sawal tumhare saamne rakhkar MIRROR tum sab ki pariksha legi,uske puche gaye sawaalon ke jawab dene ke liye tumhe chunoti degi....
agar tumne uske puche gaye sawalon ke jawab de diye toh thik hai,warna tum ye chunouti haar jaaoge aur us surat me jis rassi se tum sab bandhe hue ho,wo rassi tum sab ki shaktiyon ko sokh kar MIRROR ke hawale kar degi.....
SHAILA- kya hum sabse alag alag sawal puche jayenge????
SHAILA ki baat ka DHANUR kuch jawab dete
ki tabhi......
kadkadkadkad..................
ek tez awaaz mere doston ke saamne moujud MIRROR se hui jisse meri doston ki nazar uski taraf ho gayi aur tabhi.......
ek ki chot se baaki teeno
ko bhi KSHATI HOGI....
ek ka jawab baaki sab
ki bhi NIYATI HOGI....
RONIT-iski maa kaa saaki naaka......toh ye ganit hai....thik hai fir,ab kar bhi kya sakte hain...jawab koi bhi de,usse faayda bhi hum sabhi ka aur nuksaan bhi hum sabhi ka....
chal bhai MIRROR,sawalon ki ulti kar aur jawab de dekar usse saaf karte hain....
MIRROR ki baat sunkar sabhi ek chit hokar chunouti ke roop me milne waale sawalon ko sunanane ke liye saamne MIRROR ki taraf dekhne lage ki tabhi......
MIRROR ke beech waali jagah par ek shabd likhana laga jisse mere charon doston ne ek saath padha.....
CHETAWANI......yahi wo shabd tha jo is waqt MIRROR ke beecho beech likha hua tha...
aur isse pehle ki mere doston me se koi aur kuch kehta,MIRROR ke beech se ek baar firse awaaz gunj uthi....
paanch sawalon ke jawab
hal KARNE HONGE...
har galat jawab par jurmaane
BHARNE HONGE...
har sawal ke jawab ke liye
teen mouke MILENGE....
jo teeno jawab galat nikle
toh aansu chaaron ke NIKLENGE.....
paanch me se kamsekam
teen jawab ko sahi
HONA HOGA....
jo teen galat de diye,
toh zindagi bhar
RONA HOGA......
MIRROR dwara di gayi chetawani mere chaaron doston ke samajh me aa gayi thi....
wo jaan gaye the ki MIRROR unse kul paanch sawal puchegi..har sawal ke jawab ke liye un sab ko kul teen mouke milenge aur agar un teen mouko me bhi unka jawab galat nikla toh unhe iski saza milegi...
mirror dwara unsab se puche gaye 5 me se kul 3 sawal ka sahi jawab unhe dena hoga aur agar wo aisa nahi kar paaye toh wo haar jaayenge jiska sidha sa matlab hai ki unki shaktiyan unse chhin li jaayengi.....
ek ek lambi saans chhodte hue mere doston ne ek dusre ki taraf dekha aur fir saamne MIRROR me dekhte hue ek saath kaha...
SAB- hum taiyar hain......
jaise hi mere doston ne is MIRROR ki chunouti ko swikara,MIRROR me ek baar tez roshni hui aur agle hi pal MIRROR ki awaaz har taraf gunj uthi.....
PEHLA SAWAL-aisa kaun sa sawaal hai jisse tum pure din puch sakte ho aur iska jawab har baar alag alag ho sakta hai par sawal ek hi hoga?????
PERFORMANCE ANXIETY.....yahi wo cheez thi jo is waqt mere dost feel kar rahe the...
MIRROR ke sawal puchne se pehle tak toh sab normal the par jaise hi MIRROR ki awaaz unke kaano me gunji,unke maathe par bechaini ki silwaten tairne lagi....
chunouti se jeet se milne waale inaam se zyada unsab ko haar se milne waali saza ka dar satane laga tha....
aur ye sab us mayavi rope ki wajah se ho raha tha jisne is waqt mere doston ko lapeta hua tha..
wo rope us chaaku ki tarah thi jisse halal hone waale ke gardan par rakha jaata hai...
saare apne apne dar ko hi tatole jaa rahe the ki itne me RONIT ke dimag ne ek jhatka maara..
ye jhatka wo wakeup call tha jiski usse aur mere baaki ke doston ko behad zaroorat thi...
RONIT-doston,is waqt hume apna pura dhyan MIRROR ke sawalon par kendrit karna hoga....
warna hum chunouti se nahi balki khudse hi haar jaayenge....
RONIT ki awaaz aur uski baat sunkar baaki ke teeno jaise hosh me aaye..apne dimag me panap rahe dar ko hata sabhi mirror dwara puche gaye sawal ke baare me sochne lage ki tabhi.....
MIRROR-ek sawal par tum sab itna samay nahi le sakte....agar jawab nahi pata toh haar maan jaao,apni saza bhugto taaki tumhare saamne dusra sawal rakha jaaye???
RONIT- aise kaise haar maan jaaye uncle...????
aapke sawal ka jawab hai WAQT,SAMAY....
waqt kitna hua hai ye hum saara din kitne bhi baar puch sakte hain aur har baar hume alag alag jawab milega par sawal hamesha wahi rahega ki WAQT KITNA HUA HAI????
RONIT ke jawab ko sun SHAILA,AKSHAANT aur MOKALSAR ne pehle uski taraf dekha aur fir saamne MIRROR ki taraf...
wahin RONIT ke jawab dene ke baad kuch seconds ki khamoshi rahi par uske baad.....
MIRROR- SAHI JAWAB......
MIRROR ke mooh se sahi jawab sunkar jahan RONIT ke chehre par smile aa gayi wahin baaki ke teeno ka toh khushi ka thikana hi nahi raha...
agar is waqt wo sab us mayavi rope se bandhe nahi hote toh ab tak RONIT ke upar kood chuke hote...
teeno RONIT ko shabashi de hi rahe the ki ek baar firse har taraf MIRROR ki awaaz gunj uthi....
DUSRA SAWAL-
bina chue sab khaate hain,
khaakar bhi pachtaate hain,
bolo aisi cheez hai kya???
jo kehte hue sab sharmaate hain....
ab ye ek tricky question tha jisse jaise hi MIRROR ne pucha,mere chaaron doston ka dimag alag alag disha me doud utha...
sabhi ke dimag me alag alag jawab aa rahe the par sabhi apne answer ko sawal se match karne me lage hue hain aur tabhi....
MOKALSAR- mujhe lagta hai ki mujhe jawab pata hai...
MOKALSAR ki awaaz sun sabhi uski taraf dekhne lage...
RONIT- sirf lagna nahi chahiye MOKALSAR..kyunki lagne ka matlab hai ki jawab sahi bhi ho sakta hai aur galat bhi..
par hume har jawab dene se pehle us jawab ke liye puri tarah se ashwasth hona chahiye...
SHAILA- par MIRROR ne toh kaha hai naa ki hume har sawal ka jawab dene ke liye teen mouke milenge....
AKSHAANT- haan par teen mouke zyada nahi hote SHAILA...aur mat bhoolo ki agar teeno jawab galat nikle toh kya hoga!!!!!teeno jawab ke galat hote hi MIRROR ke dwara hume saza milegi...
zaroor us saza se naa sirf hume taklif hogi balki uske baad bhi aur ye humare liye achi baat nahi hogi aur khaas kar is chunouti ke waqt jahan hume dimagi kasrat karni padh rahi hai....
RONIT-AKSHAANT sahi hai MOKALSAR,tumhe apne jawab ko lekar thoda sa bhi shak hai toh ek baar aur soch lo aur fir jawab do...
abhi aur koi kuch kehta ki.......
MIRROR- tum sab ko bataya jaa chuka hai ki ek sawal ke liye tumhe itna waqt nahi diya jaa sakta...
ye aakhri chertawani hai..agar aage se tum sab ne sawal ka jawab dene ke bajaaye yun ek dusre se baat me samay vyarth kiya toh us surat me tumhare 3 mouko me se 1 ko kaat diya jaayega jisse tumhe saza milegi....
ab bina samay vyarth kare puche gaye sawal ka jawab do.....
MIRROR ki baat sun mere dost thode tention me aa gaye the kyunki abhi tak wo sab kisi ek natije par nahi pahunche the..
par MOKALSAR ke man me MIRROR ke puche gaye sawal ka jo jawab ubhar raha tha,wo sahi lag raha tha aur isiliye.....
MOKALSAR-jawab hai DHOKA.....
DHOKE ko chua nahi jaa sakta,fir bhi log isse khaate hain,aur khaakar aksar pachtaate hain,par DHOKA khaane ke baad bhi is baare me baat karne se sab sharmaate hain....
MOKALSAR ne jawab toh de diya tha par ab uska dil dhaad dhaad karke baj raha tha...
same haalat baaki sab ki bhi thi....wo sab ye tak bhul gaye the ki agar MOKALSAR ka jawab agar galat bhi hua toh bhi unke paas aur do mouke hain MIRROR ke sawal ka sahi jawab dene ke liye....
sabhi dhadakte dil ke saath MIRROR ki taraf dekhne lage....
wahin RONIT ke pehle jawab ke dene ke baad jis tarah ki shaanti kuch der tak chaayi thi,thik waisi hi shanti is baar bhi apni baahe pasare har taraf faili hui thi aur tabhi.....
MIRROR-SAHI JAWAB.....
MIRROR ke dwara bole gaye ye do shabd mere doston ke registaan ban chuke dilon ke upar paani ki bouchar ki tarah padi...
sabhi ki khushi ka thikana hi nahi raha..sabhi apna apna thumbsup karke MOKALSAR ko sahi jawab dene ke liye congrats kehne lage...
sabhi apni khushi me magn hi the ki tabhi...
MIRROR-TEESRA SAWAL........agar is sawal ka jawab tum sab ne sahi de diya,toh tum chaaron is chunouti ke vijeta ban jaaoge....
MIRROR ki awaaz ek baar firse har taraf gunj uthi jisse sunkar pehle toh jo khushi ki bouchar mere doston ke dilon par ho rahi thi,wo ek jhatke me rook gayi aur wo area ek baar firse nervousness ke registaan me badal gaya..
par jaise hi MIRROR ne apni baat aage badhayi toh sabke chehre par khushi ki chamak aa gayi...
sabhi ke confidence wapas aane lage..ek sawal aur chunouti paar,is khayal ke man me ubharte hi sab romanchit bhi ho uthe aur thode nervous bhi....
sabhi dhadakte dil se ek baar firse MIRROR ke sawal ka intazar karne lage....
TEESRA SAWAL-us chiz ka naam batao,chize aag jala nahi sakti,shashtra usse kaat nahi sakte,paani usse bhigo nahi sakti aur maut usse maar nahi sakti......
SHAILA-hawa.......
SHAILA ne bina ek pal gawaye MIRROR ke dwara puche gaye sawal ka jawab de diya...
SHAILA ko itni jaldi jawab dete sun baake ke teeno ek taraf shocked bhi hue aur saath hi khush bhi...
shocked isiliye kyunki jawab dene me SHAILA ne ek second bhi nahi lagaya tha aur khush isiliye kyunki unhe laga ki ye sawal shayad SHAILA ne pehle bhi kahin suna hoga aur isiliye usne itni jaldi jawab de diya......
sab khushi khushi MIRROR dwara SAHI JAWAB sunanane ke liye betabi se MIRROR ko dekh hi rahe the ki tabhi MIRROR se awaaz gunji.....
MIRROR-GALAT JAWAB.......
ek second se bhi kam samay me chaaron ki kushi dukh aur tention me badal gayi..teeno kabhi MIRROR ki taraf dekhte toh kabhi SHAILA ki taraf...
kehte hai ki kabhi kabhi confidence kab over confidence me badal jaaye,pata hi nahi chalta..thik aisa hi kuch abhi hua..
do sawalon ke back to back jawab dene ke baad SHAILA ka na sirf confidence badha,balki us confidence ne kuch zyada hi aage badhkar over confidence ka roop le liya tha.....
aur ussi cover confidence me aakar bina sawal aur uske jawab ko anylize kiye SHAILA ne jawab de diya tha jiska khamiyaja uske saath saath uske doston ko bhi uthana padha tha...
unke teen moukon me se ek mouka khatm ho chuka tha.....
jahan ek taraf SHAILA apni jaldbaazi aur uske parinaam ki wajah se sir neeche kiye khadi thi wahin mere baaki ke teeno dost kuch der tak toh SHAILA ki taraf ghusse se dekhte rahe par fir un sab ne apna dimag MIRROR ke jawab ki taraf laga diya..
ab bhi unke paas do mouke aur the is sawaal ka jawab dene ke liye isiliye sabhi lag gaye apne apne dimag ke ghode doudane....
aur sabse pehle natije par pahunche MOKALSAR BHAI SAHAB.......
MOKALSAR-kawach.......
MOKALSAR ke jawab ko sun ek baar fisre baaki ke teeno ne uski taraf dekha aur fir MIRROR ki taraf dekhne lage..
vyakul toh sabhi the par sabse zyada dari hui par ummid kiye hui ki jawab sahi ho SHAILA thi...
wo ek tak MIRROR ki taraf dekh rahi thi aur tabhi......
MIRROR-GALAT JAWAB........
jaise hi MIRROR ki awaaz ne MOKALSAR ko fail bataya,MOKALSAR ke saath saath baaki ke teeno ko ek tez jhatka laga aur sabhi ek dusre ki taraf dekhne lage..
wahin MOKALSAR sabhi ki taraf dekh aakhon hi aakhon me sabhi ko sorry bol raha tha..par ab sorry bolne se kya faayda hona tha..jo ho gaya so ho gaya...
ab mere doston ke paas bas ek hi mouka baaki tha....SHAILA aur MOKALSAR ne already galat jawab de diye the isiliye aur ek baar jawab dene ki un dono me bilkul bhi himmat nahi bachi thi..
iska matlab tha ki jo bhi jawab ab saamne aayega,ya toh wo AKSHAANT ki through aayega ya fir RONIT ke through...
dono hi ek dusre ko dekh hi rahe the ki...
MIRROR- agar agle kuch hi palon me tum sab me se kisi ne jawab nahi diya toh tumhara teesra mouka bhi tumse chhin liya jaayega...
MIRROR ki baat sun AKSHAANT jhat se bol pada..
AKSHAANT- mere dimag me abhi tak is sawal ka jawab nahi aaya....
RONIT- mere dimag me bhi kuch khaas idea nahi aaya hai,bas ek guess hai par wo kitna sahi hai iske baare me mai kuch nahi keh sakta....
AKSHAANT-agar humne aur vilamb kiya toh waise bhi humarateesra avum antim kouka humse chiin liya jaayega toh isse acha hai ki jo bhi jawab tumhare mastishk me ubhra hai,wo tum bol do...
AKSHAANT ki baat RONIT ko theek lagi aur isiliye.....
RONIT-BHAAVNA......
yahan RONIT ne jawab diya,wahan baaki ke teeno ek baar firse aankhon me ummid liye MIRROR ki taraf dekhne lage...
aur agle hi pal.........
MIRROR-GALAT JAWAB.........SAHI JAWAB HAI PARCHAYI.........
tum sab is sawal ke apne teeno mouke gawan chuke ho...isiliye saza ke liye taiyar ho jaao....
MIRROR ki baat toh jaise mere doston ne suni hi nahi..un sab ko toh jaise yakin hi nahi ho raha tha ki unke teeno jawab galat the....
bhale hi chaaron ne MIRROR ki awaaz aur uski baat nahi suni ho,par jo MIRROR ne bola tha,wo toh hona hi tha...
MIRROR ki baat khatm hone ke agle hi pal....
AAHHHHHHHHHHHHHHHH.................
AHHHHHHHHHHHHHHHHH.................
AHHHHHHHHHHHHHHHHH.................
AHHHHHHHHHHHHHHHHH.................
chaar dard bhari awaaz fizaon me gunj uthi..ab batane ki zaroorat toh hai nahi ki ye dard bhari cheekhen kiski thi...
par batane waali baat ye thi ki jo dard is waqt mere chaaron doston ko ho raha tha,wo sirf shaaririk dard nahi tha,balki maansik bhi tha....
toh hua yun ki MIRROR ki awaaz ke gunjane ke agle hi pal jis mayavi rope se mere chaaron dost bandhe hue the,wo rope aur tez chamakne lagi..
aur aisa hote hi mere doston ke pure sharir se kuch halki halki kirane kheenchate hue us rope ke andar samane lagi...
ye kirane aur kuch nahi mere doston ki shaktiyan thi jinke kuch kan us rope ne kheench liya tha....
wo shakti jo naa sirf mere doston ke pure sharir me vaas karti thi balki unke aatma tak us shakti se judi hui thi...
itne gehre bandhan se kheenchte hue jab koi aapki shakti ko aapse door kar de toh jo dard mehsoos ho raha hoga,us dard ki bas kalpana maatr ki jaa sakti hai.....
shakti ke kan nikalne ki wajah se mere dost apne ghutno par aa gaye..naa sirf un sab ko aseem dard ki anubhuti ho rahi thi,balki unka dimag unhe thaka hua sa mehsoos ho raha tha...
jaisa ki MIRROR ne kaha tha,dard ki atyadhikta ki wajah se naa chahte hue bji mere doston ke aankhon se aansu chalak pade...
unhe aisa lag raha tha jaise wo sab kuch bhulte jaa rahe hain.....aur kuch chhodiye,is waqt un sabko apna naam tak yaad nahi tha aur aisi haalat ko aur baddtar banane ke liye........
MIRROR- CHOWTHA SAWAL......??????
BACK TO HERO:-
SHWETATA par laal rang
RACHEGA.....
aage tabhi badh paayega jab is
chunouti me zinda BACHEGA.....
Swaans ko roke tu aage BADHEGA....
apni parchayi ke dusre swaroop se
Dekhna hai tu kaise LADHEGA!!!!!?????
WAAH KYA PAHELI HAI????
paheli ko dohrane ke baad jaise hi maine apne kadam aage badhaye....
MAI- oh...toh is shwetata ki baat ho rahi thi...
mai apne dono haath apne waist par rakh saamne se aa rahi chiz ko apni taraf aate hue dekhne laga jo ki aur kuch nahi balki ek badi si leher uthaye mujhe roundne ke irade se meri taraf aa rahi paani thi....
wo paani jo is waqt ek samandar ka roop ikhtiyar kiye hue thi..itna hi nahi mere aas paas ka mahoul aur nazara bhi ab puri tarike se badal chuka tha...
jahan kuch der pehle tak mai ek khuli hui jagah par khada tha wahin ab mai ek sukhe hue samandar ke bhaag me khada tha...
par bohot hi jald wo sukha hua jagah wapas bhare hue samandar me badalne waala tha...
agar mai chahta toh hawa me uth us bhayankar lehar se upar uth sakta tha par maine aisa kuch nahi kiya..
wo paani ka leher ab mere behad kareeb aa chuka tha..aur jaise hi wo paani ka leher mujhe chhune ko hua,maine apne dono pair zamin par dhasa se diye......
aur agle hi pal.......
CHISSSHHHHHHHH..............
ek bohot hi tez awaaz hui..is tez awaaz ka kaaran sirf ye nahi tha ki wo paani ki laher mujhse takrayi thi,balki is awaaz ka reason tha ki leher ke mujhse takrane ke baawjud mai apni jagah se hila tak nahi...
aur issi wajah se leher mujhse takrane ke baad mere dono side se hoti hi cross ho gayi...
par shayad mujhe hila tak naa paana us paani ke maaya ko acha nahi laga..
isiliye us leher ke piche aane waali paani ne bhi bohot bade leher ka roop le liya aur sidhe aakar mujhse takrayi....
par natija wahi nikla..mai halka sa bhi piche nahi hua par is baar ek chiz badal gayi thi...
kyunki ab wo samandar ka sukha area lalalab paani se bhar chuka tha,isiliye mai paani ke kayi feet andar jaa chuka tha....
Ab paani ke neeche toh mujhse koi leher takraane se rahi isiliye mera sharir paani ke satah se upar uthne laga par tabhi........
MAI-LO....SWHETATA PAR LAAL RANG CHADHNE LAGA.......
PAHELI ka pehla bhaag pura ho chuka tha...kaise???to wo aise ki SHWETATA jiska matlab paani tha ab wo paani dheere dheere laal rang me badalne laga tha...
ye laal rang khoon ka nahi tha balki ASMODEUS ki BLACK ENERGY ka tha par us BLACK ENERGY ke laal hone ka reason wo paani tha jiske andar mai is waqt tha,jo ki asal me ASMODEUS ki ANGELS ki shakti se jisse hum WHITE ENERGY ke naam se jaante hain,uske kano se bana tha...
ye dono hi shaktiyan jab tak ASMDOEUS ke andar rehti hain,tab tak ye mix nahi hoti par ab jab is maayajaal me ASMODEUS ne in do shaktiyon ko baahar chhod diya tha toh WHITE ENERGY jo ki ASMODEUS ke sharir ko baahar se gherti hai,usne SHWETH paani ka roop le liya..
par uske andar ki BLACK ENERGY ne jaise hi yahan aane ki wajah se uski sweth energy ko chua,toh usse apni taakat se BLACK karne ki koshish karne lagi par WHITE ENERGY iske liye taiyar nahi thi...
aur koi waqt hota toh ye dono shaktiyan ek dusre se hi ladne lagti par kyunki abhi unka sabse bada dushman mai hun isiliye unhone aapas me ek sandhi kar liya...
natija,dono hi ek dusre se mix hokar ek naye colour me joki LAAL tha,usme convert ho gayi.....
ab tak mai paani ke jis chhor par khada tha,us jagah ko chhod pura paani laal rang me badal chuka tha...
jiski wajah se jis paani ke andar kuch der pehle tak saaf saaf dikh raha tha,ab wahan laal rang ke kuch nahi dikh raha tha...
aur ek baat thi jo ajeeb bhi thi aur khatarnaak bhi...
aur wo ye ki paani ke andar bhi mai har chiz smell kar sakta hun par black aur white energies ke saath milne ki wajah se jo ye laal rang ke paani ke roop me jo naya parivartan mere saamne aaya tha,uski wajah se mai ab kuch bhi smell nahi kar paa raha tha....
aur ye bohot khatarknaak baat thi....is baat ka arth ye tha ki us laal paani me aise kan the ya fir ye kahun ki aise shield the jo mujhe kuch bhi mehsoos karne se rok rahe the aur saath hi mujhe challenge bhi kar rahe the ki mai us laal paani ko smell kar aage jo hone waala hai,usse mehsoos karun...
par aisa karte hi wo laal paani numa shakti mere senses ko kamzor kar sakti thi jisse mujhe aage badhne aur apni chunouti ko paar karne me bohot taklif hoti....
ek baat aur thi ki ab tak har jagah par us laal paani ne apna kabza bana liya tha bas us jagah ko chhodkar jahan is waqt mai khada tha..
iska matlab tha ki wo paani chahti thi ki mai khud aage badhun aur us laal paani ko touch karun....
aur iske siwa ab mere paas koi chaara bhi nahi tha kyunki aisa kare bina naahi mai aage badh sakta tha aur naahi is chunouti ko paar kar sakta tha....
aur iska matlab tha ki paheli ke dusre charan jisme likha hua tha ki "SWAANS ROKE TU AAGE BADHEGA" ke shuru hone ka time aa gaya tha aur isiliye.......
MAI-lets go.....
ek push,ek jhatka aur issike saath mai apni swaans roke aage ki taraf tairte hue badhne laga.....
mujhe saamne kuch dikh nahi raha tha aur naahi hai apni divya drishti ka prayog mujhpar aakraman hone se pehle kar sakta tha....
mere tairne ki speed bohot zyada thi...dikh toh kuch raha nahi tha isiliye maine apni aakhen band rakhi hui thi..
mai soch hi raha tha ki aage kya hone waala hoga ki achanak.......
BOOMM.................
ek tez dhamaka hua..dhamake ke impact se mera sharir jo lagatar tez gati se aage badh raha tha,mujhe halka jhatka laga aur paani ke ulte force ki wajah se mai piche ki taraf fekata chala gaya par jaldi hi maine khudko sambhal liya jisse mera sharir ek jagah par rook gaya...
toh hua ye ki aage badhte hue acahanak mere kaano me paani ke bulbulon ki halki si awaaz ubhri jo ki mere saamne se aayi thi...
us awaaz ke ubharte hi maine apne sharir ko ek jhatke me rok liya aur tabhi mere aage ki jagah par ek tez dhamaka hua...
agar maine khudko aage tairne se roka nahi hota toh us dhamake ki chapet me aa chuka hota....
par phir bhi us dhamake ke impact ke wajah se mera sharir kuch piche ki taraf tairta chala gaya tha....
abhi abhi hue dhamake se ek baat toh clear ho chuki thi ki meri chunouti ka waqt ya fir ye kahun ki paheli ki aakhri bhaag jisme kaha gaya tha ki apni parchayi ke dusre swaroop se
dekhna hai tu kaise LADHEGA!!!!!?????
ke pure hone ka waqt aa gaya hai...
apne aap ko aane waali chunouti ke liye taiyar karte waqt do aur cheezen thi jo mere dimag me chal rahi thi...
pehli ye ki jab mere kaano me us paani ke bulbule ki awaaz gunji,ussi waqt maine apni band ki hui aakhen khol di thi aur jaise hi dhamaka hua toh us dhamake ke impact ki wajah se uske aas paas aur peeche ka paani kuch der ke liye tittar bittar ho gaya tha aur issi douran mujhe paani ke piche ki taraf zameen nazar aayi thi..
wahi zameen jisme mai is chunouti ya fir ye kahun ki paani ke bharne se pehle khada tha....
jisse mai samajh gaya tha ki ye jo maaya hai uska koi daayra nahi hai..aur mai jo lagatar tair raha tha,tab bhi mai us maaya ki wajah se aage badhne ke bajaye ussi jagah par gol gol ghum raha tha...
dusri ye ki jab wo dhamaka hua,toh us dhamake waali jagah se mujhe ek bohot taakatwar energy ka abhaas hua tha...
kuch aisi hi energy jo mujhme thi aur ye koi choti baat nahi thi....aur us energy ko mai ab bhi mai ussi jagah par mehsoos kar sakta tha.....
mai is baare me soch hi raha tha ki tabhi....
ZYADA SOCHO MAT VIKRAM....TUMHARE HAR SAWAL KA JAWAB MERE SAAMNE AATE HI TUMHE MIL JAAYEGA....
ye aawaz ussi dhamake waali jagah se aayi thi jiske mere kaano me gunjte hi mai chownka..
reason...ye awaaz aur kisi ki nahi meri hi thi......mai kuch kehne hi waala tha ki tabhi us dhamake waali jagah par laal rang ke paani ke beech ek kaali aakruti banane lagi aur jaise jaise us aakruti ne roop lena shuru kiya,meri saari shankaye,doubts clear hoti chali gayi.....
kuch hi seconds me mere saamne ki aakruti ne roop le liya tha....
aur jo roop mere saamne tha usse dekhte hi mujhe paheli ka aakhri bhaag ka matlab clear ho gaya kyunki jo roop
mere saamne tha wo aur kisi ka nahi balki mera hi tha.
bas ek fark tha,ek aisa fark jo us paheli ne bataya tha aur jo fark mere astitv ki neev hai...
jahan mai ek ANGEL hun wahi mere saamne khada mera hi roop dhara wo maayavi shaksh ek DEVIL.......
do baatein aur clear ho gayi thi...
pehli....mere is laal paani ko khudke iccha se chute hi is paani ne meri shaktiyon ko khudme copy kar liya aur us shakti ko us maayavi VIKRAM me transfer kar diya jo is waqt mere saamne tha...
aur isiliye hi mujhe us dhamake waali jagah se mere hi jaisi energy ka abhaas ho raha tha.....
ab mai samajh raha tha ki ASMODEUS ne khudki dono energies ke kanon ko kyun azaad chhoda kyunki ASMODEUS jaanta tha ki sirf uski hi energies ke kaano ke andar meri shaktiyon ko copy karne ki shamata hai...
ASMODEUS ye bhi jaanta tha ki real world me meri shaktiyon ko copy karne ke baawjud koi faayda nahi hota kyunki mai apni shaktiyon se bhi zyada shaktishaaali hun kyunki mujhme LORD OF ENGELS ki urja hai jisse mai apni baaki ki shaktiyon ko hara sakta hun isiliye usne is kaam ko anjaam dene ke liye is maaya jaal ko buna...
kyunki wo ye jaanta tha ki is maayajaal me mai apni LORD OF ANGELS ki urja ka istemal nahi kar sakta kyunki mere aisa karte hi uska maaya jaal tut jaayega aur saath hi khatm ho jaayega pura MIRROR WORLD....
aur dusri ye ki is chunouti ko pura karne ke liye.........
.........MUJHE MUJHIKO HARANA HOGA..........
AAJ KE LIYE ITNA HI......
APKA APNA V...J.....