• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE.....( MAGIC + ROMANCE )(Completed)

Mahiirathore

Active Member
675
1,141
138
Fabulous Update bhaiii

Charo dosto ko Shii raste se sakti pana Shii tha

Ese sakti milna sach m katarnakk ho sakta tha sakti ki importance ko bhul jate

Aakir mehnat se mila huaa prize anmol hota h

Shadow world ki yatra suru ho gyii h

Aodomos ki jail m pahuch to gye h abhii Aodomos ka war aana Bakii h
Aodomos ki jail se saste m chutna namumkin h

Anjali jinda h
Wa mere jadugar khush kar diya sabko
Aaj ka Update highlight kar diya iss khabar se

Early waiting for next Update
 

23n24

Member
433
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI RONIT,SHAILA,AKSHAANT AUR MOKALSAR APNE APNE SHAKTIYON KO NIYANTRIT KARNA SIKHNE KE LIYE YELUPTUS PAHUNCHTE HAIN
AB AAGE:-





FINAL CHAPTER






(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)





MEGA UPDATE-110





FINAL ADVENTURE



PART-1






PLANET-YELUPTUS





PLACE-STORMY DESERT






YAAR ,MERE ANDAR FIRSE VIBRATIONS SHURU HO GAYE HAIN.....

MERE BHI....

MERE BHI....

MERE BHI....



RONIT ke baad same baat baaki teeno ne bhi repeat ki....



mere AVANTIKA ko lekar gaayab hote hi mere chaaron doston ke andar ek jagah rooki hui un sab ki shaktiyan ek baar firse aage badh gayi...

dheere dheere wo shaktiyan mere doston ke pure sharir me failne lagi jis wajah se un sab ke body me pehle vibrations hone lagi aur fir dheere dheere un chaaron ka sharir bhaari hone laga.....

jiska matlab tha ki unka sharir unke shatkiyon ke wazan ko sambhal nahi paa rah hai.....



RONIT-ye dekho,is jagah ki WHITE ENERGY bhi baahar aane lagi hai....hume jaldi se dhyan mudra me baithna hoga aur jaisa V.J ne kaha hai,apni shaktiyon ko apne dimag se jodna hoga,warna hamari shaktiyan hamari hi band baja dengi....

RONIT ki baat par sabhi ne sehmati jatayi aur agle hi pal mere chaaron dost jahan khade the,wahin dhyan mudra me baith gaye....

sabne ek saath apni apni aakhen band kar li aur apni apni shaktiyon ko mehoos karne me lag gaye.....

waise toh dhyaan lagana mere chaaron doston ke liye hi koi badi baat nahi thi..chaaron dhyan lagane ki kala me nipun the par aaj baat kuch aur thi...

aaj unke andar aseemit asthir shatiyan thi jinme lagatar hulhul ho rahi thi....aur issi bhayanak hulchul ke beech un chaaron ko apne apne chit ko shaant kar apni unhi ashtir shaktiyon ko unke gantavya matlab apne mastishk tak pahunchana tha....

aur ye koi saral kaarya nahi tha..par jin chunoutiyon se hote hue mere dost aaj is mukaam par pahunche hain,uske baad kathin se kathin kaam karne me bhi unhe maza aane laga tha.....

chaaron apne chit ko ekaagra karne ki puri koshish karte hue apni apni shaktiyon ko mehsoos karne me lage hue the....

is waqt mere doston ko unke saare sharir me tez chamakti hui urja dikh rahi thi...wo ussi tez urja ke beech usme nahate hue aage badh rahe the..

unka kaam ye tha ki yunhi dhyan mudra me rehte hue wo sab us urja roopi raaste se guzarte hue apne mastishk apne dimag tak pahunche aur fir apne apne dimag ko us urja ropi shakti ka sparsh karaye..

unke aisa karte hi unka mastishk un saari shaktiyon ko sokh leta jisse unki shaktiyan unke control me aa jaati.....

par ye safar kaafi lamba tha....dhyan me baithe mere chaaron dost bohot tezi se apne andar ki urja ke raaste se hote hue aage badh rahe the par fir bhi is raaste ka unhe koi anth nahi dikh raha tha....

uske upar wo urja roopi raasta mere doston ki raftaar ko dheere karne me laga hua tha....mere doston ko aisa lag raha tha jaise wo urja unhe kheench kar rokne ka prayas kar rahi hai..

par fir bhi jaise taise mere dost aage badh rahe the.....

ye sab toh mere doston ke andar chal raha tha..chaliye dekhte hain ki bhaahar ka drishya kaisa hai???



arre ye kya??????is waqt mere doston ka sharir us jagah par nahi hai jahan dhyan me baithne par tha...infact,is waqt mere doston ka sharir zamin me hi nahi tha,balki upar hawa me utha hua tha aur dheere dheere aur upar uthata jaa raha tha.....

ye sab mere doston ke sharir me behti urja ki wajah se ho raha tha....mere doston ke dhyan me baitnhe ki wajah se ab wo shaktiyan wo urja mere doston ke andar bhaar paida nahi kar paa rahi thi isiliye ab un shaktiyon ne mere doston ke sharir ko hawa me utha diya tha......

wahin in saare parivartano se anjaan mere dost apne apne chith ki aur badhe jaa rahe the..par ab unki raftaar kaafi kam ho chuki thi....

unke andar ki shaktiyon ne unhe naa sirf mere doston ko slow kar diya tha,balki ab wo shaktiyan mere doston ko ek jagah par rukne par majboor kar rahi thi...

aur thodi der baad ye bhi ho gaya...kuch aur der tak sangharsh karne ke baad mere doston ki aantarik shakti ne jawab de diya aur natija,unki aantarik shakti ek jagah aakar rook gayi aur tabhi.......



AHHHH......

AHHHH......

AHHHH......

AHHHH......



ye chaar dard bhari karah mere chaaron doston ke mooh se nikli aur issi ke saath unki aankhen khul gayi......

par agle hi pal........



arre ye......

arre ye......

arre ye......

arre ye......



ye aadhi adhuri baat mere doston ke mooh se nikli aur reason......



jaisa ki maine bataya tha ki mere doston ka sharir hawa me utha hua tha aur har lamhe dheere dheere lagatar aur upar uthatha chala jaa raha tha,toh is waqt mere dost zameen se kaafi upar tak uth chuke the aur jaise hi un chaaron ka dhyan bhang hua aur un sab ki aankhen khuli,toh agle hi pal un sab ka sharir yunhi baithe baithe hi niche zameen ki taraf tezi se girne laga...

khudko yun hawa me itne upar utha hua dekh sabhi chownke aur un sabke mooh se ARRE YE ki adhuri baat nikli jo puri isiliye nahi ho paayi kyunki unke aage kuch kehne se pehle hi unka sharir wapas zameen ki taraf girne laga....

khudko neeche girne se rokne ke liye mere doston ne ek ke baad ek kuch SPELLS bole par koi faayda nahi hua..

unhe aisa lag raha tha maano unhiki unstable shaktiyan unhe neeche dhakel rahi hai aur issi wajah se unke SPELLS kaam nahi kar rahe....

koi upaay,koi SPELL ke kaam naa karte dekh jo hoga dekha jaayega ke tark par chaaron ne apni apni aakhen band kar lin aur zameen se hone waale impact ke liye khudko taiyar karne lage....

par tabhi..........



ARRE YE KYA??????



baat SHAILA ne kahi thi par same question aur reaction sabhi ka tha.....

reason.....tezi se neeche girta mere doston ka sharir jisse zamin par zor se girna chahiye tha,wo zamin se 1 feet upar upar hawa me rook gaya ya ye kahun rok diya gaya....

issi baat ka shock mere doston ko laga tha par jaise hi un sab ki nazar neeche gayi toh naa sirf un sabka shock door ho gaya balki chaaron ke chehre par muskaan bhi aa gayi...



reason...is waqt un sabke neeche hawa me utha hua ek mote se gaddhe ka roop liye WHITE ENERGY ka layer tha....

aur issi gaddhe numa WHITE ENERGY ke layer ne hi mere doston ko hold kiya hua tha..

neeche ke WHITE ENERGY ko dekhte hi mere dost samajh gaye ki ye WHITE ENERGY ka layer YELUPTUS ki hi den hai aur issi ne unhe unki asthir shakiyon ke maaya se bachaya hai....

wahin mere doston ko hold karte hi YELUPTUS ki WHITE ENERGY ne dheere se un chaaron ko wapas zamin par rakh diya..

zamin par rakh wo WHITE ENERGY wapas zamin ke andar chali gayi..

khud ko safe dekh mere dost kuch kehne hi waale the ki tabhi.......



jaise hi YELUPTUS ki WHITE ENERGY zameen ke andar gayi,waise hi mere doson ke sharir ek baar firse vibrate hone shuru ho gaye...

mere dost samajh gaye the ki jab tak wo unki shaktiyon ko control nahi kar lete,unhe ek second ka bhi break nahi milega....

aur isiliye agle hi pal mere chaaron dost wapas dhyan me baith chuke the.....











PLANET-ISLA





PLACE-FLOATING MOUNTAIN






ARRE YE TOH WAHI JAGAH HAI NAA JAHAN HUM COURIOUS JAANE SE PEHLE AAYE THE....(UPDATE-89)



hum gayab hokar jahan pahunche the,us jagah ko dekhkar AVANTIKA ne shock par saath hi khush hokar apni baat kahi....

MAI- hmm.....



is waqt hum ISLA ke sabse khubsoorat jagah FLOATING mountain ke edge par khade the....

FLOATING MOUNTAIN matlab aisa mountain jo hawa me tair raha ho....

saamne ka nazara bhi adhbhudh ..hamare pairon ke neeche se hi kuch chowdi jagah khuli hui thi jiske akhri chhor se jharna beh raha tha...saamne hamare pahad ki hi tarah kayi pahad hawa me tair rahe the....

last time ki hi tarah aaj bhi yahan hawa me halki halki thandak thi jo mousam ko behad khushnuma bana rahi thi....

yahan aakar AVANTIKA behad khush ho gayi thi...wo apne haseen muskurate chehre ko liye idhar udhar dekh rahi thi wahin mere liye toh sabse haseen nazara khud AVANTIKA hi thi...

mai ussi ke khile hue chehre ko dekhne me khoya hua tha....

kuch der tak idhar udhar dekhne ke baad jab AVANTIKA ki nazar mujhpar padi toh usne muhe khudko dekhte hue paaya....

usne aakhon se hi mere yun ek tak usse dekhne ki wajah puchi par mai usse bas niharta hi raha....

mujhe jawab naa deta dekh AVANTIKA ke lab sawal puchne ke liye khulne ko hue hi the ki tabhi......



hamare saamne hawa me ek roshni ubhri aur us roshni ke beech se DEFENDER bahar aaye aur prakat hote hi wo hum dono ke aage jhuk gaye....



MAI- khade ho jaaiye....



mere bolte hi DEFENDER khade ho gaye....

is waqt hume apne saamne ya fir ye kahun ki hume ISLA me dekh DEFENDER ke chehre par khushi saaf dikh rahi thi....



DEFENDER-LORD,aap yun achanak yahan....!!!agar aapne mujhe pehle se apne aagman ke baare me suchit kiya hota toh mai pure ISLA ko aapke swagat hetu saja deta....

MAI- isiliye hi nahi bataya....waise toh aapko ISLA ko sajane ke liye pal bhar bhi nahi lagega par iski koi zaroorat nahi hai...

mai yahan kisi se bhi bhet karne hetu nahi aaya..pichli baar jab mai yahan aaya tha tab mujhe ye jagah bohot pasand aayi thi aur isiliye mai yahan AVNI ke saath kuch pal akele me bitane aaya tha....

DEFENDER- shama karen LORD.maine aapke ekant samay me hastakshep kiya....

MAI- aapko shama maange ki koi awashayakta nahi hai DEFENDER...hum dono ko yahan dekhkar aapko jo khushi hui usse mehsoos karkar mujhe bohot acha laga....

DEFENDER- aap bhale hi apni pehchaan apna ohda bhul jaaye ya khudko kam aanke kintu isse satyata toh nahi badal jaayegi LORD....

aap PARMESHWAR PUTR hain..is grah me toh kya aap is samast bramhaand me sabse khaas hain aur aise khaas vyaktitv ke swami ko apne saamne dekh mai hi kya har koi khush hoga....



maine DEFENDER ki baat par kuch nahi kaha bas halka sa muskura diya....



DEFENDER- aap dono ke ekant samay me maine pehle hi kaafi der tak hastakshep kar liya hai LORD,ab mujhe ijazat den...



maine is baar bhi kuch nahi kaha bas apne sir ko halki si jumbish di...mere aisa karte hi DEFENDER ek baar firse ek baar mere aur AVANTIKA ke aage jhuke aur ussi position me wo gaayab ho gaye.....

DEFENDER ke gaayab hote hi maine ek lambi saans chhodi aur ek khedpurn ek shikayat se bhari muskaan ke saath.....



MAI-PARMESHWAR PUTR......



khudko aisa bolte waqt mujhe koi khaas khushi mehsoos nahi hui thi aur is baat ko AVANTIKA ne bhi note kiya tha...

aur is baar jab maine apni gardan ghumayi toh AVANTIKA ko mujhe ektak dekhta paaya...

par AVANTIKA ki tarah maine usse koi sawal nahi kiya,mai bhi usse ussiki tarah dekhne laga....

kuch der tak ek dusre ko dekhte rehne ke baad......



AVANTIKA-hum toh aap hi ke hain janab...wo bhi hamesha ke liye....booking bhi confirmed hai...ek dusre ki aankhon me khoye rehne ke liye saari umr padi hai...

par filhal agar aapki ijazat ho toh toh kya mai kuch puch kar sakti hun????



AVANTIKA ki baat sun mai has diya aur....


MAI-pucho???

AVANTIKA- pucho???jaise janab ko pata nahi hai ki mai kya puchne waali hun???

khair.agar aap humare mooh se hi hamare sawal sunana chahte hain toh yahi sahi....

PARMESHWAR PUTR.....itna bada darja mila hai tumhe fir bhi tum is ohde ,is pehchan se khush kyun hai ho???

MAI-kabhi kabhi sab kuch paa lena adhurepan ko janm deta hai...jis ohde ki tum baat kar rahi ho,wo mujhe ussi adhurepan ki taraf dhakelta hai....

mujhe meri pehchaan milne ke baad jitni bhi negetive chizen hui hain aur ab bhi ho rahi hain,usse dekhkar,mehsoos karkar lagta hai ki mai is pehchaan ke bina hi thik tha....

is pehchaan,is ohde ka bojh bohot zyada hai jisse uthane me kabhi kabhi bohot taklif hoti hai....

AVANTIKA- itne bade samman ko paane ka,itne unche ohde ke milne ka jo tumme zara sa bhi lalach nahi hai naa,issi wajah se hi ye samman,ye ohda tumhe mila hai...

MAI- kyunki maine ye kaha ki mujhe ye ohda nahi chahiye,isiliye tum is natije par pahunchi ho??

ye bhi toh ho sakta hai ki deep inside mujhe is taakat ka nasha chadha hua ho!!!!

AVANTIKA-acha mere ek sawal ka sahi sahi jawab doge???but no lies haan,just an honest answer....



maine kuch kaha nahi bas apni palkon ko ek baar niche kar AVANTIKA ko haan kaha....




AVANTIKA- agar ek taraf meri jaan khatre me ho,aur dusri taraf saikdon log mout ke kagaar par khade hon,aur tum sirf ek side ko hi bacha sakte ho
,toh kisse bachaoge???

mujhe ya fir dusre side ke logon ko....????



AVANTIKA ne jo sawal pucha tha,uske baare me mai pehle se jaanta tha,par phir bhi uske sawal ko sunkar ke pal ke liye mai andar se bechain sa ho gaya.....


AVANTIKA-mujhe ek honest answer chahiye..



maine ek lambi saans chhodi aur....



MAI- mai dusri taraf ke logon ko bachaunga...



mera jawab sun AVANTIKA ko zara bhi bura nahi laga,ulta uska chehra khil utha....



AVANTIKA- kya mai iski wajah jaan sakti hun???

MAI- bhale hi tum mere liye sabse khaas ho par ek ki jaan ka souda saikdon se nahi kiya jaa sakta....

sirf tumko bachakar khudko aur tumhare chand gharwaalon ko khush rakhne ke liye mai un saikdon ki bali dekar unke hazaron ki ginti ke gharwalon ko taklif nahi de sakta....



mere jawab ko sun AVANTIKA ke chehre par garv ke bhaav ubhre aur....



AVANTIKA- isiliye hi tum LORD OF ANGELS ho....tumhare faisla lene ki shakti insaani jasbaaton se ghire hone ke baawajud daivik hai...

kyunki sirf ek tumhi ho,jo khudke swarth ko side rakh is universe ki bhalayi ke liye niswaarth bhaav se faisle lete ho...

tumhara koi bhi faisla rishton ki dor me bandha nahi hota...aise faisle jisse personally tumhe bohot taklif hoti hai,par fir bhi tum wahi karte ho jo sahi hota hai...

ab aise vyaktitv ke maalik ko shaktiyon ka bhandar soumpna galat nahi ho sakta....



AVANTIKA ki baat sun mai halka sa muskura diya....



AVANTIKA- ab mera dusra sawal...!!!!mai kal se hi tumhare aankhon me halki si bechaini dekh rahi hun....aisa kyun???

MAI- mai soch hi raha tha ki abhi tak tumne mujhse is baare me kaise nahi pucha????

AVANTIKA- ab toh puch liya naa...ab batao bhi....

MAI-SHADOW WORLD.....jahan hume jaana hai...dimag baar baar wahin jaakar atak raha hai....

AVANTIKA- par kyun???

MAI-SHADOW WORLD ki halki halki jhalkiyan toh mere dimag me pehle se thi par ASMODEUS se gale lagte hi mujhe SHADOW WORLD ke baare me puri tarah se pata chala hai...

AVANTIKA- par tumne hi toh kaha tha ki tumne ASMODEUS ke gale lagte waqt uski urja ko khudme kheencha tha aur ussi douran tumhe SHADOW WORLD ka pura knowledge hua!!!!

MAI- aur tumne bhi toh kaha tha ki ye ASMODEUS ki chaal bhi toh ho sakti hai...

bas wahi soch raha hun ki agar ye sab meri ASMODEUS ki urja ko kheenchne ki wajah se hua hai toh koi baat nahi par agar ye ASMODEUS ki koi chaal hogi toh hum sab mushkil me pad sakte hain....

AVANTIKA- toh,SHADOW WORLD jaane ka idea cancel karen????!!!!!!

MAI- tum jaanti ho ki mai aisa nahi kar sakta.....haan,par ye ho sakta hai ki tum sab mere saath mat jaao....mai akela hi...

AVANTIKA- aisa sochna bhi mat....



mai aage kuch kehta usse pehle hi AVANTIKA ne meri baat kaat apni baat kahi....




AVANTIKA-ye baat kabhi mat bhulna ki tumse hi mai hun..tumhare bina mera koi astitv hi nahi hai....

agar koi chaal hai bhi toh hum dono uska mukabala milkal karenge...aur ye mat bhoolo ki ab tumhare dost bhi normal human nahi rahe...

ab unme bhi ANGELS ki power hai....aur isse behtar mouka nahi mil sakta un sabko apni shaktiyon ko test karne ka....

MAI- haan wo bhi hai par ye mat bhoolo ki filhal abhi wo chaaron apni apni shaktiyon ko control nahi kar paaye hain..

aur abhi jo ho raha hai uske hisaab se apni shaktiyon ko apne adhin karne ke liye unhe thode aur paapad belne honge....

AVANTIKA- matlab!!!!abhi kya ho raha hai???



maine kuch kaha nahi bas apna haath aage ki taraf kar diya..mere aisa karte hi hum dono ke saamne hawa me ek picture chalne lagi jisse dekh....



AVANTIKA- arre,ye chaaron hawa me kyun uthe hue hain????



saamne chal rahe drishya ko dekh AVANTIKA ne apna reaction diya....



reason....darasal hamare saamne abhi wahi scene chal raha tha jisme mere chaaron dost dhyan ki mudra me the aur unke sharir hawa me uthe hue the....

abhi mai kuch kehta usse pehle hi....



AVANTIKA- arre ye sab gir kaise rahe hain...????



ab saamne chal rahi picture me wahi scene chal raha tha jab mere doston ki antarik shaktiyon ko unke andar ki uncontrolled shaktiyon ne ek jagah rok diya tha...

aur aisa hote hi mere doston ko ek jhatka laga jis wajah se wo chaaron dhyaan se baahar aa gaye aur agle hi pal un sab ke sharir jo ki hawa me kaafi upar uth gaye the,wo neeche girne lage...

AVANTIKA ye sab shocked hokar dekh hi rahi thi ki tabhi usse ek naya shock laga....

aur is shock ka reason wo WHITE ENERGY thi jinhone mere doston ke bodies ko khud ke upar lekar unhe girne se rok diya tha....

AVANTIKA aankhon me sawal liye mujhe dekhne lagi...fir maine bhi usse wahan jo bhi ho raha hai aur jis wajah se ho raha hai uske baare me bataya..

maine usse YEPLUPUS me basi WHITE ENERGY ka raaz bhi bataya....

AVANTIKA ye jaankar shocked ho gayi ki SHADOW WORLD me fase logon ki bodies YELUPTUS ke zameen ke andar rakhi hui hai...



MAI- ek aur baat batani hai tumhe...

aur iske baad jo baat maine AVANTIKA ko kuch bataya jisse sunte hi......




AVANTIKA-WHATTTTT???????????SACH ME????????



jo baat maine AVANTIKA ko batayi thi,usse sunkar AVANTIKA ko ab tak ka sabse bada shock laga....

wo aakhon me hairani ke samandar ko liye mujhe dekhti rahi....maine bhi kuch nahi kaha bas usse dekhta raha..kuch der tak mujhe yunhi dekhte rehne ke baad....



AVANTIKA- toh ab???

MAI- ab kya??jaise hi ye chaaron apni apni shaktiyon ko control me le aayenge,hum SHADOW WORLD ke liye nikal jaayenge...



fir mere aur AVANTIKA ke beech koi baat nahi hui...hamare saamne hawa me YELUPTUS ka drishya jisme mere chaaron dost dhyan ki mudra me dobara baith chuke the,wo ab bhi chaalu tha..

AVANTIKA ne mere kandhe par apna sir rakh diya aur hum dono humare doston ko dekhne lage....





BACK TO FRIENDS:-




ADHBHUDH.......



ye shabd mere charon doston ke dimag me ek saath gunje the....

aur reason......dobara dhyan me baithne ke baad mere chaaron doston ki aantarik shakti ne firse apni yaatra shuru ki...

safed roshniyan jo ki asal me mere doston ke sharir me beh rahi WHITE ENERGY thi,uske beech se hoti hui unki aantarik shakti tez raftaar pakde aage badhne lagi...

par ek baar firse unki unstable shaktiyon ne unki aantarik shakti ke raaste me roda atkana shuru kar diya...

tez raftar se doud rahi mere doston ki aantarik shakti ki punah raftaar dheeme padne lagi....

par is baar mere dost aur unki aantarik shakti is rukawat ke liye taiyar the....

mere doston ka dhyan,unka chit puri tarah sthir tha aur issi wajah se unki aantarik shakti ke marg me baadha aane par bhi wo nirantar aage badhti rahi....

kuch samay tak lagatar rukawat aane ke baad achanak.........



nazara badal gaya...jahan abhi tak mere doston ki antarik shakti ke har taraf safed roshni chaayi hui thi,ab us roshni ka rang aur roop dono badalne lage....

dekhte hi dekhte wo safed roshni pehle hare rang me badalne lagi aur fir kuch der ke baad us hare rang ne ek bohot hi khubsoorat jungle ka roop le liya...

ek aisa khubsoorat jungle jiski bas kalpana maatr hi ki jaa sakti hai....har taraf aise aise manmohak ped the jinka vastavikta me hona lagbhag naamumik tha....

un pedon ke ird gird chote chote lake bane hue the jinke satah par shweth badal tair se rahe the....

par tabhi mere doston ki aantarik drishti ne kuch aisa dekha jisse usse ek jhatka dekha...

darasal hua ye ki jaise hi mere doston ki aantarik drishti ko ye ehsaas hua ki abhi wo ek jungle me hai,toh agle hi pal us jungle ka pura drishya usse saaf saaf dikhne laga jisse dekh usse jhatka laga...


reason.....us jungle ke har kone me lagbhag saare jaanwar aur pakshiyan moujud the...par shock ki baat ye thi ki har jaanwar apne jhund ke saath naa hokar dusre prajati ke jaanwaron ke saath khel raha tha...

aur wo bhi aisi prajati ke saath jinke saath vastavikta me hona un jaanwaron aur pakshiyon ke liye asambhav tha....

jahan sher hiran ke saath khel raha tha,wahin nevla saanp ke saath baitha hua tha....kutte aur billiyan ek saath udham maccha rahe the wahin baaki ki pakshiyan dusre carnivourous jaanwaron ke upar baithi hui thi.....



aur isiliye mere chaaron doston ke mooh se ek saath ADHBHUDH shabd uccharit hua...

par tabhi mer doston ki aantarik shaktiyon ko ek dusra jhatka laga...aur wo isiliye kyunki ADHBHUDH shabd chaaron ke aantarik shaktiyon ke dwara ek saath uchharit hua tha jisse chaaron ne suna tha...

aur wo isiliye kyunki jungle me chaaron ki aantarik shaktiyan ek saath pahunchi thi aur is waqt wo chaaron shaktiyan ek dusre ke aaju baaju me hi khadi thi....

ek dusre ki shaktiyon ko apne aas paas mehsoos kar chaaron khush ho gaye....

is adhbhudh nazaare ko dekhte hue mere doston ki aantarik shakti dheere dheere hi sahi par aage badhti rahi aur kuch door tak aage chalne ke pashchat ek baar firse nazara badalne laga.......

is waqt mere doston ki aantarik shakti us jungle ke sarhad par pahunch chuki thi..

aur sarhad ke us paar ek safed dhuen ka bada sa chaadar har taraf faila hua tha...

jaise jaise mere doston ki aantarik shakti us safed dhuen ki chaadar ke paas pahunchne lagi,waise waise us aantarik shakti ko us safed dhuen ki chaadar ne har taraf se sametna shuru kar diya aur dekhte hi dekhte kuch hi palon me mere doston ki aantarik shakti us safed dhuen me puri tarah se dhak gayi thi aur tabhi.......

jaise hi mere doston ki aantarik shakti thodi aur aage gayi toh wo safed dhuan dheere dheere chatne laga aur kuch hi palon baad jab wo dhuan saaf hua ,toh jo nazara mere doston ki aantarik shakti ke saamne tha,usse dekh mere doston ki aantraik ke saath saath unke chehre par jo ki filhal dhyan mudra me tha,uspar bhi vismay ke bhaav aane lage...



reason...is waqt mere doston ki aantarik drishti ke saamne ek lambi si safed pool thi jo chakam rahi thi...

aur us pool ke dusre chhor par ek bohot hi bada saa sweth rang ka gate tha...mere doston ki aantarik shakti us pool se hote hue aage badhne lage..

aur kuch pal baad jab mere doston ki aantarik shakti us pool ke dusre chhor par pahunchi,toh usse ek naya jhatka laga....



reason....pool ke dusre side par jo gate tha,us gate ke dono ends par do paheredaar khade the unhe dekhkar aankatarik shakti ko shock laga....

aur iski wajah ye thi ki jo do paheredaar us gate se lag kar khade hue the,unhe ya fir ye kahun ki un jaiso ko mere doston ne pehle bhi dekha tha par sirf mere piche khade hue...

un dono ko shock ke saath dekhte hue mere chaaron doston ke aanatrik shaktiyon ne ek baar firse saath me uccharit kiya.....



ANGELS......



ji haan doston,is waqt mere doston ke saamne jo do paheredaar khade the,wo aur koi nahi ANGELS the jo muskurate hue mere doston ko dekh rahe the...

aur tabhi......



un dono ANGELS ne us bade se gate ko khola aur gate ke khulte hi jo nazara mere doston ki aantarik drishti ke saamne aaya,usse dekhkar unhe ek saath do do anubhuti hui..



pehli...vismay ki....saamne ka nazara tha hi itna khubsoorat....



aur dusri....sukoon ki.....saamne ke nazare ko dekhkar mere doston ke antarik drishti se hote hue unki aantarik shakti ko ek aisi shanti ki anubhuti hui jaisa usne pehle kabhi feel nahi kiya tha....



vismay aur sukoon ke mile jule swaroop ko khud me lapete chaaron ki aantarik shakti us gate ke andar ki taraf badh gayi...

wo do ANGELS jinhone us gate ko khola tha,wo bhi un chaaron ke peeche ho liye...

wahin chaaron ki aantarik drishti har taraf ke nazare ko dekh,usse mehsoos kar lagatar tript hote jaa rahi thi....

wo nazara tha hi aisa.....



chaaron taraf anant lambai aur choudayi ke beech halke sweth rang ko odhe chote chote par anginat khubsurat mehel bane hue the...
us jagah se thodi hi upar chote chote taare timtima rahe the jo us mahoul ko aur bhi khubsoorat bana rahe the.....

aakash ke har kone me bohot se ANGELS ek dusre se baatein karte ud rahe the....

jis path par wo chaaron chal rahe the,uske dono sides me thodi door safed chaadar ko odhe ek moti dhaar ke saath jharne beh rahe the...

un jharno ka gantavya,unka ground touching point dikh toh nahi raha tha par un jharno ki wajah se wahan ke mahoul me halki halki thand thi jo us jagah ko aur bhi khushnuma mana rahi thi....

mere doston ki aantarik shakti in manmohak nazaron ka anand uthate hue aage badh rahe the ki tabhi.....



JAGAH PASAND AAYI......



ek roubdaar awaaz mere doston ke kaano me padi jisse sun wo sab apni tantra se na sirf baahar aaye balki chownk bhi gaye....



reason.....ye awaaz unke saamne se aayi thi...chaaron taraf drishti ghumate hue nazaron ka anand uthane ke chakkar me mere doston ki aanatrik shakti ki drishti saamne dekhna bhool gayi thi...

aur jab awaaz sun chaaron ne apne aage dekha toh khudko ek bade se open mehel ke darbaar me paaya....

par un sab ke chownke ki asli wajah ye sab nahi tha balki wo awaaz thi jo unke kaano me gunji thi...

ye awaaz us darbaar ke beech me bani raajgadhi ki taraf se aayi thi jiske peeche koi peeth karke khada hua tha.....

aur jaise hi wo banda ghumte hue saamne ki taraf aaya,toh mere doston ko ek aur jhatka laga aur un sab ke mooh se ek saath nikla....



CHAARON-VIKRAM.............



ji haan doston,raajgadhi ke saamne khada banda aur koi nahi mai hi tha....aur is waqt mai apni ANGELS LORD ke bhesh me tha....

apne doston ki antarik shakti ko shocked chhod mai muskurate hue apni raajgadhi me baith gaya....

kuch der tak yunhi shocked me rehne ke baad....



RONIT- ye sab kya hai??ye jagah,ye mehel aur iski raajgadhi par tu baitha hai!!!,mujhe toh kuch samajh me nahi aa raha hai...

MAI-galat...tum chaaron ko samajh me aa chuka hai bas tum maanana nahi chaahte....



meri baat sun mere chaaron dost ek baar firse chownke aur ussi haalat me....



SHAILA-KYA



MOKALSAR-YE



AKSHAANT-SACH ME



RONIT-HEAVEN HAI......




MAI- haan......



mere chaaron dost ab bhi avishwas bhari nazaron se mujhe dekh rahe the....aur isiliye......



MAI- peeche dekho.....



meri awaaz se un chaaron ki tantra tooti aur jaise hi wo chaaron palte,unhe firse ek jhatka laga.....

reason....un sab ke peeche is waqt unhi ki unstable shaktiyan hawa me rooki huyi thi....

kuch pal tak in sab cheezon ko samajhne ki koshish karne ke baad bhi jab mere chaaron doston ko kuch samajh me nahi aaya toh wapas meri taraf palte....



MAI-mai koun hun???



mere sawal par mere dost hadbada gaye par fir....



RONIT-LORD OF ANGELS....

MAI- iska matlab???

SHAILA- ANGELS ka pratinidhi.....unka maalik!!!!!!

MAI-hmm.aur jo unstable aniyantrit shaktiyan tum chaaron ke andar hai wo ANGELS ki hai...

aur ANGELS ka ghar HEAVEN hota hai.....ye shaktiyan unstable isiliye thi kyunki ye apne ghar yaani HEAVEN me naa pahunch tumhare andar pahunch gayi thi....

aur apne pratinidhi apne maalik se ijazat liye bina ye tumhe khudko kaise soump sakti hain....???

isiliye ye chatpata rahi thi aur tum chaaron ko force kar rahi thi ki tum inhe inke ghar le chalo....

aur aakhir me tum inhe inke ghar le hi aaye......



AKSHAANT- par hume toh in shaktiyon ko apne mastishk se jodna tha naa...

MAI-is waqt tumhari aantarik shakti ke saath saath tumhara mastishk bhi is jagah se juda hua hai.....



meri baat sun mere doston ne kuch nahi kaha bas mujhe ek tak dekhte rahe....par ab waqt aa gaya tha jab mai apne doston ko unka puraskaar,unka inaam soump dun aur isiliye.......



MAI-MAI VIKRAM LORD OF ANGELS,TUM CHAARON KE SHAREER AUR AATMA KO ANGELS KI SHAKTI KO RAKHNE AUR ISTEMAAL KARNE KI ANUMATI DETA HUN....



jaise hi maine apni baat kahi,uske agle hi pal mer doston ke peeche khadi unki daivik shaktiyan ek jhatke me un chaaron ke andar sama gayi....

aur aisa hote hi mere doston ki aantarik shakti hawa me uth gayi.....

baaki ANGELS ki hi tarah unke sharir par bhi ANGELS ke vastra aa gaye....

kuch der tak yunhi hawa me rehne ke baad wo chaaron neeche aaye aur neeche aate hi unki aankhen khul gayi.....

ab mere dost sadharan yodhaon se daivik yodha me badal chuke the.....

aankh khulte hi wo mere aage apne ghutno par jhuk gaye......



MAI- iski zaroorat nahi hai doston..tum sab ye shaktiyan deserve karte ho....



meri baat sun wo chaaron khade ho gaye.....




RONIT-hum isiliye nahi jhuke kyunki tu LORD OF ANGELS hai....tere ohde ki respect karne ke liye hume jhukne ki zaroorat nahi hai..

tujhe pata hai ki tere har roop ki hum sab dil se respect karte hain.....

humare jhukne ki wajah thi tera humare aatm samman ko respect karna....


tu LORD OF ANGELS hai...jo shaktiyan hamare andar doud rahi hain,wo tere hi aadhin hai....

agar tu chahta toh ye shaktiyan hume yunhi de sakta tha....aur ye bhi ek sach hai ki tere rehte hume in shaktiyon ki bhi zaroorat nahi hai....

agar tu chaahe toh hum sab ke ird gird ek aisi SHIELD bana de jisse koi bhi bhed nahi paayega...

par tune aisa kuch bhi nahi kiya..tune hume bas raah dikhayi,manzil par kaise pahunche,ye tune hum par chhoda tha....

SHAILA- RONIT sahi keh raha hai....in shaktiyon ko agar hum yunhi paa letre toh shayad kabhi in shaktiyon ki kadar nahi kar paate...

AKSHAANT- itna hi nahi,ye bhi ho sakta tha ki shaktiyon ke guroor me aakar hum inka galat istemal karte.....

MOKALSAR-par jin kathinaayiyon se guzar kar humne ye shaktiyan paayi hain,usse naa sirf humara aatmvishwas badha hai balki hume in shaktiyon ki ehmiyat ka ehsaas bhi hai.....

RONIT-isiliye thanks mere bhai....hai toh tu hamara dost,par kaam tune ek zimmedar pitah ki tarah kiya hai...

wo pitah jo apne baccho ko har chiz yunhi nahi de deta...balki unhe har chiz ki ehmiyat ka ehsaas karata hai aur unhe acche aur bure ke beech ka fark bhi samjhata hai....



mere doston ki baat sunkar mere chehre par ek vijayi muskaan aa gayi...yahi sab toh mai sunana chahta tha...

mai chahta tha ki mere dost un shaktiyon ki ehmiyat ko dil se samjhe,taaki unka istemaal wo sirf show off ke liye nahi balki acchayi ki raksha ke liye karen...



MAI-tumhare jaane ka samay ho gaya.....



mere ye bolte hi mere doston ki aantarik shakti ko ek jhatka laga aur agle hi pal.....

mere doston ki aankhen khul gayi....




MAI-ANGELS ki shaktiyan mubaarak ho doston....



mere dost apne dhyan se baahar aa chuke the aur aankh khulte hi unki nazar saamne padi jahan mai aur AVANTIKA khade unhe dekhkar muskura rahe the....

mere chaaron dost ek saath khade hue aur meri taraf badhe...ek ek kar chaaron mujhse gale lage....



RONIT- yaar meri shaktiyan toh ab mere control me hai par fir bhi mujhe mera body ab bhi halka bhaari lag raha hai...

MAI-thodi der me normal ho jaayega...kya tum sab ko pata hai ki tum sab kitne der tak dhyan me baithe rahe....

chaaron ne naa me apni gardan hilayi.....



MAI-48 ghante.....



meri baat sun chaaron ko ek jhatka laga....



MAI- haan..aur ab jab tum sabko tumhari shaktiyan mil gayi hai,toh ab hume kahin jaana hoga.....

RONIT-SHADOW WORLD......

MAI- haan....GRAHAM MAARG GACHATI......



ye wahi SPELL tha jo ASMODEUS ne uske DEVILS ko SHADOW WORLD bhejne ke liye bola tha...(UPDATE 65)

SPELL bolte hi mere body se paanch rays nikli jo AVANTIKA aur un chaaron par padi aur agle hi pal......


RONIT- abb ye kaisi jagah hai???hum toh SHADOW WORLD jaane waale the naa!!!!

darasal baat aisi thi ki hum sab gaayab ho antariskh ke beech me khade the..humare aage koi grah koi planet nahi tha bas ek open space thaa....



MAI-hum sab SHADOW WORLD ke grah binduon se hokar yahan pahunche hai iska matlab hai ki hum SHADOW WORLD ke baahar hi khade hain.....

SHAILA- par yahan toh kuch dikh hi nahi raha...

MAI- wo isiliye kyunki ASMODEUS ne SHADOW WORLD ko gaayab kar diya hai..itna hi nahi,uske pramukh DEVILS ne PURNA OJMANAM naam ke SPELL se SHADOW WORLD ko protect kiya hua hai....

SHAILA- haan toh hum chaaron apni shakti unki is SHIELD ko tod dete hai naa....

MAI- nahi....

RONIT- kyun???kya hum ab bhi DEVILS ke SPELLS ko kaatne ke laayak nahi hain???

MAI- bilkul ho...par jis SPELL se DEVILS ne is jagah ko baandha hai,us SPELL ne khudko kaam me laane ke liye un DEVILS ki puri shakti ko nichod liya tha....

tumhe is SHIELD ko todne ke liye apni bhi saari shakti ko baahar nikalkar is SHIELD par waar karna hoga jisse tum sab par kamzori haawo ho jaayegi jis wajah se tum sab bohot der ke liye gehri neend me chale jaaoge...



AKSHAANT-oh...toh ab kya karen....???



maine kuch kaha nahi bas apna haath aage kiya...mere aisa karte hi mere seene ke beech ek tez roshni hui aur agle hi pal us roshni se hoti hui meri SWORD mere haathon me aa gayi....



BANDHAN VINASHAM

SHIELD DESTROY



SWORD ke mere haathon me aate hi maine SPELL bola aur agle hi pal....



mere SWORD se ek tez roshni lagi aur DEVILS ke adrishya kawach par padi aur aisa hote hi.....



BOOM......



ek tez dhamake ke saath wo SHIELD khatm ho gayi par uske agle pal jo nazara humare saamne aaya usse dekhkar mere doston ke chehre par do do bhaav ek saath ubhre...



1ST-KHUSHI.....

2ND-TENTION.....



khushi isiliye kyunki SWORD se nikle vidhwanshak rays ki wajah se DEVILS ka SHIELD toot chuka tha....

aur tention isiliye ki SWORD ki rays se naa sirf SHIELD tooti thi,balki SHADOW WORLD ka planet bhi ab visible ho gaya tha..

aur saath hi visible ho gaye the us planet ke chaaron taraf lage electric rays ki salakhen...



SHAILA- ye toh....



MAI- ek jail hai....is PLANET ko ASMODEUS ne ek jail ki tarah banaya hai aur jo salakhen hum dekh rahe hain,uske khulne par hi hum PLANET ke andar jaa sakte hain....



maine SHAILA ki baat ko pura kiya......



RONIT- haan toh tention kya hai???jaise SHIELD ko toda,waise hi apni SWORD se in salakhon ko tod de....

MAI- mai aisa nahi kar sakta..ye koi aam salakhen nahi hain..jin rays se ye salakhen bani hain,wo is PLANET ki urja hai...

agar maine is par apne SWORD se prahar kiya toh in salakhon ke saath saath pura SHADOW WORLD bhi tabah ho jaayega.....

RONIT- yaar ye toh sach me tention waali baat hai...ab kya karen....???

MAI-isla solution me saath laaya hun...



ye bol maine apna haath aage kiya aur mere aisa karte hi mere haathon me ek chiz aa gayi jisse kuch der tak dekhne ke baad.....



AVANTIKA-CURIOUS TREE......ye ussi ke branches se bana powder hai naa.....(UPDATE-61)



AVANTIKA jo ki bade dhyan se mere hatheli ke upar rakha powder dekh rahi thi,uske dimag ki batti achanak jali aur usne apni baat kahi.....

MAI- hmm par iska ek aur naam bhi hai....

AVANTIKA- haan,PRISONS KEY......oh my god,how did i forget......



achanak AVANTIKA ko CURIOUS TREE ka dusra naam aur uski upyogita yaad aayi aur issike saath usse ye bhi samajh aa gaya ki mai CURIOUS TREE ke branches ke powder ko yahan kyun lekar aaya hun...

AVANTIKA toh samajh chuki thi,par baaki chaaron ko kuch samajh nahi aaya tha...wo chehre par sawal liye kabhi mujhe dekhte aur kabhi AVANTIKA ko....



SHAILA- koi hume bhi batayega ki tum dono kis baare me baat kar rahe ho aur tumhare haathon me ye churn hai kya????


MAI-SECRILLA jungle ke madhya me ek ped hai jisse CURIOUS TREE kehte hain...

ye churn ussi ped ke daali ko ghis kar banaya gaya hai jo ki asal me DEVILS ke dwara banaye gaye kisi bhi jaaduyi kaidkhaane ki chaabi hai aur isiliye isse PRISONS KEY bhi kehte hain....

darasal SECRILLA me ANGELS aur DEVILS ne apne apne tarike se shakti pradarshan kiye the aur us shakti pradarshan ka sabse zyada asar wahan ke moujud paani parhua tha jiske kul do swaroop hai..pehli nadi aur dusri jharne....

aur unhi jharno aur nadi ke paani ne khudko SECRILLA ke zamin ke andar bhi basaya tha..

jis paani me DEVILS aur ANGELS ki shakti pradarshan ka sabse zyada effect hua tha,us paani ki urja se hi ek ped ne janm liya jisse CURIOUS TREE kehte hain aur us tree ke darakhton se dekar daaliyon tak me us urja ki wajah se kayi vishestaayen aayin jinme se ek visheshta aloukik thi aur wo yahi thi....

us led ka churn kisi bhi jaadudi kaidkhaane ko kholne ki shamata rakhta hai aur isiliye is ped ko aur iske is churn ko jo mere hatheli par hai,usse PRISONS KEY kehte hain.....

AKSHAANT-ADHBHUDH......toh ab??iska istemaal kaise kiya jaaye???



maine kuch kaha nahi bas apne hatheli ko jisme CURIOUS TREE ka churn tha,usse apne honth ke paas laaya aur agle hi pal....



FUUUUUUUU................



maine ek zor ki foonkh maari aur mere aisa karte hi wo churn ek jhatke me aage badh gaya aur dekhte hi dekhte us churn ne ek patli si chaadar ka roop liya aur aage badhte hue us churn numa chaadar ne pure SHADOW WORLD ko gher liya aur jaise hi us churn ne SHADOW WORLD ko ghere salakhon ko chua........

wo salakhen bina kisi awaaz ke gaayab ho gaye jisse dekh mere dost khushi se ucchal pade....

MAI- chalen.....



maine AVANTIKA ka haath thaama aur aage badh gaya..mere peeche peeche mere chaaron dost bhi aage badh gaye...

kuch hi palon me hum sab SHADOW WORLD ke atmosphere me enter kar chuke the...

aur fir kuch aur lamhe guzarne ke baad hum sab SHADOW WORLD ke zamin par aapne apne paawn tika chuke the....

SHADOW WORLD me pahunchkar hum sab bohot khush the par saath hi is baat se anjaan bhi ki humare SHADOW WORLD me enter hote hi wo jaaduyi salakhen waapas prakat ho chuki thi jiska matlab tha ki ab hum pasnchon bhi us jail numa duniya me fas chuke the........







PLANET- SHADOW WORLD





PLACE-OPEN LAND







SAMAY SACHALAKON...ISHWAR NE AAP SABKI PRARTHANA SUN LI...AAP SABKE DUKH AUR TAKLIF KI GHADI SAMAPT HUI...AAKHEN KHOLIYE....



saare SAMAY SANCHALAK jo ki is waqt apni aakhen band kiye ISHWAR se prarthana kar rahe the,achanak unke kaano me ek tez dhwani padi jisse sunte hi un sab ki aakhen ek jhatke me khul gayi.....

apne saamne 5 anjaan logon ko dekh pehle toh wo jab chownke par jaise hi unki nazar sirf mujhpar aakar tiki,toh unki khushi ka thikana nahi raha....

reason...SAMAY SANCHALAKON ko mere sharir se nikalti urja ka abhaas ho gaya jisse mehsoos kar wo samajh gaye ki mai kaun hun.....


wahin jaise hi saare SAMAY SANCHALAK meri taraf palte,toh mere chehre par ek muskaan naach gayi.....

kyun???ye aapko next update me pata chalega....



khair,mujhe apne saamne dekh wo sab neeche jhukne hi wale the ki......



AAHH........AAHHHHH........AAHHHHHHH......



ek ke baad ek sabhi SAMAY SANCHALAKON ke mooh se dard bhari karahe phoot padi....

aur reason wahi tha jo hamesha se rehta aaya tha...SAMAY SANCHALAKON ke neeche achanak aag prajwalit ho uthi thi jiski wajah se unke mooh se aah nikli thi....



RONIT- ye sab kya ho raha hai????

MAI- thoda rook batata hun....



yahan hum baat kar rahe the wahin humare saamne jaise hi SAMAY SANCHALAKON ke niche ubhri aag bujhi toh apne dard ko zabt karte hue wo sab ek baar firse neeche jhukne lage par.....



MAI-iski koi zaroorat nahi hai...aap sab ka padh aur ohda bohot bada hai...

najaane kitni sadiyon tak aapne pure bramhaand ke samay chakra ko sahi tarike se ghumane ka daayitv nibhaya hai..

aur aaj bhi aap jis aag se tap rahe hain,wo bhi ussi samay chakra ki nirantarta ko banaye rakhne ke liye sah rahe hain...

aap sab ne pehle hi bina kisi galti ke itne varshon tak saza bhugti hai....

mujhe aapko bachane ke liye pehle hi aa jaana chahiye tha par mai aisa kar nahi paaya...mere aage jhuk kar mujhe aur sharminda nahi kijiye....



1ST SAMAY SANCHALAK-aapki vaani aur usse nikla har vaakya aapke charitr aur aapke chavi ki mahanta darshata hai...

hum aapse mil paaye,isse badi samman ki baat hamare liye kuch nahi ho sakti.....



mai unki baat sun bas muskura diya....



MAI-aap ki saza aur dard ka anth karne ke liye hume is PLANET se nikalna hoga...aur ek baar aap is grah se baahar nikal apne grah YELUPTUS pahunch gaye toh aap sabki har taklif khatm ho jaayegi....

kintu usse pehle mujhe ek atti awashayak kaarya pura karna hai...



2ND SAMAY SANSHALAK- kya aap???



MAI- haan,mai ussi kaam ke baare me baat kar raha hun.....kya aap sab kuch der aur pratikhsa kar sakte hain.....

maine us SAMAY SANCHALAK ki baat kaat kar apni baat kahi jisse sun....



1ST SAMAY SANCHALAK-jab itne varsho tak yahan rahe hain toh kuch pal me kya fark padega..aur waise bhi,jis kaam ki aap baat kar rahe hain,wo bhi atti avashyak hai....



RONIT- abbe aur kaun sa kaam bacha hai???saare SHADOWS toh yahi hai naa....!!!!

MAI- saare nahi....

RONIT- matlab...!!!

MAI-sab pata chal jaayega...par uske liye hume yahan se jaana hoga..



apni baat keh mai AVANTIKA ko le hawa me uth gaya aur mere saath hi mere baaki ke chaaron dost bhi hawa me uth gaye aur agle hi pal hum ek disha ki aur aage badh gaye...

raaste me maine RONIT aur baaki teeno ko SAMAY SANCHALAKON ki puri history batayi jisse sun un sab ko bhi bohot dukh hua...

baat karte karte hum us jagah par pahunch gaye the jahan hume pahunchna tha isiliye hum sab neeche zamin par utar gaye par isse pehle ki koi mujhse kuch puchta...



MAI-RONIT,MONSLICKEL jaane se pehle aur wahan se aane ke baad mai aur AVANTIKA kahin jaate the...

tu jaanana chahta tha naa ki hum kahan jaate the aur kyun jaate the.....???



mere yun achanak is baat ko chedne ka kaaran toh RONIT ko samajh nahi aaya par wo itna toh samajh hi gaya tha ki mai kuch bhi bewajah nahi kehta aur isiliye....



RONIT- jaanana chahta tha nahi janana chahta hun.....



maine ek baar AVANTIKA ko dekha jo mujhe hi dekh rahi thi....



MAI-TWISTED DIMENSION...us jagah kaa naam jahan hum dono jaaya karte the....

Ek aisi jagah jahan naa toh paap ka raaj hai aur naahi punya ka...

aur jaanta hai hum wahan kyun jaate the???



RONIT ne naa me apna sir hilaya.....



MAI- apni baayen taraf dekh.....



mere kehne par jaise hi RONIT ne apni gardan left taraf ghumayi,toh uske agle hi pal usne turant apni gardan wapas meri taraf kar di....

mai uske aisa karne ka reason jaanta tha aur isiliye....



MAI- IS BAAR NAA TOH KOI MAAYA HAI,NAA TOH KOI CHHAL.....NAA TOH KOI DHOKA HAI AUR NAAHI KOI KHWAAB....SIRF SACH HAI......



meri baat sun RONIT ke pair kaampne lage..dhadakte dil aur ashk bhare aankhon ke saath wo wapas apne left ki taraf palta aur agle hi pal uske mooh se awaaz nahi balki ek cheekh nikal padi......



RONIT-ANJALIIIIIIIIIIIIIII..........................









AAJ KE LIYE ITNA HI






AAPKA APNA V....J......
Great work .ekdam jabardast twist.
 

Mathur

°◥◣_◢◤°
1,063
3,077
143
jehar bhai apki story yahan pr bhi phad ke rakhi hai

mai dusri site pr apki story padta hoon iss site ka pta lga toh yahan bhi aa gya

thanks for such a awesome story
 
Top