Update 25
Vinay ne bataya:
“Ek din Abhay yahan aya kuch nashe mein aur muhjse sabhi students ke saamne lipat ke rone laga zor zor se! Iqbal aur main ne ussko shaant karne ki koshish ki magar woh ek chote bache ki tarah rote huwe chilla kar bola, ‘Vinay, Amita ne mujhko sab ke saamne thukra diya, main ne kutte ki tarah usske piche raat din film set par intezaar kiya, usske liye mere neendein gawayi, apna chain sukoon khoya, ussko iss kaabil banaya ke woh producers aur directors ke saamne dance perform kar sake aur aaj ussne mujhko sab ke saamne zor se chilla kar kaha ke main ussko disturb karta hoon, aur woh shohrat ki manzil ko haasil karna chahti hai, mujhse kaha ke woh ek dance teacher se kabhi pyar nahin kar sakti jab itne sare heroes, producers aur directors usske aguey piche ghumte hein! Wahan se producers ke gundon ne mujhko dhakka dekar nikaal diya aur kabhi unn ke nazar ke saamne ane se mana kiya…mujhko mara bhi gaya Vinay!’ Jiss tarah se Abhay ro raha tha chillate huwe main aur Iqbal donon ro pade usske saath, aur kayi students bhi rone lage saath milkar, kyun ke sab ko Abhay aur Amita ke love story ke bare mein pata tha unn dinon.”
Vinay ye sab kehhte waqt khud ro pada aur Ananya ki enkhen bhar aayi. Phir achanak Ananya ne kaha, “Amita ka naam bhi ‘A’ se shuru hota hai…. Jab main pehle din yahan aya tha aur Abhay ne mera naam poocha tha tab uss ne kaha tha ke mera naam bhi “A” se shuru hota hai, aur uss waqt woh kuch kho sa gaya tha iss ka matlab hai ke uss waqt uss ne Amita ko yaad kiya tha nah? Issi liye jab main ne poocha tha ke kyun aur kiss ka naam “A” se shuru huwa tha to uss ne baat ko taal diya tha??”
Iqbal ne phir kaha: “Uss din ke baad Abhay bahot pine laga, din bhar nashe mein rehta tha aur film industry ka chakkar kaatta rehta Amita ko dekhne aur milne ke liye. Ek din Amita gadi se uthri apne manager ke saath aur Abhay dawta huwa Amita se milne gaya aur uss ko apne baahon mein zor se jakar liya yeh kehte huwe, ‘mujhe chorr ke matt jawo, main tumhare baghair nahin ji sakta Amita, main paagal ho jawunga agar tumne mujhko chorr diya to, please mujhse weise milti raho jeise hum mila karte the hamesha, main unn lamhon ko keise bita sakta hoon jo tumhare saath guzare hein……. Pal pal tumhari yaad satati hai, raaat din tumhare khayaalon mein khoya rehta hoon…..’ Abhay itna hi keh paya ke uss manager ne Abhay ko zor se khinch kar zameen par patak diya aur Abhay ka sar par zor se choth laga, sar se bahot khoon beh gaya tha aur pata nahin kiss ne ussko hospital ponhchaya….”
Ananya bahot heyraan sab sun rahi thi aur jab Iqbal ruka thoda pani peene ke liye to Ananya ne poocha, “Itna kuch huwa Abhi ke saath to tum log uss Amita se milne nahin gaye, uss ke saath baat nahin kiya Abhay ke liye?” Tab Vinay ne Anny ko jawaab dete huwe kaha, “Bahot baar hum milne gaye Amita ko, magar woh humse milne se inkaar kar deti thi, humko usske manager aur dusre producers dhitkaar kar baahar nikaal dete the. Hum waha beizzat huwa karte the, hamara koyi mol nahin tha wahan, bilkoool kutte ke tarah treat karte the hum ko woh log. Magar ek din hum donon Amita ke saamne aa hi gaye jab Abhay hospital mein behoshi ki haalat mein usska naam phukaar raha tha, to hum donon ne uss se minaatein ki ke woh Abhay se milne jaye hospital mein at least ek baar, magar jaanti ho Amita ne hum se kia kaha? Uss ne kaha, ‘kaun ho tum log? Main tum logon ko nahin pehchaanti, unn spot boys ko dekhte ho? Tum log uss se bhi battar ho, jab main ussko nahin pehchaanti to tumko keise pehchaanungi? Aur kaun Abhay? Kiss ke bare mein baat kar rahe ho tum donon? Mere weise laakhon fans hein jo mere liye marr rahe hein to kia sab ko ek ek kar ke main milne jawun? Get lost you stupids!’ Iqbal ko bahot ghussa aya tha yeh sab sunkar aur issne chilla kar ussko bura bhala kaha rote huwe kuch eise kaha tha ‘Tum ne hamare dost ke jazbaat se khela, tumne uss se pyar ka dhong kiya, ab shohrat aur dawlat ziada ho gayi to ussko pehchaanne se inkaar kar rahi ho! Badduwa lagegi tumko Abhay ki? Uss ki maa ki haye lagegi tumko, yeh shohrat aur dawlat do din ke hote hein, mitti mein mil jawogi ek din dekkh lena Amita. Abhay ka dil jitna ro raha hai uss se laakh guna ziada tum rowogi mera baat yaad rakhna tum!’ Aur main ne Iqbal ko khinch kar wahan se nikala kyun ke wahan producers ne kuch gunde paal rakhe hein aur woh log hamare taraf aarahe the……”
Ananya ne rote huwe huwe phir poocha, “Phir Abhay ka kia huwa hospital mein?” Tab Iqbal ne kaha, “Hum donon usski mummy ke saath ussko khub dekhne gaye, usska bahot khayaal rakha magar woh kissi se kuch bol nahin raha tha, jeise ek shock laga hai ussko…. Ek hafte tak ussne kissi se bhi baat nahin ki thi. Usski mummy ne doctors se baat ki, ke yeh bilkool Abhay ki nature nahin hai to kyun woh hum teenon mein se kissi se bhi baat nahin kar raha? Abhay ajeeb ajeeb harkatein karne laga tha hospital mein hi. Apni maa ko Amita ke naam se bulata tha kabhi, to kabhi hum donon ko Amita bulata tha. Apni bed ke niche sota tha kissi din, hospital ke room mein hi peshaab kar deta tha yeh keh kar ke wohi toilet hai… bilkool paagalon jeise harkatein karne laga tha….. ussko discharge kiya gaya jab sar ka choath thik huwa, phir ghar ane par Abhay bilkool normal nahin tha…. Apni maa ki beauty parlor mein jaakar customers ko Amita bulata tha, chote chote patharon ko dusron ke ghar par pheinkta tha aur raaste mein chalte huwe logon par bhi pathar chalata tha…..”
Yeh sab sunkar Ananya zoron se rone lagi….. Vinay aur Iqbal khud yeh sab bayaan karte huwe ro rahe the, Vinay ke honth tharthara rahe the sab kehte waqt aur woh apne nam enkhon ko ponchte huwe bayaan kar raha tha apne dost ke bare mein….. Aur phir Iqbal ne bayaan jaari rakha, “Hum donon mein se Abhay kissi ko bhi nahin pehchaan raaha tha. Jab hum uss se milne jaate the to woh apne kamre mein bistar ke niche chup jata tha, usski mummy bahot roti thi ke usska laadla lawta beta paagal ho gaya hai ek matlabi ladki ke kaaran…..” Aur iqbal se ziada kaha nahin gaya aur woh Vinay ke gale se lag kar rone laga, aur Ananya ziada rone lagi…..
Kuch der ke baad Jab Vinay aur Iqbal ne apne aap ko sambhaal liya to Ananya ne apni enkhon ko ponchte huwe poocha, “Phir mera Abhay keise thik huwa?”
Vinay bola, “Bahot sare doctors ke paas le gaye hum logon ne ussko. Koyi kehta tha ke sar par choth lagne ke kaaran woh huwa, koyi kehta ke kuch dinon baad thik ho jaega aur dawaiyan prescribe kar dete the… Abhay ki mummy ne ussko kayi babawon ko dikhaya, pooja path karwaya, Iqbal ki mummy Abhay ko dargah lekar gayi mannatein ki gayi, mandir, masjid, girja ke chakkar kaate gaye…. Magar kayi mahinon tak Abhay ke haalat bilkool thik na hone par humko pshychiatric ke yahan lejana pada ussko, tab pata chala ke usska nervous breakdown huwa hai…asylum mein bharti kiya gaya Abhay ko…bahot bura haal tha! Usski mummy ki aur bhi bura haal huwa tha unn dinon…… Khair keise bhi karke hum sab ne milkar Abhay ka khayaal rakha, har subha sham ko Asylum ka ana jaana, usski mummy to sirf roti rehti thi hum donon ne milkar sambhala unnko aur hum school bhi chala rahe the aur Abhi ka khayaaal bhi karte jaate the….6 mahinon talk Abhy uss Asylum mein pada raha…..”
Ananya ne rote huwe, siskiyan lete huwe Vinay aur Iqbal donon ke gale milkar kaha, “Tum donon Abhay ke bahot hi achche dost ho, tum log dost se bahhot badkhar ho, bhai se bhi ziada ho! Bhagwaan tum donon ko hamesha khush rakhega!” Tab Donon ne Ananya se kaha, “Tum yeh nahin jaanti ke Abhay ne kitna kiya hai hum donon ke liye, hum ne jo kiya uss se hazaar gyuna ziada Abhay ne hamare pariwaar ke liye kiya hai, bahot bada dil hai usska, issi liye Bhagwaan ne hum teenon ko dost banaya, hamara rishta shaayad Bhagwaan ne aasmaanon mein hi bana diya tha aur yeh sab upar wale ki plannings the!hehehehe”
Magar Ananya ne phir bhi poocha, “Par Abhi thik kab huwa, normal kab huwa?”
To Vinay ne kaha, “kaha nah, 6 mahinon tak tha uss asylum mein, aur ek din humko ek bada jhatka laga jab hum yahan issi class mein dance seekha rahe the to achanak dekha ke Abhay andar daakhil hote huwe bilkool normal tarike se kaha, “Hello guys keisa chal raha hai hamara dancing school?!” Aur hum donon khushi se phoole nahin sama rahe the aur usske gale se latak pade hum donon aur usske gaalon ko chummne lage aur ussne jaante ho kia kaha turant? Ussne kaha, “Abe chorr, log samjheinguey hum gays hein!” hahahahahahaha!! Hum sab ke hanste hanste ensoo nikal pade the uss din……. Phir poochne par ussne bataya ke achanak ussko hosh aya asylum mein aur ussne doctors se poocha ke woh wahan kyun hai aur kaha ke apna ghar jana chahta hai aur khud apne discharge sheet banwaya aur sign karke nikal gaya……. Apne ghar jane se pehle woh seedah yahan aya, usske baad apni maa se milne gaya…… baad mein hum log doctors se mile to doctors ne hummko samjhaya ke woh ek sadma tha jo woh bhool chukka hai…ussko sirf uss din ki baatein yaad hai jab uss manager ne ussko dhakka dekar giraya tha aur usske sar mein choth lagi thi…usske baad ke din Abhay ke yaadash mein bahot flue hai, ussko dhundla dhundla sa yaad ayega batane par, khud ussko kuch pata nahin chalta…ussne kab bistar ke niche chupa tha, kab logon par pathar chalaya tha kuch bhi yaad nahin ussko….magar ussne hum sab se sab details mein batane ko kaha tha to main aur Iqbal ne ussko sab saaf saaf bata diya tha…Aaj ussko sab pata hai magar hamare bayaan se usski yaad se nahin…..
Ananya ne phir poocha, “Aur uss Amita ko yaad nahin karta Abhi? Kabhi uss se milne ki koshish nahin kiya ussne? Kaun si actress hai who aaj? Kia ussne naam badli hai? Amita to koyi heroine nahin aaj?”
Iqbal ne jawaab diya, “Kehte hein na ke kissi ka dil mat todna, kissi ka dil mat dukhana, dil se nikli badduwaein padti hai…to Amita ko shayad mera ya Abhay ki maa ki ya khud Abhay ki badduwa lag gayi….. jaanti ho woh kahan hai aaj? Ussi Asylum mein jahan Abhay tha. Pichle der saal se woh wahan par hai female ward mein padi huwi hai.”
Anny ne bahot heyraan hokar poocha, “kyun ussko kia huwa ab?” Vinay ne samjhaya Anny ko:
“Amita ki dusri film flop hogayi. Uske baad kissi bhi producer ne ussko sign nahin kiya. Pehle film wale producer se usska affair chal raha tha. Har raat woh ussi ke saat guzaarti thi. Humko bahot baad mein pata chala ke Abhay ko pata chal gaya tha ke woh uss producer ke bistar garam karti thi, issi wajah se Abhay ne peena shuru kiya tha. Abhay ne kayi din aur raat uss producer ke ghar ke aangan mein guzare the jab Amita usske yahan hoti thi.Woh producer Abhay ka mazaak udata tha yeh kehkar ke ‘teri maashuka bahot mast hai bahot maza diya ussne mujhko raat bhar!’ Abhay woh sab batein sehen karta tha unn dinon, phir bhi Amita ke piche mara mara phirta rehta tha kyun ke bahot pyar karta tha ussko. To jab Amita ko kissi film mein roles nahin mil rahe the aur bekaar padi thi uss producer ne bhi dusri heroine ko apne dusre filmon mein liya aur unn heroine ke saath gulcharein udane laga aur Amita ko neglect kar diya. Amita sharaab pine lagi aur dusre producers ke saath raat guzaarne lagi…dhire dhire Amita producers aur directors ke randi ban gayi…kissi raat ek producer ke saath soti to kabhi dusre director ke bistar garam karti…aur kabhi to producers Amita ko istemaal karte huwe ussko financers ke yahan bhejte raat guzaarne ko taake unnke film ko finance karne ke liye maal mile. Iss tarah se Amita randi to ban gayi filmi dunya ki aur drugs bhi lene lagi…aur ek din overdose drug se usski dimaagh ki batti gul hogayi, paagal ho gayi aur asylum mein padi hai takriban der saal se. hum donon kabhi kabhaar uss se milne jate hein, kyunke usska dekh bhaal karne wala koyi bhi nahin. Lawaris hai wahan woh.”
Ananya ko ek aur shock laga yeh sunkar aur poocha, “Kia Abhi ko pata hai ke Amita asylum mein hai?” Iqbal ne kaha, “bilkool nahin, hum kabhi bhi nahin batayeinguey, aur weise bhi Amita kissi ko pehchaanti hi nahin to Abhay ko bhi nahin pehchaanegi. Hum donon ko bhi nahin pehchaanti, hum to insaniyat ke naate mahine mein ek baar ussko dekhne chale jate hein kuch khane pine ka samaan lekar usske liye. Aur tum bhi kabhi iss baat ka zikr Abhay se mat karna. Jeisi karni weisi bharni, yeh Amita par khub lagoo hota hai, she deserved it!”
To be continued………………(2301 words)
fantastic double updates Casi.
very touching events regarding the main protagonist.
i really felt my eyes moistened reading the part he was betrayed by his first gf.
you have described that so well my friend.
great narration buddy.
loved the way the friends stood by his side, and turned happy to read how Abhi was back safe and to normal again.
great work done casi. keep it up buddy. hats off.