Rowdywa
Banned
- 1,133
- 5,151
- 143
Oh Abhay is in a real bad shape indeed. A new character in Seema's entry is very well thought casi. Yes she is the only 1 whi can get bk his memory i feel. And the mobile isnt there a way to get it repaired and check memory or so?Update 52
Uss darga par jahan Abhay uss budhe baba ke sath reh raha tha, ek jawaan ladki aksar aya karti thi baba ko kuch na kuch dene ke liye aur duwaein lene ko. Uss ladki ka naam Seema tha aur woh koyi 20/21 saal ki thi. Woh Abhay ki khamoshi se prabhavit huwi aur usske bare mein jaana chaha to budhe baba ne kaha,
“Pata nahin kaun hai beti, gham ka mara lagta hai, mera shak hai ke yeh kissi ke muhabat mein diwana huwa hai, koyi sadma laga hai issko…..”
Jab bhi woh ladki aati thi to Abhay kissi kone mein ek taraf rehta tha aur enkhen churate huwe ussko kabhi kabhaar dekhta tha. To ek din ladki ne baabaa se kaha, “main uss se baat karna chahti hoon baba, kia main usske karib jawun?” Baba ne jawaab diya, “Are woh to bilkool baat nahin karta, bolta bhi hai ya gunga hai pata nahin! Tu kia baat karegi uss se?” Seema ne zid ki, “Phir bhi main baat karke dekhti hoon…….”
Seema Abhay ke paas gaya, aur usske karib baithi. Niche zameen par baitha tha woh, to seema ko bhi wahin baithni padi aur Seema ne ek muskaan se kaha, “Hello tumhara naam kia hai?” Abhay ne mote mote enkhon se ussko dekha aur usski enkhon mein ghurrne laga, apne sar ko kabhi dayein to kabhi bayein ki owr jhukate huwe Seema ke chehre ko paagalon ki tarah dekh raha tha aur Seema ko kuch darr bhi lag raha tha. Himat karke Seema ne sawaal dohraya to Abhi ne ladki ke chehre mein dekhte huwe kaha, “Anny…anny, anny……..”
Budhe baba ne suna to jhapat ke wahan aya aur khushi ke mare bola, “Karishma, kudrat ka karishma, tu bola beta! Tu bol sakta hai shukriya mere parvardigaar, bache ko sukoon ata farma mere aakah!” Magar Abhay sirf “Anny Anny” ka rath laga baitha tha….
Baba ne Seema se kaha, “tu to isske liye badi khuskismat saabit huwi beti, tu iss se aur baat kar shaayad yeh kuch aur bole, magar Anny to ek ladki ka naam jeisa lagta hai nah? Kahin yeh tujhko woh ladki to nahin samajh raha jiss ki wajah se isska yeh haal huwa hai? Pata nahin kia huwa hoga isske saath!! Sunon beti iss ke jeb mein ek telephone hai, wohi jo aaaj kal ke nawjawan isstemaaal karte hein jebon wala telephone pata hai nah?” To Seema ne poocha, “aap ka matlab cell phone? Isske paas cell phone hai?” To baba ne Abhay ki jab se mobile nikal kar Seema ko dikhaya, to Seema ne phone liya usska moaena karte huwe kaha, “isski to battery bilkool dead hai baba, charge karna padega, magar lagta hai yeh bheega huwa tha, dekho iss ke andar paani hai….kissi nadi mein mila tha kia yeh ladka aap ko?”
Baba ne samjhaya ke yeh khud gida huwa para tha dargah ke saamne….pata nahin kiss nadi mein girr kar behte huwe yahan aya ya keise kuch pata nahin….. Seema ne uss mobile se sim card nikala aur dekha ke who bigar gayi hai jeise ek kaagaz paani mein beegh kar phool jata hjai uss sim ka haalat weisa tha, to pata chala ke usska kuch nahin hoga phir bhi Seema ne baba se mobile apne ghar lejane ki ijazat maangi aur baba ne kaha “lejawo agar ban sakti hai to bana ke wapas kardena shayad uss se iss ke ghar walon ka pata chal sake…..”
Phir Seema ghar chali gayi Abhay ke mobile ke saath. Kyun ke Seema ke yahan Nokia mobile phone tha aur Abhay wala bhi Niokia hi tha to charger same the to Seema ne socha Abhay wala mobile apne charger se charge karke usske memory se number nikaal kar usske ghar walon ka pata to laga sakegi.
Magar afsos mobile bilkool bheeg kar bigar gaya tha aur kuch bhi nahin ho saka. Charger adapt ho raha tha magar charge hi nahin ho raha tha bilkool…. Mobile bilkool dead tha. Seema ne bahot koshish ki, dusre logon ko bhi dikhaya ke koyi ussko sudhaar sake magar uss choti si gaon mein kissi ko ziada pata nahin tha ussske bare mein.
Dusre din laachaar Seema mobile wapas karne ko gayi, aur ussko ate dekhte hi Abhay ne “Anny… Anny… Anny….” kehna shuru kar diya. Baba ke enkh mein ensoo agaye aur Seema se kaha, “Dekh beti, mujhe to rona araha hai, yeh itne dion tak khaamosh tha, laakh mere baat karne par kabhi kuch nahin bola aur tujhe dekhte hi yeh Anny anny karne laga kia maajra hai yeh? Kaun si raaz ki baat hai!!” Seema ne kaha, “Baba aap ijazat dein to main issko zara ghumaane lejawun nadi ke kinare, wahan uss pathar par baithkar batein karungi isske saath, thik hai?” Baba ne kaha, “Han han zaroor lejawo beti, main to isske saath nahin chal paata tuhi isse sher karade ilake ka, tabiyat behel jaegi isska bhi jaa beti jaa, leja issko bhi….”
Seema ne Abhay ka haath thaama aur chalne ke liye kaha. Abhay apna haath chhuraane laga, to Seema ne uss andaaz mein baat kiya jeise ek chote se bachche ke saath dulaar se kiya jata hai yeh kehte huwe, “dekho wahan khubsurat phool hein , titliyan hein, jharrna hai, nadi ke kinare hum uss pathar par baithkar baatein kareinguey chalo nah!” Abhay uss taraf dekhne laga jiss owr Seema ishara karte huwe dikha rahi thi, aur Abhay ne dekhne ke baad muskuraakar kaha, “Paahaad!!” Baba ne enkhon mein ensoo liye huwe kaha, “han beta pahaad bhi hai, jawo isske saath thoda ghumkar aawo” Abhay apne lambe kale dadhi par apne ungliyon ko pherte huwe aur gale ko khujaate huwe Seema ko sar jhuka kar enkhon ko upar uthaakar, jeise uss se chupte chupate ussko dekhte huwe apne sar ko han mein hilaya!” To Seema hanssi aur Abhay ka haath pakar kar apne taraf khinchte huwe kaha, “awo, chalo wahin chalet hein”
Aur Seema ne baba ko Abhay ki mobile wapas kardiya kehte huwe ke woh bilkool kissi kaam ka nahin ekdum se bigar gaya hai. Aur kaha ke pata nahin woh mobile uss ladke ka hai ya nahin ya ussne kahin se uthaya hoga kia pata?!!
Khair Seema abhay ko ek eisi jagah lekar gayi jahan ka nazara bahot dilkaash aur khubsurat tha. Ek romantic jagah tha woh. Bilkool haryaali, thandi hawa ka behna, chidyon ka chehchehaana, nadi ke paani mein jharne ka ghirna, titliyon ka idhar udhar udna, phool khile huwe the chaaron taraf, suhana mawsam…. Seema bahot
khush thi weise jagah par waqt bitane ko, aur socha ke weise jagah par uss ladke ke dil ko sukoon milega.
Ek peyr ke niche, jahan chaaron taraf phool khile huwe the Seema ne Abhay ko ek bade se kaaale pathar par baithne ko kaha aur khud usske paas baith gayi…..
To be continued…………………
Good to see seema taking abhay aside this will really b helpful. He remembers anny' s name only.
Well very good job done casi. Thats a very nice update and hope is seen ahead. Keep it up my friend.


