• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller AV.... UNLOCK THE MYSTERY

Status
Not open for further replies.
10,269
43,139
258
राहुल ने अपने बाप के सर पर ही बंदुकें तान दी ।
यह कैसे हुआ ! कब हुआ ! क्यों हुआ !
अचानक से वो नेगेटिव से पोजिटिव किरदार में कैसे बदल गया ?
खैर , जी भी हुआ बहुत ही बढ़िया हुआ । अपने पापों का प्रायश्चित करने का मौका मिल गया । साथ ही एक अच्छा और जिम्मेदार नागरिक बनने की ओर अग्रसर हुआ ।

लग तो ऐसा रहा है कि देवेन राजवंश का चैप्टर अब हमेशा के लिए क्लोज हो जाने वाला है लेकिन उसका बीग बॉस अभी भी बेनकाब नहीं हो पाया है ।
इसके अलावा उसके माता-पिता की मौत की गुत्थी भी अभी तक सुलझ नहीं पाई है । डायरी भी अभी तक बहुत सारे सवाव लिए खड़ा है ।

बहुत ही बेहतरीन अपडेट राॅकी डिसूजा भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग ।
 

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,068
144
INTRODUCTION
ABHIMANYU VEER (AV) – Hero of the story. Update 1 mein full details hain.

LATE COMMANDER JAIDEV RATHORE – Hero ke father jo ab is duniya mein nahi hain. Hero inse bahut nafrat karta hai. Army mein the. Rajputana Rifles ke Commanding officer the. Desh-bhakti inki nas-nas mein behti thi. Desh sewa ke liye kuchh bhi karna pade kabhi pichhe mudkar nahi dekhte the.

LATE SANJANA RATHORE – Hero ki Mom. She’s also no more. Hero inse beintehaan Mohabbat karta tha aur ab bhi karta hai. Inki ek-ek yaad, ek-ek cheez usne sambhal kar rakhi hui hai. Yeh ek pativrata naari thi. Apne pati ko bhagwaan manne waali. Apne bete se bahut zyada pyaar karti thi. Jab inki death hui tab inki delivery ho rahi thi and therefore inki beti bhi mrit hi paida hui.

# Hero ke maa-papa ne apni-apni family ke baare mein usse kabhi nahi bataya. Usne kai baar pucchha bhi but har baar baat taal di jaati thi.

ARYAN SINGHVI : AV ka best buddy. Full-Intro in Update-1.

SUYASH SINGHVI : ARYAN ke father. Age – 45. AV ko bhi bete jaisa hi mante hain. Ye aur JAIDEV bahut acche dost the. Jaipur ke sabse bade Property Dealer hain. Paisa kaafi hai. Apne dono beton se bahut pyaar karte hain.

MANJU SINGHVI : ARYAN ki Mom. Age – 41. Housewife hain aur Sanjana ji aur ye saheliyaan thi. Hero ko ARYAN jaisa hi maanti hai.

RAGHAV SINGHVI : ARYAN ka bada bhai. Age – 21. ARYAN inhe apna idol manta hai. Yeh Rajasthan ki state team ki or se football khelte hain. Abhi – Abhi BBA kiya hai and currently MBA kar rahen hai. Inki apne hero se bahut banti hai.

MAHIRA SHARMA : Apni story ki heroine aur AV ki dream-girl. Full Intro in Update-2.

MAHENDRA SHARMA : MAHIRA ke papa. Age – 43. Inki beti inki jaan hai. Peshe se Wakeel hain wo bhi koi halke fulke nahi Rajasthan ke bestam-best wakeel hain. But bahut hi zyaada imaandaar hain. Kucch bhi ho jaaye apne ethics ko nahi chhodte. Inka aur Jaidev ka ek connection hai jiske baare mein sirf ye aur inki wife hi jaante hain.

RAGINI SHARMA : MAHIRA ki Mom. Age – 40. Inke husband aur inki beti hi inki duniya hai. Housewife hain.

# MAHIRA ki family mein ek aur sadasya bhi tha/thi , joki ab mar chuke hain. Unki maut ki paheli bhi kahani mein aayegi.

RAHUL RAJVANSH : Full intro in Update – 2. Haan ek baat basically apne Bapu ki xerox hai ye.

DEVEN RAJVANSH – RAHUL ka baap. Age – 40. Rajasthan ka betaaj baadshah. As the last name suggests Rajwaadon ke khaandaan se hai. Bhai-Behan koi hai nahi, to saari jaaydaad ka akela waaris hai. Akad,Ghamand,Batmeeji ye kucch gun hain inke. In one line Nihayati Ghatiya Aadmi Hai ye. Inki power ke liye ye samajh lo ki CM tak inka khilona hai Aur Sarkaar Manoranjan ka samaan. JAIDEV se inka bahut gehra naata hai jo aage pata chalega.

# RAHUL ki maa aur DEVEN ki biwi mar chuki hai. Kaise yeh bhi baad main. Haan yeh bata sakta hun ki yeh bhi DEVEN Sahab ki hi jaadugari thi.

ANKITA RANA – AV ki classmate and ARYAN ki girlfriend. Baat-baat par AV se jhagda karna inki aadat hai. AV ko neecha dikhane ka koi mauka nahi chhodti. Kaaran ye khud hi batayengi aage chalkar.

# ANKITA ke parents ka role nahi hai but iska hai;

SARTHAK RANA – ANKITA ka bada bhai. Age - 20. RAHULWA ko apna sabse achha dost manta hai but wo ise ek kutte se zyadaa kuchh nahi samajhta. Iske past mein kuchh esa hai jo aage chalkar saamne aayega. Basically kuchh bada crime kiya hai isne.
:congrats: for new story. Umeed hai ki ye kahani badiya hogi.
 

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,068
144
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ]
CHAPTER – 1
“THE TRIP”
UPDATE #1 [THE BEGINNING]
“Let’s gather up students, it’s time to leave”.

Ek kadak awaaz ne sabhi students jo ki annual budget se bhi zyada important discussion mein lage hue the unhe shant kar diya. Ye awaz thi hamare School Ke Sports Teacher ANIL MANEK ki jo ki hamare is school trip ke teacher-in-charge bhi the.

To chaliye thoda jaan lete hain is jagah aur of course “THE TRIP” ke baare mein.


PLACE :- SCOTTISH INTERNATIONAL SCHOOL (JAIPUR , RAJASTHAN)

( The best school in Jaipur and to be fair in whole of Rajasthan. Do hi tareeke hain is School mein padhne ke , pehla , paise se ameer ho jao , dusra knowledge aur intelligence se. Basically yahan ki sirf admission aur monthly fees dene mein hi pran halak mein aa jayein ek middle-class family ke to baaki ke expenses to chhod hi do. Haan ek tareeka ye hai ki aapka baalak ya baalika bahut hoshiyar ho to scholarship se baat ban sakti hai par usmein bhi a number of seats hi available hoti hain matlab spasht shabdon mein kahein to scholarship se entry lene ke liye Gala Kaat competition hai yahaan.
Jo ki kahin na kahin jayaz bhi hai. Bhai best faculty ke saath aur mind-blowing environment mein padhne ke liye kuch to karna padega na.)

BACK TO THE STORY:-

To ye school ki class 11th ke liye ek Trip ka ayojan kiya gaya hai to Ladakh . Aur sabhi students iske liye super-excited bhi hain. Wait, wait sabhi nahi ek ke chehre ka rang uda hua hai. Oh! Ye to apna hero hai to chaliye jaan lete hain apni is kahani ke naayak ke baare mein;

[ ABHIMANYU VEER , currently in class 11th yahi naam hai apne nayak ka. Aap agar soch rahen hain ki Rajasthan mein Veer caste hoti hogi isliye inka last name Veer hai to janab aap galat hain. I mean kya pata Shayad hoti hogi but inke case mein esa na hai. Good-looks , 5.7 feet height, athletic body , well-developed muscles ye kucch physical characteristics hain bhai ke. Academics mein basically GOD hi mana jaata hai school mein, or ye iski ek tarah se majboori bhi hai, yaad hai na upar kya kaha tha maine , do hi tareeke hain bhaiye yahan padhne ke, or ye bhai second category mein aate hain.
Father – LATE COMMANDER JAIDEV RATHORE
Mother – LATE SANJANA RATHORE
To jaisa apne dekha ki apna hero orphan hai , kuchh saal pehle inke dad ki aur uske 1 month baad hi inki mom ki death ho gayi thi. Apne dad se nafrat karte hain, Reason yaar abhi to story shuru hui hai thoda ruko pata chalega. Aur agar kahin inke dad ki baat bhi ho rahi to ye wahan rehna bhi pasand nahi karte. Last year ke I.C.S.E. board mein AIR-1 laaye the prabhu. Sports mein koi khaas interest na hai inko , sirf football ko chhodke, Reason–

ARYAN SINGHVI, Apne hero ka best buddy bole to langotiya yaar, in dono ke parents bhi best friends the and ye dono bhi hain. ABHIMANYU ke baare mein ARYAN se zyaada koi nahi jaanta, yes vo khud to janta hi hoga, obvious hai. Academics mein kaafi badiya score rehta hai ARYAN ka. Ab topper ka best friend hai to uski izzat to rakhni padegi na. Haan to Football means ARYAN ka pehla pyaar. Is bhai ke bade bhaiya state team mein khelte hain or inki bhi kuch isi prakar ki ichha hai. Badiya khelte hain par of course hero is even better. To kyunki ARYAN football khelte hain isliye inke force karne and to be exact inke emotional blackmail karne ke kaaran hero ko bhi khelna padta hai. ]

BACK TO THE STORY :-

ARYAN – abe kyun esa muh bana rakha hai jaise Ladakh nahi Bermuda Triangle pe leja rahen ho tujhe.

AV (Apne hero ka nickname in school and even everywhere) – Tu chup kar idhar main tension mein hun aur tujhe bakwaas karni hai.

ARYAN – Abbe saala, tu tension leta bhi hai maine to socha tha sirf deta hai, Gajab.

AV – Yaar tujhe to pata hai na Maa ki diary ke baare mein , Ladakh and all isliye thoda tensed hoon.

ARYAN – Chill kar yaar, jo hoga dekha jayegaa or isi bahane kya pata kuchh pata hi chal jaye. Waise kyaa socha hai us diary ka.....

Bechare ki baat bhi puri na hui thi ke ANIL SIR ne dahad maar di aur ye bhai ka muh sil gaya.

ANIL SIR – Bachon baate band time waste mat karo aur bus mein baitho.

To kuchh selected students hi jaa rahe the is trip ke liye. 20 hi students hain { 5-5 har stream se }. Yahan se Delhi tak bus mein and then flight to Ladakh. 20,000 rupees liye gaye hain per head as the trip charge bachon se.
(Aap sab soch rahe honge ki hero to orphan hai aur isliye paise ki kadki to hogi hi uske pass. Sahi soch rahen hai. To hero ne ek trip ke liye itte paise kahe diye. Ye kuchh updates baad clear ho jayegaa. Esa samajhlo ki ye hero ke liye faayeda ka hi sauda tha.)

To ANIL SIR ki baat ko maante hue Sab bache baith gaye bus mein. And the bus followed the route to Delhi’s Indira Gandhi International Airport . Kuchh 4-4:30 ghante lag gaye the inhe yahan pahunchne mein. Thodi formalities ke baad sabne flight board kar li thi. Flight mein baithne ke baad bhi AV kuchh pareshaan tha. To ARYAN use chill out karne ke liye apne world-class jokes suna raha tha. Haan ye to main bhul hi gaya ARYAN ke jokes matlab Ek baar to Saanp ka Zeher bhi dam tod de. Inki isi quality ke chalte ek baar inki taraf ghoor kar dekha AV ne, jispar mare hue suar jaisa muh bana liya inhone.

Kuchh kaam na ata dekh ARYAN ne use kiya Brahmastra yaani AV ki maa ke baare mein baatein. Yahi ek kaam tha jo karte hue na to AV bor hota tha na hi thakta tha. Inki har pareshaani ka Ram Baan Ilaaj hai yeh. And As I said earlier ARYAN knows AV better than anyone else. So here it is. Nateejtan AV ab kaafi had tak relax tha but diary ke baare mein to abhi bhi soch hi raha tha. Ye inki mom Sanjana ji ki diary thi jiska cover gatte ka nahi lakdi ka tha jiske upar carvings thi aur top par likha tha apne Hero ka naam. Na na ABHIMANYU nahi sirf VEER. Esa kyun, ruko jara sabar karo. And isko AV kabhi bhi apne se door nahi karta tha. He considered that his mom is with him in the form of the diary. Aakhiri Nishani like something. Aur sochte-sochte ye diary ke upar likhe uske title ya naam ke baare mein chintan manan kar rahe the jo tha,

“ UNFOLD THE MYSTERY ”

(1165 WORDS)
To Hero & party school trip par Ladakh jaa rahen hain.Ek hamare school waale the kabhi Delhi se baahar bhi nahi lekar gaye. Hero ki Mom ki diary , lagta hai kuchh raaz chhipa hai ismein jiska jawaab shayad Ladakh mein hai.

Awesome Update bhai....
 
  • Love
Reactions: Rocky Dsouza

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,068
144
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ]
CHAPTER – 1
“THE TRIP”
UPDATE #2 [DREAM–GIRL]
“SAB DHYAN SE SUNO AGAR KISINE BHI INDISCIPLINE CREATE KIYA TO YAAD RAKHNA BAHUT BURA PEETUNGA”

Yeh the hamare RAJNEESH SIR , AV's favourite teacher. To MR. RAJNEESH KAUSHAL, basically he’s someone like a nariyal. Jaisa ki sabne suna hi hoga woh muhavra, naram kadak and all. Yeh usi type ke hain. Inke saamne INDISCIPLINE matlab attempt to suicide. Yeh ek baar shuru hote hain toh baalakon ko gande kapdon ki tarah dhoten hai. But kabhi bhi kisi ki baat ko dil pe nahi lete. Aaj tak kisi bhi bache ke parents ko ya fir Principal ko kisi bhi tarah ki complaint nahi ki hai inhone. Inka khauf Principal se bhi zyada hai school mein. Waise to ye sabhi students ke liye dahashat aur maut ka doosra naam hain but AV inse tanik bhi na darta. Aisa nahi ki inki baat nahi manta wo bhai to sabhi teachers ki bahut respect karta hai aur inki kuchh jyada hi. But the thing is that AV inka favourite student hai aur uske mazaak ho ya sharartein ye mind nahi karte ulta enjoy karte hain.

Haan to inki taraf se aayi is dhamki se sabhi students sakte mein the but AV and ARYAN chill the , ARYAN kyun , bhai best friends hone ka kuchh to fayda uthayega hi. Jab bhi ARYAN koi harkat karta hai to AV hi use RAJNEESH sir ke krodh se protect karta hai.

To yahan par hero and company pahunch chuke hain Kushok Bakula Rimpochee Airport (LEH). Kul 7-8 ghante ki journey ke baad Jaipur to Leh ka safar pura hua. To yahan se fir thoda bus ka safar hua and then they all reached hotel. Kul 12 kamre book kiye gaye the inke liye. 1-1 RAJNEESH and ANIL SIR ke liye. Baaki students ke liye. Kul 10 boys and 10 girls group mein the and 2-2 bachon ko room share karna tha. And obviously AV and ARYAN were together. To bhaiya ab in becharon ko thoda aaram karne do thak gaye honge.

NEXT MORNING :-

“ HI AV ”
Ek badi hi khubsurat ladki ke muh se chashni se bhi mithi awaz mein nikle ye shabd jinhe sunkar or use dekhkar AV ke muh se bhi nikal gaya HAYE!!!!

Ye janab to madam ko ghoorte hi rehte agar ARYAN babu inke pair par na marte.

To chaliye aap bhi jaan lijiye hamari story ki one and only heroine ko. Presenting,

MAHIRA SHARMA : AV ki DREAM-GIRL. Ek line mein describe karun toh KHUBSURTI KI PARAKASHTHA. She is too beautiful. Yeh Khubsurat bhi hain aur Khubseerat bhi. She loves to help others whenever she can. Jaanwaron se khaas lagaw hai aur inke paas ek puppy bhi hai - “BRUNO”. Yeh hamare AV ka pyaar hain, bachpan ka. But kya AV inka pyaar hain?? I DON’T KNOW. Matlab I Know but aapko nahi bataunga. AV inse pyaar karta hai yeh baat sirf ARYAN jaanta hai aur isliye ye madam ko napasand karta hai. Are kuch ulta sidha mat sochna woh kya hai na ki Mahira ka boyfriend already hai aur wo hai AV ka sabse bada Rival (intro deta hun abhi). Toh AV jab bhi in dono ko saath dekhta hai to senty ho jata hai, dil toot jata hai lounde ka. And ARYAN babu thehre sache aur ghanishth mitra to apne bhai saman dost ke dukh ke karan ko kese pasand karenge.

Toh ham kahan the, Hann yaad aya,

RAHUL RAJVANSH : AV se jalta hai, kyun, arre yaar bataya toh ki AV is the best and RAHUL is one of the rest. Toh jalan laazmi hai but yeh thode tedhe khopdi wale hain. Inko hajam hi na hota agar inke rehte koi aur aage nikal jaaye. Basically apne Bapu jaise hain. Aur hann yahi hai MAHIRA ka so-called boyfriend. So-Called isliye kyunki yeh janab to usse bahut pyar , oh sorry sorry , pyar nahi hawas rakhte hain. But MAHIRA inse ghanta pyaar na karti. Who kya hai na ki RAHUL ka bapu yaani DEV RAJVANSH ek tarah se Jaipur ka raja hai, Jaipur kya Rajasthan ka hi laga lo. Yeh chahe to do minute mein sarkaar gira den, centre ki nahi state ki bhai. To ab MAHIRA itni sundar hai ki daily londe use propose karte rehte the and she was very irritated with all this. To Madam ko RAHUL ne bhi propose kiya and She said yesss. Kyun ab jab RAHUL ka baap raja hai to yeh bhi to rajkumar hua, Rajkumar Rao nahi Prince. To bhaiye ka khauf hai school main. Jabse yeh baat faili ki yeh dono relationship mein hain kisi bhi lounde ki himmat na hui MAHIRA se baat karne ki except the one and only AV. But the fact is that RAHUL inko haath bhi na laga sakta, allowed hi nahi hai us bechare ko.

To hamare AV bhau to inse I LOVE YOU isliye bhi na kehte kyunki inko lagta hai ki MAHIRA RAHUL se sacha pyaar karti hai. Bade Bhole hain bechare. Par aap kahenge ki agar AV itna hi smart hai to wo ye kaise nahi dekh pata ki MAHIRA RAHULWA se Love karti hai ya nahi?? Are simple hai, LADKI KA CHAKKAR BABU BHAI LADKI KA CHAKKAR. Haan toh MAHIRA is a big fan of AV. Bhai majaak nahi kar raha. I.C.S.E. board ka All India topper hai woh , Last do saal se NATIONAL LEVEL FOOTBALL CHAMPIONSHIP (INTERSCHOOL) ka best player bhi and above that last year ka Student Of The Year bhi. Fan following gajab hai lounde ki.

Back To The Story :-

AV – HI MAHI (AV inhe pyaar se MAHI bulata hai, is naam se sirf AV aur madam ke mom-dad hi ise bulate hain, bechare Rahulwa ko bhi allowed na hai).

MAHI –To kya plan hai yahan ghumne ka?
(Aapko bata doon ki AV planning master hai aur is baat se iske section ke saare bache waakif hai. School Programmes and even trips ki planning bhi kai baar kar chuke hain yeh.)

AV – Pata nahi. Is baar to ANIL SIR bhi saath hain na. To yeh department to woh nahi denge kisi or ko .

MAHI – Haan yeh bhi hai. Aryan tum itne shaant kyun ho. Tum waise to bahut bolte ho par mere saamne bilkul chup rahte ho. Kyun??

ARYAN (Krodh main hain janab) – Wo bas aise hi. Kuch nahi.

AV – are ise chhodo yeh Aisa hi hai. Ladkiyon se baat karna nahi aata isko. Thoda shy hai.

ARYAN (Man Mein) – Dhokebaaz, kamine, kutte ladki dikhi to dost ko bhul gaya.

Ab tak sabhi students and dono teachers bhi aa gaye the.
Anil Sir – Beta pehle sab log Chalke breakfast karte hain then aage ka discuss karenge.

To chaliye jab tak yeh log bhojan kar rahe hain main rest kar leta hoon……… So after a While,

ANIL SIR – So students first of all We’ll visit THIKSEY MONASTERY today. Aapko bata dun ki yeh Monastery bahut famous hai Buddhist culture ko janne ke liye. Over 500 monks are there in this. Aap log bhi wahan ke paintings, scriptures and statues se Buddhist culture ke baare mein kaafi kuchh jaan sakte hain.

Ab aapko bata doon ki ek kaam mein hamare hero-heroine ki choice same hai aur wo hai ki dono ko aesi cultural aur religious knowledge gain karne ka kuchh jyada hi shounk hai. And as expected MAHIRA ke face se pata chal raha hai ki who kafi excited hai is sab ke liye. But ye kya AV ka face to fir se wo Bermuda Triangle jane jaisa ho chuka hai. Achha to yeh kuchh soch rahe hain, kya kya,

AV (Man Mein) – Mom ki diary mein bhi to isi Monastery ka zikr tha aur wo Monk ka kya naam tha haan yaad aya,
MONK AKKRUM RINPOCHE …….

To dekhte hain AV kya us mystery ka pata laga payega aur kya hoga anjaam MONK AKKRUM aur AV ki pehli mulakaat ka…
Keep Reading.

(1304 WORDS)
Hmm to bechare hero ki heroine kisi aur ko apna hero samajh rahi hai. Confusion door hona hi chahiye ladki ka. Idhar ye log ghoomne jaa rahen hain Thiksey Monastery aur hero udhar kisi Monk se bhi milne waala hai.

Dekhte hain ki ye Monk kaun hain aur kya hoga aage. Awesome Update brother....
 

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,068
144
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ]
CHAPTER – 1
“THE TRIP”
UPDATE #3 [THE MEETING]
“KYA AAP BATA SAKTE HAIN KI MONK AKKRUM RINPOCHE KAHAN MILENGE”

“HAAN BETA TUM YAHAN SE RIGHT JAKAR STRAIGHT CHALE JANA LAST ROOM MASTER KA HI HAI”

Yeh the apne AV mahodaya jo kisi se Monk ke baare mein puchh rahe the. Par kyun Puchh rahe the. Shant bhai Shant bataunga main sab bataunga.

Toh AV and company pahunch chuki hai Thiksey Monastery, aur yahan aane ke baad sab balak va balikayen lag gaye photo voto khinchne mein aur dono teacher lag gaye gyan pelne mein jismein MAHIRA ke alawa kisi ki koi khas Ruchi na thi. Are ese kese maine to kaha tah ki AV ko in sab chizon mein gajab ka interest hai. Haan to sahi hi kaha tha but abhi guruji ke paas isse jyaada important kaam hai. Kya? Are yaar wahi MONK AKKRUM wala karyakram.

Toh AV miyan in sab chhatragan evam Adhyapkon se dur apni dhun mein hain. ARYAN babu ko kuchh had tak iska karan pata hai but puri tarah se nahi. Kyun? Main nahi bataunga karlo kya karloge. Are gussa mat karo suspense bhi ek cheez hoti hai.

AV ke upar kisi ka dhyan gaya ho ya na ho but yaar hamari heroine, I mean AV ki heroine ka toh chala gaya. Wo bhi jaanti hai ki AV is someone who is interested in all the things that both the teachers were telling them. But the Question is AV kahe interest nahi dikha raha . Toh hamari MAHIRA madam ne apne andar BYOMKESH BAKSHI ki aatma ko aamantrit kiya aur lag gayi jasoosi mein.

Idhar AV bhau dhoondne mein lage hain MONK miyan ko aur finally 2 lakh saal ki mehnat ke Baad inhone khoj bhi liya. ( Abbe esa kya antariksh mein chhupe baithe the. Chup bilkul chup, likhne de jaahil, flow tut jata hai ). Haan toh dekhte hain inki baatcheet, I mean sunte hain,

AV – PRANAAM MONK

MONK AR – Khush Raho. Beta tum yahan tum to shayad Jaipur se aaye ho na tumhe to bahar baaki bachon ke saath hona chahiye.

AV – Ji Monk main Jaipur se hi aaya hun par mujhe aapse kuch vyaktigat karya hai.

MONK AR (sochte hue) – Hamse kya kam hai beta aapko .

(Yahan se MAHIRA bhi sun rahi hai kaan lagakar darwaaze mein. Time to laga hi hoga madam ko AV ko dhundne mein.)

AV – SANJANA RATHORE

Bas itna hi kaha AV ne aur MONK apni jagah se khade ho gaye aur AV ko chaunk kar dekhne lage. Wahin MAHIRA bhi darwaze ke gap mein se ye sab hairan pareshaan hote hue dekh rahi thi.

MONK AR – SSSANJANA RATHORE…. Tum kese jaante ho unhe aur yahan kyun aaye ho.

AV – MONK main unka beta hun ABHIMANYU or aap shayad mujhse bhi behtar jaante hain mere yahan aane ka kaaran.

Bas ye sab to AV aese hi bol raha tha. MONK to AV ke introduction ke baad ghanta kuch nahi sun rahe the. Unke face par smile aur aankhon mein khushi saaf dekhi jaa sakti thi. Wo aage badhe aur AV ko gale se laga liya. AV ke liye ye expected tha aur wo shocked ya surprised na hua.

MONK AR – Ttum theek ho beta tum theek ho na aur aur tumhara bhai ya behen kaisi hai.

Bas itna hi sunna tha AV ne aur wo blank ho gaya. Kaan, Dil , Dimag sab jaam ho gaya bas kaam kar rahi thi to sirf aankhen , wo bhi aansun bahane ka. Bahar khadi MAHIRA to pehle hi MONK ke dwara AV ko gale lagane se Sadme me thi (kyunki bahar Dono teachers ne MONK ki lagi hui photo ka description ye kehkar diya tha ki na sirf is Monastery mein balki pure Ladakh mein he is the Highest placed MONK, bole to Ladakh ke DALAI LAMA hain ye). Aur ab AV ke ese reaction se wo coma mein hi chali gayi. Kyun, kyunki AV ko rote hue aajtak sirf uski MAA ne hi dekha tha jab wo Chhota balak tha, school mein uske jhagde , ladayi , maar-peet sab hui, chot bhi kaafi lagi par lounda aaj tak kisi ke saamne na roya. Par idhar to BRAHMAPUTRA nadi ka udgam sthal bana hua tha AV. MONK bhi AV ke reaction ko samajhne ka prayaas kar rahe the tabhi unki batti jali, To be accurate unke dimag ki batti,

MONK AR – Kya hua beta, sab thik toh hai na, bolo Sab thik to hai na

AV (Rote hue) – Nahi MONK kuchh thik nahi hai, meri behen, meri behen wo janam lene ke saath hi , wo mmarrr gayi, wo mujhe chhod ke chali gayi thi……….

MONK bhi ye sunke shunya mein chale gaye the, unhe bhi AV ke liye bahut bura lag raha tha. SANJANA & JAIDEV ki death ke baare mein wo jaante the but it was a shocker for him too. Dusri taraf MAHIRA ko bhi ye sab sunke AV ke liye bahut bura lag raha tha but use abhi bhi samajh nahi aa raha tha ki AV itne bade MONK ko kaise jaanta hai. Tabhi use school ka group usi taraf ata hua dikha aur wo wahan se hat gayi. Kai saare sawal mann mein liye.

Idhar andar room mein,

MONK AR – Nahi ABHIMANYU tum ese nirash nahi ho sakte. Tumhare upar bahut badi jimmedari hai jaisa tum kuchh kuchh jante hi hoge ye yudhh tumhe ladna hai wo bhi akele , agar tum ese nirash ho jaoge to tumhare MATA-PITA ki kurbaani vyarth chali jayegi.

AV ke dimag mein ye baat khatki , MATA-PITA ki kurbaani, and to clear his doubt he asked,

AV (aansoo ponchte hue) – Kurbaani , matlab.

MONK AR ko bhi apni galti ka ehsaas ho gaya ki wo kya bol gaye. Aur behatreen tareeke se cover-up karte hue unhone kaha,

MONK AR – wo sab chhodo ABHIMANYU abhi tum wo karya karo jiske liye kismat swayam hi tumhe yahaan layi hai. Ye lo yahi hai tumhaare safar ki shuruaat ki chaabi aur pehli sidhi bhi. Aaj Tak maine ise sambhala hai parantu yeh tumhaari amanat hai. Aaj se tumhe apne lakshaya ki aur dhyaan kendrit karna hai aur jis karya ke liye tumhaari mata ne tumpar vishwaas kiya hai use purn karan hai.

Ek LAKDI KA BOX JO KI MATHS KI BOOK ke size ka tha dete hue kahi ye baat MONK ne, jispar AV ne haath Badha ke wo box lete hue sirf itna kaha,

AV – DHANYAWAAD MONK.

Aur AV ne MONK ke paon chune ke liye pith jhukayi hi thi ke MONK ne use rokte hue gale se laga liya aur uske sar par haath rakhkar kaha,

MONK AR – Jao Tum apne karya mein safal hoge. Mera aashirwaad tumhaare saath hai.

AV ne ek baar fir MONK ko jhuk kar pranaam kiya aur bahar ki taraf chal diya. Wahin MONK AV ko jaate dekhte rahe fir upar ki or dekha jaise bhagwaan se prarthana kar rahe hon ki vo AV ko kaamyaabi den.

Idhar dusri taraf MAHIRA tab se apne sawalon se pareshaan thi, aur saath hi use AV ke liye bura bhi lag raha tha uski behen ke baare mein sunkar. Uske MOM aur DAD ke baare mein to wo pehle se hi jaanti thi par yeh ek nayi baat pata chali thi usse jo aaj se pehle sirf AV aur ARYAN hi jaante the. (Saala kahin ye AV ki behen ban ne ka toh nahi soch rahi uska dukh door karne ke liye. Ae esa mat sochiyo warna abhi to vo sirf dukhi hai baad mein usko Mental Hospital mein bhejna padega.)

Toh bhaiye ab time ho chala tha wapis jaane ka, kahan Jaipur, Abbe chup, mujhe Ladakh pasand hai main na bhejta inko waapas. Haan toh AV sabse pehle hi Bus mein apni tashrif tikaaye bethe the aur dukhi the , kaafi zyaada dukhi, kyun? Abbe maine upar apni love story to likhi nahi. MELODY KHAO KHUD JAAN JAO, I mean Padho aur Khud Jaan Jao. Toh ARYAN Babu aaye aur AV ke side mein virajmaan ho gaye. Yeh behtar jaante the ki AV kabhi bhi apne flashback mein chale jaata hai isliye unhone normally hi liya kyunki ese moko par wo ekant aur shanti hi pasand karta tha. But aaj ye sab MAHIRA bhi note kar rahi thi aur usse AV ke liye kaafi bura bhi lag raha tha. But kya kar sakte hain. Pahunche sabhi Vanar Sena ke Sainik hotel mein apne do Sena-Adhyakshon ke saath or nikal liye apne-apne kamre ki taraf.

Tum bhi nikal lo ab baaki milte hain agle update mein.

(1426 WORDS)
To Monk hero ke parents ko jaante the aur unki Kurbaani ke baare mein bhi kuchh kaha. Lagta hai ki iske parents ki death mein kuchh locha hai. Bura laga sunke ki kam umar mein hi sabhi apno ko kho diya hai hero ne. Dekhte hain ki iss box mein kya chhupa ke rakha hua hai.

Good update bhai...
 

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,068
144
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ]
CHAPTER – 1
“THE TRIP”
UPDATE #4 [HASEEN SHAAM]
“ ABBE YE BANDAR KI TARAH DAANT KYUN NIPOR RAHA HAI SUABH SE , KHUSH TO ESE HO RAHA HAI JAISE BILL GATES NE APNI PROPERTY TERE NAAM KAR DI HO. ”

Ye the ARYAN mahodaya jinhone apne hi Andaaz mein sawaal daga AV ki taraf jo aaj subah se kuchh jyaada hi khush lag rahe the. Par kal shaam tak to inko maut padi hui thi fir abhi itni prasannata kyun. Are nahi yaar MAHIRA ne propose na kiya hai inhe par haan baat unhi madam se judi hui hai. Kya Kya baat hai?? Ruko pehle is ARYAN ko bhaga dun fir chalte hai flashback mein.

AV – Ab kya khush hone ke liye bhi teri permission leni padegi aur wese bhi jaisi kutte ki tarah Teri shakal hai use dekhkar koi zyadaa der tak na reh sakta khushi se.

Ye tha AV mahashaya ka uttar jispar ARYAN ki shakal as above said by AV kutte ki tarah se badalkar mare hue kutte jaisi ho gayi and Man mein lambi – chodi aur bhari – bharkam galiyaan bakte hue nikal liye apne gantavya yaani khaane ki taraf.

(Haan yaar ye toh main bhul hi gaya. Itna to BHALLAL DEV KO DEVASENA KO KAID KARKE RAKHNA PASAND NA HOGA JITNA HAMARE ARYAN SIR KO THUSNA PASAND HAI. Wahiyaad example tha na, pata hai, mujhse aur kya umeed thi tumhe.)

Idhar AV bhau lag gaye kal raat ko yaad karne mein jo ki inke liye inke jeevan kaal ki sabse jyaada sundar raat thi.

FLASHBACK FROM LAST NIGHT :-

Koi Ladka Hotel ke garden mein bench par akela baitha hai aur aankhon mein nami liye aasmaan ki taraf dekh raha hai. Tabhi use apne piche se awaaz ati jaise koi uska naam pukar raha ho. Woh pichhe mudta hai to uski udaasi dharti se nikalkar sidhe Mangal grah par pahunch jaati hai aur dil garden-garden ho jaata hai. Kyunki piche khadi thi is ladke ke sapno ki raani – HEMA MALINI, abe chup, MAHIRA madam. Haan toh aap log samajh hi gaye honge ki ye lounda aur koi nahi apna AV hai. To samjho hame kya ek dam halwa baat thi koi Rocket Science to thi na ki is baat ke liye tumhe Guard Of Honour milega.

Jaise-jaise MAHIRA AV ke kareeb ati jaa rahi thi waise hi AV ka dil bagaawat pe utar aaya tha. Koi nahi bagaawat ki saja milegi barabar milegi.

Haan toh ab MAHIRA AV ke bilkul bagal mein baithi thi aur dono ek-tak ek dusre ki aankhon mein dekh rahe the. Ab AV to jaanta tha ki jyaada der MAHIRA ki aankhon mein dekhega to Sach bol dega (wahi I LOVE YOU waala). Isiliye convo start kardi In janab ne.

AV – MAHI tum yahaan is waqt , neend nahi aa rahi kya?

MAHI – Agar yahi sawaal main tumse poochoon to?

Ab AV bhai khamosh ho gaye aur fir se madam ki aankhon mein dekhne lage jaise dhund rahe hon ki wo yahaan kyun aayi hai. But wo koi Mind-Reader to hai nahi jo dimag padh lega to aankhon ki jagah muh ka istemaal karna better option laga bhaiya ji ko.

AV – Woh , woh main yahaan….

MAHI – Main jaanti hun tum bahut dukhi ho maine sun li thi MONK aur tumhaari baatein.

Yeh chaunke hamare hero sahab, aankhen phail gayi aur dimag sunn, soch rahe the ki MAHI ne box-vox and chaabi-seedhi sab sun liya but again bhole bahut hain bechare inhe kya pata madam pehle hi nikal gayi thi. Toh doubt clear karte hain inka,

AV – Tum, Tumne sab kuchh sun liya , tumhe aese kisi ki baat nahi sunni chahiye, tum us sab ke baare mein kisiko batana mat, please.

MAHI – Tum aese pareshaan kyun ho rahe ho. Maine sab to nahi suna , wo jab tum ro rahe the tab main chali gayi thi, tum batao na mujhe apne baare mein aur ye bhi ki tum MONK ko itne ache se kaise jaante ho.

AV ne ye sunne ke baad chain ki saans li par wo soch raha tha ki who MAHI ko kya bole par kuchh to bolna tha aur jhut bolna AV ke liye waisa hi tha jaise CHINESE samaan ka jyaada din chalna, bole to IMPOSSIBLE. Toh inhone socha ki na jhut na pura sach , hum bolenge Adha Sach.

AV – Rehne do MAHI, Ateet ko yaad karne se uske diye zakhm aur bhi gehre ho jaate hain.

MAHI – Par apna dukh baantne se who kam bhi ho jaata hai.

Ek pal MAHI ko dekhne ke baad,

AV (Ek Lambeeeee Saans Chhodne ke baad) – Mere Papa JAIDEV RATHORE army mein the. He was at the position of COMMANDING OFFICER of RAJPUTANA RIFLES. Wo ek sache desh-bhakt the. He was one of his kind, matlab desh ke liye wo kuchh bhi kar sakte the , kuchh bhi. (AB AGAR AAP SOCH RAHE HAIN KI MAINE INTRO MEIN KAHA THA KI AV APNE DAD SE NAFRAT KARTA HAI TO WO YAHAAN TAREEF KE PUL OR DAM KYUN BAANDH RAHA HAI TOH RUKO JARA SABAR KARO) But wo kabhi bhi ek acche papa nahi ban paaye. Mom unhe bahut maanti thi , he was like GOD for her but meri nazar mein wo shayad ek acche pati bhi nahi the. Meri Mom was everything for me, Aaj tak Tumhare aur ARYAN ke alawa maine kisiko dost nahi banaya, pata hai kyun, pehle jab Mom thi tab wo hi meri best-friend thi, tab doston ki zarurat nahi thi aur ab dost banane ki ichha nahi hai. Mom ke liye mujhse badhkar kuchh nahi tha, main shuru se padhayi mein tezz tha kyunki papa ghar par hote nahi the aur Mom ko ghar ke kaam wagerah se time kam milta tha, toh mein zyaada time ghar par rehta tha or books se hi baatein kiya karta tha. Bas ARYAN aur uske bhaiya RAGHAV ke saath khel leta tha kabhi-kabhi. Tab ham financially kaafi strong the kyunki Papa ki salary kafi acchhi thi, isiliye main Shuru se hi isi School mein tha. Aaj se 4 saal pehle 17 AUGUST, yahi tha meri zindagi ka sabse kaala din, jab meri Mom mujhe chhodkar chali gayi. Ek mahina pehle Papa ghar par the, wo off-duty the pure 7 mahine baad ghar loute the wo, but phir unhe call aayi ki JAMMU & KASHMIR mein tension ki wajah se unhe waapas jaana chahiye, wo chahte to mana kar sakte the, but unhone as always JAIDEV KI TARAH NA SOCHKAR COMMANDER JAIDEV KI TARAH SOCHA. Mom 8 months pregnant thi aur woh chale gaye apni duty karne kyunki unki nazar mein family duty naam ki koi cheez nahi hoti thi. Fir kucch din baad khabar aayi ki JAMMU mein ek Ambush mein woh aur unke 6 saathi shaheed ho gaye. Mom is khabar ko sunke toot chuki thi, mera dimag bhi kaam karna band kar chuka tha, haan unhone kabhi shayad mere Papa banne ki koshish hi nahi ki but main toh unka beta tha, main unse bahut pyaar karta tha and unki respect bhi karta tha. But aaj main unse sirf nafrat karta hoon , beintehaan Nafrat. Meri mom ka yeh khabar sunkar bura haal tha , fir thode din mein kisi tarah maine Mom ko sambhala Aur fir usi din 17 AUGUST Ko Mom ka pair fisal gaya and wo gir gayi, unki haalat kharab hona shuru ho gayi , raat ka time tha mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha. Ghar mein Car , bike sab thi bas driver nahi tha. Maine sab logon se madad maangi magar kisi ne bhi nahi ki, fir maine ARYAN ke dad ko phone kiya aur who 30-40 minute baad car lekar aaye. Par who har ek pal jab main Mom ko takleef mein dekh raha tah mere man mein Papa ke liye nafrat bharti jaa rahi thi, ki agar unhone family ko chuna hota to aaj maa ko ham hospital le jaa paate. Fir ARYAN ke mom-dad aur main unhe Hospital lekar gaye. Par pata hai Doctor ne Operation Theatre se baahar nikalkar kya kaha – “ I’M SORRY HAM AAPKI MOM KO NAHI BACHA SAKE, SHE’S NO MORE. AAPKI BEHAN BHI MRIT PAIDA HUI THI. KAASH AAP THODA JALDI INKO YAHAAN LE AATE TOH SHAYAD HAM UN DONO KO BACHA PATE ”. Mera sab kuchh khatam ho chuka tha , meri duniya , meri Mom mujhe chhod kar jaa chuki thi sirf us aadmi ki wajah se, agar wo us din naa jaate toh koi mahayudh nahi chhid jaana tha but agar unhone family ko chuna hota toh Aaj Mom aur meri behan dono zinda hote aur main bhi zinda hota.

Itna kehne ke baad AV chup ho gaya . Ye sab batate hue uski aankhon se lagatar aansoo beh rahe the. MAHI ki aankhen bhi nam thi, wo mehsus kar paa rahi thi ki AV kitna akela hai, aur uske aakhri shabd “MAIN BHI ZINDA HOTA” uske dimag mein hathode ki tarah baj rahe the. Woh samajh gayi thi ki AV saans to le raha hai par shayad Zinda nahi hai. Aur ye sach bhi tha wo to usi din mar gaya tha jis din uski Mom aur uski Behan use chhodkar gaye the. MAHI ne AV ki taraf dekha to wo dono haathon mein chehra chhupaaye aansoon baha raha tha. MAHI ne AV ke kandhe pe haath rakh use saantvana dene ki koshish ki. Agar kisi or din MAHI ne AV ko touch kiya hota na toh wo to pagla gaya hota but is situation mein use kuchh samajh na aa raha tha. Thodi der mein wo shaant hua aur usne bolna shuru kiya,

AV – MAHI tumne ek baar pucha tha na ki ANKITA ( AV aur MAHI ki classmate, Intro baad mein chipkaunga abhi scene mast chal raha hai, bas itna samajh lo har time AV se ladna iske liye saans lene se zyaada zaruri hai) jab bhi mujse ladti hai ya kucch ulta-sidha bolti hai to main use kuchh kyun nahi kehta.

MAHI ne excited hokar sar haan mein hilaya.

AV – Kyunki jab Mom pregnant thi tab maine socha tha ki agar mera koi bhai hoga toh uska naam main SAMAR rakhunga aur agar behan hogi to uska naam ANKITA.

MAHI AV ko dekhte hue uska dard mehsus kar rahi thi aur AV ki baat ko samajhne ki koshish kar rahi thi.

AV – Jab pehli baar ANKITA mujhse ladi thi na aur mujhe uska naam pata chala tha toh mujhe laga mujhe meri behen waapis mil gayi hai , isiliye main uski baaton ka bura nahi maanta.

MAHI feel kar rahi AV ka pyaar uski behan ke liye , jise shayad AV ne sirf ek baar hi dekha hoga who bhi mrit uske liye dil mein itna pyaar. MAHI ke liye ye sab kaafi tha samajhne ke liye ki AV baaki sab se kyun alag hai.

MAHI aur AV fir ek dusre ko hi dekh rahe the aur iss baar bhi chuppi todi AV ne,

AV – MAHI ab hume jaana chahiye subah fir jaldi bhi jaagna hai.

MAHI – Haan tum sahi keh rahe ho, aur ek baat yaad rakhna tumhe koi bhi problem ho na mujhe bataya karo chahe tumhari help na kar paun par apni takleef kisi na kisi ke saath share zarur karni chahiye.

Bas yahi thi wo baat jiske chalte present time mein AV Ji itne prasann the. Ek to pehli baar unhone MAHI se itni der tak baat ki upar se fir ye aakhiri shabd MAHI ke jo AV ke liye Amrit saabit hue aur wo apna dukh bhulakar Khushi ke sagar mein gote lagane laga.

Iske baad inhone ek Dusre ko Good Night kaha aur apne kamre ki taraf , I mean apne-apne kamre ki taraf chal pade. Par koi tha jo in dono ko baat karte hue apne room ki khidki se dekh raha tha, chahe inki baatein na suni hon but in dono ko itni der tak ek saath dekhkar uski shakal gaanv ki sadak jaisi ho gayi thi. Basically without a pattern, explain nahi kar sakte na guru itni gandi shakal jo bana li thi bhaisahab ne aur ye the apne

RAHULWA.

To dekhte hain agge kya hota hai. Mast update chhap diya bhai log. Baaki milte hain agle update mein, tab tak jo karna hai karo, mujhe kya.

(2039 WORDS)
Sahi kaha apna dard kisi ke saath baantne se chaahe wo kam ho na ho par uss se ladne ki taakat aa jaati hai. Hero aur heroine ki love story kaise shuru hogi ye dekhne laayak hoga. Aur ab Rahul kya karega.

Awesome Update...
 
  • Love
Reactions: Rocky Dsouza

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218
waiting
 
  • Like
Reactions: Rocky Dsouza

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,068
144
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ]
CHAPTER – 1
“THE TRIP”
UPDATE #5 [THE BREAK-UP]
“ RAHUL YOU’RE DISGUSTING. TUMNE AAJ MUJHE BATA DIYA KI TUMHARI SOCH KITNI GANDI HAI BILKUL TUMHARI HI TARAH. I’M BREAKING UP WITH YOU NOW ”.

Arre arre ye kya ho raha hai. Ye kaun hai jo mere favourite RAHULWA ki beizzati kar rahi hai. Chup ho jao bata rahe hain warna achha na hoga. Are ye kya ye toh apni heroine, matlab story ki, meri nahi, MAHIRA hai. Ab iska toh main kucchh kar bhi na sakta, story hi pit jayegi fir to. Najayaj faayda uthaya ja raha hai mere bholepan ka. Koi baat nahi hoga tumhara bhi hisaab hoga. Par abhi pehle ye to samajh len ki ye maajra kya hai.

Achha ab samjhe ye to MAHIRA aur RAHUL ka break-up ho raha hai. Haan to main kahan tha , main tha Room No. 133 main. Ye hai MAHIRA madam ka room , inki room mate to chali gayi hai breakfast karne par yahan RAHULWA break fast mein MAHIRA ka khoon pi raha hai. Chaltein hain kuchh samay pichhe,

MORNING TIME:-

KNOCK,KNOCK ,KNOCK

Yeh awaaz thi darwaaza knock karne ki jo ki RAHULWA hi kar raha tha. MAHIRA ne door open kiya aur ek pal ko wo RAHUL ko dekh kar chaunki. Kahe? Are bhai school trip hai , saath mein teachers bhi hain ek hi kamre mein dekhenge to kesa lagega. Chhodo. Haan to kahan tha main??

Haan, yaad aya,

MAHIRA – RAHUL tum kya hua kuchh kaam tha?

RAHULWA – Haan mujhe tumse kuchh puchna tha.

MAHIRA – Haan bolo.

RAHULWA – Dekho mujhe sidhe-sidhe baat karne ki aadat hai to saaf-saaf batado ki tumhara us AV ke saath kya chal raha hai?

MAHIRA – Tum kehna kya chahte ho?

RAHULWA – Main kuchh kehna nahi chahta, main bas puchh raha hun. Kal raat ko tum garden mein uske saath kya kar rahi thi.

MAHIRA – Tum hosh mein to ho , kya bakwas kiye ja rahe ho.

RAHULWA – Hosh mein to ab aaya hun, boyfriend main hun tumhara aur raat bhar baatein uske saath, waah

MAHIRA – RAHUL tum ab apni limit cross kar rahe ho, main kuchh keh nahi rahi hun iska matlab ye nahi ki tum kuchh bhi bologe.

RAHULWA – Chup bilkul chup , mujhe haath bhi nahi lagane deti aur apne us yaar ke saath raat raat bhar baatein karti hai ,….. CHATAAK , CHATAAK

Oh!! Ye hamari beauty queen to lady don nikli, kaise maara hai bechare RAHUL ko, paap lagega paap.

BACK TO PRESENT :-

MAHIRA – “ RAHUL YOU’RE DISGUSTING. TUMNE AAJ MUJHE BATA DIYA KI TUMHARI SOCH KITNI GANDI HAI BILKUL TUMHARI HI TARAH. I’M BREAKING UP WITH YOU NOW ”.

“KYA SE KYA HO GAYE, KYA SE KYA HO GAYE”.

Kya badiya tareeke se suit karta hai ye gaana RAHULWA par. Tu tension mat le bhai main hun na. Main tere liye dusri ladki ki entry karaunga story mein. Aakhir favourite character hai tu mera.

Haan toh RAHULWA waise hi iss baat se khafa rehte hain ki MAHIRA use kiss to chhodo touch tak na karne deti, nibba hai bechara, aur yahaan apne sabse acchhe dost AV (mazaak nirdosh mazaak) ki baat thi, to bechare ko thoda gussa aa gaya. Ab kya kar sakte hain langoor ke haath mein angoor rahega bhi to kab tak. (Abbe meri taraf kya dekh raha hai, heroine hai wo story ki, mana ki tujhe main support karta hun but iska matlab ye nahi ki uska role kaat dunga, readers mujhe kaat denge. To isliye chup, bilkul chup. Nibba saala.)

To is gadhe ko chhodo ham chalte hain hotel ke baahar, kya karne, abe ruko bata raha hun,
“ Students aaj ham jayenge PANGONG TSO LAKE and uske baad ZANSKAR VALLEY. Main pehle hi bata raha hun agar kisi ne bhi indiscipline kiya to tod ke rakh dunga.”

Haan to app samajh hi gaye honge ki ye mahanubhav hain RAJNEESH SIR, or ye chipka rahe hain chaante, nahi nahi aaj ka plan.

RAHUL ko chhodkar sab yahin hai, to wo kahan gaya, arre yaar break up hua hai uska sharab vagerah pine gaya hoga bechara. God save him. Arre ye kya ye to daru pike badi jaldi aa gaya. Punctual hai lounda. Aur aate hi shuru kar diya apna kaam, kya, wahi MAHIRA ko ghoorne ka, saala aankhon se hi kha jaayega kya. MAHIRA waise hi gusse mein hai subah se aur ab RAHULWA ko dekh kar to lagta hai ki kabhi fat padegi, arre sab thoda door door ho jaayo ese jawalamukhi ke paas nahi khade rehne ka, problem ho sakti hai.

Idhar apne AV babu MAHIRA aur RAHUL ko kab se notice kar rahe hain. Aur MAHIRA ke krodhit hone ki wajah ke baare mein soch rahen , chalo inhe sochne do. Itna ye sab samaan ko bus mein load hone do, samaan konsa samaan, are yaar mera matlab students…..

“HEY MAHI”.

Yeh awaaz thi hamare hero ki. To yeh Vaanar sena pahunch chuki hai PANGONG TSO LAKE par jahan sab log mast majaa bhi maar rahe hain par hamari heroine, MAHIRA JI baithi hain akele , bilkul akele. Aur hamare AV babu to sache premi hain wo inhe aise dukhi kaise dekhenge. Chal diye madam ke paas aur lagayi unhe awaaz.

MAHI – HI AV

AV – Kya hua tum subah se kaafi sad ho aur subah gusse mein bhi thi, kuchh hua hai kya.

MAHI – Nahi esi to koi baat nahi hai.

Arre ye kya ye lounda to shaatir nikla , direct haath hi pakad liye, waah lounde waah, bahut aage jaage tum, shabaash. Yaar chhed nahi raha hai wo usse santvana de raha hai.

AV (haath pakde hue) – Dekho tumne hi kaha tha na ki apni problems share karni chahiye aur ab khud hi ese kar rahi ho. Tum mujhe batao to kya hua hai, shayad main tumhari help kar dun.

Ye sab inhone direct MAHI ki aankhon mein dekhte hue bola. Romance karna hai is ladke ko, saala dudh ke daant gire nahi, chhodo.

MAHIRA (Ek pal ko AV ko dekhte hue) aaj ki ghatna ka vistar se bakhan kar seti hai. Or ye kya AV ki khushi ka level sabhi meters ko todta hua pahuch gaya hai aasmaan mein. Waah!!!

AV (kuchh sochte hue) – MAHI ek baat batao kya tum sach mein RAHUL se pyaar karti ho ya karti thi???

MAHI (chaunk kar) – Kyun, tum esa kyun puchh rahe ho?

AV – kyunki mujhe esa lag raha hai ki tum usse pyaar nahi karti thi, kyun sahi bola na maine.

Aakhir kaar AV ne sach ko samajh hi liya . Haashhh!!!

Yeh MAHI chaunki , kyunki ye AV babu to mind-reader nikle. Ab kya bole kuchh samajh to aa nahi raha tha to bas mundi haan mein hila di. Aur ye AV Kki khushi ki Seema hi na rahi, smile gehra gayi aur dil garden-garden ho gaya!!!! Hoga kahe nahi rasta jo clear ho gaya mahashay ka.

AV (excited and happy) – To tumne ye sab kyun kiya???

MAHI fir usse sab bata deti hai aur fir kuchh der inmein normally baatein hoti hain and ye bhi chal dete hain apne group ke paas. Shaam tak ye dono jagah ka bhraman kar lete hai and then nikal lete hain apne adde ki taraf , yaani hotel ki taraf. Ab AV kaafi khush tha aur saath hi thoda pareshaan bhi, wo kyaa hai na wo soch raha tha kuchh, kya , main nahi bataunga khud hi socho.

To milte hain next update mein AV ki soch ke saath. Tab tak ke liye bye-bye.

(1247 WORDS)
To Rahul se pichha chhoot hi gaya Mahi ka aur apne hero ki line bhi clear ho gayi. Ab dekhte hain ki kya ye apne dil ki baat Mahi se bol paata hai ya nahi.

Awesome Update bhai...
 
  • Love
Reactions: Rocky Dsouza

Death Kiñg

Active Member
1,408
7,068
144
PART – I [ UNFOLD THE MYSTERY ]
CHAPTER – 1
“THE TRIP”
UPDATE #6 [UNBOXING THE PUZZLE]
NEXT MORNING:-

LOCATION :- AV'S HOTEL ROOM

“ JAB SURAJ APNI ROSHNI KHUD PAR CHHODEGA,
TAB UJALA CHHA JAYEGAA
AUR TERE ISS SAFAR KI SHURUAAT KA RAASTA
TERI AANKHON KE SAAMNE AA JAYEGAA”


“ABBE KYA BAKWAAS HAI YEH GHANTA KUCHH SAMAJH NA AA RAHA”.

Haan to bhai log yahi hai wo cheez jiske liye AV bhau raat ko pareshaan ho rahe the. Matlab tab thode kam pareshaan the ab zyadaa hain. Kaahe???? Ruko batate hain.

FLASHBACK FROM LAST NIGHT:-

Haan toh jab vaanar sena ke sabhi sadasya aur unke do sena nayak yuddh par se shaam ko hotel vaapis aaye tab AV babu kuchh pareshaan the. Kyun???

Arre yaar bhul gaye kya wo MONK AKKRUM RINPOCHE ko , diya tha na unhone AV ko ek box, usi ki tension le raha tha lounda. Wo kya hai na ki aaj ye uski jaanch padtal karne ka soch rahe hain. To sabhi sainik chal diye apne-apne kaksh ki taraf.

INSIDE AV’s ROOM :-

Chalo isse khol kar dekhta hoon, hai kya isme. Diary ke hisaab se isi ke zariye mujhe pehla clue milega uss RAAZ ke baare mein. Ye sab sochte hue us lakdi ke sundar se box ko nihar rahe the AV. Wo box bhi kaafi alag lag raha tha. Shisham ki lakdi se bana hua aur behatreen carvings bhi thi uske upar.

To saare khyaalon ko side mein fenkte hue AV ne khola us box ko, koi lock vagerah to tha nahi usme to ye kaam ek dam halwa tha. Aur jab wo khula to uske andar se nikli do cheezen, kya kya

• EK CHAABI, AUR ,

• EK KAAGAZ KA TUKDA


Chaabi to ek dam antique piece lag reli thi. Bole toh raja maharaja ke zamaane ke maafik. Us chaabi ko kuchh der tak dekhne ke baad side mein rakha aur uthaya us kaagaz ko hero ne. Jab uss kaagaz ke upar likhe shabdon ko padha toh dimag ghoom gaya lounde ka. Abbe nuclear bomb banane ka formula na likha tha usmein , usme likha tha ye ,

“ JAB SURAJ APNI ROSHNI KHUD PAR CHHODEGA
TAB UJALA CHHA JAYEGAA
AUR TERE ISS SAFAR KI SHURUAAT KA RAASTA
TERI AANKHON KE SAAMNE AA JAYEGAA”


Haan to doston yahi pahelinuma vaakya likhe hue the us paper par. Wo kaagaz bhi kaafi purana lag raha tha par fir bhi haalat thik hi thi uski. Main point ye hai ki is paheli ka P bhi samajh na aya hero ko. Isliye dimag ko jhatka, Chaabi aur paper ko box mein vaapis patka and then aaram se bed par letkar us paheli ke baare mein sochne lage. Ek baat ye ki iss sabke doran ARYAN aaram se so raha tha. Koi lena-dena nahi tha duniyadari se. Chalo sone do hame kya. Aur sochte sochte hi neend ki vaadiyon mein kho gaye AV babu. Tum ruko main ise dhund kar lata hun, subah milte hain…..

Then subah uthe , fresh vagerah hue or ek laat maarkar bed se niche patak diya ARYAN ko. Man mein gandi-gandi gaaliyaan (jinka prayog mere jaisa bhola insaan nahi kar sakta) dete hue chale gaye baathroom mein.
Kuchh der baad,

AV ne ARYAN ko uss box aur puzzle ke baare mein bataya, jab ARYAN ne us puzzle ko padha to jo cheez uske paas thi hi nahi, vo ghumne ka natak kiya, are yaar dimag, mastishk. Aur inka reaction to aapne dekha hi upar kya tha.

“ABBE KYA BAKWAAS HAI YEH GHANTA KUCHH SAMAJH NA AA RAHA”.

Ye ARYAN sir ke hi shabd the jo nikle us puzzle ko dekhne ke baad.

BACK TO PRESENT:-

ARYAN – Abbe ye kya bawasir hai, Suraj khud apni roshni khud par kaise faink sakta hai. Ye to wahi baat ho gayi apne muh par khud hi ulti karna.

ARYAN ke dwara diye gaye is shandaar example par usse ek pal ghoora AV ne aur uske baad,

AV – Abbe tu hospital mein paida hua tha ya gutter mein, jab bhi muh kholega, kachra hi bahar nikalega. Aur rahi baat iss paheli ki to main hi paagal hun, main bhul gaya tha ki ise solve karne ke liye dimag ki zarurat hoti hai aur us cheez se toh aapka door-door tak koi naata nahi hai.

Is baat par koi pratikriya diye bina hi gusse mein bhinbhinate hue kamre se bahar nikal gaye ARYAN sir. Par AV abhi bhi yahi soch raha tha ki suraj kaise khud par hi roshni daal sakta hai. Par abhi to ye sawaal hal hone se raha isliye wo bhi chal diya neeche ki taraf .

LOCATION :- OUTSIDE THE HOTEL

“ So students aaj ham jaayenge HEMIS NATIONAL PARK”

Ye the hamare ANIL SIR;

ANIL SIR – Aapko bata doon ki ye ek esa park hia jahaan par aap Snow Leopard dekh sakte hain. Ek baat yaad rakhna koi bhi aaj shaitaani nahi karega aur koi bhi van se bahar nahi niklega.

Ese hi kuchh aur instructions dene ke baad sabhi log baith gaye van mein aur chal diye apne gantavya ki taraf. Aaj AV ARYAN ke saath baithne ke bajaaye MAHI ke bagal mein baitha tha aur uske man mein ladoo foot rahe the. Ab ARYAN ko toh MAHI-RAHUL kaand ki jaankari nahi thi toh wo as usual is baat se gusse mein hi tha. Dusri taraf RAHUL bhi krodhit tha aur unki aankhein in dono ko hi dekh rahi thi. Is baat ko notice kar MAHI ne RAHULWA ko aur pareshaan karne ke liye AV ka haath pakad liya. Is harkat se AV toh jaam ho gaya. Shareer thanda pad gaya aur dil relgaadi ban gaya. Apne aap ko kisi tarah control karte hue is pal ko jeene mein lage hue the AV. Sab log saath mein the toh kya hi baat kar sakte the ye dono. Par AV to chahta tha ki waqt yahin ruk jaaye or wo MAHI ko dekhta hi rahe. MAHI ne AV ko usse ghoorte hue nahi dekha tha. But ARYAN and RAHULWA ye sab dekh rahe the.

Jahaan ek taraf RAHULWA ke kaano se dhuaan nikal raha tha wahin dusri taraf ARYAN ko kuchh samajh na aa raha tha. Wo to apne dimag ke ghode daudate hue scene samajhne ki koshish kar raha tha par kya faayda. Toh wo bas kabhi MAHI-AV ko to kabhi RAHULWA ko dekh raha tha. In chaaron ko chhodkar baaki sab dekh rahe the ek hi praani ko, are wahi SNOW LEOPARD, (bhai log kamaal ki cheej hai ye ek baar dekhna jarur agar kisi esi jagah jao to.)

Kaafi time tak yeh sab chalta raha fir waapis yeh log apne hotel aa gaye. Kyunki inka hotel National Park se achhi doori par tha toh inhe waapis aane tak shaam ho gayi thi. Aur isiliye sab log waapis apne-apne kamron mein chale gaye. ARYAN AV se aaj ke baare mein puchna chahta tha par AV bahana banakar side ho gaya, kyunki usse abhi zyada important kaam karna tha, kya ek hi to kaam hai is praani ko – MAHIRA.

To ye chal diye garden ki taraf aur bench par baithkar aaj ke baare mein sochne lage. Wahin dusri taraf MAHI bhi apni hi soch mein gum thi AV jab uske paas hota tha to hamesha hi use kuchh alag ehsaas hota tha aur aaj jab usne AV ka haath pakda to usse laga jaisa AV uska koi apna hai. Par usse bhi ghanta kuchh na samajh aa raha tha. And wo bhi chal di bahar garden ki taraf.

Jab usne AV ko bhi garden mein baithe dekha to uska dil zor zor se dhadakne laga. Wo dhire-dhire chalti hui us bench ke paas pahuch gayi or usne dekha ki AV kuchh soch raha hai. Par tabhi use AV ki awaaz aayi,

“ Khadi kyun ho MAHI , aao baitho ”.

Ye usne MAHI ko dekhe bina hi , nazrein saamne ki taraf rakhte hue hi kaha tha. Matlab use bina dekhe hi pata chal gaya tha ki MAHI uske paas khadi hai. MAHI ne uske bagal mein baithte hue kaha,

MAHI – Tumhe kaise pata chala ki main hoon?

AV (dheere se) – Tumhe to main hazaaron mein bhi dhoond sakta hoon.

MAHI – Kya bol rahe ho thoda zor se bolo.

AV – Are kuchh nahi wo chhodo ye batao tum is time yahaan kaise?

MAHI – Kyun main nahi aa sakti kya? Vaise mujhe neend nahi aa rahi thi isliye yahaan aayi.

Jis andaaz mein MAHI ne apni baat kahi AV to uska deewana ho gaya. Jab bhi MAHI usse gusse mein ya chidte hue baat karti thi to use bada maza aata tha.

AV – Nahi, maine esa kab kaha , main to bas puchh raha tha. Achha mujhe apne baare mein batao na, meri history-geography to tumne jaan li thi.

MAHI – Main kya bataun, ghar mein bas Mom-Dad hain , main hun aur mera pyara pet Bruno. Zyada friends bhi nahi hain bas school se ghar, ghar se school. Yahi routine hai mera.

AV – To matlab tum thodi boring ho.

MAHI – Kya kaha??

AV – Kuchh nahi, main to bas yeh puchh raha tha ki tumhe animals pasand hai na.

MAHI – Haan, par tumhe kaise pata.

AV – abhi tumne khud hi bataya ki tumhare paas pet hai, aur aaj SNOW LEOPARD ko dekh kar bhi tum kitni khush thi aur sabse badi baat RAHUL tumhara boyfriend tha.

Iss baat par jo hasi hai MAHI , kya bataun ek to yaar itni khubsurat, upar se aesi jaanlewa smile, apna hero bhi kya hi kare. Haan taoh hero to bas uski smile mein hi kho gaya aur MAHI ne bhi use notice kar liye aur thoda sharma gayi. Usne AV ko hilaya and wo bechara to jhenp gaya. Soch raha tha ki MAHI ne usse ghoorte hue dekh liya hai ab pata nahi iske baare mein kya sochegi.and,

MAHI – Tum mujhe ghoor kyun rahe the.

Yeh fati lounde ki,

AV – Nahi main nahi , main kahaan ghoor….

Bechare ki baat beech mein hi kaatkar MAHI boli

BUDHU, aur haste muskurate Good Night bolkar chali gayi. Aur ye Romeo to abhi bhi uski smile mein khoya hua tha. Apne sar par haath markar utha aur khush hota hua apne room ki taraf chalta bana.

Main bhi jaa raha hun, fir milenge, bye-bye.


(1708 WORDS).
Ab iss paheli ka kya matlab hai ye dekhna hoga, aur kab tak AV iska jawaab dhoond paayega. Idhar Mahi aur Av ki bhi baat cheet badh rahi hai. Dekhte hain aage kya hota hai.

Excellent Update....
 
  • Love
Reactions: Rocky Dsouza
Status
Not open for further replies.
Top