- 13,871
- 98,659
- 259
Last edited:
Lajawaab update broUpdate - 64 ~ Help on the wayAb tak...
*Ding*
[You have received a Legendary Card.]
[This... Omg!?? No waayyyyyyy!!!]
Aur Pari ke reaction ki awaaz sunn, iss baar maar khaate hue bhi Veer ke hontho par ek muskaan thi.
Ab aage...
Kishor's Villa...
11:15 PM...
Jaha Veer ka koi thikaana nahi mil raha tha dhundne par wahi iss waqt, Mumbai me hi Kishor apne khud ke aalishaan villa me iss waqt night wear waale kapde pehne apni ek chair par baitha hua book padh raha tha. Jaise usse koi fiqr hi nahi thi.
Kaafi derr se wo aise baithe hue tha jab uske room ka darwaaza khula aur ek ladka uss kamre ke andar daakhil hua.
Wo ladka keval ek full black t shirt aur neeche blue coloured jeans pehne hue tha. Kishor ne apne peeche se kisi ke aane ki aahat paate hi book band kar dii aur bina uss ladke ko dekhe hi pucha, "Kaha the itni derr tak?"
Uske sawaal par ladke ne jawaab diya, "Mene aapko jataaya tha ki mujhe aane me thoda late ho jaega."
Kishor : Hmm! Thoda nahi kuch zyaada hi late ho tum.
Kishor ne side wall me lagi ghadi ki orr dekhte hue ishaara kiya, jisme samay 11:15 ho raha tha.
Ladka (sighs) : Kaam tha. Isliye... Thoda late ho gaya.
Kishor : Accha!? Theek hai. Par apne samay ka dhyaan rakha karo Karan. Mujhe poke na karne pade tumhe baar baar.
Karan : Jii!
Late aaya vyakti koi aur nahi, Kishor ka apna beta Karan hi tha. Aur Kishor shayad uske late aane se thoda disappointed tha.
Kishor : Jao ab.
Karan : Mujhe kuch baat karni hai aapse.
Kishor : Kesi baat!?
Karan : Aapko pata hai dii ke baare me? Kuch derr pehle kya hua?
Kishor : Hmm~
Karan : Toh? Aapne kya action liya?
Kishor ne iss baar palat'te hue apne bete ki orr dekhte hue kaha, "Tum kab se mujhse sawaal jawaab karne lage?"
Karan (frowns) : Baat meri dii ki hai. Unke upar hamla hua tha. Wo toh accha hua Veer waha tha otherwise...
Kishor : Hmm!? Veer... Tum kaise jaante ho usse? Huh?
Karan : Mein... Mein uss se mil chuka hu.
Kishor : Ohh! Aur ye baat tumne mujhe bataana zaroori nahi samjhi?
Karan : Wo... Bas choti sii mulaqaat thi.
Kishor : Hmm~ Toh!? Kya pata chala uske baare me?
Karan : Matlab?
Kishor : Mera matlab tum uss se mile ho toh itni derr milne ke baad kya kuch jaan paaye uske baare me?
Karan : Wo... I don't know much. Itna pata hai ki wo ek accha ladka hai. xxxxxxx college me padhta hai. Abhi abhi khud ka food truck shuru kiya hai shayad usne. Overall, mujhe uska first impression accha laga. Not to mention ki usne dii ko do baar bachaaya bhi hai.
Kishor : Hmm? Do baar?
Karan : Aapko nahi pata? Uss time jab dii par club me attack hua tha? Veer ne hi dii ko waha se safely Raghu and Jassi Sir ke paas pohuchaaya tha.
Kishor : Ohhh!
Karan : Hmm! Aur meri abhi Raghu se baat hui hai. Usne bataaya mujhe kitna kuch ho gaya hai. Dii toh waapas aa rahi hai uske saath par Veer mushqil me hai. Kya aapko nahi lagta ki aapko iss waqt kuch karna chaahiye!?
Kishor : Kya chaahte ho tum?
Karan : Mein... Mein chaahta hu ki aap Veer ko kisi bhi haalat me waha se bacha ke laaiye.
Kishor : Bas!?
Karan : Huh!??
Kishor : Tumhaare aane se pehle hi mujhe Kaera ka phone aaya tha. And for your information Mister Karan, mene uss Veer ke liye help bhej dii hai. Copter bhi bheja hai saath me.
Karan (surprised) : That...
Kishor : Yadi baat ho gayi ho, toh tum jaa sakte ho.
Karan : J-Jii!
Karan sarr jhukaate hue waapas mud jab jaane ke liye hua tabhi ek baar fir Kishor ke room ka darwaaza khula par iss baar boht hi tezz jhatke ke saath aur andar jaldbaazi me koi daakhil hua.
"F-Father!!!!"
Karan : Diii!!!!
Kaera, jo ki Raghu dwara Mirror Gallery se safely rescue kar lii gayi thi wo apne ghar pohuchte hi seedha apne pita ke room me ghus aayi.
Bagal me khade apne chote bhai Karan ko usne ek jhalak dekha aur fir waapas se apne pita ko dekh aage badhi.
Kaera : Father! Wo... Veer... He's in trouble.
Kishor apni beti ke sawaal ka jawaab nahi diya. Wo bas Kaera ko dekh ke kuch parakhne ki koshish kar raha tha. Shayad soch raha hoga ki bhala meri beti, jo itni badi company ki maalkin hai wo kisi aerre gerre natthu kherre ke saath kabse dosti karne lagi? Shayad uske mann me khatre ki ghanti baj rahi thi.
Kishor : Mene uske liye help bheji hai na beta?
Kishor kehte hue utha aur apni beti ke paas aaya aur usse gale se laga ke dheere dheere uske sarr par haath ferrne laga.
Kishor : Tumhe kuch hua toh nahi!?
Kaera bechaari kuch keh hi na paayi. Aisa boht kam hi hota tha jab uske pita usse apne gale se laga ke kuch kehte the.
Kaera : I... M-Mein theek hu but Veer.
Kishor : Don't worry! Mene help bheji hai na? Sab theek ho jaega. Okay!?
Kaera : Mm~
Kishor : Chalo! Jao ab tum sab apne apne kamre me aur rest karo. Okay?
Ye jaise request nahi thi balki ek order tha. Kishor ne na fir unhe dekha, wo seedha palta aur apne jeb se ek cigarette nikaal ke usse light kiya aur muh me rakh kar ek kash lagaate hue wo waapas se apni kursi par wahi book liye baith gaya.
Jaise maano uski taraf se sab sahi tha aur ab kuch faaltu baatein karne ki koi zaroorat nahi thi.
Kaera samet Karan dono hi baahar nikle toh Kaera bina kuch kahe apne room me jaane lagi. Uski haalat boht hi unstable sii thi. Uske mann me bas wahi manzar baar baar chal raha tha jisme Veer ki akhiri muskaan dikhaayi de rahi thi usse aur fir baad me uss gate ka band ho jaana. Yahi sab soch soch ke Kaera itni ghabraayi hui thi ki usse khud nahi pata tha ki uski haalat kesi ho gayi hai.
Karan apni badi behan ko dekh aaj itna toh jaan gaya tha ki uski didi koi robot nahi hai. Wo bhi ek insaan hai jo sab kuch feel kar sakti hai. Dusro ki fiqr kar sakti hai, unki chinta kar sakti thi. Aur Karan ko toh jese bas yahi chaahiye tha.
Karan : Dii!?
Usne haule se chalte chalte hi peeche se bulaaya. Kaera uski pukaar sunn palti par kuch na boli.
Karan : Aap theek ho na?
Ek baar fir Kaera ne koi jawaab na diya. Uski aankho me aasu the. Usne palke jhapkaate hue Karan ko nazre utha kar kuch pal ke liye dekha.
Karan ne usse dekh kuch socha aur fir kaha, "Kya mein aapka phone dekh sakta hu?"
Kaera bina kuch kahe hi uske haath me apna phone thama dii aur fir wo mud ke apne kamre me jaane lagi.
Uska ye ravaiyya dekh Karan bas pheeki sii muskaan liye wahi deewaar se tik ke khada ho gaya aur apni badi behan ko yu jaate hue dekhta raha.
Aaj bhi wahi hua, harr baar ki tarah. Na jaane kab unn dono ke beech ka ye rishta badlega?
Kya hua tha inn dono ke rishte ko? Kyu Kaera ne Karan ke sawaal ka jawaab nahi diya? Iski kahani inke ateet me hi chhipi hui thi.
Bachpan me, jab Kaera se uski azaadi chheeni jaa rahi thi yaani ki jab Kaera ko uski Maa ke chale jaane ke baad se band bangle me padhaaya likhaaya jaa raha tha tab umr me badhte hue Karan ke liye aisa kuch nahi tha. Uske liye sab kuch normal hi tha.
Wo auro ki tarah ghumne firrne jaata, wo khul ke kahi bhi jaa sakta tha, wo school jaata tha, apne dosto ke sang khelne toh kahi uske dost uske ghar aake saath me khelte the. Aur issi beech wo apni jab badi behan ko yu bas padhte hue dekhta tha toh usse aisa lagta tha ki kitni boring hai uski behan.
Jab dekho tab padhayi me lagi rehti thi. Ek prakaar se Karan ne Kaera ko apni asli behan ke roop me dekha hi nahi tha. Jab aapki baat hi na ho kisi se toh aap naturally unme apna rujhaan kho baithate ho. Yahi hua tha Karan ke saath bhi.
Wo bhool chuka tha ki uski apni behan bhi hai. Aur wo bas apne enjoyment me jeene laga. Pita paisa dete hi the usse. Usse bas ek hi kami mehsoos hoti thi wo thi apni Maa kii jisse wo theek se jaan bhi na paaya. Kyuki uske janm ke kuch saal baad hi uski Maa ye duniya chorr kar jaa chuki thi.
Par Karan ko nahi pata tha, ki jab jab wo khule aasmaan me apne dosto ke sang apni azaadi manaata tha tab tab bangle ki upari manzil ki khidki se uski badi behan usse ek aas liye dekhti thi. Ek aas ki usse bhi kaash baahar jaane milta.
Dheere dheere wahi aas kab ghrina me tabdeel ho chuki thi, ye baat swayam Kaera bhi nahi jaanti thi. Uske bhai ko saari azaadi thi, fir usse kyu nahi? Kyu wo ek jail me qaid mujrim ke samaan ka jeevan jee rahi thi apne hi ghar me? Sawaal toh dherr saare aate the uss waqt uske mann me.
Par unn sawaalo ko lagataar padhayi, shishtachaar, ghar ke prati zimmedaariyo ke lessons ne jaise daba ke rakh diya tha. Harr rozz professors aate aur Kaera ko ye samjhaate ki usse kya bann'na hai. Iss beech jo ghrina uske andar thi, wo thi zaroor par jaise wo apna kaaran ya maqsad bhul chuki thi. Bas kahi chhipi hui thi andar.
Fir wo din aaya, jab Kishor ne Karan ko baahar bhejne ke liye padhne bheja. Karan apni badi behan ki baato se pare padhne ke liye videsh gaya. Apni behan ki hi tarah wo bhi business ke liye hi studies karne gaya tha jab usse ghar se dur rehke kayi baato ke baare me pata chala.
Usse dhyaan aaya ki uski behan bhi toh hai aur kitni kam baatein hoti thi unke beech. Videsh me jab usne apne dosto ki behne dekhi aur unke beech relationship ko. Toh usse jaise samajh aaya ki wo kitna galat kar raha tha apni behan ke saath.
Aur fir usne chhaan been shuru kari ki akhir kyu uski behan band bangle me raha karti thi aur kyu usse itna padhaaya jaata tha. Jab Karan ko baat samajh aayi toh usse bas glaani hi mehsoos hui.
Kitna nasamajh tha woh. Kitna kuch kar sakta tha wo apni behan ki khushiyo ke liye par usne kiya kya? Kuch bhi nahi.
Aur tab se hi uski behan Kaera usse aise dekhti thi jaise maano kisi anjaan aadmi ko dekh rahi ho. Wo jo ghrina thi Kaera ke mann me wo abhi bhi thi par Kaera ab ye nahi jaanti thi ki kyu wo aisa feel karti thi.
Jaise maano wo bhul gayi thi. Karan ko iss se pehle kabhi kisi ke liye itni peeda mehsoos nahi hui thi. Wo ye bhi maanta tha ki shayad Kaera uss se ek aur kaaran se naraaz rehti thi wo ye ki uske janm ke kuch saal baad hi unki Maa ka dehaant ho chuka tha.
Ab kya ye sach tha ki Kaera usse iss baat ko lekar bhi hate karti thi? Ya nahi? Ye wo nahi jaanta tha par maanta zaroor tha ki ek ye kaaran bhi ho sakta tha.
Aur tab se hi usne Raghu ke contact me rehna shuru kiya. Usse samajh aaya ki uske Dad ne uski behan ko kaise ek robot bana ke rakh diya tha.
Aur isliye, usne apni shuruaati padhaayi poori kar waapas Mumbai aane ka faisla liya. Woh faisla ki wo apni behan ko pehle jaisa kar ke rahega. Jo bhi galti uss se past me hui, uski bharpaayi kar wo apni behan ko wo puraana jeevan lauta ke rahega.
Aur kuch samay baad hi usse pata chala Veer ke baare me. Usse pata chala ki Veer naam ke kisi ladke ne uski behan ki jaan bachaayi thi.
Yaha tak ki uss se milne ke baad uski behan ke chehre par muskaan bhi thi. Maano jaise ek raah nazar aayi thi Karan ko. Shayad wo apni dii ko pehle jaisa bana sakta tha!?
Mumbai aane ke baad isliye usne sabse pehle Veer se milne ka faisla liya. Wo dekhna chaahta tha usse, parakhna chaahta tha, kahi ye vyakti uski behan ke liye koi khatra toh nahi tha?
Aur milne ke baad hi jaise uske saare doubts clear ho chuke the. Veer hi tha wo insaan jo uski behan ko sahi kar sakta tha.
Aaj jab usse pata chala ki Veer ne ek baar fir uski behan ko bachaaya apni jaan jokhim me daal ke toh uske mann me jo Veer ki jagah thi, uska sthaan aur upar ho chuka tha. Ab toh woh waqai dil se genuinely uska dost bann'na chaahta tha.
Kyuki wo jaanta tha, ki yadi uski behan me koi badlaav laa sakta tha. Toh woh tha ~ Veer!!!
Wo soch hi raha tha khade khade jab uske bagal se aake Raghu khada ho gaya.
Raghu : Bad News!
Karan : Kya hua?
Raghu : Jassi ka call aaya abhi. Veer ka koi pata nahi mil raha. Wo log shayad usse utha ke le gaye hai.
Karan (shocked) : Kya???
Raghu : Haan! Usne kaha hai Miss ko na bataane ke liye.
Karan : Par... Ye toh... Shitttt!!
Karan khud parershaan ho chuka tha. Jis shaks ke baare me wo abhi kuch derr pehle soch raha tha ki ye vyakti hi uski behan ki madad kar sakta hai ab toh wahi vyakti gaayab ho chuka tha. Jhatka toh lagna hi tha.
Karan : Toh abhi kya?
Raghu : Abhi... Jassi ne orders diye hai isse dhudne ke. Dekho, kya hota hai.
Karan : Usse kaise bhi karke dhundna hoga. Kaise bhi kar ke. Usse kuch hone nahi de sakte hum.
Raghu : Tum kab se usme itna interest lene lage?
Jab Raghu ne ye sawaal pucha toh Karan apni nazre churaate hue palat gaya.
Karan : Don't ask me. Bas itna samajh lo ki... Wo important hai.
Raghu : Well! Jaisa tumhe sahi lage. Aur tum mujhe bhaiya ya Sir kehke kab bulaoge haan? Tumhe pata hai mein 29 ka hu aur tum 20 ke.
Karan : Tumhe dekh ke Sir bulaane waali feeling hi nahi aati.
Raghu : What the...!? Aur Jassi ko Sir kyu fir?
Karan : Well! Unhe dekh kar aati hai. He's more... Umm... Professional.
Raghu : Tch... Keval do saal hi toh bada hai wo mujhse.
Karan : Yeah... yeah!!!
Raghu : Anyways! Mujhe jaana hoga. Jassi ko help ki zaroorat hai.
Karan : Raghu...
Raghu : Hmm?
Karan : Mujhe bhi le chalo. I need to find him.
Raghu : Hein? Oo bhai, tumhara koi kaam nahi hai waha. Wese bhi yadi tumhe kuch hua toh Boss meri khatiya khadi kar denge.
Kehte hue jab Raghu jaane ke liye hua toh iss baar Karan ne uska haath pakad uski aankho me dekha.
Karan : Please!!!
Aaj pehli baar Karan ne uss se please bola tha. Bhale hi Karan usse bhaiya kehkar nahi bulaata tha par ye please apne aap me special tha Raghu ke liye.
Raghu (sighs) : Theek hai. Par ek shart...
Karan : Treasurer Luxury Black!
Raghu (smiles) : Hahaha~ Kitna acchi tarah samajhte ho mujhe. Dekha! Mein kitna easy to understand hu. Kaha tum lage uss Jassi ki tarafdaari karne. Chalo aao. Leke chalta hu tumhe.
Aur Raghu uske kandhe me haath daal usse le jaane laga. Karan bas ek raahat bhaari saas liya aur uske saath chal pada.
Raghu jab bhi apni shart saamne rakhta tha, aksar uski shart yahi hoti thi. Treasurer Luxury Black. Ye ek cigarette thi.
Aur ye import hoke Karan ke pita, Kishor ke liye aati thi. Kitni mehngi thi ye bataane ki zaroorat bhi nahi thi. Ab Karan ka ek kaam badh gaya tha, wo ye ki shart ke mutaabik usse ab kam se kam ek dabba nikaal ke Raghu ko dena padega.
Aur ek aur kaam ye ki unhe yaha se nikalne ke liye neeche guards ko pataana padega. Warna yadi unme se kisi ne bhi upar jaake Kishor ko bataaya toh Karan ki shaamat aa jaani thi fir.
***
Ragini's house...
Ragini ke ghar me mahaul kharaab tha. Matlab waqai kharaab. Ragini chinta ke maare idhar se udhar ho rahi thi aur ye faisla ni le paa rahi thi ki kya kare?
Kya police ko inform kar de? Ya nahi?
Wo Arohi ko phone laga ke puch chuki thi, Veer ki ma'am Nidhi madam se bhi uski baat ho chuki thi par dono hi jagaho par Veer ka koi thikaana nahi tha.
Ab aise me hi ek hi option bachta tha wo tha police.
Par dikkat ye thi ki Ragini sure nahi thi ki Veer waqai laapata hua hai ya nahi? Aisa na ho ki wo Police ko bulaane jaaye aur fir Veer aa jaaye. Ya aisa na ho ki wo Police ko na bulaaye aur Veer ke saath koi anhoni ho jaaye!?
Dono hi sawaalo me wo iss waqt phassi hui thi. Kya kare? Aur kya na kare?
Tabhi peeche baithi Suman ki awaaz uske kaano me padi, "Aap shaant ho jaaiye Ragini jii!"
Ragini : Kese shaant ho jau mein Suman jii? Din ka nikla hua hai woh aur kabse call kar rahi hu, ek call nahi uthaaya hai usne. Na hi koi jawaab de raha hai. Arohi se pucha udhar bhi nahi hai woh, Nidhi Ma'am ko lagaaya call mene udhar bhi uska koi ata pata nahi hai. Kese shaant ho jau aise me mein?
Suman : Aapki baat sahi hai par... Tension lene se kuch haasil nahi hoga hai na?
Aabha : Maa jii ki baat sahi hai Bhabhi jii! Aap apne swaasth par bhi dhyaan dijiye.
Ragini : I just... Nahi! Mein baithi nahi reh sakti. Mein police me complaint likhwaane jaa rahi hu.
Aur Ragini achanak hi uth khadi hui, wo apne kamre me gayi aur fatafat usne ek jeans aur ek top daala aur upar se ek jacket aur wo baahar nikal kar jaane lagi toh Suman ne forun hi apni beti Sonali ko bhi Ragini ke saath bhej diya.
Suman : Sonali ko le jaaiye. Do log rahenge toh accha rahega. Mein aur Aabha yaha rukk ke maali... Matlab Veer jii ka intezaar karte hai tab tak.
Ragini : Haan!
Aur dono Ragini aur Sonali waha se nikal padi.
Par mahaul keval yahi tang nahi tha. Nidhi jisse iss baat ki khabar lagi thi ki Veer ab tak ghar nahi lauta tha wo firse na chaahte hue bhi ab chinta me doobi hui thi. Wahi haal Arohi ka bhi tha apne ghar me. Shayad jald hi kayi calls jaane waale the Ragini ke phone par Veer ke baare me puchne ke liye.
***
Slogan's Hideout...
[Breathe slowly. Yes!!! Calm down!!!]
Idhar Veer ko peetne ke baad wo log araam farma rahe the. Aur Pari uske mann me uski saanso ko santulit karne ke liye usse instructions de rahi thi.
Kayi jagah uske ang khoon se sane hue the. Aur itni maar ke baad zaahir tha ki Veer behoshi me chala jaega. Par wo aadmi uss par paani chhidak chhidak kar usse hosh me rakhe hue the.
Pari se Veer ki haalat dekhi nahi jaa rahi thi. Mann hi mann wo unn aadmiyo ko gaaliya bak rahi thi.
Jab Veer kuch shaant hua toh Pari ne details bharna shuru kiya jo behad zaroori thi.
[Okay! Toh sabse pehli baat. Hamaare paas ab keval 500 points bache hue hai. Baaki ke 1600 points kaha gaye? Quest me nipat gaye wo.]
Veer bas saas lete hue apni adhkhuli aankho se Pari ki baatein sunta jaa raha tha.
[Ab baat karte hai card ki toh... WHAT THE LUCK???]
'...'
[I mean yeah... Kya luck hai tumhaara haan? Tumhe pata bhi hai ye kya hai? Beowulf's blessings!!! Ye legendary cards me bhi top tier card hai. Aur tumhe bas ye 1600 points ki gambling me mil gaya? Just how insane your luck is???]
'...'
[Let me tell you ki iske kya features hai. Sabse pehli baat... Tumhe isse ON karna padega. Matlab equip karne ke baad ye apne aap ON nahi hoega. Kyuki ye thoda alag type ka card hai. Thoda risky bhi hai aur time limited card hai ye.]
'???'
Veer kuch keh nahi paa raha tha mann me par jaise Pari samajh chuki thi ki wo kya kehna chaah raha tha.
[Hmm? Nahi nahi, Time limited ka matlab ye nahi hai ki kuch time ke baad ye card chala jaega. Ye card permanent hai. Time limit se mera matlab ye tha ki tum iss ON karne ke baad bas kuch derr ke liye hi use kar sakte ho aur fir ye waapas se OFF ho jaega. Jab tak ki cooldown period khatam nahi ho jaata.]
'...'
[Ugh! Somehow I'm missing your blabbering... Anyways, dhyaan rahe. Isse equip karne ke liye tumhe SLOT se Bone Reaper hataana padega. Aur tum jaante ho na? Bone Reaper hataane ke saath saath hi tumhari bones waapas se normal ho jaengi. Rib cage fir unbreakable nahi rahega.]
'...'
[Huh? You want to equip it?? Dhyaan rahe ki tum isse fir 24 ghante tak hata nahi sakte SLOT se. Yahi niyam hai SLOT ka. You still want to equip it?]
'....!'
[Ughh!!! Fine! Theek hai equip kar deti hai.]
*Ding*
[Bone Reaper has been removed.]
*Ding*
[Beowulf's Blessings has been equipped.]
[Ye lo. Ho gaya. Ab suno, iske features jaan lo. Dekho card me likha hi hai, 60% increase in senses. Matlab tumhaare senses abhi ke muqaable 60% aur badh jaenge. Chaahe wo sunn'ne kii shakti ho, ya sunghne ki, ya dekhne ki, ya twacha se feel karne ki. Okay? Ye 60% badh jaengi.]
'...'
[Uske baad likha hai +50% in reflexes, agility, speed and healing. This is insane. Tumhaari agility aur speed 50% badh jaegi. By the way agility aur speed ek hi cheez hai. Let's say ki tumhaari agility 100 hai toh wo 50% aur badh jaegi yaani ki 150 pohuch jaegi. This is madness. Tum pehle ke muqaable boht tezz ho jaoge. Upar se healing bhi 50% badh jaegi. Aur toh aur full moon me ye percentage double ho jaenge. A fucking legendary card you got there. Oye sunn rahe ho na?]
Iss baar Veer ne bas haule se haami bhari.
'Mmm~'
[Thank God! Ab main baat par aate hai. Wo hai iska ON/OFF system aur iska risk.]
'...'
[Dekho, tumne card equip toh kar liya hai lekin ye abhi ON nahi hua hai. ON karne ke liye wahi switch hai bagal me card ke bas usse mann me jaake toggle karna hai aur wo ON ho jaega. Par dhyaan rahe...]
'...!?'
[Dekho mene bhi iska usage nahi dekha hai toh kuch na kuch toh hoega. Matlab... ON karne ke baad tumhaari breathing boht tezz ho jaegi. Okay? Tumhaare senses badhenge toh unme ho raha blood flow bhi toh tezz hoega na? Nateeja? Tumhaari saasein tezz ho jaengi. Aur ho sakta hai tum... Ahem... Tum kuch agressive ho jao. Ya zyaada hi agressive ho jao.]
Pari abhi aur kuch baatein kehti Veer se jab achanak hi...
*Click*
*Click*
*Flash*
*Click*
Veer ki aankho ke saamne baar baar roshni ka flash aane laga. Uski photos nikaali jaa rahi thi.
Saamne firse Aatish baitha hua tha aur wo Steve se baatein kar raha tha.
Slogan : Saari photos nikal gayi?
Steve : Jii Dada!
Slogan : Deals ka kya hua?
Steve : Bhargav se paisa mil gaya hai. LA me bhi maal exchange ki baat chal rahi hai. Rahi baat puraani payments ki toh wo mil gayi hai saari. Wo angrezz nahi de raha tha toh usse batti dii hai, kal payment kar dega.
Slogan : Hmm~ Good! Ab yadi mujhe jo information mili hai ki hamaari target iss Veer se prabhaavit hai toh zaahir hai ki iski aisi haalat dekh wo yaha toh zaroor aaegi hahahaha~ Steve! Bhejo zara hamaari Kaera ko iski ye photos. Aur likho neeche ki isse bachaana hai toh jald se jald bataaye gaye address par aa jaaye. Wo bhi akeli.
Steve : Jii Dada!
Aur Steve ne Veer ki photos ko Kaera ke phone par bhej diya.
Slogan : Tracking ka lafda nahi chahiye apne ko Steve. Kya hai fir Police ke liye aadmiyo ko bhejna padega taaki wo unhe busy rakh sake. Wo kehte hai na, sher ka shikaar karna ho toh kuch derr bakri ko saamne rakhna padta hai. Samjha na?
Steve : Jii Dada!
Air muskuraate hue Slogan Veer ke paas aaya aur uska chehra uthaate hue dekhte hue bola,
"Ab mein nahi... Tu khud laega usse yaha. Hahahaha~"
Par usse kya pata tha ki jis baat ke liye wo khush ho raha tha. Veer ko yaha kuch alag hi praapt ho chuka tha. Kuch aisa jis se shayad Slogan ki khud ki dhajjiya udd sakti thi.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Next update is full of action.
Apna apna kaam kar ke jaane ka tab tak.
Dhanyavaad!