- 14,259
- 101,066
- 259
Last edited:
Update na aane par log creative ho rahe heAa bhi jaa sanam yun na kar sitam teri baho mai mar metain sanam. Aja update janii aja.
Aa bhi jaa sanam yun na kar sitam teri baho mai mar metain sanam. Aja update janii aja.
Yar sorry bro phly hi yar ap story ka ik hi point 5 update ma raky hoa ha story boring ho gi ha thodra change sari story bs Emushunal ha kia
Waaaaiting bro., eagerly waiting
Bahott hi mastt Updatee thaa. Maza aagaya. Par agar Karan ka kaera ke sang ka relation abhi rokh kar agar Veer ka kuch action dikha dete toh jyaada achha hota. Khairrr next update ka intezaar rahegaa.
Zabardast update bhai next update ka besabri se intezar rahega
Awesome update bhai keep posting
Fantastic update
Fantastic update
Veer ke chahne waale bahot hain aur sabhi veer ke liye fikar mand hain aur jiske sath apne chahne walon ki prathnayen aur duwayen hoti hain uska koi kuch nahi ukhaad sakta hai ....aur naseeb bhi usi ka sath deta hai isiliye to veer ko card mil gaya hai...........had se jyada super update
its very interesting update
chalo veer ko Beowulf card se itne benefits to mile
ab dekhna ye h k kese sholgan ko dhajya urata h veer
udhr ragin,maam,suman,arohi Sab veer ko ly k prashan hain
kaira or Karan ki beech misunderstanding boht badhiya dikhayi
overall best update throw kiye ho
let's see what happened
Mind blowing update bhai.
Super update hai Bhai
awesome update hai Werewolf bhai,
Behad hi shandaar aur lajawab update hai bhai,
Sandar fantastic update
Amazing update Brother ...
Let's see what this card brings to the table ..
Waiting for next update ...
Nice update waiting for the next
Sandar jabardast update
Awesome update brother
Aj ka update pe Jada maja nhi aya sab kuch adhura choda he sibay card ke chalo ye v sahi kahete he na kuch na se kuch to sahi next update mai kuch dhamaka kar do waitng for next update
amazing update
amazing update
Excellent superb update
Uttam Lekhni ka Prayog Werewolf bhai...Waiting for Next Update Eagerly...
Nice update and keep it up
For me Kishor is stilll bloody loser and disgusting person who made his daughter's life hell and now now in place of helping Veer he is playing game so he is in the category of Pranjal and Vivek. Also after knowing that Aatish and Slogan are behind his daughter and he did nothing to stop tham so that made him worst person. Let see how Veer will get himself released with this legendary card or if Raghu will reach to help him. Exciting update.
Nice updates
Nice update Bhai
Super fantabulous update Werewolf bhai....
And congratulations for 1000 pages
Lajwab update bhai
Nice update bhai waiting for next update
Excellent update
Nice update...
Nice update
Awesome update
Awesome fantastic update bhai
Nice update
Bechare Slogan ko nahin pata ki wo address msg kar ke kitna bada panga le raha hai.
Nice update.
Congrats bro 1000 pages kyly
हजार पृष्ठ सम्पूर्ण होने पर अभिनंदन व शुभकामनाएं
Lovely update
Congratulations for 1000 pages
Nice update Bhai
for reaching 1000 pages.
Superb update
CONGRATULATIONS FOR COMPLETING 1000PAGES
for completing 1k pages
Lazwaab shandaar update
For 1K Pages
Zabardast update
Werewolf ek to pics bhi add kroo please or apna kaam jaldi sy windup kr keh schedule pr wapis aao. Bqi pics ki again request hy q keh main srf request hi kr sakta hoon story ky sath include krny ki or kuch nai kr sakta. So keep it up buddy
Bhai story acchi he.....
Bas aap update dete rahiye
Bhai updated mast hai lakin intzaar bahot Kiya bhai jaldi update de diya karo
Superb update for 1000
Mast update
Awesome update
Congratulations bhai for 10th century 1000 pages waiting for 5000
1000 paje pure hone ki uplabdhta ki khushi me... Aapko hardik badhayi Werewolf bhai....
Aap hamesha swasth rhe aur yu hi update apne samay pe dete rhe upar wale se bas yahi duaa hai
Bahut hi shaandar update diya hai Werewolf bhai......
Nice and beautiful update.....
वाह
शानदार
जबरदस्त
जिंदाबाद
अब तो इस कार्ड की उपयोगिता देखना पड़ेगा
शायद स्लोगन अपनी सबसे बड़ी गलती का एहसास कर पाए
फिर से लाज़वाब
Bahut badhiya update
Fantastic update...
Congrats for completing 1k pages
ek aur khubsurat aur dhamakedar update ..
S
Superb update
to Werewolf on completion of 1k pages and 22.5 lakhs of views on this thread.
superb awsm update to gud Luvd it
Fantastic mind-blowing update
Nice... Update bhai... But "help on the way" Kaha hai?? It's self help i guess
Awesome update bro
Congratulations for complete 1000 pages
Zabardast update
Nice update
Nice update bro
Bhai waiting for update
Update Bro
Nice update
Lajawaab update bro
Fantastic mind-blowing update
1000 pages poore hone par dher sari badhaiyan or shubhkamnaye bhai....
nice 1
Awesome again
Congratulations bro and nice update next episode please
Kitna kameena insaan h Kishor usko sirf apne paise or rutbe se matlab h jiss bande n do baar uski beti ki jaan bachayi uske baare yeh rai rakhta k kahi woh uski beti fasa ker usse alag na karde jisse usse business per aser hoga kyonki uska saara business sirf Kaera ki wajah se hi chal raha h
Card tow mila lekin uske saath bhi kuch twist h iss caard ko use kerne k liye Bone Reaper hatana padega
Slogan n Veer ki picture tow Kaera k phone per bhej di ki kaera dekhegi or bhagi bhagi chali aayegi lekin use kaha pata h ki uska phone tow karan k paas h or Kaera ki jagah karan aa raha woh bhi madad leker ab aayega maza
Fight tow hogi ab zaberdast dekhte h Slogan kia kerta h isbaar bhagta h ya kuch or...?
Bahot zaberdast shaandaar update bhai
1000 pages poore hone
per
bahot bahot mubarak baad bhai
Kya update diya hain jabardast
Waiting for next brother please jldi update dana ka everyone's waiting for your fabulous work
That's called a good gambler
I agreed
शानदार जबरदस्त भाई लाजवाब update
for complete 1k page
Congratulations for 1000
Waiting for next update Bhai
Jabardast shaandaar update eagerly waiting for next update.
plzzz update
Update jabardast.
Kishore seems to be a very interesting character.
Karan Kaera ka mobile leke achha kiya lagta hey. Slogan jo photo bheja hoga, saayad Kayra will not know about Veer's condition and Karan will go to rescue the hero..
Let is see what happens next.
Yaar suspense create kar diya aapne,
Ab aage kya hoga woh jaanne ki utsukta rahegi...!
Bahot hi badiya update...!
Waiting for next
Keep Writing...!
Congratulations for 1k pages
Congratulations for 1k pages
आज कहानी का अगला अंश देखने को मिलेगा क्या श्री मान देवपुरुष Werewolf
अगले अपडेट का बेसब्री से इंतजार
Waiting bro
Bahut hi behtareen update hai bhai maza aa gaya
Waiting for the next update

Superb yaar
Superb fantastic update waiting for next
Bole to kal aayega
Koi na Bhai seh lenge
Update bro
Kaera ki jivan lila karan se sunkr I feel very sad about her karan ka veer ko dost bolna golu ki yaad dila gya it also very sad hame 3rd girl ka naam bhi pta Chal gya Eva... Akhir Suman apni bahu ko le hi aai veer ke kamre me... Superb update bhai sandar jabarjast
Waiting
Thank you bro Kam se kam aap reply to karte ho vese kitne din m update bhejte ho aap
Ok bhai chalega
Awesome fantastic update
Behad hi shanadar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.
Fantastic update
Waiting for next update
Waiting
Waiting for next
Bhai uptade
Aaj Sunday hi hai na.
Nice update
Wolfy vro ! update thoda jaldi de dena yaar because subahe jaldi office Jana hai
Werewolf next update kab tak aayega?
Bro update kab tak aayege
Kitna Late Aayega Werewolf Bhai
1-2 Baje Ya Subah
Bhai approximately kitne baje tak aaega
Yehi thik hoga bhai
Update 65 has been posted.De de bhai Update
Jabardast update..bhai..Update - 65 ~ Rush Hour!Ab tak...
Steve : Jii Dada!
Aur muskuraate hue Slogan Veer ke paas aaya aur uska chehra uthaate hue dekhte hue bola,
"Ab mein nahi... Tu khud laega usse yaha. Hahahaha~"
Par usse kya pata tha ki jis baat ke liye wo khush ho raha tha. Veer ko yaha kuch alag hi praapt ho chuka tha. Kuch aisa jis se shayad Slogan ki khud ki dhajjiya udd sakti thi.
Ab aage...
*Slam*
"Mene kaha na mein yaha ruk sakti hu."
Ye awaaz thi Ragini ki jo zorr se table par haath patak kar saamne baithe police officer se baat kar rahi thi.
Sonali ke saath Ragini Veer ko dhundne nikal chuki thi aur Veer ke baare me saari details bhi officer ko saajha kar dii thi usne. Par jaisa ki harr police officer iss waqt suggest karta, wahi kaam iss police officer ne bhi kiya, wo tha ki Ragini ko ghar bhejna aur police team ke saath khud search par nikalna.
Raat ke 12 baj rahe the aur aise me ek aurat ka police station me hona sahi nahi baith raha tha. Halaki wo yaha safe thi parantu uski yaha koi zaroorat hi nahi thi. Veer ko dhundna police ka kaam tha, isliye Ragini se details lene ke baad aur complaint likhne ke baad unhone Ragini ko ghar jaane ke liye suggest kar diya.
Officer : Dekhiye madam! Aapki yaha filhaal koi zaroorat nahi hai. Humne details likh lii hai. Hum search jaari karte hai. Yadi kuch pata chalta hai, ya aapki zaroorat padti hai toh hum aapko contact karenge. Abhi aap jaa sakti hai.
Ragini : P-Par...
Sonali : Bhabhi jii! Police uncle keh rahe hai toh sahi hi keh rahe hai. Hamaare yaha rehne se kuch badlega nahi.
Ragini : Par Sonali...
Officer : Dekhiye, bacchi theek keh rahi hai. Aap jaaiye aur thoda araam kariye. Kyuki ho sakta hai hume aapki kisi bhi waqt madad ki zaroorat pade.
Ragini : Hmm...
Na chaahte hue bhi mann maarke Ragini aakhir maan hi gayi. Uska mann yahi rukk kar Veer ke baare me kuch khabar sunn'ne ka tha. Kaash uske baare me bas kuch pata chal jaaye. Kyuki ab Ragini ko andar se waqai ghabraahat hone lagi thi. Raat kaafi ho chuki thi ab. Na jaane kya hua hoga Veer ke saath? Theek bhi hai ya nahi? Kuch inhi sawaalo ki beech ghiri hui thi woh.
Sonali ke saath lautate hue Ragini dobaara se apne ghar chali gayi. Arohi aur Nidhi ke phone nirantar aa rahe the uss se Veer ki khabar jaan'ne ke liye, yaha tak ki dono hi ghar aane bhi taiyaar thi lekin Ragini ne khud unn dono ko hi mana kar diya tha. Itni raat me unhe bulaana theek nahi tha. Aur wese bhi Ragini ke saath Suman samet baaki sabhi thi.
Toh koi chinta waali baat nahi thi. Bas aas thi toh Veer ki kuch khabar jaan'ne ki.
Wahi dusri orr, Kaera apne kamre me band hoke bistar par laiti hui aaj ki vardaat ke baare me soch rahi thi. Aur uske haatho me ek jaani pehchaani sii cheez thi.
Veer ka diya ho wahi chota sa teddy.
'He cannot die! He will come back!'
'Why did he do that for me? Saving me? With his own life?'
Kaera ko aaj se pehle kisi ke liye aisi feelings kabhi nahi aayi thi. Wo Veer ko potential danger me dekhne se darr rahi thi. Kese bhi kar ke wo Veer ko sahi salaamat waapas dekhna chaahti thi.
***
*Vroooooooooooommmm*
Yaha apni car ko repte hue iss samay Karan Raghu ki car ko follow kar raha tha. Dono hi car ke pahiye tezz raftaar me ghoomte hue apni manzil tak aage badh rahe the. Aadhi raat me jaha log sone lagte hai wahi duniya me baahar na jaane kya kya chalta rehta hai iski khabar unn andar reh rahe logo ko nahi rehti. Kuch aisa hi haal yaha abhi tha.
Karan abhi apni Mercedes drive kar hi raha tha jab achanak hi car ki front desk par rakha Kaera ka phone baj utha.
*Beep* *Beep*
'Huh!?'
Usne apne left hand se Kaera ka phone check kar jaise hi dekha toh paaya ki kisi unknown number se usse message aaya hua tha.
'Message!?'
Kuch soch ke usne wo message khol diya, aur uske aisa karte hi usse ek photo nazar aayi. Par wo downloaded nahi thi.
Jaise hi usne download kar uss photo ko dekha toh maano perro tale zameen khisak gayi thi uske.
Uss photo me Veer ek chair se khoon se lathpat bandha hua tha. Aadhi phati hui uski white shirt, bikhre hue baal, twacha me cuts aur kayi jagah gehre ghaav. Aur khaaskar uske chest ka wo khoon se sana hua wound jo shirt ke andar tha.
'Shiiiittttttt!!!!'
Photo dekhte hi Karan ko jis baat ka darr tha wahi hua. Veer kabze me tha aur unn logo ne koi kasar nahi chorri thi Veer ki khaatirdaari karne me.
Aur uss photo ke theek neeche ye bhi likha hua tha ki Veer ko bachaana hai toh akeli aa jao. Dhyaan rahe koi police ya hoshiyaari nahi, akeli matlab akeli.
'Fuck! I knew it!'
*Slam*
Kheejte hue Karan ne apne steering pe zorr se haath patka.
Usne Kaera se uska phone keval isliye maanga tha kyuki usse laga tha ki shayad...
Shayad uski behan ko threats pohuchaane waala aadmi, yaani ki Slogan kaho firse koi threat uski behan ko bheje. Bas issi ko soch ke usne Kaera se uska phone maanga tha.
Aur wahi hua, threat toh aaya hi tha par uss se bhi tension waali baat ye thi ki unke paas Veer tha. Yaani ki abhi palda unka bhaari tha.
'Mujhe pretend karna hoga ki mein Dii hu.'
Usne sochte hue Kaera ke h phone se ussi number par message likhe ke bheja, "K-Kaha!? Kaha aana hai mujhe?"
Aur jaise uski ye tarqeeb kaam kar gayi. Kyuki waha se agle hi pal ek address likh ke aa chuka tha.
'Bingo!'
Bina fir koi pal gavaate hue Karan ne aage chal rahe Raghu ko phone lagaaya aur usse saari baat bata dii.
Raghu : Bohut badhiya! Kuch nahi se toh kam se kam ye accha hai ki hume unke hideout ke baare me pata lag gaya. Ab bas hume approach bohut hi savdhaani se karna hoga.
Karan : Haan!
Aur kuch hi shan me wo dono Mirror Gallery ke sthaan par pohuch chuke the. Dono Raghu aur Karan ki mulaqaat Jassi se hui jo wahi thehre apni team ke aane ka wait kar raha tha. Ki shayad kisi ko Veer ke baare me kuch pata chala hoga.
Par koi fayda nahi, na hi Jassi ki team aur na hi Kishor ki team ko kuch pata laga tha. Kishor ki team toh bas timepass karne ke liye gayi thi shayad. Kyuki Kishor ne khud keh ke rakha tha, dur dur se bas wahi bane raho, baaki Veer ko bachaane ki zaroorat nahi hai.
Par Karan ki khabar ne jaise ek nayi aas jaga dii thi unme.
Jassi : Bohut acche! Par tum yaha kyu aa gaye?
Karan : Wo abhi important nahi hai. Important ye hai ki... Ab hum aage kaise badhe?
Jassi : Hmm~ Follow me! Everyone!!!! Mein aage aage chalunga... Aur tum sab... Mere peeche peeche aaoge. Clear hai?
"Haaaannnn!" Sabhi ke ek saath chillaane ki awaaz aayi toh jese ek naya josh sa bhar gaya tha waha unn aadmiyo me.
Jassi : Hume kisi bhi haalat me Veer ko bachaana hai. Okayyy??
"Haaaannn!!!" Ek baar fir, uchi awaaz me unka shorr waha goonj gaya.
Yadi aaj Veer ne Kaera ko na bachaaya hota toh Jassi shayad itna tatpar nahi rehta apne kaam me. Par Veer do baar Kaera ki madad kar chuka tha. Insaaniyat naam ki bhi koi cheez hoti hai jisse Jassi bhali bhaati jaanta tha. Aaj Veer ko bachaana zaroori tha.
Aur isliye, ye sabhi Jassi ko follow karte hue nikal pade. Par issi beech Suhana ke jo aadmi the, yaani ke Divya dwara bheje gaye aadmi. Jab unhone dekha ki Jassi aur baaki sabhi kahi jaa rahe hai toh wo bhi unke peeche peeche chal diye.
Slogan ko yaha nahi pata tha ki na jaane kitne log uske adde ki taraf badh rahe the.
Slogan's Hideout...
Idhar Slogan ne apne hideout par Veer ki chand tasveere kheech kar unhe Kaera ke phone par bhej toh diya tha par...
Par Kaera ka phone iss waqt Kaera ke nahi balki uske chote bhai ke paas tha. Aur iss baat se Slogan bekhabar tha.
Wo sabhi Veer ko akela chorr thodi derr Veer se dur baith apni baato me lage hue the.
Aur idhar Veer kisi aur hi state me jaane ki taiyaari kar raha tha.
[Mein... Mein ON kar rahi hu. Okay!?]
Pari Beowulf's Blessings ko ON karne ki bol rahi thi. Veer ne bas ek behad hi halki sii nod dii.
Aur...
Switch toggle hua aur Beowulf's Blessings ON ho gaya.
Uske ON hote hi, Veer ki saasein aur tezz ho gayi, ekdum se uska shareer garmaane laga aur aankhein laal sii hone lagi. Maano jese wo kayi dino se soya na ho.
[Your breathing has increased drastically... Blood flow is increased too, Body heat ho rahi hai boht tezz, Redness in eyes... Bas thodi derr... Dekho, timer chal raha hai. Tum ye state keval 25 minutes ke liye maintain kar sakte ho. Uske baad ye cooldown hone lagega.]
Par Veer toh ab jese response dene ki haalat me bhi nahi tha. Uska seene jaldi jaldi itni zorr zorr se upar neeche ho raha tha jaise maano wo koi aspataal me aaya mareez ho.
Jab wahi khade ek aadmi ne Veer ko dekha toh bauhe sikod ke wo Veer ke nazdeek aaya aur haath se uske shareer ko dhakel ke uss se bola,
"Aye? Kya kar raha hai ye? Huh? Lambi lambi saasein kyu le raha hai?"
Fir jaise usse kuch soojha toh Veer ke shareer par haath laga ke usne dekha aur itna garam shareer ka taapmaan paate hi uske haath jhatke se peeche ho gaye.
Wo apne saathiyo ki orr mudte hue chillaaya,
"Abe iska toh poora shareer jal raha hai!"
"Jalne de!! Saale ko batti dii hai na toh pit pit ke uska shareer garma gaya hai. Hahahaha~"
"Hahahahahah~"
Aur wo thahaake laga ke hassne lage.
[These bastards...]
Ek baar aur uss aadmi ne Veer ko dhakela, par jss baar uske chehre ko upar uthaaya toh Veer ki ekdum khoon ke samaan laal aankhein dekh uski gaand hi phat gayi. Wo firse palat ke bola,
"Abey! Abey iski aankhein toh ekdum laal ho rakhi hai."
"Haan toh bane rehne de. Saale ko sone nahi de rahe hai na toh laal toh hoengi hi. Aur abhi kuch derr me kuch peela bhi hone waala hai uska. Hahahaha~"
"Hahahahahaha~"
Aur wo sabhi ek baar fir zorr zorr se hassne lage. Par tabhi...
*Khaaaachhhhhhhh*
Aadmi : !???
*Whoooooooooooooooshhhhhh*
*Thuuuuudddddddd*
"Huh!??"
Achanak kuch hua. Kuch aisa jisse bas uss aadmi ne dekha hote hue aur uske baad wo kuch karne ki sthiti ke nahi bach paaya tha.
Peeche maujood logo ko toh bas sunaayi diya. Achanak se aayi awaaz par dhyaan dete hue jaise hi unhone mud ke dekha toh ab unki reedh ki haddi tak badan me raungte khade ho chuke the.
Jidhar Veer pehle kursi me bandha hua tha. Udhar ab keval wo kursi zameen par padi hui thi. Upar wire se jo LED bulb latak raha tha wo zorr zorr se wire ke sang idhar se udhar ho raha tha.
Aur jo aadmi Veer ke paas usse check karne gaya tha. Wo zameen par pade idhar se udhar ho raha tha. Aur uske haath uske gale par the.
Dhyaan dene par pata chala ki..
Uske gale me wahi rassi bandhi hui thi jisne Veer ko baandh rakha tha. Par...
Veer gaayab tha.
Ye drishya dekh ke unhe pal bhar ke liye aisa laga jaise maano unn sabhi ne kisi bhoot ko dekh liya ho.
Pal bhar pehle hi unka dushman waha kursi me bandhe hue tha aur pal bhar baad hi...
Wo gaayab tha, aur waha par unka saathi jo apni jaan bachaane ki koshish kar raha tha keval wahi dikhaayi diya unhe. Raungte toh khade hone hi the.
Aisa laga jaise maano ek hawa ka jhoka aaya aur sab kuch badal diya. Ab unhe kya pata tha ki ye hawa ka jhoka nahi tha balki aandhi thi...
Jo khud Veer tha!
"Abeeeeyyyy!!!"
Unme se ek chillaaya aur uske saath sabhi bhaagte hue apna saara kaam chorr uss gire hue aadmi ke paas aaye.
Ek ne aake sabse pehle hawa me jhool rahe bulb ko roka aur uske baad unn sabhi ne uske gale me tight bandhi rassi ko loose kiya.
"Oyeee! Kya hua? Kaha gaya wo behanchod? Ayeee!!! Tum sab dhundo re, yahi kahi luka hoga. Samaano ke peeche check karo! Haraam khor bhaagne na paaye!"
Unme se ek ne kaha. Jo gira hua tha wo rassi khulte hi zorr zorr se saasein lene laga. Pal bhar me maut dikhaayi de gayi thi usse apni.
Aadmi : Kya hua betichod kuch bol!!!
Par wo aadmi toh kuch bol hi nahi raha tha. Usne jaise bhoot dekh liya tha. Usse yaad tha ki wo Veer ke chehre ko utha ke uski laal aankho ke baare me mazaak sunn hass raha tha aur tabhi...
Tabhi na jaane kya hua tha...
Par Veer uss par ekdum se uchakte hue jhapta aur seedha uski peeth par chadh uske gale me wahi rassi kassi aur yu agle hi shan usse dhakel ke kahi chhup gaya.
Usse kya pata tha ki jab sab Veer ka mazaak udaa rahe the tab Veer apne haatho ko adjust karke unn rassiyo ke loops ko ek ek karke baahar nikaal raha tha.
Aur jab bas aakhiri loop bacha hua tha toh usne wo nikaala nahi, balki apne sheer force ke saath jhatke se uss rassi ko hi ghacch se cheer ke tod diya tha.
Ye sab kuch itni tezz hua tha ki wo aadmi kuch keh hi nahi paaya tha. Aur ab toh maano jaise wo sadme me jaa chuka tha. Wo drishya uske liye boht hi bhayankar tha. Laal aankh liye ek banda aapke upar uchak ke jhapat jaaye toh aadmi darr hi jaega.
Yaha unke ek leader ne sabhi ko Veer ko dhundne ke aadesh de diye the.
Hideout bada tha. Aur jagah jagah kuch na kuch samaan rakha hua tha. Kahi dherr saare bade bade containers toh kahi khule me kuch boriyaa rakhi hui thi. Kahi badi badi kuch machines toh kahi lakdiyo ki silliyaa. Kul milaake chhupne ke liye kayi jagah thi.
Aur wo apne apne hathiyaar nikaal Veer ko unn jagaho me dhundne lage. Par ab toh jese game palat chuka tha.
Yaha ek akela banda rush kar raha tha unpe. Aur wo bhi straight on nahi balki dimaag se.
Bhale hi Veer dimaag se rush maar raha tha par...
Uska dimaag jese kuch sunn hi nahi raha tha iss waqt. Kyuki Pari kaafi derr se usse chillaaye jaa rahi thi ki yahi sahi mauka hai bhaagne ka. Bhaago!
Par Veer ke iraade kuch aur hi lag rahe the. Na hi wo kuch bol raha tha, na hi kuch sunn raha tha.
Aur Pari bechaari bas kismat ko hi dosh de sakti thi.
[Damn ittt!!! Yadi Card me +50% healing nahi hoti toh tum behosh ho gaye hote pakke se. Ussi ie kaaran tumhaari bleeding ruki hui hai. Wo balance kiye hue hai. Par Card ke OFF hote hi... Noooo! You have to run Veer!!!!!!]
Lekin Veer par Pari ki koi bhi baat ka asar nahi ho raha tha.
[Shiiiittt!!! He's not listening to me!]
Aur uske baad...
*Thuuuuuddddd*
"Huhhh!?"
Ek aur awaaz aayi aur jaise hi aadmiyo ne uss awaaz ki orr dekha toh paaya ki unka ek aur saathi neeche pada hua tha aur apna sarr pakad idhar se udhar chillaa raha tha.
"Aaaaaaaaaaaaaaahhhhh"
Iss baar fir, Veer ka koi ata pata nahi tha. Wo toh jaise andhere me se nikal nikal ke ek ek ko gira raha tha.
Aur nateeja, unke leader ka gussa badhna.
"Madarchod! Baahar nikal haraami! Kaha chhupa hai?? Tum sab me se koi ek... Boss aur Steve Bhai ko jaldi bata ke aao."
"H-Haan bhai!!!"
Aur ek baahar nikal gaya. Kyuki Steve aur Slogan baahar ke area me the. Iss baat se bekhabar ki andar kis type ka rush chal raha tha.
Par jaise abhi toh unhe aur bhi kuch dekhna baaki tha.
*Click*
"Huhhhh?"
Na jaane waha kaun sii machines rakhi hui thi. Par unke side me boht bade bade fans lage hue the.
Aur jaise hi wo on hui, unke side me lage fans ghumne lage. Ek nahi, aisi kayi machines thi waha jo baari baari ON ho chuki thi.
Wo iss qadar se rakhi hui thi ki beech me table par jo khule taaza taaza noto ki gaddiya rakhi hui thi ginn'ne ke liye. Ek baar me tezz taraar hawa ka jhoka unn fans me se aaya aur table par rakhe saare paise ya panne jo bhi kaagaz ka tha sab hawa me udd chule.
Machines iss qadar jami hui thi ki wo udte hue paise ek hi jagah par gol gol ghumne lage.
Jaise maano koi bawandar sa aa gaya ho.
"Abeeeeeyyyyyyy!!!"
Unka Leader chillaaya aur sabhi ke saamne hawa me bas udte hue paise hi dikhaayi de rahe the.
Jaise maano wo paise nahi, madhumakkhi thi jo unke aas paas mandra rahi thi.
Apne haatho se vyarth hi prayaas karte hue wo paise hataane lage. Par Veer ke liye jaise kaam asaan ho chuka tha.
Wo ek ke paas jaata aur...
*Poooooooowwwww*
*Thud*
*Pooooooowwww*
Ek back fist punch seedha aadmi ki naabhi par...
"Guhhhh!!!!"
180° degree turn lete hue dusra back fist punch uske nichle jabde par...
"Gwaaakkkhhh"
Aur fir ek shandaar inside crescent kick jiske uska daaya perr ghumta hua aaya aur ussi jabde par firse vaar kiya.
"Aaaaaaaaghhhhh"
Teen combo me hi wo banda dherr tha. Iss baar Veer combos delivery kar raha tha. He wanted to make sure ki unme se ek bhi uthne na paaye.
Veer par jaise koi bhoot sawaar ho gaya tha. Wo ek jagah se dusri jagah itni tezzi se switch kar raha tha. Upar se koi bhi wasted move nahi tha. Sabhi ekdum sateek aur potentially harmful the.
"Teri behanchod...."
*Bang*
*Bang*
*Bang*
Jinke paas guns thi wo ruke nahi, aur ussi paiso ke bawandar me unhone Veer ko jaha dekha waha fire kar diya. Par...
Veer ki agility 50% badh chuki thi. Unke reaction time se, Veer ki khud ki speed zyaada tha.
Fire karne ka koi fayda nahi tha. Veer sthir nahi tha. Wo toh jaise ek bande se dusre bande par apne haath saaf kar raha tha. Aur zyaada derr wo ek bande ke paas reh hi nahi raha tha.
"Madarchodo... Ughhh!!! Ye... Ye machines band karo chutiyo...."
Chalo, kisi ko toh dhyaan aaya.
Idhar baahar Slogan aur Steve kuch baat kar rahe the jab andar se ek daudte hue aaya...
Aadmi : Dada... Dada... Wo... Wo...
Par iske pehle ki wo kuch keh paata Slogan ne usse ishaare se shaant rehne ko keh diya.
Slogan : Tumne suna Steve?
Steve : Jii Dada!
Slogan : Gaadi ki awaaz.... Rukne kii...
Steve : Jii! Mein dekhta hu, aap andar jaiye.
Slogan : Police!?
Steve : Nahi Dada! Police yaha nahi aaegi. Aane hi nahi denge hamaare aadmi unhe. Mein dekhta hu...
Aadmi : Dada wo... Wo...
Slogan (kheejte hue) : Kya huaaa!??
Aadmi : Wo ladka hamaare changul se chooth gaya.
Bas! Slogan ka itna sunn'na tha ki usne saamne rakhi table par itni zorr se gusse me laat maari ki wo poori table hi palat gayi.
Slogan : Madarchodo!!!! Kar kya rahe the tum sab andar??? Kaha gaya wo?????
Aadmi : W-Wo... Dada... Wo... Wo maar raha hai.
Slogan : Huh!??
Aisa laga jaise Slogan ne koi chutkula suna tha.
Slogan : Kya kaha?
Aadmi (darrte hue) : Wo... Wo... Wo ek ladka hum sab par bhaari pad raha hai Dada. Pata nahi kya hua... Par achanak se hi uski rassi khul gayi aur wo hum sab par jhapat pada. Aur wo paise achanak se hawa me...
Slogan (gusse me) : Kya badbada raha hai...!?
Par abhi wo apna vaakya poora rakhta tabhi uske kaano me wo awaaz padi...
Copter ki awaaz...
Aur Slogan ka muh gusse me aur bhi bhayanak ho chala.
Slogan : KISHORRRRR!!!!!!
Uski samajh me nahi aa raha tha ki jab Kaera ko address bheja gaya tha toh bhala Kishor ka copyer yaha kese aa gaya? Wo Kaera ko bhali bhaata jaanta tha. Wo jaanta tha ki Kaera kisi ko bhi nahi bataegi aur akeli hi aa jaegi.
Kya gadbad ho gayi? Kaha galat reh gaya wo? Kya usse dii gayi information galat thi? Ki Kaera Veer ke prati attracted hai? Ya Kaera ne hi sabhi ko bata diya tha?
Usse koi bhi baat samajh nahi aa rahi thi. Aati bhi kese? Kaera ka phone toh Karan ke paas tha, jis se Slogan ka poora plan palat chuka tha bina uske pata lage hi.
Pae ye samay unn vyarth prashno par ab joojhne ka nahi tha. Samay tha action lene ka.
'Iss baar mein tumhe bataata hu Kishor. Ek jhatka lagega aaj tumhe.'
Slogan ne bas ek call kiya aur fir uss aadmi ke saath andar chala gaya.
Steve baahar aaya toh usse jis baat ka darr tha wahi hua. Dherr saari gaadiya aake lagti jaa rahi thi. Aur unme se dherr saare bande nikalte jaa rahe the.
Uski hawa toh jab tight hui jab copter ko hawa me udte hue dekha usne.
"Iski... Dada ko yaha se le jaana padega. Jald hi..."
Idhar Jassi ne full on attack karne bol diya tha. Usse pata tha ki ye move boht hi rash tha par shayad aaj uski kismat uske saath thi.
Kyuki...
Kyuki Veer iss waqt unke qabze me nahi tha. Wo toh alag hi dhoom machaaye hue tha andar.
Aur aise time par baahar se rush maarna andar ki orr... Ye jaise perfect strategy bann gayi thi apne aap.
Off guard catch kar liya tha Slogan aur unke saathiyo ko unn sabhi ne. Slogan ki poori team iss achanak hamle ke liye ready nahi thi. Naa hi Veer ke hamle ke liye.
Par...
*Whooooooooooooossssshhhhh*
Anhoni hona jaise likha hua tha. Hawa me jo copter udd raha tha wo...
*Kaboooooooooooooommmmm*
Ek tezz dhamaka hua aur uss copter ke chithde udte hue palak jhapakte hi zameen par girne lage.
Raghu : Nahiiiii!!!!
Jassi : Damnnnn ittt!!! Inke paas ye kaha se...!?? Shitt! Illegal weapon.... Damn you Slogan!!!
Karan : Shitttt!!! Wo log andar...
Raghu : Wo... Wo gaye Karan.
Karan : Damn it!!! Dad... Dad boht gussa hone waale hai. Fir bhi... Please! Koi waha jao... Sambhal ke... Shayad wo zinda ho...
Hawa me jo copter udd raha tha. Uske liye Slogan ne shayad yahi prabandh kiya hua tha.
Rocket launcher!
Jii haan, abhi abhi copter ko jisne udaaya tha wo ek rocket launcher ki missile hi thi. Missile hideout ke upari chorr se launch kii gayi thi. Aur ye missile...
Helicopter ke paas jaise hi aayi, uske andar se nikalti heat ki taraf attract hote hue seedha helicopter se jaa bhidi.
Aur fir dhamaaka....
Jaise maano aatishbaazi sii ho rahi thi aasmaan me. Ye kehna toh mushqil hi tha ki andar maujood pilot bache bhi honge ya nahi? Obviously, wo shayad marr chuke the.
Ye weapon illegal tha. Aur Slogan ke paas iski access thi, ye baat khud bata rahi thi ki uski pohuch kaha kaha thi. Ye bataane ki bhi zaroorat nahi ki uska main base toh foreign me tha. Aur yaha wo saalo baad laut ke aaya tha. Uske bawajood wo itni dum rakhta tha ki Kishor jaise powerful aadmi ko bhi hila ke rakh de.
Yadi yahi ladaayi Slogan ke apne adde jo ki videsh me tha usme ho rahi hoti toh Kishor ke jeetne ka sawaal hi nahi tha.
Jassi kya, waha maujood sabhi ye baat jaante the ki Rocket launcher kis kism ka weapon tha. Wo toh accha hua ki Slogan ka hideout aisi jagah tha jaha dur dur tak kisi ko ye khabar bhi nahi thi ki ek udta hua helicopter yu tehes mehes ho chuka tha.
Jassi : Yadi iske paas aur missiles hui toh hum dikkat me pad jaengi. Aur yadi isne ek bhi hum pe aim kari... Toh...
Raghu (gulps) : Toh ab!?
Jassi : Hum wese hi aage badhenge. Sabhi log... Follow me!!! Risk hai but... Dekha jaega...
Aur ek baar fir Jassi ka order sunn aage badhe. Dono hi taraf se aadmi bhidh pade. Jinke paas guns thi wo guns se firing shuru kar diye. Ek full scale rush tha ye.
Aur unki ladaayi ke beech, Raghu, Jassi aur Karan andar ki orr jaate jaa rahe the.
Jassi : Tumhe pata hai na?
Raghu : Haan!
Jassi ne kuch pucha toh Raghu uska ishaara samajh gaya aur Karan ke sameep hoke chalne laga. Karan ke paas koi weapon nahi tha. Plus Veer se bhi zyaada zaroori abhi uski safety thi.
***
Idhar andar Veer apne kaam me lage hue tha jab machines band hui aur hawa me udte paise, kaagaz zameen par gire toh Veer sabse pehle unke leader par jhapta.
Aur usse pakad ke 360° turn lete hue full force ke saath uss aadmi ko saamne ki deewaar me bhed diya.
*Craaaaaaaasssssshhhhh*
Wo aadmi deewaae me lage hue kuch racks me jaa ke bhida aur lohe ki wo pattiya seedhe uski naak me jaakar lagi toh poore room me uski dard bhari cheenkh goonj uthi.
"Aaaaaaaarrrrrgghhhhhhhhh..."
Sab kuch ast vyast kar ke rakh diya tha Veer ne. Wo ek jagah theher hi nahi raha tha jis kaaran se uss par aim karna faaltu hi tha.
Jese hi Slogan andar aaya, andar ki haalat dekh usse bada jhatka laga par uss se pehle ki wo iss haalat par apne vichaar rakh paata tabhi...
Tabhi side se uske upar koi kooda aur usse zameen par roll karwaate hue uske upar baith gaya.
Aur ab...
Slogan ke saamne Veer ka chehra tha. Wo bhayankar chehra jis par ek badi hi khaufnaak sii shaitaano waali muskaan thi. Aankhein ekdum khoon ke maafiq laal, jaise kisi ke khoon hote hue dekhne ka intezaar kar rahi ho.
[Found him... This bastard!!! Don't kill him! Tumhe koi mission nahi mila hai. So...]
Par Pari ki baat Veer kaha sunn raha tha?
Veer ne Slogan ke gale ko zorr se bheencha jaise usse wahi dam ghot ke usse maar dega.
Aur Slogan achanak se iss sthiti se bachne ke liye apne haatho se Veer ke haath churraane laga.
"Ughhh...'"
[Noooooooo!!! D-Don't..... Don't.....]
Wo chillaayi...
Aur shayad uski pukaar kisi ne sunn lii.
Kyuki agle hi pal Veer ke upar peeche se Steve kooda aur dono hi zameen par roll karte hue ek dusre ko jakad ke ek dusre par haawi hone ki koshish karne lagi.
Hadbadi me Slogan utha aur jeb se revolver nikaala usne...
Slogan : Steeeveee!! Pakad ke rakh madarjaat ko... Saala ek chhachundar me itni himmat aa gayi aaj? Aaj toh ye yahi marrega... Pakad ke rakh haram khor ko...
Steve koshish toh poori kar raha tha lekin...
Veer jaise uske saare tries fail karta jaa raha tha.
Aur tabhi...
*Ding*
[2 minutes left before turn OFF.]
Jis baat ka darr tha wahi hua. Keval 2 minute hi bache hue the card ko turn OFF hone me.
[Noooooo.... Shitttt!!! Aise me... No no noooooo!!! Jaldi se... Jaldi se isse hata ke Slogan pe focus karo. He has the gun.]
Slogan idhar intezaar kar raha tha Steve ka. Ki Steve Veer ko aisi position me laaye jis se goli maarne me asaani ho. Kahi Steve ko goli na lag jaaye.
Aur Steve shayad kamayaab ho raha tha.
Wo Veer ke neeche the aur peeche se uske gale me deadlock maare hue tha. Aas paas ke bande dard se karaah ke uthe aur madad ke liye aage badh rahe the.
Slogan ke chehre par ek kaatil muskaan aa chuki thi, kyuki Veee ki wahi chotil chhaathi ab uski nazro ke theek saamne thi.
Bas trigger dabaane ki derr thi.
Slogan : Goodbye Veeeeeerrrrr!!!
Aur trigger dab gaya...
*BAAAAAANNNGGGGGGG*
"Aaaaaaaaargghhhhhhhh"
Khoon nikalna shuru ho gaya.
Slogan : T-Tummmm.... !!!?
"Haan mein!!!" Aur tabhi wahi se awaaz aayi Jassi ki.
Jiske haath me revolver tha. Aur wo khoon Veer ka nahi balki Slogan ke haath se beh raha tha kyuki Jassi ne enter hote hi Slogan ko dekh uss par nishaana laga ke gun chala dii thi. Par nishaan thoda chooka aur wo bullet jaake Slogan ki baah me jaa ghusii.
Karan : Veeeeeerrr!!!
Ab Slogan ka khel khatam tha ye soch Jassi aur Raghu poori team samet aage badhe par...
*Shuuuuuttttt*
"Huhhhhh!?"
Achaanak hi ghapp andhera ho gaya. Kisi ne Lever gira ke poori electric supply hi band kar dii thi.
Aur jese Slogan ko apna raasta mil gaya tha. Wo chillaaya...
"Steeeeveeeee!!!"
Steve kuch nahi bola. Usse pata tha kya karna hai.
Veer ko wahi chorr wo bhaaga. Unhe toh jese andhere me bhi raasta rata hua tha.
Aur idhar andhere me Jassi samet baaki sabhi Veer ke paas pohuche.
Karan : Veeeeeeerrrr!
*Ding*
[Beowulf's Blessings Turning OFF.]
*Ding*
[Beowulf's Blessings has been turned OFF.]
*Ding*
[You cannot activate Beowulf's Blessings for the next 24 hours.]
Aur issi ke saath Veer ki aankho me se wo laali hattne lagi. Saasein thamne lagi...
Aur...
Uski aankhein band hone lagi. Zaahir tha ki uska behosh hona banta hi tha.
Akhir shabd usse jo sunnaayi diye wo the...
Karan ki awaaz, "Veeeeeeerrrrrr!!!"
Aur Pari ki awaaz, "Listennnn... Don't go into the..."
Par unn baato ko poori sunn'ne se pehle hi wo gehri behoshi me chala gaya.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Raat me jaag jaag ke kaafi kuch changes karte hue likha hai. Like thok ke jaane ka aur apne views rakhne ka. Famiglia arc ki shuruaat ho chuki hai. Parallel me Slogan Arc chalega aur saath hi khatam bhi hoega.
Dhanyavaad!
Waah bhai kya gjb ka update diya hai apne fight scene bhot achhi Dikhayi haiUpdate - 65 ~ Rush Hour!Ab tak...