If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Aur wo dono waha se nikal gaye. Kishor ke room ki lights bhi band ho chuki thi. Par Karan wahi khada hua tha, aur kuch soch raha tha.
'Dad ki bheji gayi help. There was something wrong. Aisa pehle kabhi nahi hua. Mujhe aisa kyu lag raha tha ki wo saare aadmi peeche peeche khade hue the. Aur keval meri Raghu aur Jassi ki help kar rahe the. Khud se aggresive hoke aage badh unn ne action nahi liya. Which is strange... Kuch baat hai...'
***
Next day... 8:26 PM...
'Hmm!?'
'Aaarghh! Kidhar hu mein!?'
'Huh? Ye... Ye haath par...!?'
Apni aankho ko jhapkaate hue jab Veer ne apne aas paas ka jayza liya toh usse kuch samajh nahi aaya theek se.
Wo laita hua tha aur uske seene par patti bandhi hui thi. Jagah jagah dressing bandhi thi uske. Thoda dard abhi bhi tha par rahi baat wo kaha tha iss waqt toh...
Kehna mushqil tha. Kyuki ye hospital toh kahi se bhi nahi lag raha tha. Haan, hospital me istemaal hone waale equipments zaroor lage hue the jagah jagah par lekin fir bhi Veer ko aisa laga ki ye hospital nahi tha.
Usne apne aap ko adjust kar jab sarr jhukaate hue apne haath ki orr dekha toh paaya ki...
Uski hatheli par kisi ladki ka sarr tha. Toh yahi bhaaripann usse apne haath par mehsoos ho raha tha.
'Huh!?'
Wo thoda chakit tha. Wo toh Slogan aur uski party se bhid raha tha. Fir uske baad kya hua tha? Usse kuch yaad nahi aa raha tha theek se. Itna hi yaad tha usse ki wo Slogan ko maarne jaa raha tha aur fir wo Steve achanak se uske upar kood pada. Fir uss se chheena jhapti houne lagi aur uske baad usse jaise kuch yaad nahi aa raha tha ki kya hua.
Par uss se bhi zyaada abhi ye zaroori tha ki ye uski hatheli par sarr rakh ke kaun laiti hui thi?
Jab Veer ne apna haath nikaala toh uske haatho ki halchal se uss ladki ka chehra saamne aaya.
'A-Arohi dii!???'
Maalum pada ki Arohi uski hatheli par sarr rakhe hue thi itni derr se.
Aur shayad Pari bhi iss waqt sleep mode me thi. Warna uske mann me sochte hi wo toh pehle hi apni chapar chapar shuru kar chuki hoti.
Veer ke apne haath kheechte hi Arohi ki bauhe sikudi aur uski palke jhapki. Wo uthi aur Veer ki taraf dekhi toh...
Usne paaya ki Veer hosh me tha aur usse hi dekh raha tha.
Arohi : Veeeeeeerrrrr!!!
Wo hairat me aage badhi. Aur aage aate hue fir achanak hi rukk gayi.
Veer : Arohi Dii!?
Arohi : Finally! Tumhe hosh aa gaya. T-Tumhe kesa mehsoos ho raha hai? Kahi dard hai? Aur... Aur tumne ghar me kyu nahi bataya tha? Haan?
Veer : Calm down! Calm down! Ek saath itne sawaal? Mein... Mein theek hu ab.
Arohi : Hum sab kitni tension me the tumhe pata bhi hai?
Veer : Sorry Dii! Umm... Wese, Mein kaha par hu?
Veer ne jab ye pucha tab hi uske side me laga parda khula aur ek mahila ki awaaz aayi,
"Tum mere ghar me ho."
Veer ke saamne ek mahila khadi hui thi. Hontho pe muskaan, bhure khule baal, aur wo apne top ke upar hi ek doctor waali white coat pehni hui thi.
Veer : Huh? Aap kaun?
Arohi : Ye hai Mrinal Ma'am! Inhone hi tumhaara treatment kiya hai.
Veer ne fir zyaada kuch nahi socha. Mrinal ma'am ke baare me jaan'na hi tha toh usme puchne ki kya zaroorat thi bhala?
'Check!'
[Name : Mrinal. Age : 37 Bio : Mrinal ek kaabil doctor hai. Apne pati aur ek bacche ke saath rehti hai. Pati navy me hai. Aur bacche ki dekh baal ke liye inhone apni job as a doctor chorr dii. Ab keval ghar pe hi clinic khol ke rakhi hui hai.
Favourability : 11 Relationship : Strangers.]
'Ohhh!'
Mrinal Ma'am ko check karne ke baad, Veer ko kuch na kuch idea toh lag hi gaya tha unke baare me.
Veer : Aap!?
Mrinal (smiles) : Mein Mrinal! Par uss se pehle ye batao ki kesa mehsoos kar rahe ho?
Veer : Thoda dard hai seene me. Baaki I'm fine!
Mrinal : Wow! Mene iss se pehle kabhi kisi ki itni speedy recovery nahi dekhi. Wound ko dekh ke laga tha ki 12 ghante se bhi zyaada pehle ka ghaav hai. Par jab bataaya gaya ki ye kuch derr pehle ka hi tha toh meri bolti hi band ho gayi thi. Tumhaari immunity boht tezz hai. Itni ki... I'm having doubts.
Mrinal apni aankhein sikode Veer ko kuch sochte hue dekhi toh Veer chinta me pad gaya. Kahi aisa na ho ki ye Mrinal ma'am uss se uski itni tezz healing ke baare me puchne lage. Ab wo ye thodi keh sakta tha ki Beowulf's Blessings ne uski healing 50% badha dii thi.
Usne khaaste hue thoda naatak kiya aur fir pucha,
Veer : Wese... Kya time ho gaya? Aur mein yaha kese aaya?
Mrinal (smiles) : Time? Tum kal derr raat me yaha laaye gaye the. Aur aaj next day ki raat ke 8:30 baj rahe hai.
Veer : Kyaaaa?
Mrinal (smiles) : Jii haan! You have a strong build!!
Bolte hue Mrinal ne uske nange seene par apni ungli firaayi jaha patti bandhi hui thi aur uske gaal thap-thapaate hue firse boli, "Mein baakiyo ko inform kar deti hu. They want to meet you!"
Aur bas wo muskuraate hue chali gayi.
Idhar jab Veer ne palat ke Arohi ko dekha toh Arohi Mrinal ko jaate hue ghur ke dekh rahi thi.
Veer : Kya hua?
Arohi : Kuch nahi!
Veer : Ab aap bataengi ki kya hua tha? Mein yaha kese?
Arohi : Hmm~
Veer : Kahiye!
Arohi : Kal raat me... Kareeb 1:45 baje the tab Ragini Bhabhi ko tumhaare friend Karan ne phone lagaya tha aur unhe sab kuch bataaya. Fir Ragini bhabhi sabhi ke saath yaha aayi. Wo Karan hi tumhe yaha leke aaya tha. Tumhaari haalat dekh sab chintit me the. Bhabhi ro rahi thi. Fir subah jab ho gayi toh unhone mujhe aur tumhaari Nidhi ma'am ko bataaya. Hum subah hi aaye the tumse milne par tum behosh the. Fir abhi shaam ko aaye hai sabhi.
Veer : Wait! Karan? Mera dost? Sabhi? Kaun kaun aaya hai?
Arohi : Mein, Kavya, Dada jii, Pranjal, Bhabhi, Suman aunty, unki bahu Aabha aur beti Sonali, wo Nidhi ma'am aur unki beti Juhi aur kuch derr me wo Karan bhi aane waala hai.
Jaise jaise Arohi naam ginaate jaa rahi thi, Veer ka muh hairat ke maare khulta jaa raha tha aur aankhein bhi felti jaa rahi thi.
Wo apni soch me dooba hua tha jab usse apni hatheli apr firse kuch mehsoos hua.
Arohi ka haath!
Nigaahe upar kar usne Arohi ko dekha jiski aankhein thodi namm thi.
Arohi : Mein... Mein...
'!??'
Bechaari se shayad kuch bola nahi jaa rahi thi. Gala bhi roondh gaya tha uska.
Arohi : Hamesha aisa kyu?
Veer samajh chuka tha Arohi kis baare me baat karna chaah rahi thi. Par uske paas iss waqt sunn'ne ke alaawa koi aur chaara nahi tha. Wo ye nahi keh sakta tha ki wo kabhi dobaara mushqil me nahi padega. Aur beshaq, Arohi uss se yahi chaahti thi ki Veer dobaara inn maslo me na pade. Par aisa toh namumkin tha. Veer ab uss dagar par tha jaha se lautna namumkin tha.
Veer : I...
Arohi : You always make me sad!
Wo sarr jhukaaye khud ki aankhein chhupaate hue apne aasu pochne lagi. Par...
Veer : AROHIIII!
Arohi : !???
Bas! Bas, ek baar uska naam direct apne muh se pukaarne par Arohi ke poore badan me raungte khade ho gaye. Pata nahi kya tha aisa ki harr baar jab bhi Veer uska naam pukaarta tha toh bechaari Arohi ke shareer me kampan sa fel jaata tha.
Veer aage badha aur apne maathe ko uske maathe se tika diya.
Veer : I'm sorry! I cannot promise ki mein mushqilo me nahi padunga. But I promise ki mein apni aur aap sab ki care karunga. Acche se!
Shayad, abhi ke liye itne se shabd hi kaafi the. Arohi ne haan me sarr hilaaya aur Veer ki hatheli ko ek baar firse zorr se dabaate hue wo uthi aur baahar jaane lagi.
Wo nikli hi thi jab baahar se daudate hue andar jaldbaazi me Ragini aayi.
Uski aankhein laal thi jo saaf darsha rahi thi ki wo raat me soyi nahi thi.
Veer : Bha..!??
Par Veer apne shabd poore keh paata ki uss se pehle hi Ragini aage aayi aur usko apne gale se laga liya.
Uski nazre jagah jagah Veer ke chehre toh kahi uske shareer ki jaanch karne me lagi hui thi.
Veer : M-Mein theek hu. Bhabhi!
Wo baithi aur Veer ke haath ko kass ke thaam lii.
Kuch derr tak toh wo kuch na boli, bas lambi lambi saasein liye khud ko durust kar rahi thi. Aur iss beech dono hi Veer aur Ragini ek dusre ko hi dekh rahe the.
Veer : Mein... !???
Jab uski saasein thami toh ek baar fir wo Veer ke gale lag gayi. Veer, bas aashcharya me apni Bhabhi ko hold kiye hue tha.
Aur tabhi, uske kaano me Ragini ki badi hi dheemi sii awaaz padi, "You'll be punished later. Abhi rest karo!"
Aur bas, Veer Ragini ki baat sunn muskuraaya aur apni Bhabhi ko ek baar zorr se firse apni baaho me kass liya.
Ragini, na jaane kitni tension me thi. Kal shaam se hi. Fir raat me wo police ke paas gayi, jaha se usse Veer ka koi pata nahi chala, fir raat bhar tension ke maare uss bechaari ki neend udd chuki thi. Aur jab Karan ka phone uske paas aaya aur firse Veer ko uss haalat me paaya toh jese wo andar se toot hi gayi thi. Kitni baar aur usse Veer ko aise dekhna padega? Bas! Iss se zyaada baar ke liye ab wo taiyaar nahi thi shayad.
Pehli baar toh usse utna kasht nahi hua tha par harr guzarte din, Veer aur uske beech ka rishta mazboot ho raha tha. Aur aaj jab usne Veer ko punah uss haalat me dekha toh andar itni peeda hui thi usse ki wo kayi baar royi thi chhup chhup ke.
Ab Veer ko hosh me dekh, iss se badi khushi ki baat abhi Ragini ke liye koi nahi thi. Kehna toh hazaar baatein chaahti thi wo. Veer ko khari khoti sunaana bhi chaahti thi. Par wo sab baad ke liye jaise usne bacha ke rakha tha. Abhi, wo sirf iss baat ko jeena chaahti thi ki Veer uske saamne tha. Poore hosh me aur uski apni baaho me tha.
Veer aur Ragini, dono ko hi iss baat ka pata nahi chala tha ki dekhte hi dekhte kitne kareeb aa chuke the woh.
Ragini baahar gayi aur iss baar uske Dada jii aur Pranjal andar aaye. Pranjal ko dekhte hi Veer ne apna guard raise kar liya tha. Aise banaavti insaan ke saamne behtar hai ki aap ekdum chaukanne raho.
Aur wahi hua,
"Ohhh mere bhaaaiiii!!!"
Banaavti rone ki soorat banaate hue Pranjal aage badha aur Veer ke gale lag gaya.
Pranjal : Ye kya haalat karwa lii tumne apni mere bhai? Tum theek toh ho na?
Wo alag hua toh Manorath bhi Veer ke paas aaye.
Manorath : Veeeerrr!!
Veer : Dada jii! Aap!?
Manorath : Subah Arohi bitiya ne bataaya sab kuch toh hum chale aaye. Mere bacche ye sab kya karwa liya? Baahar Ragini bitiya ne bataaya sab kuch. Tum kisi ladki ko churraane gaye the? Beta!!! Mein... Mein jaanta hu dusro ki jaan bachaana acchi baat hai. Par zara apni jaan ka bhi toh dhyaan rakho. Haan?
Pranjal : Dada jii! Sabse acchi baat ye hai ki Veer sahi salaamat hai ab hamaare paas hai na?
'Haan be geedad! Tere mann me kya chal raha hai Pranjal! Mein acchi tarah se jaanta hu.'
Veer Pranjal ki saari chikni chupdi baatein samajh raha tha.
Manorath : Bilkul!
Veer : Ab aapki sehat kaisi hai Dada jii? Aap toh badhiya chalte hue andar aaye. Ab perr theek hai na?
Manorath : Hahaha~ Arre mein bhi jawaan hu. Kaun kehta hai mein budha hu?
Veer : Hahaha~ Bilkul!
Manorath : Wese... Baccho! Mene faisla le liya hai. Veer! Tum jald se theek ho jao. Uske baad mein wo faisla sunaane waala hu.
Veer : Kaisa faisla?
Manorath (smiles) : Samay aane par pata lag jaega.
Aur itna bol Manorath Veer ki baah thap-thapaate hue jaane lage. Wahi Pranjal bhi ek akhiri look Veer ko deke jaane laga.
Aur unn dono ke jaane ke baad hi uske kamre me Aabha, Suman aur Sonali, teeno ki paltan aa gayi.
Suman toh apne maalik ko waapas dekh itna khush thi ki uss se kuch kaha hi nahi jaa raha tha. Uski jaise saari chinta gaayab ho gayi thi waapas se Veer ko dekh.
Suman : Ab... Ab aap kesa mehsoos kar rahe hai Veer jii?
Veer (smiles) : Pehle se behtar!
Suman (smiles) : ....
Aabha (blushes) : Aap ko... Aap ko dobaara se dekh hum sab behad khush hai. Sab chinta me the... Pehle...
Veer (smiles) : I know! Uske liye maaf karna. Sab ko itni chinta me daal diya mene.
Suman aur Aabha jab jaane ke liye hui toh Suman ko dhyaan aaya ki uski ye nikammi Sonali ne toh kuch kaha hi nahi. Toh usse apni kohni se tatolte hue usne Sonali ko ishaara kiya aur khud Aabha ke sang baahar chali gayi.
Ab toh usse kehna hi tha. Akhir uski Maa ne jo keh ke rakha tha.
Wo muh pherre pherre hi Veer se boli, "Khaane ka vyapaar shuru kiya aur... aur beech me hi vyapaar chorr gaayab ho gaye. Hmph~"
Veer : Huhhhh!?
Veer ko jaise visvaash hi nahi hua tha ki Sonali ne ye kaha tha. Baad me usse khud hassi aa gayi iss baat par.
'Is she mad!? Haha~'
Veer (smiles) : Jald hi waapas se food truck fir se shuru karenge. Tum saath dogi na?
Sonali : Haaahh!?? Mein?? Mein... Mmm~
Veer ke sawaal iss qadar puche jaane par bechaari Sonali thoda jhep gayi. Saath dogi mera? Ye aisa sunaayi pad raha tha usse jaise Veer uss se janmo janam ka saath maang raha tha. Aur sharmaate hue wo peeche mud gayi.
Fir uthi aur jaane se pehle ek baar usse dekhi aur boli, "Bhagwaan tumhe jald hi theek kar de."
Aur firse mud ke wo sarpat kamre ke baahar nikal gayi.
Uske jaate hi Veer ne ek lambi gehri saans lii.
Jab kamra ek baar fir dhadalle se khula aur do cheh chahaati awaaz uske kaano me padi.
"Chalo chalo chalo... Bhaiya se milne..."
"Maaaamuuuuuu~"
Aur uske saamne do pyaari pyaari fuljhadiya thi.
Ek Kavya toh dusri natkhat Juhi.
Veer : Kavya? Juhi!??
"Maamuuuuuu~"
Juhi ko toh apni gaddi chaahiye thi. Wo seedha Veer ke bed par chadhi aur uski goad me aake baith gayi. Uski haath me jagah jagah bandhi pattiyo ko wo badi hi komalta se touch kar rahi thi. Jese dekh rahi ho ki uske maamu ko touch karne se kahi dard toh nahi ho raha?
"Bhaiyyyaaaaa!!!"
Kavya bhi aayi aur uske gale se lag gayi. Aur kaafi derr tak dono hi ek dusre ke aalingan me bane rahe.
Fir alag hote hi Kavya ne apne sawaal shuru kar diye.
Kavya : Kyu gaye the aap waha haan? Wahi Kaera ke liye na? Jo aksar newspaper aur TV me aati hai? Jiske saath aapki ek pic bhi aayi thi newspaper me? Uske liye? Whyyyyyy???? Bhaiyaaaa! Aap jaante hai na ki aapke aas paas bhi aapki care karne waale log hai. Toh fir khud ko aisi pareshani me kyu daalte ho?
Veer : Meri pyaari Kavya! Uss raat mene tumhe aur Arohi dii ko bhi toh bachaaya tha na? Toh yadi mein kisi aur ladki ko uss halaat me dekhta hu toh kya mein usse ignore kar dunga? Ki nahi ye meri behan nahi hai toh hone do uske saath jo hona hai. Batao behna? Hmm?
Veer ke aise puchne par Kavya shaant pad gayi. Aur muh fulaate hue apna sarr jhuka lii.
Kavya : I... Sorry!!!
Veer (smiles) : Koi baat nahi!
Aur Veer ne apni pyaari behna ko gale se laga liya. Toh iss baar...
*Chu~*
'Huhhhh!?'
Kavya ne uske gaal ko haule se choom liya aur firse uss se chipak gayi.
"Get well soon Bhaiya!!"
Veer (smiles) : Hmm~
Juhi : Mein bhi... Mein bhi maamu ko kissy dungi.
Veer : Hahahahaha~
Juhi khadi hui aur apne maamu ke gaalo ko geela kar uss se lipat gayi. Veer dheere se Juhi ke kaan ke kareeb aaya aur pucha, "Tumhari Mummy kaha hai Juhi?"
Toh Juhi bhi shaatir thi. Usne bhi dheere se Veer ke kaan me hi jawaab diya.
Juhi : Mummy baahar hai. Aaj mummy college se bhi jaldi aa gayi thi.
Veer : Ohhh!
Kavya : Bhaiya! Mein Juhi ko leke baahar jaati hu. Aapki ma'am ko bhi milna hai aapse.
Veer : Sure!!!
Kavya Juhi ko apni goad me uthaayi aur baahar nikal gayi. Ab shayad Nidhi ma'am hi baahar bachi thi jinse Veer ka milna baaki tha.
Kuch minute yu hi guzar gaye par abhi tak darwaaza khulne ki koi bhi awaaz nahi aayi thi Veer ko.
'Shayad wo mujhse naraaz hai.'
Ek gehri saas lete hue Veer laitne hi jaa raha tha jab firse darwaaza khula aur koi andar aaya.
Aur saree ki harqat, paayalo ki chham chham, uss parichit sii aahat paate hi Veer jaise samajh gaya tha ki kaun aaya tha.
Uski Nidhi ma'am!
Veer ki nigaahe parde ke chhorr par hi thi. Jaise hi parde ko paar karte hue uski Nidhi ma'am andar aayi.
Dono ki aankhein aapas me jaa judi.
Pal bhar ke liye Nidhi ke kadam wahi tham gaye aur wo parda pakde Veer ko hi dekhti rahi.
Fir ahista ahista wo aayi aur Veer ke paas baith gayi.
'Why does it feels like Deja vu? Fuckkk! Deja vu nahi ye pehle bhi hua hai. Last time bhi... I can tell she's mad.'
Mahaul awkward sa ho raha tha ab. Dono me se koi kuch bol hi nahi raha tha.
'Ma'am? Ahem! Aapko puchna hota hai ki mein kaisa hu? Fucccckkkk!!!! She's not even saying anything. Kya mujhe hi convo start karna padega? I hope wo chillaaye na bas.'
Veer : Umm...
Par Veer ke kuch bolne se pehle hi...
Nidhi : Kesa feel kar rahe ho ab?
Nidhi ne akhir puch hi liya uss se.
Veer : Mein... I'm... I'm better!
Nidhi : Hmm~
Aur ek baar fir khamoshi chhaa gayi.
'Mere aur ma'am ke beech hamesha aise hi conversations kyu hote hai!?'
Usne socha aur tabhi...
*Ding*
[System has been activated.]
[Kyuki tumhe aurto se theek se baat karna nahi aata. Wahahahahaha~]
Jiski kami thi, wo bhi haazir ho chuki thi ab.
'Aao maharaani sahiba. Tumhaari hi toh kami thi. Aur ek baat bolu!?'
[Of course! Haha~]
'SHUT THE FUCK UP!!!'
[What the!? Heyyyyy!!!!]
'Ekdum shaant! Mujhe ma'am se baat karne do.'
[Hmph~]
Nidhi : Mein... Mein chalti hu. Tum rest karo.
Wo uthi toh Veer bol pada, "Bas!? Jaa rahi ho aap?"
Nidhi : H-Haan! Tumhe dekhne aayi thi. Tum theek ho toh... You need rest so, m-mein chalti hu.
Veer : I see! Aur Shreya jii!?
Nidhi : Mujhe jab khabar mili thi toh woh office jaa chuki thi. Aur tabse mene usse nahi bataaya hai. Jaa kar usse bataungi. Subah aaegi wo milne tumse fir.
Veer : Ohhh! Toh aap!?
Nidhi : Mein chalti hu.
Aur wo uthkar jaane ke liye hui...
Veer : Aap naraaz ho. Hai na?
Nidhi : M-Mein kyu naraaz houngi bhala? Kis baat ke liye? Koi reason hi nahi mere liye naraaz hone ko. Jis student ko mene itna kaha ki inn sab me na pado wo meri baat sunta hi kaha hai? Kayi baar samjha chuki hu usse. Kayi baar kaha ki bhavishya par dhyaan de. Par wo keval apne mann ki hi karta hai. Ab mene bolna chorr diya hai. Toh bhala... bhala kis baat se naraaz hona?
Veer ne Nidhi ki baat sunn ek aah bhari.
'Aur ye keh rahi hai ki ye naraaz nahi hai.'
[Ye hum ladkiyo ki baatein tum nahi samjhoge. She's mad and sad too!]
Veer : Ma'am!!
Nidhi : M-Mein chalti hu.
Wo aage badhi hi thi jab Veer ne uski kalaayi thaam lii.
Veer : Ma'am! Rukiye please! Mat baat kariye but please. Thodi derr rukiye.
Veer bas Nidhi ke saath kuch shaanti ke pal guzaarna chaahta tha. Par uski kismat toh kharaab thi. Akhir aise kese?
"Veeeeeeeeeerrrrr!!!"
Darwaza khula aur ek behad hi haseen sa chehra uske saamne aaya.
"M-Miss Kaera!?????"
Kaera daudate hue aayi aur Veer ko hosh me dekh aage badh uske gale se lag gayi.
'Damnnnn it!!!'
Pehli baar, Kaera ne usse aise hug kiya tha apne aap se. Aaj jese Veer apne aap ko behad hi important samajh raha tha. Kaera jaisi ladki uski baaho me jo thi. Jab aisi ladki aapke gale se lagi ho toh andar ek strong feeling aati hi hai.
Kaera : I knew it! I knew you would come. I was right~
Nidhi apne sarr ko palat ke unn dono ko baaho me baahe daale dekh rahi thi. Aur jo kalaayi uski Veer ke haath me thi. Usse Nidhi ne dheere dheere churraate hue azaad kar lii.
Veer : Ma'am!?
Nidhi bina kuch kahe apne saree ke chorr ko zorr se bheenche hue baahar nikli jab achanak darwaaze par hi usse ek aur husn ki devi ke darshan ho gaye.
Unn dono ki nazre kuch pal ek dusre ke upar rahi aur uske baad Nidhi sarr jhukaate hue room ke baahar nikal gayi.
Idhar andar aa rahi ladki koi aur nahi Sonia thi. Jo apni trip se waapas aayi thi. Kaafi samay se wo Veer se nahi mil paayi thi. Recent me hi usse baahar jaana pad gaya tha. Aur Veer ke baare me ab jaan'ne ke baad usne tay kiya ki wo visit karne jaegi. Aur wahi uss se jee bhar ke acche se milegi. Usse food truck ki badhaayi bhi degi.
Uske sang hi Suhana bhi khadi hui thi peeche. Wo bhi aayi hui thi.
Aur dono hi behne jab andar aayi toh unhe nazar aaya ki...
Kaera zorr se Veer ko apni baaho me liye hui thi.
Sonia ne jaise hi ye dekha toh uske kadam wahi rukk gaye.
Suhana (mann me) : Oh no! Not again...
Veer ne jab dono behno ko dekha toh wo unhe bulaane hi waala tha ki...
*Slaaaaaaammmmmmm*
Sonia ko pata nahi kya hua par wo achanak hi zorr se darwaaza band kar baahar nikal gayi.
'Hmm?'
[Something happened...!]
Wo baahar nikli aur nikalte hi usne sabse pehle Mrinal ma'am ko dekhte hue pucha, "Where's the washroom!?"
"Yaha aage se left!" Mrinal ma'am ne bataaya toh Sonia bas tezz kadmo ke saath andar ghuss gayi aur ek baar fir...
*Slaaaammm*
Zorr se usne darwaza andar se hi band kar liya. . . . . . . . Aaj ke liye itna hi guys! Dhanyavaad! Like thokne ka aur revos rakhne ka.