- 14,126
- 100,123
- 259
Last edited:
Diya tha na. Update 68 Mega update tha. Uske baad 70 bhi mega update diya tha. Kitna bada dil hai mera...Kabhi Kabhi pathko ko bhi surprise Dena chahiye fir apko.
I think you know what I wanna say.
Early Excess
Thank you so much werewolf brotherDon't worry! Update 72 aaj raat hi aaega as I said earlier.
akhir kar apna Lunda Rocky ban gyaUpdate - 19 ~ Tactical Approach
Ab tak...
Na jaane kab Veer baato hi baato me kabhi daudte hue toh kabhi kisi se lift lete hue apni manzil pe pohuch gaya.
[Are you ready master?]
'Hmm!!!'
[Brace yourself!]
'Hmm!!!'
[You'll have to kill....]
'Huh???'
Ab aage...
Veer ko Nidhi ke ghar se gaye aadhe ghante ho chuke the. Raat ke 8:30 baj rahe the aur Nidhi idhar Juhi aur Shreya ko khaana paros rahi thi. Par uski khud ki thaali table par kahi nazar nahi aa rahi thi.
Shreya : Aap nahi khaa rahi?
Shreya ke sawaal par Nidhi ne khaane ko beech me hi paroste hue usse dekha aur uske haath achaanak rukk gaye. Ek lambi saas lete hue wo boli.
Nidhi : Thodi derr wait kar leti hu. Shayad abhi thodi derr me aa jaaye. Warna fir bechara akela baith ke khaega...
Shreya : Haa toh? He totally deserves that. Na toh bata ke gaya ki kab aaega, na ye bata ke gaya ki kaha gaya hai? Arre kaha gaya hoga!? Mein pakke se bata rahi hu aapko, ye gaya hai apni kisi maashooqa ke paas, aur dekhna waha...
Nidhi : Nahi Shreya! Aisa kuch bhi nahi hai.
Nidhi ne virodh karte hue kaha. Shayad usse apne mann me Veer ke wo bol yaad aa rahe the.
'Mein poori koshish karunga Ma'am. Jitni jaldi ho sake... Utni jaldi aane ki... Aur jesa aap soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai. Shreya jii ki baato ko ignore kariyega... And... And... Thank you.'
Jo shabd Veer ne kahe the, uss se toh yahi prateet ho raha tha ki wo kisi zaroori kaam se hi gaya tha.
Shreya : Aapko kese pata aisa kuch bhi nahi hai? Kya aap dekhne jaa rahi ho? Ki wo kya kar raha hai? Itna confidence kyu hai aapko?
Nidhi : Because he said to me Shreya... Wo bas kisi urgent kaam se gaya hai. Aa jaega abhi thodi derr me... Thodi derr wait kar leti hu. Tum dono khaao na khaana...
Shreya : Dekh lena... End me aapko hi bura lagega... Meri baat sunn'na hi nahi hai aapko.
Abhi wo dono aur baatein kar paati ki tabhi Nidhi ke phone ke ghanti baji, aur Nidhi ne phone uthaate hue screen par naam dekha.
Parantu naam dekhte hi uski bauhe chinta ke maare sikud gayi. Apni nazre uthaate hue usne ek jhalak Shreya aur Juhi ko dekha aur fir andar apne kamre me chali gayi.
Andar aate hi usne call uthaaya aur apne kaano se lagaaya.
Aur dusri taraf se uske kaano me ek jaani pehchaani awaaz aayi. Ek mard ki awaaz...
Nidhi : He... Hello!?
Aadmi : Kal tumhe aana hai.
Nidhi (frowns) : Kis liye!?
Aadmi : Baat karni hai. Zaroori baat.
Nidhi : Par jo kuch bhi hai wo...
Aadmi : Mene kaha na? Ghar pe aana hai. Din me... 2 baje tak...
Nidhi : Par jab...
Aadmi : Haa ya na!?
Nidhi : Mein...
Aadmi (tezz awaaz me) : Mene pucha... Haa ya na!? Aaogi ya nahi!?
Apna nichla honth daato tale dabaaye Nidhi ne apni mutthi kassi aur uss aadmi ko jawaab diya,
Nidhi : Fine!! I'll come!
Aadmi : Hmm! Late mat karna...
Nidhi : Hmm...
*Call cuts*
'Kab tak!? Kab tak aise hi chalta rahega?? I need to move forward. Par sab kuch jese... Mein Veer ko bhi ghar se aise nahi bhej sakti... Kharcha badh gaya hai kaafi but still... I cannot just... Leave him like that. Yadi uska koi relative aa jaaye tab toh koi baat hi nahi hai. But uski family... Kese karungi itna sab mein?? Bhagwaan!! Ab toh tum hi koi raah dikhaao. Mein phass chuki hu iss chakravyuh me...'
Nidhi haatho me phone liye apne mann me hi sochti jaa rahi thi ki uske theek peeche se achaanak hi Shreya ki awaaz aayi,
"Kiska phone tha!?"
Sunte hi Nidhi chaukte hue peeche palti.
Nidhi : Wo...
Bolte waqt uska sarr apne aap neeche jhuk gaya. Aur Shreya jese samajh gayi ki kiska phone tha.
Shreya : What did he say!?
Nidhi (sighs) : Kal bulaaya hai mujhe.
Shreya (surprised) : For what!??
Nidhi : Nahi pata... But kal jaake hi pata lagegi ye baat.
Shreya : And you told him that you are coming!?
Nidhi : Of course! Aur koi option hai mere paas!?
Shreya : Kyuuuuuuuuuuu!????
Nidhi : Shreyyyaaaa! I have to... Sab kuch... Issi ke liye toh kar rahi hu... Tum bhi dekhti aa rahi ho tabse... Mene ek bhi din aisa nahi gawaaya hai jidhar mene apna lakshya bhula diya jo... Batao tumhi...
Shreya : I know but...
Nidhi : Don't worry! It's just to talk. Baat karke ghar hi aana hai.
Shreya : Fine!!!! I'll go with you.
Nidhi : Nahiiiii! Juhi ko kaun dekhega!? Wo school se ghar aaegi toh kisi ko toh rehna hoga na!?
Shreya : But aap akele...
Nidhi : Chill! Everything will be fine...
Shreya : O... Okay!
Aur Shreya maayus bhara chehra liye waha se chali gayi. Yahi haal Nidhi ka bhi tha. Shreya ke jaate hi uska chehra agle hi pal murjha sa gaya. Aur wo apne bistar par girte hue baith gayi.
Na jaane kya uthal puthal machi hui thi uske mann me. Sawaal bhi the, gutthiya bhi jinhe wo suljhaana chaahti thi, par inn sab ke bawajood wo apni choti behan se sab kuch saajha nahi kar paa rahi thi. Choti behan kya, siwae khud ke wo sab ke saamne apni asli pravatti ko jese chhupa ke rakhi hui thi.
Jo kuch bhi tha, itna toh tay tha ki aane waala kal, uske liye asaan nahi hone waala tha.
***
Idhar Veer mission ke liye apni bataayi gayi destination par pohuch chuka tha.
Wo sunsaan sii sadak, raat ka andhera aur keval chaand ki roshini. Sadak ke idhar udhar keval ped paudhe, zameeno par bikhre pathhar, sookhe patte aur dhool. Aur saath hi saath ped paudho ke nazdeek se aati jhinghoro ki awaaz. Yahi manzar tha jo Veer ko waha pohuchte hue sabse pehle dikhaayi diya.
Kuch derr jab wo aage badha toh usse kayi building choti toh kuch halki badi nazar aayi. Kuch band ho chuki thi toh kuch poori tarah se abandoned thi aur unki haalat kisi bhootiya jagah se kam nahi thi.
Building ke dhaache aise toote hue bikhre hue kahi zameen par dale the toh kahi kisi sahaare se latke hue the. Andar wo concrete se nikli hui lohe ki rods jinme zang lag chuki thi unki vyatha ko bayaa kar rahi thi.
Toote sheeshe, aur upar terrace se neeche aati hui pedd paudho ki wo jade aur lambi lambi shakhaaye jo uss pehle se hi daraawni jagah ko aur bhi daraawna bana rahi thi.
Yadi kuch tha waha pe sabse zyaada maatra me toh wo thi hariyaali.
Raat me chaand ki roshni me ye abandoned buildings kya hi nazar aa rahi thi. Aas paas ke ped paudho ne jese building ko ek chaadar ki tarah lapet liya tha.
Veer issi building ke baahar hi tha. Aur dekhne me aisa lag raha tha ki ye building shayad pehle koi factory thi, jo ki saalo pehle band pad chuki thi. Uski dur dasha poori tarah se battar ho chuki thi aur structure jese poora ujad chuka tha.
Veer baahar khade bas andar jaane ke liye khud ko prepare kar raha tha, kyuki abhi abhi kuch derr pehle hi Pari ne uski kuch chand shabd kehke gaand phaadi thi. Aur wo shabde the ki~ He'll have to kill.
'Pari! You don't understand! I have never killed anyone. Ye mazaak nahi hai Pari!'
[Master! Mein aapko ye nahi keh rahi hu ki aapko maarna hi hai. Mein bas aapko ye bata rahi hu ki ab se... Ab se yadi aapki jaan khatre me hogi aur yadi aapko koi maarne ka prayas kare ya aapki life ke liye threat ho then aapko usse maarna hi padega. Aur mein issi se aapko ye realize karwa rahi hu ki yadi situation bani toh aapko maarna hi padega warna aap sab kuch kho baithoge...]
Bechaare Veer ko kya hi pata tha!? Wo toh jaanta hi nahi tha ki Ragini kis type ki musibat me phassi hai. Uske mata pita ke saath kya hua hai, aur iss waqt wo andar kis haal me hai, kiske paas hai? Ye saari baato se toh Veer bilkul hi anjaan tha.
Usse toh bas itna pata tha ki Ragini kisi musibat me hai aur usse bachaana hai.
'I... I understand Pari... But ye Ragini Bhabhi bhala aisi jagah me kya kar rahi hai!? Wait!!!! Don't tell me...!?'
Jese hi usko ab yaha aake ye realize hua, uski aankhein phati ki phati reh gayi.
[Yes! You may be right master. Mujhe bhi yahi lag raha hai. Aur isliye, satark rehne ke liye aap apna Phone silent me kar lijiye.]
'Good idea Pari! Mein wahi yaad karne ki koshish kar raha tha ki mein kya bhul raha hu.'
Phone ko silent kar, usse jeb me rakh, Veer building ke neeche bane basement ki orr badha...
*Badump* *Badump*
Uska dil zorro se dhadak raha tha. Ye darr tha anjaan ka. Neeche kya hai!? Kon hai? Kya cheez hai? Wo kuch bhi nahi jaanta tha. Aur issi kaaran uss anjaan cheez ka darr uske dil par apna asar dikha raha tha.
'Pari! Everything will be fine right!?'
[I'll guide you master. Bas dheere dheere aage badhiye. Dhyaan rahe, neeche ekdum dekh ke chalna, saath hi saath apne agal bagal bhi. Kisi bhi cheez se aap takrao na. Hume awaaz nahi karni hai.]
'I know that... But thanks for reminding me...'
Wo jese hi building ke neeche jaate uss slope se neeche aaya toh andar ek LED bulb jal raha tha aur theek side me ek scorpio gaadi khadi hui thi.
'Ye Scorpio yaha kya kar rahi hai!? Kahi issi me Ragini Bhabhi...!?'
[Yes master. I'm thinking the same. Andar situation kaafi critical bhi ho sakti hai. Mein suggest karungi ki aap ek hidden weapon dhund lijiye apna. Like koi rod wagarah, ya koi stick.]
'Yup! I got that...'
Apne dheere dheere qadam badhaate hue Veer zameen par idhar udhar apni nazre ghumaane laga, ki kahi se bas kuch aisa mil jaaye jo uski emergency ke waqt kam se kam hifaazat karne ke kaam aa sake.
Neeche itne phattar aur building ke toote hue hisse pade hue the ki Veer ki dekh ke hi phatt rahi thi ki kahi ye dhaancha gir hi na jaaye.
Jese tese kuch seconds ki mashaqqat ke baad usse jo chaahiye tha wo aakhir kaar usse mil hi gaya.
Ek choti zang lagi hui rod jo ki wahi side me pattharo ke neeche padi hui thi.
Apni shirt ko uthaa ke Veer ne uss rod ko apni peeth ki orr le jaate hue pant me khos lii aur shirt waapas giraate hue usse dhak lii. Kam se kam uske paas ab kuch toh tha. Wo khaali haath nahi tha.
Aur Scorpio ke aage badhte hi uski nazar darwaaze par gayi jo ekdum saamne tha. Wo lohe ka halka damaged darwaaza jisse dekh ke hi Veer bata sakta tha ki isko yadi khola toh ye pakke se chuu chaa ki awaaz karne waala tha.
[Ekdum dheere se khol ke pehle andar nazar maariye master.]
'Hmm!!!'
Pari ki baat sunn Veer ne bilkul wesa hi kiya aur jese hi uske haath darwaaze par lage aur usne darwaza dhakela wo chuu chaa ki awaazein karna shuru kar diya. Aur ye sunte hi uski phatti, usse laga jese wo gaya kyuki agle hi pal ek awaaz andar se aayi,
"Kaunn hai!???"
Ek aadmi ki awaaz andar se aise goonji ki Veer ke haath jo darwaaze par the wo itni tezzi se hate aur agle hi pal wo peeche hata aur darwaaze ke bagal ki diwaar ke peeche chhup gaya.
*Scrunch*
*Scrunch*
Aur tabhi kisi ke qadmo ki awaaz aane lagi jo theek uski taraf hi badh rahi thi.
Zameen par pade kachde, pathhar ke chalte unn qadmo ki awaaz badi hi zorr se aa rahi thi.
*Badump* *Badump*
Jese jese wo qadam aage badh rahe the Veer diwaar se apni peeth lagaaye apne dil ki dhadkano ko control me karne ki koshish kar raha tha. Ye kehna galat nahi tha ki qadmo ke saath saath uski dil ki dhadkane bhi badhti jaa rahi thi.
[Master....!]
Pari ne chintaa bhari awaaz me usse pukaara, kyuki wo mehsoos kar paa rahi thi. Veer ki dhadkane boht tezz jo ho gayi thi.
Ek galat qadam aur kuch bhi ho sakta tha.
Veer itna toh bhaamp gaya tha ki andar se jo bhi aa raha tha wo uska shubhchintak ya dost toh katayi nahi tha. Aur jis hisaab se usne andar se awaaz dii aur ab aage badh raha tha. Veer jaanta tha ki wo aadmi usse dekhte se hi kya karne wala tha. Aur, bas issi hamle ko counterattack karne ke liye Veer khud ko taiyaar kar raha tha.
Aur wo counterattack tha ~ Surprise attack.
Dushman tumpe waar kare uske pehle hi tum usse surprise karte hue uss par dhaawa bol do.
Yahi sab sochte hue usne Pari ki awaaz ka koi uttar na diya jiske chalte Pari ekdum hi bechain ho gayi. Par dubaara kuch na boli,
*Screeeeeeccchhhhhhh*
Aur agle hi pal...
Wo lohe ka darwaaza ek teevr awaaz karte hue khula aur jese hi aadmi baahar aaya...
"Mmmmmmmphhhhhhhhhhhhh"
Uss aadmi ki aankhein phati ki phati reh gayi kyuki achaanak hi uske muh par ek haath aaya aur uska muh poori tarah se seal kar diya.
Jab tak ki wo aadmi kuch samajh paata, dusra haath uske ek haath ko thaam chuka tha aur agle hi pal kisi ne usse peeche se kheencha aur apne saath hi neeche gira liya.
*Craaaaaashhhhh*
Neeche jo bhi kankad pathhar pade the uspe hi dono jaa gire...
Apna dusra haath jo ki uss aadmi ka free tha, jese hi usne uska istemaal karne ka socha ki tabhi ek perr ka dabaav uske dusre haath par pada aur uska wo haath bhi kisi anjaan vyakti ne perr me phassa ke uska virodh nakaam kar diya.
Agle hi pal jese uss aadmi ka pal bhar ke liye ek haath chootha aur usne bina koi chance gavaaye zorr se apni kohni se peeche waale vyakti par waar kiye jiske chalte uss bande ko chot toh aayi par next second hi...
*Thud*
Ek pathhar ka waar uske sarr par huwa aur ek baar fir...
*Thud*
Ek aur waar aur uske saamne hi turant hi andhera chhaa gaya.
*Huffff* *Huffff*
Zorr zorr se lambi lambi saasein chorr Veer uss aadmi ko apni giraft se azaad kar uske neeche se utha aur apni pasli ko malne laga.
'Shit! That was a bad move. Saale ki kohni zorr se lagi.... Aaargghhh!!'
[Endurance...]
'I know.... I know... Ab se endurance par bhi dhyaan dunga...'
'Ek minute! Pari!? Ye marra toh nahi na!?'
[No master. Wo behosh hai. Nice move by the way. Apni surrounding ka istemaal kiya aapne. Neeche jo pathhar pade the unhi ke zariye aapne ek thikaane laga diya.]
'Yeaaahhh! Rod nikaalne ka time nahi tha.'
[Check his pockets master. Kahi iske paas guns toh nahi!?]
Pari ki baat sunn Veer ne forun hi uss behosh ho chuke aadmi ko tatolte hue uski jeb check kari par Veer ko koi bhi hathiyaar nahi mila uska siwae ek choti sii pocket knife ke, jo Veer ne apne jeb me daal lii.
Ab jab Veer ne uss aadmi ko dhyaan se dekha toh wo aadmi nahi balki 28-29 saal ka hi koi ladka tha aur anumaan lagaya ki shayad ye yaha pe kisi ke under kaam kar raha tha.
Idhar Veer ek ko behosh karne ke baad aage badhne ki taiyaari kar raha tha par andar toh kuch aur hi scene chal raha tha.
Ranga Vivek ka video bana chuka tha jisme Vivek ne apni company Aatish ko saupne ke bol bole the.
Aur abhi Ranga Dinesh ka video banaane jaa hi raha tha jab usse baahar se kuch chahal pahal ya harqat hone ki awaaz sunaayi dii.
Ranga : Zara dekh ke aana baahar! Awaaz sii aayi mujhe...
Usne ek ladke ko dekhte hue kaha toh wo ladka haa me sarr hilaate hue baahar jaane laga.
*Scrunch* *Scrunch*
Aur idhar Veer ko fir se unhi pathharo par chalne ki awaaz sunaayi dene lagi aur ye sunte hi wo samajh gaya...
Samajh gaya ki agla koi aa raha hai.
Veer ne forun hi uss behosh pade aadmi ko Scorpio ke peeche khiskaaya aur abhi wo kuch aur karta ki tabhi Pari ki awaaz uske sarr me goonjne lagi,
[Master! Go outside!]
'Huh?? Kyu???'
[Pehle aadmi ke chakkar me awaaz hui hai aur shayad isliye ye dusra achanak dekhne aaya. We cannot risk it master. Ab iske chakkar me andar ke saare log na aa jaaye. Baahar se isse bait kariye... Make him come oustide.]
'Nice idea Pari!'
Veer jaldi jaldi waha se bhaagte hue upar chala gaya, waapas se road par...
Par uske aisa karte hi uss ladke ko bhali bhaati awaaz sunaayi de gayi.
Aur kyu na deti!?
Sannaata hi itna tha waha ki halki halki harqato tak ki awaaz sunayi de jaati thi. Aur Veer toh tezz daud ke gaya tha.
Veer ke qadmo ki awaaz jese hi uss ladke ke kaano me gayi toh wo bhi daudte hue baahar ki orr jaane laga.
Aur slope ki chadhaan chadhte hi jese hi wo basement se baahar road pe aaya toh usne dekha ki...
Sab kuch ekdum shaant pada hua tha.
Par uss ladke ne saaf saaf kisi ke bhaagne ki awaaz suni thi. Bhale hi usne kisi ko dekha nahi par usse apne kaano par poora viswaash tha.
Usse yakeen tha ki saala koi toh yaha aaya tha aur abhi abhi bhaaga hai.
"Kaaaunnnn haii!??"
Par uski awaaz ka aur uske sawaal ka koi uttar usse na mila.
"Saamne aao..."
Ek baar fir usne pukaara...
Par iss baar bhi, koi jawaab na aaya. Chaand ki jitni roshni aa rahi thi, utni hi roshni me dekhna thoda mushqil tha par nazar kaafi kuch aa raha tha.
Wo apna sawaal firse dohraata ki tabhi road ke saamne waale ped ke paas usne dekha ki ek ped ki daal ajeebo gareeb dhang se hil rahi hai.
Jese maano usse koi hilaa raha ho.
Aur sach kaha jaaye toh ye dekh ke uss ladke ki phati toh thi. Bhale hi wo bhooto pe viswaash nahi karta tha par fir bhi aise waqt pe dhyaan udhar chala hi jaata tha. Aur jab sthiti aisi ho toh acche se accha insaan darr jaata hai. Aur yahi iss ladke ke saath bhi hua,
"Ka... Kaun?? Kaun hai!?"
Wo bolte bolte dheere dheere aage badhta raha. Jese tese karke wo ped ke paas pohucha jo bas ab kuch hi duri pe tha. Usne apne haath me liya danda aage kiya aur zorr se uss hil rahi daal ko maara...
Par nateeja!?
Waha kuch nahi nikla...
Uss ladke ki jese jaan me jaan aayi aur wo iss baar bina darre uss ped ki daal ke paas jaane laga.
Aur jese hi wo gaya.
*Thud*
Ek zorrdaar waar uske peeche sarr pe hua aur wo apne hosh wahi kho baitha...
*Huffff*
'This one took only one hit...'
Veer ne apni rod waapas se apni shirt me khusaayi aur bina koi samay gavaaye wo firse andar chala gaya.
Idhar andar Ranga Vivek ko baandh ke Dinesh ki rassiya kholne hi waala tha ki tabhi usse dhyaan aaya ki usne jis ladke ko bheja tha wo ab tak aaya nahi tha.
Keval wahi bas akela bacha hua tha Ragini, Dinesh aur Vivek ke saath.
Dinesh ko ussi haalat me chorr Ranga baahar jaane ka tay karta hai.
Wo ekdum alert hoke chalne lagta hai. Kyuki uske dono hi ladke kaafi derr se baahar the. Aur usse bhi kuch harqat ki awaaz aayi thi.
Jese hi wo darwaaze ko kholta hai ki uski nazar slope se neeche aa rahe Veer par padti hai.
Aur dono hi ek dusre ko dekh ek second ke liye jese wahi rukk gaye. Ek jhatka sa jo laga tha dono ko.
"Kaun hai tu!?"
Ranga ne tezz swar me chillaaya par fir achanak hi uski nazar Scorpio ke paas gayi jaha par usse ek aadmi ke thode perr dikhaayi de rahe the, aur Ranga ko samajhne me derr na lagi ki baahar kya chal raha tha.
Aur agle hi pal uska haath apni jeb me khuse revolver par gaya aur usne usse nikaal ke taana hi tha par tab tak derr ho chuki thi.
*Thud*
"Aaaaarrrrghhhhhhh!!!"
Ek bada sa pathhar aake uske haath pe laga jiske chalte uski ek karaah nikli aur patthar ke lagte hi uske haath se uska revolver chhutak ke peeche jaa gira.
Wo apne haath ke dard se ubhar paata ki tabhi...
*Pooowwwwww*
Ek zorrdaar ghusa aake seedha uske jabde par pada aur uska saara nichla jabda hil ke reh gaya.
Powerful impact ke saath wo ghusa jese hi pada, Ranga teen chaar kadam ki duri me uchalte hue gira aur bas...
Veer toot pada uspe...
Idhar unke ladne se jo awaazein basement me goonj rahi thi, wo Ragini, Vivek aur Dinesh samet sabhi sunn paa rahe the par unhe ye nahi pata tha ki unhe bachaane waala Veer hai.
Ranga ne sambhalte hue Veer ke agle waaro ka bakhubi saamna kiya aur badle me dherr saare waar kiye. Kahi pasli me, toh kahi pait me, kahi chehre me toh kahi seene me...
Dono ek dusre par aise jhapat'te hue ladd rahe the aur bhidte jaa raa the, toh kahi girte padte jaa rahe the. Kuch hi palo me jagah jagah unke shreer me chhilne ke ghaav aa chuke the aur khoon nikakna shuru ho gaya tha.
Wo ladte hue na jaane kab andar ki orr aa gaye jiske chalte Ragini samet baaki sabhi unn dono ko dekh sakte the.
Aur jese hi idhar Ragini ki aankhein Veer par padi, wo phati ki phati reh gayi.
Usse ek jhatka laga tha. Zorrdaar jhatka.
Ye usne apne poore jeevan me kabhi umeed na kari hogi ki Veer yaha usse bachaane aaega.
Aur agle hi pal...
Jo aasuo ka baandh abhi kuch Seconds se thama hua tha wo Veer ko Ranga ke saath ladte dekh hi toot pada aur uski aankho se mote mote aasu behne lage.
Vivek bhi ye dekh ke ekdum hairaan tha.
Usse bhi khud yakeen nahi ho raha tha ki Veer yaha unhe bachaane aaega. Mann me itne saare sawaal umad rahe the dono hi Ragini aur Vivek ke ki pucho mat.
Par iss waqt dono ki nazre aur dhyaan Veer aur Ranga ki ladaayi par tha.
Dinesh bhi khud bas ladaayi ko dekh raha tha aur aasha kar raha tha ki Veer ko kuch na ho.
Par kuch hi palo me jese uski aasha jese mitti me milne jaa rahi thi.
Kyuki Ranga iss waqt Veer ke upar baith apne dono haatho se ussi ki rod uske gale me gadaaye uska gala choke kar raha tha.
"Saaaleeee.... Aaj tu marega mere haatho... Mein nahi.... Ughhh.... jaanta tu kaun hai... Par itna zaroor jaanta hu ki tu inhe bachaane aaya hai aur ye bhi ki tu marrega mere hi haatho se.... Marr jaaa saaaaleee..."
Wo chilaayaa...
"Ugghhhhhhhh"
Veer ko apne gale me ab boht zyaada dabaav mehsoos ho raha tha. Kisi bhi waqt uska gala choke ho sakta tha...
Ki tabhi Pari ki awaaz gunji...
[Master!!!!! Your pocket...]
Aur agle hi pal Veer ne ek haath chorr apni pocket tatoli par ye move jaanleva tha...
Ranga ka dabaav aur badha aur uske gale pe bilkul wo rod jese poori satt chuki thi.
Bas derri thi toh kuch seconds ki aur Veer iss duniya se uth chuka hota agar...
Agar uske dusre haath me wo pocket knife ne aayi hoti.
Usse kholte hi Veer ne seedhi wo knife Ranga ki pasli me ghused thi...
*Splurt*
"Aaaaaarrrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhhhhh"
Ek zorrdaar cheenkh jisse sunn aadmi ki rooh kaanp jaaye poore basement me fel gayi.
Ranga apni pasli pakad jese hi side hua...
*Thud*
Sarr pe ek waar aaya aur agle hi pal uski aankho ke saamne andhera chhaa gaya.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Nice update bhai waiting for next updateUpdate - 71 ~ Realization!Ab tak...
Dono ke honth aapas me jude hue the. Arohi toh keval uske gaal ko chumna chaahti thi. Par utne me hi Veer palat gaya tha... Aur nateeja...
Arohi : Aaahhh!
Wo hadbada ke peeche hati aur bina Veer ko dekhe hi bhaag gayi.
Veer bechaara bas apni thodi kaapti hui ungli se apne honth par firaata reh gaya aur mann me bas yahi kehta raha...
'It... It was an accident!'
Ab aage...
Kal ki raat toh kya hi raat thi. Veer na keval kayi saare bade logo se apni pehchaan kar paaya tha balki usne Pranjal ko bhi ek muh tod jawaab diya tha.
Ragini ne toh pehle hi Pranjal ke saare raaz khol diye the Veer ke saamne. Ki kese Pranjal ne Veer ko ghar se baahar nikalwaaya tha. Aur kese woh uske khilaaf shadyantra rachta tha.
Aise kapti insaan ki kal Veer ne acche se waat lagaayi thi. Poore banquet me fir Pranjal nazar nahi aaya tha. Na jaane kitni derr tak washroom me wo dhun bana raha tha. Wo kehte hai na, jaisi karni, wesi bharni. Pranjal jis galat uddeshya se Veer ka mazaak banaane aaya tha, Veer ne uska hi mazaak bana ke rakh diya tha.
Ghar aake jab Veer ne saari baat Ragini ko bataayi toh Ragini bhi uske sang hassi ke thahaake lagaane lagi.
Veer ab pehle jesa Veer nahi tha. Dada jii ki 40% jaydaat milne ke baad ab uske under itna kuch tha ki wo iss jaydaat se boht kuch kar sakta tha. Karodo ka maalik tha ab woh.
Wo isliye, kyuki jaydaat me keval zameen hi nahi thi. Manorath ke paas jitne bhi makaan, flats, dukaane, transport ke saadhan, athwa jaha jaha Manorath ne invest kiya tha. Unn sab ka hissa hua tha. Aur wo hissa inhe sab me tha.
Veer ke paas iss waqt dherr saari zameen toh thi hi, saath hi saath uske paas 2 flats bhi the ab. 1 dukaan, 2 cars, aur kaafi saara cash bhi uske account me aa chuka tha.
Dukaan toh pehle se hi rent par dali hui thi toh filhaal Veer usse wese hi rehne dene waala tha. Rahi baat cars ki toh wo bhi koi na koi aake ghar par chorr ke jaane waala tha. Uski tension nahi thi.
Aur 2 flats jo the, inke baare me kuch kiya jaa sakta tha. Original plan Veer ka yahi tha ki wo Suman samet dusre flat me shift ho jaaye. Par Ragini bhala aisa kaha hone dene waali thi? Woh toh Veer aur baaki sab ko kahi bhi nahi jaane de sakti thi. Itna lagaav jo ho gaya tha inn sab se usko.
Abhi wo apne room me laita hi hua tha jab achanak hi...
*Ping*
Uska phone baj utha. Koi notification aaya tha.
'Huh?'
Phone check karte hi usne dekha ki Kavya ki college friend Kritika ka message tha insta par. Wahi, jo kal uski Insta ID maang kar le gayi thi.
Chat kholte hi Veer ko message dikhaayi diya.
Kritika : Hello bhaiya!
Toh Veer ne bhi forun type karte hi message bhej diya.
Veer : Hello!
Kritika : Kaise ho aap?
Veer : I'm good! Tum batao!? Need any help?
Kritika : No bhaiya! Mein toh bas aise hi...
Veer : Okay!
Kritika : Wese! Kya aapne padh liya?
Veer : Padh liya? Kya padh liya?
Kritika : Huh? Kal se seniors ke exams hai na!?
Veer : Ehh!?
Message padhte hi, Veer jo shaanti se araam farma raha tha wo ek jhatke me bistar se koodate hue uth ke baith gaya.
'Fuccckkkkkkk! Kal se exam!? Shit! Arohi dii ne toh bataaya tha kaafi din pehle. Mere dimaag se hi nikal gaya.'
Veer : Okay! Kal kis ka paper hai!?
Kritika : Eh!? Bhaiya!? Kya aapko apna time table nahi pata? Kal shayad Maths hai aapka.
'Ohhhh Fuckkkkkk!!!'
[Haha~]
Maths naam sunte hi Veer ke mann me do khayaal aaye. Pehla, ki usne inn beete dino ghanta kuch padha tha. Padha toh dur, woh toh apne college ki shaqal hi bhul gaya tha. Aur dusra...
Nidhi ma'am! Jo maths ki teacher thi. Aur iss saal uski class teacher bhi. Lag gayi waat.
Khatre ki ghanti baj rahi thi jese uske mann me.
Veer : Okay thanks! Goodbye!
Aur Veer ne itna type kar ke bhejte hue insta band kar diya.
Apne ghar ke bistar par laiti Kritika ne jese hi ye dekha toh wo hairat me reh gayi. Kuch derr pehle hi wo itna khush thi ki Veer bhaiya ne usse forun hi reply de diya. Aur ab...!? Ye toh khade lund pe laat maarne jesa tha.
Kritika : Wha-!? Veer bhaiyaaaa!? Heinnnnnn!????
Par uska jawaab dekhe bagerr hi, Veer off line ho chuka tha. Usne decide kar liya tha. Ki aaj wo poora time padhega. Yadi uske marks kam aaye, toh Nidhi ma'am pakke se aur naraaz ho jaengi.
Apni book shelf se maths book nikaalte hue wo forun hi prashn lagaane laga. Intelligence uski already 95 par thi toh questions ke hal usse yu chutkiyo me samajh aa rahe the.
Par ye intelligence usse paper me bina padhe acche marks nahi dilwa sakti thi. Kam se kam questions ke way of solving aur formulaes ko toh dekhna hi hoga taaki exam me speed barkaraar rahe aur questions bhi asaani se solve ho jaaye.
Toh bas, Veer kitaab utha ke lag chuka tha padhaayi me.
Thanks to Suman, jo uska room harr rozz saaf karti thi. Uss wajah se uske book shelf me zara bhi dhool nahi thi. Warna uski book me ab tak makdi ke jaale lag jaane the, itne mahino se jo nahi khuli hui thi.
Ragini jo Veer ke room me usse dekhne aayi thi, usse padhta dekh thoda chaunk gayi, fir muskuraayi aur baahar nikal gayi.
Jab wo kuch derr baad lauti toh uske haath me ek doodh ka glaas tha.
Tray lete hue wo Veer ke bagal se baith gayi. Aur usse hi nihaar rahi thi. Wo sach kehte hai ki ek aadmi jab focused hota hai ya kisi kaam me leen hota hai toh uss waqt wo sabse zyada attractive lagta hai. Ragini ko bhi iss samay Veer boht zyaada attractive lag raha tha. Upar se uske 75 appearance ke points.
Ragini (smiles) : Veer! Ye lo! Doodh!
Veer : Hmm? Kya bhabhi!? Baccha thodi hu ab.
Ragini : Toh kya bacche hi bas doodh peete hai!?
Veer : Aur nahi toh kya... Huh????
Veer jo sarr jhukaaye jawaab deta jaa raha tha, achanak se usse jese Ragini ke bol ka matlab samajh aaya. Bacche hi doodh peete hai? Bade bhi toh peete hai. Par bade log wo doodh... Seedha jadd se peete hai. In other words... Ahem!
Ragini bechaari toh aise hi bol dii thi. Par agle hi pal jab Veer ne hairat me usse dekha toh jese usse bhi apni kahi gayi baat ka double meaning samajh me aaya. Aur agle hi pal uske gaal gulaabi ho gaye.
Ragini : M-Mera matlab tha. Tumhaare exams hai na Veer? Toh tum... *blushes* Roz doodh pee ke jaoge.
Veer (blushes) : O-Okay!
Fatafat doodh khatam karne ke baad, Veer ek baar fir lag chuka tha apni padhaayi me jab usse suddenly apne nichle honth par Ragini ka haath mehsoos hua.
'!???'
Uske nichle honth par doodh ki abhi bhi kuch boonde saji hui thi. Toh Ragini apne anguthe se usse saaf kar rahi thi. Aur dono ki hi nazre aapas me jese hi mili...
*Silence*
Maano pal bhar ke liye waqt sa tham gaya.
Veer : Bh-Bhabhi!?
Ragini : ....
Ragini ke haath abhi bhi uske honth par the. Sehla rahe the unhe. Aur na chaahte hue bhi apni Bhabhi ke haatho hi Veer ka hathiyaar tight hone laga tha.
Ragini ne jese hi Veer ke pant ke uthate ubhaar ko notice kiya wo thoda jhep gayi.
"Ahh!" Achanak se wo peeche hati aur tezz kadmo ke saath baahar nikal bhaag gayi.
'Damn itttt!!!!'
Veer bas khud ko kosta reh gaya. Ye lund bhi saala galat time pe khada hota tha. Ab na jaane Ragini uske baare me kya soch rahi hogi!?
Usse jaan'ne ka ek hi tareeqa tha.
'Pari!!!!'
[Hmm?]
'Bhabhi ki favourability show karo.'
*Ding*
[Ragini's favourability : 78]
'What the!?? Favourability badh gayi!?? How!????'
Abhi bhi aurto ko samajhne me Veer ka ek lamba raasta tha. Aaj ke iss din fir Veer ne aur kuch na kiya. Raat ko bas Suman ki gaand peli aur Aabha ki choot me wo do baar jhara. Kal exam me usse kisi bhi prakaar ka frustration nahi chaahiye tha.
***
Next day...
Subah subah hi Ragini Veer ki dress me uski tie sahi karne me lagi hui thi. Aur Veer bas sharmaate hue side muh karke khada hua tha.
'Kya Vivek bhaiya ke saath bhi bhabhi pehle aise hi...!?'
[Of course!]
Aaj Veer ko samajh aa raha tha ki ek pyaar karne waali ka hona kitna accha hota tha jeevan me. Kal na keval Ragini usse doodh dene aayi thi balki aaj uski tie bhi sahi kar rahi thi. Bilkul wese hi jese ek patni pati ki tie adjust karti hai uske duty jaate time. Veer ko ek pati patni waali feeling aa rahi thi. Ek behad hi acchi feeling jisse wo apnaana chaahta tha.
Isme bas yadi kisi cheez ki kami thi toh woh thi...
Ek kiss ki...
Veer ne muskuraate hue unn thoughts ko apne mann se baahar nikaala aur wo mudne ke liye abhi hua hi tha jab...
Ragini ne achanak se uski chin pakdi aur...
*Chu~*
"Huhhhhh!!!!?"
Veer hakka bakka hoke Ragini ko ghur raha tha. Abhi abhi jis kiss ke baare me soch raha tha. Wo kiss usse mil chuki thi. Bhale hi ye kiss gaal par thi par...
Uski apni Bhabhi ne dii thi. Wo bhi sabke saamne.
Dur khadi Suman bhi apni aankho me chamak liye iss drishya ko dekh rahi thi.
Ragini (blushes) : G-Good luck!
Veer (blushes) : Thank... you!!!
Aur Veer waha se fatafat nikal liya. Aaj subah subah hi uske dil ki dhadkan badh chuki thi.
College aate hi usne apni Apache park kii aur chal diya college ke main entrance ki orr.
Kyuki list toh wahi lagi hogi. Kaun kaha baithega ye pata karna zaroori tha.
Apna roll no. dhundne ke baad Veer list me likhe gaye room no. me gaya.
Aur darwaaze ki dehleez par pohuchte hi jese hi usne kaha, "May I come in... Huh!??"
Andar ek jaana maana shaks maujood tha. Koi aur nahi...
Nidhi!!!
Nidhi khud Veer ko stabdh nigaaho se ghur rahi thi. Ek pal ke liye dono ek dusre ko dekhne ke baad jese jamm se gaye.
Nidhi toh aur zyaada shock me thi. Sabse pehla shock toh ye ki... Veer test dene aaya tha. Veer ne uski baat ka maan rakha. Aur dusra shock...
Wo tha uska appearance... Pehle se boht zyaada handsome tha ab woh.
'He... He came!!!!!' Apne mann me sochte hue Nidhi ne haa me gardan hila dii.
Aaj Nidhi ek navy blue colour ki saree me thi.
Aur usme wo itni khubsoorat lag rahi thi ki chaah kar bhi Veer apni aankhein hata nahi paa raha tha.
Apni seat par aane ke baad baithate hi Veer ne mann ko shaant kiya. Room me do invigilators hote the. Toh uske room me ek Nidhi ma'am thi. Aur dusri Nidhi ma'am ki hi ek junior professor thi jiska naam tha Ayushi. Ye dono hi class ki aaj ki invigilator thi.
*Tringggggg*
Ghanti baji aur paper start hua.
Veer fatafat questions ko solve kar solution likhta jaa raha tha.
Nidhi jo saamne khadi thi wo badi hi bechaini me usse dekh rahi thi.
'Kya isne padhayi kari!? Likh toh raha hai woh... Kahi sab galat salat toh nahi solve kar diya!? Yadi sab galat kar raha hoga toh...!? He will fail... Nahi!!'
Nidhi itna bechain thi ki wo apne mann ki baatein shaant hi na kar paayi. Aur akhir wo apni bechaini ke aage haar gayi.
Wo dheere se Veer ki row ki taraf aage badhi, ye dekhne ki Veer sahi kar bhi raha hai ya nahi?
Wo harr baar aage jaati toh fir peeche se nikalti, aur Veer ki answer sheet par nazar maarte hue solution dekhne ki koshish karti. Par chand second me wo kuch bhi theek se dekh nahi paa rahi thi.
'Oh no....!'
Fir jese uska dimaag chala aur wo answer sheet me sign karne lagi baari baari.
Iske zariye ab wo Veer ki answer sheet dekh sakti thi. Jese hi wo Veer ke paas aayi. Veer ne answer sheet seedhi kar front page khol ke de dii. Taaki Nidhi ko asaani jaaye aur fatafat wo sign kar de.
Par idhar usse kya pata tha ki uski ye harqat Nidhi ke dimaag ko aur bhi thanka degi.
'This... This stupid brat... This idiot... He... Arrghhh!! Veeeeerrrrrr!!!!' wo mann me hi chillaayi. Pehli baar wo itna irritate ho rahi thi Veer ko lekar.
Fir bhi himmat kar Nidhi ne uske saare panne check kiye.
Veer : M-Ma'am!??
Nidhi : Ahem... P-Paper easy hai na?
Veer : Well, easy toh nahi hai. Moderate hai. Na zyaada easy, na zyaada tough.
Nidhi : O-Okay!
Nidhi dekh paa rahi thi ki shuru ke kuch steps toh sahi kiye the Veer ne. Par wo poora nahi check kar paa rahi thi. Kyuki...
"Ye lijiye ma'am!" Veer ke bagal waala jo dusri branch ka tha, usne apni sheet sign karwaane aage kar dii thi.
Aur iss baar Nidhi ne pyaari sii muskaan dete hue uss ladke ki sheet ko sign kiya. Jo shayad muskaan toh kahi se bhi nahi thi. Aisa lag raha tha ki kisi witch ko ek aam insaan ne gaali bak dii ho aur witch bas muskura rahi hai.
'Ek minute ruk jaata toh kya ukhad jaata iss ladke ka? I couldn't even...'
Majbooran Nidhi ko waha se aage badhna pada.
Veer : Uhmm... Ma'am!?
Nidhi : H-Huh!?? K-Kyaa?
Nidhi ne dekha ki Veer apni mutthi kasse uski orr kiya hua tha.
'Huh!?'
Fir jese uski samajh aaya ki Veer kya kehna chaah raha tha. Wo fist bump karna chaah raha tha.
'This... This idiot!!!! Isse... Isse fist bump ki padi hai...!??? Exam time me!?'
Nidhi ka gussa badhta hi jaa raha tha. Fir bhi, dusro ki nazro se chhupke usne Veer ki fist par apni fist halke se maari...
Aur uske aisa karte hi Veer ne apni mutthi khol dii.
Uske haath me ek candy thi.
Nidhi : ????
Veer (smiles) : For you!!!
*Badump*
Nidhi jo mann hi mann Veer ko kos rahi thi. Ek baar me hi jese uska saara gussa chhumantar ho gaya.
Dil zorr se dhadka. Veer ke chehre ki muskaan dekh wo jese kho gayi usme.
Upar se wo jab se Veer ko daant laga rahi thi mann me par Veer ke ek gesture ne usse shaant kar diya.
Aur agle hi pal, uske gaal surkh laal padne lage.
Bade hi haule se usne Veer ki hatheli se wo chocolate lii aur firse banaavti gussa karte hue mann hi mann Veer ko koste hue aage badh gayi.
'This... Stupid! He's and Idiot! Waqt ki koi parvaah hi nahi hai. Bhari class me... He dared to... Ma'am ko chocolate deni hai. Mujhe chocolate dene se exam me solutions ban jaenge kya!? Haan? Kya soch ke dii usne mujhe ye? Ki ma'am uski fir madad kar dengi exam me? I won't help him. Pata chalne do zara usse bhi. He'll come to know ki bina padhe kuch bhi haasil nahi hota... Idiot!!! Chocolate deni hai...'
Banaavti gussa kar toh rahi thi Nidhi. Par...
Par uska dil andar se boht khush tha. Wo isliye kyuki,
*Ding*
[Nidhi's favourability : 59]
***
Samay jab boht hi kam bacha hua tha toh Veer ne raftaar badhaayi. Nidhi waapas se bechain hone lagi thi. Bhale hi ye final nahi the. Par ye koi assignment test bhi nahi tha. Inke marks count hone the. Ek prakaar se ye term 1 the.
*Triiiiingggggggg*
Ghanti baji aur Nidhi aur Ayushi sabhi se unke papers lene lagi.
Veer ka paper lete hue Nidhi ne ek nazar uss par daali toh dekha Veer apni battissi dikhaate hue usse hi dekh raha tha.
'Idiot!!!!'
Uska irritation aur badh gaya.
'Yadi Veer ke marks kam aaye... Then... I'll...'
Paper lete hue usne Veer ko dekhte hue bola, "Meet me in my cabin after this."
Aur wo aage badh gayi.
'Huh!? Ab ye ma'am ko kya ho gaya?'
[She will lecture you! Be prepared!]
'Hmm'
Paper ke baad, Veer jab class se baahar nikal raha tha toh uske bag me rakha phone baj utha.
Phone uthaate hi,
"Mein taiyaar hu! Tumhari madad karne ke liye."
Ye awaaz thi Balhaar ki. Aur uska response sunte hi Veer ke hontho par muskaan aa chuki thi. Of course! Veer toh pehle se hi jaanta tha ki Balhaar ghum firke ant me ussi ke paas aaega. Aur wahi hua.
Veer : Hmm! Theek hai! Toh fir lag jao kaam par. Dhyaan rahe! Kisi ko bhi pata na chale. Aur mujhse shaanipanti karne ki zaroorat nahi. Kyuki mujhe forun hi pata lag jaega. Kaam sahi hoga toh tumhaara haath bgi sahi hoga.
Balhaar : M-Mein samajh gaya. Tum uski tension mat lo. Mujhe Slogan ki jo bhi information pata lagegi, mein wo bhej dunga.
Veer : Hmm! Good! Phone tracking ka dhyaan rakhna. Slogan tezz hai. Kahi tumhaare peeche aadmi na laga ke rakha ho.
Balhaar : Nahi nahi! Tension mat lo. Mein phone ka boht dhyaan rakhunga. Aur rahi baat aadmi ki toh... Slogan humse directly baat nahi karta. Wo bas Steve ko kehta hai. Aur Steve hum sabko order deta hai. Aur fir hum apne aadmiyo ko lekar kaam karte hai uske liye.
Veer : Ohhhh! I see! Anyways! Tum jese hi khabar mile mujhe bhej dena.
Balhaar : Th-Theek hai. Wo... Mera haath!?
Veer (smiles) : Kaam hote hi tumhara haath bhi sahi kar dunga. Aur yadi Slogan ko mene hunt kiya... Toh fir uska poora area tumhara. Uski satta tumhari. Par dhyaan rahe... Tum mere andar me hi kaam karoge tab bhi...
Balhaar : Yadi... Yadi tumne jo kaha wo sach hota hai toh... Toh mujhe koi aapatti nahi.
Veer (smiles) : Good then! Khabar ka intezaar rahega mujhe....
*Call ends*
Veer ne call cut kiya aur saamne ki orr chal diya. Jaha Nidhi ma'am ka cabin tha.
***
*Bang*
Nidhi ne apni table par dono haath patakte hue Veer ko dekha.
"Veer kya hai ye sab!? How can you be so carefree? Bhari class me mujhe chocolate de rahe ho? Tum uss waqt mujhse koi hint bhi maang sakte the. I could have told you. Thodi boht hint sabhi teachers de dete hai. Mujhe toh pata bhi nahi tumne solutions sahi kiye hai ya nahi? Yadi tum fail hue toh kya jawaab dungi mein tumhari Bhabhi ko? Arre mein khud ko kya jawaab dungi? Why don't you listen...!?"
Wo bolti jaa rahi thi lekin...
Lekin Veer sharmaate hue apna chehra side kiye hue tha.
Nidhi : Huh??
Nidhi ne jese hi fir neeche dekha toh uske khud ke gaal gulaabi ho gaye. Table par jhukne se uski saree ka pallu neeche gir chuka tha. Aur uska aadhe se zyaada cleavage uss neele blouse ke baahar nazar aa raha tha.
Chuudiyo ki khan-khan hui toh Veer samajh gaya ki Nidhi ma'am apna pallu sahi kar rahi hai. Aur khan-khan ke khatam ho jaane ke baad waapas se Veer ne apna chehra saamne kar liya.
Veer : Mene paper acche se hi diya hai ma'am. Don't worry!
Nidhi kuch na boli wo bas mud ke khadi ho gayi. Shayad apna chehra chhupaana chaah rahi thi. Aur shayad ye bhi kehna chaah rahi thi ki Veer ab yaha se jaa sakta hai. Usse aur koi baat nahi karni.
Par agle hi pal...
"Aaahhhhhh!!!!!" Nidhi poori tarah bhauchakki reh gayi jab Veer ne usse peeche se apne aalingan me le liya. Uske mazboot haath zorr se uske nagn pait par kasse the.
Chatpataate hue usne Veer ki pakad churraane ki koshish kii par uska virodh tab ruk gaya jab Veer ne uske kaan me kehna shuru kiya,
"I know everything. Aap jaan bujh ke mere bagal se aa rahi thi aur jaa rahi thi. Ye dekhne ke liye ki how I was doing. Right? Fir Ayushi ma'am ko aapne rok diya, aur khud hi sign karne lagi. In a hope ki aap mera paper dekh paogi. Ki kahi mein kuch galat toh nahi kar raha, right? Ma'am..."
Nidhi ki saasein tezz chal rahi thi. Veer ki giraft me uska seena tezzi se upar neeche ho raha tha. Aur iss baar, Veer ko peeche se Nidhi ka poora cleavage nazar aa raha tha. Par iss baar usne apni nazre nahi hataayi. Ulta apni pakad aur mazboot kar dii.
Veer : Why do you care so much? Tell me!!! Mere liye itni parvaah kyu??? ANSWER ME!!!!
Veer ne uchi awaaz me pucha toh Nidhi hil ke reh gayi. Aur uske mann me jese sannaata sa chha gaya. Sab kuch shunya ho gaya.
Kyu? Veer ki itni parvaah kyu karti hai woh? Haan sahi hi toh pucha Veer ne. Akhir itni parvaah kyu karti hai wo ek student ke liye?
Veer : You know this right? Ki ye bilkul bhi normal nahi hai. Aisa koi teacher nahi karta. Especially a female teacher... Ki kisi male student ki itni parvaah kare. Tell me! Itni care kyu karti ho aap meri? Haan!? Ghar pe rukwaana, college me saath me ek hi gaadi me aana bina apni image ki parvaah kiye, mere harr baar zakhmi hone par mujhse milne aana, kayi baar toh college se hi leave lena, baar baar mujhe padhaayi ko lekar aagah karaana, sukh dukh sabme shaamil hona... Kyuuuuuu??? Answer me!!!!!
Nidhi ka shareer thar-thara ke kaanp raha tha ab.
Veer : You don't wanna answer? Toh mujhe bataane dijiye... Because I know the answer.
*Badump* *Badump*
Harr guzarte pal, Nidhi ka seena aise upar neeche ho raha tha jese maano abhi seene me se uska dil baahar aa jaega. Na jaane Veer ke shabd kya honge? Kya matlab usse uttar pata hi ki kyu wo Veer ki itni parvaah karti hai!? Jab usse khud nahi pata iska jawaab toh bhala Veer ko kese pata hoga?
Veer : It's because... YOU!!!!!! YOU LIKE ME!!!!
*Booooooommmmm*
Aur ye vaakya ek bam ki tarah phata Nidhi ke kaano me.
Veer : And let me tell you one more thing... Wo ye ki... I LIKE YOU AS WELL!!!
Pehle ka shock kam tha kya jo Veer ne apni agli baat rakh usse aur ek bada jhatka de diya.
Veer iss se pehle ki aage kuch keh paata, Nidhi ne usse zorr se dhakka de diya...
"LEAVE ME ALOOONNNNEEE!!!!" Wo chillaayi.
"Ma'am!????"
"I SAID LEAVE ME ALONE!!!! GET OOOUUUTTT!!! GET OOUUUTTT!!!"
Veer bhauchakka sa wahi jamm gaya tha.
'No... no way!!'
Veer toh bas ek test kar raha tha. Wo ye baat jaanta tha ki usse Nidhi ma'am pasand hai. Aur shayad Nidhi ma'am bhi usse pasand karti thi. Par Veer sure nahi tha. Isliye, aaj usne apne dil ki baat toh kahi hi, par saath hi...
Usne ye bhi keh diya ki Nidhi ma'am bhi usse pasand karti hai. Aur jese hi Nidhi ne usse dhakela, Nidhi ka wo outburst, uska virodh karna, usse bhagaana aur rona...
Veer samajh chuka tha.
Ki wo sahi tha.
'No wayyyyy!!! Iska matlab... Ma'am mujhse!??'
Wo aankhein phaade Nidhi ko ghurta raha.
"I SAID GET OUUUTTTT! RIGHT NOWWWW!!!"
Aur iss baar majbooran usse baahar jaana hi pada.
Nidhi, Veer ke jaane ke turant baad washroom me gayi aur door band kar... Phoot phoot kar rone lagi.
'He's lying!!! Sab jhooth hai. There's nothing between us!!!!! I don't love him... Never!! I don't like him! I don't love him at all! He's lying!!!! Kuch bhi keh raha hai woh... Kabhi nahi ho sakta aisa... I'm already married... There's nothing...!!!!'
Wo khud ko saantvna dene ki koshish karne lagi.
Par, harr baar wo mann hi mann khud se hi haar rahi thi. Kyuki baar baar Veer ke sang guzaare pal uske dimaag me aa rahe the.
'NOOOOOOO!!!! I DON'T LOVE HIM!!!!!!'
Wo fir mann me cheenkhi...
Par koi fayda nahi.
Veer se milna, uske sang rehna, baatein karna, college jaana, shopping karna, uski parvah karna, uske liye kapde lena, dusri ladkiyo ko uske sang dekh dil me peeda hona...
Ye sab jese jese Nidhi ko yaad aata jaa raha tha. Uske aasu aur bhi tezz behte jaa rahe the.
Because she knew...
Veer was right!!!
She loves him!!!!
'Noooooooooo!!!!!!!'
Apne haath ko door par maarte hue wo sarr jhukaaye khadi rahi.
Aasu behte hue zameen par gir rahe the.
Wo ek shadishuda mahila thi. Do baccho ki maa thi. 30 saal ki umr thi uski. Aur Veer maatr 21 ka. 9 saal ka gap. Wo uski teacher thi. Veer bas uska student. Unn dono ke beech aisa kahi se bhi kuch nahi hona chaahiye tha.
Uske bawajood...
It happened!
Chaah ke bhi Nidhi usse apne dimaag se nahi nikaal paati thi. Uska hassta muskuraata chehra harr baar uske dimaag me aa jaata tha.
'Nahi!!!! I cannot... I don't love him! Wo mera bas ek student hai. Aam students ki tarah. Aur mein ek teacher. Hamaare beech ek profesional rishta hai. Formal relationship. Nothing else. There's nothing between us. From now on... I will treat him just like any other student. That's right! Aisa hi hona chahiye! Yes! I'm right! Of course!!!!'
Apne aasuo ko poch wo kuch derr baad washroom se baahar nikal gayi.
Aur Veer ke mann me tabhi firse ek ghanti baji,
*Ding*
[Nidhi's favourability has been reduced to 40.]
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Now the reason kyu night me nahi aaya update. Wo isliye because raat me type karte waqt, my eyes were hurting, so I decided to take my sleep first. And then to post the update in the morning. Bas, yahi reason tha.
Anyways, apna apna kaam karke jaane ka. Aur comments rakhne ka.
Chal jhuttaDon't worry! Update 72 aaj raat hi aaega as I said earlier.
Apne jaisa samjha hai kya!?Chal jhutta
Harr 2 din ke baad.Bro AAP update ketny din badh dety ho