- 14,149
- 100,196
- 259
Last edited:
Intazar...Update will arrive around 12.
Behad hi shanadar or jabardast update bhai.Update - 81 ~ Excavation SiteAb tak...
Kismat ne unhe waapas se milwa diya tha. Veer ka dil ro raha tha. Uska mann kar raha tha ki abhi jaake apni Maa ke gale lag jaaye. Aur rote hue dherro sawaal puche. Kyu chorr ke gayi usse?
Par... Dekho... Chaah ke bhi wo abhi aisa nahi kar sakta tha. Bhavna, uski Maa uske itna qareeb hoke bhi... Kitna dur thi uss se.
Aur jese kisi ki aahat paate hi yaha Bhavna ne apna sarr ghumaaya aur entrance ki orr dekha, "Hmmm????"
Ab aage...
"Hmmm?"
Bhavna, jo ab tak apne saamne rakhe ek khoje gaye artifact ko uski dhul ki parat se azaad karne me lagi hui thi. Jese hi usne tent ki entrance me kapde ke sarakne ki aahat paayi, usne forun hi mud ke uss orr dekha.
Aur jese hi usne waha dekha...
Uski aankhein hairaani, aashcharya, aur uljhan ke maare felti chali gayi.
Ek behad hi handsome naujavaan uske tent ki entrance par khada tha. Safed shirt, blue jeans, talvaar ki dhaar jesi sharp eyebrows, halki halki beard aur uski kaali zulfe jinki latein uski bauhe tak aake gir rahi thi. Ek aisa chehra jo kisi bhi aurat ko palat kar dekhne ke liye majboor kar de.
Kaun hai ye? Iss se pehle toh excavation me kahi nahi dekha. Kya ye trainee hai? Nahi! Trainees se toh wo mili thi. Unme toh aisa koi bhi nahi tha jaha tak usse yaad tha. Fir kaun hai ye? Koi naya recruit? Nahi! Iss beech koi naya recruit kyu aaega? Aur yadi aaega toh Sir George ke zariye hi laaya jaaega. Fir??
Bhavna ki kuch samajh nahi aa raha tha. Wo apni jagah se khadi hoke bas Veer ko dekhe jaa rahi thi. Kuch keh bhi nahi paa rahi thi.
Usse ye tak nahi pata tha ki uske saamne khada wo naujavaan koi aur nahi, uski apni kokh se nikli wahi santaan hai jisse wo 20 saal pehle chorr aayi thi.
Aur idhar Veer...
Khud ko poori tarah se control karne me laga tha. Apni bichdi Maa ko aalingan me bharne ko betaab tha woh. Kitna mann kar raha tha uska ki bas jaaye aur Bhavna ko apne seene se laga le.
Uske kaan jese sunn'ne ke liye tadap rahe the. Ki Bhavna usse ek baar bas... Bas ek baar, 'Beta' keh ke bula de. Veer ka toh jeevan hi dhanya ho jaata.
Uska haal abhi aisa tha jese registaan me pyaase ke saamne paani rakha ho, par wo usse na peene ke liye majboor ho.
Wo khud ko roke hue tha. Pal bhar me na jaane kitne emotions mehsoos kar raha tha.
Emotions ka woh baandh uske andar jese toot gaya tha. Rulaayi, maayusi, gussa, khushi, tadap sab kuch uski aankho me kuch pal ke liye aaya par usne apna dil sakht kar unn emotions ko chhupa liya.
Nahi! Abhi ye sahi samay nahi tha.
Usne saamne Bhavna ko firse dekha.
Wo ek light blue shirt aur neeche ek black cargo me thi. Jo dhul se ganda tha.
Shayad usne abhi tak kapde nahi badle the excavation ke baad se. Veer toh jese uss chehre ko dekh kho gaya tha.
Koi keh sakta tha ki ye mahila 49 umr ki thi? Bilkul nahi! Usse dekh ke aisa lag raha tha ki Bhavna apni umr me badhne ki bajae ghat rahi thi.
Kya hua tha akhir Bhavna ke saath? Veer saare uttaro ke jawaab leke hi jaane waala tha yaha se. Aur ho sake toh Bhavna aur apni behan ko bhi.
"W-Who?? Who are you?"
Finally, Bhavna ne sawaal pucha. Aur wahi fir se meethi sii awaaz sunn Veer kahi kho gaya.
Station me jab wo mile the tab bhi yahi awaaz thi. Aur shayad, Bhavna Veer ko aaj pehchaan nahi paayi.
Kese pehchaanti bhala? Veer ka appearance 100 par tha ab. Kaafi changes aa gaye the. Uske chehre me bhi aur body me bhi.
Bhavna : Who are you? Are you a new recruit? You need something?
Veer ki khamoshi dekh iss baar wo thoda zorr se puchi. Of course, usse accha nahi laga tha ki koi anjaan ladka aise hi uske tent me bina puche aa gaya.
Veer : I... Umm... Well...
[Say that you were sent here by your master!!!]
Pari ne khuspusaate hue uske mann me kaha.
Veer : Ahh! Yes! I was sent here by my master.
Bhavna : Master?? Who? Who is it?
[Master!!! You'll have to win her trust. Otherwise yaha ka jo bhi manage karne waala vyakti hai wo aapko yaha se sawaal jawaab kar bhaga dega. So, aapko apni Mom ka trust jeetna hi hoga.]
'Alright!!! I got this...'
Veer mann me apna iraada mazboot kar aage badha.
Ek kadam... Do kadam...
Wo Bhavna ke ekdum nazdeek aaya. Bhavna apni bauhe sikode hue khadi hui thi. Bhala kaun anjaan ladka tha ye?
Veer ne uss table par rakhe mitti se dhaki uss cheez ko dekha.
'Hmm?'
Aur..
'Check!!!!!'
*Ding*
[Khopesh' scabbard.
Bio : Leftover scabbard of the sword Khopesh. The weapon once belonged to one of the warriors named ~ 'Asim'. The carvings written on it translates ~ 'Only the fiercest ones can hold it.']
Aur wo Bio padhte hi Veer hairaan reh gaya.
Khopesh ek Egyptian sword thi.
Asim naam ke kisi warrior ki ye sword thi. Sword toh gaayab thi. Jo bacha tha wo tha uska scabbard. Yaani ki uska handle.
Aur uss handle me hieroglyphs bane hue the. Jo ki ek code tha.
Hieroglyphs Egyptians log kaafi use karte the. Yaani ki chitr ke zariye baato ko kehna.
Aur scabbard me jo chitr bane the. Wo ye translate kar rahe the ki ~ 'Only the fiercest ones can hold it.'
Matlab ki, keval kroor ya kattar log hi isse apne haath me le sakte the.
Aerre gerro ko ye hathiyaar nahi diya jaata tha.
Sab kuch Veer ko jese ek baar me samajh aa gaya. Wo muskuraaya aur apni Maa Bhavna ki orr usne dekha.
Veer (smiles) : Can I have that? Please?
Veer ne haath aage kar Bhavna se brush maanga toh Bhavna ne usse thoda sankoch me de diya.
Aur Veer jhuk ke uss sword ke scabbard me se dhool ki parat hataane laga.
Wo bade hi ahista se, gently brush ko fira raha tha. Bhavna ne pehle hi kaafi parat hata dii thi bas kuch hi parat baaki thi.
Bhavna : Carefully...
Aur dekhte hi dekhte bachi kuchi parat bhi hatt gayi.
Veer ne usse ahista se uthaaya aur Bhavna ko dikhaaya.
Veer (smiles) : Do you know what this is!?
Bhavna ne usse dekha aur fir uske haath me uss artifact ko. Aur on the spot Bhavna itna kuch samajh nahi paa rahi thi. Par usse itna zaroor samajh aa gaya tha ki ye kisi sword ka handle tha.
Bhavna : Looks like a handle... A handle of a weapon.
Veer (smiles) : Correct! It's a scabbard!!! Scabbard of a sword known as Khopesh!!! Aur iss scabbard me jo hieroglyphs hai. Uska translation hai ~ 'Only the fiercest ones can hold it.'
Bhavna (shocked) : Whaaaattttt? H-Howww?? You can read hieroglyphs???? No waittt!!! You know Hindi???
Bhavna ko ab jhatke pe jhatke lagna shuru ho rahe the. Iss ladke ne ek jhalak me itna kuch bata diya? Aur ye kya? Isse Hindi bhi aati hai? Arre wo chorro isse hieroglyphs kese samajh aaye?
Veer idhar andar hi andar apni Maa ke taajub waale expressions dekh khush ho raha tha.
'Haha~ Looks like this journey will be fun'
[I can agree master!]
Veer (smiles) : Kya mein aapko Indian nahi lagta?
Bhavna : N-Nooo that's... Mein bhi... Mein bhi... Indian hu.
Iss baar Bhavna ke gaal thode laal the. Aaj toh jese chamatkar ho gaya tha uske liye. Ek Indian se uski mulaqaat ho gayi. Egypt me? Aur wo bhi iss excavation site me?
Bhavna : Nahi! Par tumne mere sawaal ka jawaab nahi diya. Kaun ho tum? Aur yaha? Trainee ho kya? Aur ye sab kese pata hai tumhe? Kis master ki baat kar rahe the tum?
Veer se wo sawaalo pe sawaal puchne lagi.
Veer toh mann hi mann hass raha tha. Kaahe ka master? Kaun master? Kaha ka master? Lund master!!! Koi tha hi nahi aisa.
Ab kuch na kuch bahaana toh dena hi tha. Veer ke paas itna gyaan kese aaya? Yadi Veer uska origin nahi bata sakta tha toh kam se kam usse kisi aur pe toh ghuma hi sakta tha.
Ab kispe ghumaaya jaaye? Kispe kya, koi naya insaan hi bana do. Aur nahi toh kya. Sabse sahi. Ye sab log uss unknown ko Veer ka guru samajh uski baat pe kam se kam visvaash toh karte rahenge. Aur Veer easily yaha apni jagah banaata rahega.
What he needed to do was... Just win their trust.
What a plan!!! Veer ne forun hi iss plan ko anjaam dene waale ko Dhanyavaad diya.
'Thanks Pari!!!'
[Anytime Master~ ♡]
Bhavna : But... How can you be so sure??
Veer (smiles) : Yadi yakeen na ho toh khud research kar lijiyega! And by the way... Mein Vikram!!!
Usne kehte hue apna haath aage badhaaya.
Bhavna : Nice to meet you! I'm Geeta!!!
Badle me Bhavna ne bhi uska haath thaam liya.
Narm!!! Aur saath hi garm ehsaas. Ye pehla touch tha Veer aur Bhavna ke beech. Unke bichhadne ke baad se. Veer toh jese haath chorrna hi nahi chaahta tha.
Par wo udaas bhi tha. Yaha Bhavna ne apna alias naam bataaya. Geeta!!!
Veer ke chehre par pal bhar ke liye maayusi aayi aur fir chali gayi.
She was lying!!!
Jo ki expected tha. Veer ne apne sarr ko hilaate hue unn thoughts ko apne mann se nikaala. Kitna jhooth bolengi akhir uski Maa? Kab tak? Kabhi na kabhi toh sach saamne aaega hi.
Bhavna : Aur sabse pehli baat. Don't you know? It's bad manners. Kisi ke tent me yu bin bataaye ghusna... Khaaskar ek lady ke tent me. *Smiles*
Veer (smiles) : Mera koi galat iraada nahi tha. Par ahinda se yaad rakhunga.
Bhavna : Well... That's good! Abhi bhi mujhe jawaab nahi mila hai. Naye recruit ho yaha ya kuch aur? What's your profile? Sir George ke through aaye kya yaha?
Veer : Umm... Well...
Veer jawaab deta ki tabhi baahar se ek zordaar awaaz aayi,
"Who the heck invaded into the site??? Ehhhhhh????"
Aur badqismati se, ye awaaz Sir George ki hi thi. Veer ke andar jaane ke baad, Bill ne trainees ki list check kar lii thi. Aur nateeja!?
Sab saamne tha. Veer ki pol khul chuki thi.
'Shittttt!!!'
[Master! Play it cool!!!!]
'Y-Yeahhhh!'
Sir George ki awaaz sunn, Bhavna jo ab tak shaant thi. Usse jese saara maamla samajh aa gaya. Wo bewakoof nahi thi. Boht hoshiyaar thi.
Bhavna (shocked) : Y-You....
Veer : I...
*Flap* *flap*
Aur agle hi pal Bhavna ke tent ki entrance ka kapda khul gaya. Baahar gusse me Sir George, Bill, aur baaki researchers khade hue the. Aur kuch trainees peeche khade jhaank jhaank ke dekh rahe the.
Bill : That's him Sir!!!
Bill ne Veer ki taraf ungli karte hue ishaara kiya.
'Well.... Fuck this....'
[Don't worry! Go!!!]
Sir George : YOUUUU!!! COME HERE!!! HOW DARE YOU...!?
Veer ke paas koi chaara bhi nahi tha. Majbooran usse baahar jaana pada.
Aur abhi wo sabke saamne khada hua tha. Sab usse aise dekh rahe the jese ki wo koi mujrim ho.
Bhavna bhi ye nahi samajh paa rahi thi ki akhir chal kya raha tha?
Aur fir shuru hua behas ka silsila.
Bill apni baat rakhta aur Sir George Veer se uski details maangte. Veer baato me phassaata aur yaha rukne ke liye kehta toh Sir George aur bhadak jaate.
Aur finally, baat iss mod pe aa gayi ki Sir George Veer ko baahar karwaane ke liye order de diye. Par tabhi...
Bhavna : Ahh! Sir!!! W-Wait!
Sir George : Hmm? What?
Bhavna Sir George ko side me leke gayi aur na jaane unse kya baatein karne lagi. Sab confused the, siwae Veer ke.
Wo toh bas mazze le raha tha. Usse already pata tha ki uski pyaari Maa, Bhavna uske rescue ke liye zaroor maidaan me koodengi. Aur wahi hua.
Sir George ke chehre par kahi confusion toh kahi surprise ke bhaav aa rahe the.
Uske baad wo achanak hi daudate hue apne tent me gaye. Aur haath me kuch lekar baahar aaye.
Veer ko ghurte hue unhone apne haath se wo samaan dikhaaya.
Ye bhi ek artifact tha.
Sir George : If you can tell me what's this. Then I'll allow you to be here.
Bhala iss se khushi ki baat kya ho sakti thi Veer ke liye?
'Check!!!!'
*Ding*
[Dethroned King's Relic
Bio : Not supposed to be the King, Khons was finally dethroned and his luxury items were destroyed. This is just a part of his stone throne. Hieroglyphs translates to ~ '... Shall die alongside.']
Veer bhi jese ab ek nayi duniya me kadam rakh diya tha. Usse aisi aisi cheezo ke baare me pata chal raha tha, wo bhi itni asaani se ki inka uttar paane ke liye uske saamne log apne jee jaan laga rahe the. Aur idhar wo bas check karte hue sab uttar paa le raha tha.
'This seems like cheating haha~'
[It is cheating master (. ❛ ᴗ ❛.) ]
Veer ne naatak karte hue usse dekha. Jese dikhaana chaah raha ho ki wo sab carefully study kar raha tha. Aas paas khade log sab usse aas lagaaye dekh rahe the.
Veer ne kaafi samay liya. Wo usse idhar se toh kahi udhar se dekhta raha. Bhai, kisi ko shaq na hone paaye.
Aur ant me usne kehna shuru kiya...
Veer : Ye ek relic hai. Aur kisi stone throne ka toota hua hissa hai. Ahh! Fuck! I forgot! I have to speak in English.
Sir George : Huh??
Veer : Well!! This is a relic. A part from a stone throne. It looks like the throne was destroyed and only this part survived. The hieroglyphs are not much here. It translates something like ~ shall die alongside.
Sir George : Ahhhh!!!!
Baakiyo ka toh pata nahi par Sir George ki shaqal iss waqt aisi thi jese maano unhe orgasm aa raha ho.
'What the fuckkk?? What is happening to this old fat guy?'
Sir George : MARVELOUS!!!!! THIS IS INSANE!!!!! HAHAHAHAHA~
'Fucccckkkkkk!!!!'
Fir kya tha? Sir George Veer ko ghaseet ke apne tent me le gaye. Aur derr tak usse pakaate rahe. Uske master ke baare me puchte rahe. Veer ki haalat kharab kar ke rakh dii thi.
Kuch samay baad jese hi Veer baahar aaya toh uski shaqal dekhne laayak thi.
Aur baahar khadi Bhavna uski iss haalat par hass rahi thi.
Sir George apne kaam ke prati boht Passionate the. Toh jab koi aisa young man unhe mil jaaye jo asaani se itni paarkhi nazar rakhte hue sab bata de toh kya hoga?
He will go insane!!! Wahi hua. Sir George ki nazar me Veer list me top par tha. Kesi list? Interesting candidates ki list me.
Bhavna : Fufufu~ (≧▽≦) Shayad... Sir George tumhaare fan gaye? Hmm?
Veer (smiles) : Aur aap hass rahi ho? I almost died!!
Bhavna : Ahahaha~
Veer kuch aur aage kehta ki tabhi,
"What happened???"
Ek behad hi pyaari sii awaaz uske kaano me padi.
Wo muda...
Aur jese hi usne dekha...
Uss shaks ko dekh jese Veer ke liye waqt tham sa gaya.
Ek behad khubsoorat ladki unke kareeb chalte hue aa rahi thi.
Veer ka dil zorro se dhadak raha tha.
Aur Veer ne wahi kiya...
'Check!'
*Ding*
[Name : Tejal (Tej)]
Age : 24
Bio : Bhavna's Daughter!!! Tej apne naam ki tarah hi hai. She's an ambitious lady. There are only two goals in her life. One ~ To become just like her mother in archaeology. Two ~ To find her long lost brother. Loves her mother too much. She's desperate about her brother.
Favourability : 88
Relationship : Sibling/Elder sister.]
*Booom*
Aur Veer ke dimaag me jese visfot hua. Uska dimaag sann reh gaya.
Tejal!?? S-Sibling??? Elder sister????
What the fuck is happening here????
'T-Tej!!!'
[It's quite a unique name! I must say.]
Veer ke senses jese pal bhar ke liye kaam karna hi band kar diye the.
*Tuck* *Tuck* *Tuck*
Aur idhar Tej dheere dheere unke nazdeek aa rahi thi. Aankho me hi tej tha itna ki ek nazar kisi ko dekh le toh unke paseene churra de.
Wo paas aayi aur apni Maa ko muskurate hue dekh ke boli,
Tej (smiles) : All done Mom!! Generators aa gaye hai.
Bhavna : Ahhh! Good work beta!!! And meet this person... Ye bhi India se hi hai. Vikram!!! Vikram... Ye meri beti... Tejal!!! Pyaar se... Tej!!!
Tej : Hmmm?
Veer : N-Nice to meet you!!!
Veer ke haath iss waqt thode stiff the. Itna bada jhatka jo laga tha usse.
Jese hi Tej ne Veer ka haath thaama, dono hi taraf jese dono ek jhatka laga.
Tej bhi yaha Veer ke looks se surprised thi. Aur saath hi Veer.
88 ki favourability. Saaf baya kar rahi thi ki wo apne bhai ki talaash me thi.
Yadi Veer ne bata diya ki wahi uska bhai hai toh kya reaction degi Tej?
Tej : New recruit?
Veer : Umm... Something like that...
Tej (nods) : Well! Mom... Mujhe aapse baat karni hai. Important matter!!
Aur Tej bina koi samay gavaaye apni Maa Bhavna ko leke tent me le gayi. Bhavna Veer ko kam se kam bye kehna chaahti thi par Tej ne usse aisa karne ka mauka hi nahi diya.
Aur idhar Veer ka tent tha... Sir George waala.
Bhale hi usse permission mil gayi thi. Par nigraani ab bhi barkaraar thi uss par.
Uske haath ki mutthi gusse me kassi hui thi.
There was something very very wrong!!!
It doesn't makes any sense!!!
Yadi, uski behan uss se badi thi. 3 saal.
Toh zaahir hai ki uska janm pehle hue hoga. Then... Uska janm yadi pehle hua...
Toh ghar me uski behan ko lekar koi bhi zirk kyu nahi tha????? Just like her mother!!???
Ye gutthi jese aur bhi bandhti jaa rahi thi.
***
Mumbai...
Morning 7:45 AM...
Mumbai me yaha Manorath ke ghar subah roz ki tarah hi thi.
Siwae ek shaks ke.
Arohi!!!!
Kal usne jo dekha tha, usse lekar wo behad chintit thi.
Usne dekha tha ki Pranjal uska bhai, uski Tai jii ke saath lauta tha kal. Dono hi ekdum taiyaar the.
Bhala wo kya nayi khichdi paka raha tha? Arohi ko kuch samajh nahi aa raha tha.
Kal hi usne Veer ko phone lagaane ka try kiya tha. Par Veer ke phone me koi network hi nahi tha.
Jis kaaran se wo baat kal tal ke reh gayi.
Subah hote hi usne fir se Veer ko phone lagaane ka try kiya. Aur beshaq, kuch bells ke baad hi...
Veer : Hello?
Arohi : V-Veeeeerrrr!!!
Veer : Hmm? Arohi dii? Kya hua?
Arohi : Ahh!!! Pehle ye batao tumhara call kyu nahi lag raha tha? Kal mene kitne calls kiye.
Veer : Mein... Well... Thoda outer area me hu. Kahiye!! Kya baat hai?
Arohi : W-Wo... Wo Pranjal... Wo Pranjal hai na... Kal mene..
Iske pehle ki wo Pranjal ki baat bata paati ki tabhi...
"Aahhhhhh!!!!!"
Veer ke kaano me Arohi ki ek tezz awaaz aayi.
Veer : Hello? Hello? Arohi dii??? Hello???
*Call ends*
'What the...!? What just happened?'
[Something is wrong master!!]
'Mujhe bhi yahi lag raha hai Pari!!! Pranjal ke baare me kuch keh rahi thi woh... Wait a second...'
[Think...]
'She said... Wo Pranjal... Kal mene... Hmm?? Kahi unhone uski koi nayi kartoot pakad lii kya?? Aur unki wo chillaane ki awaaz... It seems like...'
[Ohhhh noooo~]
Veer ki sab samajh me aa gaya.
'Damnnn itttt!!!!! Toh iska matlab wo Pranjal.... Usne Dii ke haath se phone chhina liya. Otherwise Dii aise nahi react karti... Phone gira hota toh zameen par uske girne ke impact ki awaaz mujhe sunaayi deti. Shitttt!!!!!!'
[He's definitely planning something Master!!!]
'Mein yaha apne answers liye bina jaa bhi nahi sakta. Kya kya sambhaalu ek baar me? Damnnn ittt!!!'
[I'm with you master!!! Hold on please!!!]
'That Bastard... Pranjal... He's plotting something!!!!'
***
Veer ke paas Pranjal ke liye filhaal samay nahi tha.
Usse yaha se jald se jald apne uttar leke nikalna tha. He couldn't waste anymore time.
Camp ke baahar nikalte hi usse trainees nazar aaye jo kaam me lage hue the.
Raat bhar Sir George ki kharrato ki awaaz ne uska sona haraam kar diya tha.
Aur aaj wo ready tha. Inn sabhi ke saath andar tomb me jaane ke liye.
Uss par abhi bhi shaq ki nazre logo ki bani hui thi.
Khaaskar uski apni hi behan, Tej kii.
Subah wo bada hi badla badla sa behave kar rahi thi. Shayad Bhavna ne saari baat bataayi thi kal ki...
Aur wo sab sunn'ne ke baad aaj usne Veer se koi baat nahi kii.
Kherr jo bhi tha. Veer itna zaroor jaanta tha ki...
Usse yadi sach jaan'na hai toh Tej aur Bhavna ke mann me ek accha impression banaana hoga.
Aur wo kaam wo karne waala tha aaj.
Excavation ke dauraan...
'I hope this will work out!!!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!!!
Dhanyavaad!!!
Like thokna na bhule aur revos rakhna bhi. Egypt ke updates bas ek ya do update hi aur chalenge. Simultaneously Mumbai ka zikr dikhaaya jaega. Pranjal ke scenes.
Tab tak ke liye