- 14,145
- 100,148
- 259
Last edited:
Behad hi shanadar or jabardast update bhai.Update - 82 ~ Pranjal's Facade and the Tomb's ExplorationAb tak...
Kherr jo bhi tha. Veer itna zaroor jaanta tha ki...
Usse yadi sach jaan'na hai toh Tej aur Bhavna ke mann me ek accha impression banaana hoga.
Aur wo kaam wo karne waala tha aaj.
Excavation ke dauraan...
'I hope this will work out!!!'
Ab aage...
Naya din, nayi pareshaani, nayi koshishe.
Kal wahi hua tha jesa ki Veer ne assume kiya tha. Pranjal ke baare me. Wahi bhediya jo aksar muh me shehed rakh ke ghumta tha.
Kal jab Arohi Pranjal ki baat Veer ko bataane hi jaa rahi thi. Badqismati thi uski, jo Pranjal ussi waqt apne room se baahar nikal raha tha aur Arohi ko apne baare me baat karta sunn liya.
Arohi ke haatho se usne uska phone chhinaaya, Veer ka number delete kiya, aur uske haatho me waapas thama diya. Par ek chetaavni dete hue,
"Dhyaan rahe dii!!! Mein kya kar raha hu, kidhar jaa raha hu, kis se baat kar raha hu, iski khabar yadi aapko lagti bhi hai, toh ye aap tak hi seemit rehni chaahiye. Yadi ye ghar ke baahar gayi, toh mein samajh jaunga ki baat aapke inn hi pyaare hontho se guzarte hue baahar gayi hai. Aur fir... Anjaam accha nahi hoga dii."
Aur bas, wo fir apni jhooth se bhari wahi pyaar bhari muskaan dete hue waha se nikal gaya.
Wo jaanta tha ki Arohi ne usse kal dekh liya tha. Toh ab pretend karne ka koi fayda hi nahi tha uske saamne. Aur ye baat shayad wo Veer ko bata rahi thi. Lekin toh kya? Toh kya?
Kya kar lega Veer uska? Wo jaanta tha ki Veer kahi baahar gaya hua tha iss waqt. Kyuki, Ragini ke ghar ke aas paas bhi wo bhatakta nahi paaya gaya tha. Iska matlab saaf tha. Wo ghar par nahi tha.
Usne toh bas mazze ke liye Veer ka number Arohi ke phone se udaaya tha. Wo toh ye bhi jaanta tha ki uski pyaari behna ko Veer ka number dil se yaad hoga.
"Hmph!!!"
Arohi ko uske haal par chorr wo nikal gaya. Aaj uske plan ka dusra step tha. Jo usse sambhaal ke rakhna tha.
Warna yaha gadbad ho sakti thi.
Aaj raat hi usse apne iss naye plan ko anjaam dena tha. Aur uski manzil thi,
Shweta ki hotel!!!
Raat ho chuki thi. Gaadi se utarte hi wo andar hotel me gaya.
Andar, waitresses ne usse dekhte hi aadar ke saath uska welcome kiya. Wo Pranjal se familiar thi. Jaanti thi sabhi ki ye Owner ki beti ke bhai hai.
Aur andar Pranjal seedha owner ke cabin ki orr chal diya.
Waha pohuchte hi usse ek jaana maana parichit chehra dikhaayi diya.
"Hoo~ hoo~ If it isn't my lovely elder sister!? Hmm?"
Wo apne dono haatho ko hawa me felaate hue andar pravesh kiya. Yahi toh uski adaa thi. Aur uske saamne, chair par baithi uski step-cousin Bhumika maujood thi.
Bhumika (glances) : Hmm? Pranjal? Raat me idhar? Kya baat hai?
Pranjal : Well? Kya mein idhar nahi aa sakta Dii?? Hmm?
Bhumika : Aa sakte ho. Of course! Par bina kisi baat ke toh aaoge nahi. Kya baat hai?
Pranajal (smiles) : As expected from a smart lady. Harr baat jaanti ho aap. Nahi! Wese, mein bas Tai jii ke liye aaya tha. Dikhaayi nahi de rahi woh. Kahi busy hai kya?
Bhumika : Mom ke liye? Wo manager se baat kar rahi hai. Aati hi hongi. And... I heard tum kal mom ko leke unhe dinner karwaane le gaye the??
Pranjal : Hmm!! Mein kaafi dino se notice kar raha tha. Wo boht pareshaan nazar aa rahi thi. Toh uss din jab mene unhe poora exhausted dekha toh socha kyu na unka mood fresh karwa lau? Aapko bura toh nahi laga na?
Bhumika : Arre nahi!!! Why would I feel bad about it? Actually, Mene bhi notice kiya tha. Unse kehne hi waali thi break lene ke liye. Kahi vacation pe bhejne waali thi mein. But thanks to you. Apne busy schedule me jo mein na kar paayi. Wo tumne kiya. Kaafi khush thi wo kal raat dinner ke baad. Unka mood fresh tha.
Pranjal (smiles) : Apno ki care toh apne hi karenge na dii!?
Aur pal bhar ke liye uske chehre par wahi haivaano waali muskurahat fel gayi.
Pranjal : Chaliye mein khud dhundh leta hu unhe...
Bhumika : As you wish~
Pranjal Bhumika ko chorr baahar nikal aaya.
Aur baahar aate hi uske chehre se muskaan ek pal me gaayab ho gayi. Ek nirdayi bhaav uske chehre par aaya...
'It will be tough!!! Arohi dii aur Kavya... I didn't expect them to... Unn dono ne apni saari belongings Veer ke naam kar dii. Tchhh!!!! Damn itt!!! I was late... Nahiiii!!! Galti meri hi hai... Mein baaki cheezo me itna focused tha... Mene inn matters pe dhyaan hi nahi diya....!!!'
'Mere aangan se do chidiya bhaag ke nikal gayi... Aur wo dono hi Veer ke aangan me jaake baith gayi. I was too careless... Samay samay par mujhe unhe dulaar deke apni orr banaaye rakhna tha... Par uss banquet ke incident ne jese sab kuch.... That bastard Veer!!!!'
***
"Theek hai! Kal tak ye kaam ho jaana chahiye!! Okay?"
"Yes Ma'am! Don't worry! Mein sab sambhaal lungi."
"Good!"
Shweta iss waqt apne hotel ki manager, Nandini ko kuch kaam samjha rahi thi jab achanak hi,
"My my my... Jab dekho tab kaam Tai jii!! Kabhi apne upar bhi dhyaan dijiye!!!"
Kehte hue Pranjal manager ke room ke andar aaya.
Shweta (surprised) : Pranjal?
Pranjal (smiles) : Hmm~ Kya nahi aa sakta mein?
Shweta : Nahi! Aisa bhala kyu keh rahe ho? Pehli baar thodi hi aa rahe ho.
Pranjal (smiles) : So sweet of you~ Toh chale hum?
Shweta : K-Kaha??
Pranjal (smiles) : Ghumne... Aur kaha...!?
Shweta : E-Ehhh? A-Aaj bhi!? P-Par...
Pranjal Shweta ko dekhta raha aur kuch na bola. Saamne hi manager Nandini bhi maujood thi. Toh wo dheere se Shweta ke kaan ke paas aaya aur bola,
"Kal aap se mene kaha tha na. Kuch baat karunga mein... Dada jii se... Toh kya aap nahi jaan'na chaahti?"
Usne apne haatho ki ungliyo ko mal ke paiso ka ishaara kiya. Dhan ki baat!!! Aur Shweta turant samajh gayi.
Shweta : Ahh! That...
Shweta ne Nandini ko dekha aur apna sarr haan me hilaate hue boli,
Shweta : Nandini! You can go! Hum kal milte hai!
Nandini (nods) : Okay ma'am!!!
Aur wo apne hi room se nikal gayi. Unn dono ko privacy dene ke liye.
Idhar Shweta Pranjal ko apni aankho me ek chamak liye dekh rahi thi.
Shweta : Kya tumne...!?
Pranjal (smiles) : Pehle chaliye! Ek nayi hotel khuli hai kuch hafte pehle. Issi bahaane aap waha se apni hotel ke liye kuch ideas bhi le sakti ho. Aur mein apni baat bhi bata dunga. How does that sounds?
Shweta (smiles) : S-Sure!!!!
Wo khushi khushi maan gayi. Shayad jo aas wo ab tak apne mann me liye hue thi. Wo ab bhi kaayam thi.
Pranjal : Par uss se pehle....
Shweta : Huh? Kya?
Pranjal : Ye lijiye!!! Package!
Pranjal ne usse ek package thamaaya. Andar shayad kuch maujood tha. Kuch keemti.
Shweta : Kya hai isme???
Pranjal : Nahi nahi!!! Isse abhi mat kholna!!!
Shweta : Hmm? Par kyu? Toh fir mujhe kyu de raho ho?
Pranjal : Aap rakhiye toh!!! Aaiye ab hum chalte hai. Aap samajh jaogi ki aapko ye kab kholna hai.
Aur dono hi waha se nikal gaye.
***
*Thud*
Car ka darwaza band hua aur ek baar fir, Shweta mehnge kapdo me Pranjal ke saath ek nayi hotel me dinner karne jaa rahi thi.
Sama wahi tha. Shaam bhi wesi hi thi. Kal ke jesi. Par aaj Shweta kal ki tarah udaas nahi thi. Aaj usme ek utsaah tha. Pranjal ki baat jaan'ne ka.
Dono hi apni ek table par apni apni seat par baithe hue the. Shweta hotel ke interior par dhyaan dete hue saari cheezein note kar rahi thi. Aisa kya kuch naya mile usse ki wo apni hotel me usse implement kar sake.
Dono ke beech dinner hua aur Pranjal ne bas halki fulki idhar udhar ki baatein kari, jisse Shweta sunti rahi.
Akhir me dinner ke baad wahi par bar tha, toh Pranjal Shweta ko leke bar side aaya aur dono hi ek ek chair pakad baith gaye.
Shweta : Tumne abhi tak nahi bataaya mujhe ki baat kya hui.
Pranjal : Bataata hu Tai jii! Par pehle... Khaane ke baad thodi drink toh banti hi hai na?
Shweta : W-Whaaattt? Pranjal! Tum apni Tai jii ke saath drink karoge?
Pranjal : Oh c'mon Tai jii! High society ki parties me mene dekha hai aapko drink karte hue. Aur mein bas mocktail lunga. Kyuki Drive toh mujhe hi karna hai na? Haha~ Aap cocktail enjoy kijiye.
Shweta : N-Nahi!! I don't think ye sahi rahega, iske baad ghar bhi jaana hai. I don't...
Pranjal : Ghar me jaake sirf sona hi toh hai Tai jii! Aur baat bhi ab aisi hai. Aap emotional bhi ho sakti ho. Stress relief karegi thoda C'mon Tai jii! Mujhe mana karogi aap?
Shweta : I...
Shweta kaafi virodh karti rahi. Uske hisaab se alcohol lena sahi nahi tha iss samay. Kyuki, ghar bhi lautna tha usse. Halaki Pranjal ki ye baat bhi sahi thi ki ab ghar me jaake sirf usse sona hi tha.
Toh bhala kisse pata lagne waala tha? Subah tak toh wo fresh ho chuki hogi. Hangover utar chuka hoga. Kaafi samay se usne pee bhi nahi thi. Aur inhi sab uljhano me akhir kaar wo maan hi gayi.
Pranjal : I'll have a watermelon punch please. Aur ma'am ke liye...
Shweta : Cabernet Shiraz please...
Waitress : Right away Ma'am!!!
Pranjal : Waah! Ye hui na baat! Wine order kii aapne. Sahi hai. Thoda relax kiya karo Tai jii. It's okay you know!!!
Shweta : Hmm!!! Toh ab batao. Kya baat hui? Kuch... Kuch khabar hai mere liye? Kuch ho sakta hai kya?
Pranjal : Sabr rakhiye thoda! Hamaari drinks toh aa jaane dijiye Tai jii! Sab bataata hu.
Shweta : Arre fir mein... Already high na ho jau. Just tell me right now.
Pranjal (mann me) : Yahi toh mein chaahta hu.
Jab dono ki hi drinks aayi toh dono hi apni apni drinks ka lutf lene lage.
Aur idhar Pranjal ne fir apni baat rakhna shuru kiya,
Pranjal : Aap boht unlucky ho Tai jii! Mujhe aap pe boht daya aati hai. Nahi! Mein jaanta hu aap strong ho. Par... I just... Mujhe... Mujhe dukh hota hai boht Tai jii!!
Shweta : H-Huhh??
Pranjal : You know... Mene Dada jii se baat kii thi. Property ko lekar. Ki kyu aapko kuch bhi diya nahi gaya.
Shweta : T-Tohhhh? K-Kya kaha... unhone!??
Pranjal ne agle hi pal rone jesi soorat banaayi aur bola,
Pranjal : *sniff* Kya batau aapko ab. Dada jii ko pata nahi kya ho gaya hai. Bole ki Bhumika dii aur aap... Unki jaydaat hadapna chaahte ho.
Shweta : K-Kyaaaa???? Kyaaa kaha?? Mein... Aur... Hadapna!?? Y-Ye tum kya...
Pranjal : Haan! *sniff* Mein bhi shocked tha issi tarah. Unhe lagta hai ki aap kahi unhe hi ghar se baahar na nikaal do sab kuch hadap ke.
Shweta : W-Whhaaattttt??? N-Nahiiiii! Aisa... Aisa bilkul nahi hai. I... I admit ki mujhe property ka kuch hissa chahiye par mein unhe unke ghar se baahar nikaal du? N-Nahiii! Bilkul nahi!!! Unhone aisa soch bhi kese liya mere baare me?
Pranjal : Kal toh unhone yahi kaha. Kya batau aapko. *sniff*
Pranjal jese jese apni baat keh raha tha, Shweta wese wese nashe me girti jaa rahi thi aur uski aankho se aasu beh beh ke uske chehre ke make-up ko kharaab kar rahe the.
Pranjal : Haan Tai jii! Yahi sach hai. Unhone bas ek hi shart pe aapko kuch bachi hui property dene ka socha hai. Usme Dada jii ki alag se ek zameen ka hissa hai, ek farmhouse, ek car aur ek khud ka duplex hai society me.
Shweta (shocked) : Itna... Itna sab!!? *hic*
Aur Shiraz ne apna asar shuru kar diya tha. Nasha hota hi aisi cheez tha. Shweta ko hichkiya aana shuru ho chuki thi.
Pranjal : Ye kya? Aapka glass khatam? Aapko ek aur leni chahiye.
Shweta : N-Nahiii Pranjal... Mein pehle hi boht...
Pranjal : Yahi aapko himmat degi Tai jii! Trust me! Yahi aapko himmat degi. Kyuki, aap aage sunn'ne ke liye ready nahi ho.
Shweta : Wh-Whattt?? Aisa kya kaha hai unhone??
Pranjal : Please!!!
Shweta : I... O-Okay!!! Waitress!!! One more pint!!!
Aur agle hi shan, Shweta ka glass firse shiraz se bhara hua tha.
Jisse wo sip sip karke peeti jaa rahi thi. Aur nashe me dhutt hoti jaa rahi thi.
Shweta : Ab... *hic* bolo... Bolo bhi... *hic* mein sunn'ne taiyaar hu Pranjal. Itna kuch saha hai zindagi me. Bolo... *hic* ye bhi sehlungi...
Pranjal : Wo... Tai jii ye sab kuch... Aapka ho sakta hai. Unhone aisa kaha hai.
Shweta : H-Huhhh? *hic*
Pranjal : Par shart ye hai ki...
Shweta : K-Kaho bhi... *hic*
Pranjal : Mujh se bola bhi nahi jaa raha hai... Shart ye hai ki... ki aapko apni hotel unke naam karni padegi.
Ye sunte hi Shweta jo nashe me thi, uski aankhein aascharya ke maare fel gayi aur wo bina palke jhapkaaye Pranjal ko dekh rahi thi.
Pranjal : Jo ki mere hisaab se aapke liye rewarding hai.
Shweta : W-Whattt?
Pranjal : Hmm! Zara sochiye!! Ek farmhouse, zameen bhi, ek ghar, aur ek car. Aadmi poori tarah se settle ho jaaye. Fir aapki sirf ek hotel kya inn sab ke saamne? I know Tai jii... Ki aapne hotel me boht samay diya hai. Par zara sochiye... Ki yadi aap uss zameen me apni ek nayi hotel khol lo toh aapke paas abhi se bhi zyaada wealth hogi. Hai ki nahi?
Pranjal ki baat sunte hi Shweta sochne par majboor ho gayi. Baat toh sahi thi.
Thodi mehnat thi par baad me uske paas pehle se bhi zyaada hoga.
Uske gaalo par aasu ab bhi apni chhaap chorrne me lage hue the.
Aur jese jese samay beet raha tha uska hosh me rehna mushqil hota jaa raha tha.
Pranjal : Jo mene aapko package diya tha na?
Shweta : *hic* !!!??
Pranjal : Usme... Usme wahi papers hai. Aapke naam sab kuch karne ke aur badle me aap apni hotel unke naam karne ke. Wahi papers...
Shweta (shocked) : S-Sach me...!? *hic*
Pranjal : Yes!!! Ab aap soch lijiye!!!
Shweta aur baithi rahi aur nasha apna khel dikhaata raha. Wo apna kaam bakhubi kar raha tha.
Aur agle hi pal, Shweta ne apne purse me se wo package nikaala. Hadbada ke usse phaada aur khola... Andar waqai...
Kaagazaat the...
Shweta : Y-Ye... *hic*
Pranjal : Faisla aapka hai. Bhumika dii ke baare me bhi sochiye!!!
Shweta : B-Bhumi... Meri Bhumi... *hic* meri bacchi... *sniff* meri bacchi...
Aur wo firse rone lagi. Hichkiyo aur siskiyo me hi uski awaaz kahi gaayab hoti jaa rahi thi. Aur pranjal ke kehne par wo aur drink mangaaye jaa rahi thi.
Shweta : Haan! *hic* yahi sahi rahega... *hic*
Aur usne apne purse se ek pen nikaala aur...
Uske haath unn kaagzaat par chalne lage.
Pranjal : T-Taiii jiiii??? Ye aap!??
Pranjal agle hi pal... Hairaani ke maare chair se khada ho gaya.
Shweta : K-Kya hua ab tumhe!? *hic* Huh? *hic*
Pranjal : Ye aap kya kar rahi ho???
Shweta : Kyaaa!?? Naam kar rahi hi apni hotel... *hic* Samjhe!!?? Ye lo!!! Aur rakho!!!
Pranjal ne Shweta ko hilaate hue usse hosh me laana chaaha par Shweta toh jese poori tarah talli ho chuki thi.
Pranjal : M-Mujhe nahi chahiye... Aap hosh me nahi ho Tai jii!!!
Shweta Pranjal ki baato ka matlab tak theek se nahi samajh paa rahi thi, wo iss qadar nashe me doobi hui thi. Bas kisi bhi pel girne hi waali thi woh.
Shweta : What nahi chahiye? *hic* Lo ye...
Pranjal : Aap apne nashe me kar rahi ho Tai jii! Hosh me nahi!!!
Shweta : Chuppp! Ekdum chuppp! Shut up!!! Mene kaha na mein... *hic* mein ye hotel de rahi hu... Enough!!! *hic* Ab... Ab koi sawaal nahi... Mmhhh okayyy!!?? *hic* Ehehehe~
Pranjal ne apne haath se wo documents hataane chaahe par Shweta ne zorr se unhe thaam ke waapas se uske haatho me pakda diye.
Shweta : Now let's gooooo~ *hic* Ehehehe~ Koi kisi ki parvaah nahi karta... But... *hic* ehehehe~ I'll be rich soon... *hic* Meri bacchi ke saath... Wo mera baccha hai... *hic* my bhumi... *hic* hehehe~ Waitresssss!!!! *hic* Tumne boht acche se serve kiya. *hic* G-Good job.... Hehehe~
Pranjal : A-Aap ki haalat theek nahi hai.
Aur achanak hi... Shweta ne Pranjal ka haath pakad apne sarr par rakh liya...
Shweta : Ehehehe~ *hic* Tum bhi piyo Pranjal... Aise kya mujhe akele akele... *hic*
Pranjal na jaane kya bolta raha uske baad par Shweta ne dekha ki uski aankho me aasu aa rahe the.
Aur agle hi pal uski aankhein nashe ke chalte band ho gayi.
Uske baad kya hua...
Ye toh usse baad me pata lagne waala tha.
***
Meanwhile in Cairo, Egypt...
Mumbai me jo hua, wo toh raat ka khel tha. Par Egypt me yaha Veer ke saath nayi subah se kya hua? Ye nazar daalne laayak tha.
Subah Veer aur site par maujood sabhi researchers ready the ek baar firse tomb ke andar jaane ke liye. Firse ek nayi nazar se cheezo ko parakhne ke liye.
Sab excited the. Siwae Veer ke. Wo tensed tha. Of course, kyu nahi rahega?
Usse Egypt ki researches me koi interest nahi tha. Wo toh yaha bas apni Maa aur behan ke liye aaya tha. Aur ussi ko lekar wo chinta me tha.
Subah hi Tej usse aisa look deke gayi thi jisse dekhne ke baad Veer pakke se keh sakta tha ki kuch toh locha tha.
Kherr! Ab jese bhi baat badhaaye. Par baat baat badhni chaahiye. Aur ye sab kuch karna Veer ke apne haatho me tha.
Sabhi site ki entrance par pohuch chuke the.
Ahista ahista neeche uss underground tomb me pravesh kar rahe the woh.
Sakri sii entrance thi aur sukhi mitti hi mitti. Kuch steps bane the neeche jaane ke liye.
Uske aage Bhavna yaani ki uski Maa chal rahi thi. Aur Bhavna ke theek aage Tej.
Bhavna : Sambhal ke aana Vikram...!! Abhi entrance par itna kaam nahi kiya hai humne. Toh neeche dekh ke chalna... There might be some insects. Even scorpions...
Veer : Huhh??
Bhavna uska reaction dekh khikhilaayi aur aage badhti rahi.
Andar aate hi Veer ke nazre chaka chaundh ho chuki thi. Itni vivid bright paintings deewaaro me, gehri aur unique carvings aur beecho beecho maujood wo death bed.
Jisme iss tomb ke mritak ke ansh maujood the.
Veer ne ye bhi dekha ki...
Kayi jagah limestone ka upyog kiya gaya tha. Check se sab pata lag gaya tha usse.
Veer : Limestone huh!??
Bhavna jisne uske bol sune wo muskuraayi aur peeche dekhi,
Bhavna (smiles) : Yes!! Limestone!! Abhi toh hum dekh rahe hai acche se but... You know...
Veer : Hmm??
Bhavna : Saari research ke baad ye ek tourist site bann jaegi...
Wo udaas hote hue boli.
Veer : Ye toh hona hi hai. Miss Geeta!!!
Bhavna : I know... Aur fir... Ye jo limestone tum dekh rahe ho na...
Veer : ...
Bhavna : Jab tourists aaenge toh bheed toh rahegi hi... Harr insaan apne shareer se kisi na kisi maatra me saline content produce karta hai. Tum jaante ho na!?
Veer : ...
Bhavna : Saline content... Yaani ki khaara, namkeen padaarth... Hum insaan ki body se produce hota hi hai. Fir chaahe wo hamaare paseene se ho ya fir hamaari breath se...
Veer : Hmmm~
Bhavna : Aur wahi saline content jab dheere dheere.... dheere dheere limestone ke aas paas ikhatta hone lagta hai toh limestone ke saath kya hota hai pata hai!??
Veer : ...
Bhavna : Wo uspe aur plaster pe chipak jaata hai aur dheere dheere usse... Uss limestone ko... Powder me parivartit kar deta hai. Khaak ekdum... Kuch nahi bachta... And that's the sad thing... Ki ek na ek din tourists aaenge yaha... Aur...
[That's really sad Master!!! But it can be cleaned too. Saline content Limestone ke upar se clean ho sakta hai master!]
Pari ki baat sunn Veer ne ye mauka haath se nahi jaane diya.
Veer : Toh clean bhi toh ho jaata hai na? Ye salt?
Bhavna (smiles) : That's right!!! You passed the test. Fufu~
'W-Whaaattt? Fuckkkk! Meri Mom mera test le rahi thi? Ohhh! Of course!!! She would do that...!!! Itni asaani se kaha bharosa kiya hoga mujhpe!?? I'll have to be careful!!!'
[Yes master!! She's smart!!! So you have to be smart too!!!]
Veer : Toh yaha toh 2 tombs hai na!?
Bhavna (smiles) : Yes!
Veer (smiles) : Then toh koi baat hi nahi!!! Ek year ek tomb ko open rakha jaaye aur next waale tomb me restoration kiya jaaye. Salt removal. Fir next year agle ko khola jaaye aur pehle waale ke saath restoration kiya jaaye. How does that sounds!??
Bhavna (surprised) : Ahh!!! That's... That's...
Veer (smiles) : Kya hua?
Bhavna : N-No... Actually... This is what I was thinking... Aur yahi Giza me hota hai. Teeno pyramids ke saath. Tumhaari... Soch bhi mere jese hi thi.
Veer : *smirks*
Bhavna : *smiles*
Aur dono hi aage badhe. Jaha Bhavna fir Sir George ke saath kuch baato me lag gayi aur idhar Veer apne agle petro ke baare me sochne laga.
[That went well master!! Yadi aise hi chalta raha... Toh aapko boht hi jaldi kuch na kuch detail mil hi jayegi.]
'I hope so too Pari!!!'
Par jese koi ek inki baat se sehmat nahi tha.
"Y-Youuuuu!!!!"
Ek awaaz ne Veer ko mudne par vivash kar diya.
Saamne...
Tej khadi thi!!!!
'Ohhh nooo!!! Not her...!!!'
[Master~ Aapko apni behan ko kese bhi karke favour me lena hoga.]
Wo tezz kadmo ke saath uske paas hi aa rahi thi. Jese maano mauka hi dhund rahi thi ki kab sab busy hoye aur wo akele uss se baat kar sake.
Tejal : Okay!! Now listen Mister!!! Mujhe nahi pata tum kal kese andar aaye, tumne kya kya kiya aur kese unn artifacts ke baare me tum bata paaye. I don't know anything about you... But...
Veer : Ehh?
Tejal : But I can tell... That you're lying...!!!
Veer : Wh-Whattt?
Tejal : Yes!!! Mujhe nahi pata tumhara iraada kya hai. Maybe tum yaha information churaane aaye ho, ya even artifact, who knows!? But don't you dare do anything stupid in my presence. Meri mom boht hi Passionate hai apne work ko lekar and so am I. You got that??? Toh bas dekho aur chalte bano. Aur haan! It'll be better if you stay away from her. Because these looks won't get you anywhere. Okay??
Veer (nods) : O-Okay!!!
Aur wo palti aur jaane lagi. Veer ke tote udaa ke. Aise jese kuch hua hi nahi tha.
'Dafuq!??? What the hell?!??? P-Pariii?? Why is she so mad!??? I thought unke upar mera kuch accha impression hoga. But what the fuck was this!?? H-Huhhh???'
[*Sighs* mehnat karni hogi master!!!]
'I see then... Fine!!! Teju dii!! You ask for it!!! Let me show you now!'
Veer ek baar fir...
Wo Aage badha. Iss baar naye josh ke saath.
Aur ab wo thoda aur andar jaate jaa rahe the. Aur Veer ne mauke ka fayda uthaaya aur apni Teju dii ke bagal se se aake chalne laga.
Tej ne ek jhalak Veer ko dekha aur usse ignore kar aage badhti rahi.
Veer ke chehre par ek kutil muskaan thi.
Aur...
*Ding*
HAWKEYE!!!
Veer ne apne perr ke saamne se ek chota patthar laat se halka sa thokaar maarte hue ekdum nishaane pe giraaya.
Aur wo patthar seedha jaake ek jagah jaake ruka.
Tej jo apna perr aage badha rahi thi, uska daaya perr seedha uss chote patthar pe aaya aur...
"Ahhhhhhh~"
Wo achanak hi aage ki orr jhukte hue giri par iske pehle ki wo muh ke bal gir paati.
Tej : Haahhh!!??
Veer : *smiles*
Ek mazboot haath uske pait par aake lipat gaya.
Aur wo girte girte bach gayi.
Veer ne usse girne se bacha liya tha. Jaha Veer ke hontho pe muskaan thi toh wahi Tej ke chehre par halka gussa.
Tej : Y-You.... Leave me!!! Chorro!!
Veer : Chorrna hai!? Okay!!!
Aur Veer ne haath chorr diya.
Tej : Ahhhhhhh!!!!
Aur Tej jo firse gir rahi thi usse ek baar fir Veer ne pakad liya.
Veer (smiles) : Dekha!? Chorr deta toh gir jaati aap Miss! Sambhal kar chaliye!!
Tej : Y-Youuuu....
Veer ne usse seedha kar chorra toh Tej muh banaate hue aage bhaag gayi. Kaha wo thodi derr pehle Veer ko lecture deke gayi thi. Aur kaha yaha uski hi image kharaab hone par utar aayi.
'Hahahaha` She's cute too!!!'
Neeche toh unhe zyaada kuch mila nahi!! Jitna bhi tha wo pehle hi nikaal liya gaya tha. Toh ab bas tomb ki main cheez yaani ki mummy ka raaz khulna baaki tha.
Sir George aur anya ne taboot ko khol bhi diya tha. Aur unke saamne beshaq...
Kisi ke shesh baaki the.
Par sawaal the kiske...!?
Sir George : You....!!!
Veer : Huh???
Sir George : Tell me! What do you think about this?
Veer : Well...
[Do it master~]
Aur...
*Ding*
Veer ke saamne uss mummy ki saari details aa gayi.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Next update me Egypt tour samaapt ho jaega. Aur boht bada Mumbai ka scene dekhne ko milega! Boht kuch interesting hone waala hai. So, like thokne ka aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad!!!