- 14,282
- 101,226
- 259
Last edited:
Mast update h bhai...Update - 92 ~ The Man BehindAb tak...
Ragini... kitchen ke platform ke upar baithi hui thi. Keval blouse aur petticoat me. Uske gore perr neeche jhool rahe the. Haatho me uske ek bada sa kaanch ka glass tha jisme kuch bhara hua tha. Shayad Beer thi.
Bagal me ek mombatti jal rahi thi. Aur Veer ki nazre jab uske chehre par gayi toh woh dang reh gaya...
Wo... ro rahi thi...
Usne Veer ko haule se mudte hue dekha. Aur fir haath me liya hua glass aage karte hue boli,
"Mera saath nahi doge Veer!!!???"
Ab aage...
Veer ki aankho ke saamne iss samay uski apni Bhabhi keval aur keval ek laal rang ke peticoat aur harre rang ke blouse me baithi hui thi.
Kitchen ke platform par baithe hue Ragini ke komal perr neeche jhool rahe the. Bagal me ek mombatti thi aur haatho me sharaab ka pyaala.
Sharaab toh nahi kahenge... Beer thi... Videshi...
Aankhein namm thi. Aur Veer usse iss haal me dekh ke taajub me tha. Usne Ragini ko iss awastha me dekhte hi nazre ferr lii.
Veer : Bhabhiiii!??? Ye aap...!? Iss haal me!!? Yaha!!? Itni raat gaye?
Ragini : Mere sawaal ka jawaab do Veer. Won't you join me?
Veer ne punah jab usse dekha toh ek baar fir usse dekh kahi kho gaya woh.
Ragini ke nain bheege toh the hi, par unn naino me nasha bhi tha. Uska yauvan, aaj poore shabaab me tha, Veer ko aamantran de raha tha.
Kahi na kahi, Veer aaj itna zaroor bhaanp gaya tha ki uski Bhabhi kisi gham me doobi hui thi.
Ragini : Kaho na... Veer!? *sobs* Won't you join me?
Koi jawaab diye bagerr, Veer aage badha, uske sameep aaya. Paas se iss haal me Ragini ki aankho se aankh milaana aur bhi mushqil ho raha tha uske liye. Ya yu kahe ki woh khud hi dekhna nahi chaahta tha. Isliye firse ek baar... Veer ne chehra ferr liya. Lekin Ragini ko ye pasand na aaya.
Ragini : Muh kyu ferr rahe ho Veer? Dekho mujhe! Meri taraf dekho...
Veer : Bhabhi...!!! Mein...
Ragini : Look at me...!!!
Wo roti rahi aur majbooran Veer ko uski baat maan'ni padi.
Ek doosre ki nazro me dono dekh rahe the. Mombatti se aati halki halki peeli roshni Ragini ke chehre par pad rahi thi. Ye woh husn tha jo dhoke ke chalte ek baar pheeka pad chuka tha. Par dobaara se ek pyaar ki aas ne uske iss husn ko pehle se aur bhi utkrasht kar diya tha.
Veer : Bhabhi...!?
Ragini : Mujhe mere room me le chalo Veer.
Ek haami bhar, Veer ne sahara dete hue Ragini ko thaama aur wahi uske room me usse le jaane laga.
*Click*
Uske bedroom ka darwaaza andar se band hua aur uske badan ko bed par lita kar Veer fauran hi jaane ke liye hua toh Ragini ne uski kalaayi thaam lii.
Ragini : Kya tum... Mere saath thodi derr waqt guzaaroge?
Mana toh karna chaahta tha Veer. Ye sahi waqt nahi tha. Ek dewar ka apni bhabhi ke saath aise hona. Par... Ragini akeli thi. Dard me thi. Andhruni dard. Jis se Veer bhali bhaati parichit tha. Woh dil ki peeda. Shayad usse beete lamhe yaad aa rahe the. Jis kaaran usne Sharaab ko hi aaj raat ke liye apna yaar banana sahi samjha!?
Veer kuch soch ke Ragini ke bagal se lait gaya. Ragini karvat lii hui thi. Keval uski peeth hi Veer ki nazro ke saamne thi.
Zero watt ke bulb me halki halki roshni hi thi. Ussi roshni me dono bistar par laite hue the. Aur Ragini ne fir kehna shuru kiya,
Ragini : Tumhari t shirt kaha hai Veer!?
Usne wese hi bina mude pucha.
Veer : Wo... Nidhi Ma'am ke yaha. Ye T shirt Shreya jii ne gift me dii hai.
Ragini : I see... *sniff*
Veer : Bhabhi!!! A-Aap ro rahi hai. Kyu?
Ragini : Kya tum sonoge Veer? Jaan'na chaahoge?
Veer : Zaroor...! Kahiye...!
*Kuch derr baad*
Ragini : Dekho! Meri deewaangi bhi toh dekho Veer... Ahahaha~ *sniff* hahaha~ *sobs*
Achanak hi rote rote woh hassne lagi. Jese ek vyarth koshish kar rahi thi, apne gham ko chhupaane ki. Par Veer ki nazro se kuch na chhupa. Sab bhaanp liya usne. Ek khuli hui kitaab ki tarah padh raha tha woh Ragini ko.
Ragini : Dil ke armaano ko samajhne waala koi hona chahiye Veer...! Hai na?
Veer : Hmm...!
Ragini : Kya karu Veer!? Kuch batao... Raatein bechain ho rahi hai... *sniff* Tell me!!!
Veer : Mein...
Ragini : You know... Uljhi sii reh gayi mein!!! Apni iss zindagi me... Jisko pyaar kiya... Usne bas khel kiya... Hahaha~ *sniff* Jiska zikr hota tha meri Zindagi me... Harr lamha... But... That Bastard never loved me. *sniff*
Veer : Aap ab bhi Vivek bhaiya ke baare me soch rahi ho!?
Ragini : Never!!! Mein apne vyarth me guzar chuke samay ke baare me soch rahi hu Veer. Uss samay ko mene bacha ke kisi apne ko pyaar diya hota toh kitna accha hota... *sniff* Hai na? *sniff*
Veer : Hmm...!
Ragini : Aur mene wo samay gawaaya nahi hota. Mein fir... Uske saath waqt guzaarti jis se mein asal me pyaar karti hu. Hai na? *sniff*
Veer : Aap... You love someone!??
Ragini : *smiles*
Veer : Bhabhi?????
Ragini (smiles) : Aur mujhe woh mila bhi. Someone else came into my life... Jisne mujhe jeene ki ek raah dii. Who saved me... Who listened to me... Who showed me love... Who gave me respect... *sniff*
Iss baar achanak hi... Ragini ne karvat badli... Veer ki aankho me aankh daal ke wo dekhi...
Veer : !!!!!????
Ragini : And...
Veer : !!??
Ragini : That someone is...
Veer : .....!!!!
Ragini : You!!!!! It's YOU!!!! Tum... Veer...
Veer bas hairat angez me maun reh ke Ragini ko dekhe jaa raha tha. Wo hairaan tha.
Aur Ragini ahista ahista... Sarakte hue... Qareeb aati jaa rahi thi...
Veer : .....!!!
Ragini : You came into my life. Aur meri duniya hi badal gayi. Mujhe pata chala... Ki jeevan kya hota hai. Pyaar kya hota hai.
Veer : .....??????
Ragini : Veer!!! You can think whatever you want... Think of me as if I'm stupid... Haan! Bewakoof hi kyu na samjho mujhe... But I'll say it tonight...
Veer : Bhabhi... Aap...!!??
Ragini uske ekdum qareeb aa chuki thi. Uska chehra Veer ke itne nazdeek tha ki dono ek dusre ki garam saasein bhi apne chehro par mehsoos kar paa rahe the.
Iss baar jab Ragini ki aankho se aasu ki boond nikli toh Veer ko andar hi andar ek ajeeb si peeda hui. Bauhe sikode woh maun raha. Intezaar karta raha... Aane waale pal ka... Mann kar raha tha ki woh pee le unn aasuo ki boondo ko. Ragini ko toh woh pehle hi maaf kar chuka tha. Ragini uski sakha se bhi badh ke thi. Usse dard me dekh, Veer ko pata nahi kyu, par zara bhi accha nahi laga raha tha. Khud ke dil me kasht mehsoos kar paa raha tha woh.
Aur fir Ragini ne jhakjhor kar rakh dene waale woh shabd akhir keh hi diye.
Ragin (smiles) : Veer....
Veer : ....
Ragini (smiles) : I Love You!!!
'!!!!??????'
Wo aage badhi... Veer ke hontho ki taraf... Ragini ke lab Veer ke nichle labo ke behad qareeb pohuche...
Par jese hi unn labo par uske lab sajj paate...
Ragini ne apne hontho ka rukh badal diya aur uske laal honth Veer ke hontho ke theek bagal se uski chin par jaa lage.
Shayad!!!! Ragini Veer ke chehre par maujood asmanjas bhaanp gayi thi!?
Ragini : Mujhe abhi jawaab dene ki zaroorat nahi hai Veer.
Kehte hue wo firse palat ke lait gayi. Aur kamre me ek khamoshi chha gayi. Kya hua abhi abhi? Veer ke dil ki dhadkan toh train ke maafik tezz thi.
Lekin Ragini ki ab khamoshi usse aur bhi sata rahi thi. Aisa mehsoos ho raha tha usse jese usne koi galti kar dii ho.
Aur iss baar bina kuch kahe hi, Veer apni taraf se aage badha. Ragini ke nagn pait me haath daal kar usse thaam kar apne seene se laga liya usne.
Aur ye raat kuch iss tarah hi beet gayi. Ragini ne apne dil ki baat keh dii thi. Jiske chalte Veer ke dimag me uthal puthal toh machi hi thi par usse ek uttar mil gaya tha, Ragini ki taraf se. Ab uss par soch vichaar Veer ko hi karna tha.
***
Next day...
Afternoon ~ 2:37 PM
"Tum umr me itni badi ho aur fir bhi ye tumhe tumhaare naam se bula raha hai. Tum me koi self esteem naam ki cheez hai bhi ya nahi!?"
Awaaz thi Niharika ki, jo car me baithi hui thi. Aur uska teekha sawaal tha Suman se, jo Veer ke daaye se baithe hue thi.
Suman (smiles) : Toh isme galat kya hai? Mein unki daasi hu. Wo mere maalik. Ye toh zaahir sii baat hai ki woh mujhe naam se hi bulaenge. Isme umr se kya lena dena?
Suman ne ekdum spasht roop me apna uttar rakh diya. Aaj woh yaha apne maalik ke kehne par NSS ki ek sadasya bann'ne aayi hui thi.
Toh wahi Niharika ka ab bhi wahi bartaav chaalu tha. Balki uska ravaiyya aur bhi battar ho chuka tha. Gale me choker toh pehni hui thi woh Veer ki wajah se. Yaha tak ki usne neeche panty bhi nahi daali hui thi. Par... Iska matlab ye nahi tha ki usne Veer ko surrender kar diya tha. Badle ki aag uske andar koot koot kar bhari hui thi.
Jis din Veer ke paas se uski woh recording gayi, uss din kese woh apne panje uss par maaregi, bas issi din ka intezaar kar rahi thi woh. Aur planning bhi...
Niharika : Hmph~ Tum mardo ko jaanti nahi ho. Shayad tumhe pata nahi hai par, jab tumhaara ye maalik tumse bore ho jaega na toh tumhe dhakke maar ke tumhe dur kar dega.
Suman (smiles) : Aisa hargiz nahi hoga. Mujhe iss baat par poora vishvaas hai.
Ye sunte hi, Niharika ke chehre par gussa saaf saaf jhalakne laga.
Niharika : Toh... Toh ye aadmi tumhaare liye itna zaroori hai!?? Haan?
Aur ek baar fir, Suman ne bina hichkichaate hue keh diya,
Suman : Bilkul! Mujhe maalik se koi bhi juda nahi kar sakta. Swayam bhagwaan bhi nahi.
Niharika toh stabdh thi hi, par uss se bhi zyaada Veer stabdh tha. Na jaane ye aurat aur kitne surprises dene waali thi usse ki ab seedha bhagwaan ko hi chunauti dene ki himmat le aayi thi woh. Aur abhi toh favourability sirf 150 par hi pohuchi thi Suman ki. Na jaane 200 tak kya kya dekhne ko milne waala tha.
Niharika iss baat par hass padi. Jese dikhaana chaah rahi thi ki Suman ek bewakoof insaan thi.
Niharika : Are you an Idiot or what? Mardo ko sirf sex karna aata hai. They just want to fuck you. Tumhara maalik aaj tumhaare saath khelega, fir kal ko fek dega.
Suman : Bas! Ab aur nahi. Mere maalik ke baare me ab mein aur koi galat baat nahi sunungi. Wo uss kisam ke insaan nahi hai. Ek behad hi imaandaar vyakti hai woh.
Imaandaar shabd sunte hi Veer ko na jaane kese khaasi aa gayi. Imaandaar!? Kya Niharika ko phassa ke chodna ek imaandaar vyakti ki nishaani thi? Ahem!!! Iss vichaar ko yahi rokna theek tha. Woh toh aaj bas beech me baithe inn dono ki cat fight dekh raha tha.
Wahi Niharika bhi zorr zorr se hassne lagi.
Niharika : Hahahahahaha~ Ye...!? Ye aur imaandaar? Hahahahahahaa~
Suman (smiles) : Hmm~ Imaandaar! Mein apni poori zindagi unki seva karti rahungi, unhe chaahti rahungi, aur...
Veer : !!!??
Suman (blushes) : Unke bacche ko janm dungi. Mene soch liya hai...
Veer : Suman...!!!
Suman (smiles) : Jab aapka mann kare Maalik.
Niharika : Ugghhh!!! Yadi mene ek aur pal tumhaari baatein suni, toh mujhe ulti ho jaegi.
Suman (bauhe sikodte hue) : Itni bhi kya nafrat hai tumhe mardo se?
Niharika : Itni bhi kya nafrat? Arre nafrat nahi karu toh kya karu? Kis kaam ke hai ye aadmi? Nalle hai ekdum!!! Harr kaam toh hum aurte karti hai...
Veer : Will you explain please!?
Niharika : Hmph~ Hum aurte mahino mahino tak periods ka shikaar hoti hai... Hum khoon bahaate hai, kasht uthaate hai. 9 mahine tak pait me baccha leke kaun ghoomta hai? Mard??? Thuu!!! Hum aurte ghoomti hai... Jo kaam mard karta hai woh toh aurte bhi kar rahi hai. Par hum aurte uss se bhi kahi zyaada karte hai. Toh fir inn mardo ke hisaab se kyu duniya chale??? Inhe kyu fayde mile?? Kya hi karte hai ye!?? Men just... Hmph... They just exists.
Veer khamosh tha. Aur Suman hairaani me Niharika ko dekh rahi thi.
Suman : Bilkul nahi! Mard... Toh kitni sundar cheez banaayi hai uparwaale ne. Ek aurat ko mard ka saath chaahiye hi chahiye hota hai. Aur mard bhi bina aurat ke nahi reh sakta. Dono ek dusre ko poorn karte hai. Mard... Boht hi pyaari rachna hai. Unhe bas pyaar hi karna chahiye... Unhe samajhna chahiye... Kyuki ek mard... Apna dukh kabhi bhi saamne nahi dikhaata... Yahi toh farq hai hum aurto me aur mardo me. Tum yaha inn baato ko lekar ro rahi ho toh wahi mard inn choti choti baato ke baare me soch bhi nahi rahe. Wo kisi aur chinta me doobe hote hai... Apne ghar me maa baap ki chinta, baahar dosto ki chinta... Apne choto tatha bado ki chinta... Sab ka dhyaan rakhte hai woh. Aur chehre pe ek shikan aane nahi dete...
Niharika : Oh c'mon... Shut up already!!!
Suman (naraaz hote hue) : Kaash tum samajh paati.
Veer abhi bhi khamosh tha. Wo jese intezaar kar raha tha ki kis tarah se Niharika ki baato ka jawaab diya jaaye. Akhir aaj Niharika ne poori mard jaati par daag lagaaya tha. Jawaab toh banta tha.
Aur agle hi pal, Veer ko uska jawaab mil gaya. Usne ek jhatke me Niharika ko peeche uski gardan se pakda toh Niharika sakpaka sii gayi,
"Aahhhhhhhhnnnnn!!!?"
Veer ne uski gardan baahar ki orr karte hue dikhaaya aur tezz awaaz me bola,
Veer : Baahar dekho!!! Upar... Khambe pe... Kaun dikh raha hai?
Niharika : Ahhhnnn chorro...
Veer : Say it!!!!!
Niharika : Aaahhnnn... Ek... Ek aadmi...
Veer : Kya kar raha hai woh?
Niharika : B-Bijli ki taare sudhaar raha hai...
Veer : Hmm! Yadi woh ye kaam chorr de aur na kare toh kya hoga?
Niharika : I... Ahhhnnnn!!!! Toh... Light nahi aaegi uss area me...
Veer : Kaun hai woh!!??
Niharika : H-How would I know??? Aaahhhh
Veer : Mard hai ya aurat?
Niharika : Uggghhhh!!!!! M-Mard...!!!
Veer : Hmmm!! Ab udhar dekho...!!!
Niharika : Ouuuchhh!!!!! Sssss.....
Veer : Kya dikhayi diya?
Niharika : F-Fire extinguisher truck...
Veer : Yadi ye firefighters aag lagne par na jaaye toh kya hoga?
Niharika : Aahhhhhnnnn ch-chorrooo mujhe.... Aarrghhh...
Veer : SAY!!!
Niharika : Ughhhh... Aag lag jaegi... Ahhhnn
Veer : Kaun hai ye!!??
Niharika : M-Mard....!!!!
Veer : Hmm!! Toh kul milaake sab mard hi kar rahe hai. Ab dekha tumne...
Niharika : Aisa nahi hai... Tumm...
Veer : Shut up and listen!!! Jis gaadi me tum ghoom rahi ho, jo purse haath me leke chalti ho, jis phone se baat karti ho, ye sab kuch... Hamaari hi den hai. Aur kab se shuru hua ye silsila? Since the dawn of civilization. Jab aurte job ke baare me jaanti bhi nahi thi. Tab se... Duniya ki kamaan hum sambhaalte aa rahe hai. Jesa ki Suman ne kaha. Dono hi mard aur aurte zaroori hai. Par iska matlab ye nahi... Ki tum hum mardo ki bhavnao ko thes pohuchao... And don't you ever belittle any man...!!!
Veer ki baat sunn, Niharika iss baar toh shaant ho chuki thi. Uski gardan me dard jo badh gaya tha. Par woh aaj ke iss kisse ko bhi yaad rakhne waali thi.
Kherr! Suman ko NSS ke kaaryalay me chorr Veer nikal gaya apne kaam par. Shaam ko usne kuch khareed-daari kii. Aur fir chal diya woh Nidhi ke ghar.
Waha pohuchte hi uska swaagat hua Juhi ke dwaara.
Jo aate hi uski goad me uchak ke baith gayi. Veer aaj nayi nayi cheezein laaya hua tha.
Dhruv ke liye pyaara sa jhoola jisme Nidhi usse sula sakti thi. Juhi ke liye ek choti cycle. Toh wahi Dhruv aur Juhi dono ke hi liye kuch kapde.
Nidhi jo sab kuch dekh rahi thi woh khaali Veer ki bhaavna maatr dekh ke ro uthi. Itna aajkal kaun sochta tha bhala?
Khud ko kossti bhi jaa rahi thi. Ki harr guzarte din, woh apne iss student ki ridi hoti jaa rahi thi.
50 lakh toh ek baar woh ikhatta kar ke de bhi degi usse, par inn chote chote rid ka kya?? Woh toh inhe jeevan bhar bhi nahi chuka paegi.
Aaj Shreya, Juhi aur Veer ko saath me hassta dekh, uska dil bhar aaya. Sab kuch pehle ki tarah lagne laga usse. Farq ye tha ki tab uski goad me Dhruv nahi tha. Aur ab woh hai...
Kaash ye lamha yahi tham jaaye. Nidhi mann me ek guhaar laga rahi thi.
Tabhi Veer uth ke aaya aur uske bagal se baith gaya.
Veer : Dhruv so gaya?
Nidhi : Mmm~
Veer : Yeh aapke liye.
Usne apne haatho se iss baar ek packet Nidhi ko thama diya. Taajub me Nidhi ne wo packet khola toh woh bas dekhti hi reh gayi. Koi aisi boht khaas cheez nahi thi andar. Par sawaalo ki jhadi lag chuki thi uske mann me.
Nidhi : Veer... Ye...
Andar... Ek saree thi. Aur woh bhi aisi wesi nahi. Ek black saree.
Veer : Wo... Mene kabhi aapko iss rang ki saree me nahi dekha. So...
Nidhi (sarr jhukaate hue) : Tumhe pata hai ye saree kyu pehenti hai ladkiya?
Veer : Huh!!? No I don't... Mein toh bas aapko iss rang me dekhna chaahta tha isiliye...
Nidhi : Tumne sawaal ka jawaab de diya.
Veer : Huhhh!!?? Ohhhh!!! Iska matlab... Wait!!! What????
Veer ne khud hi uttar de diya tha. Black saree yadi koi ladki pehenti thi toh keval do hi kaarno se. Pehla ya toh mardo ko lubhaane ke liye. Ya fir unke hi kehne par unki iccha ke liye.
Kaali saree me jo badan ka gora rang nikhar ke aata hai, uske hi toh kaayal hote hai mard. Veer bhi unme se hi tha.
Woh bhi iss se na bach saka.
Nidhi ne fir bhi woh saree apne haatho me leli.
Nidhi (blushes) : Par ye... Tumne blouse bhi banwa liya!!!??? H-How???? Tumne mera size kisne diya?
Veer : Ahem... Keval aapko hi mera size nahi pata hai. I know too.
Nidhi (blushes) : Wh-Whaaaattt???
Veer : Ahhh!!! Nahi nahi... I mean... Mene Shreya jii se pucha tha.
Nidhi : Shreya tum....
Shreya : Ehehehe~ Oops!!!! Mujhe mera gift mil gaya. He brought me a nice top. Look dii!!!! Hehehe~ Ab aapka size nahi bataati toh mujhe ye ghochu gift bhi nahi deta.
Nidhi (blushes) : T-Tum....
Shreya : Mein chali mein chali... Dekho pyaar ki kali... Lalalalalala~
Aur woh Nidhi ko jaan bujh ke ignore kar andar uski daant se bachne bhaag gayi.
Nidhi (blushes) : Ye... Ye ladki bhi...
Veer : Haha~
Nidhi : Tumhe itna sab kuch karne ki kya zaroorat thi? Itna kharcha... Unnecessary...
Veer : Zaroorat ho keval tabhi apno ko uphaar nahi diya jaata Ma'am.
Nidhi : Haan par... Itna kharcha...
Veer : Aapne bhi toh kiya tha na?
Nidhi : Huh???
Veer (smiles) : Jab mein aapke ghar tha. Tab mere liye kapde... Khaana peena... Nahi kiya tha aapne? Tab aapne ye sawaal apne aap se kyu nahi pucha tha? Ki itna kharcha kyu?
Nidhi : Kyuki tum mere...
Woh kehte kehte hi rukk gayi.
Veer : Hmm? Mein aapka... kya?
Nidhi : K-Kuch nahi...!!!
Veer : Kahiye!!! Please!!!
Nidhi : ....
Veer : Please?
Nidhi : Kyuki... Kyuki mene tumhe apna iss parivaar ka ek hissa hi maana hai. Apni zimmedari. Uss waqt tum akele the. Aur madad karna mera farz tha.
Veer : Toh mera aapse question hai...
Nidhi : ?
Veer : Yadi meri jagah koi aur hota... Ya aane waale samay me class ka koi aur ladka mere jesi sthiti me phass jaaye aur aap ittefaaq se uss se mil jao. Toh kya aap firse wahi karogi? Jo aapne mere saath kiya tha? Ya uss samay meri jagah koi aur hota toh kya aapne usse bhi meri hi tarah apne ghar me panaah dii hoti?
Nidhi : I... Of course... I... Mein... Wo...
Aur uske muh se uttar hi na nikal saka. Kese nikalta??? Kyuki usne ye kabhi kisi aur ke liye kiya hi nahi hota. Veer ke sang college me, usse daant daant ke, usse samjha samjha ke ek special rishta bann gaya tha Nidhi ka.
Toh bhala anya ladke ke liye woh kese ye sab kar deti??
Keval aur keval Veer ke liye hi usne ye kiya tha. Keval Veer.
Nidhi ko maun dekh, Veer ko apna jawaab mil gaya. Aur wo muskura diya.
Veer (smiles) : So it was only me... Right?
Nidhi (sarr jhukaate hue) : ....
Veer : Ab bataaiye... Kya aap ye saree pehnengi?
Nidhi : Ye... Par ye... Blouse... It's sleevless... Ye boht hi... Sach sach batao. Tum mujhe isme kyu dekhna chaahte ho?
Veer : Ahh! Woh... Ahaha~ Aapko bas black color me nahi dekha. Isliye...
Uske jawaab par santusht na hote hue, Nidhi ne agle hi shan uska kaan pakad le kheench diya.
Veer : Ouuuchhhh!!!! Ma'am...!
Nidhi : Apni ma'am ko iss roop me dekhna chaahte ho haan? Kya chal raha hai tumhaare dimaag me?
Veer : M-Mene bataaya toh. Aahh! Ma'am sorry! Kaan chorriye na...
Veer bhi ek nadaan student bante hue act karne laga. Sama bilkul pehle ki tarah hi ho chuka tha. Jese Nidhi uske kaan pakad usse daant lagaati thi. Aaj unn yaado ko yaad karke Nidhi ki rulaayi chooth padi. Woh sabse keemti pal the uske jeevan kaal me ab tak ke.
Usne apni ungli se anguthi nikaali. Wahi anguthi jisse wo jaan bujh ke pehen ke Veer se khud ko dur karna chaah rahi thi. Shaadi ki wahi anguthi.
Usne anguthi nikaali aur Veer ke haath me thama dii.
Veer : ???
Nidhi : Throw it!!!
Veer : Whattttt??
Nidhi : Isse fek do...
Veer : Ehhh!? No ma'am!!! I know... Aap isse pehn'na nahi chaahti par ye... It's gold you know...
Nidhi : Kasht dene waala sona bhi... Koi sona nahi hota Veer... Mere liye ye sona... Kisi kachre se bhi kam hai. Isse fek do.
Veer : I... *sigh* Alright!!!
Aur Veer ne balcony me hi jaate hue uss anguthi ko kass ke thaama aur...
'Rajat ki pehnaayi gayi shaadi ki anguthi... Time to go...!!!'
*Whooooossshhhh*
Aur usne poori taakat ke saath usse fek diya.
Jab wo laut ke aaya toh Nidhi ke hontho par halki sii ek smile thi. Jese ek chenn ki saans lii thi usne.
*Ding*
[Nidhi's Favourability : 71]
'Huhhh!!!?'
***
Mumbai...
xxxxxxxx society...
Flat No. 17...
Ek well furnished flat me iss samay ek luxury sofe par ek shaks baitha hua tha.
*Ring* *Ring*
Saamne kaanch ki table par rakha uska phone baja toh usne woh phone uthaaya.
Ladka : Hello?
Dusri taraf se ek aadmi ne jawaab diya.
Aadmi : Hello!!! Mere paise poore nahi mile hai.
Ladka : Jaanta hu vakeel sahab jaanta hu... Hahaha~ Par kya karu? Thoda samay rukiye. Paise mil jaenge. Saala jiske liye case lada tha, wahi haath se nikal gayi. Toh samay toh lagega hi na?
Aadmi : Kya matlab?
Ladka : Case kiske liye lada tha?
Aadmi : Hotel paane ke... Ohhhh!!!
Ladka : Hmmm! Hotel mere under nahi hai. Chheen lii gayi mujhse.
Jii haan! Ye ladka koi aur nahi Pranjal hi tha. Aur uss se baat kar raha phone pe aadmi koi aur nahi... Rajat tha!!!
Rajat : Toh dusra case kar do...
Pranjal : Hahaha~ Nahi nahi Vakeel saahab. Mein phass chuka hu. Ghar se nikaal diya gaya hu. Aap chinta mat kariye. Paise aapke bhijwa dunga. Jitne bhi bache hue hai.
Rajat : Hmm! Paiso ki zaroorat hai mujhe... Toh jald hi bhijwa dena...
Pranjal : Bilkul! Par aap itne tension me kyu lag rahe ho? Itne bade vakeel hoke, itna paise hone ke bawajood aap mere se woh bachi hui maamuli rakam maang rahe ho? Woh bhi itni jaldi me? Haha~
Rajat : Kabhi kabhi insaan apna hi case haar jaata hai. Jese tum haar gaye.
Pranjal : Huhhhh!!? Jaha tak mein jaanta hu... Aapka apni patni ke saath kuch vivaad tha na?
Rajat : Personal life ke alawa kuch ho toh hum baat kare!!?
Pranjal : Hahahaha~ kya vakeel saahab? Auro ki personal life ki wajah se hi toh aapka dhandha chalta hai. Toh yadi aap zara sii personal life apne client ke saath share kar denge toh usme bura kya hai?
Rajat : *sigh* Hmm!!! Mein apna waaris apni patni ke haatho kho chuka hu. Mera beta uske paas chala gaya hai. Paise mujhe isliye chaahiye kyuki bina paiso ke aajkal kuch nahi hota...
Pranjal : Sahi baat! Wese kya naam hai aapki patni ka?
Rajat : Nidhi!!!!
Pranjal : Huhhhhhh!!!!??? Kya naam bataaya aapne???
Rajat : Nidhi!!!
Pranjal : Nidhi... Wo jo xxxxxxx college me hai???
Rajat : Tumhe kese pata?
Aur agle hi pal... Pranjal zorr zorr se hassne laga.
Rajat : Tum hass kyu rahe ho? Isme hassne waali kya baat hai?
Pranjal : Hahahahaha~ Now I came to know... Iss hisaab se aap aur mein... Ek hi shaks se dhool khaaye baithe hai.
Rajat : Huhhh??
Pranjal : Wo kehte hai na. Dushman ka dushman dost hota hai. Aur iss waqt... Aapka aur mera dushman ek hi hai.
Rajat : Whattt??
Pranjal (smiles) : Saari baatein yaha nahi bataunga. Mein address message karta hu aapko. Idhar aaiye. Aapke paise bhi de dunga aur baat bhi bata dunga. Alright?
Rajat : Huh!! Lekin...
*Call ends*
Pranjal phone cut karke wahi sofe par sarr tikaaye baith gaya. Hasste hue...
Uske saamne ek aadmi bhi baitha hua tha. Wo utha aur baahar jaane laga.
Aadmi : Mein jaa raha hu. Aur ab koi fassne waale kaam nahi karna.
Pranjal : Haan haan!!!! Ab sambhal ke hi kadam rakhna hoga. Ye baat jaan gaya hu mein.
Aadmi : Kuch zaroorat ho toh bata dena. Yadi tumne meri baatein suni hoti toh ye sab hota hi nahi. Apni apni mann ki jo karni thi. Kaam aise nahi kiya jaata...
Pranjal : Yeah!!! I know...!!!
Aadmi : Ab jab tak mein na kahu... Koi bhi befaaltu harqat nahi karoge tum.
Pranjal : Hmm!!!
Aadmi : Chalta hu...
Aur woh aadmi darwaaza khol waha se nikal gaya. Pranjal keval usse dekhta raha.
Ussi ke kaaran toh woh yaha aisho araam se jee raha tha. Koi dikkat nahi thi usse.
Koi aur nahi tha woh...
Woh shaks tha...
KARUNESH!!!!!!
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!!!
Fun fact : Ragini jab beer pee rahi thi uske pehle usne sabhi ko neend ki kam maatra me chori chhipe ek dose diya tha. Taaki wo Veer ke sang akele me kuch pal bita sake aur usse koi bhi disturb na kare.
Baaki, likes thokne ka, revos rakhne ka...
Dhanyavaad!!!!
Nidhi (blushes) : Par ye... Tumne blouse bhi banwa liya!!!??? H-How???? Tumne mera size kisne diya?
Veer : Ahem... Keval aapko hi mera size nahi pata hai. I know too.
Yes!!! Aaega...Waiting for next awsome update sir
Plz update soon