- 14,722
- 102,712
- 259
Last edited:
Aage ke updates padhna bhai. Usme scenes zyada switch nahi honge. Maza aaega.Bai story line Acce he,kuc naye Raj ki bat he is update me.....
But 98 update me Kuc maja Nahi aya.....![]()
Dhanyavaad Naik bhaiBahot behtareen shaandaar lajawab update bhai
Mamala tow bahot gambheer hota jaa raha h dekhte ab yeh charo log kis tarah iss mamle ko suljhate h
??
House of the killers arc bro keval Nightwalker tak seemit nahi hai.House of killers shayad aisa kuch hoga jaise - ( just my guess)
Ek bade mansion ya underground complex mein kuch Anjaan logon ko trap kar ke band kar dete honge organisers (criminals).
Guessing is good. But aisa nahi hai.Phir in logon ko koi killers apne apne style se stalk karenge aur unhe hide and seek style mein live cameras ke saamne mare denge. kisi episode mein night Walker, doosre mein koi aur killer feature hoga.
Ye toh swabhaavik baat hai. Harr murderer apni style se hi katl ko anjaam deta hai.Sab killers ka apna apna torture style aur execution signature moves honge. ( like mortal kombat )
Remember! Ju ek boht badi baat bhool rahe ho. Daniel yaha nahi mara hai.Think of Big Boss for killers and sadists!!
And shayad aise hi kisi episode ki “shooting” ke time Daniel us building mein galti se aa gaya aur Mara gaya!!
Filhaal nahi!Am I on the right track sirji?
Ultimate update bro maza aa gayaUpdate - 99 ~ A Night at the Mansion (1)
Ab tak...
Divya : The second criminal...!!!!!
Veer : Huh???
Suhana : !!????
Aur agle hi pal... Usne table par ek paper patalte hue rakha. Ye wahi printout tha...
Usse dekhte hi Suhana ka badan kaanp utha.
Saamne printout me jo tha, wo tha...
Ek wanted paper!!!!
Divya : And his name is...
Veer : ?????
"THE NIGHTWALKER!!!!"
Ab aage...
[Is this the one? Master! Please! Be extra careful. Isse dekh ke mujhe bilkul bhi sahi nahi lag raha hai.]
'Tum akeli nahi ho Pari! I'm getting the same vibes. Yaha kuch boht hi bhayanak humse chhupa hua hai. Kuch aisa, jiske liye shayad hum taiyaar nahi.'
[Mein uss Nik ko kabhi maaf nahi karungi. I will never. Sab kuch uske hi kaaran hua hai. I hate that couple.]
'Nahi Pari! Ye toh hona hi tha. I guess maybe mujhe yaha next mission mil jaaye? Tum jaanti hi ho hume points ki kitni zaroorat hai.'
[Maaasttterrr~ Aap sirf points ke liye apni jaan daav pe nahi laga sakte. Missions ka kya hai? Woh toh milte rahenge. I cannot lose you like this okay? Aap sunn rahe ho na?]
'I'm listening Pari! Par, Aisa kaun sa waqt tha meri zindagi me jidhar mene risks nahi liye? Mera jeevan khatro se hi bhara tha Pari. Abhi bhi bhara hai. Aur aage bhi bhara rahega. Ye baat toh mein tab hi jaan gaya tha jab tum mere andar aayi thi."
[I-I'm so sorry.]
'Pagli! Mein tumhe dosh nahi de raha. Tumhare aane se hi toh mein firse zinda hua hu. I can never blame you. No matter what! You are my soul, Pari.'
[M-Maaaasssttteeerrr! (╥﹏╥)]
Pari aur Veer ke beech bhavnaatmak baate chal hi rahi thi jab,
"I'm dropping you both here. You better survive. I won't come here to pick your dead meat."
Saamne se pilot ne Veer se kaha. Helicopter me woh savaar tha. Aur uske bagal se baitha hua tha, Mike. Jo investigation department se hi tha.
Neeche unke ek hi drishya tha. Ek khubsoorat island!!!
Helicopter thoda neeche hua aur utarne ke liye airstairs ko hawa me neeche gira diya gaya.
'Fuck! Meri phat rahi hai utarne me. Mene kabhi kiya nahi ye.'
[Masterrrr! Don't worry! Bas pakad mazboot rakhna apni. Stay strong maaasterr~]
'Yeahhh!'
Mike ki dekha dekhi kar Veer stairs se utarna shuru kiya aur...
*Plop*
Dono ne zameen par girte hue apne qadam rakhe.
"I'm fucking leaving!! Good luck!!!"
Upar se pilot ne zorr se chillaaya, par helicopter ki ghoomti hui blades ki awaaz ke aage uski awaaz theek se sunaayi na de saki Veer aur Mike ko. Aur copter waha se nikal gaya.
Ek lambi aah chorr Veer ne apne saamne dekha. Uske saamne ye khaufnaak sa island maujood tha. Dur dur tak ped paudho ke alawa kuch nahi dikh raha tha usse.
Sooraj dhal chuka tha, andhera barkaraar tha. Chaand par ghane kaale baadalo ki chaadar bichhi hui thi. Aur mand mand chalti thandi hawaein, jo Veer ke badan me ruye khade kar rahi thi.
Yaha se aage ka raasta usse aur Mike ko akele hi tay karna tha. Wo dono iss island ke chorr par akele khade hue the.
Investigation department ki taraf se copter unhe yaha chorr ke nikal chuka tha. Kuch khaas shabd toh nahi kahe the pilot ne uss se kuch derr pehle. Private detectives se jude logo ko waqai kuch zyaada hi hate de rahe the ye investigation waale.
Kherr! Veer aur Mike aage badhe. Unke paas kaafi samaan tha utility ka. Chaahe emergency torch ho, knife ho, ya kuch bhi. Taiyaari ke saath woh yaha aaye the. Yaha aane se pehle kaafi bawaal bhi hua tha. Jesa ki Pari ne Nik ka zikr kiya.
Ek prakaar se Veer uske hi kaaran yaha tha. Investigation department ke Head Nolan ne saaf saaf Nik ko chetaavni de dii thi ki unke department se ab iss case ko lekar koi bhi apni taang nahi adayega. Unhone ye bhi keh daala tha ki ab tum log hi apni taraf se bhejo kisi ko. Bada shauk hai na private detectives hone ke baad public cases solve karna ka?
Toh lo fir. Diya case! Jao! Risk uthao! Aur saabit karo.
Nateeja? Nik ne Veer ko aage kar diya. Woh bewakoof nahi tha jo khud aisi khatarnak jagah jaake apni hi gaand marwaaye. Aur woh Divya ko bhi nahi bhejne waala tha. Suhana ko bhi nahi bhejta woh. Toh bacha kaun?
Of course! None other than Veer!!!
Aur Veer se toh uski koi pehchaan bhi nahi thi. Divya bhi bada hi flirt kar rahi thi Veer se. Isliye Veer ko khatre me daalne se pehle ek baar bhi usne Veer ke baare me nahi socha. Jalan sach me kutti cheez hoti hai.
Par Mike aisa nahi tha. Jab usne dekha ki kese Veer ko akele maut ke kuye me dhakela jaa raha hai. Toh uss se raha nahi gaya. Veer ka toh koi lena dena hi nahi tha iss case se. Usse faaltu me bali ka bakra banaya jaa raha tha. Isliye usne apna naam bhi aage kar diya. Beshaq, uske iss faisle se kaafi vivaad khada hua par ant me uski baat unhe maan'ni hi padi. Akhir uski marzi thi ye.
Woh Veer ko aise akele nahi jaane de sakta tha. Veer andar hi andar Mike ke prati abhaari tha. Kuch log insaaniyat ke aur dil ke boht hi acche the yaha. Jese Mike...
[I fucking hate that man soooo much!! Humne kya bigaada hai uska?]
"Shhhhh! Mene kaha na Pari! It's inevitable! Ye hona hi tha."
[But still...]
"Shhh!!! Let's get going."
Veer ne Pari ko shaant kiya.
Bagal me chal raha Mike tabhi uss se bola,
Mike (smiles) : Don't worry bro! We'll handle this.
Wo Veer ka confidence badhaane ki koshish kar raha tha.
Veer (smiles) : Sure!
Kuch bhi ho jaaye, Veer Mike ko marrne nahi de sakta tha. Apne mann me hi usne ek commitment baandha.
Yaha aane se pehle Suhana ne bhi kaafi virodh kiya tha. Suhana Veer ko yaha help ke liye laayi thi. Usse marwaane nahi. Jese tese Veer ne usse shaant kar diya tha. Par woh jaanta tha Suhana abhi kitni bechain ho rahi hogi. Jab woh copter me baith ke nikal raha tha tabhi uska chehra dekhne laayak tha. Sach kaha jaaye toh pehli baar Veer ne Suhana ke chehre par apne prati woh bhaav dekhe the.
She never showed but she really cares for him. Yaha tak ki Divya bhi kuch chinta me thi. Shayad uska ravaiyya badal raha tha.
Mike aur Veer aage badhe, haatho me torch thi unke. Ghane ped paudho ke patte hataate hue wo Island me aur bheetar ghuse. Aur jese hi ialand ke beecho beech aaye. Saamne ka nazara dekh unke hosh udd gaye.
Island ke beecho beech unke saamne tha...
Ek khubsoorat par utna hi daraawna sa Mansion.
Badi hi ajeeb sii anubhooti karwa raha tha ye Mansion. Sundar tha, bada bhi tha, par uss mansion me kuch aisi baat thi jo Veer ko aage qadam badhaane se pehle chetaavni de rahi thi.
Ajeeb baat ye thi ki mansion ki lights jal rahi thi. Island me electricity ka koi source nahi tha. Matlab basement me generators pakke se maujood the.
Veer : What do you think?
Mike : Well! I never imagined there would be such a huge mansion hiding in here. And guess what? Lights are on.
Veer : Then that means...
Mike : Yeah! Someone else is inside.
Veer : Other participants?
Mike : Maybe! Or maybe not!
Mansion ki jalti hui lights yahi ishaara kar rahi thi ki koi na koi andar maujood tha.
Mike : We must find whoever it is. We will definitely catch Senior Connor's murderer.
Veer : Hope so...
Mike : Shall we head inside?
Veer : Alright!
Entrance ki orr woh badhe. Entrance par ek bhi guard maujood nahi tha. Koi security nahi thi. Lohe ka bada sa gate tha jisse khol woh andar aaye.
Mansion ke saamne chota sa lawn tha jaha ghaas lagi hui thi, bagal me ek chariot rakha tha safed rang ka par koi ghoda nahi bandha tha uss se.
Andhere me poora Mansion vishaal pedo se ghira hua tha aur woh dono main gate pe pohuch gaye.
Mike ne apne jeb se ek card nikaala aur Veer ko dekha.
Veer (nods) : Do it!
Aur darwaaze ke hi side me ek patla sa slit gap maujood tha. Mike ne jese hi card andar slit me daala toh...
*Click*
Darwaaze se awaaz aayi. Aur woh unlock ho gaya.
Mike : It actually worked.
Veer : The info was true then...
Jankari sach thi matlab. Connor ke akhiri video se unhe iss jagah ka pata chala tha. Ab sawaal ye tha ki Mike ko woh card kese aur kaha se mila? Iski jankaari bhi usne video me hi dii thi.
Slot machines ki street me hi ek aadmi tha jo ye cards bechta tha. Wahi lottery waali slot machines. Yaha sab kuch khufiya tareeqe se hota tha. Uss bechaare ko ye bhi nahi pata tha ki ye cards kis liye hai. Usse bas bechne diye gaye the aur cards bik rahe the, iss baat se hi khush tha woh.
Police usse yu hi giraftaar nahi kar sakti thi. Uss bechaare ko toh ye bhi nahi pata tha ki ye cards kaun bhijwata hai usse. Kyuki delivery wala toh deliver kar ke chala jaata tha.
Inn cards ka istemal island me maujood iss darwaaze ko kholne ke liye hi tha. Koi soch bhi sakta tha aisa? Kuch boht hi badi planning chal rahi thi peeth peeche.
Darwaaza khol jese hi woh andar aaye, andar ka nazaara kuch aisa tha.
Upar ceiling se chandelier latak raha tha. Andhera tha par jagah jagah candles jal rahi thi. Kahi kuch lights bhi jal rahi thi.
Aur ye main hall bhi nahi tha. Ye toh sub hall ki tarah tha. Neeche bada sa carpet biccha hua tha jo saamne darwaaze ki orr jaake khatam ho raha tha.
Shayad wahi main hall ka entrance tha.
Mike : Let's go!
Veer : Yeah!!!
Mike aur Veer apne dil ki tezz dhadkano ko thaam aage badhe. Hall ka gate bhi khula hua tha.
Jese hi unhone gate khola, unhe ek hallway nazar aaya.
Jagah jagah paintings lagi hui thi deewaaro par, jo kisi ke ateet ko baya kar rahi thi. Neeche biccha khubsoorat sa kaaleen. Iss area me lighting sub hall ke muqaable zyada thi.
Wo andar ki orr gaye aur jese hi wo enter kiye,
Veer : Huhh???
Unhe waha 6 log aur dikhaayi diye. Jinme se 4 ladke the aur 2 ladkiya.
"What the hell? More people are coming? But that's actually good."
Sofe pe baitha ek ladka unme se bola.
Veer : These guys...
Tabhi ek ladki jo kareeb 27-28 saal ki lag rahi thi woh uth ke aayi aur Veer aur Mike ke ird gird ghoomne lagi. Fir boli,
Ladki : You guys! Are you here for the bars too??
Veer : Y-Yeaahhh!!!
Uss ladki ne sawaal kiya. Kya Veer log bhi idhar bars ke liye aaye the? Veer ne jawaab haan me diya.
Bars!!! Samjhe? Golden bars!!! Bole toh sone ke biscuits.
Mansion me 10 million dollars worth ke golden bars maujood the. Alag alag jagaho par. 10 million bole toh kareeb kareeb 79 crores, 84 lakh, 55 hazaar ke aas paas ka rokda.
Aur shayad yaha maujood baaki log bhi issi ki talaash me the.
Ladki : Ohhh! I'm Emma by the way. A nurse by profession.
Mike : Nice to meet you! I'm Mike. Just a graduate. And he's Veer, my friend.
Mike ne apni identity jaan boojh ke chhupa lii.
Emma : Veer? Strange name! But you are hot though. I will give you that. *wink*
Emma khubsoorat thi. Par Veer ko usme koi interest nahi tha. Uski nazre jiski taraf gayi woh koi aur hi thi.
Black denim jacket daale woh bookshelf ke paas khadi hui thi. Aur unhe hi dekh rahi thi. Khaaskar Veer ko. Ek sundar vyakti dusre sundar vyakti ki taraf aakarshit hota hai. Ye baat sach thi.
Khubsoorti ka uska koi jawaab nahi tha. Sonia aur Kaera ki takkar ki thi woh yadi chehre ki khubsoorti ki baat ki jaaye toh.
Usse dekhte hi...
*Ding*
[Name : Zoey Clarkson
Age : 27
Bio : Zoey ek model hai. Par paiso ki tangi ki wajah se woh apni life me aage nahi badh paa rahi hai. Khubsoorat hone ke bawajood usse Model contracts zyaada mil nahi paa rahe kyuki woh nudity ya intimate photoshoots pe nahi utarna chahti. Financial condition kaafi gir chuki hai. Kisi se gupt jankari usse mili hai ki island ke iss Mansion me khazana chhupa hai. Woh apna luck azmaane aayi hai yaha. Ghar me uska koi nahi hai. Toh apni jaan ki parvaah kiye bina woh ek akhiri baar apni kismat azmaana chaahti hai.
Favourability : 4
Relationship : Strangers.]
'I see!!!'
Emma dekh rahi thi ki Veer Zoey ko nihaar raha tha aur Zoey bhi usse dekh rahi thi. Ye dekhte hi andar hi andar woh jal bhun gayi.
Woh bhi yaha maujood thi. Fir uski sundarta par koi kyu dhyaan nahi de raha tha? Aisa nahi tha ki Emma sundar nahi thi. Bas, Zoey ke saamne woh thodi feeki lag rahi thi. Zoey kuch zyada hi aakarshak thi.
Mike : And who are they?
Emma : The girl over there. She's Zoey! A model. And these guys are, Jacob, Tommy, Chester, and Ronnie.
Ek ek karke Emma ne unka parichay diya.
Emma : We got familiar just few minutes ago.
[Dekha master!!!! Ye bilkul wesa hi hai jesa Connor ne bataya tha. Alag alag log yaha aate hai. Aur raat guzaarte hai. Golden bars ko dhundne ke liye jo yaha kahi na kahi chhupe hue hai. Par raat me hi...]
'Yeahhh!!! The NIGHTWALKER!!!'
[Yes Master~ Abhi 7:30 hua hai time. Connor ne bataya tha raat 9 baje se shuru hota hai sab.]
'Hmm~ Hamaare paas dedh ghante hai yaha ki territory ko dimaag me baithaane ke liye. Pari!!!'
[Don't worry Master! Path Tracker on hi hai. Mansion boht bada hai. Mene off nahi kiya hai usse.]
'Good job!!!'
Connor ne jab video banaya tha, tab uska connection department se cut ho chuka tha. Mansion me network nahi milta hai. Dusri bhaasha me, phone calls nahi lagaaye jaa sakte aur na hi receive kiye jaa sakte hai.
Iska matlab, Divya aur Nik ko jo video mili woh NIGHTWALKER ne khud hi bheji thi unhe shayad.
Veer aur Mike ko ye raat apne hi bal bute par guzaarni thi. Veer ne harr ek ke naam dimaag me baitha liye the.
Emma jo nurse thi, Zoey ek model. Jacob ek fashion designer ka assistant tha. Tommy aur Chester ka group band tha aur Ronnie ek choti si company ka employee. Sabhi paiso ki tangi ki wajah se hi yaha the.
Mann me dherr saare sawaal aa rahe honge. Ki yadi ye crime yaha ho raha hai, toh police seedha dhaava kyu nahi bol deti yaha? Par jitna asaan ye dikhta tha utna tha nahi.
Ye Mansion band rehta tha. Keval chuni gayi dates par hi khulta tha ye. Aur aaj woh chuni gayi dates me se ek date thi.
Mike ne jo Card use kiya tha kuch derr pehle usme date mentioned thi. Aaj ki date.
Aur toh aur... Govt. police ki madad karne se katra rahi thi. Police department me restrictions thi kuch. Yaani ye jo kaam ho raha tha woh tha toh illegal. Par legally iss par koi rok nahi lagayi Jaa rahi thi.
Ye ek boht badi baat thi.
Emma : So? What are we gonna do?
Jacob : The NIGHTWALKER is real right? I heard rumours about him.
Emma : What do you mean?
Ronnie : The NIGHTWALKER!! He's a protector of the treasure. I have heard about him. He kills those people who try to steal the treasure.
Emma : Wh-Whaaattttt??!
Emma ko iss baare me koi jankari nahi thi ki yaha koi Nightwalker naam jesa bhi kuch tha. Woh toh yaha paisa kamane aayi thi. Kya matlab Nightwalker unhe maar deta hai jo khazana lene aate hai? Emma ki ab phat rahi thi.
Tommy : Of course! What were you expecting? Will someone allow you to steal his treasure just like that? We have to survive this night. A killer will be roaming here freely to kill the one amongst us who tries to steal the treasure.
Chester : Yeah!!! It's just like that. Do or die.
Emma : Whaaatttttt??? N-No waayyy! I-I'm fucking leaving. I don't wanna die.
Emma ne jab ye baat suni toh darr ke maare uske perr kaapne lage. Tommy ne kaha tha ki raat me ek killer mansion me ghoomta hai. Aur unn logo ko maut ke ghaat utaar deta hai jo bhi raat me uski nazro ke saamne aate hai.
Emma bhaagte hue baahar nikalne ko hui par jese hi woh main hall ke gate par pohuchi aur usse kholi...
Uski ghabraahat aur bhi badh gayi. Main hall ka gate band ho chuka tha.
Emma (screams) : Fucking open the goddamn door.... Aaaarrghhhhh!!! Open it!!!! I DON'T WANNA DIE HERE! I WANT TO LEAVE!!!
Par darwaaza nahi khula. Tabhi ek awaaz aayi aur unn sab ko sunaayi dii. Awaaz buland thi par usme ek kharaash thi, Daraavni thi woh awaaz.
"Welcome to the Nightwalker mansion!
You chose to come here. You purchased the card. Now you cannot leave the mansion until tomorrow morning."
"Rules are pretty simple!!! Survive the night! 10 million worth of gold bars are hidden in this mansion. If any of you can find them, you can take them away."
"Game will begin sharp @ 9 PM"
"Remember! You can only search the Mansion for half an hour during intervals. In other words, 9-9:30 will be your search time. After 9:30 Nightwalker will walk through the mansion. If he finds anyone of you roaming. YOU WILL BE KILLED."
"He will walk till 12 AM. Then, again you can search the Mansion for half an hour. After 12:30 he will walk till 3 AM. Again a half hour will be alloted. And last time will be Nightwalker walking from 3:30 AM till 6 AM"
"There are many rooms on both the floors. You can choose whichever you want."
"It's 8:00 PM now. You have 1 hour. You can do whatever you want to do. Remember the time. Sharp 9 PM."
"Good luck!"
Aur awaaz band ho gayi. Awaaz aayi toh intercom se hi thi par Veer ko kahi koi intercom nazar nahi aaya.
[Maaasterrrr~]
Pari ki ek chinta janak awaaz Veer ke mann me goonji,
'Don't worry Pari!! Mein apna dhyaan acche se rakhunga.'
[Yes please!!! Mujhse jitna hoga mein aapki madad karungi.]
Uss awaaz ke band hote hi sabhi ek dusre ko dekhne me lage hue the.
Emma (screams) : WHAT THE HELL IS THIS? YOU ARE TELLING ME A KILLER IS THERE IN THIS MANSION WITH US????
Ronnie : Seems like it.
Emma : This is bullshit... How the fuck can I search the bars if someone is roaming outside to kill me?
Rules simple the. Theek 9 baje maut ka ye khel shuru hona tha. Teen interval diye gaye the. 9 se 9:30, 12 se 12:30, aur 3 se 3:30 tak ka samay. Yaani kul milaake dedh ghante.
Iss dedh ghante ke samay me aapko bars dhundne the. Yadi aap dhundh sakte ho toh dhundho. Par baaki ke samay me, Nightwalker poore mansion me ghoomega. Yadi koi bhi usse nazar aaya toh...
Maut!!!
Veer thoda chintit tha. Emma ki toh phat ke hi chaar ho chuki thi. Par baaki sabhi kaafi relaxed lag rahe the.
Chester : Huhh? That's it??? Man!! This is so easy. We can search for half an hour and when that time ends. We can head back to our room. Simple right?
Zoey : Is that Nightwalker even real?
Zoey ne pehli baar kuch kaha. Veer aur uski nazre ek baar fir takra gayi.
Mike : Hmm! Yes! I can say for sure that the Nightwalker is real. It's not a myth or legend. He's here.
Tommy : Wait!!! What if he's one of us???
Zoey confirm kar rahi thi ki ye Nightwalker sach me hai bhi ya nahi? Kahi ye koi afvaah toh nahi hai? Mike ne bhi Connor ki video dekhi thi. Beshaq, Nightwalker ka mask bhi dekha tha usne uss video me. Isme koi shaq nahi tha ki woh hai. Aur issi Mansion me hai. Shayad woh awaaz bhi ussi ki thi? Kisse pata? Par itna zaroor pata tha ki woh hai yaha par.
Par Tommy ki baat ne ek baar fir unhe chinta me daal diya. Kahi unhi me se ek Nightwalker toh nahi tha?
Mike : I don't think it's plausible. Nightwalker is someone else. Maybe the one who told us about the details? Or maybe someone else? And if he's among us, then we can easily identify him. Whoever will be absent during our group meeting. Only he/she can be one.
Mike ne samjhaate hue kaha. Uska kehna tha ki yadi aapas me se koi Nightwalker nikalta bhi hai toh bhi usse asaani se pakda jaa sakta hai. Group meeting ke dauraan jo bhi unke beech gaayab rahega. Uske upar hi shaq jaega.
Jacob : We should select a room first. We can keep our bags there. And then how about taking a stroll in the Mansion? That way we can get familiar with our surroundings.
Chester : Definitely! Sounds good!!!
Jacob ki raay sabhi maan gaye. Uska kehna tha ki jo ye ek ghante ka samay mila tha. Kyu na hum uss ghante me apne apne room select kar usme samaan rakh de aur baahar nikal ke Mansion ka ek chakkar lagaaye taaki hume pata chal sake kaun sii jagah kidhar par hai.
Idea bura nahi tha. Aur yadi Jacob ye baat nahi bhi rakhta toh bhi Veer ek chakkar mansion ka maarta hi.
Zoey : Alright!
Tommy : Yes!!! That's it guys. Let's meet here after 15 minutes.
Ronnie : Okay!
Emma : J-Jacob, Can I stay in the room beside yours?
Jacob : Ohh sure!!!
Ronnie, Jacob, Tommy, Emma, Chester ye sabhi upar chadhe aur baayi orr mud ke baayi taraf hallway me chale gaye.
Toh wahi Veer aur Mike aage badhe, unke peeche Zoey thi.
Jese hi woh waha pohuche unke saamne do corridor ke liye raste the. Ek baayi orr jaa raha tha jaha woh sabhi abhi gaye hue the. Aur ek daayi orr.
Veer : Which one?
Mike (smiles) : I always do my things right!
Veer (smiles) : Let's go then!!!
Mike ke kehne par dono aage badhe aur daayi orr mud gaye. Khaas baat ye thi ki Zoey bhi unke peeche thi.
Veer ne peeche palat usse dekha toh ek baar fir unn dono ki aankhein ek dusre se mili. Par dono ne hi kuch kaha nahi. Veer ki pride aur attitude usse conversation strike karne se rok rahi thi. Alpha male instincts active the uske. Ab woh unn ladko me se nahi tha jo laundiyo ke peeche bhaag ke unki chaate.
Ladkiya khud-ba-khud uske paas aati thi. Uski pehchaan hi ab aisi thi.
Mike toh friendly tha hi. Usne hi baat shuru kii,
Mike : You are not going with them?
Mike ne pucha. Zaahir hai ki Zoey unke saath khadi hui thi. Par fir bhi woh abhi veer aur uske saath aa rahi thi.
Zoey : I trust you guys more than them.
Veer : !!!???
Mike : Hahaha~ I see! So that's how it is. Veer! I'm choosing this one.
Mike ne ek room ke darwaaze ke baahar rukte hue kaha.
Veer : Alright! I'll choose the one next to you.
Woh aage badha aur jese hi room ke baahar ruka woh toh uska dhyaan darwaazo aur room numbers pe gaya.
Veer : Hmm?
Darwaaze ki banawat alag kism ki thi. Rectangular Bars bane hue the darwaaze me.
'Iss Nightwalker ko golden bars ka itna shauk hai ki darwaaze par bhi bars banwa diye!? Haha~'
[Yeah!!!]
Jis prakaar se rectangular bars ek chocolate me hote hai. Kuch ussi prakaar darwaaze ka structure tha. Veer ne jese hi darwaaza khola usse aashcharya hua.
'Ohhhh~'
Darwaaza kaafi bhaari tha.
'Hmm? That's weird!'
[Room number?]
'Yeahhh!!! Pari!!! Mike ka room number mere se ek kam ya zyada hona chahiye. Uska room mere bagal se hi hai. Par uska room number toh kuch aur hi tha. Yaha ki numbering lagta badi hi ajeeb hai.'
[I agree master! Yaha ki kaun sii cheez ajeeb nahi hai? Fucking everything!]
'Hahahaha~ Ye baat bhi sahi hai.'
Zoey Veer ke peeche se nikalte hue aage gayi aur Veer ke bagal waale room me ghus gayi. Ghusne se pehle ek baar usne Veer ko zaroor dekha.
[Hehehe~ She's interested in you.]
'Ohhh shut up! Favourability tumne dekhi nahi kya? 4 thi.'
[Toh fir woh aapke saath kyu aayi? Woh bhi aapke bagal waale room me? *sniff *sniff* I smell curiosity here.]
'Hahaha~ Tum overthink kar rahi ho Pari. Usne kaha toh. Woh humpe zyada bharosa kar rahi hai. Aur dusri baat, mene pehle Mike ke bagal wala room le liya. Toh woh zaahir hai ki mere next wala hi room choose karegi. Bhala akele hoke woh humse dur waala room kyu lena chaahegi?'
[Hmm... But still! I can tell... I'm a girl too.]
'Naah!!!'
Veer ne apna bag andar room me rakha. Room accha tha. Par uske bawajood scary vibes de raha tha.
Bag rakh sabhi ussi hall me ikhatta hue. 15 minute baad milne ka decide kiya tha unhone.
Sabhi ekatr hue aur sabhi ne mansion me ghoomna shuru kiya ek saath. Mansion itna bada tha ki sabhi stabdh the ye jaanke.
Aur ghoomte ghoomte unki asli gaand tab phati jab unhe pata chala ki washroom ek hi tha poore Mansion me.
Woh bhi ground floor par. Woh sabhi toh upar wali floor par the. Upar se kitchen bhi ekdum end me tha. Pani ki supply toh yahi thi. Ye toh dikkat waali baat thi.
Ghoomte ghoomte woh ek aise hisse par pohuche jaha ajeebo gareeb paintings latki hui thi.
Veer unn paintings ke nazdeek pohucha...
'These are weird!! Check!!!'
*Ding*
[One of the paintings collected by Noah.]
'Noah?? Ye Noah kaun hai? Yaha ka maalik? Ya past me jo yaha tha?'
[I don't know master! Par aap bas apna dhyaan rakho. Don't care for Money or anything else. I want you to be safe. That's it.]
'Tum toh meri maa bann rahi ho Pari! Haha~'
[Because I love you. You know that. Aur aap jaante hi ho mera kya haal hota hai. Why don't you understand?]
'Wese...'
[Hmm?]
'Kya meri maa waqai meri chinta karti hai? Asli maa...'
[Don't get emotional. She definitely loves you.]
'Unki taraf se abhi tak koi response nahi aaya hai Pari. Unhe Pendant dikhane ke baad bhi.'
[Thoda intezaar kijiye. Woh zaroor aapko dhundhne aaengi.]
'Kaash....!'
Poora mansion ghoomne ke baad.
Neeche rakhi badi sii ghadi ka ghanta baj chuka tha.
*Ding Dong*
Ghadi se chidiya nikal kuku kuku kar rahi thi. 9 baj chuke the. Intercom se iss baar koi awaaz sunaayi nahi dii thi.
Aadhe ghante tak unlogo ne dhundha par kahi koi khazana nahi mila.
Zoey : We didn't try harder. What if money is hidden in the basement? Or maybe behind the paintings? You know what I mean?
Tommy : Definitely! We will do that in our next shift.
Aur yahi soch sabhi apne apne kamre me chale gaye.
Kyuki Nightwalker ke ghoomne ka samay shuru ho chuka tha.
Sab ne andar se apne room ko lock kar liya. Raat me woh ghoomta tha, tabhi uska naam pada tha. Nightwalker!!!
Khauf ke maare sab andar dubak gaye. Veer bistar par lete kuch soch raha tha jab achanak hi...
"Eeeeaaarrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhh"
Ek raungte khade kar dene waali cheenkh poore mansion me goonj gayi.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad! Like thokne ka aur comments karne ka. Matlab revos chhaapne ka.
Keep supporting!![]()
Bhai dhikhi nhi hone ka...warna nightwalker aake apko kachha chaba jaayega....bhai mere kheyal se aise revo bahut kam hai....or tention nhi lene ka....or jo apke revo achhe se deta hai usike liye hi sahi update dijiyega please... I'm extremely sorry for this....Writer itni mehnat se likhta hai. Baar baar wahi shabd jab dekhne ko mile toh zaahir hai dukh hota hai.
Ye bahana hai ki 'mujhe review dena nahi aata.'
Review dena koi rocket science nahi. Keval jo update ke baare me aapko vichaar aaye usse likhna hota hai. Yadi real life me mein ju ko koi samaan dikhau, let's say ki mene ek bike dikhaayi. And I asked you how it is? Toh kya jawaab doge? Nice bike? Fir mein car dikhata hu. Fir kya kahoge? Nice car? Nahi!! Harr ek cheez par vichaar alag alag muh se niklenge. Bas wahi yaha karna hai.
Par logo ne ye aadat bana lii hai ki mujhse review dena nahi aata baba. Keyboard tumhara, internet tumhara hai, network tumhara hai, shabd hai tumhare paas. Toh fir kyu katraana hai?Harr story me. Harr update pe wahi reply.
Boht dukh deta hai mujhe. Fir bots aur readers me farq kya reh gaya? Kisi ko bhi itna alaal nahi hona chahiye.
I'm sad...Inki tadaad badhti jaa rahi hai.
awesome. Bhai apke Story ka koi jawab nahi mast bole toh jhakaasss. Bhai mera apse ek sawaal hai Kya nidhi ko dusri life jeene ka start krne ka adhikaar nahi hai? OR agr hai to veer ke sath usko settle kr do Bhai nidhi ek mature Lady hai nidhi ne bure wqt me veer ko smbhala agr main kahun veer aj jo kuch bhi hai uski wajah nidhi hai to glt nahi hoga. Wese bhi Maine logo se suna hai shadi usse kro jo Mature ho apki life ko ache bure wqt me sath de Supporting Ho caring Ho nidhi me woh sb kuch hai. Jb ragini ko maaf kr skta hai to nidhi ko apnane me Kya buraai hai. Ab zara ate hai update pe toh veer ne ragini ko suman ko training dene ke liye mana liya hai jo agey veer ko kaam ayegi. 31st ke night bhi ache manaai jisme nidhi ke sath kasmakash Hi sahi lekin veer ne Kuch wqt bitaya jisme jhappi daalne ka mission mila jisme woh kamyaab bhi hua ab system 5th level pe upgrade ho gya hai. Dekhte hai ab Kya hota hai..Update - 49 ~ The Last Day of the YearAb tak...
Bechaara Veer jawaab ke taur par kuch bhi nahi sunn paaya.
Par...
Nidhi na jaane kya soch rahi thi. Par uski nazre ek jagah hi tiki hui thi. Saasein pehle se thodi tezz. Aur unn aankho ke saamne uske baal the jo uske expression ko chhupaaye hue the.
Kya hone waala tha kal!? Inke iss plan me!? Toh wahi Pranjal aur Vivek ke plan me!? Aur saath hi saath... Slogan!!!! Jiski activities Veer ke palle nahi pad rahi thi.
Ab aage...
31st December...
At Morning...
Kal Shreya se jab Veer ki phone par baat hui thi toh Veer ki haami liye bagerr hi Shreya ne usse apne plan me shaamil kar liya tha. Aur tay hua tha ki aaj ki raat Veer, Shreya, Nidhi aur Juhi sabhi saath me enjoy karne jaenge aur late night tak naye saal ka swaagat kar thoda celebration kar ke hi ghar lautenge.
Veer ko uss mission ke 200 points mil chuke the par abhi tak usne unn points ko spend nahi kiya tha siwae 10 points ke. Usne Appearance me 10 points kal raat me hi invest kar diye the. Aur ab uske stats kuch iss prakaar se the.
[ Stats :
Strength - 56/100
Intelligence - 70/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 50/100]
Veer shayad apne bache hue points ko ekdum effectively use karna chaahta tha. Shayad shop me aisi kisi anokhi skill ki talaash thi usse jo uske behad kaam aa sake.
'Show me my full status Pari!'
[Sure thing, Master!]
[Name : Veer
Age : 21
Status : Student
Stats :
Strength - 56/100
Intelligence - 70/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 50/100
Skills :
1) Sex Protection : ON (Silver Tier Skill)
2) Basic Martial Arts Skill (Bronze Tier Skill)
3) Hawkeye (Diamond Tier Skill)
System's Internal Features :
Check-I, Check-II, Path Tracker, Past Illustration.
Relationships :
1) Suman : Loyal Slave (Favourability : 84)
2) Aabha : Familiar (Favourability : 58)
3) Sonali : Familiar (Favourability : 30)
4) Ragini : Close Friend (Favourability : 60)
5) Nidhi : Close Friend (Favourability : 52)
6) Shreya : Close Friend (Favourability : 64)
7) Juhi : Best Friend (Favourability : 85)
8) Suhana : Close Friend (Favourability : 59)
9) Sonia : Good Friend (Favourability : 50)
10) Kavya : Very Close Friend (Favourability : 80)
11) Arohi : Good Friend (Favourability : 55)
12) Bhumika : Familiar (Favourability : 20)
13) Shweta : Familiar (Favourability : 8)
System Level : Level 4
(56 EXP more to reach Level 5)]
'Hmm!! I need to earn money and need more points. Meri priority yahi hai abhi.'
[Right master!]
'So!? Umm... Miss Kaera ki favourability nahi dekh sakta kya mein!?'
[Dekh sakte ho but not now. Yadi kisi ka status nahi dekh sakte toh aap uski Favourability bhi nahi dekh paoge.]
'Hmm! I see! Alright! Let's go...'
Aaj Veer ke 2 jagah plans the. Ek toh wahi Shreya aur baaki sabhi ke saath raat ka plan tha aur dusra Ragini aur baaki sabhi ke saath.
Jab Veer ne ye baat bataayi thi ki wo raat me free nahi rahega, ye sunn ke Ragini kaafi udaas ho gayi thi. Par usne behla fusla ke Ragini ko jese tese mana liya aur din me ghoomne chalne ko keh diya. Yaha Veer ko ek aur baat jaan'ne ko mili ki Kavya aur baaki sabhi parivaar ke saath kul devi ke mandir ke liye subah nikal chuke the.
Beshaq! Veer iss achanak trip se unki thoda aascharya chakit tha par usne zyaada nahi socha. Kavya ka kehna tha ki uske Dada jii ne Veer ko saath le chalne ke liye bhi bola tha par Vivek ne beech me kood kar Dada jii ke kaan bhar diye aur wo baat wahi tal ke reh gayi.
Kherr! Aaiye, toh wahi chal ke dekhte hai ki waha kya chal raha tha iss waqt...
Iss samay subah ke 8 baj rahe the aur sabhi ghar waale do badi badi gaadiyo me baithe hue the apni aur apne gaav ki orr jaa rahe the.
Veer ke parivaar ke poorvaj saalo se uss devi mata ki pooja karte aaye the aur uss mandir ki sthaapna bhi unke poorvajo ne hi kii thi par jese jese samay guzarta gaya aur aane waali peedhi sheher se judti gayi, wo mandir dheere dheere waha ke trust me samarpit kar diya gaya.
Kaaran!? Kaaran tha ki ab Veer ka parivaar sheher me panap raha tha aur ghar ka koi sadasya roz roz mandir ki dekh bhaal ya chakkar lagaane ke liye kisi ke paas itna samay nahi tha. Toh uss mandir ko wahi ke trust me samarpit kar diya gaya. Ab uss mandir ki poori zimmedari unn trust waale logo ki thi.
Par aaj bhi, jab bhi Veer ka parivaar, khaas kar Manorath jii jab bhi waha jaate the, gaav ke sabhi log unhe bade hi aadar aur satkaar ke saath unka swaagat karte the. Yaha tak ki wo ye bhi kehte the ki ab bhi ki wo mandir unhi ka hai aur hamesha unhi ka rahega. Shayad aaj bhi unki acchi khaatirdaari hone waali thi.
Unn do cars me se, ek car me Brijesh sang Bhumika, Shweta, Kavya aur Manorath viraajmaan the.
Toh wahi dusri me Karunesh sang Sumitra, Vivek, Arohi aur Pranjal.
Dono hi car me do drivers the. Sheher se kuch ghanto ki duri par hi unka gaav tha.
Kavya : Dada Jii aapne... Veer bhaiya ko nahi bulaaya!?
Manorath : Beta mene kaha tha par Vivek bola ki aaj Veer shayad kahi aur jaa raha hai... Meri toh koi sunta hi nahi hai. Jese jese budha hota jaa raha hu, meri baato ko ab log hawa me udaate jaa rahe hai.
Brijesh : Papa jii... Aisi baat kyu keh rahe ho aap!? Hum sab aapki baat maante hai. Ab uss baare me charcha mat kariye aap. Mandir jaa rahe hai, accha mood rakh ke chaliye.
Brijesh ki iss baat pe sabhi shaant pad gaye. Wo aage driver ke sang baitha hua tha. Toh wahi peeche side ki seat par Manorath aur unke bagal se Kavya, fir Bhumika aur fir Shweta.
Bhumika : Aaj saari responsibility Nandini ko deke aayi hu Mom.
Nandini unke hotel ki manager thi. Jo sab kuch badi hi acchi tareeke se manage kar leti thi.
Shweta : Hmm! Chinta ki koi baat nahi hai. Wo acche se dekh legi.
Bhumika : Hmm! Bas koi bada client ya guest na aa jaaye. Aur aisa na ho ki kuch problem ho jaaye.
Shweta : Don't overthink! Just enjoy the day mera baccha...!
Bhumika (smiles) : Hmm!
Aur kuch ghanto ki doori tay karne ke baad hi wo pohuch chuke the apne kuldevi ke mandir.
Sabhi ka waha harr baat ki tarah bade hi aadar ke saath swaagat kiya gaya. Saath hi saath waha unke rukne aur khaane ki bhi vyavastha kii gayi.
Darshan kar lene ke baad sabhi khaana khaane me lage hue the jab Vivek aur Pranjal aapas me baith na jaane kya baatein kar rahe the.
Pranjal : Saara plan ready hai bhaiya... Bas derr hai toh usse anjaam dene kii...
Vivek : Nahi chote... Aaj nahi...! Hume wese bhi kal nikalna hai. Aaj risky hai. Kal karna... Wese bhi yaha se naashta karne ke baad hi niklenge hum.
Pranjal : Thik hai bhaiya! Kal sahi fir...
Na jaane dono kis plan ko anjaam dene ki baat kar rahe the.
***
Idhar Veer din me apne parivaar ke saath ho rahi baato se anibhigya Ragini aur baaki sabhi ke saath aaj ghoomne nikla hua tha.
Par achanak hi raaste me usse nazar aaya ki kuch ladies kisi kapde ki sale par humgama kar rahi thi.
Veer : Kya ho raha hai udhar!?
Ragini : Virodh!
Veer : Virodh!? Kesa virodh!?
Ragini : Umm... Wo dekho na... Mahila mandal jama ho gaya poora udhar. Kisi sale ki peeche ladaayi ho gayi hai. Shayad kuch ghapla kiya hai sale waale ne. Isliye aurate itni awaazein laga rahi hai.
Aur waqai! Jab Veer ne dhyaan se dekha toh usse samajh aaya ki naye saal ki sale ke bahaane kapdo ka business karne waala aadmi kuch phate aur bekaar pieces ko nikaalne ke liye ye sale rakha hua tha. Aur wo kapdo ki wrapping ko kholne nahi de raha tha.
Jab kuch aurato ne khol ke kapdo ki jaanch kii toh unhone dhaava bol diya. Ittefaaq se mahila mandal wahi se kahi aur jaa rahi thi aur ye virodh dekh wo bhi unke saath jud gayi aur poori tarah se waat laga dii uss dukaan daar kii.
Ragini (sighs) : Harr sale me kuch na kuch hota hi hai.
Veer bade hi dhyaan se sab kuch dekh raha tha aur achanak hi jese uske dimaag ki ghanti baji aur agle hi pal uske hontho par ek muskaan bikhar gayi.
Veer : Bhabhi!
Ragini : Hmm!?
Veer : Meri aap se ek request hai. Aap poori karogi!?
Ragini : Hmm? Okay! Kya baat hai!?
Veer : Kya aap... Kya aap Suman jii ko sheher ke poore taur tareeke sikha sakti ho? Mera matlab hai saare niyam kaayde, khareed-daari se leke devices ko operate karna sab kuch. Ek modern vyakti ka poora knowledge jitna apa de sakti ho... Kya aap kar sakti ho?
Ragini (surprised) : Huh!? P-Par ye ekdum se aise kyu!?
Veer : Suman jii ne mujhse hi khud kaha tha. Kyu hai na!? Suman jii!?
Suman : E-Ehhh!? Ohhh! Haa haa! Mene kaha tha...
Suman baat ko samajh forun hi haa me sarr hilaayi aur apni razamandi dii. Par uski samajh me nahi aa raha tha ki uske maalik ke dimaag me akhir chal kya raha tha.
Ragini : O-Okay! Mein apni poori koshish karungi inhe sab kuch bataane me...
Veer (smiles) : Thank you Bhabhi!
Ragini : Umm... It's okay!
Lunch ke samay, Ragini aur Veer agal bagal hi baithe the jab Veer ne Ragini ke chehre par maayusi ko turant hi bhaanp liya...
Veer : Aap pareshaan lag rahi ho Bhabhi!
Ragini : Huh!? N-Nahi toh!? Mein bhala kyu pareshaan hone lagi!?
Veer : Jhooth mat boliye! Mujhse toh bilkul bhi nahi! Vivek bhaiya ka call aaya tha na!?
Veer ki baat sunn Ragini iss baar dheere se haa me sarr hilaayi aur apne nigaahe neeche kar baith gayi.
Veer : Kya kaha unhone!?
Ragini : Wo... Wo sabhi aaj hamaari kuldevi ke mandir gaye hai.
Veer : Unhone aap ko bhi bulaaya hoga!?
Ragini (nods) : Umm...
Veer : Toh!??
Ragini ne apni nigaahe upar kar ek pal ke liye usse dekha... Unn aankho me nami jo panap rahi thi wo Veer asaani se dekh paa raha tha.
Ragini : I... Mein... Mein kabhi bhi mandir ke naam par devi ka tiraskaar nahi karti mana kar ke... Par...
Veer : ....
Ragini : Par...
Veer : Aapka mann nahi kiya zara bhi...
Ye vaakya sunn Ragini chaunki aur Veer ko ghurne lagi.
Bhala uske mann ki baat Veer ne kese bhaanp lii thi!?
Veer : Itne dino se aap ke saath reh raha hu. Thoda boht toh mein bhi aapko samajhne laga hu.
Kehte hue usne jese hi apna haath Ragini ke haath ke upar rakha toh bechaari Ragini ki idhar haalat hi bigadne lagi. Wo phati aankho se Veer ko ghure jaa rahi thi.
Uske gulaabi honth khule... Par keval halki sii hawa hi baahar nikli, koi shabd nahi.
Aur aankhein jyo ki tyo Veer par tiki thi.
Veer : I don't know ki aap kya decision logi. But aap jo bhi decision logi. Hum sab aapke saath hai. But if... Yadi aapne Vivek bhaiya se sach me alag hone ka decision liya then... I was wondering ki... Kya hum aise hi reh paenge!? I mean... Fir aap uss ghar ki sadasya nahi rahogi aur mera aur Suman jii ka aapke ghar rukna...
Wo apni baat aage rakh paata ki uske pehle hi Ragini ne apna haath uske hotho par rakh usse rok diya.
Ragini : Veer! Mein uss parivaar ki sadasya rahu ya na rahu. Tum aur Suman jii mere apne sadasya ho. Wo ghar mera akele ka nahi hai. Tum sabhi ka bhi hai. Aur kya karungi mein itne bade ghar me akele reh ke!? Bhulo mat Veer... Tum bhi... Uss parivaar se alag ho chuke ho. Toh aise me yadi mein bhi hoti hu... Toh... Aren't we the same!?
Usne muskuraate hue kaha par Veer jaanta tha. Ki uss smile ke peeche kaafi kuch chhipa hua tha. Jisse shayad vyakt karna abhi Ragini ke bas me nahi tha.
Aur bilkul wesa hi hua... Bhaavuk hote hue Ragini ne forun hi apna chehra ferr liya aur jab usne dekha ki Suman samet sabhi counter se waapas uski aur Veer ki taraf aa rahi hai toh forun hi apni aankhein mal seedhi hokar baith gayi.
Ant me unn sabhi ne thoda enjoy kiya jiske chalte Ragini ka mood kaafi hadd tak theek ho chuka tha.
Par ab samasya thi raat ki...
Veer ko Nidhi ko jo face karna tha. Wese toh Nidhi ne usse maaf kar diya tha. Par...
Pratkyash aamne saamne milna ek alag baat thi.
Aur zaahir hai ki dono ke beech awkwardness barkaraar rehne waali thi.
***
31st December...
At Night...
Veer apni bike par tha aur wo theek Nidhi ki society me hi neeche khada hua tha jab Nidhi samet Juhi aur Shreya neeche utarti hui aayi.
Shreya : Arre kya koi mehmaan ho tum haan!? Jo ek minute ke liye bhi upar nahi aa...
Par uske bol wahi tham gaye jab usne paas aate hue Veer ko dekha.
Appearance me 10 points daalne ka asar tha ye!?
Shreya (blushes) : You... You look good!
Veer (smiles) : Thanks!
Shreya (blushes) : Aisa... Aisa kya laga rahe ho aajkal huh!? Hume bhi bata do...
Veer (smiles) : It's a secret!
"Maaaaaamuuuuuuuu!!!"
Aur beshaq! Veer ko dekhte hi uski pyaari fuljhadi bole toh Juhi sarpat daudati hi aayi aur uske perr se lipat gayi. Veer ne forun hi usse godi me uthaay aur uska gaal choom liya.
Veer : Aa gayi Juhi!? Kya pehni ho aap!? Ohhhh! New jacket!??
Juhi : Hmm! Maasi ne dilaayi!
Veer : Kya baat hai!? Boht kharche ho rahe hai!?
Shreya : Kyu na honge!? Ab mein kamaane jo lagi hu.
Veer (smiles) : Hmm!
Shreya (blushes) : Wese bhi... Sab tumhari hi wajah se toh hai.
Veer aage kuch keh pata ki tabhi...
*Tuck* *Tuck* *Tuck*
Usse heels ki awaaz sunaayi dii aur usne dekha ki Nidhi ek khubsoorat sii saree pehne aur ek shawl upar daale neeche aa rahi thi.
Aaj wo itni khubsoorat dikh rahi thi ki Veer khud apne aap ko kuch derr yu taktaki lagaye usse dekhne se na rok saka.
Dono ki hi nazre mili aur pal bhar ke liye dono hi jese bhul gaye ki wo dono akele nahi hai. Aas paas bhi log hai.
Shreya : Toh chale!?
Veer : Ah! Y-Yeah! Right!
Juhi : Mein Maamu ke saath baithungi... Aage bike pe...
Shreya : Huh!?
Nidhi : Nahi Juhi! Mere saath baitho chalo. Maasi ko baithne do unke saath. Hum apni scooty me chalte hai.
Wese toh iss baat se Shreya boht khush thi ki usse Veer ke saath baithne ka mauka mil raha tha par fir bhi... Wo apni behan se bhi utna hi pyaar jo karti thi. Aur uski fiqr bhi.
Nidhi saree me thi. Aur aise me scooty chalana wo bhi Juhi ko lekar, raat ke waqt. Ye kitna kathin tha wo jaanti thi. Aur khatarnak bhi ho sakta tha.
Isliye...
Shreya : Nahi dii! Aap aur Juhi Veer ke saath baithiye! Aapne saree pehni hui hai Dii. Dikkat jaegi. Aur mera kya hai? Mein toh jeans me hu. Mein scooty se chalti hu.
Nidhi ne ek pal Veer ko dekha jo bina kuch kahe hi uske nirnay ka intezar kar raha tha aur fir akhir kaar Nidhi ne finally dheere se haa me sarr hilaaya aur Veer ke theek peeche jaake wo baith gayi.
Ye pal...
Veer ke hontho par apne aap hi muskaan laa diya. Aise hi toh ek saath baith ke college se lauta karte the wo. Aise hi toh Nidhi uske peeche yu baitha karti thi. Aaj itne dino baad ussi anubhuti ko firse mehsoos kar paa raha tha Veer. Par sabse aham baat ye thi ki iss waqt chaand bhi apne poore rang dhaaya hua tha. Poora chamak raha tha aur apni roshni bakhoobi bikhere hue tha.
Aur finally Veer aur baaki sabhi society se nikle.
Raat ka plan simple tha. Koi acchi si jagah jaake pehle thoda entertainment. Fir dinner aur ant me new year celebration ke fireworks dekhne ka plan.
Sabse pehli jagah Veer aur baaki sabhi amusement park me gaye the. Amusem park toh nahi tha, ek pradarshini lagi hui thi. Bhale hi amusement park se thoda chota tha par rides idhar bhi thi.
Juhi baccho waali rides enjoy kar rahi rhi, toh wahi Shreya uski photos utaar rahi thi. Aur wahi Veer aur Nidhi side me khade unhe dekh rahe the.
Juhi : Mummyyyyy! Mujhe wo bade waale me baithna.
Usne ishaara karte hue kaha. Uska ishaara Giant wheel ki orr tha.
Nidhi : Huh? Nahi Juhi! Bilkul bhi nahi! Darr jaogi baad me tum hi. Dekh rahi ho kitni upar tak jaata hai.
Shreya : Juhi! Wo dekho! Wo train waali me baithe apan!? Mein bhi baitha sakti hu usme toh.
Juhi : Haa chalo chalo maasi... Jaldi...!
Aur wo kheech ke Shreya ko le gayi.
Ab bache the toh keval Veer aur Nidhi.
Veer : Umm... Kya aap chalna chahogi!? Ma'am!? Giant wheel me!?
Nidhi : Huh? M-Mein!? N-Nahi... Mein nahi...
Veer : O-Okay!
Wo jawaab dete hue apni nazre jhuka liya. Par jese Nidhi ne uska expression dekh liya tha toh wo puchi,
Nidhi : Umm... Kya tumhe ride karna hai!?
Veer : Hmm? Y-Yeah! Mein kabhi baitha nahi hu inn rides me. Kabhi koi laaya hi nahi...
Usne ek feeki smile dete hue kaha toh Nidhi ko jese yaad aaya ki Veer ka bachpan kese guzra tha. Aur ye yaad karte hi wo bauhe sikode usse dekhne lagi aur ek duwidha me phass gayi.
Nidhi : O-Okay! If... If you want then... Hum chal sakte hai!
Bas fir kya tha kuch hi derr me Veer aur Nidhi dono hi Giant wheel par sawaar the. Par...
*Ding*
[Mission : Hug Nidhi! Let her know you are her support.
Rewards : ?? Points
Time limit : Before 12 A.M
Mission Failure Penalty : 50 Points Deduction.]
'What the fuckkkkkkkkk!?'
[Hahaha~]
'Mazaak chal rahi hai? No seriously!? Mazaak hai? Fuckkkk! Uss din hi mene unke haathe se thappad khaaya tha aur ab ye? Jhoote padwaane ki planning hai kya? Wtf is this mission?'
[I cannot help it master! Execute this mission properly. Aur... Haa~ iss Mission ke complete hote hi mein level up ho jaungi. But I'll be in sleep mode for loading your new resources. Toh pehle se hi wish kar deti hu. Happy new year master! Enjoy your time! Hehe~]
'W-Wait what!??? Wtf??? Sleep mode achanak kyu?'
[I told you kuch surprise hai right? So wait for it!]
Nidhi : Ummm...
Nidhi ne uska dhyaan kheecha toh Veer hosh me aaya. Giant wheel ghoomte hue upar jaa raha tha.
Aur Nidhi aur Veer agal bagal baithe hue upar se poora nazaara dekh rahe the.
Nidhi : It's so beautiful...
Veer : Bilkul aap ki tarah...
*Badump*
Nidhi (gasps) H-Huhhhh!?
Veer : Mene kabhi iss ride pe sawaari nahi kii thi. Aaj aap aayi toh ye bhi ho gaya... Thanks for agreeing.
Nidhi : It's... It's fine!
Nidhi : Veer!
Veer : Hmm?
Nidhi : Sach kahu... Toh I'm really mad at you.
Veer : ??
Nidhi : Kitna kehti rehti hu tum se. Kitna keh chuki hu pehle bhi. Don't leave your studies. Par tum ho ki sunte hi nahi. Kya karna chaahte ho aage!? Kya karoge!? Kuch plan hai ki nahi? Mein tumhe daant nahi rahi hu. Tumhari teacher bhi hu. Tumhare career ki chinta mujhe lagi rehti hai. Aur tum toh mere khaas student ho. Ek tarah se parivaar ka hissa bhi ban gaye the tum haal hi me. Toh kidhar jaana chaahte ho, koi lakshya hai ki nahi? Kya kar rahe ho abhi? Study nahi karte toh kya karte ho din bhar? Kuch socha hai future ke baare me? Kyu nahi aate ho college!? Ye saare sawaalo ke jawaab tumhe acche se pata hone chaahiye Veer.
Wo lagataar bole jaa rahi thi. Par Veer chaand ki uss roshni me keval Nidhi ke husn ko hi dekhta raha aur bas muskuraata raha.
Abhi bhi Nidhi ko Veer ke bhavishya ko lekar chinta thi.
Veer (smiles) : Aapki yahi baatein toh mera dil jeet leti hai.
Nidhi : Huhhhh!??
Veer : M-Mera matlab hai... Aapko meri itni chinta hai?
Nidhi : Kyu nahi hoegi? Akhir tum...
Kehte hue wo ruk gayi.
Veer : Akhir tum!?? Akhir tum kya ma'am!?
Wheel ekdum upar aa chuka tha jab Nidhi ne Veer ke chehre ko dekha aur uska chehra apne ekdum sameep paaya toh uske bol wahi tham gaye.
Nidhi : Kuch... Kuch nahi...!
'Fuckkk! I'm doing it. Jo hoga dekha jaega. Ek thappad aur kha lunga.'
Aur agle hi pal Veer ne Nidhi ko zorr se apni baaho me kheech liya.
Iss achanak hamle ki umeed Nidhi ko bilkul bhi na thi. Wo apni aankhein faade abhi abhi jo kuch hue usse digest karne ki koshish kar rahi thi. Aur jese hi usse abhaas hua ki iss waqt wo Veer ki baaho me thi aur Veer usse zorr se bheencha hua tha, Nidhi ki saasein tez ho gayi.
Usne apna haath upar le jaake Veer ke seene par rakha aur usse dhakelne hi waali thi jab Veer ke shabd uske kaano me pade,
"Sabse pehle toh thank you ma'am. Mujhe uss daldal se nikaalne ke liye. Fir apne saath rakhne ke liye, mera itna support karne ke liye ye jaante hue bhi ki aap khud itni pareshaani me ho. Uske baad thank you ki aapne harr hardship me mera saath diya. Aaj bhi aapko meri parvaah hai, thank you ki aap aaj aane ke liye taiyaar hui, mere saath ride me baithne ke liye taiyaar hui. Rahi baat mere aim ki... I'm leaving the college ma'am. Because I know ki mujhe kya karna hai. Thank you so much! Aap hamesha hi meri ma'am rahogi, chaahe mein college jau ya nahi. And lastly... Jese aapne mera saath diya wese hi mein bhi aapka saath dunga. I'm here for you. Always!"
Unn baato ko sunte hi Nidhi ka haath jo Veer ko dhakelne ke liye the wo ekdum se dheela pad gaya.
Dono ke hi chehre aapas me behad qareeb the. Dono hi ek dusre ki garam saaso ko bakhubi mehsoos kar paa rahe the.
Aur na jaane aise kya hua ki Veer apne aap hi Nidhi ki orr jhukne laga.
Nidhi ka attraction jese usse kheech raha tha.
Paas aate hi usse sunaayi dii... Nidhi ke tezz dhadkate hue dil ki heartbeat. Kitni zorro se dhadak raha tha uska dil.
Wo bas lambi lambi saasein liye jaa rahi thi.
Par jese hi Veer uske ekdum kareeb aa gaya, jab wo uske hontho se bas kuch hi centimetres ki duri par tha, Nidhi ne zorr se dhakka deke usse peeche dhakel diya.
Nidhi : N-Nooooooooooo!!!!!!!!
Aur ek baar fir dono ke beech me wahi awkwardness ka mahaul chha gaya.
Uske baad toh jese dono me hi koi baat nahi hui.
Dinner ke baad bhi wo dono ek dusre se baat nahi kiye. 12 bajte hi jab fireworks ka show shuru hua toh dono hi baithe zaroor the par dono ke beech me Juhi baithi hui thi.
Aur dono hi pal do pal apni nazro ko ek dusre se milaate par nateeja wahi, koi bhi kuch kehne ki haalat me nahi hota.
Aur tabhi...
*Ding*
[System has reached Level 5.]
*Ding*
[In-built feature ~ Translator has been unlocked.]
*Ding*
[In-built feature ~ Slot has been unlocked.]
*Ding*
[Quest hunt is now accessible.]
'Huh!??!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Thanks man!एकदम fabulous outstanding update bhai
Ek no scene create kiye Ho ekdam movie mafik
Itna suspense to movie mey nhi hota yar
Ekdam zakkasss update
![]()
Sabka jawaab milega... Bane rahiyega!To ab hoga Veer ka asli test with The Nightwalker. Ab ye kon hai, kya karta hai ye dekhna hoga? Kya Veer jeet payega aur kitne challenge aane waale hai US mein? Kahin US mein rahne ki wajah se India mein uski family par to koi risk nahi aane waala.
Heinnnn???Meri mummy![]()
Yep!Readers must give suggestions but author ultimately must decide what to do.![]()
Update 100 me pata lagega.Lajawab update hai bhai......niharika kya plan bana raha hai ye dekhne lauek hoga or usse bhi badkar anjam kya wakai me safal ho payegi niharika...????
Or nightwalker ka shikar kaise karta hai veer ya veer khud shikar ho jayega dekhte hai.
Waiting for next update
Uska naam pranjal hai.Name nhi yaad rehte... Talking about his so called cuz
Harr 3 din ke baad. Calculate toh kar hi sakte ho...Guys can any one tell me updates konsa din aayega week me
Bhai kyu desi chadha ke comments karte ho?Story complete Karo Bhai
Bilkul! Jab tak mein sehmat nahi hota update se tab tak mein usse edit karta rehta hu aur fir baad me hi post karta hu.कहने का शुद्ध अर्थ यही है न की....
.
देर आयेगा भले.... पर दुरुस्त आयेगा......
.
अपना वोल्फ़ी Werewolf भाई कभी भी क्वालिटी के साथ खिलवाड नही करेगा ।