• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,439 82.7%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 237 13.6%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 37 2.1%

  • Total voters
    1,740

Werewolf

𝕮𝖍𝖎𝖊𝖋
Supreme
17,282
112,633
259

Werewolf

𝕮𝖍𝖎𝖊𝖋
Supreme
17,282
112,633
259

andyking302

Well-Known Member
6,282
14,580
189
Update - 17 ~ Captured

Ab tak...

Shweta : Apne aap ko kaam me vyast rakha karo. Okay?

Bhumika : Jii!

Shweta (smiles) : Hmm! Chalo! Ab chalte hai.

Ye raat toh sabhi ke liye jese tese guzar gayi. Par aane waala samay na jaane sabki zindagi me kya laane waala tha. Jo bhi hone waala tha, itna toh tay tha ki Veer ke liye aane waala samay sangharsh se bharpoor hone waala tha.


Ab aage...

Do din guzar chuke the. Aur inn do dino me Veer ki life me jo bhi badlaav aaya tha wo tha points badhaane ke baad uska shareerik badlaav.

Nidhi ke saath bhi ab uski acchi jamne lagi thi. Nidhi bhi Veer ko jese ab apne hi parivaar ka sadasya maan'ne lagi thi. Wo uske saath shopping par jaati, kabhi koi bhi samaan lena hota wo aur Veer saath saath jaate aur ek dusre ki madad karte.

Veer ke aane se bhale hi uske khane peene ka kharcha badh gaya tha par Veer uski boht madad bhi kar deta tha. Ye baat Nidhi ko khud bhi mehsoos ho rahi thi. Uske upar se jese kaam ka load kam sa ho gaya tha.

Juhi ke saath bhi Veer ki acchi dosti ho chuki thi. Veer time to time Juhi ke saath khelta toh kabhi usse padhaata, uske aane ke baad se hi Nidhi ke ghar ka mahaul ekdum khushnuma sa ho gaya tha.
Chahal pahal badh gayi thi. Ghar me ab baat cheet hua karti thi. Boriyat naam ki toh jese koi cheez hi nahi thi ab Nidhi ke ghar me. Na hi usse ab utna akelapan mehsoos hota tha.

Bas yadi kuch bacha tha toh wo tha Veer aur Shreya ka ek dusre ko jawaab dena chorrna.

Dono hi bas ek dusre ke peeche pade rehte the. Kahi Shreya Veer ki taang kheechti toh kahi Veer Shreya ki. Aur unn dono ka yu jhagadna bhi kahi na kahi Nidhi ko accha lagne laga tha. Usse aisa lagta tha jese wo dono ziddi bhai behan hai jo bas ek dusre se ladte jhagadte rehte hai.

Nidhi ne apne ghar me bhi ye baat bata ke rakhi hui thi ki uske saath uska ek student bhi reh raha hai. Halaki, shuruaati samay me uske gharwaalo ne iska virodh zaroor kiya tha ki ek naujavaan ladke ko apne saath rakhna sahi nahi hai par jese jese kuch din beete aur Nidhi ne roz ki daily report apne gharwalo ko dii, toh unka darr bhi andar se kam ho gaya aur Veer pe unka vishwaash bhi kayi hadd tak badh gaya tha.

Bhale hi Veer ki zindagi yaha pehle se kaafi behtar ho chuki thi par yahi baat Veer ke ghar ke liye kehna thoda mushqil tha.

Veer ke bangle me iss waqt ek behad hi khubsoorat aurat saamne sheeshe me dekh apne baal bana rahi thi. Uska saundarya alag hi starr pe the. Apni ghani zulfo me wo iss tarah apne haath chala rahi thi jese maano wo zulfe nahi, pani ki lehre ho. Uske teekhe nain aise prateet ho rahe the ki kisi ko bhi nasheela bana de. Uski ek jhalak acche se acche sanyaasi ko madhosh kar de.

Aur ye koi aur nahi, Veer ke bade bhai ki patni, yaani ki uski Bhabhi~ Ragini thi.

Ragini apne aap ko sajaate hue dressing table se uthi aur wo baahar nikalne hi waali thi ki tabhi uska bed par rakha phone baja.

*Ring* *Ring*

Aage badhte hue, Ragini ne apna phone uthaaya aur screen pe Papa likha dekhte hi uske chehre pe muskaan aa gayi.

Usne phone utha ke apne kaano me lagaya par kuch second baad hi uski wo muskaan uske chehre se gaayab ho gayi. Aur chehre pe bas shikan, tension aur darr chhaa gaya.

Jese hi usne phone utha ke hello bola tabhi dusri taraf se awaaz aayi,

"Beta!!! Sab kuch lutt gaya, barbaad ho gaya... Lutt gaya beta mein..."

Apne Papa ki aisi awaaz sunn Ragini ki rooh kaanp gayi. Uske Papa Dinesh ki aisi awaaz shayad hi pehle Ragini ne kabhi suni hogi.

Ragini (ghabraate hue) : Papa!!! Kya keh rahe ho aap? Kya hua? Bataaiye!!

Dinesh : Beti!!! Sab kuch barbaad ho gaya meri bacchi!! Sab kuch barbaad ho gaya.

Aur Dinesh ki achanak rone ki awaaz Ragini ko sunaayi dene lagi.

Bechaini me wo uthi aur room me ird gird ghumne lagi,

Ragini : Papa! Aap daraaiye mat mujhe. Please bataiye mujhe! Sab kuch theek toh hai na!?

Uske baad Dinesh apni aapbeeti apni bacchi Ragini ko sunaata hai jisse sunn ke Ragini ke khud ke hosh udd jaate hai. Wo bhauchakki sii bas khadi apne Papa ki baat sunti rehti hai par jese uska dhyaan kahi aur hi tha. Jese maano sadma sa lag gaya ho usse.

Ragini : Nahi!! Ye nahi ho sakta... Aisa kese bhala!? Aapne police me...!?

Dinesh : Beta! Kya kahunga police me!? Police saboot maangti hai. Aur kuch nahi dekhti. Mene unhe sach bataaya hai par wo toh jese meri baat sunn'ne taiyaar hi nahi hai beti. Sab kuch chala gaya beta sab kuch...

Ragini : Aise kese Papa... Aise thodi... Mein... Aap aap... Haa! Hum sheher ke sarvashreshth lawyer ko hire karenge... Bhala aise kese Police hamaari baat nahi maanegi? Hum F.I.R karenge Papa... Jaach padtaal me sab kuch baahar nikal aaega dekhna... Aur akhir himmat kese hui police ki hume ignore karne ki?

Dinesh : Nahi beta! Kuch nahi ho sakta ab. Mene thodi derr pehle hi na jaane kitne sheher ke jaane maane lawyer logo se baat kari. Sabhi peeche hatt gaye beti. Jese maano wo jaante ho ki unka jeetna naamumkin hai. Wo log bade hi khatarnak prateet hote hai beta. Ab toh yadi koi kuch kar sakta hai toh woh Vivek hi hai. Zara bolo beti... Uski acchi pakad hai aur pehchaan bhi.

Ragini : Itna sab kuch ho gaya Papa aur ye baat aap mujhe ab bata rahe ho??

Dinesh : Beta! Sab kuch achanak hua beta... Sab kuch achanak. Pehle jo kaam sabse zaroori tha wahi kiya. Mujhe laga tha police hamaari madad karegi par yaha toh wo sunn'ne taiyaar nahi hai. Vivek hi ab kuch kar sakta hai beta... Zara baat karna ho sake toh uss se...

Ragini : Ye bhi koi kehne ki baat hai Papa? Bilkul! Mein... Mein abhi jaa ke unse bolti. Mein khud jaati hu company me aur inse baat karti hu. Theek? Aap... Aap bilkul tension mat lena Papa. Kuch nahi hoga okay? Sab sahi ho jaega. Ye hai na... Dekhna! Abhi sab sulajh jaega... Mein... Mein abhi jaati hu...

Aur itna bol Ragini call cut karke fataafat unhi kapdo me baahar nikal, Vivek ki company ki orr car nikaal ke akele chal deti hai.

Kuch minute ki duri tay karne ke baad, jese hi wo company pohuchti hai toh uski mulaaqaat receptionist se hoti hai.

Aur kuch hi palo ke intezaar ke baad wo finally apne pati Vivek se milti hai. Jesi jesi baatein usse pata chali Dinesh se wo sab kuch wese hi Vivek ko bata deti hai, jisse sunn Vivek bhi kaafi tension me aa jaata hai.

Vivek : Ye toh boht hi serious maamla hai. Itna sab kuch ho gaya aur ye baat ab bata rahe hai wo?

Ragini : Mene unse yahi baat boli thi Dear... But tab shayad halaat hi kuch aise the... Maybe wo hume tension me nahi daalna chaahte the. Mein jaanti hu Papa ko acche se...

Vivek : Theek hai! Tum tension mat lo. Mein baat karta hu.

Ragini : Thank you dear!

Ragini apni aankho me aasu laate hue boli. Aur usne phone laga ke apne Papa ko aasvashan diya ki jald hi Vivek kuch na kuch hal zaroor nikaal lega unki pareshani ka.

Ab aisa kya ho gaya tha achanak ki Dinesh ke kaaran Ragini sang Vivek bhi bhaari tension me aa pade.

Toh aaiye nazar daalte hai,..

Pichli raat...

Mausam halka thanda tha. Thandi mand mand hawaein vatavaaran me faili hui thi aur raat ke 11:30 baj rahe the.

Dinesh, Ragini ke pita iss waqt apne T.V.S ke ek showroom se baahar nikal rahe the.

Aaj kaagzi kaam aur deals wagarah kuch zyaada hi hui thi jis kaaran se unhe aaj rukna pad gaya. Guards toh the hi showroom ke liye aur saath hi kuch workers bhi, jinko wo showroom band karne ka bol ke Showroom se baahar nikal aaya.

Apni car me baithane ke baad Dinesh apne ghar ki orr prasthaan kiya.

Aaj wo behad khush tha. Kayi saare logo ne aaj gaadiya khareedi thi saath hi saath uski aaj kayi logo se acchi khaasi deals bhi hui. Aaj ke acche din ke baare me soch ke wo mann hi mann prafullit ho utha.

Aisi acchi khaasi kamaayi waale din keval warna tyohaaro me hi aksar aate rahe.

Dinesh khush hote hue gaadi chala raha tha. Uska ghar thoda door padta tha aur wo driver prefer nahi karta tha. Wo khud hi drive karna prefer karta tha hamesha. Uska maan'na tha ki driving ke maamle me aap keval apni khud ko driving skills par bharosa kar sakte ho, kisi dusre ki nahi.

Ghar ki orr aane jaane waala raasta thoda sa sunsaan jagah se hoke bhi guzarta tha. Sunsaan toh nahi kahenge par haa ye kehna ki wo area thoda outer area lagta tha ye galat nahi hoga.

Aadhi raat hone ko aa rahi thi aur Dinesh ne tabhi gaadi roki, apne jeb se phone nikaala aur caller ka naam dekh wo sar hilaate hue muskuraaya. Uski patni Rohini ka call tha. Shaadi ke itne saal guzar gaye fir bhi Rohini ko hamesha Dinesh ki boht chinta lagi rehti thi. 11 baje nahi ki call aana shuru.

Muskuraate hue Dinesh ne wahi side me gaadi rok phone uthaaya,

"Kahiye madam jii! Kya hua?"

Rohini : Kya hua? Arre kitna baj raha hai? Samay bhi toh dekhna chaahiye! Na jaane kab se raah dekh rahi hu aapki. Par aap ho ki koi phone hi nahi uthaate. Ek baar call karke bata toh dena chaahiye na ki aane me derr ho jaegi.

Dinesh : Arre! Ho jaata hai kabhi kabhi late. Aaj kamaayi acchi hui na, aur deals bhi hui kayi. Thoda samay lag gaya.

Rohini : Hmm! Chalo accha aa jao abhi. Fir baat karte hai.

Dinesh : Haa haa! Bas aa raha hu.

Aur call cut karke wo abhi gaadi chaalu hi karne waala tha ki tabhi driver seat ki window se ek haath aaya aur seedha uska gala daboch liya.

Sakpakate hue Dinesh apne gale par haath ki pakad ko hataane ka prayaas karne laga. Darr ke bhaav uske chehre par saaf jhalak rahe the. Usne toh bas kuch pal ke liye window kholi thi jab wo Rohini se baat kar raha tha. Usse kya pata tha ki aisa kuch ho jaega.

Par agle hi pal uska virodh poora ka poora samaapt hp gaya. Kyu??

Kaaran tha uski kanpati par rakha revolver. Isse dekhne ke baad toh acche accho ke paseene choothne lagte hai aur fir Dinesh toh ek sadhaaran sa showroom ka maalik tha. Ladaayi jhagde se koso door.

Uss par tana revolver uske virodh ko choor choor kar diya. Bolti band aur kaapte hue haatho se wo bas aankh tedi karke aadmi ko dekh raha tha jo dikhne me ek normal 28 29 saal ka ladka lag raha tha.

"Boht acche! Yadi zyaada aur hilta na, toh tera ye bheja ko mene kahi aur bhej diya hota. Samjha!?"

Uss ladke ki attitude se bharpoor awaaz Dinesh ke kaano me padi. Aur usne apni mundi haa me hilaayi,

Ladka ne agle hi pal gate khola, usse baahar nikaala, uska mobile zabt karke, usse band karke apne jeb me daala aur waapas se Dinesh ko driving seat par baitha diya.

Yaha kya ho raha tha koi dur dur tak dekhne wala nahi tha. Pehla kaaran tha itni raat ka samay aur dusra kaaran ki wo ek outer area tha.

Uss ladke ne Dinesh ko baitha ke bagal ka door khola aur uski bagal ki seat se baith gaya.

Dinesh ne dekha ki ye ladka akela hi tha, yadi jese tese karke wo uska revolver chhina le toh baazi palat sakti thi.

Par agle hi pal usne apna ye khayaal mann se nikaal diya. Kyuki agle hi second ek scorpio uske bagal se aake khadi hui jisme 4 se 5 launde aur aadmi ghuse pade the. Aur sabke haatho me ek ek revolver tha.

Aur yaha Dinesh uss aadmi se revolver chhinaane ke baare me soch raha tha. Usne apna thook nigla aur upar waale ko dhanyavaad diya ki hey bhagwaan tumne mujhe antim pal me kuch galat karne se bacha liya. Warna ab tak toh uska bheja udd chuka hota.

Dinesh : De... Dekho! Dekho! Tumhe jo bhi chaahiye wo mein dunga. Mujhe chorr do. Jo bhi chaahiye wo batao, mein sab de dunga... Bas... Bas mujhe chorr do.

Apni jaan kisko pyaari nahi hoti bhala?

Aur jab apni jaan pe aati hai toh bade sa bada aadmi keval guhaar hi laga sakta hai aisi sthiti me.

Yahi kaam Dinesh ne bhi kiya.

Ladka : Bilkul bilkul! Wo bhi lenge... Ussi ke liye toh hum hai yaha. Chal! Fataafat! Gaadi badha aage. Aur ghar chal apne.

Dinesh : Gh... ghar!? Ghar kyu jaana hai?? Mein... Jo... Jo bologe wo de dunga... Par ghar...

Ladka : Saale! Jitna mein bol raha hu utna kar samjha?

Dinesh : Beta! Dekho! Kya milega tumhe mujh jaise budhe aadmi ko loot ke? Mein koi hasti nahi hu. Keval showroom ka maalik hu. Aur...

Ladka : Ayyyeee chuupp!!

Uss ladke ne itni zorr se chillaaaya ki Dinesh ki shareer sihar utha.

Ladka : Ab baat ko dhyaan se sunn! Samjha? Chup chaap jesa jesa mein kahu, wesa wesa kar. Warna tu toh jaega hi, par shayad tere saath teri patni ka ticket bhi katega lagta hai...

Dinesh : Nahi!! Nahi!!! Meri patni nahi... Usse kuch mat karna... Mein... Mein... Jesa jesa kahoge wesa hi karunga.

Ladka : Hmm! Ab chup chaap apne ghar ki orr gaadi le. Aur haa!!! Zyaada smart nahi bann'na thik? Ghar bola hai toh ghar ki taraf hi lena. Yadi tune ek bhi mod galat liya, toh tera game bajj jaega samjha!?

Dinesh : haaa haaaa!!

Kaapte hue Dinesh ne apna sar hilaaya. Ab usse ye baat sataaye jaa rahi thi ki kahi... Kahi... Rohini ko kuch na ho jaaye.

Rohini uska besabri se ghar par intezaar kar rahi thi. Aur na jaane aage kya hone waala tha. Ye sochte hi Dinesh ki haalat bigadti jaa rahi thi.

Gaadi start hui, aur Dinesh ne theek wesa hi kiya jesa usse bataaya gaya tha.

Kuch minute ki duri tay karne ke baad hi wo apne ghar ke baahar pohuch chuka tha aur uska dil zorro se dhadak raha tha.

Halaat hi aise the ki wo chaah ke bhi kuch nahi kar paa raha tha.

Ladka : Badhiya! Ab sunn! Mein aur tu andar jaenge yere ghar me... Samjha!? Tu apni patni ko ye bolega ki mein kuch kaagzi kaam ke chalte tere ghar aaya hu. Aur usse zara bhi shak na hone paaye ki kya chal raha hai. Samjha? Yadi zara si bhi mujhe bhanak hui ki tu police ko call kar raha hai ya koi ishaara kar raha hai. Toh tu toh jaega hi, tere saath teri patni bhi maregi...

Dinesh : Nahi! Nahi! Mein... Mein aisa kuch bhi nahi karunga.

Ladka : Badhiya! Chal, ab gaadi andar le ghar ke. Tere ghar ke baahar guard ko bhi nahi pata chalna chaahiye samjha!?

Dinesh : Haa! Haa!

Dheere dheere gaadi ko andar karne ke baad jese hi Ladka aur Dinesh gaadi se utre, toh guard bhi thoda hairaan tha. Itni raat gaye, Dinesh kisi aadmi ke saath car me!? Sawaal toh zaroor aaya tha uske mann me par wo jaanta tha ki ye pehli baar nahi tha, aur iske pehle bhi kuch kaam ki wajah se kayi baar Dinesh logo ke saath raat me aay chuka hai. Toh guard ne apne mann se wo sawaal agle hi pal nikaal diya.

Dono Dinesh aur wo ladka andar aaye aur jese hi Rohini ne darwaaza khola wo Dinesh ko dekh ke muskuraayi par fir bagal me khade ladke ko dekh ke wo thoda hairaan reh gayi.

Rohini (ishaara karte hue) : Ye... Kaun!??

Dinesh : Arre! Hahahaha~ Ye...!? Ye... hai...

Ladka : Namaste jii! Jii hamaari tyres ki company new abhi. Aaj boss ne deal kari thi Sir ke saath. Ussi ke kuch kaagaz chaahiye the, jo shayad Sir laana bhul gaye the. Isliye, mein lene aaya hu unke saath hi.

Rohini : Ohhh! Par... Itni raat... me...

Rohini kabhi uss ladke ko dekhti toh kabhi apne pati ko... Uski samajh nahi aa raha tha ki bhala itni raat gaye kaagaz lene kyu aaya hai ye banda? Kaagaz toh kal bhi le sakta tha!?

Iss se pehle ki Dinesh jawaab de paata, uss ladke ne forun bol daala,

Ladka : Aunty jii! Aisa hai ki... Kal boss London jaa rahe hai. Aur unke saath unki team bhi. Zaroori kaam se. Mein toh keval ek worker hu waha pe. Unhone kaha ki mujhe jald se jald kaagaz chaahiye kyuki mein yaha fir next month aaunga. Aur isliye unhone mujhe bejha hai... Ab isme mein kya hi karu aunty? Aap hi bataaiye!

Rohini : Ohh! Accha! Ni ni... Sahi baat hai. Suniye! Aap jo bhi kaagaz hai, inhe dedo...

Dinesh : Haa! Haa! Mein wo...

Aur Rohini ne hatt'te hue andar aane ke liye raasta diya. Wo ladka andar aake sofe par baith gaya, aur Dinesh theek uske saamne khada ho gaya. Uski samajh nahi aa raha tha ki kya kare. Baar baar wo apni shirt ki aasteen se bas apna paseena pochhhe jaa raha tha.

Ek galat kadam aur uske saath saath uski biwi bhi maut ke ghaat utaar dii jaegi.

Ladka : Aunty Paani milega kya?

Rohini : Huh? Haa beta! Mein laati hu...

Jese hi Rohini andar gayi, wo ladka sofe se kood ke utha aur apna revolver shirt ke neeche se nikaal seedhe Dinesh ke maathe par tika diya,

Ladka : Sunn be! Andar jaa, aur apne dono showrooms ke kaagzaat leke baahar aa samjha? Ek accha panna le aur usme acche se likh ki tu apne hosho hawaas me ye dono showroom Aatish Khanna ke naam kar raha hai! Samjha!? Usme likh... Ki mere saath koi zabardasti nahi kii gayi hai, ye mein apni icchaa se unhe saup raha hu. Samjha? Jitne bhi paper hai sab laa aur jaha jaha sign lagne hai, sab me sign kar samjha!? Yadi ek bhi galti mujhe baad me mili toh teri biwi gayi...

Dinesh : Nahi! Nahi! Rohini... Rohini ko kuch mat karna... Mein... Mein laata hu...

Dinesh tezz kadmo ke saath jese hi andar gaya, Rohini paani leke kitchen se baahar nikli,

Rohini : Arre!? Ye kaha gaye?

Ladka : Aunty jii! Wo papers lene gaye hai.

Rohini : Accha! Ye lo beta paani!

Ladka : Haa aunty!

Rohini : Wese kya naam likhte ho beta?

Ladka : Mein!? Jii mera naam Ranga hai...

Uska naam sunn Rohini thoda soch me pad jaati hai. Ye naam toh bada hi atpata sa tha. Khaaskar uss aadmi ke liye jo ek company me kaam kar raha ho...

Ranga : Hahaha~ Darasal, baat ye hai ki mujhe Bachpan se hi rango ka khub shauk tha, toh maa baap ne naam Ranga rakh diya, fir toh gali mohalle me yahi naam se mein famous ho gaya.

Rohini : Ohh! Accha!?

Ranga : Haa aunty! Mere boss aksar kehte hai ki... Kaam karo toh itna bada karo ki naam apne aap ho jaaye.

Rohini : Ohh! Boht hi uche vichaar hai beta aapke Boss ke toh... Tab toh koi jaani maani hasti hi honge...

Ranga : Hahaha~ bilkul bilkul... Boht bade aadmi hai wo aunty, boht strict hai. Zyaada gussa aata hai toh seedha udaa daalte hai...

Rohini : Huh?

Ranga : Naukri se... Naukri se udaa dete hai.

Rohini : Accha! Kaafi hi strict hai beta. Aur thoda strict hona zaroori bhi hai wese... Mene inko bhi bola hai ki inke staff me bhi kayi log aise hi jo kaamchor hai. Ye meri baat sunte hi nahi...

Ranga : Ab sab sunenge aunty. Aur wese bhi... Ab Sir ke bas me nahi hoga kuch...

Rohini : Hmm?

Ranga : Kuch log sudharte nahi hai na aunty! Toh ab Sir ke bas me nahi hai unhe sudhaarna. Bas, aise logo ko seedha udaa do... Mera matlab hai naukri se hata do...

Rohini : Hmm! Sahi kaha beta tumne.

Inki baatein chal hi rahi thi ki Dinesh kaagaz lete hue baahar aaya. Wo chaahta toh andar se police ko call kar sakta tha par usne risk na liya. Kyuki baahar wo ladka uski patni ke saath baitha hua tha. Anjaam kya hota, iska wo anumaan bhi nahi lagaana chaahta tha.

Sofe par baithate hue Brijesh apne kaapte hue haantho se showroom ki saari ownership kisi anjaan aadmi ke haath dene jaa raha tha.

Jis aadmi ko wo jaanta bhi nahi tha, na kabhi usne uss aadmi ko dekha na uske baare me suna, wo aadmi raato raat uske dono showrooms ka maalik bann'ne jaa raha tha.

Rohini : Aapke haath kyu kaap rahe hai?

Ranga : Aunty inhe thand lag gayi hai. Car chalaate waqt window khol ke rakhe the. Mene samjhaaya bhi tha par Sir hai ki sune hi nahi...

Rohini : Kyaaaaa?? Thand lag gayi? Mene kitni baar kaha hai ki window hamesha band rakha karo. Kya pata kis type ka aadmi kab aake kya kar de...

Ranga : Hahahaha~ Aunty aapki baat se poori tarah mein sehmat hu.

Rohini : Dekha na aapne!? Ab ye kaam kar lijiye fir seedha araam karna ab. Aur kal jaane ki koi zaroorat nahi hai. Swaasth pehle hai...

Ranga : Bilkul! Ab toh inhe wese bhi ghar me rehna padega...

Rohini : Hmm?

Ranga : Matlab jab tak Sir ki tabiyat theek na ho jaaye, aunty aap bilkul bhi nikalne mat dena...

Rohini : Haa! Tum sahi kehte ho...

Idhar Dinesh ko uss ladke ki chaaplusi par itna tezz gussa aa raha tha par halaat ke maare wo majboor tha. Rohini ko wo chaah ke bhi kos nahi sakta tha. Wo toh saari baato se anjaan thi. Wo toh keval uski chinta hi kar rahi thi. Kaash...

Kaash usne window ka glass band kiya rehta toh ye sab na hota.

Par ab beeti galti ke baare me sochne se kya fayda? Ab toh jo ho gaya wo ho gaya. Ab iss situation se baahar safely kese aaya jaaye, yahi Dinesh ki top priority thi.

Kuch hi minute ke andar saara important kaam khatam hua aur Ranga muskuraate hue baahar jaane laga.

Ranga : Chaliye aunty! Yadi mauka mila toh dubaara mulaqaat zaroor hogi.

Rohini : Thik beta! Aate rehna... Ab toh hamaare se deal ho gayi hai aapki.

Ranga : Hahahaha~ Bilkul! Aap badi hi acchi ho aunty! Aapse baat karke mujhe boht accha laga.

Rohini : Bilkul beta! Mujhe bhi tumse baat karke accha laga.

Ranga : Chaliye chalta hu....

Par jese hi wo jaane laga, usse kuch yaad aaya...

Aur usne jeb se ek mobile nikaala aur Dinesh ko pakda diya,

Ranga : Sir! Aap mobile car me hi bhul gaye the. Ye raha aapka phone. Chalta hu.

Aur wo muskuraate hue ghar se baahar nikal gaya.
Baahar nikalte hi wahi scorpio aayi, usme wo baitha aur waha se rafu chakkar ho gaye sabhi.

Idhar uske jaane ke baad Rohini ne gate band kiya,

Rohini : Kitna imaandaar bhi tha hai na?? Chaahta toh wo phone rakh sakta tha... Par usne lauta diya.

Par Dinesh ki jaisi bolti hi band thi. Usse jese sadma sa lag gaya tha.

Rohini : Aap sunn rahe ho? Kaha kho gaye aap?

Aur Rohini ke usse hilaate hi Dinesh foot foot kar rone laga. Bechaari Rohini ki kuch samajh me nahi aa raha tha ki achanak se Dinesh ko kya ho gaya.

Wo tension me aa gayi, par Dinesh toh bas rota jaa raha tha.

Fir Achanak hi uth ke usne Rohini ko uske kandho se pakda aur sab kuch bataaya, jisse sunn bechaari Rohini ki aankhein phati ki phati reh gayi. Uske aasu bhi behana shuru ho gaye.

Jis ladke ko wo itna accha samajh rahi thi abhi kuch derr pehle, wahi unki barbaadi ka kaaran tha. Upar se wo khud nyota de rahi thi usse...

Ye jaante hi Rohini ke perro tale jese zameen khisak gayi. Na jaane kitni baatein kar lii hongi usne uss ladke se...

Wo kehte hai na, ki insaan ki shaqal pe kabhi nahi jaana chaahiye.

Rohini ne rote hue police ko call karne ke liye kaha, jo Dinesh ne kiya.

Dinesh ne saari baat Police ko jesi ki tesi bata dii.

Kuch derr me hi police aayi, saari baatein unhone suni aur apni raay bhi dii.
Ab chuki ye kidnapping ya life at stake case nahi tha isliye Dinesh ko police ne subah apni F.I.R darj karne ko kaha.

Filhaal ke liye toh Dinesh safe tha. Uspe koi bhi hamla nahi hua tha.

Aur agle hi din Dinesh ne bilkul wesa hi kiya. Par koi fayda nahi. Uski umeed jese ab marr chuki thi.

Aur aaj yahi din tha jab usne Ragini ko phone karke bataaya tha. Na jaane aage kya hone waala tha. Uski aakhiri umeed ab bas uska damaad hi tha.

***

Issi din Nidhi ke ghar me alag scene chal raha tha...

"Kya Veer Mama! Aapse ittu sa bhi nahi aata hehe~"

Juhi Veer ki goad me baith iss waqt TV me game khel rahi thi. Aur wo Veer ko baar baar haraaye jaa rahi thi, ya yu kahe ki Veer baar baar khud hi haare jaa raha tha.

Raat ho chuki thi aur abhi sab ka dinner ready ho raha tha, jo ki Nidhi aur Shreya dono milke kitchen me taiyaar kar rahi thi. Aur idhar Veer ki zimmedaari thi Juhi ko entertain karna jo ki wo bakhubi kar raha tha.

Wo hassi mazaak me laga hi hua tha ki tabhi andar uske mann me ek ghanti baji,

*Ding*

[Mission : Save Ragini!
Rewards : ?? Points
Time limit : 4 hours
Location : xxxxxxxx basement, near xxxxxxx road.]

'Huh?????'
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!

Dhanyavaad!
शानदार लाजवाब जबरदस्त भाई
 

andyking302

Well-Known Member
6,282
14,580
189
Update - 18 ~ Trouble

Ab tak...

Wo hassi mazaak me laga hi hua tha ki tabhi andar uske mann me ek ghanti baji,


*Ding*

[Mission : Save Ragini!
Rewards : ?? Points
Time limit : 4 hours
Location : xxxxxxxx basement, near xxxxxxx road.]


'Huh?????'

Ab aage...


*Tuck*

*Tuck*

*Tuck*

Ek aadmi ke qadmo ke chalne ki awaaz uss jagah par goonj rahi thi. Perro me D and G ke wo kaale genuine leather waale formal shoes jinki keemat lakh ke bhi upar hogi. Wo aise chamak rahe the jaise bas kuch seconds pehle hi polish hokar aaye ho. Floor par unn jooto ke chalne ki awaaz saaf saaf ekdum crisp aur fresh sunaayi de rahi thi. Aur wo awaaz pehle se hi waha ke bhayanak mauhaul ko aur bhi teevr bana rahi thi.

Usne ek safed coat aur safed pant pehna hua tha. Andar ek blue shirt, coat ki breast pocket me ek gulaab ka phool aur sarr par safed hat.

Wo daaye se baaye aur baaye se daaye yu chalta jaa raha tha ki achanak hi wo ruka aur...

*Thud*

Ek zordaar awaaz uss floor par ek stick ke patakne se aayi jo uske haatho ne jakad rakhi thi.

Aur sab kuch ekdum se shaant ho gaya.

Usne apni hockey stick uthaayi aur saamne vyakti ki orr apni stick taante hue uss se bola,

"Ab samajh aaya na!? Kese kaam karte hai?"

"J... Jii bhau!" Saamne khade ek ladke ne darrte hue kaha.

"Kitni baar mene tumse kaha hai Ranga!? Ye kaam aise nahi hote. Hamaare desh me itne chochle hai ki ek baar me koi kaam hota hi nahi hai."

Ranga ne apna sarr hilaaya aur apne bhau ki baat me haa me haa milaayi,

Aatish : Tumhe kya laga tha? Ki tum Dinesh ka showroom bas uss se aise likhwa ke le aaoge, sign karwa loge aur showroom mera ho gaya? Arre aise nahi hota mere chele... Aise kaam hone laga apne desh me toh na jaane kaha pohuch jau mein.

Apne boss ki daant sunn Ranga ne apna sarr jhuka liya.

Aatish : Aatish hai mera naam... Kya? Aatish! Aur tum toh jaante hi ho mere naam ka matlab...!?

Usne apna sarr thodi niraasha me hilaaya aur ek gehri lambi saas lii.

Fir aankhein band kar, saas chorr usne dobaara aankhein kholte hue Ranga ko dekha jo abhi bhi sarr jhukae khada hua tha.

Aatish : Ranga tum bhale hi Dinesh se paavti banwaakar, uss se likhwa ke sign karwa ke le aaye par inn sab ke bawajood Dinesh abhi bhi chaahta toh boht kuch kar sakta tha. Wo mere khilaaf F.I.R kar sakta tha, lawyers dhund sakta tha, muqadma darz kar sakta tha, kya kuch nahi kar sakta tha agar...

Kehte hue wo rukk gaya.

Ranga : Agar?

Aur uska sawaal sunn Aatish muskuraaya. Uski muskaan kisi shaitaan ke jaisi prateet ho rahi thi.
Wo muskaan aisi thi jo saaf saaf apni jeet ko bayaa kar rahi thi.

Aatish : Agar uski aukaat hoti toh... Aur yadi uska paala mujhse na pada hota toh.

Uske itna bol, Ranga keval shaant raha. Na kuch bola, na kuch kiya.

Aatish : Police ho chaahe vakeel ho chaahe neta ho ya chaahe koi bhi ho. Yadi wo Mumbai ke ilaaqo se bhali bhaati waaqif hai toh wo jaanta hi hoga ki Aatish kaun hai aur uss se kyu nahi bhidna chaahiye.

Usne bolte hue dobaara tehelna shuru kiya aur ek baar fir uske jooto ki awaaz uss jagah me goonjne lagi, par iss baar saath hi saath uske bol bhi goonj rahe the.

Prateet ho raha tha ki Aatish aur uske saathi kisi abandoned building ki basement me the jo kuch safed LED lights se jagmag hua pada tha.

Ranga : Par Bhau... Ye Dinesh toh aapki F.I.R karne gaya tha.

Aatish : Hmm! Gaya toh tha. Kyu hai na? Mister Dinesh? Gaye the na?

Aatish ne agle hi pal muskuraate hue apna sarr side me karte hue dekha jaha par ek vyakti pehle se hi kursi par rassiyo se bandhe hue baitha tha.

"Mmmmphhhh.... Mmmmmmmmmm"

Wo aadmi aur koi nahi balki Dinesh hi tha jiske muh par iss waqt patti bandhi hui thi aur wo bas chhatpataate hue rassi se chhutne ki nakaam koshishe kar raha tha.

Aatish : Arre re... Dekho uncle bechaare darr gaye.

Dheere dheere Aatish Dinesh ki orr badha aur qareeb aate hi uska jabda apne ek haath me pakadte hue bola,

"Mujhe tumse koi niji dushmani nahi thi pata. Par kya hai na jo raasta mein dhund raha tha wo mujhe mila nahi. Aur, jo mila wo tumhaare se hote hue jaa raha tha. Isliye, tumhaare saath ye sab ho raha hai."

"Mmmmmmphhhhhhhhhh..."

Par Dinesh ye sab sunke keval hilne dulne ka prayatn hi kar sakta tha.

Aatish : Na na na na... Tum gaye the na police me? Meri F.I.R karne? Kya hua? Kuch nahi na? Lawyer? Wo bhi nahi mile?? Arre re...

Usne Dinesh ke sarr par haath ferrte hue usse bade hi pyaar se puchkaara jese maano wo koi baccha ho,

"Pata kyu nahi hua kuch? Kyuki wo sab na mujhe jaante hai.... Haan! Wo mujhe jaante hai... Wo jaante hai ki Aatish bhau se panga nahi lena hai chaahe kuch bhi ho jaaye. Kyu??? Pucho pucho..."

"Mmmmmmmmmppphhhh..."

Aatish : Arre re... Kaise puchoge? Muh me patti jo bandhi hui hai. Par chalo mein hi bata deta hu. Mujh se na ye police ke chote mote log, ye chote mote vakeel ye sab panga nahi lete. Kyuki wo jaante hai ki jis din mere khilaaf gaye, uss din unke ghar me unki photo tang jaegi. Samjhe ab?

"Mmmmmmpphhhhhh...."

Aatish : Arre yaar... Ye baar baar bilbilaana band kardo samjhe? Warna bas trigger dabaana hai mujhe... Fir tumhaara ye kikiyaana bhi koi na sunn paega...

Kehte hue Aatish Dinesh ko chorr peeche hata par fir dobaara kuch sochte hue palta aur usse dekha,

Aatish : Arre! Hahaha~ Mein ye kaise bhul gaya? Aao tumhe ek tohfa deta hu.

*Clap*

*Clap*

Aur agle hi pal usne do baar taali bajaayi jiski awaaz sunte hi basement me ek gate khula aur ek aadmi ek chair ko dhakka dete hue aage laa raha tha.

Chair ke neeche pahiye lage hue the, jis se asaani se wo chair ko aage badha paa raha tha. Par uss chair me kuch alag baat thi...

Wo ye ki usme ek aurat bilkul Dinesh ki hi tarah rassiyo se lipti hui thi aur uske bhi muh me patti bandhi hui thi.

Aur jese hi Dinesh ki nazar uss aurat par gayi, uske perro tale zameen khisak gayi. Wo dekh paa raha tha uss aurat ki aankho me aasu the, aankhein ro ro kar laal ho chuki thi. Unn aankho me majboori, darr, aasha-heenta saaf jhalak rahi thi.

Aur wo aurat koi aur nahi uski apni beti, Ragini thi.

Aatish : Pasand aaya tohfa? Hahaha~

Hasste hue Aatish ne wahi rakhi ek kursi lii aur uspe baith gaya.

Aatish : Ranga!???

Ranga : Jii bhau!

Aatish : Ab samajh aaya tumhe ki kaam hamesha poora kyu karna chaahiye!?

Ranga : Jii... Jii bhau!

Aatish : Uss din tumne boht badi galti kari thi Ranga. Yadi tum uss din wo do naye navele ladke seedhiyo pe khade nahi karte toh wo ladki bhaag hi nahi paati. Aur mein ye daawe ke saath keh sakta hu ki wo wahi se bhaagi thi tumhare naye ladke ko chakma dete hue.

Ranga : Sorry! Sorry Bhau! Aage se aisa nahi hoga...

Aatish : Hmm!! Isliye kehta hu ki kaam poora karo. Aadha adhura nahi...

Ranga : Jii Bhau!

Aatish : Idhar Dinesh subah meri F.I.R karne jaa raha tha bechaara, jo mene usse karne dii. Bhai taaki usse bhi toh tasalli rahe ki usne police me apni taraf se bol diya hai... Hahaha~ Aur uske baad mene usse dabochwa liya...

Ranga : Bhau? Ab aage ka kya plan hai!?

Aatish : Wahi bata raha hu Ranga. Uske baad uski beti jiski hum talaash me the wo phassi aur fir finally...

*Clap*

*Clap*

Ek baar fir usne do baar apni taali bajaayi aur fir ek baar basement ka door khula aur dusra aadmi ek chair dhakelte hue aage laaya.

Iss chair par bhi ek shaks tha jo iss waqt ussi haal me tha jis haal me Dinesh aur Ragini the.

Jese hi Ragini aur Dinesh ki nazre uss shaks par padi, dono ki aankhein phati ki phati reh gayi. Ragini chhatpataayi par koi fayda nahi. Rassiya itni tight bandhi hui thi ki uski harr ek koshish nakaam thi.

Saamne laaya gaya shaks uska apna pati, Vivek tha.

Aatish (smiles) : Iski umeed nahi thi hai na? Par hume toh issi macchli ki talaash thi, ya yu kahe ki issi macchli ke zariye hume badi macchli haasil hoegi.

Ranga : Bhau!? Iske zariye... Ke... Kese?

Ranga ne thoda confused hote hue pucha. Kayi baar toh woh asaani se apne Bhau ke plans samajh jaata tha par kayi baar toh jese baatein uske sarr ke upar se nikal jaati thi.

Aatish : Mene tumse kaha hai na Ranga. Kamzor kadi ko pakdo, raasta apne aap milta hai...

Ranga : ??????

Aatish : Mujhe uss ladki ki talaash hai jo uss din club se bhaag gayi thi. Aur uske paas hum yadi asaani se pohuch sakte hai toh wo raasta hai uss dusri ladki ke paas pohuchna...

Ranga : Fir?

Aatish : Fir kya? Yahi par toh dikkat aa rahi thi Ranga. Ki hum wo dusri ladki ke paas nahi pohuch paa rahe the. Tum security tod nahi paaye isliye mujhe ye raasta dhundna pada.

Ranga : Huh???

Aatish (smiles) : Dusri ladki... Wo Companies se deals karne me busy hai kayi dino se. Mene tumse companies ke naam maange the na? Aur unki saari details bhi?

Ranga : Jii... Jii bhau!

Aatish : Bas! Udhar se hi toh raasta mila hai Ranga. Unn 6 ki 6 companies me se sabse easy target... Iss chutiye ki company....

Aatish ne kehte hue Vivek ki taraf ishaara kiya aur muskuraaya. Vivek keval gurraate hue hil hi sakta tha. Muh pe tape jo chipka hua tha aur haath perro me rassi bandhi hui thi.

Aatish : Aur yahi mera plan tha Ranga. Ki, iski company iske haath se lunga, fir iss company ke zariye uss dusri ladki ke paas deal leke jaunga. Aur jese hi security se guzarte hue wo haath me aaegi, fir usse dabochunga... Aur ant me... Uss ke zariye wo club waali ladki ko...

Ranga ne apna thook nigla aur bola, "Bhau! Itna solid plan?? Par meri ye samajh nahi aaya ki hume dusri ladki ki zaroorat kyu hai uss club wali ko dhundne ke liye?"

Aatish : Bas itna jaan lo, ki dono ke beech ek connection hai. Yadi ye mil gayi toh club waali araam se mil jaegi...

Ranga : Ohhhhhh!

Aatish : Par... Iss Vivek ki company paane ke liye mujhe iski kamzor kadi ko pakadna tha... Jo ki thi iski patni... Aur iski patni ki kamzor kadi???

Ranga : Iske maa baap!??

Aatish : Hahaha~ Bilkul sahi! Seekh rahe ho ab tum... Good! Good!

Uski baatein sunn, Ragini zorr zorr se hilne ka prayatn karne lagi, khud ko jhanjhorte hue wo kursi me baithe hue rassiyo se chhutne ka prayaas karne lagi toh uski ye harqat dekh ek baar fir Aatish muskuraaya,

Aatish : Madam ke muh se zara tape hatao, lagta hai kuch kehna chaahti hai.

Ranga ne baat sunn, forun hi Ragini ke muh se tape nikaala aur tape nikaalte hi Ragini shuru ho gayi,

Ragini (chillaate hue) : Kuttteeeee.... Kameeeneee... Tujhe phooti kaudi tak nahi milegi... Tu kya soch raha hai ki aise hume baandh kar tujhe sab kuch mil jaega? Ek rupaya nahi milega tujhe dekhna, abhi police aaegi aur tujhe salaakho ke peeche daal degi...

"Hahahahahahaha~"

Uski baat abhi khatam hi nahi hui thi ki Aatish zorr zorr se thahaake lagaate hue hassne laga. Poore basement me uski hassi goonjne lagi. Aur uske aadmi keval khade hue usse dekhte rahe.

Aatish : Ye ladki badi mazaakiya hai yaar. Kaha se seekhi re tu? Haan? Comedy karna? Hehehe~

Wo apni aankhe malte hue pait pakad ke hassne laga, jisse dekh uske aadmi bhi dheere dheere daat niporne lage.

Par agle hi pal...

*Chataaaaaaaaaakkkkk*

Ek zordaar thappad ki goonj poore basement me fel gayi aur sabhi hass rahe aadmi ekdum shaant ho gaye. Unke raungte khade ho gaye.

Ek zordaar tamaacha aake seedhe Ragini ko pada, jo Aatish ne apne ulte haath se uske gaalo par maara.

Darr!

Shayad ab Ragini ko samajh aa raha tha ki wo kisi aerre gerre aadmi ke saamne nahi baithi hui thi.

Achaanak hi Aatish ne uski gardan ke peeche ek haath le jaake uski gardan pakdi aur uske kaano ki taraf badhte hue bola,

"Mujhe na... Mujhe na logo ka vishwaash todne me boht maza aata hai. Matlab boht zyaada... Jab... Jab unki wo shaqal banti hai na, baad me jab unka vishwaash toot'ta hai, aur fir wo bina koi aasha waala chehra banaate hai na... Wo... Usse dekh ke na... Usse dekh ke na... Pata nahi kyu par... Par mujhe boht zyaada sukoon milta hai. Mujhe mazaa aata hai..."

Ek ek shabd Aatish ke muh se Ragini ke kaano me ghuss raha tha aur bechaari Ragini darr ke maare aasu bahaate jaa rahi thi. Siski lete hue wo bas khud ke shareer ko kaapne se rokne ki koshish kar rahi thi. Par koi fayda nahi. Uske shareer ki thar-tharaahat jese band hone ke naam hi nahi le rahi thi.

Agle hi pal Aatish utha aur apne coat ke andar ki jeb se usne apna revolver nikaala. Usne Ragini ko dekha aur bola,

"Abhi dikhaata hu tumhe ki mein logo ka vishwaash kese todta hu."

Bolte hue wo seedha Vivek ke paas aaya aur uske muh se tape nikaal diya.

Aatish : Do option hai tumhaare paas. Ya toh tumhaari jaan ya toh tumhaari biwi ki jaan... Bolo kisse bachau? Tumhe ya tumhari biwi ko?

Vivek ye sunte hi ek Chakravyuh me phass gaya. Uski biwi aur uske sasur uske bagal se hi baithe huye the. Jese hi usne Ragini par nazar daali wo chillaa uthi,

Ragini : Noooooooo!!! Leave him alone... Chorro usse...

Uski cheenkhe sunte hi Aatish ne ek ishaara kiya aur Ranga ne aage badh forun hi dobaara se wahi tape Ragini ke muh pe chipka diya.

"Mmmmmmpphhhhhh"

Ab keval uski halki halki vidroh ki awaaz hi aa rahi thi.

Aatish : Bol jaldi ladke... Teri jaan ya teri biwi ki? Kisse bachau?

Par Vivek kuch na bola aur agle hi pal,

*Bang*

"Aaaaaaaarrrrrrrgggghhhhh"

Ek teevr awaaz goli chalne ki aayi aur peeche kayi aadmiyo me se ek aadmi apna perr pakad wahi neeche gir pada. Wo idhar udhar machalte hue zameen me dard se cheenkhne laga par na hi usse kisi ne uthaaya aur na hi uski kisi ne madad kii.


Aur kuch hi palo me uska perr lahu lahaan ho gaya.

Goli Aatish ke revolver se nikli thi jiski muzzle se abhi halka halka dhuaa baahar nikal raha tha.

Aatish : Ab bologe??? Nahi toh agla perr tumhara hoga.

Usne firse Vivek ko dekhte hue pucha. Par iss baar asar alag tha. Vivek kaanp raha tha. Uss aadmi ki dard se bilbilaate hui cheenkhe uske kaano me padd rahi thi, toh Vivek ke shareer ka thar-tharaana toh laazmi tha.

Vivek ne ek baar fir Ragini ko dekha jiski aankho me aasu the aur saath hi saath khauf bhi, uski poori aankhein laal pad chuki thi...


Revolver ka muzzle Vivek ke maathe par tika hua tha. Usne ye dekh apna sarr jhukaate hue nichla honth zorr se daato tale dabaaya aur ek awaaz me zorr se bola,

"Mujhe mat maaro... Mujhe chorr do!!!"

*Silence*

Jaha ye sunte hi Aatish ke chehre par muskaan aa gayi, wahi dusri taraf Ragini ki aankhein ye sunte hi phati ki phati reh gayi.

"Aaaaahhhhhh! Yessssss!!! This is the feeling!!!!!"

Apne dono haath hawa me felaate hue aur sarr upar kar Aatish wahi gol gol ghumne laga jese maano baarish ki bundo ka ehsaas kar raha ho jo aasmaan se tapak rahi ho.

Agle hi pal wo ek baar fir Ragini ke paas aaya aur uske kaano ki taraf jhukte hue uss se bola,

"Mene kaha tha na? Mujhe vishwaash todne me boht zyaada maza aata hai. Aur tumhaara chehra... Ssssss.... Uffff! Yahi... Yahi chehra toh mein dekhna chaahta tha... Poori tarah se toota hua... Jisme aasha ki ek kiran tak na ho.... Yessssss! This is it. Dil ko itna sukoon mil raha hai na ki pucho mat. Toota na? Tumhara vishwaash toota na? Dekho kese bikhar gaya toot ke... Hai na? Mazaa aaya na? Haan?"

Uski baat Ragini ke kaano me pad toh rahi thi par jese usse kuch sunaayi hi nahi de raha tha. Wo bas bhauchakki si apni aankhein faade Vivek ko ghur rahi thi, jo sarr jhukae waha baitha hua tha.

Aatish peeche hata aur Ranga ko dekhte hue bola,

"Inn dono baap beto ki video banwao jisme ye qubool kare ki ye apni company aur showrooms mere hawaale kar rahe hai aur inn sab me koi zabardasti nahi hai. Rahi baat vakeel aur police ki aur kaagzi kaamo ki toh wo sab mein dekh lunga. 2 din me sab ho jaega. Fir hume inki koi zaroorat nahi hai, inhe jaane dena... Kuch nahi bigaad paenge ye..."

Aur itna bol wo waha se jaane laga.

Par jaate jaate...


Uske mouth organ ki wahi dhunn poore basement me goonj gayi...

***

Kuch derr pehle...

Ragini ne jab Vivek ko apni pareshani uski company me jaake bataayi thi uske baad se hi Vivek kahi police toh kahi apne source lagaa ke koi jugaad lagaane ki koshish kar raha tha. Par jese hi usse ye pata chala ki inn sab ke peeche Aatish ka haath tha toh usne apne haath khade kar diye.

Usne Ragini ko ye kehte hue samjhaaya ki Showroom toh baad me bhi banwa sakte hai, jisse sunn Ragini bhadak uthi aur usse khari khoti sunaane lagi.

Bas! Issi waqt Ragini ko ek unknown number se call aaya tha jo kisi aur ka nahi Aatish ka hi tha.

Jab Dinesh F.I.R karke laut raha tha toh usko uthwa ke wo apne basement me le gaya tha.

Call uthaate hi Ragini ko jab pata chala ki uske Dad ko agwa kar liya gaya hai toh bechaari itna darr gayi ki wo seedha seedha Aatish ke plan me jaa fassi.

Aatish toh chaah hi raha tha ki Ragini akeli basement me aaye aur isliye usne Ragini ko phone pe darraaya ki yadi akeli nahi aayi toh uske pita ko goli maar dii jaegi.

Itni tension me acche accho ka dimag nahi chalta aur Ragini ka bhi yahi scene tha. Wo Vivek se ladd jhagad ke basement ki orr nikal padi par usse aise yu jaate dekh Vivek khud apni gaadi nikal ke uska peecha karne laga.

Aur nateeja?

Dono ke dono basement me pakde gaye aur dono ko hi bandhi bana liya gaya.

Vivek toh buy 1 get 1 free offer ki tarah Aatish ki jholi me aake gir pada. Aatish ne khud ye nahi socha tha ki Ragini ke saath hi usse Vivek bhi mil jaega. Ye toh sone pe suhaaga tha uske liye.

Ab uska kaam aur asaan ho chuka tha...

***

Idhar Veer shaam ko Juhi ke saath khel raha tha jab uske dimaag me achaanak hi ghanti baji thi aur usse mission mila tha.

'Huh??'

[Master!!! Lagta hai aapki Bhabhi kisi musibat me hai.]

'Meri Bhabhi!? Hmph! Unhone toh mujhse aaj tak baat nahi ki. Wo bhi unhi logo me se hai Pari.'

[Wo jaisi bhi ho, but abhi aapko usse bachaana hai.]

'Huh?! Mein kyu bachau unhe bhala? Aur aisi kon si musibat aa gayi unpe bhala?'

[Arre master!!! Nahi bachaaya toh aap mujhe kho doge na?? It's a mission.]

'Shit! Mein toh bhool hi gaya tha. Mission nahi kiya toh tum hamesha hamesha ke liye chali jaogi.'

[Yes!]

'Par mujhe ek baat samajh nahi aayi. Tumhe location kese pata chali? Tum toh mere andar ho.'

[Master! Abhi aap ye jaan'ne ke liye qualified nahi ho. Level 3 pe pohuchaiye mujhe, uske baad hi kuch sawaal ke uttar milenge.]

'Fuck this! Harr baar mein qualified hi nahi rehta...'

[Hurry master!]

Iss se pehle ki Veer Pari ko jawaab de paata andar se Shreya ek katori lete hue baahar nikli aur Juhi aur uske saamne aake khadi ho gayi,

Shreya : Oye!!! Zara taste kar aur bata kese bane hai chhole?

Veer ne Shreya se katori haath me lete hue ek spoon se taste kiya aur fir usse dekhte hue bola,
"Ek number... Aur aapne toh banayi nahi hogi hai na?!"

Shreya : Huh? What do you mean??? Mene aur dii ne milke banaayi hai.

Veer : Jisme aapne unki boht madad kari hai na?

Shreya (nods) : Hmm! Hmm!

Veer : Jese ki masaale pakdaana aur chota mota samaan dena hai na?

Shreya (nods) : Hmm! Hmm!.... Huh? What the hell?

Veer : Hahahahaha~

Juhi : Veer maamu... Maasi se kuch nahi aata... Mummy hi banaati hai saara khaana...

Veer : Pffftttt Hahahahahaha~

Shreya : Juhiiiiiii tummmmm....

Wo kheejte hue katori leke andar jaane hi waali thi ki itne me hi Juhi ne katori pakad lii,

Juhi : Mujhe bhi khaani...

Shreya : Juhi chorro! Wo spoon tumhaare Veer maamu ki juthi ho chuki hai... Andar aake taste kar lo...

Juhi : Toh kya hota? Mein Veer maamu ka jutha kha lungi...

Aur usne chammach uthaate hue Veer ki hi chammach se ek baar taste kiya aur mundi haa me hilaate hue wo taste ka maza lete hue waapas se Veer ki godi me aake baith gayi.

Idhar bechaari Shreya hakki bakki sii khadi keval Juhi ko dekhti reh gayi.

Aaj tak Juhi ne uska jutha kabhi nahi khaaya tha, wo keval apni mummy ka hi jutha khaati thi. Par aaj usne Veer ka jutha khaaya. Ye baat Shreya ko bilkul bhi hazam nahi ho rahi thi...

Shreya : Tum dono... Dono mile hue ho...

Kheejte hue wo andar chali gayi aur Veer keval hassta raha.

[Master!???]

'I know Pari!'

Usne ek gehri saas lii...

'Aaj fir yu mujhe beech me jaana padega. Kitne pyaar se Nidhi Ma'am aaj special dinner bana rahi hai. Firse unhe tension hoegi... Aur firse ek baar dinner me mein nahi rahunga...'

[I know Master! But ye abhi zaroori hai.]

'Right!'

Aur wo utha aur andar kitchen me gaya jaha usse Nidhi ke darshan hue jo jaldi jaldi apne haatho ko chalaate hue dishes banaane me lagi hui thi.

Saath hi Shreya jo uski madad karti jaa rahi thi.

Usne badi hi narm awaaz me Nidhi ko pukaara,

Veer : Ma'am!!

Par Nidhi bina palte hue hi boli,
"Bas baitho Veer! 10 minute aur.... Fir Fatafat sabko thaali lagaati hu."

Par uske ye bol Veer ko jaane se aur baandh rahe the.

Maayus hote hue wo aage badha aur ek baar fir usne dheere se pukaara,
"Ma'am!?!"

Iss baar uski awaaz sunn dono hi Nidhi aur Shreya palti...

Kyuki iss baar...

Uski awaaz me wo alag baat thi...

Pukaarte waqt uski awaaz me wo komalta, wo narm sa ehsaas iss baar na keval Nidhi ko balki Shreya ko bhi mehsoos hua.

Aur dono hi jab palti toh dono hi ashcharya-chakit reh gayi.

Kyuki Veer ka boht hi maayus sa chehra unki nazro ke saamne tha.

Nidhi : Huh!?

Veer : I have to go... Kuch urgent kaam hai Ma'am.


Bolte hue usne ek feeki si smile dii. Uski baat sunn Nidhi usse kuch derr tak dekhti hi rahi aur fir Shreya ne khaamoshi todi,

Shreya : What??? Ab tumhe aenn time pe konsa urgent kaam yaad aa gaya? Kahi firse ladki ke chakkar kaatne jaa rahe ho kya? Mein bata rahi hu... Hamaare ghar me firse wo sab karke mat aana...

Nidhi (zorr se) : Shreyaaaaaaaaaa

Shreya : Thik toh kaha mene. Achanak khaane ke time isse kon sa kaam yaad aa gaya bhala?

Veer : It's urgent!

Shreya : Hmph! Aa gaya hoga baabu shona ka phone toh chal diye... Ab jaake gul chharre udaenge...

Nidhi : Shreya tum chup raho. Aur baahar jao...

Shreya Hmph karte hue Veer ko ghurte hue baahar nikal gayi. Aur kitchen me keval Nidhi aur Veer hi bach gaye.

Nidhi ne sarr jhukaaya aur palat ke wo apne kaam me lag gayi. Fir badi hi dheemi awaaz me boli,
"Jaldi aana..."

Aur bas...

Uska itna hi kehna tha ki...

Ek atyant hi ajeeb sa dard Veer ko apne andar mehsoos hua. Na toh Nidhi ne uss se kuch pucha ki wo kaha jaa raha hai aur na hi usse roka. Bas itna kaha ki jaldi aa jaana.

Pata nahi Veer ko kya hua ki...

Uska haath apne aap achaanak utha aur Nidhi ke kandhe par jaake tham gaya.

*Badump*

Achanak hi maano jese Nidhi ke dil ne ek dhadkan faand lii ho...

Veer ka haath uske kandhe par maroon gown ke upar aadha rakha hua tha. Uski 2 ungliya aur angutha uske nange kandhe ko sparsh kar raha tha.

Twacha se twacha ka mel hua shayad isliye Nidhi ke dil ki dhadkan achanak hi tezz ho gayi.

Aur agle hi pal uske kaano me Veer ki awaaz padi,
"Mein poori koshish karunga Ma'am. Jitni jaldi ho sake... Utni jaldi aane ki... Aur jesa aap soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai. Shreya jii ki baato ko ignore kariyega... And... And... Thank you..."

Nidhi ke honth khule par koi shabd na nikle. Ek baar fir usne prayaas kiya par fir wahi hua.

Ant me usne palat'te hue kuch kehna chaaha par...

Veer saamne nahi tha.

Wo jaa chuka tha.

Aur bauhe sikodte hue wo wahi khadi rahi...

Jab tak ki kuch derr baad waapas se kaam me nahi lag gayi.

***

*Huff* *Huff*

Idhar Veer sadak par bas bhaagte bhaagte khud ko hi kosta jaa raha tha.

Kese wo accha khaasa ghar ka mahaul bigaad ke aa gaya.

[Master! Run!!!!]

'Fuck!!! I am running Pari... Helicopter thodi hu...'

[Kaash aapne apni agility par dhyaan diya hota.]

'Yadi mene saare points agility me daale hote toh mein boht tezz ho jaata?'

[Bilkul! Boht tezz!]

'Ohhh! Hahaha~ Fir toh koi tension hi nahi rehti... Yu daud ke kahi bhi pohuch jaata.'

[Itna easy samajh rahe ho? :roll: Yadi keval agility pe dhyaan diya hota toh khoob tezz bhaag toh lete par bhaagne ke baad jo maaspeshiyo me dard umadta usse kese bardaasht karte?]

'Huh??'

[Jitna tezz bhaagoge, andar ki maaspeshiyo par bhi utna hi zyaada pressure padega. Uske baad jo dard uthega usse kese bardaasht karoge? Issi ke liye toh endurance stat diya gaya hai. Aapki sehan sheelta. Jispar aapne shuru se dhyaan nahi diya... :roll:]

'What the hell? Pari! Itne points ab kaha kaha daalu. Wese hi points ki tangi chal rahi hai.'

[Ye toh kuch bhi nahi hai... :roll:]

'Kya Matlab?'

[Kuch bhi nahi! :smile2: Master! Wo raha basement ka raasta.]

Na jaane kab Veer baato hi baato me kabhi daudte hue, toh kabhi kisi se lift lete hue apni manzil pe akhir pohuch hi gaya.

[Are you ready master? :eek1:]

'Hmm!!!'

[Brace yourself!]

'Hmm!!!'

[You'll have to kill.... ]

'Huhhh???'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!

Dhanyavaad!

Pasand aaye toh like kar diyo... :hi:
Nice
 

Werewolf

𝕮𝖍𝖎𝖊𝖋
Supreme
17,282
112,633
259
Waiting for this update......
Hope action will be superb and may prove that Veer has really become the MAN this story is all about........
Thodu sa aur wait karlo... 😣
I'm writing...
Bas complete hone waala hai.
 
Top