- 14,282
- 101,226
- 259
Last edited:
Biscuits kahi aur hi the. Tum log hi doors me samajh rahe the. That was a deception I created.Wo biscuits to ju ne kahi aur chuppa diye
Aur rahi baat ju ke hint ki to agar aisi baat hai ki wo ander hi maara gaya to kaise to mai batata hame ita to pata chal gaya ki NIGHTWALKER sequence me maar reiya hai apne target ko 2-2 ke hisab se lekin apna Chester usse dikha akele to wo NIGHTWALKER to confirm usko maarega hi and rahi baat room me maarne ki to aisa uss voice me kuch mention nhi kiya tha ki jab NIGHTWALKER ka time hoga tab wo kya krega and baat kre Chester ki to wo to NIGHTWALKER ke time me hi ghum raha tha jo ki uske liye bura ho gaya and mai confirm to nhi hu lekin 85% confirm yaa boleto guess kr sakta hua ki Chester mara gaya room me par kaise to ye ho sakta hai ki ussne jab room lock kiya ander se tab NIGHTWALKER waha se chala gaya but wo room ke ander enter hua hoga kisi secret jagah se yaa koi aisa jagah jaha se wo room me enter kr sakte hai bahar se aur room me enter krte hi jab chester ko apne piche kisi ki ahat suni hogi to jab wo piche muda to uski mudi yaa kaho to uska sar alag uske dhad se aur chuu tk n nikal paayi uske halak se aur uska khel khtm ......bas.......agar abhi ju chahte ho ki mai aur bhi guess saamne rakhu to khne ka
Ek second ju ne abhi dimag khtka mera ki aisa bhi to ho sakta hai ki wo room me ho hi n may be lekin ek chis to yaha ju ne confirm krwa diya ki chester pahle bhi aachuka hai yaha yaa wo kuch to janta jarur hai khair ab aate hai chester ke room me hone ki baat to ab ju ne confuse kr daala ki wo mara hai ya nhi lekin agar nhi mara to may be ki wo iss room se bahar niklne ka koi rasta janta ho bina door se nikle kyuki agar wo yaha pahle bhi aaya hai to may be ki uss samay wo isi room me thra ho aur usse kuch to pata ho, khair dekhte hai kya hota hai aage 101 meBiscuits kahi aur hi the. Tum log hi doors me samajh rahe the. That was a deception I created.
Aur nahi. Chester Nightwalker ke time nahi ghoom raha tha. Woh search ke time me ghoom raha tha. And Chester locked the room from inside. Usne door nahi khola. Agar wo andar mara hai toh kaise? Aur yadi nahi mara toh jawab kyu nahi de raha? Kya andar koi hai bhi ya nahi?
acha to search time me nightwalker kaise piche pad gaya chester ke ?? jara batayenge mahasayChester Nightwalker ke time nahi ghoom raha tha. Woh search ke time me ghoom raha tha.
Update 101 me...acha to search time me nightwalker kaise piche pad gaya chester ke ?? jara batayenge mahasay
Saare log yaha pehli baar aaye hai.Ek second ju ne abhi dimag khtka mera ki aisa bhi to ho sakta hai ki wo room me ho hi n may be lekin ek chis to yaha ju ne confirm krwa diya ki chester pahle bhi aachuka hai yaha yaa wo kuch to janta jarur hai khair ab aate hai chester ke room me hone ki baat to ab ju ne confuse kr daala ki wo mara hai ya nhi lekin agar nhi mara to may be ki wo iss room se bahar niklne ka koi rasta janta ho bina door se nikle kyuki agar wo yaha pahle bhi aaya hai to may be ki uss samay wo isi room me thra ho aur usse kuch to pata ho, khair dekhte hai kya hota hai aage 101 me
hmm, to ju bhi ready rahne ka man review ke liyeUpdate 101 me...
Saare log yaha pehli baar aaye hai.
Chester bhi. Mene kabhi nahi kaha ki Chester pehle bhi aa chuka hai.
Biscuits kahi aur hi the. Tum log hi doors me samajh rahe the. That was a deception I created.
Aur nahi. Chester Nightwalker ke time nahi ghoom raha tha. Woh search ke time me ghoom raha tha. And Chester locked the room from inside. Usne door nahi khola. Agar wo andar mara hai toh kaise? Aur yadi nahi mara toh jawab kyu nahi de raha? Kya andar koi hai bhi ya nahi?
Ek second ju ne abhi dimag khtka mera ki aisa bhi to ho sakta hai ki wo room me ho hi n may be lekin ek chis to yaha ju ne confirm krwa diya ki chester pahle bhi aachuka hai yaha yaa wo kuch to janta jarur hai khair ab aate hai chester ke room me hone ki baat to ab ju ne confuse kr daala ki wo mara hai ya nhi lekin agar nhi mara to may be ki wo iss room se bahar niklne ka koi rasta janta ho bina door se nikle kyuki agar wo yaha pahle bhi aaya hai to may be ki uss samay wo isi room me thra ho aur usse kuch to pata ho, khair dekhte hai kya hota hai aage 101 me
Veer ne sonali ko mana liya as a business partner sonali bhi maan gai basharte usko padhaai krni hai. Acha hai veer or sonali ke rishte ki shuruat Ho gai. Pari bhi khush hai uske pasand ke food truck kharidne se. Ragini Ke hatho inauguration Karana veer ka acha pehal tha. Ab shayad rishtey ko naya Ayam milega. As a chef veer ne sbko shock kr diya. Nidhi bhi Red saari me ana Kya gajab lag hogi main to imagine krne lg gya tha. Veer ka observation gajab ka ho gya system ke ane se usne ek pal me pakad liya arohi kuch paresan hai arohi se puchhne pr usne veer ko sab bta diya ke pranjal ka hath hai Dada ji accident ke me. Ab dekhna ye hai ke arohi or veer ki Jodi Kya rang lati hai. Slogan ne jaal daal diya mirror gallery ka ab Bhai veer ko or strong hona hoga jahan usko samna assassins se Ho skta hai. Veer to kaera ko bhi sath leke jana chahta hai slogan ka kaam asaan kr rha hai.dekhna dilchasp hogaUpdate - 58 ~ Chef on WheelsAb tak...
Steve : Saare!?
Slogan : Nahiii! 4 se 5 kaafi rahenge. Aur bhaari tadaad me aadmi kaam asaan kar denge.
Steve : Jiii!
Kehte hue Steve nikal gaya. Aur reh gaya tha toh keval Slogan jo abhi bhi uss tasveer ko dekh raha tha.
Slogan : Iss baar toh tumhaare liye bhi sab kuch planned hai.... Veeeeerrr!!
Ab aage...
"Hahahahahaha~ All set!!!"
Veer ne ek lambi saas lete hue kaha. Uske saamne wahi red food truck ekdum tip top condition me khada hua tha.
Kuch din guzar chuke the. Aur inn guzre hue dino me usne apna truck khareed liya tha wahi jiske peeche Pari ekdum paagal hui jaa rahi thi. Aur iss waqt bhi shayad sabse zyaada khush wahi thi.
[Ehehehe~ Yes! Look at that red color. It's so beautiful. I love it so muchhhh! Hehe~]
Veer ne bhi muskuraate hue haa me sarr hilaaya.
'Hmm~ Hmm~ It definitely looks good!'
Shayad Pari ka ye favourite color tha. Veer bhi apne iss naye saadhan ko dekh kar khush tha. Kyuki yahi saadhan ab uski kamaayi ka naya zariya jo bann'ne waala tha.
Par saath hi saath agle hi pal uske face ka expression soft ho gaya. Pari ke aane se pehle, wo kaha par tha aur kin halaato me tha usse wo sab jese yaad aane laga. Wo kadvi yaadein...
Par aaj...
Aaj wo bhale hi ek chote se business se shuruaat kar raha tha. Par uske paas apna food truck tha. Apna ek kamaayi ka zariya. Yahi sab sochte hue pal bhar ke liye uski aankhein namm ho chali.
Apni mutthi ko khol usne ek baar apni hatheli ki lakeere dekhi.
'You would be proud, right!? Mom!?' Ek pal ke liye usse apni Maa yaad aa gayi.
Apni bichdi hui Maa ke baare me bhula nahi tha wo. Aur Suhana se usse jankaari pata lagi thi ki abhi bhi uski Maa Egypt me hi thi. Zaahir hai ki archeological sites par samay zyaada lagta hi hai. Mahine mahine yu guzar jaate hai ek hi investigation me. Aur fir toh ye Egypt tha. Toh ye bataane ki bhi zaroorat nahi thi ki Veer ki Maa ko waha itna samay kyu lag raha tha.
Kherr! Jo bhi tha, filhaal ke liye toh uski Maa waapas India nahi aane waali thi. Abhi kaafi samay tha.
Toh Maa se milne ki talab ko waapas se andar dabaate hue usne apne bagal me dekha jidhar Sonali khadi hui thi.
Veer ko kuch din pehle hi ye mission mila tha ki usse Sonali ko apne business me shaamil karna hai. Iska maqsad usse samajh nahi aaya tha par wo jaanta tha ki system jo bhi kuch karwa raha tha wo uske bhale ke liye hi tha probably.
Aur isliye Veer ne Sonali ko convince kiya jo ki apne aap me thoda mushqil tha. Apna prastaav usne kuch din pehle rakha tha jab wo sabhi dining table par baith ke naashta kar rahe the.
Veer : Ahem... Sonali!?
Sonali jo Veer se ratti bhar bhi baat nahi karti thi upat ke kabhi, usne bread ko muh me bharte hue Veer ko paini nazar se dekha par kuch na boli.
Veer : Sonali!?
Uske do baar pukaarne ke baad bhi wo maun thi aur apna naashta karne me lagi hui thi.
'Fuck! She's pissed.'
[As always!]
Par iss baar Sonali ko bolna pada.
*Thud*
Kyuki uske sarr par agle hi pal ek tapli aake jo padi.
Sonali (surprised) : Aahh!? M-Maa!????
Suman uske bagal me baithi usse ghoor ke dekh rahi thi. Uske hi saamne koi uske maalik ki awaaz ansuna kar de, bhala wo ye kese bardaasht kar sakti thi? Upar se ye toh uski hi beti thi.
Suman : Maali... Ahem... Veer jii tumhe bula rahe hai na? Jawaab kyu nahi de rahi ho unhe!?
Apni Maa ki baat sunn, Sonali jese aur gusse me muh fulaate hue Veer ko dekhne lagi.
Sonali : Kya hai?
Usne bade hi rukhe swar me pucha.
*Thud*
Aur tabhi ek aur tapli uske sarr par aakar padi.
Sonali : M-Maaaa!???
Suman : Ye kya tareeka hai baat karne ka? Hmm? Koi aise baat karta hai kya? Yahi sikhaaya hai mene tumhe!?
Ragini : S-Suman jii! Maariye mat! Shayad pareshaan hai Sonali kisi baat ko lekar.
Suman : Ragini jii! Iske nakhre mein jaanti hu. Kuch pareshan nahi hai. Bas, bhaav khaana hai. Chalo! Maafi maango unse.
Sonali (gusse me) : Sorry!
Veer : Ahaha~ It's... It's okay!
Sonali : Bolo! Kya baat hai!?
Veer : Well! Ek offer hai tumhaare liye.
Suman : Hmm? Offer ka matlab prastaav na Veer jii?
Veer : Hmm? Haan! Haan!
Suman (smiles) : Kal hi mujhe Ragini jii ne iska matlab samjhaaya tha fufu~
Sonali (confused) : Kesa prastaav?
Veer : Jesa ki mene kal bataaya tha. Mein food truck ka business shuru kar raha hu. Usme tumhaari madad chahiye mujhe. Toh bolo, kya tum madad karogi? Mere saath mere business me!?
Sonali ek pal apni Maa ki taraf dekhi jo bhaari muskaan liye usse dekh rahi thi.
Sonali : M-Mein!?
Veer : Haan! Bolo? Tumhe khana banaana toh aata hi hai. Suman jii ne tumhe pehle se hi train kar diya hoga.
Suman : Bilkul!
Veer : Toh!?
Sonali : Par... Mujhe toh padhna tha...
Veer (smiles) : Wo bhi ho jaega. Jab mere paas enough earning hogi. Toh tumhaari padhaayi ka kharcha bhi mein uthaunga.
Sonali (shocked) : H-Huhhh!?? S-Sach!???
Veer (smiles) : Of course! Ekdum sach!
Padhaayi karna hi toh Sonali ka sapna tha. Aur Veer ke iss prastaav ne jese uske liye ek opportunity ka naya darwaaza khol diya tha.
Sonali (smiles) : Theek hai!
Shayad iss waqt wo ye bhi bhul gayi thi ki Veer aur uski Maa band kamre me kya kya karte hai.
Aur kuch issi tarah se Veer usse manaane me qamyaab tha.
Reward ke roop me usse 200 points bhi praapt hue the.
Veer : Toh!? Chale!?
Sonali : K-Kaha?
Veer (smiles) : Apni pehli kamaayi ke liye! Hume ek accha sa spot dhundna hoga. Let's go~
Kehte hue Veer apne red truck ki taraf chal pada.
Sonali : R-Ruko...
Toh peeche peeche Sonali bhi bhaagti hui aayi aur uske bagal waali seat par baith gayi.
Uss naye truck me...
Jisme upar bade bade shabdo me likha tha~
"Chef on Wheels"
Bole toh, Veer ke naye food truck ka naam. Ye naam usne hi choose kiya tha. Uske paas Absolute chef skill thi. Aur ab ye food truck bhi. Toh bas, unn dono ko kisi tarah combine kar usne ye naam decide kiya tha. "Chef on wheels"
Jo ki waqai apne aap me hi kaafi unique aur catchy tha.
Sonali : T-Tumhe chalaate toh aata hai na ye?
Kitni ajeeb baat thi. Sonali ki Maa, Suman Veer ko Maalik kehke bulaati thi toh wahi Aabha bhi usse Veer jii kehkar pukaarti thi. Par idhar Sonali jo Veer se khud umr me choti thi wo usse 'tum' kehke bulaati thi.
Veer : Of course~
Yadi yahi sawaal Sonali ne kuch din pehle pucha hota toh Veer ka jawaab na hota. Par usne 100 points invest kar, Basic Driving Skill haasil kar lii thi. Ye 100 points wahi the jo usne Suman aur Aabha ke sang rangreliya manaane par mile the. Aur ab uske paas 200 points bache hue the.
Ek acchi sii location dhund Veer ne apna truck park kiya. Abhi shaam ka samay tha. Par Veer apne iss naye truck ki shuruaat apno ke sang hi karna chaahta tha.
Aur isliye, kuch derr baad Ragini samet sabhi uske saath maujood the. Nidhi ko bhi usne bataaya tha jisse sunn wo kuch khaas khush nahi thi uske iss faisle par.
Uske anusaar Veer ko food truck me nahi, college me apni class ke andar hona chahiye tha. Uski nazar me Veer jese apne career se khilwaad kar raha tha.
Par wo saath me hi uski khushiyo par apni chintaao ka dabaav nahi daalna chaahti thi. Aur isliye usne yahi kaha ki wo shaam me hi uss se milne aaegi.
Yahi haal Shreya ka bhi tha. Job ke chalte usse aaj jald fursat nahi mil paayi thi. Rahi baat Arohi aur Kavya ki, toh wo dono bhi saath me maujood thi.
Aur Sonia, Suhana, Kaera toh jese iss waqt kaafi busy thi. Na jaane wo kab aane waali thi. Par Veer ki ek hi khwaaish thi. Ki teeno saath me na tapak jaaye. Warna toh bawaal ho jaana tha.
Idhar Ragini Veer ke sang khadi hui thi uske truck ke saamne.
Ragini : Kyaaaa!? Really!?? I-I mean...!? Tum chaahte ho ki mein...!?
Veer (smiles) : Yes! Mein chaahta hu ki aap hi iss ki shuruaat kare.
Veer ne truck ke peeche waale gate ko khol ek ribbon baandha hua tha. Wese toh udhgaathan aksar jagah ki kiya jaata tha par Veer Ragini ke shubh haatho se shuruaat karna chaahta tha.
Bechaari Ragini ke liye ye behad hi khushi ka mauka tha. Isliye nahi ki wo Veer ke truck ka udhgaathan kar rahi thi. Balki isliye kyuki Veer chaahta tha ki udhgaathan uske haatho se ho. Veer ki nazro me wo itni important figure bann chuki thi. Ye sochte hi uski aankho me halke halke aasu aa chale.
Ragini : I'll do it. Thank you!
Veer : Thanks to you bhabhi! Please...
Kavya : Toh bhaiya ab aap college nahi jaoge!?
Veer : Well... Not for now I think.
Aur fir Ragini ne ribbon kaata aur taaliyo aur khushiyo se aaj ke dhande ki shuruaat ho chuki thi.
Kavya : I'm just loving this name. Chef on wheels. Hehe~ So!? Aapke chefs kaha hai bhaiya!?
Usne apni curious nazro se pucha toh baaki sabhi bhi Veer ko dekhne lage. Jese uske answer ka wait kar rahe ho.
Veer : Huh!? What do you mean ki chefs kaha hai!? I am the chef.
*Silence*
Pal bhar ke liye wo sabhi Veer ko aise dekh rahe the jese maano usne koi chutkula maar diya ho.
Yaha tak ki uske bagal me khadi Sonali bhi usse ajeeb nigaaho se ghur rahi thi.
Ragini (uthate hue) : Kyaaaaa!? Veeerrrr!?
Kavya : Bhaiyaaaaaaa!??
Aabha : V-Veer jii!? Aur khaana!?
Suman : !??
Veer : Kya!? Arre aise kyu dekh rahe ho aap sab!? Ruko! Abhi sabhi ke muh band karta hu.
'Alright! Let's do this. Absolute Chef... Meri laaj rakhna. Aur naak mat katwa dena.'
[It's a Gold Tier skill. Bhulo nahi...]
'Hmm~ Dekhte hai kya kar sakti hai ye skill.'
Aur Veer ne fir apne truck ke kitchen me fatafat kuch snacks banaane shuru kar diye.
'Holy shittttt!!!'
Uske haath apne aap chalte jaa rahe the. Uske dimaag me apne aap sab baatein aati jaa rahi thi ki kis cheez ke baad kya karna hai aur kese karna hai.
'Fucccck!!! this is insane!!!'
Wo pan me maujood noodles ko aise flip kar raha tha jese maano expert ho.
Sonali bagal me khadi aankhein faade dekhti jaa rahi thi usse aur uske haatho ki takneek ko.
Aur neeche khadi baaki mahilaaye jese bolne laayak bhi nahi bachi thi. Wo sabhi hakki bakki sii veer ke tezz haatho ko chalte dekh rahi thi bas.
Aur fir... Khaane ki wo gazab ki sugandh jab unki naak me padi toh jese unhe kya bolna tha wo bhi bhul gayi.
Veer ne fatafat ek noodles ki dish sabse pehle bana ke apne sabse pehle customers yaani ki uske apne parivaar ko dii.
Aur jese hi unn sabhi ne noodles chakhe toh jese maano unhe ek aur jhatka laga.
Too delicious!!!
Ragini (shocked) : V-Veer!?? Ye sab tumne kaha se seekha? Kab? Mene tumhe na hi pehle ghar me kabhi kitchen me dekha tha aur na hi hamaare apne ghar me... Toh ye sab kese!??
Kavya (shocked) : Bhabhi ne ekdum sahi kaha bhaiya! Aapne ye sab kaha!?? Ye toh hotel ke level ka swaad hai bhaiya... How did you!?
Suman : Veer jii! Mene iss se pehle itna swaadisht noodle kabhi nahi khaaya. Maaf karna Ragini jii, par ye noodle aapke waale se accha hai.
Ragini : Nahi nahi suman jii! Balki mein khud aapki baat se sehmat hu. Veeerrr!? What is this? Y-Ye sab kaha se seekha tumne. Tumhe dekh ke hi mein bata sakti hu ki tum kaafi samay se cooking karte aa rahe ho. Kyuki aisi skills, wo bhi itni speed me... Mujhe jawaab do Veer.
[Lag gaye...]
'Fucccckkkk! Ab inn sabhi ko kese batau ki ye absolute chef ka kamaal hai. I cannot tell them that. Can I? No way!!! Kuch toh kehna hoga.'
[Tell them it's a magic. Hahahaha~]
'Shut up!!!'
[Hmph~]
Veer : Wo asal me...
Kavya : Hmm!?
Veer : Mein itne din Nidhi jii ke ghar tha na toh waha seekha tha... Ahahaha~
Usne nakli hassi hasste hue baat ko ghumaane ki koshish kii par..
"Kya seekha tha?"
Par tabhi Veer ke kaano me ek jaani pehchaani sii awaaz aayi.
'Ohhhhh Fuuuuucccckkkkkkk!!!!!!!!'
[Hahahahaha~]
Bagal me hi apni gaadi park kar Nidhi Juhi ki ungli pakad uske hi truck ki orr aa rahi thi.
Nidhi : K-Kya seekha tha mere ghar!?
Ragini : Huh!?? Veer ne kaha ki ye itne swaadisht noodles usne aapke ghar par seekhe. Kya aapne usse train kiya tha?
Nidhi : Huh!? K-Kyaaa?
Nidhi toh bechaari abhi hi aayi thi. Wo achanak ke iss sawaal se jese ekdum hi confused ho gayi. Par agle hi pal usne dekha ki Veer usse ishaare me aankh maar raha hai.
Aur ye dekhte hi wo thodi sii jhep gayi.
'Haah!?? V-Veer!??'
Wo toh jese ye samajhne lagi thi ki Veer usse uss way me aankh maar raha tha. Par jese baad me usse samajh aaya ki Veer usse baat ko ghumaane ke liye keh raha tha. Aur ye samajh aate hi usse apne aap par sharam aane lagi. Na jaane wo kya sochne lagi thi.
Juhi : Maaaammuuuuu~
Veer : Hahaha~ Aa gayi meri Juhi! Bolo!? Noodles khaogi? Mamu ke haath ke?
Juhi (nods) : Hmm~ Hmm~
Veer : Toh ye lo...
Juhi : Ketchup...
Veer : Haa baba ketchup bhi hai...
Ragini ne ek baar fir Nidhi ko dekha aur uske paas jaate hue usne ek spoon se apne hi haatho se Nidhi ko noodles taste karwaaye. Aur noodles taste karte hi Nidhi ka haal bhi wahi tha jo baaki sabhi ka kuch derr pehle tha.
'Y-Ye Veer ne banaaya!? P-Par wo toh kabhi kitchen me nahi jaata tha!? Toh ye!? Kya wo mujhse baat chhupaane ko keh raha hai?'
Ragini : Veer ne bataaya ki usne ye aapke yaha seekha tha. Kya ye sach hai!?
Nidhi : Wo...
'Please! Ma'am!! Don't tell her... Please...'
Nidhi (nods) : J-Jii! Wo mere ghar par kitchen me aksar jaa ke dishes banaaya karta tha.
'Haaasssshhh!!! Ma'am ne bacha liya... Otherwise...'
"Hmm? Kaun jaaya karta tha kitchen me!?"
Par jese Veer ko aur jhatke lagne baaki the.
Kyuki Nidhi ke itna kehte hi ek aur jaani pehchaani sii awaaz uske kaano me padi. Aur jese hi usne aate hue shaks ko dekha toh uske mann me bas ek hi awaaz gunji...
'Fuuucccckkkk meeeee.....!!!!!!!!!!'
Shreya, apne baal sawaarte hue saamne aa rahi thi.
Shreya : Omg this looks so good! Congratulations Veer! Aur kya baat ho rahi hai? Kaun hamaare kitchen me aaya karta tha Dii!?
Nidhi : W-Wo...
Veer : Arre welcome welcome!!! Aao na aap sabhi. Chairs lagi hui hai. Please! Baitho na!
Jese tese Veer ne baat ko ghuma ke usse wahi dabaaya aur ek raahat ki saas lii.
'Goshhh! Almost gaand marte marte bach gayi. Ye meri timing itni gaandu kyu hai? Ye quest me acchi kismat ke liye koi legendary cards nahi hai kya? Yadi hai toh batao I'll definitely buy one.'
Uske baad Nidhi ne bhi Veer ko congratulate kiya. Raat ke 9:30 ho chuke the aur Veer ka business zorr shor se chal raha tha. Veer ne filhaal ke kiye simple dishes hi rakhi hui thi par jald hi wo apni signature dishes bhi laane waala tha.
Aur 9:30 pe Veer ne kitchen me sabhi samaan ko rakh sab kuch band kar diya aur baahar hi aakar chair par baith gaya jaha sabhi baithe hue the.
Nidhi uske hi bagal se baithi hui thi. Sabhi baato me lage hue the par Veer aur Nidhi hi bas shaant baithe hue the.
Kavya ko toh jese apni badi cute sii cheez mil gayi thi. Juhi!!
Wo uske saath khelne me lagi hui thi. Kahi usse utha ke uske gaalo par pappi deti toh kahi usse balloon khareed ke laati aur uske saath khelti. Shreya bhi saath me hi thi unke.
Wahi Ragini Suman aur Arohi apni baato me lagi huii thi. Aur Aabha aur Saloni apni.
Bas bache the toh Veer aur Nidhi.
Sab kuch shaant tha unn dono ke liye jab achanak se hi Nidhi ke hontho se kuch shabd nikle.
"Kyu!?"
Veer (glances) : !??
Nidhi : Veer! Mein ye nahi keh rahi ki... ki food truck ka business karna koi bekaar kaam hai. Mein tumhe yu khush dekh ke, tumhaari tarakki dekh ke boht khush hu... Par...
Veer : ...
Nidhi : Par... Par kyu? Jab tumhaare paas better options the then why this? Tumhari fee already paid hai college ki. Tumhe iss waqt class me unn sabhi baccho ke beech hona chahiye. Not here! It's not the right time. Abhi toh tumhari umr hi kya hai. Y-You... You should...
Veer : I'll see!
Nidhi : Huh!?
Veer : Yadi mujhe samay mila. Toh mein jaunga... College...
Nidhi : ....
Veer : For you...
Nidhi (blushes) : ???
Veer : Ahem! And for me as well.
Nidhi (nods) : Hmm~
Wo Nidhi se kuch aur baatein bhi kehna chaahta tha. Jese ki, aaj wo uss laal saree me behad hi khubsoorat lag rahi thi. Veer ka food truck bhi laal tha aur aaj Nidhi ne bhi laal pehna hua tha. What a coincidence.
Par wo ye baat keh na paaya kyuki tabhi Juhi uske paas aayi aur usne bulbule ke wo khilone se phook maar ke dherr saare bubbles uske muh pe udaa diye.
"Hahahahaha~"
"Heheheheh~"
Peeche khadi Kavya ye dekh hassi toh Juhi bhi khil khilaayi aur daudti hui Kavya ke paas jaa kar baith gayi. Shayad he sharaarat karne ke liye Shreya ne unn dono ko kaha tha. Kyuki wo peeche baithe apne muh par haath rakh apni smile chhupaane ki koshish kar rahi thi.
Veer ye dekh muskuraaya.
'Ye natkhat bhi...'
[Juhi is too cute~]
'Of course!!!'
Wo sabhi uthne ke liye hue jab ek aur truck saamne se guzra. Usme bade bade banners lage hue the aur announcement karte hue wo guzar raha tha.
"Sheher me pehli baar. Mashoor Mirror Gallery me aapka swaagat hai. Iss hafte... Iss hafte... Ravivaar ki shaam 7 baje se udhgaathan. Pehle 50 customers ki free entry. Aaiyega zaroor. Pata xxxxx ground."
'Mirror gallery!?'
Veer ne banner me tasveere dekhi toh usse pata chala ye wahi tha.
Jaha mirrors hi mirrors lage hote hai aur aap andar jaa kar explore karte ho. Kabhi kabhi ye scary bhi rehta hai.
Kavya : Wow!!! Lagta hai kuch new khul raha hai. I really want to go! But mere exams aa rahe hai. Damn it!
Shreya : Same yaar! I mean mein bhi busy hu. I hope koi mil jaaye mujhe saath me le chalne ko...
Shreya ne Veer ki taraf ek baar nigaahe karte hue dheere se kaha. Par Veer bechaara toh jese apne hi khayaalo me ghum tha.
'She didn't come... Miss Kaera!!! Should I!? Ah! Right! I will take her to this mirror gallery. Hope! Waha wo aa jaengi!?'
Apne mann me decide kar wo utha. Aur sabhi ko usne vida kiya. Siwae Arohi aur Kavya ke. Sonali bhi uske saath hi thi.
Kavya : Kya hua bhaiya!? Hum sabhi ko kyu roka hai aapne?
Veer : Kuch baat karni thi akele me.
Kavya : Hmm!? Kahiye na bhaiya!
Veer : Tumse nahi Kavya. Arohi dii se...
Aur ye sunte hi Arohi ka badan ekdum se hil utha. Wo apni hatheliyo ko zorr se mutthi me kasse baithi hui thi. Aur Veer usse bas apne jeb me haath daale ghur ke dekh raha tha.
Veer : Dii!? Zara aaiye mere saath.
Kehte hue wo truck ke peeche side chala gaya. Aur Arohi himmat kar uske peeche peeche gayi. Idhar Kavya aur Sonali bas confused thi. Na jaane Veer ko kya baat karni thi!?
Arohi jese hi peeche aayi toh uske kadam tham gaye.
Raat kaafi ab ho rahi thi. Almost 10 baj rahe the. Bhale hi abhi bhi chahal pahal thi sadko par lekin badhti thand ke chalte ab sadko par bheed kam ho rahi thi. Aur truck ke peeche toh jese sab kuch shaant sa tha. Ekdum andhera sa tha.
Veer Arohi ke theek peeche khada hua tha aur usse paini nazro se dekh raha tha. Abhi bhi uske haath jeb me hi the. Wo jese Arohi ke kuch kehne ka intezaar kar raha tha.
Arohi : K-Kya hua Veer!?
Abhi bhi Arohi Veer ki taraf peeth karke hi khadi hui thi. Uski nazre neeche hi thi.
Veer : Kyu aayi thi aaj aap yaha!?
Arohi (palat'te hue) : Kyu aayi thi matlab!? I... I came for you. To congratulate you.
Veer : Toh aapke chehre par muskaan kyu nahi hai. Ye feeki sii smile kyu hai?
Ek jhatka sa laga Arohi ko Veer ke muh se ye baat sunn. Veer ne sab kuch bhaanp liya tha.
Veer : Aap jab se aayi ho tab se dekh raha hu. Shuru se ant tak... You didn't say anything. Aap bas feeki sii smile liye sabse haan ya na me hi baat kar rahi thi. It felt like you were there but at the same time you were not. Something is bothering you... Right!? Bataiye!
Arohi : N-No... No... You shouldn't know this.
Wo naa me sarr hilaate hue kuch khus pusaayi toh Veer ne aage badh uska kandha thaam liya.
Aur uske aisa karte hi agle hi pal Arohi ne uska haath apne kandhe par se zorr se jhatkaar diya.
"Nooooooooo..."
Wo palti aur waha se jaane ke liye hui par jese hi wo waha se nikal paati, Veer ne uski kalaayi zorr se thaam lii thi.
Arohi : Let me goooo~
Arohi thoda tezz awaaz me boli par Veer ko jese pata tha ki usse kya karna hai.
Veer : AROHIIIII!!!!!!!
Veer ne bhi usse zorr se chillaaya. Aur iss baar dii kehke nahi, seedha naam se. Veer ke muh se apna naam direct sunn jese Arohi ka poora shareer kaanp utha. Maano uska wajood hi hil gaya tha.
Aisa ek baar pehle bhi hua tha shayad. Uss raat, jab Veer ne usse bachaaya tha gundo se. Tab bhi...
Tab bhi Veer ne uska naam direct pukaara tha. Pata nahi kyu, par jese Veer ko apni baat sahi samay par uss se manaana aata tha. Aur harr baar jab ye hota toh Arohi apne aap ko ek badi behan nahi balki ek choti behan mehsoos karne lagti Veer kii.
Wo aage badha aur usne peeche se hi Arohi ko apni baaho me jakad liya. Apne pait par Veer ka haath mehsoos kar ek baar fir Arohi seham gayi.
"Tell me!!!!" Uski awaaz Arohi ke kaan me haule se padi. Par wahi haule se kahi gayi awaaz jese maano itni tezz thi Arohi ke liye. Maano jese Veer puch nahi raha tha. Order de raha tha.
Aur agle hi pal, Arohi ki aankho se aasu chhalak uthe.
Wo sisakte hue rone lagi. Ab uske paas aur koi upaay nahi tha.
Arohi (cries) : Tell me... You won't hate me!
Veer : I won't. Now tell me.
Arohi palti aur usne Veer ko dekha aur apne seene par haath rakh usne kehna shuru kiya.
Arohi : Wo... Dada jii ka accident...
Veer : Hmm...
Arohi (cries) : Dada jii ke accident ke peeche... *sniff* Mere hi... *sniff* Mere hi apne bhai Pranjal ka haath hai.
*Silence*
Maano jese sahi me poora sannaata chha gaya tha waha par. Samay jese tham sa gaya tha. Aur Veer ki aankhein harr guzarte pal felti chali gayi.
[That bastard...]
"What did you say?" Veer ne ek baar confirm karne ke liye pucha. Kahi uske kaan toh nahi baj rahe the?
Arohi (nods) : Yahi sacchayi hai!
Uske baad Arohi ne sab kuch bata diya. Kese usse Pranjal par shaq hua tha, kese usne uske kamre ki chhaan been kari. Kese usse wo wheel mila. Uske andar lage hue wo gears... Wo sensors... Jinhe remote controlling ke liye lagaaya jaata hai. Arohi ne sab kuch bata daala.
Arohi (cries) : Mene kabhi nahi socha tha mera hi saga bhai itni ghinoni harqat karega. *sniff* Mujhe sab kuch pata chal gaya hai. He did it for the property. *sniff* Dada jii ko yu gira kar... Wo unhe ye ehsaas dilaana chaahta tha ki samay rehte unhe jayzaat ka batwaara kar lena chaahiye. *sniff* H-He... He's a bastard!!! *sniff*
Veer kuch nahi bola. Uska sarr neeche jhuka hua tha aur andhere me Arohi ko ye bhi nahi dikh raha tha ki uske face par kya expressions the.
Uski mutthi itni zorr se bandhi hui thi ki force ke maare wo vibrate ho rahi thi.
"Uss haraam khor ko mein chorrunga nahi!!!"
Wo itna bol waha se tezz kadmo ke saath palta aur aage jaane hi wala tha jab...
"Noooooooo~"
Arohi ne peeche se zorr se usse jakad liya.
Arohi (cries) : Please!!!!!! Don't.... Don't... Veeeerrr!!!! Isliye... *sniff* Isliye... Mein tumhe nahi bata rahi thi. I myself don't know ki kya karu mein... *sniff* Ghar par siwae mere Kavya aur Dada jii ke. Everyone is against you. Don't go! Please!!!! I beg you!!! Mein tumhe aur pareshani me nahi dekhna chaahti. Pleaseeeee!!! Tum jaldbaazi me kuch bhi nahi kar sakte *sniff* Otherwise... Pranjal definitely kuch karega tumhare saath *sniff*
Arohi ki baat sach thi. Aur isliye Veer ko bhale hi iss waqt boht tezz gussa aa raha tha par wo jaldbaazi me aise koi bhi decisions nahi le sakta tha. He needed a plan.
Khud ko shaant kar usne Arohi ko apne aage laaya aur usse dekhte hue pucha,
"Aapne aisa kyu kaha tha ki promise me you won't hate me?"
Arohi : M-Mujhe laga ki... Mein bhi Pranjal ki sagi behan hu. S-So, you'll hate me...
Veer : Are you stupid?
Arohi : Huh!??
Veer : Why would I hate you!? Mein aapko hate nahi karta okay? And ye baat dimaag me baitha lo. I won't hate you for this stupid reason. I love you! Aise koi kisi se hate karta hai kya?
Ye bol jese Arohi ke liye amrit samaan the. Uske aasu aur zorr se behna shuru ho gaye aur wo bas Veer ki chhaathi me jaake sama gayi. Uss se zorr se lipat gayi.
Arohi (cries) : Thank you... Thank you.... *sniff* I love you too~ Thank you!!!!
'That bastard... He will pay for this.'
[He will...]
***
Mumbai...
Aatish' Hideout...
Chair par iss waqt Aatish ke dusre adde par Slogan virajmaan tha. Wo kuch soch raha tha jab Steve ne aake usse khabar dii,
Steve : Flyers batt chuke hai. Announcement bhi karwa diya hai.
Slogan : Hmm! Kaam hua!?
Steve : Jisse sunn'na tha. Uss tak khabar pohuch gayi hai.
Slogan ne haa me sarr hilaate hue saamne table par se ek flyer uthaaya jis par advertisment tha.
Aur wo advertisement tha~
Mirror Gallery ka...
Slogan : Good!
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Apna apna kaam ju log karke jaane ka.
Dhanyavaad!