- 13,871
- 98,661
- 259
Last edited:
Ab 11 baj gayi11 baj gayi update kaha hai
Ding new mission rihanna ji double snacks layegi because sabhi friends update ki wait karte hue aapka bheja khayenge agar aap ka snacks khayengeWerewolf Sir... Aapse kuch kehna chahti hu...
Main yaha jaan bujh k childish aur Teenager ki tarah behave karti hu... Aapke saath hasi mazak karne k liye. Taki aapke saath saath main bhi job ki din bhar ki thakan se refresh ho saku. Isliye aap k saath mazak karti hu. Hasti hu hasaati hu ...
aapse ladti hu jhagadti hu... Sirf maze k liye... Main apni asli personality idhar nahi dikhati hu. Kyuki sabhi jante h... Ye ek adult forum h... Aap jante hi h ki main jesa dikhati hu wesi exactly nahi hu... Ye sirf mood ko light karne k liye main aisa karti hu...
To ho sakta h shayad mne kabhi apnj boundaries cross kari ho. Shayad kuch zyada bol gayi kabhi main? I don't know ....
par yadi aapko meri kisi bhi baat se hurt hua ho... Meri yadi koi bhi baat aapko chubhi ho... Toh dil se maafi maangti hu .... Meri ye choti choti baato ka please bura mat maanna aap ... Mujhe laga ki shayad meri baat aapko kahi hurt na kar gayi ho... Aap to har kisi ko mazaak me keh dete h... Par kabhi kabhi baate dil pe lag jaati h... Aur wo aap dikhate nahi ho... Isliye apni taraf se pehle hi mne keh diya.
Kaarya pragati par hai. Kuch 500 words aur bache hai.Kiya hua bhai? Update kab ayega?
Jaldi kar bhaiKaarya pragati par hai. Kuch 500 words aur bache hai.
Are bhai kya bawal likha yr moz krdiUpdate - 3 ~ A Full Fledged Plan
Ab tak...
Brijesh (zorr se) : Ab khade khade intezaar kya kar rahe ho? Aage badho aur apne Dada jii ko tohfa do.
Manorath : Aao Veer!
Aur apne Dada jii ki sahuliyat se Veer aage badhte hue apne Dada jii ko gift dene jaane laga.
Ab aage...
Veer ke Dada jii, Manorath uss par kayi hadd tak bharosa karte the. Kyuki jitni bhi shikaayat wo sunte aa rahe the, unhone aaj tak Veer ko kabhi apni aankho se koi galat kaam karte nahi dekha tha. Aur aaj ye pehli baar nahi tha jab Pranjal ke muh se unhone Veer ki ghatna ke baare me suna tha.
Ye toh saalo se chala aa raha tha. Koi na koi aake Manorath ke saamne Veer ke karmo ki shikaayat karta tha aur Veer keval sar jhukae khada rehta tha. Veer virodh kiya karta tha par uske paas apni baat ko sahi saabit karne ka koi proof nahi rehta tha. Aur isliye ab usne virodh karna bhi chorr diya tha.
Aaj bhi kuch aisa hi tha. Veer ke paas koi saboot nahi tha apni begunaahi saabit karne ka. Aur kya kehta woh? Kon uski baato ka yakeen karta?
Pichle kayi saalo se jo image uski ghar me bani hui thi, uske chalte toh koi uss par reham bhi nahi khaata tha.
Jab Veer apne haatho me wo flower vase lete hue aage badha tabhi achaanak se pata nahi kya hua uska perr fisla aur wo buri tarah saamne ki orr jaa gira.
*Crash*
Flower vase uske haatho se chhuth kar gol ghumte hue ek tezz shor karte hue neeche jaa gira aur ek hi jhatke me wo sundar sa vase dherr saare tukdo me bikhar gaya.
"Aaaaaaaaaaa," Waha baithi mahilae aur ladkiyo ke muh se kuch aisi hi hairaani bhari awaaz nikli.
Aur fir ek shaanti sii chhaa gayi.
Sab ki aankhein phati ki phati reh gayi. Sabhi Veer ko aise dekh rahe the jese maano usne kisi ka khoon kar diya ho.
Dekhe bhi kyu na, akhir wo flower vase itna keemti jo tha. Manorath ko shuru se hi paudhe aur flower vases ka boht shauk tha, yahi kaaran tha ki unke ghar me ek alag se garden bhi tha.
Iss waqt Veer ki haalat kharab thi. Usne khud apne Dada jii ke liye ek flower vase chunn ke rakha hua tha jisse wo baad me unhe dene waala tha. Iss vase ke saamne uska vase toh kuch bhi nahi tha. Par ab kya? Ab toh wo vase uske haatho toot chuka tha.
Bas! Brijesh jo apna gussa pehle hi badi mushqil se control kiye hue tha wo uth khada hua aur chillaaya.
Brijesh : Haram khor! Tujhe pata hai wo tohfa kitna mehnga tha?
Apne Dad ki garajti awaaz sunn ek baar fir wo sihar utha. Brijesh usse aag babula hoke khaa jaane wali nazro se ghur raha tha.
Manorath : Brijeesshhhh!!!
Brijesh : Papa jii... Aap... Aap jaante hai ye tohfa kitne ka tha? Ye flower vase 3 lakh ka tha. Mene khud import karwaya tha China se isse aapke liye... Aur iss bewakoof ne...
Vase ki keemat sunte hi waha khade logo ko jese ek bada jhatka laga. 3 lakh unn sabke saamne yu barbaad hoke bikhar ke jo pade hue the.
Sabse zyaada haalat toh Veer ki kharaab thi. Uski samajh nahi aa raha tha wo kare kya.
Brijesh se ab raha na gaya, wo wese hi kayi saalo se Veer se pareshaan tha. Veer uski harr umeedo par paani ferr deta tha.
Veer ki taraf tezz kadmo ke saath jaate hue wo usse ek zorrdaar thappad maarne hi wala tha ki...
Manorath : Brijeessshhh!!
Brijesh : Par Papa jii...
Manorath : Aaj mera janmdin hai. Aur mere janmdin ke din tum aisa suluk karoge toh matlab hi kya. Jo hua usse ek galti maan ke aage badho. Vase kitna hi mehnga kyu na ho, wo toh ab toot chuka hai. Ab uske peeche rone ka koi fayda nahi. Rahi baat paiso ki toh iske paise mein de dunga.
Brijesh : Ye aap kesi baatein kar rahe ho Papa jii? Aapka janmdin hai. Mein bhala aap se paise kyu lunga?
Manorath ki baat sunn Brijesh ne apne haath rok liye par uska gussa abhi tak kam nahi hua tha.
Pranjal : Dada jii, mene Veer se kaha tha baahar hi ki apne shoes utaar de kyuki baarish se geele ho chuke hai. Par Veer ne meri suni hi nahi. Bola ki maids toh ghar me lagi hi hai, wo kis kaam aaengi?
Aur uski baat sunn sabhi ki nazre Veer ke perro par gayi jo geele jute pehna hua tha aur farsh ko ganda kar raha tha.
Aur ye dekh Brijesh aur krodhit ho gaya. Tabhi Veer ki stepmom Shweta uth khadi huyi.
Shweta : Veer din ba din laaparwaah hota jaa raha hai.
Pranjal : Veer! Apne jute utaaro, idhar aao ye sleepers pehn lo aur ab galti ho gayi toh ho gayi. Ye dekho bhagwaan ka prasaad rakha hua hai. Dada jii ko ye prasaad do aur unse maafi maang lo.
Pranjal usse haath pakad ke uske jute utarwaata hai aur usse wahi Dada jii ke paas rakhi ek sleepers ko pehna deta hai. Pranjal ne wahi table pe rakhe hue dahi shakkar jo ki bhagwaan ko chadhaaya gaya tha usse katori me laake Veer ko thama diya.
Pranjal : Jao Veer! Dada jii ko prasaad do aur maafi maango.
Veer bechaara itna seham gaya tha aaj ki ghatnao se. Aaj uski zindagi ka sabse manhoos aur bura din tha.
Veer ne prasaad ki katori haath me thaami aur wo aage badha hi tha ki firse uska perr na jaane kese fisla aur prasaad ki katori uske haath se chhatak kar seedhe uske Dada jii ki orr jaa giri.
Aur saara ka saara prasaad uske Dada jii ke kapdo par jaa gira.
Bas! Brijesh ka jo gussa abhi apni limit par tha, wo cross ho gaya. Wo aage badha aur...
*Chataak* *Chataak* *Chataak*
Thappado ki jhadi laga dii aur Veer ke gaalo par raseed raseed ke maarte gaya.
Thappado ki goonj se Kavya sehamte hue sab kuch dekh rahi thi. Usse waqai Veer pe taras aa raha tha. Arohi bhi bauhe sikodti hui saamne ho rahe drashya ko dekh rahi thi.
Wahi Pranjal aur Vivek khushi se fule nahi sama rahe the.
Vivek (khuspusaate hue) : Yahi hai wo grand show... Haha!
Ragini : Ohhh! Toh tum iski baat kar rahe the. Par... Par ye kuch zyaada nahi ho gaya?
Vivek : Hmph! Zyaada kaha ye toh abhi bhi kam hai.
Ragini : Aur ye idea kis ka tha?
Vivek (smiles) : Chote ka...
Ragini (hairaani me) : Pranjal ka??? Devar jii kuch zyaada hi chatur ho rahe hai aaj kal...
Idhar thappado se Veer ke gaal laal ho chale the.
Brijesh (gusse me) : Tu jaanta hai aaj tune kya kiya hai? Haram khor!!! Wo prasaad hamaare kul ki devi ka tha. Aur tune usse zameen pe gira diya? Aur wo bhi Papa jii ke upar? Naye kapde bhi kharaab kar diye tune unke... 3 lakh ke tohfe ka chuna laga diya... Roz roz tere haath se kuch na kuch gadbad hoti hi hai. Beta nahi panauti hai tu... Mein kehta hu nikal jaa... Nikal jaa issi waqt ghar se... Aur ahinda se iss ghar me qadam bhi mat rakhna...
Aur Brijesh usko haatho se pakad ke ghaseet ke baahar le gaya aur zorr se dhakka dete hue usse darwaaze ke baahar fek diya.
Ghar me maujood sabhi log darwaaze ki orr tezz kadmo ke saath aae siwae Manorath ke...
Aaj tak Devi ke prasaad ka aisa apmaan unke kul me kisi ne bhi nahi kiya tha. Manorath khud abhi iss waqt atyant dukh aur gusse me tha. Issi kaaran usne Brijesh ko bhi iss baar nahi toka.
Aur wo wahi baitha hua chup chaap apne hi mann me Devi se shama maangne laga.
Brijesh : Nikal jaa! Nikal jaa iss ghar se... Aaj se tera aur mera koi sambandh nahi. Marr gaya aaj se tu mere liye... Mera koi beta nahi hai. Khabardaar yadi tune iss ghar me dubaara kadam bhi rakha toh...
Veer kaapte hue sab kuch apni aankho se dekh raha tha, ye pal bhar me kya se kya ho gaya. Aaj kyu uske saath ye sab hua?
Veer ki sauteli Maa, Shweta saamne ke nazaare ko badi hi khushi se dekh rahi thi. Uski mann ki muraad poori jo ho gayi thi. Ab uski beti hi jaydaad ki maalkin banegi. Yahi sochte hue wo apni beti ki orr mudi toh dekha ki uski beti, Bhumika ke chehre par koi expression nahi the. Aur ye jaan kar Shweta ko khushi hui. Ki uski beti ke mann me bhi Veer ke prati koi bhaav nahi hai.
Veer ke aasu uski aankho se lagataar bahe jaa rahe the. Par wo kuch nahi bola.
Wo chup chaap utha aur baahar ki orr chal diya. Usne apne jeb me se gaadi ki chaavi nikaali aur wo gaadi on karne hi waala tha ki peeche se Brijesh ki awaaz aayi.
Brijesh : Ye gaadi teri nahi hai...
Aur Veer chaavi ko gaadi me lage hi chorr kar ghar se baahar nikal aaya.
Usne ek jhalak peeche mud ke dekha. Shweta aur Bhumika usse bina koi bhaav ke dekh rahi thi. Brijesh ki aankho me bhayaanak gussa nazar aa raha tha. Wahi uske Karunesh chacha bhi usse bina koi bhaav ke dekh rahe the.
Uski Sumitra chachi thoda chintit zaroor prateet ho rahi thi.
Vivek aur Pranjal ke chehro par halki khushi nazar aa rahi thi. Ragini aur Arohi bauhe sikode jese kisi soch me doobi hui thi. Jab uski nazar Kavya par gayi toh Kavya ne sehamte hue sar jhuka liya.
Bas! Uske baad Veer palat ke ghar se dur jaane laga. Ghar ke security guards bhi Veer ko jaata hua dekh rahe the.
Achanak baadal garje aur baarish firse shuru ho gayi.
Par Veer na ruka. Aur kuch hi palo me wo apne gharwaalo ki nazro se ojhal ho chuka tha.
Iss waqt Veer ko baarish acchi lag rahi thi. Usse apni lag rahi thi. Jab Ajay se maar khaate waqt wo ghar laut raha tha tab bhi baarish ne uska saath diya tha. Aur abhi jaha uske ghar waalo ne usse ghar se nikaal ke usse akela chhorr diya tab bhi baarish uska saath de rahi thi.
Uske saath saath mausam bhi yu ro raha tha. Veer bina koi awaaz kiye rote rote bas chalta jaa raha tha.
Usne apne seene par latka pendant apne haatho me thaam liya. Ek bada hi pyaara sa pendant tha, ekdum alag type ka.
Usse bheenchte hue Veer ke aasu aur tezzi se behne lage. Ye woh pendant tha jo uski asli Maa ne usse pehnaaya tha.
Veer ko apni asli Maa ke baare me kuch bhi nahi pata tha. Bas itna pata tha ki uss Maa ne usse janm diya hai. Jab bhi wo Brijesh se apni Maa ke baare me puchta tha toh Brijesh bas ek hi baat bolta~ "Naam mat lo uss kameeni aurat ka..."
Uski Maa ka naam tha Bhawana. Veer ke janm ke ek saal baad hi dono ke beech talaak ho gaya aur Bhawana ghar se chali gayi thi.
Kaha gayi woh, kis haal me hogi abhi, zinda bhi hai ya nahi uski Maa usse kuch nahi pata tha. Yaha tak ki uski Maa ka naam bhi uske Dada jii ne usse bataya tha. Na hi uss aurat ko lekar ghar me charcha hoti thi na hi koi uske baare me koi topic chedhta tha.
Veer ko toh ye bhi nahi pata tha ki uski Maa kesi dikhti thi. Koi bhi photo album nahi tha, uski Maa se judi koi bhi cheez nahi thi ghar me.
Baarish ke kaaran sadko par abhi gaadiya bhi kam chalti hui nazar aa rahi thi. Usse nahi pata tha wo kaha jaa raha hai. Jab tak uske perr chal rahe the wo bas chalta jaa raha tha. Usse apni sagi Maa ki yaad aane lagi. Yadi wo yaha hoti abhi toh uski Maa uske saath kesa vyavhaar karti? Kya usse pyaar deti? Ya fir Brijesh ki hi tarah wo bhi...!?
Paani se bheega hua Veer main road par aa chuka tha, abhi wo mudne hi waala tha ki ekdum se ek car mod se aayi aur Veer ne palat ke car ko dekha.
Par tab tak boht derr ho chuki thi.
Car ka agla hissa uski pasli se takraaya aur thokar hote hi wo zorr se jaate hue dur gir pada.
"Ohhhh! Noooo...." Car me baithe ek aadmi ke muh se nikla.
Car ko jhatka lagte hi peeche baithi ek ladki forun hi aage ki seat se jaa bhidi, "Aaaahhhh!"
Aadmi : Madam aap theek toh hai na?
Ladki (sar malte hue) : Haa! Mein... Mein thik hu.
Fir jese hi uss ladki ne saamne dekha toh uski maano saasein hi atak gayi. Saamne ek ladka zameen par dala hua tha aur usse samajhne me derr na lagi ki abhi abhi uski car kis se takraayi thi.
Wo ladka waha baarish me car se bhid ke pada bheeg raha tha.
Ladki (ghabraate hue) : Ye... Ye....
Aadmi : Inn sab ka samay nahi hai Madam. Hume jald hi nikalna hoga.
Aur itna bol wo aadmi forun hi gaadi aage badhaane lagta hai.
Ladki (chillaate hue) : Ye kya bol rahe ho aap? Nahi... Hum aise usse chorr kar nahi jaa sakte...
Aadmi : Madam! Baat ko samajhiye... Iss waqt humaara yaha se nikalna boht zaroori hai.
Aur usne car ke accelerator par perr rakh car aage badha dii.
Ladki peeche mud window se uss ladke ko dekh rahi thi, uska nichla honth daato tale zorr se daba hua tha ki maano khoon hi nikal aae. Aankho me halke aasu bhi aa chuke the.
"I'm sorry..." Usne mann me kaha.
Aur wo car palak jhapakte hi logo ki nazro se ojhal ho gayi.
Idhar accident dekh aas paas ke jo bhi log dukaan ke neeche baarish se bachne ke liye khade hue the wo daudte hue aae aur Veer ko uthaane lage.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Do leave a like!
Ae bhediya bhai waiting for update dostKaarya pragati par hai. Kuch 500 words aur bache hai.