• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,333 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 208 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,603

Werewolf

ᴋɪʀᴀ
Supreme
14,282
101,226
259
Last edited:

Lucky@khan

☆ it's me ☆
1,401
3,122
159
Update - 102 ~ Exposed (2)

Ab tak...

Veer : I have decoded everything!!!

Tommy : Okay! Tell us!

Veer ne haami bhar seedhe ek picture dikhaayi projector ke jisse dekh waha baithe sabke maatho par silvatein confusion ke maare aa padi,

Tommy apni jagah se uth khada hua,

Tommy : Are you kidding me??? Is this a joke?

Par Veer ne usse koi jawaab na diya.


Ab aage...

Investigation Department ~

Vegas ke iss department me, department ke Head Nolan, athwa waha kaam karne wale sabhi pramukh sadasya, sab ke sab waha maujood the aur apni apni jagah par baithe hue the. Beech me hi ek behad badi sii round table rakhi hui thi, jis par kuch files bikhri hui thi aur unke liye paani ki kuch personal bottles bhi rakhi hui thi.

Nik, Divya aur Suhana jo department ka hissa nahi the, woh bhi unhi sab ke beech baithe the. Aur keval yahi nahi, viraajmaan logo me hi Emma, Tommy aur Zoey bhi saath thi.

Aur unn sab ke saamne projector ke paas khada hua tha...

Veer!!!

Jiski nazre waha baithi tamaam janta par tiki hui thi. Aur unki Veer par.

Nightwalker ke mansion ka poore chapter ko ek full stop lag chuka tha. Par House of the Killers ko nahi. Saath hi Nightwalker ka sach baahar aana baaki tha abhi. Aur issi ke liye Veer yaha tha. Usne na sirf Nightwalker ko pakda tha balki mansion aur Nightwalker se jude sabhi raaz bhi haasil kar liye the.

Ab samay tha, unn sabhi raazo ko ek-ek kar ke kholne ka aur logo ke saamne laane ka...

Divya kursi par baithe Veer par hi nigaahein gadaayi hui thi.



64bb0a1f-1cc8-4f08-b5fe-6a0d39fab1f6

Toh wahi Suhana bhi Veer ko jigyasa bhari nazro se dekh rahi thi.

Photography

Aur fir Veer ne khamoshi todi,

Veer : I'm here to disclose all the secrets that I've found.

Nolan (nods) : Go on!

Veer : We all know what happened with us, right?

Mansion ki poori ghatna Mike ne apni zubaani me department ko suna dii thi. Sab ye jaan gaye the waha maut ka kesa nanga naach khela gaya tha. Kitni hi khatarnaak sthiti rahi hogi waha par.

Veer ke sawaal par sabhi ne waha sarr haan me hilaaya.

Par Tommy jo kaanp raha tha woh rote hue achanak hi khada hoke chillaane laga,

Tommy : Fucking hang that motherfucking bastard... *sniff* Aaarrrghhhhhh!!! I will kill him. He killed Chester, my buddy... *sniff* What will I say to his parents? *sniff* I'm screwed... *sniff*

Woh ekdum se bekaabu ho utha, uska emotional breakdown ho gaya achanak. Mike jo uske bagal se baitha tha usne Tommy ko pakad uski peeth par haath ferr usse shaant karaaya aur kuch seconds ke baad jab shaanti fir se chhaa gayi toh Veer ne punah apni baatein rakhi,

Veer : Chester was killed brutally.

Tommy : *sniff* *sniff*

Mike : But it's not possible to do a kill like that with just a mere sickle Veer.

Veer : He might have used some other weapon, Senior Mike.

Mike : That... I see. It's possible!

Nolan : Hmm! We will look into that later. Our team and forensic ones can take care of those things. You tell us what information you acheived about Nightwalker? How did Chester died when the room was locked from the inside? And how did you find the treasure?

Nolan ke sawaal se sabhi ki nazre ek baar fir Veer par tik gayi. Veer ne aisa namumkin kaam jo kar dikhaya tha. Usne ye bhi pata laga liya tha ki kese Chester room ke andar maara gaya tha, kaha aur kese usse treasure jo ki 10 million dollars ki worth ka tha woh mila, Nightwalker kyu aur kese inn kaamo ko anjaam de raha tha ye bhi. Aur na jaane kya kya usse maalum tha jiske liye shayad waha baithe log taiyaar bhi nahi the.

Nightwalker bhi pakda jaa chuka tha. Investigation department waale usse saath hi lekar aaye the. Aur ab woh police ki custody me tha. Uska asli chehra bhi saamne aa chuka tha jaha dikhne me woh bilkul hi ek normal insaan ki hi tarah tha. Koi bhi dekh ke ye nahi bata sakta tha ki woh itna bada khoonkhaar hatyaara tha. Shayad sahi kehte hai log,

Never judge a book by its cover.

Veer ne Nolan ko dekha aur pucha,

Veer : What do you want to know first?

Nolan : Tell me, how he got killed when the door was locked from the inside??

Veer ne ek lambi saans lii aur badi hi asaani se jawaab diya,

Veer : It's simple! Nightwalker came inside, killed Chester and went outside.

*Silence*

Log waha aise ho gaye jese unhe saanp soongh gaya. Kya kaha Veer ne abhi abhi? Nightwalker andar kamre me aaya, Chester ko maara, aur fir waapas nikal gaya? Huh? Mazaak chal raha tha kya? Veer pagla gaya tha kya? Woh sabhi Veer ko aise dekhne lage jese saamne khade kisi namoone ko dekh rahe ho.

Aur sabse pehle toh Tommy hi behka,

Tommy : No No No No!!! Let me tell you the truth. Chester was killed by a ghost guys. You know... Ghost can travel through the walls. Yup! That's it guys. This guy, Veer is just trolling everyone. Hahahaha~

Wo hassa aur akasmaat hi,

Tommy : YOU FUCKERRR!!! DO YOU HAVE ANY IDEA WHAT THE HELL YOU ARE SPOUTING??? WE ARE HERE TO HEAR THE SECRET HOW THAT MOTHERFUCKER KILLED MY FRIEND, NOT TO HEAR YOU TALKING BULLSHIT. IF YOU SPEND ONE MORE SEC DOING THAT, I'M TELLING YOU, I'M GONNA BEAT THE SHIT OUTTA YOU... YOU... Ughhhh!!

Iss se pehle ki woh uth ke apna gussa Veer pe nikaal paata, Mike ne usse pakad waapas se seat par patak ke baitha diya.

Mike : Calm down! And behave properly, this ain't your home.

Sab Tommy ko ghoorne lage aur harr ek ki aankhein apne upar paa kar Tommy ko na chaahte hue bhi shaant hona pada.

Nolan : Explain properly!

Veer : It's just as I said. He came inside, killed Chester, and went outside.

Aur Nik jo wahi baitha hua tha usse jese mauka mil gaya, Veer ki sabke saamne dhone ka,

Nik : Hah~ Bullshit! How can someone just come inside without opening the door? There is only one way to enter the room. No one can enter that room without opening the door. Mike told us everything after all. Sir, He is just wasting our time. I bet he didn't find anything--

Nik Nolan ki taraf jhukte hue bola. Uski baat sahi bhi thi. Bina kamre ko khole andar jaaya hi nahi jaa sakta tha. Kyuki ek hi raasta tha bas andar jaane ka. Mike ne bataya tha sabhi ko ki kahi koi bhi secret passage nahi tha. Toh Chester ka yu marr jaana? Woh bhi Nightwalker ka andar aake maarna? Namumkin tha ye poori tarah se.

Par...

Veer : When did I say he didn't open the door?

Nik : Huhhh??

Nik hairaani me Veer ki orr dekha.

Veer : He opened the door, went inside, killed Chester, and came outside. Simple!

Ab toh waha baithi Divya ki bhi bauhe sikudne lagi thi confusion ke maare. Yaha tak ki Mike bhi thoda chintit nazar aa raha tha. Kahi Nolan Veer ko lataad na de.

Veer ka kehna tha ki Nightwalker ne darwaza khola, andar gaya aur Chester ko maar ke waapas baahar aa gaya.

Ye toh saraasar bakwaas thi.

Suhana bhi Veer ko dekh rahi thi. Kuch chinta me bhi thi woh...

Nik : Are you even listening to the shit you are saying?

Veer : I'm telling the truth.

Divya : V-Veer!? Don't stretch this too long. We really want to know. Just tell us.

Veer ne Divya ko dekha, jese maani wo usse tease kar raha tha. Fir usne Nolan ko dekha,

Veer : Ohhh! You wanna know!?

Nik bhi baithe hue jese Veer ko prashn bhari nigaaho se dekhne laga. Woh toh bas mauka dhundh raha tha ki kab Veer koi bachkaani harqat kare aur woh firse uski udaa sake.

'Ye nauseekhiya bhala kya hi raaz jaan paaya hoga?'

Nik apne mann me yahi soch raha tha.

Par idhar Veer inn sab bachkaani harqato se upar uth chuka tha.

'What I'm about to tell them, will blow their minds.'

Sochte hue usne apne haath ko dekha, uske badan ke ruye khade hue the.

[You're still getting goosebumps, Master! Sach me... Ye log taiyaar nahi hai. Aur ye Nightwalker toh sirf dusra hi killler tha Master! Kya ye log aane waali musibato ke liye taiyaar bhi hai ya nahi? I'm getting scared.]

'Don't know!'

Veer ne Nolan se ishaare me permission maangi toh Nolan ne sarr haami me bhara, aur uss se sweekriti milte hi, Veer ne apne bagal me kursi par baithe ek vyakti ko dekha jo laptop par kaam kar raha tha.

Veer ka ishara jese hi usse mila, usne gallery se ek image khol dii, jo saamne projector par ujaagar ho gayi.

Aur usse dekhte hi, sabhi ke maatho par rekhaaye sajj gayi.

Veer : This is the answer to your questions. And now I will unravel the truth.

Nolan : !!??

Mike : That's...!!!

Zoey / Emma : ...

Divya : This is.. What are you implying Veer?

Suhana : V-Veer...!!!

Tommy : Are you kidding me??? This is not a joke.

Par idhar, Tommy ko chorr sabhi serious the.

Veer : Everyone!!! There is a reason why those room numbers were not in order.

Nolan : What do you mean?

Veer : Those room numbers weren't just room numbers...

Uske itna kehte hi, sabse pehle Divya ne react kiya,

Divya : N-No!!! It's can't be... This...!!!

Woh apni seat tak se uth gayi. Uske shareer ke raungte khade ho chuke the. Kyuki saamne jo picture screen par maujood thi,

Wo thi...




Divya : T-They were....

Veer : YES! ATOMIC NUMBERS!!!!

*Booooooooooommmm*

Maano ek visfot hua waha baithe sabhi logo ke mastishq me.

Mike ka muh khula ka khula reh gaya toh wahi Nolan hairat angez me wahi jamm ke reh gaya. Par ye toh abhi kuch nahi tha.

Tommy : Whattt? What the fuck are you talking abo--

Lekin uski baat ko Veer ne beech me hi kaat diya, jab uski nazar seedhe Zoey par gayi,

Veer : What was Chester's room number?

Zoey (jhepte hue) : H-Huh!! That... It... It was 50.

Aur Zoey ke muh se itna nikalte hi Veer ne screen par doosri slide pesh kar dii.



unnamed

Divya ne kuch baat pakad lii thi. Par usse abhi aur jhatka lagna baaki tha.

Tommy : But... But... What does that have to do with Chester getting killed?

Thik hai ki Veer ne ye raaz khol diya tha ki woh room numbers atomic numbers the par Chester ka marrna iss sab se kese mel khaa raha tha bhala?

Aur iss sawaal ka uttar bhi Veer ne agli slide dikha ke de diya.

Jese hi unhone woh dekha, waha baithe sab ke andar ke taar hil ke reh gaye. Divya ki toh rooh hi kaanp gayi.

Tommy, Zoey aur Emma sab hakke bakke hoke bas screen dekh rahe the. Woh kuch kehne laayak hi nahi bache the.

Screen par likha tha~


IMG-20220809-231427

Nolan : That... That means...

Veer : Yes!!!! He melted it.

*Booooooooooommmm*

Ek aur visfot hua unke dimaag ke andar.

Mike : B-But how....!???

Veer : Tin! Melting point of tin is approx 232° C. He melted it by using gas burner. The ones which we use in campings.

Veer ki baat sunn unke poore jism me raungte khade ho gaye. Reedh ki haddi tak ek sihran daud gayi.

Nightwalker ne darwaaze ke ek metal bar ki boundary ko gas burner ke saamne ek nozzle laga ke pighlaaya...

Aur pighalte hi, usne uss bar ko kheech ke baahar nikaala. Andar haath daal ke usne kamre ki chatakni ko khola...

*Click*

Aur woh Chester ke room me hathiyaar leke ghusa.

*Slaaaaaaaaashhhhhhhhhh*

*Hhhhaaacccckkkkkkkkkkkk*

Chester ko kaatata raha jab tak woh do tukdo me na batt gaya. Aas paas bikhra khoon pocha,

Kambal se uske shareer ko dhaka, aur baahar aaya.

Waapas se haath daal ke andar se kundi band kii aur gas burner se dobaara uss metal bar ko pighla ke weld kar diya.

*Booooooooooommmm*

Ek aur zordaar jhatka unko laga jab Veer ke muh se ye sab vistaar me suna. Aisa lag raha tha jese unhone bhoot dekh liya tha koi apni aankho ke saamne.

Jese bilkul maatam sa chhaa gaya tha. Koi awaaz nahi nikal rahi thi unke muh se. Aankhein bhay ke maare feli hui thi, shareer khauf aur darr ke maare kaanp raha tha. Aur honth aapas me kasse hue the. Ekdum band.

Ab unhe iss baat ka andaaza laga tha ki woh kitne bade criminals ke saath deal kar rahe the. Aur ye House of Killers koi choti moti gang ka hissa nahi thi. Ab jaake iss baat se woh dhang se avgat hue the.

Divya ladkhada ke apni seat par gir padi. Darr ke maare uski aankhein phel chuki thi.

Jitne bhi room numbers the. Metals me Tin ho tha waha jiska melting point sabse kam tha. Aur gas can burner se usse melt karna koi bhaari kaam nahi tha.

Chester ki maut tabhi tay ho gayi thi. Jis waqt usne room number 50 chuna tha.

He died there only.

Veer ne jab Nightwalker ko baandhne ke baad check kiya tha toh,

*Ding*

[Name : Noah White.]
Alias Name : Nightwalker.
Age : 34
Bio : Noah White aka Nightwalker is a member of the House of the Killers. He likes paintings. He takes drugs from Jim, exchanges them with the expensive wines and beers. He has a fetish to kill people and see their blood coming out. Has killed his own family members, and others with a total count of 93 people. His mansion's key cards sells for only 8 people twice in a row per month. He was a technician and a welder before.

Favourability : -45
Relationship : Enemies.]

Jab Veer ne ye padha tha tab usne inn details par kuch khaas dhyaan nahi diya tha. Waha se nikalte waqt usse khaali gas burners ke cans bhi dikhe the. Par usne dhyaan nahi diya tha.

Aur woh Mike ko apni peeth par laad ke upar le gaya tha.

Parantu Mike ko ek kamre me litaane ke baad jab woh Chester ke kamre se guzar raha tha. Toh neeche pade hue darwaaze par jese hi uski nazar gayi,

'Check'

*Ding*

[A metal door with a welded metal bar.]

'Huh? Ye pehle toh nahi tha!'

Jab Veer ne apne kamre ke darwaaze ko check kiya tha tab to description me likh ke aaya tha,

[A metal door.]

Aur ab...

Lekin tabhi...!

'Huhhh???'

Veer ke mann me Nightwalker ka bio ek baar punaah saamne aaya.

'He was a Technician and a Welder before.'

Welder... Welder... Metal door with Welded Metal bar ....

'This...!!!!'

Aur isliye... Veer ke badan me ruye khade hue the. Usse itne zyaada goosebumps aaye the.

Woh ladkhada ke gir gaya tha wahi. Jis shaatir dimaag se Nightwalker ne Chester ko maara tha. Veer ke soch ke hi raungte khade ho gaye the.

'Ek second... Technician...! Huh??'

Aur tabhi usse Nightwalker ke saath ladaayi ka scene yaad aaya. Kese Nightwalker ne current ki taaro ka istemal uss par kia tha.

'N-Noooo!!!'

Now, everything was making sense.

'So he was planning this all.'

Veer apni saari baato ko bata ke jab shaant hua toh waha par logo ke chehre dekhne laayak the. Woh sab besudh se baithe Veer ko dekh rahe the. Keval unki saaso ki hi awaaz aa rahi thi.

Mike : But where's the treasure???

Veer ne Mike ke sawaal ka jawaab nahi diya. Balki usne Zoey ko dekha aur pucha,

Veer : And your room number was...

Zoey : M-My... Mine was... 79... Huh??

Bolne ke baad uski nazre turant hi uss periodic table par gayi. Aur jese hi usne dekha...

Uska badan thitur utha. Kaanpte hue usne apne haath se seene par apne top ko kass ke bheench liya.

Kyuki agli slide me saamne tha...


135121-pt-element79

Zoey (kaapte hue) : Th-This....

79, Atomic number of Gold!!! Yaani sona... Zoey ke room me tha? Jis room me woh itni derr tak thi ussi room me 10 million dollars ka sona chhipa hua tha!???

Veer ko jab pata chala tha ki Nightwalker me aise Chester ko maara tha toh woh fauran hi Zoey ke kamre ki orr bhaaga tha.

Yadi Chester ka room door Tin se bana tha toh fir, Zoey ke room ka darwaaza toh..

79!!!! Gold se bana hona chahiye tha.

Apne room se teeno logo ko neeche bhej woh Zoey ki room ki orr bhaaga,

Aur...

'Check'

*Ding*

[A Metal door.]

Par koi fayda nahi. Veer ne scratch kar upar ki parat hataani chaahi. Kahi aisa toh nahi iss swarn par koi coating chadhi hui thi? Par koi fayda nahi. Ye metal door sone ka nahi tha.

Ek antim baar search karne ke liye woh room me gaya.

Aur ghuste hi jese hi usne saamne dekha...

*Ding*

'No... So I was right!!!!!!'

"Veer??? Veeeerrr???"

Veer apne hosh me firse aaya jab Mike ne usse pukaara.

Mike : The treasure?

Veer ne Mike ko dekha, Aur eka-ek,

Usne taali bajaayi,

Tabhi, Darwaza khula, aur do ladke kisi bhaari sii cheez ko pakad ke lekar aaye aur table par rakh diye. Poori cheez ek laal kapde se dhaki hui thi.

Nolan : Don't tell me....

*Flaaaaaaaappppppppp*

Veer ne ek baar me uss par se woh laal kapda hata diya tha. Aur unke saamne tha...

Poora sone ka bana hua flower vase. Uski chamakti roshni unki aankho me pad iss baat ka saboot de rahi thi ki woh ekdum asli aur ucchh koti ka sona tha.

Zoey apni jagah se bhauchakii hoke khadi ho gayi,

Zoey : But this wasn't there before...

Divya : Veer!! Don't you fucking tell me...

Veer (smiles) : Oh yes indeed...

Divya : *gulps*

Veer (grins) : He melted it!!!

*Booooooooooommmm*

Aur iss akhiri visfot ke saath Veer ne sab kuch unke saamne khol ke rakh diya.

Nightwalker ne sone ke biscuits bhi pighla ke usse vase ke andar bhar diya tha.

Kisne kaha tha ki Golden bars sirf solid state me hi maujood thi Mansion me? Woh apne liquified state me bhi toh ho sakti thi?

Aur yahi tha raaz. Issi kaaran se uss pighle hue sone ne flower vase ka aakaar le liya tha. Nightwalker ne jaan boojh ke uske upar fir mitti daali, aur fir ek do phool bhi laga diye the.

Saath hi usne jaan boojh ke darwaaze ko gold se nahi banwaaya tha. Woh bewakoof nahi tha. Yadi woh aisa karta aur Veer ki tarah kli ye andaza laga leta ki bars darwaze me hai toh woh sabhi tob yu hi khazana chura lete.

Aur isliye usne golden bars ko iss tarah chhupaaya. Kisi ka shaq jaana hi nahi tha flower vase pe kyuki itne bade golden bars flower vase ke muh ke andar kese ghuste bhala?

Par kya yahi kehna tab waajib hota jab sona pighla hua ho? Shayad nahi!?

Mike : But what about those paintings???

Veer : Those were just a deception Senior Mike.

Mike : A-Ahhh!!!

Emma : What about our boats???

Veer : Isn't it obvious? He hid them!!!

Emma : That's...

Nolan : There were cameras too...

Veer : Yes!!! Whoever were watching us, they have probably been alerted. So oir next Target is them only.

*Clap* *Clap* *Clap*

Agle hi pal, Nolan ne taaliyaa bajaani shuru kar dii,

Nolan : Incredible!! In all my years of duty, I've never seen a young man like you unraveling mystery like this. You have brought us pride and respect. You will get reward for this gentleman. The findings... You'll get some Percentage of this treasure.

Veer (smiles) : Not just me. Senior Mile helped me a lot too. He should be equally rewarded.

Mike : Ahhh!! V-Veer... There's no need to--

Nolan : A wise gentleman! I like it. Okay then. I'll hand over both of your names.

Itna bol Nolan waha se nikal gaya aur Veer aur Mike dono ke liye hi tareefo ke pul baandhe jaane lage.

Veer ek dil ka saccha insaan tha. Usse kiske saath kesa behave karna hai ye bakhoobi aata tha. Usse reward ke roop me dhan raashi milne waali thi. Toh usne Mike ka naam bhi aage kar diya.

Aur kyu na kare? Jab koi nahi tha uske saath Island par jaane ke liye, tab bina kisi swaarth ke Mike ne apna naam aage badhaaya tha.

Toh jab inaam batt raha ho toh Mike ka naam toh usme aana hi tha. Idhar Mike hi nahi, sabhi ke mann me Veer ke prati izzat kaafi badh gayi.

Par aise bhi log the jo ekdum hi jal bhun gaye the iss baat pe... Aur unhi me se ek tha hamaara bandar...

Nik!!!

Woh toh daant peese Veer aur Mike ko ghoor raha tha. Aisi gaand jal rahi thi uski ki chunune kaat rahe the usse pichwade me...

Kherr! Ant bhala toh sab bhala.

Ye discussion samaapt hua, mritak logo ke mata pita ko inform kar diya gaya tha, unke liye toh maatam bann gaya tha.

Zoey bina kuch kahe hi waha se nikal chuki thi. Shayad ye sab hazam karna uske liye kuch zyaada hi tha. Usse apne mann ko sambhaalne ke liye waqt chahiye tha.

Wahi Emma Veer ke paas aayi aur uss se sirf itna boli,

"Meet me tonight here only. Outside the department @ 8:30."

Aur woh chali gayi.

***

Time ~ 8:17 PM

Raatri ka samay ho chuka tha. Aur koi bhi abhi Ghar nahi gaya tha. Veer, Suhana, Divya Nik sab yahi maujood the department me aur baaki ki chhaan been me lage hue the.

Mike ke sang Veer baahar aaya aur raaste par dono tehelne lage. Itna sab kuch aaj unhone jaana tha. Na jaane aage kya hone wala tha unke saath.

Mike ne cigarette ka dabba jeb se nikaala aur Veer ki orr badhaaya,

Toh Veer ne muskuraate hue dabbe se ek cigarette nikaal lii.

*Click*

Lighter jala ke Mike ne Veer ki cigarette ko aanch dii aur fir usne apni jalaayi,

Ek kash hawa me chorrte hue fir woh bola,

Mike : It was outstanding Veer! You did a splendid job.

Veer : You are being too humble.

Mike : No! You are being too modest.

Veer : Haha~ That's you over-praising me.

Mike : I'm just telling the truth.

Veer (smiles) : Alright! I'll take that...

Mike : Yes! After all you disclosed everything...

Veer : Disclose huh!!

Mike : Hmmm?

Veer tabhi achanak aage badhne laga, Mike ko wahi akela chorr ke,

Mike : Where are you heading to?

Veer ne bina peeche mude hi jawaab diya,

"To disclose someone else's secret."

Mike : Huh?!?

Mike ki samajh nahi aaya ki Veer aur kiske raaz kholne ki baat kar raha tha bhala?

Fir bhi, woh Veer ko akela chorr usse uski privacy dete hue, apni cigarette phek andar department me chala gaya.

***

Mumbai...
Night ~ 8:29 PM

Ek aurat stylish sii saree pehne idhar se udhar ho rahi thi. Gusse me bhi thi woh aur thodi vyakul bhi.

Saamne ki seat par ek naujavaan ladka baitha hua tha jo computer ke keyboard par apne haath fatafat chalaaye jaa raha tha.

Tabhi peeche se uss aurat ki awaaz aayi,

"Hua????"

"Try kar raha hu madam. Ye sahi toh hai na?"

"Bilkul!! Sab sahi hai. Tum bas apna kaam furti me karo."

Aur jii haa, ye koi aur nahi...

Mardo se nafrat karne waali, Niharika hi thi.

Aur uske saamne seat par baitha woh ladka tha, ek hacker!!!

Jo Veer ke phone ko hack karne ki koshish kar raha tha.

Niharika : Kuch hua?

Ladka : Try kar raha hu madam. Yadi log in credentials sahi hai toh other devices se log in karna possible hai. Cloud and all... You know...

Niharika : Okay! Jaldi karo...

Uski bechaini badhti hi jaa rahi thi. Par saath hi uske andar jeetne ka ek junoon bhi tha. Yadi woh Veer ke phone se woh video le leti hai toh fir toh woh Veer se apne talwe chatwa sakti thi. Soch kar hi uska excitement aur badh raha tha.

Usne key logger install kiya tha Veer ke phone me. Ek tarah ka aisa app jo aapki keys ko record karta tha. Yaani aapke haath mobile ke keyboard par kitni baar kaha kaha chal rahe hai, kaun sa shabd zyaada use ho raha hai, otp, ya pin wagarah daalte samay kaun se numbers ko dabaaya jaa raha hai. Inn sab ka record rakhta tha.

Beshaq! Ek khatarnak app tha ye...

Niharika ke mann hi mann me laddu phoot rahe the jab achanak hi,

*Ring* *Ring*

Uska phone baja,

'Huh?'

Aur usne screen dekhi apne phone ki...

Par jese hi usne screen par nazre gadaayi, uski rooh kaanp gayi. Screen par likha tha~

Incoming call
Bastard....

Issi naam se usne Veer ka number save kiya hua tha.

Aur wo padhte hi... Uski sitti pitti gul ho gayi.

'Th-This bastard!!! Why now???'

Kaapte hue usne phone pick kiya,

Niharika : H-Hello...!?

Veer : So my slave is getting naughty huh?

Niharika : Wh-Whaaattt?

Veer : Ho gaya hack?

Niharika (jhepte hue) : Huhhhhh!!!!

Veer : Tumhe kya lagta hai? Tum mujhse zyada smart ho? Yadi hoti toh meri slave na hoti... Kya hua? Bolti band ho gayi kya?

Niharika : ....

Veer : Confused ho? Ki kese mujhe pata chala? My dear slave!!! Jis din tumne mere phone key logger install kiya tha na, uss din hi mujhe pata chal gaya tha. Aur jis data se tum hack karne ki koshish kar rahi ho.... It's fake...

Niharika : W-Wo...wo... Wo...

Agle hi shan, Veer ki awaaz achanak hi ekdum buland aur itni intimidating ho gayi,

Veer : Don't play with fire! Waha aaunga toh bhaag nahi paogi....

*Thud*

Sunte hi Niharika ke haath se uska phone chhutak ke gira aur woh dagmaga ke bistar par gir padi. Poora chehra uska paseene se bheeg gaya darr ke chalte...

Aur tabhi, saamne baithe hue ladke ne kaha,

Ladka : Madam! Data sach me sahi hai na?

Bechaara ladka. Niharika ye sunte hi itni aag baboola ho gayi, uska gussa saatve aasmaan par pohuch gaya aur woh zorr se chillaayi,

Niharika : Nikal jaao!!! Nikal jao yaha se!!!

Ladka : H-Huhh?? Madam?

Niharika : Nikalte ho ya nahi??? You bastard!!!

Iss se pehle ki Niharika usse kuch utha ke phek ke maarti, woh bechaara ladka gaand phati ke maare bhaag gaya waha se.

'Tch!!!! Worthless men!!!!'

Mardo ko gaali bak, Woh wahi padi padi apni saasein durust karne lagi. Veer ke shabd uske mann me goonjte rahe...

***

Las Vegas
Investigation Department
Time : 8:38 PM

Idhar Veer ne jese hi Niharika se baat kar phone kaata, bagal se usse ek jaana maana shaks aata hua nazar aaya,

Emma!!!

8:30 ka milne ka bola tha usne. Luckily, Veer baahar hi tha.

Emma : It's good that you're here.

Veer : So? What's the matter?

Emma : I wanted to tell you something.

Veer : Finally opening up huh?

Emma : Y-Yeaahhh!!

Veer : !!!?

Emma : Actually... Actually, I went there illegally. I... I stole a yacht from a rich person. That's why I didn't tell you giys earlier.

Veer : Ohhhh! That's it?

Emma : Y-Yeah!

Sharmindagi ke maare Emma ne sarr jhuka liya. Baat zara sii thi. Par shayad Emma ke liye badi thi.

Usne ek ameer vyakti ki yacht churaayi thi mansion me aane ke liye. Aur isliye wo ye kisi ko batana nahi chahti thi.

Emma (blushes) : Can I... Can I come with you?

Veer : Huh? I'm not from here. I'm from India.

Emma : Wh-Whaaaattt???

Veer (smiles) : Yes!

Emma : O-Okkaaayy!! So you don't need any assistant? What work you do there?



IMG-20220810-015548

Veer : I have a business.

Emma : Then how about a assistant? I... I can work for you ...

Veer kuch kehta tabhi usne dekha ki Department se Nolan baahar nikal apni car me baith raha hai. Saath hi ek khubsoorat mahil uske liye darwaaza bhi khol rahi thi. Jo ki uske secretary thi.

Veer : Man! I do need a professional secretary though.

Veer ki nigaaho ko follow kar Emma ne uss orr dekha.



IMG-20220810-015604

Emma : A professional secretary huh!? I think it's time to leave then...

Veer : Hmm? Ohhh!

Emma bina kuch kahe Veer ko bas kuch palo ke liye dekhi aur waha se palat ke woh nikal gayi.

Idhar Veer uske jaate hi department me jab andar aaya... Toh Suhana aur Divya aapas me behas kar rahi thi,

Suhana : You fuckiinngggg know something... Tell me what the fuck you are hiding? Huh? Bolo! Kya chhupa rahi ho mujhse?

Divya : Urgghh! Jaan'na hai tumhe? Fine then!!! Ye lo!!! Tumhe yaad hai na kis liye bulaaya tha mene tumhe? Ye lo fir...

Kehte hue usne ek card feka jo seedha Suhana ke muh pe land kiya,

Haatho me pakad jab usne uss card ko dekha toh woh hairaani ke maare hil ke reh gayi,

"Whaaaaaaattttttttttttt!!!????"
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
This update consists of more than 4.8k words. This took a lot of my time. Toh like thokne ka dil se aur revos rakhne ka.

Dhanyavaad! ✨
Update koi Khas nhi hai but phir bhi mujhe es Update mai sabse badi baat Divya ki lag rahi hai

mai suru se bolta aarha hu Ye Divya kuch naa kuch chupa rahi hai or koi na koi game veer ke saath khel rahi hai

Ab Veer Divya ko bhaw wala tapa tap tapa tap dega tb Divya ke Raaj se parda uthega......

Aesa meri soch hai sayad ye aage chal kar glt bhi ho sakta hai or shi bhi......😎
 

Lucky@khan

☆ it's me ☆
1,401
3,122
159
Main har baar sochti hu bas iss se zyada ab aur excitement ya suspense ka level nahi ho sakta...
par aap mujhe har baar wrong proof kar dete ho Sir... 💞 It's mind boggling...

aur update 102?? My god!!! I was left speechless Sir...


Kisne socha tha ki woh room numbers atomic numbers honge? My mind blasted when I read that sentence.

kitni perfect images aapne daali h... Ekdum on the spot... 💫

This update has the highest IQ scenes ... Aur jinhe ye update pasand nahi aaya na, main daave k saath keh sakti hu... They have lower IQs... Becharo k upar se nikal gaya hoga.

Main ek science students reh chuki hu to mujhe sab kuch samajh aa gaya. Par commerce aur arts walo k liye definitely problem create hui hogi 🤣🤣 soch rahe honge ye main kya padh raha hu? 🤣🤣

woooowww... Just wooowww... 💫💞

Noah White... Nightwalker... Dono words me aapne N aur W use kia... Wowwww... Such a little detail ... These minute minute details that you are putting in your craft without even mentioning them at all... It's disrespectful Sir. Aapko ye baate batani chahiye ki updates me kitni choti choti cheeze hidden h...

logo ko pata chalega ki aapki craft kitni intricate h... 💯

I got shivers and goosebumps when I read how Nightwalker killed chester. Veer ne jis way me secret bataya h na... Wo just... 💞💞

Tooo marvelous Sir!!! 💫

Aur wo scene jab usne bar melt kia apna haath andar daal k kundi kholi... Aur kese andar aaya... Ufffff!!! God damn... 🔥🔥 I got goosebumps. Chester ko kese maara hoga usne...

but yaha mera ek doubt abhi bhi h... Nightwalker andar aaya par chester ne koi action kyu ni liya?


Counter kyu ni kia usne? Kya wo pehle hi mar chuka tha? Or was he sleeping? Par so nahi sakta wo...

kyuki wo to daud k andar aaya tha. Nightwalker ka mazak udaya tha usne... Then wo itni jaldi so jaaye? I don't think that's possible... This doesn't makes any sense... 🤔

so then why? Wo act kyu ni kia? Or was he unconscious???

Anyways... Aapne jesa kaha tha wesa kar k dikhaya....


mere saare questions k answers de diye apne iss update me... Hats off sir... :bow:

And your style... End me suspense na ho aisa kese ho sakta h??? Again another mystery...

Uss card me aisa kya h??? Is it a wedding card or something? Kya Veer and all wedding me jaa rahe h? What is that card? Kahi wo Mansion ka card to nahi? Key card? Areee yaaaarrrrr.... Mera mind fat jaega aise me... :rant1:

next update please jaldi de dena... I'm begging you... Please... 💞

Aur Niharika ki baat bhul gaye... 🤣🤣🤣 She was trying to trick our Veer. But she got outsmarted... 🤣🤣🤣 Awwwww poor niharika... :hehe:

hacker ko bhaga dia... 🤣🤣 Also Emma... So she stole a yacht... Reason to chotu sa tha... Aur main na jaane kya kya soch rahi thi... :hmm2:

also, please ek estimate de dena... Veer Mumbai kab lautega... I want to see him around Kaera, Sonia, Nidhi and all... Please... Ek rough guess bata dena.. :pray:

At the end... Please keep writing just like this... Keep entertaining us... You don't know but thousands of people read your story from around the country. It's our way to relieve our stress... You are doing a tremendous job sir ... Please keep doing it... Keep grinding... Love from here... ❤️❤️❤️
Chalo snacks ki dukaan ke comments par werewolf ka reply to milta
 

GMKNG00

Abhishek
85
343
53
Update - 36 ~ Despair and Love

[This update contains some gore scenes. Beware!]
Ab tak...

Ladkhadaate hue Veer bina kuch kahe aage badha aur button dabaayi toh darwaaza khul gaya.

Par...

Andar aate hi usse ek behad hi bhaiyankar darr ki anubhooti hui. Jese maano uski maut aane waali ho. Usse nahi pata tha ki agla padaav uske liye kya kuch laane waala tha. Kya wo waqai Golu ko bacha paega!?


Ab aage...

"Haaah haaah haaaahhhhh..."

[Master! Calm down! Saas araam araam se lijiye. Aap jitna zorr zorr se saas lenge, utna hi panic karenge aur fir behosh ho sakte ho aap.]

Lift se nikalne ke baad Veer ki haalat sahi toh kahi se bhi nahi thi. Fluothane ka concentration bhale hi kam tha. Par shareer ke andar jaate hi uske kuch na kuch side effects toh hone hi the.

Pari ki baat maan jab usne apni aniyantrit saaso ko control kiya toh kuch pal baad usse thoda sahi mehsoos hua.

Wo already ek naye kamre me aa chuka tha. Ye kamra andar se harr jagah safed rang se puta hua tha. Kamra kehna galat hoga. Balki ek behad bada hall type ka tha. Par...

Par ek hi baat thi jo boht hi zyaada ajeeb sii lag rahi thi iss waqt. Yaha tak ki Veer khud confusion me khada hua tha.

Wo ye ki...

Upar ceiling se dherr saari rassiyaa latak rahi thi. Matlab itni zyaada tadaad thi unki ki aisa lag raha tha maano rassiya nahi balki jangal me ped se latak rahi bel ho.

Aur harr ek rassi, dusri rassi se baraabar ke gap me lagi hui thi. Saath hi saath upar ceiling me chaukor khand bane hue the jinke beecho beech ek ek rassiya lagi hui thi.

'Ye sab... kya hai!?'

[Dusri paheli master! Shayad inni rassiyo se aapko kuch karna hai!?]

Aur Pari ke bol jese sahi saabit ho gaye.

Kyuki uske baad hi Aatish ki awaaz intercom se ek baar fir aayi aur Veer ke kaano me padi,

"Ab tum soch rahe hoge ki bhala ye sab kya hai? Kya bala hai ye!? Toh bataata hu... Ye saari jo rassiya dekh rahe ho, inme se kuch aisi hai jinhe kheechne se kuch nahi hoga. Par inhi me se kuch aisi hai, jinhe kheechne par kuch na kuch hoga. Ab tumhe inhi saari rassiyo me se ek rassi aisi dhundni hai jisse kheechne se wo waha diwaar me laga case khul jaaye."

Aatish ki baat sunn Veer ki nazar bagal me gayi jaha deewaar par ek kaale colour ka case laga hua tha.

"Uske khulte hi tumhe firse ek badi sii wahi gol laal button milegi, jisse daba kar tumhara iss kamre ka lock khul jaega. Simple hai. Hai na!? Toh fir shuru ho jaayo."

Aatish iss waqt jidhar bhi baitha hua tha, wo cameras se Veer ko dekh paa raha tha. Aur iss waqt uski awaaz sunn ke hi ye pata lagaaya jaa sakta tha ki wo kitna khush tha.

[Master!]

'Hmm?'

[Mujhe kuch gadbad lag rahi hai. Lift me gas leakage tha. Par yaha toh sab kuch normal lag raha hai. Aur mein nahi maanti ki ye itna simple hai.]

'Tumne thik kaha Pari... Par mujhe pata hai mujhe kya karna hai.'

[Hmm?]

'Check!!!!'

Veer ne ek ek kar ke ceiling par lagi unn chaukor khando ke beech, harr ek rassi ko check kiya. Aur ye karne ke baad jo results usse mile, usse jaankar hi uska dimaag hil gaya.

Kuch khando ke upar aisi aisi cheeze dali hui thi ki unke baare me sawaal uthna swabhaavik tha.

Kuch khando ke upar badi badi dherr saari eete dali hui thi. Kuch ke upar lohe ki rods. Toh wahi kuch me tezaab dala hua tha.

Jese hi Veer ko inn cheezo ke baare me pata chala uska badan sihar utha, ye soch ke ki yadi uske paas aaj ye Check function na hota aur yadi usne inme se kisi bhi ek rassi ko kheencha hota toh uska kya hota?

Maut!

Yahi jawaab tha bas.

Rassi kheechte hi upar ka chaukor khand palatne ke liye banaaya gaya tha. Zaahir sii baat thi, ki jese hi chaukor palatata, upar rakha jo bhi samaan hota wo seedha aake neeche maujood vyakti par girta.

Aaj Veer teen cheezo se bach gaya tha. Eete, rods aur savse khatarnak cheez ~ Tezaab.

Soch ke hi Veer ke raungte khade ho gaye the...

Tezaab jesi cheez ban hoti hai aur aam aadmi ke paas toh bilkul hi nahi rehti. Na jaane Aatish ne kaha se mangwaaya hoga. Par ye bhi baat thi...

Ki Aatish bhi koi aam aadmi thodi tha.

Aatish bhale hi khush tha abhi. Par iss round me baazi Veer ne maar lii thi.

Apne Check function ke kaaran usne sab kuch pehle hi pata laga liya tha.

Ab keval Veer ko acting karni thi.

Usne aage badh pehli rassi kheechi, aur ceiling ka wo chaukor hissa palat gaya.

Par...

Andar se kuch na nikla.

Aise hi usne kuch rassiya kheenchi jinme se kuch khaali thi toh kuch me eete neeche giri par unke girne se pehle hi Veer peeche hatt gaya. Kyuki usse pehle hi pata tha ki unn sab me kya tha.

Tezaab waali ek bhi rassi Veer ne nahi kheechi. Ye boht risky tha aur Veer risk nahi lena chaahta tha.

Veer ne inn rassiyo ko isliye kheecha tha taaki Aatish ko koi shaq na ho. Yadi wo pehli hi baar me sahi rassi chun leta toh ye suspicious maamla bann jaata. Bas Isliye usne dhong kiya aur aise hi kuch ek do rassiya kheechne laga.

Ant me usne wahi rassi kheechi jiske chalte wo kala case side me khula aur andar ek laal button usse nazar aayi.

Button dabaate hi darwaaza khul gaya aur room se baahar nikal usse dusri lift bhi nazar aa gayi.

Jiske zariye wo second floor par pohuch gaya.

'That was too easy... Golu... Chinta mat karna... Mein aa raha hu... Bas thodi derr aur...'

Veer iss samay thoda asmanjas me bhi tha. Kyuki kuch derr pehle jo Aatish itna zorr zorr se thahaake le raha tha, wo ekdum se shaant sa pad gaya tha.

'Shayad usse nahi laga tha ki mein uska dusra round clear kar paunga itni easily.'

[Haha~ Usse kya pata ki aap akele nahi ho. Ye Pari bhi aapke saath hai.]

***

Jab Veer second floor par pohucha. Toh intercom se firse Aatish ki awaaz aayi,

"Maan'na padega Veer. Waqai! Tumhari kismat ke kya kehne. Par pata hai!?... Mein tumhaari issi kismat ko sabak sikhaunga abhi. Bas dekhte jao. Uss Ragini ko jese mene toda tha... Wese hi tumhe todunga Veeeeerrr.... Tumhara jab wo darra hua chehra dekhunga naaaa... Jisme ek pal bhi jaan na bachi hooo.... Jisne jeene ki iccha chorr dii hooo... Wahi... Bas wahi dekhna chaahta hu mein... Aaahhh! Tabhi... Tabhi mujhe chenn milega..."

Uski awaaz achanak hi itni badh gayi ki intercom se sound frequency zyaada hone ke kaaran Veer ko apne kaano me haath lagaana pad gaya.

Next room me enter karte hi...

Usse apne perr pe ek ajeeb sa sensation hua.

Par iske pehle ki wo nazre neeche kar dekh paata...

Achaanak hi wo itni speed me khichta chala gaya ki uski kuch samajh me hi nahi aaya. Uska perr, rassi ke ek phande me phass chuka tha. Aur wo rassi jese kisi pulling machine se bandhi hui thi. Ki Veer ka perr jese hi usme aaya aur machine ne usse kheenchna shuru kar diya.

Iss waqt Veer hawa me ulta latka hua tha. Uska ek perr rassi me bandha hua tha aur wo daaye baaye jhul raha tha. Aur uske neeche...

Paani ka boht bada tank rakha hua tha.

"Daaaaaamnnnn ittttt!!!"

Aatish : Veeeeeerrrr!! Ab tumhe pata chalega ki kya hota hai mujhse ulajhna.

Next second hi...

Achanak hi wo rassi neeche aayi aur...

*Splaaaaaashhhhh*

Veer ko poora ka poora uss paani se bhare tank me dubo dii.

"Blurrrrghhhhhh...grrrhhhh" Paani ke bulbule Veer ke muh se chooth rahe the aur wo kisi machli ki tarah chhatpata raha tha, jab wo paani ke baahar aa jaati hai.

[Master!!!? Hold your breath. Paani andar mat lijiye.]

Kamar tak Veer andar hi tha aur fir rassi upar hui aur Veer paani ke baahar nikal aaya. Wo tezz tezz haaf raha tha, khaas raha tha, theek se saas lene ki koshish kar raha tha.

Uska poora shareer kamar se le kar sarr tak paani se geela ho chuka tha.

Aatish : Veer! Mein chaahta toh tumhe kab ka khatam kar sakta tha. Par bhala... Usme maza hi kaha? Jo maza torture karne me hai. Wo maza kisi cheez me nahi. Hahahaha~

Na jaane kitni hi baar Veer ko yu paani me duboya gaya hoga. Par Veer...

Kuch nahi bola...

Uski aankho me bas krodh ke bhaav the. Ekdum laal aankhein jo badla lene ke liye tadap rahi thi.

Wo taiyaar tha. Chaahe jitna bhi torture kyu na kar liya jaaye usse. Ek na ek din wo iss Aatish ko apne khud ke haatho se saza dega. Usne ye nirnay kar liya tha.

Par achanak hi jis baat ki Veer ko bilkul bhi umeeed nahi thi wo hua uske saath.

Achanak hi usse neeche kiya gaya.

Ab wo aisi position par tha ki wo apna ek haath neeche container par tika sakta tha.

Aur issi ka istemaal kar usne apne jeb se knife nikaali aur khud ko upar kar jitne cuts rassi me maar sakta tha utne maare...

Nateeja...

Wo kuch palo me hi free tha.

"Jao... Tum mere test pass hue Veer. Jao... Intezaar kiska hai? Wo laal button dabao aur darwaaza khol lift me jao. Third floor pe hi tumhara dost hai Veer. Jao..."

Bhale hi Aatish ke shabd positive the. Par the toh Aatish ke muh se nikle shabd...

Itni asaani se kese vishwaash kar leta Veer!?

Usne savdhaani barat'te hue wo button dabaayi, jiske chalte darwaaza khul gaya.

Aur Lift ka istemaal kar wo third floor pe bhi pohuch gaya. Koi bhi takleef ya koi bhi trap nahi mila usse.

Sab kuch ekdum shaant tha. Kahi koi gadbad nazar nahi usse.

Ab bas iss darwaaze ke khulte hi usse Golu nazar aa jaega.

Ek aas liye... Veer apne mann me hi khush hone laga. Bhale hi uski jaan inn traps me jaate jaate bachi thi. Par...

Par aaj wo unn traps ko paar kar Golu ke paas pohuch chuka tha.

Aur Golu ko jald se jald churraane ke liye jese hi Veer ne gate khol ke saamne ka nazaara dekha...

Toh...

Wo apne aap apne ghutno par aa gira...

Saamne ka nazaara dekh uski rooh kaanp gayi.

"N-No...!"

Usne apne kaanpte hue hontho se budbudaaya...

Akhir aisa kya tha jo usse nazar aa gaya tha! Raaste me toh usse koi gadbadi mehsoos nahi hui thi. Fir aisa kya tha...!?

Par saamne ka nazaara hi aisa tha ki Veer ne apni zindagi me iss se zyaada khaufnaak drishya nahi dekha tha.

Uski nazre ek hi jagah par tiki hui thi. Wo jese apni palke jhapakna bhul gaya tha. Bhaiyankar khaufnaak, darrawna aur rooh hila dene waala manzar maujood tha uske saamne.

Kyuki...

Saamne...

Ek sheeshe ka bada sa aquarium tha. Aur andar usme ek magar terr raha tha.

Par... Baat sirf yahi nahi thi.

Jis paani me wo terr raha tha...

Wo...

Ekdum laal hota jaa raha tha. Aur...

Veer ne dekha ki...

Magar ke hi paas me...

Kuch paani me terr raha tha.

Aur wo dekh Veer ki nazre darr ke maare felti chali gayi.

Kyuki...

Wo kuch aur nahi... Balki... Ek insaan ka haath tha.

Jiski twacha ke chithde udd paani me hi terr rahe the aur bhayanak laal rang paani me ghulta jaa raha tha. Wo kya tha... Iss baat ka andaaza lagaana bilkul bhi mushqil nahi tha.

Khoon!

Insaan ka khoon...

"Noooo... Nooooo...."

Uska badan boht tezz kampan maar raha tha.

Harr ek ang darr ke maare hil raha tha. Aur uske badan me harr jagah roye khade ho chuke the. Aisa khaufnaak nazaara pehle kabhi nahi dekha tha Veer ne apni life me.

Aur jese ek awaaz ne uska darr saatve aasmaan par pohucha diya...

*Ding*

['Mission : Get to Golu as fast as possible and save him.' has been failed.]

[Mission Fail Penalty : 100 points Deduction.]

[90 points have been deducted. 10 remaining.]

Ye jhatka jese kam tha tha jab agle hi pal Aatish ki baat sunn Veer ka darr yakeen me badal gaya,

"Hahahahaha~ Sahi soch rahe ho Veeeeeerrrr... Ekdum sahi... Yahi hai tumhara Golu... Arre yahi hai... Jo ab nahi raha hahahaha~ Dekh rahe ho? Laal rang ... Aaahh! Adhbhut! Apni shaqal dekho Veer... Yahi... Yahi toh mein dekhna chaahta tha.."

Veer ki aankho se aasu apne aap nikal rahe the. Wo jese kisi sadme me jaa chuka tha par sabse bada sadma jese usse abhi lagna baaki tha.

"Veeeeeerrrrr!!! Hahahahaha~ Tumhe pata hai? Tumne hi usse maara hai Veer... Tumne... Mene nahi... Tumne apne hi dost ka qatl kar diya Veeeerrr... Haan tumne hi..."

Veer : !!?

Aatish : Mene kaha tha na Veer... Mein tumhari kismat ko bhi sabak sikhaunga... Aur tumhe bhi andar se todunga ... Tumhe pata hai Veer...!? Wo dekho... Tank me tumhe teen gate dikh rahe hai!?

Aatish ki excited sii awaaz sunn Veer ki lifeless sii nazre apne aap hi tank ke uss hisse par chali gayi...

Aur waqai...

Waha usse teen bade gates nazar aaye jo tank ke hi andar maujood the.

Aatish : Wo saare gates band the Veer... Wo saare band the. Aur tumhara dost ek taraf tha aur gates ke uss taraf mera paaltu Magarmacch 'Clutch'.

Veer : ???

Aatish : Tumne apne dost ki jaan leli Veer. Jab jab tum uss Laal button ko daba rahe the... Tab tab yaha tank me maujood andar ke ye gates khul rahe the. Tumhe laga tha... Ki tum apne dost ko bacha rahe ho... Par Veeeeeerrrr... Tum unhi haatho se apne dost ko maut ke muh me dhakel rahe the. Tum apni khud ki jaan bachaane ke liye, uss laal button ko jab jab daba ke aage badh rahe the. Tab tab tumhe nahi pata tha... Ki tum apne dost ko maarte jaa rahe the Veeeeerrrrr... Hahahahaha~ Haan! Yahiiii.... Yahiii chehra mujhe dekhna tha Veeeerrrr....

Maano jese ek bomb sa foota Veer ke sarr aur uski saari sochne samajhne ki shakti gaayab ho gayi ye sunn ne ke baad...

Veer : ....

Aatish : Dekhoooo.... Dekhooo Veeeerrrr! Kese... Kese tumhare dost ke shareer ke tukde paani me terr rahe hai. Kese chithde udaa ke rakh diya mere paaltu magar ne... Khooon hi khooon hai Veerrrr... Aur ye sab... Tumne apne haatho se kiya Veeer... Tumne... Hahahaha~ Tumne hi apne dost ko maar diya... Mene toh kuch na kiya Veer. Tumne hi uski jaan leli...

Veer ka dimaag jese kaam karna band kar chuka tha. Uska haal iss waqt shabdo me bataane laayak nahi tha. Uska chehra safed pad gaya tha. Aankhein aisi jese maano unme jaan hi nahi thi. Ab na toh usse kuch sunaayi de raha tha aur na hi kuch feel ho raha tha.

Jis Golu ne uski do baar jaan bachaayi thi. Aaj ussi Golu ki jaan Veer ne apne haatho se leli. Bhala kese nikal paata wo iss glaani se? Inn feelings ke liye glaani bhi ek chota shabd tha.

Veer yaha ye soch raha tha ki... Wo apne pehle mitr, Golu ko bacha raha tha. Wo ye soch raha tha ki harr pal wo usse bachaane me kaamyaab ho raha hai. Par... Par aisa bilkul bhi na tha.

Wo toh ulta apne ussi dost ko maar raha tha. Aisi dardnaak maut insaan kabhi kisi ko na de. Jo manzar Veer ne dekha tha. Wo bataane me bhi kaho uske raungte khade ho jaaye. Fir wo toh khud experience kar raha tha. Na jaane wo iss waqt kinn bhaavo se guzar raha tha. Ye shock itna bada tha ki bechari Pari bhi ekdum shaant pad chuki thi. Usse bilkul bhi aisi umeed nahi thi.

Toh wo sab neeche gubbaare!? Kisi ke maut ke jashn ke liye the!? Veer ne buttons check nahi kii thi. Kyuki unn buttons ko dabaane se darwaaza khul jaa raha tha. Par usse kya pata tha...

Ki jin buttons ko wo daba raha tha wo saath hi saath tank me maujood gates se bhi connected thi. Akhir sahi hi toh kaha tha Aatish ne. Ek prakaar se Veer hi toh Golu ka hatyaara tha?

Aatish : Ab hamaare mehmaan ki bhi khaatir daari kari jaaye...

Veer ghutno ke bal baithe saamne abhi tak tank me ho rahi halchal ko dekh raha tha. Wo insaan ki taang jiske maans ke na jaane kitne tukde paani me idhar se udhar ho rahe the, wo haath...

Ye wahi haath tha... Jo Golu ne usse dosti ke liye aage badhaaya tha!?

Kuch bhaag aise the... Jo pehchaan me tak nahi aa rahe the.

Poora tank... Lahu luhaan ho chuka tha ekdum.

Aur ye sab dekh... Achanak hi Veer ko ubkaayi sii aayi... Aur uske muh se ulti behna shuru ho gayi.

Par jese Aatish ko ye manzoor nahi tha. Kyuki agle hi pal, Veer ke ird gird 8 se 10 log ikhatta ho gaye aur fir...

Usse itna maara gaya ki adhmari haalat me chorr diya.

Veer toh pehle hi sadme me jaa chuka tha. Usne ek baar bhi apne aap ko defend karne ki koshish na kii. Saare hamle wo tab tak sehta gaya jab tak ki wo behosh na ho gaya.

Ek dost mila tha usse...

Aur Veer ne apne hi haatho se uski hi jaan leli.

Aadmi 1 : Bhau! Ye behosh ho gaya hai. Kya karna hai? Isse maar de?

Aatish : Na Na Na Na! Maar denge toh maza hi kya? Wese ab mera kaam iss se nahi hai. Wo toh bas kuch dino se Jalsa me koi manoranjan nahi hua tha. Aur Veer ki badkismati thi ki wo mere plan ke beech me aa gaya. Nateeja... Saamne hai. Maut se acchi saza hoti hai logo ko tadpa ke unhe zinda rakhna.

Aadmi 1 : Bhau fir?

Aatish : Aksar hum bas yahi dhaarna leke chalte hai ki... Kuch log bure hote hai kuch log acche... Kyu hai na?

Aadmi 2 : J-Jii bhau!

Aatish : Veer ki nazro me mein bura tha kyuki mein uske raaste me aaya. Par yahi baat mein bhi toh keh sakta hu? Meri nazar me Veer bura tha kyuki wo merer raaste me aaya!? Insaan bura ya accha nahi hota kabhi bhi samjhe?

Aadmi 1 : Samjhe Bhau!

Aatish : Harr aadmi apni paristhiti ke hisaab se act karta hai. Ab harr aadmi ke apne apne tareeqe ho sakte hai. Veer ki kismat kharaab thi, jo wo mere raaste ke beech aaya. Ab na keval mene uski kismat ka sach usse bata diya balki usse andar se poora tod diya hai. Zindagi bhar ab wo glaani ki Zindagi jiyega... Hamesha uske mann me yahi rahega ki wahi apne dost ka hatyaara hai. Jao ab... Isse iske ghar ke baahar hi fek aao... Ab ye kisi laayak nahi raha. Aur ab hamaara raasta saaf hai.

Itna bol Aatish camera control room se baahar nikal gaya...

Par... Uska chehre par bade hi gusse ke bhaav the. Aur asantushti ke bhi.

***

Poora ek din guzar chuka tha iss ghatna ke baad.

Shaam ka waqt tha aur mand mand hawaaein chal rahi thi.

Nidhi ke ghar iss waqt Nidhi Juhi ke sang baith usse padhaane me lagi hui thi.

Toh wahi Shreya aaj shaam ka evening snack bana rahi thi.

"Ye meri cooking itni buri kyu hai? Aarghh! Kya likha hai?? Vegetables ko kaat ke saute karo?? Hmm! Lo bhai daal diye vegetables..."

Aaj usne josh josh me Juhi ko bol diya tha ki wo aaj noodles banaegi... Aur bas... Shaam hote hi Juhi uske peeche pad gayi. Ab bola hai toh karna toh tha hi kaam...

Isliye mohatarma lagi hui thi, sabhi ke liye Noodles banaane me.

Aur baahar baithi Nidhi Juhi ko pyaar se samjhaate hue padha rahi thi.

Tabhi Achanak hi uska phone baj utha...

Jab Nidhi ne caller name dekha toh wo wahi sthir sii pad gayi aur screen pe naam dekh wo bas wahi dekhti reh gayi.

'Veer!?'

Veer ka call aa raha tha.

'Iss waqt!? Aakhir ab kese usse meri yaad aa gayi? Uss din mandir me toh... Yu naraaz hoke chala gaya tha? Kabhi mujhse baat nahi karta... Fir kyu? Halaki Diwali par usne hi mujhe message kiya tha... Fir bhi...'

Ant me wo call utha leti hai.

Nidhi : Ab kese yaad aa gayi tumhe Veer apni iss madam kii?

Par dusri taraf se koi awaaz na aayi...

Nidhi : ???

Voice : Umm... Wo... Actually... Mein Veer bhaiya ki choti behan bol rahi Ma'am. I'm Kavya.

Nidhi : Aahhh!?

Kavya : J-Jii!

Nidhi (blushes) : Ohh no no! K-Kavya? Haan! Veer ne mujhe bataya tha beta aapke baare me. K-Kaho na? Kya baat ho gayi?

Kavya : Baat boht hi serious hai Ma'am.

Nidhi (frowns) : Kya hua?

Kavya : Mujhe aapse kuch puchna hai? Kya aap aur Veer bhaiya ke beech accha relationship hai?

Nidhi (blushes) : Ehhhhh?? W-Whaat??

Kavya : Hmm! I mean... Ek accha relationship hai na aap dono ke beech?

Nidhi : Y-Ye!? Tum kya puch rahi ho...!?

Tabhi Kavya ki ruwaasi sii awaaz Nidhi ke kaano me padi,

Kavya : Darasal... Kal bhaiya kahi gaye the raat me... Aur... Kal raat me wo... Itni buri haalat me ghar ke baahar mile the. Harr jagah *sniff* chot hi chot thi... Yaha sabhi *sniff* itna pareshan hai... Doctor ko bhi dikhaaya... Wo toh medicine deke chale gaye. Par... Par bhaiya kisi se baat hi nahi kar rahe hai. *sniff* Na jaane kya ho gaya hai unhe. Bas apne room me sarr jhukaaye baithe huye hai. Na khaana khaa rahe aur na kuch... *sniff*

Nidhi : H-Huh???

Kavya : Mene aapko isliye phone kiya hai, kyuki Veer bhaiya ko jab ghar se nikaala gaya tha tab wo aapke hi saath ruke huye the. Toh mujhe laga aapke aur unke beech aachhi khaasi understanding hogi. Shayad aapki baat maan jaaye wo? *sniff* Isliye mene aapko call kiya hai. K-Kya aap yaha aa sakti hai? Please? I-I beg you...

Jab poori baat ka Nidhi ko pata chala toh na jaane kyu par usse ekdum se bechaini sii hone lagi.

Ghabraahat bhi.

Nidhi : M-Mein abhi aati hu.

Aur usne bina koi samay waste kiye, seedha Veer ke ghar ki orr prasthaan kiya.

Juhi ko wo Shreya ki hi nigraani me chorr aayi.

Aur jese hi Veer ke ghar pohuch wo Veer ke kamre me daakhil hui.

Veer ki haalat dekh uski rooh kaanp gayi. Darwaaze ki dehleez pe hi uske kadam tham gaye. Aur ek atyant hi peeda aur ajeeb sa dard uske dil me hua Veer ko uss haalat me dekh.

Nidhi : V-Veeeer!??

Veer : ??

.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Pasand aaye toh like kar diyo re. 😁
This is a update, what a update bro fan ho gaya tera to, hero hero hai pr use uski okat dikha di and to be very honest story hero centric jada hone lagi thi ye bohot jaruri tha that is what i think, ab to bas age kya hoga ye dekhne layak hoga kese atish ki gand todi jayegi kese veer is sadme se bahar nikal payega or nikal payega bhi ya nahi.
 

Pankaj Tripathi_PT

Love is a sweet poison
290
2,338
123
Update - 66~ Greetings!
Ab tak...

Uski aankhein band hone lagi. Zaahir tha ki uska behosh hona banta hi tha.

Akhir shabd usse jo sunnaayi diye wo the...

Karan ki awaaz, "Veeeeeeerrrrrr!!!"

Aur Pari ki awaaz, "Listennnn... Don't go into the..."

Par unn baato ko poori sunn'ne se pehle hi wo gehri behoshi me chala gaya.


Ab aage...

"Toh ye sab hua haan!?"

Ye awaaz thi Kishor ki, jisse sab kuch Raghu aur Jassi waha khade hokar bata rahe the.

Darwaaze ke baahar hi Karan chhup ke khada hua tha aur unki baatein sunn raha tha.

Unhe Slogan ke hideout se laute kuch hi derr hui thi abhi aur Raghu aur Jassi poori report de rahe the Kishor ko.

Rahi baat Veer ki toh Karan ne usse sahi jagah pohuchaa diya tha filhaal ke liye.

Jassi : Jii!

Kishor : Bewakoof kahi ke...

Jassi : Huh!??

Raghu : !??

Kishor : Nahi! Tumse nahi! Kuch nahi! Toh? Aur kya hua? Kuch aur baat?

Jassi : Nahi Sir! Bas wahi copter hi bas...

Kishor : Hmm~ Theek hai! Tum log jaa sakte ho.

Aur Raghu Jassi haan me sarr hilaate hue waha se nikal gaye. Room ke baahar aate hi unhe Karan khada hua dikhaayi diya.

Raghu : Meri...

Karan (khuspusaate hue) : Haan haan, mil jaegi tumhe tumhari cigarette.

Raghu (smiles) : Bas!!!! Yahi sunn'na tha. Chal Jassi!

Jassi : Hmm~

Aur wo dono waha se nikal gaye. Kishor ke room ki lights bhi band ho chuki thi. Par Karan wahi khada hua tha, aur kuch soch raha tha.

'Dad ki bheji gayi help. There was something wrong. Aisa pehle kabhi nahi hua. Mujhe aisa kyu lag raha tha ki wo saare aadmi peeche peeche khade hue the. Aur keval meri Raghu aur Jassi ki help kar rahe the. Khud se aggresive hoke aage badh unn ne action nahi liya. Which is strange... Kuch baat hai...'

***

Next day...

8:26 PM...

'Hmm!?'

'Aaarghh! Kidhar hu mein!?'

'Huh? Ye... Ye haath par...!?'

Apni aankho ko jhapkaate hue jab Veer ne apne aas paas ka jayza liya toh usse kuch samajh nahi aaya theek se.

Wo laita hua tha aur uske seene par patti bandhi hui thi. Jagah jagah dressing bandhi thi uske. Thoda dard abhi bhi tha par rahi baat wo kaha tha iss waqt toh...

Kehna mushqil tha. Kyuki ye hospital toh kahi se bhi nahi lag raha tha. Haan, hospital me istemaal hone waale equipments zaroor lage hue the jagah jagah par lekin fir bhi Veer ko aisa laga ki ye hospital nahi tha.

Usne apne aap ko adjust kar jab sarr jhukaate hue apne haath ki orr dekha toh paaya ki...

Uski hatheli par kisi ladki ka sarr tha. Toh yahi bhaaripann usse apne haath par mehsoos ho raha tha.

'Huh!?'

Wo thoda chakit tha. Wo toh Slogan aur uski party se bhid raha tha. Fir uske baad kya hua tha? Usse kuch yaad nahi aa raha tha theek se. Itna hi yaad tha usse ki wo Slogan ko maarne jaa raha tha aur fir wo Steve achanak se uske upar kood pada. Fir uss se chheena jhapti houne lagi aur uske baad usse jaise kuch yaad nahi aa raha tha ki kya hua.

Par uss se bhi zyaada abhi ye zaroori tha ki ye uski hatheli par sarr rakh ke kaun laiti hui thi?

Jab Veer ne apna haath nikaala toh uske haatho ki halchal se uss ladki ka chehra saamne aaya.

'A-Arohi dii!???'

Maalum pada ki Arohi uski hatheli par sarr rakhe hue thi itni derr se.

Aur shayad Pari bhi iss waqt sleep mode me thi. Warna uske mann me sochte hi wo toh pehle hi apni chapar chapar shuru kar chuki hoti.

Veer ke apne haath kheechte hi Arohi ki bauhe sikudi aur uski palke jhapki. Wo uthi aur Veer ki taraf dekhi toh...

Usne paaya ki Veer hosh me tha aur usse hi dekh raha tha.

Arohi : Veeeeeeerrrrr!!!

Wo hairat me aage badhi. Aur aage aate hue fir achanak hi rukk gayi.

Veer : Arohi Dii!?

Arohi : Finally! Tumhe hosh aa gaya. T-Tumhe kesa mehsoos ho raha hai? Kahi dard hai? Aur... Aur tumne ghar me kyu nahi bataya tha? Haan?

Veer : Calm down! Calm down! Ek saath itne sawaal? Mein... Mein theek hu ab.

Arohi : Hum sab kitni tension me the tumhe pata bhi hai?

Veer : Sorry Dii! Umm... Wese, Mein kaha par hu?

Veer ne jab ye pucha tab hi uske side me laga parda khula aur ek mahila ki awaaz aayi,

"Tum mere ghar me ho."

Veer ke saamne ek mahila khadi hui thi. Hontho pe muskaan, bhure khule baal, aur wo apne top ke upar hi ek doctor waali white coat pehni hui thi.

Veer : Huh? Aap kaun?

Arohi : Ye hai Mrinal Ma'am! Inhone hi tumhaara treatment kiya hai.

Veer ne fir zyaada kuch nahi socha. Mrinal ma'am ke baare me jaan'na hi tha toh usme puchne ki kya zaroorat thi bhala?

'Check!'

[Name : Mrinal.
Age : 37
Bio : Mrinal ek kaabil doctor hai. Apne pati aur ek bacche ke saath rehti hai. Pati navy me hai. Aur bacche ki dekh baal ke liye inhone apni job as a doctor chorr dii. Ab keval ghar pe hi clinic khol ke rakhi hui hai.

Favourability : 11
Relationship : Strangers.]

'Ohhh!'

Mrinal Ma'am ko check karne ke baad, Veer ko kuch na kuch idea toh lag hi gaya tha unke baare me.

Veer : Aap!?

Mrinal (smiles) : Mein Mrinal! Par uss se pehle ye batao ki kesa mehsoos kar rahe ho?

Veer : Thoda dard hai seene me. Baaki I'm fine!

Mrinal : Wow! Mene iss se pehle kabhi kisi ki itni speedy recovery nahi dekhi. Wound ko dekh ke laga tha ki 12 ghante se bhi zyaada pehle ka ghaav hai. Par jab bataaya gaya ki ye kuch derr pehle ka hi tha toh meri bolti hi band ho gayi thi. Tumhaari immunity boht tezz hai. Itni ki... I'm having doubts.

Mrinal apni aankhein sikode Veer ko kuch sochte hue dekhi toh Veer chinta me pad gaya. Kahi aisa na ho ki ye Mrinal ma'am uss se uski itni tezz healing ke baare me puchne lage. Ab wo ye thodi keh sakta tha ki Beowulf's Blessings ne uski healing 50% badha dii thi.

Usne khaaste hue thoda naatak kiya aur fir pucha,

Veer : Wese... Kya time ho gaya? Aur mein yaha kese aaya?

Mrinal (smiles) : Time? Tum kal derr raat me yaha laaye gaye the. Aur aaj next day ki raat ke 8:30 baj rahe hai.

Veer : Kyaaaa?

Mrinal (smiles) : Jii haan! You have a strong build!!

Bolte hue Mrinal ne uske nange seene par apni ungli firaayi jaha patti bandhi hui thi aur uske gaal thap-thapaate hue firse boli, "Mein baakiyo ko inform kar deti hu. They want to meet you!"

Aur bas wo muskuraate hue chali gayi.

Idhar jab Veer ne palat ke Arohi ko dekha toh Arohi Mrinal ko jaate hue ghur ke dekh rahi thi.

Veer : Kya hua?

Arohi : Kuch nahi!

Veer : Ab aap bataengi ki kya hua tha? Mein yaha kese?

Arohi : Hmm~

Veer : Kahiye!

Arohi : Kal raat me... Kareeb 1:45 baje the tab Ragini Bhabhi ko tumhaare friend Karan ne phone lagaya tha aur unhe sab kuch bataaya. Fir Ragini bhabhi sabhi ke saath yaha aayi. Wo Karan hi tumhe yaha leke aaya tha. Tumhaari haalat dekh sab chintit me the. Bhabhi ro rahi thi. Fir subah jab ho gayi toh unhone mujhe aur tumhaari Nidhi ma'am ko bataaya. Hum subah hi aaye the tumse milne par tum behosh the. Fir abhi shaam ko aaye hai sabhi.

Veer : Wait! Karan? Mera dost? Sabhi? Kaun kaun aaya hai?

Arohi : Mein, Kavya, Dada jii, Pranjal, Bhabhi, Suman aunty, unki bahu Aabha aur beti Sonali, wo Nidhi ma'am aur unki beti Juhi aur kuch derr me wo Karan bhi aane waala hai.

Jaise jaise Arohi naam ginaate jaa rahi thi, Veer ka muh hairat ke maare khulta jaa raha tha aur aankhein bhi felti jaa rahi thi.

'Pranjal!? What the hell he's doing here?'

Veer : Itne log aaye hai!?

Arohi (nods) : Hmm~

'Gaya mein! Bhabhi... Shittt! Nidhi ma'am bhi... Kya jawaab dunga unhe? Zaroor gussa karengi woh.'

Wo apni soch me dooba hua tha jab usse apni hatheli apr firse kuch mehsoos hua.

Arohi ka haath!

Nigaahe upar kar usne Arohi ko dekha jiski aankhein thodi namm thi.

Arohi : Mein... Mein...

'!??'

Bechaari se shayad kuch bola nahi jaa rahi thi. Gala bhi roondh gaya tha uska.

Arohi : Hamesha aisa kyu?

Veer samajh chuka tha Arohi kis baare me baat karna chaah rahi thi. Par uske paas iss waqt sunn'ne ke alaawa koi aur chaara nahi tha. Wo ye nahi keh sakta tha ki wo kabhi dobaara mushqil me nahi padega. Aur beshaq, Arohi uss se yahi chaahti thi ki Veer dobaara inn maslo me na pade. Par aisa toh namumkin tha. Veer ab uss dagar par tha jaha se lautna namumkin tha.

Veer : I...

Arohi : You always make me sad!

Wo sarr jhukaaye khud ki aankhein chhupaate hue apne aasu pochne lagi. Par...

Veer : AROHIIII!

Arohi : !???

Bas! Bas, ek baar uska naam direct apne muh se pukaarne par Arohi ke poore badan me raungte khade ho gaye. Pata nahi kya tha aisa ki harr baar jab bhi Veer uska naam pukaarta tha toh bechaari Arohi ke shareer me kampan sa fel jaata tha.

Veer aage badha aur apne maathe ko uske maathe se tika diya.

Veer : I'm sorry! I cannot promise ki mein mushqilo me nahi padunga. But I promise ki mein apni aur aap sab ki care karunga. Acche se!

Shayad, abhi ke liye itne se shabd hi kaafi the. Arohi ne haan me sarr hilaaya aur Veer ki hatheli ko ek baar firse zorr se dabaate hue wo uthi aur baahar jaane lagi.

Wo nikli hi thi jab baahar se daudate hue andar jaldbaazi me Ragini aayi.

Uski aankhein laal thi jo saaf darsha rahi thi ki wo raat me soyi nahi thi.

Veer : Bha..!??

Par Veer apne shabd poore keh paata ki uss se pehle hi Ragini aage aayi aur usko apne gale se laga liya.

Uski nazre jagah jagah Veer ke chehre toh kahi uske shareer ki jaanch karne me lagi hui thi.

Veer : M-Mein theek hu. Bhabhi!

Wo baithi aur Veer ke haath ko kass ke thaam lii.

Kuch derr tak toh wo kuch na boli, bas lambi lambi saasein liye khud ko durust kar rahi thi. Aur iss beech dono hi Veer aur Ragini ek dusre ko hi dekh rahe the.

Veer : Mein... !???

Jab uski saasein thami toh ek baar fir wo Veer ke gale lag gayi. Veer, bas aashcharya me apni Bhabhi ko hold kiye hue tha.

Aur tabhi, uske kaano me Ragini ki badi hi dheemi sii awaaz padi, "You'll be punished later. Abhi rest karo!"

Aur bas, Veer Ragini ki baat sunn muskuraaya aur apni Bhabhi ko ek baar zorr se firse apni baaho me kass liya.

Ragini, na jaane kitni tension me thi. Kal shaam se hi. Fir raat me wo police ke paas gayi, jaha se usse Veer ka koi pata nahi chala, fir raat bhar tension ke maare uss bechaari ki neend udd chuki thi. Aur jab Karan ka phone uske paas aaya aur firse Veer ko uss haalat me paaya toh jese wo andar se toot hi gayi thi. Kitni baar aur usse Veer ko aise dekhna padega? Bas! Iss se zyaada baar ke liye ab wo taiyaar nahi thi shayad.

Pehli baar toh usse utna kasht nahi hua tha par harr guzarte din, Veer aur uske beech ka rishta mazboot ho raha tha. Aur aaj jab usne Veer ko punah uss haalat me dekha toh andar itni peeda hui thi usse ki wo kayi baar royi thi chhup chhup ke.

Ab Veer ko hosh me dekh, iss se badi khushi ki baat abhi Ragini ke liye koi nahi thi. Kehna toh hazaar baatein chaahti thi wo. Veer ko khari khoti sunaana bhi chaahti thi. Par wo sab baad ke liye jaise usne bacha ke rakha tha. Abhi, wo sirf iss baat ko jeena chaahti thi ki Veer uske saamne tha. Poore hosh me aur uski apni baaho me tha.

Veer aur Ragini, dono ko hi iss baat ka pata nahi chala tha ki dekhte hi dekhte kitne kareeb aa chuke the woh.

Veer (smiles) : Bhabhi ka huqum sarr aankho par.

Ragini bhi uski baat par muskuraayi aur uth ke jaate hue boli,
"Baaki log bhi baahar khade hai. Mein unhe andar bhejti hu. Aur hamaari adhuri baat, ghar par karenge hum."

Veer (smiles) : Jii!

Ragini baahar gayi aur iss baar uske Dada jii aur Pranjal andar aaye. Pranjal ko dekhte hi Veer ne apna guard raise kar liya tha. Aise banaavti insaan ke saamne behtar hai ki aap ekdum chaukanne raho.

Aur wahi hua,

"Ohhh mere bhaaaiiii!!!"

Banaavti rone ki soorat banaate hue Pranjal aage badha aur Veer ke gale lag gaya.

Pranjal : Ye kya haalat karwa lii tumne apni mere bhai? Tum theek toh ho na?

Wo alag hua toh Manorath bhi Veer ke paas aaye.

Manorath : Veeeerrr!!

Veer : Dada jii! Aap!?

Manorath : Subah Arohi bitiya ne bataaya sab kuch toh hum chale aaye. Mere bacche ye sab kya karwa liya? Baahar Ragini bitiya ne bataaya sab kuch. Tum kisi ladki ko churraane gaye the? Beta!!! Mein... Mein jaanta hu dusro ki jaan bachaana acchi baat hai. Par zara apni jaan ka bhi toh dhyaan rakho. Haan?

Veer : Maaf karna Dada jii! Mein aage se dhyaan rakhunga.

Manorath : Rakhna hi padega tumhe...

Pranjal : Dada jii! Sabse acchi baat ye hai ki Veer sahi salaamat hai ab hamaare paas hai na?

'Haan be geedad! Tere mann me kya chal raha hai Pranjal! Mein acchi tarah se jaanta hu.'

Veer Pranjal ki saari chikni chupdi baatein samajh raha tha.

Manorath : Bilkul!

Veer : Ab aapki sehat kaisi hai Dada jii? Aap toh badhiya chalte hue andar aaye. Ab perr theek hai na?

Manorath : Hahaha~ Arre mein bhi jawaan hu. Kaun kehta hai mein budha hu?

Veer : Hahaha~ Bilkul!

Manorath : Wese... Baccho! Mene faisla le liya hai. Veer! Tum jald se theek ho jao. Uske baad mein wo faisla sunaane waala hu.

Veer : Kaisa faisla?

Manorath (smiles) : Samay aane par pata lag jaega.

Aur itna bol Manorath Veer ki baah thap-thapaate hue jaane lage. Wahi Pranjal bhi ek akhiri look Veer ko deke jaane laga.

Aur unn dono ke jaane ke baad hi uske kamre me Aabha, Suman aur Sonali, teeno ki paltan aa gayi.

Suman toh apne maalik ko waapas dekh itna khush thi ki uss se kuch kaha hi nahi jaa raha tha. Uski jaise saari chinta gaayab ho gayi thi waapas se Veer ko dekh.

Suman : Ab... Ab aap kesa mehsoos kar rahe hai Veer jii?

Veer (smiles) : Pehle se behtar!

Suman (smiles) : ....

Aabha (blushes) : Aap ko... Aap ko dobaara se dekh hum sab behad khush hai. Sab chinta me the... Pehle...

Veer (smiles) : I know! Uske liye maaf karna. Sab ko itni chinta me daal diya mene.

Suman aur Aabha jab jaane ke liye hui toh Suman ko dhyaan aaya ki uski ye nikammi Sonali ne toh kuch kaha hi nahi. Toh usse apni kohni se tatolte hue usne Sonali ko ishaara kiya aur khud Aabha ke sang baahar chali gayi.

Ab toh usse kehna hi tha. Akhir uski Maa ne jo keh ke rakha tha.

Wo muh pherre pherre hi Veer se boli, "Khaane ka vyapaar shuru kiya aur... aur beech me hi vyapaar chorr gaayab ho gaye. Hmph~"

Veer : Huhhhh!?

Veer ko jaise visvaash hi nahi hua tha ki Sonali ne ye kaha tha. Baad me usse khud hassi aa gayi iss baat par.

'Is she mad!? Haha~'

Veer (smiles) : Jald hi waapas se food truck fir se shuru karenge. Tum saath dogi na?

Sonali : Haaahh!?? Mein?? Mein... Mmm~

Veer ke sawaal iss qadar puche jaane par bechaari Sonali thoda jhep gayi. Saath dogi mera? Ye aisa sunaayi pad raha tha usse jaise Veer uss se janmo janam ka saath maang raha tha. Aur sharmaate hue wo peeche mud gayi.

Fir uthi aur jaane se pehle ek baar usse dekhi aur boli, "Bhagwaan tumhe jald hi theek kar de."

Aur firse mud ke wo sarpat kamre ke baahar nikal gayi.

Uske jaate hi Veer ne ek lambi gehri saans lii.

Jab kamra ek baar fir dhadalle se khula aur do cheh chahaati awaaz uske kaano me padi.

"Chalo chalo chalo... Bhaiya se milne..."

"Maaaamuuuuuu~"

Aur uske saamne do pyaari pyaari fuljhadiya thi.

Ek Kavya toh dusri natkhat Juhi.

Veer : Kavya? Juhi!??

"Maamuuuuuu~"

Juhi ko toh apni gaddi chaahiye thi. Wo seedha Veer ke bed par chadhi aur uski goad me aake baith gayi. Uski haath me jagah jagah bandhi pattiyo ko wo badi hi komalta se touch kar rahi thi. Jese dekh rahi ho ki uske maamu ko touch karne se kahi dard toh nahi ho raha?

"Bhaiyyyaaaaa!!!"

Kavya bhi aayi aur uske gale se lag gayi. Aur kaafi derr tak dono hi ek dusre ke aalingan me bane rahe.

Fir alag hote hi Kavya ne apne sawaal shuru kar diye.

Kavya : Kyu gaye the aap waha haan? Wahi Kaera ke liye na? Jo aksar newspaper aur TV me aati hai? Jiske saath aapki ek pic bhi aayi thi newspaper me? Uske liye? Whyyyyyy???? Bhaiyaaaa! Aap jaante hai na ki aapke aas paas bhi aapki care karne waale log hai. Toh fir khud ko aisi pareshani me kyu daalte ho?

Veer : Meri pyaari Kavya! Uss raat mene tumhe aur Arohi dii ko bhi toh bachaaya tha na? Toh yadi mein kisi aur ladki ko uss halaat me dekhta hu toh kya mein usse ignore kar dunga? Ki nahi ye meri behan nahi hai toh hone do uske saath jo hona hai. Batao behna? Hmm?

Veer ke aise puchne par Kavya shaant pad gayi. Aur muh fulaate hue apna sarr jhuka lii.

Kavya : I... Sorry!!!

Veer (smiles) : Koi baat nahi!

Aur Veer ne apni pyaari behna ko gale se laga liya. Toh iss baar...

*Chu~*

'Huhhhh!?'

Kavya ne uske gaal ko haule se choom liya aur firse uss se chipak gayi.

"Get well soon Bhaiya!!"

Veer (smiles) : Hmm~

Juhi : Mein bhi... Mein bhi maamu ko kissy dungi.

Veer : Hahahahaha~

Juhi khadi hui aur apne maamu ke gaalo ko geela kar uss se lipat gayi. Veer dheere se Juhi ke kaan ke kareeb aaya aur pucha, "Tumhari Mummy kaha hai Juhi?"

Toh Juhi bhi shaatir thi. Usne bhi dheere se Veer ke kaan me hi jawaab diya.

Juhi : Mummy baahar hai. Aaj mummy college se bhi jaldi aa gayi thi.

Veer : Ohhh!

Kavya : Bhaiya! Mein Juhi ko leke baahar jaati hu. Aapki ma'am ko bhi milna hai aapse.

Veer : Sure!!!

Kavya Juhi ko apni goad me uthaayi aur baahar nikal gayi. Ab shayad Nidhi ma'am hi baahar bachi thi jinse Veer ka milna baaki tha.

Kuch minute yu hi guzar gaye par abhi tak darwaaza khulne ki koi bhi awaaz nahi aayi thi Veer ko.

'Shayad wo mujhse naraaz hai.'

Ek gehri saas lete hue Veer laitne hi jaa raha tha jab firse darwaaza khula aur koi andar aaya.

Aur saree ki harqat, paayalo ki chham chham, uss parichit sii aahat paate hi Veer jaise samajh gaya tha ki kaun aaya tha.

Uski Nidhi ma'am!

Veer ki nigaahe parde ke chhorr par hi thi. Jaise hi parde ko paar karte hue uski Nidhi ma'am andar aayi.

Dono ki aankhein aapas me jaa judi.

Pal bhar ke liye Nidhi ke kadam wahi tham gaye aur wo parda pakde Veer ko hi dekhti rahi.

Fir ahista ahista wo aayi aur Veer ke paas baith gayi.

'Why does it feels like Deja vu? Fuckkk! Deja vu nahi ye pehle bhi hua hai. Last time bhi... I can tell she's mad.'

Mahaul awkward sa ho raha tha ab. Dono me se koi kuch bol hi nahi raha tha.

'Ma'am? Ahem! Aapko puchna hota hai ki mein kaisa hu? Fucccckkkk!!!! She's not even saying anything. Kya mujhe hi convo start karna padega? I hope wo chillaaye na bas.'

Veer : Umm...

Par Veer ke kuch bolne se pehle hi...

Nidhi : Kesa feel kar rahe ho ab?

Nidhi ne akhir puch hi liya uss se.

Veer : Mein... I'm... I'm better!

Nidhi : Hmm~

Aur ek baar fir khamoshi chhaa gayi.

'Mere aur ma'am ke beech hamesha aise hi conversations kyu hote hai!?'

Usne socha aur tabhi...

*Ding*

[System has been activated.]

[Kyuki tumhe aurto se theek se baat karna nahi aata. Wahahahahaha~]

Jiski kami thi, wo bhi haazir ho chuki thi ab.

'Aao maharaani sahiba. Tumhaari hi toh kami thi. Aur ek baat bolu!?'

[Of course! Haha~]

'SHUT THE FUCK UP!!!'

[What the!? Heyyyyy!!!!]

'Ekdum shaant! Mujhe ma'am se baat karne do.'

[Hmph~]

Nidhi : Mein... Mein chalti hu. Tum rest karo.

Wo uthi toh Veer bol pada, "Bas!? Jaa rahi ho aap?"

Nidhi : H-Haan! Tumhe dekhne aayi thi. Tum theek ho toh... You need rest so, m-mein chalti hu.

Veer : I see! Aur Shreya jii!?

Nidhi : Mujhe jab khabar mili thi toh woh office jaa chuki thi. Aur tabse mene usse nahi bataaya hai. Jaa kar usse bataungi. Subah aaegi wo milne tumse fir.

Veer : Ohhh! Toh aap!?

Nidhi : Mein chalti hu.

Aur wo uthkar jaane ke liye hui...

Veer : Aap naraaz ho. Hai na?

Nidhi : M-Mein kyu naraaz houngi bhala? Kis baat ke liye? Koi reason hi nahi mere liye naraaz hone ko. Jis student ko mene itna kaha ki inn sab me na pado wo meri baat sunta hi kaha hai? Kayi baar samjha chuki hu usse. Kayi baar kaha ki bhavishya par dhyaan de. Par wo keval apne mann ki hi karta hai. Ab mene bolna chorr diya hai. Toh bhala... bhala kis baat se naraaz hona?

Veer ne Nidhi ki baat sunn ek aah bhari.

'Aur ye keh rahi hai ki ye naraaz nahi hai.'

[Ye hum ladkiyo ki baatein tum nahi samjhoge. She's mad and sad too!]

Veer : Ma'am!!

Nidhi : M-Mein chalti hu.

Wo aage badhi hi thi jab Veer ne uski kalaayi thaam lii.

Veer : Ma'am! Rukiye please! Mat baat kariye but please. Thodi derr rukiye.

Veer bas Nidhi ke saath kuch shaanti ke pal guzaarna chaahta tha. Par uski kismat toh kharaab thi. Akhir aise kese?

"Veeeeeeeeeerrrrr!!!"

Darwaza khula aur ek behad hi haseen sa chehra uske saamne aaya.

"M-Miss Kaera!?????"

Kaera daudate hue aayi aur Veer ko hosh me dekh aage badh uske gale se lag gayi.

'Damnnnn it!!!'

Pehli baar, Kaera ne usse aise hug kiya tha apne aap se. Aaj jese Veer apne aap ko behad hi important samajh raha tha. Kaera jaisi ladki uski baaho me jo thi. Jab aisi ladki aapke gale se lagi ho toh andar ek strong feeling aati hi hai.

Kaera : I knew it! I knew you would come. I was right~

Nidhi apne sarr ko palat ke unn dono ko baaho me baahe daale dekh rahi thi. Aur jo kalaayi uski Veer ke haath me thi. Usse Nidhi ne dheere dheere churraate hue azaad kar lii.

Veer : Ma'am!?

Nidhi bina kuch kahe apne saree ke chorr ko zorr se bheenche hue baahar nikli jab achanak darwaaze par hi usse ek aur husn ki devi ke darshan ho gaye.

Unn dono ki nazre kuch pal ek dusre ke upar rahi aur uske baad Nidhi sarr jhukaate hue room ke baahar nikal gayi.

Idhar andar aa rahi ladki koi aur nahi Sonia thi. Jo apni trip se waapas aayi thi. Kaafi samay se wo Veer se nahi mil paayi thi. Recent me hi usse baahar jaana pad gaya tha. Aur Veer ke baare me ab jaan'ne ke baad usne tay kiya ki wo visit karne jaegi.
Aur wahi uss se jee bhar ke acche se milegi. Usse food truck ki badhaayi bhi degi.

Uske sang hi Suhana bhi khadi hui thi peeche. Wo bhi aayi hui thi.

Aur dono hi behne jab andar aayi toh unhe nazar aaya ki...

Kaera zorr se Veer ko apni baaho me liye hui thi.

Sonia ne jaise hi ye dekha toh uske kadam wahi rukk gaye.

Suhana (mann me) : Oh no! Not again...

Veer ne jab dono behno ko dekha toh wo unhe bulaane hi waala tha ki...

*Slaaaaaaammmmmmm*

Sonia ko pata nahi kya hua par wo achanak hi zorr se darwaaza band kar baahar nikal gayi.

'Hmm?'

[Something happened...!]

Wo baahar nikli aur nikalte hi usne sabse pehle Mrinal ma'am ko dekhte hue pucha, "Where's the washroom!?"

"Yaha aage se left!" Mrinal ma'am ne bataaya toh Sonia bas tezz kadmo ke saath andar ghuss gayi aur ek baar fir...

*Slaaaammm*

Zorr se usne darwaza andar se hi band kar liya.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Like thokne ka aur revos rakhne ka. ✨
Lovely fantastic Update. Love emotions jealousy sab Kuch dekhne ko mila iss update me. karan ko doubt agya hai apne baap pr veer ko lekr dekhte hai Karan Kya krta hai. Veer ko hosh agya hai lekin usne khud ko kisi anjan jagah pe paya jahan uske hath pakde arohi Soyi hui thi. Ye clinic shayad karan ke jaan pehchan ki hogi mrinal Madam ki jisko shayad veer ke immunity power pr Doubt Ho rha hai. Arohi ka ek baar fir se wahi corrector dekhne ko mila jo veer ka uske name lene se woh ajib si condition me chali jati hai shayad seham jati hai. Arohi shayad Smjh nhi pa rhi hai Kya ho rha uske sath. Ragini ki situation alg hai lekin itna zrur hai ke yahan se veer or ragini or jyada close Ho jayenge fir iske baad shayad vivek ke sath divorce tk baat pahunch jaye aisa mujhe lgta hai baki writer sahab jane. Dada ji ke sath pranjal bhi Milne aya pranjal ka ana shock se km na tha lekin number bnane ke agya Dada Ji ki nazro me Dada ji bol gye ke ab woh Kuch faisla sunane wale hai. Juhi or kavya ka Milne ana badaa hi cute moment tha. Juhi or veer ka kanafusi mst tha. Uske baad ayi meri sbse Best corrector Meri fav nidhi ma'am Writer sahab ap jese nidhi ma'am ki entry uski presence dikhaye Ho kasam se bta rha hu veer ka toh pta nahi lekin mujhe Kuch -2 hone lgta hai main itna excited Ho jata hu ke bta nahi skta. Bhai ye veer or nidhi ka kasmakas kb tk chalne wala hai. ? Abhi veer nidhi ki kalaai pakad ke kuch kehne hi wala tha ke kaera agai kabaab me haddi bnne halanki ye bhi meri 2nd fav hai. Ayi to ayi gale or lag gai jo Shayad Nidhi ko Kuch to feel hua hoga beshq show nahi kri Ho. Nidhi ki jate hi soniya bhi agai suhana ke sath soniya ne woh dekha jo usko nahi dekhna chahiye tha Veer ko gale lge hue kaera ko jiske dekhne ke baad soniya Jal bhun gai or turant hi washroom bhag gai apne dard ko sametne ke liye ki kaera ek baar fir baazi maar gai. Suhana smjh gai behan ki halat or shayad yahi jalan soniya ko veer ke karib le jayegi. Wese dekha jaye to soniya ke absent ka full fayda Kaera ne uthaya. In billiyon ki ladaai me veer ka Kya hoga ane wala update hi btayega.
 

Rajesh

Well-Known Member
3,625
8,049
158
Update - 102 ~ Exposed (2)

Ab tak...

Veer : I have decoded everything!!!

Tommy : Okay! Tell us!

Veer ne haami bhar seedhe ek picture dikhaayi projector ke jisse dekh waha baithe sabke maatho par silvatein confusion ke maare aa padi,

Tommy apni jagah se uth khada hua,

Tommy : Are you kidding me??? Is this a joke?

Par Veer ne usse koi jawaab na diya.


Ab aage...

Investigation Department ~

Vegas ke iss department me, department ke Head Nolan, athwa waha kaam karne wale sabhi pramukh sadasya, sab ke sab waha maujood the aur apni apni jagah par baithe hue the. Beech me hi ek behad badi sii round table rakhi hui thi, jis par kuch files bikhri hui thi aur unke liye paani ki kuch personal bottles bhi rakhi hui thi.

Nik, Divya aur Suhana jo department ka hissa nahi the, woh bhi unhi sab ke beech baithe the. Aur keval yahi nahi, viraajmaan logo me hi Emma, Tommy aur Zoey bhi saath thi.

Aur unn sab ke saamne projector ke paas khada hua tha...

Veer!!!

Jiski nazre waha baithi tamaam janta par tiki hui thi. Aur unki Veer par.

Nightwalker ke mansion ka poore chapter ko ek full stop lag chuka tha. Par House of the Killers ko nahi. Saath hi Nightwalker ka sach baahar aana baaki tha abhi. Aur issi ke liye Veer yaha tha. Usne na sirf Nightwalker ko pakda tha balki mansion aur Nightwalker se jude sabhi raaz bhi haasil kar liye the.

Ab samay tha, unn sabhi raazo ko ek-ek kar ke kholne ka aur logo ke saamne laane ka...

Divya kursi par baithe Veer par hi nigaahein gadaayi hui thi.



64bb0a1f-1cc8-4f08-b5fe-6a0d39fab1f6

Toh wahi Suhana bhi Veer ko jigyasa bhari nazro se dekh rahi thi.

Photography

Aur fir Veer ne khamoshi todi,

Veer : I'm here to disclose all the secrets that I've found.

Nolan (nods) : Go on!

Veer : We all know what happened with us, right?

Mansion ki poori ghatna Mike ne apni zubaani me department ko suna dii thi. Sab ye jaan gaye the waha maut ka kesa nanga naach khela gaya tha. Kitni hi khatarnaak sthiti rahi hogi waha par.

Veer ke sawaal par sabhi ne waha sarr haan me hilaaya.

Par Tommy jo kaanp raha tha woh rote hue achanak hi khada hoke chillaane laga,

Tommy : Fucking hang that motherfucking bastard... *sniff* Aaarrrghhhhhh!!! I will kill him. He killed Chester, my buddy... *sniff* What will I say to his parents? *sniff* I'm screwed... *sniff*

Woh ekdum se bekaabu ho utha, uska emotional breakdown ho gaya achanak. Mike jo uske bagal se baitha tha usne Tommy ko pakad uski peeth par haath ferr usse shaant karaaya aur kuch seconds ke baad jab shaanti fir se chhaa gayi toh Veer ne punah apni baatein rakhi,

Veer : Chester was killed brutally.

Tommy : *sniff* *sniff*

Mike : But it's not possible to do a kill like that with just a mere sickle Veer.

Veer : He might have used some other weapon, Senior Mike.

Mike : That... I see. It's possible!

Nolan : Hmm! We will look into that later. Our team and forensic ones can take care of those things. You tell us what information you acheived about Nightwalker? How did Chester died when the room was locked from the inside? And how did you find the treasure?

Nolan ke sawaal se sabhi ki nazre ek baar fir Veer par tik gayi. Veer ne aisa namumkin kaam jo kar dikhaya tha. Usne ye bhi pata laga liya tha ki kese Chester room ke andar maara gaya tha, kaha aur kese usse treasure jo ki 10 million dollars ki worth ka tha woh mila, Nightwalker kyu aur kese inn kaamo ko anjaam de raha tha ye bhi. Aur na jaane kya kya usse maalum tha jiske liye shayad waha baithe log taiyaar bhi nahi the.

Nightwalker bhi pakda jaa chuka tha. Investigation department waale usse saath hi lekar aaye the. Aur ab woh police ki custody me tha. Uska asli chehra bhi saamne aa chuka tha jaha dikhne me woh bilkul hi ek normal insaan ki hi tarah tha. Koi bhi dekh ke ye nahi bata sakta tha ki woh itna bada khoonkhaar hatyaara tha. Shayad sahi kehte hai log,

Never judge a book by its cover.

Veer ne Nolan ko dekha aur pucha,

Veer : What do you want to know first?

Nolan : Tell me, how he got killed when the door was locked from the inside??

Veer ne ek lambi saans lii aur badi hi asaani se jawaab diya,

Veer : It's simple! Nightwalker came inside, killed Chester and went outside.

*Silence*

Log waha aise ho gaye jese unhe saanp soongh gaya. Kya kaha Veer ne abhi abhi? Nightwalker andar kamre me aaya, Chester ko maara, aur fir waapas nikal gaya? Huh? Mazaak chal raha tha kya? Veer pagla gaya tha kya? Woh sabhi Veer ko aise dekhne lage jese saamne khade kisi namoone ko dekh rahe ho.

Aur sabse pehle toh Tommy hi behka,

Tommy : No No No No!!! Let me tell you the truth. Chester was killed by a ghost guys. You know... Ghost can travel through the walls. Yup! That's it guys. This guy, Veer is just trolling everyone. Hahahaha~

Wo hassa aur akasmaat hi,

Tommy : YOU FUCKERRR!!! DO YOU HAVE ANY IDEA WHAT THE HELL YOU ARE SPOUTING??? WE ARE HERE TO HEAR THE SECRET HOW THAT MOTHERFUCKER KILLED MY FRIEND, NOT TO HEAR YOU TALKING BULLSHIT. IF YOU SPEND ONE MORE SEC DOING THAT, I'M TELLING YOU, I'M GONNA BEAT THE SHIT OUTTA YOU... YOU... Ughhhh!!

Iss se pehle ki woh uth ke apna gussa Veer pe nikaal paata, Mike ne usse pakad waapas se seat par patak ke baitha diya.

Mike : Calm down! And behave properly, this ain't your home.

Sab Tommy ko ghoorne lage aur harr ek ki aankhein apne upar paa kar Tommy ko na chaahte hue bhi shaant hona pada.

Nolan : Explain properly!

Veer : It's just as I said. He came inside, killed Chester, and went outside.

Aur Nik jo wahi baitha hua tha usse jese mauka mil gaya, Veer ki sabke saamne dhone ka,

Nik : Hah~ Bullshit! How can someone just come inside without opening the door? There is only one way to enter the room. No one can enter that room without opening the door. Mike told us everything after all. Sir, He is just wasting our time. I bet he didn't find anything--

Nik Nolan ki taraf jhukte hue bola. Uski baat sahi bhi thi. Bina kamre ko khole andar jaaya hi nahi jaa sakta tha. Kyuki ek hi raasta tha bas andar jaane ka. Mike ne bataya tha sabhi ko ki kahi koi bhi secret passage nahi tha. Toh Chester ka yu marr jaana? Woh bhi Nightwalker ka andar aake maarna? Namumkin tha ye poori tarah se.

Par...

Veer : When did I say he didn't open the door?

Nik : Huhhh??

Nik hairaani me Veer ki orr dekha.

Veer : He opened the door, went inside, killed Chester, and came outside. Simple!

Ab toh waha baithi Divya ki bhi bauhe sikudne lagi thi confusion ke maare. Yaha tak ki Mike bhi thoda chintit nazar aa raha tha. Kahi Nolan Veer ko lataad na de.

Veer ka kehna tha ki Nightwalker ne darwaza khola, andar gaya aur Chester ko maar ke waapas baahar aa gaya.

Ye toh saraasar bakwaas thi.

Suhana bhi Veer ko dekh rahi thi. Kuch chinta me bhi thi woh...

Nik : Are you even listening to the shit you are saying?

Veer : I'm telling the truth.

Divya : V-Veer!? Don't stretch this too long. We really want to know. Just tell us.

Veer ne Divya ko dekha, jese maani wo usse tease kar raha tha. Fir usne Nolan ko dekha,

Veer : Ohhh! You wanna know!?

Nik bhi baithe hue jese Veer ko prashn bhari nigaaho se dekhne laga. Woh toh bas mauka dhundh raha tha ki kab Veer koi bachkaani harqat kare aur woh firse uski udaa sake.

'Ye nauseekhiya bhala kya hi raaz jaan paaya hoga?'

Nik apne mann me yahi soch raha tha.

Par idhar Veer inn sab bachkaani harqato se upar uth chuka tha.

'What I'm about to tell them, will blow their minds.'

Sochte hue usne apne haath ko dekha, uske badan ke ruye khade hue the.

[You're still getting goosebumps, Master! Sach me... Ye log taiyaar nahi hai. Aur ye Nightwalker toh sirf dusra hi killler tha Master! Kya ye log aane waali musibato ke liye taiyaar bhi hai ya nahi? I'm getting scared.]

'Don't know!'

Veer ne Nolan se ishaare me permission maangi toh Nolan ne sarr haami me bhara, aur uss se sweekriti milte hi, Veer ne apne bagal me kursi par baithe ek vyakti ko dekha jo laptop par kaam kar raha tha.

Veer ka ishara jese hi usse mila, usne gallery se ek image khol dii, jo saamne projector par ujaagar ho gayi.

Aur usse dekhte hi, sabhi ke maatho par rekhaaye sajj gayi.

Veer : This is the answer to your questions. And now I will unravel the truth.

Nolan : !!??

Mike : That's...!!!

Zoey / Emma : ...

Divya : This is.. What are you implying Veer?

Suhana : V-Veer...!!!

Tommy : Are you kidding me??? This is not a joke.

Par idhar, Tommy ko chorr sabhi serious the.

Veer : Everyone!!! There is a reason why those room numbers were not in order.

Nolan : What do you mean?

Veer : Those room numbers weren't just room numbers...

Uske itna kehte hi, sabse pehle Divya ne react kiya,

Divya : N-No!!! It's can't be... This...!!!

Woh apni seat tak se uth gayi. Uske shareer ke raungte khade ho chuke the. Kyuki saamne jo picture screen par maujood thi,

Wo thi...




Divya : T-They were....

Veer : YES! ATOMIC NUMBERS!!!!

*Booooooooooommmm*

Maano ek visfot hua waha baithe sabhi logo ke mastishq me.

Mike ka muh khula ka khula reh gaya toh wahi Nolan hairat angez me wahi jamm ke reh gaya. Par ye toh abhi kuch nahi tha.

Tommy : Whattt? What the fuck are you talking abo--

Lekin uski baat ko Veer ne beech me hi kaat diya, jab uski nazar seedhe Zoey par gayi,

Veer : What was Chester's room number?

Zoey (jhepte hue) : H-Huh!! That... It... It was 50.

Aur Zoey ke muh se itna nikalte hi Veer ne screen par doosri slide pesh kar dii.



unnamed

Divya ne kuch baat pakad lii thi. Par usse abhi aur jhatka lagna baaki tha.

Tommy : But... But... What does that have to do with Chester getting killed?

Thik hai ki Veer ne ye raaz khol diya tha ki woh room numbers atomic numbers the par Chester ka marrna iss sab se kese mel khaa raha tha bhala?

Aur iss sawaal ka uttar bhi Veer ne agli slide dikha ke de diya.

Jese hi unhone woh dekha, waha baithe sab ke andar ke taar hil ke reh gaye. Divya ki toh rooh hi kaanp gayi.

Tommy, Zoey aur Emma sab hakke bakke hoke bas screen dekh rahe the. Woh kuch kehne laayak hi nahi bache the.

Screen par likha tha~


IMG-20220809-231427

Nolan : That... That means...

Veer : Yes!!!! He melted it.

*Booooooooooommmm*

Ek aur visfot hua unke dimaag ke andar.

Mike : B-But how....!???

Veer : Tin! Melting point of tin is approx 232° C. He melted it by using gas burner. The ones which we use in campings.

Veer ki baat sunn unke poore jism me raungte khade ho gaye. Reedh ki haddi tak ek sihran daud gayi.

Nightwalker ne darwaaze ke ek metal bar ki boundary ko gas burner ke saamne ek nozzle laga ke pighlaaya...

Aur pighalte hi, usne uss bar ko kheech ke baahar nikaala. Andar haath daal ke usne kamre ki chatakni ko khola...

*Click*

Aur woh Chester ke room me hathiyaar leke ghusa.

*Slaaaaaaaaashhhhhhhhhh*

*Hhhhaaacccckkkkkkkkkkkk*

Chester ko kaatata raha jab tak woh do tukdo me na batt gaya. Aas paas bikhra khoon pocha,

Kambal se uske shareer ko dhaka, aur baahar aaya.

Waapas se haath daal ke andar se kundi band kii aur gas burner se dobaara uss metal bar ko pighla ke weld kar diya.

*Booooooooooommmm*

Ek aur zordaar jhatka unko laga jab Veer ke muh se ye sab vistaar me suna. Aisa lag raha tha jese unhone bhoot dekh liya tha koi apni aankho ke saamne.

Jese bilkul maatam sa chhaa gaya tha. Koi awaaz nahi nikal rahi thi unke muh se. Aankhein bhay ke maare feli hui thi, shareer khauf aur darr ke maare kaanp raha tha. Aur honth aapas me kasse hue the. Ekdum band.

Ab unhe iss baat ka andaaza laga tha ki woh kitne bade criminals ke saath deal kar rahe the. Aur ye House of Killers koi choti moti gang ka hissa nahi thi. Ab jaake iss baat se woh dhang se avgat hue the.

Divya ladkhada ke apni seat par gir padi. Darr ke maare uski aankhein phel chuki thi.

Jitne bhi room numbers the. Metals me Tin ho tha waha jiska melting point sabse kam tha. Aur gas can burner se usse melt karna koi bhaari kaam nahi tha.

Chester ki maut tabhi tay ho gayi thi. Jis waqt usne room number 50 chuna tha.

He died there only.

Veer ne jab Nightwalker ko baandhne ke baad check kiya tha toh,

*Ding*

[Name : Noah White.]
Alias Name : Nightwalker.
Age : 34
Bio : Noah White aka Nightwalker is a member of the House of the Killers. He likes paintings. He takes drugs from Jim, exchanges them with the expensive wines and beers. He has a fetish to kill people and see their blood coming out. Has killed his own family members, and others with a total count of 93 people. His mansion's key cards sells for only 8 people twice in a row per month. He was a technician and a welder before.

Favourability : -45
Relationship : Enemies.]

Jab Veer ne ye padha tha tab usne inn details par kuch khaas dhyaan nahi diya tha. Waha se nikalte waqt usse khaali gas burners ke cans bhi dikhe the. Par usne dhyaan nahi diya tha.

Aur woh Mike ko apni peeth par laad ke upar le gaya tha.

Parantu Mike ko ek kamre me litaane ke baad jab woh Chester ke kamre se guzar raha tha. Toh neeche pade hue darwaaze par jese hi uski nazar gayi,

'Check'

*Ding*

[A metal door with a welded metal bar.]

'Huh? Ye pehle toh nahi tha!'

Jab Veer ne apne kamre ke darwaaze ko check kiya tha tab to description me likh ke aaya tha,

[A metal door.]

Aur ab...

Lekin tabhi...!

'Huhhh???'

Veer ke mann me Nightwalker ka bio ek baar punaah saamne aaya.

'He was a Technician and a Welder before.'

Welder... Welder... Metal door with Welded Metal bar ....

'This...!!!!'

Aur isliye... Veer ke badan me ruye khade hue the. Usse itne zyaada goosebumps aaye the.

Woh ladkhada ke gir gaya tha wahi. Jis shaatir dimaag se Nightwalker ne Chester ko maara tha. Veer ke soch ke hi raungte khade ho gaye the.

'Ek second... Technician...! Huh??'

Aur tabhi usse Nightwalker ke saath ladaayi ka scene yaad aaya. Kese Nightwalker ne current ki taaro ka istemal uss par kia tha.

'N-Noooo!!!'

Now, everything was making sense.

'So he was planning this all.'

Veer apni saari baato ko bata ke jab shaant hua toh waha par logo ke chehre dekhne laayak the. Woh sab besudh se baithe Veer ko dekh rahe the. Keval unki saaso ki hi awaaz aa rahi thi.

Mike : But where's the treasure???

Veer ne Mike ke sawaal ka jawaab nahi diya. Balki usne Zoey ko dekha aur pucha,

Veer : And your room number was...

Zoey : M-My... Mine was... 79... Huh??

Bolne ke baad uski nazre turant hi uss periodic table par gayi. Aur jese hi usne dekha...

Uska badan thitur utha. Kaanpte hue usne apne haath se seene par apne top ko kass ke bheench liya.

Kyuki agli slide me saamne tha...


135121-pt-element79

Zoey (kaapte hue) : Th-This....

79, Atomic number of Gold!!! Yaani sona... Zoey ke room me tha? Jis room me woh itni derr tak thi ussi room me 10 million dollars ka sona chhipa hua tha!???

Veer ko jab pata chala tha ki Nightwalker me aise Chester ko maara tha toh woh fauran hi Zoey ke kamre ki orr bhaaga tha.

Yadi Chester ka room door Tin se bana tha toh fir, Zoey ke room ka darwaaza toh..

79!!!! Gold se bana hona chahiye tha.

Apne room se teeno logo ko neeche bhej woh Zoey ki room ki orr bhaaga,

Aur...

'Check'

*Ding*

[A Metal door.]

Par koi fayda nahi. Veer ne scratch kar upar ki parat hataani chaahi. Kahi aisa toh nahi iss swarn par koi coating chadhi hui thi? Par koi fayda nahi. Ye metal door sone ka nahi tha.

Ek antim baar search karne ke liye woh room me gaya.

Aur ghuste hi jese hi usne saamne dekha...

*Ding*

'No... So I was right!!!!!!'

"Veer??? Veeeerrr???"

Veer apne hosh me firse aaya jab Mike ne usse pukaara.

Mike : The treasure?

Veer ne Mike ko dekha, Aur eka-ek,

Usne taali bajaayi,

Tabhi, Darwaza khula, aur do ladke kisi bhaari sii cheez ko pakad ke lekar aaye aur table par rakh diye. Poori cheez ek laal kapde se dhaki hui thi.

Nolan : Don't tell me....

*Flaaaaaaaappppppppp*

Veer ne ek baar me uss par se woh laal kapda hata diya tha. Aur unke saamne tha...

Poora sone ka bana hua flower vase. Uski chamakti roshni unki aankho me pad iss baat ka saboot de rahi thi ki woh ekdum asli aur ucchh koti ka sona tha.

Zoey apni jagah se bhauchakii hoke khadi ho gayi,

Zoey : But this wasn't there before...

Divya : Veer!! Don't you fucking tell me...

Veer (smiles) : Oh yes indeed...

Divya : *gulps*

Veer (grins) : He melted it!!!

*Booooooooooommmm*

Aur iss akhiri visfot ke saath Veer ne sab kuch unke saamne khol ke rakh diya.

Nightwalker ne sone ke biscuits bhi pighla ke usse vase ke andar bhar diya tha.

Kisne kaha tha ki Golden bars sirf solid state me hi maujood thi Mansion me? Woh apne liquified state me bhi toh ho sakti thi?

Aur yahi tha raaz. Issi kaaran se uss pighle hue sone ne flower vase ka aakaar le liya tha. Nightwalker ne jaan boojh ke uske upar fir mitti daali, aur fir ek do phool bhi laga diye the.

Saath hi usne jaan boojh ke darwaaze ko gold se nahi banwaaya tha. Woh bewakoof nahi tha. Yadi woh aisa karta aur Veer ki tarah kli ye andaza laga leta ki bars darwaze me hai toh woh sabhi tob yu hi khazana chura lete.

Aur isliye usne golden bars ko iss tarah chhupaaya. Kisi ka shaq jaana hi nahi tha flower vase pe kyuki itne bade golden bars flower vase ke muh ke andar kese ghuste bhala?

Par kya yahi kehna tab waajib hota jab sona pighla hua ho? Shayad nahi!?

Mike : But what about those paintings???

Veer : Those were just a deception Senior Mike.

Mike : A-Ahhh!!!

Emma : What about our boats???

Veer : Isn't it obvious? He hid them!!!

Emma : That's...

Nolan : There were cameras too...

Veer : Yes!!! Whoever were watching us, they have probably been alerted. So oir next Target is them only.

*Clap* *Clap* *Clap*

Agle hi pal, Nolan ne taaliyaa bajaani shuru kar dii,

Nolan : Incredible!! In all my years of duty, I've never seen a young man like you unraveling mystery like this. You have brought us pride and respect. You will get reward for this gentleman. The findings... You'll get some Percentage of this treasure.

Veer (smiles) : Not just me. Senior Mile helped me a lot too. He should be equally rewarded.

Mike : Ahhh!! V-Veer... There's no need to--

Nolan : A wise gentleman! I like it. Okay then. I'll hand over both of your names.

Itna bol Nolan waha se nikal gaya aur Veer aur Mike dono ke liye hi tareefo ke pul baandhe jaane lage.

Veer ek dil ka saccha insaan tha. Usse kiske saath kesa behave karna hai ye bakhoobi aata tha. Usse reward ke roop me dhan raashi milne waali thi. Toh usne Mike ka naam bhi aage kar diya.

Aur kyu na kare? Jab koi nahi tha uske saath Island par jaane ke liye, tab bina kisi swaarth ke Mike ne apna naam aage badhaaya tha.

Toh jab inaam batt raha ho toh Mike ka naam toh usme aana hi tha. Idhar Mike hi nahi, sabhi ke mann me Veer ke prati izzat kaafi badh gayi.

Par aise bhi log the jo ekdum hi jal bhun gaye the iss baat pe... Aur unhi me se ek tha hamaara bandar...

Nik!!!

Woh toh daant peese Veer aur Mike ko ghoor raha tha. Aisi gaand jal rahi thi uski ki chunune kaat rahe the usse pichwade me...

Kherr! Ant bhala toh sab bhala.

Ye discussion samaapt hua, mritak logo ke mata pita ko inform kar diya gaya tha, unke liye toh maatam bann gaya tha.

Zoey bina kuch kahe hi waha se nikal chuki thi. Shayad ye sab hazam karna uske liye kuch zyaada hi tha. Usse apne mann ko sambhaalne ke liye waqt chahiye tha.

Wahi Emma Veer ke paas aayi aur uss se sirf itna boli,

"Meet me tonight here only. Outside the department @ 8:30."

Aur woh chali gayi.

***

Time ~ 8:17 PM

Raatri ka samay ho chuka tha. Aur koi bhi abhi Ghar nahi gaya tha. Veer, Suhana, Divya Nik sab yahi maujood the department me aur baaki ki chhaan been me lage hue the.

Mike ke sang Veer baahar aaya aur raaste par dono tehelne lage. Itna sab kuch aaj unhone jaana tha. Na jaane aage kya hone wala tha unke saath.

Mike ne cigarette ka dabba jeb se nikaala aur Veer ki orr badhaaya,

Toh Veer ne muskuraate hue dabbe se ek cigarette nikaal lii.

*Click*

Lighter jala ke Mike ne Veer ki cigarette ko aanch dii aur fir usne apni jalaayi,

Ek kash hawa me chorrte hue fir woh bola,

Mike : It was outstanding Veer! You did a splendid job.

Veer : You are being too humble.

Mike : No! You are being too modest.

Veer : Haha~ That's you over-praising me.

Mike : I'm just telling the truth.

Veer (smiles) : Alright! I'll take that...

Mike : Yes! After all you disclosed everything...

Veer : Disclose huh!!

Mike : Hmmm?

Veer tabhi achanak aage badhne laga, Mike ko wahi akela chorr ke,

Mike : Where are you heading to?

Veer ne bina peeche mude hi jawaab diya,

"To disclose someone else's secret."

Mike : Huh?!?

Mike ki samajh nahi aaya ki Veer aur kiske raaz kholne ki baat kar raha tha bhala?

Fir bhi, woh Veer ko akela chorr usse uski privacy dete hue, apni cigarette phek andar department me chala gaya.

***

Mumbai...
Night ~ 8:29 PM

Ek aurat stylish sii saree pehne idhar se udhar ho rahi thi. Gusse me bhi thi woh aur thodi vyakul bhi.

Saamne ki seat par ek naujavaan ladka baitha hua tha jo computer ke keyboard par apne haath fatafat chalaaye jaa raha tha.

Tabhi peeche se uss aurat ki awaaz aayi,

"Hua????"

"Try kar raha hu madam. Ye sahi toh hai na?"

"Bilkul!! Sab sahi hai. Tum bas apna kaam furti me karo."

Aur jii haa, ye koi aur nahi...

Mardo se nafrat karne waali, Niharika hi thi.

Aur uske saamne seat par baitha woh ladka tha, ek hacker!!!

Jo Veer ke phone ko hack karne ki koshish kar raha tha.

Niharika : Kuch hua?

Ladka : Try kar raha hu madam. Yadi log in credentials sahi hai toh other devices se log in karna possible hai. Cloud and all... You know...

Niharika : Okay! Jaldi karo...

Uski bechaini badhti hi jaa rahi thi. Par saath hi uske andar jeetne ka ek junoon bhi tha. Yadi woh Veer ke phone se woh video le leti hai toh fir toh woh Veer se apne talwe chatwa sakti thi. Soch kar hi uska excitement aur badh raha tha.

Usne key logger install kiya tha Veer ke phone me. Ek tarah ka aisa app jo aapki keys ko record karta tha. Yaani aapke haath mobile ke keyboard par kitni baar kaha kaha chal rahe hai, kaun sa shabd zyaada use ho raha hai, otp, ya pin wagarah daalte samay kaun se numbers ko dabaaya jaa raha hai. Inn sab ka record rakhta tha.

Beshaq! Ek khatarnak app tha ye...

Niharika ke mann hi mann me laddu phoot rahe the jab achanak hi,

*Ring* *Ring*

Uska phone baja,

'Huh?'

Aur usne screen dekhi apne phone ki...

Par jese hi usne screen par nazre gadaayi, uski rooh kaanp gayi. Screen par likha tha~

Incoming call
Bastard....

Issi naam se usne Veer ka number save kiya hua tha.

Aur wo padhte hi... Uski sitti pitti gul ho gayi.

'Th-This bastard!!! Why now???'

Kaapte hue usne phone pick kiya,

Niharika : H-Hello...!?

Veer : So my slave is getting naughty huh?

Niharika : Wh-Whaaattt?

Veer : Ho gaya hack?

Niharika (jhepte hue) : Huhhhhh!!!!

Veer : Tumhe kya lagta hai? Tum mujhse zyada smart ho? Yadi hoti toh meri slave na hoti... Kya hua? Bolti band ho gayi kya?

Niharika : ....

Veer : Confused ho? Ki kese mujhe pata chala? My dear slave!!! Jis din tumne mere phone key logger install kiya tha na, uss din hi mujhe pata chal gaya tha. Aur jis data se tum hack karne ki koshish kar rahi ho.... It's fake...

Niharika : W-Wo...wo... Wo...

Agle hi shan, Veer ki awaaz achanak hi ekdum buland aur itni intimidating ho gayi,

Veer : Don't play with fire! Waha aaunga toh bhaag nahi paogi....

*Thud*

Sunte hi Niharika ke haath se uska phone chhutak ke gira aur woh dagmaga ke bistar par gir padi. Poora chehra uska paseene se bheeg gaya darr ke chalte...

Aur tabhi, saamne baithe hue ladke ne kaha,

Ladka : Madam! Data sach me sahi hai na?

Bechaara ladka. Niharika ye sunte hi itni aag baboola ho gayi, uska gussa saatve aasmaan par pohuch gaya aur woh zorr se chillaayi,

Niharika : Nikal jaao!!! Nikal jao yaha se!!!

Ladka : H-Huhh?? Madam?

Niharika : Nikalte ho ya nahi??? You bastard!!!

Iss se pehle ki Niharika usse kuch utha ke phek ke maarti, woh bechaara ladka gaand phati ke maare bhaag gaya waha se.

'Tch!!!! Worthless men!!!!'

Mardo ko gaali bak, Woh wahi padi padi apni saasein durust karne lagi. Veer ke shabd uske mann me goonjte rahe...

***

Las Vegas
Investigation Department
Time : 8:38 PM

Idhar Veer ne jese hi Niharika se baat kar phone kaata, bagal se usse ek jaana maana shaks aata hua nazar aaya,

Emma!!!

8:30 ka milne ka bola tha usne. Luckily, Veer baahar hi tha.

Emma : It's good that you're here.

Veer : So? What's the matter?

Emma : I wanted to tell you something.

Veer : Finally opening up huh?

Emma : Y-Yeaahhh!!

Veer : !!!?

Emma : Actually... Actually, I went there illegally. I... I stole a yacht from a rich person. That's why I didn't tell you giys earlier.

Veer : Ohhhh! That's it?

Emma : Y-Yeah!

Sharmindagi ke maare Emma ne sarr jhuka liya. Baat zara sii thi. Par shayad Emma ke liye badi thi.

Usne ek ameer vyakti ki yacht churaayi thi mansion me aane ke liye. Aur isliye wo ye kisi ko batana nahi chahti thi.

Emma (blushes) : Can I... Can I come with you?

Veer : Huh? I'm not from here. I'm from India.

Emma : Wh-Whaaaattt???

Veer (smiles) : Yes!

Emma : O-Okkaaayy!! So you don't need any assistant? What work you do there?



IMG-20220810-015548

Veer : I have a business.

Emma : Then how about a assistant? I... I can work for you ...

Veer kuch kehta tabhi usne dekha ki Department se Nolan baahar nikal apni car me baith raha hai. Saath hi ek khubsoorat mahil uske liye darwaaza bhi khol rahi thi. Jo ki uske secretary thi.

Veer : Man! I do need a professional secretary though.

Veer ki nigaaho ko follow kar Emma ne uss orr dekha.



IMG-20220810-015604

Emma : A professional secretary huh!? I think it's time to leave then...

Veer : Hmm? Ohhh!

Emma bina kuch kahe Veer ko bas kuch palo ke liye dekhi aur waha se palat ke woh nikal gayi.

Idhar Veer uske jaate hi department me jab andar aaya... Toh Suhana aur Divya aapas me behas kar rahi thi,

Suhana : You fuckiinngggg know something... Tell me what the fuck you are hiding? Huh? Bolo! Kya chhupa rahi ho mujhse?

Divya : Urgghh! Jaan'na hai tumhe? Fine then!!! Ye lo!!! Tumhe yaad hai na kis liye bulaaya tha mene tumhe? Ye lo fir...

Kehte hue usne ek card feka jo seedha Suhana ke muh pe land kiya,

Haatho me pakad jab usne uss card ko dekha toh woh hairaani ke maare hil ke reh gayi,

"Whaaaaaaattttttttttttt!!!????"
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
This update consists of more than 4.8k words. This took a lot of my time. Toh like thokne ka dil se aur revos rakhne ka.

Dhanyavaad! ✨
Awesome update bro
 
Top