- 14,066
- 99,731
- 259
Last edited:
Accident hogaela tha to 2-3 din hospital me hi bita......Khair aao backchodi hall me aaj backchodi pelte baith ke sab Xabhi bhi hai hiJu ko kya ho gaya man? Sahi ho ya nahi?
Bhaiya udaas kahe hote ho......aisa thodi n hoga kyun WerewolfBahut bahut pasand aaya Divya madam ki tasveer. Lekin sirf Divya hi kyon ? Suhana kyun nahi ? Wo firangi ladki kyun nahi ? Ragini bhabhi kyun nahi ? Nidhi mam kyon nahi ? Baaki sabhi husn ki pariya kyon nahi ?
Divya madam ka picture bar bar aana hamare liye ek UPSC ka kathin sawal lekar aa gaya hai. Kuchh na kuchh to jarur baat hai.
Werewolf bro ! Aise nahi jane denge aapko. Bechari ka murder - Shuerder mat karwa dijiyega.
Take care bhai.Accident hogaela tha to 2-3 din hospital me hi bita......Khair aao backchodi hall me aaj backchodi pelte baith ke sab Xabhi bhi hai hi
Apun bhi jhel chuka hai. Bedrest par tha apun 15 din. Take care man! Sambhal ke chala karo.Accident hogaela tha to 2-3 din hospital me hi bita......Khair aao backchodi hall me aaj backchodi pelte baith ke sab Xabhi bhi hai hi
Simple.. Esra is the hottest of all!Bahut bahut pasand aaya Divya madam ki tasveer. Lekin sirf Divya hi kyon ? Suhana kyun nahi ? Wo firangi ladki kyun nahi ? Ragini bhabhi kyun nahi ? Nidhi mam kyon nahi ? Baaki sabhi husn ki pariya kyon nahi ?
Divya madam ka picture bar bar aana hamare liye ek UPSC ka kathin sawal lekar aa gaya hai. Kuchh na kuchh to jarur baat hai.
Werewolf bro ! Aise nahi jane denge aapko. Bechari ka murder - Shuerder mat karwa dijiyega.
bhaya apan chala raha tha not chal raha tha khair ye pahli baar nhi hai jab apan hospitalise hua and thanx bhai for supp.Apun bhi jhel chuka hai. Bedrest par tha apun 15 din. Take care man! Sambhal ke chala karo.
Superb fantastic amazing mind blowing update bhai...Update - 104 ~ The Grand Concert
Ab tak...
Akhir issi ke liye toh woh shopping karne bhi aaye the. Divya ne jo call card Suhana ko fek ke diya tha, uske sang ek flyer bhi tha.
Jo tha...
Aur akhir me jo card usne feka tha Suhana ke muh pe woh tha, ek invitation card.
Aur, Invitation tha...
Natalia Martin ka...
Ab aage...
Las Vegas...
Downtown...
Evening ~ 7:54 PM
*Screeeeeeeeeeeccccchhhhhh*
Car aake seedha ruki. Andar maujood the Veer aur Suhana jo abhi abhi Forum shops at Caesers se aa rahe the. Dono hi acche kapde pehne hue the.
*Thud*
Woh baahar nikle aur car ka darwaza band hua.
Veer : Kaha hai Miss Divya?
Suhana : Usne kaha tha ki woh entrance ke baahar ek club hai waha milegi. Dekho aas paas, koi club wagarah dikh raha hai kya?
Veer ne nazre ghumaayi toh paas hi usse ek club dikhaayi diya.
Veer : Call karna better hoga I guess.
Suhana : Hmm! Wait a minute!
Veer ki baat maan kar Suhana ne Divya ko call lagaaya aur baat karte hi unhe pata chala ki woh ussi club me thi, jaha Veer dekh raha tha.
Suhana : Andar hi hai woh waha uss waale club me. Let's go!
Dono hi bheetar ki orr chal diye. Lagbhag 8 baj rahe the aur club ke andar ka mahaul masti aur jagmagaati dj lights se bhara pada tha.
Thirakte log, loud speakers par bajte angrezi gaane, cocktails enjoy karte log, sofe par baithe VIPs aur adh nange kapdo me naachti ladkiya.
Veer aur Suhana unn logo ke beech se nikalne ke liye aage badhe tabhi itne me ek nashe me dhutt gori ladki Veer ki chhaathi se aake chipak gayi.
Apni patli kamar ko woh yu matkaate hue, apni nasheeli aankho se usse rijhaane lagi,
Veer ki nazre uss ladki ko upar se neeche tak scan kar rahi thi. Ladki khubsoorat toh thi. Par, Veer ke mann me ek hi baat nikli,
'I have zero interest in you, girl!'
[Hahahaha~]
Aur uski iss baat par Pari bhi hass uthi. Veer ko 36 kaam the. Yadi woh aisi aisi harr ek ladkiyo par girne laga toh woh kahi ka nahi reh paega. Aur wese bhi, Kaera, Sonia, Suhana, Ragini jaisi ladies ke muqaable iss ladki ki sundarta feeki maalum pad rahi thi.
Bas ek nazar daal usne apni nazre mod li, aur idhar Suhana ne jab ye sab dekha toh woh Veer ki kalaayi thaam usse kheech kar aage badh gayi,
Suhana : Tumhe mazza toh bada aa raha hoga, hai na?
Veer : Hmm? Kyu bhala?
Suhana : Saamne se ladki aake chipak rahi thi. Itne bhole kyu bann rahe ho?
Veer : Uski jagah agar koi aur aake chipakta toh shayad mazza aa jaata.
Jese hi usne ye kaha, Suhana chalte chalte achanak hi ruk gayi aur peeche palat ke uski aankho me dekhi.
Kehna kya chaah raha tha ye ladka? Kahi woh...!?
Kahi woh ye toh nahi kehna chaah raha tha ki uss ladki ki jagah Suhana khud hoti toh...!!
Dono ka ye eye contact 5 se 6 seconds ke liye bana raha. Na Veer ne kuch kaha aur na hi Suhana ne. Ek ajeeb sa atmosphere janm le raha tha unn dono ke beech.
Lekin, Suhana ne agle hi pal uss atmosphere ko bhang kar diya. Woh waapas mudi aur Veer ke haath ko thaam andar ki orr usse le jaane lagi.
Bina kuch kahe hi, unn dono ke beech kuch na kuch baatein toh zaroor ho chuki thi. Sirf ek dusre ke naino se. Jese Suhana parakhna chaah rahi thi ki kya Veer ka ishaara uski orr tha? Aur Veer ye dekhna chaah raha tha ki kya Suhana ne uski baato ko apne upar liya tha? Aur yadi liya tha toh woh kya karne wali thi? Parantu, naino ki kashmakash zyaada derr na chali. Dono hi ek rikt sthaan par aa kar atak chuke the.
Iss rikt sthaan ko bharne ke liye dono ko hi apne mann ki baatein saamne rakhne ki zaroorat thi. Jo dono hi nahi karne waale the.
Woh punaah aage badhe aur andar jese hi woh pohuche, woh ek naye hall me pravesh kar gaye.
Lights aur bhi dim thi yaha, ye ek prakaar se rest room ki tarah tha. Baahar ka shor yaha kam sunaayi de raha tha. Jagah jagah mirrors lage hue the jidhar anya ladkiya khadi hoke apna apna make-up theek karne me lagi hui thi.
Aur unhi me se ek jagah khadi hui thi,
Divya!!!
Veer : Woh rahi aapki dear friend.
Usne ishaara karte hue kaha. Suhana ne nazre daudaati hue dekha toh Divya waha khadi mirror me khud ko sawaar rahi thi.
Aur Veer jese hi aage badha, Divya ne mirror me se unn dono ko aate dekh liya.
Woh aaiyne me Veer ko ghoor rahi thi.
Suhana : Chale bhi ab?
Divya : Hmm! Kyu nahi!? Let's go!
Suhana : Toh isliye tumne mujhe yaha bulaaya tha haan?
Divya : Phone par bataya toh tha na mene.
Suhana : Tumne kaha tha ki ek client ne tumhe contact kiya hai. Tumne ye nahi bataaya tha ki woh client kaun tha. The fact that it turned out to be her... Ava!!!!
Divya : Ab usse Natalia kehke bulao Suhana. Celebrity se kam nahi hai ab woh. Iss ek saal me poori music industry par keher barsa ke rakh diya hai usne. Jidhar dekho bas ussi ke gaane chhaa rahe hai aaj kal.
Suhana ye sunn ek chinta me doob gayi.
Divya : Ab kya sochne lagi?
Suhana : I just don't get it. Last time mene usse bachpan me hi dekha tha. Sonu ke sang. Aur mujhe tab aisa kuch bhi yaad nahi tha ki woh singing me talented hai. Aur ab...
Divya : People change Divya. Usne mehnat toh kari hi hogi. Iss tarah ki awaaz aur itni fan following. Sirf paisa fekne se nahi mil jaati.
Suhana : ...
Veer : Umm! Hum chal rahe hai na?
Divya (smiles) : Of course!
Muskuraate hue woh Veer ke bagal se aayi aur teeno hi baahar ki orr nikalne lage,
Chalte chalte hi Divya dheere se Veer ke paas aayi aur,
Divya : Hey!!! Kaisi lag rahi hu mein?
Veer ne uss par upar se neeche nazar daali aur usse ye maan'na hi pada ki Divya ki personality bhale hi kaisi bhi thi, par aaj lag toh ekdum pataka rahi thi.
Veer : Good!
Divya (smiles) : Bas good? Am I not looking hot?
Veer : Ahem! You do actually...!
Veer ki honesty par woh usse muskuraate hue dekhi, ye muskaan sach me aisa laga jese ekdum sacchi thi.
'Is this the real you?' Veer ke mann me uski awaaz aayi.
Yaha se ravaana hote hi woh pohuch gaye downtown me, jaha Natalia ka music concert rakha gaya tha.
Baahar logo ki line toh aise lagi thi, prateet ho raha tha jese poora Vegas hi yaha utar aaya tha.
Veer : What the...!?
Divya : Dekh rahi ho craze Suhana? Ye wahi Ava hai jo Sonia ke saath bachpan me khelti thi. Fans dekh rahi ho uske? Hahaha~ I don't even remember last time mene kab itni bheed dekhi thi ek saath.
Suhana : Andar chalo warna aur dikkat hoegi hume.
Jese hi Veer andar jaane ke liye hua toh achanak hi uske peripheral vision me ek jaana maana shaks dikhaayi diya.
'Huhhhh!?? Zoeyyy??'
Suhana : Veer??? Kaha kho gaye?
Veer : Aap dono andar chaliye mein aata hu.
Suhana : Arre par...!?
Veer itna bol waha se uss bheed me alag disha me ghus gaya aur ek pal me hi tamaam janta ke beech kahi gaayab ho gaya.
Divya : Woh aa jaega. Let's go!
Suhana : Nahi!!! Usse aa jaane dete hai fir...
Divya : Accha baba! Ek kaam karte hai iss entrance ke andar toh chal dete hai? Yaha boht bheed ho rahi hai. Andar hum uska wait kar lenge.
Suhana ne haami bhari aur woh dono hi andar chali gayi. Woh Veer ko yu akela nahi chorrna chaahti thi.
Idhar Veer bhaari bharkam bheed me Zoey ko peeche peeche follow karte hue uske paas badi mushqil se pohucha aur usne peeche se hi Zoey ka haath thaam usse palta diya,
Veer : What are you doing here?
Zoey : Wha-!?
Wo palti aur Veer ko saamne dekh hairaan reh gayi.
Zoey : Veeeerrr!!!!!
Veer : Yeah! You here?
Zoey : Ahhh! I...
Uska sarr neeche jhuk gaya.
Veer : What happened?
Zoey : It's... I just came here to return the dress. There's a famous shop here. And when I was passing by... I got lost! Too many people... You know...
Apne kandhe uchkaate hue woh thoda uncomfortable way me boli,
Veer : Returning dress? Why so?
Zoey apni ek behad sundar sii dress ko return karne aayi thi. Jo ki yahi ek shop se lii gayi thi.
Zoey : Because I rented it... Ahahaha~
Woh sharminda hote hue boli. Baat saaf thi. Woh wese hi paiso ko lekar tangi me thi. Mansion me bhi usne apni kismat azmaana chaaha tha par uske haath kuch na laga. Ulta jaan aur gawa baithi thi woh.
Zoey ne ek dress yaha se rent par lii thi, ye soch ke ki fashion modeling ke photoshoot ke dauraan, uski ye photos bade bade magazine photographers tak shayad pohuch jaaye aur woh usse apne saath kaam karne ke liye bulaaye.
Par jesa usne socha tha wesa kuch na hua. Unn photographers ne Zoey ko kam se kam semi nude hone ka keh diya tha. Zoey unn chand ladkiyo me se ek thi jo nudity me apna haath nahi daalna chaahti thi. Aksar usse log taane maarte the ki model bann'ne ke sapne dekhna woh chorr de.
Jo ladki nudity accept nahi kar sakti woh kya khaak model banegi. Sach kaha jaaye toh fashion ki duniya me aisi nagnata ko normal hi maana jaata hai. Zoey ek aisi model bann'na chaahti thi jo bina nudity ke bhi, keval apni khubsoorti aur figure ke bal par poori fashion industry ko dominate kar ke rakh de.
Par afsos, hum jesa chaahte hai zaroori nahi ki wesa hi ho. Usse ek push ki zaroorat thi bas. Bas thoda paisa kharch karne ki zaroorat hi. Lekin dikkat bhi toh yahi thi. Uske paas paisa nahi tha.
Veer Zoey ka status jaanta tha. Aur usne ek baar me hi sab bhaanp liya tha.
Zoey : I... I must go now! I cannot miss my train. Otherwise I won't be able to afford any more tickets. Ahaha~
Wo firse nakli hassi dete hue hassi aur mudi,
Veer : Wait!!!
Zoey : Huh?
Veer ne usse rok liya. Peeche mud jab usne Veer ko dekha toh...
Veer apni blazer ki jeb se kuch nikaal raha tha.
Usne ek kaagaz ka panna nikaala aur Zoey ke haath me thama diya.
[Ehhhh? M-Maasterrrr???]
Kuch pal toh Zoey idhar Veer ko hi dekhti rahi lekin jab usne neeche uss kaagaz par gaur kiya toh uski aankhein achambhav ke maare fel uthi,
Zoey : Wh-Whaaatttt??? N-Noooo!!! What are you doing?
Woh kaagaz koi aisa wesa kaagaz nahi tha. Cheque tha woh. Wahi cheque jo Veer ko reward ke roop me investigation department se mila tha. Nightwalker ko jo pakdaaya tha usne.
Kayi hazaaro dollars ka cheque tha woh. Aur ye reward Veer ka tha.
Veer : Have it!! You need it more than me.
Zoey : What?? No!!! I can't take this. Not at all!!!
Aur usne woh waapas usse thamaane ki koshish kari, par Veer na maana. Jab uski ek na chali toh woh Veer ki zidd ke aage haar hi gayi,
Zoey : B-But... No! I just can't...
Zoey ki apni ek pride thi. Yadi wo paise chaahti toh nudity me ghus kar na jaane kitne kama leti. Par usne aisa nahi kiya. Toh bhala woh Veer ke haath se ye paise free me kese le sakti thi? Iss baat ko Veer samajh chuka tha. Isliye,
Veer (smiles) : Then you can repay me. One day when you'll become a famous model. At that time think of me... You'll find me in Mumbai, India. I hope by that time, I would have made a name of myself.
Veer ne uski saari problem ek sentence me solve kar dii. Usne Zoey ko udhaar ke roop me ye paise diye. Beshaq, ab Zoey ki pride ko utna dhakka nahi laga tha. Uske zehen me bhi yahi baat thi ab ki woh udhaar le rahi thi. Na ki free me usse ye paise taras khaa ke diye jaa rahe the.
Aasuo ki komal komal boonde apne aap uski aankho se nikal padi, wo rote hue dhundhli aankho se apne haath me uss cheque ko dekh rahi thi.
Zoey : I'll remember this. I'll definitely repay you back some day. I promise...!
Par jab tak usne apni nazre upar kar Veer ko dekha, tab tak Veer palat ke dur jaa chuka tha. Usne bina mude hi apna haath hawa me uthaaya aur goodbye ka ishaara kar woh dobaara se uss bheed me kho gaya.
Zoey apni aankho se aasu poch ek antim baar Veer jis orr gaya uss disha me dekhi aur apni suitcase utha ke woh palat ke nikal gayi.
***
Idhar Veer jese hi kuch qadam hi aage badha tha jab,
*Ding*
[Zoey's favourability has been increased by 40.]
[Master! Pehle mein surprised thi. Par at the end, aapne ek sahi kaam kiya. She needed that cheque.]
'Pari! Kayi baar hume rishte bhi banaane padte hai.'
[Par Master agar future me Zoey aapka kiya hua ye favour bhul gayi aur kabhi bhi aapko repay nahi kiya toh?]
'Toh kya? Toh kuch nahi Pari! Woh kahavat toh suni hi hogi. Neki kar, dariya me daal.'
[Thats... Indeed! Master!]
Veer muskuraaya aur aage badh concert ke venue ki entrance me ghus gaya.
***
"Kaha reh gaye the tum???"
Ghuste hi usse bagal se Suhana ki awaaz sunaayi dii. Dono Divya aur woh uska hi intezaar kar rahi thi.
Veer (smiles) : Emergency!!!
Suhana : Kyaaaa?? Aur piyo dherr saara paani car me baithe baithe... Arre mall me bhi toh...
Divya : Enough!!!! Suhana! Hum pehle hi late hai. Let's go!
Divya usse kheech ke lete hue aage badhi, aur idhar Suhana peeche palat ke Veer ko apni aankhein sikodte hue dekhi jese kehna chaah rahi ho ki ye lecture woh baad me sunaaegi usse.
Veer andar hi andar mand mand muskuraaya. Kabhi kabhi ye Suhana ekdum bacchiyo jese behave karne lagti thi. Aisa lagta tha jese uski dusri personality maano baahar aa rahi ho.
Veer, Divya aur Suhana jese hi venue me enter kiye, woh andar ka nazaara dekh ke hi dang reh gaye.
Concert itna bhavya tha ki kehne ke liye shabd nahi the unke paas.
Dherr saari jagmagaati lights, aasmaan tak unki rays feli hui thi, smoke pipes se dhua uth raha tha, bhaari maatra me log thirak rahe the, saamne behad badi sii screen me Natalia dikhaayi de rahi thi jo stage ke beecho beech behad khubsoorat dress pehne khadi hui thi.
Shayad woh gaana shuru karne hi waali thi.
Veer aur baaki sab excited logo ke beech se apna raasta khojte hue aage badhe. Vip seats ki orr, jo sabse aage maujood thi. Woh late the. Warna unhe aise bheed ke beech me se nahi aana padta.
Par Veer unn logo ke beech se guzarte waqt...
*Ding*
Uski aankho me achanak pal bhar ke liye laali chhaayi. Aur usne aas paas idhar se udhar nazre firaate hue dekha. Uski aankhein baaj ki tarah logo ko scan karne lagi.
Woh ek pal bhi bekaar nahi jaane dena chaahta tha. Nightwalker ke mansion me hoke aane ke baad usne system ko aur efficiently aur fast use karna shuru kar diya tha. Woh jaanta tha ye kitna zaroori tha.
Suhana jo aage chal rahi thi woh achanak se peeche mudi, aur jese hi usne Veer ko dekha,
Veer ki aankhein waapas se normal ho chuki thi.
Suhana : Hmm? Is something wrong?
Veer : Nothing! Keep moving!
Suhana : Hmm!
Aur Suhana ke firse mudte hi,
*Ding*
Unn aankho me laali firse janm le uthi.
Sab kuch itni tezzi se hua ki Suhana ko pata bhi nahi chala ki Veer ne abhi abhi uske bagal se khade hoke Beowulf activate karke inn chand seconds me hi apne aas paas ka jayza bhi le liya tha. Ye sab kuch seconds me hua. Woh itna tezz ho chuka tha system use karne me. Pari bhi jese uski saari mann ki baate samajhti thi. Ek pal nahi laga usse Veer ke thoughts ko poora karne me.
Within seconds, Pari ne Beowulf activate kiya aur waapas se deactivate kar diya. Aur Suhana ke mudne ke baad firse activate kar diya. Veer aur Pari ke beech koi baat bhi nahi hui. Jese Pari ab apne Master ke liye aur fast aur efficient ho chuki thi. Sab kuch bina kahe hi ho gaya. Unhe aapas me baat karne ki zaroorat hi nahi padi.
Filhaal, Veer ko aas paas se aisa kuch bhi nahi sunaayi diya jo charcha ya chinta ka vishay bane aur na hi usse kuch aisa dikhayi diya. Jo ki ek raahat waali baat thi. Aur isliye usne Beowulf deactivate kar diya.
Woh jese tese uss bheed se nikal aage aaye. Ekdum aage. Saamne Lambe lambe white sofe rakhe hue the. Keval Vip logo ke liye. Aur kayi saare Vip pehle se hi waha baithe the. Woh Veer, Suhana aur Divya ko hi dekh rahe the.
Baahar do guards the jo VIP invitations check kar rahe the. Divya ne invitation card unn guards ko thamaaya aur guards ne unhe andar jaane de diya.
Divya apne sofe ke upar lage tag me apne naam ke paas pohuchi aur Veer aur Suhana ko ishara kar usne aage bulaaya.
Teeno uss sofe par baith gaye.
Aur udhar upar bade se stage par Guitarist, drummer aur anya musicians Natalia ke ird gird apni jagah par baithe instruments set karna shuru karne lage.
*Booooooooooommmm*
Stage ke saamne se fireworks upar hawa me ude, janta ka shor tatha hooting shuru hui,
Aur Veer ne jese hi nazdeek se A
Natalia ko dekha, woh wahi jamm ke reh gaya.
'Huhhh!!!'
[Okay! I admit. She's gorgeous!]
Aur Pari ne bhi apni haami bhar dii.
Natalia behad khubsoorat thi. Veer ne kabhi nahi socha tha ki usse Kaera aur Sonia jesi ke level ki koi ladki itni jaldi usse issi janm me dekhne ko mil jaegi.
*Badump*
Uska dil ek dhadkan jese phaand gaya.
Aur agle hi shan,
'Check!'
Veer ne Natalia ko check kiya. Lekin jese hi usne check kiya, Natalia ki aankhein turant hi Veer par tikk gayi. Woh stage se seedha usse ghoor rahi thi.
'Hhuhhh??? Whattt??'
Par fir Veer ne dhyaan diya, ki Natalia ne sirf usse hi nahi, Divya aur Suhana ko bhi dekha. Aur ek halki sii nod dii bas.
Uske baad usne fir gaana shuru kiya.
I know it's fading, going away from my hands,
It never was there, had fooled me till the end.
Feelings of mine.... Yet keepin' meeee aliiiiiiive!
Nobody wants to see the pain behiiiiiiinnnd...
Closed my heart, and now I'm on my miiiiinnd...
Slippin' away from my grip...
There goes my wish...
And, letting go I no longer need that vile paaaassstttttttt....
Natalia ki awaaz poore venue me goonj uthi.
Janta ka shor umad utha.
Koi instruments nahi baje the. Sirf aur sirf uski awaaz hi thi. Aur jis tarah se usne ye gaaya tha. Uss awaaz ke peeche ek alag hi dard tha. Aur kya hi kamaal ki powerful voice thi. Par saath hi utni hi madhur.
Uski awaaz itni alag thi ki sunte hi Veer ke shareer ke raungte khade ho gaye. Uski aankhein apne aap band ho gayi. Aur sirf Veer hi nahi tha. Suhana aur Divya ka bhi yahi haal tha.
Suhana ye bhi jaan gayi thi ab ki kyu itni zyaada bheed thi Natalia ke liye. She was too good! Live stage par aise live gaana. Koi notes miss nahi ho rahe the. Harr ek high note ekdum sahi laga tha uska. Aur awaaz zara bhi nhi ladkhadaayi unn high notes ko lagaane me.
Kitni practice chaahiye hoti thi iske liye ye baat Suhana bhali bhaati jaanti thi. Akhir uski contact me bhi kayi bade singers the. Par Natalia ki aaj iss awaaz live sunn'ne ke baad jese woh saare singers ab pheeke maalum pad rahe the.
Ye gaana Natalia ne abhi release nahi kiya tha. Ye sirf aane waale gaane ki kuch panktiya thi jo usne concert shuru karne se pehle gaayi aur excitement ke chalte janta udhar utne me hi paagal ho uthi.
Such was her craze!!!
Uske baad fir music aayi, fir jaake thoda mahaul party jesa hua aur vibe bani.
Suhana : Ek ghante ke upar ho gaya hai. Hum kab tak yaha baithe rahenge?
Divya : Meri baat ho chuki hai uss se. Usne kaha tha ki... Concert ke baad hi dinner me hume uske saath join karna hai. Aur udhar hi wo saari baatein bataegi.
Suhana : Matlab poora concert bhar yaha baithna hoga?
Divya : What is it? Tumhe toh glad hona chahiye. Finall getting to witness Natalia. Fufufu~ Should I call Sonia? Batau usse uski bachpan ki friend ke concert me baithe hai humlog. Hmm?
Suhana (aankh dikhaate hue) : You better not!!!
Divya : Hahahaha~
Suhana beech me thi. Veer aur Divya uske bagal se baithe huye the aur apne aap hi uska haath Veer ki jaangh par anayaas hi chala gaya.
Veer par uska dhyaan nahi tha. Aisa lag raha tha jese woh kisi baat ko kekar chintit thi.
Veer : What's up?
Suhana : ????
Veer : Mene pucha kya hua? Kya soch rahi ho aap?
Suhana : Ahh! Wo mein...
Veer : Hmm?
Suhana : I just... Tum jaante ho ki Ava... I mean Natalia Sonu ki childhood friend rahi hai. Par uske jaane ke baad se hamaare aur uske beech contact jese khatam sa hi ho gaya hai. Aaj usse yaha aise dekh ke bas shocked hu thoda. I never saw her singing in the past...
Veer : Tab woh boht choti rahi hongi... Maybe India se jaane ke baad unhone apne passion ko follow kiya ho?
Suhana : Yeah!!! Maybe...
***
Samay guzra aur dekhte hi dekhte ye vishaal concert apne ant ke qareeb pohucha.
Dekhte hi dekhte saari janta apne apne ghar ke liye jaldbaazi me nikalne lagi. Concert behad hit tha. Par Veer aur dono sundariya waapas jaane ki bajaaye venue ke bagal waale gate se baahar gaye.
Udhar hi ek behad badi 5 star hotel thi. Aur uske hi campus me dherr saari bheed ikhatta hui padi thi.
Photographers se leke reporters toh wahi haatho me phone liye Natalia ke fans...
Natalia hotel se baahar nikal rahi thi. Uski kaali cham chamaati dress stairs par lathadte hue peeche peeche aa rahi thi.
Woh campus tak aayi toh uske chehre par flashes ki bauchhaar shuru ho gayi.
*Click* *Click* *Click*
Par woh seedha apni vanity van ki orr chali gayi.
Aur idhar bodyguards ne saari janta aur tamaam reporters athwa photographers ko wahi rok liya.
Natalia ne apne kapde change kiye aur ek top aur uske upar black jacket daal woh hotel me waapas chali gayi.
***
Idhar Veer ki toli andar jaane ka wait kar rahe the. Natalia ke bodyguards ne unhe baahar thehra ke rakha hua tha kyuki tab tak Natalia change karne me lagi hui thi.
Suhana : What the hell?? Sonu ki childhood friend hai woh. Aur dekho toh... Humko anjaan samajh ke wait karwa rahi hai. I just...
Divya : People change Suhana... People change...
Suhana : Just like you, right?
Divya : Ugghh!! Y-Youuuu...
Suhana : Hmph!!!
Veer bas muskuraa raha tha. Usse pata tha Suhana aisi situations me pakke se trigger ho jaati hai. Aur wahi hua. Suhana ka ego hurt hua tha. Kese nahi badbadaaegi woh?
Kuch derr ke intezaar ke baad hi unhe andar jaane ke kiye allowed kar diya gaya.
Aur jese hi woh andar pohuche...
Natalia wahi baithi hui thi. Ek table ke paas ek seat par. Dinner yahi hona tha.
Usne teeno ko aate hue dekha aur bas ek halki sii muskaan ke saath boli,
"Welcome!!! Have a seat!!!"
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Some updates takes time. Remember this well. I had to make my own lyrics for that Natalia's song. Searching for accurate relevant images takes time as well. Toh likes thok ke jaane ka aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad!