• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,312 83.1%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 204 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,578

Pankaj Tripathi_PT

Love is a sweet poison
289
2,336
123
Update - 80 ~ Reunion and Conspiracy
Ab tak...

Uski destination thi ~ Egypt!!!!

Bhavna bhale hi Giza Pyramids ki khoj se kaut aayi thi. Par Egypt me keval yahi pyramids nahi the. Haal hi me, researchers ne ek aur pyramid khoja tha. Uske andar ki saari chhaan been karne dherro researchers aur scientists aaye hue the. Bhavna unme se ek thi.

Ye ek bade scale ka excavation tha.

Aur Veer ready tha.

Apni Maa se Finally milne ke liye. Aur apni uss behan se bhi.


Ab aage...

Egypt!!!

Ek aisa desh, jo aksar charcha me bana rehta hai, apne culture se jude rehesya aur raazo ko lekar.

Jii haan! Aapne sahi samjha. Egypt naam sunte hi insaan ke mann me sabse pehli cheez jo dimaag me aati hai, wo hai ~ Pyramids.

Aur maano chaahe na maano, par Pyramids of Giza hi nahi, balki aise dherro anya pyramids hai jo kayi saare raaz chhupaaye hue hai.

Giza Pyramid, hamaare sansaar ke seven wonders me se ek hai. Aur sabse puraana hai saare 7 ajubo me se.

Par, aur kya khaas baat thi?

Inn Pyramids ke andar hota kya tha? Mummy? Aur? Bhala Aur kya?

Darasal, puraatan kaal ke Egyptian ka culture kaafi rich tha. Maana jaata hai ki kisi pharaoh ki jab mrityu ho jaati thi. Tab uske liye ye pyramid ka nirmaan kiya jaata tha. Jisme uske shav ko rehesyamayi liquid se coat karke, uss par pattiya baandh usse ek taboot me band kar dafn kar diya jaata tha. Jisse, hum aaj Mummy keh kar pukaarte hai.

Pharaoh ka matlab tha, ek ruler. King! Ya emperor, jo kehna ho. Yahi tha jo poore Egyptians ko rule karta tha. Pharaoh!!!!

Inn Pyramids ke ekdum andar Pharaoh ka burial chamber rehta tha. Jo aksar, beshqeemti khazaane, aur anya items se hamesha bhara jaata tha taaki, wo inn sab ka upyog apni afterlife yaani ki punar jeevan ya bhavishya jeevan me bhi kar sake.

Aas paas ki deewaaro par carvings aur vishesh paintings banaayi jaati thi. Aur, Pharaoh ke chamber ke paas hi, anya kamre rehte the jidhar uski family aur sevako ko dafn kiya jaata tha.

Chaahe Egyptians ho, ya chaahe Chinese, inme ek baat boht common hoti thi. Wo yeh ki inke rulers, immortality ko lekar aur afterlife ko lekar boht jigyaasu hote the. Betaab rehte the inse jude uttar paane ke liye. Wo harr sambhav prayaas karte the immortality paane ka. Amar hona!!! Par jo duniya me aaya hai wo jaata toh hai hi.

Immortality ka jawaab koi na dhundh paaya filhaal.

Ab inme bhala aisa kya khaas tha jiske peeche scientists aur researchers paagal the? Kya aisi baatein thi wese?

Ek baat jo sabse zyaada scientists ko aaj bhi chakra dene par majboor kar deti hai wo ye hai ki, aisa kaun sa liquid padaarth tha Egyptians ke paas, jisse wo shav par lagaate the?

Itne hazaaro saalo ke baad bhi, wo shav ekdum intact rehta tha. Kya mila ke uss liquid ko banaaya jaata tha? Wo golden colour ka padaarth. Aisa lagta tha ki pighla hua swarn ho. Par usme aur kayi saari cheezein rehti thi. Scientists aaj bhi iska jawaab dhundh rahe hai.

Egypt ki ret, dherro raaz chhupaaye hue hai. Aur harr ek khoj hamaari soch ko puraatan duniya ke baare me ek nayi samajh pradaan karti hai.

Aur, aise hi kuch pyramids abhi haal hi me discover hue the firse.

Cairo, Egypt ki rajdhani me hi scientists ne 2 aur pyramids dhundh nikaale the. Ye dafn ho gaye the. Gehri ret ki parat se.

Haal hi me inhe bhi khoj liya gaya. Pyramids nahi kahenge, kyuki wo triangular shape ki jo building thi, wo toh aadhi ret me dhassne se barbaad ho chuki thi. Bas andar ka jo kuch bhi tha, wo bacha hua tha.

Aur ye toh kuch bhi nahi tha. Abhi na jaane kitne aur discover hone baaki the.

Harr pyramid ki excavation site construct karne ke liye ek unique site management plan banaaya jaata tha. Ye depend karta tha ki Pyramid, kesi location par hai, aas paas kya hai, aur kitne force ko seh sakta hai.

Yaha par bhi aisa hi kuch hua tha. Site plan keval do cheezo par focused tha. Conservation aur Restoration.

Yaani ki, sabse pehla kaam hai ki iss khoj, iss khazaane ko, Jo kuch bhi mila hai usse pehle sambhaal ke rakha jaaye. Aur fir inhe restore kiya jaaye. Yaani ki yadi koi artifact toot chuka hai toh usse jitna pehle jesa banaaya jaa sakta hai. Wo kiya jaaye.

Uske baad site ko aisa banaana tha ki baad me isse tourism ke roop me bhi dhaala jaa sake. Of course, jab investigation khatam hoegi toh log tourism ke roop me inn khojo ko aage chal ke dekhne toh aaenge hi. Toh site aisi ho, ki uss par zyaada mehnat na karte hue usse ek tourism site me badla jaa sake.

Threat of urbanization. Iss baat ka bhi dhyaan rakhna tha. Aage badhti duniya kahi inhe bhul na jaaye, ya inhe haani na pohuchaaye.

Vehicles ka danger. Of course! Tourism ke dauraan, paryatak vehicles se hi aaenge jaaenge. Toh inhe unn se bhi thoda dur rakhna hoga.

Aur rahi baat excavation ki, toh usme ek sensible plan ki requirement thi.

Jo, sab kuch Cairo ke, MINISTRY OF TOURISM AND ANTIQUITIES ke varisht member ~ Sir George ne sambhaali hui thi.


pyramidsatnight

Duniya bhar se aneko scientists aur researchers iss khoj ka hissa the.

Aur inhi me se ek thi~

Bhavna!!!

Aur ussi ke sang uski beti, jo ki ek trainee thi filhaal. Wo seekh rahi thi sab kuch. Apni Maa ki guidance me. Bhavna ki post reputed post thi. Jis kaaran, uski beti ko bhi uske saath aane mil jaata tha.

Aur, yahi iss waqt khoje gaye pyramids ke hi agal bagal ek bada shelter taiyaar kiya gaya tha. Hawa aur paani se usse bachaane ke liye.

Idhar hi, researchers saare raat me rehte bhi the, subah research karte the. Aur ye investigation hafto toh kahi mahino tak chala karti thi.

Shaam ka waqt ho raha tha abhi aur shayad shelter me hi kuch behas ho rahi thi.

"What?? They didn't send it with you? What the hell are they even doing?"

Ek aged aadmi thoda gusse me saamne khade vyakti se bola.

Ye aged aadmi koi aur nahi, Sir George hi the.

Aadmi : I'm sorry Sir!!! But they said it will take time.

George : They are just stalling us. Hmph~

Sir George gusse me itna bol baahar nikal gaye. Aur wahi se thodi dur Bhavna khadi hui thi. Aaj ki investigation samaapt ho chuki thi. Wo apni beti ke sang bas apne camp area me rest karne hi jaa rahi thi.

Saqqara Plateau ke beecho beech the iss waqt woh sab. Chaaro orr ret hi ret thi bas. Aur site ke agal bagal unka shelter. Wo samajh chuki thi ki ye behes kis cheez ko lekar thi. Akhir uska bhi mood off tha iss baat ko lekar.

Tabhi uski beti usse dekh puchi, "Mom! Kya Sir George...!?"

Bhavna : Yes Beta!!! Egyptian govt. iss baar iss excavation me hamaara saath nahi de rahi hai poori tarah.

Ladki : Par kyu Mom!? Giza ke Pyramids me toh kitna behtar intezaam tha. Fir yaha...!?

Bhavna (sighs) : Beta!!! Egypt me simultaneously kayi jagah par research chal rahi hai. Aise me ye ek aur... Tum toh jaanti ho ki research ke liye kitne resources lagte hai. Yahi kaaran hai ki iss baar govt. ne yaha hume permission toh dii hai. Par resources provide karwaane me wo... Katra rahe hai... Taal rahe hai... Sir George gusse me hai kyuki generator almost dead hone waala hai. Aur naye generators aaye nahi hai abhi tak.

Ladki : I see!

Bhavna : Aur ye hum jaante hi hai ki excavation ke dauraan, electricity lagti hi hai. Neeche underground me saari jagah bulbs lage hai. Ussi ke zariye toh hum raat me bhi andar jaa sakte hai. Electric supply boht zaroori hai. Electricity nahi hogi toh equipments kese operate karenge hum? Aur lagta hai... Jaha se generators milne waale the. Unlogo ne taal diya hai...

Ladki : Par kyu Mom? Ye sab toh unke hi desh ka khazaana hai. Fir aisa kyu kar rahe hai woh?

Bhavna : Hmm! Mene bataaya na beta. Pehle hi kayi aur investigations chal rahi hai. Upar se yaha alag alag desh se log aake unke khazaane ko dekh rahe hai, unhe chhu rahe hai. Toh unhe iss baat se khushi thodi hoti hai. Wo aisa isliye kar rahe hai ki ye investigation taali jaa sake. Resources nahi rahenge toh unke paas bahana rahega. Wo chaahte hai ki unke hi investigators yaha ki khoj jaari rakhe. Samjhi?

Ladki : Hmm! But aisa nahi hona chahiye Mom...

Abhi wo aage kehti ki tabhi peeche se unke Sir George ki awaaz aayi.

Sir George : Miss Geeta~

Bhavna : Yes sir!? Is something the matter?

Yaha usse Geeta ke naam se sabhi jaante the. Yahi toh uski alias thi. Bhavna naam jese ab dafn hoke reh gaya tha. Bilkul, iss tomb ke Pyramid ki tarah.

Sir George : Ahh yes! Those rascals! Haven't send any generators. As you can see, we are in dire need of those. So, I have ordered some trainees to go there and get back with our generators. Umm... If you don't have any problem. Can we send your daughter as well. She's good and persuasive. She'll handle this well.

Sir George generators ko mangwaane ke liye Bhavna ki beti ko bhi bhejna chaahte the. Aur wo Bhavna ke uttar ka wait kar rahe the.

Bhavna : Ahh! That...

Wo thodi uljhan me padd gayi.

Ladki : Don't worry Mom!!! I can handle it. We'll arrive very soon. Don't worry! Abhi shaam hi hai. Raat tak aa jaenge hum sab waapas. Itna bhi dur nahi hai.

Bhavna ko na chaahte hue bhi haan me sarr hilaana pada. Kyuki, Sir George ko wo saalo se jaanti thi. Giza ke dauraan bhi wahi the uss jagah ke general.

Bhavna : Go safely okay?

Ladki (smiles) : Wait for me!!! I'll be back soon!

Sir George (smiles) : Help is always appreciated young lady. You are just like your mother. Active and dedicated.

Ladki (smiles) : Thank you~

Aur Bhavna ki beti shelter se baahar nikal gayi. Bhavna chintit nazro se bas usse jaate hue dekhti rahi. Upar waale se dua kar rahi thi. Sab kuch sahi hi rahe. Maa thi, chinta toh hoti hi hai apni santaan ki.

Aur agle hi pal apni beti ke baare me sochne ke baad, uska dhyaan kahi aur bhatak gaya. Uska haath anaayas hi apne pait par chala gaya. Aur maayusi bhare bhav liye wo apne camp area me chali gayi.

***


Mumbai...
Night time ~ 9:17 PM


Jaha Egypt me rait chaand ki roshni me chamak rahi thi, toh yaha apne Mumbai me saara sheher City lights aur raasto par daud rahi gaadiyo ki roshni se jagmaga raha tha.

Udhar ki hawa aur idhar ki hawa me kitna antar tha. Ye thi rushed life.

Ek bemisaal aalishaan 5 star hotel ke saamne hi entry par ek guard maujood tha.


Ov-z-Tv-Nxt

Waha tabhi ek car ka aagmann hua aur ussi guard ne aage badh car ka door unn andar baithe vyaktiyo ke liye khola.

Andar se ek acche se suit me ek ladka baahar nikla aur dusre side se ek aurat, jo mehngi saree aur zevar pehne hue thi.

Uski aankhein thodi namm thi. Na jaane kya soch rahi thi apne mann me.

"Aaiye Tai jii! Aaiye...!!!"

Uss ladke ne haath se aage chalne ke liye ishaara kiya toh mahila haan me sarr hilaate hue aage badhi. Entrance ka glass door unke motion detection se khula aur wo andar pravesh kiye.

Aur kuch hi derr me wo ek table par maujood the. Hotel ka ambiance bhi shandaar tha. Dim lights aur halka halka madhur music. Koi gaana nahi tha, bas instrumental dhvani jo sabhi ko behad lubha rahi thi.

Aas paas ki tables par harr jagah ameer se ameer log baithe the aur khaane ka lutf le rahe the.

Wo ladka mahila ko dekhte hue bola,

"Tai jii! Jo hua so hua. Mein yaha aapka mann halka karne laaya hu aapko. Aur aap ho ki..."

Uss aurat ne apne aasu poche aur khud ko sambhaal wo idhar udhar dekhne lagi.

Koi keh sakta tha ki ye aurat apni 40s me thi? Bilkul nahi! Usse dekh ke sab yahi kehte ki ye apni late 30s me hai.

"Kya karu? Meri toh kismat hi aisi hai."

Wo ruaasi sii awaaz me boli.

"Tai jii!! Mein aapka dukh samajh sakta hu."

Uss ladke ne saantvna dete hue kaha. Mahila usse dekhi aur waqai, uski aankho me chinta thi.

"Ab muskuraaiye Tai jii! Aur pehle khaane ka lutf lijiye...!"

Kehte hue usne, waiter ko ishaara kiya toh waiter ne starters unn dono ko serve kiye.

Jii haan! Saamne baithi wo mahila koi aur nahi, Veer ki hi sauteli Maa thi ~

Shweta!!!!

Aur uske saamne suit pehne baitha hua ladka koi aur nahi, wahi tha!!!

Veer ka shatru, uska apna bhai...

PRANJAL!!!!!!


IMG-20220425-214354

Wahi Pranjal... Jiska vyaktitv wesa tha ~

A honey tongue, a heart of gall.

Yaani ki, mukh me Ram, bagal me chhuri.
Bhed ke bhes me bhediya.

Ghar me jab usne Shweta ko rota dekha toh wo usse behla ke aaj yaha le aaya. Na jaane uske kapti mann me kya shadiyantra racha jaa raha tha.

Chehre par toh pyaar bhari muskaan thi uske, jiske peeche ka matlab Shweta pehchaan na paayi.

Shweta (namm aankho se) : Kya galat karti hu mein? Apni beti ki parvah kisse nahi rehti Pranjal? Tumhare Papa mummy bhi toh apne baccho ke liye kitna kuch karte hi hai na? Tumhaare liye hi kitna kuch karte hai? Toh mein apni Bhumi ke liye jab bhi kuch karne ko hoti hu toh... *sniff* *sniff* toh bhala sab gadbad kyu ho jaati hai?

Pranjal : Tch tch tch...!! Waqai Tai jii! Mein aapki baat se sehmat hu. Aap chinta mat kariye, mein aapke harr decision me aapke saath hu. Mein kuch karunga...!

Shweta : S-Sach!!?

Pranjal : Hmm~ Ab aap enjoy kariye.

Shweta : I... I'll try!!! Thanks! Apni iss Tai jii ke baare me sochne ke liye. Aur mujhe yaha laane ke liye. Mein waqai boht down feel kar rahi thi.

Pranjal (smiles) : No problem! Ye toh mera farz hai Tai jii!!!

Usne muskuraate hue kaha. Uski muskaan dekh, Shweta muskuraayi aur nazre neeche kar khaana khaane me lag gayi.

Par idhar...

Jo muskaan Pranjal ke chehre par thi. Agle hi pal uski wo muskaan ek haivaan ki smile me badal gayi.


IMG-20220425-214705

Iss waqt yadi usse koi dekh leta toh uske chehre ki wo shaitaani muskuraahat dekh ke hi darr jaata.

***


Cairo, Egypt...
Night time ~ 10:13 PM


Raat ho chuki thi. Aur Misr ki ret par Veer yaha apne kadam rakh chuka tha.

Wese toh woh yaha din me hi pohuch gaya tha. Par usne din me aana avoid kiya.

Kyu? Kyuki, din me aata toh wo easily spot ho jaata. Spot toh wo abhi bhi ho jaata but still, night was better than the day.

Yaha aane me uski madad Suhana ne nahi kii thi iss baar. So he chose Kaera!!!

Kaera se hi Veer ne Visa arrange karwaaya tha. Par, apni ID waale plan ko usne hata diya tha.

Toh filhaal right now, uske paas koi ID nahi thi. Nothing at all.

Aur ek reason aur bhi tha. He came here...

... WITH NO PLAN AT ALL.

Jii haan! Veer ke mann me koi plan nahi tha. Sab kuch wo on the spot hi karne waala tha.

ID nahi thi toh bhala ghusega kese? Sir George jese archaeologists jab uski tehqiqaat karenge toh kya jawaab dega? Veer ke paas plan na hoke bhi jese plan tha.

Badi hi mushqil se usse Plateau ke andar aa kar excavation site mili. Par ab dikkat ye thi. Shelter ke baahar kaafi security maujood thi.

Aur kyu nahi rahegi? Itni badi khoj ho rahi thi. Hassi mazaak thodi tha. Security toh kadak honi hi thi.

Yadi, ek do guard ko chutiya banaane ki baat hoti toh Veer kar bhi leta. Par yaha toh several guards maujood the.

[Master! They know ki kaun kaun andar waala vyakti waha kaam karta hai. So if you get caught by them. They will recognise ki aap yaha ke nahi ho. And not to mention, you don't have any ID.]

Pari ne samjhaate hue kaha. Par Veer shaant tha. He was inspecting.

Apne aas paas ke area ko wo poora inspect kar raha tha. Kidhar se andar jaana easy rahega, kidhar kam guards milne ke chances rahenge!?

Usne dekha ki camps dherr saare andar ki orr lage hue the.


1-MKC-4707-2

Aur baayi orr se raasta gaya tha andar ki hi taraf jaha par fir wo underground site maujood thi. Uss tomb kii.

Veer ki destination wo camp area hi tha. Usse bhala kya matlab tha site me ho rahi khoj se? Usse toh bas ek hi shaks ki talaash thi. Apni Maa ki~

Bhavna!!!

Still, waha tak pohuchne ke liye Veer ko kuch na kuch toh karna hi tha.

Wo jese hi aage badha, toh uski nazar me aur bhi guards aaye jo usse pehle apni pichli position se nazar nahi aa rahe the.

[Damn it!!! Why are there so many!!!?]

Sabse pehli Entrance par do guards the. Ek baahar ki taraf tha toh ek andar ki taraf.

Veer ne dekha ki baahar waala guard harr thodi derr me round le raha tha. Jese hi wo round lene gaya, Veer aage badha aur seedha uss dusre maujood guard ki taraf jaane laga.

[Ehhh? M-Masterrrr??? Y-You...!??]

Pari ko apne master ka ye move palle hi nahi pada. Veer bhala directly guard ke paas kyu jaa raha tha?

Aur usne forun hi Veer ke mann me jhaak ke dekha toh usse saara maajra pata lag gaya.

[Ahhh! That's a nice move Master!]

Veer jese hi guard ke paas pohucha toh guard apni jagah se uth gaya.

Guard : Waiiittt!!! Who are you???

Aur tabhi,

'Check!!!!'

*Ding*

[Name : Bill

Age : 29
Bio : A new recruit for security. Currently got hired to work here as a security. Have a newly wed wife named, Emma. Talks a lot about her. He loves her a lot, especially her pancakes. Have No kids for now.

Relationship : Strangers
Favourability : 0]

Aur uss guard ka status padhte hi Veer ka mann andar hi andar hass raha tha.

Veer : Hmm? Mister Bill? Where's mister Carter???

Bill : Huhhh??

Veer ki baat sunn jese Bill jhep hi gaya. Kyuki, Carter wahi tha...

Wo pehla guard jo round maarne gaya tha.

Veer ne usse pehle hi check kar liya tha.

Bill : C-Carter? That...

Veer : Oh come on! Mister Bill! You already forgot about me? It's just been 2-3 days. I'm a new recruit.

Bill : Ehhhh?

Bill ki kuch saala samajh me hi nahi aa raha tha. Ye kaun banda tha jo usse jaanta tha par wo isse nahi jaanta tha?

Veer : C'mon Mister Bill! Weren't you the one who told us about your wife, Emma? You got married recently right?

Veer ne apna paansa pheka. Bill ki ye aadat thi. Uski shaadi nayi nayi hui thi. Wo aksar naye trainees se apni wife ki tareef karta tha. Aur usne ye kal hi kiya tha. Trainees kayi saare the. Ab unme se wo sabhi ko kese jaan sakta tha bhala? Aur issi baat ka Veer ne fayda uthaaya.

Bill : Ahhh! Yeah... Haha~ Sorry! B-But who were y....

Veer : You already forgot about me? I'm one of the new recruits. Mister Carter and you are the ones from here since Day 1 right?

Bill : Ahhh! Y-Yesss...

Veer (udaas hote hue) : It's such a shame Mister Bill! I remember so much about you. About your wife. She makes such nice pancakes. You told us that day, didn't you? And you don't even remember about me?

Veer ne apna dusra paansa pheka. Emotional Damage!!!

Bill jisse udaas nahi bhi hona chaahiye tha. Wo Veer ko dekh khud pe sharmindagi mehsoos karne laga.

Bill : Ahh! S-Sorry! I really forgot... But let me check the list. Surely, your name must be there. Let me just...

[Master stop him~]

Veer : There's no need to Mister Bill!!! Didn't I told you my name that day? The very first day? With all of the other trainees.

Bill : Huh??

Veer (smiles) : I'm Vikram!!!

Bill : V-Vikram?? That... I don't suppose... That...

Bill ko Vikram naam se ghanta kuch yaad aane waala tha. Lund jab suna hi nahi tha ye naam pehle toh kaha se yaad aane waala tha? Iske pehle ki wo sab kuch bhaanpta, Veer ne usse firse tok diya.

Veer : You don't have to check anything Mister. After all, I'll be here only.

Aur itna bol Veer andar jaane laga. Samaan toh woh apna pehle hi hotel me rakh aaya tha.

Par aage badhte hi Bill ne firse ek sawaal puch liya.

Bill : Wait! But where were you? When did you went outside?

Veer : I went outside yesterday Sir. Emergency work!!!

Aur itna bol Veer fir andar jaane laga. Yadi kuch derr aur yaha bitayaa samay toh pakke se wo pakda jaane waala tha.

Par Surprisingly, Bill ne usse jaane de diya.

[Wow! Master~ That was so good!!!!!]

Ab usse chinta karne ki zaroorat nahi thi. Andar kayi aur guards zaroor the. Par jab main entrance se hi usse entry mil gayi thi toh andar maujood guard yahi samajh rahe the ki iss bande ko andar aane diya gaya hai. Yadi Veer ki kismat aaj boht hi jhandu rahi toh hi koi aaj uske paas aake usse tokne waala tha.

Andar aate hi usne jab nazar daudaayi toh dekha ki waha toh dherr saare tents lage hue the. Veer ki samajh me nahi aa raha tha ki inme se ab uski Mom ka tent kaunsa tha.

Sirf ek hi raasta tha...

'Check!!!'

Harr ek tent check kar Veer ne harr taraf check kiya. Kayi log tents se nikal rahe the toh kayi tents ke andar jaa rahe the.

Wo usse ghoor ke aur shaq waali nazro se zaroor dekh rahe the. Par kisi ne bhi usse approach nahi kiya. Sabke mann me yahi baat thi, ki yadi andar aaya hai toh koi hoga ye. Aise hi bhala kisi ko bhi toh allow kar nahi denge andar aane.

Par wo nahi jaante the, ki Veer unhi me se tha. Illegal entry me se.

Veer ne apni upar pad rahi nazro ko ignore kiya aur tents par focus kiya... Aur bilkul...

*Ding*

[Shelter Tent.

Bio : A Tent for residing. Currently occupied by Geeta.]

Aur bas... Usse padhte hi Veer ke hontho par muskaan fel gayi.

Wo seedha uss tent ki orr badha.

Tent ki entrance khuli hui thi. Shayad uski Maa Geeta, urf Bhavna jaag rahi thi.

Veer ka dil zorro se dhadak raha tha. He was finally about to meet his own mother. His real mother.

Kya reaction hoga unka? Kya hoga uski behan ka reaction? How they will see him?

Saare sawaalo se uska mann bhara hua tha.

[Master... We don't have to tell our identity.... Yet...!!!]

'I know Pari! I know!'

Aur usne tent ke kapde ko apne haatho se hataaya aur andar aaya.

Saamne ek khubsoorat sii aurat viraajmaan thi. Ek foldable chair par.

Saamne rakhi foldable table par hi ek night lamp chota sa jal raha tha aur....

Uss table par kuch rakha hua tha. Aur wo aurat, apne haatho me ek chota sa brush liye uss rakhi hui cheez par halke haatho se chala rahi thi, taaki jami hui dhool mitti ki parat hata sake.

Uske lambe ghane kaale baal jo usne iss waqt apni choti me baandh ke rakhe hue the.

Veer ki saasein uss aurat ko dekhte hi atak gayi.

*Badump* Dil zorr se dhadka...

'Check!'

*Ding*

[Alias name - Geeta

Real Name - Bhavna Singh.
Age : 47

Bio - Bhavna! Ek behad hi strong woman hai. Boht peeda me hai jo kayi saalo se wo bardaasht karti aa rahi hai. Loves her daughter too much. Ek aas hai usse. Aur kisi ki talaash. Peshe se Archeologist hai.

Favourability - 82
Relationship - Mother.]

Veer ke honth thar tharaane lage. It's her!!!

Wo phati aankho se unhe hi dekh raha tha. Finally!!! Wo uski aankho ke saamne thi. Kese bichad gaye the dono itne saal pehle. Aur kese uss train me bhi dono ek dusre ke alag alag raaste Jaa chuke the.

Par aaj...

Kismat ne unhe waapas se milwa diya tha. Veer ka dil ro raha tha. Uska mann kar raha tha ki abhi jaake apni Maa ke gale lag jaaye. Aur rote hue dherro sawaal puche. Kyu chorr ke gayi usse?

Par... Dekho... Chaah ke bhi wo abhi aisa nahi kar sakta tha. Bhavna, uski Maa uske itna qareeb hoke bhi... Kitna dur thi uss se.

Aur jese kisi ki aahat paate hi yaha Bhavna ne apna sarr ghumaaya aur entrance ki orr dekha, "Hmmm????"
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Egypt waale updates me kaafi mehnat lagi hai. Kyuki kaafi research karke mein inhe likh raha hu. Toh mehnat barbaad na jaane dena. Like thokne ka aur apni raay aur revos rakhne ka. Okay?
Baaki, milte hai next update me. 😁

Dhanyavaad! ✨
Egypt se related jinta dekha hai suna woh apki writing me dekhne ko mila fir woh pyramids Ho ya mummy ki apne behad bariki se dikhaya. Mummy ke bare me suna tha koi aushdhi lgaya jata hai jisse unki body sahi salamat rhe. Acha lga padh kr. Bhawna ji apni beti ke sath research krti hai jisme beti as a trainee sath rhti hai generator lane ke liye Sir George ne bhawna ji ko bheja hai baki trainee ke sath jbki bhawna ji bhejna nhi chahti thi akhir maa hai to fikr to hogi hi qki unka ek bacha already unse bichhda hua hai. To aise me beti ke liye chinta krna lazmi hai. Pranjal sale ka game kab bajega veer ne uske sath abhi tk kuch kyo? Nhi kiya.. Ab shweta ko uske emotional time me support krke pranjal usko apne Side krne ki soch rha hai jo shayad uske ane wale sazis ka hi part hoga jisme woh veer ke against hi shweta ko use krega. Veer Egypt pahunch gya Jisme iss baar Miss kaera se help lena pada or research center pr bhi pahunch woh bhi bina 🆔 ke OR system ki help se Guard ke info nikal kr ullu bana kr shelter me enter bhi kr gya. Bss panga ye hai ke Egypt Muslim majority country hai upr se Egypt to agr veer pakda gya ke ye banda illegally ghusa hai to wahan ki govt. Gaan..d tod degi. Veer ne bhawna ji ko dekh liya hai bss dono ka ek dusre se samna hone ka intzar hai. Kya reaction hoga bhawna ji ka veer ko dekhne ke baad Kya unko veer yaad hoga train or platform ka woh incident kaise start hoga inka conversation dekhna dilchasp hoga. 👌👌👌👌🙏🙏🙂🙂
 
159
992
93
Nice update Werewolf bhai.
Jese jese kahani aage badh rahi he Vese hi naye character introduce ho rahe he. Ava naya character to nahi kyuki baate ho chuki he uski pehle bhi par ab wo ek celebrity he.
Veer aur suhana aa bhi gaye aur pub me enter bhi ho liye. Ab pub me mahol to alag hi rehta he. Veer ko dekh ke ek kya esi kayi ladkiya aati aur lipat jati agar ek ko bhi bhaav deta to. Par suhana se jese ye dekha nahi jaa raha. Aur baat bhi keh di veer ko sarcasm me par veer ke jawab se ab wo soch vichar me he.
Wahi divya bhi achhe se taiyar hoke aayi he. Aur veer se puch bhi rahi he jese uske liye hi taiyar hoke aayi ho😁. Veer ke liye hi hoga ye sajna.
An suhana ne asli baat kari he. Natalia ne samne se contact kara he divya ko. To koi kaam hoga usse. Ab kaam he ya kuch aur ye aage pata chalega. Ab ladies talk ko bich kese bole veer aur late bhi ho raha he. Suhana Divya ka ye chalta rahega aur aage bhi chalega jab dono Veer se close hona chahegi.
Ab yahi pe uski indirect najar padi he zoey pe. To bhaga uske piche. Zoey ko bhi jhatka laga hoga veer ko yaha dekhna. Zoey ne bhi apni halat bata di usko. Achha he jhuth nahi bolti wo. Aur model banna chahti he wo bhi nude semi nude shoot kiye bina. To uska rashta tough he kyuki chances kamm milenge usko aur uper se uski halat bhi kharab he paiso ko leke. Yahi pe veer jese uske liye guardian angel banke aaya he aur apna department se mila paisa usko de diya he. Veer ne kaam achha kiya he par zoey ese hi nahi legi na paise to isiliye ye baad me lautane ka keh diya Veer ne. Baad me bhi jab zoey lagayegi tab bhi wo nahi lega😂. Tab tak apna kuch naam to bana hi liya hoga usne.
Ab zoey successful hogi to Mumbai me aayegi uske ghar milne. Aur zoey ka koi interview hua jab wo ek model bann jayegi aur uss interview me usne Veer ka naam liya aur Veer ko uski life ka sabse important person kaha aur uske baad kaera wahi clip veer ko dikha ke bas sawal kare ki explain this veer ?? Tab halat tight hogi veer ki. 😂😂 Aur ye baat Nidhi tak gayi to taane alag milenge.😁
Khair wo sab baad ki baate he. Abhi to veer Ava ki khubsurti me hi khoya hua he. Ab esa nahi uske sundar ladkiya nahi dekhi par ye Ava kaera Sonia ke level ki he. Ek aur khaas baat ki ab Veer aur Pari puri tarah well sync ho gaye he. Pari veer ke vichar padh ke hi action le leti he aur speed kafi badh gayi he. Jisse veer kuch pal me hi aas paas ke mahol dekh sakta he ki kahi koi gadbad to nahi. Aur uper se Beowulf blessings ki skill jo daredevil ke jese veer ki instinct ko badha deti he.
Ab yaha veer ne usko check kiya to Ava ne turant usko dekha. Sawal uthte he ese scene padh ke. Aur ab shuru hua uska concert. Aur jo baate veer suhana ke bich hui wo bhi sawal khade karne ke liye kafi he. Ava pehle singing me interested nahi thi. Ho sakta he US aake usko sirf music se hi sukoon milta hoga. Ava ka pariwar me kuch problems hui hogi jisse Ava puri tarah se music ke sahare unn sab baato se deal kar payi ho. Hota he kuch Hobby jisse aapko sukoon mile.
Uske singing me ek dard he to uska past bhi kuch khaas nahi raha hoga. Parent's divorce?? Ab kya Hua he wo khud hi batayegi. Par kaera aur Sonia ke liye ek competitor aa rahi he ab😁.
Yaha suhana ka ego bhi hurt ho gaya jab wait karna pada. Veer uski ye side dekh ke ab khush hota he jabki pehle confusion rehta tha aur daya aati thi uss teady bear ki. Yaar Werewolf tumhari kahani me teady bear ke sath kabhi achha nahi hua😞. Neha ne bhi jala diya tha aur idhar suhana ghuse marti he. Lagta he sirf juhi sambhal ke rakhegi uska teady bear.
Ab asli baat hogi ki kyu bulaya? Kaam ke liye ya Ava apni saheliyo se wapis milna chahti he. Dekhte he.
Waiting for next update. 👍🏻
Aur ha save the teady bear 🐻.
 
Top