- 14,065
- 99,753
- 259
Last edited:
संजु दादा, आपके कहने का अर्थ है की यहाँ सुहाना और दिव्या के बीच की तू - तू , मै - मै कुछ इस तरह होनी चाहिए थीलेकिन , जहां डबल मीनिंग बातें हैं या जहां इरोटिक बातें हैं वहां तो कम से कम हिंदी में करें !
isi ki ummid thi kyun SANJU ( V. R. ) bhaiyaसंजु दादा, आपके कहने का अर्थ है की यहाँ सुहाना और दिव्या के बीच की तू - तू , मै - मै कुछ इस तरह होनी चाहिए थी
.
सुहाना - माँ चुदा, साली कुतिया...
.
दिव्या - तू माँ चुदा, चूत की रंडी ...
Haha! Pranjal sabse bada villian?Super amazing bhaiya teju ke tevar wahh andhi ki trh aai toofan ki trh chali gai. Ke veer ke daal uske samne nhi galne wale sidhe-2 nikal le patli gali se hahaha 2nd encounter bhai behan gajab tha. Bhavna ji ne veer ka ek bar fir test le liya emotional or sad face bana kr jisme veer paas Ho gya isliye kehte hai maa to maa hoti hai. Pranjal ne arohi ko dhamka diya uske rashte me na aye wrna anjaam bura ho skta hai wahh Bhai ho to aisa, khairr pranjal ne apni satraj ki chal di hai jisme shweta naam ke pyade ko usko uske hi lalch me seh or maat de di gai hai. Ab shweta ke paas kuch na bacha uske galti ki saza ab bhumika bhugtegi or sbka Bill fatega Dada ji naam, pranjal ne zrur koi witness bhi rkha hoga shweta ke signature krte time. OR dusri baat shweta ke behos hone ke baad pranjal ne koi kaand to kiya hi hoga uske jese lomdi se achaai ki ummid nahi ki ja skti. Mujhe darr hai ki kahin usne ke shweta sath....., Agr nhi bhi kiya ho to video photos to liye hi honge jisse shweta muh Band rkhe. Aisa lag rha hai jese Story ka sbse powerful villain pranjal ko hi bnaya ja rha hai. Khairr mujhe veer ka bharosa nahi ke woh mahaan bnne ke chakkar me shweta or bhumika ko maaf krke apne sath rkh le or property me kuch hissa usko de de. Kyo de Bhai shweta ne khud ki glti se apna sbkuch ganwaya agr veer agarrrr pranjal se hotel wapas le bhi leta hai to shweta ko na lautaye
शानदार लाजवाब अपडेट भाईUpdate - 19 ~ Tactical Approach
Ab tak...
Na jaane kab Veer baato hi baato me kabhi daudte hue toh kabhi kisi se lift lete hue apni manzil pe pohuch gaya.
[Are you ready master?]
'Hmm!!!'
[Brace yourself!]
'Hmm!!!'
[You'll have to kill....]
'Huh???'
Ab aage...
Veer ko Nidhi ke ghar se gaye aadhe ghante ho chuke the. Raat ke 8:30 baj rahe the aur Nidhi idhar Juhi aur Shreya ko khaana paros rahi thi. Par uski khud ki thaali table par kahi nazar nahi aa rahi thi.
Shreya : Aap nahi khaa rahi?
Shreya ke sawaal par Nidhi ne khaane ko beech me hi paroste hue usse dekha aur uske haath achaanak rukk gaye. Ek lambi saas lete hue wo boli.
Nidhi : Thodi derr wait kar leti hu. Shayad abhi thodi derr me aa jaaye. Warna fir bechara akela baith ke khaega...
Shreya : Haa toh? He totally deserves that. Na toh bata ke gaya ki kab aaega, na ye bata ke gaya ki kaha gaya hai? Arre kaha gaya hoga!? Mein pakke se bata rahi hu aapko, ye gaya hai apni kisi maashooqa ke paas, aur dekhna waha...
Nidhi : Nahi Shreya! Aisa kuch bhi nahi hai.
Nidhi ne virodh karte hue kaha. Shayad usse apne mann me Veer ke wo bol yaad aa rahe the.
'Mein poori koshish karunga Ma'am. Jitni jaldi ho sake... Utni jaldi aane ki... Aur jesa aap soch rahi hai wesa kuch bhi nahi hai. Shreya jii ki baato ko ignore kariyega... And... And... Thank you.'
Jo shabd Veer ne kahe the, uss se toh yahi prateet ho raha tha ki wo kisi zaroori kaam se hi gaya tha.
Shreya : Aapko kese pata aisa kuch bhi nahi hai? Kya aap dekhne jaa rahi ho? Ki wo kya kar raha hai? Itna confidence kyu hai aapko?
Nidhi : Because he said to me Shreya... Wo bas kisi urgent kaam se gaya hai. Aa jaega abhi thodi derr me... Thodi derr wait kar leti hu. Tum dono khaao na khaana...
Shreya : Dekh lena... End me aapko hi bura lagega... Meri baat sunn'na hi nahi hai aapko.
Abhi wo dono aur baatein kar paati ki tabhi Nidhi ke phone ke ghanti baji, aur Nidhi ne phone uthaate hue screen par naam dekha.
Parantu naam dekhte hi uski bauhe chinta ke maare sikud gayi. Apni nazre uthaate hue usne ek jhalak Shreya aur Juhi ko dekha aur fir andar apne kamre me chali gayi.
Andar aate hi usne call uthaaya aur apne kaano se lagaaya.
Aur dusri taraf se uske kaano me ek jaani pehchaani awaaz aayi. Ek mard ki awaaz...
Nidhi : He... Hello!?
Aadmi : Kal tumhe aana hai.
Nidhi (frowns) : Kis liye!?
Aadmi : Baat karni hai. Zaroori baat.
Nidhi : Par jo kuch bhi hai wo...
Aadmi : Mene kaha na? Ghar pe aana hai. Din me... 2 baje tak...
Nidhi : Par jab...
Aadmi : Haa ya na!?
Nidhi : Mein...
Aadmi (tezz awaaz me) : Mene pucha... Haa ya na!? Aaogi ya nahi!?
Apna nichla honth daato tale dabaaye Nidhi ne apni mutthi kassi aur uss aadmi ko jawaab diya,
Nidhi : Fine!! I'll come!
Aadmi : Hmm! Late mat karna...
Nidhi : Hmm...
*Call cuts*
'Kab tak!? Kab tak aise hi chalta rahega?? I need to move forward. Par sab kuch jese... Mein Veer ko bhi ghar se aise nahi bhej sakti... Kharcha badh gaya hai kaafi but still... I cannot just... Leave him like that. Yadi uska koi relative aa jaaye tab toh koi baat hi nahi hai. But uski family... Kese karungi itna sab mein?? Bhagwaan!! Ab toh tum hi koi raah dikhaao. Mein phass chuki hu iss chakravyuh me...'
Nidhi haatho me phone liye apne mann me hi sochti jaa rahi thi ki uske theek peeche se achaanak hi Shreya ki awaaz aayi,
"Kiska phone tha!?"
Sunte hi Nidhi chaukte hue peeche palti.
Nidhi : Wo...
Bolte waqt uska sarr apne aap neeche jhuk gaya. Aur Shreya jese samajh gayi ki kiska phone tha.
Shreya : What did he say!?
Nidhi (sighs) : Kal bulaaya hai mujhe.
Shreya (surprised) : For what!??
Nidhi : Nahi pata... But kal jaake hi pata lagegi ye baat.
Shreya : And you told him that you are coming!?
Nidhi : Of course! Aur koi option hai mere paas!?
Shreya : Kyuuuuuuuuuuu!????
Nidhi : Shreyyyaaaa! I have to... Sab kuch... Issi ke liye toh kar rahi hu... Tum bhi dekhti aa rahi ho tabse... Mene ek bhi din aisa nahi gawaaya hai jidhar mene apna lakshya bhula diya jo... Batao tumhi...
Shreya : I know but...
Nidhi : Don't worry! It's just to talk. Baat karke ghar hi aana hai.
Shreya : Fine!!!! I'll go with you.
Nidhi : Nahiiiii! Juhi ko kaun dekhega!? Wo school se ghar aaegi toh kisi ko toh rehna hoga na!?
Shreya : But aap akele...
Nidhi : Chill! Everything will be fine...
Shreya : O... Okay!
Aur Shreya maayus bhara chehra liye waha se chali gayi. Yahi haal Nidhi ka bhi tha. Shreya ke jaate hi uska chehra agle hi pal murjha sa gaya. Aur wo apne bistar par girte hue baith gayi.
Na jaane kya uthal puthal machi hui thi uske mann me. Sawaal bhi the, gutthiya bhi jinhe wo suljhaana chaahti thi, par inn sab ke bawajood wo apni choti behan se sab kuch saajha nahi kar paa rahi thi. Choti behan kya, siwae khud ke wo sab ke saamne apni asli pravatti ko jese chhupa ke rakhi hui thi.
Jo kuch bhi tha, itna toh tay tha ki aane waala kal, uske liye asaan nahi hone waala tha.
***
Idhar Veer mission ke liye apni bataayi gayi destination par pohuch chuka tha.
Wo sunsaan sii sadak, raat ka andhera aur keval chaand ki roshini. Sadak ke idhar udhar keval ped paudhe, zameeno par bikhre pathhar, sookhe patte aur dhool. Aur saath hi saath ped paudho ke nazdeek se aati jhinghoro ki awaaz. Yahi manzar tha jo Veer ko waha pohuchte hue sabse pehle dikhaayi diya.
Kuch derr jab wo aage badha toh usse kayi building choti toh kuch halki badi nazar aayi. Kuch band ho chuki thi toh kuch poori tarah se abandoned thi aur unki haalat kisi bhootiya jagah se kam nahi thi.
Building ke dhaache aise toote hue bikhre hue kahi zameen par dale the toh kahi kisi sahaare se latke hue the. Andar wo concrete se nikli hui lohe ki rods jinme zang lag chuki thi unki vyatha ko bayaa kar rahi thi.
Toote sheeshe, aur upar terrace se neeche aati hui pedd paudho ki wo jade aur lambi lambi shakhaaye jo uss pehle se hi daraawni jagah ko aur bhi daraawna bana rahi thi.
Yadi kuch tha waha pe sabse zyaada maatra me toh wo thi hariyaali.
Raat me chaand ki roshni me ye abandoned buildings kya hi nazar aa rahi thi. Aas paas ke ped paudho ne jese building ko ek chaadar ki tarah lapet liya tha.
Veer issi building ke baahar hi tha. Aur dekhne me aisa lag raha tha ki ye building shayad pehle koi factory thi, jo ki saalo pehle band pad chuki thi. Uski dur dasha poori tarah se battar ho chuki thi aur structure jese poora ujad chuka tha.
Veer baahar khade bas andar jaane ke liye khud ko prepare kar raha tha, kyuki abhi abhi kuch derr pehle hi Pari ne uski kuch chand shabd kehke gaand phaadi thi. Aur wo shabde the ki~ He'll have to kill.
'Pari! You don't understand! I have never killed anyone. Ye mazaak nahi hai Pari!'
[Master! Mein aapko ye nahi keh rahi hu ki aapko maarna hi hai. Mein bas aapko ye bata rahi hu ki ab se... Ab se yadi aapki jaan khatre me hogi aur yadi aapko koi maarne ka prayas kare ya aapki life ke liye threat ho then aapko usse maarna hi padega. Aur mein issi se aapko ye realize karwa rahi hu ki yadi situation bani toh aapko maarna hi padega warna aap sab kuch kho baithoge...]
Bechaare Veer ko kya hi pata tha!? Wo toh jaanta hi nahi tha ki Ragini kis type ki musibat me phassi hai. Uske mata pita ke saath kya hua hai, aur iss waqt wo andar kis haal me hai, kiske paas hai? Ye saari baato se toh Veer bilkul hi anjaan tha.
Usse toh bas itna pata tha ki Ragini kisi musibat me hai aur usse bachaana hai.
'I... I understand Pari... But ye Ragini Bhabhi bhala aisi jagah me kya kar rahi hai!? Wait!!!! Don't tell me...!?'
Jese hi usko ab yaha aake ye realize hua, uski aankhein phati ki phati reh gayi.
[Yes! You may be right master. Mujhe bhi yahi lag raha hai. Aur isliye, satark rehne ke liye aap apna Phone silent me kar lijiye.]
'Good idea Pari! Mein wahi yaad karne ki koshish kar raha tha ki mein kya bhul raha hu.'
Phone ko silent kar, usse jeb me rakh, Veer building ke neeche bane basement ki orr badha...
*Badump* *Badump*
Uska dil zorro se dhadak raha tha. Ye darr tha anjaan ka. Neeche kya hai!? Kon hai? Kya cheez hai? Wo kuch bhi nahi jaanta tha. Aur issi kaaran uss anjaan cheez ka darr uske dil par apna asar dikha raha tha.
'Pari! Everything will be fine right!?'
[I'll guide you master. Bas dheere dheere aage badhiye. Dhyaan rahe, neeche ekdum dekh ke chalna, saath hi saath apne agal bagal bhi. Kisi bhi cheez se aap takrao na. Hume awaaz nahi karni hai.]
'I know that... But thanks for reminding me...'
Wo jese hi building ke neeche jaate uss slope se neeche aaya toh andar ek LED bulb jal raha tha aur theek side me ek scorpio gaadi khadi hui thi.
'Ye Scorpio yaha kya kar rahi hai!? Kahi issi me Ragini Bhabhi...!?'
[Yes master. I'm thinking the same. Andar situation kaafi critical bhi ho sakti hai. Mein suggest karungi ki aap ek hidden weapon dhund lijiye apna. Like koi rod wagarah, ya koi stick.]
'Yup! I got that...'
Apne dheere dheere qadam badhaate hue Veer zameen par idhar udhar apni nazre ghumaane laga, ki kahi se bas kuch aisa mil jaaye jo uski emergency ke waqt kam se kam hifaazat karne ke kaam aa sake.
Neeche itne phattar aur building ke toote hue hisse pade hue the ki Veer ki dekh ke hi phatt rahi thi ki kahi ye dhaancha gir hi na jaaye.
Jese tese kuch seconds ki mashaqqat ke baad usse jo chaahiye tha wo aakhir kaar usse mil hi gaya.
Ek choti zang lagi hui rod jo ki wahi side me pattharo ke neeche padi hui thi.
Apni shirt ko uthaa ke Veer ne uss rod ko apni peeth ki orr le jaate hue pant me khos lii aur shirt waapas giraate hue usse dhak lii. Kam se kam uske paas ab kuch toh tha. Wo khaali haath nahi tha.
Aur Scorpio ke aage badhte hi uski nazar darwaaze par gayi jo ekdum saamne tha. Wo lohe ka halka damaged darwaaza jisse dekh ke hi Veer bata sakta tha ki isko yadi khola toh ye pakke se chuu chaa ki awaaz karne waala tha.
[Ekdum dheere se khol ke pehle andar nazar maariye master.]
'Hmm!!!'
Pari ki baat sunn Veer ne bilkul wesa hi kiya aur jese hi uske haath darwaaze par lage aur usne darwaza dhakela wo chuu chaa ki awaazein karna shuru kar diya. Aur ye sunte hi uski phatti, usse laga jese wo gaya kyuki agle hi pal ek awaaz andar se aayi,
"Kaunn hai!???"
Ek aadmi ki awaaz andar se aise goonji ki Veer ke haath jo darwaaze par the wo itni tezzi se hate aur agle hi pal wo peeche hata aur darwaaze ke bagal ki diwaar ke peeche chhup gaya.
*Scrunch*
*Scrunch*
Aur tabhi kisi ke qadmo ki awaaz aane lagi jo theek uski taraf hi badh rahi thi.
Zameen par pade kachde, pathhar ke chalte unn qadmo ki awaaz badi hi zorr se aa rahi thi.
*Badump* *Badump*
Jese jese wo qadam aage badh rahe the Veer diwaar se apni peeth lagaaye apne dil ki dhadkano ko control me karne ki koshish kar raha tha. Ye kehna galat nahi tha ki qadmo ke saath saath uski dil ki dhadkane bhi badhti jaa rahi thi.
[Master....!]
Pari ne chintaa bhari awaaz me usse pukaara, kyuki wo mehsoos kar paa rahi thi. Veer ki dhadkane boht tezz jo ho gayi thi.
Ek galat qadam aur kuch bhi ho sakta tha.
Veer itna toh bhaamp gaya tha ki andar se jo bhi aa raha tha wo uska shubhchintak ya dost toh katayi nahi tha. Aur jis hisaab se usne andar se awaaz dii aur ab aage badh raha tha. Veer jaanta tha ki wo aadmi usse dekhte se hi kya karne wala tha. Aur, bas issi hamle ko counterattack karne ke liye Veer khud ko taiyaar kar raha tha.
Aur wo counterattack tha ~ Surprise attack.
Dushman tumpe waar kare uske pehle hi tum usse surprise karte hue uss par dhaawa bol do.
Yahi sab sochte hue usne Pari ki awaaz ka koi uttar na diya jiske chalte Pari ekdum hi bechain ho gayi. Par dubaara kuch na boli,
*Screeeeeeccchhhhhhh*
Aur agle hi pal...
Wo lohe ka darwaaza ek teevr awaaz karte hue khula aur jese hi aadmi baahar aaya...
"Mmmmmmmphhhhhhhhhhhhh"
Uss aadmi ki aankhein phati ki phati reh gayi kyuki achaanak hi uske muh par ek haath aaya aur uska muh poori tarah se seal kar diya.
Jab tak ki wo aadmi kuch samajh paata, dusra haath uske ek haath ko thaam chuka tha aur agle hi pal kisi ne usse peeche se kheencha aur apne saath hi neeche gira liya.
*Craaaaaashhhhh*
Neeche jo bhi kankad pathhar pade the uspe hi dono jaa gire...
Apna dusra haath jo ki uss aadmi ka free tha, jese hi usne uska istemaal karne ka socha ki tabhi ek perr ka dabaav uske dusre haath par pada aur uska wo haath bhi kisi anjaan vyakti ne perr me phassa ke uska virodh nakaam kar diya.
Agle hi pal jese uss aadmi ka pal bhar ke liye ek haath chootha aur usne bina koi chance gavaaye zorr se apni kohni se peeche waale vyakti par waar kiye jiske chalte uss bande ko chot toh aayi par next second hi...
*Thud*
Ek pathhar ka waar uske sarr par huwa aur ek baar fir...
*Thud*
Ek aur waar aur uske saamne hi turant hi andhera chhaa gaya.
*Huffff* *Huffff*
Zorr zorr se lambi lambi saasein chorr Veer uss aadmi ko apni giraft se azaad kar uske neeche se utha aur apni pasli ko malne laga.
'Shit! That was a bad move. Saale ki kohni zorr se lagi.... Aaargghhh!!'
[Endurance...]
'I know.... I know... Ab se endurance par bhi dhyaan dunga...'
'Ek minute! Pari!? Ye marra toh nahi na!?'
[No master. Wo behosh hai. Nice move by the way. Apni surrounding ka istemaal kiya aapne. Neeche jo pathhar pade the unhi ke zariye aapne ek thikaane laga diya.]
'Yeaaahhh! Rod nikaalne ka time nahi tha.'
[Check his pockets master. Kahi iske paas guns toh nahi!?]
Pari ki baat sunn Veer ne forun hi uss behosh ho chuke aadmi ko tatolte hue uski jeb check kari par Veer ko koi bhi hathiyaar nahi mila uska siwae ek choti sii pocket knife ke, jo Veer ne apne jeb me daal lii.
Ab jab Veer ne uss aadmi ko dhyaan se dekha toh wo aadmi nahi balki 28-29 saal ka hi koi ladka tha aur anumaan lagaya ki shayad ye yaha pe kisi ke under kaam kar raha tha.
Idhar Veer ek ko behosh karne ke baad aage badhne ki taiyaari kar raha tha par andar toh kuch aur hi scene chal raha tha.
Ranga Vivek ka video bana chuka tha jisme Vivek ne apni company Aatish ko saupne ke bol bole the.
Aur abhi Ranga Dinesh ka video banaane jaa hi raha tha jab usse baahar se kuch chahal pahal ya harqat hone ki awaaz sunaayi dii.
Ranga : Zara dekh ke aana baahar! Awaaz sii aayi mujhe...
Usne ek ladke ko dekhte hue kaha toh wo ladka haa me sarr hilaate hue baahar jaane laga.
*Scrunch* *Scrunch*
Aur idhar Veer ko fir se unhi pathharo par chalne ki awaaz sunaayi dene lagi aur ye sunte hi wo samajh gaya...
Samajh gaya ki agla koi aa raha hai.
Veer ne forun hi uss behosh pade aadmi ko Scorpio ke peeche khiskaaya aur abhi wo kuch aur karta ki tabhi Pari ki awaaz uske sarr me goonjne lagi,
[Master! Go outside!]
'Huh?? Kyu???'
[Pehle aadmi ke chakkar me awaaz hui hai aur shayad isliye ye dusra achanak dekhne aaya. We cannot risk it master. Ab iske chakkar me andar ke saare log na aa jaaye. Baahar se isse bait kariye... Make him come oustide.]
'Nice idea Pari!'
Veer jaldi jaldi waha se bhaagte hue upar chala gaya, waapas se road par...
Par uske aisa karte hi uss ladke ko bhali bhaati awaaz sunaayi de gayi.
Aur kyu na deti!?
Sannaata hi itna tha waha ki halki halki harqato tak ki awaaz sunayi de jaati thi. Aur Veer toh tezz daud ke gaya tha.
Veer ke qadmo ki awaaz jese hi uss ladke ke kaano me gayi toh wo bhi daudte hue baahar ki orr jaane laga.
Aur slope ki chadhaan chadhte hi jese hi wo basement se baahar road pe aaya toh usne dekha ki...
Sab kuch ekdum shaant pada hua tha.
Par uss ladke ne saaf saaf kisi ke bhaagne ki awaaz suni thi. Bhale hi usne kisi ko dekha nahi par usse apne kaano par poora viswaash tha.
Usse yakeen tha ki saala koi toh yaha aaya tha aur abhi abhi bhaaga hai.
"Kaaaunnnn haii!??"
Par uski awaaz ka aur uske sawaal ka koi uttar usse na mila.
"Saamne aao..."
Ek baar fir usne pukaara...
Par iss baar bhi, koi jawaab na aaya. Chaand ki jitni roshni aa rahi thi, utni hi roshni me dekhna thoda mushqil tha par nazar kaafi kuch aa raha tha.
Wo apna sawaal firse dohraata ki tabhi road ke saamne waale ped ke paas usne dekha ki ek ped ki daal ajeebo gareeb dhang se hil rahi hai.
Jese maano usse koi hilaa raha ho.
Aur sach kaha jaaye toh ye dekh ke uss ladke ki phati toh thi. Bhale hi wo bhooto pe viswaash nahi karta tha par fir bhi aise waqt pe dhyaan udhar chala hi jaata tha. Aur jab sthiti aisi ho toh acche se accha insaan darr jaata hai. Aur yahi iss ladke ke saath bhi hua,
"Ka... Kaun?? Kaun hai!?"
Wo bolte bolte dheere dheere aage badhta raha. Jese tese karke wo ped ke paas pohucha jo bas ab kuch hi duri pe tha. Usne apne haath me liya danda aage kiya aur zorr se uss hil rahi daal ko maara...
Par nateeja!?
Waha kuch nahi nikla...
Uss ladke ki jese jaan me jaan aayi aur wo iss baar bina darre uss ped ki daal ke paas jaane laga.
Aur jese hi wo gaya.
*Thud*
Ek zorrdaar waar uske peeche sarr pe hua aur wo apne hosh wahi kho baitha...
*Huffff*
'This one took only one hit...'
Veer ne apni rod waapas se apni shirt me khusaayi aur bina koi samay gavaaye wo firse andar chala gaya.
Idhar andar Ranga Vivek ko baandh ke Dinesh ki rassiya kholne hi waala tha ki tabhi usse dhyaan aaya ki usne jis ladke ko bheja tha wo ab tak aaya nahi tha.
Keval wahi bas akela bacha hua tha Ragini, Dinesh aur Vivek ke saath.
Dinesh ko ussi haalat me chorr Ranga baahar jaane ka tay karta hai.
Wo ekdum alert hoke chalne lagta hai. Kyuki uske dono hi ladke kaafi derr se baahar the. Aur usse bhi kuch harqat ki awaaz aayi thi.
Jese hi wo darwaaze ko kholta hai ki uski nazar slope se neeche aa rahe Veer par padti hai.
Aur dono hi ek dusre ko dekh ek second ke liye jese wahi rukk gaye. Ek jhatka sa jo laga tha dono ko.
"Kaun hai tu!?"
Ranga ne tezz swar me chillaaya par fir achanak hi uski nazar Scorpio ke paas gayi jaha par usse ek aadmi ke thode perr dikhaayi de rahe the, aur Ranga ko samajhne me derr na lagi ki baahar kya chal raha tha.
Aur agle hi pal uska haath apni jeb me khuse revolver par gaya aur usne usse nikaal ke taana hi tha par tab tak derr ho chuki thi.
*Thud*
"Aaaaarrrrghhhhhhh!!!"
Ek bada sa pathhar aake uske haath pe laga jiske chalte uski ek karaah nikli aur patthar ke lagte hi uske haath se uska revolver chhutak ke peeche jaa gira.
Wo apne haath ke dard se ubhar paata ki tabhi...
*Pooowwwwww*
Ek zorrdaar ghusa aake seedha uske jabde par pada aur uska saara nichla jabda hil ke reh gaya.
Powerful impact ke saath wo ghusa jese hi pada, Ranga teen chaar kadam ki duri me uchalte hue gira aur bas...
Veer toot pada uspe...
Idhar unke ladne se jo awaazein basement me goonj rahi thi, wo Ragini, Vivek aur Dinesh samet sabhi sunn paa rahe the par unhe ye nahi pata tha ki unhe bachaane waala Veer hai.
Ranga ne sambhalte hue Veer ke agle waaro ka bakhubi saamna kiya aur badle me dherr saare waar kiye. Kahi pasli me, toh kahi pait me, kahi chehre me toh kahi seene me...
Dono ek dusre par aise jhapat'te hue ladd rahe the aur bhidte jaa raa the, toh kahi girte padte jaa rahe the. Kuch hi palo me jagah jagah unke shreer me chhilne ke ghaav aa chuke the aur khoon nikakna shuru ho gaya tha.
Wo ladte hue na jaane kab andar ki orr aa gaye jiske chalte Ragini samet baaki sabhi unn dono ko dekh sakte the.
Aur jese hi idhar Ragini ki aankhein Veer par padi, wo phati ki phati reh gayi.
Usse ek jhatka laga tha. Zorrdaar jhatka.
Ye usne apne poore jeevan me kabhi umeed na kari hogi ki Veer yaha usse bachaane aaega.
Aur agle hi pal...
Jo aasuo ka baandh abhi kuch Seconds se thama hua tha wo Veer ko Ranga ke saath ladte dekh hi toot pada aur uski aankho se mote mote aasu behne lage.
Vivek bhi ye dekh ke ekdum hairaan tha.
Usse bhi khud yakeen nahi ho raha tha ki Veer yaha unhe bachaane aaega. Mann me itne saare sawaal umad rahe the dono hi Ragini aur Vivek ke ki pucho mat.
Par iss waqt dono ki nazre aur dhyaan Veer aur Ranga ki ladaayi par tha.
Dinesh bhi khud bas ladaayi ko dekh raha tha aur aasha kar raha tha ki Veer ko kuch na ho.
Par kuch hi palo me jese uski aasha jese mitti me milne jaa rahi thi.
Kyuki Ranga iss waqt Veer ke upar baith apne dono haatho se ussi ki rod uske gale me gadaaye uska gala choke kar raha tha.
"Saaaleeee.... Aaj tu marega mere haatho... Mein nahi.... Ughhh.... jaanta tu kaun hai... Par itna zaroor jaanta hu ki tu inhe bachaane aaya hai aur ye bhi ki tu marrega mere hi haatho se.... Marr jaaa saaaaleee..."
Wo chilaayaa...
"Ugghhhhhhhh"
Veer ko apne gale me ab boht zyaada dabaav mehsoos ho raha tha. Kisi bhi waqt uska gala choke ho sakta tha...
Ki tabhi Pari ki awaaz gunji...
[Master!!!!! Your pocket...]
Aur agle hi pal Veer ne ek haath chorr apni pocket tatoli par ye move jaanleva tha...
Ranga ka dabaav aur badha aur uske gale pe bilkul wo rod jese poori satt chuki thi.
Bas derri thi toh kuch seconds ki aur Veer iss duniya se uth chuka hota agar...
Agar uske dusre haath me wo pocket knife ne aayi hoti.
Usse kholte hi Veer ne seedhi wo knife Ranga ki pasli me ghused thi...
*Splurt*
"Aaaaaarrrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhhhhh"
Ek zorrdaar cheenkh jisse sunn aadmi ki rooh kaanp jaaye poore basement me fel gayi.
Ranga apni pasli pakad jese hi side hua...
*Thud*
Sarr pe ek waar aaya aur agle hi pal uski aankho ke saamne andhera chhaa gaya.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Thaamba thaamba bhai!KLPD EXPERT HOTE JA RAHE HO!!!!
yar Sex scene to poora likh dete
Chudayi wali jagah bhi nahi thi bhaaya. Kiss toh hui na par.ये कोई suspense वाली जगह तो नहीं थी!!!
ये तो romance वाली थी!!
Shuruaat ke daur me mushqil tha bhai. Abhi 100 se 150 updates tak dekhiye. Kya kya nahi dekhne ko milega aapko. Dherr saari muraade poori hoengi.इतनी मुश्किल से तो मौसम बनता है story में...
Ye baat System se kaho bhai. Mission toh ussi ne diya. Isme Pari ka bhi koi dosh nahi. Mission toh half system deta hai.इतनी मुश्किल से चूल्हा जलाया ..
फिर उसपे तवे को रखा ..
फिर तवा गरम होने लगा...
हमें लगा अब तुम पराँठा डालने वाले हो..
पर जैसे ही मुँह में पानी आने लगा...
साला तवे पर पानी मार दिया!!!
ऐसा कौन करता है????
ज़ालि
Btw loved Ava’s introduction to Veer
लड़कियाँ किसी लड़के में तब तक interest नहीं लेतीं जब तक उन्हें ये ना पता चले की उसमें और लड़कियाँ भी interest ले रही हैं!!!
और सुहाना क्यू jealous feel कर रही थी?!!
उसके दिल में भी कुछ पक रहा है शायद
It wasnt a sex scene. Bas ek kiss scene tha. Par kiss hui thi woh bhi deep waali. KLPD nahi hua hai man. Lekin kuch derr baad hi Mission mil gaya so, unhe sab wahi rokna pada.Warning/request-
Kitne bhi bade suspense par update end karo..
Kitna bhi khatarnaak cliffhanger ho...
PAR AISE AADHA ADHURA SEX SCENE LIKHNE KA NAI
Kanyaon ko kai naam se sambodhit karte aaya hu main. Filhaal to bahut hi thoda sa naam use kiya hai apan. Aap shukra manao ki Tejal ke liye abhi tak Tejaswini ka naam hi prayog kiya hai......aage chaliye , kahani to abhi shuru hui hai.Dhanyavaad bhai!
Beshaq! Naya update padhiye. Sab pata lag jaega. Thanks btw!
Woh aam insaan nahi hai wese.
Nat pop singer hai.
:Troll:
Kaun tejaswini? Woh Tejal hai. Ab hindi naam bhi bhulne lage aap? Hindi se bhi nafrat ho gayi? Dijiye jawaab janta ko.
Bas 4-5 updates aur ....
Thanks a lot bhai! Bane rahiyega!
Na man!Werewolf koi smooch scene dekh ke Update likhne baithe the kya Hollywood ka ju pe sakk ho rela hai
Sanju bhaya ke riste ka kya hoga ab socho jaraNa man!
अब इतना भी खुले में नहीं । ऐसे तो कहानी की बाट लगेगी ही, रीडर्स भी कोमा में चले जायेंगे । थोड़ा सभ्य तरीके से... थोड़ा इरोटिका अंदाज में और थोड़ा रीडर्स की कामोत्तेजना बढ़ाने के अंदाज में ।संजु दादा, आपके कहने का अर्थ है की यहाँ सुहाना और दिव्या के बीच की तू - तू , मै - मै कुछ इस तरह होनी चाहिए थी
.
सुहाना - माँ चुदा, साली कुतिया...
.
दिव्या - तू माँ चुदा, चूत की रंडी ...