- 14,065
- 99,753
- 259
Last edited:
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUpdate - 73 ~ Who dares to touch my property?Ab tak...
I'll show him... This time!
Fir mene Veer ko dekha aur uski chin pakad apni orr aage kari.
Aur uske gaal par apni lipstick ke nishaan laga diye.
Not on those damn juicy lips. Unhe bhi chakhungi. Par ek ek seedhi chadhungi mein...
After all, Veer kahi bhaage thodi jaa raha tha.
"Right Veer?"
"Hmm? Kya?"
"Fufu~ Nothing!"
Ab aage...
Veer jo adhiktar anjaane me Ragini ko aksar sharmaane par majboor kar deta tha, kal Ragini ne hi uske hosh uda diye the.
Wo badla hua rang roop, uska bold style, chote kapde, aur baatein karte waqt aankho hi aankho me dekhna aur beech beech me uska flirt karna.
Wo toh jese koi aur hi ladki bann gayi thi. Ekdum se aisa badlaav aa gaya tha usme.
Veer, khud alpha male tha. Pehel wo karta tha inn maamlo me. Wo sharmaane waalo me se nahi tha. Par kal halaat hi kuch aise the. Jis bhabhi ko wo hamesha saree me dekhte hue aaya tha, wo kal achanak se chote kapdo me uske itna qareeb aa gayi thi ki uske antarmann me halchal sii mach gayi thi.
Kal raat ke unn moments ke baad se Veer ko Ragini ki favourability me bhi significant rise dekhne ko mila tha. 70 se seedha 80 par aa chuki thi Ragini ki favourability.
Aur yahi baat Veer ko chinta me daal rahi thi. Kal Ragini ke haav bhaav, bilkul alag hi the. Aise the jese wo maano Veer ki ardhaangini ho.
Mann me bhala kaun khush nahi hoga ki aapki bhabhi aapke qareeb rahe. Par asal me? Kya aap sabki nazro ka saamna kar paenge jab aapki bhabhi aise aapke qareeb aa jaaye? Shayad nahi!
Veer ka bhi yahi haal tha. Ragini was getting too close. Ye abnormal lagne laga tha ab usse.
Agle din bhi wahi hua, Veer next paper ke liye jab ready hoke jaa raha tha toh, Ragini uski tie baandhti, ekdum paas me uske khade hoke. Usse rumaal deti rakhne ko jo neatly folded hota tha. Uske socks nikaal ke rakhti thi. Watch se leke water bottle tak. Sab cheez wo prepare karke rakhti Veer ke liye.
Anjaane me Ragini jo kaam Vivek ke liye karti thi wahi kaam wo ab apne hi devar, Veer ke liye karne lagi thi. Aur inn saari harqato ko Suman bade hi dhyaan se gaur karti thi. Uske chehre par bas ek halki muskaan saji hoti thi ye dekhte waqt.
Aaj bhi Veer gaya hua tha apne last paper ke liye college. Ragini aaj uske liye special khaana banaane me lagi hui thi. Divorce ki formalities bhi kaafi kuch complete ho chuki thi. Aur wo ab poori tarah se azaad pankshi ki tarah thi.
Suman aur Aabha mandir gayi hui thi aaj. Rahi baat Sonali ki, toh wo Veer ka food truck run karti thi. Karan ki madad se Veer ne ek driver aur ek Sonali ke saath kaam karne ke liye female employee hire kar lii thi.
Wo driver food truck ko drive karta tha aur Sonali, apni new employee ke saath milkar cook karti thi. Veer ne usse apni saari dishes samjha dii thi. Dhandha waapas se sahi chalne laga tha.
Veer sahi tha. System ne usse Sonali ko business me include karne ka mission shayad isliye diya tha. System keval usse hi nahi, uske aas paas ke logo ko bhi aage badha raha tha indirectly. Kyuki, future me yahi sab toh uski madad karenge.
Veer jaanta tha ki Sonali business sambhal toh legi par abhi iss chef on wheels ko aur hit banaane ki zaroorat thi. Aur uski planning bhi Veer kar chuka tha.
Normal food truck se, wo pehle number of food trucks badhaega. Taaki isse ek chain ke roop me establish kiya jaa sake. Fir System ki shop se wo kuch secret dishes buy karega, taaki uski dishes koi bhi copy na kar sake. Wo endorsements karwaega, advertisements bhi. Sponsors dhundega taaki ye aur bada ban sake. Uske baad cricketers ki t shirts me apne business ka advertisment. Dheere dheere wo apne iss business ko ek franchise ke roop me establish kar dega. Aur finally, uski other branches dusre shehro me khulne lagengi. Aur business bas badhta hi jaega. Yahi tha Veer ka plan yadi roughly put kiya jaaye toh.
Nidhi ki problem ke baare me bhi usne soch liya tha ki kya karna hai. Ab toh bas jald hi Nidhi ko wo ek bada surprise dene waala tha.
***
Iss dauraan, Suman aur Aabha mandir aayi hui thi bhagwaan jii ke darshan ke liye. Ghar me wahi dono hi sabse zyaada pooja paath waali aurate thi.
Ragini bhi karti thi, par Suman aur Aabha jitni nahi.
Jab dono darshan kar rahi thi, tab unhe nahi pata tha ki koi tha, jo unhe dekh ke unke hi baare me baat kar raha tha.
Aadmi 1 : Wo rahi dono!
Aadmi : 2 : Mein chorrunga nahi isse.
Aadmi 1 : Mein bhi... Hamaari kya haalat ho gayi thi inke kaaran. Sabak toh milega inhe. Kode se maarunga isse mein.
Aadmi 2 : Ab tak mene itni chooth dii thi, ab toh qaid karke rakhunga.
Jii haan, ye aapas me baat kar rahe dono log koi aur nahi balki, Pushpendra aur Amit the.
Bole toh, Suman aur Aabha ke pati.
Dono baap bete, jab se Suman aur Sonali ke kaaran hawalaat me jail me sadd ke aaye the. Tab se hi dono ko apni apni patniyo ki talaash thi. Suman toh bina koi suraag chorre nikal gayi thi. Par Suman se bas ek galti ho gayi thi.
Usne jaate samay ghar ki chaavi pados me de dii thi. Aur ye khabar chorr dii thi ki wo kis sheher me palaayan kar rahi hai. Aur uss kaaran, Pushpendra ne saari baatein waha se pata laga lii thi. Apne hi padosiyo ko darra dhamka ke Pushpendra ne ye pata laga liya tha ki iss waqt Suman Mumbai me thi.
Apne bete ke saath Mumbai aate hi usne Suman ki talaash shuru kar dii thi. Bina Suman ke guzaara kese hota warna uska? Wahi toh thi jo ghar sambhaalti thi. Ek prakaar se kaam waali bai thi wo uski. Pushpendra ka gussa saatve aasmaan par tha.
Jis gaay jesi aurat ko wo darra dhamka ke rakhta tha, wo usse waha jail me band karwa ke ghar se bhaagkar, yaha aisho araam ki zindagi jee rahi thi. Gussa toh aana hi tha.
Mumbai me aane ke baad bas, fir dono baap bete ne talaash shuru kar dii. Halaaki itne din guzar jaane par bhi unhe koi khabar na mili. Mumbai sheher koi hallua thodi tha. Itna bada sheher tha. Suman ko dhundna ghaas ke dherr me sui dhundne jaisa tha.
Par aaj jese kismat unka saath de gayi. Jab dono hi mandir ke baahar dukaan me chai pee rahe the tab hi unki nazar Suman aur Aabha par gayi jo mandir ke andar jaa rahi thi. Kismat ho toh aisi.
Ye dono baap bete bas intezaar kar rahe the Suman aur Aabha ke baahar aane ka.
Wahi yaha mandir ke andar, Suman aur Aabha darshan ke baad lautne ki taiyaari kar rahi thi. Iss baat se bekhabar, ki do darinde baahar hi unka intezaar kar rahe the.
Suman : Chale beta?
Aabha : Haan Maa jii!
Suman : Hmm!
Dono hi mandir se baahar nikli aur paidal hi ghar ki orr jaane lagi.
Par wo sab baato se pare ki unke peeche kaun do log aa rahe the, Suman aur Aabha apni baato me magan aage badh rahi thi.
Ek mod aisa aaya jo main road ke liye nikalta tha. Bas, ye mod society ka ek mod tha. Koi main road nahi. Yaani koi chahal pahal nahi. Suman aur Aabha
dono hi issi raaste se aayi thi kyuki ye seedha mandir ko nikalta tha. Aur waapas se issi raaste se jaati thi toh seedha main road me unhe auto rickshaw mil jaata tha. Ye raasta unke liye ekdum convenient tha.
Lekin abhi dono hi mudne ke baad kuch hi kadam chali hongi jab unke peeche se ek awaaz aayi.
"Bohut mauj ho rahi hai tum dono ki haan?"
Aur ye awaaz sunte hi Suman ke shareer ke raungte khade ho gaye.
Wo aur Aabha agle hi pal peeche mudi aur mudte hi dono ko ek zordaar jhatka laga. Jinse itne saalo ke baad badi mushqil se peecha churra ke wo apne gaav se bhaag ke aayi thi. Wahi do kameene unke saamne the. Unn par atyachaar karne waale ek baar fir, unhe dhundh chuke the.
Apne seene me haath rakh, Suman gehri saas lete hue ghabra ke peeche ho gayi.
Suman : Tummmm???
Pushpendra : Haan mein! Apne pati ko dekh kar tujhe toh khush hona chahiye na? Toh tu ghabra kyu rahi hai?
Aabha ki bhi haalat patli ho chuki thi. Apne pati Amit ko dekh uske chehre se rang hi udd chuka tha. Amit usse gusse me khaa jaane waali nazro se ghur raha tha. Uske haatho me jese khujli ho rahi thi kisi par haath saaf karne kii. Wo ghabraate hue Suman ke peeche jaa kar uska haath thaam lii.
Amit : Kyu bey saali? Apne pati ko chorr yaha bade sheher me mauj kar rahi hai haan? Tujhe rakh kisne liya? KISKE BISTAR GARAM KAR RAHI HAI TUUUU???
Uski uchi awaaz sunn jaha Aabha ghabra gayi toh wahi Suman bauhe sikodte hue virodh kii,
Suman : AMITTTT!!!
Pushpendra : Theek hi toh keh raha hai woh. Tum dono, akhir itne bade sheher me guzaara kaise kar lii? Khaali haath aayi thi tum dono toh. Uss ladke ke saath hi na? Toh uske saath reh rahi ho tum? RANDIYOOOOO!!!!
Wo achaanak hi zorr se chillaaya aur aage badh Suman ke haath ko zorr se pakad liya.
Suman : Aahhh!
Aabha jaldbaazi me apna phone nikaali aur usne seedha Veer ko phone dial kar diya.
Par jab tak wo kaan me phone laga paati, Amit aage badha,
Amit : Teri toh... HARAAMZAADI!!!!
Aur uske baal kheech uske haath se phone chhinaane laga.
Aabha : Aahhh! Chorro... Chorro... Maa~
Chheena jhapti me Aabha phone me koi jawaab na de paayi. Udhar Veer ne phone uthaaya hi tha aur usne bas itna hi suna tha,
"Chorro... Maa~"
Ki Amit ne Aabha ke haath se phone chhina kar seedha call cut kar diya.
Amit : Veer haan? Isse lagaayi thi phone? Bol kaun hai ye? BOLLLL!!!
*Chataaaaaaaakkkkkkk*
"Aaahhhh!"
Aur usne ek zorr ka chaata seedha Aabha ke gulaabi gaal par de maara.
Aabha dard se cheenkhi aur tabhi dono baap bete ne milke unke muh par haath rakh unki awaaz dabaayi. Tabhi ek auto unke paas aake rukk gaya aur dono hi Suman aur Aabha ko usme daal wo sabhi waha se rafu chakkar ho gaye.
Samay 12 bajke 10 minute ho raha tha aur Veer uss waqt bas nikla hi tha exam deke jab usse Aabha ka call aaya tha.
Pushpendra aur Amit dono hi kayi mahino se Mumbai me guzaara kar rahe the. Toh zaahir sii baat thi ki unki kuch na kuch pehchaan toh bann hi gayi hogi aur unhone apna thikaana bhi dhoond hi liya hoga. Wo auto unki hi pehchaan ka tha.
Aur iss samay, wo aake ek chote se ghar ke baahar ruke hue the.
Suman aur Aabha raaste bhar virodh karti rahi, par kitna hi virodh kyu na kar le, mard ka shareerik bal unke aurato waale shareerik bal par bhaari pad raha tha. Ye toh qudrat ka nirmaan tha. Isme wo dono kya hi kar sakti thi. Majbooran, wo kuch na kar paayi siwae chhatpataane ke.
Unn dono ko andar laate hi zameen par patakte hue Pushpendra ne andar se kivaad band kar diye.
Pushpendra : Saali chinaar!!! Teri himmat kese hui haan? Mujhe dhoka dene kii? Mann toh kar raha hai tere tukde tukde kar du. Itna maaru ki tu kabhi mujhe dhoka dene ki soche bhi na. Par abhi nahi. Tujhe toh ghar le jaa kar acche se khabar lunga teri. Sonali kidhar hai? BOL!!!!
Par Suman kuch na boli. Uski aankh ekdum gusse se laal thi aur wo Pushpendra ko ghur rahi thi.
Ki tabhi...
*Chataaaaaaaakkkkkkk*
"Aaaahhhhh!"
Ek tezz tarraar jhaapad seedha aake Suman ke narm gaal par pada. Aur uska chehra ulti taraf ghum gaya.
Aabha : Maaaaa jiii!!!!
Aabha rote hue qareeb aayi aur Suman ko thaami.
Par abhi ye toh kuch bhi nahi tha, jis baat ka Suman ko darr tha, wahi ho gaya.
Pushpendra achanak hi apni shirt utaarne laga. Button pe button khulne lage aur Suman ke shareer ke ruye khade ho gaye ye dekh. Wo kaapne lagi. Aankhein phati ki phati reh gayi.
Pushpendra : Boht dharm patni bann'ne ke shauk hai na tujhe. Abhi nikaalta hu teri saari garmi. Aaj aisa chodunga saali ko....
Pushpendra kya kar raha tha usse iss baat ki koi sharm nahi thi ab. Wo apne hi bete ke saamne apni patni ko chodne ki baat keh raha tha.
Suman idhar poori tarah se ghabraayi hui thi. Usse apni chinta nahi thi. Darr aur afsos tha. Darr iska ki yadi iss mard ne usse aaj chhua, toh woh apne maalik ko kya muh dikhaegi? Kya uske maalik usse firse sweekaar karenge? Yadi kar bhi liye toh kya unke dil me firse wahi sthaan rahega uske liye? Aur yadi sweekaar nahi kiye toh? Kya hoga uska? Kaha jaegi woh? Iss se accha toh marrna hi behtar tha.
Iss darinde ne yadi usse aaj loota, toh sabse saral upaay apni jaan dena hi tha. Maalik ke saamne apna loota hua jism dikhaane se accha toh ye hai ki wo marr hi jaaye. Haan, yahi sahi upaay tha. Iss se usse maalik dwaara dhutkaar jaane ka bhi darr nahi rahega. Yahi sahi nirnay tha. Khud ki jaan de dena.
Kuch aise hi sawaal aur vichaar uske mann me aa rahe the.
Suman ne tay kar liya tha. Yadi ye aadmi aaj uske jism ko bhogta hai, toh Suman apni jaan de degi.
Apni kameez utaar ke jese hi Pushpendra aage badha tabhi Amit ne usse roka,
Amit : Aise nahi Baba... Abhi nahi! Jis Veer ke ghar ye dono ruki hui thi. Mere khayaal se wo ameer hai. Uss se paisa aithate hai, fir yaha se rafu chakkar hoke ghar me inn dono ko dekhenge.
Pushpendra : Hmm? Baat toh sahi hai. Paisa aithna boht zaroori hai. Tangi ho gayi hai paiso kii. Par paise kaise hadapna hai?
Amit : Wahi toh dikkat hai. Sochna padega. Par pehle inhe baandh ke rakho. Ye bhaagne na paaye.
Aur forun hi dono Suman Aabha ko unn logo ne raassi se baandh diya.
Amit : Hmm! Ab theek hai.
Pushpendra : Ab batao! Kuch socha?
Amit : Hmm! Ek kaam kar sakte hai.
Pushpendra : Kya?
Amit : Inn dono se puchiye toh zara ki kya inn logo ne hamaare alaawa kisi aur ke saath raatein rangeen kii hai kya? BOL Aabha!!! BOL!!!
Pushpendra : Jawaab de Suman!!!
Toh Suman zorr se chillaayi,
Suman : HAAAAANN!! HAAN!! HARAAMI!! MENE APNE MAALIK KA BISTAR GARAM KIYA HAI, AUR HAMESHA KARTI RAHUNGI. TU KAUN HOTA HAI MUJHSE PUCHNE WAALA?!??
Suman ke baat maan'ne par Pushpendra ka khoon khaul utha. Uski biwi kisi aur se chudwa rahi thi? Upar se maalik keh rahi thi usse? Aaj toh pushpendra jaise kuch karne hi waala tha.
Amit : Toh bas fir... Hum ussi Veer ko bulaenge aur uss se ye kahenge ki yadi inhe sahi salaamat chaahte ho toh paise leke aao. Uske aane ke baad hum paise bhi hadpenge, uspe haath bhi saaf karenge aur fir yaha se bhaagenge bhi.
Idea sunn ke Pushpendra bhi haami bhara par uske alawa Suman ki aankho me bhi chamak thi. Usse jese apna upaay mil chuka tha. Wo tabhi zorr se hassne lagi,
Suman : Hahahahahaahaha~
Pushpendra : Hass kyu rahi hai tu???
Suman : Haha~ Hassu nahi toh kya karu? Accha hua jo tune mujhe nahi chhiya. Warna...
Pushpendra : Warna kya?
Suman : Warna tujhe ek phooti kodi na milti. Hahahaha~ Tujhe kya lagta hai? Mere maalik iss aurat ke shareer ke liye paagal baithe hai kya? Unke paas ek se ek haseenaaye hai. Mein kya hi hu unki? Yadi tune mujhe chhii liya hota, toh wo mujhe dhutkaar kar hata dete. Aur tujhe ghanta kuch milta. Unke paas ladkiyo ki kami nahi. Mujh jaisi daasi ki kya parvaah unhe?
Suman ki baat sunn, dono hi chhup reh gaye. Aur apne nirnay par garv karne lage. Accha hua jo unhone abhi tak Suman ke saath kuch nahi kiya tha. Kam se kam abhi unka plan qamyaab hone me koi toh umeed thi.
Suman idhar apna nichla honth dabaaye sarr jhukaaye baithi thi. Usne sab kuch jhooth bola tha.
Keval samay bachaane ke liye. Isse aur taalne ke liye. Iss aas me ki shayad, uske maalik jald hi aa jaenge.
Par... Par sawaal tha ki...
Kya Veer aaega? Kya uske maalik aaenge? Jaha usse thodi khushi thi ki kuch palo ke liye usne apne jism ko bacha liya tha toh wahi ek maayusi bhi thi. Wo nahi jaanti thi ki uske maalik ke dil me uski kya jagah hai. Kya wo apni iss tucch sii daasi ke liye yaha tak usse bachaane aaenge? Kahi inka plan qamyaab ho gaya toh? Fir kya ho gaya?
Yahi sab soch wo chinta me doob gayi.
Ki tabhi...
*THUUUUDDDDDDD*
Ek zorrdaar awaaz aayi aur jo kivaad band tha. Wo dhadalle se khula aur uska ek kivaad toh toot ke itni dur jaa ke gira ki saamne ki deewaar se hi bhidh gaya.
Darwaaze ke baahar...
Wo khada tha.
Veer!!!
Uske haath jeb me the. Chehre par koi expression nahi. Kyuki wo itna pissed off tha ki gussa bhi ab uske chehre se jaa chuka tha.
Aabha ke call me uski pukaar sunn ke hi Veer ko abhaas ho gaya tha ki kuch gadbad hai.
Aur usne ek hi cheez kari,
ENEMY TRACKER!!!!
Basic enemy tracking skill ka use karte hi usse inn do namuno kii location mil chuki thi. Ye dono koi boss enemy nahi the, isliye araam se skill ne kaam kar diya.
Inn do chutiyo ki himmat kese hui uski aurato par haath lagaane kii. They were his belongings.
Veer bas yahi baat mann me chilla raha tha.
'Who dares to touch my property?'
Suman aur Aabha uski property thi. Uska poora haq tha unn dono par. Aur uske siwa koi aur unhe haath lagaaye? Sawaal hi paida nahi hota. Thok ke na rakh dega unhe wo?
Veer ne bas ek nazar Suman aur Aabha par maari. Aur fir wo dheere dheere jeb me haath daale hi aage badha.
Kivaad ka tukda udte dekh, Amit thoda darr gaya. Par fir bhi wo khud ko sambhaalte hue aage badha,
"Teri toh...."
Par tabhi...
*Chataaaaaaaaaakkkkkk*
*Sunnnnnnnnnnnnnnnn*
Ek ulta kantaap Amit ki kanpati pe pada aur kaan hi sannaa gaya.
Kaan me awaaz goonjne lagi uske. Muh se ek do khoon se sane daant nikal kar toh gire hi, saath me wo khud bhi neeche dhadaam se gir pada. Aankhein bhi chaundhiya gayi thi uski. Taare dikhne lage the usse ek kantaap me.
Pushpendra, ye dekh gusse me aage badha aur hamla kiya.
Par... Par kya wo Veer ko hara paata? Uski yadi saat pushte bhi Veer par ek saath hamla karti toh bhi na hara paati usse. Toh khud akela Pushpendra toh jese mazaak tha Veer ke liye.
Veer ne uske tucch hamlo se araam se bachte hue ek ghusa uske pait me maara aur fir do jhaapad usse lagaate hue usse bhi gira diya.
Uske baad bhi Veer shaant nahi baitha. Muh se toh shaant hi tha par uske actions bol rahe the.
It was like... I won't speak. My actions will.
Aage badhte hue Veer ne Pushpendra ko pakda aur...
*Ding*
LIMBOOOOO!!!
*CRAAAAAAAACCKKKKKK*
"Eaaaarrrggghhhhhhhhhh"
Veer ne ek jhatke me Pushpendra ka ek haath marod diya. Aur kamre me uski dard bhari cheenkh goonj uthi. Haath kyu maroda? Kyuki usne apni Suman aur Aabha ke gaalo par unn thappad ke nishaan dekh liye the.
THEY DARED TO SLAP HIS WOMEN? THEY DON'T DESERVE ANY HANDS!!!
Aur agle hi pal,
*CRAAAAAAAAACKKKKKK*
"Aaaaaaaaarrrrrghhhhhhhhhh"
Pushpendra ka agla haath bhi gaya. Both of his limbs were twisted beyond recognition.
You think this was the end? NO!!!
*CRAAAAAAACKKKKKKKK*
*CRAAAAAAAACKKKKKKKKKKKK*
"AAAAARRRRRRGHHHHH"
Dono perr bhi mud chuke the Pushpendra ke.
Veer ke chehre par koi bhaav nahi the. Bas yahi baat thi mann me...
THEY DON'T DESERVE ANY LEGS TOO!
Pushpendra ko poora apaahij chorr Veer Amit ki taraf badha, jo ghabraate hue reng ke peeche jaa raha tha aur fir...
Uss kamre me uski bhi dil dehla dene waali cheenkhe goonj uthi. Dono baap bete kisi kachre ke maafiq pade hue the zameen me. Kuch derr pehle ka unka josh, unka bal, unka guroor jese unki gaand me ghuss chuka tha ab.
Veer ne dono hi Aabha aur Suman ki rassiya kholi aur unhe azaad kiya.
Suman aur Aabha dono ki aankhein aasuo se bhari hui thi. Toh wahi thoda bhay bhi tha. Kya haalat kari thi Veer ne unke patiyo kii?
Cruel! Too cruel!!
Par yahi toh khaasiyat thi Veer kii. Suman ki aankhein aasuo se bhari hoke chamak rahi thi.
This was her master!!!
Na keval wo usse yaha bachaane aaya, balki itni jaldi aaya ki Suman ne khud iss baat ki umeed nahi kii thi. Upar se uska kroor vyavhaar. Saaf bata raha tha ki wo kitna gusse me tha. Kiske liye? Keval uske aur Aabha ke liye.
Veer ne dheere se dono ke gaalo par apna haath ferra toh Suman ne idhar apne maalik ka haath zorr se thaam liya.
Suman : Yadi aap na aate toh... Toh mein apni...
Kehte hue wo rukk gayi. Usse dhyaan aaya ki wo kya kehne jaa rahi thi. Apne mann ki baat kehne jaa rahi thi woh. Veer ko jese pata chal gaya. Iska abhaas hote hi uske raungte khade ho gaye.
Aap na aate toh mein apni? Apni kya? Veer ne forun hi puch liya,
Veer : Apni kya?
Suman : ....
Veer : Apni jaan de deti???
Suman ye sunn apni nazre neeche jhuka lii. Wo kese bhala apne maalik se nazre mila sakti thi? Par Veer ke hosh udd chuke the. Itne ke liye Suman apni jaan dene waali thi?
Usne forun hi Suman ki chin pakad uska chehra upar kiya aur usse dekha,
Veer : Ahinda se kabhi aisi baat na kehna aur na hi sochna samjhi? Ye mera order hai!
*Badump*
Suman ka dil jese ek dhadkan phaand gaya.
Aur agle hi pal,
Suman : Aaaahhhhh~
Suman Veer ki goad me thi. Uske gaal laal pad chuke the. Iss baar thappad se nahi, sharm se.
Aur abki baar Veer ke chehre par ek narm expression tha.
Veer : Tum toh meri hi ho. Hai na? Fir tum dono hi aisa kyu sochti ho? Kuch bhi ho jaaye, mein tum dono ko kahi jaane nahi dunga. Aur na hi kuch hone dunga.
Jab Veer ne Suman ko utaara toh Suman ne Aabha ko peeche se dhakel ke Veer ki orr kar diya.
Veer : Hmm?? Ohhh~
Aur agle hi pal ek baar fir...
Aabha : Aaaahhhhh~
Iss baar Aabha Veer ki goad me thi. Sharm ke maare uske gaal surkh laal ho rahe the. Apne dono haatho se usne apna chehra chhupa liya aur mann hi mann apni Maa jii ko kosne lagi.
Aabha ko utaar ke Veer ne Suman ko dekha
Veer : Tum jaan'na chaahti thi na? Ki kyu mein tumhe wo sab cheeze seekhne ko keh raha tha? Toh suno???
Suman : Huhhh?
Veer : You'll be the leader. Tum leader bann'ne ke liye hi bani ho Suman!!!!
Suman : H-Huhhh?
Veer (smiles) : Mahila mandal!!!!
*Badump*
Ek baar fir Suman ke dil ko dhadkan tezz ho gayi aur wo bas phati aankho se apne maalik ko nihaarti hi reh gayi. Toh isliye...
Isliye wo sab cheezein uske maalik usse seekhne ko keh rahe the? Na keval wo usse ek daasi ke roop me dekhte the balki usse itna aage badhne ka mauka bhi de rahe the? Kaun deta hai apni daasiyo ko itni chooth?
Suman ko jese iss baat ki haami milte hi rona aa gaya. Aaj pehli baar apne poore jeevan kaal me wo itna emotional hui thi. Matlab uske maalik shuru se hi usse aage badhaane ke baare me soch rahe the? Iss se zyaada uske liye Khushi ki baat kya ho sakti thi?
Sach baat toh ye thi ki, jis din Veer ne Suman ko Vivek ke maata pita ko lataadte hue dekha tha. Ki kese usne harr tarq ke jawaab kitni asaani se de diye the. Uss din hi Veer ko samajh aa gaya tha ki...
SUMAN WAS BORN TO LEAD!!!
Dusre shabdo me, wo uska ek aisa hathiyaar ban sakti thi jo samaaj me acche se acche logo ki vaat lagaane me saksham ho.
Aur tabhi,
*Ding*
[You have broken Suman's affection meter.]
[Suman's favourability has exceeded 100]
*Ding*
[Suman's favourability : 126]
'Huhhhhh? Ye???'
Veer ko jhatka toh laga tha. Par abhi ek aur zaroori kaam baaki tha.
Usne seedha Balhaar ko phone lagaaya,
Veer : Hello!
Balhaar : Haan!
Veer : Apni location bhej raha hu. Yaha do kachre ke dherr hai. Unhe alag karwana hai. Unse mein nipat chuka hu toh aur kuch mat karna.
Balhaar : Theek hai. Kaam ho jaega. Aur tumhaara kaam bhi ho gaya hai. Ek aham recording hai mere paas. Isse milkar hi dunga mein. Phone me nahi bhejunga.
Veer : Theek hai! Kya baat hai?
Aur fir Balhaar ne bas itna hi bataaya ki Slogan kya karne waala tha.
He was going for a..
FULL SCALE ATTACK!!!
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Revos rakhne ka aur like ki button pe kantaap maar ke jaane ka.
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUpdate - 74 ~ Let the Hunt begin
[Contains gore related scenes.]
Ab tak...
Veer : Apni location bhej raha hu. Yaha do kachre ke dherr hai. Unhe alag karwana hai. Unse mein nipat chuka hu toh aur kuch mat karna.
Balhaar : Theek hai. Kaam ho jaega. Aur tumhaara kaam bhi ho gaya hai. Ek aham recording hai mere paas. Isse milkar hi dunga mein. Phone me nahi bhejunga.
Veer : Theek hai! Kya baat hai?
Aur fir Balhaar ne bas itna hi bataaya ki Slogan kya karne waala tha.
He was going for a..
FULL SCALE ATTACK!!!
Ab aage...
*Vrrrrrrrooooooooommmm*
Karan ki blue mulsanne road par sannaate hue bhaag rahi thi.
Blue mulsanne~
Lane me divider me lagi chamakti hui lights se car ki rims aise chamak rahi thi ki harr nikalta hua vyakti ek baar zaroor dekhne pe majboor ho jaata. Car thi hi aisi.
Karan drive kar raha tha aur uske bagal se Veer baitha hua tha. Wese uski blue mulsanne koi racing car nahi thi, par fir bhi abhi ke liye sahi thi. Kyuki, ye secured car khaas uski safety ke liye design kii gayi thi. Samay raat ka tha toh kismat thi unki jo traffic din ke muqaable kam tha. Warna traffic me hi laude lag jaate unn dono ke. Kyuki, Mumbai ke traffic se toh harr koi waaqif tha.
Veer khamosh baitha tha. Uss din Suman aur Aabha ko bachaane ke baad kayi nayi cheezein usse dekhne ko mili thi.
Sabse pehli baat toh wahi thi. Suman ki 126 ki favourability. Na keval Veer ko 300 points mile the balki usne ek chalta firta bomb taiyaar kar diya tha. Aisa kyu?
Kyuki Suman uske liye ab kuch bhi kar sakti thi. Aur jab kuch bhi kaha jaaye. Toh waqai, uska matlab kuch bhi hi tha.
SHE COULD EVEN KILL FOR VEER.
AND COULD EVEN DIE FOR HIM.
ABSOLUTE SERVITUDE!!!
Aur isliye, wo ek chalta firta bomb thi. Wahi dusri taraf Aabha ki favourability bhi skyrocket hoke 94 par pohuch chuki thi.
Veer unn 300 points ka upyog kar ke jald se jald apne stats full karna chaahta tha. Par usne aisa nahi kiya. Kyu?
Kyuki points ko bacha ke rakhna boht aham tha. Veer ko kayi baar aisa mehsoos hua tha ki yadi uske paas points hote toh woh kayi musibato se bach ke nikal sakta tha. Par uske 0 points ke chalte wo maat khaa jaata tha.
Isliye usne decide kar liya tha ki wo kuch points hamesha reserve me rakh ke chalega. Kya pata, kab kaha points ki zaroorat pad jaaye?
In case, yadi wo kisi situation me phassta hai toh yadi uske paas Points rahe toh shop se skill khareed ke wo uss situation se baahar aa sakta hai. Points ka reserve me rehna isliye important tha.
Bagal se Karan usse baar baar look de raha tha. Shayad kuch kehna chaah raha tha. Par Veer ko khamosh dekh wo chup hoke reh gaya.
Idhar Veer time pass nahi kar raha tha. Uske mann me already Enemy tracker skill active thi.
Aur target kaun tha??
STEVE!!!!!
*Beep* *Beep* *Beep*
Uske mann me wo laal bindu, jo Steve ki location ko darsha rahi thi, kaafi speed me ek location ki taraf badh rahi thi. Yaani ki Steve ne plan shuru kar diya tha. Wahi plan, jo Balhaar ne record kar ke Veer ko saup diya tha.
Veer ab bas Slogan ko ye dikhaana chaahta tha, ki wo uske jaal me fassi hui ek macchli hai. Par aisa tha nahi. Asal me toh wo khud hunter tha iss baar.
'This time... I will lay down the net for you!!!!'
Steve boss enemy nahi tha, toh obviously Basic Enemy Tracker skill kaam kar gayi. Bas, Veer yahi umeed kar raha tha ki...
Kaash...
Kaash, Slogan Steve ke saath hi baitha ho. Yadi aisa hua, toh Veer ek baar me hi uska kaam tamaam kar paega.
Kyuki ab chaahe usse mission mile ya na mile, Veer Slogan ko aur samay nahi dena chaahta tha. Warna ye uske aur uske qareebi ke liye aur bhi ghaatak ho sakta tha.
Par jaise system ne uske mann ki baat sunn lii thi aur tabhi,
*Ding*
[Mission : Kill Slogan at all cost.
Rewards : 1) ???? Points
2) One Random Skill
Time limit : 4 hours.
Mission Failure Penalty : 2000 Points Deduction.]
Aur mission padhte hi, Veer ke hontho par ek muskaan thi.
[You are surprisingly calm!]
Tabhi, Pari ki awaaz achanak hi uske mann me aayi.
'Kya matlab?'
[Matlab ye ki jab Aatish ko tumne maara tha. Tum sadme me the. Because, tumne pehi baar kisi ki jaan lii thi. So abhi ye mission milne ke baad tum kaafi shaant ho. No! Balki tum excited ho.]
'Hoo~ Kya meri Pari ko meri chinta ho rahi hai? Haan?'
[W-Wh-Who? Who cares for you? Hmph!]
'Toh fir achanak ye sawaal kyu?'
[Wo toh... Wo... Wo bas... Tumhaare andar pehle jaisi koi feelings nahi aayi iss waqt. Tum pehle sadme me the. Aatish ko maarne ke baad. But abhi tum ye jaante bhi ho ki tumhe kisi ki jaan lena hai. Still, you are calm. Isliye, mene pucha. Warna... Who cares for you? Hmph~ Stupid!]
Pari ki baat sunn Veer sarr jhukaate hue apni unn hatheliyo ko dekhne laga. Inhi haatho se usne Aatish ki jaan lii thi. Aur inhi ki wajah se wo Golu ko kho diya tha. Yadi inme tab aur taaqat hoti, toh aaj Karan ke hi jaise, uska ek aur dost uske bagal se baitha hota.
'Ye... Mere haath... Inme pehle hi khoon lag chuka hai Pari!!!'
[...]
'Ab inpe... Mera bas nahi chalta.'
[But...]
'Jo koi bhi mere parivaar ko nuksaan pohuchaane ke baare me sochega. Unhe mein apne raaste se hata dunga. Chaahe jaan hi kyu na leni pade mujhe.'
Pari kuch derr shaant rahi. Uske baad boli,
[Well, yes! That is the correct way. World unfair hai. Yadi koi ye sochta hai ki muskuraane se agla aadmi usse kuch nahi karega. Toh ye Bewakoofi hogi uski. Strong trample on weak. That is how world works. Yadi tum powerful ho, toh tumhari kahi gayi harr baat sahi hai.]
'I think so too! I have to get more powerful.'
[Yeah!!]
Pari aur Veer ki aapas me ho rahi baato se anibhigya, akhir kaar Karan ne kuch bolne ka socha.
Unke beech ki kaafi derr se maujood khamoshi ko usne toda,
Karan : You know what!? Mujhe nahi lagta tumhari info sahi hogi. Dad ne security boht high kar dii hai. So, I don't think aisa kuch hone waala hai.
Veer shaant tha. Usse pata tha ki Balhaar ki info pakki thi. Akhir usne khud wo video dekha tha jo Balhaar ne usse baad me diya tha. Wahi yaha Karan mood ko light karne ki koshish kar raha tha. Uske hisaab se security tight thi aur uski behan ko kuch nahi hone wala tha.
Aisa nahi tha ki wo apni behan ki chinta nahi karta tha. Veer se bhi zyaada fiqr usse Kaera ki thi. Par usse apni security par bhi bharosa tha. Isliye Karan ko laga ki shayad Veer bewajah hi zyaada fiqr kar raha hai.
Karan : Hey! Wese, tumne apne liye koi partner dhundi ya nahi?
Usne mood ko light karte hue kaha.
Veer : Tumhe abhi ye baat sujh rahi hai? Seriously?
Karan : What? Heyyy! Just answer me!
Veer (sighs) : Filhaal nahi!
Karan : You know what? I can introduce you to some fine ladies. Aur sab badi family se hi hai. Mere kehne par wo pakke se tumhaare sang... Hehehe~
Veer : You should think about yourself. Aur tezz drive karo. Hum late nahi ho sakte.
Karan : Driving me tumhe mujhse behtar driver nahi milega Veer. Foreign me mein harr weekends ki raat ko friends ke saath milkar hum track racing karte the. I'm one hell of a driver hahaha~
Kehte hue usne forun hi gaadi, 3rd se 4th gear me daal dii aur acceleration diya,
*Vrrrrooooooooooooooommmmm*
Gaadi sarpat bhaagte hue road par daudne lagi.
Veer ka haath uske seene me tange locket par tha. Usse kass ke thaame hue tha. Uski asal Maa ki dii hui ek maatr nishaani. Aaj wo kaise bhi kar ke, apne iss mission me fail nahi ho sakta tha.
Kyuki ye Final Fight thi. Ya toh aaj wo ghar lautne waala tha, ya fir Slogan.
There was no other way.
One has to kill the other!
***
Delhi Airport...
Time : 10 : 15 PM
Meanwhile, Delhi ke airport me iss waqt ek flight just arrive hui aur air strip par plane ki gati dheere dheere kam hoti jaa rahi thi.
Aur dekhte hi dekhte kuch hi palo me wo plane poori tarah se ruk gaya.
Andar passengers waali seat par se saare yaatri dheere dheere uth ke baahar ki orr nikalne lage. Air hostesses, unhe smile dete hue vida kar rahi thi.
Inhi seats me se do seats par ek naujavaan ladki aur ek khubsoorat mahila baithi hui thi.
"Mom!! Pohuch gaye. Uthiye!"
Uss ladki ne kehte hue apni Maa ko hilaaya toh wo mahila forun hi uth gayi. Wo toh bas thakaan ke chalte aankhein band kii hui araam kar rahi thi. Soyi nahi thi.
Apni beti ki baat sunn, haa me sarr hilaate hue wo dono maa beti, airport se nikle aur cab kar apne ghar ki orr nikal gaye.
Ghar pohuchte hi andar maujood ek kaam karne waali maid ne gate khola aur unn dono ka swaagat kiya.
Ye maid poori loyal thi unki. Isliye jab bhi wo kahi bhi jaate the, wo aksar hafto hafto tak akeli ghar me raha karti thi. Aur ghar ki poori dekh bhaal karti thi.
Andar aate hi, Dono Maa beti ek saath bed par girte hue pasar gayi. Dono ne ek dusre ko dekha. Aur fir dono hi zorr se hassne lagi.
"Sach me, boht thakaan ho gayi. Haaasshh! Finally, apne ghar ke sukoon ki kuch baat hi alag hoti hai. Hai na Mom?" Wo ladki boli.
Toh uski maa bhi muskuraayi, "Bilkul! Apne ghar ki baat toh kuch..." Bolte bolte wo achanak hi rukk gayi.
"Kya hua Mom?"
"K-Kuch nahi... Mein washroom se aati hu." Aur wo uth ke seedha washroom me chali gayi.
Uski beti keval usse jaata hua dekhti rahi. Wo asahaay, ekaaki, aur akeli aurat.
'Kab tak? Kab tak aur mujhse chhipaogi Mom? I already know what you are hiding.' Usne socha aur maayusi uske chehre par chha gayi.
Ye koi aur nahi, wahi thi. Bhavna ki ekmaatr ladki.
Aur wo aurat Veer ki asli maa thi ~ Bhavna.
Jo filhaal, yaha Bhavna nahi, balki Geeta ke naam se jaani jaati thi.
***
Mumbai...
xxxxxxx resort.
10:35 PM
Resort ki entrance par achaanak hi ek car aayi. Toh guard uth ke uss car ke nazdeek aaya. Aur...
*Thud* *Thud*
Usne haath se sheeshe par do baar thoka toh...
*Swwiiissshhhhh*
Sheesha neeche hua.
Guard : Peeche ki Dickey kholo.
Toh uss car ke driver ne haa me sarr hilaaya aur dickey khol dii. Guard ne poori Dickey check kii aur band kar andar jaane ka ishaara de diya.
*Vrrroooommm*
Car aage badhi aur andar jaati jaa rahi thi. Resort itna bada tha ki aisa lag raha tha kisi highway me gaadi chal rahi ho.
Ek jagah aake gaadi ruki aur driver ne gaadi ki headlights band kar dii. Par gaadi abhi bhi chaalu thi.
*CLICK*
Driver ki bagal waali seat par baithe aadmi ne lighter jalaaya aur cigerette ko muh me daal usse jala ke ek kash lagaaya.
Aur badi gambheerta se bola, "Aaj sab doodh ka doodh aur paani ka paani ho jaega."
Ye buland awaaz jo acche accho ki hawa tight kar de, kisi aur ki nahi, SLOGAN ki thi.
Aur Driving seat par baitha koi aur nahi, Slogan ka hi right hand aadmi, STEVE tha.
Steve : Yadi aapka anumaan sahi hai Dada. Toh woh yaha nahi aaega. Par...
Slogan : Hmm! Information usne sahi bheji. Par abhi uska aana baaki hai.
Yaha baat ho rahi thi ekmaatr shaks kii. Aur wo tha...
BALHAAR!!!
Aaj Balhaar ka test tha. Slogan jis din apna plan samjha raha tha Steve ko. Usse ek anubhuti hui thi ki kuch gadbad tha. Aur uska shaq, Balhaar par tha.
Isliye, aaj Balhaar ki pareeskha thi. Slogan ne Steve ko keh ke Balhaar ki saari chhaan been karwaayi thi. Par unhe kuch haasil na hua. Steve ka kehna tha ki Balhaar loyal hai. Par Slogan abhi bhi apni baat par ada hua tha. Kuch gadbad zaroor thi. Itna experience usne aise hi nahi haasil kar ke rakha tha.
Ye resort kisi aur ka nahi, balki Kaera ka tha. Jo usne haal hi me apne naam karwaaya tha. Aaj wo yaha bas bachi hui payment karne aayi thi. Slogan ko ye baat pehle hi apne aadmiyo se pata lag chuki thi. Par...
Par wo Balhaar ko test karna chaahta tha. Yadi Balhaar bekasoor tha, yadi usne gaddaari nahi kii hogi, toh woh behsaq sab kuch sahi details dene waala tha. Isliye Slogan ne resort ki saari details laane ka kaam Balhaar ko saup diya.
Yadi, Balhaar galat info deta, toh Slogan ko pata lag jaata aur wo Balhaar ko dhad dabochta. Par aisa na hua. Balhaar ne usse ekdum sahi info dii.
Ki ye resort Kaera ka hai, aur wo iss tareekh ko iss samay par iss gaadi se yaha payment dene aaegi. Information itni sahi thi ki Slogan ka Balhaar ke upar se shaq samaapt ho jaana chahiye tha. Lekin fir bhi... Aisa na hua.
Kuch tha, jo Slogan ko andar se kachot raha tha. Jese abhaas dila raha tha ki kuch gadbad hai.
Aur tabhi,
Resort ki main building ka bada sa automatic glass door khula aur ek behad khubsoorat ladki ek sundar sii dress me baahar aayi.
KAERA!!!!
Aur usse dekhte hi, Slogan ki aankh me ek chamak aa gayi. Wesi chamak jesi ek saanp ko ande dekhte waqt aati hai.
Aur tabhi usse side se aata hua Balhaar nazar aaya.
Usne unki car ki taraf dekha par kiya kuch nahi.
Slogan ne ek kaam usse aur saupa tha. Uska kaam ye tha ki... Kaera ko jaake bas itna kehna ki uss car me Veer uska intezaar kar raha hai.
Kaera nazdeek aaegi, car me peeche baithe aur do log Kaera ke bodyguards ko restrict karenge, Steve issi beech Kaera ko car me daalega aur wo khud tab tak driver seat par aake car aage badha chuka hoga.
Yahi Slogan ka plan tha. In fact peeche baithe do logo ko ye bhi nahi pata tha ki Slogan unhe yaha maarne laaya hai. Bali ka bakra bana ke.
Wo bas, wait kar raha tha. Balhaar ke call ki. Yadi usne call kiya, aur jesa bataaya gaya tha wesa kiya iska matlab tha ki Balhaar dhokebaaz nahi tha. He was loyal. Wo apni pareeskha me pass ho jaega.
Tabhi Slogan aur Steve dono ne hi dekha ki Balhaar ne apna phone nikaala aur call lagaaya.
Unn dono ne apne apne phone baahar nikaale par...
Call nahi aaya.
Slogan : Huh??
Steve (frowns) : Ye call kyu nahi aaya.
Aur tabhi, Slogan ne dekha ki...
Balhaar wahi shaant khada hua tha. Uske chehre par agle hi pal... Dheere dheere... Shaitano waali muskaan bikharti jaa rahi thi.
Uss andhere me keval halki roshni me, Balhaar ke chehre ki wo daraavni muskaan dekh, aaj pehli baar itne saalo me...
SLOGAN ke raungte khade ho gaye.
Steve ko jese hi samajh aaya wo chillaaya,
Steve : BALHAAAARRRRRR!!!!
SLOGAN sahi tha. Wo sahi tha. Balhaar was a fucking traiter.
Aur Steve ne abhi chillaya hi tha ki...
*BAAAAAANGGGGGGGGGGGG*
*SPLUUUUURRRTTTTTT*
Achanak hi Slogan ke chehre par khoon ke cheethe bikhar gaye.
STEVE WAS DEAD!!!!
Car ke window glass ko cheerti hui, bullet aayi aur uski khopdi ko phaadte hue ghus gayi. Sarr ka maas aadha latak gaya aur car ke andar khoon ke cheethe bikhar gaye. Slogan ke chehre par jo khoon laga tha, wo Steve ka hi tha. Maano uske toh dil ki dhadkan hi band ho gayi thi achanak se ye sab dekh.
"Aaaaahhhhhh!!!!" Kaera jisne sab kuch dur se dekha wo chillaayi. Aur uske bodyguards forun hi aakar usse gher ke andar le jaane lage.
Idhar Slogan ne tabhi, door khola aur...
*Thud*
Steve ke shareer ko laat se maar ke baahar giraaya. Palak jhapakte hi wo Driving seat par aaya, uska perr accelerator par aur...
*Vrrrrrrrrrrroooooooommm*
Zorr se race dete hue gaadi aage badhi...
*BAAAAAAAANNNGGGGGG*
Ek aur goli chalne ki awaaz aayi par Slogan bach ke nikal chuka tha.
Akhir kya hua palak jhapakte hi? Boht kuch hua tha.
Resort ke upari bhaag par hi...
There was a SNIPER!!!
Jo kisi aur ne nahi Veer ne hi Karan ko keh ke rakhwaaye the. Aur sniper ne apna kaam bakhubi kiya. Ek sarr dard jaa chuka tha. Steve!
*Badump* *Badump*
Slogan ki dhadkane yaha train ke jese tezz ho chuki thi. Seconds me hi kya se kya ho gaya tha.
Par uske chehre par bhayankar gussa bhara hua tha.
"Veeeeeeeeeeeeeeeerrrrrrr!!!"
Wo chillaya. Kyuki, of course...
Uske siwa aur kaun kar sakta tha ye? Aaj usse ek baat ka pata lag gaya tha ki,
He underestimated Veer!!!
Slogan ko ye nahi pata tha ki jab wo Balhaar ka test lene ke liye usse Resort ki info laane ko saup raha tha, toh woh apni hi qabar khod raha tha.
Balhaar ne jaan bujh ke Kaera ki ekdum sahi info dii thi. Taaki, Slogan yaha aaye Kaera ko pakadne ke liye.
Balhaar ne shuru se ant tak aasvaashan jataate hue aur bharosa dilaate hue unhe yakeen dilaaya tha ki kaam ho jaega. Wo ant tak Slogan aur Steve ko shaq me rakha raha. Keval iss moment ke liye.
Steve ke jaane se, ek jhatka toh lag hi gaya tha Slogan ko.
Aur ye sab kiske kehne par kiya tha Balhaar ne?
Veer!!!!
Jaha Slogan ye samajh raha tha ki wo Balhaar ka test lega aur Kaera ko pakad bhi lega toh wahi Veer ne jaan boojh ke Balhaar ka test lene diya. Usne jaan boojh ke Kaera ki ekdum sahi location dilwaayi Balhaar se.
Yahi kaaran tha ki Veer ne Karan ko apne sang rakha. Karan ne security badhwa dii thi aur upar Snipers rakhwa diye the, Veer ke kehne par.
Aur Veer ne jaan boojh ke ye jagah chuni. Ye Kaera ka hi resort tha. In other words, yadi Steve marra bhi, toh Police ka koi lafda hone hi nahi waala tha. Veer was totally safe.
It was a plan to lure out a snake out of its cave. Saanp ko maarne ke liye usse uske bil se nikaalna zaroori tha. Wahi kiya tha Veer ne.
*Craaaaasssssssshhhhhhh*
Slogan ki car entrance ke barrier ko todte hue nikli, Guard bas daudta hi reh gaya uske peeche.
Aur Balhaar jo phone pe call laga raha tha usne phone me bola,
Balhaar : Wo nikal gaya.
"Good!!!" Dusri taraf se awaaz aayi, jo kisi aur ki nahi, Veer ki hi thi.
Entrance se baahar nikalte hi jese hi Slogan ki car sadak par aayi. Uske theek peeche se hi kuch hi duri par...
Ek aur car aa rahi thi.
Karan : Wo rahi car... Damn it!!!! Tum sahi the!!!
Veer (smiles) : I told you!!!
Karan kuch na bola. Kyuki, yadi car dikhi toh ab plan ke next move ko anjaam dene ka tha.
Usne seedha call Jassi ko lagaaya.
Karan : Jasssssiiiiii!!!
Jassi : Got it!!!
*Call ends*
Jassi jo ek mod par car ke andar baitha hua tha usne sheesha khol apne haath se bas ek baar aage badhne ka ishaara kiya aur...
Kareeb 15 se 20 gaadiya ikhatte mod se nikal ke main road par aa gayi.
*Vrrrrroooooommmmm*
SLOGAN jo gaadi chala ke bhaag raha tha usne jese hi apne daayi taraf dekha toh uske hosh hi udd gaye.
Daayi taraf se na jaane kitni saari kaali gaadiya bas nikalte hi jaa rahi thi. Uske toh maano chehre se rang hi udd chuka tha.
"Fuuuucckkkkkk!!!!" Wo kheejte hue chillaaya.
"D-Dadaaaa!!! Ab kya karna hai???" Peeche baitha ek chillaaya.
Slogan ke daant aapas me gusse se kitkita rahe the. Uska poora dhyaan filhaal gaaadiyo ko chakma deke bhaagne me tha.
"VEEEEERRRRR!!! DAMNNN YOUUU!!"
Just what really happened? Uska plan backfire kese kar gaya? Wo jaanta tha ki yadi Balhaar dhoka bhi dega toh zyaada se zyaada kya hoga?
Usse pata chalega aur wo waha se turant hi Kaera ko chorr ke bhaag niklega. Akhir isliye toh usne Steve se keh ke car ko on hi rakha tha waha par. Ki kuch bhi yadi ho, toh forun bhaag sake.
Par...
What he didn't understand was that...
Usne Veer ko underestimate kar diya. Wo sochta tha ki Veer bas ek ladka tha jo ladna jaanta tha bas. Uski halki fulki pehchaan thi aur wo Kaera ki nazron me ek accha ladka tha. Bas, iss se zyada koi impression nahi tha Slogan ke mann me Veer ke liye.
Aur yahi par usse muh ki khaani pad gayi aaj.
Uska plan simple tha. Ek gaadi me jaana jis se bhaagne me asaani ho, yadi kuch gadbad hoti hai toh. Yadi nahi hoti hai toh plan simple hi tha aage bhi.
Kaera ko kidnap karna, aur fir usse apni destination par laana.
Slogan ne saara intezaam kyuki wahi karke rakha hua tha. Usse laga tha ki yadi wo Kaera ko kidnap kar ke le jaega. Toh Kishor shaant nahi baithega. Wo definitely apni poori security bhej dega Kaera ki khoj me. Aur wo ye bhi jaanta tha ki Kishor ki security uska thikaan dhundh bhi legi.
Par...
Par yadi dhundh bhi liya toh kya?
Yahi toh plan tha uska. Usne itne aadmi aur itni force waha laga ke rakhi thi ki yadi Kaera ki security enter karti bhi hai toh unhe poori tarah se andar aane me kaafi samay lag jaega. Yadi Kishor copter bhi bhejta hai toh uska intezaam bhi tha Slogan ke paas. Rocket launcher!!!
Aur jab tak security uski gang se bhidegi, tab tak Slogan Kaera ko thikaane laga chuka hoga.
Uska lakshya poora ho chuka hoga. Par...
Par na keval aaj usne apne lakshya ko khoya, balki Steve ko bhi kho diya tha.
Aur itna hi nahi, uski haalat bheegi billi ki tarah ho chuki thi.
AND, IT WAS ALL BECAUSE OF THAT FUCKING VEER!!!
Of course, yadi Veer nahi tha toh aur kaun tha? Kishor ko bhali bhaati jaanta tha Slogan. Uspe intelligence bhi rakhta tha. Ye uska kaam hargiz nahi tha.
'Kahi wo toh nahi? N-Nahi... Wo nahi ho sakta.'
Sochte hue usne mann ko shaant karne ki koshish kii.
Par gussa uske chehre se jaa hi nahi raha tha.
Ek hi upaay tha. Jald se jald wo apni destination par pohuch jaaye.
Par peeche...
*Vrrrroooommm*
*Vrrrrooooooom*
*Vrrrrooooooom*
Dherr saari gaadiya uske peeche lagi hui thi.
Aur tabhi,
*BANNNNGGGGGGGGGG*
Ek bullet aayi aur seedha aake uski car ke right mirror se lagi aur mirror ko poora ukhaad ke alag kar dii.
"Daaamnnn itttt!!!!"
Iss hamle ka jawaab dene ke liye, Slogan ke saath peeche baithe wo do aadmi bhi apni apni gun nikaal cross firing shuru kar diye.
*BANG*
*BANNNNGGGGGGGGGG*
Jassi aur Raghu, apne poore aadmiyo ke saath uske peeche the. Saathi hi Veer aur Karan bhi.
Slogan ki car ek sunsaan raaste me ghusti jaa rahi thi.
Ye lamba route tha.
Aur rasta aisa tha ki chaah ke bhi Veer aur Karan uski gaadi ko overtake kar usse rok nahi sakte the.
Par Veer ke hontho par muskaan thi. Wo confident tha.
Kitna bhi kyu na bhaag le Slogan, aaj uska ant nishchit tha. Wo isliye kyuki...
Upar halke ghane badlo me jo chamak kar apni roshni bikher raha tha. Wo tha...
FULL MOON!!!
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Next update boht dhamakedaar hoega. Ye aap anumaan laga hi sakte ho.
Like karne ka aur revos rakhne ka yaara!
Lajawab updateUpdate - 105 ~ The Pitcher (1)Ab tak...
Kuch derr ke intezaar ke baad hi unhe andar jaane ke kiye allowed kar diya gaya.
Aur jese hi woh andar pohuche...
Natalia wahi baithi hui thi. Ek table ke paas ek seat par. Dinner yahi hona tha.
Usne teeno ko aate hue dekha aur bas ek halki sii muskaan ke saath boli,
"Welcome!!! Have a seat!!!"
Ab aage...
Golden Nugget Hotel & Casino,
Downtown, Las Vegas.
Night ~ 11:38 PM
Ye thi Downtown ki kaafi mashoor hotel me se ek, Golden Nugget Hotel.
Jidhar casinos ka bhi prabandh tha. Andar ka nazaara bhi ekdum khubsoorat tha. Hotel cheekh cheekh ke ye batlaa rahi thi ki kitna paisa laga hua tha usme.
Aur issi aalishaan hotel ke VIP area me, food court me baithi hui thi Natalia. Concert ke baad dinner ka plan tha jo ki usne Divya ke sang rakha hua tha. Downtown me hi uska concert hua tha. Aur udhar par hi ye hotel bhi maujood thi. Toh samay ki bachat aur nazdeeki ke liye Natalia ne apna reservation iss hotel me karwa liya tha.
Divya, Suhana aur Veer ko jab baahar se permission mili tab jaa kar woh andar VIP area me pravesh kiye.
Aur andar aate hi, Natalia ne unhe baithne ke liye kaha. Uski nazre saamne khade teeno log par gadi hui thi.
"Welcome! Have a seat!"
Ek halki muskaan ke saath woh boli. Par apni jagah se woh tass se mass nahi hui. Suhana ki bauhe upar chadh uthi Natalia ke iss ravaiyye ko dekh. Toh uska andaaza sahi tha matlab.
Natalia uss muqaam par aa chuki thi jaha ab woh Suhana aur baaki sab ke liye khade hokar unka swaagat bhi nahi karne waali thi.
'What changed you so much?' Mann me Suhana ne khud se sawaal kiya.
Parantu, usne kuch bola nahi. Teeno Natalia ke saamne maujood chairs par virajmaan ho gaye.
Divya : So? What's the matter?
Divya ne seedhe seedhe hi puch liya. Akhir aisi kya baat ho gayi thi jo itni badi star Natalia ne khud usse call kar ke usse bulaaya? Saaf tha ki kisi investigation se sambandhit hi kaam tha. Par kya?
Natalia : Let's have our dinner first. You guys must be starving too. Order anything you want.
Divya : Ohhh!
Natalia ne pehle dinner karne ka faisla liya. Aur waqai iss baat se Divya bhi sehmat thi. Concert me baithe baithe bhook toh unn sabhi ko lag aayi thi. Pehle pait pooja fir kaam dooja waali baat unhe sahi lagi.
Aur sabhi waha lazeez khaane par toot pade.
Natalia khaate samay kisi se baat nahi kar rahi thi. Uska poora dhyaan apne khaane par tha. Jis kaaran se Divya aur Suhana ne bhi apni bolti band kar lii. Wahi Veer pal pal apni nazre utha ke Natalia ko dekhta. Paas se toh aur bhi qayamat lag rahi thi woh. Natalia ne bas ek hi nazar daali thi Veer pe, uske baad se usne Veer ko nahi dekha jese maano woh usme ekdum uninterested thi.
Toh wahi Suhana bhi pal do pal Natalia ko chori chhipe dekhti, mann me uske dherr saare sawaal uth rahe the. Natalia uske saath aisa behave kyu kar rahi thi? Kahi aisa toh nahi ki woh usse bhul gayi ho? Suhana ek bhaari chinta me doobi hui thi.
Aur ant me akhir waali kursi par Divya ke maathe par bhi silvatein chhayi hui thi. Khaana toh woh kha rahi thi, par uska dhyaan khaane par kam aur Natalia ne usse kyu bulaaya uss par zyada tha.
Natalia aur Divya ek dusre ko jaante the. Natalia jaanti thi ki Divya Suhana ki dost hai aur ek private detective hai Vegas me. Balki, Sonia aur Kaera bhi ye baat jaanti thi. Yaha tak ki bachpan me hi woh sabhi Divya se mili chuki thi. Akhir Divya aur Suhana school, college se hi ek saath the.
Jab sabhi ka khaana peena ho gaya toh Divya se aur raha na gaya.
Apne baalo ke bun ko khol, usne hawa me apni kaali zulfe lehraayi aur kursi par adab ke saath baithate hue boli,
Divya : Dinner is done. What's the deal now?
Suhana : Right? Such a big celebrity Miss Natalia Martin. Why did you call us poor souls here?
Suhana ne ek taunt maara. Bhala hum jese gareeb logo ki kya zaroorat pad gayi inn maharani sahiba ko? Woh nakli muskaan ke saath Natalia ko chidhaane ke liye boli.
Natalia : Call me Nat!
Suhana : Ohhh! I thought 'Ava' would be much preferred by you!? Hmm?
Uske muh se 'Ava' shabd nikalte hi Natalia ke maathe par lakeerein chhaa gayi aur uski aankhein Suhana ko ghoor kar dekhne lagi.
Natalia : Nat! I prefer Nat!!! Your mood is off! Looks like you didn't enjoy my show.
Aur iss baar ek waar yaha se Natalia ne kiya. Uska kehna tha ki Suhana ne lagta hai uska show enjoy nahi kiya isliye kaafi bekaar mood me thi.
Suhana : Huh?
Iske pehle ki dono ke beech koi yuddh shuru hota...
Veer : Ahem...!
Veer ke beech me awaaz karte hi sabhi ki nazre uss par tik gayi. Aur Divya ko tabhi dhyaan aaya,
Woh Veer ke daayi orr baithi hui thi. Veer ke kandhe par haath rakh Natalia ko samjhaate hue woh boli,
Divya : Right! This is Veer. Veer! She's Natalia. Sonia's childhood friend.
Veer ne nod karte hue haath aage badhaaya toh Natalia ne bhi haath aage kar uska haath thaama aur handshake kiya.
Haath aapas me sparsh hote hi...
'Soft...!'
[Hehe~ ]
Natalia : Nice to meet you!
Veer : It's a pleasure!
Divya : Also... You know what?
Natalia : Hmm?
Divya (smiles) : He's a mutual friend of Sonia and Kaera.
*Silence*
Divya ki baat sunte hi Nat ki aankho me pal bhar ke liye jese ek chamak sii aayi. Usne Veer ko punaah ghoora aur ek halki muskaan uske hontho par sajj gayi.
Veer : Umm... About concert. The way you started...
Natalia (smiles) : Hindi aati hai mujhe! Hum Hindi me baat kar sakte hai. Just because I'm half white doesn't mean I have forgotten my native language. In fact, I prefer Hindi more than English.
Veer : Ah!! I see!
Veer ye nahi bhul sakta tha. Thodi derr pehle hi usne Nat ko check kiya tha. Concert ke dauraan. Tab usne dekha tha...
*Ding*
[Name : Ava Martin
Stage/Alias Name : Natalia Martin
Age : 26
Status : Singer/ Businesswoman/ Celebrity
Bio : Ava Martin! Jayesh aur Grace Martin ki eklauti beti. Aur Sonia, Kaera ki childhood friend. Pita hindustani the. Par dedh saal pehle hi unka dehaant ho gaya. Grace Martin head injury ke chalte coma me hai. Maa ke prati Ava ka sabse zyaada jhukaav raha hai. Aur isliye woh apna naam apni maa ke surname ke saath poora karti hai. Unhi ke liye woh gaati hai, Grace hi uska sab kuch hai ab. Pita ki maut ke baad usne singing ki duniya me qadam rakha. Aur dedh saal me hi usne khud ka label 'Blue' records khada kar liya hai.
Favourability : 7
Relationship : Strangers.]
Veer ye jaanta tha ki Ava ka janm India me hi hua tha. Yadi woh bachpan me India me thi aur uske pita India me hi kaam karte the toh zaahir hai ki woh India me hi paida hui thi. Ek anumaan toh laga hi sakte the.
Shayad yahi ek kaaran tha jo usse Hindi, English dono hi badi acche se aati thi.
Veer taajub tha ye jaan ke ki baahar jaane ke bawajood, Ava apni native language bhooli nahi thi.
Veer : Toh... Aapke show ki starting ke kuch pal... Jab aapne bina kisi instruments ke woh chand panktiya gaayi thi. Khaas kar antim panktiya... And letting go, I no longer need that vile past. Jis tarah aapne dheere dheere shabdo ko uthaa ke high notes par pohchaaya. Woh mera sabse favourite part tha.
Veer ne dil se muskuraate hue kaha. Nat ne usse jab iss tarah dekha toh woh jese kuch kehna hi bhool gayi. Shan bhar ke liye Veer ko dekhi aur fir usne giggle karte hue Veer par se nazre ferr lii,
Nat (giggles) : Ohkay! Thank you...!
Idhar Suhana aur Divya kabhi Nat ko dekhti toh kabhi Veer ko. Unhe aisa mehsoos ho raha tha jese woh faaltu me yaha baithi hui thi. Haan bhai. Aapas me hi mauj kar lo. Hum toh jese chutiye hai yaha. Kuch aise hi thoughts unke mann me aa rahe the.
Nat : You have a keen perception!
Veer : No! Not as much as yours.
Nat (stares) : Ohh! *smiles*
Par tabhi...
Veer : Fuuucccckkkkkkk!!!!
Nat : ??
Veer ko jaangh me ek halka dard mehsoos hua. Usne nazre neeche kar dekha toh uski baayi jaangh par... Suhana chikoti kaat rahi thi.
'Huh?'
Suhana usse table ki neeche se zorr se chimti kaatne me lagi hui thi aur uski aankhein? Uski aankhein jese Veer ko khaa jaane waali nazro se dekh rahi thi.
Boht flirting soojh rahi hai haan? Ye le ab!
Mann me yahi soch rahi thi woh.
'Shiiitttt!'
Divya : Ahem!!! So? Introductions ho gaye! Kya ab hum jaan sakte hai? Kya matter hai?
Divya ne main topic ko firse uthaaya. Uske bagal se Veer aur Suhana khuspusaate hue ek dusre se jhagad rahe the par Divya ne Nat ki orr focus rakhna chaaha.
Nat : Right!
Ek haami bhar Nat ne apne aas paas baithe staff ko waha se baahar jaane ka ishaara kiya. Aur ab waha par keval wahi 4 log maujood the.
Ek lambi saans lete hue Nat ne unn teeno ko dekha aur fir boli,
Nat : I need your help!
Divya : Hmm? Woh toh main samajh gayi thi jab tumne call kiya tha. Say openly.
Nat (fir ek lambi saas lete hue) : I'm being threatened.
Veer : Huh?
Divya : Kya?
Suhana : ....!!!?
Nat : Yes!!! I'm being threatened.
Kehte hue usne ek card table par haatho se sarkaate hue aage kar diya.
Divya ne usse thaamte hue padha,
Divya : Hmm? You are being invited to the Royal Klink? Toh isme bura kya hai? Ye toh invitation hai.
Nat : Invitation hai. Par maut ka.
Veer : Kya matlab?
Nat : Matlab ye ki... Look! You guys must have heard about Charlotte?
Divya : Charlotte? Wait! Ye toh wahi emerging pop singer hai na? Jiski abhi recent me death ho gayi? Suicide kar liya tha usne?
Nat : Yes and no!
Suhana : What do you mean?
Nat : Charlotte aur mein contact me the. Wo ek emerging singer zaroor thi. And a very promising one at that. Par usne suicide nahi kiya tha. Jitna mein usse jaanti hu. Woh aisa kabhi kar hi nahi sakti. Never! Usne khud mujhe message kiya tha ki woh ek new album release karne wali hai. Par uske pehle hi woh...
Divya : So you are suggesting ki ye ek murder hai? Ek conspiracy?
Nat : Yes!!!
Suhana : How? Tum itni yakeen ke saath kese keh sakti ho? Mene article padha tha newspaper me Charlotte ka. Investigation hui thi uski suicide ko lekar. Lekin forensic reports me saaf saaf saamne aaya tha ki usne poison leke suicide kiya hai. Toxins se hi uski maut hui hai.
Nat : Aisa bhi toh ho sakta hai ki kisi ne usse poison diya ho? Woh kabhi aisa nahi kar sakti. I believe ki police ne uske case ko death by suicide ka naam deke band kar diya hai.
Veer taajub me sab kuch dekh sunn raha tha. Hairaan woh isliye tha ki Suhana ko inn sab baato ki bhi khabar thi. Flight ke dauraan toh woh magazine padhne me lagi hui thi. Ye sab padhne ka samay kab mila usse?
Toh wahi woh Nat ki baato se bhi achambhav me tha. Shayad maamla gambheer aur boht hi uljha hua tha.
Divya : Woh sab chorro. Ava... I mean Nat! Mujhe ye batao ki ye invitation tumhe kese mila aur tum ye kyu keh rahi ho ki ye maut ka invitation hai? Kya matlab hai tumhara iss baat se?
Nat : It's just as it sounds. Do you want to know why?
Divya : ???
Nat : Kyuki death ke pehle... Charlotte ko bhi ye invitation aaya tha.
Suhana : Huh? How did you kn--!?
Nat : Because she showed me a photo. Usse bhi same invitation aaya tha.
Suhana : So what? Iss se ye prove nahi hota ki Charlotte ki maut se iska koi connection hai. Right?
Suhana ki baat par Nat ek mazaakiya muskaan me usse dekhte hue sarr hilaayi jese maano Suhana ki investigation skills ki khilli udaa rahi ho.
Suhana : Wh-Whaaatttt? Y-You think mein bakwaas kar rahi hu? Huhhh? I can read gestures well okay? Are you mocking me? Huhh?
Iss se pehle ki woh aur bhadakti, achanak hi usse apni daayi jaangh par ek haath ka sparsh hua.
'????'
Dekha toh paaya ki Veer ka haath tha. Jese woh console kar raha tha usse shaant rehne ke liye. Hairaani ki baat ye thi ki ye tareeqa kaam bhi kar gaya. Suhana ekdum shaant ho gayi. Kahi na kahi, usse ye ehsaas accha lag raha tha. Veer ka usse aise support karna. Woh khush thi ki Nat jesi khubsoorat ladki ko dekhne ke baad bhi Veer ne apni team nahi badli thi. Woh abhi bhi uski team me tha. Nahi toh aksar aise mauke par ladke palti maar ke sundar ladkiyo ki chaatne lag jaate hai.
Par Veer alag tha.
Woh bagal se Veer ke chehre ko nihaarne lagi.
Aur idhar Veer ki nigaahein tiki zaroor Nat par thi par andar hi andar woh mann me,
'Pari!!!'
[Got it!]
*Ding*
[Basic Enemy Tracker is in use...]
[Tracking...]
*Ding*
[No enemies were found.]
'Hmmm!!! I see!'
Divya : Abhi bhi dots ko connect karne me mujhe problem ho rahi hai. Tum kehna kya chaahti ho?
Nat : What I mean to say is... Charlotte ko ye invitation aaya tha. She took a photo of it and then sent me. Lekin uske next din hi uski death ho gayi. Police searched for the details. But end me ek suicide case bana ke usse end kar diya. Ab same invitation mujhe aaya hai.
Divya : Toh tumhara matlab hai ki ye ek death trap hai?
Nat : Exactly!!!!
Suhana : Bakwaas! Hmph~ I'm sorry to say. But tumhari baato ka koi sense nahi bann raha hai.
Divya (frowns) : Kya tum iss Royal Klink ke baare me aur bata sakti ho kuch?
Nat : Mene jaan'ne ki koshish kii. I have some connections too. Par mujhe bas ek hi detail mil paayi hai.
Divya : I'm all ears. Fill me up!
Nat : Ek tarah ki party hoti hai. Usse hi Royal Klink ka naam diya gaya hai. You know? Wine glasses ko aapas me cheers karte hue... That kind of party... Log masks pehente hai idhar. Apni identity hide karne ke liye. That's it. Bas itna hi mujhe pata hai.
Divya : Hmm!!! Wine party... Royal... Huh!???? Wait!!!! Kya kaha tumne??
Nat : ???
Divya : Wine party???
Divya achanak hi hadbadaate hue Veer ko dekhi. Aur beshaq, Veer ki aankhein bhi hairaani ke maare feli hui thi.
Divya : V-Veeerrrr!!!!! Kya tum bhi wahi soch rahe ho jo mein soch rahi hu?
Veer (nods) : The thir-
Divya : Yessssssss!!!! The third one!!!! The third one!!!! Veeeerrrrr!!!!
Suhana : Huh? Ye tum dono...!?
Divya : Third criminal Suhana!!!! Third fucking criminal....!!! Jim, Nightwalker and now this.... Fuckkkk!!!
Suhana : Ahhh!!!?
Divya ne jese kuch bhaanp liya tha. Aur uska andaaza galat nahi tha. Kyuki Veer ne bhi ye bhaanp liya tha.
Wine!!! Royal!!! Inn do shabdo se hi Veer ko ek andaaza lag gaya tha.
Nightwalker kya karta tha? Drugs bech ke mehngi mehngi wines ka business. Aur woh wines woh kisi aur jagah bhejta tha.
Mehngi wines... Aur ab ye Royal Klink...
Kuch na kuch connection toh zaroor tha. Shayad paheli ki do dots ka yahi judaav tha.
Lekin tabhi,
Divya : No no no no noooooo!!! Noooooo!!!!
Divya sarr hilaate hue tension me aa gayi.
Nat : What is it?
Divya : Agar aisa hai toh... Shitttt!!!! Iska matlab ye seedha house of the killers se juda hua hai.
Nat : Wha-!? House of the killers?
Divya : Haan!!! Damn ittt!!! Fir ab ye ek private case nahi raha. Nat!! Hum pehle se hi ek boht badi gang of serial killers ke peeche investigation me lage hue hai. Aur jis hisaab se tumne details dii hai. I'm pretty sure ye house of the killers ka koi third member hi hai. What do you think Veer?
Veer (nods) : Hmm! I agree! Nightwalker wines kisi ko sell karta tha. Not to mention ki unme sabse mehngi se mehngi wines maujood thi. Aur royal klink ke naam se toh yahi maalum pad raha hai ki... Third member idhar se ho sakta hai.
Divya : That's right!!!! Nat! Ab ye case private nahi raha. Public ho chuka hai. So, you'll have to co-operate wi--
Nat : Not at all!!!!
Divya : Huh?
Nat : Mujhe apna naam criminal cases me nahi laana hai. That's the whole reason why I called you. Warna mein cops ko hi inform nahi kar deti seedha? I called you so that you could deal with it in private.
Divya : B-But... This matter is huge Nat... Aise me...
Nat : I can give you a hefty amount!
Nat ne ek taq jawaab diya. Amount shabd sunte hi Divya bhi chup reh gayi.
Divya : How much?
Nat : An amount which won't disappoint you!
*Silence*
Aur ek minute tak bas sannaata saa chha gaya.
Nat : Just don't involve my name in any of it. That's the only condition. So? Deal or not?
Suhana Divya ko hi ghoor ke dekh rahi thi. Idhar Divya ne ek lambi saans lii aur boli,
Divya : Done then! It's a deal!!!
Aur usne itna bola hi tha ki...
"You Bitcccchhhhhhhh!!!!"
Suhana zorr se bagal se chillaayi,
Divya : Wh-What???
Suhana : Fayda dikha nahi ki...
Divya : Shut up Suhana! Hmph! Dekho toh kaun bol raha hai? Khud toh harr samay profit hote hi apni gaa-- I mean... Apni jebo me thoos leti ho paise. Aur ab mujhe keh rahi ho? Hmph!
Suhana : Y-Youuuu!!!! Kya kaha tumne?? M-Mein iss tarah kisi ke kehne par...
Divya : What? Ab mirchi lag gayi haan?
Suhana : Fuck off bitchhhh!!!
Divya : Ohh shut the fuck up...!!!
Inn dono ki behas jese hi shuru hui toh Veer dono ke beech baithe jese chakki me gehu ki tarah pis raha tha. Usne ek lambi aah chorri,
'Pari!!!'
*Ding*
[Intimidating Presence has been equipped.]
Aur ye equip hote hi,
Veer : THAT'S ENOUGH!!!!!!!
Veer ne zorr se buland awaaz me kaha.
*Silence*
Ek ghanghor khamoshi chhaa gayi. Dono Suhana aur Divya sann hoke reh gayi. Intimidating Presence! Jesa naam wesa kaam. Veer ki Presence aisi ho gayi thi jese maano woh sabhi ek Raja ke saamne baithe ho.
Aankho me tej, baithne ka dhang, uske chehre ke bhaav, buland awaaz aur uska aura.
Sab jese unhe hairat me daal diya. Uska courage, wisdom, willpower, aur confidence sab 200% badh chuka tha.
Suhana : I... I...
Suhana ke muh se kuch nikal hi na paaya. Woh ekdum bakri ki tarah seedhi bann ke baith gayi.
Veer : Agar sab kuch ho gaya hai toh hume ab chalna chahiye.
Divya : R-Right!!!
Divya bhi thodi sehmi hui haan me gardan hilaayi aur Nat se deal final kar woh sabhi waha se uth ke baahar ke liye jaane lage.
Nat khud hairat me sab kuch dekh rahi thi. Ye hua kya tha abhi abhi?
Kherr! Jo bhi tha, bada hi vichitr tha.
Teeno hotel ke baahar aa chuke the. Aur Suhana Divya dono hi Veer ko chori chhipe dekh rahi thi baar baar.
Unhe andar se aisa mehsoos ho raha tha jese Veer me achanak hi koi naya shaks ghus aaya tha. Jese koi ek Raja ka... Ya ek badhshah ka... Ek supreme king ki personality jese...
Par harr fayde ke saath saath uske nuksaan bhi the.
Intimidating Presence Off nahi ho sakta tha. Ek baar lagaya toh iska effect poore samay rehta tha. Aur saath hi ab Veer 24 ghante ke liye Beowulf's Blessings equip nahi kar sakta tha. Ye ek duwidha zaroor thi.
Veer : What now?
Divya : R-Right!!! Nat ne invitation card mujhe diya hai. Address diya hua hai yaha. Mujhe abhi hi ek kaam karna padega.
Suhana : Ab kya??
Divya : Kisi se milne jaana hai. You can leave if you want. Take my car.
Suhana : Fine then!!! Main jaa rahi hu ghar. Mujhe wese hi neend aa rahi hai. It was too tiring for me. I'm leaving...!
Divya : Hmm! Ye lo keys! Veer!! Come with me! Hume ek jagah aur chalna hai.
Suhana : K-Kyaaa??? V-Veer?? Veer ko kyu? Kaha jaa rahi ho tum.
Divya : Kya hua? Mene kaha na ek kaam hai. Usse abhi hi karna hai.
Suhana : Haan! P-Par Veer ko kyu...!?
Divya : Arre? Veer rahega saath me toh accha rahega na. Wese bhi... A young hot woman... Strolling alone in Las Vegas... Yadi mujhe kuch ho gaya toh? Haan? Kaun jawaab daar rahega?
Suhana : Y-Youuuu!!!! Bitch...!!!!
Divya : Hmph! Go away now bitch! Nik bhi department se laut hi raha hoga. Ghar par koi rehna chahiye darwaza kholne ke liye. C'mon! Let's go veer!
Kehte hue Divya apni gaand matkaate hue mud ke chali gayi. Aur idhar Suhana apna muh fula ke usse bas gusse me dekhti reh gayi.
Jab usne Veer ko dekha toh bas uske nazdeek aayi aur uske kaano me dheere se boli,
"Don't let her eat you up!!!"
Aur bas, itna bol woh Divya ki car leke waha se ravaana ho gayi.
Veer muskuraate hue waha se mud Divya ke paas aaya aur dono cab kar kisi jagah chal diye.
Veer : So?
Divya : Kya?
Veer : Aapne Miss Natalia ki deal accept kar lii hai. Toh ab Investigation department se inn baato ko kese chhipaogi aap?
Divya : Mujhe karna kya hai? I can say anything! Keh dungi ki mujhe third criminal ke baare me pata lag gaya hai. Aur mene action bhi lena shuru kar diya hai.
Veer : Agar woh puche kese aur kaha se pata laga toh?
Divya : Keh dungi ki mujhe kisi ne bataaya tha. Gawaahi dene ke liye mere paas boht se log hai. Tum aur Suhana bhi toh ho unme se. Haha~
Veer : You...!!
Divya : Ab tum bhi uss nakchidi Suhana ki tarah bitch bolne waale the kya mujhe?
Veer : No!!! I was just... Surprised a bit.
Divya (smiles) : Mujhe bas department me itna hi batana hai ki third criminal ki khabar mil chuki hai. Detectives investigation me lag jayenge. Mere paas unhe ghumaane ke liye kayi tareeqe hai. At the same time, hum Natalia ki problem bhi solve kar denge. Mujhe mera fayda bhi ho jayega. Department ki taraf se fir alag paisa. That's what we call hitting two birds with one stone.
Veer uski harr baat sunn bas muskura raha tha. Toh aise inn mohtarma ne itna bada ghar banaaya tha. Waqai! Dimaag toh tha Divya me boht.
*Screeeeeeccccchhhh*
Gaadi ruki, aur dono Veer aur Divya baahar nikle.
Ek bar tha ye. Koi zyaada bada nahi tha. Lekin slot machines ek ke baad ek lagi hui thi. Aur kuch log abhi bhi lottery nikaalne me lage hue the.
Divya : Tum yaha mera intezar karo. Mein abhi aati hu.
Veer : You sure you don't want me in there?
Divya (winks) : I do want you inside! Hahaha~
Veer ko cherrte hue woh andar chali gayi. Double meaning jokes toh koi Divya se karwa le.
Andar jaate hi Divya ki nazar ek ladke par padi. Kareeb 28-29 ki umr ka prateet ho raha tha.
Divya uske sameep gayi aur usne uske kandhe par thap thapaate hue usse uthaaya. Shayad thodi beer pee rakhi thi usne.
Woh ladka utha aur Divya ko saamne dekh woh muskuraaya,
"Ohhh!!! Look who's here? Hahahaha!!! M-My dear Divi!!! Hehehe~"
Divya : Don't fuck with me Fred!!! I have a job for you! Are you interested or not?
Fred : Interested? Of course!! O-Of course I'm interested! Heh~
Usne Divya ko upar se neeche taulti hui nazro se dekha. Divya ki bauhe sikudi, par woh boli kuch nahi.
Uske baad Divya ne poori baatein bataayi aur pucha,
Divya : Now tell me? Can you do it?
Fred : How much Divi? Hehehe~ You know I charge a lot!!!
Divya : Much better than the last time. Now say?
Fred (surprised) : Ohhhh!!! Alright! You got me! Hehe~
Divya : Good!
Abhi wo palatne hi waali thi ki tabhi Fred ne uske gore gore kandhe par apne haath rakh diye.
Divya : What are you doiiinnnggg????
Fred : Heh~ Let's have some fun baby!
Divya : YOU FUCKER!!!! GET AWAY YOU BASTARD!!!! *kicks*
Fred : Arrghh!
Aur ek taang Fred ke perr par maar woh waha se palat ke baahar nikal aayi.
Divya : Fucking Moron... Bastard...!!! Dickhead...!!! Hmph!!!
Woh badbadaate hue baahar nikli toh Veer usse sawaliya nazro se dekha,
Veer : Kya hua?
Divya : Umm... N-Nothing!
Dono tahalte hue cab ka wait karne lage. Aur chalte chalte hi,
Divya achanak hi apni peeth Veer ke aage kar khadi hui,
Divya : Can you... Can you fix this?
Uski gori makhmali peeth Veer ke saamne thi. Woh apne gale me pehni hui chain ko fix karne ki baat kar rahi thi.
Veer ne apne haath aage badhaaye. Par jese hi uske haath Divya ki peeth se sparsh hue,
*Ding*
[Mystic Touch has been triggered.]
'Ehhh!?'
"Nnnnhhhhhhhggghhhh!!!!"
Ek loud moan Divya ke muh se nikli.
"Ahhhh!!!!" Ekdum bhauchakii sii hote hue usne apne muh par dono haath rakh apni awaaz roki. Par Veer ne sab kuch sunn liya tha.
'Ohhh!!! Fuckkk!!! Mystic touch? Iss samay? Fuuuckkkk!!! Why now?'
[Enjoy! Hahaha~ ]
Iss baar Divya ke gaal surkh laal ho rakhe the. Upar se Veer ne Intimidating Presence bhi equip kar rakha tha.
Woh Veer se alag hone ke liye palti, par usse dhakelte samay jese hi uska haath Veer ke seene par pada...
"Nnnnghhhhhh!!!!!"
Seene ki garmaahat usse madhosh kar baithi. Uska haath Veer ke seene se alag hi na hua.
Divya : What's... What's happening to me?
Uski aankhein ekdum nasheeli ho rakhi thi. Aur woh jhukte jhukte Veer ke chehre ke qareeb aati jaa rahi thi.
Divya : N-Nooo! I... I can't... I can't let this happen... V-Veeeerrr!!!
Woh uske gaal se lag gayi.
Aur agle hi pal,
"Mmmmmphhhhhhhhh!!!!!!?!!"
Divya ke gulaabi raseele honth Veer ke hontho se jaa lage. Labo ka labo se sparsh hote hi Divya ka poora jism thitur utha.
Veer ne bhi fir ek pal na gawaaya, uski patli kamar ko apne haatho me jakad usne Divya ko poori tarah se apni baaho me jakad liya.
*Slurp* *slllurrrrppppp*
"Mmmmmmm~ Nnnnghhhh!!!! Aaaaaahhhhhhh!!! Ssssssss~"
Aur dono iss meethe aur thode geele chumban me kho gaye. Haath me jab Divya jesi maal aa rahi ho toh Veer kese peeche reh sakta tha?
Uske haath bhi Divya ke badan ki mashoor jagaho ko khojne me nikal pade.
Par tabhi,
*Ding*
[Mission : Assassinate the Pitcher.
Rewards : 1) ???? points.
2) ??? Fame Points.
3) 1 Random scroll.
Time Limit : 2 days.
Mission Failure Penalty : 1) ??? Points deduction.
2) Mystic Touch will be removed.]
Aur Veer ke mann se bas yahi nikla,
'Ah!!! Shittttt!!! Here wo go again!!!!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Apna apna kaam karne ke jaane ka men. Likes thokne ka aur revos rakhne ka. Aur saath bane rehne ka.
Dhanyavaad!
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईMega UpdateAb tak...
[Yes! One more! I think I'm getting too kind. Right?]
Update - 75 ~ I'm Coming for you!!!
[Contains gore related scenes. Proceed accordingly!]
Aur rasta aisa tha ki chaah ke bhi Veer aur Karan uski gaadi ko overtake kar usse rok nahi sakte the.
Par Veer ke hontho par muskaan thi. Wo confident tha.
Kitna bhi kyu na bhaag le Slogan, aaj uska ant nishchit tha. Wo isliye kyuki...
Upar halke ghane badlo me jo chamak kar apni roshni bikher raha tha. Wo tha...
FULL MOON!!!
Ab aage...
"Nahiiii!!! Nahiiiii!!! M-Mein... Mein yaha nahi marr sakta. Who can kill me? Mein SLOGAN hu. SLOGAN!!!! Mujhe jald se jald udhar pohuchna hoga."
Slogan ke haath iss waqt bhay ke maare kaanp rahe the. Aaj kya din aa gaya tha uska. Peeche baithe uske do chele cross firing kar ke usse bachaane ka prayaas toh zaroor kar rahe the. Par unki guns ki magazine me bullets limited hi thi. Isliye harr bullet wo soch samajh ke hi fire kar rahe the. Ek bhi bullet bekaar na jaani paaye. Warna iska nateeja boht hi ghaatak ho sakta tha unke liye.
Raasta idhar thoda sakra tha, aur Slogan ki car ke peeche kareeb kareeb 20 se 25 gaadiya lagi hui thi.
*BAAANGGGG*
*BAAANGGG*
Issi chase me beech beech me dono taraf se firing chaalu thi. Bas dikkat ye thi, ki Karan ki hi car ki tarah Slogan ki car bhi sturdy thi. Warna ab tak toh dhamaaka ho jaana tha usme. Of course, car me damage ho raha tha, par uss hadd tak nahi ki Slogan ko roka jaa sake. Not to mention ki Slogan ke saathi bhi firing kar rahe the. Isliye, car ko ekdum paas le jaana khatarnak tha aur jaanlewa bhi.
Wahi, Steve ki ye badqismati thi jo usse SNIPER ka shikaar hona pada. Ek sniper ki firing range athwa firing power, dono hi normal guns se zyaada hoti hai. Yahi kaaran tha ki car sturdy hone ke bawajood, Steve ke liye wo Sniper ki bullet nahi rok paayi. Aur nateeja!??
Uski dardnaak maut!!!
Uska sarr kisi tarbooj ke maafiq phata tha. Harr jagah laal laal khoon bikhar gaya tha andar car me.
Yaha tak ki Slogan ke khud ke chehre aur uske kapdo me Steve ka khoon abhi bhi laga hua tha. Uske paas zara bhi samay nahi tha ki wo driving seat se hatt ke passenger seat par aa sake.
HE WAS GETTING CHASED!!!
Aaj ye din dekhna pad raha tha usse.
'Shaant Sanjeev!!! Shaant!!! Abhi tera poora lakshya baaki hai. Aaj tu yaha nahi marr sakta. Wo bhi inn jaiso ke haatho? Tch!!! Bas... Kese bhi kar ke ek baar waha tak sahi salaamat pohuch jau. Fir dikhaata hu inko. Kaun hai asli boss!!!'
Usne sochte hue car ki speed aur badha dii.
*VROOOOOOOMMMMMM*
Wahi dusri orr,
"Shit!!! Ye road kesi hai? Overtake bhi nahi kar sakte. Aur zyaada speed me gaye toh uss se bhid jaenge. Oye! Jassi!!! Kuch bol!!!"
Raghu ne yaha kheejte hue Jassi se bola, jo drive kar raha tha.
Jassi : Hmm~ Hamaare paas aur koi chaara bhi toh nahi hai. Peeche se hum fire hi kar sakte hai. Par hum apni bullets barbaad bhi nahi kar sakte zyaada. Mujhe yakeen hai Slogan ne kuch plan bana ke rakha hai. Wo careless insaan hargiz nahi hai. Zaroor wo hume apni territory ke andar le jaana chaahta hai. Usne jaal biccha ke rakha hoga.
Raghu : Toh aise me toh hum uske bicchaaye jaal me fassne jaa rahe hai. Hume kuch karna hoga na?
Jassi : Kya kar sakte hai hum? Kya hamaare paas follow karne ke alaawa aur koi option hai?
Raghu : Damnn ittt!!!
Raghu jaanta tha ki wo iske alaawa aur kuch nahi kar sakte the. Lead Slogan ne leke rakhi hui thi aur wo hargiz bhi kisi bhi car ko apne nazdeek aane nahi dene waala tha.
Jassi (frowns) : Par...
Raghu : Par kya? Bol Jassi!!
Jassi : Par mujhe kuch theek nahi lag raha hai. Meri gut feeling keh rahi hai ki kuch boht hi khatarnaak plan kar ke rakha hai uss Slogan ne.
Raghu : Toh hume jald hi aur help bulaani chaahiye.
Jassi : Hmm~ Tumne sahi kaha. Security team ko message bhejo ki hume copter aur zyaada se zyaada aadmiyo ki zaroorat hai. Jitne zyaada ho utna behtar hai. Hum yaha risk nahi le sakte. Aur... Hamaari location bhi bhej do. Unse kehna track karte rahe. GPS ON hai. Wo copter team ko hamaari location share kar denge.
Raghu (nods) : Hmm!
Raghu ne wesa hi kiya jesa Jassi ne kaha.
Wahi idhar Veer aur Karan ekdum sabse peeche the apni car me. Jassi aur team ke aa jaane ke baad, unki car majbooran sabse peeche reh gayi thi. Aur ab wo chaah kar bhi aage nahi jaa paa rahe the.
Karan : What the fuck is wrong with that guy? Akhir wo hume le kaha jaa raha hai??? Ye road mujhe bilkul bhi nahi lagta ki cars ke liye hai. Itni sunsaan aur upar se dusri side se ek gaadi tak nahi aa rahi hai. Bas abhi tak chuninda 2 se 3 hi nikli hai dusri orr se.
Karan kaafi derr se apna gussa dikhaaye jaa raha tha. Aur uska gussa jaayaz bhi tha. Wahi dusri orr iss baar Veer shaant tha. Aur uske hontho par muskaan thi.
Upar aasmaan me Full Moon chamak raha tha. Aur, Veer se behtar bhala uss sanket ko kaun pehchaan sakta tha?
Veer ke muskuraane ke peeche ka ek hi kaaran tha.
BEOWULF'S BLESSINGS!!!!
Quest Hunt ka Legendary card.
Par ye khaas baat nahi thi. Khaas baat thi, uske description me dii gayi aakhiri ki do lines.
Percentage will get doubled.
DOUBLED!!!!
Yaani ki Veer jo Slogan se pichli baar bhida tha. Tab uske senses 60% badhe hue the. Aur 50% badhottri, Agility, Healing, Speed, aur Reflexes me thi.
Par...!
Iss baar? Iss baar wahi percentage double hone waale the. Matlab ki...
120% increase in senses. 100% increase in Agility, Speed, Healing, and Reflexes.
Aur ye sab... Upar aasmaan me chamak rahe uss Full Moon ke kaaran tha. What a fucking Legendary Card!!! Aaj Beowulf's Blessings apni poori capability dikhaane waala tha. Dikhaane waala tha ki wo aise hi nahi Legendary card tha. Veer aaj darr nahi raha tha. Nope! Instead, he was excited. Uske andar ka adrenaline usse aaj garda machaane ke liye uksaa raha tha.
Na jaane kitne dino se usne kisi se ladaayi nahi kii thi. Uske haath kulbula rahe the. Waapas se usse wahi josh aur rush feel karna tha. Jab tak saamne waala strong na ho, toh mazza kesa?
Apne haath me wo knife ka stab, kayi saare gundo se uski pitaayi, aur Kaera ka rota hua chehra. Inn sab ka badla bhi toh lena tha aaj Veer ko. Chun chun ke, ek ek paayi ka hisaab chukta karna tha aaj usse.
AN EYE FOR AN EYE!
A TOOTH FOR A TOOTH!
***
Chase abhi bhi chaalu thi. Aur mod aise aise aa rahe the ki cars drift maarne aur skid hone par majboor ho rahi thi.
Karan : Shhhiiiittttt!!!!! Yadi ek bhi car ko beech me kuch hua. Then... That will be troublesome.
Veer ke mann me pal bhar ke liye aaya ki wo yaha se hi gun se ek aim lagaaye aur Slogan ki car ke essential part ko uda de.
Akhir uske paas wo bhi toh thi...
HAWKEYE!!!
Aim bigadne ka koi sawaal hi nahi tha. But then again, uske saamne 20 se 25 cars thi. Aur Slogan ki car toh usse dur dur tak theek se nazar bhi nahi aa rahi thi. Kaash, wo uske just peeche hota. Yadi aisa hota, toh Slogan toh bas gaya tha fir.
Veer ne apni kamar par haath ferra aur uss cheez ko mehsoos kiya.
GLOCK 19!!!!
Usse apni kamar par mehsoos karte hi Veer ko uss shaks ka dhyaan aaya jisne usse ye gun dii thi.
"Ye lo! Tumhaare kaam aaegi!!"
"Huh? Y-Ye!!?"
"Aise kya dekh rahe ho? Kya pehle kabhi asli gun dekhi nahi? Mein tumhe ye sirf ek raat ke liye hi de rahi hu. You MUST return this after your hunt."
"I see~"
"I won't give any magazines. It's already loaded. Sirf self defence ke liye hi de rahi hu. Aur dhyaan rahe, bhul ke bhi ye tumhaare haatho se ghumni nahi chaahiye. I have the licence. You don't!! Yadi ye sahi salaamat kal mere haatho me nahi mili na. Toh mujhse bura koi nahi hoga. You got it?"
" *Smiles* Got it!!! Thanks!"
"Go now!!! And..."
"Hmm?"
"B-Be safe..."
" *smiles* Yeah!!"
Do raat pehle hue iss conversation ko yaad kar, Veer ke chehre par muskaan apne aap aa gayi.
Of course, ye gun ussi ne toh dii thi.
SUHANA!!!
Who else if not for her???
Uske alaawa aur kaun ho sakta tha? Aur ab Veer ko poora yakeen ho chuka tha. Ki, Suhana has killed someone in the past. Warna uske paas ye gun na hoti. Keval self defence ke liye Suhana gun rakhti hai?
Of course, It was a lie!
***
20 se 25 minute guzar chuke the par Slogan ko wo sabhi na rok paaye. Kaaran tha route. Slogan shayad iss route se familiar tha. Usse harr jagah par kese gaadi ko nikaalna hai aur kitni speed me nikaalna hai, bakhubi rata hua tha jese.
'Hahahahaha~ Apni maut ko khud anjaam dene waale ho tumlog aaj. Khaas kar tum... Veeeerrr!!! Tujhe toh mein apne haatho se maarunga aaj. Aur aaj wahi pe... Ussi jagah par... Tere haath se aaj firse Kaera mere changul se nikal gayi. Warna aaj toh mein.... Shiiitttt!!!! Bas... Bas mein pohuch gaya...!!'
Slogan ne apne aap ko mushqil se adjust kar jeb se phone nikaala aur kisi ko phone lagaaya.
*On call*
Slogan : Sab... Tum sab taiyaar raho. Mere peeche kareeban 20 se 25 gaadiya lagi hui hai. Ek ek ko bhoon dena. Sabse aage mein hu. Dhyaan rahe, mere nikal jaane ke baad hi firing start karna. Positions le lo. Plan me changes hai.
Recieving end se : Jii Dada!!! Abhi sachet kar deta hu sabhi ko...
*Call ends*
Aur Slogan ki car achaanak hi aisi jagah se guzri jaha ghapp andhera tha.
Road ke daayi taraf jaha poora ghana jungle tha toh wahi baayi taraf halki halki uchi chotiyaa. Aise time par bas yahi dua thi ki inn chotiyo par landslide na hoye.
Jese hi Slogan ki car andhere me gaayab hui. Jassi ke aage chal rahi car bhi peeche peeche gayi.
Par, isse ab jassi ka tajurba kahe, ya antargyaan!? Usne agle hi pal apne peeche aa rahi sabhi cars ko rokne ke liye apna haath baahar nikaal ke ishaara kar diya. Kuch gadbad thi.
*Scrrrreeeeeeeccccccchhhhh*
Skid maarte hue ek ek car sabhi cars rukne lagi.
Aur tabhi...
*Booooooooooooooommmmm*
Jassi : Huhhhh???
Raghu : !!!!!!!!!!??
Jo car Jassi ke aage chalte hue Slogan ko follow karte hue gayi thi wo agle hi pal...
Ek tezz dhamaake me udd chuki thi.
Itna zorr ka blast hua, ki peeche car me maujood Jassi aur Raghu samet baaki sabhi ki pal bhar ke liye rooh kaanp gayi.
Raghu ne ek nazar Jassi par daali aur mann me hi usse shukriya adaa kiya.
Yadi Jassi ne sabhi ko roka na hota toh? Unka bhi shayad yahi hashr hota. Soch ke uske poore shareer me goosebumps aa gaye.
Par unke do saathi maare gaye.
Raghu : That Bastardddd....
Jassi aur Raghu aur baaki sab kaafi peeche the. Isliye unhe surety nahi thi ki ye blast firing se hua tha ya fir...!?
Jassi (frowns) : Ye ya toh firing se hua hoga, ya fir...
Raghu : Huh? Ye mat kehna ki... *gulps*
Jassi (nods) : LANDMINE!!!
Raghu : Haaaahhh???? P-Par... Par Slogan bhi toh wahi se guzra...
Jassi : Bhulo mat Raghu ki ye uski hi territory hai. Woh yaha ke poore geographical terrain se waaqif hai. Hum nahi!!! Usne jaan boojh ke wo mine set karwa ke rakhi hogi.
'Tch!!! Pehle rocket launcher! Aur ab landmine... Slogan ko inn weapons ki access kaha se mili??' Jassi ne mann me socha.
Raghu : Par... Par kese!? Road itni bhi chaudi nahi hai kii... Usne ye bhi nahi kiya hoga ki tyres ke beech me se hoke wo mine ko paar kar jaaye. Itna calculated risk nahi lega... Fir... Kese...
Tabhi Jassi ki nazar daayi taraf maujood jungle ki orr gayi. Aur uske dimaag me kuch click hua.
Jassi : Tum sahi ho!
Raghu : Huh?
Jassi : Wo uss andhere ka fayda utha ke, seedha nahi gaya... Balki...
Raghu : !??
Jassi : Balki usne gaadi ghuma dii. Apni daayi taraf dekho...
Raghu : Iska matlab!???
Jassi : Hmm~ Jungle ke andar car ghused dii usne. Aur kyuki, hamaare saathi ne andhere me ekdum se car seedhi badhaayi, badqismati se uski car ka tyre mine par aa gaya.
Raghu : Wo... Haramkhor.....!!!!! Damn ittt!!!
Jassi : Car se utro!!
Raghu : Huh? Par...
Jassi : I'm sure ki waha jungle ki orr dherr saare aadmi maujood hai. Yadi hum aage jaate, toh ho sakta tha ki aur bhi mines hoti. Aur yadi nahi bhi hoti toh... Hume goliyo se bhoon diya jaata.
Raghu : Toh hume ab gang fight leni hogi. Right? Car ko cover ki tarah use karte hue hume aage badhna hai. Hai na?
Jassi : Hmm~ Slogan andar gaya hai jungle me. I'm sure, yadi yaha aadmi hai dherr saare, toh usne andar camps bhi banaaye honge. Hume ek path banaana padega. Safe path! Hum Slogan ko aaj kisi bhi haalat me bach ke jaane nahi de sakte.
Raghu : Of course~
Jassi : TEAM!!!! Baahar aao! Hume yahi se aage badhna hai. Dhyaan rahe. Bina cover ke fight nahi leni hai. Hamaare dushman ujaale me hai aur hum andhere me. Dusre shabdo me... Unhe hamaari postion pata hai. Par hume unke baare me kuch nahi pata. Kya hathiyaar hai unke paas, kitne log hai aur kaha par hai. Hum kuch nahi jaante... Par...
Car se utre sabhi aadmi Jassi ki baat dhyaan se sunn rahe the. Par unhe Jassi par bharosa bhi tha. Kyuki, wo ek qaabil gang leader tha.
Jassi : Par... Just follow me!
"Yessss Siiirrrr!!!!" Aur sabhi ne eksaath jawaab diya.
Jassi : Let's move!!!
***
Wahi Veer aur Karan jese hi peeche se sabhi ke paas pohuche toh unhone paaya ki saari gaadiya ruki hui thi. Karan ne confuse hote hue car slow kar dii. Par Veer ko already sab pata tha.
Steve marr gaya tha toh kya? Slogan ke peeche baithe wo do haraami toh maujood the na car me?
Veer ke chehre par qaatilaana muskaan thi.
BASIC ENEMY TRACKER!!!
*Beep* *Beep* *Beep* *Beep*
Laal bindu uske mann me map me chamakte hue SLOGAN ki poori location bayaa kar raha tha. Ya yu kahe ki Slogan ki nahi, uske saath peeche baitho unn do lafango ki. Par, ultimately Slogan tha toh unn do chutiyo ke saath hi.
'So he went inside that forest huh?'
[Yeah!!! Looks like it! Sambhal kar badhna!]
'Hmm~'
[There might be many inside.]
'Yeah!!!'
Aur tabhi,
*BANNNGGGGGG*
*BAAAAANGGGG* *BAAAAAANGGG*
*BAAAAANGGG*
Karan : What the~!? Don't tell me... Raghu aur Jassi fight le liye...!
Veer : Karan!
Karan : Huh?
Veer : Gaadi mujhe do. Tum baahar utro!
Karan : Wh-What??
Veer : Hmm~ Mujhe andar jaana hoga. Andar jungle me. Slogan wahi hai.
Karan : Whaaattt? Wait wait!! T-Tumhe kese pata? N-Nahi...! Wo chorro! Mein tumhe akele andar jaane kese de sakta hu? It's too risky. Hum milke yahi Raghu aur Jassi ka wait...
Veer : Karan!!!
Karan : Huh???
Veer (smiles) : Trust me!!!
Karan : ....
Veer (smiles) : I'll come back!!!
Kehte hue Veer ne apni fist aage kar dii!!
Fist bump ke liye.
Karan : Ehh? Nahiiiii! Wh-What the~!? Tumhe iski padi hai? No way! Mein aise kese...? Aur aise tum kisi action film ke hero ki tarah mujhe kyu dekh rahe ho jo ending scene me apni jaan dene jaa raha hai? Haan? Fuck! I can't...
Veer : You want us to be friends right?
Karan : I...I...
Veer : Then trust me... I'll come back! After all, I promised. Didn't I? Ki Miss Kaera ki help karunga.
Karan : That... *sigh*
Aur haar maante hue Karan ne Veer ki fist se apni fist bump kii.
Karan : Fine... Par... Meri baby ka dhyaan rakhna.
Veer : Huh?
Karan ne apni blue mulsanne ki orr ishaara kiya.
Veer : Ohh! You mean ye car... Alright! Don't worry! Now... I need to go!
Karan (nods) : Take care...!!!
*Vrrrrrroooooooommmmmm*
Par Karan ka jawaab ab aur dene ke liye Veer ke paas samay nahi tha. Usne forun hi gaadi ko race diya aur gaadi daayi aur modte hue ghumaa dii aur seedha car ko andar uss jungle me ghused diya.
Karan ko saath na laane ke do hi kaaran the. Pehla toh yahi ki Veer ko uski jaan ki parvaah thi. Wo firse apna naya dost nahi khona chaahta tha. Aur dusra yahi ki...
Karan Kishor ka ekmaatr beta tha!!!
Jo aadmi copter se leke, hathiyaar, aur itne aadmi bhej de. Jiski Kaera jaisi ladki ho. Usse yadi pata chalega ki uska beta maara gaya toh woh kya karega? Veer sochna bhi nahi chaahta tha abhi.
Aur car ko unn do laal binduo ki taraf badha diya usne.
Jungle toh jungle tha. Jaha se ghus jao waha se andar jaa sakta tha aadmi. Saamne road se lage hue hi Raghu aur Jassi fight le rahe the. Par idhar Veer unn sab ki nazro se bach ke peeche se hi andar ghus chuka tha.
Idhar andar...
Jagah jagah camps lage hue the. Saaf zaahir tha ki Slogan ne aadmiyo ko iss raat ke pehle hi yaha shift karwaa diya tha. Kaafi lambi planning thi. Yadi, Balhaar ne Veer ka saath deke plan flop nahi karwaaya hota toh aaj Kaera...
'Today!!! I'll take him down!!!'
Sochte hue Veer ne apni mutthi kass lii.
Slogan aur uske do chutiye jaise hi car me camps ke nazdeek pohuche, unhone dekha ki,
Chaaro taraf andhera hi andhera tha. Yadi kuch dikhaayi de raha tha toh bas chaand ki roshni me hi de raha tha. Camp ke nazdeek aag pehle se jal rahi thi shayad. Kyuki, halka halka dhuaa ab bhi usme se nikalta nazar aa raha tha. Shayad issi jagah par aadmiyo ne khaana paka ke bhi khaaya tha.
Par abhi wo zaroori nahi tha.
*THUD*
Car ka door gusse me band karte hue Slogan camp ke paas baithe ek vyakti ke paas jaane laga.
Aur poore camp me keval yahi ekmaatr vyakti tha jo yaha maujood tha. Wo tha...
MATTHEW!!!!
SLOGAN dwaara baahar se mangaaya gaya teesra Assassin!!!!
Dexter aur ek anya Assassin ko pehle hi Slogan tasks de chuka tha. Mirror gallery ke waqt. Jo ki ek failure tha. Par ab tak Matthew ko nahi. Kyuki, Matthew unn teeno me se sabse mehnga aur sabse skilled Assassin tha. Yahi kaaran tha, ki Matthew ko Slogan baahar nahi bhejta tha. Apni safety ke liye rakhta tha.
Slogan : *huff* *huff* *huff* Plans... Plans have changed.
Matthew : What is it? You are here?
Slogan : Yes!!! THOSE MOTHERFUCKERSSS~!!!!
Matthew : So? Fight has started?
Slogan : Already!!!! F-For now... I'll be here!!! It's... It's safe here...!!!
Aur abhi usne itna hi bola tha ki...
*Vrrrrrrrooooommmmmmmm*
Slogan : !!!!!?????
Kuch hi duri par ek car seedha andar aake ruki. Jo kiski thi, ye toh andaaza lagaana mushqil nahi tha. Slogan ke liye par bhalaayi raha ho.
Car me Veer ki smile distorted ho chuki thi. Kitna hi kyu na bhaag le Slogan. Jab tak wo unn do namuno ke saath tha...
HIS DEATH WAS FOLLOWING HIM!!
'Hehehehe~ Run all you want!!! I will come for you!!!'
[Y-You sound scary!!! T-Tum theek toh ho na?]
Par Pari ke prashn ka jawaab na mila usse. Aaj Veer abnormally excited tha. Isliye Pari ko chinta ho rahi thi. Kahi Veer ko khoon karne ka nasha toh nahi chadh gaya, Aatish ko maarne ke baad se? Aisa bhi ho sakta hai ki Alpha trait function ke kuch asar ho?
Pari ne soch liya tha ki wo jald hi Veer se iss matter par baat karegi. Par... Wo jaanti thi ki baat karne ka mauka shayad abhi lambe antraal ke liye nahi aane waala tha. 120 EXP more to go. Usse yaad tha ki bas itni hi EXP aur needed thi. System ko level up hone ke liye. Aur shayad, aaj ke iss mission ke baad. Ye complete hone waali thi.
Aur tabhi Veer yaha car se nikla...
*THUD*
Slogan ko ab yaha tak ki uss car ke door band hone ki awaaz bhi sunaayi dii. Par...
Car ki headlights band hote hi, Slogan ki samajh me nahi aa raha tha ki kaun hai woh insaan.
Uske khatre ki ghanti baji aur wo forun chillaaya,
Slogan : Guard me!! Guard me nowwwww!!!
Uski guhaar sunte hi, Matthew aage aake saamne aa gaya. Usne achanak hi apni kamar par tange night vision goggles nikaale aur apni aankho par chadha liye.
Assassin tha woh. Harr samay taiyaar rehta tha. Uske saare hathiyaar ekdum taiyaar the. Aur wo, car se nikle dur khade uss shaks ko hi dekh raha tha apne googles se, jo raat me dekhne ke liye uske kaam me aa raha tha.
Matthew : Show yourself!!!!
*CLICK*
Bolte hue usne apni handgun bhi cover se baahar nikaal ke apne haatho me le lii, jo ki already fully loaded thi. Uska aim Veer ke direction ki orr hi tha. Par, Veer kahi nazar nahi aa raha tha. Kisi ek ped ke peeche shayad chhupa hua tha.
Aur Matthew sahi tha. Veer car se nikalte hi ped ke peeche chhipa hua tha. Yadi fight leni hai, toh area ka jayza lena zaroori tha. Pari ne usse abhi raaste me samjhaaya tha.
Veer, ek scanner ki tarah area scan kar raha tha. Kahi aisa toh nahi koi aadmi chhup ke aim laga ke baitha ho? Yadi aisa hua toh ye deadly ho sakta tha. Isliye, area ko scan karna zaroori tha.
Veer ko khud ab dekhne me taqleef ho rahi thi. Isliye...
'PARIIII!'
[Got it!!!!]
*Ding*
[Beowulf's Blessings has been Turned On!]
Aur agle hi pal, pehle ke hi bhaati, Veer ki saasein tezz ho gayi. Seena zorro se upar neeche hone laga. Wo bhaari maatra me saas andar baahar kheechne laga. Aankho me laali chhaane lagi.
Dil ki dhadkan tezz ho gayi, pulse badh gayi aur usse aas paas ka harr ek sound boht hi clearly sunaayi dene laga. Yaha tak ki camp ke paas bhuji wo aag... Uski mehak bhi, Veer itni dur se smell kar paa raha tha.
Uske senses 120% badh chuke the.
INCLUDING HIS VISION!!!!
Iss se pehle Veer ko raat me itna clear nahi dikha tha. Aisa lag raha tha wo koi ullu ban gaya hai. Usse sab kuch itna saaf nazar aa raha tha.
Aur sabse khaas baat. Veer ekdum fit tha. Iska matlab iss baar...
Wo Beowulf's Blessings ko aadhe ghante se bhi zyaada derr tak maintain kar sakta tha.
Wo dheere dheere aage badha... Pedo ke sahaare khud ko chhipaate hue.
Uska haath kamar par apni gun par gaya. Yadi ye pehli baar hota toh Veer gun par dhyaan hi nahi deta. Aur seedha rush maar deta. Par, wo iske pehle hi ek baar Beowulf's Blessings ko use kar chuka tha. Iss baar isliye kaafi hadd tak wo controlled tha pehle ke muqaable. Par, still... Poora controlled hargiz nahi.
*Scruuuncccchhhh*
Zameen par bikhre pattjhad ki sookhi pattiyo par jab Veer ke kadam pade, toh awaaz huyi. Aur awaaz ko follow karte hue jese hi Matthew ne dekha toh usne paaya ki Veer kamar se gun nikaal raha tha.
Matthew (shouts) : HE HAS THE GUN!!! TAKE COVER!!!
Par usse bolne me thodi derr ho gayi...
*Ding*
HAWKEYE
*BAAAAAAANGGGGGGG*
*BAAAAAAAAAANGGGGG*
Ek jhatke me Veer ke haath me maujood uss gun se do shots nikle aur...
*SPLUUURTTT*
*SPLUUURTTTTTT*
Wo do aadmi, jo open me khade the. Unka bheja khul chuka tha. Bullet seedha jaake maathe ke beecho beech skin ko phaadte hue ghus gayi!!!
Aur dono hi dhadaam se zameen par agle hi pal laash ban gaye.
Slogan jo Matthew ki baat sunn forun hi ped ke peeche chhup gaya tha. Uske chehre se rang udd chuka tha.
Par wo do aadmi, open me the. Nateeja? Unki maut!!!
Yadi Veer iss state me na hota. Toh wo definitely unhe jaan se nahi maarta. Par...
Iss state me toh jese, Veer koi alag hi insaan tha. Hontho par se uske wo muskaan jaa hi nahi rahi thi.
Unn dono ko ek baar me usne maar diya. Kya galti thi unki? Of course, thi na galti.
THEY WERE STANDING BESIDE SLOGAN!!!!!
Matthew : Run away! Get to a safe location. He seems dangerous. I'll deal with him.
Slogan : A-Alright!!!!
Aur Slogan agle hi pal kuch soch ke jungle ke aur andar bhaagne laga. Baahar jaana toh khatre se khaali nahi tha. Goliyo ki halki halki aati awaaz hi bata rahi thi ki waha jung chal rahi thi.
Fir kaha jaaya jaaye? Ek hi option tha. Andar ki orr!
Wese bhi wo iss jungle se boht acche se waaqif tha. Itna ki uss se behtar shayad hi koi iss area ko jaanta ho. Aur ho sakta hai, uske andar jaane se, jo koi bhi uska peecha kar raha tha wo darr ke maare andar na aaye. Isliye yahi best choice thi.
Slogan ko bhaagta dekh, Veer ne usse maarne ke liye aim kiya. Aur,
*Ding*
HAWKEYE
*BAAAANGGGGGG*
Aur ek bullet jaake seedha uske haath par lagi.
"Aaarrghhhhh!!!!!" Wo chillaaya par ruka nahi.
Veer ne firse aim liya. Par iss baar Matthew ne cover fire dete hue Veer ko aisa karne na diya.
Uske baad bas firing ka silsila shuru ho gaya. Veer yaha se fire karta toh jawaab me Matthew waha se. Aur dono hi cover liye hue the.
Bas intezaar tha dono ko. Kiski magazine pehle khatam hoti hai.
Matthew ke paas kuch magazines extra thi. Par Veer ke paas nahi. Glock 19 me 15 bullets aati thi. Aur ek uske chamber me rehti thi. Yaani ki total 16 bullets. Jisme se 2 toh pehle hi khaali ho chuki thi. 1 Slogan ko abhi maari, Aur Veer ne ab 9 Matthew par fire kar dii thi.
Now... He was left with only 4!!!
HAWKEYE ke istemaal se ab tak Matthew ko bullet lag jaani chahiye thi. Baat ye nahi thi ki HAWKEYE me kuch fault tha. Baat ye thi ki jese hi bullet muzzle se nikalne waali hoti thi, Matthew duck kar leta tha. Aur nateeja... Wo bullet waste chali jaati thi.
Veer ne gun andar rakhi. Yadi aise hi chalta raha. Toh uske Beowulf's Blessings ka samay khatam ho jaane waala tha.
It was time for a bloody physical fight!!!
Aur agle hi pal...
*Swwwooooooossshhhhh*
Matthew : HUH???
Veer ek jhatke me hawa ke jhoke ki tarah apni position se gaayab ho gaya.
Wo seedha side se Matthew ki orr badha. Aur matthew ko ye abhaas hote hi uske poore shareer ke raungte khade ho gaye.
SOMETHING WAS COMING AT HIS WAY!!!
*Schhliiingggg*
Matthew ne apni knife nikaali. Aur night vision goggles ke sahaare wo harr jagah dekhne laga. Close combat me... Knife was better than a gun!!!
Aur tabhi...
Apne peeche se usse zorr se kisi ke aane ki awaaz aayi. Unn bikhre hue patto ke kuchle jaane ki...
Wo palta aur...
*BAAAAAAAAAMMMMMMM*
Ek kick seedha aake uske torso par lagi...
"Gwaaakkkhhhhh...!!!" Muh se thook nikla uske aur wo hawa me udte hue peeche jaa gira.
Veer ki agility itni zyaada thi ki wo defend karne me late ho gaya.
Wo utha usne gun se aim kiya...
*Whooooossshhhh*
"H-Huh!???"
Par ek baar fir Veer apni jagah se gaayab ho gaya.
Matthew harr taraf dekhta raha. Par kahi bhi Veer ka nishaan na mila. Sab kuch shaant sa ho gaya jese.
Matthew : Shitttt!! Show yourself!!!!
Uske chillate hi...
Achanak hi usse jese ek kampan mehsoos hua. Aur agle hi pal usne apne upar dekha. Upar dekhte hi uske chehre se uska rang udd chuka tha.
Veer ped ki daali par ulta latka hua tha. Aur usse hi ghoor raha tha. Uski bloodshot eyes... Matthew par hi focused thi. Aur hontho par wahi muskaan saji hui thi.
Matthew : Y-Youuuu!!!
*BAAAANGGGGGG*
Usne fire kiya par target miss ho gaya. Veer seedha neeche ek jhatke me aaya aur ek tezz tarraar laat Matthew ke face ki orr aayi.
Matthew : You think I don't know how to fight a close combat??? Hmph~
Matthew ne block kiya, Veer ke perr ko pakda aur usse kheech usne ek zordaar force se uske chehre par punch land karna chaaha.
Par ye dekhte hi Veer ka sarr apne aap uske badhe hue reflexes ke chalte hawa me hi, jhatke se neeche ho gaya.
*Whooooossssshhhhh*
Matthew ka ghusa, uske face ke just upar se nikla aur apne dono haatho se uske haath ko pakad, Veer ne jo ek taang neeche zameen par tikaayi hui thi uss par force deke khud ko hawa me uchhaal diya.
Aur uski wahi taang sansanaate hue hawa ko cheerte hue Matthew ke baaye kaan ki orr aayi.
'Shiitttt!!!'
Usne apna baaya haath uthaate hue forun hi apne aap ko bachaana chaaha par aisa karna se, apna baaya haath apni baayi aankh ki taraf karne se uska left side ka field of vision poora block ho gaya.
Usse pata tha ki uski orr kick aa rahi hai isliye usne apna haath raise kiya bachne ke liye. Par aisa karne se ab usse uss orr ka kuch dikhaayi nahi de raha tha.
It was an opening!!!
Veer ke chehre ki muskaan aur fel gayi. Aur ek jhatke me jo perr uska pehle hawa me Matthew ke kaan ki orr badh raha tha wo hawa me hi apna direction badla aur seedha neeche chala gaya.
*BAAAAAAAAMMMMM*
"Aaaaaaaaaarrrgghhhhhhhh!!!" Wo kick seedha aake Matthew ki left pasli par padi. Aur ek tezz dard fel gaya uske shareer me.
Veer ne agle hi pal kamar se gun nikaali...
Matthew : !!!!????
Aur jese hi matthew ke maathe par rakh usne shoot kiya.
*BAAANNGG*
Matthew ne peeche girte hue duck kar liya. Ab Veer ke paas keval 3 bullets hi thi.
Idhar Matthew ke haath tezzi se gun ko unholster kiye aur...
*BAAAANGGGGGG*
Usne bhi shoot kiya par Veer ke reflexes jese uske liye aaj bhagwan ki den the. 100% increase in reflexes.
Khud ke shareer ko apne right side karte hue usne dodge kiya aur tezz raftaar me bhaagte hue Matthew ki orr aaya.
Matthew ke girte shareer ke paas aate hi usne seedha ek punch maara aur wo punch apni aankho ke saamne nazdeek aate dekh Matthew ne apni dono hatheliyaa upar kari.
*Baaaaaaaammmmm*
Punch rok toh bhalaayi liya usne par Veer ki strength aur uss force ke chalte fir bhi wo punch pad gaya.
"Uughhhhh!!!" Zameen par uska shareer dhadaam se gira.
Tabhi Veer ne uska ek haath thaama aur...
It was time for...
LIMBO!!!!
Veer ne jese hi uska haath marodna chaaha, Matthew ne ek jhatke me khud ko uski pakad se churraaya.
[Limbo won't work!!!! Limbo ki apni khaamiya hai. Last time tum Balhaar par isliye use kar paaye the kyuki wo guard par nahi tha apne. You caught him off guard. Tumne usse peeche se pehle hi grip bana ke pakad liya tha. Par yaha ye work nahi karega. Wo aadmi poora guard raise kiye hue hai tumhaare liye. Limbo is useless here!!!!]
Pari ne jese hi Limbo ka disadvantage bataaya, Veer ne Matthew se forun hi distance le liya.
Pari ne ek raahat ki saas lii. Atleast aaj Veer iss state me hone ke bawajood bhi uski baat toh sunn raha tha.
[Don't waste more than one bullet on him now. Keval 3 hi bachi hai. Try to finish him in one bullet. Use distractions.]
Veer kuch na bola, aur fir se wo pedo ka sahaara lete hue chhup chhup ke aage badhne laga.
Matthew : Damnnn youuuuu!!!! Ughhh!!
Aur palak jhapakte hi Veer firse kahi gaayab ho chuka tha uss andhere me.
*Baaaangggg*
*Baaaangggg*
*Baaaangggg*
Matthew apna aapa khote hue iss baar kayi bullets gusse me fire karne laga.
*Scrunccchhhhhh*
Tabhi uske peeche kuch halchal hui, wo achanak hi palta aur usne agle hi pal....
*Baaaaanggggggg*
Fire kar diya. Lekin...
Peeche koi na tha!!!!
Matthew : H-Huhhh??
Aur tabhi iss baar, iss baar peeche se awaaz aayi. Firse... Wo fir muda...
Par uske mudte hi, achanak hi koi cheez aayi aur uske muh me ghus gayi.
Matthew : Uuummmphhhh~!??
Veer ki Glock 19!!!!
Matthew ne apni gun seedha Veer ke maathe par taani aur shoot kiya.
*Click*
*Click*
*Click*
Matthew : !!!!?????
Uski magazine ke rounds khatam ho chuke the. Wahi Veer ke paas 3 bullets baaki thi.
Aur tabhi, Matthew ne Veer ke hontho ki woh haiwaano waali muskaan dekhi.
Aisa laga jese devil khud hell se aake aaj uski maut bann'ne aaya tha.
Aur...
*BAAAAAAANNNNNNGGGGGGGG*
Bullet Matthew ke muh ko cheerte hue uske palate ko phaadte hue uske sarr ke peeche se nikal gayi.
*Thud*
Matthew ka shareer bejaan zameen par gir pada. Jo awaaz Matthew ne pehle suni thi aur wo peeche muda tha, wo kuch aur nahi tha. Veer ne patthar feka tha peeche. Jis kaaran se Matthew peeche mud gaya aur usne apni aakhiri bullet hawa me waste kar dii. A fucking distraction. As Pari said.
Aur Veer waha ek pal na ruka.
Wo seedha andar kii orr bhaaga. It was time for his main enemy. SLOGAN!!!!
Kahi bhi kyu na bhaag jaaye Slogan. Veer uska pata laga lene waala tha. Kyuki usse pata tha ki usse kese dhudna hai Slogan ko.
'I'm coming for you... *smiles* "
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Ye update boht mehnat se likha hai. Update ka size more than 5.5k words hai. Raat me jagte hue. So, Like thok ke jaane ka. Aur revos rakhne ka. Also, as I said ki jese jese story aage badhegi, fights intense hoti jaengi. Aaj aapne dekh liye hoga. Well, filhaal itna hi.
Dhanyavaad!
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट था भाईMega UpdateAb tak...
[Koi itna diler ho sakta hai? Batao?]
Update - 76 ~ SLOGAN!!!
[This update contains gore as well as some disturbing scenes. Please, proceed accordingly.]
Bullet Matthew ke muh ko cheerte hue uske palate ko phaadte hue uske sarr ke peeche se nikal gayi.
*Thud*
Matthew ka shareer bejaan zameen par gir pada. Aur Veer waha ek pal na ruka.
Wo seedha andar kii orr bhaaga. It was time for his main enemy. SLOGAN!!!!
Kahi bui kyu na bhaag jaaye Slogan. Veer uska pata laga lene waala tha. Kyuki usse pata tha ki usse kese dhudna hai Slogan ko.
'I'm coming for you... *smiles* "
Ab aage...
Laal....! Laal rang...!
Khoon!!!
Apne kaanpte hue khoon se sane haanth par rumaal baandhte hue Slogan jungle ke beecho beech andar aa chuka tha. Uska laal laal khoon, haath se raaste me boond boond tapakte jaa raha tha.
Aur yaha aate hi uske saamne gehri khaayi thi. Behad gehri khaayi. Jo jungle ko do bhaago me baate huye thi. Par badqismati se, doosre chorr par jaane ka koi raasta nahi tha.
*Huff* *Huff* *Huff*
Haafte hue wo thakaan ke maare ek bade se patthar par tik ke baith gaya jo zameen me hi dhassa hua tha. Uski saasein boht tezz ho chuki thi.
Unhe durust karne wo yahi baitha aur saamne khaayi ki orr dekhne laga.
Pehle, yaha ek lakdi ka pul hua karta tha. Ek bridge. Jo jungle ke dono bhaago ko jodta tha. Par ab uss pul ka koi naam-o-nishaan nahi tha. Harr jagah bas ghaas, ped aur paudho se hi bhara hua tha jungle. Badi badi bel jo kaafi lambaayi tak bikhri hui thi.
Ye sab dekh Slogan ki aankho me achaanak hi aasu aa gaye. Ye wahi jagah thi. Wahi jagah!!!!
***
20 years ago...
Ye samay tha varsha ritu ke baad ke mausam ka. July, August ke maah me jab zorro se baarish hoti thi, uske baad vataavaran me halki thand sii fel jaati thi.
"Aaahhh~" Mitti par jab bhi baarish ki boonde padti thi, toh woh saundhi saundhi, mehek poore vataavaran ko sugandhit kar deti thi.
Aaj mein ek talaash me nikla tha. Kisi ko dhundne. Boht suna tha inn mahaan vyakti ke baare me. Aur ussi suna suni me mein apne mann ki jigyaasa ko khatam karne ke liye aaj ravaana ho raha tha.
"Sambhal kar jaiyega! Samajh gaye?"
Mein jab apni pant ki button laga raha tha toh meri pyaari patni, Sudha ne aakar mujhse kaha.
"Arre tum chinta kyu karti ho? Kal tak aa jaunga! Aur kal nahi aa paaya toh parso toh kisi bhi haal me aa jaunga."
"F-Fir bhi, a-aap sambhal kar jaana. Aur jitna jaldi ho sake. Ghar laut aana."
Sudha ki chinta dekh mene usse apne seene se laga liya. Mera parivaar ek madhyam vargeeya parivaar tha. Ek middle class family. Uss zamaane me.
Kapdo ka vyapaar shuru kiya tha naya naya. Toh saara paisa vyapaar me laga diya tha. Jis kaaran se ghar ki aarthik sthiti thodi tang chal rahi thi iss waqt. Aur dikkat yahi thi ki mera vyapaar sahi nahi chal raha tha.
Ussi ke nivaaran ke liye mein iss mahaan vyakti se milne jaa raha tha. Aur ek kaaran aur bhi tha.
Mene apni nazre ferr, meri bacchi ki orr dekha. Meri ekmaatr bacchi.
Swati!!! Meri laadli!!!
"Swati~ Pita jii jaa rahe hai tumhaare." Sudha mere seene se alag hote hue Swati ko dekh boli.
Toh Swati, jo kaagaz me chitr bana rahi thi wo langdaate langdaate mere paas aayi aur mujhse chipak gayi.
"Pita jii~ Jaldi aana!!!" Mene Swati ko muskura ke dekha aur pyaar se apni bacchi ke sarr par haath fera.
Kaash meri bacchi pehle jaisi hoti. Sadak haadse ke baad se uska ek perr bilkul hi mud chuka tha. Isliye, wo sadhaaran roop se nahi chal paati thi. Thoda langdaati thi. Meri phool jaisi pyaari bacchi ke liye mein kuch bhi karne ko taiyaar tha.
Phool se yaad aaya, meri bacchi Chitrakala me boht maahir thi. Usse sabse zyaada phool pasand the. Aksar kaagaz me alag alag sundar phulo ke chitr banaaya karti thi. Aur mein usse aksar naye naye rang laake deta tha.
Uske gaalo ko choom kar mein ghar se baahar nikla. Kitne doctors ko nahi dikhaaya tha mene Swati ko. Par sab ka jawaab yahi rehta, ki ab bacchi ke perr ka kuch nahi ho sakta. Saari zindagi wo aisi hi rahegi.
Par mein aisa nahi hone dena chaahta tha. Meri bacchi saari zindagi langda ke chalegi? Bilkul nahi! Kuch bhi ho jaaye, mein usse uska puraana jeevan lauta ke rahunga.
Aur mein nikal pada...
Sheher se dur, kaafi dur aane ke baad, raah chalte logo se kayi baar puchne ke baad mein uss jungle me gaya. Thoda bhatka beech beech me, par baad me mujhe wo mil hi gaya.
Lakdi ka wo jarjar pul. Jo khaayi ke upar bana hua tha. Aur jungle ke dono bhaago ko jodta tha.
'Ye pul toh boht hi kamzor prateet hota hai. Kahi gir vir gaya toh kya hoga?'
Sochte hue mein sambhalte hue aage badha aur pul ki rassi ko pakad pakad dheere dheere kadam badhaaye mene.
Par, kuch bhi nahi hua. Hahaha~
Mein toh khamakha ghabra raha tha. Ye pul toh boht bhaar seh sakta tha. Bilkul! Yaha se log nikalte hi honge praayah toh isme koi shaq hi nahi ki ye jarjar hoga.
Jungle ke dusre chorr par aate hi mein nikal pada apni talaash me. Par aashcharya ki baat thi ki mujhe koi taqleef nahi gayi. Jagah jagah lakdi ke board lage hue the jo mudne ki disha bata rahe the.
Aur jese hi mein ant tak pohucha. Mene dekha ki,
Jagah jagah kuttiya bani hui thi rehne kii. Aur aisa lag raha tha ki jungle me hi kayi log basne aa gaye hai.
"Y-Ye sab??" Mein toh mantramugdh hoke reh gaya tha.
"Kya kaam hai baccha? Mein dekh sakta hu. Tum meri hi talaash me aaye ho. Hai na?"
Tabhi, mere kaano me ek aadmi ki awaaz padi jisse sunn ke mere raungte khade ho gaye. Saamne ek bade se patthar par ek kareeb 55-60 saal ke buzurg aadmi baithe hue the. Bilkul, saaf safed dhoti kapda pehne hue.
"J-Jii! A-Aapko kese pata chala?" Mene pucha.
Unke agal bagal neeche sab haath jod ke baithe hue the. Aur kuttiya ke paas, kuch bacche the jo aapas me khel rahe the. Kuch phal khaa rahe the, toh kuch andar hi so rahe the.
"Mujhe harr baat ka gyaan rehta hai putr! Tum batao! Mein jaanta hu tum samasya me ho. Par fir bhi, mein tumhaare muh se sunn'na chaahta hu."
Mere toh harr pal shareer me ruye khade hote jaa rahe the. Inn sajjan purush ko toh sab pata tha. Inhi ki toh talaash me mein aaya tha yaha. Aakhir mil hi gaye wo mujhe.
Mein haath jod ke unke perro ke paas aaya,
"Guru jii!!! Aap se kya chhupaana. Aur aap toh sab jaante hi honge. Aapko toh ye bhi pata tha ki mein aapko dhundne aaya tha. Meri samasya ka nivaaran bataiye guru jii! Mein aapke perr padta hu. Meri madad kariye... Meri madad kariye..."
Aur mein bebas ho utha.
"Arre baccha!!!" Unhone mujhe pakad ke uthaaya, "Ye kya karte ho? Shaant! Sab samasya ka hal bataunga. Par pehle shaant. Aur ab vistaar me batao."
"J-Jii!" Mein shaant hua aur bolna shuru kiya.
Mene jab apni poori baat guru jii ko bataayi toh wo kuch derr soch me pad gaye. Mein thoda ghabraane laga. Kya wo meri madad kar toh paenge na? Mene boht suna tha ki guru jii ne bade se bade chamatkar kar ke dikhaaye the. Toh meri bacchi ki taang toh wo chutkiyo me sudhaar denge. Hai na? Aur mere girte vyapaar ka bhi hal bata denge.
"Hmm~ Mein toh jaanta tha ye hoga. Baccha! Tumhaare vyapaar me tumhaari galti hai."
"H-Huh?? M-Meri galti? Meri kya galti guru jii!?"
"Tum mann se dhandha nahi kar rahe ho. Harr waqt chinta me doobe rehto ho. Apne graahako se namr vyavhaar me baatein karo. Aur hamesha khush raho. Fir dekhna tumhaare vyavhaar me kitni tarakki aati hai."
Kehte hue unhone mujhe ek phool de diya. Mene bade hi sambhaal kar usse apne rumaal me rakh liya.
"Aur meri bacchi, Swati ka kya guru jii?"
"Hmm! Bacchi ko tumhe yaha laana hoga. Kyuki mein keval kudrat me hi rehta hu baccha! Shehri hawa mujhe pasand nahi. Usse yaha leke aao. Uska perr mein sahi kar dunga."
Ye baat sunn jese mein wahi jamm ke reh gaya. Ek aas! Ek aas jo mere andar ab tak bachi hui thi wo jese guru jii ki baat sunn yakeen me badal gayi.
Meri Swati firse theek ho sakti thi. Jo kaam doctor na kar sake wo guru jii karne waale the.
"Guruuuu jiiiiiiii!!!!!" Mein unke perro par gir pada.
Mein bhaavuk ho gaya. Aur wahi baithe kuch derr baith guru jii ke saath samay guzaara. Jese jese mein unse baatein karta jaa raha tha. Mein jese naya gyaan praapt kar raha tha.
Unki baat maan mein waha se nikla. Aur ghar pohuchne me mujhe poora ek din beet gaya.
Mene unki dakshina me jitna mein de sakta tha utna de diya. Unka kehna tha ki wo paiso ka ek rupaya nahi lete. Jo ki sach tha. Saare paise unn gareeb anaath baccho ki dekhbhaal aur khaan paan me jaate the. Aur ussi me wo sabhi bhi khaate the aur apna jeevan jeete the.
Guru jii ki baat maan, mene wahi kiya. Dhandhe par dhyaan diya. Aur chamatkar hi ho gaya. Mera dhandha jo rukk sa gaya tha wo ekdum se dhadalle se upar uth gaya. Bikri chaugana ho gayi thi.
Aur tabhi, ek din...
Jab mein apni godaam se shutter band kar baahar nikla tabhi ek Cielo mere paas aakar ruki.
Mein bas usse hi dekhta raha. Kam se kam 5-6 lakh ki toh hogi hi. Aur tabhi sheesha neeche hua aur mein andar kya dekhta hu??
"Arreeee???? K-Kishor??? Tum????"
Kishor! Mere school me saath me padha hua tha. Hum school khatam hone ke baad se boht hi kam milte the. Uski apni alag duniya thi. Uska vyapaar itna bada tha ki kehne ke kiye mere paas shabd nahi the.
Andar suit pehne baitha hua tha woh. Kitna bada aadmi bann chuka tha woh. Aaj tak mein uske bangle ke andar bhi nahi gaya tha kabhi. Bas baahar se dekha hua tha.
"Sanjeev!!!" Wo muskuraya aur bola, "Kaafi dino baad mil rahe hai hum. Kaisa chal raha hai dhandha?"
Usne andar se hi pucha. Mene bura nahi maana. Wo mujhse baat kar raha tha itna sab hone ke bawajood, wahi kaafi tha. Kam se kam wo mujhe pehchaan'ne se katra toh nahi raha tha. Warna aaj kal ke raees log apne hi kal ko bhul jaate the.
"Dhandhe me ekdum se munaafa dekhne ko mil raha hai. Sab kuch Guru jii ki den hai!" Mene kaha.
"Guru jii?"
"Haan! Guru jii! Boht hi siddh purush hai. Mahaan vyakti. Chamatkaar karte hai woh. Mera dhandha ruka hua tha. Unke ek upaay se sab kuch jaise badal gaya. Haha~"
Meri baat sunn mene pal bhar ke liye uski aankho me chamak dekhi.
"Toh... Ye... Ye kaha rehte hai Guru jii? Kaha milenge? Kya naam hai inka?"
"Mein bata nahi sakta. Tumhe khud jaana padega Kishor unse milne yadi milna hai toh. Kya baat hai? Kya tumhe bhi koi samasya hai kya? Mujhe toh nahi lagta tum kisi pareshani me hoge. Bhagwan ka diya sab kuch hai tumhaare paas."
"N-Nahii! Mujhe... Darasal! Mujhe apni beti ke baare me... Uska bhavishya jaan'na tha."
"Ohhh! Matlab Kaera bitiya ke baare me? Arre ye kaam toh Guru jii chutkiyo me karte hai."
"Sach me?"
"Haan haan! Mene khud aankho se dekha hai Kishor! Tum mere saath padhe likhe ho isliye tumse ye baat saajha kar diya. Warna, Guru jii ke kaarnaamo ki baatein boht hi kam log bataate hai. Kyuki, Guru jii ne mana kar ke rakha hua hai. Unhe shehri hawa pasand nahi. Isliye wo inn sab se dur rehte hai."
"Ohhh!" Wo kuch derr socha aur fir bola, "Kya tum mujhe inn guru jii se milwaane le chaloge? Badle me meri taraf se ek offer hai tumhaare liye."
"Huh?"
"Tum mere dost ho Sanjeev. Hum dono pehle se ek dusre ko jaante hai. Tumhaare mann me bhi aage badhne ki iccha hogi. Apna vyapaar bada karne ki?"
Usne mujhse pucha. Aur firse bola,
"Mein kya kehta hu? Mene haal hi me ek factory khareedi hai. Wo factory karz ke maare band ho gayi thi. Mein apna paisa lagaunga aur kapde ke liye machines lagwa dunga. Tum ye jo thok me dukaano me kapde bhejte ho. Iss se accha ye nahi ki tum khud ki ek pehchaan banao? Ek brand!!! Fir tum aise me kuch dukaano me nahi, balki alag alag shehro me apne kapde bhej paoge. Kya kehte ho? Usme se 30% mera. Baaki poora 70% tumhaara rahega. Aur jo investment mein abhi karunga. Usse tum samay rehte dheere dheere chuka dena. Koi byaaj nahi lunga."
Kishor ka diya gaya offer sunn mein toh sann reh gaya tha. Guru jii se ek baar mil ke hi aaya tha aur karishma dekho. Kishor khud aake mujhe offer de raha tha.
"Ahahaha~ K-Kyu nahi? B-Bilkul! Mujhe manzoor hai Kishor! Aur tumhe Guru jii se milna hai na? Tum chalo mere saath. Mein issi shanivaar ko nikalne waala hu, apni bitiya Swati ko lekar. Bolo? Kya tum chaloge?"
"Toh theek hai. Toh meri beti Kaera... Kya usse bhi leke chalna hoga?"
"Bilkul! Aur chinta mat karo. Swati bhi rahegi toh Kaera beti bore nahi hoegi. Haha~"
Wo muskuraaya, mera haath milaaya aur usne mujhe shanivaar ko apne ghar par bulaaya saath chalne ke liye.
Aaj mein khushi se fula nahi sama raha tha. Ek ke baad ek khushkhabri mujhe milti hi jaa rahi thi. Aur jald hi ek aur milne waali thi shayad. Meri bacchi Swati firse sahi dhang se chalne waali thi.
Mein ghar pohucha aur jaate se hi mene Sudha ko pakad ke usse gol gol ghumaane laga.
"Hahahaha~"
"Arre arre?? Ye... Ye kya kar rahe ho aap? Mein gir jaungi. Aur kya hua? Kuch bataiye toh sahi?"
Jese hi mene Sudha ko saari baat bataayi wo bhi khushi me mere saath jhoomne lagi. Hamaara parivaar ab se bas khush-haal jeevan jeene waala tha. Mein, Sudha aur Swati!
Sudha meri sab kuch thi. Aur Swati bhi. Ye dono hi meri jaan thi. Ek ke bina bhi mein jee nahi sakta tha.
Dekhte hi dekhte, shanivaar aaya aur mein Swati ko leke nikal gaya. Kishor ke ghar pohuchte hi mein toh dang reh gaya. Jitna bangla baahar se bhavya dikhta tha. Andar se toh aur hi gajab ka tha.
Sofe par baithe the mein aur Swati. Aur fir...
Kishor, ek shirt pant me baahar aaya aur uski beti Kaera ek pyaari sii frock pehne.
Thodi boht baatein hui aur fir Kishor ne Madhav, jo uske ghar me kaam karta tha usse kuch samjhaaya kaam ke baare me aur hum sabhi nikal pade.
Jungle tak baahri road tak ka safar humne Kishor ki gaadi me kiya. Swati itna khush thi car me baithne par ki mene waada kar liya ki mein bhi ek din car lunga. Usme Sudha aur Swati ko sang baitha ke yu ghumunga.
Hum sabhi jab utre toh andar ki orr mein unhe le jaane laga.
"Sambhal kar aana theek? Wo darasal, Guru jii rehte hi aisi jagah hai ki kya kare." Mene kaha.
Aur akhir hum uss pul par pohuche. Dheere dheere ahista ahista hum aage badhe. Jesa ki mene kaha tha. Pul mazboot tha. Bas dikhne me jarjar lagta tha. Haha~
Hum sahi salaamat andar pohuch gaye. Thodi derr araam karne kuch neeche lage pattharo par baith gaye. Beech beech me mein aur Kishor apni apni betiyo ko goad me le lete the.
"Swati Didi? Ye aap kya bana rahi ho?"
Kaera ne meri bacchi se pucha jo lakdi se zameen par kuch bana rahi thi.
"Mein? Mein ye phool bana rahi hu. Kesa hai?"
"Boht sundar hai!!!" Kaera muskuraayi toh Swati bhi khilkhilaate hue uske sang aur khul ke baat karne lagi.
Aur idhar Kishor...
*huff* *huff* *huff*
Haaf raha tha. Toh meri hassi chooth gayi, "Hahaha~ Kyu businessman jii? Itne me hi thak gaye? Kaha gaya wo school ke zamaane ka josh? Isliye zyaada car me nahi ghumna chaahiye. Warna shareer ko chalaane ki aadat khatam ho jaati hai." Mene kaha.
"Aisa... Aisa nahi hai! *huff* Wo toh bas... Kaafi din baad... Aise... Aise aaya hua na. Isliye!"
"Hahaha~" mein fir hassa aur sarr hilaate hue hum sabhi ek baar fir uthe aur andar jaane lage.
Jese hi hum waha pohuche toh waha kayi log maujood the.
"Ye lijiye paise! Ye toh aapko rakhne hi honge mein kuch bhi nahi jaanta. Warna mein kabhi dobaara Guru jii se milne nahi aaunga."
Kehte hue ek aadmi ne noto ki gaddi se bhara ek chota suitcase Guru jii ke chele ke saamne kar diya.
"Par... Par Guru jii ko paisa nahi chahiye."
"Arre mein jaanta hu. Par yaha inn baccho ke liye toh mein kuch kar hi sakta hu na?"
Aur itna bol wo na jaane kitne paise the usme par poora suitcase wo Guru jii ke chele Raman ko thama gaya. Aur waha se haath jod ke nikal gaya.
Mein toh dang reh gaya tha. Itna paisa de gaya woh ek jhatke me? Jaise paisa nahi, haath ka mel ho.
Raman ne hume dekha aur usne fir maayusi bhara chehra banaaya aur bola,
"Maaf kariyega! Par aaj aap log Guru jii se nahi mil sakte."
"Huh? N-Nahi mil sakte se kya matlab hai? Hum boht dur se aaye hai." Mene bola.
"Baat woh nahi hai. Guru jii kisi ka ilaaj kar rahe hai. Aur ye boht hi gambheer ilaaj hai. Unhe aaj poori raat lag jaegi."
"H-Huhhh??? A-Aisa k-kya?? Fir..."
"Maaf karna! Aapko taqleef hui. Par harr ek Zindagi zaroori hai."
Uski baat sunn mujhe andaaza laga ki kisi ki Zindagi ka sawaal tha. Guru jii ilaaj me vyast the. Par... Par meri Swati ka kya?
"Toh? Toh hum yahi ruk jaate hai. Guru jii kal toh Swati ka ilaaj kar paenge na?"
"Dekhiye! Aap khamakha taqleef le rahe hai. Aap jaaiye! Aisa kijiye, aaj ki raat jungle ke baahar jaake kisi hotel ya baahar road me budhi mahila ke ghar me guzaar lijiye. Aur subah aa jaaiyega?"
Mera mann toh nahi tha par uski baat maan'ne ke alaawa aur koi chaara nahi tha.
Tabhi achanak hi kuttiya ka darwaza khula aur Guru jii ne andar se hi jhaaka.
"G-Guruuu jiii!!!" Mein apni jagah se chillaaya.
"Ssshhh~" unhone shaant rehne ke liye kaha. Unhone sirf mujhe dekha aur Kishor ko.
Kyuki, Kaera aur Swati dono hi dusri kuttiya ke paas baithi hui thi.
"Mein jaanta hu tum boht besabar ho Sanjeev!! Aur mein tumhe bhi jaanta hu. Kishor!!!"
Ek baar fir, Kishor ke saath saath mein dang reh gaya. Guru jii ko sab pata rehta tha.
"Par sthiti boht hi naazuk hai idhar. Tum dono abhi waapas laut jao. Kishor!!!"
"Guru jii! Meri beti Kaera! Uska bhavishya... Yadi aap aaj nahi bata sakte toh kya? Mere ghar par... Aap aaenge? Kabhi baad me?"
"Hmm! Theek hai! Mein aaunga. Aaj tum dono mere yaha se khaali haath jaa rahe ho isliye... Mein sheher aaunga. Aur Sanjeev, tumhari beti ka ilaaj bhi tabhi karunga."
Aur itna bol wo andar chale gaye. Idhar Raman ne meri beti ko bula ke usse ek phool thaamaaya aur hum sabhi bemann waapas lautne lage.
Par ek baat ki khushi thi. Wo ye ki, Guru jii sheher aane waale the.
Hum dekhte hi dekhte pul ke paas pohuche. Swati kaafi thak chuki thi. Kaera bhi.
"A-Arree?? P-Pita jiiii!!!" Wo chillaayi.
"Kya huaaa?"
"Pita jii! Unka diya hua phool!!! Kahi... Kahi gir gaya shayad. Mene frock ke jeb me hi rakha tha."
"Ohh hooo~ Tum bhi na... Tum chalo. Mein dekh ke aata hu. Nahi mila toh unse ek dusra maang launga."
Mene Kishor ko Swati ko le jaane diya aur mein daudata bhaagta hua uss phool ko raaste me dhundne laga.
Aur beshaq, kuch hi duri par mujhe wo zameen par pada hua mil gaya. Uska acche se saaf kar uske perr pad mene usse haath me thaama aur waapas aaya.
Waapas aaya hi tha ki mene dekha Swati aur baaki sabhi pul ke dusre side bas pohuchne hi waale the.
Mein aage badha aur tabhi...
*Khaaaaaacchhhhhhhhhhh*
"H-Huhhh???"
"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa........!!!!!!"
"Eaaaaarrrrrrggghhhhhhhhh......!!!!!!"
"N-Nahi!"
Kishor, Kaera aur Swati jis pul se jaa rahe the. Wo...
Uska chorr unki taraf se jo kassa hua tha. Wo toot gaya!!!!
Kishor sabse aage tha. Uske side se Kaera aur Swati peeche.
Pul ek jhatke me neeche gaya aur Kishor samet Kaera aur Swati bhi...
"Swaaaaatiiiiiiiiiiiii!!!!!!" Mein chillaaya...
Perro tale zameen khisak gayi thi mere. Kaleja baahar aane ko ho raha tha. Dil aise dhadak raha tha jese abhi phat ke baahar aa jaega. Saas atak gayi thi pal bhar ke liye meri...
Par...
Par shayad ye kismat thi.
Kyuki...
Kishor aage tha aur girte waqt wo bach gaya. Par Kaera aur Swati nahi. Kishor aadha hawa me neeche latka hua tha. Aur usne ek haath se Kaera ko thaame hue tha. Aur dusre se... Meri Swati ko.
"Maaaaaaaaaaaaa..... Pitaaaaaaa jiiiiiiiiii~" Swati chillaayi.
"Swaaaaaaaaatttiiiiiiii!!!!!" Mein apne ghutno par gir pada.
"P-Papaaaaaaa~" Kaera aasu bahaate hue jese hi neeche ki orr khaayi me dekhi. Wo behosh ho gayi.
"Ugggghhhhhh!!!!" Kishor bolne ki haalat me nahi tha. Uska poora chehra laal hua jaa raha tha.
Uske dono baazuo me itni taaqat nahi thi ki wo ek baar me dono ko upar kheech sake. Kyuki, wo khud bhi aadha latka hua tha.
"N-Nahiiii~" Mere shareer me raungte khade ho gaye. Meri bacchi!!!
M-Mein mein... Kya karu?? Kya karu?? Kya kar sakta tha mein? Pul toot chuka tha. Dusri orr kese jaata?
Nahiiiiii!!!
"K-Kishoooorrrrrr!!!!! Upar... Upar kheecho... Jaldi... Meri bacchi ko... Kaera ko... Jaldiiii!!!!" Mein bas chilla hi sakta tha.
Apna poora gala phaad ke mein chillaata raha. Apne aap aasu behne lage meri aankho se. Aisa lag raha tha kisi bhi waqt behosh ho jaunga. Meri bacchi!!! Swati!!!
Samay, ret ki tarah phisalta jaa raha tha. Aur wese hi Kishor ke haatho se Kaera aur Swati bhi.
"N-Nahiiii!!! Kishorrrrr!!! Unn dono ko upar kheech haramkhor.... Kya kar raha hai tuuuu????" Mein iss baar gusse me chillaaya.
Aur tabhi...
"Huh??? Ye Kishor kya bol raha hai? Nahi!!! N-Nahiii!!! Nahiiiiiiiiiiiiiiii"
Dusri orr se Kishor meri orr dekha. Uski aankho me aasu the. Aur wo kuch bol raha tha. Boht dheere.
Par jese mein uske chehre haav bhaav aur uski harqat se padh paa raha tha ki wo kya keh raha tha.
"M-Mujhe maaf kar dena Sanjeev!!!"
'Nahi!!! Ye nahi ho sakta. Ye Kishor aise samay par mazaak kyu kar raha hai? Ye paagal hai kya? Isse toh dono bacchiyo ko upar kheechna chaahiye. Y-Ye meri taraf dekh ke ro kyu raha hai? Y-Ye pagal ho gaya hai.'
Kishor ka toh nahi pata. Par mein zaroor paagal ho raha tha. Mera dimaag kaam karna band karne laga tha.
Aur tabhi...
"Eaaaaaaarrrrrrrrrrggghhhhhhhhhhh.."
"Huh!!!!"
Ek goonj poore jungle me fel gayi. Aas paas ke pakshi pedo se udd ke bhaag gaye. Mere shareer se jaise praan nikal chuke the.
Khatam! Sab kuch khatam!!!
Mein andar se marr chuka tha. Aur mein wahi aankhein khole bas ghutno ke bal baitha raha. Kishor kya bol raha tha mujhe kuch sunaayi nahi de raha tha.
Meri bacchi Swati!!!!
Kishor ne apna haath... Jo usse pakde hue tha...
Chorr diya tha....
Swati ki cheenkh... Wo aakhiri cheenkh thi...
Kishor!!!! Usne apne dusre haath se Kaera ko pakda aur dono haath se pakad usse upar kheecha. Apni peeth par laada aur waha se bhaagte hue nikal gaya.
Mein... Mujhe pata nahi, ye kya anubhuti thi. Aisa lag raha tha mein sab kuch kho chuka hu. Mein zinda bhi nahi hu. Murda laash ban chuka tha jese mein.
Swati... Swati... Meri bacchi... Gayi!!! K-Khaayi me...
"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaarrrrghhh~"
Meri cheenkh jungle me goonj gayi. Mein waapas andar ki orr bhaaga. Guru jii ke paas. Andar pohucha toh...
Waha koi nahi tha. Ek shaks ka naam-o-nishaan nahi tha.
'Y-Ye kya ho gaya???? K-Kaha gaye s-sab??? S-Sab toh idhar... idhar hi the...!! K-Kaha gaye sab????'
"Gurrruuu jiiiii!!!!" Mein chillaata raha. Par mujhe koi na mile. Sab ke sab gaayab ho chuke the.
Mein paagal ho raha tha. Paseene se poore kapde bheege hue the. Kisi bhi waqt mujhe dil ka daura bhi aa sakta tha.
Meri bacchi!!!! Swati ke baare me soch mein raasta dhundne laga. Neeche jaane ke liye.
Kahi na kahi se toh koi raasta milega hi. Raat hone ko aa gayi thi.
Mein dhundta raha. Girta raha, bhidta raha. Kharoche mere shareer par bikhar gayi. Par mein ruka nahi. Bhaagta raha.
Jese tese kar, mein latak latak ke, jaanleva raasto se neeche pohucha. Aur Swati ko dhundne laga. Mein jaanta tha ki upar itni uchaayi se girne par kya hota tha. Fir bhi, mein praarthna karta raha.
'Hey bhagwaan! Meri bacchi... Meri bacchi ko bacha lena. Usse kuch na hua ho. Usse bacha lena... Usse bacha lena... Usse bacha lena...'
Iski ratt lagaaye, mein badhta raha. Raat ho chuki thi. Theek se kuch nazar nahi aa raha tha. Aur tabhi... Mujhe kuch awaazein sunaayi dii.
*Crrrrunnnchhhhh*
*Muuuunnncccchhhh*
"H-Huhhhh??" Mene jhaak ke dur dekha toh...
Meri rooh kaanp gayi. Aur mera vishvaash, ussi pal bhagwaan par se uth gaya.
Mein kisi murde ke bhaati wahi jamm gaya tha. Mujhe itna bada jhatka laga tha ki mujhe taajub ho raha tha ki mein hosh me kese tha ab tak?
Saamne... Dur...
Lakadbagghe... W-Wo... Wo... Wo kuch khaa rahe the.
M-Meri nazre jese hi neeche gayi.
*Badump* *Badump*
Mera dil baahar aane ko ho gaya. W-Wo...
Swati!!!
Meri aankho ke saamne meri zindagi ujad chuki thi. Meri bacchi!!!! Uski itni dardnaak maut dekh mein paagal ho chala.
Mann kiya ki unke beech jau aur unn lakadbaggho se bhid uthu aur marr jau saath me.
M-Mujhse kuch bhi dekha na gaya. Mere perr kaanpne lage. Par mein Behosh nahi hua. Mein jaanta tha yadi yaha mein gira, toh... Toh ghar par Sudha ka kya hoga?
Mein bhaaga!!! Sudha!!! Usko kaun sambhaalega? Girte padte chot khaate mein jese tese pohucha. Mein hairaan tha ki abhi tak mera maansik swaasth theek kese tha?
Mene darwaaza peeta. Par Sudha ne nahi khola.
Mene fir peet peet ke darwaaza tod diya. Aur todte hi jhatke se mein andar aaya.
Par andar aate hi mera chehra kisi cheez se takraaya.
Aankhein khol mene dekha toh...
'Huh?? P-Perr???'
Meri nazre upar gayi aur...
'N-Nahiiiiii! Nahiii! Nahi nahi nahi nahi... Nahiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii!!!!!!!!'
Sudha... Wo...
Wo upar pankhe se latak rahi thi.
Kishor ke ghar se... Kisi ne saari baat usse bata dii thi.
Aur bas... Mera insaani shareer itna hi jhel sakta tha. Mein ussi waqt behosh ho gaya.
Mein mahino tak aspataal me bharti raha. Iss haadse ko mahino guzar chuke the.
Mein na kuch bolta tha na kuch karta tha. Meri do jaan jaa chuki thi. Sudha Swati ke jaane ka gham seh na paayi aur mujhe chorr chali gayi.
Yaha mein sapne sajaata tha. Car me unhe ghumaane ke. Dhandha badhaane ke.
"Kyu Sudha?? Kyu chali gayi mujhe chorr ke??? Kyuuuuu???" Mein subukta raha.
Wahi dusri orr... Mein kyu zinda tha?
Haan! Mein bhi marr jaata hu. Haan! Yahi sahi rahega! Mein zeher kha leta hu. Nahi nahi! Mein phaasi laga leta hu. Nahi!!! Khud ko jala lu? Nahi!!! Haan! Mein bhi uss pul se kood ke marr jaata hu. Hmm~
Par tabhi... Mujhe uska khayaal aaya.
KISHOR!!!!
Aur kuch hi hafto ke baad, mein uske bangle ke baahar maujood tha.
Sab kuch issi ke kaaran hua tha. Na wo meri bacchi ke haath ko chorrta na meri Swati mujhse juda hoti. Aur na hi meri pyaari Sudha... Mujhe chorr kar jaati. Badi mushqil se apni himmat baandh paaya tha mein. Apna badla lene ki. Warna mein khudkhushi kar chuka hota.
Mere paas itni haisiyat nahi thi abhi aur na hi itni aukaat thi ki mein Kishor ko maar saku. Par...
Usse ek jhatka toh de hi sakta tha.
Mein andar ghusa. Uske ghar se mein ab parichit tha. Baahar ek maali gamlo me rang laga raha tha.
Apne jeb me chhupi hui chhuri ko mene nikaala aur apne peeche kar liya.
Mein deewaar phaand ke andar aa gaya. Maali gaana gunguna raha tha. Meri Swati... Usse phool kitne pasand the. Chali gayi woh. Chali gayi...
'Nahi!!! Mein iss waqt bhaavuk nahi ho sakta.'
Soch mein aage badha aur uss maali ke muh ko thaam...
"Mmmphhhh????"
Mene uski awaaz dabaayi aur...
*Spllluuuuuurrrttttttttt*
Churri uske seene me ghused dii.
Firse nikaali aur fir ghused dii. Usse ek pal na diya mene virodh karne ka.
Rang jo neeche pada tha brush ke saath. Mene uthaaya aur tabhi meri nazar wahi pade ek angrezi newspaper par padi.
Jiski headlines me kuch shabd likhe hue the.
"Protesters jailed due to inappropriate Slogans."
Aur mujhe jaise naam mil chuka tha.
Mein baahar nikla. Aur wahi rukk gaya. Andar Kaera ki chillaane ki awaaz mujhe kuch derr me hi sunaayi de gayi.
Mene apni jagah badli aur deewar ke upar chadh jhaak ke andar dekha toh paaya ki...
"Huh!???"
'Guru jii?? W-Wo yaha kya kar rahe the? Aur uss din wo achanak gaayab kese ho gaye the sab ke sab jungle me.' Mere mann me sawaal mandra rahe the. Aur mene tay kar liya, ki mein unka peecha karunga.
Andar Kishor ki haalat kharaab thi. Andar deewaar par ek hi cheez likhi hui thi...
"Killed By Slogan!!!"
Aur mein waha se nikal ek mod pe chhip gaya.
Ye mere badle ki pehli shuruaat thi. Jab tak mein Kishor ko wahi dard, wahi peeda usse nahi de dunga. Tab tak mera gussa shaant nahi hoga.
Kuch derr baad Guru jii aur wo Raman baahar nikle, mein chehre par gamcha baandh unka peecha kiya.
Bus me wo chadhe toh mein bhi chadh gaya. Na jaane kidhar jaa rahe the. Par sheher se thodi dur ek jagah bus aa kar ruki.
Mein unse chhip kar unka peecha karta raha aur fir ek jagah jaa kar wo baith gaye. Deewaar se chhip kar mein unki baatein sunn'ne laga.
"Gajab ho gaya Guru jii! Maan gaye aap ko. Uss Kaera ke chakkar me kitne paise aith liye aapne hahaha~"
"Hmm!"
"Par uska kya hua Guru jii?"
"Kiska?"
"Wo ek Sanjeev naam ka tha na?"
"Kya pata? Mujhe kya karna? Paise se matlab hai hume."
"Wo apni beti ko leke aaya tha na uss din!? Guru ji?"
"Hmm! Usse waha se uss din bhagaana zaroori tha. Saala itne paise aaye the uss din. Mein baith ke andar ginn raha tha aur ye namune ussi samay aa gaye. Hume wo ilaaka jald se jald khaali karna hi tha. Isliye usko ye bol diya tha mene ki mein sheher aaunga. Aur wo toh mein aaya hi... Hahaha~ Uss din mene jhaak ke jab Kishor ko dekha tha. Tab hi samajh gaya tha ki ye raees hai. Haatho me mehngi ghadi, mehnge joote, pant shirt. Toh usko toh lootna banta hi tha na."
"Hmm! Kya baat hai! Unn baccho ka kya?"
"Baccho ka kya?"
"Hum unke naam pe hi paise lete hai na..."
"Haan toh? Wo toh anaath waale hai. Unhe kuch derr ke liye mein apne ilaake me le aata hu. Bas! Baat khatam! Unko saare de baithunga toh mere paas kya bachega? Hahahaha~"
"Hahahaha~"
'Keh do ki ye jhooth hai. Keh do koi ki ye jhooth tha jo mene suna tha.' Mein unn dono ki baat sunn ke sann reh gaya tha.
Na jaane kitne aur jhatke mujhe lagne baaki the.
Mere haath perr kaanp rahe the. Iss baar darr se nahi. Gusse se.
"Accha tum suno! Mein andar ghar me hu. Ye kuch paise leke jao. Waha wo anaath aashram ka jo pradhaan hai. Usse de dena. Theek hai."
"Theek hai Guru jii!"
Raman gaya. Aur Guru jii andar gaye. Aur mein...
Mein apni churri nikaal ke andar chal diya Guru jii ke ghar ki orr...
Wo meri aahat se pare apne kaam me lage hue the. Aur mein dheere dheere badhta raha.
Unhe jhatke se dabocha aur...
"Maar daalunga tujhe aaj meinnn... Haraaam khorrrrrr!!! Aaaaaaaaa~"
Aur...
*Spluuuurrrtttttttt*
*Splurrrrttttttt*
*Ssssspppplluuurrrttttt*
Chaaku pe chaaku maarta raha mein. Gusse me uske seene me. Ye koi Guru jii nahi tha. Ye toh dhongi tha. Isne mera sab kuch loot liya tha.
Tab tak maarta raha mein usse jab tak mere chehre par uske seene se uchle khoon ke daag na chadh gaye.
Aur mein... Apne andar badle ki aag liye. Waha se faraar ho gaya.
Ek saal baad jab mein lauta toh meri mulaqaat uss se hui.
"Kya naam hai tumhara?"
"A-Aashu!!!"
Mein muskuraaya, "Aaj se tum mere saath kaam karoge."
"Mujhe badla lena hai."
"Mujhe bhi... Tum chinta mat karo bacche. Mein tumhe tumhara badla dilwaunga."
Aur mene ek baat seekhi apne iss mukaam ko banaate banaate.
TUM KHUD HI, KHUD KE BHAGWAAN HOTE HO. KOI AUR NAHI!!!!!!
'Kishor!!!! Jaise tumne mujhe dard diya. Mujhse mera sab kuch chheen liya. Wese hi... Wese hi mein bhi tumhaare saath wahi karunga. Wahiii!!!'
***
20 years later...
Kuch aisi thi Slogan ki daastaan...
Haath ko dabaaye wo khoon band karne ki koshish kar raha tha par koi fayda nahi ho raha tha.
'Mujhe yaha se jald se jald... Huh????'
Wo soch hi raha tha jab usse ped paudho me kuch halchal sii hoti nazar aayi aur uski awaaz aayi.
Slogan : K-Kaun hai????
Wo uth ke khada ho gaya. Aur abhi wo aage badh paata tabhi...
*Poooooooooooooowwwww*
"Aaaaarrrghhhhhhhh"
Ek punch right side se achanak hi aake uske gaal par pada. Aur wo seedha zameen par jaa gira.
Upar uth usne dekha toh...
VEER!!!!!!
Slogan : T-Tuuuuu????? Tu idhar....!!!!!
Veer (smiles) : Haan mein!!!
Slogan ne apna jeb tatol revolver nikaala aur bina kuch kahe seedhe Veer ko shoot kar diya.
*BAAAAANNNGGGGGGGG*
Par...
*Whoooooooosssshhhhh*
Slogan : Huhhhhhh???????
Veer ek jhatke me apni position se hatt gaya.
Slogan (screams) : Kaha gaya Veeer??? Saaaamne aaaa!!!!! Aaj mein kisi se nahi darrne wala.... Baahar nikal!!!!
Aur uski khwaaish jese veer ne sunn lii, peeche se ek zordaar kick aayi aur uski back par padi.
"Ugggghhhhhnnnn"
Wo firse gira.
Veer : Aaj tu... Kutte ki maut marega!!!
Slogan (uthate hue) : Ek baat yaad rakhna Veer!!!!!! Underworld me... Insaan ki jaan ek macchar ki jaan ke samaan hoti hai. Tu mera kuch...
*BAAAANGGGGGG*
Slogan : Haaaaahhhh??!? Gwaaakkkkkhhhhhh....
Wo bol raha tha par...
Veer ne fire kar diya tha. Bullet Slogan ke pait ko cheerte hue andar sama gayi.
Uske haath se gun chhitak kar gir gayi aur wo khud ladkhadaate hue uss khaayi ki orr jaane laga.
*BAAAANGGGGGG*
"Haaaaaahhhh huuuuuu~"
Peeche se ek aur bullet jo ki Veer ki akhiri bullet thi wo aake uske shareer me ghus gayi.
Wo ladkhadaate hue fir bhi badhta raha. Bilkul wese hi... Jese uski pyaari Swati ladkhadaaya karti thi.
"Swaaatiiii... Haaaahh haaahhh haaahh S-Sudhaaa..."
Slogan ka plan Kaera ko issi tarah pul se giraane ka tha. Apna badla lene ke liye. Par... Ye uski badqismati thi jo uska paala Veer se pad gaya.
Wo lambi lambi saas lete hue badhta raha. Chorr par pohuchte hi usne apni shirt ki jeb se ek brush nikaala.
Ye wahi brush tha, jis se uski Swati chitra banaaya karti thi. Aur yahi kaaran tha ki Slogan floral shirts pehna karta tha. Phulo waali. Kyuki Swati ko wo pasand the.
Chorr tak aate hi uska perr phisla...
Veer aage badha par tab tak...
"S-Swatiii~" Slogan ka shareer ussi gehri khaayi me gir gaya.
Veer daudate hue aake neeche jhaaka. Toh usse bas, Slogan ka shareer, gehre andhere me gaayab hota hua nazar aaya.
*Ding*
[Mission : Kill Slogan at all cost has been completed.]
[3000 points have been rewarded.]
*Ding*
[System has reached level 6.]
*Ding*
[System's layout has been upgraded]
[Shop prices and Quest hunt prices has been increased.]
*Ding*
[Past illustration has been upgraded.
Bio - You can now see the past. No need to read it.]
[Past illustration function is invoked.]
[Do you want to see Slogan's past???]
Bina koi derr kiye Veer ne Yes ko select kar diya.
Aur ek ke baad ek, Slogan ki saari memories, uska past system ne sab dikha diya. Veer keval maun raha. Par uski aankho se aasu, apne aap nikal rahe the.
[It's been quite a bit time... Master!!!?]
Wahi dusri orr... Jungle ki road waale ilaake par. Jaha halki uchi chotiyaan thi dusri side par ussi ke upri ilaake par...
Ek ladki khadi hui thi. Hawa me lehraate baal aur agle hi pal...
Wo andhere me wahi mudte hue lupt ho gayi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Ye 6k words ke upar tha. Aur poora past dikha diya hai. Hope kaafi cheeze clear ho gayi hongi.
Toh, like thokne ka yaara aur revos rakhne ka. Bhulne ka nahi. Aur yahi pe samaapt hota hai Slogan Arc. Famiglia arc chalega ab. Aur kuch updates ke baad House of Killers arc shuru hoega.
Bane rahiyega.
Dhanyavaad!
बहुत ही शानदार लाजवाब अपडेट भाईUpdate - 77 ~ Preparations!Ab tak...
[Harr baar thodi mega update dunga bhai! ]
[Do you want to see Slogan's past???]
Bina koi derr kiye Veer ne Yes ko select kar diya.
Aur ek ke baad ek, Slogan ki saari memories, uska past system ne sab dikha diya.
[It's been quite a bit time... Master!!!?]
Wahi dusri orr... Jungle ki road waale ilaake par. Jaha chootiyaa thi dusri side par ussi ke upri ilaake par...
Ek ladki khadi hui thi. Hawa me lehraate baal aur agle hi pal...
Wo andhere me wahi mudte hue lupt ho gayi.
Ab aage...
Akhir ant ho gaya. Uss shaks ka, jisne Veer ko itna pareshaan kar ke rakha tha, jo uski jaan ke peeche pada hua tha. Wo, ab iss duniya se chal basa.
Aur ye sab kisne kiya? Veer ne, khud ne.
Itni mashaqqat ke baad, akhir wo Slogan ko outsmart karne me safal ho hi gaya. Aur uss se uska peecha chooth saka. Kya hi baat thi. Slogan ki maut bilkul ussi tarah hui jis tarah uski beti ki hui thi. Dono hi ussi khaayi me jaa gire. Shayad ab wo afterlife me ek dusre ke saath honge!?
Idhar Veer ek udaasi me iss waqt apne kamre me laita hua tha.
Uska mann boht hi maayus tha. Slogan ko jungle me dhund ke usne uska ant toh kar diya tha. Par sawaal tha ki wo Slogan ko jungle me dhund kese paaya?
Simple sii baat thi. Jab Veer ne Slogan ko goli maari thi, toh Slogan ke haath se khoon behna shuru ho chuka tha. Fir jidhar jidhar wo bhaagte hue gaya. Khoon ki ek trail banaata gaya.
Bhale hi wo khoon andhere me na nazar aaye. Par vatavaaran me khoon ki gandh toh fel hi gayi thi. Khoon me iron ki maatra toh hoti hi hai. Aur uss gandh ko harr koi jaanta hai ki wo kesi rehti hai. Veer ke senses already 120% par the. Including his sense of smell. Bhala aisa kese ho sakta tha ki usse khoon ki gandh na aaye!?
Yahi kaaaran tha ki Veer ne badi hi asaani se Slogan ko locate kar liya tha. Beowulf's Blessings ke samay samaapt hone se pehle hi.
Uss raat Veer ne Beowulf's Blessings ka istemaal poore 35 minutes ke liye kiya tha. Chaahe wo Matthew se ladaayi ho, ya chaahe Slogan se. Sab kuch inhi 35 minutes ke andar hua tha.
Bhale hi usne iss baar thode control me fight kii thi. Par fir bhi, uske istemaal ke baad Veer poora exhausted ho chuka tha. Wo kaafi derr tak ussi khaayi ke paas laita raha. Jab Jassi aur uski team andar aayi tab jaa ke unn logo ne Veer ko uthaaya tha.
Thanks to Karan, jisne ye bata diya tha ki Veer akele andar gaya hua tha. Aur wo fir usse dhundne andar aa paaye.
Jassi aur baaki sabhi ne uss raat Veer ko ek alag hi nazariye se dekhna shuru kar diya tha. Kyu? After all, Veer ne Slogan jese vyakti ka ant kiya tha. Aur ye koi sadhaaran baat nahi thi. Uss raat hui unke beech conversation, Veer ko acche se yaad thi.
Jassi : Tum theek toh ho?
Jassi ne Veer ko uthaaya aur usse sahaara diya.
Veer : Hmm! Par mujhse chala nahi jaa raha hai. I don't know why... Shareer ki poori energy jese gaayab sii ho gayi hai.
Jassi : Don't worry! Mein tumhe carry kar lunga. Aur Slogan? Wo kaha hai?
Veer : I killed him.
Jassi : Huhhhh???
Raghu : K-Kyaaa??
Veer : I killed him! Aur... Wo uss khaayi me jaake gir gaya.
Jassi : T-Tumne usse maara? Tumne?
Veer : Hmm!
Jassi : Y-Ye...
Veer : What? You guys... Tum sab meri complaint toh nahi karne waale na police me? Haan?
Jassi : Ehhh?? Of course not!!! Balki, hum toh tumhaare shukrguzaar hai. No! Infact, yadi tumhara zikr hota bhi hai kisi investigation me toh hum tumhara naam aane hi nahi denge.
Veer (sighs) : Thanks!
Jassi : Tumhe rest ki zaroorat hai. Team! Waapas chalo! Yaha se nikalne ka time aa gaya.
Jassi ne Veer ko Karan ko thamaaya aur usse le jaane ke liye kaha.
Raghu : Kya baat hai? Tu kuch pareshaan lag raha hai?
Jassi : Huh? N-Nahi! Kuch nahi! Chal!
'Akhir wo kya tha??? I'm sure mene uchaayi par wo saaya dekha tha. Kya wo koi jaanvar tha? Samajh nahi aa raha.' Jassi apne mann ki gutthi mann me hi liye aage badha.
Aur kuch issi prakaar Veer apne ghar laut paaya tha. Sawaal toh kayi puche the Ragini ne uss se ghar me. Par Karan ne matter sambhaal liya tha. Usne na jaane kaha ki kahaani banaayi on the spot aur Veer ko sawaalo se bacha liya tha. Par fir bhi, kal baal baal bacha tha Veer Ragini ke haatho se. Warna pakda jaata. Usse yaad hai Karan ne kese almost uski gaand marwa hi dii thi.
Car se utarte hi, Karan usse sambhaal ke ghar ke andar laaya tha aur laate hi Ragini ke sawaal shuru ho chuke the.
Ragini : Veeeeerrr??? Kaha the tum? Kab se phone laga rahi hu. Aur time dekha hai? Raat ke 2 baj rahe hai Veer. Tumhe pata hai yaha sab kitni chinta me the? Ek phone toh kar dete Veer? Mein thodi tumhe mana kar deti. It's just... Ghabraahat hone lagti hai idhar. Aur aap mahashay??? Aap toh Karan ho na? Veer ke naye dost? Fir aap ne Veer ko kyu nahi samjhaaya? Aur ek minute? Aap kya kar rahe ho idhar? Veer toh akele ghar se nikla tha. Huh??
Karan : Ahahahaha~ Bhabhi jii! Darasal... Wo hua ye tha ki...
'Fucccckkkk!!! Kya hua tha?? Kya hua tha? Poora full scale attack hua tha. But I cannot tell her that. Fuckkkk! Kuch soch Karan!!!' Karan mann me khud se socha. Bahaana toh dena tha kuch na kuch.
Karan : Bhabhi jii! Mein hi Veer ko le gaya tha actually. Ahem! Mere friend ki party thi ek. Toh mene socha akele kya karunga? Toh mein Veer ko le gaya tha. Ahahaha~
Ragini : Kya? Par Veer toh keh ke gaya tha ki business related matter se jaa raha hai woh.
Karan (Veer ko dekhte hue) : Hein? Tum business ki baat karne nikle the?
Veer :
[ ]
Veer ne agle hi pal apni kohni Karan ki pasli me de maari.
Karan : Gwaakhhh!! Arre! Haha! Haan wo sahi hi toh keh raha tha Bhabhi jii! Darasal jis friend ki party me gaye the uski business me acchi pakad hai. Toh... Aisa...
Ragini : Accha! Ek minute! Veer? Tum aise Karan ka sahaara kyu le rahe ho? K-Kya hua Veer?
Aur wo aage badh ke aayi aur Veer ko Karan ke haatho se pakad apni orr kheechi.
Karan : Bhabhi jii! Aaj toh Veer ne kamaal hi kar diya. Party me thodi ladaayi ho gayi thi. Ek aadmi ek ladki ko pareshaan kar raha tha. Bas! Veer kood pade. Ladayi badh gayi. Aur do isne maare toh do usne maare. Isliye, Veer ki abhi ye haalat hai. Hahaha~
Ragini : V-Veeeerrr??? Kyu ladaayi me padte ho? Tum theek toh ho na? Kaha lagi tumhe batao?
Wo kehte hue Veer ko check karne lagi aur idhar Veer muskura ke Karan ko dekh raha tha. Jese kehna chaah raha ho ki saale kal mil, bataata hu tujhe.
Karan Veer ki muskaan ko bhaanp liya aur forun hi usne waha se nikalne me hi bhalaayi samjhi.
Karan : M-Mein chalta hu. Bhabhi jii! Veer ka khayaal rakhna. Aaj kaafi mehnat kari hai usne. Ahahaha~ Goodbye Veer! Fir milte hai.
Aur bas, kal kuch iss tarah hi Veer ki raat guzri.
Aaj toh usne poore din araam kiya aur wo abhi bhi laita hi hua tha. Udaasi me.
[You are sad master!!!] Pari ki awaaz uske mann me gunji.
Pari!!! Jo uss raat sytem levelling ke tehet apni personality ek baar fir badal chuki thi. Veer kahi na kahi, iss Pari ko miss bhi kar raha tha toh wahi uss Pari ke jaane par thoda udaas bhi tha. Par maayusi ka keval yahi kaaran nahi tha. Kaaran tha...
[Swati!!! You are sad about her! Right?]
'Hmm! Pari!'
[This is how life is Master. Uss bechaari ka ant boht hi dardnaak hua. Kya galti thi uss bechaari ki? Still, she died a gruesome death. Ye kismat hoti hai Master. Fortune... Luck... Kab kiska kesa ho jaaye, koi nahi jaanta. That's the reason, you must strive to become strong.]
'Hmm~'
[You have such a kind heart Master!]
'Huh?'
[Aap baccho ke prati kitne sensitive ho. Ye mene dekh liya. Swati bhi ek bacchi hi thi uss waqt. You were seeing her as a kid. And seeing her in pain... You were so hurt. I could feel it.]
'I...'
[Juhi ke prati bhi aap kitne sensitive ho Master. You love her so much. I can see that. Baccho ke prati aapka lagaav alag hi dikhta hai master. Even though aapne ek aadmi ki jaan lii, still... Aap ne ab tak apni sanity nahi khoyi. You are still just like before. That's why I said, you have such a kind heart Master.]
'Mein... Th-Thank you Pari!'
[No! Thank you Master! I'm lucky to have you as my Master.]
'Hmm! Ab ye system ke changes samjhaogi mujhe?'
[Right away Master!]
'Go on then!'
[Master~ You got a random skill yesterday. Let me show you...]
*Ding*
[Skill 'Stock Master' has been rewarded.
Bio : Offers a 70% chance to succeed in sharemarket.]
'Holy fucccckkkkk!!!!' Veer jo ab tak laita hua tha wo jhatke se uth ke baith gaya. Baat hi kuch aisi thi.
'I needed this. Iske zariye... I can...'
[Still! It's not really that good Master. 30% chances hai ki paise doob bhi sakte hai.]
'Pari par 70% success chances bhi toh hai. Normally logo ke liye 50-50 chances rehte hai. Still, log paise lagaate hai na? But for me... It will be 70 - 30.]
[Hmm! Ye baat bhi hai master.]
'Aur kya changes hai? I saw ki, System layout bhi upgrade hua tha. What is it?'
[Bas, cheezo ke dikhaana ka tareeqa master. Just the layout has changed. Let me show you!]
*Ding*
[Name : Veer | Age : 21 |
Status : Student / Businessman
Stats :
Strength - 96/100 | Intelligence - 95/100
Agility - 65/100 | Endurance - 65/100
Appearance - 75/100
Skills :
Sex Protection | Intermediate Martial Arts Skill |
Hawkeye | Limbo | Basic Enemy Tracker |
Absolute Chef | Basic Driving | Stock Master.
System's Internal Features :
Check | Path Tracker | Past Illustration |
Quest Hunt | Slot | Translator | Alpha Trait
Favourabilities :
Suman : 126 (Slave) | Aabha : 90 (Slave)
Sonali : 65 (Familiar) | Ragini : 75 (Close mate)
Nidhi : 40 (Mate) | Shreya : 67 (Close mate)
Juhi : 90 (Best mate) | Suhana : 64 (Close mate)
Sonia : 71 (Close mate) | Kavya : 88 (Best mate)
Shweta : 10 (Familiar) | Bhumika : 38 (Familiar)
Kaera : 75 (Close mate) | Arohi : 70 (Close mate)
Cards :
Bone Reaper | Beowulf's Blessings
Points Remaining : 3300
System Level : Level 6
(600 EXP more to reach Level 7)]
[How is it Master? Layout change ho chuka hai. Do you like it?]
'Ahhh! I see! Waqai! It looks good now. Kaafi cheeze add hui hai. Compact design. Hmm~ I like it.'
[Thank you Master!!! I'm glad you liked it.]
'Pari!!!'
[Yes Master?]
'Points add kar do. Saare stats me. Make them full. All 100.'
[As you wish Master!]
*Ding*
[All stats have reached 100.]
[Remaining Points : 3092]
[Changes kal...]
''Kal subah dekhne ko milenge. I know. Thanks Pari!'
[It's my job Master. Par, appearance ko aapne ekdum se full kar liya hai. Tomorrow! Things will be interesting. Fufufu~]
Saari cheezo ko samajhne ke baad, Veer utha aur haath muh dho ke woh neeche aaya. Neeche aate hi usse alag hi mahaul nazar aaya.
Suman, Ragini, Aabha, Sonali sab zameen par chataayi bicchaaye hue baithi thi aur kuch bana rahi thi.
Veer : Hmm?
Ragini : V-Veer? Aao na! Uth gaye? Ab kesa lag raha hai?
Veer : I'm good Bhabhi!
Ragini (smiles) : Acchi baat hai. Dekho! Mein tumhaare liye gulaab jaamun, namkeen, aur saloni bana rahi hu. Tumhe tyohaar ke pakwaan pasand hai na?
Veer : Hmm?
Ragini : Aaj Holika dehen hai. Hum jaha rehte hai, yaha aas paas koi holika nahi baithi hai. Kya tum m-mujhe leke... Raat me... Holika dehen dekhne chaloge? Yahi main road side?
Wo ek aas liye usse dekhi, wahi side me baithi Suman bhi unn dono ko hi dekh rahi thi. Na jaane kya soch rahi thi.
Veer (smiles) : Kyu nahi Bhabhi? Sure!
Ragini (smiles) : Ahh!! Thank you Veer! Bas, ye taiyaariya kar lu, fir hum dinner kar ke raat me chalte hai. Okay?
Veer (smiles) : Alright!
***
Nidhi's Apartment...
Ragini ke ghar ki hi tarah, Nidhi ke flat me bhi chahal pehel machi hui thi. Aur iss chahal pehel ka kaaran kaun tha? Of course, nanhi Juhi! Uske alawa kaun ho sakta tha?
"Do na mammaaaa!!! Do do do... Candyyyy dooo!!!"
Wo Nidhi ke gown ko kheench kheench ke zidd kar rahi thi. Toh wahi sofe par baithi Shreya uski zidd pe muskuraa rahi thi. Apne Laptop me kaam me lagi hui thi woh.
Nidhi bada sa ek packet khol rahi thi aur Juhi ke liye candy nikaal rahi thi.
Nidhi : De rahi hai na mamma. Aur suno, roz bas ek hi milegi. Okay?
Juhi : Mmm~
Nidhi : Ye lo~
Juhi (perr patakte hue) : Ummm.... Khol ke...
Nidhi : Haa baba! Ye lo...
Juhi : Ehehe~
Aur wo jhatpat apne muh me candy daal bhaag gayi apne khilauno se khelne.
Nidhi (sighs) : Ye ladki bhi...
Shreya : Kal ka kya scene hai Dii?
Nidhi : Hmm? Kal ka kya?
Shreya : Kal holi hai. Kuch socha hai aapne?
Nidhi : Holi me kya Shreya? Harr saal ki tarah, thode pakwaan banaaye hai. Ghar jaa ke Mamma papa se mil aaungi. Bas! Aur kya?
Shreya : Bas? Really? Aur Juhi ka kya? Wo holi kese khelegi?
Nidhi : Society me Juhi ki umr ke bacche boht kam hai Shreya. Aur jo hai, unhe Juhi nahi jaanti. Kal usse bas gulaal lagwa laungi wahi baccho se. Aur kya?
Shreya : What??? Really dii? Yadi aap holi celebrate nahi kar rahi ho toh kam se kam bechari Juhi ko toh karne do.
Nidhi : Mein...
Shreya : Waqai aap bhi na. Aur uss duffer ka kya?
Nidhi : Huh?
Shreya (smiles) : Mera matlab wo... Veer ka kya?
Nidhi : I... Bhala mujhe kese pata hoga uske baare me?
Shreya : Huh? Kya aapki baat nahi hoti uss se? Haan? Aap hi ne toh bataaya tha na ki wo college aaya tha tests dene. Fir? Kya baat nahi hui.
Shreya ke sawaal par Nidhi ko wahi din yaad aa gaya. Wo din jab Veer ne uss se apne dil ki baat keh dii thi. 'I like you ma'am!!!'
Isse sunn ke Nidhi ke saare din itni mushqil se guzar rahe the ki harr thodi derr me usse Veer ke khayaal aane lagte the. Aur wo jese tese khud ko koss ke, samjha ke Veer ki chavvi apne mann se hata deti thi.
Nidhi : N-Nahi!! Meri baat nahi hui. Aur tumhara kya? Aaye din toh tum uske baare me puchti rehti thi. Kya hua? Kya tumhari baat nahi hui uss se?
Shreya (blushes) : Ahh! Wh-Whaaattt? M-Mein... N-No of course not!!! Mein toh k-kaafi samay se busy hu kaam me.
Nidhi : Toh bas fir. Hum dono ko hi nahi pata uske baare me.
Shreya : I... Hey dii!? Kyu na hum usse surprise de? Hahahaha~ Yes! Ye badhiya rahega. What do you say?
Nidhi : N-Nahi! K-Koi zaroorat nahi hai jaane ki. Wo waha apni family ke saath holi manaega. It will be a disturbance for them.
Shreya : Kya dii? Kesa disturbance? Hum toh ghar jese hai na? Aur uski bhabhi bhi toh kitna hume invite karti rehti hai. Veer yaha reh ke gaya hai kitne hafto tak. Toh ye koi bahaana nahi hua.
Nidhi : N-Noooo hum waha...
Wo kuch bolti ki andar se Juhi daudati bhaagti hui aake uski goad par chadh gayi.
Juhi : Maaaamuuu ke ghar... Maaamuuu ke ghar... Mein jaungi!!!! Mammmaa~ Maaasssiii!!!
Pata nahi kese, par apne maamu ka naam sunte hi Juhi ke kaan khade ho gaye aur wo jhatpat andar se bhaag ke aa gayi.
Shreya : Dekha!? Kam se kam ab Juhi ke liye toh chaliye. Uski bhi Holi kitni acchi guzar jaegi. Waha logo se milegi usse accha lagega. Ho sakta hai Kavya bhi aaye? Akhir Juhi aur uski boht banti hai. Ab toh chalenge na hum?
Juhi : Chalna hai... Chalna hai... Maamuuuu ke ghar... Chalna hai...
Nidhi firse mana karne hi waali thi. Par jab usne Juhi ki aankho me dekha aur ye abhaas kiya ki Juhi wese hi apne chote bhai, Dhruv se bichdi hui hai. Na usse koi khelne waala milta hai aur na koi saathi. Yadi problem uski Veer se hai toh isme bechari Juhi ki khushiya kyu daav pe lagaayi jaaye? Ye ek parent hone ka kartavya tha Nidhi ka ki wo Juhi ki khushiyo ka dhyaan rakhe.
Aur ye abhaas hote hi, uski nazre glaani se jhuk gayi.
Nidhi : Sorry beta! Sorry Shreya! Hum kal chalenge.
Juhi : Yaaaaaayyyyyy~
Shreya (smiles) : It's alright!!!
***
Kaera's Villa...
Meanwhile idhar Kaera apne villa me kal ke liye planning kar rahi thi. Julia, uski maid uske makhmal gore badan se kapde utaar rahi thi aur nighty pehnaane hi wali thi jab Kaera ne usse rok diya.
Kaera : No! Not this today! Just a t-shirt and leggings. That's it.
Julia : Are you really sure Miss?
Kaera : Yes!!!
Aur Julia usse fir wahi pehnaane lagi.
Kaera ko Slogan ki maut ke baare me pata lag chuka tha. Par uss se kaafi baatein chhipaayi gayi thi.
Jese ki wo ye nahi jaanti thi ki Slogan ka khaatma Veer ne kiya tha. Usse ye bhi nahi pata tha ki uske hi resort me uss din Steve ka sarr udd gaya tha.
Usse bas itna pata tha ki Steve ki car me firing hui thi. Par iss se pehle ki wo Steve ke shareer ko car se girta dekh paati, uske agal bagal security ne usse surround kar ke andar kar diya tha. Aur wo inn sabhi baato se anibhigya thi.
Par chuki, ab Slogan jaa chuka tha. Wo kaafi relaxed thi. Aur mann me uske planning chal rahi thi. Wo light mood me bed par baithi aur sochne lagi,
'Tomorrow! Hmm~ It's Holi! I never played this. I'll go and visit him. Only he can teach me about this.'
Kaera : Julia!
Julia : Yes miss?
Kaera : W-What is this feeling? Wh-When you don't want someone to get hurt. When you don't want to see that someone getting suffer. When... When you want that person always within your sight?
Julia (smiles) : It's Love Miss!!
Kaera : L-Love?? What is Love?
Julia (smiles) : Didn't you answer me just now?
Kaera : Huh?
Julia : When you don't want to see that person getting hurt and suffer. You want that person to be around you all the time. It's Love Miss! That means you love this person.
Kaera : I... I see!!
'I'll ask Veer. Tomorrow!!!'
***
Ragini's home...
"Hum nikal rahe hai Suman jii! Par aap sab bhi chalte toh accha hota."
Ragini ne apni sandals pehente hue kaha.
Laal saree me aaj wo itni kamaal lag rahi thi ki Veer ko badi mushqil jaa rahi thi. Wo nahi chaah raha tha ki apni hi bhabhi ko taade. Par wo lag hi itni sundar rahi thi ki na chaahte hue bhi uski nazre Ragini par chali jaa rahi thi.
Aur yaha Ragini uski harr nazar pakad le rahi thi. Wo aisa dikha rahi thi jese usse Veer ki nigaaho ke baare me kuch nahi pata. Wo toh balki jaan bujh ke khud ko dikhaana chaah rahi thi. Akhir uske sajne ke peeche ka maqsad hi toh yahi tha.
Wo Veer ke liye hi toh itna saji hui thi.
'Lipstick is fine... Ummm~ Nailpolish done. Baal side me hai, they are looking hot. Bindi done, kaajal done, make-up ka halka touch bhi ho gaya. Sleeveless saree bhi pehn lii. What else? Perfume bhi laga chuki hu. Jwellery bhi ho gayi. What else now? Everything is okay I guess.'
Uske mann me abhi yahi baatein chal rahi thi. Wo nahi chaahti thi ki Suman ya koi aur bhi uske sang aaye. Wo keval Veer ke saath akele jaana chaahti thi. Aur Suman jese uske mann ki baat samajh chuki thi. Usne forun hi keh diya ki wo sabhi ghar par rahenge.
Suman : Koi baat nahi! Aap jaaiye! Hum sab hai yaha. Phone me photo le aaiyega Ragini jii. Hum yahi dekh lenge.
Ragini (smiles) : Bilkul! Video bana laungi. Chale Veer?
Veer : Hmm~
Aur wo dono hi car me baithe aur nikal gaye.
Sonali (muh fulaate hue) : Mujhe jaane kyu nahi diya aapne? Ghar ki dekh rekh ke liye aap toh thi na Maa? Fir yaha hum teen teen jann ko rukne ki zaroorat?
Suman (smiles) : Zaroorat hai. Unhe...
Sonali : Hmm?
Suman (smiles) : Kuch nahi!!!
Raaste bhar Ragini aur Veer me zyaada baatein nahi hui. Baatein hui toh keval nazro se. Veer side-eye karke Ragini ko dekhta toh kabhi Ragini usse dekhti aur usse apni orr dekhta hua paati.
Wo jab jab Veer ko apni orr dekhta hua pakadti, uska mann aur khil uthata. Yaani ki Veer ko bhi usme interest tha. Aur Veer uske saundarya ke aage haar raha tha.
Jab dono hi holika dehen ke sthaan par pohuche toh wahi utar ke Ragini ne saari vidhi se holika ke chakkar lagaaye aur darshan kiye.
Kal holi ka tyohaar tha. Ye tyohaar uske divorce ke baad pehla tyohaar hone waala tha. Aur wo isme koi bhi kami nahi hone dena chaahti thi.
Waha khade log bas Ragini aur Veer ko hi dekhe jaa rahe the. Isliye jaldi se darshan kar Ragini aur Veer car me aake baith gaye. Aur car se hi baahar holika dehen ko dekhne lage.
Tabhi achanak Veer ki nazar Ragini ke gale par gayi,
Veer : Aapka... Mangalsutra...!?
Ragini : Ab jab pati ko hi dur kar diya. Toh kis baat ka mangalsutra Veer?
Veer : No I mean... Aapka gala khaali khaali lag raha tha isliye... I just...
Veer apni nazre ferra hi tha ki Ragini ne uska haath thama aur utha ke apne stano ke theek upar seene par rakhwa liya.
Veer : B-Bhabhi!!!???
Ragini (smiles) : Khaali lag raha hai? T-Toh... Tum kuch kyu nahi laate apni iss bhabhi ke liye? Haan? Anything will do.
Veer : I...
Veer iss sudden harqat se yadi andar tak hil ke nahi reh gaya tha toh ye kehna galat tha. Ragini ke iss action ki usse zara bhi umeed nahi thi. Uske seene par haath rakh wo Ragini ke dil ki dhadkan bakhubi mehsoos kar paa raha tha. Bas thoda sa hi faasla tha. Bas thoda sa... Thoda aur neeche yadi haath galti se bhi lag jaata toh Veer ko unn raseele aamo ka ehsaas mil jaata.
Ragini : Kaho!? Kya apni iss nakaar dii gayi Bhabhi ke liye laoge kuch!?
Veer : Aisa kyu keh rahi ho aap? Kisi ne nahi nakaara hai aapko.
Ragini (smiles) : Tumne bhi nahi na!? Kyuki kisi ek ne toh apne jeevan se nakaar ke phek diya mujhe.
Veer : Aap uss baare me mat sochiye Bhabhi! Hum sab aapke saath toh hai na!?
Ragini (smiles) : What about you!?
Veer : Of course! M-Mein bhi aapke saath hu.
Ragini (smiles) : Then that's all that matters. Fufu~♡
Aur agle hi pal wo aage badhi aur uske laal laal raseele honth Veer ke gaal par the.
*Chu~♡*
*Badump*
Pal bhar ke liye Veer ki jese saans hi atak gayi. Uske gaal par Ragini ke hontho ka thappa jo lag chuka tha. Wo laal lipstick poori tareeqe se uske gaal par honth ka nishaan bann ke chadh chuki thi. Kya Ragini ne issi iraade se aaj fiery red lipstick lagaayi thi. Who knows!?
***
Suhana's home...
*THUD*
Zorr se door band hone ki awaaz aayi aur Suhana apne business outfit me ghar ke andar aayi. Uska mood kuch boht hi kharaab lag raha tha.
'Damn itt!!!!! Ye badi deal haath se nikal gayi. All because of that bastard advisor. Yadi wo beech me taang nahi adaata. Toh sab kuch smoothly ho gaya hota.'
Mann me badbadaate hue wo apne kapde change kari. Aaj uska dimaag behad kharaab tha.
*Ring Ring*
'Huhhh? Sonu ka phone?'
Suhana : Bol Sonu!!!
Sonia : Diii! Kal holi hai.
Suhana : Haan toh?
Sonia : Dii! Kal... Kal mein Veer ke ghar jaaungi. To celebrate Holi. Are you coming?
Suhana : Mein dekh rahi hu tum kaafi close hote jaa rahi ho uske? Kya maajra kya hai Madam?
Sonia (blushes) : Ahhh??? Y-Ye kya bol rahi ho aap. I'm going to give my thanks... T-That's it.
Suhana : Tumhari tarah yadi koi ladki aise ladko ko thanks dene lagi na harr baar toh wo kuch hi dino baad bacche leke ghumegi.
Sonia (blushes) : W-Whaaat?? What are you even saying diii? It's... It's nothing like that. Stop it! Are you coming are not?
Suhana : No waaayyy! Mera mood abhi kharaab hai wese bhi. I'll talk to you later.
Sonia : Huhhhh? D-Diii!!!?
*Call ends*
Suhana ne bina Sonia ke baat sune hi phone cut kar diya. Aur apne anguthe ko daato tale dabaaye soch me pad gayi.
'That idiot... He actually killed him... I knew it... Kuch gadbad hai... He hasn't even returned my gun.'
Wo soch me thi jab achanak hi darwaaza khula aur ek suit pehne aadmi andar pravesh kiya.
"Ohh! Tum aa gayi? Kesi rahi deal?"
Gaurav!!! Suhana ka pati. Usne Suhana ko dekh pucha. Kyuki, Suhana uski hi company ki taraf se deal karne gayi thi.
Suhana : Deal failed. Sab kuch uss company ke advisor ke kaaran.
Gaurav : Whaaaaaaatttttt? Deal fail ho gayi? Kya karti ho Suhana? Itna chota sa kaam nahi hua? Kese tumne aaj..!? Sab tumhari galti hai. Mujhe ye deal nahi deni chahiye thi tumhe.
Suhana : Meri galti? Meri galti????? Excuse me!!!!! Meri koi galti nahi thi samjhe Gaurav??? Wo advisor pehle se hi planning kar ke aaya tha.
Gaurav : Still... Anyways! Jo hua so hua. Jao accha! Jaake mere liye aaj kuch special banao khaane ke liye.
Suhana : Whaaaattttt? Samay dekh rahe ho Gaurav??? 12 baj rahe hai raat ke. Poore time office me thi. Waha se mathapacchi kar ke itni late lauti hu. Yaha tak ki aaj holika dehen tha toh kahi gayi bhi nahi. Aur itni thakaan ke baad tum mujhse khaana maang rahe ho? Chef bhi hai hamaare ghar me. Do you know???
Gaurav : I know! Aur mein bhi koi park me ghum ke nahi aa raha hu Miss Suhana! Din bhar mehnat karta hu. Meri ek post hai. C.E.O ki. Unlike you... Tum ghar me khana nahi banaogi toh kaun banaega? Make me something good. Mein aata hu change kar ke.
Aur wo nikal gaya upar. Idhar Suhana ki mutthi kassi hui thi gusse ke maare. She had enough!!! Mann toh kar raha tha abhi ghar se bhaag jaaye. Din bhar ki bhaag daud ke baad ab wo khaana banaaye???
Wo gusse me kapde badli aur kitchen me gayi kuch banaane bemann se.
Usne agle hi pal Sonia ko call kiya,
Sonia : Hello?? Dii?
Suhana : Tum kal Veer ke yaha jaa rahi ho na?
Sonia : Umm.. haan! yeah!!
Suhana : Count me in!!!!
Sonia : Ehhhh?
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
I told you guys ki update 77 will be interesting. But see, yahi pe moderation ho gaya. Aur iss update me mene left over questions ke answers diye. Ab, sabhi Veer ke ghar par jaa rahi hai. Meanwhile Veer inn sab se anibhigya hai.
Like thokne ka and revos rakhne ka.
Dhanyavaad!