• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,312 83.1%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 204 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,578

Scorpionking

Active Member
991
3,431
123
Update - 107 ~ The Secret Practice
Ab tak...

Car me ghuste hi usse aisa mehsoos hua jaise usne kuch kho diya tha. Aisa lag raha tha jese uske dil me koi sui chubho raha tha. Peeda!!!

Jaise woh himmat hi haar chuki thi.

'N-Nooooo!!!!'

Accelerator par perr rakh usne ek jhatke me gaadi aage bhaga dii,

*VRRRRROOOOOOMMMM*

Abhi abhi...

Ye kya ho gaya tha?


Ab aage...

"Haah! Haah! Haaaahhhh! Urrggghh!!"

*Thud*

Ladkhada ke ek shareer achanak neeche zameen par gira. Saasein tezz, dhadkane tezz, aankhein ekdum laal, poora badan paseene se lathpat, aankho me dhundhlapann aur nirantar khaase jaa raha tha woh shaks.

*Cough* *Cough*

*Cough* *Cough*

*Gwaaakhhhhhhhhh!!*

Khoon!! Muh se uske dherr saara khoon nikla.

[Nooooooooooo~ Masterrrrrrr!!!!!!!]

Pari zorr se cheenkhi. Beshaq, ye Veer hi tha. Wine peene ke kuch derr baad hi Veer ke shareer ke andar na jaane kya kuch hone laga tha.

Woh jese hi gira, Pari ki cheenkhe bhi dheere dheere dheemi sunaayi padne lagi usse.

Usne apne honth khole kuch kehne ke liye par thar-tharaate hue woh waapas band ho gaye.

[Maaaaassssttttteeeerrrrrrrrr~]

Ek dard bhari akhiri awaaz hi Pari ki sunn paaya woh. Aur agle shan hi,

Uski aankhein band ho gayi.

[Nooooooooooooooooooo!!!!!!]

***

"Aaaaaahhhhhhhhhhnnnnnnnn~"

Achanak jhatke ke saath ek ladki apne bistar se uth gayi. Din ka samay tha. Lagbhag 1 baj rahe the. Woh apne kamre me hi thoda araam farmaane ke liye laiti hui thi jab uski halki neend lag gayi thi. Aur neend me usne na jaane aisa kya dekha jiske chalte woh hadbadaate hue uth ke baith gayi.

Shayad, ek bura sapna tha.

Uske kapde paseene se bheege hue the. Khubsoorat se chehre par bhi paseene ki boonde saji hui thi. Haafte hue usne apne chehre par se ek towel se paseena pocha. Aur ek gehri saans lete hue woh kitchen ki orr chal padi.

Ek glass thanda paani peene ke baad woh waapas aayi, kamre ka darwaza andar se band kiya aur bistar par baith gayi.

'Ye bechaini...!'

Usse kuch theek nahi lag raha tha. Usne fauran hi apna phone uthaaya, usme gallery kholi aur uski nazre ek tasveer par jaake theher gayi.

'Thode din aur... Thode din me hi... Tum meri aankho ke saamne hoge. Aur fir uske baad... Tumhe kahi nahi jaane dungi mein!'

'Hum firse ek saath rahenge. Mom se saare raaz khulwa ke rahungi mein. Just wait a bit more. I will come to you. Very soon! My younger one!!'

Aur khud mann me ek lakshya thaan, woh waapas se bistar par lait gayi.

***
Las Vegas ~ 1:47 AM

*VRRRRROOOOOOMMMM*

Ek gaadi sann-sanaati hui raaste par tezz raftaar me bhaagti jaa rahi thi. Derr raat ka samay tha. Lekin, roads par abhi bhi kuch gaadiya aati jaati maalum pad rahi thi. Ye Vegas tha, jo jaana hi apni night life ke liye jaata tha.

Divya ka perr accelerator par tha aur woh saaye-saaye gaadi bhaga rahi thi. Aankho me ek nami chhaayi hui thi,

'Why?? Why Veer?? Kyu kiya tumne aisa? Tum bewakoof nahi ho. You solved the Nightwalker's case. Th-Then how can you just...!? God damn it!!! Tum aisa qadam kese utha sakte ho? J-Just why?? Just tell me you were acting. Just tell me!! I just can't...!!!'

Apne hi mann me uth rahe sawaalo ke woh khud hi uttar dete jaa rahi thi. Ye achanak se kya ho gaya tha? Sab kuch theek chal raha tha. Fir eka-ek Fred ki maut aur ab Veer ki haalat ne unhe chinta me daal diya tha.

Kisi ne bhi Veer ko glass se wine peete nahi dekha tha. Lekin sabhi jaante the ki usne kya kiya tha. Camera uski chest ki pocket me laga tha. Aur jab usne wine ka glass neeche rakha tha. Woh khaali ho chuka tha. Zaahir hai ki usne wine pee thi. Aur fir woh khoon...!!

Itne logo ke beech bhala kese kisi ko murkh bana sakta tha woh?

Aur yahi baat Divya ko bechain kare jaa rahi thi.

Jo Divya Veer ki firki lene ke liye aatur rehti thi, usse chidhaane ka koi mauka nahi chorrti thi, uske saath nakli flirting karte hue zara bhi peeche nahi hatati thi, aaj wahi Divya uske liye aasu baha rahi thi. Ye naina roye jaa rahe the uske.

Kyu bhala? Divya ki khud nahi samajh aa raha tha. Woh kabse itni emotional bann gayi? Lekin fir kyu ye nain baar baar aasuo ko pochhne ke baad bhi bheeg rahe the?

Ek jo kaaran tha woh tha subah ka unka milan. Bhale hi baahar se Divya kitna hi kyu na keh de ki uske aur Veer ke beech ye sab nahi hona chahiye tha. Par andar hi andar kahi na kahi jese woh khud chaahti thi ye aur khush bhi thi.

Aur sangam hone ke baad, thoda sa bhi prem na jaage, aisa bhala kese ho sakta tha? Uske dil me ab Veer ke liye ek alag jagah bann chuki thi. Jiski jagah ab koi dusra nahi le sakta tha.

Usne turant gear neeche kar gaadi chauthe gear me daali aur speed aur badha dii.

Aur kuch hi minutes ke andar woh doori bhi tay kar lii.

*Screeeeeeccccchhhh*

Brakes maarte hue zorr se usne gaadi roki.

*Thud*

Aur darwaaza band kar woh seedha daudi andar kii orr.

Baahar security guards nahi khade the, aur toh aur andar se kayi log bhaagte hue baahar nikal rahe the.

Mike team aur police ke sang shayad pehle hi andar ghus chuka tha.

Andar se baahar nikalte logo ko ignore kar woh daudte bhaagte hue seedha hotel me andar ghus gayi.

Saamne ka nazaara shaant pada hua tha.


images-2

Neeche toh koi chahal pahal hi samajh nahi aa rahi thi. Bas upar se neeche aa rahe log hi dikhaayi de rahe the usse.

Jo ki swabhaavik tha. Veer bhi toh second floor me hi gaya tha. Ye dhyaan me aate hi Divya tezz qadmo ke saath seedha stairs ki orr bhaagi.

Lift lene ke liye samay nahi tha. Aur wese bhi, second floor par jaldi pohuchne ke liye khud ke perr hi sabse accha vikalp the.

Andar ghuste hi Divya ki aankho ke saamne chaka-chaundh kar dene waala drishya tha.

Detectives aur police ki team sabhi maujooda logo ko rok ke unhe baithane ki koshish me lagi thi. Sab ke sab under arrest me the. Nolan ke nirdesh ke baad hi Mike samet sabhi ne andar dhaava bol diya tha.

Ek bhi bach ke jaane na paaye, jitne masks lagaaye the woh sabhi iss party ka hissa the. Police ki madad se inn sabhi logo ko giraft me le liya gaya tha.

Divya ki nazre idhar se udhar duvidha me daud rahi thi. Aur tabhi usse dhyaan aaya,

'The washroom!!! Right!!!!'

Aur woh fauran bhaagi...

Aage badhte hi usse Mike nazar aaya. Toh Divya ne ek tezz awaaz lagaayi,

"Miiiiiiikkkke!!!!!"

Mike : We got this!!!! Go and search for him instead!!!

Usne chillaate hue bataaya.

Police aur uske seh karmiyo ne yaha ki paristhiti sambhaal lii thi. Mike ne fauran hi Divya ko Veer ko dhundhne ke liye kaha.

Aur Divya turant haa me sarr hilaate hue sarpat daud laga dii,

Samay badhta jaa raha tha. Kahi aisa na ho ki waqt ret ki tarah uski mutthi se fisal jaaye aur Veer....!

'Nahiiiii!!!! Nahi!!!! Veeeeerrrr!!!'

Woh mann me chillaayi,

Uske dil ki dhadkan tezz ho rakhi thi.

*Thud*

Pohuchte hi usne washroom ka ek darwaaza khola. Jidhar usse koi dikhaayi na diya.

'Ye waala nahi...! Damn it!!!'

Aur uski ghabraahat aur badh gayi.

Beshaq usne screen par Veer ko washroom jaate dekha tha. Par usse ye yaad nahi tha ki washroom kaun sa tha. Kyuki yaha line se 8 se 10 washrooms the. Aur sabhi ke sabhi behad bade.

"Veeeeeeeerrrrrrrrrr!!!!!"

Woh usse pukaari!!! Veer ka naam le le kar woh darwaaze kholti rahi. Ek na ek me toh milega hi Veer.

*Thud*

'God damn it!!! Where are you....!!???'

4 darwaaze khol ke usne chaaro washrooms check kar liye the, Par Veer kahi bhi nazar nahi aa raha tha.

*Dhak* *Dhak*

Aur na hi woh jawaab de raha tha. Uski bechaini aur badh gayi.

Agar usse kuch ho gaya toh? Toh kya jawaab degi woh Suhana ko? Khud Divya iss buri khabar ke liye taiyaar nahi thi.

"Veeeeeeeerrrrrrrrrr!!!!!???"

Usne punaah pukaara aur jese hi usne paachve darwaaze ko kholna chaaha,

*Click*

Darwaaza apne aap khul gaya.

Divya : Haahhh??

Aur Divya ki aankho ke saamne tha, Veer!!

Jeeta jaagta Veer. Apne jyo ke tyo haal me.

Lekin baal thode bikhre hue the uske. Saath hi aisa lag raha tha jese kahi bhaag daud karke aaya tha woh. Aankhein bhi halki halki laal maalum pad rahi thi.

"Ohhh God!!!"

Jo bechaini, jo ghabraahat, jo darr Divya ko abhi inn chand pal pehle pareshaan kar raha tha. Woh Veer ko apni nazro ke saamne dekhte hi jese chhumantar ho gaya.

Aur agle hi shan,

Woh aage badh Veer se kass ke lipat gayi. Apne haath uske baalo ke peeche le jaate hue usne Veer ke sarr ko zorr se pakad apne kandhe par tika liya.

Iss waqt aisa prateet ho raha tha jese ye ek badi behan ka chote bhai ke prati prem tha. Divya iss samay Veer ki badi behan ki tarah hi lag rahi thi.

Divya : Ohhhh thank god!!! Thank god! You're okay!!!

Aur kuch pal bas khamoshi chhaayi rahi. Divya aur Veer ek dusre ke aalingan me bane rahe.

Kuch derr baad akhir kaar usne Veer ko chorra aur usse dekhte hue apne sawaalo ki jhadi laga dii.

Divya : Kya tha ye sab haan? Veeerrr??? Bolo kuch? Why did you do that?? Kyu kiya aisa Veer??? Kaho? What really happened? Tell me!!!

Veer ki aankhein adh khuli thi. Woh Divya ko dekh zaroor raha tha. Par jese uske bol par uska dhyaan hi nahi tha. Uska dhyaan toh kahi orr hi tha.

*Ding*

[Mission : 'Assassinate the Pitcher' has been completed.]

*Ding*

[4000 Points have been rewarded.]

*Ding*

[500 Fame points have been rewarded.]

*Ding*

[Scroll ~ Profit Path has been rewarded.]

[Maaaaaaaassssttttteeerrrrr~]

Pari ki ek chintajanak pukaar uske mann me goonji.

[Why did you do that???? I told you not to-- ]

'Pari! I'm okay!' Veer ne ahista se jawaab diya usse.

Na chaahte hue bhi Pari ko shaant hona pada. Aisa laga jese woh ro rahi thi. Waqai me. Uski udaasi aur niraasha saaf uski awaaz me jhalak rahi thi.

Aur tabhi,

"Kaha kho gaye??? Veeerrrr!???"

Saamne se Divya ki awaaz sunn Veer ko hosh aaya. Woh apne khayalaato se baahar aaya.

Divya uss se jawaab maang rahi thi.

Divya : Bolo? Kya tha ye sab Veer? Kyu pee tumne woh wine??

Veer : Kya aapne mujhe wine peete hue dekha?

Divya (jhepte hue) : Huh?

Veer : Mene pucha ki kya aapne mujhe wine peete hue dekha?

Divya : ??? T-Tumne wine nahi pee toh kya piya tha? Bewakoof mat samjho Veer! We all saw it. Bhale hi tumhe directly nahi dekh paaye hum kyuki camera tumhari chest pocket me tha par humne dekha tha kese tumne glass hawa me upar uthaaya aur waapas rakha toh wine nahi thi usme. Where did it went?

Veer : It went right here!

Veer ne apni coat ki inner chest pocket ke andar se kuch nikaalte hue usse dikhaaya.

Aur usse dekhte hi Divya ke hosh udd gaye.

Divya : T-This...!

Veer : Yes!!!

Divya : Y-You--

Uske haatho me ek chota sa container tha.

Divya : N-No!!!! Tumhara matlab hai...!?

Veer : Hmm!

Kisne kaha Veer wine ko pee raha tha? Veer muh me zaroor bhar raha tha wine ko lekin bharne ke baad woh aise dikhaata jese woh wine ko gutak chuka hai. Par mauka dekhte hi woh apni inner coat ki pocket me usse thook ke uss container me daal raha tha.

Divya usse bhoot bann ke dekhe jaa rahi thi. Usse vishvaas hi nahi ho raha tha.

Divya : T-Tumne ye kiya tha asal me!?

Veer : Mein paagal hu kya jo woh wine piyunga? Hmm?

Divya : R-Right! T-That was really smart! Par... Par itne logo ke beech tumne kese...!?

Veer : I just got lucky!!!

Divya : I-I see~ Ye boht hi acchi baat hai. Kisi ko kuch pata nahi chala tumhaare iss container ke baare me. Y-You did great Veer. Jab screen me tumhe wine peete dekha toh hum logo ki jaan halak me atak gayi thi. I swear. Suhana bechaari toh... I hope she's alright! It's... It's really good that you're fine.

Usne Veer ke kandhe par haath rakh thodi bheegi aankho se jataaya.


72781f0a-9618-42b9-834d-941260d45bc2

Veer ne haami bhari.

Divya : But wait!!!! Y-Your blood!!! Khoon kese aaya tumhe?? Agar tumne nahi pii toh...

Veer : That was a facade!!

Divya : Wh-What?

Veer : Woh khoon nahi tha!

Divya : Toh kya tha?

Veer : Just some color!

Divya : Color???

Veer (nods) : Right!!!

Divya : Par...

Veer : I prepared it beforehand.

Divya : K-Kya matlab!?

Veer : Woh emergency ke liye tha. I needed help. Lekin aenn waqt pe communication device kaam karna band kar diya tha. Meri awaaz aap tak nahi pohuch rahi thi. Uske liye ye sab karna pada taaki department fauran hi help bhej sake.

Divya : Ahhh!!! I-I see!!! T-Toh ye baat thi. Thank god!!! Everything is fine!

Divya ne kehte hue uske coat se woh communication device nikaal liya aur usse halki muskaan dete hue boli,

Divya : You don't need this now.

Veer haan me sarr hilaate hue aage badh gaya.

Veer : Come! Aur bhi kuch baatein jaan'ni hai abhi.

Divya : Right!!!

Divya usse jaate hue dekhti rahi. Par akasmaat hi uska dhyaan Veer se liye gaye communication device par gaya. Aur,

Divya : H-Hello? Divya speaking!! Can anyone here me??

Aur uske itna bolte hi,

"Yes!!! We can hear you! Loud and clear!!!"

Dusri orr se department ke seh karmi ki spasht awaaz sunaayi dii. Divya hairat me apne haatho me uss device ko dekhti reh gayi.

'This... This is working fine!!!'

Kabhi woh Veer ki peeth ko dekhti jaha Veer dheere dheere apni jebo me haath daale araam se corridor me jaa raha tha. Toh kabhi uss device ko dekhti.

Antatah usne ek baar fir daud lagaayi,

Divya : Veeeeerrrrrrrr!!!!!

Woh chillaayi,

Veer (palat'te hue) : Hmm?

Divya : Ye... Ye toh chal raha hai. It's working fine!!!

Veer : Ohh!? Is it? Well that's good! Kuch derr pehle nahi chal raha tha.

Kehte hue woh ek baar fir aage badh gaya. Machine thi. Kabhi chalti toh kabhi nahi.

Parantu, Divya usse bas jaata hua dekhti rahi. Uski kuch samajh me nahi aa raha tha. What just happened?

Bhaagte hue woh bhi Veer ki chaal se chaal milaayi aur corridor ke baahar nikal gayi.

***

Baahar aate hi nazara kuch aisa tha ki police ne sab apne control me le liya tha. Aur toh aur Mike ne unke saath milke kayi raaz bhi khol ke rakh diye the.

Mike fauran hi Divya ke paas aaya aur usse sab kuch bataaya.

Jo log yaha masks pehen ke party manaane aate the. Ye darasal koi aur nahi wahi log the jo Nightwalker ke mansion me ho rahe khoon ke khel ko live dekh uska lutf uthaate the.

Udhar Nightwalker ka poora live session dark web par daala jaata tha aur idhar log aankho dekhi hatya ka maza lete the. Yahi inki fetish thi. Na keval woh ye sab dekhte the balki iss par kaafi paisa bhi fekte the. Bets bhi lagti thi. Jiska poora fayda Nightwalker aur Pitcher ko hota tha.

Pitcher ki bhi fetish thi jo unn se aur hatke thi. Usse sundar se sundar actresses, models aur celebrities ko maarne ka shauk tha.

Udhar Nightwalker ka maut ka nanga naach jab khatam hota toh idhar uski khushi me Pitcher party rakhta, jisme woh fir kisi ko maut ke ghaat utaarta.

Yaha do tarfi hatya ka kaand chaalu tha.

Udhar se Nightwalker toh idhar se Pitcher.

Dono hi ek dusre ke sang business me bhi the. Woh jo cameras Mansion me the. Woh isliye the. Unke zariye hi ye log masks pehen ke yaha masoom ki bali ka maza uthaate the.

Chuki aisi footages kisi platform par nahi daali jaa sakti thi isliye Dark web ka sahara liya jaata tha.

Aur inhi cameras me se unhe Veer ke baare me pehle hi pata lag chuka tha.

Par ek satya aur tha. Jiski wajah se poora department maat khaa gaya tha.

Woh ye ki...

Nat ne jo invitation card diya tha. Uss par ek serial number bhi tha. Ye serial number card par bhi rehta tha aur...

Aur unke paas data sheet me bhi feed rehta tha. Jab Fred uss card ko leke entry kiya tha.

Toh serial number match karte hi unhe pata lag chuka tha ki Fred ke paas jo card tha woh darasal Natalia ko bheja gaya tha.

Poori chori yahi pakad gayi thi unki. Security ne Pitcher ko sachet kar diya tha. Lekin uske bawajood Pitcher ne usse bulaaya. Ab koi darwaaze tak aaya ho toh bhala uski khaatir daari kese bhul sakta tha woh?

Aur Fred bhi...

Maut ke ghaat utaar diya gaya. Khel khatam.

Yahi haal Veer ke sang bhi hua. Card toh uske paas bhi wahi tha. Nat ka.

Aur usse dekhte hi unhe fir abhaas ho chuka tha. Saath hi Veer ki photo bhi unke paas thi.

Lekin Veer ke mann me jo baat abhi bhi khatak rahi thi woh ye thi ki unko khabar kisne dii thi ki woh yaha aane waala hai? Aur mask pehen'ne ke bawajood bhala kese pehchaan liye woh usse? Iska jawaab woh dhundh raha tha. Aur kuch kuch usse samajh aa chuka tha.

Mike ne ye saari jankaari jese hi bataayi toh Divya ekdum gusse se laal ho gayi. Ab inki chori pakdi gayi thi toh zaahir hai kisi na kisi aadmi ne saara sach ugal hi diya tha Mike ko.

Par iss khel me jin maasumo ki jaan gayi unka kya? Daniel, Chester, Jacob, Fred jese kitne hi maare gaye. Woh toh ab waapas nahi aa sakte the na.

Mike : I have something to show you! Hurry!

Mike ne kehte hue unn dono ko hi kahi le jaane ke liye kaha.

Jaldbaazi me woh uss dining table par pohuche jaha Veer pehle baitha hua tha.

Par jese hi woh waha aaye,

Divya ko ek bada sa jhatka laga,

Divya : Y-Ye toh...!!!

Neeche ek dead body padi thi. Aur ye koi aur nahi tha. Wahi tha...

Pitcher!!!!

Muh se uske dherr saara jhaag nikla hua tha. Saaf tha ki woh zeher se marra tha.

Divya : Isn't he the...!?

Mike (nods) : Yes!!! The same guy who served the wine.

Divya : This...!!

Mike : He used poison to kill others. That wine bottle contains poison.

Mike ne wahi rakhi wine bottle ki orr ishaara karte hue bataaya jo Pitcher ne Veer ke liye kholi thi.

Divya (bauhe sikodte hue) : We are still missing something. How did he die?

Veer : I know it.

Veer ke kehte hi sabhi ki nazre uss par focused ho gayi. Hairaani me woh sabhi usse dekhe,

Divya : Whaaattt???

Veer : The secret practice...!!!

Mike : Secret practice?

Divya : Veer saaf saaf shabdo me kaho!!! Please be quick!!!

Veer : Wanna know the name?

Divya : *gulps*

Mike : !!!???

Aur fir Veer ke muh se sirf ek shabd nikla,


"MITHRIDATISM"

Jisse sunte hi Divya ke poore badan ke raungte khade ho gaye.

Aur uske kaanpte haatho se Veer ka woh device gir gaya. Kyuki woh jaanti thi. Woh bhali bhaati jaanti thi iss ek shabd ka matlab kya tha.

Mike ki samajh me na aaya. Usne apna phone nikaal google kar uss ek shabd ka matlab search kiya aur jese hi usne uske baare me jaana. Uska badan khud kaanp utha.

Mithridatism, ek aisi practice jisme insaan kam maatra me khud zeher leta hai. Maatra itni ki jaan ke liye ghaatak na bane.

Mithridates VI jo Pontus ke Raja the. Maana jaata hai ki woh apni maut ko lekar itne darre hue rehte the ki unhe harr samay yahi lagta tha ki koi unhe chalaaki se zeher deke maar dega. Ye puraatan kaal me ek aam baat thi. Raja maharajao ko ye bhay aksar bana rehta tha ki kahi koi unka apna hi unke saath vishvaas-ghaat na kar de.

Toh zeher unka kuch bigaad hi na paaye isliye Raja Mithridates VI ne kam maatra me khud hi zeher lena shuru kar diya tha. Iss umeed me ki ye kam zeher lete lete ek na ek din unka shareer iss zeher ke khilaaf rog pratirodhak shakti paida kar hi dega. Yaani ki immunity bana hi lega.

Jese aksar hum navjaat shishu ko injections lagwaate hai, fir chaahe woh polio ke ho ya tetanus ke ya anya koi. Inka uddeshya hi yahi rehta hai ki shareer inn rogo ke khilaaf ek immunity bana le. Raja Mithridates ne bhi yahi karne ka socha tha.

Zeher le le ke uske khilaaf ladne ki shakti banana. Parantu ye daav ulta pad gaya tha. Zeher baar baar nirantar lene ke baad wahi zeher unke shareer me ikhatta hone laga tha, jo baad me aage chalke unki maut ka kaaran bann gaya.

Pitcher ka bhi uddeshya wahi tha.

Aur Pitcher...

Ye karne me qamyaab ho gaya tha.


20220903-215107

Aisa nahi tha ki aap yadi iss practice ko apnaate ho toh aapki maut nischit hai.

Hargiz nahi! Yadi non-biological poisons ko liya jaaye toh ye sambhav hai ki aap kuch poisons ke khilaaf immunity nirmit kar sakte ho.

Jo vish ka pyaala hum dusro ko dete hai woh ek na ek din hume khud bhi peena padta hai. Ab tak ye baat Pitcher par sahi se laagu nahi ho rahi thi. Par Veer ke aate hi...

Kaam tamaam ho chuka tha.

Divya : Quick!!! We have to get back to the department. There are still many questions that are left unanswered.

Woh kehti hue aage badhi, Mike bhi haami bharte hue peeche peeche gaya. Parantu idhar Veer ki aankhein Pitcher ki laash par hi tiki hui thi.

Unn aankho me bhayanak gussa tha. Ekdum laal ho rakhi thi woh. Aisa lag raha tha Veer abhi uski laash pe bhi toot padega aur cheer phaad dega.

'I almost died, you bastard!!!'

Woh mann me hi gurraaya.

Uska heart rate bhaiyankar zyaada ho rakha tha. Container?? Kaahe ka container??

Veer Divya ke jaate hue figure ko peeche se dekh raha tha. Siwae Mithridatism ke, jo kuch bhi usne Divya ko bataaya tha.

Woh sab jhooth tha.

Uska asal sach toh uske khud ke antar mann ki gehraiyo aur uske zehen me hi dafn hoke rehne waala tha.

Asli sachhaayi toh kuch aur hi thi...

Jab Veer hotel me ghus neeche Beowulf se check kar raha tha. Tab usse nahi pata tha ki upar balcony me uski photo ko idhar se udhar kiya jaa raha tha.

Parantu...

Ek uss se bhi badi sansani macha dene waali khoj kar lii thi usne.

Neeche uski nazar dur ek aise vyakti par padi thi jo ek wine ki bottle me powder jesa kuch mila raha tha.

Aur ye kya tha ye bataane ki zaroorat hi nahi thi.

Beshaq, zeher!!!!

Veer ka maqsad saaf tha. Na keval usne jaa ke iss baat ka pata kiya balki, usne uss vyakti ke jaate hi wahi powdered substance ki maatra aur badha ke uss wine me daal dii.

Ye sab usne tab kiya tha jab woh vyakti andar kuch lene gaya tha.

Bheed itni thi ki kisi ko kuch nahi pata tha ki kya ho raha hai. Sirf pitcher hi Veer ke baare me jaanta tha aur chand aur log jinhone Veer ki live footage dekhi thi. Par kuch aise bhi the jo Veer ke pehle ke murder footages dekhe hue the. Woh bhi party ka hissa the.

[Maaastttteeerrrrr!!! Wh-Whaattt are you doing??? Aap usme kyu mila rahe ho?]

'Agar mein sahi hu, toh aaj Pitcher nahi bachega!!!'

[N-Noooo!!! Don't tell me you...!!]

'Yes!! I will do it!!!'

Woh waapas se apni jagah par aaya. Aur Veer ne dekha ki kese woh vyakti dobaara se uss wine ki bottle me packing chadha raha tha taaki aisa lage wine ki bottle ekdum nayi hai.

'This motherfucker...!!'

Aur inn chand lamho me, Veer ne ye saara kaam iss prakaar se kiya tha ki uske jeb ka camera saamne ki orr focused tha. Department waalo ko screen me dekh ye katayi pata nahi lag paaya tha ki Veer ne aisa bhi kuch kiya tha.

Fir aaya woh waqt, jab Pitcher ne Veer ko bulaaya.

Uske saath baith ke jab usne Veer ko woh wine offer kii, Pitcher ke chehre par haivaano waali kapti muskaan thi. Kyuki woh jaanta tha ye Veer aaj marrega hi uske haatho se.

Par woh ye nahi jaanta tha... Ki Veer ek aam insaan nahi tha.

Veer ne jese hi wine se bhare glass ko check kiya,

*Ding*

[A glass full of poisoned wine. Don't drink it.]

Sab kuch saamne tha. Ye wahi wine thi. Jisme ferr badal kiya gaya tha.

Aur isliye Pitcher ab tak pakda nahi gaya tha. Kyuki woh bhi same wine peeta tha.

Parantu woh iss zeher se ladne me saksham tha. Lekin aam vyakti nahi.

Aur aise hi sabhi maut ke ghaat utar rahe the.

What a horrifying way to kill.

Woh abhi bhi shaitaano ki tarah muskuraa ke Veer ko dekh raha tha.

'This sly bastard!!!'

Lekin aaj khel kuch alag hone waala tha.

'Pari!!! Open the shop!!'

[Yes Master!!!]

'Find me a skill which can cure this poison.'

[Whaaaatttttt??? Nooooooooo!!! Maaassttteeerrrr!!! Aap aisa nahi kar sakte. I'm telling you please stop!!! Please!!! I'm begging you~]

'Pari...!!!'

[Nooo noooo nooooooo!!!!? How can I??? Mat kariye.... Please!!!! I...]

'DO IT!!!!!!'

Jab Veer mann me zorr se cheekha toh Pari ek baar fir apne master ke saamne haar gayi.

[Master! This is the one but...]

'Kitne points? Ohhh! 5000 Points? One time use only? Fine then! Purchase this.'

[O-Okay but...]

'DO IT!!!!'

*Ding*

['Sylvia's Venom Cure' is now available.]

*Ding*

[Host can only use this skill for one time only.
Warning : Beware of extreme pain, vomit and increased heart rate.]

*Ding*

[Sylvia's Venom cure has been activated.]

Aur agle hi pal, Veer ke andar bhaari maatra me white blood cells bann'na shuru ho gaye. Bann toh pehle bhi rahe the par unki process kayi guna badh chuki thi.

Veer ne fir woh kiya jo sabko hairaan kar diya tha.

Usne wine pee lii thi. Par wine toh container me gayi thi?

Laude ka container! Woh container toh washroom ke soap dispenser ka ek toota hua bhaag tha jo Veer ne washroom se nikalne se pehle hathyaya tha.

Woh color? Ghanta color! Woh toh uska khoon tha jo white blood cells ne poison ke roop me usse baahar fikwaaya tha.

White blood cells hi toh immunity ka kaaran hai hamaare shareer me.

Aur uske baad utha tha Veer ko atyant dard, uska nervous system itne khatarnak sthiti se guzar raha tha ki uska andhruni dard aseem hota jaa raha tha.

Aisa laga tha ki woh ab nahi bachega. Aur behosh hone se pehle usse bas Pari ke bol yaad the.

"Veeeeerrrrrrrr!!!???"

Divya ki awaaz usse firse hosh me laayi.

Veer : Coming!!!

Veer ek akhiri nazar Pitcher par daal aage badh gaya.

Aur baahar aate hi,

*Screeeeeeccccchhhh*

Gaadi ruki aur Suhana aur Nik usme se baahar nikle.

Suhana ki nigaahein jese hi Veer par jaa kar tiki uski aankhein felti chali gayi,

"Veeeeerrrrrrr!!!"

Woh daudte hue aayi aur zorr se kood ke uski baaho me ucchal gayi.

Uske baad wahi hua. Sawaal pe sawaal. Veer ne jese tese maamla shaant kiya.

Par...

Veer : Huh!!??

Woh aashcharya chakit reh gaya jab usne apne bagal me Suhana ko dekha toh...



ayca-aysin-turan-on-We-Heart-It

Woh ro rahi thi. Unn aankho me pehli baar Veer ne kabhi apne liye itne strong emotions dekhe the.

'Miss Suhana...!?'

Veer : Aap ro rahi ho?

Suhana (muh ferrte hue) : Who's crying? Get lost!

Veer : *smiles*

Divya : Tum dono! Take my keys! Mujhe aane me late ho jaega.

Divya ne car ki keys fekte hue kaha.

Aur kuch derr me hi Veer aur Suhana dono Divya ki car me sawaar hote hue waha se ravaana ho gaye. Udhar ki tehkiqaat lambi chalne waali thi.

Idhar car me,

Suhana (smiles) : I'm happy!

Veer : Why so?

Suhana : Duh!!! You dumb! Kyuki tum sahi salaamat ho.

Veer : Par jab mein waha se jaa raha tha tab toh aap gussa hoke bhaag gayi thi bacchi ki tarah perr patak ke.

Suhana (blushes) : Wh-What do you mean by bacchi ki tarah??? I was looking out for you!! Par tum ho ki... Kherr! Chorro!!! Wait!!

Veer : Kya hua?

Suhana : Udhar park hai!

Veer : So!?

Suhana : Stupid! Stop the car! Mujhe thodi fresh air chahiye.

Suhana ki baat maan Veer ne gaadi park ke paas rok dii.

Ye ek open park tha.

Aur dono hi utar ke kuch derr uss khamoshi me tehelne lage. Koi baatein nahi.

Jab achanak hi,

Suhana palti aur Veer se zorr se chipak gayi.



093cc4ca-c38b-499b-9661-aa7ea995ad5c

'Huh?'

Suhana : I thought something will happen to you!!!

Usne usse dekh ke bola!!


IMG-20220903-195050

Veer : But I'm right here! Hai na?

Suhana : Hmm! And that's what matters.

Kehte hue woh uske kandhe par sarr rakh uss se chipki rahi.


IMG-20220903-195122

Jab achanak hi usse dhyaan aaya...

Ki Veer uska pati nahi tha.

Suhana : Ahhh!!! S-Sorry about that...!!

Kehte hue woh dur hatt gayi aur mud gayi.

Veer ko yu akela chorr woh waapas se car ki orr chal dii.

Idhar sheetal leher me, halki hawao me Veer ki lehraati zulfein uski aankho ke saamne fir rahi thi aur nazre tiki hui thi Suhana ke jaate hue figure par.

'You are hiding something. Aren't you? Miss Suhana?'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of almost 5k words. Again, normal length se kahi zyaada bada update.
Likes thokne ka aur revos rakhne ka yaara.
Keep supporting! ✨

Dhanyavaad! ✨
Jabardast update bhai maza aa gaya to veer ne kar dikhaya ab dekhte hai age kya hota hai koi naya target ya go back to India.
 

Pankaj Tripathi_PT

Love is a sweet poison
289
2,336
123
Update - 96 ~ Riddle
Ab tak...

Suhana : Hum acche dost hi hai. Par woh aisi hi hai. Aur lagta hai woh tum me interested hai. Wo koshish karegi tum se harr baat jaan'ne ki but you better stay silent okay?

Veer : Alright!

Suhana : Aur jitna ho sake uss se duri bana ke rakhna.

Veer : Hmm~

Suhana : Let's go now!!

Aur Divya ke hi peeche peeche Suhana sang Veer bhi chal diye. Apne suitcase ko kheechte hue Veer aage badha, uski nazre paini hokar Divya ki peeth par jam gayi.


Ab aage...

*Vrrrrrooooooooommmm*

Car Las Vegas ki makkhan jesi smooth roads par bhaag rahi thi. Divya car drive kar rahi thi, aur Veer-Suhana dono hi peeche baithe hue the.

Car ka interior dekh, Veer kaafi fascinated tha. Kya hi gazab ka interior tha. Adhbhut!



f6265358093583-59ef667883d02

Suhana ne bhi ye Divya ki car notice kii toh wo puch uthi,

Suhana : Ye kab lii tumne?

Divya (smiles) : Looks nice right? Ye mene kuch mahine pehle hi lii. Ek tough case solve ho chuka tha toh uski khushi me ye mene khareed lii. Do you like it?

Suhana : Hmm~

Divya : I can gift you one you know?

Suhana : No thanks!!!

Divya : Awww~ Hamesha ki tarah tumhara jawaab aaj bhi naa hi hai.

Veer surprised tha. Suhana ne ek car ka offer yu hi thukra diya? Kyu? Veer ne Suhana ko dekha toh woh jese samjhi ki Veer uss se kuch puchna chaah raha tha. Fir woh Veer ko samjhaate hue boli,

Suhana : Divya ek detective hai. Kaafi famous yaha par. Aur uske husband bhi. Dono hi popular hai crime studies me.

Par Veer ko toh pehle se hi ye pata tha. Usne Divya ko check jo kar liya tha. Fir bhi usne naatak karte hue haan me sarr hila diya. Divya se zyada Veer ko toh iss car me interest tha.

Veer : Ye kitne ki hogi?

Veer ne wese toh pehle hi system se car ko check kar liya tha. Lekin uske bio me price mentioned nahi tha. Jis kaaran se usse Suhana se ye sawaal puchna pada.

Suhana : Umm... I guess...

Suhana jawab de paati ki uss se pehle hi Divya ne unn dono ko mirror me dekh khud hi jawaab de diya,

Divya : Yadi tumhari Indian currency me convert kare toh, around 7-8 crore kii hai ye car. Veer!! Maybe uss se zyaada bhi haha~

Wo mirror se hi usse aankh maarte hue boli. Khaas kar uske naam ko thoda zorr deke pukaari aur sharaarti dhang se muskuraayi.

Veer unfazed tha. Iss nakli flirt ke aage wo jhuk jaaye aur mantra mugdh ho jaaye? Sawaal hi paida nahi hota. Bhale hi Divya khubsoorat thi par iska ye matlab nahi tha ki Veer harr sundar ladki ke saamne pighal jaaye.

Wo jaanta tha Divya ke status me kya likha hua tha. Jawaan ladko ke saath flirt karna aur unki feelings ke saath khelna uski aadat thi. Ek hobby. Behtar yahi tha ki uski befaaltu ki flirtings par dhyaan na diya jaaye.

Aur Veer ne wahi kiya. Jab usne Divya ki harqato par koi reaction na diya, toh Divya aur curious ho uthi. Uski muskaan aur fel gayi.

[Master~ Hum iss se bhi behtar car lenge future me. Don't worry!]

'Yes Pari!!! Definitely!!'

Suhana : Toh? Kaha chal rahe hai hum?

Divya : Mere ghar of course, aur kaha?

Suhana : Okay! Par tumne toh kaha tha ki serious issue hai.

Divya : Of course dear. Uske liye hume shaam ko nikalna hoga. Meeting hogi aaj. You have to be there. Isliye toh tumhe abhi ghar le jaa rahi hu. Acche se araam karna. Jetlag bhi ho raha hoga abhi.

Suhana : Fine~

Divya : Wese maan'na padega Veer. Waqai tum boht handsome ho. Mujhe laga nahi tha Suhana jab tumhe yaha leke aaegi toh mujhe itna bada surprise milega haha~

Veer : Aapko pata tha ki mein yaha aa raha hu?

Divya : Hahaha~ Pata tha? In fact, I was the one who told her to bring you along.

Veer : Whaaatttt?

Ab ye ek nayi news thi Veer ke liye. Divya ne hi Suhana ko kaha tha ki Veer ko yaha leke aaye?

Divya : Well yes! Suhana ko mera ek purana favour repay karna tha. Toh mene uss se ye karne ko kaha. Tumhe kya laga? Suhana ko ye favours ke saath khelne ki tricks kisne sikhaayi hai? Hahaha~

Veer : Whaaattttt!!!!?

Veer ko ab samajh aaya tha ki Suhana jo itne favours leti thi uss se. Wo asal me Divya ki hi den thi. Usse dekh ke hi Suhana ne ye seekha tha.

Suhana idhar apna muh chhipaaye hue thi. Uske gaal iss baar thode laal the.

Suhana : Stop it Divya...

Divya : Hahahaha~ Why now!? Dekha tumne Veer? She learned it from me. Well! Tumhari kaafi tareefe kari thi Suhana ne toh mene uss se yahi kaha tha ki bring Veer along with you. Mein bhi toh dekho kya khaas baat hai tum me? And you both are here now.

Veer khamosh reh gaya. Toh ye maajra tha. Suhana ke upar ateet me kabhi Divya ne koi favour kiya tha. Aur uske badle me aaj Suhana idhar aayi hui thi. Uss favour ko chukaane. Saath me Veer bhi lapete me tha.

'I see~'

Divya : Toh ab pata chala tumhe wo kyu meri car ka offer nahi le rahi? Hahahahaha~

Veer : Ohh!

Tohh ye baat thi. Yadi Suhana Divya ke haatho dii gayi car le leti, toh kahi na kahi ye bhi ek tarah se favours me hi gina jaata.

'Ohh! I see now!'

[This woman is so crafty Masterrr~]

Divya : Par Suhana dear. Sach me mein koi favour nahi kar rahi. I can gift you a same car like this you know.

Suhana : No! I don't need one.

Divya : Anyways!!! Veer!!! I'm not at all disappointed after seeing you now. You have definitely piqued my interest.

Usne kehte hue ek baar fir aankh maar apna nichla honth daato tale daba liya.

[This bitttttcchhhh~]

Suhana (frowns) : Divya...

Divya : Alright alright!! I won't snatch your Boyfriend Suhana. Calm down!!!

Suhana : Whaaaatttt? He's not my Boyfriend Divya. What are you talking about??? I'm already married. Tum jaanti ho. Don't joke like that...

Divya : Hey hey~ Calm down! Kya hua? I was just kidding okay?

Suhana kuch na boli. Par Veer ne ye zaroor notice kiya tha ki uske gaalo par halki laali chhaayi hui thi.

Aur fir car me ek shaanti chha gayi. Vegas ki uchi uchi buildings, wo tezz raftaar me aati jaati gaadiya, bade bade fly overs dekh Veer uss nazaare me kho gaya.



las-vegas-airport-exterior-sun-0216-xl

Aur car kab Divya ke ghar ke baahar aa kar ruk gayi iska pata hi nahi chala. Samay yu beet gaya.

Divya : Okay~ Here we are...

Car se utar kar dekha toh Divya ka ghar kaafi bada aur aalishaan tha.



las-vegas-home

Ghar ke theek saamne bagal se ek bada sa swimming pool bhi tha. Jagah jagah hare bhare ped paudhe aur sundarta badhaane ke liye kuch anokhe patthar bhi rakhe hue the.

Ek aisa ghar, jo ek baar dekhte hi pasand aa jaaye.

Divya : I hope tumhe pasand aaya hoga? Veer?

Veer : It's nice...

Divya : Well! Ye waala badi mushqil se mila hai. Aur thoda mehnga bhi hai. Haha~ Anyways! Come inside.

Andar aate hi Veer aur bhi dang reh gaya. Interior decor toh aur bhi khubsoorat tha.



Interior-Decorator-Las-Vegas

Veer : Kitne log rehte hai yaha?

Veer ko jawaab pata tha. Lekin fir bhi usse apne aap ko anjaan dikhaana tha.

Divya : Just me and my husband. Make yourselves comfortable. Mein coffee ready karti hu. You guys can take a bath and freshen up. Washroom is right there on the right. Fir lunch ki taiyaari karti hu.

Suhana : Mujhe pata hai already kaha hai washroom.

Divya (smiles) : Ohh! Of course dear~ Tum pehli baar thodi hi aa rahi ho. Mein toh Veer ko bata rahi thi. Fufu~

Uski paini nazar ek baar fir Veer ki aankho se pal bhar ke liye takraayi.

[Maaaastttteerrrr~ Don't look at her!!! Hmph~]

Veer Pari ki baat maan washroom me chal diya. Aur andar aate hi wo ek baar fir ghar ki luxury dekh mugdh reh gaya.



077e95ea2b751a945b4461d2859de697

Usse kuch derr pehle ke Divya ke bol yaad aa gaye, 'Ye waala badi mushqil se mila hai. Aur thoda mehnga bhi hai. Haha~'

'No wonder ye mehnga mila hoga. Really! Mujhe bhi ek ghar lena hai. Then, Bhabhi mein aur baaki hum sab uss waale me raha karenge.'

[Hmm hmm Master! Definitely!!! Master bathtub me bath loge aap?]

'Naah!'

30 ghante ke safar ke baad, usse zaahir tha ki ek behatreen shower ki zaroorat thi. Body odour aur sweat ko hataane ka sabse behtar upaay aur kya hi tha?

Shower ke neeche wo khade Pari se baato me lag gaya.

'Tumhe kya lagta hai Pari? Divya! Kya woh kuch chhupa rahi hai? Usne mujhe saath me laane ko kyu kaha Suhana se?'

[Don't talk about her Masteeerrr!!! I don't like that bitch. Hmph~ Aur usko aap nahi dekhoge ab. I don't like it.]

'Haha~ Ye tumhe kya ho gaya achanak se? Are you jealous?'

[I... I... Aaargghh!! Mene kaha na Massttteerrr!! Usse mat dekho. Aap mujhse baat kiya karo.]

'Alright Alright! Pari! Suno... Mere stats me intelligence 10 points se badha do aur baaki stats 20 points se.'

[As you wish Master. 900 points aapke use hoenge isme.]

'Go ahead!'

*Ding*

[All done Master.]

[Ye raha aapka full status.]


web


philmontgomery-co-1

'Good!!'

***

Shower ke baad, Veer aur Suhana dono ne hi halka fulka khana khaane ke baad araam farmaaya. Jetlag se nijaat paane ke liye.

Aur sooraj dhalte hi wo dobaara se car me baith chal diye.

*Thud*

Car ka door band hua aur tezz kadmo ke saath Suhana, Divya aur Veer crime investigation ke ek office ke andar jaane lage.

Jagah jagah afra tafri ka mahaul tha. Veer ko aisa laga jese woh kisi stationary ki factory me ghus gaya tha, kyuki siwae panno ki gandh ke alawa waha aur koi gandh samajh me hi nahi aa rahi thi.

Chaaro orr nazre ghumaate hue wo peeche peeche hi chalta raha jab achanak se...

'Huh!!???'

Ek ajeeb sii feeling usse mehsoos hui. Badan me rongte khade ho gaye. Usse aisa laga jese usse koi dekh raha tha, ghoor ke.

'There's something wrong.'

Andar aate hi Divya ne ek ek jodi gloves fekte hue dono Suhana aur Veer ko diye. Jo dono ne hi pehen liye.

Uske baad ek jawaan sa ladka daudate bhaagte hue aaya, wo haatho me ek plastic ki transparent thaili liye hue tha.

Divya : Evidence?

Ladka : Yes ma'am!

Divya : Okay! You can leave now!

Aur wo chala gaya.

Veer ne notice kiya ki aas paas ke log unhe kuch zyaada hi acchi nazro se nahi dekh rahe the.

Packet ke andar evidence maujood tha. Kisi crime ka...

Suhana : This...

Divya : Issi ke liye tumhe yaha bulaaya hai.

Veer : Yaha pe koi object kyu nahi kar raha? Mein ye mehsoos kar sakta hu ki ye log mujhe yaha paa kar khush nahi hai. Fir bhi koi kuch keh nahi raha.

Divya : Kyuki mein khadi hu tumhare saath. Veer! Suhana ek prakaar se meri assistant hai. Aisa samajh lo ki usse yaha ki thodi boht access mili hui hai.

Veer : And what about me?

Uske sawaal par Divya usse apna sarr upar kar dekhi.



download-9

Divya : Kaha na... Tum mere saath khade ho. They won't do anything.

Suhana : Mujhe ye batao baat kya hai!? Jaldi!!!

Aur fir Divya ne evidence ko baahar nikaala.

Andar khoon se sana ek pen tha. Ek kaagaz ka tukda aur uss kaagaz ke tukde par kuch likha hua tha.

Suhana : Mein kuch samjhi nahi.

Divya Suhana ko kuch samjha paati ki tabhi,

"You are not allowed here brat!!!"

Ek kathor awaaz unke peeche se aayi. Palat ke dekha toh Divya ka pati, Nicholas khada hua tha.

White shirt ke upar ek long coat daale, aur sarr par typical detective waali cap pehen wo waha khada unhe ghoor ke dekh raha tha. Khaas kar Veer ko.

Divya (khade hote hue) : Nik!!!

Nicholas : Tell him to get lost. Only Sonny babe can stay...

Suhana : I told you not to call me by that name ever again...

Pal bhar me teeno ek dusre ke upar chadh pade. Jaha Nicholas Veer ke yaha hone se niraash tha toh wahi Divya uske iss ravaiyye se gussa thi aur wahi Suhana isliye tilmila uthi kyuki Nik ne usse Sonny kehke pukaar diya.

'Lagta hai Suhana ka past inn dono se juda hua hai.'

[Yes master!!!]

Mauka dekh ke Suhana ne confused Veer ki orr jhukte hue usse samjhaaya,

Suhana : Divya ek personal detective hai Veer. Personal detectives general cases me apni hastakshep nahi karte. Inhe paise zyaada milte hai. Well... Ek prakaar se ye dalaal jese hote hai. Isliye Divya ke paas itna paisa hai.

Veer : I see...

Suhana : Nik bhi ek personal detective hai. Aur isliye yaha ki general investigation unit hume acche se nahi leti kabhi. Kyuki harr tough cases ko aksar hum log solve kar dete hai. Jiske chalte GIU haath par haath dhare baithe reh jaate hai.

Veer : Tabhi woh hume ghoor ke dekh rahe the.

Suhana : Haan! Par Nik... Well! He likes to keep some lackeys around. Wo GIU me apne chele bana ke rakha hua hai. Jis kaaran se uska yaha virodh utna nahi hota. Par Divya ka aisa nahi hai. She doesn't like boot licking...

Veer : In other words, Nik paisa fek yaha chele banaaye hue hai toh wahi aapki friend Divya wahi paise liye apni jebo me daal rahi hai!?

Suhana : Exactly!!!

Yaha Divya ne jese tese Nik ko manaaya toh maamla shaant hua aur Veer ke yaha hone se bhi ab koi dikkat nahi thi. Filhaal ke liye...

Nik samet baaki investigators bhi baithe hue the. Screen par ek ke baad ek graphic images aa rahi thi.

Qatl ki...

Aur qatl bhi kiska? Unke apne ek investigator ka...

Saamne khada Nik ne jab bolna shuru kiya, toh sab shaant ho gaya.

Kal!!! Kal hamaare crime investigations ke members me se ek bade hi mehanti investigator ne apni jaan kho dii.

Jaan khoyi nahi, usse bedardi aur badi hi kroorta se maara gaya.

Daniel hamaara khaas tha. Par jaate jaate apne antim palo me usne hamaare liye ek sandesha chorra hai. Hume kuch bataane ke liye.

Aur hum iski teh tak jaake Daniel ke hathiyaare ko saza dilwaa kar hi rahenge...

"YEEEESSSSSSSS!!!"

Sabhi ek saath waha par chillaaye. Nik ne jab kehna band kiya toh usne evidence Divya ke haatho se lete hue saamne sabhi ko dikhaaya.

Khaas kar uss paper ko...

Jisme Daniel ki hi likhawat me likha hua tha,


Heinous thoughts destroys the mind.
Often the glee tuns into, Unhappiness.

Sorrow remains but shall be forgotten. Emergence of a new beginning prevails.

Opulent, rich thoughts fills the mind once more.
Fend off the fiend this time.

Kindle the fire in yourself. Intensify it. Lure the evil out of it. Lecherous demons shall be punished.

Escape if you realize you cannot handle it.
Remember, there ain't a single one, if you do get caught...

Soul shall burn!!!

Aur uss parche me likhi gayi saari likhaawat peeche badi sii screen par ujaagar ho gayi.

Panne me jagah jagah khoon laga hua tha. Zaahir tha ki kitni hi jaldbaazi me Daniel ne likha hoga isse. Ek paheli thi. Jo kisi orr ishaara kar rahi thi.

Las Vegas ki harr guzarti raat ki tarah kal raat bhi, Daniel keval aur keval ek party me gaya tha apne jeevan ki rozzmarra busy life se thoda relaxation paane ke liye.

Par dikkat tab ho gayi jab woh...

Ussi hotel me ho rahi kisi aur party me ghus gaya. Ek aisi party jidhar usse kabhi nahi ghusna chaahiye tha.

Daniel akela tha. Uske saath koi aur uski pehchaan ka nahi tha. Party me harr vyakti aankho me mask lagaaye anjaan logo se baatein kar rahe the. Daniel ko kya pata tha ki uski itni choti si bhul uski jaan lene waali thi.

Jese hi wo uss party me ghusa...

Na jaane usne aisa kya dekha ya aisa kya suna ki usne forun hi office me team ko call lagaana chaaha. Wo Paseene se tar batar...

Lekin jese uske haatho se phone chhina liya gaya tha. Phone se keval Daniel ka hello hi sunn'ne ko mil paaya.

Shayad koi usse maarne ki koshish kar raha tha. Bhaago!!!!! Yahi khayaal aaya usse. Daniel jese chakma dene me kuch waqt ke liye toh qamyaab bhi ho gaya. Aur ussi beech usne ye likha.

Aur uske baad...

*Sppllluuuurrrtttt*

Subah uski laash hotel ke baahar dustbin me paayi gayi.

Police sahet investigators site ka muaayna lene pohuche par siwae Daniel ke khoon ke alaawa unhe aur kuch bhi haasil nahi hua.

Hotel me puch taach ki toh pata laga ki hotel me party me boht saare log aaye the. Aur jidhar Daniel ko maara gaya, waha koi bhi cctv camera maujood nahi tha.

Yaha tak ki... Footprints bhi saaf saaf ujaagar nahi ho paaye.

Evidence ke taur par kuch bhi nahi chorra tha hatyaare ne. Daniel ki maut chaaku ke vaar se hui thi. Filhaal toh blood ki jaanch aur Daniel ka post mortem hi kuch bata sakte the. Fir bhi eye witnesses ke liye khoj jaari thi.

Aur wo clue... Jisse Daniel ne likha tha. Zaahir hai wo clue hi tha.

Nik ne jab bolna band kiya toh woh baahar chala gaya. Tough cases me Divya aur Nik dono ko hi yaad kiya jaata tha. Bhale hi koi unhe pasand kare ya na kare. Akhir professionalism bhi koi cheez hoti thi.

Assistant Sheriff se khaas pehchaan bhi thi Nik ki. Jis kaaran se usse aur Divya ko aksar ye cases mil jaate the.

Nateeja? Paisa aur tarakki.

Suhana : Toh ye baat hai? Isliye tumne mujhe yaha bulaaya?

Divya : Hmm! Daniel pehla nahi hai Suhana.

Suhana : Tumhara matlab...!??

Divya : Yes! Daniel teesra shikaar hai. Pehle do investigators bhi maare gaye. Aur unke murderers ka pata bhi nahi chala abhi tak. Par iss baar Daniel... Wo khaas tha team ka. Aur ye ussi ki wajah se jo usne hamare liye ek note chorra hai... Mujhe pehle hi pata tha ye saare murders connected hai. Isliye... I called for your help.

Suhana : Hmm...

Divya : You will help me. Right?

Suhana : Hmm~

Divya (smiles) : Thanks!!!

Suhana : Tumhe kya lagta hai Veer!?

Veer ki aankhein projector par hi jami hui thi. Uss likhawat par... Daniel ne jo likha tha..

Uska saral shabdo me matlab ye tha ki...

Daniel aagah kar raha tha. Mann ke bhre vichaaro se dur raho. Ye waha le jaate hai jaha kabhi nahi jaana chahiye. Aur baad me ye musibat me daal dete hai. Aisi musibat jis se aap baahar nahi aa sakte.

Aur jab aapko pata lag jaaye ki aap baahar nahi aa sakte. Toh bhaagiye iss se. Bhaagiye!!! Warna... Ye maut ka kaaran bante hai.

Kuch aisa hi likha hua tha ghuma fira ke Daniel ne.

Par inn sab ka uske murder se kya lena dena??

Divya khud zorr dete hue dekhne lagi jab kuch derr baad hi...

Uske poore badan ke ruye khade ho gaye aur wo apni jagah se chillaate hue uth khadi hui hai.

"Aaaaaaaaaaahh....."

Nik : Whaaatttt!!!?

Suhana : Divya?????

Veer : !!??

Ek ek ki nazar uske upar jamm gayi...

Aur wo haklaate hue fir boli,
"I-I got it... It was so easy!! But nooooo!!!!! Noo no no no no.... This is huge!!!!! It's a big problem... Ohhhhh goooodddd!!!!"

Divya jese paagal ho chali thi. Na jaane usne aisa kya dhundh liya tha Daniel ki likhawat me.

***

Mumbai...
Evening ~ 6 : 24 PM

*Whoooooosssshhhh*

Aasmaan se ek vimaan neeche utar airstrip par land kiya.

Andar se ek aurat aur ek naujavaan khubsoorat ladki baahar nikli.

Aur wo ek cab me sawaar ho gayi.

"Hum kidhar jaa rahe hai? Kuch toh kahiye!" Wo ladki kheejte hue puchi.

"Mene kaha na! Tum ek bhi sawaal nahi karogi."

"Par mujhe jaan'ne ka haq hai. Hum yaha kis se milne aaye hai? Aur kya karne?"

"Mein abhi nahi bata sakti."

"Par kyuuuuu? Aap aisa kya chhupa rahi ho mujhse!?"

Lekin uss aurat ne ek na suni. Cab ek hotel ke saamne ruki aur dono hi mahilaaye andar chali gayi.

Uss aurat ne receptionist ko kuch diya aur badle me kamre ki chaavi thaam wo ladki ke saath upar kamre ki orr chali gayi.

"Akhir kab tak aap mujhse chhupaogi?"

Ek baar fir ladki uchi awaaz me puchi,

"Ek baar me samajh me nahi aati kya Tej??? Mene kaha hai na. Mein nahi bata sakti abhi."

Jii haan! Ye Tej aur Bhavna hi thi.

*Thud*

Aur kamre ke hi andar Tej ko lock kar Bhavna baahar chal dii.

Gusse me aa kar Tej ne apna bag yu hi bistar par patka aur woh window khol kisi soch me doob gayi.

Mumbai ki ye mand mand hawa pata nahi kyu par... Usse ek apnepann ka ehsaas de rahi thi.

'I feel strange... Somewhat... Familiar!!'

***

Wahi baahar idhar Bhavna ghanghor chinta me thi. Uske haath mobile ko thaame hue the aur zorr zorr se kaanp rahe the.

'That was it.... Yes!!! That was it... Mein galat ho hi nahi sakti. Meri aankhein chakma khaa hi nahi sakti. I definitely saw it. Aur yadi wo chori ka nahi hai then he is none other than...'

Sochte sochte ek sihran uske badan me machal gayi.

Aankh band kar ke bhi wo pendant ko maatr chhu kar pehchaan sakti thi. Toh dekhna to dur ki baat thi.

Usne fatafat ek call bhidaaya,

"Hello?"

Bhavna : Hello! Purvi!!!!!

Purvi : Haan? Bhavna? Kya tum ho?

Bhavna : Haan! Mein hi hu, Purvi! Bhavna!

Purvi : Oh my god!! Kaha se bol rahi ho tum? Kaha thi itne din? Ab yaad kiya mujhe?

Bhavna : Purvi! I'm sorry... Par unn sab ka samay nahi hai.

Purvi : H-Hey calm down you know-

Bhavna : I need you!!!!! Right NOW!!!!

Purvi : H-Huh???
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
I'm still not fuly recovered yet. Toh full potential se nahi likh paaya hu iss update ko. But like thokne ka aur revos rakhne ka. Thodi paheliya, thodi mysteries, thoda romance aur dherr saara action aana shuru hoega ab. Sorry for the late update too.
Baaki, keep supporting! ✨

Dhanyavaad!
bhai sahab ye divya to badi chant hai. Aisi ladki ko sudhaarne ka ek alg hi maza hai. Khairr suhana divya ke ek call pr veer ke sath Las Vegas chali gai. Qki divya past me suhana ko koi favour ki thi. Shayad murder se related jese ki humen pta hai suhana ke hathon koi murder hua tha shayad sonia ka frnd pushkar ka jesa ki dekhne ko mila rha hai divya ek detective hai woh bhi powerful smart intelligent to uss murder ko suicide ka naam dene me jyada problem nhi aai hogi. Ab divya ka suhana ko veer ke sath me bulane ke piche Kya Intention hai ye to agey pta chalega. Shayad suhana se veer ki tarifen Sun kr curiosity jaag gai hogi ke veer Kya blaaa hai. Nicholas veer se kyo chidha hua hai? Kya Nicholas veer ke liye khatra sabit hoga? Insaan ke khaal me bhediya hai. Denial ka murder hua hai kisi hotel me jahan shayad usko nahi jana chahiye tha. Usne kuch aisa wesa dekha or suna ki usko jaan tak gawaani padi. Shayad divya ne paheli bhi suljha liya hai. OR uska darr ye btata hai ke koi bhot badi khtre ahat usne Sun liya hai. Nicholas divya or suhana shayad bhot purane dost hai. Veer ki chaal kamyab rhi bhawna ji ko uske doubt ne Mumbai khinch laya. Ye purvi kon hai? Tej ko ye jagah familiar lag rhi hai. Bhawna ji ko kahin veer ko Dada ji ke pariwar wale na mil jaye.
Update - 97 ~ Jim the Slippery
Ab tak...

Bhavna : Hello! Purvi!!!!!

Purvi : Haan? Bhavna? Kya tum ho?

Bhavna : Haan! Mein hi hu, Purvi! Bhavna!

Purvi : Oh my god!! Kaha se bol rahi ho tum? Kaha thi itne din? Ab yaad kiya mujhe?

Bhavna : Purvi! I'm sorry... Par unn sab ka samay nahi hai.

Purvi : H-Hey calm down you know-

Bhavna : I need you!!!!! Right NOW!!!!

Purvi : H-Huh???


Ab aage...

*BANG*

"Moooommm!!!"

*BANG* *BANG*

"Mom darwaza kholiyeee!!! Aap mujhe andar band nahi kar sakti. Mein jaanti hu aap baahar hi hai. Open the door mom!!!"

Darwaaze ko peetate hue Tej kamre ke andar se zorr se chillaayi.

Uski Maa, Bhavna ne usse room ke andar hi band kar diya tha. Usse sach jaan'na ka poora haq tha ki akhir ye sab chal kya raha tha?

"Thodi der... Mein thodi derr ke liye hotel se baahar jaa rahi hu. Tab tak tum chup chaap andar hi rahogi Tej. No questions asked."

Bhavna ne kamre ke baahar se awaaz lagaate hue kaha aur fir waha se nikal gayi. Tej vyarth hi andar chillaati reh gayi.

Par eka-ek uske andar khayaal aaya,

'Mom achanak se Mumbai mujhe leke aayi hai. Aur ab kahi jaa rahi hai? Mujhe bata bhi nahi rahi? Aisa kya reason akhir-- Huh???'

Aur ek tezz sansani macha dene waala vichaar uske mann se hoke guzra.

'K-Kahi... Is it because of him??? Haan!!! Yahi! Yahi reason hai. There's absolutely no way ki Mom mujhe yaha befaaltu me lekar aayi hai. It must be because of him!! My... My brother!!!!!! Oh God!!!! Mene pehle kyu nahi iss baare me socha? I have to see him...!!!'

'Mein Mom ko akele nahi karne de sakti kuch bhi. Warna mein apna chance uss se milne ka kho dungi. Mom jaan bujh ke mujhse chhipa rahi hai baatein. I cannot-- I absolutely cannot let her go alone.'

Chinta me doobte hue wo kamre me idhar se udhar tehelne lagi,

'Kya karu? Kya karu? Shit!!! I'm trapped inside. Service call! Right!! I can call them!'

Apna huiya theek kar wo fatafat wahi rakhe landline me ek call bhidaayi jo hotel ki room service ke liye tha.

Tej ne bataaya ki uski Mom usse galti se band kar ke chali gayi hai.

Hotel waalo ne fauran hi Tej ki request suni aur extra spare card se uske room ko unlock kiya.

Room ke liye key card lagta tha. Jisse scan kar room ka door unlock hota tha. Dikkat ye rehti thi ki yadi aap bina card liye baahar nikle aur door band hua toh door poori tarah se lock ho jaata tha.

Isliye hamesha key card ko saath me leke hi nikalna padta tha. Bhavna to key card leke baahar nikal gayi thi. Aur Tej ne issi baat ko ek bahaane me tabdeel kar diya.

Ki wo galti se andar trapped ho gayi hai. Jabki aisa nahi tha. Uski Maa jaan boojh ke usse band kar ke gayi thi. Kherr! Hotel waalo ko kaun sa kuch pata chalne waala tha.

Baahar aate hi Tej ne jese hi door band kiya. Door firse lock ho gaya. Ab wo bina key card ke nahi khulne waala tha. Jo ki accha hi tha. Andar unka samaan maujood tha.

Aur Tej Bhavna ko dhundne jo nikal rahi thi. Toh dikkat wali koi baat hi nahi thi.

Wo tezz qadmo ke saath waha se lift me gayi aur foran hi neeche reception area me pohuchi.

Tej : Excuse me??? Aapne abhi kisi lady ko baahar jaate dekha? Arre! Abhi just thodi derr pehle aapne mujhe unke saath check-in karte dekha hoga.

Receptionist : Yes ma'am! She went outside.

Tej : O-Okay! Thanks!

Tej hadbadi me bhaagte hue baahar nikli. Na jaane uski Mom kaha chali gayi thi.

'Akhir kaha gayi hongi wo? Unhone kaha tha thodi derr me aa jaengi. Baahar nikal aas paas dhundti hu. Ho sakta hai aas paas hi kahi ho?'

Ye soch wo hotel se baahar nikal aayi.. Daudate bhaagte hue wo haaf haaf kar ek jagah se dusri jagah apni nazre daudaane lagi. Par Bhavna kahi nazar nahi aa rahi thi.

'Kahi wo dur nikal gayi kya? Shit! Yadi aisa hai toh mein nahi jaan paungi wo kya karne gayi hai.'

Wo haar maan hi chuki thi jab achanak se uski nazar road ke uss paar ek cafe ki orr gayi.

'Huh?'

Aur beshaq, andar uski Maa Bhavna baithi hui thi. Par wo akeli nahi thi. Uske saamne waali seat par ek aur mahila viraajmaan thi.

'Y-Ye? Ye kiske saath Mom baithi hai? I must listen to them...!'

Tej unn dono ki nazro se bachte hue cafe me andar aayi aur unke hi aas paas ki table par menu card utha ke apna chehra chhipaate hue baith gayi.

Cafe ki seating iss prakaar ki thi ki Tej aur Bhavna ke beech ek seperation tha. Aur keval thoda uth ke hi uss paar ke nazaare ko dekha jaa sakta tha.

Tej ko dekhne ki zaroorat hi nahi thi. Usse toh bas dono ki baatein sunn'ni thi.

Aur Bhavna Purvi iss baat se anjaan ki Tej unke uss paar baithi hui hai, apni baato me lagi hui thi.

Purvi : Bhavna tum achanak se yaha? Kahi kuch...!?

Bhavna : Haan Purvi haan! Chinta waali hi baat hai. Mene dekha Purvi... Mene dekha...

Kehte hue usne Purvi ka haath apne dono haatho me thaam liya.

Purvi : K-Kya dekha tumne Bhavna? Aisi kya baat ho gayi? Batao mujhe!

Bhavna : Pendant!!!! Mene apni aankho se dekha Purvi. Apni aankho se. Wo wahi pendant tha. Mein galat ho hi nahi sakti...

Ye baat sunn uss paar baithi Tej ke kaan khade ho gaye.

'Pendant? Kesa pendant? Mom kya baat kar rahi hai?'

Par tabhi uske paas waiter aa gaya, "Your order ma'am?"

Tej : Ughh!!! J-Just a coffee.

Waiter : Okay ma'am!!

Uske jaate hi Tej ne punah apne kaan unki baato ko sunn'ne me lagaaye,

Purvi : P-Pendant? Ek... Ek minute Bhavna. Tum kya keh rahi ho meri kuch samajh nahi aa raha.

Bhavna ki aankho me ab aasu aa chuke the.

Bhavna : Purviiiiii~ Pendant!!!!! Wahi Pendant!!! Mene dekha...

Purvi koi bewakoof insaan nahi thi. Jab usne Bhavna ke aasu dekhe aur baar baar pendant shabd uske muh se suna, toh usse ye andaaza lagaane me derr na lagi ki Bhavna kis Pendant ki baat kar rahi thi.

Purvi : T-Tumhara matlab hai ki...

Bhavna (nods) : Haan! Haan Purvi!!! Haan!!! Wahi pendant. Mene dekha... Apni aankho se... Wo wahi Pendant tha.

Purvi : Ek... Ek minute!!! Kaha? Mera matlab tumne kaha dekh liya wo Pendant? Ruko!!! Wo Pendant to uske paas hona chahiye tha na? Toh tumne kaha aur kese...!?

Bhavna : Purvi!!!!! Meri Egypt ki investigation ke dauraan meri mulaqaat ek ladke se hui thi.

Purvi : Ladka?

Bhavna : Haan!!! Kareeb 20-22 saal ki umr ka tha. Lamba, sundar, kaali aankhein... Madhur awaaz...

Bataate bataate Bhavna apne aap hi Veer ko yaad kar uski chhavi me kho gayi.

Bhavna : Wo bhi Mumbai se tha. Usne apna naam Vikram bataaya tha. Wo investigation me keval apni skills ke kaaran hi liya gaya tha. Achanak se hi wo hamaare campaign me shaamil ho gaya tha. Raato raat wo aaya tha ekdum se...

Purvi : That's...

Bhavna : Aur jab wo jaane laga toh mein usse airport tak chorrne gayi thi. Tab... Mene tab hi wo Pendant dekha... Uske gale me Purvi... Uske gale me *sniff*

Purvi : Kyyyaaaaa??? Iska matlab...!!

Bhavna : Iske do hi matlab ho sakte hai Purvi...

Purvi : ???

Bhavna : Ya toh wo pendant uss ladke ne kahi se churraya ho, ya kahi se khareeda ho. Ya fir usse kahi se mila ho... Ye ho sakta hai.

Purvi : Aur dusra matlab hai ki...

Bhavna (cries) : Haan!!! *sniff* haan Purvi!!! Dusra matlab yahi hai ki... *sniff* Wo mera apna kaleja hai. Mera laal Purvi *sniff* Mera baccha!!!!

Purvi ko toh jhatka laga hi tha ye sunke par uss se bhi zyaada bada jhatka laga tha unn dono ke uss paar baithi uss naujavan ladki ko...

Tej!!! Usse aisa laga jese uski saasein pal bhar ke liye atak gayi thi. Usse kuch sunaayi nahi de raha tha. Jese uske senses shan bhar ke liye kaam karna band ho chuke the.

'W-What???'

Veer ka chehra usse yaad aane laga. Wo pal, jab wo kese uss se ladd bhid rahi thi. Wo shan jab Veer ne usse underground site me girne se bachaaya tha. Kese wo uski baaho me thi. Uske wo mazboot haath jo uski kamar par bandhe the.

Wo saare pal jab jab usne Veer se baatein kii thi. Usse ab sab yaad aa raha tha. Saalo se usse apne bhai ki talaash thi. Aur bhagwaan ne unn dono ko milaaya bhi. Par bechaari apne bhai ke itne qareeb hone ke bawajood bhi wo usse jaan na paayi.

'Wo... Mera bhai tha? Mera bhai!? M-My brother? M-Mera apna chota bhai!?? I...'

Tej ko seene me andar se ek tezz dard utha ki usne apne top ko zorr se bheench liya.

Uski aankhein paani paani ho chali. Itne qareeb thi woh uske. Andar uske glaani ka baandh bhi toot gaya.

'H-He... He was my little brother!!??? W-Wo mere itne paas tha... So close... I couldn't even... Oh God...'

Aas paas ke log usse rota dekh rahe the. Par Tej ko koi hosh nahi tha. Hatheliyo se wo apne aasu pochti jaa rahi thi, lekin aasu the jo rukne ka naam hi nahi le rahe the.

Purvi : N-Nahiiii! Aisa kese ho sakta hai? Kya naam bataaya tha usne tumhe?

Bhavna : V-Vikram... *sniff*

Purvi : Kya tumne uski ID check kii?

Bhavna : Haan! ID toh sahi hi lag rahi thi.

Purvi : P-Par aisa kese ho sakta hai? Mera matlab hai... Toh mera laadle ka naam Vikram hai? Par... Wo bhala Egypt kyu jaega? Aur itni kam umr me bhala woh ye sab kese??? Ek minute... Kahi...

Bhavna : ???

Purvi : Kahi wo tumhe yaani ki apni Maa ko dhundne toh nahi aaya tha?

Bhavna : Ahhh!!!!

Purvi : Haan! Aisa ho sakta hai...

Bhavna : N-Nahi! Ye sambhav nahi. *sniff* Uss ghar ke logo ne mere baare me usse kuch bhi nahi bataaya hoga. Aur itni jankaari usse itni asaani se nahi mil sakti. Par mera mann baar baar keh raha hai... Wo mera lalla tha... Mera khoon... *sniff*

Purvi : Ohhh God!!! Mera toh sarr chakra gaya. Pehle ye batao, Tej kaha hai? Kya usse saath me nahi laayi? School me thi jab tab mene usse dekha tha. Uske baad se tum ek baar bhi usse lekar nahi aayi.

Bhavna : Ab aa gayi hu na. Jee bhar ke mil lena apni laadli se... Mein usse hotel me hi room me chorr kar aayi hu.

Purvi : Hmm~ aur ye charcha hume mere ghar par baith ke vistaar se karni hogi.

Bhavna : Bilkul!!!

Purvi : Tumne Tej ko ab tak nahi bataaya?

Bhavna : Nahi Purvi! Mein majboor hu. Tum jaanti hi ho. Yadi Tej ko pata chala ki uska bhai bhi hai yahi iss sheher me toh...

Purvi : Wo bhaagti hui waha jaane ki koshish karegi.

Bhavna : Bilkul! Bas isliye... Mene uss se ab tak chhipa ke rakhi hai baat.

Purvi (chinta me) : Kab tak chhipaogi Bhavna? Kab tak? Kya usse apne bhai ke baare me jaan'ne ka haq nahi?

Bhavna : Haq hai! Par yadi usse pata lagna hoga. Toh sahi samay aane par bhagwaan raasta dikha denge. Mein nahi bata sakti usse kuch. Ye sab kuch sab ki bhalaayi ke liye hai...

Purvi (sighs) : Anyways! Tum ek kaam karo. Ya toh Tej ko leke mere ghar chalo. Ya tum mere saath chalo aur Tej ko baad me wahi bula lenge.

Bhavna : Hmm! Mein tumhaare saath chalti hu. Tej ko phone kar mein bula lungi. Arre nahi...!!!

Purvi : Kya hua?

Bhavna : Mein toh key card leke aa gayi hu. Baahar se lock karke. Wo baahar kese aaegi?

Purvi : Toh usse jaake key card deke aao. Aur fir mere saath mere ghar chalo.

Bhavna : Haan! Yahi karti hu. Kyuki uske saamne baatein nahi ho paengi.

Purvi : Hmm~ baad me usse bula lena. Mera ghar zyaada dur bhi nahi hai yaha se. Wo araam se aa jaegi. Apni muh boli maasi se issi bahaane mil bhi legi acche se.

Bhavna : Haan! Purvi tum yahi ruko. Mein abhi aati hu. Aur...

Purvi : ??

Bhavna : Shukriya Purvi! Mere ek call par yaha aane ke liye. Mein...

Purvi : Kar diya na parayaa? Bhavna! Jese ye maamla tumhaare liye gambheer hai wese hi mere liye bhi hai. Tumhara lalla mera lalla bhi hai. Tumhaari gerr haazri me doodh pilaaya hai mene bhi usse apna ye baat bhulo nahi... Jese wo tumhara beta hai. Wese hi mera bhi. Toh uski maasi hote hue mein kese nahi aati?

Bhavna (smiles) : Tumne sahi kaha. Jitna haq mera uss pe hai. Utna hi haq tumhara bhi hai uspe...

Purvi (smiles) : Ab tum jao aur card deke jaldi se waapas aao. Fir hum nikle yaha se...

Bhavna : Haan!!!!

Jab Tej ko pata chala ki uski Maa waapas se hotel jaane waali hai toh woh hadbada ke uthi aur bhaagte hue cafe se baahar nikli.

"Ma'am aapki coffee!??" Peeche se waiter awaaz lagaata hi reh gaya. Par Tej toh tab tak rafu chakkar ho chuki thi.

Yaha wo hotel pohuch neeche hi rukk gayi. Aur jese hi Bhavna aayi toh Tej ko baahar dekh hairaan reh gayi,

Bhavna : Tum yaha neeche?

Tej : Aap mujhe lock jo kar aayi thi. Call karke mene room khulwaya fir. Kaha gayi thi aap.

Bhavna : Ek zaroori kaam tha. Ussi ke liye.

Tej : Kaun sa zaroori kaam?

Bhavna : Wo...... tha ek kaam.

Tej : Mein wahi puch rahi hu. Kaun sa zaroori kaam? Mumbai me aapko kaun sa kaam aan pada achanak se?

Bhavna : Tumhaari muh boli maasi rehti hai idhar. Tum unse bachpan me school time me mili thi. Mein unhi se milne gayi thi. Unke ghar jaa rahi hu. Kuch baat karni hai. Mein tumhe baad me call karungi toh tum wahi aa jana. Ye card rakh lo...

Bhavna ne Tej ko card thamaaya aur wo nikal gayi.

Kam se kam iss baar usne koi jhooth nahi bola tha. Iss baat ki Tej ko khushi thi.

Ho na ho, wo kese bhi kar ke apne bhai ka pata lagaane hi wali thi.

***

Las Vegas
Night ~ 9:54 PM


Raat ke andhere me aur Las Vegas ki 24 ghante chaalu sadko par jagmagaati city lights ke beech, police ki 3 cars ek ke peeche ek nikalti jaa rahi thi.


Police-cars

Aur unn police cars ke theek peeche hi kuch private cars chal rahi thi.

Jinme se ek me maujood the...

Veer, Divya, Nik aur Suhana.

Kuch derr pehle hui meeting me ek boht bada sach saame jo aaya tha. Aisa sach jisse jaan kar poore crime department me sansani mach gayi thi.

Aur wo sach tha~ Daniel ka akhiri message.

Jisse Divya ne decode kar liya tha.

Message me likhi gayi wo baat ek hint thi. Hint ek bade raaz kii.

Daniel ne jo likha tha badi hi chalaaki se likha tha. Message ke Capital letters ko yadi alag se dekha jaaye toh uttar bann raha tha ~ House of Killers.

Jab Divya ne iss message ko decode kiya toh wo bhauchakii toh thi hi par uss se bhi zyaada bada jhatka usse tab laga jab usne message ko aur dhyaan se padha.

Daniel ka likha gaya secret code sirf ye bataane ke liye nahi tha. Balki wo poora message uski sthiti ko darsha raha tha.


Heinous thoughts destroys the mind.
Often the glee tuns into, Unhappiness.


Iss line ka matlab tha, bure vichaar mann ko nasht karte hai. Jiske chalte, aksar hamaari khushiya niraasha me tabdeel ho jaati hai.

Matlab? Matlab saaf tha. Daniel ke mann me uss shan koi bura vichaar aaya tha. Par kyaaa??? Wo aisa kya soch raha tha uss waqt?

Party me jaana? Iske alawa aur kya hi ho sakta tha?


Sorrow remains but shall be forgotten. Emergence of a new beginning prevails.

Iss doosri line ka matlab tha~ Dukh toh bana rahega par usse bhoolne ka prayaas karn chahiye. Tabhi, ek nayi shuruaat janm leti hai.

Teesri line ~
Opulent, rich thoughts fills the mind once more. Fend off the fiend this time.

Jiska arth tha ~ Acche khayaal mann me punah aaenge. Par iss baar mann ke mel ko haawi hone na dena.

Shayad Daniel aagah karne ki koshish kar raha tha.

Chauthi line ~
Kindle the fire in yourself. Intensify it. Lure the evil out of it. Lecherous demons shall be punished.

Jiska matlab tha ~ Apne andar ki aag ko jalaao. Bhadkao. Aur uss shaitaan ko baahar nikaalo. Bhrastacharan shaitaan ko maar feko.

Shaitaan!!! Daniel kis shaitaan ki baat kar raha tha?

Paachvi line ~
Escape if you realize you cannot handle it. Remember, there ain't a single one, if you do get caught...

Jiska arth tha ~ Yadi sambhaal nahi paa rahe ho, toh bhaag jaana. Yaad rakhna! Veh ek nahi hai. Yadi pakde gaye toh...

Aur akhiri line ~
Soul shall burn.

Jiska matlab tha ~ Maut!!!!

Yadi pakde gaye, toh seedha maut. Aur Daniel ke saath kya hua tha?

Bas isliye... Isliye Divya ghabraayi hui thi.

Nik car drive kar raha tha, par uska mann kahi aur hi bhatka hua tha. Uske bagal se Suhana front seat par baithi hui thi. Toh wahi peeche Veer ke saath Divya virajmaan thi.

Divya : Yadi mein galat nahi hu, toh yahi baat honi chahiye.

Suhana : Mujhe nahi laga tha, maamla itna serious hoga.

Unki manzil thi, roadside alleys. Wo sakri kuliyaa jidhar raat ke andhere me kaarnaame hote the.

Daniel ke message se ye pata lag chuka tha ki koi gang thi. Aisi wesi gang nahi. Boht badi gang. Aur wo ek saath apne kaamo ko anjaam de rahi thi.

Khushkismati se ye bhi pata lag gaya tha ki gang me ek shaks tha~

Jim!!!!

Unka aaj ka pehla target.

Jim the Slippery ke naam se wo pehle hi Vegas me baar baar police ke changulo se nikal jaane ke liye mashoor tha.

Jiske chalte uska ye naam pada ~ Jim the Slippery.

Par unn sabhi ne ye nahi socha tha ki Jim House of Killers se juda hua tha.

Divya : Jim!!! Jim booze, girls aur drug dealing ke liye famous hai. Tonight we must catch him.



download

Suhana : Kya wo aaj bhi unn alleys me drug dealing karne waala hai?

Divya : Yadi hamaare detectives ki info sahi hai. Toh haan! Aaj raat dealing unhi kisi alleys ke andhere me hoegi.

Suhana : Toh range haatho pakadne ka mauka hai hume.

Divya : Yes!!!!

Ye dono baato me lagi hui thi. Toh wahi Veer peeche ki seat par chup chaap baitha hua tha.

Wo soch me dooba hua tha. Kyuki Basic Enemy Tracker kaam nahi kiya. Aisa pehli baar hua tha.

[Master! Iska ek hi matlab ho sakta hai.]

'What?'

[Yahi ki jisse hum track karna chaahte hai wo apne kisi worker ko apna nahi maanta. Ya wo uske apne nahi hai. Yadi Jim ke lackeys uske apne hai toh hi Basic Enemy Tracker kaam karegi.]

'So that means...'

[Yes! Jim ne kisi unknown logo ko kaam ke liye rakha hai. Aise me Basic Enemy Tracker uske saathiyo ko track nahi karegi. Because they are not related to each other. This guy is definitely smart.]

'I see... In that case... Mujhe kuch aur hi approach lagaani padegi.'

Aur tabhi....

*Ding*

[Mission : Capture Jim the Slippery.
Rewards : 1) ???? Points.
2) Divya's change of view.
3) ??? Fame Points

Venue : Roadside Alleys.
Time limit : 1 hour.]

'Issi ka toh intezaar tha.'

*Screeeeeeccccchhhh*

Car ke brakes lage aur car unn alleys se kuch duri par rukk gayi.

Baari baari wo sabhi car se utre. Police bhi maujood thi. Unki safety ke liye. Kyuki yaha kuch bhi ho sakta tha.

Nik : We will start from here. The network of alleys expands as we go deeper. Take your connection devices. If you see anything suspicious, send out your location. Keep checking your mobile phones for other's locations as well.

Nik ne unhe suchit karte hue kaha. Usne sabhi ko devices pakdaaye hue the. Kaan me unhe laga ke wo ek dusre se sampark kar sakte the. Aur mobile me hi GPS active tha. Jiske zariye unn sabhi ko ek dusre ki locations nazar aa rahi thi.

Nik : You two ladies!!! Are you coming with me?

Divya (smiles) : No!!! I'll be with Suhana.

Nik : Alright! Be careful. I'll go first.

Kehte hue wo andar unn kuliyo ke raasto me chala gaya.

Toh wahi Suhana aur Divya bhi Veer ko akhiri baar ishaara kar waha se andar ki orr chali gayi. Aur Veer akela bacha tha toh woh bhi ek raasta pakad andar chal diya.

Sakri alleys me andhera hi andhera tha. Kahi dust bins pade hue the toh kahi jungli billiyaa idhar se udhar raasta kaat rahi thi.

'Pari!!!'

[Mein samajh gayi Master.]

*Ding*

[Path Tracker has been activated.]

Aaj ki raat patrolling ki raat thi. Veer samet wo sabhi drug dealers ko pakadne nikle the. Par niraasha waali baat ye thi, ki abhi tak kuch bhi unke haath nahi laga tha.

Kuch chand minute hi bache the Patrol khatam hone ke liye. Raat ke andhere me alleys me khamoshi bikhri hui thi. Aur harr ek alag alag alleys me Veer, Suhana - Divya aur anya team members bikhar kar chhaan been me lage hue the.

Veer idhar ek alley me tehel raha tha. Aankhein uski kuch zyaada hi laal thi, uske senses kayi guna badh chuke the. Beowulf's Blessings ON tha.

Ek mod se jese hi wo muda, achanak hui harqat se woh chaukanna ho gaya jab ekdum se ek figure andhere me se uski taraf aake ruka. Aur usse dekhte hi Veer thoda chakit reh gaya,

Veer : Aap??

Saamne Divya khadi hui thi.

Divya ko dekhte hi, Pari ne forun hi card ko OFF kar diya. Veer ki aankhein waapas se normal ho gayi.

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been turned OFF.]

Yadi Divya uski aisi aankhein dekh leti, toh zaroor Veer sawaalo ke ghero me pad jaata.

Divya : Ohhh!! Tum ho. I thought mujhe koi clue mil gaya.

Veer : Miss Suhana kaha hai?

Divya : Well! Wo chalte chalte thak gayi thi toh mene usse car ke paas tak chorr diya hai aur mein khud hi investigate kar rahi hu.

Veer : I see!!

Divya : Par tum usse 'Miss' kehke bulaate ho, ye waqai ajeeb baat hai. Haha~

Veer : Isme ajeeb kya hai?

Divya : Nothing! Aaj kal naujavaan hot-headed hote hai. Ya toh naam se hi bulaate hai, ya didi kehkar!? ya fir kuch aur? Par tum kuch zyaada hi respectful waale bande ho.

Veer ne badle me koi jawaab na diya. Jesa ki Suhana ne kaha tha, Stay away from her. Veer wahi kar raha tha.

Divya : Hmm~ That's strange!

Veer : What?

Divya : Yahi ki ek khubsoorat lady akeli hai tumhaare saamne and you are not attacking. Ab tak toh tumhe mere upar haath saaf kar lene chaahiye the right?

[What the hell??? Isne samajh ke kya rakha hai apne aap ko? Maaasteeerr!! I want to slap her so bad!!! Fucking bitchhhh!!!]

Veer shaant tha. Jab Veer ki taraf se Divya ko koi response na mila toh woh chalte chalte hi beech me rukk gayi aur peeche mud ke Veer ki orr dekhi, jidhar Veer sarr jhukaaye hue khada tha. Uske chehre par kya expressions the woh dekh nahi paa rahi thi. Aur fir...

Veer : Detective!!!!

Divya : Huh????

Veer : Don't try to be oversmart!!!

Divya : Wh-What!?

Veer : My eyes can see all your tricks. Airport par mujhe jaan bujh ke Vegas ki dirty nightlife ke baare me bataana. Wo bhi Miss Suhana ke saamne, just to observe her reaction. Samay samay par unke saamne mujhe flirty looks dena. Even in front of your own husband. Baat baat par bahaane se mujhe touch karna. You think I'm stupid? I was observing all your tricks. Yadi mere baare me jaan'ne ka itna hi shauk hai toh seedhe muh se puch lo. Ye bachkaani harqate karne ki zaroorat nahi. Also, you should stay away from me. If you'll come too close to me, then...

Kehte hue wo Divya ke nazdeek aaya aur iss baar uske kaan ki orr jhukte aur bola,

Veer : You might get BURN!!!

Aur pal bhar ke liye, Divya ke badan me ek zordaar sihran daud gayi. Uska dil jese usse ahaat kiya... Ki uske saamne khada ye insaan, woh nahi tha jo baahar se dikh raha tha. Aur iss se ulajhna theek nahi tha.

Divya : T-Tummm....!!!

Veer toh itna bol Divya ko ignore kar aage nikal gaya. Usse zara bhi pasand nahi tha jab koi oversmart bann ke usse taunt maare. Aur usne ek namoona de hi diya tha abhi Divya ko. Yadi ab bhi woh silent nahi hui, toh Veer ke paas aur bhi tareeqe the.

Wahi peeche khadi Divya ki pride par jese keechad uchhla tha aaj. Veer koi pehla banda nahi tha jiske saath woh flirt kar rahi thi. There were countless men she had conversed with. Aur aaj tak kabhi kisi ne iss tarah uska palat ke jawaab nahi diya tha. Fir ye Veer kaun hota tha uske saath iss tarah behave karne waala?

Par jese gusse ke saath hi saath uski curiousity uske gusse par haawi ho gayi.

'I see!! Interesting!! Very interesting!! Tumhaare saath waqai mazaa aane waala hai iss investigation me... Veer!!!'

Antatah, wo bhi Veer ke peech peeche chal padi.

Aur abhi wo kuch kadam hi aage badhi thi jab...

*Rustle* *Rustle*

'Huh!?'

Unhe kuch awaazein sunaayi padi. Divya agle hi pal apne detective mode me waapas se aayi aur Veer ka haath thaam usse lekar dheere dheere aage badhne lagi.

"Take these away. C'mon Quick! Quick!!!"

Ek awaaz unhe sunaayi dii. Ye awaaz ek mod se aayi thi.

Unn dono ne deewaar se satt ke mod me jab jhaank ke dekha. Toh jiski unhe talaash thi, wo unke saamne tha.

Badi badi gaadiyo me drugs thailiyo me bhare jaa rahe the. Aur unko manage karne waala banda... Wahi baitha hua tha ~ Jim!!!

Divya ke haath ye dekhte hi apni kamar par gaye aur usne apni handgun unholster kii.

Usne baakiyo ko message bhi bhej diya aur apni location bhi.

Aur fir...

"Hands up!!!! You guys have been surrounded."

Wo ekdum se aage badh unpe aim laga ke khadi ho gayi.

Waha khade log ekdum se iss halchal se ghabra gaye par jab dekha ki unke saamne ek amla naari akeli khadi hui thi. Toh sab relaxed ho gaye.

Jim : Huh? A beautiful lady? What are you doing here Miss???

Kehte hue usne apni jeebh se nichla honth geela kiya. Jese wo Divya ko upar se neeche dekh parakh raha tha.

Jim (mann me) : She'll fetch a good price. I must capture her here.

Jim : Take her!!!

Aur uske ek ishaare par waha maujood kuch aadmi aage badhne lage. Toh wahi kuch apni gun nikaal uski orr taan ke khade ho gaye.

"Run!!!!"

Veer ne mauka dekh Divya ko thaama aur usse kheech ke lekar bhaagne laga.

Jim : Catch them!!! Quick!!!

Aur unke peeche baaki aadmi bhaag ke aane lage.

Veer (daudate hue) : What were you doing???

Divya : Whaaaattttt??? Unhe pakad rahi thi. Tumne waha se mujhe bhagaaya kyu? I had the gun.

Veer : Guns unke paas bhi thi. We got outnumbered.

Divya : Damnnn ittt!!!!! But still...

Alleys se Divya aur Veer familiar nahi the. Jiska nateeja? Wo aadmi log ghoom ke unke saamne ke raaste se aa gaye aur unhe gher liye.

Veer : Stay behind me. Time to fight!!!!

Divya : Huh!!??

Aur bas... Ab koi chaara nahi tha.

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been turned ON.]

*Whoooooooooosssshhhhhh*

Divya : Wh-Whaaattttt???

Veer apni jagah se itni tezzi me move kiya ki waha khade log ye dekh wahi jamm ke reh gaye.

*Bang* *Bang* *Bang*

Veer ko jaha jaha move hota hua unhone dekha unn sabhi ne fire kar diya...

Par bullets toh Veer ki afterimages se jaa guzri. He was too fast.

Divya ek support liye khud ko defend kar peeche se phati aankho se sab kuch dekh rahi thi. Aur usse ab samajh aa chuka tha ki iss bande ne Aatish aur Slogan ko kese maara tha.

'This... This guy...!!!!'

Uska muh khula ka khula reh gaya.

*Thud* *Bang*

Ek ke baad ek aadmi waha dherr hota jaa raha tha aur bechaari Divya saamne ghatit ho rahe scene ko stabdh nigaaho se dekh rahi thi.

Jab almost sabhi pitne ke baad neeche girne waale the tab hi peeche se...

"You bitch!!!!!"

Jim ne Divya ko thaam liya.

"Urrrgghhh!!!!!"

Unn dono ke beech hathapaayi me Jim ne jaha knife se Divya ka haath chotil kiya toh wahi Divya ne apni taang se Jim ke antolo ko nasht kar diya.

"Aaaaaaaaaaaaaarrrrrrghhh!!!"

Dekhte hi dekhte Jim ki toli par Veer aur Divya bhaari pad chuke the.

Jim apni gun nikaal Divya ko udaane hi waala tha jab ek lohe ki rod tezz raftaar me hawa me udti hui uski orr aayi aur uske kandhe par zorr se lagi,

Haatho se gun choothi, wo zameen par gira aur Divya uss par toot padi.

Maar maar ke jab tak wo sabhi adhmari haalat me na aa gaye, tab tak Veer aur Divya ruke nahi.

Aur uske baad hi waha sab kuch shaant hua. Veer ka hona Jim ke poore plan par paani ferr chuka tha. Aisa kuch bhi hone ki unhe umeed nahi thi.

Itni asaani se wo police ke haatho me phass jaega? Keval aur keval iss ek naye ladke ke kaaran.

Veer ne aage aa kar komalta se apna haath aage badhaaya, uske haath ko thaam ke Divya ahista se khadi hui. Chaahe kitna bhi kyu na bhaag le woh, jab young men ke attractions ki baat aati thi toh woh aksar unse flirt karne lag jaati thi. Uski personality hi aisi thi. Aur Veer bhi uske liye unme se ek tha. Par Veer ke dil ki parat ko Divya apne charm se tod ke andar pravesh nahi kar paa rahi thi. Aur yahi challenge usse gussa bhi dila raha tha par saath hi saath usse excite bhi kar raha tha.

Wo kehte hai na, shikaar jitna mushqil ho, usse pakadne me utna hi mazaa aata hai. Divya ko bhi abhi Veer ko pakadne ke challenge me aisa hi mehsoos ho raha tha.

Veer ne idhar apne jeb se emergency ke liye rakhi hui ek bandage nikaali aur Divya ke haath par badi hi savdhaani se woh usse baandhne laga. Khoon fauran hi bandage par absorb hona shuru ho gaya. Par iss waqt, na hi khoon aur na hi bandage thi jo Divya ka dhyaan kheeche hue thi. Divya ki pulse nirantar badhti jaa rahi thi, jese jese Veer ki ungliyo ki chhuvan uske haath par pad rahi thi. Kayi ladke dekhe the usne par Veer jesa aaj tak koi na dekha. Kuch alag hi baat thi usme.

Wo saumya sparsh hi kaafi tha Divya ke dil ki dhadkano ko tezz karne ke liye. Jab Veer ne bandage baandh dii toh usne apna sarr upar kar Divya ko dekha jo usse hi chup chaap nihaar rahi thi.

Veer : Filhaal ye khoon ko thoda rok ke rakhegi. You will get stitches. Mein team ko call kar raha hu. You cannot continue now.

Divya : Thank you~

Divya ne iss baar apne dil se kaha. Aur uski aankho me jhaakti rahi jab tak Veer khud uski aankho me dekh raha tha. Veer ne abhi bhi uska haath thaama hua tha, jiske baare me soch Divya ke hontho par apne aap ek muskaan sajj gayi. Aur beparvaahi se, bina kuch soche samjhe hi, Divya ne apna angutha Veer ke haath par komalta se mal diya.

Attraction waqai boht hi shaktishaali hathiyaaro me se ek tha. Divya ye baat kese bhool sakti thi!?

'Ohhh noooooo~ Ye mene kya kiya? Shikaari mein hu. Woh nahi. How can I lose myself in his charm?'

Jab usse apni harqat ki bhanak lagi toh woh apna sarr na me hilaate hue khud ki tezz saaso ko thaamne ki koshish karne lagi. Veer ne turant hi team ko call kar apni nayi location bhej dii aur beshaq, kuch derr baad hi...

"Divvvyyyaaaaaaa!!!!"

Achanak aayi Suhana ki awaaz ne unn dono ko sachet kar diya. Dono hi ek dusre se thoda dur khade ho gaye. Dekha toh paaya ki Suhana ke sang Nik aur do aur team members bhi aa rahe the. Saath hi peeche hi car bhi maujood thi.

Nik (paas aate hue) : What the hell happened here?

Sabhi ki nazre Divya ke bandaged haath ki taraf gayi toh Divya ne apna sarr jhuka liya. Na jaane kya soch rahi thi.

Divya : We found all the guys. I got injured by Jim. But thanks to Veer. Not only he handled them well, he also protected me. He provided me with the first aid. I'm in a much better state compared to how I would have ended up without him.

Nik : You are fine? What the hell you are talking about? Look at your hand. Quick! We need Medical help.

Aur wo Divya ko thaam ke le jaane laga. Par jaane se pehle usne ek baar peeche mud Veer ko zaroor dekha aur bola,

"Thanks!!"

Aur woh usse lekar aage badh gaya. Divya ne bhi ek jhalak peeche mud ke dono hi Suhana aur Veer ko dekha. Veer ko khaas kar aur fir woh car ke andar baith gayi. Aur idhar,

Suhana : Thanks~

Veer : Hmm??

Suhana : Thanks for saving her. You know, Woh jesi bhi hai. Meri boht hi khaas dost hai. Sabse khaas. She has supported me in my darkest times. Toh uska tumhaari taraf rude behaviour hone ke baad bhi tumne uski help kii. Really!! Thanks!!

Veer : Alright!!

Suhana : And...

Veer : !!???

Suhana : Are you okay?

Puchte hue woh Veer ki taraf aage badhi aur uske badan ko bareeki se dekhne lagi ki kahi Veer toh chotil nahi hua.

Veer : I'm fine!!!

Veer ke kehne par Suhana ki nazar fir peeche alley me gayi jidhar kayi saare aadmi pade hue the. Aur unhe uss haalat me dekhte hi uske badan me ek kampan fel gaya. Aur woh ek soch me pad gayi.

'Just how much strength is needed to handle all those guys alone?? Veer... Tum... Kitne sach chhipaoge mujhse?'

Veer : We should move as well.

Suhana : Ahh!! Right~

Aur kuch issi prakaar se, 'Jim the Slippery' unke haath laga. First Criminal was captured. Issi ke saath, mission bhi clear ho chuka tha.

*Ding*

[Mission : 'Capture ~ Jim the Slippery' has been completed.]

*Ding*

[You have been rewarded 3000 Points.]

[Divya now has a fixed favourability of 50. Her thinking has been changed towards you. No matter what actions you take, Divya's favourability won't drop below 50.]

[You have established a name of yourself by catching the criminal splendidly. You have been rewarded 200 Fame Points]

'One target down!!! Na jaane kitne baaki hai abhi.'

[It's going to be really tough Master! Really tough!!!]

Pari ki baat se sehmat hoke, Veer chal diya Suhana ke sang car ki orr.

Pehla criminal toh asaani se pakad aa gaya. Par kya baaki bhi itni asaani se pakad me aane waale the? Ye toh waqt hi bataane waala tha.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Ye update almost 6k words ka hai. Ek prakaar se Mega update hai ye. Toh likes thokne ka aur apne revos rakhne ka.

Dhanyavaad! ✨
toh purvi muh boli massi hai veer ki, jisne bhawna ji ke gairmauzudgi me veer ko maa ka pyar diya. Tej ne maa ke piche jakr ye jana ki vikram uska Bhai hai jiske sath Egypt me thi. Tej NE soch liya hai woh bhi veer ko dhundhegi. Jesa ki lga hi tha suhana ki past bhot Dark rhi hogi uss wqt divya ne help kiya. Veer ne divya ko hadkaa diya or sath me jim ND gang se bachaa kr uski thinking veer ke liye badal bhi diya ab uski favourability 50 ho chuki hai. Mission successful hone se 3000 point ke sath 200 fame point bhi mile. Beowulf's blessing to pehle 24hr me ek baar hi activate hota tha ek baar deactivate hone ke baad lekin iss baar..... Khairrrr very nice
 

Werewolf

𝕬𝖑𝖒𝖎𝖌𝖍𝖙𝖞
Supreme
14,065
99,754
259
Nice n incridible update. Nicely done the mission by our hero Veer. The situation created by Werewolf was totally outstanding n full of suspense n thrilled. Nd the last but not least the encounter between divia nd suhana separately was totally amazing n interesting. Keep it up Werewolf bhai nd best of luck 🤞 n also waiting for next amazing update ❤️
Woh sab toh theek hai par aise updates me haha kaun react karta hai? :cringe:
 

Devil hunter123

Active Member
901
4,041
123
Update - 107 ~ The Secret Practice
Ab tak...

Car me ghuste hi usse aisa mehsoos hua jaise usne kuch kho diya tha. Aisa lag raha tha jese uske dil me koi sui chubho raha tha. Peeda!!!

Jaise woh himmat hi haar chuki thi.

'N-Nooooo!!!!'

Accelerator par perr rakh usne ek jhatke me gaadi aage bhaga dii,

*VRRRRROOOOOOMMMM*

Abhi abhi...

Ye kya ho gaya tha?


Ab aage...

"Haah! Haah! Haaaahhhh! Urrggghh!!"

*Thud*

Ladkhada ke ek shareer achanak neeche zameen par gira. Saasein tezz, dhadkane tezz, aankhein ekdum laal, poora badan paseene se lathpat, aankho me dhundhlapann aur nirantar khaase jaa raha tha woh shaks.

*Cough* *Cough*

*Cough* *Cough*

*Gwaaakhhhhhhhhh!!*

Khoon!! Muh se uske dherr saara khoon nikla.

[Nooooooooooo~ Masterrrrrrr!!!!!!!]

Pari zorr se cheenkhi. Beshaq, ye Veer hi tha. Wine peene ke kuch derr baad hi Veer ke shareer ke andar na jaane kya kuch hone laga tha.

Woh jese hi gira, Pari ki cheenkhe bhi dheere dheere dheemi sunaayi padne lagi usse.

Usne apne honth khole kuch kehne ke liye par thar-tharaate hue woh waapas band ho gaye.

[Maaaaassssttttteeeerrrrrrrrr~]

Ek dard bhari akhiri awaaz hi Pari ki sunn paaya woh. Aur agle shan hi,

Uski aankhein band ho gayi.

[Nooooooooooooooooooo!!!!!!]

***

"Aaaaaahhhhhhhhhhnnnnnnnn~"

Achanak jhatke ke saath ek ladki apne bistar se uth gayi. Din ka samay tha. Lagbhag 1 baj rahe the. Woh apne kamre me hi thoda araam farmaane ke liye laiti hui thi jab uski halki neend lag gayi thi. Aur neend me usne na jaane aisa kya dekha jiske chalte woh hadbadaate hue uth ke baith gayi.

Shayad, ek bura sapna tha.

Uske kapde paseene se bheege hue the. Khubsoorat se chehre par bhi paseene ki boonde saji hui thi. Haafte hue usne apne chehre par se ek towel se paseena pocha. Aur ek gehri saans lete hue woh kitchen ki orr chal padi.

Ek glass thanda paani peene ke baad woh waapas aayi, kamre ka darwaza andar se band kiya aur bistar par baith gayi.

'Ye bechaini...!'

Usse kuch theek nahi lag raha tha. Usne fauran hi apna phone uthaaya, usme gallery kholi aur uski nazre ek tasveer par jaake theher gayi.

'Thode din aur... Thode din me hi... Tum meri aankho ke saamne hoge. Aur fir uske baad... Tumhe kahi nahi jaane dungi mein!'

'Hum firse ek saath rahenge. Mom se saare raaz khulwa ke rahungi mein. Just wait a bit more. I will come to you. Very soon! My younger one!!'

Aur khud mann me ek lakshya thaan, woh waapas se bistar par lait gayi.

***
Las Vegas ~ 1:47 AM

*VRRRRROOOOOOMMMM*

Ek gaadi sann-sanaati hui raaste par tezz raftaar me bhaagti jaa rahi thi. Derr raat ka samay tha. Lekin, roads par abhi bhi kuch gaadiya aati jaati maalum pad rahi thi. Ye Vegas tha, jo jaana hi apni night life ke liye jaata tha.

Divya ka perr accelerator par tha aur woh saaye-saaye gaadi bhaga rahi thi. Aankho me ek nami chhaayi hui thi,

'Why?? Why Veer?? Kyu kiya tumne aisa? Tum bewakoof nahi ho. You solved the Nightwalker's case. Th-Then how can you just...!? God damn it!!! Tum aisa qadam kese utha sakte ho? J-Just why?? Just tell me you were acting. Just tell me!! I just can't...!!!'

Apne hi mann me uth rahe sawaalo ke woh khud hi uttar dete jaa rahi thi. Ye achanak se kya ho gaya tha? Sab kuch theek chal raha tha. Fir eka-ek Fred ki maut aur ab Veer ki haalat ne unhe chinta me daal diya tha.

Kisi ne bhi Veer ko glass se wine peete nahi dekha tha. Lekin sabhi jaante the ki usne kya kiya tha. Camera uski chest ki pocket me laga tha. Aur jab usne wine ka glass neeche rakha tha. Woh khaali ho chuka tha. Zaahir hai ki usne wine pee thi. Aur fir woh khoon...!!

Itne logo ke beech bhala kese kisi ko murkh bana sakta tha woh?

Aur yahi baat Divya ko bechain kare jaa rahi thi.

Jo Divya Veer ki firki lene ke liye aatur rehti thi, usse chidhaane ka koi mauka nahi chorrti thi, uske saath nakli flirting karte hue zara bhi peeche nahi hatati thi, aaj wahi Divya uske liye aasu baha rahi thi. Ye naina roye jaa rahe the uske.

Kyu bhala? Divya ki khud nahi samajh aa raha tha. Woh kabse itni emotional bann gayi? Lekin fir kyu ye nain baar baar aasuo ko pochhne ke baad bhi bheeg rahe the?

Ek jo kaaran tha woh tha subah ka unka milan. Bhale hi baahar se Divya kitna hi kyu na keh de ki uske aur Veer ke beech ye sab nahi hona chahiye tha. Par andar hi andar kahi na kahi jese woh khud chaahti thi ye aur khush bhi thi.

Aur sangam hone ke baad, thoda sa bhi prem na jaage, aisa bhala kese ho sakta tha? Uske dil me ab Veer ke liye ek alag jagah bann chuki thi. Jiski jagah ab koi dusra nahi le sakta tha.

Usne turant gear neeche kar gaadi chauthe gear me daali aur speed aur badha dii.

Aur kuch hi minutes ke andar woh doori bhi tay kar lii.

*Screeeeeeccccchhhh*

Brakes maarte hue zorr se usne gaadi roki.

*Thud*

Aur darwaaza band kar woh seedha daudi andar kii orr.

Baahar security guards nahi khade the, aur toh aur andar se kayi log bhaagte hue baahar nikal rahe the.

Mike team aur police ke sang shayad pehle hi andar ghus chuka tha.

Andar se baahar nikalte logo ko ignore kar woh daudte bhaagte hue seedha hotel me andar ghus gayi.

Saamne ka nazaara shaant pada hua tha.


images-2

Neeche toh koi chahal pahal hi samajh nahi aa rahi thi. Bas upar se neeche aa rahe log hi dikhaayi de rahe the usse.

Jo ki swabhaavik tha. Veer bhi toh second floor me hi gaya tha. Ye dhyaan me aate hi Divya tezz qadmo ke saath seedha stairs ki orr bhaagi.

Lift lene ke liye samay nahi tha. Aur wese bhi, second floor par jaldi pohuchne ke liye khud ke perr hi sabse accha vikalp the.

Andar ghuste hi Divya ki aankho ke saamne chaka-chaundh kar dene waala drishya tha.

Detectives aur police ki team sabhi maujooda logo ko rok ke unhe baithane ki koshish me lagi thi. Sab ke sab under arrest me the. Nolan ke nirdesh ke baad hi Mike samet sabhi ne andar dhaava bol diya tha.

Ek bhi bach ke jaane na paaye, jitne masks lagaaye the woh sabhi iss party ka hissa the. Police ki madad se inn sabhi logo ko giraft me le liya gaya tha.

Divya ki nazre idhar se udhar duvidha me daud rahi thi. Aur tabhi usse dhyaan aaya,

'The washroom!!! Right!!!!'

Aur woh fauran bhaagi...

Aage badhte hi usse Mike nazar aaya. Toh Divya ne ek tezz awaaz lagaayi,

"Miiiiiiikkkke!!!!!"

Mike : We got this!!!! Go and search for him instead!!!

Usne chillaate hue bataaya.

Police aur uske seh karmiyo ne yaha ki paristhiti sambhaal lii thi. Mike ne fauran hi Divya ko Veer ko dhundhne ke liye kaha.

Aur Divya turant haa me sarr hilaate hue sarpat daud laga dii,

Samay badhta jaa raha tha. Kahi aisa na ho ki waqt ret ki tarah uski mutthi se fisal jaaye aur Veer....!

'Nahiiiii!!!! Nahi!!!! Veeeeerrrr!!!'

Woh mann me chillaayi,

Uske dil ki dhadkan tezz ho rakhi thi.

*Thud*

Pohuchte hi usne washroom ka ek darwaaza khola. Jidhar usse koi dikhaayi na diya.

'Ye waala nahi...! Damn it!!!'

Aur uski ghabraahat aur badh gayi.

Beshaq usne screen par Veer ko washroom jaate dekha tha. Par usse ye yaad nahi tha ki washroom kaun sa tha. Kyuki yaha line se 8 se 10 washrooms the. Aur sabhi ke sabhi behad bade.

"Veeeeeeeerrrrrrrrrr!!!!!"

Woh usse pukaari!!! Veer ka naam le le kar woh darwaaze kholti rahi. Ek na ek me toh milega hi Veer.

*Thud*

'God damn it!!! Where are you....!!???'

4 darwaaze khol ke usne chaaro washrooms check kar liye the, Par Veer kahi bhi nazar nahi aa raha tha.

*Dhak* *Dhak*

Aur na hi woh jawaab de raha tha. Uski bechaini aur badh gayi.

Agar usse kuch ho gaya toh? Toh kya jawaab degi woh Suhana ko? Khud Divya iss buri khabar ke liye taiyaar nahi thi.

"Veeeeeeeerrrrrrrrrr!!!!!???"

Usne punaah pukaara aur jese hi usne paachve darwaaze ko kholna chaaha,

*Click*

Darwaaza apne aap khul gaya.

Divya : Haahhh??

Aur Divya ki aankho ke saamne tha, Veer!!

Jeeta jaagta Veer. Apne jyo ke tyo haal me.

Lekin baal thode bikhre hue the uske. Saath hi aisa lag raha tha jese kahi bhaag daud karke aaya tha woh. Aankhein bhi halki halki laal maalum pad rahi thi.

"Ohhh God!!!"

Jo bechaini, jo ghabraahat, jo darr Divya ko abhi inn chand pal pehle pareshaan kar raha tha. Woh Veer ko apni nazro ke saamne dekhte hi jese chhumantar ho gaya.

Aur agle hi shan,

Woh aage badh Veer se kass ke lipat gayi. Apne haath uske baalo ke peeche le jaate hue usne Veer ke sarr ko zorr se pakad apne kandhe par tika liya.

Iss waqt aisa prateet ho raha tha jese ye ek badi behan ka chote bhai ke prati prem tha. Divya iss samay Veer ki badi behan ki tarah hi lag rahi thi.

Divya : Ohhhh thank god!!! Thank god! You're okay!!!

Aur kuch pal bas khamoshi chhaayi rahi. Divya aur Veer ek dusre ke aalingan me bane rahe.

Kuch derr baad akhir kaar usne Veer ko chorra aur usse dekhte hue apne sawaalo ki jhadi laga dii.

Divya : Kya tha ye sab haan? Veeerrr??? Bolo kuch? Why did you do that?? Kyu kiya aisa Veer??? Kaho? What really happened? Tell me!!!

Veer ki aankhein adh khuli thi. Woh Divya ko dekh zaroor raha tha. Par jese uske bol par uska dhyaan hi nahi tha. Uska dhyaan toh kahi orr hi tha.

*Ding*

[Mission : 'Assassinate the Pitcher' has been completed.]

*Ding*

[4000 Points have been rewarded.]

*Ding*

[500 Fame points have been rewarded.]

*Ding*

[Scroll ~ Profit Path has been rewarded.]

[Maaaaaaaassssttttteeerrrrr~]

Pari ki ek chintajanak pukaar uske mann me goonji.

[Why did you do that???? I told you not to-- ]

'Pari! I'm okay!' Veer ne ahista se jawaab diya usse.

Na chaahte hue bhi Pari ko shaant hona pada. Aisa laga jese woh ro rahi thi. Waqai me. Uski udaasi aur niraasha saaf uski awaaz me jhalak rahi thi.

Aur tabhi,

"Kaha kho gaye??? Veeerrrr!???"

Saamne se Divya ki awaaz sunn Veer ko hosh aaya. Woh apne khayalaato se baahar aaya.

Divya uss se jawaab maang rahi thi.

Divya : Bolo? Kya tha ye sab Veer? Kyu pee tumne woh wine??

Veer : Kya aapne mujhe wine peete hue dekha?

Divya (jhepte hue) : Huh?

Veer : Mene pucha ki kya aapne mujhe wine peete hue dekha?

Divya : ??? T-Tumne wine nahi pee toh kya piya tha? Bewakoof mat samjho Veer! We all saw it. Bhale hi tumhe directly nahi dekh paaye hum kyuki camera tumhari chest pocket me tha par humne dekha tha kese tumne glass hawa me upar uthaaya aur waapas rakha toh wine nahi thi usme. Where did it went?

Veer : It went right here!

Veer ne apni coat ki inner chest pocket ke andar se kuch nikaalte hue usse dikhaaya.

Aur usse dekhte hi Divya ke hosh udd gaye.

Divya : T-This...!

Veer : Yes!!!

Divya : Y-You--

Uske haatho me ek chota sa container tha.

Divya : N-No!!!! Tumhara matlab hai...!?

Veer : Hmm!

Kisne kaha Veer wine ko pee raha tha? Veer muh me zaroor bhar raha tha wine ko lekin bharne ke baad woh aise dikhaata jese woh wine ko gutak chuka hai. Par mauka dekhte hi woh apni inner coat ki pocket me usse thook ke uss container me daal raha tha.

Divya usse bhoot bann ke dekhe jaa rahi thi. Usse vishvaas hi nahi ho raha tha.

Divya : T-Tumne ye kiya tha asal me!?

Veer : Mein paagal hu kya jo woh wine piyunga? Hmm?

Divya : R-Right! T-That was really smart! Par... Par itne logo ke beech tumne kese...!?

Veer : I just got lucky!!!

Divya : I-I see~ Ye boht hi acchi baat hai. Kisi ko kuch pata nahi chala tumhaare iss container ke baare me. Y-You did great Veer. Jab screen me tumhe wine peete dekha toh hum logo ki jaan halak me atak gayi thi. I swear. Suhana bechaari toh... I hope she's alright! It's... It's really good that you're fine.

Usne Veer ke kandhe par haath rakh thodi bheegi aankho se jataaya.


72781f0a-9618-42b9-834d-941260d45bc2

Veer ne haami bhari.

Divya : But wait!!!! Y-Your blood!!! Khoon kese aaya tumhe?? Agar tumne nahi pii toh...

Veer : That was a facade!!

Divya : Wh-What?

Veer : Woh khoon nahi tha!

Divya : Toh kya tha?

Veer : Just some color!

Divya : Color???

Veer (nods) : Right!!!

Divya : Par...

Veer : I prepared it beforehand.

Divya : K-Kya matlab!?

Veer : Woh emergency ke liye tha. I needed help. Lekin aenn waqt pe communication device kaam karna band kar diya tha. Meri awaaz aap tak nahi pohuch rahi thi. Uske liye ye sab karna pada taaki department fauran hi help bhej sake.

Divya : Ahhh!!! I-I see!!! T-Toh ye baat thi. Thank god!!! Everything is fine!

Divya ne kehte hue uske coat se woh communication device nikaal liya aur usse halki muskaan dete hue boli,

Divya : You don't need this now.

Veer haan me sarr hilaate hue aage badh gaya.

Veer : Come! Aur bhi kuch baatein jaan'ni hai abhi.

Divya : Right!!!

Divya usse jaate hue dekhti rahi. Par akasmaat hi uska dhyaan Veer se liye gaye communication device par gaya. Aur,

Divya : H-Hello? Divya speaking!! Can anyone here me??

Aur uske itna bolte hi,

"Yes!!! We can hear you! Loud and clear!!!"

Dusri orr se department ke seh karmi ki spasht awaaz sunaayi dii. Divya hairat me apne haatho me uss device ko dekhti reh gayi.

'This... This is working fine!!!'

Kabhi woh Veer ki peeth ko dekhti jaha Veer dheere dheere apni jebo me haath daale araam se corridor me jaa raha tha. Toh kabhi uss device ko dekhti.

Antatah usne ek baar fir daud lagaayi,

Divya : Veeeeerrrrrrrr!!!!!

Woh chillaayi,

Veer (palat'te hue) : Hmm?

Divya : Ye... Ye toh chal raha hai. It's working fine!!!

Veer : Ohh!? Is it? Well that's good! Kuch derr pehle nahi chal raha tha.

Kehte hue woh ek baar fir aage badh gaya. Machine thi. Kabhi chalti toh kabhi nahi.

Parantu, Divya usse bas jaata hua dekhti rahi. Uski kuch samajh me nahi aa raha tha. What just happened?

Bhaagte hue woh bhi Veer ki chaal se chaal milaayi aur corridor ke baahar nikal gayi.

***

Baahar aate hi nazara kuch aisa tha ki police ne sab apne control me le liya tha. Aur toh aur Mike ne unke saath milke kayi raaz bhi khol ke rakh diye the.

Mike fauran hi Divya ke paas aaya aur usse sab kuch bataaya.

Jo log yaha masks pehen ke party manaane aate the. Ye darasal koi aur nahi wahi log the jo Nightwalker ke mansion me ho rahe khoon ke khel ko live dekh uska lutf uthaate the.

Udhar Nightwalker ka poora live session dark web par daala jaata tha aur idhar log aankho dekhi hatya ka maza lete the. Yahi inki fetish thi. Na keval woh ye sab dekhte the balki iss par kaafi paisa bhi fekte the. Bets bhi lagti thi. Jiska poora fayda Nightwalker aur Pitcher ko hota tha.

Pitcher ki bhi fetish thi jo unn se aur hatke thi. Usse sundar se sundar actresses, models aur celebrities ko maarne ka shauk tha.

Udhar Nightwalker ka maut ka nanga naach jab khatam hota toh idhar uski khushi me Pitcher party rakhta, jisme woh fir kisi ko maut ke ghaat utaarta.

Yaha do tarfi hatya ka kaand chaalu tha.

Udhar se Nightwalker toh idhar se Pitcher.

Dono hi ek dusre ke sang business me bhi the. Woh jo cameras Mansion me the. Woh isliye the. Unke zariye hi ye log masks pehen ke yaha masoom ki bali ka maza uthaate the.

Chuki aisi footages kisi platform par nahi daali jaa sakti thi isliye Dark web ka sahara liya jaata tha.

Aur inhi cameras me se unhe Veer ke baare me pehle hi pata lag chuka tha.

Par ek satya aur tha. Jiski wajah se poora department maat khaa gaya tha.

Woh ye ki...

Nat ne jo invitation card diya tha. Uss par ek serial number bhi tha. Ye serial number card par bhi rehta tha aur...

Aur unke paas data sheet me bhi feed rehta tha. Jab Fred uss card ko leke entry kiya tha.

Toh serial number match karte hi unhe pata lag chuka tha ki Fred ke paas jo card tha woh darasal Natalia ko bheja gaya tha.

Poori chori yahi pakad gayi thi unki. Security ne Pitcher ko sachet kar diya tha. Lekin uske bawajood Pitcher ne usse bulaaya. Ab koi darwaaze tak aaya ho toh bhala uski khaatir daari kese bhul sakta tha woh?

Aur Fred bhi...

Maut ke ghaat utaar diya gaya. Khel khatam.

Yahi haal Veer ke sang bhi hua. Card toh uske paas bhi wahi tha. Nat ka.

Aur usse dekhte hi unhe fir abhaas ho chuka tha. Saath hi Veer ki photo bhi unke paas thi.

Lekin Veer ke mann me jo baat abhi bhi khatak rahi thi woh ye thi ki unko khabar kisne dii thi ki woh yaha aane waala hai? Aur mask pehen'ne ke bawajood bhala kese pehchaan liye woh usse? Iska jawaab woh dhundh raha tha. Aur kuch kuch usse samajh aa chuka tha.

Mike ne ye saari jankaari jese hi bataayi toh Divya ekdum gusse se laal ho gayi. Ab inki chori pakdi gayi thi toh zaahir hai kisi na kisi aadmi ne saara sach ugal hi diya tha Mike ko.

Par iss khel me jin maasumo ki jaan gayi unka kya? Daniel, Chester, Jacob, Fred jese kitne hi maare gaye. Woh toh ab waapas nahi aa sakte the na.

Mike : I have something to show you! Hurry!

Mike ne kehte hue unn dono ko hi kahi le jaane ke liye kaha.

Jaldbaazi me woh uss dining table par pohuche jaha Veer pehle baitha hua tha.

Par jese hi woh waha aaye,

Divya ko ek bada sa jhatka laga,

Divya : Y-Ye toh...!!!

Neeche ek dead body padi thi. Aur ye koi aur nahi tha. Wahi tha...

Pitcher!!!!

Muh se uske dherr saara jhaag nikla hua tha. Saaf tha ki woh zeher se marra tha.

Divya : Isn't he the...!?

Mike (nods) : Yes!!! The same guy who served the wine.

Divya : This...!!

Mike : He used poison to kill others. That wine bottle contains poison.

Mike ne wahi rakhi wine bottle ki orr ishaara karte hue bataaya jo Pitcher ne Veer ke liye kholi thi.

Divya (bauhe sikodte hue) : We are still missing something. How did he die?

Veer : I know it.

Veer ke kehte hi sabhi ki nazre uss par focused ho gayi. Hairaani me woh sabhi usse dekhe,

Divya : Whaaattt???

Veer : The secret practice...!!!

Mike : Secret practice?

Divya : Veer saaf saaf shabdo me kaho!!! Please be quick!!!

Veer : Wanna know the name?

Divya : *gulps*

Mike : !!!???

Aur fir Veer ke muh se sirf ek shabd nikla,


"MITHRIDATISM"

Jisse sunte hi Divya ke poore badan ke raungte khade ho gaye.

Aur uske kaanpte haatho se Veer ka woh device gir gaya. Kyuki woh jaanti thi. Woh bhali bhaati jaanti thi iss ek shabd ka matlab kya tha.

Mike ki samajh me na aaya. Usne apna phone nikaal google kar uss ek shabd ka matlab search kiya aur jese hi usne uske baare me jaana. Uska badan khud kaanp utha.

Mithridatism, ek aisi practice jisme insaan kam maatra me khud zeher leta hai. Maatra itni ki jaan ke liye ghaatak na bane.

Mithridates VI jo Pontus ke Raja the. Maana jaata hai ki woh apni maut ko lekar itne darre hue rehte the ki unhe harr samay yahi lagta tha ki koi unhe chalaaki se zeher deke maar dega. Ye puraatan kaal me ek aam baat thi. Raja maharajao ko ye bhay aksar bana rehta tha ki kahi koi unka apna hi unke saath vishvaas-ghaat na kar de.

Toh zeher unka kuch bigaad hi na paaye isliye Raja Mithridates VI ne kam maatra me khud hi zeher lena shuru kar diya tha. Iss umeed me ki ye kam zeher lete lete ek na ek din unka shareer iss zeher ke khilaaf rog pratirodhak shakti paida kar hi dega. Yaani ki immunity bana hi lega.

Jese aksar hum navjaat shishu ko injections lagwaate hai, fir chaahe woh polio ke ho ya tetanus ke ya anya koi. Inka uddeshya hi yahi rehta hai ki shareer inn rogo ke khilaaf ek immunity bana le. Raja Mithridates ne bhi yahi karne ka socha tha.

Zeher le le ke uske khilaaf ladne ki shakti banana. Parantu ye daav ulta pad gaya tha. Zeher baar baar nirantar lene ke baad wahi zeher unke shareer me ikhatta hone laga tha, jo baad me aage chalke unki maut ka kaaran bann gaya.

Pitcher ka bhi uddeshya wahi tha.

Aur Pitcher...

Ye karne me qamyaab ho gaya tha.


20220903-215107

Aisa nahi tha ki aap yadi iss practice ko apnaate ho toh aapki maut nischit hai.

Hargiz nahi! Yadi non-biological poisons ko liya jaaye toh ye sambhav hai ki aap kuch poisons ke khilaaf immunity nirmit kar sakte ho.

Jo vish ka pyaala hum dusro ko dete hai woh ek na ek din hume khud bhi peena padta hai. Ab tak ye baat Pitcher par sahi se laagu nahi ho rahi thi. Par Veer ke aate hi...

Kaam tamaam ho chuka tha.

Divya : Quick!!! We have to get back to the department. There are still many questions that are left unanswered.

Woh kehti hue aage badhi, Mike bhi haami bharte hue peeche peeche gaya. Parantu idhar Veer ki aankhein Pitcher ki laash par hi tiki hui thi.

Unn aankho me bhayanak gussa tha. Ekdum laal ho rakhi thi woh. Aisa lag raha tha Veer abhi uski laash pe bhi toot padega aur cheer phaad dega.

'I almost died, you bastard!!!'

Woh mann me hi gurraaya.

Uska heart rate bhaiyankar zyaada ho rakha tha. Container?? Kaahe ka container??

Veer Divya ke jaate hue figure ko peeche se dekh raha tha. Siwae Mithridatism ke, jo kuch bhi usne Divya ko bataaya tha.

Woh sab jhooth tha.

Uska asal sach toh uske khud ke antar mann ki gehraiyo aur uske zehen me hi dafn hoke rehne waala tha.

Asli sachhaayi toh kuch aur hi thi...

Jab Veer hotel me ghus neeche Beowulf se check kar raha tha. Tab usse nahi pata tha ki upar balcony me uski photo ko idhar se udhar kiya jaa raha tha.

Parantu...

Ek uss se bhi badi sansani macha dene waali khoj kar lii thi usne.

Neeche uski nazar dur ek aise vyakti par padi thi jo ek wine ki bottle me powder jesa kuch mila raha tha.

Aur ye kya tha ye bataane ki zaroorat hi nahi thi.

Beshaq, zeher!!!!

Veer ka maqsad saaf tha. Na keval usne jaa ke iss baat ka pata kiya balki, usne uss vyakti ke jaate hi wahi powdered substance ki maatra aur badha ke uss wine me daal dii.

Ye sab usne tab kiya tha jab woh vyakti andar kuch lene gaya tha.

Bheed itni thi ki kisi ko kuch nahi pata tha ki kya ho raha hai. Sirf pitcher hi Veer ke baare me jaanta tha aur chand aur log jinhone Veer ki live footage dekhi thi. Par kuch aise bhi the jo Veer ke pehle ke murder footages dekhe hue the. Woh bhi party ka hissa the.

[Maaastttteeerrrrr!!! Wh-Whaattt are you doing??? Aap usme kyu mila rahe ho?]

'Agar mein sahi hu, toh aaj Pitcher nahi bachega!!!'

[N-Noooo!!! Don't tell me you...!!]

'Yes!! I will do it!!!'

Woh waapas se apni jagah par aaya. Aur Veer ne dekha ki kese woh vyakti dobaara se uss wine ki bottle me packing chadha raha tha taaki aisa lage wine ki bottle ekdum nayi hai.

'This motherfucker...!!'

Aur inn chand lamho me, Veer ne ye saara kaam iss prakaar se kiya tha ki uske jeb ka camera saamne ki orr focused tha. Department waalo ko screen me dekh ye katayi pata nahi lag paaya tha ki Veer ne aisa bhi kuch kiya tha.

Fir aaya woh waqt, jab Pitcher ne Veer ko bulaaya.

Uske saath baith ke jab usne Veer ko woh wine offer kii, Pitcher ke chehre par haivaano waali kapti muskaan thi. Kyuki woh jaanta tha ye Veer aaj marrega hi uske haatho se.

Par woh ye nahi jaanta tha... Ki Veer ek aam insaan nahi tha.

Veer ne jese hi wine se bhare glass ko check kiya,

*Ding*

[A glass full of poisoned wine. Don't drink it.]

Sab kuch saamne tha. Ye wahi wine thi. Jisme ferr badal kiya gaya tha.

Aur isliye Pitcher ab tak pakda nahi gaya tha. Kyuki woh bhi same wine peeta tha.

Parantu woh iss zeher se ladne me saksham tha. Lekin aam vyakti nahi.

Aur aise hi sabhi maut ke ghaat utar rahe the.

What a horrifying way to kill.

Woh abhi bhi shaitaano ki tarah muskuraa ke Veer ko dekh raha tha.

'This sly bastard!!!'

Lekin aaj khel kuch alag hone waala tha.

'Pari!!! Open the shop!!'

[Yes Master!!!]

'Find me a skill which can cure this poison.'

[Whaaaatttttt??? Nooooooooo!!! Maaassttteeerrrr!!! Aap aisa nahi kar sakte. I'm telling you please stop!!! Please!!! I'm begging you~]

'Pari...!!!'

[Nooo noooo nooooooo!!!!? How can I??? Mat kariye.... Please!!!! I...]

'DO IT!!!!!!'

Jab Veer mann me zorr se cheekha toh Pari ek baar fir apne master ke saamne haar gayi.

[Master! This is the one but...]

'Kitne points? Ohhh! 5000 Points? One time use only? Fine then! Purchase this.'

[O-Okay but...]

'DO IT!!!!'

*Ding*

['Sylvia's Venom Cure' is now available.]

*Ding*

[Host can only use this skill for one time only.
Warning : Beware of extreme pain, vomit and increased heart rate.]

*Ding*

[Sylvia's Venom cure has been activated.]

Aur agle hi pal, Veer ke andar bhaari maatra me white blood cells bann'na shuru ho gaye. Bann toh pehle bhi rahe the par unki process kayi guna badh chuki thi.

Veer ne fir woh kiya jo sabko hairaan kar diya tha.

Usne wine pee lii thi. Par wine toh container me gayi thi?

Laude ka container! Woh container toh washroom ke soap dispenser ka ek toota hua bhaag tha jo Veer ne washroom se nikalne se pehle hathyaya tha.

Woh color? Ghanta color! Woh toh uska khoon tha jo white blood cells ne poison ke roop me usse baahar fikwaaya tha.

White blood cells hi toh immunity ka kaaran hai hamaare shareer me.

Aur uske baad utha tha Veer ko atyant dard, uska nervous system itne khatarnak sthiti se guzar raha tha ki uska andhruni dard aseem hota jaa raha tha.

Aisa laga tha ki woh ab nahi bachega. Aur behosh hone se pehle usse bas Pari ke bol yaad the.

"Veeeeerrrrrrrr!!!???"

Divya ki awaaz usse firse hosh me laayi.

Veer : Coming!!!

Veer ek akhiri nazar Pitcher par daal aage badh gaya.

Aur baahar aate hi,

*Screeeeeeccccchhhh*

Gaadi ruki aur Suhana aur Nik usme se baahar nikle.

Suhana ki nigaahein jese hi Veer par jaa kar tiki uski aankhein felti chali gayi,

"Veeeeerrrrrrr!!!"

Woh daudte hue aayi aur zorr se kood ke uski baaho me ucchal gayi.

Uske baad wahi hua. Sawaal pe sawaal. Veer ne jese tese maamla shaant kiya.

Par...

Veer : Huh!!??

Woh aashcharya chakit reh gaya jab usne apne bagal me Suhana ko dekha toh...



ayca-aysin-turan-on-We-Heart-It

Woh ro rahi thi. Unn aankho me pehli baar Veer ne kabhi apne liye itne strong emotions dekhe the.

'Miss Suhana...!?'

Veer : Aap ro rahi ho?

Suhana (muh ferrte hue) : Who's crying? Get lost!

Veer : *smiles*

Divya : Tum dono! Take my keys! Mujhe aane me late ho jaega.

Divya ne car ki keys fekte hue kaha.

Aur kuch derr me hi Veer aur Suhana dono Divya ki car me sawaar hote hue waha se ravaana ho gaye. Udhar ki tehkiqaat lambi chalne waali thi.

Idhar car me,

Suhana (smiles) : I'm happy!

Veer : Why so?

Suhana : Duh!!! You dumb! Kyuki tum sahi salaamat ho.

Veer : Par jab mein waha se jaa raha tha tab toh aap gussa hoke bhaag gayi thi bacchi ki tarah perr patak ke.

Suhana (blushes) : Wh-What do you mean by bacchi ki tarah??? I was looking out for you!! Par tum ho ki... Kherr! Chorro!!! Wait!!

Veer : Kya hua?

Suhana : Udhar park hai!

Veer : So!?

Suhana : Stupid! Stop the car! Mujhe thodi fresh air chahiye.

Suhana ki baat maan Veer ne gaadi park ke paas rok dii.

Ye ek open park tha.

Aur dono hi utar ke kuch derr uss khamoshi me tehelne lage. Koi baatein nahi.

Jab achanak hi,

Suhana palti aur Veer se zorr se chipak gayi.



093cc4ca-c38b-499b-9661-aa7ea995ad5c

'Huh?'

Suhana : I thought something will happen to you!!!

Usne usse dekh ke bola!!


IMG-20220903-195050

Veer : But I'm right here! Hai na?

Suhana : Hmm! And that's what matters.

Kehte hue woh uske kandhe par sarr rakh uss se chipki rahi.


IMG-20220903-195122

Jab achanak hi usse dhyaan aaya...

Ki Veer uska pati nahi tha.

Suhana : Ahhh!!! S-Sorry about that...!!

Kehte hue woh dur hatt gayi aur mud gayi.

Veer ko yu akela chorr woh waapas se car ki orr chal dii.

Idhar sheetal leher me, halki hawao me Veer ki lehraati zulfein uski aankho ke saamne fir rahi thi aur nazre tiki hui thi Suhana ke jaate hue figure par.

'You are hiding something. Aren't you? Miss Suhana?'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of almost 5k words. Again, normal length se kahi zyaada bada update.
Likes thokne ka aur revos rakhne ka yaara.
Keep supporting! ✨

Dhanyavaad! ✨
Fantastic mind-blowing update
 
Top