- 14,091
- 100,029
- 259
Last edited:
Sabhi ko dikh rahi hai man.Me pe show hi na kr rahi......
Haa unhi 2 image ko bol raha tha bhayi ab dikhne lag gayi hai kuch issue tha.Sabhi ko dikh rahi hai man.
Veer ka full status wali do hi images hai bas.
Fantastic update Werewolf bhaiUpdate - 111 ~ Connecting the dotsAb tak...
Wahi aadmi jisne Veer ke raungte khade kar diye the.
Text simple tha. Par rooh hila dene waala tha.
"Ek antim message tumhare liye Veer. Don't try to track this number. Tumhe kuch haasil nahi hoga. Samay ki barbadi hogi. Enjoy your remaining days with your family. Do whatever you want...! I just want to tell you one thing snd that's...!
I will kill you at the Crimson's Festival"
Ab aage...
*Huff* *Huff* *Huff*
"Goddamn it Suhana!!!! Don't you die on me!!"
Veer ki saase tezz thi. Steering aur gears par uske haath fatafat chal rahe the, aur gaadi raftaar pakad sadak par bhaag rahi thi. Suhana peeche ke seat par khoon se lathpat behosh laiti hui thi.
'WHAT THE HELL IS THIS PARI???'
[M-Master! I-I... M-Mujhe sach me nahi pata abhi abhi kya hua. It's not possible. H-How can it be? Uske paas system kese ho sakta hai?]
'Yahi toh mein tumse puch raha hu Pari!!! Tumne kaha tha ki sansaar ka koi bhi vyakti ye pata nahi laga sakta ki tum mere andar ho. Then what the FUCK was that-!?'
Woh zorr se chillaaya. Clearly, woh Pari par gussa tha. Pari ne uss se jhooth bola? Kyu?
[M-Master-! I-I... ]
'Tell me!!!!!'
[Woh meri dusri personality hogi Master. Trust me Master I-]
'SHUT THE FUCK UP PARI!!! SHUT UP!!!'
[Ahh!! M-Master!!! I really-]
'Just shut up! Ek anjaan aadmi aata hai aur kathputli ki tarah hume nachaate hue hamare hi member ko yu ghaayal karke araam se nikal jaata hai.'
[Th-That's--]
'Aur tumhe kuch pata bhi nahi hai. Aur jo pata hai woh galat hai. What a fucking great end it is to our tour.'
Uske zorr se chillaane par ek khamoshi chhaa gayi. Aur kuch derr baad Pari ki boht hi dheemi sii ruwaasi awaaz uske mann me goonji.
[I'm sorry Master! I'm so sorry! I was a failure! Mujhe aapko aur pehle inform kar dena chahiye tha. I wasn't good enough. I'm sorry.]
Aur iss se pehle ki Veer kuch keh paata,
[I'm sorry Master~]
*Ding*
[System has entered into the sleep mode.]
Pari sleep mode me chali gayi.
'Pari I...!'
Veer kuch keh na paaya. Suhana ko furti me hospital pohuchaate hue usne saari details fill in kii. Divya bhi kuch derr me hi Nik aur baakiyo ke sang pohuchi. Uske chehre ka rang uda hua tha.
Veer ke paas bhaagte hue aake usne usse thaama,
Divya : K-Kya huaaa?? Veeeerr??? How is she???
Veer : Treatment chal raha hai!
Divya chinta me aake wahi haatho me sarr rakh baith gayi.
Toh wahi Veer apne ravaiyye ko lekar niraash tha. Pari ke saath usse aisa behave nahi karna chahiye tha. Usne toh hamesha se hi uska bhala chaaha hai.
Jese hi kuch ghanto ke baad doctor se ye pata chala ki Suhana critical situation se baahar hai. Veer ke phone par tabhi woh text aa gaya. Aur usse dekhte hi, uski chintaaye aur badh gayi.
Ab yaha rukna theek nahi tha. Suhana ko antim baar dur se dekh woh waha se nikalne laga. Subah ho hi chuki thi. Baaki samay woh airport par hi guzaar sakta tha.
Divya : Tum...! Tum jaa rahe ho? Abhi se? Suhana se nahi miloge? How can you-!?
Veer : Nahi! Mera kaam yaha khatam hai.
Divya : Suhana ko aise chorr ke jaa rahe ho Veer?
Veer : I...
Divya : Tum aisa kese kar sakte ho?
Veer : She will be fine! Galti meri hai mein unhe safe nahi rakh saka. I don't want her to see me first. Chalta hu! Good luck with your investigation!
Aur woh apna bag utha ke waha se nikal gaya.
"Veeeeeeeeerrrrr!!!"
Divya hospital ke gate tak aake usse kayi baar pukaari, par Veer na ruka.
Aur dekhte hi dekhte woh uski nazro se ojhal ho gaya.
'Will we meet again? Veer?'
***
Uske baad se hi, Veer aur Pari ke beech poori flight bhar koi bhi baat nahi hui.
Jab Veer India pohucha tab hi Pari reactivate hui aur Veer ne fauran hi apni maafi rakh dii.
"I'm so sorry Pari!! M-Mein..."
[No! I'm sorry master! Galti meri thi. Mujhe aur attentive rehna chahiye tha. Lekin mein-]
'Nahi Pari! Tumse jitna hua tumne apna best diya. Aur wese bhi tum mere andar ho. Baahar ki saari cheezo par control rakhna mere haatho me hai. And I still-'
[It's... It's okay master! Please don't be sad. Chorriye woh sab. Ab hume uss unknown par focus karna hai.]
'Yeah!!!'
Pari se dobaara sulaah hone ke baad, Veer aur uske beech ab rishta aur bhi mazboot ho chuka tha. Jo ki dono ke liye hi accha tha.
***
Par Alpha ke stronger hone ke baad, maamla thoda bigad raha tha.
"Damn it! Damn it! Damn it!!!!!!"
*BAAAMMMMMM*
Veer ne zorr se apna haath diwaar par de maara. Poori diwaar vibrate ho uthi.
"The fucking timing-"
Woh behad gusse me tha. Apne sarr ko haatho me leke woh wahi zameen par baith gaya.
'P-Pari!! Mein sirf ek khush-haal zindagi jeena chaahta tha. Aur dekho kaha aa gaya mein?'
[Master!]
'Suhana waha ghaayal hai. Miss Kaera apni unstable condition me hai, Miss Sonia ko kuch nahi pata hai, Bhabhi aur baaki sabhi khatre se anjaan hai, Pranjal zaroor kuch peeth peeche kar raha hai, Nidhi ma'am aur Juhi uss Rajat ke liye firse ready nahi hai, Niharika... She might be plotting something too. Aur ab ye unknown person..!'
Baat sach thi. Akhir kaha kaha dhyaan de woh?
[One at a time master. One at a time. Ek ek karke hum seedhiya chadhte hai. Theek hai? Agar uss unknown aadmi ne hume abhi freedom dii hai. Then yahi time hai ki hum jald se jald yaha ki problems solve kare. Let's start with Rajat. Usse handle karna hamare liye asaan hi hoga.]
'Yeah! Thank You Pari!'
[Don't mention it master~]
Woh abhi uth hi raha tha jab achanak uske bagal se aake koi wahi zameen par baith gaya.
'Hmm?'
Uske bagal se Bhumika baithi hui thi. Kal raat me theek se baat bhi nahi ho paayi thi uss se Veer kii.
Bhumika (smiles) : H-Hey!
Usne dheere se kaha.
Veer : *nods*
Bhumika : Mujhe laga ki tum pareshan ho isliye mein-
Veer : I'm fine!
Bhumika nazre chura chura ke Veer ko dekh rahi thi. Uski zyaada himmat nahi hui Veer ko dekhne ki aur uss se directly baat karne ki.
Bhumika : Hamaare beech...!
Veer : !??
Bhumika (sarr jhukaate hue) : Hamaare beech kabhi dhang se baatein hi nahi hui. Hai na!?
Veer (lambi saas lete hue) : Kuch lamhe bane the. Mene koshishe kii thi. Aapne pehchaan'ne se hi inkaar kar diya...!
Bhumika : W-Woh-
Veer ke ek ek shabd seedhe Bhumika ke dil me chhuri ki tarah jaa ke ghup gaye. Shabd uske gale me hi atak ke reh gaye. Veer ne usse woh pal yaad dila diya jab woh hotel me Veer ko pehchaan'ne tak se peeche hatt gayi thi. Aur iske liye glaani toh usme abhi bhi koot kootkar bhari hui thi. Veer ke bol jese zakhm par namak chhidakne ka kaam kar gaye.
Veer : Ab jab thodi fursat mile, toh ye sawaal khud se kariyega.
Iss se pehle ki Bhumika kuch keh paati,
"Veeeeeeeerrrrrr!?? Naashta lag gaya hai. Aa jao! Bhumika tum bhi!!!"
Andar hall se Ragini ki awaaz ne unka dhyaan kheech liya.
Veer agle hi shan utha aur bina kuch kahe ya peeche mude woh Bhumika ko wahi chorr waha se andar chal diya.
Bhumika ki aankho me aasu panap uthe. Agar Veer ek do vaakya aur dil ko ghayal karne wale kehta toh beshaq unn aankho me se aasu chhalak uthate.
Dining table par apni seat par virajmaan hote hue usne naashta shuru kiya. Pal pal Ragini andar se baahar hoti aur usse apni qaatilana nazro se dekhti.
Veer (sonali se) : Tumhare liye mene kuch socha hai.
Sonali : Hmm? Kya?
Veer : Samay aane par pata lag jaega.
Sonali : Ek aur food truck?
Veer (smiles) : Nahi!
Sonali : Toh?
Veer : Mujhe samay do thoda. Jald hi pata lag jaega. Business me koi dikkat toh nahi jaa rahi?
Sonali : Jaa rahi hai na.
Veer : Kya hua?
Sonali : Yahi samajh nahi aata ki mein iss jhamele me kyu fassi hui hu.
Veer : Well...
Veer ke kuch kehne se pehle hi Suman ne Sonali ki plate me ek paratha rakha aur saath hi saath uske sarr par ek tapli bhi de maari,
*Bonk*
Sonali : Maaaaaa!!????
Suman : Kahi bhi raha jaata hai toh kaam karna padta hai. Kya tum ab muft me aisho araam ki zindagi jeena chaahti ho? Mene tumhe ye sikhaaya hai? Veer jii ne tum pe itni badi zimmedaari saupi hai bharosa kar ke. Unka bharosa mat todna. Aur lagan se kaam karo. Tumhe toh khush hona chahiye ki-
Sonali : Maa tum hamesha aisa hi karti ho. Hamesha uska paksh leti ho. Jab dekho tab-
Suman : Haan toh kyu na lu paksh? Gaav ka samay yaad nahi kya? Kese jeete the hum harr roz? Bol! Aaj tu yaha chenn se baith ke iss tarah shaahi bhoj kar paa rahi hai toh woh kiski badaulat hai? Haan? Lungi mein paksh Veer jii ka. Aur tu bhi samajh jaa iss baat ko.
Sonali (khuspusaate hue) : Acche se jaanti hu kyu paksh leti ho uska.
Bola toh badi hi dheemi awaaz me tha Sonali me. Par Suman chuki kaafi nazdeek khadi thi, usne sab sunn liya aur palat ke Sonali ko usne apni aankhein dikhaayi. Antatah, Sonali kheejte hue shaant hoke baith gayi. Toh wahi Suman ka poora dhyaan Veer par kendrit ho gaya.
Suman : Ek paratha aur lijiye na!
Veer : Nahi! Ho gaya mera!
Suman (dheere se) : Lijiye na maalik! Sehat ka dhyaan rakhiye. Acche se naashta kariye.
Veer : Pait already bhar gaya hai.
Suman : Ek aur bas! Mere liye!?
Veer (sighs) : Rakh do!
Suman (smiles) : Mein paani laati hu.
Woh gunguna ke andar chali gayi toh wahi Ragini andar se baahar aayi aur Aabha aur Sonali ko sabzi parosne lagi.
Harr baar woh Veer ko dekhne se nahi chookti thi. Unhe serve karne ke baad jab usne dekha ki Shweta aur Suman dono hi andar thi to woh mauka dekha Veer ke nazdeek aayi,
Ragini : M-Mein... Mein chaah rahi thi ki hum kal chale kahi?
Veer (dheere se) : Kidhar?
Ragini : Kahi bhi. Jaga tum le jana chaaho.
Veer : How about beach?
Ragini (smiles) : Ahh! Wonderful! Mujhe kayi mahine ho gaye waha gaye. I'll... I'll be ready! Kal shaam ko. Okay?
Veer ke haath ko thaam halke se daba ke woh muskaan liye waha se andar ho gayi. Kal ki shaam, Ragini ke naam pehle hi booked ho chuki thi.
Jo akhiri sadasya tha ghar ka, akhir kaar woh bhi baahar aaya.
Shweta ek plate me kuch mithaiyaa rakh ke kitchen se baahar aayi. Sabhi ko ek ek piece dene ke baad woh akhir me Veer ke paas aayi. Aur jhuk ke usne ek mithaayi Veer ki plate me rakhi.
Parantu usne apna pallu nahi odha hua tha. Ye maatr ek ittefaaq tha. Aur ittefaaq se hi, Veer ki nigaahein unn do raseele aamo par jaake theher gayi.
Jese hi Shweta ne apni nigaahein upar kari, Veer uske urojo ko ghoorte hue pakda gaya.
Veer ne Shweta ko dekha, usse thoda ajeeb lag raha tha. Galti akhir uski thi. Par aur bhi ajeeb tab laga jab Shweta agle hi pal muskuraane lagi.
'Huh!?'
Woh ajeeb sii muskaan diye, apne than ke upar haath rakh usse pyaar se sehlaayi aur waha se nikal gayi.
'!!!??'
Veer ki kuch bhi palle na pada ki ye abhi abhi kya hua tha.
Shweta andar kitchen me aake abhi bhi apne stan par haath ferr rahi thi dheere dheere. Jese maano unhe kisi cheez ke liye taiyaar kar rahi ho. Uske chehre par ek santushti bhari muskurahat thi.
Agar Veer thodi derr aur yaha ruka toh beshaq tension aur confusion se uska sarr khap jaane wala tha.
Woh naashta karte hi ghar se nikal gaya. Aur raaste me hi uski baatein Pari se hoti rahi,
'Pari! Full status!'
[Right away Master!]
*Ding*
Veer ne ek nazar apne stats par daali. Aur haami bhari. Itne points hone ke baad bhi usse abhi bhi ye kam maalum pad rahe the.
Usse ab apne stats badhaane ki bhi zaroorat thi aur saath hi ab ek advanced level martial arts skill ki bhi.
Lekin, uske liye bhaari maatra me points ki aavashyakta thi. Filhaal, Veer ne laalach na dikhaate hue apne stats ko jyo ka tyo hi rehne diya. Thode aur points jab ikhatta honge tab woh inhe badha lega. Ye soch woh chal diya Balhaar ke hideout ki orr,
Pehle hi Veer ko uska message aa chuka tha aur Balhaar milna chaah raha tha.
Andar aate hi Balhaar ke right hand aadmi athwa gang ke logo ne ek jhalak me hi Veer ko pehchaan liya aur usse andar aane ke liye raasta diya. Sabhi jaante the ye javaan ladke ki ahamiyat kya thi.
Ek acchi sii luxury seat par Veer ko baithaya gaya. Aur waha khade log usse chai coffee ke liye puchne lage.
Balhaar bhi fauran hi haazir ho gaya aur uske saamne baith usne apne logo ko baahar jaane ke liye ishaara kar diya.
Veer : I guess kuch hua hai meri gerr-maujoodagi me. Am I right!?
Balhaar : Jii boss! Aapka andaaza sahi tha. Jesa aap keh ke gaye the. Mere aadmi unn jagaho par poori nigraani rakhe hue the.
Veer : Hmm! Toh? Kya hua fir...!?
Balhaar : Darasal baat ye hai ki...
Usne saari baat samjhaayi toh Veer ke maathe par shikan aa gayi.
Veer : Thik hai! Mein dekhta hu! Tum khabar bas dete rehna. Aur kuch filhaal karne ki zaroorat nahi. Agar mujhe zaroorat hogi toh mein khud bataunga.
Balhaar : J-Jii!
Veer utha aur jaane ke liye hua. Peeche Balhaar usse ajeeb nazro se ghoor raha tha.
Uske mann me alag alag vichaar aa rahe the.
'Isse boss maan'ne ki kya zaroorat hai mujhe? Slogan marr chuka hai. Mumbai ka don mein hu. Fir bhi ek bacche ke neeche kaam kyu kar raha hu mein? Hai toh ye ek 21-22 saal ka ladka hi. Kya bigaad lega mera? Itni saari gangs hai mere paas. Saale ko ek baar me bhoon denge. Karodo ka karobaar hai mera. Mere neeche bade se bade aadmi bhi kaam karte hai. Roz mera auhda badhta jaa raha hai. Sirf haath hi toh moda tha isne. Fir iss ladke ke peeche kyu-'
Veer : Ohh by the way~
Balhaar (jhepte hue) : H-Huhh?
Veer ahista se uske kaan ke paas aaya aur dheemi par behad buland awaaz me uske bol Balhaar ke kaano me goonj gaye, jisse sunte hi Balhaar ke perr kamzor padd gaye.
"Betrayal ke baare me sochna bhi mat! Agli baar haath marodunga nahi. Seedha ukhaad ke shareer se alag kar dunga."
Aur itna bol, woh waha se nikal gaya.
Balhaar ka chehra dekhne laayak tha. Uski saari hekdi utar chuki thi. Jo thode boht bhi uske mann me Veer ko daga dene ke vichaar aaye the, unki jagah ab Veer ko baap maan'ne ke vichaar paida ho chuke the.
Usse samajh aa chuka tha ki bhale hi ye ladka 21-22 saal ka hi tha. Par isme kuch aisi baat thi jo usse galti karne se baar baar rok deti thi. Uske andar ek khatre ki ghanti baja deti thi. Ki agar woh iss ladke ke khilaaf gaya, toh uska sab kuch khatam ho jayega.
*Gulp*
Chehre par se paseena poch, Balhaar baahar nikal apne kaamo me lag gaya.
***
Mumbai ke hi ek shetr me ek medium sized ghar me teen log aapas me behas karne me lage hue the.
Ye aur koi nahi, Bhavna Tejal aur Purvi hi thi.
"Itni badi baat chhipaayi aapne mujhse? Kyuuuuu? Kyu kiya aapne aisa???"
Awaaz thi Tejal ki jo Bhavna par bhadak rahi thi.
Uski aankho me nami bhi thi. Uski maa aisa kese kar sakti thi bhala?
Bhavna : M-Mein-
Tej : Aap chaahti kya hai Mom?? Kya chaahti hai aap? Bata dijiye aaj mujhe!
Bhavna : Meri baat suno Tej-
Tej : Itne dino se mein paagalo ki tarah dar-dar bhatak ke jankaari batorne ki koshish kar rahi hu ki kahi se mere bhai ke baare me mujhe kuch pata chal jaaye aur aap itni badi info haath me rakhe hue mujhe bas dekh rahi thi? Ek bhi baar aapke mann me ye nahi aaya ki mein apni beti ko kam se kam bata toh du ye. Aap jaanti bhi hai mera haal? Kis haalat se guzar rahi hu mein apne bhai ko dhundne ke liye?
Bhavna : Sab samajhti hu Tej! Mein sab samajhti hu meri bacchi! Aur woh tumhara bhai hai par mere liye toh mera beta hai. Tum samajhti kyu nahi ki-
Tej : Bas!!! Boht ho gaya. Dijiye mujhe!! Aapse nahi ho payega! Mein khud hi karungi.
Bhavna : N-Nahi! Mujhe karne do mein-
Tej : Itne dino se toh aapse hua nahi mom. Ab kya karogi aap?
Purvi jo ab tak shaant thi, akhir kaar usse maa beti ke jhagde ke beech me aana hi pada.
Purvi : Tum dono! Ye kya laga rakha hai? Aur Bhavna tum!!! Tum aisa kese kar sakti ho? Apni hi beti se baate chhipaogi toh aise kese chalega haan? Yahi toh parivaar hai tumhara! Itni badi baat chhipaane ki kya zaroorat thi? Hum dono hi dekh rahe hai ki kese bechaari Tej roz roz baahar nikal Vikram ke liye jankari dhundhne jaati hai. Par bechari lautati khaali haath hi hai. Aur tum aise me...!
Bhavna : Aisa nahi hai Purvi! Agar mene ye kiya hai toh kuch soch ke hi kiya hoga na? Tum hi batao, kya mein kuch bhi kisi ko kasht dene ke liye jaan boojh ke karungi?
Purvi (sighs) : Bhavna! Tumhe ab samajhna hoga ki tumhari beti ab bacchi nahi rahi. Ab apne baccho se baatein chhipana matlab unn par bharosa na karna jesa hai.
Tej : Exactly!!!! Maasi! Meri baato se toh inhe farq tak nahi padta hai. Aap hi samjhaiye please!
Purvi uth ke Bhavna ke bagal se aake baithi jo sofe par viraajmaan thi aur uske kandhe par haath rakh usne Bhavna ko hausla diya.
Purvi : Ab zyada mat socho aur karo. Warna derri na ho jaaye Bhavna.
Bhavna : P-Par... Agar kuch hua toh!? Purvi mere haatho me ab woh bal nahi raha. Tum jaanti hi ho... Woh satta, woh shaasan... Tum sab jaanti ho kya hua tha. Agar kuch ho gaya toh? Mein kabhi apne aap ko maaf nahi kar paungi Purvi! Mein uspe aanch bhi nahi aane de sakti.
Iss baar apni maa ki baat Tej badi hi dhyaan se sunn rahi thi. Ye kya baatein ho rahi thi?
Tej : Kesa bal? Kesi satta? Aap kya keh rahi hai?
Bhavna : Huh!!? K-Kuch nahi!
Tej : Aap firse kuch chhipa rahi hai na? Dekha! Maasi!? Dekha na aapne? Ye firse mujhse kuch chhipa rahi hai.
Purvi : Ab tum karti ho ya nahi Bhavna?
Bhavna : Hmm! M-Mein... Karti hu!
Kehte hue usne apni mutthi khol ek parchi nikaali aur usse khola.
Saari behas issi ke liye hi toh ho rahi thi. Uss parchi me ek hi cheez thi...
Aur woh tha...
Veer ka phone number!
Wahi number jo Veer ne khud Bhavna ko diya tha jab woh Egypt se laut raha tha.
Aur ab tak, Bhavna usse sambhaal ke rakhi hui thi. Roz roz Tej baahar nikal ke kisi na kisi tareeqe se Veer ke baare me info nikaalne ki koshish karti thi. Par bechaari harr baar nakaam ho jaati thi.
Aur kyu na hoti? Mumbai itna bada sheher tha. Veer ko waha dhundna khet me sui dhundne jesa tha. Upar se bechaari ko naam bhi galat pata tha. Vikram toh naam hi nahi tha Veer ka. Saath hi jo photo Tej ke paas thi, woh ek side view photo thi. Toh Veer ko pehchaan'na aur bhi mushqil tha usme.
Lekin Tej ne ek bhi din zaaya nahi jaane diya. Harr roz woh nikalti, apne bhai ko dhundne ke liye. Colleges me jaati, jitni info milti utni paa ke waapas aa jaati.
Aur Bhavna ye ab tak chhipaaye hue thi ki uske paas Veer ka number maujood tha. Uska jee ghabra raha tha ki agar Veer se mulaqaat hui toh kya hoga? Ek darr tha, jo sirf wahi jaanti thi. Aur Purvi. Tejal toh kayi saari baato se anibhigya thi.
Aur itni mehnat karne ke baad usse pata chala ki uski apni hi maa pehle se hi jankaari dabaaye baithi hui thi.
Zaahir hai ki woh boht zyada gussa thi. Aur ab behas ho rahi thi Veer ko call lagane ki.
Purvi ke hausla dene ke baad akhir kaar Bhavna ne mann bana hi liya aur usne apna phone utha ke uss number par call lagaaya,
Tej : Loudspeaker par rakhiyega!
Bhavna : Hmm!
Waha maujood sabhi ke dil ki dhadkane tezz ho gayi.
Tej apne bicchde bhai ki awaaz sunn'ne waali thi. Toh wahi Bhavna apne bete kii. Aur Purvi pehli baar Veer ki awaaz se rubaru hone waali thi.
*Ring* *Ring*
*Ring* *Ring*
Ghanti gayi aur kuch rings ke baad hi,
"Hello?"
Ek awaaz aayi. Jisse sunn Bhavna ka dil zorr se dhadak utha. Awaaz wahi thi. Wahi same awaaz. Number ussi ka tha matlab.
Tej ka khud ka muh khula hua tha.
Bhavna ke honth thar-thara rahe the. Bechari ke muh se shabd hi nahi nikal paaye.
"Hello?"
Punaah awaaz aate hi Purvi ne Bhavna ke haatho se phone chhinaaya aur khud baat karna shuru kii,
Purvi : H-Hello!?
"Jii kahiye! Aap kaun?"
Bhavna aur Tejal dono ki hi himmat nahi ho rahi thi ab baat karne ki. Tejal toh hazaaro baatein kehna chaahti thi uss se. Par ab jab mauka aaya toh pata nahi kyu, uski himmat nahi hui. Baat ko shuru kese kare, uski ab kuch samajh me nahi aaya. Shayad ye sab kuch ekdum se zyaada hi ho gaya tha uske liye.
Purvi : Kya mein Vikram se baat kar rahi hu?
"Hmm!? Ohh! Yeah!! Jii haan! Aap Vikram se hi baat kar rahi hai. Kahiye!"
Purvi : B-Beta mein... Ahem! Mujhe aapse kuch zaroori kaam hai.
"Hmm? Par aap hai kaun?"
Purvi : Bas yu samajh lo ki mein aapki... Aapki koi apni hi hu.
"Aur mein kese maan lu?"
Purvi : Trust me beta! Mein aapko jaanti hu. K-Kya aap mujhse kal mil sakte ho?
"Well! Actually nahi! Kal mein kahi busy rahunga."
Purvi : T-Toh parso? Parso theek rahega?
"Fine! Parso! Kab aur kaha?"
Purvi : Parso xxxxxxx hotel me. Shaam ko theek rahega?
"Okay! That sounds fine."
Purvi (smiles) : G-Good!
"Aur mein aapko pehchanunga kese?"
Purvi : Don't worry! Mein tumhe call kar dungi. Par number different rahega. Ye nahi! Mein bata dungi mein kaha par baithi houngi. Okay?
"Alright!"
Purvi : Th-Thank you! Vikram! I'll see you day after tomorrow! Bye!
"Jii!"
*Call ends*
Call cut hote hi Purvi ne ek lambi saas lii. Uski khud ki dhadkane poore vartalaap ke dauraan tezz thi.
Bhavna : Thank God tumne usse kuch nahi bataya abhi.
Purvi : Mein jaanti hu sab. Of course mein usse abhi se kuch nahi bataungi!
Tej : Kyuuuu? Kyu nahi bataaya? Arre aapko kehna chahiye tha na ki uski sagi maa aur behan yaha par hai. Aap uski maasi ho. Kyu nahi kaha aapne? Hum abhi ke abhi mil sakte the. Kyu kiya aapne aisa?
Purvi : Kyuki tum woh baatein nahi jaanti jo hum jaante hai Tej.
Tej : Toh bataaiye na mujhe!!!!
Purvi (sighs) : Itna asaan nahi hai. Anyways! Woh agree ho gaya hai. Agar parso kuch nahi hua, iska matlab hum aage proceed kar sakte hai.
Bhavna : Hmm! Aur Purvi-
Purvi (smiles) : Pata hai mujhe! Uss se milne sirf mein jaungi.
Bhavna (smiles) : Hmm!!
Tej : Whaaaaaatttttt? Kya matlab? Kya matlab sirf aap jaogi? Aur hum?
Purvi : Tum dono yahi par rahogi!
Tej : PAR KYUUUUUU????
Purvi : Baad me tumhe sab pata lag jaega. Kuch din ka intezaar karo.
Tej : A-Aap log... Aap log boht bure ho.
Purvi (smiles) : Ahh! Toh ye baat thi. Tej! Tumhare nakaam hone ka raaz pata lag gaya.
Bolte hue Purvi ne mobile ki screen jese hi saamne kii, toh screen par ek naam likha hua tha.
Veer ka poora naam!
Truecaller par Veer ka original name hi registered tha. Purvi ne jese hi woh dikhaaya toh saara maajra samajh me aa gaya ki kyu Tejal Veer ko dhundh nahi paa rahi thi.
Tej : V-Veer!!!!
Bhavna : Veer! Kitna... pyara naam hai.
Woh apne khayalaato me ghum ho gayi.
'Zaroor Veer ki dadi jii ne hi ye naam rakha hoga. Aapki ab bhi yaad aati hai mujhe, Maa jii! Kaash aap ab bhi hamare beech hoti!'
Purvi : Decide ho gaya hai fir. Parso! Mein jaa ke uss se mil ke aaungi. Agar sab kuch sahi raha toh... Toh hum sab milenge uss se fir.
Purvi aur Bhavna apni baato me lag gayi.
Par idhar, Tej ke mann me kuch aur hi baatein ghoom rahi thi. Kuch aur hi tarqeebe...
Woh chup chaap bas waha se uthi aur apne laptop me lag gayi.
Kuch minutes ke baad hi uski Laptop ki screen par ek window khuli hui thi.
Ek social media ki window. Jisme Veer ki adhiktar details maujood thi.
'xxxxxxxx college huh!? I know what I have to do now! Sorry Maasi! Lekin mein aapke rules ke according nahi chalne wali.'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Full status ko edit karne me boht samay lagta hai guys. Mujhe pichle poore 15-16 updates ko thoroughly dekhna pada taaki pata lag sake ki kaha kaha points me antar aaya hai. Kon sii new cheeze unlocked hui hai. Uske baad jaake mujhe edit karna padta hai. It takes a lot of time. Village arc pace pakadta jaa raha hai. Taiyaar rahiyega!
Dhanyavaad!
Na na! Crimson festival meri rachna hai. Iska kisi bhi asal festival se koi relation nahi hai. Village arc ke baad ka arc hai woh. Crimson arc.Update bohot hi smoothly raha aur khaskar ek baat jis tarah se ju ne ye alpha instinct aur ye Sigma instinct yo feature yaha utha kr de patka bc confuse hogaya tha mai lekin fir smjh me aayi sab baat khair dono hi instinct strong hai lekin alpha male ka asar thoda jyada hi hai lekin Sigma stinct apne hisab se yaa limit me usko balance rakh raha tha nhi to jab veer ne jis trah Shewata ke saath behave ki wo aur bhi bura behaviour ho sakta tha agar veer ke sigma instinct ne control me nhi rakhta to.
Ab aate hai ragni par to jo itti utawli thi veer se milne ke liye ki utna maine bhi na socha tha lekin ragni ka wo jealous hone wala scene bohot hi lajavaab tha bechari suman ke do bare bare aam bechari ka to halak ke jagah Muniya hi sukh gayi thi akhir suman ke aaamo sorry kharbujo ko dekh to kisi ka bhi man tatol jaaye
Aur jab Shewata ko veer ne rude behave kia jo uske instinct feature ke karan hua khair veer ko baad me pachtawa nhi khunga lekin dukh to hua thoda ki aisa behave nhi Krna chahiiye tha lekin pari ne usko smjha diya.
Khair ab aate hai Crimson festival par to meko smjh na aaya ye kon sa festival hai iss se related kuch suna hai jaise Crimson film festival , Crimson fare festival lekin ye sab kuch alag hai lekin ju ne jo ye socha hai Crimson festival ke baare wo bohot hi alag hoga akhir ju ne iss festival ko apne se create kiya hai Khair dekhte hai aage kya hota hai.
Aur ye Crimson matlab kahi halwoeen festival wagerah yaa kuch se related to nhi.
Update bohot hi lajavaab tha Werewolf.
Take care.......
Pahad kisse pasand nahi?Great update Werewolf bhai. Ab agle arc me jarur kuch raaj khulne wale he.
Veer bina kisi ko bataye hi yaha aa gaya. Aur ghar ke logo ke liye jarur khushi ka samay tha ye.
Sab log har roj ke jese hi ghar ke kaam me vyast the aur sabse pehle veer ke darshan bhi suman ko hi hue. Ragini bhi khud ko na rok payi gale lagne se sabke samne. Uske baad suman ke gale lagte hi ragini ke mann me insecurity hui jo hona hi tha kyuki suman ko ese koi ignore nahi kar sakta aur khaas kar uske pahado ko.
Ek baat yaha gaur karne waali ye hai ki, alpha stronger hai. Par agar sigma bhi equally stronger hota hai. Toh effects neutralize nahi hoenge. Woh negate nahi hoenge. Instead they will be combined to create a balanced out personality. Aur ye alag hi starr ki personality hogi. Because you know do traits aapas me combine ho rahe hai. Definitely ek khatarnak output hi milega hume.Aabha se to ragini ko koi darr nahi. Aur ye veer ke room suman saaf karti he to ragini jarur veer ke kapde aur khane ka dekhti hogi. Ye mahol achha tha par shweta ke aane se ek silence aa gaya. Ragini ke hatho bani saloni kha li par shweta ke uper gehra vaar kiya shabdo se. Aur ye sunn ke shweta jarur dukhi hui he. Par Veer bhi kya kare.
Uske andar ab alpha aur sigma dono ke hi traits he. Aur uper se alpha ka ye roop ab easily kisi ko veer se close hone nahi dega. Sigma ke traits bhi he sath me to dono balance out ho jayenge. Aur ye ek tarah se achha bhi he veer ke liye. Kuch samay pe veer ko dikhana hoga sabko ki wo baki logo se kyu alag he. Aur ladkiyo ke mamle me to abhi se ek se badh ke ek he to aage to list lambi hi hogi.
Bhumika ko bhi ek jhatka de hi diya hai bhai abhi se.Ragini ko jab veer ki baat samjh aayi tab tak derr ho chuki thi. Par wo bhi Kya hi kare ? Aur shweta ko ye sab sehna bhi padega kyuki kaam hi esa kiya he usne. Aur abhi to wo ghar se veer ko nikalne ki baat ka hisab bhi baki he. Aur abhi aage bhumika ke liye bhi veer kuch na kuch jarur bolega esa lag raha he agar Alpha bhari raha to.
Ye boht jald ghatit hone waala hai bhaaya. Probably agle 3-4 updates ke andar hi kaho dekhne ko mil jaaye. Agar nahi bhi mila toh bhi koi dikkat nahi kyuki ye toh hona tay hi hai iss arc me.Uper shweta bhi rone ke siwa kuch aur kar nahi sakti abhi. Suman ne jarur apni sewa shuru kar di he. Aate hi veer ko relax kar diya. Sonali ka bhi admission karana he ab.
Raat me jarur shweta ne apna haal suna diya par abhi to veer kisi aur hi vicharo me he. Shweta ko jab bhavna ka pata chalega tab majha aayega. Tab dekhte he kya karti he wo ? Abhi to veer ko mana rahi he. Bhumika ke liye bhi ye aasan nahi hone wala.
Beshaq, juhi ko chocolate dena baaki hai. Woh bhi hoega hi. Shayad next update me hi.Aarohi, kavya ko bhi surprise hi milega. Aur uske baad Nidhi, shreya ko. Aur juhi ko uska chocolate. Chocolate ke bina to ghar me entry na milegi veer ko. Nidhi ke sath bhi ab aage badhao veer ka relation.
Sonia aur Suhana abhi nahi aaengi bhai. Hum sabhi jaante hai ki Suhana injured hai. Abhi recuperate kar rahi hai woh. Uss se ubharne me samay lagega usse. Aur Sonia zaahir hai ki apni badi behan ki dekhbhaal me lai rahegi. Inki hume ek do jhalak dekhne ko milengi. Par ye arc inpe focused nahi rahega.Baki to ab kaera, Sonia bhi aayegi hi. Aur suhana se to khaas mulakaat hogi agli baar.
Shweta ko wahi samajh sakta hai jisne apni santaan khoyi ho. Upar se woh kabhi maa bann'ne laayak bhi nahi rahi. Uska ateet bhi dukhdaayi hai.श्वेता का अनुताप.....सच्चे दिल से किसी को अपने किए पर पछतावा हो तो उसे प्रभू भी माफ कर देते है। मुझे यह अल्फा और सिग्मा का कोई ज्ञान नही है..शायद एक डोमिनेटिक नेचर का होगा और एक बैलेंस नेचर का। पर जो हो सही गलत का परख होना चाहिए...दिल दरिया होना चाहिए। पश्चाताप की अग्नि मे झुलसना इंसान को एक नई पहचान दिलाता है। श्वेता की गलती कहें या सही , आर्थिक तंगी और पहली शादी ने उन्हे निर्मही बना दिया था। दूसरी शादी का तजुर्बा भी कोई अच्छा नही रहा। अगर अच्छा रहा होता तो वो अपने बेटी के लिए फाइनेंसियल असुरक्षा की भावना नही पालती और तिकड़मबाजी के फेर मे नही पड़ती।
In other words, woh Veer ki gaand maarne ke liye aatur hai.अमेरिकन प्रवास के दौरान जिस शख्स ने हमे हैरत मे डाला था उसने इंडिया मे भी थ्रेट देकर यह बिगुल बजा दिया कि वो वीर के लाइफ मे ' जगमग जगमग ' जैसा कुछ भी नहीं होने देगा। एग्जाम्पल यू एस मे देख चुके है हम। इस शख्स की पैठ काफी गहरी है। ऐसा लगता है यह शख्स वीर की अच्छी खासी परिक्षा लेने वाला है।
Hmm! Bilkul! Ragini ke liye bhi samaya hai. Ghar me sabhi logo ki maujoodgi me woh apne pyaar ka izhaar kese kare ab? Shweta toh jaan khaa jaegi uski.और जहां तक रागिनी भाभी के दिल मे मचल रही हसीन जज्बातों की बात है....सही समय और सही मौके का इंतजार ही उनके सब्र का इम्तिहान होगा।
खुबसूरत अपडेट वेयरवोल्फ भाई ।
Outstanding & Amazing &brilliant.
Awesome update bro maza hi aa gaya to wo unknown veer ko marne ane wala hai to us se bachne ke liye veer ko Sabse Pehle Apne levels Jaldi 2 badhane honge Or idhar Ab tej Apne khurafaati dimaag ke chalte kuch na kuch to hansil jaroor kr legi ya to puri details ya fir koi nayi musibat Or veer sabka kat rha tha pr itne problems ke chalte Truecaller se apna original naam hatana bhool gya jiske chalte uski pol patti khul hi gayi aakhirkaar ab Dekhte hai uski massi use kaise deal krti hai or ragini ka bhopu kab bajta hai taki sigma trait badh kr alpha ke equal ho ske taki or ache se balance bna kr rakh ske or dekhte hai ab veer konsi skill ya feature upgrade krta hai ya new leta hai or missions kab ayenge or kaise unko pass krke pari ka lvl increase krke power bdha payega or balhaar ki gand se dhya nikaal diya ate ate lol maza aa gaya update padh kr.Update - 111 ~ Connecting the dotsAb tak...
Wahi aadmi jisne Veer ke raungte khade kar diye the.
Text simple tha. Par rooh hila dene waala tha.
"Ek antim message tumhare liye Veer. Don't try to track this number. Tumhe kuch haasil nahi hoga. Samay ki barbadi hogi. Enjoy your remaining days with your family. Do whatever you want...! I just want to tell you one thing snd that's...!
I will kill you at the Crimson's Festival"
Ab aage...
*Huff* *Huff* *Huff*
"Goddamn it Suhana!!!! Don't you die on me!!"
Veer ki saase tezz thi. Steering aur gears par uske haath fatafat chal rahe the, aur gaadi raftaar pakad sadak par bhaag rahi thi. Suhana peeche ke seat par khoon se lathpat behosh laiti hui thi.
'WHAT THE HELL IS THIS PARI???'
[M-Master! I-I... M-Mujhe sach me nahi pata abhi abhi kya hua. It's not possible. H-How can it be? Uske paas system kese ho sakta hai?]
'Yahi toh mein tumse puch raha hu Pari!!! Tumne kaha tha ki sansaar ka koi bhi vyakti ye pata nahi laga sakta ki tum mere andar ho. Then what the FUCK was that-!?'
Woh zorr se chillaaya. Clearly, woh Pari par gussa tha. Pari ne uss se jhooth bola? Kyu?
[M-Master-! I-I... ]
'Tell me!!!!!'
[Woh meri dusri personality hogi Master. Trust me Master I-]
'SHUT THE FUCK UP PARI!!! SHUT UP!!!'
[Ahh!! M-Master!!! I really-]
'Just shut up! Ek anjaan aadmi aata hai aur kathputli ki tarah hume nachaate hue hamare hi member ko yu ghaayal karke araam se nikal jaata hai.'
[Th-That's--]
'Aur tumhe kuch pata bhi nahi hai. Aur jo pata hai woh galat hai. What a fucking great end it is to our tour.'
Uske zorr se chillaane par ek khamoshi chhaa gayi. Aur kuch derr baad Pari ki boht hi dheemi sii ruwaasi awaaz uske mann me goonji.
[I'm sorry Master! I'm so sorry! I was a failure! Mujhe aapko aur pehle inform kar dena chahiye tha. I wasn't good enough. I'm sorry.]
Aur iss se pehle ki Veer kuch keh paata,
[I'm sorry Master~]
*Ding*
[System has entered into the sleep mode.]
Pari sleep mode me chali gayi.
'Pari I...!'
Veer kuch keh na paaya. Suhana ko furti me hospital pohuchaate hue usne saari details fill in kii. Divya bhi kuch derr me hi Nik aur baakiyo ke sang pohuchi. Uske chehre ka rang uda hua tha.
Veer ke paas bhaagte hue aake usne usse thaama,
Divya : K-Kya huaaa?? Veeeerr??? How is she???
Veer : Treatment chal raha hai!
Divya chinta me aake wahi haatho me sarr rakh baith gayi.
Toh wahi Veer apne ravaiyye ko lekar niraash tha. Pari ke saath usse aisa behave nahi karna chahiye tha. Usne toh hamesha se hi uska bhala chaaha hai.
Jese hi kuch ghanto ke baad doctor se ye pata chala ki Suhana critical situation se baahar hai. Veer ke phone par tabhi woh text aa gaya. Aur usse dekhte hi, uski chintaaye aur badh gayi.
Ab yaha rukna theek nahi tha. Suhana ko antim baar dur se dekh woh waha se nikalne laga. Subah ho hi chuki thi. Baaki samay woh airport par hi guzaar sakta tha.
Divya : Tum...! Tum jaa rahe ho? Abhi se? Suhana se nahi miloge? How can you-!?
Veer : Nahi! Mera kaam yaha khatam hai.
Divya : Suhana ko aise chorr ke jaa rahe ho Veer?
Veer : I...
Divya : Tum aisa kese kar sakte ho?
Veer : She will be fine! Galti meri hai mein unhe safe nahi rakh saka. I don't want her to see me first. Chalta hu! Good luck with your investigation!
Aur woh apna bag utha ke waha se nikal gaya.
"Veeeeeeeeerrrrr!!!"
Divya hospital ke gate tak aake usse kayi baar pukaari, par Veer na ruka.
Aur dekhte hi dekhte woh uski nazro se ojhal ho gaya.
'Will we meet again? Veer?'
***
Uske baad se hi, Veer aur Pari ke beech poori flight bhar koi bhi baat nahi hui.
Jab Veer India pohucha tab hi Pari reactivate hui aur Veer ne fauran hi apni maafi rakh dii.
"I'm so sorry Pari!! M-Mein..."
[No! I'm sorry master! Galti meri thi. Mujhe aur attentive rehna chahiye tha. Lekin mein-]
'Nahi Pari! Tumse jitna hua tumne apna best diya. Aur wese bhi tum mere andar ho. Baahar ki saari cheezo par control rakhna mere haatho me hai. And I still-'
[It's... It's okay master! Please don't be sad. Chorriye woh sab. Ab hume uss unknown par focus karna hai.]
'Yeah!!!'
Pari se dobaara sulaah hone ke baad, Veer aur uske beech ab rishta aur bhi mazboot ho chuka tha. Jo ki dono ke liye hi accha tha.
***
Par Alpha ke stronger hone ke baad, maamla thoda bigad raha tha.
"Damn it! Damn it! Damn it!!!!!!"
*BAAAMMMMMM*
Veer ne zorr se apna haath diwaar par de maara. Poori diwaar vibrate ho uthi.
"The fucking timing-"
Woh behad gusse me tha. Apne sarr ko haatho me leke woh wahi zameen par baith gaya.
'P-Pari!! Mein sirf ek khush-haal zindagi jeena chaahta tha. Aur dekho kaha aa gaya mein?'
[Master!]
'Suhana waha ghaayal hai. Miss Kaera apni unstable condition me hai, Miss Sonia ko kuch nahi pata hai, Bhabhi aur baaki sabhi khatre se anjaan hai, Pranjal zaroor kuch peeth peeche kar raha hai, Nidhi ma'am aur Juhi uss Rajat ke liye firse ready nahi hai, Niharika... She might be plotting something too. Aur ab ye unknown person..!'
Baat sach thi. Akhir kaha kaha dhyaan de woh?
[One at a time master. One at a time. Ek ek karke hum seedhiya chadhte hai. Theek hai? Agar uss unknown aadmi ne hume abhi freedom dii hai. Then yahi time hai ki hum jald se jald yaha ki problems solve kare. Let's start with Rajat. Usse handle karna hamare liye asaan hi hoga.]
'Yeah! Thank You Pari!'
[Don't mention it master~]
Woh abhi uth hi raha tha jab achanak uske bagal se aake koi wahi zameen par baith gaya.
'Hmm?'
Uske bagal se Bhumika baithi hui thi. Kal raat me theek se baat bhi nahi ho paayi thi uss se Veer kii.
Bhumika (smiles) : H-Hey!
Usne dheere se kaha.
Veer : *nods*
Bhumika : Mujhe laga ki tum pareshan ho isliye mein-
Veer : I'm fine!
Bhumika nazre chura chura ke Veer ko dekh rahi thi. Uski zyaada himmat nahi hui Veer ko dekhne ki aur uss se directly baat karne ki.
Bhumika : Hamaare beech...!
Veer : !??
Bhumika (sarr jhukaate hue) : Hamaare beech kabhi dhang se baatein hi nahi hui. Hai na!?
Veer (lambi saas lete hue) : Kuch lamhe bane the. Mene koshishe kii thi. Aapne pehchaan'ne se hi inkaar kar diya...!
Bhumika : W-Woh-
Veer ke ek ek shabd seedhe Bhumika ke dil me chhuri ki tarah jaa ke ghup gaye. Shabd uske gale me hi atak ke reh gaye. Veer ne usse woh pal yaad dila diya jab woh hotel me Veer ko pehchaan'ne tak se peeche hatt gayi thi. Aur iske liye glaani toh usme abhi bhi koot kootkar bhari hui thi. Veer ke bol jese zakhm par namak chhidakne ka kaam kar gaye.
Veer : Ab jab thodi fursat mile, toh ye sawaal khud se kariyega.
Iss se pehle ki Bhumika kuch keh paati,
"Veeeeeeeerrrrrr!?? Naashta lag gaya hai. Aa jao! Bhumika tum bhi!!!"
Andar hall se Ragini ki awaaz ne unka dhyaan kheech liya.
Veer agle hi shan utha aur bina kuch kahe ya peeche mude woh Bhumika ko wahi chorr waha se andar chal diya.
Bhumika ki aankho me aasu panap uthe. Agar Veer ek do vaakya aur dil ko ghayal karne wale kehta toh beshaq unn aankho me se aasu chhalak uthate.
Dining table par apni seat par virajmaan hote hue usne naashta shuru kiya. Pal pal Ragini andar se baahar hoti aur usse apni qaatilana nazro se dekhti.
Veer (sonali se) : Tumhare liye mene kuch socha hai.
Sonali : Hmm? Kya?
Veer : Samay aane par pata lag jaega.
Sonali : Ek aur food truck?
Veer (smiles) : Nahi!
Sonali : Toh?
Veer : Mujhe samay do thoda. Jald hi pata lag jaega. Business me koi dikkat toh nahi jaa rahi?
Sonali : Jaa rahi hai na.
Veer : Kya hua?
Sonali : Yahi samajh nahi aata ki mein iss jhamele me kyu fassi hui hu.
Veer : Well...
Veer ke kuch kehne se pehle hi Suman ne Sonali ki plate me ek paratha rakha aur saath hi saath uske sarr par ek tapli bhi de maari,
*Bonk*
Sonali : Maaaaaa!!????
Suman : Kahi bhi raha jaata hai toh kaam karna padta hai. Kya tum ab muft me aisho araam ki zindagi jeena chaahti ho? Mene tumhe ye sikhaaya hai? Veer jii ne tum pe itni badi zimmedaari saupi hai bharosa kar ke. Unka bharosa mat todna. Aur lagan se kaam karo. Tumhe toh khush hona chahiye ki-
Sonali : Maa tum hamesha aisa hi karti ho. Hamesha uska paksh leti ho. Jab dekho tab-
Suman : Haan toh kyu na lu paksh? Gaav ka samay yaad nahi kya? Kese jeete the hum harr roz? Bol! Aaj tu yaha chenn se baith ke iss tarah shaahi bhoj kar paa rahi hai toh woh kiski badaulat hai? Haan? Lungi mein paksh Veer jii ka. Aur tu bhi samajh jaa iss baat ko.
Sonali (khuspusaate hue) : Acche se jaanti hu kyu paksh leti ho uska.
Bola toh badi hi dheemi awaaz me tha Sonali me. Par Suman chuki kaafi nazdeek khadi thi, usne sab sunn liya aur palat ke Sonali ko usne apni aankhein dikhaayi. Antatah, Sonali kheejte hue shaant hoke baith gayi. Toh wahi Suman ka poora dhyaan Veer par kendrit ho gaya.
Suman : Ek paratha aur lijiye na!
Veer : Nahi! Ho gaya mera!
Suman (dheere se) : Lijiye na maalik! Sehat ka dhyaan rakhiye. Acche se naashta kariye.
Veer : Pait already bhar gaya hai.
Suman : Ek aur bas! Mere liye!?
Veer (sighs) : Rakh do!
Suman (smiles) : Mein paani laati hu.
Woh gunguna ke andar chali gayi toh wahi Ragini andar se baahar aayi aur Aabha aur Sonali ko sabzi parosne lagi.
Harr baar woh Veer ko dekhne se nahi chookti thi. Unhe serve karne ke baad jab usne dekha ki Shweta aur Suman dono hi andar thi to woh mauka dekha Veer ke nazdeek aayi,
Ragini : M-Mein... Mein chaah rahi thi ki hum kal chale kahi?
Veer (dheere se) : Kidhar?
Ragini : Kahi bhi. Jaga tum le jana chaaho.
Veer : How about beach?
Ragini (smiles) : Ahh! Wonderful! Mujhe kayi mahine ho gaye waha gaye. I'll... I'll be ready! Kal shaam ko. Okay?
Veer ke haath ko thaam halke se daba ke woh muskaan liye waha se andar ho gayi. Kal ki shaam, Ragini ke naam pehle hi booked ho chuki thi.
Jo akhiri sadasya tha ghar ka, akhir kaar woh bhi baahar aaya.
Shweta ek plate me kuch mithaiyaa rakh ke kitchen se baahar aayi. Sabhi ko ek ek piece dene ke baad woh akhir me Veer ke paas aayi. Aur jhuk ke usne ek mithaayi Veer ki plate me rakhi.
Parantu usne apna pallu nahi odha hua tha. Ye maatr ek ittefaaq tha. Aur ittefaaq se hi, Veer ki nigaahein unn do raseele aamo par jaake theher gayi.
Jese hi Shweta ne apni nigaahein upar kari, Veer uske urojo ko ghoorte hue pakda gaya.
Veer ne Shweta ko dekha, usse thoda ajeeb lag raha tha. Galti akhir uski thi. Par aur bhi ajeeb tab laga jab Shweta agle hi pal muskuraane lagi.
'Huh!?'
Woh ajeeb sii muskaan diye, apne than ke upar haath rakh usse pyaar se sehlaayi aur waha se nikal gayi.
'!!!??'
Veer ki kuch bhi palle na pada ki ye abhi abhi kya hua tha.
Shweta andar kitchen me aake abhi bhi apne stan par haath ferr rahi thi dheere dheere. Jese maano unhe kisi cheez ke liye taiyaar kar rahi ho. Uske chehre par ek santushti bhari muskurahat thi.
Agar Veer thodi derr aur yaha ruka toh beshaq tension aur confusion se uska sarr khap jaane wala tha.
Woh naashta karte hi ghar se nikal gaya. Aur raaste me hi uski baatein Pari se hoti rahi,
'Pari! Full status!'
[Right away Master!]
*Ding*
Veer ne ek nazar apne stats par daali. Aur haami bhari. Itne points hone ke baad bhi usse abhi bhi ye kam maalum pad rahe the.
Usse ab apne stats badhaane ki bhi zaroorat thi aur saath hi ab ek advanced level martial arts skill ki bhi.
Lekin, uske liye bhaari maatra me points ki aavashyakta thi. Filhaal, Veer ne laalach na dikhaate hue apne stats ko jyo ka tyo hi rehne diya. Thode aur points jab ikhatta honge tab woh inhe badha lega. Ye soch woh chal diya Balhaar ke hideout ki orr,
Pehle hi Veer ko uska message aa chuka tha aur Balhaar milna chaah raha tha.
Andar aate hi Balhaar ke right hand aadmi athwa gang ke logo ne ek jhalak me hi Veer ko pehchaan liya aur usse andar aane ke liye raasta diya. Sabhi jaante the ye javaan ladke ki ahamiyat kya thi.
Ek acchi sii luxury seat par Veer ko baithaya gaya. Aur waha khade log usse chai coffee ke liye puchne lage.
Balhaar bhi fauran hi haazir ho gaya aur uske saamne baith usne apne logo ko baahar jaane ke liye ishaara kar diya.
Veer : I guess kuch hua hai meri gerr-maujoodagi me. Am I right!?
Balhaar : Jii boss! Aapka andaaza sahi tha. Jesa aap keh ke gaye the. Mere aadmi unn jagaho par poori nigraani rakhe hue the.
Veer : Hmm! Toh? Kya hua fir...!?
Balhaar : Darasal baat ye hai ki...
Usne saari baat samjhaayi toh Veer ke maathe par shikan aa gayi.
Veer : Thik hai! Mein dekhta hu! Tum khabar bas dete rehna. Aur kuch filhaal karne ki zaroorat nahi. Agar mujhe zaroorat hogi toh mein khud bataunga.
Balhaar : J-Jii!
Veer utha aur jaane ke liye hua. Peeche Balhaar usse ajeeb nazro se ghoor raha tha.
Uske mann me alag alag vichaar aa rahe the.
'Isse boss maan'ne ki kya zaroorat hai mujhe? Slogan marr chuka hai. Mumbai ka don mein hu. Fir bhi ek bacche ke neeche kaam kyu kar raha hu mein? Hai toh ye ek 21-22 saal ka ladka hi. Kya bigaad lega mera? Itni saari gangs hai mere paas. Saale ko ek baar me bhoon denge. Karodo ka karobaar hai mera. Mere neeche bade se bade aadmi bhi kaam karte hai. Roz mera auhda badhta jaa raha hai. Sirf haath hi toh moda tha isne. Fir iss ladke ke peeche kyu-'
Veer : Ohh by the way~
Balhaar (jhepte hue) : H-Huhh?
Veer ahista se uske kaan ke paas aaya aur dheemi par behad buland awaaz me uske bol Balhaar ke kaano me goonj gaye, jisse sunte hi Balhaar ke perr kamzor padd gaye.
"Betrayal ke baare me sochna bhi mat! Agli baar haath marodunga nahi. Seedha ukhaad ke shareer se alag kar dunga."
Aur itna bol, woh waha se nikal gaya.
Balhaar ka chehra dekhne laayak tha. Uski saari hekdi utar chuki thi. Jo thode boht bhi uske mann me Veer ko daga dene ke vichaar aaye the, unki jagah ab Veer ko baap maan'ne ke vichaar paida ho chuke the.
Usse samajh aa chuka tha ki bhale hi ye ladka 21-22 saal ka hi tha. Par isme kuch aisi baat thi jo usse galti karne se baar baar rok deti thi. Uske andar ek khatre ki ghanti baja deti thi. Ki agar woh iss ladke ke khilaaf gaya, toh uska sab kuch khatam ho jayega.
*Gulp*
Chehre par se paseena poch, Balhaar baahar nikal apne kaamo me lag gaya.
***
Mumbai ke hi ek shetr me ek medium sized ghar me teen log aapas me behas karne me lage hue the.
Ye aur koi nahi, Bhavna Tejal aur Purvi hi thi.
"Itni badi baat chhipaayi aapne mujhse? Kyuuuuu? Kyu kiya aapne aisa???"
Awaaz thi Tejal ki jo Bhavna par bhadak rahi thi.
Uski aankho me nami bhi thi. Uski maa aisa kese kar sakti thi bhala?
Bhavna : M-Mein-
Tej : Aap chaahti kya hai Mom?? Kya chaahti hai aap? Bata dijiye aaj mujhe!
Bhavna : Meri baat suno Tej-
Tej : Itne dino se mein paagalo ki tarah dar-dar bhatak ke jankaari batorne ki koshish kar rahi hu ki kahi se mere bhai ke baare me mujhe kuch pata chal jaaye aur aap itni badi info haath me rakhe hue mujhe bas dekh rahi thi? Ek bhi baar aapke mann me ye nahi aaya ki mein apni beti ko kam se kam bata toh du ye. Aap jaanti bhi hai mera haal? Kis haalat se guzar rahi hu mein apne bhai ko dhundne ke liye?
Bhavna : Sab samajhti hu Tej! Mein sab samajhti hu meri bacchi! Aur woh tumhara bhai hai par mere liye toh mera beta hai. Tum samajhti kyu nahi ki-
Tej : Bas!!! Boht ho gaya. Dijiye mujhe!! Aapse nahi ho payega! Mein khud hi karungi.
Bhavna : N-Nahi! Mujhe karne do mein-
Tej : Itne dino se toh aapse hua nahi mom. Ab kya karogi aap?
Purvi jo ab tak shaant thi, akhir kaar usse maa beti ke jhagde ke beech me aana hi pada.
Purvi : Tum dono! Ye kya laga rakha hai? Aur Bhavna tum!!! Tum aisa kese kar sakti ho? Apni hi beti se baate chhipaogi toh aise kese chalega haan? Yahi toh parivaar hai tumhara! Itni badi baat chhipaane ki kya zaroorat thi? Hum dono hi dekh rahe hai ki kese bechaari Tej roz roz baahar nikal Vikram ke liye jankari dhundhne jaati hai. Par bechari lautati khaali haath hi hai. Aur tum aise me...!
Bhavna : Aisa nahi hai Purvi! Agar mene ye kiya hai toh kuch soch ke hi kiya hoga na? Tum hi batao, kya mein kuch bhi kisi ko kasht dene ke liye jaan boojh ke karungi?
Purvi (sighs) : Bhavna! Tumhe ab samajhna hoga ki tumhari beti ab bacchi nahi rahi. Ab apne baccho se baatein chhipana matlab unn par bharosa na karna jesa hai.
Tej : Exactly!!!! Maasi! Meri baato se toh inhe farq tak nahi padta hai. Aap hi samjhaiye please!
Purvi uth ke Bhavna ke bagal se aake baithi jo sofe par viraajmaan thi aur uske kandhe par haath rakh usne Bhavna ko hausla diya.
Purvi : Ab zyada mat socho aur karo. Warna derri na ho jaaye Bhavna.
Bhavna : P-Par... Agar kuch hua toh!? Purvi mere haatho me ab woh bal nahi raha. Tum jaanti hi ho... Woh satta, woh shaasan... Tum sab jaanti ho kya hua tha. Agar kuch ho gaya toh? Mein kabhi apne aap ko maaf nahi kar paungi Purvi! Mein uspe aanch bhi nahi aane de sakti.
Iss baar apni maa ki baat Tej badi hi dhyaan se sunn rahi thi. Ye kya baatein ho rahi thi?
Tej : Kesa bal? Kesi satta? Aap kya keh rahi hai?
Bhavna : Huh!!? K-Kuch nahi!
Tej : Aap firse kuch chhipa rahi hai na? Dekha! Maasi!? Dekha na aapne? Ye firse mujhse kuch chhipa rahi hai.
Purvi : Ab tum karti ho ya nahi Bhavna?
Bhavna : Hmm! M-Mein... Karti hu!
Kehte hue usne apni mutthi khol ek parchi nikaali aur usse khola.
Saari behas issi ke liye hi toh ho rahi thi. Uss parchi me ek hi cheez thi...
Aur woh tha...
Veer ka phone number!
Wahi number jo Veer ne khud Bhavna ko diya tha jab woh Egypt se laut raha tha.
Aur ab tak, Bhavna usse sambhaal ke rakhi hui thi. Roz roz Tej baahar nikal ke kisi na kisi tareeqe se Veer ke baare me info nikaalne ki koshish karti thi. Par bechaari harr baar nakaam ho jaati thi.
Aur kyu na hoti? Mumbai itna bada sheher tha. Veer ko waha dhundna khet me sui dhundne jesa tha. Upar se bechaari ko naam bhi galat pata tha. Vikram toh naam hi nahi tha Veer ka. Saath hi jo photo Tej ke paas thi, woh ek side view photo thi. Toh Veer ko pehchaan'na aur bhi mushqil tha usme.
Lekin Tej ne ek bhi din zaaya nahi jaane diya. Harr roz woh nikalti, apne bhai ko dhundne ke liye. Colleges me jaati, jitni info milti utni paa ke waapas aa jaati.
Aur Bhavna ye ab tak chhipaaye hue thi ki uske paas Veer ka number maujood tha. Uska jee ghabra raha tha ki agar Veer se mulaqaat hui toh kya hoga? Ek darr tha, jo sirf wahi jaanti thi. Aur Purvi. Tejal toh kayi saari baato se anibhigya thi.
Aur itni mehnat karne ke baad usse pata chala ki uski apni hi maa pehle se hi jankaari dabaaye baithi hui thi.
Zaahir hai ki woh boht zyada gussa thi. Aur ab behas ho rahi thi Veer ko call lagane ki.
Purvi ke hausla dene ke baad akhir kaar Bhavna ne mann bana hi liya aur usne apna phone utha ke uss number par call lagaaya,
Tej : Loudspeaker par rakhiyega!
Bhavna : Hmm!
Waha maujood sabhi ke dil ki dhadkane tezz ho gayi.
Tej apne bicchde bhai ki awaaz sunn'ne waali thi. Toh wahi Bhavna apne bete kii. Aur Purvi pehli baar Veer ki awaaz se rubaru hone waali thi.
*Ring* *Ring*
*Ring* *Ring*
Ghanti gayi aur kuch rings ke baad hi,
"Hello?"
Ek awaaz aayi. Jisse sunn Bhavna ka dil zorr se dhadak utha. Awaaz wahi thi. Wahi same awaaz. Number ussi ka tha matlab.
Tej ka khud ka muh khula hua tha.
Bhavna ke honth thar-thara rahe the. Bechari ke muh se shabd hi nahi nikal paaye.
"Hello?"
Punaah awaaz aate hi Purvi ne Bhavna ke haatho se phone chhinaaya aur khud baat karna shuru kii,
Purvi : H-Hello!?
"Jii kahiye! Aap kaun?"
Bhavna aur Tejal dono ki hi himmat nahi ho rahi thi ab baat karne ki. Tejal toh hazaaro baatein kehna chaahti thi uss se. Par ab jab mauka aaya toh pata nahi kyu, uski himmat nahi hui. Baat ko shuru kese kare, uski ab kuch samajh me nahi aaya. Shayad ye sab kuch ekdum se zyaada hi ho gaya tha uske liye.
Purvi : Kya mein Vikram se baat kar rahi hu?
"Hmm!? Ohh! Yeah!! Jii haan! Aap Vikram se hi baat kar rahi hai. Kahiye!"
Purvi : B-Beta mein... Ahem! Mujhe aapse kuch zaroori kaam hai.
"Hmm? Par aap hai kaun?"
Purvi : Bas yu samajh lo ki mein aapki... Aapki koi apni hi hu.
"Aur mein kese maan lu?"
Purvi : Trust me beta! Mein aapko jaanti hu. K-Kya aap mujhse kal mil sakte ho?
"Well! Actually nahi! Kal mein kahi busy rahunga."
Purvi : T-Toh parso? Parso theek rahega?
"Fine! Parso! Kab aur kaha?"
Purvi : Parso xxxxxxx hotel me. Shaam ko theek rahega?
"Okay! That sounds fine."
Purvi (smiles) : G-Good!
"Aur mein aapko pehchanunga kese?"
Purvi : Don't worry! Mein tumhe call kar dungi. Par number different rahega. Ye nahi! Mein bata dungi mein kaha par baithi houngi. Okay?
"Alright!"
Purvi : Th-Thank you! Vikram! I'll see you day after tomorrow! Bye!
"Jii!"
*Call ends*
Call cut hote hi Purvi ne ek lambi saas lii. Uski khud ki dhadkane poore vartalaap ke dauraan tezz thi.
Bhavna : Thank God tumne usse kuch nahi bataya abhi.
Purvi : Mein jaanti hu sab. Of course mein usse abhi se kuch nahi bataungi!
Tej : Kyuuuu? Kyu nahi bataaya? Arre aapko kehna chahiye tha na ki uski sagi maa aur behan yaha par hai. Aap uski maasi ho. Kyu nahi kaha aapne? Hum abhi ke abhi mil sakte the. Kyu kiya aapne aisa?
Purvi : Kyuki tum woh baatein nahi jaanti jo hum jaante hai Tej.
Tej : Toh bataaiye na mujhe!!!!
Purvi (sighs) : Itna asaan nahi hai. Anyways! Woh agree ho gaya hai. Agar parso kuch nahi hua, iska matlab hum aage proceed kar sakte hai.
Bhavna : Hmm! Aur Purvi-
Purvi (smiles) : Pata hai mujhe! Uss se milne sirf mein jaungi.
Bhavna (smiles) : Hmm!!
Tej : Whaaaaaatttttt? Kya matlab? Kya matlab sirf aap jaogi? Aur hum?
Purvi : Tum dono yahi par rahogi!
Tej : PAR KYUUUUUU????
Purvi : Baad me tumhe sab pata lag jaega. Kuch din ka intezaar karo.
Tej : A-Aap log... Aap log boht bure ho.
Purvi (smiles) : Ahh! Toh ye baat thi. Tej! Tumhare nakaam hone ka raaz pata lag gaya.
Bolte hue Purvi ne mobile ki screen jese hi saamne kii, toh screen par ek naam likha hua tha.
Veer ka poora naam!
Truecaller par Veer ka original name hi registered tha. Purvi ne jese hi woh dikhaaya toh saara maajra samajh me aa gaya ki kyu Tejal Veer ko dhundh nahi paa rahi thi.
Tej : V-Veer!!!!
Bhavna : Veer! Kitna... pyara naam hai.
Woh apne khayalaato me ghum ho gayi.
'Zaroor Veer ki dadi jii ne hi ye naam rakha hoga. Aapki ab bhi yaad aati hai mujhe, Maa jii! Kaash aap ab bhi hamare beech hoti!'
Purvi : Decide ho gaya hai fir. Parso! Mein jaa ke uss se mil ke aaungi. Agar sab kuch sahi raha toh... Toh hum sab milenge uss se fir.
Purvi aur Bhavna apni baato me lag gayi.
Par idhar, Tej ke mann me kuch aur hi baatein ghoom rahi thi. Kuch aur hi tarqeebe...
Woh chup chaap bas waha se uthi aur apne laptop me lag gayi.
Kuch minutes ke baad hi uski Laptop ki screen par ek window khuli hui thi.
Ek social media ki window. Jisme Veer ki adhiktar details maujood thi.
'xxxxxxxx college huh!? I know what I have to do now! Sorry Maasi! Lekin mein aapke rules ke according nahi chalne wali.'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Full status ko edit karne me boht samay lagta hai guys. Mujhe pichle poore 15-16 updates ko thoroughly dekhna pada taaki pata lag sake ki kaha kaha points me antar aaya hai. Kon sii new cheeze unlocked hui hai. Uske baad jaake mujhe edit karna padta hai. It takes a lot of time. Village arc pace pakadta jaa raha hai. Taiyaar rahiyega!
Dhanyavaad!
Veer anguthi dhundhne gya tha jb Suman use mili thi na ki MA ko... Or Tabhi veer ke locket dekh kr Suman ne use sex ke dauran btaya tha...शानदार अपडेट था ज़नाब,
प्रारंभ मे ही आपने दिखाया की सुहाना को बचाने के लिए वीर ने अपना जितना हो सकता था उतना दिया । इसी बीच उसका गुस्सा परी के ऊपर निकला उस अंजान शख़्स के मौजूदगी को लेकर । आखिर परी ने वीर से ये झूठ बोला था की उसके अलावा धरती पर कोई भी, किसी के पास भी सिस्टम नही है ।
वेगास मे जो उसे मिला था, उसके व्यक्तित्व और व्यवहार से ये मालूम चल रहा था की उसका सिस्टम बहुत ज्यादा अपडेटेड होगा । आखिर वो बस अपनी मौजूदगी से वीर जैसे सुपर ह्युमन के पसीने निकाल दिया था, उस वक़्त । उस अंज़ान शख़्स ने वीर को समय दिया है, कमाल है न ।
इससे ये बात साबित हो जाती है की हर शेर से बढ़कर एक सवा शेर होता है ।
यहाँ एक संभावना और देखने को मिलता है, संभव है की वो अंज़ान शख़्स वीर का स्टेट्स देख लिया हो अपने सिस्टम के मदद से, और उसे ये लगा हो की अभी वीर उसपर भारी भी पड़ सकता है, इसीलिए उसने वीर को समय दिया हो ताकि वही समय उसे भी मिले अपने स्टेट्स बढ़ाने के लिए ।
खैर, वीर के पास पहले से ही कई परेशानिया थोक मे पड़ी हुई है, जब तक उस अंज़ान शख़्स का समय नही आता तब तक वीर को इन समस्याओं पर ध्यान देना चाहिए । साथ ही साथ अपने स्टेट्स को भी बढ़ाने के लिए कड़ी मेहनत करनी होगी ।
तेज़, इस लड़की से सब कुछ छुपाया गया है, सब कुछ...
हमेशा से इससे झूठ ही बोला गया है, जब भी ये अपने भाई की तलाश मे बेचैन रहती थी, तब भी उसकी माँ सब जानते हुए भी मौन रहती थी ।
भावना, इसकी क्या मजबूरियाँ रही होगी की इसने अपने बेटे को खुद से अलग कर दिया, तेज़ को उसके भाई से अलग कर दिया ।
ऐसा क्या हुआ था बीते दिनों मे जो भावना को इतने बड़े कदम उठाने पड़े ।
सुमन कभी तो अपने बातो मे ये ज़िक्र की थी की वो भावना के यहाँ गुलाम थी । या कुछ ऐसा ही मुझे याद नही आरहा है । ये तब की बात है जब वीर अपनी माँ को ढूंढने वहाँ गया था जहाँ उसे सुमन मिली थी ।
इससे साफ़ पता लगता है की भावना की जड़े ज़रूर किसी बड़े घराने से जुड़ी हुई होगी । पर सवाल तो ये भी है की आखिर ऐसा क्या हुआ होगा जो भावना को वहाँ से भी निकलना पड़ा ।
वैसे तेज़ शांत रहने बालों मे से तो है नही, आखिर उसके अंदर भी तो वही खून है जो वीर भाई साहब के अंदर है, चुल तो मचेगी ही अपने भाई को जानने की, और अब तो वीर का असली पहचान भी उसे पता है ।
बस डर इस बात की है की, जानकारी निकालते निकालते कहीं तेज़ किसी मुसीबत मे न फस जाए, आखिर वीर के दुश्मन भी थोक मे पड़े है बाज़ार मे ।
खैर, अब इंतज़ार है वीर और रागिनी के उन पलो को पढ़ने की जिनमे दोनो समुंद्र के किनारों पर गुलू - गुलू करते दिखेंगे ।
बाकी शानदार अंश था, आगे के लिए शुभकामनाएं ।