- 14,126
- 100,122
- 259
Last edited:
Itne legendary Reader logis ke samne meri kya hi ginti hogiBol lo jhooth
reaction score 6 lakh plus hai top wale kaMujhe to tum hi dikh rahi ho
awesome ....Bol lo jhooth
जैसे वीर के दादा, पिता, व परिवार का तेज के रिश्ते को ले कर प्रतिक्रिया व्यक्त की.. व आश्चर्य व्यक्त किया.. इसी के चलते ये दुविधा उत्पन्न हुई.. लगता है यहां भी कोई किस्सा कहानी है..Thanks a lot bhai! Keep supporting!
Aur Rajat ki hume abhi poori khabar nahi mili hai.
Dhanyavaad bhai!! Bilkul! Aane waale updates me milan hi milan hai. Parivaar judega par saath hi pareshaniya bhi aayengi. Tej ko lekar confusion hai? Kya bhai! Ye doubt kese aa gaya aapke mann me!? System se Veer Tej ko check kar chuka hai. System ne saaf saaf bataya hai ki woh uski sagi behan hai. Fir kis baat ka confusion? Kherr! Saath bane rahiyega.
शानदार जबरदस्त भाई लाजवाब update bhai jann superree duperrere updateUpdate - 116 ~ Turn the tides (2)
Ab tak...
Teeno ladkiya usse dekh firse khush ho gayi. Par unhe kya pata tha ki abhi abhi balcony ke baahar kya hua tha. Agar teeno ne Veer ka woh roop dekha hota toh teeno ki rooh kaanp uthati.
'Iska matlab woh yahi kahi hotel me hai. Pari?'
*Ding*
[Beowulf's blessings has been activated.]
"R-Raja kaha jaa rahe ho?"
Veer muskuraaya aur dheere se bola, "On a funeral!"
*Slam*
Darwaaza khula aur woh baahar nikal gaya.
Ab aage...
"Ohh! Mein tum logo ko bata bhi nahi sakti ki mere saath waha kya hua."
Chehekti hui ek awaaz ek kamre me goonji.
Awaaz kisi aur ki nahi, balki Purvi ki thi. Veer se milan ke baad woh jab ghar waapas aayi toh Tejal aur Bhavna ne uss par sawaalo se hamla shuru kar diya tha.
Tejal : Kya hua maasi?
Bhavna : Purvi! Ab kis baat ka intiqaam le rahi ho mujhse? Bata bhi do na ab! Mein sunn'na chaahti hu.
Purvi : Tumhara beta Bhavna! Tumhara beta!! N-Nahi! Hamara beta! Tej ne jo mujhe photo me dikhaya tha. Uss se kahi zyaada sona hai mera laadla. Haaye~ Kaali aankhein, lamba kadd-kaathi, itna pyaara hoga mera laal mene socha bhi nahi tha.
Ye sunn ke Tej ke hontho par apne aap ek halki muskaan sajj gayi. Jese woh bataana chaah rahi thi ki akhir bhai kiska hai.
Bhavna : K-Kya kaha usne? Mere baare me?
Bhavna ke ye puchte hi, Purvi ko Veer ka woh maayus chehra yaad aa gaya. Aur forun hi woh naraaz hote hue baith gayi. Purvi ko iss qadar dekh Bhavna ki chinta mann hi mann aur badh gayi. Woh jhatt-patt tezz qadmo ke saath uske bagal se aake sofe par baithi,
Bhavna : K-Kya hua? Kuch kehti kyu nahi? Kya kaha mere bete ne? Woh theek toh hai na?
Purvi : W-Woh theek hai Bhavna!
Bhavna : T-Toh? Fir? Kya hua? Kya dikkat hai? Dekho! Dekho Purvi! Mujhe darrao mat. M-Mein jaanti hu tum mujhse kuch chhupa rahi ho.
Jab Purvi aur bechain hui toh Bhavna ka darr aur zyada badh gaya. Woh apni saheli ki rag-rag se waaqif thi. Ek pal nahi laga Bhavna ko ye samajhne me ki Purvi uss se kuch chhupa rahi thi.
Aur yaha bechaari Purvi. Ab ek duwidha me fass chuki thi. Kese bataaye ki uska beta apni Maa ke chorr jaane se behad dukh me tha!?
Bhavna : Tumhe meri kasam! Batao Purvi!
Bhavna ne seedhe kasam dedi. Kasam ke aage, Purvi bhi haar maan gayi. Aur woh asmanjas me palat'te hue usse dekhi.
Purvi : Bhavna tum...!
Bhavna : Ab meri kasam bhi todogi Purvi? Kya tum ye baat bhul gayi ki tumhe waha pehle kyu bheja tha?
Purvi : M-Mein...!
Bhavna : Kaho bhi ab!
Purvi (sighs) : Tumhara zikr aate hi...!
Bhavna : !!??
Purvi (maayus hote hue) : Tumhara zikr aate hi Veer ekdum udaas ho utha. Ohh! Bhavna! Mujh se usse uss qadar dekha tak nahi gaya. Uske chehre par jo maayusi thi. L-Lag raha tha ki wahi usse apni baaho me bhar lu aur usse puchkaar ke dherr saara pyaar du. Mann kar raha tha ki uske sone se muh ko choom choom ke poora pyaar luta du uss par. L-Lag raha tha ki... ki usse apne seene me sama lu Bhavna! Aisa laga ki mein usse kuch bhi hone na du, zara sii bhi aanch na aane du uss par. Mera baccha...!
Purvi kuch derr pehle ke pal yaad karte hi unme kho gayi. Par uske aisa karne se na keval Bhavna ki bechaini badhi balki iss baar Tejal ki bauhe bhi chinta me sikud gayi,
Bhavna : Aisa kya keh diya usne? B-Bolo bhi!!
Purvi : Woh mujhse puch raha tha. Ki itne saalo tak, aap kaha thi Maasi? Maa kaha thi? Kaha thi meri sagi behan? Ye sab itne saalo me tab mujhse milne kyu nahi aaye?
Bolte bolte uski khud ki aankhein namm ho gayi. Toh wahi Bhavna aur Tejal ka badan bhi thitur utha. Khaaskar, Tejal ka. Kyuki woh jaanti thi Veer ne aisa kyu kaha tha. Woh uske sach se poori tarah waaqif jo thi. Na jaane kitna dard usne uss parivaar me saha tha. Na jaane kitni raatein woh intezaar karta hoga ki kabhi na kabhi uski asli maa aur behen aayengi aur usse iss dal-dal se churra ke le jayengi.
Par aisa na hua.
Aur iss baat ka bodh hote hue hi, Tejal khud ko rok na paayi. Woh turant hi palat ke ghoom gayi. Uski aankho se aasu apne aap behne lage. Apne chehre ko chhipaane ke liye woh mud gayi.
Purvi : Mene usse samjhaaya Bhavna! Ki ye sab baatein bado ke beech hongi. Tum kayi saari baato se anibhigya ho Veer. Tum kayi saari baatein nahi jaante ho. Tumhari maa tumse behad pyaar karti hai mere bacche. B-Behad pyaar!
Bhavna : F-Fir?
Purvi : *sniff* Fir mene usse bataya. Ki tumhari Maa tumse milna chaahti hai.
Bhavna : T-Toh?
Purvi : Toh usne kaha... *sniff* Unhe dekh ke lagta nahi ki woh mujhse milne ke liye betaab hai.
Bhavna : Aisaaaa Nahiiii haiiiiii!!!!
Achanak hi woh chillaate hue uth khadi hui. Uske nain bhi bheeg gaye.
Bhavna : W-Woh aisa kese...!? Kese woh ye soch sakta hai? Maa hu uski!! *sniff* Maa hu mein uski Purvi!!! Janm diya hai mene usse!! Mene paida kiya hai usse! W-Woh kese...!?
Purvi : Shhh!! Shaant! Shaant Bhavna! Arre uss bechaare ko nahi pata hai kuch. Tum kese uss par iss baat ke liye gussa ho sakti ho? Uski nazro me tum ek aisi Maa ho jo bachpan me apne bete ko chorr ke bhaag gayi.
Purvi ke akhiri shabd kisi khanjar ki tarah Bhavna ke dil me jaake ghup gaye. Aur woh rote hue apni saree ke chorr ko apne daato tale dabaaye bas sisak sisak ke aasu bahaati rahi.
Bhavna : A-Aur? Aur kya kaha usne?
Purvi : Bas! Bas ab aur na bulwao mujhse Bhavna. Kasht tumhe hi hoga warna.
Bhavna : N-Nahi!! Kaho!
Purvi fir Bhavna ki zidd ke aage haar gayi,
Purvi : Mene usse bataaya. Ki tumhari maa waqai tumse milne ke liye aatur hai. Tum jesa soch rahe ho wesa kuch bhi nahi hai. Par uska jawaab pata kya tha? Bola...! Ki rehne dijiye maasi. Ye saantvna ke bol mat kahiye. Akhir hu toh mein akela hi na? Warna Maa ko aana hota. Toh kab ka aa jaati!
Aur bas! Ye sunte hi Bhavna uth ke waha se bhaag gayi. Khidki ke paas woh khadi hoke bas roti rahi. Purvi ka bhi yahi haal tha. Aur Tejal ka bhi.
Bhavna : *sniff* Woh kesa hai? Ghar me sab-
Purvi : Pucha tha mene. *sniff* Ki ghar me sab kese hai? Bataya usne ki sab behad acche hai. Dherr saara pyaar mila usse inn beete saalo me. Ghar ke sadasyo ne koi kami nahi hone dii usse. Keh raha tha ki gharwaale bohot pyaar lutaate hai. Acche khaase college me uska aur uski behno ka admission hai. Sab saath jaate hai.
Bhavna (aasu pochte hue) : Kam se kam ghar me toh usse pyaar mila. Uske Dada jii ne zaroor koi kami nahi chorri hogi. Ye toh mujhe vishvaas hai. *sniff*
Dono apne aasu poch muskuraayi. Par Tej...!
Jo wahi khadi hui thi. Uss se ab aur bardaasht na hua. Uss se ab aur saha na gaya. Woh sisakte hue bhaagte hue apne kamre me ghus gayi.
Bhavna : T-Tej???
Purvi : Jazbaat hai! Jaane do Bhavna! Thodi derr usse akele rehne do.
Bhavna : H-Hmm!
*Thud*
Darwaaza band karte hi Tej ke aasu moti moti boonde bann ke zameen par girne lage. Woh darwaaze se satt ke khadi fufak fufak kar roti rahi.
Kyuki Purvi ki baatein uske dil ko cheer ke rakh rahi thi. Kya kaha tha Veer ne uski maasi se? Ghar waalo ne bohot pyaar diya? Bohot khayaal rakha?
Thuu!!!
Kya Tej jaanti nahi thi? Jaanti nahi thi ki kis kism ka vyavhaar kiya gaya tha uske chaheete bhai ke saath? Kese usse dhakke maar ke baahar nikala gaya tha? Kese uska accident hua tha? Kese uska saanp bhai Pranjal usko neecha dikhaane ke liye mauke dhoondhta rehta tha? Sab jaanti thi.
Nidhi ne usse sab kuch jo bataaya hua tha. Woh sab jaanti thi. Uske bawajood uske bhai Veer ne Purvi ko ek shikayat tak nahi kii.
*sniff*
Uske aasu rukne ka naam nahi le rahe the.
'How can you be like this???? Stupid!!!!'
Woh zorr se mann me hi chillaayi! Lekin fir kuch soch usne apne aasu poche aur agle hi shan uski aankho me uske naam ke bhaati ek Tej dikhaayi pada.
*Click*
Darwaaza khol woh waapas baahar aayi. Purvi aur Bhavna abhi bhi baato me lagi hui thi.
Bhavna : Tumhe pakka yakeen hai ki waha kuch bhi nahi hua!?
Purvi : Haa baba! Arre hum lagbhag aadhe ghante ke bhi upar ek saath baithe hue the. There was nothing odd there Bhavna! Sab kuch normal hi tha. Mein daave ke saath keh sakti hu ki woh sab jaa chuke hai. A-Aur yahi sahi samay hai Veer ko apne paas bulaane ka. Hum kal hi usse yaha bulayenge. Aur tum akhir kaar apne bete se mil paogi Bhavna!
Bhavna : K-Kal?
Purvi : Toh kabhi? Ab ek pal ki bhi derri nahi hoyegi. Ek bichhde hue maa aur Beta, ek dusre ke saamne honge. Aur ek bhai behan bhi!
Woh Tej ko baahar aate hue usse dekh boli,
Tejal : Kal?
Purvi : Haan!? Kyu? Kal koi dikkat hai kya?
Tejal : Kal nahi maasi!
Purvi : Huh??
Tejal : Maasi! Aap aaj hi uss se milke aayi ho. Aaj hi usse itna sab kuch pata chala hai. T-Toh fir achanak se kal aise me. Mere kehne ka matlab hai. Hume usse ek din ka waqt dena chaahiye. Baat ko pachaane ka. Kahi ye meeting gadbad na chali jaaye. Jitna betaab mom hai. Utna hi betaab mein bhi hu. I just... I just don't want him to hate me!
Tejal ki baat sunn Bhavna ne bhi kuch soch ke haami bhari,
Bhavna : M-Mera khayaal se, Tej sahi keh rahi hai. Kahi jaldbaazi ke chakkar me aisa na ho ki woh mujhse aur rooth jaaye Purvi!
Purvi : Ab mein isme kya bolu bhala? Jab tum dono ne hi decide kar liya hai. Toh yahi sahi. Kal nahi! Parso hi bulayenge hum usse.
Aur iss charcha ko yahi viraam lag gaya. Parantu Tej ki aankhein kahi aur hi kendrit thi. Kal toh woh apna masterplan amal karne jaa rahi thi.
Kal bhala kese woh Veer ko bula sakte the.
'Wait for me...! Brother!'
Woh sochte hue punah apne kamre me chali gayi.
***
Mumbai.
Hotel Paradise.
Night ~ 10:34 PM
*Tuck* *Tuck* *Tuck*
Do perr chalte hue aage badh ek kamre se baahar nikle.
"B-Babyyy? K-Kaha jaa rahe ho? Bed toh idhar hai!!"
"Ab itna bhi kya sharmana Raja? Aa bhi jao na!?"
"Haan! Ghabrao nahi! Hum tumhe khaa thodi jayenge fufufu~"
Teen ladkiyo ki cheh-chahaane ki awaaz ussi kamre ke andar se aayi. Par wo perr nahi thame.
Aur room se baahar nikal woh shaks rukk ke khada ho gaya.
Toh wahi issi hotel ke ek anya kamre me ek aadmi do khubsoorat ladkiyo ke beech baithe laptop me kuch dekh raha tha jab achanak hi woh uth ke khada ho gaya.
"K-Kya hua?? Y-Ye haram khor ladkiyo ko chorr ke room se baahar kyu jaa raha hai? Aur woh madarchod ladka phone bhi nahi utha raha."
Jii haan! Ye koi aur nahi, Rajat hi tha.
"K-Kya hua mister? Aaiye na! Abhi toh poori raat baaki hai."
Ek ladki Rajat ke seene me apna haath firaate hue boli.
Toh ussi waqt,
*Chataaaaaaak*
Ek zordaar chaata uske gaal par aake pada.
"Aaahhhhhhhnnnnn~"
Aur woh dhadaam se wahi gir padi.
Rajat : Chup kar randi!!! Mujhe disturb mat kar!
Uski iss bhaddi harqat ko dekh dusri ladki usse gusse me dekhi aur boli,
Ladki : Oo mister! Dekho! Tumne paise diye hai. Hume khareeda nahi hai. Samjhe? Tum iss tarah se-
Par abhi uski baat poori hoti ki tabhi uss se pehle,
*Chataaakkkkkkk*
"Nnnngggghhhhhh~"
Rajat ne uss dusri ladki ko bhi thappad jadd diya.
Rajat : Kutiya! Agar ab ek shabd bhi nikala na toh teri gaand me rod ghused dunga randi ki bacchi!!
Woh dono hi ladkiya thoda sehemte hue uss se peeche hoke baith gayi. Jab tak time limit khatam nahi ho jaati, tab tak woh yaha se jaa nahi sakti thi. Paisa unhone advance me jo le liya tha.
"Aaj se... *sniff* Aaj se mein kabhi bhi paise advance me nahi lungi."
Pehli ladki apni saheli se boli. Aur dono hi chup chaap waha se jald se jald nikalne ka intezaar karne lagi.
"Damn it!!!!! Woh gaandu phone kyu nahi utha raha hai!!? Aur ye randva kaha chala gaya ab? Teen teen chhokriya laake dii par gaandu pata nahi kaha nikal gaya. Behen ki choot ab mein record kese karu? K-Kahi? Kahi iss madarchod ko pata toh nahi chal gaya? N-Nahi!! Itna dimaag iss lavde me hoga kya!? Shayad kuch kaam se gaya ho?"
Rajat poori tarah se panic kar chuka tha. Woh khud hi apne aap se sawaal puch raha tha aur khud hi unke uttar bhi de raha tha.
Usne kuch derr intezaar karne ki koshish kii. Par harr badhte second uski gaand utni hi phat'ti jaa rahi thi.
Ye Veer ka baccha akhir kaha nikal gaya tha? Agar aaj usne Veer ko ladkiyo ke sang rang reliya manaate hue record nahi kiya toh uska saara ka saara plan chaupat ho jaane waala tha. Ab aise me woh shaant kese baith sakta tha?
Udhar wahi baahar ek corridor me khade Veer ki aankhein punah laal thi.
Hearing sense kayi guna badh chuki thi. Woh ahista ahista apne jeb me haath daale aage badha.
"Baby daal bhi do ab!!! Muaaaaahhhh~"
"Hahaha~ arre kya hi match tha! Baitho highlights aa rahi hongi!"
"Khaane ka kesa kya karna hai mummy?"
Veer jese hi kuch rooms ke baahar se nikla. Andar ho rahi baatein usse saaf saaf sunaayi de gayi. Par usse inn sab se matlab nahi tha.
Beowulf ki khaasiyat thi ye. Senses ko badhana!
He could easily pick the slightest of the sounds made near him.
[Master~ Agar woh yaha nahi mila. Then definitely upper floor pe usse hona chahiye.]
Par uski koi zaroorat hi nahi thi. Kyuki jese hi Veer corridor ke aakhiri room ke baahar pohucha, usse ek awaaz dheeme se sunaayi padi,
"Madarchod!!! Veer!! Kaha hai tu? Mere saamne aaya na toh lavde teri kherr nahi!!"
Veer saksham tha apne ird gird kam se kam 8 se 10 metre tak kisi ki bhi khuspusahat sunn'ne ke liye.
Ye wahi awaaz thi jiski Veer ko talaash thi.
*Ding Dong*
"Huhhh??"
Rajat ke room ki ghanti baji aur woh apne hosh me aaya.
'Iss waqt? Kaun?'
Usne darwaaze ke peep hole me se jhaakte hue dekha par usse baahar koi bhi nazar nahi aaya.
Aur Rajat baccho ka mazaak samajh unhe gaaliya bakte hue waapas laptop ki screen ke saamne aake baith gaya.
*Ding Dong*
Par ek baar fir wahi ghanti baji aur firse Rajat uth baahar jhaakte hue dekha. Lekin nateeja wahi. Baahar usse koi bhi dikhaayi na diya.
Andar hi andar woh bohut zyaada ghabra gaya tha ab.
Usne darwaaza khola par ekdum se nahi. Woh darwaaze ke theek peeche khade hote hue dheere dheere apna sarr nikaal ke kholta gaya.
Aur abhi usne thoda sa hi khola tha ki,
*Baaaaaangggggggggg*
Darwaaze par ek tezz laat aake padi toh poora ka poora woh door hi deewar se bhidte hue khul gaya aur saath hi,
"Aaaaarrggghhhhhhh!!!!"
Aisa laga jese ek suar ghur-ghuraya! Aur jab nazar saamne padi.
"Ohhhh! Ye toh waqai ek suar nikla Pari!"
[Right Master!]
Andar maujood ladkiya Veer ko aise Rajat ko lataadte dekh aur sehem gayi. Ye sab kuch chal kya raha tha? Unki hotel ka management so raha tha kya?
Aur unn dono ladkiyo ko fir raahat ke bol sunaayi pade,
"Tum dono! Agar jaana chaahti ho toh abhi ke abhi niklo!"
[Wait Master! Let's use them!!!]
'Huh?'
[I have a plan Master!]
'Ohhh!!! I see!'
Veer mann hi mann muskuraaya. Aur usne apni baat palti,
"Ruko!!! Mene apna iraada badal diya hai. Tum dono yahi rukogi!!! Aur jab tak mein na kahu. Yaha se nikalna mat."
Dono ladkiya jo khush hote hue yaha se nikalne hi waali thi, unki Veer ki baat sunn sitti pitti gum ho gayi.
Rajat ne jese hi Veer ko dekha uski gaand sookh gayi.
Rajat : T-Tu??? Yaha???
Veer (smiles) : Kyu? Kya mein yaha nahi aa sakta?
Rajat : T-Tum...!
Veer : Toh iss sab ke peeche tera haath hai haan??
Veer ki aankhein adhkhuli thi. Woh badi hi asaani se Rajat ki orr badha. System milne ke baad se Veer ne kabhi bhi apne aap ko ek dayavaan vyakti nahi maana tha. Alpha Instincts strong hone ke baad woh jaanta tha ki woh ek nirdayi insaan bhi bann chuka hai.
Agar koi bhi ab uske khilaaf jaane ki koshish karta, ya uske saath waalo ko nuksaan pohuchaane ki zara bhi chook karta, toh Veer ko pata tha uss ke saath kya karna tha. Inn haram khoro ko ghutne par tika ke maafi mangvana acche se aata tha usse.
Achaanak hi Veer ke andar se ek khaufnaak aura utpann hua aur Rajat ka badan usse dekhte hi thar-thara utha.
Aaj usse ehsaas hua. Ki ye saamne khada ladka koi aam ladka nahi tha. Ek daitya tha...! Daitya! Akhir baar toh Veer ne bas collor pakad ke usse feka hi tha. Par ab? Ab shayad kuch aur bhi battar hone wala tha.
Par woh kehte hai na, ghamand me chur hona. Itne sab ke baad bhi Rajat ka abhimaan nahi gaya,
Rajat : Hahahahaha~ T-Toh kya? Haan mene hi ye sab karvaya hai. Mein hi iss sab ke peeche hu. Kya ukhaad lega be tu mera? Madarchod! Mein lawyer hu. Samjha na? Mera ek sentence tujhe salakho ke peeche saalo tak saddne par majboor kar sakta hai. Samjha gaandu?
Veer : Ohhh?
Veer firse uske paas aane laga,
Rajat : M-Mujhe halke me mat le saale. Tujhe toh mein abhi bataata hu.
Rajat ne waha rakha ek teapot uthaaya aur,
*Whooooosssshhhhh*
Zorr se usse Veer ke chehre par feka. Parantu, Veer ne apna sarr halka sa side karke dodge kar liya.
Aur abhi Rajat kuch aur fekne ke liye dhundhta par derri ho gayi.
*Bammmmmmmmmm*
Veer ka ghutna upar tezz raftaar se uthate hue aaya aur Rajat ke pait par itni zorr se pada ki uske muh se andar ka poora khaana nikal aaya.
"Uuuuaakkkhhhhh!!!"
Muh se saari ulti nikal aayi uski.
Veer : Tum!! Iske kapde utaaro!
Ladki : E-Ehhh??
Veer ne ek ladki se kaha toh woh ladki hairaan reh gayi. Lekin usne Veer ko mana karne ki himmat bhi nahi kii.
Kuch hi pal me Rajat sirf ek kacche par aa chuka tha.
Veer : Aur tum!! Candles leke aao!
Ladki : H-Haan!!
Woh ladki bhaagi aur room me hi jal rahi do candles leke aayi.
Rajat ne jab apni aankhein khol khud ko sambhaal ke apna haal dekha aur Veer ke haatho me candle toh uski rooh kaanp gayi.
Rajat : K-Kya kar raha hai tu?
Veer : Tum! Rassi leke aao!
Ladki : R-Rassi??
Veer : Hmm!
Woh ladki bhaagte hue gayi aur kahi se rassi dhundh ke laayi.
Rajat uth ke apne haath perr chalaata raha par harr baar usse ek zordaar thappad muh pe jadd diya jaata.
Aur shan bhar baad hi woh sofe par rassiyo se poori tarah bandh chuka tha.
Rajat : madarchod!!! Chorr mujhe!!! Mene kaha chorr!! Tu jaanta nahi hai mujhe!!! Mein ek second me teri-
*Chataaakkkkkkk*
Ek aur jhaapad aur Rajat shaant pad gaya.
Woh aage badha aur usne candle se garam garam momm Rajat ke badan par giraayi.
"Aaaaaaaaaaarrrrrggghhhhh!!!"
Veer : Bada shauk hai na tujhe? Hmm? Iss fetish ka? Zara khud bhi toh experience kar bhosdike!!!
Rajat ki dard bhari cheenkhe uss kamre me goonjti reh gayi.
Woh momm kahi uske pait par girti toh kahi gaal pe toh kahi kaan pe. Veer poore maze me saath candle ko pighla raha tha.
Veer : Issi tarah Nidhi ma'am ko tadpaaya tha na tune? Haram khor!!!!
"Aaaaaaaaaaarrrrrggghhhhh!!!"
Rajat : *huff* *huff* haha~ hahahahaha~ haan behanchod!!! Nidhi meri randi hai hahahaha~ Kya mein jaanta nahi tu uske peeche kyu pada hai? Madarchod!!! Shaana banta hai!? Tujhe bhi toh uska garam badan chahiye hai. Hai na???
Rajat ki baat sunn Veer ka maatha thanak gaya. Rajat usse gaaliya de toh bhi Veer seh leta. Par Nidhi ko randi kehna? Veer ki aankhein gusse se laal ho gayi.
Aur usne thappado ki barsaat kar Rajat ka poora muh suja diya.
Par uske bawajood Rajat ki hekdi nahi gayi.
Rajat : Hahahahah~ Lavde mein sahi tha. M-Mein sahi tha matlab!! Hahahaha!! S-Sunn le saale! Mene...! Mene choda hai usse hahaha!! Phatichar ki aulaad!!! Tu bhikaari ki tarah dusro ka bacha hi khaa hahahahaha!!! Swaad toh chakh hi liya hoga tune ab tak. Hai na? Aur agar nahi chakha. Toh jhaatu hai tu ek number ka. Hahahaha! Gaand ghisne me laga hai...!!
Veer ka gussa itna badh gaya tha ki Rajat ki qabr shayad aaj idhar hi bann jaati. Par Pari ne usse shaant kiya.
Veer (smiles) : Chutiye! Don't you understand!?
Rajat : Huhh?
Veer : I'm snatching everything from you! Pehle Nidhi ma'am aur Juhi. Ab dhruv! Fir tera ghar, jaydaat, sampatti...! Sab kuch!
Rajat : T-Tu!!!?
Veer ne usse bolne ka koi mauka nahi diya. Woh waapas se uss par momm giraana shuru kar diya aur Rajat ki cheenkhe fir goonjne lagi.
*Ring* *Ring*
Issi ke beech Veer ka phone baj utha. Caller Ragini thi!
Veer : Hello?
Ragini : Haan Veer!? Kaha ho? Kab ke gaye ho tum? Tumhe pata bhi hai time kya ho raha hai? Abhi tak kisi ne bhi dinner nahi kiya hai tumhaare kaaran.
"Aaaaarrggghhhhhhh!!!!"
Ragini : Y-Ye awaaz kesi?
Veer : Kuch nahi bhabhi! Mein movie dekhne aaya tha.
Ragini : M-Movie??
Veer : Yeah! Karan mujhe ghaseet ke le aaya. Isliye wahi pe hu. Bas nikal rahe hai hum.
"Aaaaarrggghhhhhhh!!!"
Ragini : T-Tum movie hi dekh rahe ho na? Ye itni zorr se kaun chillaa raha hai?
Veer : Ahem! Kuch nahi! Hero gunde ko buri tarah peet raha hai. Bas wahi scene chal raha hai.
Ragini : O-Ohhh! Par tum jaldi waha se niklo. Tumhe yaad hai na mene kya mangaaya tha?
Veer : Kya mangaaya tha?
Ragini : Arre dahi mangaya tha na tumse!?
Veer : Ohh! Right right! Kaun sa dahi?
Ragini : Arre meetha wala!
Veer : Ohh!! Hmm! Fir toh ye lena hi padega. Kyuki mere paas toh sirf khatta wala hai.
Ragini kuch derr tak Veer ki baat samjhi nahi. Par jese hi usse samajh aaya ki Veer kya kehna chaah raha tha uske gaal ekdum surkh laal pad gaye.
Ragini (blushes) : B-Badmaash!!! Abhi ke abhi Ghar aao!
*Call ends*
Aur Ragini ne Sharm ke maare call end kar diya. Veer aisi baate karta nahi tha. Par usse karna pada. Taaki Ragini call cut kar sake jaldi.
Aur hua bhi wahi.
*Ding Dong*
Kamre ki ghanti baji aur unn dono me se ek ladki ne jese hi gate khola, baahar itne saare aadmiyo ko dekh bechaari ke chehre se uska rang udd gaya.
Baahar Balhaar aur uske aadmi khade hue the. Woh sab ke sab andar aaye aur Veer ke bagal se aake khade ho gaye.
Veer : Tumhe pata hai na kya karna hai?
Balhaar : Jii Boss!
Veer muda par jaane se pehle usne Balhaar ke kaan me ek aur baat kahi. Basically, ye wahi plan tha jo Pari ne usse bataaya tha.
Aur bas, bina mude woh ahista ahista waha se nikal gaya.
Balhaar : Ladko! Mehmaan ki khatir daari toh karo zara.
Ladke : Jii Boss!
Balhaar : Aur tum dono!
Ladki : Ahhnn!!??
Balhaar : Tumse ek zaroori kaam hai. Jesa jesa mein kahu. Bas wesa wesa hi karna hai tumhe. Agar karogi toh acchi khaasi rakam milegi.
Ladkiya : Th-Theek hai!
Balhaar (smiles) : Badhiya!!
***
Idhar hotel se neeche utarte hi Veer ke mann me notifications ki barsaat shuru ho chuki thi.
*Ding*
[Mission : Turn the tides has been completed.]
*Ding*
[You have been rewarded 3000 points.]
*Ding*
[System has reached level 8]
*Ding*
[Translator has been upgraded.]
[Host now holds the knowledge of all the languages. Host can speak any language now.]
*Ding*
[System know holds the world's knowledge.]
[As long as the information is present in the world. System will be able to grasp it. In other words, host doesn't need any internet to search for information. System can do it.]
*Ding*
[24 hour limit from Quest Hunt Card Slot has been eradicated.]
[Host can switch cards now however he wants.]
Aur uske baad Veer ke mann me ek nayi awaaz sunaayi dii,
[Allow me to service you...! Master!!!]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Update Saturday ka hi consider karenge hum! Update size is around 4k words.
Likes thokna na bhulna aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad!
Mein gin lunga.Itne legendary Reader logis ke samne meri kya hi ginti hogi
ju toh ashish jesi ho rahi.awesome ....
one of the best stories i would have read in a while.
great going ..
keep rocking