• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,301 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 202 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,564

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,765
98,364
259
Very Intense update full of emotion.

Bhawna ke liye ye bahut kathin samay hai. Veer ki har ek baat, uska gussa, uske tanj, uski berukhi Bhawna ke liye mano kadve zeher ke saman hai. Lekin Bhawna itni takleef sehte huve ye baat janti hai ke usko Veer ke in zeher jaise kadve baato ko peena hi hoga tabhi usko Veer ke shahed ki tarah mithe pyar ko chakhne ka mauka milega.
Mera bhi yahi maan'na hai bhai. Jis parishtiti me Bhavna hai abhi. Woh behad kathin sthiti hai. Pata nahi Bhavna jese sambhalegi sab kuch. Na sirf usse Veer ko samjhana hai balki usse apni side bhi karna hai, saath hi Tejal bhi hai. Aur upar se Veer ke parivaar ke sadasyo ke hone ke bawajood woh kese Veer ko apni orr layegi? Kyuki Shweta bhi hai. Yahi mushqil hai.
Lekin aisa lag rha jaise Bhawna ki mamta uska pyar Veer ko dekhne usko apne paas pane ke baad ab use khud se dur jane nahi dena chahta. Akhir iss mauka ka intezar Bhawna ko bhi toh barso se tha kya kya sapna nhi dekha hoga usne aur un sabhi sapno me usne apne bacche se pehli mulakat humesha pyara hi dekha hoga jaha Veer ko usne apne aanchal me bhar ke jee bhar ke pyar kiya hoga. Lekin sapna aur hakikat dono alag hota hai. Yaha Veer apni naa se naraz hai jo use hona bhi chahiye aur ye baat Bhawna bhi janti hai ye guilt ye apradh bodh Bhawna ko adar hi adar aur chubh rahi hogi.
Bhavna ye soch rahi thi ki Veer jab uss se milega toh uska laadla khushi khushi apni maa ke paas chala aayega! Par usse ye ehsaas ho gaya ki akhir aisa kese ho sakta tha? Naraazgi ko woh kese bhul gayi?
Aur abhi toh use asli sach ka bhi nahi pata ke Veer ne bachpan se ab tak kya kya saha hai wo bhi sirf isliye kyuki use mamta dene wala use duniya ke taklifo se bachane wala hi use chhod ke chala gya, jo wo khud hai.
Maza toh tab aayega jab usse Veer ke ateet ke baare me pata chalega.
Lekin Bhawna ko bhi kya hi pata tha ke uske itne bade tyag, balidan aur tasya ka fal Veer ke liye itna bhayanak rhega. Pata nahi Bhawna ki aisa konsi majburi thi jiske karan use apne hi bete se dur rehna pada waise aane wale updates me iska raaz bhi khul hi jayega aur Veer ke sath sath Tejal ko abhi apne sawalo ka jawab mil jayega lekin dekhne wali baat ye rhegi ki kya wo jawab Veer ko santusht kar payenge.. kya wo un jawabo sunkar apne maa ko maaf kr dega.. kya wo jawab Veer ke taklifo pe marham laga payenge ya uska jakhm fir se taja ho jayega. Aage bahut pechida samay aane wala hai dekhna hoga writer sahab kaise is arc ko likhte hai.
Koi toh aisi badi baat hai jiske chalte usne Veer ko chorra. Warna itna pyaar karne ke baad woh aisa kyu karti bhala? Bas ye samajh lo ki jis safar par gaadi jaa rahi hai woh itna interesting hai ki pucho mat. Jis tarah se isse darshaya jayega woh dekhne laayak hoga. Ek nayi sugandh ka ehsaas hoega aane waale updates ko padhte time. Bhale hi hum ateet ke kuch panno me jayenge. Par unhe padhte time hume zara bhi boriyat mehsoos nahi hoegi. :D
Wahi Tejal ki apni alag duvidha hai.. Jaha na jane kab se apne chhote bhai se milne ko taras rahi thi jisse use kabhi jalan bhi huva krti thi. Ab jab wo use mil chuka hai toh use ab samjh hi nahi aa rha wo ab kya kre. Wo parishtithi bhi uske liye ekdum visham hai. Jaisi kalpana usne apne bhai ko lekar ki thi sacchai uske kalpana ke bahut viparit hai. Ab wo bhi apne maa ke majburi apne bhai ke gusse ke bich kashmakash me fasi hui hai.
Khud hi sochiye! Zara khud ko Tejal ki jagah rakh ke dekhiye. Kya puchenge aap Veer se? Ya conversation start kese karenge? Yahi sthiti Tej ke saath bani hui hai. Woh kehna toh jazaar shabd chaahti hai, par muh me bol aa hi nahi paate. Samay lagega!
Aur Purvi, ab inka kya kahe ye toh jaise abhi dharma sankat me ghiri hui hai. Veer ke prati apni mamta aur Bhawna ke liye sahanubhuti ke bich Purvi apne liye Veer ke dil me jagha banna chahti hai. Wo Bhawna ke jaghe koi aur hota toh shayad wo Veer ka paksha lekar usse lad bhi le par Purvi, Bhawna ki raazdaar hai use apne saheli apne behen ki majburi ka pata hai. Aane wale update me dekhna hoga Purvi ka kaisa kirdar hone wala hai use wo Veer, Bhawna aur Tejal ke bich ki bahut important kadi hai.
Dono hi khaas saheliya hai. Aur agar Bhavna usse apne sang le gayi hai toh samajh jao ki uska kirdaar iss ateet me aham tha.
Waise humare writer bhai kai male characters ko story se aise ignore krte hai jaise londe porn dekhte time male pornstar ko ignore krte hai.
:laugh:
Mai yaha Arun ki baat kr rha hu. Khair Arun ka character kafi samjhdar dikhaya gaya hai jise paristithiyo ko padhna bakhubhi aata hai
Usse kayi baar dekh sakte hai hum aane waale updates me.
Ab aate hai humare dusri nahi teesri mamta mayi maa par jo ki hai shweta jo ki apne mamta ke do bade bade phool Veer pe barsaye ja rhi hai aur Veer bhi anjane me muu khole ehem mera matlab hath khole unhe swikar kar rha. Dekhna hoga ye mamta ka prasad kab tak Veer aise anjane me hi khata rhega aur kab uski ankh khulegi (No pun intended) aur wo kab Shweta ko apnayega.
Waise ek baat toh hai jisne experience kiya hai use hi pata hai ek mard ko thakan, dukh aur takleef bhulane aur Sukoon dene ke liye boobs se accha koi dusri cheej nahi hai.
Also, Veer ko big boobs pasand hai. He's a boob lover first, then he's an ass lover. :budhau:

Udhar Suhana ab pehle se kafi behtar ho gai hai aur wo ab jald se jald wapis aane ka soch rhi. Wahi Sonal ek wafadar behen ki tarah apne badi behen ka sath banaye huve hai.
Sonal? You mean Sonia! :D Yes! Recovery from bullet wound will take time. Kyuki Veer ki tarah Suhana ke paas koi healing ability nahi hai. Veer recovers faster compared to normal humans.
Thanks a lot bro for such a lovely review! Itne bade aur pyaar bhare comment ke liye sadhuvaad! ✨
Aise hi bane rahiyega! Naya update aaj raatri me aa jayega! Keep supporting! :five:
 

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,765
98,364
259
Emotional update:cry2::girlcry:
Best line...KAHA THI AAP??:iambest:
.
Wolf Bhai kaera ka kya hoga uske liye to mission bhi mila hai agar veer apni maa ke sath gaow gya tb wo kaera ka mission kaise complete krega??:eyes2::budhau:
.
Kyuki mujhe ni lgta ki koi choti baat hogi bhavna jb apne bete se 20 dur reh skti hai usse akela chhod skti hai to Raaz kuch bada aur gehra hi hoga aur waha time bhi lgg skta hai!!!
Mission ke liye kitna time hai? One month hai na I guess? Ek mahine tak thodi ghumta rahega bhai Veer waha janmbhumi me apni maa ki. :budhau:
Zyada se zyada kitne din rukega? Ju hi batao! :D
Thanks btw ✨
Biradar it is life, so don't say that.
And ur updates are worth waiting for 👍
Thanks man! ✨
Or isi ke sath ek naya safar shuru hone wala hai to apni kursi ki petiyan bandh len guys.
Safar interesting hai boht. :budhau:
Bohat he shandar Bhai mughe too bus ye he dar hai k ye story complete Hoge us k Baad Mera kia hoga
Uske baad nayi story aaegi! :dazed: :D
तो अब सफर शुरु होगा वीर और तेज की अपनी वास्तविक पहचान से अवगत होने के लिए
कुछ गहरे राज बाहर आयेंगे
क्या तब भावना को वीर क्षमा कर पाएगा
इधर सुहाना धीरे धीरे स्वस्थ हो रही है
अपने जिंदा बच जाने पर वह शर्म से गड़ चुकी है
क्यूंकि उसने जब खुद को मौत की आगोश में पाया था तब अपने जीवन का प्रमुख निर्णय लिया था
वीर को अति आत्मीयता के साथ चूमा था
बहुत बढ़िया था
प्रतीक्षा रहेगी अगले अपडेट की
Dhanyavaad bhaaya! ✨
Yeh safar rochak hai. Saath bane rahiyega! ✨
writing skills are amazing... u know well how to connect ppls heart ... carry on nirwana
Dhanyavaad! Par nirwana ka kya matlab hai? :waitwhat:
Koi bahut bada raaj h jarur bhavna ke gharwale aan van ke liye jeene Wale honge jo sirf bhavna ke baccho ko hi chot (haani) pahuchana chahte honge isliye usne veer ko chhoda hoga or shayad tej ka janm bhi kahi or hi huaa hoga jiska pta sayad veer ki family ko nhi hoga unhe sirf veer ke jnm ke bare me pata hoga ab next update m pata chlega
Of course! Of course! :approve:
Thanks! Keep supporting! ✨
 

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,765
98,364
259
matlab kal sham ko ya fir parso sham ko🤔🤔🤔
Mein toh 11 ke aas paas dene waala tha. Tumhe parso chahiye kya? Chalo parso kar dete hai. Koi baat hai kya..
 

Anas moavia

Active Member
768
1,924
123
Update - 15 ~ An eye for an eye

Ab tak...

'Should I call?? No... What am I even thinking?'

Wo sarr na me hilaate hue apni neend me chali gayi.

Par usse nahi pata tha...

Ki aane waala samay...

Uske liye kya kya laane waala tha.


Ab aage...

Ghar me apni Maa ki awaaz sunn neend ke aghosh se ek ladka subah subah utha. Aise hi uske dincharya ki shuruaat hoti thi.

Apni dhun me magan wo naha dho ke college jaane ke liye taiyaar tha.

Jaldbaazi me naashta karte hue wo apne phone par busy tha aur uski yahi gandi aadat par uski Maa usse sunaane lagi,

"Kitni baar kaha hai ki naashte ke waqt phone mat chalaaya karo par tum ho ki sunte hi nahi? Aur itni kya jaldi hai beta ki naashta karne ke liye bhi time nahi hai? Arre, 2-4 minute late bhi pohuchoge toh teacher bhaga nahi denge tumhe beta."

Wo aurat apni bauhe sikode apne bete ki harqat se naakhush hote hue boli.

Par uske bete ko toh jese koi farq hi nahi pad raha tha. Iss kaan se sunn uss ladke ne apni maa ki baatein apne dusre kaan se nikaal dii.

Aur bas, muh me naashta bhare, chabaate hue uski nazre ek taq phone me lagi hui thi.

Aurat : Padhaayi ka kya hua? Exams aane waale hai na? Kuch padhte ho raat me room me? Ya poore time woi pubg khelte rehte ho??

Ladka : Arre ho jaegi na yaar Mom. Kyu tension leti ho?

Aurat : Pata nahi kab sudhroge tum...

Wo udaas hote hue uth ke andar kitchen me gayi aur ek water bottle laate hue apne bete ke bag me rakh dii jo wahi sofe par pada hua tha.

Agle pal hi wo ladka naashta khatam kar khada hua apna bag uthaaya aur bottle side me fassi dekh usse nikaala aur baahar chal diya,

"Arre bottle kyu roz roz nikaal deta hai? Paani nahi piyoge kya?"

Wo chillaate hue baahar aayi jaha uska beta apni duke bike nikaalne me busy tha.

Ladka : Arre Mom! Kitni baar batau, dost log rehte hai na... Sab ke sab bottle laate hai. Ye faaltu me rakh ke kyu apne bag ka bojh badhau? Tum tension na lo yaar... Ab jao andar.

Aurat : Ajayyyy... Kuch bhul toh nahi raha na??

Par apni Maa ki awaaz ko ansuna kar wo bas apni hi dhun me khoya hua tha aur ghar se yu hawa ke jhoke ki tarah nikal gaya.

Ye aur koi nahi, Veer ki pitaayi karne waala wahi ladka tha ~ Ajay.

Ajay ki Maa Sushma wahi darwaaze par khadi khadi apne hi khyaalo me ghum ho gayi. Chinta, shikan uske chehre par saaf nazar aa rahi thi.

Apne beta ka aisa ravaiyaa usse hamesha soch me daalne par majboor kar deta tha aur uska apne aap se bas ek hi sawaal rehta tha.

Ki akhir kab uske bete ki ye aadatein chuutengi? Aur kab wo uski baato par dhyaan dena shuru karega?

Chaahe Ajay jesa bhi tha, tha toh uska beta. Uska apna kaleja... Usme Sushma ki jaan basti thi.

Aur shayad yahi ek kaaran bhi tha ki wo zyaada zorr se usse daant bhi nahi paati thi kyuki wo ekmaatr aulaad jo thi uski aur uske pati ki.

Ek gambheer aah chorr wo waapas darwaaza lagaate hue andar chali gayi.

***

Idhar Ajay bina apne Maa ke prati ravaiyye par dhyaan diye apne hi vichaaro me leen tha.

Kaafi khush sa bhi lag raha tha woh. Na jaane aisa kya kaaran tha?

Bade hi josh se bharpoor aur excited hote hue wo college me pravesh kiya.

Apne apne pantaro se uski mulaqaat hui. Sabhi ko high five dete hue wo apni class me ghusa.

Akhir wo dada tha apni class ka. 3rd year tha ye uska college me aur poori class me uska raub tha. Ek image thi uski. Ek badboy ki image.

Jiski peeche aksar ladkiya bhaagti thi. Par keval wahi ladkiya jinhe pataana behad asaan hota tha aur unme zyaada koi khubiyaa nahi hoti thi.

Ek aisi ladki jo samajhdaar ho aur saath hi saath teekshn boojh waali ho wo kabhi bhi aise ladko par apna time waste nahi karegi.

Shayad yahi kaaran tha jo Pragya ko unn sab ladkiyo me se alag banaata tha. Ajay ke kayi baar propose karne ke baad bhi, Pragya ne usse sirf as a friend hi banaaye rakha tha.

Aur isliye Ajay usse aur bhi zyaada paana chaahta tha. Jitna koi cheez aapse dur bhaagti hai, usse paane ki laalsa aapki aur bhi badh jaati hai. Yahi haal tha Ajay ka.

Pragya ki adaa, uski wo carefree personality aur easy going attitude jese usse baaki saari ladkiyo se alag kar deta tha Ajay ki nazro me.

Usse aur koi ladki bhaati hi nahi thi. Bas Pragya hi uske dimaag me ghumti rehti thi.

Aaj bhi aisa hi kuch tha. Aaj Pragya college nahi aayi hui thi par uske bawajood Ajay ka dhyaan toh jese uspe hi laga hua tha.

Uski harr ek image Ajay ke mann me aa rahi thi. Uska hassna, baatein karna, advices dena, sab kuch usse bada yaad aa raha tha.

Par Ajay jaanta tha. Aaj kuch kaam tha usse. Jiske chalte wo aaj college nahi aayi thi.

Uske baare me soch Ajay ne apni seat par baithe apna phone nikaala aur wo Pragya ko call karne hi wala tha ki tabhi uske phone pe ek unknown number se message aaya,

'Aaj bore ho rahe ho na?'

Message padh Ajay soch me pad gaya. Ye bhala unknown number se uske phone pe message kaha se aa gaya? Aur bhala aisa message kyu aaya usse? Kahi wrong number pe toh message nahi bhej diya sender ne?

Usne confused hote hue reply bheja,

'Kaun??'

Aur agle hi pal usse firse message aaya,

'Oh hooo!! Tumne really mujhse ye sawaal kiya? You deserve a punishment.'

Message padh bhale hi Ajay confused tha par iss unknown sender se baatein karte hue jese ab usse interest sa aane laga tha.

Usne firse ek message bheja...

'Mein nahi jaanta aap kaun ho. Shaayad wrong number lag gaya hai aapka. Apna naam bataaiye!'

Usne aisa likhte hue message bheja par kuch derr tak koi reply na aaya aur wo lagataar apni mobile ki screen par teacher se bach bach ke dekhta jaa raha tha.

Kuch minute ke baad hi usse reply aaya,

'Mujhse puch rahe ho kaun hu mein? Beta itna maarungi na...'

Aur usse padhte hi pata nahi kyu par Ajay ke chehre par ek muskaan aa gayi. Ab usse itna toh pata chal gaya tha ki ye jo bhi hai ek ladki hai.

Usne fatafat ek message type kiya aur bhej diya,

Ajay : Accha chalo nahi puchta. Par ab ye toh bata do ki mujhe message kyu kiya hai?

Unknown : Accha bacchu? Upar padho na kya likh ke bheji thi mein.

Ajay ne sabse pehla message padha jisme likha tha,
'Aaj bore ho rahe ho na?'

Aur usse padhne ke baad usne reply diya,

Ajay : Haa! Padha mene. Aur aapko kese pata mein bore ho raha hu?

Unknown : Obviously I know... Tumhari rag rag se waaqif hu mein.

Ek baar fir Ajay message padh bada hi confuse ho gaya. Akhir kaun thi ye bandi jo usse aise messages bhej rahi thi?

Kaun thi aisi wo ladki jo uski rag rag se waaqif thi?

Usne sochne ka prayaas kiya ki akhir kaun ho sakti hai ye ladki par itna sochne ke baad bhi usse koi jawaab na mila.

Bas ek hi jan tha jo uski rag rag se waaqif tha college me aur wo ladki thi Pragya.

Pragya ke baare me sochte hi uske dimaag me ek ghanti sii baji. Pragya hi toh ek ladki thi jo uski bestt friend thi ekdum.

Wahi toh usse bakhubi jaanti thi. Aur wahi toh aise baat karti thi uss se?

Jese hi Ajay ne upar ke saare messages padhe, usse 70% lagne laga ki ye bandi Pragya hi thi.

Par uske paas Pragya ka number toh pehle se hi tha fir woh bhala unknown number se usse message kyu bhejegi?

Aur yahi soch usne ek aur message bheja...

Ajay : Tum Pragya? Tell me! I know mene sahi kaha hai. Ab jhooth mat bolna...

Unknown : Arre yaar! Sahi me... I thought ki thoda toh maze lu tumhaare. Itni jaldi guess karne ki kya zaroorat thi paagal.

Aur agle hi pal Ajay ke chehre pe muskaan aa gayi.
Uski muskaan alag hi baya kar rahi thi ki wo poori tarah se iss shaks ko pehchaan gaya hai.

Ajay : Ye unknown number se message kyu kar rahi ho?

Pragya : Arre yaar... Mene tumhe kya bataya tha kal?

Ajay : Yahi ki tumhe kal chacha ke ghar jaana hai?

Pragya : Haa! Toh wahi hu. Wo chacha aaj new SIM laaye the toh mene socha kyu na tumhaare saath masti ki jaaye new SIM se haha~

Ajay : Tu bhi na yaar! 😅

Pragya : Mujhe pata tha tum bore ho rahe hoge. Mein toh gayi nahi aaj. Tumhaare wai do chaar friends tumhe paka rahe honge aur tum mujhe miss kar rahe hoge.

Ajay : Ye baat toh hai. Miss toh bada kar raha hu tumhe. Aur ye baat tum bhi jaanti hi ho ☺

Pragya : Flirt kar rahe ho? Paagal kahi ke...

Ajay : Haha~ Tumhara plan fail ho gaya but...

Pragya : I know!!! Tum aur tumhari aadat... Accha suno...

Ajay : ??

Pragya : Uss din mene tumse uss ladke ke baare me baat ki thi na?

Ajay : Kaun?

Pragya : Arre paagal jisse tum maarne waale the...

Ajay : Ohh! Hahaha~ Wo chuza? Uske baare me kya?

Pragya : Wo mere paas aaya tha.

Ajay : What?

Pragya : Yes! Aur wai baatein tumse karni hai aur ek aur surprise hai tumhare liye.

Ajay : Surprise? Surprise chorro aur uss chutiye ki himmat kese hui tumhaare paas aane ki?

Pragya : What the hell? Usse kya appointment lena padega mere paas aane ke liye? He just came...

Ajay : But kyuuuu?????

Pragya : Tumse related hi baat thi...

Ajay : Kyaaa??

Pragya : Wo baad me bataungi na... Abhi suno! Iss number pe call mat karna okay? Ye chacha ka number hai.

Ajay : Okay! But... Bataogi kab?

Pragya : Kaha na! Surprise bhi dena hai. Jab mein khud iss number se message karungi bas padhte jaana aur bilkul wesa hi karna okay? No sawaal! Warna punishment milegi.

Ajay : Accha jii! Jesa aap kahogi bilkul wesa hi hoga.

Pragya : Good! Shaam me baat karti hu. Abhi chacha ko phone chaahiye hai. Tab tak college bhi chooth jaega.

Aur itna bol Pragya ne dubaara koi message na bheja.

Ajay muskuraate hue college ke lectures toh kahi apne dosto ke saath bakchodi me vyast ho gaya.

Aaj bhale hi Pragya nahi aayi thi college par uske saath yu iss tarah se baatein kar ke wo khushi se fula nahi sama raha tha.

Aaj ye pehli baar tha jab Pragya ne aisa kuch uske saath kiya tha. Aaj toh wo jese saatve aasmaan par tha.

Aaj uska dil garden garden ho chala tha. Aur bas andar ek hi gaane ki panktiyaa goonj rahi thi,

Udta hi firu... Inn hawaaon me kahi...
Ya mein jhool jau... Inn ghataaon me kahi...

Pehla nasha... Pehla khumaar...
Naya pyaar hai... Naya intezaar...

Ajay yu panktiyo ko gungunaate hue apne pantaro ke sarr par tapli bhi maar raha tha, mazaakiya dhang me. Wo jese bilkul kho sa gaya tha aaj.

College ka departure ho chuka tha aur wo parking me se apni bike nikaal raha tha. Shuru se ant tak uske chehre par muskaan thi. Yaha tak ki aaj uske dost bhi usse 'Pyaar me paagal ho gaya hai' keh keh ke usse cherr rahe the aur na chaahte hue bhi Ajay bas sharm ke maare sharmaata jaa raha tha.

Na jaane kya hi surprise plan kiya hua tha uski Pragya ne. Usse sochte sochte wo Bike parking se baahar laaya aur side me gaadi rokte hue usne ek baar apna phone check kiya kyuki ek pal ke liye wo vibrate hua tha.

Aur screen par notification dekhte hi uske chehre par firse ek muskaan aa gayi.

Pragya ka message aaya hua tha...

Pragya : Oye! Suno! Ab surprise ki baat karle? Haa toh wo xxxxxxxx chauraahe par gift shop dekhi hai na? Kaafi famous hai yaar wo toh... Ab naa mat keh dena.

Message padhte hi na chaahte hue bhi Ajay ki hassi chooth gayi. Apne sarr ke peeche par baalo me haath ferrte hue usne bike me baithe baithe hi reply kiya,

Ajay : Jii! Teacher jii! Jii! Mujhe pata hai.

Pragya : Thank god! Okay! Ab jao waha pe...

Ajay : Waha pe? But kyu?

Pragya : Kaha na jao! Mene kaha tha na baba... No sawaal and all...

Ajay : Jii! Jii! Jo hukum aapka devi!!

Aur muskuraate hue Ajay apne khyaalo me doobe gaane gaate hue bike se chal diya Pragya ki bataayi hui destination ki orr.

Sawaal toh kayi saare the uske mann me par ab usse bhi jese ye khel khelne me maza sa aane laga tha. Aur toh aur wo kaafi excited bhi tha ye surprise leke...

Kuch hi minute baad wo pohuch chuka tha uss gift shop par jo Pragya ne bataayi thi.

Tabhi uska phone firse vibrate hua...

Pragya : Pohuch gaye???

Ajay : Yes!!! Agla hukum dijiye devi jii!

Pragya : Hmm! Ab agla hukum hai ki... Buy a rose flower from there...

Ye padhte hi Ajay ke dil ki dhadkane tezz ho gayi...

Ajay (mann me) : Kya wo mujhe...!?

Usne puchna chaaha ki ye kisliye par dusri side se bas ek hi jawaab aaya~
'Jesa bol rahi hu wesa karo'

Aur bas! Fir kya tha. Fir toh jesa jesa Pragya ne bola Ajay ne theek wesa hi kiya.

Ek pyaara sa rose ka phool lete hue wo baahar aaya aur uske Pragya ko message bheja ki usne flower le liya hai.

Aur agle hi pal usse ek aur message aaya,

Pragya : Le liya na... Ab jao xxxxxxxx shop pe. Waha se xxxxxx chocolate khareedo.

Aur Pragya ka agla hukum paake Ajay chal diya dusri dukaan ki orr. Par jese jese kaam Pragya uss se karwa rahi thi, wese wese hi uski dil ki dhadkane badhti jaa rahi thi.

Kahi ye wahi pal toh nahi tha? Jiska usse besabri se intezaar tha? Kahi Pragya uske proposal ko accept toh nahi karne waali thi? Kahi isliye toh nahi wo uss se ye sab karwa rahi thi? Kya wo firse chaahti thi ki Ajay usse propose kare aur iss baar wo uska proposal accept kaare?

Na jaane kitne sawaalo se Ajay ka dimaag ghira hua tha par inn sab ka jawaab toh keval Pragya hi de sakti thi.

Dusri dukaan me pohuch kar, Ajay ne bataayi gayi chocolate khareedi aur itna khareedte hi usse ek aur message aa gaya,

Pragya : Ab xxxxxxxx toy shop jao aur waha se ek pink teddy khareedo...

Uski baat padh ab toh jese Ajay ko poora confirm sa ho gaya tha ki jo wo soch raha tha shayad wahi hone waala tha aur ye sochte hi uski khushi ka koi thikaana nahi tha.

Teesri dukaan jaake usne waha se nirdesh anusaar ek pink teddy liya aur sab kuch leke wo apni bike pe sawaar ho gaya.

Pragya : Le liya na?

Ajay : Ab aur kitna samaan kharidwaogi yaar? Teeno dukaane itni dur dur thi. But tumhaare liye inn duriyo ki parvaah nahi kii mene...

Pragya : Aww! So sweet! Ab suno... Forun hi mujhe college ki peeche waali road par milo. I have a surprise for you... Mein idhar hi hu...

Ajay : What? Tum waha? But waha kyu milna hai? Paagal! Tumhaare gifts ke chakkar me 6:30 baj gaya. Aur tum waha kya kar rahi ho? Wo road safe nahi Pragya!

Pragya : Itni hi parvaah hai meri toh fir aao na jaldi.

Ajay : Fine! Mein aata hu!

Message bhej Ajay tezz raftaar me apni bike bhagaate hue college ke peeche ki sadak par jaane laga. Excitement toh koot koot kar bharta jaa raha tha usme...

Aur kuch hi samay baad wo saara samaan leke waha pohucha toh fir se usse ek message aaya,

Pragya : Wo board laga hai na... Direction waala. Uske paas aao.

Aur message padh Ajay thoda aage lage uss board ke paas pohuch gaya. Usne gaadi roki aur wo bike se utra. Samaan ki thaili uski bike ke handle par hi tangi hui thi.

Tabhi ek baar fir uska mobile vibrate hua aur usne message padha,

Pragya : You see the tree? Tumhaare left waala? I'm just behind it.

Aur itna bol Pragya ne fir koi message na bheja.

Apne dil ki tezz dhadkane liye Ajay uss ped ki taraf badhne laga. Aur agle hi pal uski aankho me ek chamak aa gayi...

Usse ped ke peeche se...

Ek pink colour ki chunri ka hissa hawa me lehraata hua dikhaayi diya. Bhale hi shaam ke 6:45 baj rahe the par iske bawajood itna sab kuch araam se dekha jaa sakta tha.

Halka halka andhera bas chhaaya hua tha. Ek aasha liye wo aage badha...

Aur usne ped ke bagal se apna sar aage badhaate hue ped ke peeche dekhne ka prayaas kiya...

Ki tabhi...

"Surprise motherfucka..."

*POW*

Ek tezz zorrdaar ghusaa uske jabde pe kisi train ki raftaar jitni tezzi me aate hue pada aur agle hi pal wo thoda uchakte hue peeche ki orr road par dhadaam se jaa gira.

Kuch seconds tak toh usse kuch samajh hi naa aaya. Fir jese usse bhayaanak dard utha apne jabde me aur gaal pe...

Aur fir usne aankhein khol upar nazre karte hue dekha toh pehle toh sahi se nazar na aaya. Taare jo chhaa gaye the aankho ke saamne wo zordaar ghusaa khaane ke baad.

Jab finally usse sahi se nazar aaya toh usne dekha ki ek jaana pehchaana chehra uske saamne khada hua tha.

Ye koi aur nahi Veer hi tha.

Uske gale me ek pink colour ki chunri kisi muffler ki tarah bandhi hui thi.

Jese hi Ajay ne Veer ko dekha uska gussa saatve aasmaan par pohuch gaya. Wo utha...

Ajay : Chuze tu? Teri ye majaal?

Aur gurraaaya...

Par koi fayda nahi...

*POW*

Ek laat theek uske seene par aakar padi jisse khaate hi wo hawa me uchal peeche ki orr jaa gira.

Dard me karaahte hue Ajay jese tese khada hua par iss baar toh jese laat aur ghuso ki jhadi lag chuki thi...

Ajay ne hamlo ko counter toh kiya par koi fayda nahi...

*POW*

"Ye ghusa... Meri pitwaayi karwaane ke liye."

*POW*

"Ye laat... Meri beizzati karne ke liye."

*POW*

"Ye ghusa... Mera mazaak banaane ke liye."

Veer ke harr prahaar par uski awaaz tezz hoti jaa rahi thi. Gussa uski awaaz me saaf jhalak raha tha.

Aur harr ek vaar uska poori taaqat se bharpoor tha.

Ajay ki haalat pitate pitate battar hoti jaa rahi thi.

Aur agle hi pal wo zameen par gir pada.

Tabhi uske girte hi...

Veer ne apna perr uthaaya aur uske sarr par zorr se dabaav banaate hue rakha,

"Aaaaaaarrrrrggghhhhhhh!!!"

Ek tezz karaah Ajay ke muh se nikli.

Joota uske sarr par tikaaye hue Veer bola,

"Aulelelele bacche ko dard ho raha hai? Ruko abhi dard dur kar deta hu."

Ye wahi bol the jab Ajay ne theek issi tarah issi jagah par issi waqt Veer ke sarr par aise laat rakh ke bole the. Aur aaj wo khud Veer ke apne jooto ke neeche tha.

Abhi dard se Ajay cheenkh hi raha tha ki tabhi uske muh me kuch zabardasti thoos diya gaya...

Aur jese agle hi pal usse andaaza lag gaya ki wo kya cheez thi...

Ek lollipop!!!!

Veer : Tujhe pata hai mein ye lollipop leke kyu ghumta hu hamesha? Taaki tujh jese bacche jab udham karne lagte hai na toh unki aqal thikaane laga saku.

Ye wahi bol the...

Ajay ke khud ke bol...

Jinhe Veer ne apne zehan me ab tak baithaaye hue the theek issi waqt par unhe chukaane ke liye.

Aur agle hi pal na chaahte hue bhi, dard ke maare aur apni iss haalat ki anbhooti hone ke chalte, Ajay ke aasu nikalne lage.

*Thuuu*

Aur fir achaanak hi uske upar Veer ka thook gira.

Aise hi usne Veer ke upar thooka tha.

Ye toh badla tha.

Veer ka badla.

Shayad ab usse samajh aa raha tha ki kabhi maar khaate hue kaisa lagta hai.

"K... Kese!?"

Ajay ne Veer ke perr pakad apni adhkhuli ankhoo se usse dekha. Uske honth kaanp rahe the...

Veer : Kese? It was me all along you Idiot! Wo Pragya nahi... Mein hi tha. I made you a fool...

Ajay ko iss baat ka bodh hote hi aur gussa aane laga. Kitna galat tha woh.

Itna bewakoof koi akhir kese bann sakta tha?

Par wo bana tha...

Aur wo bhi Veer ke haatho, jo uski nazro me bas ek chuza tha.

*POW*

Aur achaanak hi Veer ne kuch aur hamle kiye, jiske chalte Ajay poori tarah behosh ho gaya.

Usse ghaseet kar Veer uski bike ke paas laaya aur uski bike bhi giraate hue wahi uske qareeb daal dii. Taaki logo ko lage ki wo bhidne ke chalte behosh ho gaya.

Veer ne saara samaan uski bike se uthaaya aur jaate jaate usne ek akhiri baar behosh huye Ajay par daali...

"I promised someone... Ki ab se yadi jiyunga toh ek Raja ki tarah... Aur yadi marunga bhi... Toh bhi ek Raja ki hi tarah..."

[ :blush: ]

Dheemi awaaz me wo khud se itna bol waha se chal diya...
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!

Dhanyavaad!
Nice update bhai 👍👍👍👍
 
Top