- 13,822
- 98,443
- 259
Last edited:
Waiting for this update. !!!Yes! 10 se 11 ke beech aa jaega.
Zabardast nice update bhaiUpdate - 22 ~ Don't you dare touch her!Ab tak...
Uske saath me hi Juhi khadi hui thi jisse Shreya khud school jaake jaldi leke aa gayi thi.
Juhi : Maasi!?? Hum kaha jaa rahe hai!?
Shreya : Tumhari Mummy ke paas...
Juhi : Hmm? Mummy kaha gayi hai!?
Shreya : Sab pata chal jaega Juhi... Aao...
Aur Shreya Juhi ki ungli pakad forun se ghar se nikal ek taxi kar chal padti hai.
Ab aage...
Hotel me Veer ke naraaz hoke chale jaane ke baad, Sonia aur Suhana gaadi me baith waapas apne apne kaamo ki taraf jaa rahi thi.
Jaha Suhana ka mood ye bayaa kar raha tha ki usse kisi baat ki koi chinta hi nahi thi wahi dusri taraf uski choti behan, Sonia window se baahar nazre gadaaye kisi chinta me doobi hui thi jisse Suhana ne bhaanp liya tha.
Suhanaa : Oh c'mon Sonu!? Really!? You are still thinking about him!? Aisa kya khaas dekh liya tumne usme!?
Sonia apni behan ki baat sunn palat ke usse dekhti hai.
Sonia : Fine then... I'll tell you!
Suahana : Hmm!?
Sonia : You remember Pushkar right!?
Suhana : Hmm! Usse kese bhul sakti hu. Tumhara childhood friend.
Sonia : Yes! Dii...
Suhana : !??
Sonia : Aap jaanti hai na!? Pushkar ki death ka kaaran!?
Iss baar usne bada hi serious hote hue kaha. Ye topic kitna sensitive tha ye baat Suhana bhi bhali bhaati jaanti thi aur isliye wo bhi serious ho gayi.
Suhana : Hmm! Uska gharwaalo se jhagda ho gaya tha, fir usne ghar chorr diya tha. Tumne boht manaaya tha usse, bechaara galat raah pakad liya tha woh. Aur wahi raah usse le ke chali gayi iss duniya se...
Sonia : Hmm! Veer ke saath bhi aisa hi kuch hai dii...
Sonia ki baat sunn iss baar Suhana ko realize hua. Usse sab samajh me aa gaya tha ki kyu Sonia aisa behave kar rahi thi uske saamne. Sonia ne apne mitr Pushkar ko khoya tha. Aur Veer ke halaat bhi same hi the. Ye samajhne me derr na lagi Suhana ko ki kyu Sonia itna desperate thi hotel me.
Suhana : Ohh! Toh ye baat hai...
Sonia : Hmm! Uske gharwaalo ne usse ghar se nikaal diya hai. Currently he's living with his teacher. And jis raat wo meri car se bhida tha... Uss raat hi usse ghar se baahar nikaala gaya tha. He was probably searching for a place to stay. Par kismat dekho... Uska accident ho gaya mere haatho. I don't want him to lose the track... I know uske paas paise nahi honge, I can guess... Mein nahi chaahti meri wajah se wo Pushkar ki tarah... Isliye, meine usse aaj bulaaya tha.
Suhana : Aur tumhe ye sab kese pata chala!?
Suhana ke sawaal par gaadi drive kar rahe Prakash ne ek pal ke liye peeche dekha aur muskuraaya,
"You are welcome Madam!!!"
Suhana : Ohhh! Toh aapne details laake dii saari uski!?
Sonia : Hmmm!
Suhana : Well! Mein samajh sakti hu tumhare emotions ko but dekho... Usne hamaare saamne paise reject kiye hai. Ab isme mein bhala kya karu!? Mujhe nahi pata tha wo itna bewakoof hoga. Uske kaaran meri bet chali gayi... Hmph!
Sonia : Don't worry! Aapki bet... I'll still comply with it. Aapko wo dikhaana hai na apni friends ke saamne!? I'll request Dad...
Suhana apni behan ki baat sunn itna khush ho jaati hai ki agle hi pal usse apni baaho me bhar leti hai aur uske gaal ko choom leti hai,
Suhana : Oh my god! Really!? Sonu!? Tum... Tum sach me!? Mein toh bet haar gayi... Uske baad bhi!?
Sonia (smiles) : Hmm!
Suhana : You are the besttttt!!!
Wo usse aur zorr se hug kar leti hai. Na jaane kya bet lagi thi inn dono behno ke beech. Par jo bhi tha, dekh ke toh yahi lag raha tha ki Suhana jo chaah rahi thi wo karne ke liye Sonia raazi ho chuki thi.
***
Idhar Veer hotel se baahar nikalne ke baad apne college ki orr hi jaa raha tha par raaste bhar Pari uske peeche hi pad gayi thi.
[Maaaasssttteeerrrr!??? Aapne aisa kyu kiyaaa!? Why did you rejected that money!?]
'Why!? Pari!? Ye tum puch rahi ho?? Tumne dekha nahi? Uss aurat me kitna guroor tha paiso ko lekar. Wo paise aise de rahi thi mujhe jese maano...'
[Maano kya...!?]
'Nothing...'
[Master! Hume toh paiso se matlab hai. Wo kitna guroor rakhti hai uss se nahi. Also, mene kaha tha na wo lady aapke kaam aa sakti hai. She's damn rich master. Aapko connections banaane hi honge. Initial phase me aap akele kuch nahi kar sakte master.]
'I know what I'm doing Pari. I know I need money. Par aise nahi... Wo paise aisa lag raha tha maano feke hue ho. Aur mujhe batorne ke liye keh rahi ho woh. Ek na ek din uska guroor zaroor todunga mein.'
[*Sigh* Well... Alright master. But yadi wo Sonia aapse future me firse baat karna chaahe then mana mat karna. She's a good lady I think. Also, aapne check kyu nahi kiya unn dono ko!?]
'Ahh!? Oh... Well... Umm...'
[Hmmm! I see! They were too beautiful and you forgot to check them.]
Pari ki baat sunn na chaahte hue bhi Veer ke gaal sharm se laal ho hi gaye.
Wo apne college pohuch chuka tha aur usne pata kiya ki Nidhi bhi apne kisi kaam ke liye nikal chuki thi.
'Looks like unhe koi urgent kaam hai!?'
Sochte hue wo apni class me chala gaya. Aaj ka lunch bhi uska miss ho chuka tha.
***
Yaha Nidhi jese hi uss ghar ke andar kadam rakhi, toh uski nazar achanak hi wahi sofe par baithi ek mahila par gayi, jiski goad me ek nanha sa baccha tha aur wo mahila ek bottle me doodh liye uss nanhe se bacche ko muh me laga ke pila rahi thi.
"Dhruvvvvv......... Meraaaa bacchhaaaa!!!!"
Nidhi zorr se chillaayi aur tezz kadmo ke saath bhaagte hue uss mahila ki taraf bhaagi aur uske haatho se apna bacche leke apni goad me uthaa lii.
Wo mahila uthi aur makaan maalkin ki taraf dekhi.
Aurat : Pee liya usne!?
Mahila : Jii maalkin. Thoda sa piya hai.
Aurat : Tum jaa sakti ho ab. Aur kal kaam pe jaldi aa jaana.
Mahila : Jii maalkin.
Kehte hue wo mahila baahar nikal gayi. Ye mahila iss ghar me kaam kaaj sambhaalti thi par saath hi saath Nidhi ke bacche ko kabhi kabhi doodh pilaana bhi ussi ki zimmedaari thi.
Apne pyaare se bacche ko dekh Nidhi ki aankho me aasu aa gaye. Wo uska chehra choomte hue uske gaalo se apne gaal sehlaane lagi, puchkaarne lagi.
Ek baccha janm ke baad apni maa ka doodh peeta hai, par yaha uska bacche ko ye sukh bhi naseeb nahi ho paa raha tha. Pati patni ke rishte ke beech ki daraar ke chalte bechara uska Dhruv iss sukh se tak vanchit tha aur saath hi saath Nidhi bhi. Aisa nahi tha ki kabhi Nidhi ne apne bacche ko stanpaan nahi karwaaya tha par ek maa jo roz roz apne bacche ko apni goad me baitha ke pyaar se usse stanpaan karwa ke lori gaa ke usse sulaati hai, iss sukh se dono hi Nidhi aur uska baccha vanchit the.
Rote rote Nidhi wahi baith gayi aur agle hi pal usne apne blouse ko khol apna ek stan baahar nikaala aur Dhruv ke muh ko uss se laga liya.
Jese hi uske bacche ne uske stan se doodh peena shuru kiya toh kuch derr me hi uske stano se doodh risne laga. Bechaari Nidhi ki aankho me aasu aur bhi zyaada umad aaye. Wo pyaar se puchkaarte hue, uske sarr ko sehlaate hue apna doodh pila rahi thi. Maano jese koi kabhi bhi uss se uska Dhruv chheen lega.
Sisak sisak ke rote hue chup chaap wo bas apne bacche ko doodh pilaa rahi thi aur wo aurat bhi chup chaap baithe hue Nidhi ko ghur rahi thi.
Jese hi Dhruv ne doodh piya, kuch shan baad hi usse neend aa gayi aur wo apni Maa ki goad me hi so gaya. Aur agle hi pal wo aurat uthi, Nidhi ke paas aayi aur uski goad se Dhruv ko uthaane lagi.
Nidhi ne apne haath kasste hue Dhruv ko pakda aur kuch bolna chaaha par shabd beech me hi kahi atak ke reh gaye, aur wo aurat Nidhi se Dhruv ko chhina ke apne saath leke bistar par baith gayi.
Apne blouse ko thik kar Nidhi ne apne dono gaalo se aasu poche aur apne bacche ke sote chehre ko nihaarne me lag gayi.
Iss waqt Dhruv ka sota pyaara chehra dekh wo khush toh boht thi, par saath hi saath ek atyant hi dard bhari peeda usko andar se todte jaa rahi thi.
Pal bhar ke liye apne bete ko thaamne ka wo sukh jese uss se yu chheen liya gaya tha.
Abhi wo Dhruv ke chehre me khoyi hi hui thi ki uss aurat ki awaaz uske kaano me padi aur wo hosh me aayi,
Aurat : Yadi, chup chaap aurat ki tarah rehti toh aaj ye din nahi dekhna padta. Hmph! Jao andar ab... Kamre me... Wo aata hi hoga naha ke.
Ye aurat aur koi nahi balki uski saas Chhaaya thi. Pata nahi aisa kya hua tha inn sab ke beech jo aisi daraare bani hui thi rishto me.
Nidhi na chaahte hue bhi jese tese himmat karke uthi, aur palat palat ke Dhruv ko dekhte jaa rahi thi. Na jaane kitna aur tadapna padega usse apne bacche ko waapas se thaamne ke liye.
Wo kamre me gayi, jis kamre se wo bhali bhaati parichit thi. Iss kamre me hi toh wo dulhan bann ke aayi thi. Par shaadi ke baad se hi jese uske kasht shuru ho gaye the.
Sab kuch pehle ki hi tarah prateet ho raha tha kamre me. Wo photo frames, wo deewaar ka rang, wo jagah jagah rakha samaan, sab kuch. Ekdum pehle jesa hi tha.
Abhi wo bed par baithi apni saree ke bhaag ko haath se zorr se bheeche hue thi. Andar se uske dil ki dhadkan kayi dafa tezz ho chuki thi aur agle hi pal...
*Click*
Room me hi maujood bathroom ki chatakni khulne ki awaaz aayi aur Nidhi ka badan sihar utha.
Andar se ek aadmi sirf ek lower pehne baahar kamre me aaya aur Nidhi ko dekhte hi uske chehre par ek gandi sii muskaan aa gayi.
Aadmi : Aa gayi!? 5 minute late ho tum...
Usne ghadi me dekhte hue kaha.
Par Nidhi kuch na boli, bas shaant baithi rahi jese hi Nidhi ne uss aadmi ko dekha, uski chhaathi par bikhre baalo ko dekh Nidhi ne apni nazre ferr lii.
Wo aadmi dheere dheere Nidhi ke bagal se guzra aur darwaaze ke paas aake usne...
*Click*
Darwaaza andar se lock kar diya. Aur uss awaaz ko sunte hi Nidhi ke kaan khade ho gaye. Wo achanak hi peeche palti aur paaya ki uss aadmi ne door andar se hi band kar diya hai.
Aankhein faade Nidhi uski ye harqat dekh rahi thi aur apni saree ko aur zorr se usne bheench liya.
Ye aadmi koi aur nahi uska hi pati tha ~ Rajat.
Rajat : Kya hua? Haha~ Privacy rahe isliye band kiya hu. Tumhe kya laga!?
Kehte hue wo ajeeb dhang se muskuraaya jiske chalte Nidhi aur chinta me aa gayi. Sehamte hue uski ungliyo me paseena aane laga aur uski saree ka bhaag haath me kasse hone ke kaaran geela sa pad gaya.
Rajat uske paas aaya aur fir usne bed pe ek tshirt utha ke pehn lii. Wo bagal se baitha aur Nidhi ko dekha,
Rajat : Darr lag raha hai!?
Par Nidhi kuch na boli.
Rajat : Mene pucha darr lag raha hai!?
Nidhi ne iss baar sehamte hue maa me sarr hila diya.
Rajat (smiles) : Oh! Toh darr nahi lagta tumhe mujhse!? Fir kya problem hai mere saath rehne me haa?
Nidhi : Mu... Mujhe... Mujhe kis liye bulaaya hai yaha!?
Rajat : Hmm! Dekho! Mein jaanta hu tum kabhi kaamyaab nahi ho paogi. Seedhe tareeqe se maan jao, ek aurat ki tarah mere ghar me raho, aur sab kuch...
Nidhi (chillaate hue) : Aurat ki tarah!?? Ya gulaam ki tarah????
Wo tezz swar me chilaayi aur Rajat ko ghoorne lagi. Uske bol me na jaane kitno dino ka gussa bhara pada tha jo ab baahar aa raha tha.
Rajat : Gulaam? Nahi! Kon se gulaam ko uska maalik itni saari cheeze laake deta hai? Gulaam ka matlab bhi pata hai tumhe? Gulaam ki tarah rakhta toh zinda bhi na bachti tum... Isliye...
Nidhi (screams) : I don't want to...
Rajat ek aah bharte hue bistar se utha aur bagal me lage cupboard ke upar rakhi candles ke paas se lighter uthaaya.
*Flick* *Flick*
Lighter ko jalaate hue wo candles ko jalaane laga jo wahi rakhi hui thi. Aur ye dekhte hi maano jese Nidhi ko saanp soongh gaya.
Uska dil zorro se dhak dhak karne laga. Itna darr shayad hi usse kabhi laga hoga.
Apne dono hatheli ko mutthi bana ke usne apne dusre haath se usse zorr se bheench liya.
Rajat ne jese hi Nidhi ka ye reaction dekha uske hontho pe ek qaatil muskaan fel gayi.
Rajat : Getting PTSD? Huh? Haha~
Wo dheere dheere uske paas aage badha aur Nidhi sarakte hue thoda peeche ho gayi. Uska seena tezz saaso ke chalte zorro se upar neeche ho raha tha.
Rajat : Dekho! Mein chaahu toh abhi issi waqt tumhe tumhari aukaat dikha du. Par mene tumhe ek mauka diya. Kyu? Kyuki mujhe pata hai... Tumse kuch nahi hone wala. Hahaha~ aur ant me jab tum gidgidaogi mere saamne, fir waapas se pehle ki tarah rahogi... Wo dekhne laayak hoga. Hai ki nahi?
Aur wo Nidhi ki taraf firse badhne lagta hai...
***
Idhar Shreya aur Juhi taxi me baithe nikal chuke the tabhi Shreya kuch soch ke Veer ko call laga deti hai.
Veer : Hello?
Shreya : Tum college me ho iss waqt!?
Veer : College gaya tha toh college me hi rahunga na!?
Shreya : Bakwaas mat karo aur ye batao ki Dii nikal chuki hai na? College me nahi hai na wo abhi?
Veer : Wo toh break me hi nikal gayi thi. Break over ho chuka hai ab.
Shreya : Okay!
Veer : Kuch baat hai kya!? Yadi koi pareshaani ho toh mein help kar dunga.
Shreya (mann me) : Kya karu? Isse batau ya nahi? Ye hamare ghar ka niji maamla hai, Dii kahi chillaa na de mujhe. Par... Par waha dii... Mein akeli pad jaungi... Bula hi leti hu. Ek se bhale do sahi. Dii ko baad me samjha dungi...
Shreya : Haa zara suno...
Veer : Hmm?
Shreya : Mein tumhe address bhej rahi hu, uss address pe jitni jaldi pohuch sakte ho pohucho...
Veer : O... Okay! Wese... Sab kuch theek toh hai na?
Par Veer ki baat sune bina hi Shreya beech me hi phone kaat deti hai.
'Damn! This girl...'
[Master...]
'I know! Let's go!'
***
Shreya kuch hi minute ki duri tay karne ke baad Rajat ke ghar pohuchti hai, aur andar Juhi ko leke wo jese hi ghar me pravesh karti hai usse Nidhi ki saasu maa Chhaaya dikhaayi de jaati hai jo bistar pe baithi hui thi aur uske hi bagal se Nidhi ka baccha Dhruv so raha tha.
Juhi : Chotu bhaaaaiiii!!
Juhi daudte hue apne chote se bhai ke paas jaake uske gaal tatolne lagti hai toh Chhaaya usse daant ke peeche kar deti hai.
Chhaaya : Arreee! Dikh nahi raha kya? So raha hai woh. Jaisi maa, wesi ladki... Udhmi ekdum...
Shreya : Juhiiii! Idhar aao...
Shreya Juhi ko leke peeche ho gayi aur idhar udhar nazar firaayi par kahi par bhi usse Nidhi nazar nahi aa rahi thi.
Shreya : Meri dii kaha hai?
Chhaaya : Hmm? Andar baat kar rahi hai.
Aur Shreya haa me sarr hila ke wahi sofe par baith jaati hai.
Par abhi kuch derr hi hui thi usse baithe hue ki tabhi usse...
"Aaaahhhhhhhhh"
Ek dabi sii cheenkh sunaayi deti hai...
Aur ye sunte hi Shreya hadbada ke khadi ho gayi.
Shreya : Ye... Ye awaaz... !? Dii kaha hai? Andar se aayi hai na ye awaaz? Kya chal raha hai?
Chhaaya : Tum kyu itna pareshan ho rahi ho? Dono pati patni hai, aapas me baat kar rahe hai. Bhulo mat ki abhi paper par naa hi Nidhi ne sign kiya hai aur na hi mere bete ne. Dono abhi bhi pati patni hai. Sign bhi tab hi honge jab Nidhi hamaari maang ko poora kar ke dikha paegi...
Shreya : I don't care... Meri Dii kaha hai itna bataiye mujhe...
Chhaaya : Kyu?
Shreya : Bataaaiyeee jaldi...
Chhaaya : Kyu batau? Tum kaun hoti ho yaha miya beewi ke beech ho rahi baato me aane ki? Huh?
Shreya : Wo meri badi behan hai. Iss se pehle ki mein police ko bulau...
Chhaaya : Hahahaha~ Bula lo fir. Mein bhi dekhti hu. Kya karti hai police. Tumhari yaadaasht sahi hai ya nahi? Mera beta Sheher ke mashoor lawyers me se ek hai aur ussi ke ghar pe tum police bulaane ki dhamki de rahi ho.
Chhaaya ke bol sunte hi iss baar Shreya ki bolti hi band ho gayi. Baat ekdum sahi thi. Police bulaane ka koi matlab bhi nahi tha aur upar se ye ghar ka maamla tha. Par wo itni badi duwidha me pad chuki thi ki uska dimaag kaam karna band ho chuka tha. Wo itni zyaada bechain ho chuki thi ki uski samajh nahi aa raha tha kuch.
Wo Juhi ki ungli pakad aage badhi aur andar ek kamre ke paas gayi, jaha se awaaz aayi thi.
Aur agle hi second ek baar fir wahi dabi sii awaaz aayi jisse sunn Shreya ko confirm ho gaya ki andar pakke se uski dii thi.
Andar kya ho raha tha, ye soch ke hi uski dhadkane tezz ho gayi.
Aur wo darwaaza peetne lagi,
Shreya : Kholooooo.... Diiiii!? Are you in there??? Diiiii??
Idhar couch par baithe Chhaaya saare nazaare ko bade hi lutf leke dekh rahi thi. Jese usse pata tha ki Shreya ki koshisho ka koi fayda nahi hone waala.
Shreya : Mein kehti ho kholo.... Kholo darwaaza...
Juhi : Mummmyyyyy... Mummmyyyyy...
Bechaari Juhi bhi Shreya ko dekh aur uske chehre ki tension ko dekh darwaaza peetne lagi. Bacche mann ke sacche hote hi hai. Juhi ko itna samajh aa gaya tha ki uski maasi boht hi bechain hai aur chinta me hai, isliye wo bhi darwaaza peetne lagi.
Aur agle hi pal...
*Click*
Achanak se darwaaza khula...
Aur andar ka nazaara dekh Shreya ki aankhein phati ki phati reh gayi...
Rajat (smiles) : Ohhhhh! Toh saali sahiba bhi aayi hai? Aaiye aaiye... Aur ye kya? Meri moongphalli bhi aayi hai?
Rajat jhukte hue Juhi ko thaamne hi waala rehta hai ki Juhi bhaagti hui andar jaati hai aur Nidhi se jaake chipak jaati hai. Nanhe haatho ko aage badhaate hue wo Nidhi ke aasu pochne lagti hai aur khud bhi aasu bahaane lagti hai.
Fir wo bade hi gusse me Rajat ko dekhti hai,
Juhi : Aap gande hooo....
Rajat : Hahaha~ Aise baat nahi karte beta...
Juhi (chillaate hue) : Aap gande hoooooo...
Aur iss baar Juhi ki tezz awaaz sunn, Rajat ke chehre se muskaan gaayab ho jaati hai.
Rajat : Abhi se tumne apne sanskaar de diye lagta isse haa!?
Shreya : Dur raho... Dur raho meri dii se... Dii chaliye
Rajat : Abhi bhi mauka hai Nidhi. Jesa mein keh raha hu wesa karo aur apna jeevan jiyo. Sukhi rahogi...
Nidhi (chillaate hue) : I will neverrrrr... Neverrrr...
Rajat (frowns) : Tummm....
Wo aage badh iss baar Nidhi ke baalo ko zorr se bheench leta hai,
"Aaaaaahhhhhh!!"
Aur nanhi Juhi ye dekhte hi Rajat ke dusre haath ko thaamte hue apne daato se kaatne lagti hai.
Rajat : Ye.... Bacchiiii....
Wo kheejte hue Juhi ka haath zorr se thaam leta hai jiske chalte bechaari Juhi rone lagti hai. Shreya sab kuch achanak se panpe drashya ko dekh agle hi pal Rajat ka haath pakad uski grip ko loose karne lagti hai taaki Juhi ko churraa sake.
Sabhi aapas me bhide Rajat se chhootne ka prayatn kar rahe the.
Ki tabhi unke kaano me ek awaaz padi...
Ek jaani maani awaaz...
"Ma'am!?"
Ye sunte hi Nidhi, Shreya, Juhi aur Rajat ki nazre forun hi darwaaze par gayi.
Paaya ki Veer unhe stabdh nigaaho se dekh raha tha.
Saath hi saath ekdum se bhaagte hue Veer ke peeche hi Chhaaya aayi aur wo bhi sab kuch ho rahe drishya ko dekhne lagi.
Par agle hi pal...
Veer ki nazre Nidhi par gayi...
Usne dekha ki Nidhi ka ek gaal laal tha...
Uske haatho aur pait pe mombatti ki wax lagi hui thi....
Unn komal aankho me dherr saare aasu...
Wo sundar sundar kesh kisi ki jabt me the...
Usne dekha Juhi ko jo neeche hi khadi hui thi...
Juhi ke gulaabi gaalo se aasuo ki bunde behte hue gir rahi thi...
Uska nanha sa haath kisi ki jabt me tha...
Usne dekha Shreya ko jiske chehre par bhayanak darr tha...
Dono haath uske Juhi ko churraane ke liye lage hue the...
Tabhi uske kaano me awaaz padi,
"Veeeeerrr maaamuuuuu..."
Aur bas...
Veer ka itna sunn'na tha ki...
Uske andar gusse ka wo jwalamukhi trigger ho gaya.
Aur uske hontho se ekdum dheemi awaaz me bas kuch shabd nikle...
"Don't you dare touch her!!!!"
Aur agle hi pal fir wo hua jisse dekh ke waha maujood sabki aankhein phati ki phati reh gayi.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Don't forget to like.