- 13,822
- 98,431
- 259
Last edited:
Yes! Veer aur Bhavna Tej ek ho gaye. Wahi Brijesh aur Karunesh ka jeevan ab bas ek prashnchinh bann ke reh gaya hai.Ek khubsurat ant ek khubsurat arc ka.....
Bhavna ko apna beta chahiye tha. Use wo mil gya. Veer ko ek maa chahiye thi. Use wo mil gyi. Double double mil gyi... Tej ko ek bhai chahiye tha. Use wo mil gya.
At the end veer ki family ban gyi. Aur uske saath bura karne wale logo k saath bhi bura hi hua... Ek beautiful end iss arc ka. Loved it Sir.
Veer ko maarne ke peeche koi na koi reason toh hoga hi na.Fir se wo unknown person saamne h... Message usi ne bheja hoga obviously. Peecha hi nhi chodh rha Veer ka. Are bhai kya problem h? Veer ko maarna kyu h? Milega kya uss se?
Yes! Iss arc me kaafi cheeze disclose hoyengi. System ki. So ye arc important hai aur mazedaar bhi.Ek dangerous arc shuru hone wala h.... According to u. Bcoz aapne hi aisa kaha h... Aur main khoob zyada excited hu...
Fights alag level ki hongi. Ju abhi imagine nahi kar sakti. Slogan ki fight kuch nahi aane waali fights ke saamne. Hum alag level par jaa rahe hai. Trinity dekhne ko zaroor milegi.Ava Kaera aur Sonia ko ek sath dekhna h mujhe. Veer ka business grow karte dekhna h. Aur fight k liye bhi excited hu. Just imagine veer uss person se ladega to fight kesi hogi? Slogan ki fight hi kitni khatarnak thi. Goosebumps aa gye the tab literally...
Of course ye next level jaane waala hai. Definitely. There's no doubt about it.To ab kya hoga.... Eagerly waiting sir.... Kya kahani aur next level jaegi? Itne upar level pe to hum aa hi chuke h ki expectations bahut rehti h ... Aapne standard hi apna aisa bana k rakha h .... Bar hi itna set kar dia h ki normal update low level ka lagta h... Kyuki expectations hi itni badha dete ho aap ...
Hila ke hi rakh dega.To ab hum sab wait kar rhe h sir... Crimson arc hila k rakh de... Aisa hi hona chahiye.... Feeka nhi.
Thanks a lot dear! Keep supporting as usual!Waiting eagerly for the new arc... Keep writing. Love your work.
Yes! Uss unknown person ka pata aage chalega.Idhar ek ladki ka jikar bhi kiya tha isaro isaro me hi (ki kahi ye vo hi to nhi) karke or fir khud se hi us vichar ko jhatak diya tha, us samay slogan ke bhi rongte khade ho gye the (hame us unknown person ka aaj tk pta nhi chla)
Pahaadi me toh woh ek ladki thi. Na ki ladka.Hame Kai jagah unknown person ke hint diye gye hai
Sabse Pahle slogan ke vicharo me, fir us pahadi me
Wo to Priya thi. Uska baap aur Slogan business me the. Yaad hai? Slogan apni kaali kartooto ko chhupaane ke liye samaaj seva se bhi juda hua tha. Aur normal business bhi karta tha. Taaki apni uss buri pehchaan ko chhipa sake. Priya ke pita tab Slogan ke sang jude hue honge. You can deduce this from the updates. Ek spoiler de hi diya mene wese.uske baad system vala banda fir usi bande ke sath vo ladki, ek slogan ke car me bhi baithi hui thi Jiska jyada description nhi diya gya tha or na hi hame yah btaya gya ki us ladki ke MA bapu ka business kya hai vo kaha hai...
Good work! Aur socho! Aur socho!Or bhi hint ho sakte hai pr mujhe itne hi yaad hai.
Ye to spoiler maang rahe ju. Thoda sabr rakho. Crimson arc me pahaad waali ladki ka bhi khulaasa ho jayega.Kya slogan ki beti to mar chuki hai pahadi se to kya uski era ya atma bhi story main dikh sakti hai.
Mega Update
Update - 126 ~ History Unfolds (2)
Ab tak...
Kavya : Bataiye na! Fir kya huaaa????
Bhavna Kavya ki utsukta dekh bas neeche dekh muskuraayi.
Veer ke maatho par ye dekh kuch lakeere bann gayi. Aisa kaga jese uski maa niraasha me muskuraayi ho.
Aur antatah Bhavna ke muh se nikla,
"Fir? Fir...! Uss traasdi ki shuruaat hui beta!"
Ab aage...
Subah ka samay tha. Takreeban 7:30 baj rahe the. Apne ghar me Harikiran Singh takhat par baithe aaj ka akhbaar padh rahe the jab unke darwaaze ki dehleez par kisi ne dastak dii.
"Kya mein andar aa sakta hu Tau jii?"
Awaaz sunn, Harikiran Singh ne jese hi upar sarr kar saamne khade shaks ko dekha toh unki bauhe upar ko chadh gayi. Par agle hi pal wo muskuraaye aur bole,
Harikiran : Arre!!? Ye mein kya dekh raha hu? Mera bhateeja aaya hai? Hahahaha! Aao aao!
Saamne khada vyakti koi aur nahi, Brijesh hi tha.
Muskaan liye Brijesh apna samaan utha kar andar ko aaya aur fauran hi Harikiran ke paav padne laga.
Harikiran : Arre! Bas bas! Jeeto reh jeeto reh. Haha! Arre khabar kar dii hoti. Bhanu ko bhej deta mein. Taqleef nahi hoti na!
Brijesh : Isme taqleef ki kya baat Tau jii! Ghar toh pata hi tha. Aur station se yaha aane ke liye saare saadhan toh rehte hi hai. Fir socha achanak pohuch ke aap sab ko bhi aashcharya chakit kar dunga.
Harikiran : Aashcharya chakit toh kar diya beta, sach me aashcharya chakit kar diya.
Usne apni moochh ko ghuma kar Brijesh ko ghoorte hue kaha.
Brijesh (smiles) : Koi aur dikhaayi nahi de raha?
Harikiran (chillaate hue) : Rii sunti ho??? Dekho zara kaun aaya hai!
Uske bulaave par andar se ek aurat baahar nikal ke aayi. Ye thi Harikiran ki dharmpatni. Uma!
Uma : Kya hua? Kyu shor macha rahe ho?
Baahar aate hue jab usne bhi Brijesh ko dekha toh chakit reh gayi. Brijesh ne uske paav pade toh muskura kar Uma ne usse ashirvaad diya.
Uma : Ye kya akele aaye ho? Baaki sab?
Brijesh (smiles) : Baaki sab ghar pe hai tai jii! Sirf mein aaya hu.
Uma : Lo! Ye kya? Sab ko laana chahiye tha na!
Brijesh : Arre ab...! Haha!
Harikiran : Hmm! Accha kiya aa gaye. Sahi samay par aaye ho. Kheti hui hai. Toh acchi taazi taazi sabziya aur fal leke jaana.
Brijesh : Arre...! Inki kya zaroorat hahaha!.
Harikiran : Bas bas! Baitho! Bhulo nahi ki Harikiran Singh ke ghar pe ho tum. Warna Manorath bolega ki khaali haath bhej diya bhaiya aapne Brijesh ko.
Brijesh : Arre nahi aisi koi baat nahi hahahaha!
Harikiran : Hmm!
Brijesh : Bhanu nazar nahi aa raha kahi. Aur Anu didi bhi.
Harikiran : Anu ka kya hai? So rahi hogi ghode bechkar. Aur Bhanu toh aaj subah subah hi ye keh ke nikal gaya ki khet ke chakkar lagaane jaa raha hai.
Jab Brijesh ne ye baat suni toh usne bhi khet me jaane ki thaan lii. Woh aur Bhanu ham-umr ke the. Aur ek vyakti ko hamesha apni umr waalo se baat karna hi suvidha janak lagta hai. Brijesh ka bhi yahi haal tha.
Brijesh : Mein fir hoke aata hu khet me. Usse le bhi aaunga.
Uma : Arre abhi abhi aaye ho baitho toh sahi.
Brijesh : Aata hu na!
Uma : Arre par...!
Par wo na maana. Aur daud lagaate hue waha se nikal gaya. Jawaani ka samay tha. Josh aur utsaah zyaada bhara hua tha.
Manorath aur Harikiran! Ye dono sage bhai nahi the. Manorath ke pita aur Harikiran ke pita aapas me cousins the. Jis kaaran se inki peedhi bhi ussi rishte ke hisaab se chal rahi thi.
Brijesh aur Bhanu bhi aapas me cousins hi the. Bilkul wese hi jese Manorath aur Harikiran.
Chalte chalte Brijesh kheto me pohucha toh usse khabar lagi ki Bhanu toh bagal ke gaav me gaya hua hai. Bina aalas dikhaate hue Brijesh Bhanu ke bacche ko pakadne ke liye josh josh me bagal ke gaav hi chal diya.
Aur khabar paate paate woh ek jangal ke ilaaqe me pohuch gaya. Par abhi woh ghane ped paudhe ke beech se nikal baahar aaya hi tha ki,
*Dhadaaam*
"Aaaarrgghh!!!"
Woh ek gaddhe me jaa gira. Jese tese usne khud ko baahar nikaala. Uska haath chotil ho gaya tha. Girte waqt hatheli ragad khaayi toh chhil gayi. Aur khoon nikalne laga.
"Tch!! Kya musibat hai!!!"
Chot par dhyaan na dete hue woh aage badh gaya.
***
Idhar Bijaipur ke baahri ilaake me jangalo se thoda pehle, Bhavna aur Jaydev ne kuch aisi khoj kar lii thi jiske baare me jaan kar hi woh dang the. Neela chamakta hua woh beshqeemti mani.
Bhavna nahi jaanti thi ki ye kya tha. Kaha se aaya tha aur iske peeche ki kahani kya thi. Par woh itna zaroor jaanti thi ki ye mani behad hi keemti tha.
Bhavna : K-Kaaka???
Uske honth thar-tharaaye.
Jaydev : Y-Ye toh...! Ye toh kisi prakaar ka mani lagta hai. K-Kya mein isse haath me thaam sakta hu?
Bhavna : Kyu nahi! L-Lijiye! Dekhiye isse chhee ke.
Jaydev ne jese hi usse haath me thaama. Uski saasein tezz ho gayi. Mani bhaari tha. Matlab ye jo kuch bhi tha, nakli nahi tha. Ekdum asli tha.
Jaydev : B-Baap re! Ye kya haath lag gaya hamaare?
Bhavna ki aankho me ek chamak aa gayi. Woh bhaari jigyaasa liye boli,
Bhavna : Kaaka! Shayad humne koi bohut badi khoj kii hai. Mein bata sakti hu ki ye jo kuch bhi hai bohut keemti hai.
Jaydev : Jald se jald bade saahab ko khabar deni hogi choti maalkin. Ye toh gajab ho gaya hai.
Bhavna : P-Pita jii dekh ke khush ho jayenge. Kehte the na ki ye ladki kya kar rahi hai. Ye lo!!! Itni badi khoj kar dii hai mene aaj. Kaaka!!! Aap jaiye aur khabar dijiye. Mein aati hu peeche peeche. Iss par se ye mitti nikaalna zaroori hai. Savdhaani ka kaam hai ye.
Jaydev : Jii! Choti maalkin!
Uske jaate hi,
"Bhaaaavvvnaaaa!!!"
Ek aur phuljhadi ka aagman hua. Purvi bhaagte hue uske paas aayi. Jab usse pata chala ki Bhavna ne neel mani ki khoj kar lii hai toh woh bhi khushi se phuli na samaayi.
Purvi : Y-Ye tumne kya dhoondh nikaala? Ye kitna chamkeela hai. Neela rang kitna khubsoorat lag raha hai. Hai na?
Bhavna : Zaroor ye kisi bade insaan ki amaanat raha hoga. Iske baare me aur tehkikaat karni hogi Purvi. Ye kayi raaz samete hue hai.
Purvi : Toh woh tumhe kese pata chalenge?
Bhavna (smiles) : Samay ke saath sab pata chal jayega. Aur ye lo, ho gaya ye saaf.
Mani ko dhool mitti se poori tarah azaad karne ke baad, Bhavna apna saara zaroori samaan baandh kar Purvi ko apne saath lii aur chal padi.
Par kehte hai na ki jab bhi aap acche kaam ke liye kahi jaa rahe ho, toh koi na koi adanga bann ke aapke saamne zaroor haazir ho jaata hai.
"Arre meri dilruba!!! Meri jaan-e-mann! Jaati kaha hai akele leke ye garam badan?"
Peeche se ek kharaab sii awaaz ne unhe rok liya.
Mud ke dekha toh Bhavna ke saamne woh maujood tha jisse woh kabhi bhi dekhna pasand nahi karti thi.
Bhanu Prataap Singh!
Ye ladka charitr me toh tha hi neech aur gira hua, par uss se bhi buri baat ye thi ki woh virodhi dal ka tha.
Yaani Bhavna ka parivaar aur Bhanu ka parivaar kayi saalo se ek dusre ke khilaaf the. Abhi tak koi badi mat-bhed toh nahi hui thi parantu mann-bhed zaroor tha dono hi parivaaro ke beech.
Chingaari lagi hui thi bas ek hawa ke jhoke ki zaroorat thi.
Aur shayad woh hawa ka jhoka aaj hi lagne waala tha.
Bhanu apne ek saathi ke saath Bhavna ke jism ko upar se neeche tak ghoor ghoor ke dekh raha tha.
Bhanu : Haaye kya adaa hai! Kya jism hai! Kya khubsoorti hai. Kya kehti hai jaan-e-mann? Bann jaa meri! Hmm?
Purvi ne jab Bhanu ki ghinauni nazar dekhi toh uska khoon khaul utha, woh Bhavna ke saamne aake apni kamar par dono haath rakhe usse chhek ke khadi ho gayi,
Purvi : Oye! Apni 2 kaudi ki bhaddi shaayri kahi aur dikhaana. Chalo futo yaha se.
Bhanu (gusse me) : Aye ladki! Chal kinaare hatt! Abhi toh tu bacchi hai. Badi ho jaa! Fir baad me tujhe bhi lollipop dunga. Hahahaha!
Ladka : Hahahahaha!
Purvi : K-Kya bola...!!!!
Bhanu : Arre sunaayi nahi diya?? Pehle apne anguro ko santre bana le. Fir aana!
Ladka : Hahahahahaha!
Purvi : Santre?
Purvi ko toh tab kuch samajh na aaya. Bholi jo thi abhi. Par Bhavna ko sab samajh aa chuka tha. Bhanu Prataap ki ghinauni baato se uska muh bigad gaya. Gandi naali ke keede se bhi battar tha woh. Usse ek akbakayi sii mehsoos hone lagi.
Purvi ka haath thaam usne usko apne peeche kiya. Aur apne jhole ko kass ke pakad ke nidarta se khadi ho gayi.
Bhavna : Dimaag thikaane par hai ya nahi? Sharm nahi aati! Aisi baate karte hue?
Bhanu : Besharmo ko kesi sharam dilruba?
Bhavna : Seedhe dhang se kehti hu. Iss se pehle ki mere gaav waale tumhe yaha badtameezi karte hue dekh le. Seedhe tareeqe se yaha se nikal jao warna...!
Koi kisi ko dhamkaaye toh gussa toh aata hi tha. Aur Bhanu Prataap toh apne gaav ke sabse bade vyakti ka ekmaatr beta tha. Uske saamne khadi ye naazuk sii ladki usse dhamkaaye, woh ye kese sehen kar sakta tha?
Woh gusse me aage badha,
Bhanu : Warna? Warna kya? Haan? Warna kya? Maarogi? Haan? Maarogi? Lo! Maaro! Lo...! Lo maaro na!
Apna gaal aage kar woh ekdum uske sameep aa gaya.
Uske nazdeek aate hi Bhavna ko sharaab ki buu aayi. Subah subah hi ye dusht nasha kar ke ghoom raha tha. Bhavna ki bauhe woh gandh paate hi sikud gayi.
Bhanu : Maar na!! Aree maar na!
Guroor toh Bhavna me bhi tha. Akhir woh bhi apne gaav ki sabse bade parivaar ki iklauti ladki thi. Kisi ki majaal thi uss se iss tarah baat karne ki? Bas fir kya tha.
*Chataaaaaakkkkkk*
Jadd diya Bhavna ne ek raseed ke.
Bhanu ka chehra idhar se udhar ho gaya aur thappad ki goonj bhi waha fel gayi. Itna zorr ka tamaacha tha. Uska saathi jo ab tak hass raha tha woh bhi shaant ho gaya. Aur Purvi jo ab tak shaant thi woh apna muh haath se dhak khil-khila uthi.
Ghanghor beizzati!!!
Aag baboola aankhein liye usne Bhavna ko dekha aur fir uska gussa saatve aasmaan par pohuch gaya.
Bhanu : Teri toh...!!
Bhavna : Aaahhhnn!!!
Bhavna ka haath thaam usne ek jhatke me marod diya.
Purvi ye dekh usse churraane aayi par Bhanu ne usse dhakka deke gira diya. Aur uska saathi bhi usse pakad ke khada ho gaya.
Purvi : Bhaaaavvvnnnaaa!! Ch-Chorroooo mujhe!!!!
Iss bhidant me Bhavna ka jhola gir gaya aur usme se aadha samaan bhi baahar ko aa nikla.
Bhavna : N-Naaahhhhiiiiii?!!!!
Jiska sabse adhik bhay tha wahi ho gaya. Neel mani Bhanu ke saamne aa gaya. Usse dekhte hi uski aankhein chamak uthi.
Aur bhavna ko chorr woh neel mani par jhapta.
Bhanu : Ohhhh!!! Toh iske liye itni jaldbaazi ho rahi thi haan!!! Hahahaha! Lagta hai tumne khudaayi me se paaya hai isse hai na?
Bhavna : Kutteee!!! Waapas kar usse! Waapas kar!!! Woh mera hai!
Bhanu : Jisne paaya! Uska hua! Ab chuki isse mene paa liya hai toh ye mer-
Woh iss se pehle ki kuch keh paata, Bhavna ne apne jhole se ek hassiya nikaal uske haath ki orr phek maari. Woh ye apni hifaazat ke liye rakh ke ghoomti thi.
Idhar hassiya hawa me udd ghoomte hue aake Bhanu ke haath ko lagi aur chamdi ko cheerte hue andar dhass gayi.
"Aaaaaaaaaaaaaaarrrrrggghhhhh!!"
Ek bilbilaati hui cheenkh waha zorr se goonj gayi. Uska saathi ghabraate hue Purvi ko chorr uske paas aaya. Khoon itni tezzi se baahar aa raha tha ki poora kapda laalam laal hota jaa raha tha.
"Aaaarrgghhh! Marr gaya...! Mera haaathhhh!!!! Kutiyaaaaa!!!!"
Zameen par ulat pulat kar Bhanu ghabraahat me cheekhta chillaata raha. Aur apne haath se khoon nikalta dekh uski jaan aur sookh gayi.
Bhavna : Puuurrvvvviiiii!!! Bhaaaggg!!! Kameeneee!! Yahi tere kiye ki saza hai...!!
Apna jhola aur neel mani utha ke Bhavna Purvi ka haath thaam waha se bhaag nikli.
Shayad yahi woh hawa ka jhoka tha. Jo ab chingari ko aag me tabdeel karne waala tha.
Saasein aur dhadkane tez, furti me bhaagte hue woh lagataar peeche ki orr dekhti rahi. Kahi uska koi peecha toh nahi kar raha tha?
Aur iss bhaag daud me,
Bhavna : Ahhhnnn!!!!
Woh bhaagte bhaagte bina saamne dekhe hi kisi se jaa tajraayi.
Dono jab gire toh dono ne ek dusre ko dekha.
Bhavna : Huhh!?
Uske saamne koi naya ladka tha. Pehnaave se kisi sheher ka prateet ho raha tha.
Uthate hue maafi maang kar uss ladke ne Bhavna ko bhi uthaaya.
Purvi : Oye! Dekh kar nahi chal sakte kya? Aur kaun ho tum?
Ladka : Mein Brijesh!!! Ek baar firse maafi chaahta hu.
Bhavna uski inn baato ko sunn, usse dekhne lagi. Galti uski thi parantu fir bhi ye saamne khada vyakti uss se maafi maang raha tha. Toh wahi Brijesh ka bhi kuch aisa hi haal tha. Saamne maujood iss khubsoorat ladki ko dekh uska mann machal utha.
Jab Purvi ne uska naam suna toh woh Bhavna ko chikauti kaat'te hue uske kaan me boli,
"Iska naam toh 'ba' se aata hai. Hehehe! Pandit jii kahi iski hi baat toh nahi kar rahe the? Kyu?"
Uski baat par Bhavna sharma ke reh gayi aur tapaak se Purvi ki peeth par usne ek gumba de maara.
*bammm*
Purvi : Aiiiyooo!!!!
Bhavna : Darasal! Galti hamari hai. Toh hum maafi maangte hai. Aur ye kya? Aapke haath se toh khoon beh raha hai!
Brijesh : Ohh! Ye! Haan! Woh mein gir gaya tha. Sheher me aise gaddhe chhipa ke koi nahi rakhta na.
Bhavna (smiles) : Fasal ko bade janvaro se bachaane ke liye hai woh. Rukiye zara!
Apne jhole se ek rumaal nikaal Bhavna Brijesh ke haath me baandhne lagi. Dono hi pal pal ek dusre ko dekh rahe the aur dono ki hi dhadkane tezz thi. Aaj ye pehli baar tha jab dono apne se vipreet ling ke prati aakarshit the.
Vidambna bhi dekho. Ek ladke ke haath se khoon baha ke aayi thi Bhavna. Aur ab dusre ladke ke haath se khoon behne par usse apna rumaal baandh rahi thi.
Brijesh : Wese aap dono badi jaldi me lag rahi thi. Kya hua?
Bhavna : Ahhn! W-Woh! Woh hamaare peeche jangli jaanvar pad gaya tha. Isliye!
Brijesh : Ohhh!
Bhavna : Arre nahi! H-Hum jaldi me hai. Hume nikalna hoga.
Brijesh : Aapne apna naam nahi bataya!?
Bhavna : Mein...! Bhavna!
Purvi : Haan! Aur mein Purvi! Bijaipur ke sabse bade gharaane se hai hum. Samjhe? Naam yaad rakhna aur- mmmphhhh???
Iss se pehle ki Purvi poori panchaayat baghraati, Bhavna ne uska muh haath se band kiya aur usse pakad waha se bhaag nikli.
Idhar bechaara Brijesh apne haath me bandhe uss rumaal ko hi dekhta reh gaya.
***
Ghatna ho toh gayi thi. Par itne bade iss haadse ki khabar sansani ki tarah fel gayi. Jese hi Harikiran Singh ko ye baat pata chali toh unka gussa kisi sutli bam ki tarah phat utha.
"DHARAM SINGHHHHH!!!!!!!"
Chillaate hue unhone apne bistar ke paas rakhi bandook uthaayi aur naukro aur laundo ko ikhatta kar seedha Bijaipur ke liye ravaana hone lage.
Uma : Kaha jaa rahe hai aap bandook taane? Bitwa yaha marr raha hai aur...!
Harikiran : Tum chup raho!!! Aur aye doctor...!!
Doctor : J-Jiii!!!?
Harikiran : Hamaare bete ko kuch hua toh tum naahi bachoge! Samjhe?
Doctor : J-Jii! K-Kuch nahi hoga. Mene ilaaj kar diya hai. B-Bas araam ki zaroorat hai.
Harikiran : Ghar me khabar kar de ki jab tak mera beta theek nahi ho jaata tu yahi rahega. Samjha? Aur tera rehne aur khaan paan ki vyavastha hum karenge. Samjha?
Doctor : J-Jii!
Jo male nurse tha woh bhi kaanp ke Brijesh ke haath me patti baandhne laga.
Brijesh : Tau jii! Mein bhi chalta hu!
Harikiran : Tum chalne laayak ho?
Brijesh : Bilkul! Bas choti sii kharoch hai.
Harikiran : Theek hai!
Brijesh bechaara iss baat se abhi tak anibhigya tha ki jinke ghar me woh dhaava bolne jaa rahe the ussi ghar ki iklauti putri wahi Bhavna thi.
Tabhi, Bhanu ka wahi dost daudte hue andar aaya aur haath jod ke khada ho gaya,
Ladka : S-Sarkaar! Sarkaar! Jaldi jaldi me aur Bhanu bhaiya ko bachaane ke chakkar me mein aapko ek badi baat bataana bhul gaya. Maaf kijiyega!
Harikiran : Kesi baat? Jaldi kaho!!!
Ladka (kaanpte hue) : J-Jii! W-Woh! Uss Dharam Singh ki ladki ko khudaayi me se ek behad keemti neel patthar mila hai. Shayad uski keemat laakho me hogi.
Harikiran (frowns) : Hmm? Neela patthar?
Ladka : J-Jii!
Harikiran : Theek hai! Tum jaa sakte ho!
Kehte hue woh khud bhi tezz qadmo ke saath aandhi ki tarah waha se nikal gaye.
Uma : Na jaane ab kya hoga.
Jab do bade gharaane ek dusre se takraate the toh yahi hota tha. Fir naa hi police kuch kar paati thi aur na hi gaav ka pradhaan ya panchaayat. Woh bas kinaare se ghatna ko ghatate hue hi dekhte the fir.
***
Idhar Bhavna ke ghar me khushi ka mahaul tha. Jaydev ne khabar de dii thi aur sabhi Bhavna ka intezaar kar rahe the. Sabhi uss neel mani ko dekhne ke liye aatur the.
Jese hi Bhavna haafte hue ghar me aayi, Dharam Singh khushi se uth khade hue aur apni beti ko gale se laga ke hassne lage.
Dharam Singh : Hahahaha! Arre mein kya samajhta tha aur kya ho gaya aaj! Bhai tumne toh kamaal kar diya bitiya raani! Chalo! Ab jaldi se dikhao, uss neele patthar ko! Kaha hai woh?
Bhavna ne apni saase durust kar jese hi woh neel mani dikhaaya toh Dharam Singh aur gadgad ho uthe. Khabar bhi pukhta thi aur neel mani bhi.
Dharam Singh : Hahahaha! Bhai waah! Agar meri paarkhi nazar sahi hai toh iski keemat laakho me hogi!
Bhavna : Y-Ye bechne ke liye nahi hai Pita jii!
Woh chidhte hue boli.
Dharam Singh : Arre haan bhai haan hahahaha!
Andar hi andar Bhavna behad ghabraayi hui thi. Ek bade kaand ko woh anjaam deke aayi thi. Par kahi na kahi ek aashvaasan bhi tha ki bhala uske parivaar se bhidne ka dam akhir kisme hai? Kisi me nahi!
Vijay jo wahi baitha hua tha usne bhi jab mani dekha toh woh bhi hairat me reh gaya.
Vijay : Pita jii! Ye sach me behad keemti lagta hai. Kahi rajao maharajao ka toh nahi ye? Jo hamari Bhavna ne khoj nikaala ho?
Dharam Singh : Ho bhi sakta hai beta! Ho bhi sakta hai. Iski jaanch hi bata payegi iska sach.
Bhavna : Ab tum kyu aa gaye haan? Jao apni suprabhaat manao roz ki tarah.
Vijay (smiles) : Arre choti behna, itna naraaz kyu rehti ho mujhse.
Bhavna : Hmph!
Dharam Singh : Balki, mera khayaal kuch aur hai.
Bhavna : Kya?
Dharam Singh : Ruko zara!
Andar jaate hue woh baahar ek dorri lekar aaye. Aur uss neel mani ko usme baandh ke unhone Vijay ke gale me daal dii.
Vijay : Ye!?
Bhavna : Pita jii???
Dharam Singh : Kya pita jii??? Dekho kitna jach raha hai ye iske gale me. Hahaha!
Abhi kuch derr hi hui thi ki achanak hi,
"'DHARAM SINGHHHHH!!!!"
"BAAHAR NIKAL!!!!"
Krodh se bhari ek dahaad ne poore ghar ko hila diya.
Harikiran apne aadmiyo ke saath aur Brijesh ko leke seedha Dharam Singh ki chaukhat par aa dhamka.
*Thud*
Ek saath itne aadmiyo ko dekh Bhavna sang sabhi stabdh reh gaye. Ye achanak kya ho raha tha?
Harikiran : Haraaammm khorrrr!! Teri ye majaaalll???
Vijay : Zabaan sambhaal ke baat karo mere pita jii se!!! Aur himmat kese hui iss ghar me qadam rakhne kii?
Harikiran : Chup kar madarchod!!! Kaha hai teri woh chinaal beti?
Jab aise shabd Vijay ne sune toh woh chillaate hue Harikiran par kood pada.
Vijay : Khabardaaaaarrr!!!! Ek shabd bhi muh se nikaala toh-
Poori chaukhat me ek kohraam mach gaya. Vijay ne Harikiran ki collor pakad usse dabocha hua tha.
"Ayyyyyyeeeeee!!!" Aur dono hi paksho ke aadmi aapas me shor karte hue bhid gaye.
Brijesh jese hi peeche se ghar ke andar aaya toh sab kuch dekh chaunk gaya.
Par sabse bada jhatka usse tab laga jab uski nazar uss shaks par jaa kar tiki.
Bhavna!
'N-Nahiii!!!'
Dono ne ek dusre ko dekha aur dono ko hi aneko anubhutiya uss ek pal me mehsoos ho gayi.
Dubaara milne ki khushi, iss tarah milne ka gham, dono vipakshi the uski peeda, aur firse na mil paane ka ek darr.
Aankho hi aankho me jese hazaaro baatein bayaa ho gayi.
Aur tabhi,
*BANG* *BANG*
Goli chal gayi.
*Silence*
Ek khamoshi waha chhaa gayi. Harikiran ne do round hawa me apni bandook se fire kar diye the.
Par woh akela nahi tha. Dharam Singh ke haath me bhi ab ek bandook thi. Bhay ka mahaul bann chuka tha.
Haveli ke baahar bhaari maatra me bheed jama ho gayi. Harr aadmi baahar khade andar ho rahe haal ke baare me jaan'ne ke liye icchhuk tha. Par kisi ki himmat nahi thi ki ek kadam bhi aage badha ke dekh sake.
Ye thi taaqat waha ke dono parivaaro ki.
Harikiran : Chup!!! Ekdum chup!!!! Apni beti ko saamne laa Dharam Singh!!!!
Dharam Singh : Aaj pehli baar kisi ne iss ghar me itni himmat dikhaayi hai. Daad deta hu. Par ab agar ek bhi apshabd mere parivaar ke kisi bhi sadasya ke liye nikla toh sarr dhad se alag kar dunga Harikiran Singh!!!!!
Harikiran (chillaate hue) : DHARAM SINGHHHHH!!!!! APNI BETI KO SAAMNE LAA!!! WAQT ZAAYA MAT KAR!!!
Dharam Singh : Awaaz aur bandook neeche Harikiran Singh! Neeche...!
Majbooran Harikiran Singh ne apni bandook neeche kar lii.
Harikiran : Jaldi! Apni beti ko saamne lao.
Dharam Singh : Bhavna? Saamne aao! Batao kya hua hai!?
Peeche se Bhavna saamne aayi toh Harikiran ka seena gusse me upar neeche hone laga.
Harikiran : Tumhe khabar bhi hai ki tumhari iss beti ne kya kiya hai?
Dharam Singh : Bhavna! Kaho! Kya hua?
Bhavna : P-Pita jii! Meri koi galti nahi hai. Inka beta Bhanu Prataap Singh, sharaab ke nashe me dhutt hoke mujhe aur Purvi ko chedh raha tha. Purvi ko dhakka bhi diya. Aur neel mani chhina liya tha humse. Khud ko bachaane ke liye mene woh hassiya uske haath par fek dii. Bas!
Harikiran : Bas? Paagal ladki! Tu jaanti bhi hai ki tu kya keh rahi hai? Mera beta waha khoon se lathpath ghar lauta hai. Aur bistar par behosh dala hua hai. Agar usse kuch hua toh teri ye beti bhagwaan ko pyaari ho jayegi Dharam Singhhh!!!!
Dharam Singh : Usse chhee kar toh dikhao. Haath ukhaad ke fek dunga.
Vijay : Apne aadmiyo ko leke dafa ho jao yaha se.
Harikiran : Dharam Singhhhh!!!! Mere gusse ka anjaam jaanta nahi hai tu!!!!
Dharam Singh : Aur tum mere gusse ka. Himmat kese hui tumhare bete ki meri beti se badtameezi se pesh aate hue?
Harikiran : DHARAMMMM SINGHHH!!
Iss baar jab woh chillaaya toh dono hi paksh fir se bhid gaye. Haath chalne lage aur maar peet shuru ho gayi.
Cheenkhein fel gayi aur samaan ast vyast ho gaya. Afra tafri mach gayi.
Harikiran : Agar aisa hai toh theek hai Dharam Singh!!!
*Clutch*
Vijay : Hhhuhhh???
Harikiran ne ek jhatke me hi Vijay ke seene se woh neel mani nikaal liya.
Aur idhar,
*Bang*
"Aaaaarrrgghhhhhhh!!!!!"
Dharam Singh ke haath se bandook chal gayi. Goli jaake Harikiran ki jaangh pe lagi aur woh dhadaam se gir gaya.
Fir kya tha? Aadmi log bhide aur Harikiran ke nazdeeki usse jeep me baitha kar waapas le gaye.
Siwae ek shaks ke.
Brijesh!!
Brijesh : Aaj jo kuch bhi hua, woh accha nahi hua. Meri aap se guzaarish hai ki iss baat ko aage na badhaiyega please.
Dharam Singh : Nikal jao yaha se. Iss se pehle ki meri bandook dobaara chale.
Brijesh : N-Nahi!! Mera ek prastaav hai. Suniye toh!
Dharam Singh : Kaho!
Brijesh : Ek tareeqa hai jis se ye sab kuch ruk sakta hai.
Dharam Singh : K-Kya?
***
Samay ka pahiya aage badha aur sab kuch Brijesh ke uss prastaav ke hisaab se hi hua.
Prastaav kya tha?
Prastaav tha...! Brijesh aur Bhavna ki shaadi.
Dono ek dusre ke sang iss prem ki dorr se bandh chuke the. Par ye sab itni asaani se thodi hua. Bohut bada bakheda khada hua tha.
Harikiran ko jab ye pata chala ki Brijesh Bhavna ko byaa karwa ke laaya hai toh sab ke saamne usse do tamaache jad diye the. Par ab honi ko kaun taal sakta tha?
Na hi uske haath mani laga, na hi Bhavna, aur toh aur khud ko aur bete ko bhi ghaayal hona pada.
Badle ki bhaavna uske zehen me baith chuki thi. Aaj nahi toh kal, woh ye badla lene hi waala tha. Fir chaahe Manorath ke khilaaf hi kyu na jaana pade.
Aaj raatri ke iss preeti bhoj me woh sabhi shaamil the. Sarr par pallu daal Bhavna, ghar ki nayi bahu hi sab ko khaana paros rahi thi.
Harikiran aur Bhanu Prataap bhi baithe hue the. Par unka maqsad yaha aake harsh-o-ullaas se jashn manaana nahi tha. Badhaaiyaa dene nahi aaye the woh yaha. Unka maqsad kuch aur hi tha.
Derr raat jab sone ki baat aayi toh dono baap bete apne kamre me khusur phusur karne me lage hue the.
Ittefaaq tha jo Bhavna ussi waqt waha se guzri aur usne ye khuspusaahat sunn lii.
Kivaad ke baahar khade hoke jab usne kaan laga ke suna, toh uske perro tale zameen khisak gayi.
Bhanu : Pita jii! Aage kya karna hai?
Harikiran : Karna kya hai? Mere bete ko haani pohuchaayi hai uss Dharam Singh ne. Bhula nahi hu mein!!! Hum bhi wahi karenge! Par uske bete ke saath nahi...!
Bhanu : Toh?
Harikiran (smiles) : Uske pote ke saath!!!
Bhanu : Matlab?
Harikiran : Bhavna jis bacche ko janm degi usse hum-
Bhanu ye samajhte hi thoda ghabra gaya.
Bhanu : Par hum phasenge nahi?
Harikiran : Nahi! Woh sab tum mujhpe chorr do.
Bhanu : Par pita jii! Agar hamari aapsi baat kisi ne sunn lii aur woh bhaanp gaya toh? Agar uss Bhavna ne ghar me sabko bata diya toh?
Harikiran (smiles) : Toh ye hamaare liye aur bhi asaan hoga! Hume uss par haavi hone ka ek mauka mil jayega. Mein Manorath ko bhadka dunga ki tumhari bahu aisi hai. Pehle hi Bhavn tum par hamla kar chuki hai. Zara socho! Fir kya hoga iss bandhan ka?
Bhanu (smiles) : Ye rishta toot jayega! Aur bhavna akeli....!
Harikiran : Bilkul sahi samjhe ho! Hahahaha!
Bhanu : Kamaal kar diya pita jii aapne!! Hahaha!
Jab Bhavne ke kaano me ye baatein gayi toh uska poora shareer kaanp utha. Kis tarah ke log the ye? Insaan the ya jaanvar? Navjaat ko maarne ki saazish uske hi ghar me rachi jaa rahi thi.
Upar se ab woh Brijesh ko khabar bhi nahi de sakti thi. Kahi uss Harikiran ka anumaan sahi nikal gaya toh? Kaha jayegi fir woh...!?
Uska haath apne aap apne pait par gaya. Ek nayi jaan pehle hi uske andar janm le chuki thi.
'N-Nahii!! Ye nahi ho sakta!!! Mein isse kuch nahi hone de sakti!!'
Aur fir usne apne jeevan ka sabse bada kadam uthaaya!!
Sanshodhan kaaryo me uski naukri lag chuki thi. Ye bahana bana ke ki woh ek varsh ke liye videsh me research karne jaa rahi hai. Woh Mumbai chorr ke nikal gayi.
Kitni hi ladaayi hui uski Brijesh se par paristhitiya aisi thi ki sabse accha kadam yahi tha.
Brijesh ko bina bataaye ki woh pregnent hai woh Mumbai chorr nikal gayi. Ek saal ke liye. Ye keh ke ki woh videsh jaa rahi hai. Par thi woh bhaarat me hi. Aur issi antarkaal me hua janm ek nanhi sii pari ka.
Jiska naam usne rakha...!
Tejal!!!
Par do ghatnaaye aur janm lii iske tehet.
Pehli, Brijesh ki maa Brinda ka beemaar padna. Aur dusri, Bhavna ke maayke me Harikiran Singh ka waapas se haavi hona.
"Purvi!!! Tum iska dhyaan rakhna!!! Mein jald hi lautungi!!"
Apni kuch mahino ki bacchi ko Purvi ke havaale chorr, woh waapas se Mumbai jaane ko taiyaar thi. Sabse ye baat chhipi rahi ki usne ek bacchi ko janm de bhi diya hai.
Purvi : Ye bohot choti hai Bhavna!! Iske doodh ka poshan isse kese milega? Mein maa nahi hu. Tum jaanti ho!
Bhavna : Mein jaanti hu! Par tumhe chinta karne ki zaroorat nahi. Bagal me hi jo padosi hai. Mene unse baat kar lii hai. Ek maa meri hi tarah, Tej ko doodh pilaane ke liye taiyaar hai. Tum isse roz le jaaya karna. Aur dhyaan rakhna iska. Haan? Meri jaan hai ye!
Bhaavuk hote hue usne Tej ke maathe ko choom liya.
Bhavna : Jald lautungi meri bacchi! Bohot jald!!
Aur apne aasu pochte hue woh waha se nikal gayi. Apni choti sii bacchi ko ussi haal me chorr.
Par kehte hai na, jaan hai toh jahan hai.
Bhale hi usse iss baat ko chhipaana pada. Par aaj uski bacchi sahi salaamat thi.
Mumbai pohuchte hi usne waapas se apna patni dharm nibhaana shuru kiya. Brinda ki seva, Brijesh ko khush rakhna, Manorath ke saath kabhi kabhi philosophy ki baatein, apni devrani Sumitra ke saath acche se ghulna milna.
Usne jese iss ek saal ki gerr maujoodgi ke badle ab sabka dil jeet liya tha.
Par raatein hamesha chintaao me guzarti. Harr raat woh Tejal ke liye bechain rehti.
Toh wahi Purvi ki mulaqaat wahi Arun se hui aur dono me prem jaag gaya. Hua wahi jo niyati ko manzoor tha.
Dono apne anuraag ke chalte ek saath hi rehne lage. Purvi ke pita ko ye khabar lag chuki thi. Par shuru se hi woh ek khule vichaar ke vyakti the. Aur uss se zyaada unki zaroorat Dharam Singh ke ghar me thi. Toh unhone bhi iss baat ko jaane diya.
Parantu,
Ek haadse ne sab kuch badal ke rakh diya.
Harikiran Singh jisse anjaam dena chaahta tha. Woh ho gaya.
Isse aaj bhi saara Bijaipur maut ki raat ke naam se yaad rakhta hai.
Woh haadsa jisne sab ko hila ke rakh diya.
Bhavna ko bhi jese bas kuch palo derr se khabar lagi. Kyuki uske saamne tha,
Ye drishya!!!
"N-Nahiiiiiiii!!!!"
Apne perro par gir woh besudh sii wahi jamm gayi. Kuch palo ki derri thi bas. Aur ye ho gaya.
Uske bagal se Suman, Jaydev, aur Abhilaasha kaaki khadi hui thi.
Baramaad hui thi toh bas ek cheez!
Neel mani!!!
Yahi woh cheez thi jisse Harikiran singh dhoondh na paaya. Aag kisne lagwaayi thi. Ye baat bhi sabhi jaante the.
Bhavna ne kya kuch nahi kho diya? Iss waqt koi bhi shabd ya varnan uski haalat ko bata nahi sakte the.
Ek baap, ek bhai, aur kaaka kaaki. Sabhi ko kho diya. Toh wahi Suman ne bhi apni maa ko uss jhulasti haveli me kho diya jo aag ki garm lapto se lagataar jal rahi thi.
Saara gaav dekhta raha. Par sab maun the. Aur vipda ka roop deke sabhi ye baat bhula diye.
Par Bhavna ne nahi...!
Kaapte haatho se usne neel mani ko apne saamne kiya. Apni khud ki jalti hui haveli ke saamne. Unn aag ki lapto ki jwaalaye uss chamkeela patthar par pratibimbit ho rahi thi.
"Aaj mein Bhavna Singh, Dharam Singh ki putri aur Vijay Singh ki behan ye pratigya leti hu!!! Ki ek din...! Jis tarah inn sab ne mere parivaar ko maara hai!!! Ussi tarah mein bhi inke parivaar ko khatm karungi!!! "
Rote rote Suman uske seene se lag gayi.
"Diidddiii!!!"
Bhavna : Kaaki! Kaaka! Ab kuch shesh nahi raha. Sab khatam ho gaya! Chaliye!
Apne aasuo ko poch woh mud ke nikal gayi. Jese ek alag insaan ki aatma uske andar pravesh kar gayi ho. Yahi woh samay tha, jab chanchal chulbuli Bhavna marr chuki thi. Aur uski jagah janm lii, ek samajhdaar, praudh, aur nidar Bhavna!
***
Kar bhala ho bhala! Sunn'ne me accha tha. Parantu Bhavna ke liye vyavhaarik nahi tha. Iss beech Bhavna ko ek santaan aur praapt hui.
Veer!
Par samay tha sabhi ke saamne Harikiran ki asliyat saamne laane ka. Ghar pe usne Harikiran par ilzaam lagaana shuru kiye. Ab tha hi kya uske paas khone ko?
Par bhagwaan ko jese ab bhi kuch aur hi manzoor tha.
Harikiran : Ye dekho! Ye dekho! Manorath! Mein na kehta tha! Ki ye ladki dimaag se paagal hai. Dekho zara ab kya bakwaas kar rahi hai ye!
Bhanu (khuspusaate hue) : Pita jii! Ye toh hamaare hi gale pad rahi hai.
Harikiran (khuspusa kar) : Moorkh dekhta jaa! Thos deewaar ko todne ke liye ek daraar dhundhni padti hai. Jo mere haath lag gayi hai.
Bhanu : Matlab?
Bhavna apna gala phaad phaad ke aarop pe aarop laga rahi thi ki itne me Brijesh andar se aag baboola hoke baahar aaya aur Bhavna ko pakad ke zorr se ek tamacha de maara...!
Saare waha hairat me reh gaye.
Bhavna : ????
Brijesh : Tum mujhe ye batao pehle ki ye kya hai??
Kehte hue usne kuch tasveere uske muh pe phek ke maari!!!
Jab Bhavna ne unhe zameen se uthaaya aur dekha toh uski jaan halak me aa gayi. Haath thar-tharaane lage.
Uss zamaane me album wali photos hua karti thi. Aur wesi hi ek tasveer me Bhavna bistar par laiti hui thi par uske bagal se ek adhnanga aadmi bhi leta hua tha.
Jo ki...!
Brijesh nahi tha!!!
8 se 10 tasveere jab Bhavna ne dekhi, toh uske perro tale zameen khisak gayi.
Birjesh ka dil aise toota jese naazuk se kaanch ke sheeshe par kisi ne patthar de maara ho!!!
Harikiran : Ulta chor kotwaal ko daante! Hmph!
Bhavna : Y-Ye sab issi ki chaal hai!! *sniff* Meri baat suniye! Y-Ye sab jhooth hai!!! Mujhe toh pata bhi nahi hai ki ye aadmi kaun hai. Aur ye...!
Brijesh : Bas karo Bhavna! Bas karo! Mein hi moorkh tha jo tumhari pyaar me pad gaya. Aur kitna jhooth bologi tum? Tasveere kabhi jhooth nahi bolti Bhavna!!!
Usse Bhavna ki shaql dekh ke hi ab ghin aa rahi thi. Aur kyu na aati? Jab ye dikh jaaye ki khud ki biwi tasveer me kisi gerr mard ke saath so rahi hai.
Bhavna : N-Nahi aisa mat kahiye! *Sniff* Ek aap hi toh hai, mera vishvaas karne waale agar aap hi-
Brijesh : Karta tha Bhavna! Karta tha! Jo meri zindagi ki sabse badi bhool thi!!
Bhavna : N-Nahhhiii!!! Mein aapke perr padti hu...! *sniff* Iss sab inn baap bete ki mili bhagat hai! Mera vishvaas kijiye!
*Chataaaaaakkkkkk*
Ek aur chaate ne saare sawaalo ke uttar de diye. Manorath chaah ke bhi kuch na kar saka. Tasveere jhooth nahi bol rahi thi.
Bhavna bilakhti rahi, par koi bhi uske kandhe par haath rakhne aage na badha. Sumitra aage jaana chaahti thi par Karunesh ki nazro ne usse rok diya.
Brijesh : Apna samaan baandho! Aur nikal jao iss ghar se...! Hamesha..! Hamesha ke liye!
Dil par patthar rakh usne ye vaakya bhi keh diye. Poora choor choor ho chuka tha uska hriday!
Bhavna bhaagti hui andar ko gayi. Apni sabse keemti amaanat ke paas.
Uska laadla!
Jo neend ki waadiyo me deen duniya se bekhabar tha.
Uss navjaat ko pyaar se choom ke usne apne gale se laga liya.
"Mera bacchaaa!!!!" Chaah ke bhi woh usse apne saath nahi le jaa sakti thi.
Paalti kese? Ek aur bacchi uska waha intezaar kar rahi thi.
"Mere lalla! Mere paas tumhe dene ke liye kuch nahi hai!!! Siwaaye iske!!!"
Kehte hue usne ek sone ki chain me jada woh neel mani, apne bete ke gale me pehna diya. Ek akhir baar usse choom ajr uske sone se mukhde ko dekh woh apna samaan leke waha se lajjit karti hui nikaal dii gayi.
Brijesh iss gham me itna toot gaya ki usne Bhavna se judi saari yaado ko jalaa kar raakh kar diya. Uss se judi harr ek cheez tehes mehes kar dii. Yaha tak ki ghar me uska naam bhi varjit kar diya. Jisle liye usme itna sab kiya, usne hi usse itna bada dhoka diya tha.
Bhavna ki chhavi tak ka khayaal nahi aane dena chaahta tha ab woh!
Bechaari akeli Bhavna jese tese Purvi ke paas pohuchi, Aur usse saari khabar dii!
Purvi ke upar jese pahaad toot pada. Ab jaake usse pata chal raha tha ki uske pyaare baapu jaa chuke the. Woh toot ke bikhar gayi. Uske bhi pait me ek nanhi jaan pal rahi thi.
Bhavna : Khud ko sambhaalna Purvi!!! Khud ko sambhaalna! Arun! Yaha se Purvi ko le jao! Le jao yaha se! Aur Tej ko ab mere hawaale kar do!!
Aur iss ghatnakram ke baad dono apne apne raaste chal diye!!!
***
"Aur yahi hai tumhari iss maa ki daasta! Veer!!!"
Bhavna ke akhiri bol uss kamre me goonj uthe.
Ek baar fir unhe ehsaas hua ki woh sabhi ateet me the! Sabhi ki aankho me aasu the jiska unn sabhi ko bodh na hua.
Yaha tak ki Shweta bhi khamosh thi. Aur iss ateet ko sunn'ne ke baad uske andar ki insaaniyat jaanti thi ki Bhavna ke saath behad bura hua tha.
Bhavna apne aasu poch fir muskuraayi aur apne bete aur beti ko dekh boli,
"Toh kya tum...! Ab bhi mujh se naraaz ho? Veer? Tej?"
Tej uth ke seedha apni maa ke gale se lag gayi. Par Veer wahi deewaar se tike apni ek taang mode baitha raha.
Aankho ko band kiya aur,
*Ding*
[Sigma male instincts have become stronger.]
*Ding*
[Alpha and Sigma male instincts have been balanced.]
*Ding*
[Host's new personality has been awakened.]
*Ding*
[Mission : Revenge
Description : Complete Bhavna's pledge.
Rewards : 1) ??? Points
2) ??? Fame Points
3) Fixed favourability of 100 for Bhavna, Tejal and Purvi.
4) A 50% probability for a legendary skill. (One time use only)
Mission failure penalty : 1) Losing Bhavna and Tejal.
2) Fame Points reduction.
3) 20,000 points reduction.
Time Limit : 3 days.]
Veer ki jab aankh khuli toh pal bhar ke liye unme laali sii dikhaayi padi, aur fir gaayab ho gayi.
Uske muh se fir ek hi awaaz nikli, jisne na sirf Bhavna ko, balki waha baithe sabhi ko kaapne pe majboor kar diya.
"Harikiran aur Bhanu Prataap Singh!!!! Kaha milenge ye dono?"
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Yes jaanta hu late hai update. Sorry for the inconveniences. Parantu parishtiti ke chalte ye late hi aa paaya. Baaki, ju log apna kaam nahi bhulne ka. Like thokne ka aur apni Pratikriya rakhne ka.
Dhanyavaad!
BEHAD SHAANDAAR LAJAWAAB FANTASTIC EXCELLENT JABARDUST FABULOUS AND INTERESTING UPDATE BHAIMega Update
Christmas Special
Update - 127 ~ Revenge
Ab tak...
Veer ki jab aankh khuli toh pal bhar ke liye unme laali sii dikhaayi padi, aur fir gaayab ho gayi.
Uske muh se fir ek hi awaaz nikli, jisne na sirf Bhavna ko, balki waha baithe sabhi ko kaapne pe majboor kar diya.
"Harikiran aur Bhanu Prataap Singh!!!! Kaha milenge ye dono?"
Ab aage...
*Thud*
Kivaad khula, aur Abhilaasha kaaki dheere dheere thiturti hui baahar nikal darwaaze ki dehleez ke paas ek jalta hua diya rakhne aayi.
Peeche se unhe Bhavna ki awaaz sunaayi dii, "Diya baahar kaaki?"
Abhilaasha : Bhul gayi kya laado? Aaj dhanteras hai.
Kaaki ki baat sunte hi Bhavna chakit reh gayi. Inn sab me wo itna vyast ho gayi thi ki usse aaj ke din ka pata hi na chala.
Aaj dhanteras ki raat thi. Dekhte hi dekhte itna bada tyohaar nazdeek aa chuka tha. Neeche baitha hua Veer bhi ye sunn turant utha aur baahar ko jaane laga,
Veer : Agar aisa hai. Toh ye diwaali, Harikiran aur Bhanu Prataap...! Dono hi nahi dekh payenge.
Woh aandhi ki tarah baahar nikla par tabhi Bhavna daudte hue aayi aur uske haath ko pakad usse rok lii,
Bhavna : Thehro! Kaha jaa rahe ho tum?
Veer : Kya aap nahi jaanti ki kaha jaa raha hu mein?
Bhavna : Jaanti hu. Par sunn'na nahi chaahti.
Veer : Toh chorriye. Aur mujhe apna kaam karne dijiye.
Bhavna : Nahi!!!
Veer : Aap yaha mujhe isliye toh laayi nahi thi. Hai na? Sirf apna ateet sunaane? Kisi maqsad se hi laayi thi na aap mujhe yaha.
Veer ki baat sunn, Bhavna apne nichle honth ko daato tale dabaayi aur apni nazre uske chehre par se ferr lii.
Veer (smiles) : Dekha? Mein sahi tha. Aap yahi chaahti thi. Ki mein aapka badla lu.
Bhavna (dheeme se) : A-Aisa nahi hai.
Veer : Aisa hi hai. Aur yahi mein karunga bhi.
Bhavna : Pehle andar chalo! Please!
Veer : Ek shart par!
Bhavna : Kaho!
Veer : Mujhe abhi bhi kayi sawaalo ke jawaab nahi mile hai. Unke uttar mujhe abhi chahiye.
Uski baat par Bhavna ne ahista se sarr haan me hilaaya,
Bhavna : Th-Theek hai! Ab chalo andar!
Veer : Aur ye..! Iska rehesya bhi mujhe aapke muh se hi sunn'na hai.
Usne apne gale me latka pendant haath me pakadte hue kaha. Neel mani ussi pendant me sthit thi.
Bhavna : Iske baare me, mein zyaada nahi jaanti beta. Mera vishvaas karo.
Veer : Aapne khoja hai isse. Kuch toh jaanti hi hongi aap iske baare me.
Bhavna : Mene saalo iske rehesyo ko dhundne me bitaaye hai beta. Par mein sirf ek cheez hi jaan paayi hu.
Veer : Bataiye!
Bhavna : Woh ye ki...!
Veer : ???
Bhavna : Ye shraapit hai!
Veer (hairaani me) : Kyaaaa?
Bhavna : Haan! Mein issi conclusion par aake ruki hu.
Veer : Shraapit? Woh kese? Kahi aapka matlab-
Bhavna : Haan! Jab mujhe ye mila tha. Toh zaahir hai ki kisi na kisi vansh ka sarvanaash hua hoga. Tabhi ye iss tarah zameen ke neeche dafn ho gaya tha. Iss baat ka koi saboot toh nahi hai par ye mera anumaan hai. Aur uske baad...! Mene apna parivaar khoya. Ye sirf ittefaaq nahi ho sakta beta. Jab jab ye kisi ke gale se utra hai, tab tab traasdi hi aayi hai.
Veer : Toh-
Bhavna : Iss se ye baat spasht hai ki jab bhi ye gale se utarta hai, toh vipda aati hi hai. Dusre shabdo me, ek shraapit patthar hai ye.
Veer : Toh fir aapne aise me-
Bhavna (smiles) : Tumhe kyu pehnaaya? Yahi na?
Veer : Hmm!
Bhavna : Kyuki mujhe yakeen hai ki agar iski ek buraayi hai. Toh kahi na kahi ek acchayi bhi hai.
Veer : Aap itna yakeen ke saath kese keh sakti hai?
Bhavna : Mene iske constitution ke upar research kii hai bete! Halaki, mujhe koi spasht uttar nahi mila. Par jo kuch bhi khoja tha mene, uske adhaar par mujhe ye anubhooti hui. Ki ye ek aur bada raaz chhipaaye hue hai.
Veer : Aap mujhe aisa khatarnaak mani pehna ke gayi thi? Agar mein galti se isse utaar liya hota toh?
Bhavna (smiles) : Kya tumne isse kabhi utaara?
Veer : N-Nahi!
Bhavna (smiles) : Kyu?
Veer : Jab se mujhe bachpan me ye pata chala tha ki ye aapki nishaani ke roop me aapne mujhe pehnaaya hai. Tab se ye mere gale me hai. Kabhi mera mann nahi kiya isse utaarne ka.
Bhavna (smiles) : Hmm! Mein jaanti thi. Zara ab utaar ke dekho.
Veer : Huhh?
Bhavna (smiles) : Chalo! Koshish karo!
Apni maa ki muskaan dekh Veer ne fir Bhavna se sawaal na kiya. Pendant ko thaama aur jese hi usne utaarne ka prayaas kiya, pendant ki chain uske maathe par aake atak gayi. Aur uske upar nahi gayi.
Veer : Ye...!?
Bhavna punaah muskuraayi.
Bhavna : Iss chain ko mene bohut dhyaan me rakh ke banwaaya hai beta. Chaah ke bhi ye tumhaare gale se nahi niklegi. Haan agar chain ko kaat diya jaaye toh baat alag hai. Par kabhi bhi Veer...! Kabhi bhi! Isse alag hone mat dena.
Veer (nods) : Hmmm!
Bhavna : Bas! Itne saalo me sirf yahi pata kar paayi hu. Shayad aur kuch pata chal jaata. Agar ye mani mere paas hota.
Veer : Aur iska dusra raaz?
Bhavna : Mein nahi jaanti. Bas ek anumaan hai.
Veer : Toh bataaiye!
Bhavna : Nahi! Ye mein tumhaare hawaale karti hu. Iske dusre raaz ki khoj mein tumhe saupti hu Veer!
Kehte hue woh aage aayi aur Veer ke gale se lag gayi. Veer ka mann jo ab tak asthir tha, woh maa ke aalingan me aate hi, ek pal me shaant ho gaya.
Par chaand ki roshni me zameen par pad rahi unn dono ke milan ki chhaav ko andar baithi Shweta chintit nazro se dekh rahi thi. Na jaane kya soch rahi thi.
Bhavna jab Veer ko andar pakad ke dobaara laayi. Toh Veer punaah zameen par baith gaya.
Veer : Maasi!!!
Purvi : Haan?
Veer : Mujhe aapse bhi kayi sawaal hai.
Purvi : Pucho mere bacche!
Veer : Aap toh Mumbai me hi rehti thi na? Fir aaj tak aap mujhse milne kyu nahi aayi kabhi? Aapko mere ghar ka address kese nahi pata tha? Aur uske baad bhi aap keh rahi ho ki aapne mujhe bachpan me apna doodh pilaaya hai? Ye kese mumkin hai?
Purvi (smiles) : Haan! Pilaaya hai! Jhooth thodi bolungi!
Veer : Par jab aapko mera ghar hi-
Purvi (smiles) : Mere nadaan bacche!
Veer : ???
Purvi : Kya tumhe lagta hai ki mene aur Bhavna ne tumse milne ki koshish nahi kii?
Veer : ...
Purvi : Hey bhagwaan! Tum sach me yahi samajh rahe the? Paagal ladke! Ek chaata dungi na. Tumne soch bhi kese liya aisa? Tujh se milne ki hazaar koshishe kii thi humne.
Veer : Par-
Purvi : Shhh! Pehle meri baat poori suno! Tumhe kya lagta hai? Kya tumhari maa aur mujhe tumhari fiqr nahi thi? Beta! Mein hi jaanti hu ki tumse milne ke liye Bhavna aur tumhari ye maasi kitna tadpi hai.
Veer : Toh fir aap aayi kyu-
Purvi : Kyuki hum tumse nahi mil sakte the.
Veer : Kyyyuuuuu???
Purvi : Kyuki Harikiran Singh ne apne aadmi lagaaye hue the beta!
Veer samet sabhi ko waha ek jhatka laga. Aadmi? Kese aadmi?
Veer : Matlab-
Purvi : Mein aur Arun tab Nagpur me rehte the. Bhavna aur mene jab apna parivaar khoya. Toh Bhavna Tej ko lene Nagpur aayi thi. Wo ek chota sa kiraaye ka ghar tha. Isliye tab tumhari Maa ussi ghar me theher gayi. Aur mene Arun ko kaha ki aap apna tabaadla Mumbai karwa lo.
Veer : ...
Purvi : Jab hum Mumbai aaye toh mein pait se thi. Par emotionally unstable thi. Pita jii ko jo kho diya tha. Antim baar dekh bhi na paayi unhe. Kitni adhoori baatein thi hamaare beech. Jo adhuri hi reh gayi. Aur ye gham meri delivery pe asar daal gaya. Mene apni pehli santaan kho dii.
Veer : I...!
Purvi (smiles) : Par kehte hai na? Agar kuch bura hota hai, toh uske baad kuch accha bhi hota hai.
Veer : Kya hua tha fir?
Purvi : Ek navjaat ka sabse paushtik ahaar uski maa ka doodh hota hai. Bhavna ye jaanti thi ki Tej ko toh woh apna doodh pila degi. Par tumhe tumhara ahaar theek se nahi mil payega. Kyuki ghar me Sumitra jii apne baccho ki parvarish me lagi hongi. Isliye jab usse mere bacche ke khatam hone ki khabar lagi, toh usne Sumitra jii se telephone par baat kari.
Veer : !!!?
Purvi (smiles) : Aur uske baad...! Sumitra jii tumhe lekar mere ghar aayi.
Veer : Sumitra Chachi!??
Purvi (smiles) : Hmm!
Kavya : Iska matlab Mummy Veer bhaiya ko le kar jaati thi?
Purvi (smiles) : Haan! Sumitra jii roz aati aur mein tumhe apni goad me lita ke apna doodh pilaati thi.
Apni maasi ko muskura ke ye baat kehta dekh Veer neeche dekhne laga. Purvi uski sharmaahat dekh aur khil-khilaayi aur fir Veer ki aankho me aankhein daal behad pyaar se uss se boli,
Purvi : Aur sach kahu! Toh tumne hi mujhe uss atyant peeda se azaad kiya hai Veer. Tum jab jab meri chaathi se lag ke poshan lete the. Tab tab mein tript ho jaati thi. Mein tumhaari jeevan bhar abhaari rahungi Veer.
Veer : I-I see! Par wo address ka kya?
Purvi : Hmm! Tumhare ghar ka address kabhi Sumitra jii ne diya hi nahi. Aur na hi Bhavna ne mujhe kabhi bataaya.
Arohi aur Veer : Kyu???
Purvi : Kyuki woh mujhe mehfooz rakhna chaahti thi. Harikiran ke aadmi tab Bhavna ko baaj ki nazro se dhundh rahe the beta. Woh haram khor jaanta tha ki Bhavna apne bacche se milne zaroor aayegi. Isliye tumhaare ghar ke aas paas aadmiyo ko chhipa ke rakhta tha. Kabhi koi aadmi kiraaye ke ghar se aas paas reh raha hota, toh kahi koi aas paas ki dukaano me farzi pehchaan bana ke kaam kar raha hota tha.
Veer : Toh fir iska pata kese chala?
Purvi : Tumhari maa, tumhe chorrne ke bas kuch hi dino baad tumse milne aa gayi thi Veer. Sirf kuch hi dino baad. Badqismati se, Harikiran ke aadmi ne Bhavna ko khoj liya tha. Yaha takdeer thi Bhavna ki jo woh bach ke nikal gayi. Aise ek nahi, athak prayaas kiye the Bhavna ne. Par harr baar koi na koi tumhaare aas paas sandigdh sa hota hi tha. Aur woh haar maan ke apne qadam peeche kar leti thi.
Veer : Samjha! Ek minute...! Toh kya isliye aap hamaari pehli meeting ke samay uss din hotel me baar baar peeche dekh rahi thi?
Ek sansani khej jankaari uske mann me achanak aayi. Purvi aisa hi toh kar rahi thi. Woh hotel me jab mili thi toh aksar baar baar idhar udhar dekh rahi thi. Tab Veer ko kuch palle nahi pada tha.
Purvi (smiles) : Haan beta! Darr tha ki kahi abhi bhi woh Bhavna ke peeche toh nahi lage? Par shayad ab Harikiran ne bhi aas chorr dii hai. Isliye aaj hum sab yaha ikhatta hai.
Veer : Samajh gaya! Ek sawaal abhi mujhe aur chahiye...! Suman!!!!
Veer ne zorr se Suman ka jab naam liya toh waha khadi sabhi aurte, sivaaye Bhavna aur Purvi ke hairaan reh gayi. Veer ne Suman ko uske naam se pukaara? Kya unhone abhi abhi sahi suna tha?
Toh wahi Suman apne hontho par shraarat bhari muskaan sajaaye huye thi. Aisa lag raha tha woh barso se issi pal ka intezaar kar rahi thi.
Veer : Tumne mujhse kaha tha ki tum vachan baddh ho. Kya ab bhi vachan baddh ho?
Veer ki aankho ka tej dekh Suman ka jism kaanp utha. Par saath hi ek uttejna bhi hui. Saamne uske maalik baithe hue the. Uski choot kasmasa uthi. Itne logo ke beech, aaj sab ke saamne uske maalik ne usse uske naam se pukaara. Ek jhur-jhuri poore badan me fel gayi. Mann kiya ki kaash maalik aage badh usse daboch ke usse nichodne lag jaaye.
Suman : Jii haan! Maalik!
*Boom*
Suman bhi ab bebaak bol padi. Sabhi ke saamne Veer ko maalik bula diya usne.
Shweta : Huhh??
Tej : Veer? Y-Ye...!? Maalik? Ye tumhe maalik kyu bula rahi hai?
Arohi : Veer???
Sabhi ki nazre Veer ke upar thi.
Veer : Aur kab tak vachan baddh rahogi tum?
Suman : Jab tak didi mujhe iss vachan se azaad nahi kar deti.
Usne Bhavna ko dekhte hue kaha. Jab Veer ne apni maa ko dekha toh majbooran Bhavna ne ek haami bhar Suman ko uss vachan se azaad kar diya.
Veer : Ateet ko sunn'ne ke baad itna to mein jaan gaya hu ki tumhara parivaar barso se iss parivaar ki seva karta aaya hai.
Suman : Jii! Aur mein jaanti hu aap kya jaan'na chaahte hai. Toh mein khul ke keh deti hu. Jese neel mani ka raaz ye hai ki usse utaarne waala maut ke ghaat utar jaata hai. Wesa hi hamaari peedhi ke saath bhi hai kuch.
Veer : Kya matlab?
Suman : Matlab ye ki...! Hamara parivaar, aapke parivaar ki sewa karne ke liye baadhya hai.
Veer : ...
Suman : Sahi suna hai aapne. Peedhiyo se yahi chala aa raha hai maalik. Humara yug aapke parivaar ki seva karne ke liye hi janma hai.
Veer : Aur tumhari maa? Ateet me pata chala ki woh mere nana jii ke sang rehti thi. Toh kya-
Suman : Jii nahi! Mein unki putri nahi. Par agar aap ye jaan'na chaah rahe hai ki kya aapke nana jii ke meri maa ke saath yaun sambandh the? Toh haan! Sambandh the! Yaha tak ki, aapke mama ke bhi sambandh the unke saath.
Veer toh tha hi stabdh par,
Tej : Whattt the hellll??? Kya chal kya raha hai ye sab?
Suman : Aapko samajhna hoga Tejal jii! Hum baadhya hai. Hum bhaag nahi sakte. Saalo pehle pita jii ne ye pratha todne ki koshish kii thi. Nateeja? Mera bhai aur pita jii! Dono maare gaye. Chuki mein aur maa iss vichaar dhaara ke prati samarpit thi. Hum par koi haani nahi aayi. Isliye...! Uss din aapke gale me neel mani dekhte hi mein usse pehchaan gayi thi. Aur mujhe pata tha mujhe kya karna hai. Parantu, didi ne mujhe uss jalti hui haveli wali raat ko vachan baddh kar diya tha.
Veer : Toh ye sab tha...!
Suman : Hmm! Meri maa kehti thi. Ki hum tan mann dhan, harr taraf se iss parivaar ki seva karne ke liye janme hai. Agar iss se bhaagenge, toh vipda aayegi. Ab aapko samajh aaya? Ki kyu mene Aabha ko isme shaamil kiya? Kyuki woh ab mere parivaar ka hissa thi. Samajh aaya? Ki kyu mein Sonali ko aapse tameez se baat karne kehti hu. Aur kyu usse aapke paas dhakelti hu?
Veer ka dimaag phatata jaa raha tha. Ek ke baad ek jhatke lag rahe the usse. Ab usse samajh aa raha tha ki ye sab befaaltu me nahi tha. Harr ek cheez ke peeche koi na koi kaaran chhipa hua tha.
Par wahi dusri orr, Tej Arohi aur Kavya ke hosh udte jaa rahe the.
Arohi : Kya kaha aapne? Kya aapne kaha ki Aabha aur Veer ke yaun sambandh hai??
Suman (smiles) : Sirf Aabha? Maalik ke sambandh toh mere se bhi hai. Balki, sabse zyaada toh mere se hi hai.
Iss baat ne jese waha sabko hila diya. Bas Bhavna aur Purvi hi thi jo shaant thi parantu unki bauhe bhi sikudi hui thi. Woh naakhush thi.
Suman : Ye sadiyo se chala aa raha hai. Par didi ko shuru se hi ye pasand nahi hai. Fufu~
Tej apna muh khole haatho se usse dhaki hui thi. Usse yakeen nahi ho raha tha. Toh wahi Arohi aur Kavya hairat-angez me Veer ko ghoor rahi thi. Unka bhai ek aurat aur uski beti ke sang raatein rangeen karta tha?
Veer jaanta tha usse sab kesi nazro se ghoor rahe the. Par usne khud par farq padne na diya.
Veer : Sab samajh gaya. Kuch questions aur hai. Par filhaal unhe baad ke liye chorrta hu. Abhi Harikiran mera maqsad hai!
Bhavna : Nahi!!! Kahi nahi jaoge tum abhi.
Veer : Baate mat banaaiye! Mein jaanta hu aap ussi pratigya ko sach karne mujhe yaha laayi hai.
Bhavna : W-Woh- Nahi! Aisa nahi hai! Bewakoof hu? Jo apne 20 saal baad mile bete ko maut ke muh me dhakelungi?
Veer : Andar se aapko bharosa hai ek. Jiske chalte aapne itna bada risk liya hai. Galat hu? Toh keh do!
Bhavna maun reh gayi. Veer sahi tha.
Veer : Meri fiqr karne ki zaroorat nahi hai aapko. Aap bas mujhe uska pata dijiye. Aur fir bas ginti gin'na shuru kar dijiye.
Bhavna : Mein tere haath jodti hu. Theher jaa! Ruk jaa yahi! Mat jaa aaj! Kal mein tujhe nahi rokungi. Ab khush? Baat maan le apni iss maa ki Veer...!
Apni maa ki aankho me jab usne nami dekhi toh Veer ne apna gussa shaant kar liya.
Veer : Theek hai! Kal narak chaturdashi hai na! Kal hi woh dono narak jayenge. Hamesha...! Hamesha ke liye!
Raat ke rukne ki vyavastha toh theek thaak thi nahi. Toh Arohi, Tej aur Kavya teeno ladkiyo ko car me hi sone ko keh diya gaya.
Jo ekmaatr bistar tha, uss par Abhilaasha kaaki ne apni zidd kar Bhavna ko lita diya. Aur khud uske bagal se neeche dari biccha ke lait gayi. Bache the toh sirf Purvi, Veer, Shweta aur Suman.
Veer ne ek chaadar neeche bichhaayi aur usme Purvi ko litwa diya. Aur khud zameen par ek deewaar se tik ke baith gaya. Uske baaye se Suman baithi toh daaye se Shweta viraajman ho gayi.
'Pari? Kya-'
[Aisa sochna bhi mat! Galti se bhi aisa sochna mat.]
'H-Hey! Mene toh abhi kuch kaha bhi nahi.'
[Mein jaanti hu aap kya soch rahe the. Yahi ki kya mera neel mani se koi rishta hai?]
'Umm! Yeah!'
[Seriously? Aapne socha bhi kese? Please don't disrespect me Master. You cannot compare me with it. Uss piddi se patthar se meri tulna nahi ho sakti. I'm so much more than that. Aise agar hazaar patthar bhi ikhattha ho jaaye toh bhi mera aur unka koi comparison nahi hai.]
'Alright! Alright! I got it!'
Veer ne haath khade kar diye. Pari iss tulne se gussa ho gayi thi. Aur ab ye bhi spasht ho gaya tha ki neel mani ka system se koi lena dena nahi hai. Kuch aur hi hai ye.
Suman : Maalik! Aap sarr rakh ke so jaiye. Mein deewaar se tik ke so jaungi.
Suman ne apni jaangh par haath thap-thapaate hue kaha.
Veer : Pakka?
Suman (smiles) : Pakka!
Veer uski jaangh par apna sarr karke laita toh Shweta unn dono ko chinta me dekhne lagi. Jab tak Veer so nahi gaya tab tak ek awaaz nahi nikli unki.
Suman pyaar se apne maalik ke sarr haath ferrti jaa rahi thi. Aur Veer ke sote hi,
Shweta : T-Tum! Tum ghar me reh ke itni badi baat hum sab se chhipa rahi thi?
Suman : Mein majboor thi. Vachan baddh!
Shweta : Par! Yaun sambandh banaane ke baad to kisi ne koi vachan nahi diya tha na? Toh?
Suman : Agar bata deti toh aafat aa jaati fufu~ Yahi sahi samay tha.
Shweta : Toh ab...! Kya iske baad bhi-?
Suman : Bilkul! Maalik mujhe jab chaahenge tab bhogenge. Fir chaahe meri beti ho, ya bahu. Hum sab unke prati samarpit rahenge. Unki daasi jo hai.
Shweta ki ye sunte hi saas tez ho gayi.
Shweta : T-Tumhe sharm nahi aati? Apni beti, bahu ko sang laate hue. Unse nazre milaate hue?
Suman (smiles) : Kaisi sharm? Aabha toh mere saath reh ke maalik ke sang sambhog karti hai.
Shweta (bhauchakki hote hue) : M-Matlab tum teen jann-?
Suman : Aage 4 bhi ho sakte hai. Ya uss se adhik bhi! *smiles*
Bechari Shweta ki dhadkane railgaadi ke maafiq tezz ho gayi. Ghar me ye sab chal raha tha. Aur kisi ko kaano kaan khabar nahi thi.
Suman : Maalik jawaan ho rahe hai. Unhe aurat ki aavashyakta padti hai. Aurat ka jism hi unhe shaant karta hai. Aur ek daasi hone ke naate, humara ye pehla kartavya rehta hai ki maalik ko shareerik sukh pradaan kar sake.
Shweta : Tum besharam ho!
Suman (smiles) : Shukriya!
Shweta : Ye tareef nahi thi.
Suman (smiles) : Par mujhe besharam hona pasand hai.
Shweta : T-Tum!
Suman : Kabhi kabhi aap pe sach me bohut taras aata hai.
Shweta (frowns) : Kya matlab?
Suman : Aap itni koshish karti ho, itni seva karti ho, uske baad bhi maalik ke dil me ek maa ki jagah nahi bana paayi ho aap.
Shweta : Ek na ek din woh bhi aayega.
Suman : Pata hai? Aapko uske liye kuch bada karna hoga.
Shweta : Huhhh?
Suman (smiles) : Samay aane par samajh jaogi aap.
***
*Screeeeeeeechhhhhhhhh*
Gaadi ruki, aur raat ke andhere me teen log gaadi se baahar nikle.
Ye Brijesh, Manorath aur Vivek hi the.
Brijesh : Gaadi kyu rok dii? Papa jii aur mein aur safar kar sakte hai, chalne do!!!
Vivek : Aap safar kar sakte hai Tau jii par gaadi nahi. Engine garam ho gaya hai. Thoda araam gaadi ko bhi dena hoga.
Brijesh : Tch!!
Vivek : Tab tak aaiye kuch khaa pee lete hai. Chai pee lijiye!
Brijesh : Nahi mujhe kuch nahi peena hai.
Manorath : Vivek theek keh raha hai Brijesh. Jaipur hamaare sheher se dur hai. Kitna samay lagta hai beta Vivek?
Vivek : 20 ghante ke aas paas. Wo bhi bina ruke. Sabr rakhiye! Hum pohuch jayenge.
Brijesh : Hume kahi derri na ho jaaye.
Vivek : Itni jaldi kyu hai aap sab ko?
Manorath : Tum nahi jaante beta!
Vivek : Ohhh!
Woh sabhi thoda thoda khaaye aur fir chai pee ke waha se nikal pade.
***
Narak chaturdashi ki raat ho rahi thi. Gaav ke chote se pahaadi ilaake me poori tarah andhera fela hua tha.
Aur ussi pahadi ki ek jagah par Veer ghanghor andhere me akele khada hua tha. Dur se hi usse gaav ki ekmaatr badi haveli nazar aa rahi thi. Mand mand hawaaein chal rahi thi jo uske baalo ko alag alag leher de rahi thi.
Aaj bhi Bhavna usse jaane nahi de rahi thi. Bete ko khone ke darr se. Woh chaahti thi badla le par aise bete ko akele bhej ke nahi. Parantu woh ye kaha jaanti thi ki Veer koi aam insaan nahi tha.
Veer ko address ki zaroorat hi nahi thi. Mission update ho chuka tha. Location usse apne aap mil chuki thi. Gaadi utha ke sarpat bhagaate hue woh seedha bagal ke gaav aa gaya. Jese uski maa ke parivaar ko raat ke andhere me maara gaya tha. Woh bhi inn haramiyo ko raat me hi unki chenn ki neend sulaane wala tha.
Bhavna aur uski behne, sabhi usse rokti rahi. Tej khud aane ki zidd karti rahi. Par usne unhe ek mauka nahi diya. Usse ye bhi pata chal gaya tha ki Brijesh aur Manorath yaha aa rahe the.
Ragini ka phone aaya toh woh itna bhadak rahi thi. Usne bataya ki Kavya Arohi me se koi uska phone nahi utha raha tha. Aur dono bina bataaye gayi hai.
Veer ne ek mental note bana liya tha. Kavya ke pichhwaade firse laal hone the. Par samay abhi iss cheez par dhyaan dene ka nahi tha.
Saamne hi usse uska lakshya dikhaayi de raha tha. Woh badi haveli!
[Aap jaante hai na iske consequences.]
'Hmm! Apne hi dada jii ke bhai aur uske bete ko maarne jaa raha hu.'
[Aur aap calm ho?]
'Tum bhi jaanti ho aur mein bhi jaanta hu Pari. Ki inn haatho me pehle se hi khoon chadh chuka hai.'
[Yes! So don't hesitate.]
'I won't!'
[Let's go Master!]
*Whoooooooooooosshhhhhhh*
Veer ek hawa ke jhoke ki tarah waha se gaayab ho gaya.
Haveli ke andar Harikiran Singh puraane geeto ka maza lete hue tambaakhu khaane me laga hua tha. Ye na jaante hue ki uski maut tezzi se uski orr aa rahi thi.
Haveli ke baahar chaaro orr suraksha ke liye aadmi pehra de rahe the. Samay badal chuka tha. Ab ye gaav pradhaan ya panchaayat se nahi. Balki, Harikiran ki marzi na-marzi se chalta tha. Pradhaan aur panchaayat bas chote maslo aur naam maatr ke liye the. Chalti toh Harikiran ki hi thi.
Poore gaav ko usne apne shikanje me qaid kar ke rakha hua tha. Log peedit the. Par kuch kar bhi nahi sakte the. Police aati toh Harikiran unke saamne paiso ki gaddi fek deta. Aur woh bhi uske saamne apni dum hila ke uske hit me kaam karte.
Jo piste the woh the gaav ke aam log. Jinka shoshan hota tha.
Pehra de raha ek aadmi haatho me danda liye idhar se udhar tehel raha tha. Jese hi woh iss baar peeche muda, ek awaaz usse sunaayi dii.
Billi ya kutta samajh woh andar peeche ki orr gaya. Dheere dheere jhaakte hue usne apna sarr deewaar ke aage kiya. Par...!
Usse kuch bhi dikhaayi na diya. Raahat ki saas liye woh muda. Par mudte hi,
Iss se pehle ki woh chillaa paata, uski aankho ke saamne andhera chhaa gaya.
Usse behosh kar diya gaya. Uske shareer ko kisi ne kheench ke chhupa diya. Na sirf ek balki harr ek aadmi ke saath yahi hota gaya. Aur pal bhar me sab aadmi gaayab ho chuke the.
Jo main gate par do aadmi apna danda liye baithe the unhone bhi iss baat ko gaur kiya. Ki ab pehra dene ek bhi aadmi tehel ke nahi guzar raha hai.
Aadmi 1 : Dekh toh sahi! Sabre bhaag gaye kya?
Dusra aadmi uth haveli ke bagal me gaya. Aur andar jaane laga. Iss baat se anibhigya ki uske saath bhi wahi hone waala tha.
Kaafi derr ho jaane ke baad jab woh waapas nahi aaya toh pehla waala bhi uth ke gaya. Aur fir bas...! Woh bhi unn gintiyo me shaamil ho gaya.
"Jeena yaha marna yaha,
iske siva jaana kaha.
Jee chaahe jab humko awaaz do,
Hum hai wahi, hum the jaha,
Jeena yaha marna yaha...!"
TV par geet chal raha tha aur Harikiran apni mundi hilaate hue lutf utha raha tha jab,
Usse kisi ke aane ki aahat hui.
Saamne dekha toh poora main darwaaza khula hua tha. Aur ek naujavaan uske saamne khada hua tha jo baaj ki nazro se usse ghoor raha tha.
Harikiran : Kaun ho tum? Aur andar kese aaye? Kyu reee??? Kaun hai ye ladka?
Usne chillaate hue baahar ke aadmiyo ko awaaz lagaayi. Par sab kuch vyarth tha.
Veer : Unhe awaaz dene ka koi fayda nahi. Woh abhi neend me hai.
Iss baar Harikiran ke maathe par lakeere chhaa gayi. Aur hatheli se tambaakhu giraate hue woh uth ke baith gaya. Umr bhi ho chuki thi. Woh iss ladke ke iraado ko bhaanp gaya tha. Ladne ke liye uska shareer nahi tha ab. Upar se bandook uske upar ke kamre me rakhi hui thi.
Harikiran (frowns) : Kya chahiye tujhe?
Veer (smiles) : Tumhara khoon!
Harikiran (ghabraate hue) : K-Kya bakwaas kar raha hai? J-Jaanta hai haram khor mein kaun hu? Poora gaav thar-thar kaapta hai mere naam se. Kisi ki himmat nahi ki sarr utha ke Harikiran Singh se baat kar sake.
Veer : Tu jaanta hai mein kaun hu?
Harikiran : Mujhe kya karna jaan ke. Hoga koi gandi naali ka keeda.
Veer : Mein ussi Bhavna ka ladka hu jiske parivaar ko tune jala ke maar diya.
*Boom*
Ek visfot hua jese Harikiran ke mann me. Woh taktaki lagaaye bhauchakke hue Veer ko taadta raha. Par fir jese uske hontho pe muskaan sajj gayi.
Harikiran : Hah! Haha! Hahahahaha! Ladke tune yaha aake sabse badi galti kar dii. Tujhe toh jeevan daan diya tha mene. Woh aurat nahi toh tu hi sahi. Bhaad me gaya Manorath! Hahaha! Tujhe maar ke hi apne itne saalo ki khunnas ko shaant karunga mein. Saala bohut chhakaaya hai teri randi-
Iske pehle ki woh poora shabd bolta,
*BAAAAAAMMMMMMMMM*
"Bluuurrggghhhhhhh!!!!"
Ek tezz tarraar laat aake seedhe uske pait par padi. Poora tambaakhu aur thook uska baahar aa gaya. Harikiran girti hui patang ki tarah dur jaake dhadaam se gir gaya.
Shor sunn andar se fir woh baahar aaya. Bhanu Prataap Singh!!!
"K-Kya hua??? Pita jii??"
Usse dekhte hi Veer ne usse check kiya. Aur naam padhte hi, uski aankhein laal ho chali.
"Tera hi intezaar tha kameene!!!"
*Whoooooooooooosshhhhhhh*
Bhanu : Huhhh?
*Baaaaammmmmmmm*
Bhanu : Aaarrghh!!!!
Pait par ghoosa khaate hi Bhanu Prataap ko aisa laga jese uski atadiya hi andar se puncture ho gayi ho.
Andar se uski biwi bhi baahar aa gayi. Vandana!!!
Usne jese hi baahar ka maajra dekha toh ghabra gayi. Cheekhte chillaate hue woh bas sab kuch rokne ki guhaar lagaane lagi. Par Veer ko koi farq nahi pad raha tha.
Mauke ka fayda uthaate hue, Harikiran Singh upar ko bhaaga.
Veer ne dekh liya. Bhanu ko chorr woh bhi upar gaya. Harikiran ne jese hi bandook nikaali, Veer darwaaze par hi tha.
Harikiran : Aaj tu nahi bachega Madarchod!!!!
*Baaaaannngggggg*
Par Harikiran ne goli miss kar dii. Veer dodge kar chuka tha.
Bhanu itne me neeche se dahaad maarte hue upar aaya aur Veer ke upar kood gaya. Usse kamar se pakad woh daudte hue seedhe chhat ki railing ke paas le gaya. Aur,
*Klaaaannngggg*
Veer ko palta diya.
*Thuuuuddddd*
Pehli manzil se girte hue Veer seedha aake neeche gira. Neeche pehra de rahe aadmi ki plastic ki kursi thi jo toot ke bikhar gayi.
Aur tabhi uske kaano me,
"Bhhhaaaaiiiyyaaaaaaa!!!!"
Kavya ki cheenkh sunaayi dii. Uske Bijaipur se jaate hi Bhavna ne Tej ko gaadi thama ke seedha chalne ko keh diya tha.
Abhilaasha ko chorr ke woh sabhi idhar aa chuke the. Aur saamne ka drishya dekh unki saasein hi atak gayi.
Veer jese hi upar se gira, unn sab ki haalat patli ho gayi.
Sabse zyaada toh Bhavna, Tej aur Kavya kii. Kavya gate kholte hue bhaag kar Veer ke paas aayi aur usse pakad rone lagi.
"Bhhhaaaiiiyyyaaa!! Bhaiyyaaa utho!!!"
Shor sharaabe se gaav ke log ikhatta hone lage. Aur itne me hi,
*Screeeeeeeechhhhhhhhh*
Ek aur gaadi aake tham gayi. Andar se teen log nikle.
Sabhi ka dhyaan unn par gaya. Bhavna ka bhi. Aur jese hi do shakso ki aankhein el dusre se bhidi, dono wahi jamm le reh gaye.
Brijesh aur Bhavna!!
Par ye samay nahi tha. Bhavna ne Veer ko jhanjhorte hue hilaaya. Tej aake bhi neeche baith gayi.
Veer bas chill kar raha tha. Usne expect nahi kiya tha ki Bhanu ekdum se aake usse neeche dhakel dega. Pewth me thoda sa dard tha usse. Uss se kuch nahi. Par maza usse Kavya ki roti soorat dekh ke aa raha tha. Aur kahi na kahi andar se lhushi bhi ho rahi thi. Behes ke baad bhi uski ye laadli behan sabse pehle aake uss se chipak gayi.
Veer : Chal hatt Kavya! Uthne de!
Kavya : ??? *sniff* Bhaiyaa?
Veer (smiles) : Hmm! Mein theek hu!
Tej : Ohh thank god!!! Chair ne fall se bacha liya. Come! Jaldi! Utho!
Veer : Aap sab yaha kyu aa gayi?
Bhavna : Bewakufo waale sawaal mat karo! Mene tumhe mana kiya tha na?
Veer utha aur jawaab na diya. Upar se Harikiran aur Bhanu neeche aa gaye. Unke haath me bandook thi.
Peeche se Manorath ye dekh ghabra gaya. Woh sab chalte hue aage aaye.
Manorath : Y-Ye sab? Ye sab kya ho raha hai?
Harikiran : Gherr lo iss aurat aur iss ladke ko.
Usne apne anya aadmiyo ko aadesh diya toh dherr saare gaav me se hi aadmi aake Bhavna aur Veer ko gherr liye.
Harikiran : Kaha kaha nahi dhundha tha tujhe. Aaj tu apne aap aa gayi. Hahahaha!
Par uski hassi zyada derr tak na goonji. Agle hi shan kuch aur dherr saare aadmi aaye aur Harikiran aur unke aadmiyo ko gherr ke khade ho gaye.
"Didi!!!!"
Peeche se tabhi ek jaani pehchaani awaaz aayi. Bhavna ne mud ke dekha toh,
Bhavna : Shyaam????
Shyaam : Mein samajh gaya tha aap ye qadam uthaane jaa rahi hai. Akele kese aane de sakta tha aapko? Warna mere baapu mujhe zinda na chorrte. *smiles*
Shyaam aadmiyo ko leke sahi samay par pohuch chuka tha. Aur ab jo hona tha woh tha...!
Harikiran : Arre suar ke baccho khade kya ho. Hamlaaaaaa karooooo!!!!!!
Woh gurraaya!
Aur halla ho gaya. Aapas me sabhi bhid gaye. Veer ne sabhi ko cover lene ko kaha aur fir usne apna khel shuru kiya.
*Ding*
[Beowulf's blessings has been turned ON.]
Uske baad toh Veer ne aisa keher dhaaya. Ki sabki saasein atak gayi. Tej, Arohi aur Kavya usse hairaani me dekhti reh gayi. Woh mantra-mugdh sii hoke reh gayi.
Yahi haal Bhavna, Purvi, aur Shweta ka bhi tha. Suman ke chehre par toh utsaah tha. Aur ek kutil muskaan.
Toh wahi Brijesh aur Manorath dang the. Aur Vivek bhaybheet.
Veer kabhi iss orr se uchakta toh hawa me kalabaazi khaa ke dusri orr palak jhapakte pohuch jaata. Uska ek haath padte hi aadmi aise gir rahe the jese maano unme koi wazan hi na ho. Aur itna khunkhaar tha uska laddne ka dhang. Sabke raungte khade ho gaye the.
Aise kaun ladta tha? Kahi kisi ke haath tootne ki awaaz sunaayi pad rahi thi toh kahi perr. Kisi ka jabda tedha ho raha tha toh kahi dhadaam se girne patakne ki awaazein aa rahi thi.
Harikiran baar baar aim karta, par Veer itni tezzi se move kar raha tha ki woh ek jagah sthir reh hi nahi raha tha.
Itne aadmi hone ke bawajood, ye one man army show bann ke reh gaya tha.
Aur jab Veer ruka toh woh seedha Harikiran ke gale ki orr jhapat pada.
Bakri ki tarah Harikiran mimya raha tha. Par Veer ek haath se usse aur dusre haath se Bhanu prataap ko jakde hue tha.
Veer : Bol!!! Bol jaldi!! Apni kartoote saamne laa. Iske pehle ki mein tujhe maut ke ghaat utaaru.
Maut ke darr se, lahu luhaan hone ke baad, Harikiran ne sab kuch keh daala. Saari sacchaayi. Sab kuch. Bas ek hi cheez usne chhipaayi hui thi. Woh photo waali baat.
Par jab Veer ne usse jhaapad maara. Toh Harikiran ne woh bhi bata diya.
Aur naam sunte hi, unn sab ke perro tale zameen khisak gayi. Gusse ke maare Veer ki mutthi itni zorr se chatki ki laga abhi kisi ka qatl kar dengi.
Brijesh aur Manorath, dono hi zameen par gir pade. Ye sab kuch dimaag ke jhelne ke liye kahi zyaada tha. Manorath toh apne dil par haath rakhe khud ko dil ke daure se bachaa raha tha. Ye raaz sunn, pata nahi uska dil isse jhelne ke liye taiyaar tha bhi ya nahi.
Toh wahi Brijesh jese sadme me jaa chuka tha. Usse ab bhi vishvaas nahi ho raha tha. Vivek ek gehri chinta me doob gaya. Aur ek ghabraahat janm le uthi. Uss naam ko sunn'ne ke baad.
Harikiran aur Bhanu ko Veer do katputliyo ki tarah unke baalo se pakda hua tha. Limbo se usne pehle unn dono namoono ke haath tode. Uske baad dono ke perro par rassiyaa baandhne laga.
Bhavna chup chaap apne bete ko dekh rahi thi. Sab ke andar ek khauf baitha hua tha. Gaav ki janta bhi ekatr ho gayi thi.
Veer ne fir apne jeb se ek lighter nikaala aur woh baahar bane kuuye ke paas gaya.
Ye kuuya khaali tha. Veer ne pehle hi jese sab kuch plan kar ke rakha tha.
Andar jese hi usne lighter giraaya.
Jwaala bhadak uthi. Andar shayad petrol ya tel giraaya gaya tha. Aag ki lapte itni tezz thi ki baahar khada aadmi bhi bata sakta tha ki kuuye ke andar kuch jal raha hai.
Ek haath se dono ko dhakel usne jese hi giraaya. Toh rassi ke sahaare dono hawa me kuuye ke andar latak gayi.
"Aaaarrrgghhhhhhhhhh!!!"
Dono bilakhne lage. Vandna ghabraate hue Bhavna ke perr par gir padi. Guhaar lagaane lagi ki uske pati ko chorr diya jaaye. Par Bhavna ne kuch na kaha. Uski nazre bas apne bete ke chehre par tiki hui thi.
Manorath samet, kisi ki bhi himmat nahi hui ki Veer ko koi rok sake.
Veer : Mene aapse kaha tha na? Ki ye dono! Agle diwaali nahi dekh payenge.
Bhavna sirf sunn rahi thi. Kuch keh nahi rahi thi.
Harikiran aur Bhanu hawa me latakte hue cheenkh cheenkh kar chillaate rahe. Par Veer ek haath se rassi ko pakad dono ko dheere dheere neeche karta gaya.
Unki cheenkhe aur tezz hoti gayi. Poore gaav ke logo ke badan thande pad gaye.
Jese jese woh neeche jaa rahe the. Maut unke qareeb aa rahi thi. Dono ke baalo me aag lag hi chuki thi. Aur jo cheenkhe waha kuuye ke andar se goonji, baahar khada aadmi unhe sunn hil ke reh gaya.
Bhavna uth ke aayi aur kuuye ke andar jhaaki. Iss tarah hi uske pita jii aur bhai tadpe honge. Iss tarah hi kaaki kaaki log jale the.
Mutthi kasste hue woh boli,
Bhavna : Chorr do!
Aur Veer ne rassi chorr dii!
"Aaaaarrrrrrrrrggghhhhhh aaaaaarrghh aaarrghhhh aaaaaaaaaaa!!!!"
Dono baap bete aag ne jhulasne lage. Jese ek murgi ko pakaaya jaata tha. Wese hi dono insaan kuuye me pak rahe the.
Ek maut ki raat woh thi. Aur ab ek aur maut ki raat ye hone waali thi.
*Silence*
Lagataar cheenkho ke baad, kuch samay me hi andar sab kuch shaant ho gaya. Aur bas jwaala ki lapto ki halki awaaz hi unke kaano me padti rahi. Jo Harikiran aur Bhanu ke maas ko jala rahi thi.
Sab shaant ho chuka tha.
Aur Shyaam ne mauka dekh naara laga diya.
"Veer baabu ki!!!"
"Jai!"
"Veer baabu ki"
"Jai!!!"
"Bhavna didi ki..."
"Jai!!!"
Gaav ke log saath dene lage. Sab trast ho chuke the Harikiran ke shaasan se. Bhavna ko log pehchaan bhi gaye. Aur unka samarthan aur badh gaya.
Jab police aayi toh logo ne khaded ke unhe bhaga diya. Vandna toh behosh hoke gir chuki thi.
Shyaam : Gaav waalo!!! Aaj ek nahi. Do do shaitaano ka ant hua hai. Saara gaav inn do baap beto se pareshaan tha. Bhavna didi, hamaare Bijaipur ki poorv badi haveli ke swargeeya Dharam Singh ki ekmaatr ladki hai. Aaj unhone aur unke ekmaatr putr Veer baabu ne milke hume inn dushto se azaad kiya hai. Gaav waalo...! Ab hamara farz banta hai ki hum apna poora yogdaan Bhavna didi aur Veer babu ko de...! Toh kaho! Veer baabu ki...!
"Jai!"
"Bhavna didi ki"
"Jai!!!"
Naare lagne ke baad ek baar fir shaant pad gaya sab.
Idhar Brijesh Bhavna ke samaksh khada hua tha. Toh udhar Veer akele dusri orr chehra kiye akele khada hua tha.
Raat ke 12 baj chuke the.
Aur 12 bajte hi,
Peeche se usse ek awaaz sunaayi dii,
"Janmdin mubaarak ho! Maalik!"
Suman peeche se aake uske gale se lag gayi. Chaahe Veer ke hatho me khoon chadha ho ya kuch aur. Suman toh hamesha hi uske saath rehne waali thi.
Suman (smiles) : Samay aa gaya hai ki ab aapko waha le jaaya jaaye.
Purvi ne jese peeche se ye sunn bhaanp liya, woh hadbadaate hue unke paas aayi.
Purvi : Suman! N-Nahi! Tum ye nahi kar sakti. Waha nahi!
Suman (smiles) : Kyu nahi? Unka haq hai! Ab toh sab kuch saamne hi hai.
Purvi : N-Nahiii! Suman nahi!!! Bhavna aur mein itna jhel sakte par...!
Suman (smiles) : Maalik ka poora haq hai uss par.
Veer : Kis par?
Purvi : Suman nahi!!! Aage kuch mat kehna...!
Par Suman ne keh diya,
Suman (smiles) : Parijaat ghar!
Veer : Huhhh?
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Sabhi ko merry Christmas. Aur likes thok ke jaane ka aur revos rakhne ka. Ab ek ya do update me ye arc khatam hai.
Dhanyavaad!