• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,327 83.1%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 208 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,597

Werewolf

ʟʟᴏʏᴅ ꜰʀᴏɴᴛᴇʀᴀ
Supreme
14,224
100,869
259
Last edited:

Werewolf

ʟʟᴏʏᴅ ꜰʀᴏɴᴛᴇʀᴀ
Supreme
14,224
100,869
259
Feeling expression is awesome

Bechari Nidhi kitna intejar karegi dekhna padega....

booss ka plan bhi dangerous lagta hai ..dekhte h wo dono bahno ke liye kya socha hai....

Last one is awesome.... BECHARI BHUMIKA.....

nice update bro..keep it up
:hi:
 

Werewolf

ʟʟᴏʏᴅ ꜰʀᴏɴᴛᴇʀᴀ
Supreme
14,224
100,869
259
Congratulations for complete 300 pages.

:congrats: for completing 300 pages

Congratulations for completing 300 pages 🎉🎊

:congrats: Bhai ji for completing 300 hundred pages .. keep it up 🙂

Congratulations for 300 page complete Bhai

:congrats: For completed 300 pages on your story thread....

Congratulations for complete 300 pages
Thank you guys!
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,273
38,697
258
Update - 22 ~ Don't you dare touch her!
Ab tak...

Uske saath me hi Juhi khadi hui thi jisse Shreya khud school jaake jaldi leke aa gayi thi.


Juhi : Maasi!?? Hum kaha jaa rahe hai!?

Shreya : Tumhari Mummy ke paas...

Juhi : Hmm? Mummy kaha gayi hai!?

Shreya : Sab pata chal jaega Juhi... Aao...


Aur Shreya Juhi ki ungli pakad forun se ghar se nikal ek taxi kar chal padti hai.

Ab aage...

Hotel me Veer ke naraaz hoke chale jaane ke baad, Sonia aur Suhana gaadi me baith waapas apne apne kaamo ki taraf jaa rahi thi.

Jaha Suhana ka mood ye bayaa kar raha tha ki usse kisi baat ki koi chinta hi nahi thi wahi dusri taraf uski choti behan, Sonia window se baahar nazre gadaaye kisi chinta me doobi hui thi jisse Suhana ne bhaanp liya tha.

Suhanaa : Oh c'mon Sonu!? Really!? You are still thinking about him!? Aisa kya khaas dekh liya tumne usme!?

Sonia apni behan ki baat sunn palat ke usse dekhti hai.

Sonia : Fine then... I'll tell you!

Suahana : Hmm!?

Sonia : You remember Pushkar right!?

Suhana : Hmm! Usse kese bhul sakti hu. Tumhara childhood friend.

Sonia : Yes! Dii...

Suhana : !??

Sonia : Aap jaanti hai na!? Pushkar ki death ka kaaran!?

Iss baar usne bada hi serious hote hue kaha. Ye topic kitna sensitive tha ye baat Suhana bhi bhali bhaati jaanti thi aur isliye wo bhi serious ho gayi.

Suhana : Hmm! Uska gharwaalo se jhagda ho gaya tha, fir usne ghar chorr diya tha. Tumne boht manaaya tha usse, bechaara galat raah pakad liya tha woh. Aur wahi raah usse le ke chali gayi iss duniya se...

Sonia : Hmm! Veer ke saath bhi aisa hi kuch hai dii...

Sonia ki baat sunn iss baar Suhana ko realize hua. Usse sab samajh me aa gaya tha ki kyu Sonia aisa behave kar rahi thi uske saamne. Sonia ne apne mitr Pushkar ko khoya tha. Aur Veer ke halaat bhi same hi the. Ye samajhne me derr na lagi Suhana ko ki kyu Sonia itna desperate thi hotel me.

Suhana : Ohh! Toh ye baat hai...

Sonia : Hmm! Uske gharwaalo ne usse ghar se nikaal diya hai. Currently he's living with his teacher. And jis raat wo meri car se bhida tha... Uss raat hi usse ghar se baahar nikaala gaya tha. He was probably searching for a place to stay. Par kismat dekho... Uska accident ho gaya mere haatho. I don't want him to lose the track... I know uske paas paise nahi honge, I can guess... Mein nahi chaahti meri wajah se wo Pushkar ki tarah... Isliye, meine usse aaj bulaaya tha.

Suhana : Aur tumhe ye sab kese pata chala!?

Suhana ke sawaal par gaadi drive kar rahe Prakash ne ek pal ke liye peeche dekha aur muskuraaya,
"You are welcome Madam!!!"

Suhana : Ohhh! Toh aapne details laake dii saari uski!?

Sonia : Hmmm!

Suhana : Well! Mein samajh sakti hu tumhare emotions ko but dekho... Usne hamaare saamne paise reject kiye hai. Ab isme mein bhala kya karu!? Mujhe nahi pata tha wo itna bewakoof hoga. Uske kaaran meri bet chali gayi... Hmph!

Sonia : Don't worry! Aapki bet... I'll still comply with it. Aapko wo dikhaana hai na apni friends ke saamne!? I'll request Dad...

Suhana apni behan ki baat sunn itna khush ho jaati hai ki agle hi pal usse apni baaho me bhar leti hai aur uske gaal ko choom leti hai,

Suhana : Oh my god! Really!? Sonu!? Tum... Tum sach me!? Mein toh bet haar gayi... Uske baad bhi!?

Sonia (smiles) : Hmm!

Suhana : You are the besttttt!!!

Wo usse aur zorr se hug kar leti hai. Na jaane kya bet lagi thi inn dono behno ke beech. Par jo bhi tha, dekh ke toh yahi lag raha tha ki Suhana jo chaah rahi thi wo karne ke liye Sonia raazi ho chuki thi.

***

Idhar Veer hotel se baahar nikalne ke baad apne college ki orr hi jaa raha tha par raaste bhar Pari uske peeche hi pad gayi thi.

[Maaaasssttteeerrrr!??? Aapne aisa kyu kiyaaa!? Why did you rejected that money!?]

'Why!? Pari!? Ye tum puch rahi ho?? Tumne dekha nahi? Uss aurat me kitna guroor tha paiso ko lekar. Wo paise aise de rahi thi mujhe jese maano...'

[Maano kya...!?]

'Nothing...'

[Master! Hume toh paiso se matlab hai. Wo kitna guroor rakhti hai uss se nahi. Also, mene kaha tha na wo lady aapke kaam aa sakti hai. She's damn rich master. Aapko connections banaane hi honge. Initial phase me aap akele kuch nahi kar sakte master.]

'I know what I'm doing Pari. I know I need money. Par aise nahi... Wo paise aisa lag raha tha maano feke hue ho. Aur mujhe batorne ke liye keh rahi ho woh. Ek na ek din uska guroor zaroor todunga mein.'

[*Sigh* Well... Alright master. But yadi wo Sonia aapse future me firse baat karna chaahe then mana mat karna. She's a good lady I think. Also, aapne check kyu nahi kiya unn dono ko!?]

'Ahh!? Oh... Well... Umm...'

[Hmmm! I see! They were too beautiful and you forgot to check them.]

Pari ki baat sunn na chaahte hue bhi Veer ke gaal sharm se laal ho hi gaye.

Wo apne college pohuch chuka tha aur usne pata kiya ki Nidhi bhi apne kisi kaam ke liye nikal chuki thi.

'Looks like unhe koi urgent kaam hai!?'

Sochte hue wo apni class me chala gaya. Aaj ka lunch bhi uska miss ho chuka tha.

***

Yaha Nidhi jese hi uss ghar ke andar kadam rakhi, toh uski nazar achanak hi wahi sofe par baithi ek mahila par gayi, jiski goad me ek nanha sa baccha tha aur wo mahila ek bottle me doodh liye uss nanhe se bacche ko muh me laga ke pila rahi thi.

"Dhruvvvvv......... Meraaaa bacchhaaaa!!!!"

Nidhi zorr se chillaayi aur tezz kadmo ke saath bhaagte hue uss mahila ki taraf bhaagi aur uske haatho se apna bacche leke apni goad me uthaa lii.

Wo mahila uthi aur makaan maalkin ki taraf dekhi.

Aurat : Pee liya usne!?

Mahila : Jii maalkin. Thoda sa piya hai.

Aurat : Tum jaa sakti ho ab. Aur kal kaam pe jaldi aa jaana.

Mahila : Jii maalkin.

Kehte hue wo mahila baahar nikal gayi. Ye mahila iss ghar me kaam kaaj sambhaalti thi par saath hi saath Nidhi ke bacche ko kabhi kabhi doodh pilaana bhi ussi ki zimmedaari thi.

Apne pyaare se bacche ko dekh Nidhi ki aankho me aasu aa gaye. Wo uska chehra choomte hue uske gaalo se apne gaal sehlaane lagi, puchkaarne lagi.

Ek baccha janm ke baad apni maa ka doodh peeta hai, par yaha uska bacche ko ye sukh bhi naseeb nahi ho paa raha tha. Pati patni ke rishte ke beech ki daraar ke chalte bechara uska Dhruv iss sukh se tak vanchit tha aur saath hi saath Nidhi bhi. Aisa nahi tha ki kabhi Nidhi ne apne bacche ko stanpaan nahi karwaaya tha par ek maa jo roz roz apne bacche ko apni goad me baitha ke pyaar se usse stanpaan karwa ke lori gaa ke usse sulaati hai, iss sukh se dono hi Nidhi aur uska baccha vanchit the.

Rote rote Nidhi wahi baith gayi aur agle hi pal usne apne blouse ko khol apna ek stan baahar nikaala aur Dhruv ke muh ko uss se laga liya.

Jese hi uske bacche ne uske stan se doodh peena shuru kiya toh kuch derr me hi uske stano se doodh risne laga. Bechaari Nidhi ki aankho me aasu aur bhi zyaada umad aaye. Wo pyaar se puchkaarte hue, uske sarr ko sehlaate hue apna doodh pila rahi thi. Maano jese koi kabhi bhi uss se uska Dhruv chheen lega.

Sisak sisak ke rote hue chup chaap wo bas apne bacche ko doodh pilaa rahi thi aur wo aurat bhi chup chaap baithe hue Nidhi ko ghur rahi thi.

Jese hi Dhruv ne doodh piya, kuch shan baad hi usse neend aa gayi aur wo apni Maa ki goad me hi so gaya. Aur agle hi pal wo aurat uthi, Nidhi ke paas aayi aur uski goad se Dhruv ko uthaane lagi.

Nidhi ne apne haath kasste hue Dhruv ko pakda aur kuch bolna chaaha par shabd beech me hi kahi atak ke reh gaye, aur wo aurat Nidhi se Dhruv ko chhina ke apne saath leke bistar par baith gayi.

Apne blouse ko thik kar Nidhi ne apne dono gaalo se aasu poche aur apne bacche ke sote chehre ko nihaarne me lag gayi.

Iss waqt Dhruv ka sota pyaara chehra dekh wo khush toh boht thi, par saath hi saath ek atyant hi dard bhari peeda usko andar se todte jaa rahi thi.

Pal bhar ke liye apne bete ko thaamne ka wo sukh jese uss se yu chheen liya gaya tha.

Abhi wo Dhruv ke chehre me khoyi hi hui thi ki uss aurat ki awaaz uske kaano me padi aur wo hosh me aayi,

Aurat : Yadi, chup chaap aurat ki tarah rehti toh aaj ye din nahi dekhna padta. Hmph! Jao andar ab... Kamre me... Wo aata hi hoga naha ke.

Ye aurat aur koi nahi balki uski saas Chhaaya thi. Pata nahi aisa kya hua tha inn sab ke beech jo aisi daraare bani hui thi rishto me.

Nidhi na chaahte hue bhi jese tese himmat karke uthi, aur palat palat ke Dhruv ko dekhte jaa rahi thi. Na jaane kitna aur tadapna padega usse apne bacche ko waapas se thaamne ke liye.

Wo kamre me gayi, jis kamre se wo bhali bhaati parichit thi. Iss kamre me hi toh wo dulhan bann ke aayi thi. Par shaadi ke baad se hi jese uske kasht shuru ho gaye the.

Sab kuch pehle ki hi tarah prateet ho raha tha kamre me. Wo photo frames, wo deewaar ka rang, wo jagah jagah rakha samaan, sab kuch. Ekdum pehle jesa hi tha.

Abhi wo bed par baithi apni saree ke bhaag ko haath se zorr se bheeche hue thi. Andar se uske dil ki dhadkan kayi dafa tezz ho chuki thi aur agle hi pal...

*Click*

Room me hi maujood bathroom ki chatakni khulne ki awaaz aayi aur Nidhi ka badan sihar utha.

Andar se ek aadmi sirf ek lower pehne baahar kamre me aaya aur Nidhi ko dekhte hi uske chehre par ek gandi sii muskaan aa gayi.

Aadmi : Aa gayi!? 5 minute late ho tum...

Usne ghadi me dekhte hue kaha.

Par Nidhi kuch na boli, bas shaant baithi rahi jese hi Nidhi ne uss aadmi ko dekha, uski chhaathi par bikhre baalo ko dekh Nidhi ne apni nazre ferr lii.

Wo aadmi dheere dheere Nidhi ke bagal se guzra aur darwaaze ke paas aake usne...

*Click*

Darwaaza andar se lock kar diya. Aur uss awaaz ko sunte hi Nidhi ke kaan khade ho gaye. Wo achanak hi peeche palti aur paaya ki uss aadmi ne door andar se hi band kar diya hai.

Aankhein faade Nidhi uski ye harqat dekh rahi thi aur apni saree ko aur zorr se usne bheench liya.

Ye aadmi koi aur nahi uska hi pati tha ~ Rajat.

Rajat : Kya hua? Haha~ Privacy rahe isliye band kiya hu. Tumhe kya laga!?

Kehte hue wo ajeeb dhang se muskuraaya jiske chalte Nidhi aur chinta me aa gayi. Sehamte hue uski ungliyo me paseena aane laga aur uski saree ka bhaag haath me kasse hone ke kaaran geela sa pad gaya.

Rajat uske paas aaya aur fir usne bed pe ek tshirt utha ke pehn lii. Wo bagal se baitha aur Nidhi ko dekha,

Rajat : Darr lag raha hai!?

Par Nidhi kuch na boli.

Rajat : Mene pucha darr lag raha hai!?

Nidhi ne iss baar sehamte hue maa me sarr hila diya.

Rajat (smiles) : Oh! Toh darr nahi lagta tumhe mujhse!? Fir kya problem hai mere saath rehne me haa?

Nidhi : Mu... Mujhe... Mujhe kis liye bulaaya hai yaha!?

Rajat : Hmm! Dekho! Mein jaanta hu tum kabhi kaamyaab nahi ho paogi. Seedhe tareeqe se maan jao, ek aurat ki tarah mere ghar me raho, aur sab kuch...

Nidhi (chillaate hue) : Aurat ki tarah!?? Ya gulaam ki tarah????

Wo tezz swar me chilaayi aur Rajat ko ghoorne lagi. Uske bol me na jaane kitno dino ka gussa bhara pada tha jo ab baahar aa raha tha.

Rajat : Gulaam? Nahi! Kon se gulaam ko uska maalik itni saari cheeze laake deta hai? Gulaam ka matlab bhi pata hai tumhe? Gulaam ki tarah rakhta toh zinda bhi na bachti tum... Isliye...

Nidhi (screams) : I don't want to...

Rajat ek aah bharte hue bistar se utha aur bagal me lage cupboard ke upar rakhi candles ke paas se lighter uthaaya.

*Flick* *Flick*

Lighter ko jalaate hue wo candles ko jalaane laga jo wahi rakhi hui thi. Aur ye dekhte hi maano jese Nidhi ko saanp soongh gaya.

Uska dil zorro se dhak dhak karne laga. Itna darr shayad hi usse kabhi laga hoga.

Apne dono hatheli ko mutthi bana ke usne apne dusre haath se usse zorr se bheench liya.

Rajat ne jese hi Nidhi ka ye reaction dekha uske hontho pe ek qaatil muskaan fel gayi.

Rajat : Getting PTSD? Huh? Haha~

Wo dheere dheere uske paas aage badha aur Nidhi sarakte hue thoda peeche ho gayi. Uska seena tezz saaso ke chalte zorro se upar neeche ho raha tha.

Rajat : Dekho! Mein chaahu toh abhi issi waqt tumhe tumhari aukaat dikha du. Par mene tumhe ek mauka diya. Kyu? Kyuki mujhe pata hai... Tumse kuch nahi hone wala. Hahaha~ aur ant me jab tum gidgidaogi mere saamne, fir waapas se pehle ki tarah rahogi... Wo dekhne laayak hoga. Hai ki nahi?

Aur wo Nidhi ki taraf firse badhne lagta hai...

***

Idhar Shreya aur Juhi taxi me baithe nikal chuke the tabhi Shreya kuch soch ke Veer ko call laga deti hai.

Veer : Hello?

Shreya : Tum college me ho iss waqt!?

Veer : College gaya tha toh college me hi rahunga na!?

Shreya : Bakwaas mat karo aur ye batao ki Dii nikal chuki hai na? College me nahi hai na wo abhi?

Veer : Wo toh break me hi nikal gayi thi. Break over ho chuka hai ab.

Shreya : Okay!

Veer : Kuch baat hai kya!? Yadi koi pareshaani ho toh mein help kar dunga.

Shreya (mann me) : Kya karu? Isse batau ya nahi? Ye hamare ghar ka niji maamla hai, Dii kahi chillaa na de mujhe. Par... Par waha dii... Mein akeli pad jaungi... Bula hi leti hu. Ek se bhale do sahi. Dii ko baad me samjha dungi...

Shreya : Haa zara suno...

Veer : Hmm?

Shreya : Mein tumhe address bhej rahi hu, uss address pe jitni jaldi pohuch sakte ho pohucho...

Veer : O... Okay! Wese... Sab kuch theek toh hai na?

Par Veer ki baat sune bina hi Shreya beech me hi phone kaat deti hai.

'Damn! This girl...'

[Master...]

'I know! Let's go!'

***

Shreya kuch hi minute ki duri tay karne ke baad Rajat ke ghar pohuchti hai, aur andar Juhi ko leke wo jese hi ghar me pravesh karti hai usse Nidhi ki saasu maa Chhaaya dikhaayi de jaati hai jo bistar pe baithi hui thi aur uske hi bagal se Nidhi ka baccha Dhruv so raha tha.

Juhi : Chotu bhaaaaiiii!!

Juhi daudte hue apne chote se bhai ke paas jaake uske gaal tatolne lagti hai toh Chhaaya usse daant ke peeche kar deti hai.

Chhaaya : Arreee! Dikh nahi raha kya? So raha hai woh. Jaisi maa, wesi ladki... Udhmi ekdum...

Shreya : Juhiiii! Idhar aao...

Shreya Juhi ko leke peeche ho gayi aur idhar udhar nazar firaayi par kahi par bhi usse Nidhi nazar nahi aa rahi thi.

Shreya : Meri dii kaha hai?

Chhaaya : Hmm? Andar baat kar rahi hai.

Aur Shreya haa me sarr hila ke wahi sofe par baith jaati hai.

Par abhi kuch derr hi hui thi usse baithe hue ki tabhi usse...

"Aaaahhhhhhhhh"

Ek dabi sii cheenkh sunaayi deti hai...

Aur ye sunte hi Shreya hadbada ke khadi ho gayi.

Shreya : Ye... Ye awaaz... !? Dii kaha hai? Andar se aayi hai na ye awaaz? Kya chal raha hai?

Chhaaya : Tum kyu itna pareshan ho rahi ho? Dono pati patni hai, aapas me baat kar rahe hai. Bhulo mat ki abhi paper par naa hi Nidhi ne sign kiya hai aur na hi mere bete ne. Dono abhi bhi pati patni hai. Sign bhi tab hi honge jab Nidhi hamaari maang ko poora kar ke dikha paegi...

Shreya : I don't care... Meri Dii kaha hai itna bataiye mujhe...

Chhaaya : Kyu?

Shreya : Bataaaiyeee jaldi...

Chhaaya : Kyu batau? Tum kaun hoti ho yaha miya beewi ke beech ho rahi baato me aane ki? Huh?

Shreya : Wo meri badi behan hai. Iss se pehle ki mein police ko bulau...

Chhaaya : Hahahaha~ Bula lo fir. Mein bhi dekhti hu. Kya karti hai police. Tumhari yaadaasht sahi hai ya nahi? Mera beta Sheher ke mashoor lawyers me se ek hai aur ussi ke ghar pe tum police bulaane ki dhamki de rahi ho.

Chhaaya ke bol sunte hi iss baar Shreya ki bolti hi band ho gayi. Baat ekdum sahi thi. Police bulaane ka koi matlab bhi nahi tha aur upar se ye ghar ka maamla tha. Par wo itni badi duwidha me pad chuki thi ki uska dimaag kaam karna band ho chuka tha. Wo itni zyaada bechain ho chuki thi ki uski samajh nahi aa raha tha kuch.

Wo Juhi ki ungli pakad aage badhi aur andar ek kamre ke paas gayi, jaha se awaaz aayi thi.

Aur agle hi second ek baar fir wahi dabi sii awaaz aayi jisse sunn Shreya ko confirm ho gaya ki andar pakke se uski dii thi.

Andar kya ho raha tha, ye soch ke hi uski dhadkane tezz ho gayi.

Aur wo darwaaza peetne lagi,

Shreya : Kholooooo.... Diiiii!? Are you in there??? Diiiii??

Idhar couch par baithe Chhaaya saare nazaare ko bade hi lutf leke dekh rahi thi. Jese usse pata tha ki Shreya ki koshisho ka koi fayda nahi hone waala.

Shreya : Mein kehti ho kholo.... Kholo darwaaza...

Juhi : Mummmyyyyy... Mummmyyyyy...

Bechaari Juhi bhi Shreya ko dekh aur uske chehre ki tension ko dekh darwaaza peetne lagi. Bacche mann ke sacche hote hi hai. Juhi ko itna samajh aa gaya tha ki uski maasi boht hi bechain hai aur chinta me hai, isliye wo bhi darwaaza peetne lagi.

Aur agle hi pal...

*Click*

Achanak se darwaaza khula...

Aur andar ka nazaara dekh Shreya ki aankhein phati ki phati reh gayi...

Rajat (smiles) : Ohhhhh! Toh saali sahiba bhi aayi hai? Aaiye aaiye... Aur ye kya? Meri moongphalli bhi aayi hai?

Rajat jhukte hue Juhi ko thaamne hi waala rehta hai ki Juhi bhaagti hui andar jaati hai aur Nidhi se jaake chipak jaati hai. Nanhe haatho ko aage badhaate hue wo Nidhi ke aasu pochne lagti hai aur khud bhi aasu bahaane lagti hai.

Fir wo bade hi gusse me Rajat ko dekhti hai,

Juhi : Aap gande hooo....

Rajat : Hahaha~ Aise baat nahi karte beta...

Juhi (chillaate hue) : Aap gande hoooooo...

Aur iss baar Juhi ki tezz awaaz sunn, Rajat ke chehre se muskaan gaayab ho jaati hai.

Rajat : Abhi se tumne apne sanskaar de diye lagta isse haa!?

Shreya : Dur raho... Dur raho meri dii se... Dii chaliye

Rajat : Abhi bhi mauka hai Nidhi. Jesa mein keh raha hu wesa karo aur apna jeevan jiyo. Sukhi rahogi...

Nidhi (chillaate hue) : I will neverrrrr... Neverrrr...

Rajat (frowns) : Tummm....

Wo aage badh iss baar Nidhi ke baalo ko zorr se bheench leta hai,

"Aaaaaahhhhhh!!"

Aur nanhi Juhi ye dekhte hi Rajat ke dusre haath ko thaamte hue apne daato se kaatne lagti hai.

Rajat : Ye.... Bacchiiii....

Wo kheejte hue Juhi ka haath zorr se thaam leta hai jiske chalte bechaari Juhi rone lagti hai. Shreya sab kuch achanak se panpe drashya ko dekh agle hi pal Rajat ka haath pakad uski grip ko loose karne lagti hai taaki Juhi ko churraa sake.

Sabhi aapas me bhide Rajat se chhootne ka prayatn kar rahe the.

Ki tabhi unke kaano me ek awaaz padi...

Ek jaani maani awaaz...

"Ma'am!?"

Ye sunte hi Nidhi, Shreya, Juhi aur Rajat ki nazre forun hi darwaaze par gayi.

Paaya ki Veer unhe stabdh nigaaho se dekh raha tha.

Saath hi saath ekdum se bhaagte hue Veer ke peeche hi Chhaaya aayi aur wo bhi sab kuch ho rahe drishya ko dekhne lagi.

Par agle hi pal...

Veer ki nazre Nidhi par gayi...

Usne dekha ki Nidhi ka ek gaal laal tha...
Uske haatho aur pait pe mombatti ki wax lagi hui thi....
Unn komal aankho me dherr saare aasu...
Wo sundar sundar kesh kisi ki jabt me the...

Usne dekha Juhi ko jo neeche hi khadi hui thi...

Juhi ke gulaabi gaalo se aasuo ki bunde behte hue gir rahi thi...
Uska nanha sa haath kisi ki jabt me tha...

Usne dekha Shreya ko jiske chehre par bhayanak darr tha...
Dono haath uske Juhi ko churraane ke liye lage hue the...

Tabhi uske kaano me awaaz padi,
"Veeeeerrr maaamuuuuu..."

Aur bas...

Veer ka itna sunn'na tha ki...

Uske andar gusse ka wo jwalamukhi trigger ho gaya.

Aur uske hontho se ekdum dheemi awaaz me bas kuch shabd nikle...

"Don't you dare touch her!!!!"

Aur agle hi pal fir wo hua jisse dekh ke waha maujood sabki aankhein phati ki phati reh gayi.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Don't forget to like.
Zabardast update dost 🤠🤠🤠
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,273
38,697
258
Update - 23 ~ Complex Feelings
Ab tak...

Veer ka itna sunn'na tha ki...


Uske andar gusse ka wo jwalamukhi trigger ho gaya.

Aur uske hontho ekdum dheemi awaaz me bas kuch shabd nikle...

"Don't you dare touch her!!!!"


Aur agle hi pal fir wo hua jisse dekh ke waha maujood sabki aankhein phati ki phati reh gayi.

Ab aage...


Bina ek pal gawaaye Veer itni speed me aage badha aur usne sabse pehle Rajat ka haath jo Juhi ko pakde hue the usse zorr se thaam ke uski mutthi apne bahubal se khol Juhi ko churraaya. Juhi ke choothate hi, Shreya ne Juhi ko pakad ke peeche kheench liya.

Veer ne Rajat ka fir dusra haath, jo Nidhi ke sundar kaale kesho ko bheenche hue tha usse pakad ke ekdum se marod diya,

"Aaaaahhhhhh!"

Haath marud jaane par agle hi pal, Rajat dard se karaaha aur uski pakad Nidhi ke baalo se chooth gayi.

Par iske pehle ki wo sambhal paata aur apne dusre haath ka prayog kar paata...

*Poooooowwwww*

Ek zordaar ghusa uske nichle jabde me aake pada aur wo uss ghuse ke impact se hi peeche ki orr jaake dhadaam se gir pada.

Ye sab kuch itni jaldi hua ki waha khade log bas hairat me dekhte reh gaye. Jese unhe samajh hi nahi aaya ki ekdum se kya ho gaya.

Pal bhar me Veer aaya, unhe churraaya aur agle hi pal Rajat zameen pe tha. Sab kuch itni jaldi hua tha ki wo sabhi saamne ho rahe action ko process hi nahi kar paaye.

Apne jabde ko malte hue jese hi Rajat zameen se utha, tabhi Veer ne aage badh uski collor ko dono haatho se jakda aur usse hawa me uthaate hue peeche deewaar me bhed diya.

*Bang*

Ab scene kuch aisa tha kii Veer ke dono haath Rajat ki collor par the aur Rajat hawa me deewaar se chipke Veer ki giraft me latka hua tha.

"Don't you dare touch her you piece of shit..."

Veer ne waapas se apne shabd dohraaye. Uski aankho me itna gussa tha, aur itni laal thi maano abhi abhi wo Rajat ka yahi khoon kar dega.

"Ughhh... Choorrr... Saaaleee..." Rajat karaahte hue chootne ka prayaas karne laga. Par koshish bekaar thi. Veer ki strength Rajat se zyaada jo thi.

Ek aam aadmi ki strength 30 se 50 ke beech hi rehti hai aksar. Zyaada ze zyaada Rajat ki 40 ke kareeb hogi. Aur peshe se wese hi wo ek lawyer tha koi gunda mawaali nahi, jiska ladna roz ka kaam ho.

Zaahir si baat thi ki Veer ki pakad se chhutne me wo naakamyab tha.

Par peeche khadi uski Maa, Chhaaya ne jese hi ye sab dekha wo chillaate hue aage badhi,
"Rajattttt!"

Ghabraate hue wo aage tezz qadmo ke saath aayi aur Veer ke haatho ko zorr se pakad ke kheechne ka prayaas karne lagi.

Nidhi bechaari aankhein faade sab kuch dekh rahi thi par kuch bhi bol nahi paa rahi thi. Maano jese ye sab kuch boht zyaada tha uske liye. Rajat ka usse prataadit karna aur fir achanak se uski behan aur beti ka aa jaana, saath hi saath Veer ka yu Rajat ko pakad ke maarna. Nidhi ki kuch samajh me nahi aa raha tha. Wo bas stabdh sii khadi hui thi.

Jese hi Shreya ne dekha ki Chhaaya Veer ke haatho ko pakad ke kheench rahi hai, par kheench nahi paa rahi, Shreya Juhi ko wahi par chorr aage badhi aur usne peeche se zorr se Veer ko hug kar liya.

"Veer... Chorro... Veeeeeeeeeerrrr.... Chorro usse... Please!!! Please Veeerr!! Let him gooo..." Shreya usse peeche se jakde hue aagrah karte hue boli.

Aur kuch hi pal me jese Shreya ki vaani ne Veer ko finally control kar liya.

Na chaahte hue bhi, Veer ke haath dheele pad gaye.

*Crash*

Aur Rajat jo deewar se sata hua tha wo dhadaam se neeche gir gaya.

*Cough* *Cough*

Khaaste hue usne apne gale ko mala, aur fir achanak hi hassne laga.

Rajat : Hahahahaha~

Bagal me khadi uski Maa Chhaaya ne usse sambhaala aur usse neeche baithaal ke pakde rahi. Aur idhar Shreya bhi Veer ko pakde peeche ki orr kheechte hue le aayi.

Rajat ki hassi kuch derr me ruki aur fir usne apna sarr upar kar Nidhi samet sabhi ko dekha. Uske chehre pe ek kutil muskaan thi. Jese wo bataana chaah raha tha ki ab tum logo ka khel khatam hai.

Rajat : Hahaha~ Maaa! Tune dekha!? Ye dekho... Apne pati se abhi talaak liya nahi isne ki yaha agla boyfriend haazir hai.

Uski baat sunn, Nidhi ne iss baar bauhe sikodi aur aage bolne ke liye apna muh khola par iske pehle ki wo kuch keh paati, Veer bol pada.

Veer : I'm not her boyfriend you bastard... I'm her student.

Usne gurraate hue bola aur aage ek baar fir wo badhne waala tha ki Shreya ne usse aur kass ke thaam liya.

Rajat : Hahaha~ Tujhse yahi umeed thi Nidhi... Yahi umeed thi... Apni bacchi ko bhi yahi sanskaar dogi hai na!??

"You...." Zorr se chillaate hue Veer ek baar fir tezzi se aage badha, iss baar bhi Shreya Veer ko rokne ke liye usse jakdi par Veer ki strength ke chalte wo iss baar haar gayi.

Wo khud uske saath khichi chali gayi aur jab usne dekha ki Veer Rajat ko waqai firse maarne waala hai wo zorr se chillaayi,
"Nooooooooo... Veeeeeeeeeeerrr!!"

Uski cheenkh se jese Veer ko dhyaan aaya aur uske kadam wahi theher gaye.

Shreya (cries) : Please!!! Let's go... Chorro usse... Aur chalo Veer... Please... I beg you...

Shreya jo ab tak apne aasuo ke baandh ko roke hue thi wo akhir khul hi gaya. Aur tezzi ke saath uske aasu uske gaalo se hote hue behne lage. Usne apne haatho se Veer ke seene me shirt ko bheench liya.

Wo uss se ek nivedan kar rahi thi jese. Usne boht kuch dekh liya tha. Wo nahi chaahti thi ab aur kuch ho aur baat aage badhe.

Wo kheechte hue Veer aur Nidhi samet Juhi ko baahar le jaane lagi.

Rajat : Dekh lunga saale tujhe... Veer hai na tera naam!? Bataata hu tujhe bhi. Ek ek ko dekh lunga. Khaaskar Nidhi tumhe meri jaan...

Wo andar hi kamre se chillaata raha par uski baatein sune bagerr hi Shreya sabhi ko baahar le aayi.

Shreya : Dii... Ghar chaliye... Jald se jald... Veer tum dii ko gaadi me baitha ke le jao, Mein Juhi ko leke aa jaungi.

Veer : Nahi! Balki, Aap teeno jao gaadi me... Mein aa jaunga...

Ye dono aapas me hi lage hue the ki achanak Nidhi bhaybheet hote hue rone lagi,

Nidhi : Hey bhagwaaaannn....

Wo neeche girte hue rone lagi, toh Veer aur Shreya ne forun hi usse uthaaya...

Nidhi : Shreyaaaa...

Shreya : Diii....

Nidhi : Shreya... Ye sab kya ho gaya!? Ye bilkul bhi accha nahi hua Shreya... Shreya wo pakka kuch na kuch karega ab... Nooooooo! This wasn't supposed to happen Shreya... I... I....

Apni behan ki ye haalat dekh Shreya ko uss pe itna taras aa raha tha ki wo bayaa nahi kar sakti thi. Usne Nidhi ko kandhe se pakadte hue jhanjhora aur usse hosh me laaya.

Shreya : Diii... Diiii... Look at me... Nothing will happen... Okay!!? Nothing will happen!

Nidhi : Nahi... Nahi... Shreya... Wo... Wo...

Shreya : Look at me Dii, aap sahi salaamat ho. Juhi sahi salaamat hai. Kisi ko kuch nahi hua. Aur wo kuch nahi karega. Hmm? Okay!? He can't do anything. Jab tak time period khatam nahi ho jaata wo kuch nahi kar sakta. Hmm? And, aap dekhna jald se jald Dhruv aapke aur hamaare paas hoga...

Kehte hue usne Nidhi ko zorr se apni baaho me kheench liya aur Nidhi bechaari fut fut kar rone lagi.

Siski lete hue Nidhi apni behan ke seene se lag bilakhte hue ro rahi thi. Peeth par haath ferrte hue aur usse puchkaarte hue Shreya ne usse samjhaaya aur usse chup karaane lagi.

"Mummmyyyyyyy!"

Idhar Juhi apni Maa ko aise rota dekh khud bhi zorr zorr se rone lagi. Bacche apni Maa ko jab rota dekhte hai toh bhala khud kese shaant reh sakte hai? Wo bhi rona shuru kar dii. Bechari Shreya ko ab samajh nahi aa raha tha ki pehle kisko chup karaaye. Wo khud rone ki kagaar pe aa gayi thi.

Tabhi...

Usne dekha...

Veer ne aage badhte hue Juhi ko apni goad me uthaaya aur uske pyaare gaalo se aasu pochte hue usne Juhi ke dono gaalo pe pappi lii aur tehalte hue usse chup karaane laga.

"Veeeellll maamuuuuu..."

Rote rote Juhi apne aasu Veer ki shirt me uske kandhe par ragad rahi thi. Aur Veer uski peeth sehlaate hue usse chup karwa raha tha.

Juhi : Veeeelll Maaaamuuu...

Veer : Hmmm!?

Juhi : Papa dande hai...

Veer : Kya hai!?

Juhi (cries) : G... Gande...

Veer : Hmm! Accha unhe chorro... Juhi... Chocolate khaegi!? Hmm? Chalo Veer maamu aapko mast wali chocolate dilaenge.

Juhi : Mmmmmm

Veer : Juhi khaegi na??

Juhi (rote hue) : Hmmmm...

Veer : Par uske liye... Pehle rona band karna padega.

Juhi : Mmm...

Dheere dheere sisak kar Juhi jese tese chup hui toh Veer ne muskurate hue ek baar fir uske gaal choom liye, badle me Juhi ne bhi uske gaal choom liye.

Veer : Ye hui na baat, ab dekhna Veer maamu tumhe mast chocolate dilaenge...

[Hehe~ Master!? Really? Paise hai aapke paas!?]

'Ye bolna zaroori tha tumhara Pari? Shut up!'

[Hehehe~ I wonder aap Juhi ko chocolate kese dilaenge fir? Aur wo bhi mast waali? Paise toh hai nahi. Kyuki jab wo Sonia madam paise haatho me dhar ke jaa rahi thi toh mere master ko mahaan bann'na tha. Thukra diye wo paise. Ab chocolate toh kya uska wrapper bhi nahi khareed paenge.]

'Pari! You don't understand. Ek din dekhna, aaj tumhe mera ye decision bhale hi galat lag raha ho, par aage chal ke tumhi bologi ki master. Aapne sahi kiya tha jo Sonia se paise nahi liye.'

[Hmm! Well master, I'll wait for that to happen.]

'Ek din dekhna, Mein Juhi ke liye poori chocolate ki factory khulwa dunga.'

[Hmm.. hmm.. I'll wait!]

Pari se baatein karne ke baad Veer Juhi ko leke ghoomne laga par wo apne peeche ho rahe drishya se anjaan tha. Shreya aur Nidhi dono hi ashcharyachakit aur achambhit ekdum wahi khadi hui Veer ko peeche se ghur rahi thi.

Shreya surprised nigaaho se Veer ko dekh rahi thi. Jo ladka kuch derr pehle hi itna aag baboola tha, jisse sambhaalna bhi uske liye itna mushqil tha, wahi ladka iss waqt nanhi sii Juhi ko goad me uthaaye usse itne pyaar se chup karwa raha tha. Dono hi bartaavo me zameen aasmaan ka antar tha, par dono hi bartaav Veer ke hi the.

Shreya ko zyaada umeed nahi thi ki Veer ki uski kuch zyaada madad kar paega. Par kuch derr pehle jo bhi kuch hua, usse dekhne ke baad, Veer ki ek nayi chhavi uske dil aur dimaag me bann gayi thi.

'Just what kind of guy this is...!?'

Idhar Nidhi ke saath kuch aur hi tha. Wo toh jaanti hi thi Veer ki acchi personality ko. Aur issi ke chalte toh woh usse apne ghar me saath rakhne ke liye raazi hui thi.

Par aaj...

Aaj jo bhi kuch usne dekha...

Wo sab naya tha uske liye. Veer ka wo roop, wo gusse waala roop jisme usne Rajat ki khatiya khadi kar dii thi, uss roop ko dekh Nidhi darr gayi thi.

Par andar hi andar usse ek ajeeb sii feeling sataa rahi thi. Wo feeling kahi se bhi buri nahi thi. In fact, usse andar se accha mehsoos ho raha tha.

Veer ko uske prati chinta vyakt karte dekh, uski aankho me wo gussa jab usne Rajat ke haatho ko uske baal pakde hue dekha tha, wo gussa jab Veer ne Juhi ko rote hue dekha, ye sab dekh kahi na kahi Nidhi ko andar se itna accha mehsoos ho raha tha ki wo shabdo me bata nahi sakti thi. Aaj tak uske liye aisa kisi ne nahi kiya tha. Par aaj...

Aaj Veer ne jo uske liye kiya, usse dekh ke wo andar hi andar behad khush thi par saath hi saath ek darr bhi usse sataa raha tha.

Darr tha ki Rajat ke saath jo kuch bhi hua, Ab Rajat kya karega? Wo shaant toh bilkul bhi nahi rahega kyuki Nidhi bhali bhaati Rajat ko jaanti thi.

Wo zaroor kuch na kuch karega. Aur jo bhi kuch karega wo uske aur uske parivaar ke liye bilkul bhi accha nahi hoga. Bas yahi ek darr usse khaaye jaa raha tha.

Wo dekh paa rahi thi Veer ko, apni bacchi ko, jo uski goad me iss waqt khil khila ke hass rahi thi.
Kitna khush dekh rahi thi Juhi Veer ki godi me. Wahi kitna ro rahi thi wo Rajat uske pita ke haatho me bandhe...


Kaha uska apna pati, jo uske saath aisa vyavhaar kiya aur uski bacchi ke haath ko marod usse rula diya tha toh kaha Veer jo usse bachaane aaya, Rajat ko maar ke usse churraaya, aur uski bacchi ko yu gaod me uthaaye uspe pyaar barsa raha tha. Dono hi vyaktiyo me kitna antar tha. Jabki Rajat uska pati tha, aur Veer keval uska student jo bas abhi kuch hi hafte pehle se uss se familiar hua tha.

'Veer... Tum... kitne acche ho...' Wo Veer aur Juhi ko dekhte hue mann me boli aur tabhi usse dhyaan aaya ki wo kya sochne lagi thi.

Apne sarr ko hilaate hue usne apne aasu poche aur Veer ko awaaz lagayi,

Nidhi : Veeeer!!

Veer (palat kar) : Hmm?

Nidhi (smiles) : Chalna hoga yaha se...

Veer : Hmmm...

Veer unke kareeb aaya toh Nidhi boli,
"Shreya... Tum jao!"

Shreya : What? Kaha jau? Aur aap log?

Nidhi : Tum meri gaadi lo aur ye chaavi bhi. Ghar jaake gate kholo... Aur... Tab tak... Mein Veer aur Juhi aate hai.

Shreya : What? But mein akele...!? Aur chaavi hai mere paas already...

Nidhi : Thik hai! Toh tum ghar jao, meri gaadi leke... Hum aate hai... Don't worry! Mein theek hu ab.

Shreya : Are you sure!?

Nidhi : Haa Shreya! Go don't worry!

Shreya : O... Ok

Wo kehte hue Nidhi ki gaadi utha ke waha se chali gayi. Ab keval Veer, Nidhi aur Juhi hi bache hue the.

Veer : Hume bhi chalna chaahiye Ma'am.

Nidhi : Hmmm...

Abhi wo aage hi badhti ki uske pehle hi Veer ne usse rok diya,

Veer : Rukiye Ma'am.

Nidhi : ???

Veer achanak hi uske kareeb aaya aur usne Juhi ko neeche utaara. Nidhi sawaaliya nazro se usse ghoor rahi thi.

Veer : Thoda sa dard hoga.

Kehte hue usne apna haath aage badhaaya, Nidhi kuch samajh paati ki tabhi...

Uske nagn pait par Veer ka haath aaya aur...

Achanak hi...

"Aaahhh!" Ek halki dabi sii aah uske muh se nikli.

Usne aankhein khol dekha toh paaya ki...

Veer ne uske nagn pait se kuch kheench ke nikaala. Usne dekha ki Veer ke haatho me mombatti ka wo wax ka tukda tha jo Nidhi ke pait par chipka hua tha.

Uske gaal sharm ke maare halke gulaabi pad gaye the. Wo kehna chaahti thi ki wo khud se nikaal legi aur aise Veer ka yu uske pait par se wo sab nikaalna accha bhi nahi lagta. Par bechaari Nidhi sharm ke maare kuch keh hi nahi paa rahi thi. Kyuki Veer uske hit ke liye hi ye sab kar raha tha. Wo toh chinta ke maare ye kar raha tha.

Halaki ek sawaal zaroor aaya uske mann me ki kya Veer ko bhi iss waqt sharm aa rahi hogi apne haatho ko uske pait par sparsh karte hue?

Yahi dekhne ke liye ki Veer ke chehre par kya expressions the Nidhi ne dheere dheere apni nazre uthaayi aur Veer ko dekha.

Par jese hi usne dekha toh usse ek jhatka sa laga...

Achambhit bhi thi wo aur confused bhi...

Veer ki aankho me atyant hi gussa tha, saath hi saath ek dard aur chinta bhi. Nidhi logo ko unki aankho ko dekh unhe pehchaan ne me maahir thi. Aur jese hi usne wo saare bhaav Veer ke chehre aur uski aankho me dekhe toh pata nahi kyu par pal bhar ke liye uski dhadkane tezz ho gayi.

Wo kuch keh paati ki uss se pehle hi firse Veer ka haath uske nange pait par laga...

"Aahh!"

Usne ek siski bhari aur fir Veer ne baaki wax ke tukdo ko bhi dheere dheere karke nikaal diya.

Veer ne bhale hi araam se nikaal diye wax ke tukde par idhar bechaari Nidhi ki haalat kharaab ho chuki thi. Halka fulka dard toh tha par usse dard ki chinta nahi thi. Iss waqt uska seena zorro se upar neeche ho raha tha.

Jitni baar Veer ka haath uske nagn pait se sparsh hota, utni baar uski saasein tezz ho jaati. Ant me khud ko sambhaalne ke liye usne Veer ke seene me uski shirt ko apne dono haatho se bheench liya.

Aur uske iss action se iss baar Veer bhi sharma gaya...

Veer (blushes) : Wo... Ho gaya Ma'am.

Nidhi (blushes) : Aahh!? Ohhh... Hmmmm.

Nidhi ne apne haath dheele kiye, apne pait par fere aur Veer se thoda dur ho gayi. Uske hatate hi Juhi firse godi me aane ki zidd karne lagi. Veer ne usse waapas se apni godi me liya aur chalne ke liye kaha toh Nidhi ne bhi haami bhari aur dono hi waha se nikal pade.

Wo abhi paidal hi chal rahe the ki Veer ne achanak hi shaanti todi,

Veer : Ye sawaal thoda personal hai, par yadi aapki permission ho toh kya mein puch sakta hu?

Nidhi : Hmm? Haa pucho na Veer.

Veer : Meri samajh me nahi aata ki, jab aapke husband aisa behaviour aapke saath karte hai toh aap complaint kyu nahi karti? Police me jaiye aur...

Nidhi : Jitna asaan dikhta hai utna asaan hai nahi Veer. Lambi kahani hai... Aur... Mein majboor hu.

Veer : Hmm! I hope aapko jald hi koi solution milega. Aur... Aap mujhse kabhi bhi koi bhi help maang sakti ho, aapko pata hai na?

Nidhi (glances at him) : I... I know

Kuch derr yuhi chalne ke baad usne firse Veer ko dekha aur boli,

Nidhi : Tumne lunch kiya!?

Veer : Nope! Mein lunch ke pehle kahi kaam se gaya hua tha.

Nidhi (mann me) : Matlab unn do ladkiyo ke saath... Should I ask!? No. It's his personal matter. I... I... Shouldn't...

Veer : Kya aapne kiya!?

Nidhi : Huh? Ohh! Na...nahi... Mein lunch ke pehle hi college se nikal aayi thi Veer.

Veer : Ohh! Then hum dono ne hi nahi kiya...

Nidhi : Let's...

Veer : Hmm!?

Nidhi : Let's go to a hotel. Waha... Waha kha lenge kuch!?

Veer : Are you sure?

Nidhi (mann me) : Mein toh kuch bhi kha lu, and I really shouldn't spend money like this... But... He did so much for me... Then mujhe itna toh consider karna hi hoga uske liye... Right!?

Nidhi : Umm... Yes! I'm sure Veer! Chalo... Dekho wo rahi... Hotel...

Veer : Wo?? Kaafi mehngi lag rahi hai...

Nidhi : Huh? It's... It's okay! Let's go...

Veer : O...okay!

Aur kuch hi derr me Veer aur Nidhi dono hi hotel ke andar the.

Nidhi : Excuse me... Umm... We...

Receptionist : You need a table for two Ma'am!?

Nidhi : Ahh! Yes...

Receptionist : Or maybe three!?

Wo Juhi ko Veer ki goad me dekhte hue puchi.

Veer : Yes!

Receptionist : Okay! Shivani!? Ma'am and Sir ko table pe le jao...

Shivani : Aaiye Ma'am!

Nidhi : Hmm!

Aur wo Shivani wahi hotel me kaam karne wali Veer aur Nidhi ko hotel me ek area me le gayi, jaha kayi saari rounded tables lagi hui thi aur luxury sofe the baithne ke liye.

Shivani : Sir, Ma'am this is your table. Please have a seat.

Nidhi : Ummm.. thank you!

Shivani : It's okay Ma'am!

Aur wo waha se chali gayi. Saari ladkiya waha pe kaam karne waali maid type ki black and white dress pehni hui thi aur sabhi ek se badh ke ek thi. Isse kehte hai business strategy.

Aadmi 2 ki jagah 4 rotiya khaa ke jae yadi aisi serve karne waali ho. Bhale baad me ghar jaake pait kharab ho jaaye.

Nidhi : Pasand aayi gayi kya Veer koi? Hmm? Fufu~

Wo Veer ko chedte hue boli, kyuki kaafi derr se wo dekh rahi thi ki Veer unn ladkiyo ko dekhe jaa raha tha.

Veer : Hmm? No! No one is better than you...

Wo itna kehke waapas se unhe dekhne laga jese maano aur koi dhund raha ho ki shayad koi Nidhi ki khubsoorti ki takkar ki koi dikh jaaye.

Par idhar Nidhi ke ye sunte hi kaan khade ho gaye.

Aur uske dil ki dhadkan ek baar fir tezz ho gayi... Wo aankhein faade Veer ko dekh rahi thi jo kahi aur apni nazre ghumaane me busy tha.

'Wait! Is he??... Did he just!? Did he just flirt with me?'

Usne sochte hue apne agal bagal nazre ghumaayi toh uski aankhein aur phati ki phati reh gayi jab usse realize hua...

Realize hua ki wo abhi kaha par baithe hue the.

Table par hi jaha tissues rakhe the uske bagal se hi ek chota sa stand tha jispar ek board laga hua tha. Aur uss board par likha hua tha...

Wednesday ~ Couple's special.

Agal bagal unke saare couples hi couples baithe hue the. Kuch married, toh kuch boyfriends aur girlfriends. Koi ek dusre ke haatho me haath liye the toh koi pyaar bhari baatein kar rahe the, toh koi khaane me lage hue the.

Aur jese hi Nidhi ko ye realize hua uski sharam ki koi seema nahi thi. Ekdum gulaabi gaal liye wo neeche nazre kar apne haatho ki ungliyo ko tatol rahi thi.

Nidhi : Ahh! Ye... Ye....

'Ye kaha le aayi wo hume!?? We are not couples. He's my student.'

Par isme ab uss Shivani ki kya galti thi bhala?? Nidhi thi ek khubsoorat aurat. Saath me Veer jo Nidhi se halka sa height me already bada tha aur upar se uski goad me thi Juhi. Bhala koi bhi dekh ke confuse ho jaaye aur unhe pati patni hi maan le.

Wo abhi kuch keh paati ki tabhi, Order lene waiter aa gaya.

Waiter : Yes Sir! You order!?

Nidhi : Umm... Wo...

Veer : Juhi!? Kya khaogi tum!?

Juhi : Jo aap khaoge... Aur chocolate bhi...

Veer : Hmm!!!

Nidhi (mann me) : Wait... Oh my god... He doesn't even know... Usse pata hi nahi hai ki hum kaha baithe hai. Ohh god... This is... So...

Veer : Ma'am se puchiye...

Waiter (nods) : Ma'am your order!?

Nidhi : Ehhh!? Ohhh! Haa... Umm...

Jese tese Nidhi ne order diya aur kuch hi derr me khaana bhi aa gaya.

Veer apne haatho se kabhi Juhi ko khilaata toh kabhi khud khaata. Aur uske saare actions Nidhi observe kar rahi thi.

'He's such a gentleman. He'll be a very good husband...'

Wo veer ko dekh sochte sochte apne khayaalo me doob gayi. Par jese hi usse dhyaan aaya ki wo kya soch rahi thi usse khud pe hairaani hui aur ek shock bhi laga.

'Mein... Mein kya sochne lagi achanak!? No wayyy...'

Khaana khaane ke baad hi Juhi bechaari itni thakaan aur ann ke nashe ke baad apne Veer maamu ke kandhe par sarr rakh ke neend ki waadiyo me jaa chuki thi.

Abhi wo uthane hi waale the ki waiter aaya aur unhe 3 badi chocolates ek tray me serve kiya.

Waiter : Wednesday special hai Sir, Ma'am.

Aur itna bol wo chala gaya.

[Ab isse kehte hai kismat master.]

'Hahaha~ Ab bolo!? But waqai... Ek din... Ek din mein Juhi ke liye poori chocolate ki factory khareedunga.'

[I'll wait!]

Nidhi : Shreya ke liye bhi pack karwa lete hai kuch.

Veer : Jii!

Wo dono baahar bill pay karne ke baad baahar nikle aur kuch hi derr me apne ghar ki orr pohuch chuke the.

Veer ne Juhi ko bed pe litaaya hi tha ki...


*Ding*

[Mission ~ Go on a date with Nidhi has been completed.]

[30 points have been rewarded.]

'Huh!? Wait.... Whaaaaaaaaaaaatttt!?'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!

Dhanyavaad!
Super killer update 🤠🤠🤠
 

Damha

ᴊᴀᴠɪᴇʀ ᴀꜱʀᴀʜᴀɴ
Staff member
Sectional Moderator
19,418
22,406
229
Veer ne Rajat ka fir dusra haath, jo Nidhi ke sundar kaale kesho ko bheenche hue tha usse pakad ke ekdum se marod diya,
Tareef hazam nahi hoti kaha tha ke mushkil lafz samajh nahi ate......10 minute lage kesho ka matlab samajhne me
Rajat karaahte hue chootne ka prayaas karne laga. Par koshish bekaar thi. Veer ki strength Rajat se zyaada jo thi.


Add-Text-10-27-01-14-26


"Veer... Chorro... Veeeeeeeeeerrrr.... Chorro usse... Please!!! Please Veeerr!! Let him gooo..." Shreya usse peeche se jakde hue aagrah karte hue boli.
ye scene mujhe bohat maze ka laga......Jis maan se Shreya ne Veer ko roka kamal ka scene tha bohat he khubsoorati se scene likha gaya.....Emotion se bharpur


Rajat : Hahaha~ Maaa! Tune dekha!? Ye dekho... Apne pati se abhi talaak liya nahi isne ki yaha agla boyfriend haazir hai.
ye kisi desh ki baat nahi puri duniya ki ye he kharabi hai......agar koi mard kisi aurat ki madad ker raha hai us ko hamesha galat nazar se he parkha jata hai rajat jaise log muh per un aurto ko randi kehte hai to kuch log dil me he un ko bhara bhula samajhte hai......Lekin ek airat ke andar chal rahe Ehsaas ko koi samajh he nahi pata......Agar ek aurat ko kisi mard ke kareeb mehfooz mehsoos ho raha hai to wo sirf logo ke dar se apne us mehfooz ghere ko khud se dur ker deti hai......


Juhi : Papa dande hai...
ye sun ker main bhi soch me per gaya ye dande kia hota hai :huh: kia wo itna kamzoor hai ke dande jaisa dikhta hai :lotpot:

[Hehe~ Master!? Really? Paise hai aapke paas!?]
Apni pari puri thug nikli re.......Koi moka chorti nahi hai.....Ye to veer ke ki keh ker le gayi :lotpot:


ki...

Veer ne uske nagn pait se kuch kheench ke nikaala. Usne dekha ki Veer ke haatho me mombatti ka wo wax ka tukda tha jo Nidhi ke pait par chipka hua tha.

Uske gaal sharm ke maare halke gulaabi pad gaye the. Wo kehna chaahti thi ki wo khud se nikaal legi aur aise Veer ka yu uske pait par se wo sab nikaalna accha bhi nahi lagta. Par bechaari Nidhi sharm ke maare kuch keh hi nahi paa rahi thi. Kyuki Veer uske hit ke liye hi ye sab kar raha tha. Wo toh chinta ke maare ye kar raha tha
Brilliant scene iss aik scene me bohat kuch tha Nidhi ki bardasht ki gayi har azeeyat iss aik scene ne bayan ker di us ka dard sab kuch wanhi veer ka nidhi ke liye fikar ayr pyaar dono iss scene me ubhar ker bahir aa rahe the......Nidhi ka sharamana bayan ker raha tha ke wo veer se kis had tak pyar karti hai


Nidhi (mann me) : Mein toh kuch bhi kha lu, and I really shouldn't spend money like this... But... He did so much for me... Then mujhe itna toh consider karna hi hoga uske liye... Right!?
Daikhne ko to ye aik choti si treat thi lekin daikha jaye to ye nidhi ke liye bohat matter karti hai jo insaan 1, 1 ruppe ko jama ker raha ho kisi maksad ke liye us ke liye ye paise bohat ahmeiyat rakhte hai lekin nidhi ne veer ke liye ye karne se pehle aik baad bhi paiso ke baare me nahi socha

[Mission ~ Go on a date with Nidhi has been completed.]

Add-Text-10-27-01-33-15
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,273
38,697
258
Update - 24 ~ Take Care
Ab tak...

Veer ne Juhi ko bed pe litaaya hi tha ki...


*Ding*

[Mission ~ Go on a date with Nidhi has been completed.]

[30 points have been rewarded.]


'Huh!? Wait.... Whaaaaaaaaaaaatttt!?'

Ab aage...

'You are kidding right!?'

Veer ne hairaani me Pari se pucha. Usse yakeen hi nahi ho raha tha ki Nidhi ke saath date pe jaane waala mission itni asaani se ho chuka tha.

'This can't be... Pari!! Ye date thi!? We just had lunch... I mean...'

[Master! But sach toh yahi hai ki mission ho chuka hai. Uska reason maybe ye ho sakta hai ki shayad Nidhi ke mann me wese vichaar aaye the jab wo aapke saath lunch kar rahi thi. Maybe she was thinking about date and all... Isliye, ye mission complete hua. Otherwise nahi hota.]

'Nidhi ma'am was thinking about date...!? Ab jab tum ne ye kaha hai toh mujhe yaad aa raha hai ki unhone bataya tha ki wo kabhi date pe nahi gayi. Aur na hi mein. Does that counts as a first date for both of us?'

[Yes!]

'Well... I can't believe ki meri pehli date Nidhi Ma'am ke saath hui... Ye toh sapne jesa tha. Also, I got 30 points.'

[Do you want to invest master!?]

'Hmm! But mein soch raha hu koi skills lii jae. Kya kehti ho?'

[Mein yahi suggest karungi ki aap pehle apne saare stats atleast 50 tak kare. Appearance utna important nahi hai but baaki sabhi important hai. Uske baad hi aap skills par dhyaan de. But marzi aapki hai, aap chaahe toh shop me se skills dekh sakte hai. But aapko yaad hai na? Skills ki minimum keemat 50 points hai.]

'I know... Shop open karo.'

Aur Veer ke kehte hi uske mann me ek window khul gayi aur ek search bar saamne aa gaya.


585-Xew2-Kc2-Sgly-Ft6-Z
'Ye search bar hatao mujhe poori skill list dikhao.'

Aur uske bolte hi saamne skills ki lambi chaudi list haazir ho gayi.

[Basic Subjects Learning.

Basic Martial Arts.
Basic Singing Talent.
Basic Dancing Talent.
Basic Cooking.
.
.
.
.
.
.
]

Na jaane kitni saari basic ki skillls thi jo uski shop me available ho chuki thi.

'Itni saari Pari!? Ye sab basics hai!? Hmm! Level badhega toh aur acchi skills bhi unlock hoti jaengi hai na!?'

[Yes master! I'm currently at level 3.]

'Hmm! Ye saari skills wese toh... Inme se kuch mujhe lagengi but... I don't want to waste my points on them. Iss se accha hai ki mein stats me hi lagau abhi points.'

[That is the actual way master. Pehle stats par dhyaan dijiye.]

'Alright! Pari! Show me my stats.'

[There you go master...]

[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 15/100
Endurance - 15/100
Appearance - 22/100]

'Meri agility aur endurance boht kam hai. Hmm! Pari...! Dono me 15-15 points add kar do.'

[Are you sure master!?]

'Hmm! Last time... Uss Ranga naam ke ladke se fight karte waqt I had a hard time... Mujhe speed aur dard sehne ki shamta, dono hi aur chahiye.'

[Okay!]

*Ding*

[15 points have been added to agility.

15 points have been added to endurance.]

''Good!'

***

Raat ka samay ho chuka tha aur Veer aur baaki sabhi khaana khaa chuke the. Din me jo kuch bhi Rajat ke ghar hua tha usse abhi tak wo bhula nahi paaye the.

Juhi bed pe lait so chuki thi aur bechaari apni chocolate khaana bhi bhul gayi thi. Uske bagal se baithi Nidhi uske sarr par pyaar se haath ferr rahi thi aur soch rahi thi...

Ki Veer ne usse aur baaki sab ko kese bachaaya tha. Kitna accha moment tha wo. Abhi wo inhi khayalaato me apne hontho pe muskaan liye ghum thi ki tabhi uska mobile vibrate hua aur kisi ka message aaya.

Aur message padhte hi uske hontho se muskaan gaayab ho gayi. Wo hadbada ke uthi aur apne phone ko apni mutthi me kass lii...

Screen par likhe shabd usse bhali bhaati dikh rahe the...

"Tumhe kya laga tumne aaj jo bhi karwaya, wo sab karwaane ke baad mein bas baithe baithe dekhta rahunga!? Bataata hu tumhe meri darling Nidhi. Bataata hu... Acche se.... Aur uss Veer naam ke ladke ko bhi dekh lunga. Kuch zyada hi close lag rahe ho tum dono... Tumhari himmat kese hui Nidhi mere alaawa kisi aur ke saath itna close aane ki? Lagta hai tumhe kadi punishment deni padegi meri darling... Hai na!?"

Ye message kisi aur ka nahi balki uske pati, Rajat ka tha.

Nidhi chinta ke maare uthi aur apne kamre me hi ird gird tehalne lagi...

'Hey bhagwaan! Ye kya ho gaya! Mujhe pata tha zaroor kuch na kuch karega wo... Ab Veer bhi beech me aa gaya hai... Nooooo! Aisa kuch bhi nahi hona chaahiye tha... This is so bad... Kya karuuu!??? Veer ko nahi aana chaahiye tha waha...'

Wo sochte hue achanak hi baahar nikal ke aati hai, jaha Veer sofe pe hi baitha hua tha...

Nidhi : Veer!

Veer : Hmm? Kya hua Ma'am!?

Nidhi : Veer... Tum college me the na? Who called you there? Kya Shreya thi!? Kya usne tumhe bulaaya tha? Tum dono saath me nahi aaye the, hai na? Tell me...

Veer : Ohh! Haa! Unhone mujhe bulaaya tha call kar ke... Koi problem hai kya!?

Nidhi : Veer... You don't understand Veer... Boht badi problem create ho chuki hai... Tumhaare waha aane se... Nooooo! It's not going well at all... Tumhe waha nahi aana chahiye tha... This is so bad...

Wo tezz saasein lete hue ekdum hi tensed ho gayi.

Veer : Ma'am calm down. Aur mere waha aane se accha hi toh hua na? I mean... Aapke wo husband... Na jaane aur kya karte aapke saath...

Nidhi : No Veer... Tumhaare aane se maamla aur bhi bigad gaya hai... Mein nahi chaahti thi tum kahi se bhi iss matter me aao... But ab tum aa chuke ho... And he'll definitely do something... Ohhh god!!

Veer : Ma'am chill! Mere aane se hi he couldn't do anything else... Aur kyu na aau mein!? Aap meri Ma'am hai... Yadi aapke saath aisa koi behave karega toh...

Nidhi (uchi awaaz me) : Because it's my personal matter Veer...

Veer : I know Ma'am but... Aise aapke saath wo sab... Akhir mein kese dekh sakta hu? Even if he's your husband... Kam se kam unhe...

Veer ne Nidhi ko samjhaane ka prayaas kiya par uske bol iss waqt Nidhi ko calm karne ki jagah ulta aur tension me daal rahe the.

Nidhi (chillaate hue) : Noooo Veer!!!! Kyu aaoge tum beech me!?? Tumhe nahi aana tha waha... Tumhe nahi hona chaahiye tha waha pe... It's my personal matter... Toh bhala kyu aaoge mere aur mere husband ke beech me?? Kya hi lagte ho tum!??

Nidhi ne ye sab bol toh diya...

Par agle hi pal...

Uska muh khula ka khula reh gaya. Usse jese dhyaan aaya ki usne ye kya keh diya.

Nidhi : V... Veer?

Veer (smiles) : Ah! Right! Kya hi lagta hu mein aapka!? Haha~ I forgot... Mein... Mein bhi... Kese bhul gaya...!? Ki koi nahi hai mera... Gharwalo ne nikaal diya... Still I keep thinking ki... Right! Right! Sorry... Really sorry...

Bina Nidhi se nazre milaaye, Veer furti me palat ke hall ke gate ki taraf jaata hai, aur gate khol ke tezz kadmo ke saath baahar nikal jaata hai.

Nidhi : Noooo.... Veeeeerrrr! Mera wo matlab nahi tha... Wait! Veeeeerrrr!!? Kaha jaa rahe ho!?? Veeerrr?? Tum jaante ho Veer... Mera wo matlab nahi tha... Please! Listen to me... Aisa kuch bhi nahi hai jesa tum soch rahe ho... Veeeeerrrrr...

Nidhi daudati bhaagti hui Veer ke peeche peeche bhaagi par tab tak Veer already lift me ghus chuka tha aur lift band kar wo neeche pohuchte jaa raha tha.

Nidhi upar hi apni floor par khade apna sarr pakad rone lagi. Ye kya kar diya usne pal bhar me!?

Fir jese usse kuch dhyaan me aaya toh wo floor ke hi coridorr ki taraf bhaagi jaha se neeche ka saara drishya dikhta hai.

Neeche jese hi usne dekha toh paaya ki Veer society se baahar nikal ke kahi jaa raha hai.

"Veeeeeeeeeeeeeeeeeeerrrrr!"

Nidhi se jitna ho sakta tha utna usne apna gala faadte hue chillaaya. Par Veer ke kaano me jese juu tak na rengi. Wo bina kuch kahe, bina peeche mude bas nikalta gaya.

Nidhi bhaagte hue waapas se apne flat me aayi, uske chehre par shikan, chinta aur ghabraahat teeno hi maujood thi. Saath hi saath unn ankho me aasuo ki boonde athwa glaani bhi...

Andar aate hi usse Shreya nazar aayi. Wo aise khadi thi jese maano uska hi wait kar rahi ho...

Shreya : Ab pachhta rahi ho aap...!?

Nidhi : Shreya... Veer... Wo...

Shreya : Hmm! Suna mene andar se kya hua.

Nidhi forun hi aage badh Shreya ke haatho ko bheench leti hai,

Nidhi (cries) : You know it Shreya... Right!? You know na? Mera wo matlab nahi tha... Mein kabhi bhi uss se wo nahi kehna chaahti thi... Aur na hi kabhi kehna chahungi... I just... Pata nahi kese...Wo sab nikal gaya mere muh se... Shreya... Veer... Kaha gaya hoga? Please! Bulao usse... I must explain to him... Na jaane kitna bura laga hoga usse meri baato ka... I never meant to say that to him... Abhi abhi toh wo ubharna shuru kiya tha and I... Please...! Shreyaaaa

Shreya ko jhanjhorte hue Nidhi uss se vinti karne lagi. Bechaari Nidhi ki ye haalat dekh... Shreya apni bauhe sikode mann me keval ek hi shaks ko gaali diye jaa rahi thi.

Rajat...

'It's all because of that damn fucker...'

Shreya : Isliye kehti hu aap se Dii. Tension zyaada mat liya karo...

Nidhi (cries) : Kese na lu tension Shreya? Kese na lu?? Mera baccha Dhruv... Mere aalingan se koso dur hai... Tadapti hu mein usse dekhne bhar ke liye. Veer ne aaj aake meri madad hi kii thi, uska koi galat intention nahi tha... Still I... Dekho mene kya keh daala usse Shreya... Mene uske puraane zakhmo pe jese namak chidak diya... Ye kaam kiya hai mene... He must be so hurt... Kyuuuu!?? Kyu meri life me itni problems aati hai Shreya!? Kyuuu?? Kyuu?? Thak gayi hu mein Shreya... Thak gayi hu... Problems pe problems...

Shreya (frowns) : Diii...

Nidhi (cries) : I hate this life... Shreya... Kyu...!?? Kya mujhe khush rehna ka haq nahi hai Shreya!? Yadi nahi hai toh kyuuu?? Kyu bhagwaan mere saath aisa karta hai? Mein jitna accha karti hu... Utna hi bura hota chala jaata hai mere saath... I... I...

Aur agle hi pal uske thar tharaate honth daato tale dabb gaye aur wo zorr zorr se bilakhte hue rone lagti hai. Shreya usse apni baaho me kheench uski peeth sehlaate hue usse chup karaane lagi. Na jaane kab se itna sab kuch bhare hue thi Nidhi apne andar. Aur aaj saari rulaayi jese baahar aa rahi thi.

Shreya : Don't worry! Lo... Aapke saamne mein usse call lagaati hu okay!?

Nidhi kisi bacchi ki tarah haa me apna sarr hilaate hue ek aas leke Shreya ko dekhne lagti hai.

Aur Shreya idhar Veer ko phone lagaati hai. Kuch derr baat karne ke baad hi wo phone cut karti hai aur Nidhi ko waapas se dekhti hai.

Nidhi : K... Kya bola usne!? Aa raha hai na? Kidhar hai??

Shreya : Chill! He just went out for a walk.

Nidhi : So... He'll come right!?

Shreya : Of course!

Aur uska jawaab sunn iss baar Nidhi ek chenn ki saas leti hai.

Par uska ye chenn bhi jese kuch derr baad chinn gaya jab kayi ghanto tak Veer nahi lauta.

Raat ke 11:30 baj chuke the aur Veer ka koi ata pata nahi tha. Nidhi baar baar Shreya se usse call lagaane bolti, aur khud bhi lagaati par iss baar Veer ne kisi ke call ka jawaab nahi diya aur uska ye karna Nidhi ko aur bhi zyaada tension me daal raha tha.

Na jaane kese kese vichaar aa rahe the Nidhi ke mann me. Kahi uska firse accident na ho gaya ho? Kahi wo galat jagah toh nahi jaa raha hai? Tension ke chalte wo bechaari wo sab bhi sochne lagi jo usse bilkul bhi nahi sochna chaahiye tha.

Shreya : Aap so jaaiye... Wo aa jaega... Mein jaag rahi hu... Aaega toh mein lock laga dungi.

Nidhi : Mein kese so sakti hu abhi...

Shreya : Mene kaha na... So jaiye... Andar Juhi baar baar uth rahi hai. Din me jo bhi hua uss se wo darr gayi hai shayad. Aap uske bagal se lait ke soiye toh usse neend sahi se aaegi... Mene abhi takiya rakh diya hai uske bagal se but fir bhi wo beech beech me jhatka leke uth jaati hai aur fir roti hai...

Nidhi : Hmm... Par...

Shreya : Mene kaha na... Mein idhar hi hu.

Nidhi : Hmm!

Aur Shreya ki baat maante hue Nidhi apne bedroom me Juhi ke saath sone chali jaati hai. Bechaini me usse neend nahi aa rahi thi, par pankhe ki mand mand hawa aur thakaan ke chalte uski aankhein kuch derr baad band ho hi gayi.

***

Samay 12:15 ho chuka tha aur Shreya abhi tak jaag rahi thi.

Ki tabhi achanak hi door ko baahar se Veer ne dhakka diya aur wo andar aaya.

Andar aate hi uske kaano me awaaz padi,
"So!? How was your walk??"

Veer ne palat ke dekha toh paaya Shreya haath me haath baandhe deewaar se tike khade hue thi maano uska hi wait kar rahi ho.

Veer : Good... I guess?

Shreya : You know ki dii ka wo matlab nahi tha right?

Veer : Of course.

Shreya : She... Wo boht hi critical situation me hai. Khaaskar mentally...

Veer : Mein dekh sakta hu.

Shreya : So yeah... Unka tumhe hurt karne ka koi maksad nahi tha... Wo aisa kabhi kisi ke saath nahi karti...

Veer : Yeah! I... I know that.

Shreya : You were right.

Veer : Hmm?

Shreya : Yadi tum nahi aate toh wo bhediya na jaane kya kya aur kar sakta tha dii ke saath.

Veer : Mene wahi kiya, jo mujhe uss waqt sahi laga tha.

Shreya : I know. Mein jaanti hu. Aur mein ye nahi keh rahi ki tum galat ho. Mein bas ye kehna chaah rahi hu ki, Tum dii ko galat mat samajhna bas kabhi.

Veer : Ma'am ko mein kabhi galat nahi maanta.

Shreya : She have her reasons.

Veer : ....

Shreya : You know... Kyu wo tumhe itna sab keh gayi? Wo nahi chaahti thi ki tumhe koi nuksaan pohuche ya koi problem aaye. Tumhaare waha aane se ab uss aadmi ki nazar tumpe bhi hai.

Veer : ....

Shreya : Veer! Wo chaah ke bhi kuch nahi kar sakti. Majboor hai woh. Tum yahi soch rahe hoge ki kyu wo itna sab bardaasht kar rahi hai!? Right!?

Veer : I... Hmm...

Shreya : Uske peeche kayi saare kaaran hai. Mujhe pehle laga nahi tha ki... Mein tumpe trust kar sakti hu. But aaj jo kuch bhi hua... Uske baad se...

Kehte hue Shreya achanak hi uske kareeb aayi aur uska haath thaam lii.

Veer : ??

Shreya : I... I trust you now. Isliye... I'll tell you...

Veer : Hmm?

Shreya : Dii majboor hai Veer. Wo Rajat... He's a maniac Veer... A Maniac... Paagal insaan hai woh. Ek sadist hai woh.

Veer : He... What!?

Shreya : Hmm! Bataati hu... Ye baat lagbhag 4 saal puraani hai Veer. Dii ki nayi nayi shaadi hui thi. Sab kuch accha chal raha tha. Uske baad Juhi hui... Aur... Uske baad se hi uss aadmi ka ravaiyya badal gaya... Usse hamesha se ek ladka chahiye tha... Uske pita nahi hai, keval maa aur wo hi hai. Usse bas ek ladka chaahiye tha taaki wo santusht ho jaaye... Juhi ke ho jaane se... Jese ek dhakka sa laga tha dono maa bete ko...

Veer : Aaj ke zamaane me aisi thinking...!?

Shreya : Hoti hai Veer... Hoti hai... Log itne saare hai duniya me... Sab kuch possible hai. Juhi ke hone ke baad se hi... Wo dii ko itna prataadit karna shuru kar diya. Shuru me kam tha... Par dheere dheere... Aur fir jab Dhruv hua... Toh usne jese Juhi ko pyaar dena hi band kar diya... Dii iska virodh karti... Par badle me keval unhe maar milti ya prataadit kiya jaata...

Veer : Toh police me...!?

Shreya : Nahi kar sakte... Pehli baat... Wo khud ek lawyer hai. Itna dabdaba hai uska, kaha nahi hai uski pehchaan!? Dusri baat, 3 saal pehle Dad ka jab accident hua tha toh urgent paiso ki madad usne hi kii thi. Mere bade bhaiya ki naukri bhi ussi ne lagwaayi hai. Abhi kuch hafte pehle jab Mom ko heart attack aaya tha tab usne bhi kaafi paise diye the...

Veer : Ye...

Shreya : Yes! Meri mom ek housewife rahi hai shuru se, Dad keval ek private company me kaam karte rahe. Upar se do ladkiya aur ek ladka. Kya hi savings kar paenge wo!? Jitna kuch kiya, wo shaadi me nikal gaya. Aur fir aaj ki mehngaayi aur... Upar se uss darinde ka karz...

Veer : Toh..!?

Shreya : Isliye... Isliye Veer... Dii ke liye ye job boht important hai. Wo paise save kar rahi hai, na sirf uss darinde ko lautaane ke liye balki...

Veer : Balki...!?

Shreya ek jhoothi muskuraahat dete hue boli,

Shreya : Balki apne bacche Dhruv ko waapas se apne paas laane ke liye.

Veer : Huh!?

Shreya : Tumne din me Dii ke pait me wo wax ke tukde toh dekhe hi honge. Yahi hai uss haivaan ki sacchaayi. Jab uss Rajat ne dii ko boht hi kasht dena shuru kar diya tab Dii ne thaan liya ki wo divorce dengi usse aur akele apna jeevan vyateet karengi keval apne baccho ke saath par...

Veer : Par!?

Shreya (glances) : Par jese ye hona mumkin nahi tha. Vakeel giri ke dao pench lagaate hue usne Dhruv ko apne paas rakh liya, ye kehke ki uske ghar me koi santaan nahi hai. Aage uski maa ka dhyaan kaun rakhega!? Par dii nahi maani aur adi rahi, toh usne ek shart rakh dii...

Veer : ?

Shreya : Ki... Yadi Dii ka bank balance 50 lakh pohuchta hai, uss din hi wo Dhruv ko waapas se Dii ke paas lauta dega. Usne ye shart rakhi ki uske bacche ki parvarish ekdum acche se honi chaahiye. Aur parvarish ke liye kya lagta hai!? Paisa...!? Toh yadi dii ka bank balance 50 lakh hoga, tabhi wo Dhruv ko lautaega... Aur isliye... Isliye dii... Paise save karti hai... Ek hope me... Ek hope me...

Veer apni nazre neeche kiye sab sunn raha tha. Par usse sunaayi diya... Ki achanak hi Shreya ki awaaz me thar-tharaahat aa chuki hai. Aur usne jese hi nazre upar kar Shreya ko dekha toh paaya ki...

Uska chehra aasuo se bheegta jaa raha tha. Veer ka muh halka khula reh gaya jab achanak agle hi pal Shreya aage badh uske gale se lag gayi...

Shreya (cries) : She's living with a false hope Veer... Ek jhoothi aas leke jee rahi hai woh... She knows... Unhe pata hai Veer... Mujhe bhi pata hai... Mom Dad Bhaiya bhabhi sabhi ko pata hai ki... Ek saal ke andar wo kabhi bhi 50 lakh ikhatta nahi kar sakti... Kabhi nahi... Abhi abhi toh badi mushqil se unhone uss aadmi ka karz chukaaya hai... Still...

Veer ne haule se uski peeth par haath rakha...

Shreya : Wo bas issi jhoothi aas leke jee rahi hai... Ki ek saal me wo paisa ikhatta karke apne Dhruv ko waapas le aaengi... Hum sabhi unhe... Unhe saantvana dete hai ki sab kuch theek ho jaega... But... Deep down... Deep down we know Veer... Ki kuch sahi nahi hone waala...

Bilakhte hue wo Veer ki baaho me usse kass ke thaame rone lagti hai...

Shreya (cries) : It hurts me to see her like that... Dii virodh nahi kar sakti... Warna wo aadmi mere bhaiya ki naukri bhi hatwa dega aur pata nahi kya kya karega!? Kuch bhi aarop laga sakta hai woh. I hate myself... Ek mein hi hu jo useless hu... Mein padhaayi me shuru se hi acchi nahi thi. Ekdum gadhi hu mein... Haha~Hai na!? Toh naukri pe kabhi dhyaan hi nahi diya...

Veer ko ab sab samajh aa raha tha...
Ki kitna hi bikhra parivaar tha Nidhi ka bhi...
Aur kitna hi tooti hui thi Nidhi bhi aur Shreya bhi...
Bilkul ussi ki tarah...

Usne Shreya ko dekha jo nakli muskaan aur aankho me aasu liye uss se chipki hui thi. Veer jese sab kuch padh paa raha tha.

Shreya ke agle bol ne usse jese hosh me laaya,
"So yeah! Thank you Veer! Thank you for saving her today."

Nidhi ka dhyaan aate hi usse jese ab realize hua...

Aaj din me wo hotel jaate time jab usne kaha tha, 'Ye hotel kaafi mehngi lag rahi hai.'

Par Nidhi 'It's okay bol ke usse saath me le gayi thi.'

Wo toh paise save kar rahi thi. Fir kyu kiya usne ye sab uske liye!? Kyu laayi wo usse apne ghar me!?

Uske kapde, uska khaana peena, usse apni gaadi me college le jaana, kya nahi kar rahi thi woh...

"Tum chalo Veer. Tum... Tum mere saath rahoge."
"Aaj hum special dinner karenge...!"
"Veer!? Tumhara wo... *Blushes* kapde ka size kya hai!?"
"Padhaayi mat chorrna kabhi Veer okay!?"
"Kya hua Veer!? Koi pasand aa gayi kya? Fufu~"

Ek ek karke Nidhi ke saath guzaare pal aur uski baatein Veer ke dil-o-dimaag me ghumne lagi.

Aur na chaahte hue bhi, uske aasu nikal hi aaye.

Bina kuch bataaye Nidhi uss ke liye itna sab kuch kar rahi thi. Kitni tooti hui thi wo andar se. Usse toh bas ek pyaar karne waala vyakti chaahiye tha jo usse apni baaho me bhar ke rakhe aur usse khoob pyaar de. Par usse mila kya? Aadmi ke naam pe ek haivaan.

Ye jaante hue bhi ki paisa kitna important hai uske kiye iss waqt. Jaha aise samay me aadmi ek ek rupaye tak bachaaye aur dusre par kharch na kare. Waha Nidhi Veer ko apne saath rakh rahi thi. Uski harr zaroorat mand cheezo ko dhyaan rakh rahi thi.

Ye sochte hi Veer khud ko rone se na rok paaya. Aur ab... Usse glaani se bhare bhaav aana shuru ho chuke the.

Shreya ke bol usse jese firse hosh me laaye,
"Chalo... Boht ro liya ab... Jao! Jaake araam karo. And don't tell her ki mene tumhe sab bataaya hai. Maarengi warna wo mujhe haha~ Okay!?"

Apna sarr haa me hilaate Veer wahi khada raha aur Shreya usse wahi chorr Nidhi ke bedroom me chali gayi.

Veer ahista ahista aage badha aur wo darwaaze ki dehleez pe hi khade Shreya, Juhi aur Nidhi ko dekh raha tha, jinke chehre night bulb ki roshni me chamak rahe the. Wo dekh paa raha tha, Nidhi ke masoom chehre ke peeche chhupe kasht aur peeda ko.

Agle pal hi wo waha se nikla aur apne bistar pe chala gaya.

***

Subah hui aur Nidhi ki neend aaj kuch derr se khuli kyuki kal ki thakaan ne usse aaj jaldi uthne hi nahi diya. Uthate hue usne nazre daudaayi toh dekha Juhi uske bagal me laiti hui thi aur Juhi ke hi bagal se Shreya Iaiti hui thi jo kaafi gehri neend me lag rahi thi.

Abhi wo apni aankhein mal hi rahi thi ki usse kal ki hui ghatna ke baare me yaad aaya...

Aur fir Veer ke baare me...

Aur ye dhyaan me aate hi wo forun furti me uthi aur tezz kadmo ke saath baahar aayi,
"Veeeeeeerrrr!?"

Usne awaaz lagayi par...

Hall me koi nazar nahi aaya. Wo bauhe sikodte hue kitchen ki orr gayi.

Par udhar bhi koi naza nahi aaya...

Usne bathroom check kiya. Par udhar bhi Veer ka koi ata pata nahi mila.

'Wait!? Kal wo aaya bhi tha ya nahi...!?'

Ye soch Nidhi forun hi andar Shreya ke paas gayi aur usse tatolte hue uske kaan me awaaz lagaate hue puchi,
"Shreya!? Shreya!? Ooo shreya!? Sunn! Sunn jaldi... Kal Veer ghar aaya tha na!?"

Shreya jo neend me hi thi wo bas hmm karke Nidhi ko jawaad deti hai.

Nidhi : Toh kaha gaya!? Wo baahar nahi hai...

Shreya (neend me) : Hoga wahi kahi...

Uski ye baat sunn Nidhi ek baar fir baahar jaati hai par koi nahi dikhta tabhi uski nazar table par padti hai. Jaha ek kaagaz rakha hua tha aur uske upar paper weight rakha hua tha.

Apne ghabraaye mann ko niyantrit kar wo aage badh paper ko uthaati hai aur usme likhi gayi likhawat uski nazro me padti hai,

'Ma'am! Yadi aap ye padh rahi ho toh sabse pehle mujhe maaf kar dena, kal ke liye. Aapka gussa hona laazmi tha aur aapne jo kuch bhi kaha wo gusse me kaha tha. Aapki unn baato ka mene bilkul bhi bura nahi maana hai. Aap nishchint rahiye. Mujhe maaf kar dena jo mein immaturity dikhaate hue ghar se yu nikal gaya tha. Aapne mere liye itna kar diya hai ki...ki ab ek chhat ke neeche rehne me mujhe glaani mehsoos hoti hai. Aapke halaato aur poori kahani ke baare me mein jaan gaya hu. Shreya ji ko mat daatiyega, unhone mujhe wo sab batana zaroori samjha isliye bataaya tha shayad.


Aapne mere liye kya nahi kiya!? Jitna apne nahi karte aapne wo kiya mere liye. Mein ye kabhi nahi bhulunga. Par... Par ab mein aapke saath reh ke aapki pareshaani ab aur nahi badhaana chaahta Ma'am. Mera antarmann ab ye sach jaan'ne ke baad kabhi bhi aise mujhe rehne nahi dega... Isliye... Isliye I'm going now... Thank you so much Ma'am, jo kuch bhi aapne mere liye kiya. And I promise iska ten times mein aapko lautaunga.

Aur haa! Haha~ kal bechaari Juhi chocolate khaaye bina hi so gayi thi. Mein apni chocolate bhi uske liye chorr ke jaa raha hu. Fridge me hai woh. Uss se kehna ki uske Veer maamu uske liye ek din boht badi chocolate ki factory khulwaenge.

Shreya jii ko mera thanks kehna. For telling me the truth. And lastly...

Aap wese hi muskuraaya karo... Acchi lagti ho aap.

And Ma'am...

Take Care!'

Ye padhte hi Nidhi ki aankho se aasu behna shuru ho gaye aur wo wahi baithi sisak sisak ke rone lagi.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Veer nikal chuka hai apni progress par. Next update se Aatish's arc shuru ho raha hai. Jald hi ek naya character dekhne ko milega.
Don't forget to like. 😁
Mast update bro
 
Top