• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,283 83.3%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 198 12.8%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 34 2.2%

  • Total voters
    1,541

Werewolf

ᴍɪɢʜᴛ ᴄᴏɴᴛʀᴏʟꜱ ᴇᴠᴇʀʏᴛʜɪɴɢ
Supreme
13,372
96,364
259
Last edited:

Mohammadrafi

Member
101
221
59
Update - 142 ~ Necessitation

Ab tak...

Idhar upar udte helicopter me uss ladki ke baal hawa me lehra rahe the.

Tabhi uske mann me ek awaaz aayi,

*DING*

‘I’m sorry…! Veer!’

Aur udhar Mumbai me Ragini ke ghar me, apne kamre me laiti Bhavna achanak bechaini ke chalte bistar par uth ke baith gayi.


Ab aage...

*Badump* *Badump*

Bhavna ka dil zorr-zorr se dhadak raha tha. Kaleja baahar aane ko ho raha tha. Ye kaisi ajeeb si bechaini woh mehsoos kar rahi thi. Uska jee behad michla raha tha.

Achanak hi uske kamre ka darwaza khula aur haafti hui Tej andar aayi,

Tej : M-Mom!?

Bhavna : Tej?? Iss waqt yaha? Kya hua?

Subah ke 7 baj rahe the aur Tej ka iss qadar uske kamre me aana koi maamuli baat nahi thi.

Tej : Mom! Ajeeb sa mehsoos ho raha hai. Ek bure sapne ke chalte neend khul gayi. Paseena aane laga, jee ghabrane laga. Isliye yaha aa gayi.

Bhavna ki bauhe ye sunte hi chintan me sikud gayi.

Bhavna : Tum akeli nahi ho beta. Aao! Baitho!

Tej kamre ke andar aake apni Maa ke bagal se baith gayi.

Tej : Veer se abhi tak baat nahi hui hai. Mujhe ab fiqr ho rahi hai. Wo bhi to call kar sakta hai na? Kahi wo kisi musibat me toh nahi fass gaya na?

Bhavna (frowns) : Tum theek keh rahi ho beta! Itna lamba samay nahi lagna chahiye. Agar wo vyast bhi hai to kam se kam ek phone call to kar hi dena tha usse. Kuch baat zaroor hai.

Bhavna nahi chaahti thi ki uska mann uss disha me jaaye. Par na chaahte hue bhi uska mann wahi jaa raha tha. Aur, uski ghabrahat harr guzarte pal badhti hi jaa rahi thi.

'Mera beta...!' Usne apne ek haath se apne seene ko bheench liya.

Tej : Toh kya kare Mom?

Bhavna : Huh? Ho sakta hai Veer kisi ko koi alag number ya soochna de ke gaya ho. Shayad Ragini ko kuch pata ho. Sab ko uth jaane do. Fir hum baat karte hai.

Tej (nods) : Mmm!

Veer ke ghar me subah wese hi sabhi jaldi uth jaate the. Unn sabhi ke uthate hi jab saare log living room me ekatr hue toh Tej se ab aur raha na gaya,

Tej : A-Aap sab! Kya aap sab me se kisi ki Veer se baat hui hai?

Shweta sabse pehli thi jisne jawaab diya,

Shweta : Nahi! Lekin, uska phone Ragini ko zaroor aaya karta tha jab bhi woh baahar jaata tha. Ragini?

Ragini : Nahi Tai ji! Meri baat Veer se bas message pe hui thi. Mene parso pucha tha uss se ki sab theek hai waha? Toh uska reply aaya tha ki sab badhiya hai. Woh jald hi lautega.

Tej : Uske baad?

Ragini : Uske baad mene kal bhi message bheja tha. Lekin, message seen nahi hai.

Ragini ki iss khabar par woh sabhi ek chinta me doob gayi.

Bhavna : Kya woh tumhe koi aur number deke gaya hai? Emergency ke liye?

Ragini : Hmm? Nahi! Woh khud se hi call karta tha toh-!

Tej : Arohi? Kavya? Kya tum dono ki baat hui hai uss se?

Tej ka prashna sunn Arohi ne dheere se naa me sarr hila diya. Veer ki khabar se woh bhi anjaan thi.

Kavya : Didi! Veer bhaiya ne zaroor apna phone gira diya hoga kahi. Woh bhulakkad toh hai hi. Hehe! Ek baar school time me apna rumaal bhul gaye the. Toh fir mera ladkiyo wala rumaal use kiye the hahahaha!

Arohi : Kavyaaaa!!! Ye mazaak ka waqt nahi!

Arohi ki daant sunn Kavya apna chehra ferr muh fula li.

Kavya : Aap sab itna kyu darr rahe ho? Abhi Choti Tai ji ke gaav me Veer bhaiya uss ghar ki terrace se neeche nahi gire the? Kursi pe land kiye the. Unko kuch nahi hua tha. Ek baar Diwali ke time jab mein aur Arohi di ye waale ghar aa rahe the tab kuch gunde hamare peeche lag gaye the.

Tej : Gunde?

Kavya (nods) : Mmm-hmmm! Gunde! Gande waale! Par Veer Bhaiya waha hero ki tarah bachane aaye the hume. Dii yaad hai na aapko?

Arohi ko turant hi woh pal yaad aa gaya jab Veer usse bachaane aaya tha. Uska haath apne aap hi Veer dwaara di gayi unn kaan ki baaliyo par chala gaya. Aur woh ahista se apna sarr haan me hilaayi,

Arohi (nods) : Mmm!

Kintu, Bhavna ke maathe par lakeere chhaayi hui thi.

'Gunde...!?'

Woh samajh chuki thi ki uska abhi apne bete ke bohut se kisso ke baare me jaan'na baaki tha.

Kavya : Toh aap log khamakha itni tension le rahe ho. Bhaiya ka phone ghum gaya hai pakke se. Woh dekhna khud hi apni taraf se call karenge.

Usne keh toh diya, par sabhi ke ashaant mann ko saantvna dene ke liye ye kaafi nahi tha.

Ragini : Ahhh! Ek minute!! Kavya? Pichli baar Veer woh Suhana Miss ke saath gaya tha na? Woh famous Sonia..! Businesswoman!! Unki badi behan hai na? Woh dono holi me aayi thi na hamare ghar?

Tej : Sonia? Suhana? K-Kaun hai ye?

Kavya (nods) : Mm! Haan! Yaad aaya! Aayi toh thi woh dono.

Ragini : Toh unhone tumhe apna number diya tha na?

Kavya : Ahhn! W-Woh-!!

Jab Kavya nazre churaane lagi toh Arohi ne uski baah pakad li,

Arohi : Ab ye mat kehna ki tumne woh kho diya.

Kavya : Nahi!!! Woh...! Mene paper pe note down kiya tha unka number. Aur ab mujhe yaad nahi ki-

Arohi : Kaaaaavyyyaaaaaa!!

Woh zorr se usse chillaayi.

Arohi : Mene tumhe kaha hai na kitni baar ki hamesha important numbers ko apne phone me save kiya karo.

Kavya : Dii! Tab Holi thi. Mein buri tarah rang se puti hui thi. Isliye mobile ko haath nahi lagaya. Bhaiya ke room se hi copy pen laayi thi aur- arre haan!!! Bhaiya ke room me kahi padi hogi woh copy. Ruko!!!

Woh bhaagte hue andar gayi toh uske peeche-peeche Arohi bhi chal di.

Toh wahi idhar Ragini ke phone par ussi samay Nidhi ka call aa gaya.

Ragini : Hello?

Nidhi : Hello! Kaisi hai aap?

Ragini : J-Jii mein theek hu! Aap bataiye! Aaj mujhe kaise yaad kiya?

Nidhi : Veer ka phone nahi lag raha tha toh socha aapko hi laga lu. Darasal, agle mahine Holi hai. Aur exams bhi rahenge. Mene bas ye batane ke liye phone kiya hai ki Veer se kahiyega woh padhna shuru kar de. Semester ke last exams hai. Fir uska last year lag jayega.

Ragini : Ah! J-Jii! Mein keh dungi!

Nidhi (smiles) : Jii! Dekhiye! Business apni jagah hai. Par- Par ab companies aane lagengi. Veer se kahiyega wo prepare kare. Baaki, mein toh hu hi. Aap jaanti hai ki job kitni zaroori hai. Side me wo business kar sakta hai. Lekin-

Ragini : H-Haan! Aap sahi hai. M-Mein keh dungi uss se.

Nidhi : Jii! Aur usse mere paas bhi bhej dijiyega. Mein usse samjha dungi. Kuch pointers de dungi exams ke liye.

Ragini : S-Sure! Thank you!

Nidhi (smiles) : No need for that. Accha! Mein rakhti hu.

Ragini : Hmm!

Aur call cut ho gaya. Log Veer ko yaad kar rahe the. Parantu, unhe kya pata tha ki woh iss waqt kis haal me tha. Zinda tha bhi ya nahi?

***

Mumbai me Veer ke ghar bhale hi subah ke 7:30 ho rahe the. Parantu, Paris me yaha ab bhi raat ka andhera barkaraar tha.

Yaha derr raat ke 3 baje hue the. Paris ka samay Mumbai se lagbhag saadhe 4 ghante peeche tha.

Hawa me helicopter lehra raha tha. Saagar ki ufanti lehre chattaano par thapede maar rahi thi. Dheere-dheere jab badi lehre takra ke thamti toh paani kuch shan ke liye shaant ho jaata. Aur ussi ke saath uska shor bhi.

Uss ardh-paardarshi jal ke andar dekh paana jatil tha. Upar se raat ka andhera. Helicopter ki spotlight ke bawajood kahi unhe woh nazar nahi aa raha tha jiski unhe talaash thi. Aur woh tha-

Veer ka shav!

"Dhoondhte raho!!! Aasmaan kha gaya usse ya dharti nigal gayi? Paani me hi hoga. Chappa-chappa chhaan maaro."

Senior officer ki awaaz uss poore ilaake me goonj gayi.

Par talaashi ke pehle Ava urf Natalia Martin ko helicopter se neeche utaar diya gaya.

Andre : Miss Natalia. Ab aap surakshit hai. Mein Andre! DGSI ki orr se ek agent. Mere saath chaliye.

Ava ne ahista se haami bhari aur uske peeche-peeche chal di.

Raasta wahi tha jaha se Veer aaya tha. Aur waha se nikal jaise hi woh sab building ke nazdeek aaye toh Andre ghabraate hue aage badha,

Andre : Terashimaaa!!!!

Woh chillaaya aur Terashima ko zameen se uthaate hue usse jhunjhlaya. Kintu, woh hosh me nahi thi.

Uski saansein aur physical condition check karne ke baad Andre ne ek raahat ki saans li.

Toh utne me building ke dusre maale se Chris aur uski team neeche aayi. Chris ki baah me goli lagi hui thi.

Neeche aate hi Chris ki aankhein phati ki phati reh gayi jab usne apne aas-paas ka nazaara dekha.

Lighthouse ka chhajja tabaah ho chuka tha. Aur neeche, ek bade se chopper ke chithde ude hue the jo aag ki lapto me jhulas rahe the.

Chris : Good god!! K-Kya hua yaha par?

Andre : Chris!!!

Chris : Andre?

Andre : Tumhe toh chot lagi hai. Quick! Jaldi chalo!

Chris : H-Haan! Upar bache hue logo ko arrest kar liya gaya hai.

Andre : Chinta mat karo! Poora area chhaan ke hi yaha se niklenge. Pehle tumhe medical assist dena zaroori hai.

Airplane airstrip par pehle se hi khada hua tha. DGSI aur police officers dwaara Natalia ko plane ke andar baitha diya gaya.

Toh wahi jis plane me Natalia ko laaya gaya tha, uske andar bhi chhaan-been shuru kar di gayi. Kintu,

Jo pilots Natalia ko plane me yaha baitha ke laaye the, unki bas laashe hi haath lagi.

Andre : Shit!!! Ab kya kiya jaaye?

Senior officer : Le ke chalna hoga inhe. Forensic report shayad kuch bata de. Baaki, bodies par se phones aur baaki details kese retrieve karni hai woh kaam hum par chhor do.

Andre (nods) : Hmm!

Aur kaafi mehnat mashakkat ke baad ek airplane ko waha se bhej diya gaya.

Yaha se ek plane ravaana hua tha toh wahi Paris ke airport par ek airplane land ho raha tha.

Plane ke land hote hi, usme se log nikle aur airport ke baahar jaane lage.

Unhi chand logo me se ek khubsoorat aurat tezz qadmo ke saath aage badh rahi thi. Uske peeche-peeche ek aadmi tha aur ek aur aurat chal rahi thi.

"Miss! Yaha se ab kaha?"

Awaaz Prakash Uncle ki thi. Aur aage chal rahi aurat koi aur nahi balki Suhana hi thi.

Uske chehre par chinta aur ghabrahat saaf jhalak rahi thi.

"Suhana!!! Kuch bataogi ya nahi?"

Ye awaaz thi Ashita ki. Suhana ki personal psychologist. Divya toh na aa saki parantu Ashita Suhana ke peeche peeche chali aayi.

Suhana ka ravaiyya bada hi ajeeb lag raha tha usse. Uski personal psychologist hone ke naate uski harr harqato par dhyaan dena Ashita ki zimmedari thi.

Suhana : Prakash Uncle!! Hume Ava ko dhundhna hai.

Prakash : P-Par Ava Miss to kidnap ho chuki hai na Miss.

Suhana tezz raftaar se chalti jaa rahi thi. Uska peeche karne ke liye Prakash aur Ashita ko bhaagna pad raha tha.

Prakash : Aur aap abhi bhi poori tarah theek nahi hui ho.

Suhana (frowns) : Abhi sabse zyada important hai Ava ke baare me khabar lagna Uncle. Veer bhaari musibat me hai. Uska Phone nahi lag raha hai aur na hi aapke uss Eric se contact ho paa raha hai.

Ashita : Veer? Who's this Veer?

Prakash ne ek jhalak Ashita ko dekha par uske prashn ka uttar na diya.

Prakash : Aise me toh fir Ava Miss ke sabse qareebi log ya fir yaha ke investigation department jaana hi behtar hoga. Wahi se kuch detail lag payegi Miss.

Suhana : Ava ke qareebi kaun hai, ye hum nahi jaante. Investigation department hi chalna behtar hoga.


da07a010-d39a-4881-a52b-889053603036

Road taraf aate hi ek car pehle se hi unke liye lagi hui thi.

Prakash ne aage badh car ka darwaza khola aur Suhana andar baith gayi. Saath hi Ashita bhi.

Prakash aage driver ke bagal se baitha aur car waha se ravana ho gayi.

Magar abhi kuch hi kilometer ki duri tay ki thi unhone ki saamne ka nazara dekh woh sabhi chaunk gaye.

Paris ke iss jaane maane chauraahe par afra-tafri machi hui thi. News reporters idhar se udhar apne cameramans ke saath coverage ke liye bhaag rahe the.


gty-place-de-la-republique-square-panic-mt-1511115-16x9-608

Toh wahi police unhe control karne me lagi hui thi. Logo ko surakshit rakhne ke liye woh waha se jald se jald area khaali karwaane me lage hue the.

Ye ilaaka wahi tha jaha kal raat bada dhamaka hua tha. Tehqiqat karna kisse pasand nahi hota? Log apna camera leke aur reporters apna mic leke pohuch rahe the.

Police ke liye kaam badhta jaa raha tha.

Suhana : Something big has happened. Whole city is in chaos.

Ashita : Y-Ye sab!? Akhir ho kya raha hai?

Car me baithe-baithe unn sab ne dekha ki kaise news reporters harr ghatna ki jankaari dene me lage hue the.

Toh wahi janta me se kuch log aise the jo virodh ka pradarshan kar rahe the. Naare lagaate hue woh police aur France ki govt. ke khilaaf awaaz utha rahe the.


001d962a-1440

"Kya yahi hai France ki suraksha? Kya yahi hai police ki security? Aise hi itna bada hamla sheher ke beecho-beech kar diya jaata hai. Kya kar rahi thi police? Kitne log maare gaye hai. Kaha hai hamla karne waala? Kya police pakad paayi usse? Hum jawaab chaahte hai!!!"

Janta ka virodh badhta hi jaa raha tha. Aur unki awaaz ko logo tak pohuchaane ka kaam media kar rahi thi.

Police officers logo aur media ke beech ghir kar unhe bas hidaayat hi de sakte the.

"France 24 News channel se mein bol rahi hu Audrey aur hamaare saamne maujood hai police department ke jaane maane Chief. Sir! Kya kehna chaahte hai aap iss waqt? Janta police se naakhush hai. Din-dahaade hamla ho jaata hai aur police ke paas saamne rakhne ke liye koi jawaab nahi hai."

Chief ne logo ko shaant rehne ka ishaara kiya par shor tha jo kam hone ka naam hi nahi le raha tha.

"Dekhiye!! Situation kaafi critical hai aur complex bhi. Ye samay virodh ka nahi hai. Mein janta se kehna chahunga ki kripya kar woh hume apna kaam karne de. Mujrim ke peeche DGSI aur hamari force lagi hui hai. Mujhe aasha hai jald hi hum ghuspethiye ko pakad lenge. Mein aashvashan deta hu ki France ki police apna poora de rahi hai."

"Par janta ka kya Sir? Jinhone apni jaan gavaayi hai unka kya? Uss baare me aap kya kehna chaahenge? Kya aap maante hai ki aap ke department me se kahi na kahi security ko lekar chook hui hai?"

"Ji nahi! Hum harr samay alert rehte hai. Ye ek haadsa hai. Aur mujhe bohut khed hai iss baat ka ki kuch logo ne apni jaane gawa di hai. Magar hum jald hi mujrim ko pakad ke janta ke saamne pesh karenge."

Itna bol Chief waha se hatt ke jaane lage toh news reporter unka peecha karne lage. Parantu, police officers ne unhe aage badhne na diya.

"Toh jaisa ki dekha aapne. Police chief ka yahi kehna hai ki woh apna poora de rahe hai aur tehqiqaat karne me teams juti hui hai. Mera bhi yahi nivedan hai darshako se ki kripya apne apne ghar me hi rahiye. Police ko apna kaam karne dijiye. Tab tak ke liye aaiye aapko dikhaate hai, uss building ki dasha jaha par dhamaka hua tha."

Aur news reporter cameraman ke saath waha se nikal gayi.

Car me baithe jab Suhana aur baaki sab ne ye dekha toh unki haalat patli ho gayi.

Ashita : I-Itna bada haadsa ho gaya yaha?

Prakash : Aage bhaari checking lagi hai Miss. Cars ko bina check kiye aage badhne nahi de rahe hai.



images-9

Suhana : Hum clean hai. Hum par koi aarop nahi hai. It's okay. Let them do! Lekin agar time lagta hai then-!! Find another route.

Prakash : Jii! Mein aage jaake unse puch ke aata hu ki pehle hamari checking kar de. Toh hum yaha se nikal sake.

Suhana (nods) : Hmm!

Prakash gaadi se utar aage Signal ki orr chal diya. Lekin tabhi chauraahe ke upar bade bade hoardings ke paas lagi ek badi si screen par news aayi.

Suhana ki nazre fauran hi uss par tik gayi.


images-10

"Breaking News coming from the blast incident which took place yesterday. Singer and celebrity Miss Natalia Martin has been rescued by the DGSI and police force. The suspect has been executed on the spot. It has been confirmed that the suspect didn't co-operate with the police. Hence, squandering his life. Body has still not been found. However, DGSI is working diligently to search the criminal's body."

Khabar ke saat hi Veer ki wahi tasveere screen par aayi jo Andre ne slot machine waali alley me video me record ki thi.

Suhana ne jab ye suna aur dekha toh uski saansein maano atak gayi. Saaf saaf likha hua tha. Suspect was executed on the spot.

Apraadhi ko wahi par maar diya gaya. Suhana ka badan thar-thar kaanpne laga. Uski aankhein feli hui thi. Kya woh saamne jo dekh rahi thi woh sach tha?

Aur fir iska bodh hote hi ek ajeeb si anubhooti usse andar se hui. Aankhon se apne aap aasu nirantar behne lage.

Ashita : Suhana!?

Suhana toh jaise kisi aur hi duniya me jaa chuki thi. Badan me kampan rukne ka naam nahi le raha tha.

Achanak hi uske phone par call aaya, jiski awaaz ne uska dhyaan kheecha.

Bina screen me number dekhe Suhana ne call uthaaya aur phone ko kaan pe lagaya.

Toh waha se awaaz aayi,

"Umm! Suhana ma'am? Kya ye aapka number hai? Mein Veer bhaiya ki choti behan- Kavya bol rahi hu. Hello? Hello?"

Suhana ki bolti band thi. Kaise jawaab de? Aur kya jawaab de? Saamne screen par Veer ki akhiri tasveere jhalak rahi thi. Kaise kahe uss ladki se ki uska bhai marr chuka hai?

Usse mehsoos hua jaise andar se kuch behad keemti toot gaya ho. Jisse ab dobaara kabhi nahi joda jaa sakta.

Kavya : H-Hello?

Suhana : M-Mein tumhe baad me call karti hu Kavya. Okay?

Kavya : Ohh! O-Okay! Wo-! Woh Veer bhaiya ke baare me puchna tha. K-Kya aapko koi khabar hai woh kaha par hai?

Suhana : N-Nahi! Mein pata kar ke tumhe uske baare me bataati hu. Th-Theek hai?

Kavya : Okay! Thank you~ B-Bye!

Aur call cut ho gaya. Magar call cut hote hi Suhana toot ke bikhar gayi. Woh zorr zorr se rone lagi. Ashita usse achanak se iss qadar dekh ghabra gayi.

Ashita : Suhaaaanaa???

Parantu, Suhana koi jawaab nahi de rahi thi. Woh bas roti jaa rahi thi. Jhar-jhar uske aansu aankhon se beh ke gir rahe the.

'It can't be-!!! H-How can this happen?'

Yakeen nahi karna chaahti thi woh magar saamne news channel uske mann ko aur duwidha me daal raha tha.

'N-Nahi!! Aisa nahi ho sakta. It doesn't make any sense. R-Right! They haven't discovered him yet. Jab tak mein apni aankho se nahi dekh leti tab tak mein yakeen nahi karungi! Woh Aatish, Slogan, Nightwalker, Pitcher jaiso ke changul se baahar aaya hai. I know you're out there Veer...!'

Ashita : Suhanaaa?

Suhana ne agle hi shan apne aansu poche. Tab tak Prakash bhi laut ke aa chuka tha.

Prakash : Miss! Woh maan gaye hai. Check karwa ke nikalte hai.

Suhana : Plan badal chuka hai Uncle. Ab hum waha nahi jaa rahe. Ek hotel me rooms book kariye sab ke liye. Aaj raat hum wahi thehrenge. Aur kal Ava laut ke aa chuki hogi Paris me! Then we'll meet her.

Prakash : Theek hai!

'She's hiding something.'

Car checking ke baad seedhe ek hotel ki disha me chali gayi.

***


Las Vegas
Night...


Veer ke liye uske chaahne waale log lag chuke the. Harr koi uski khabar paane ke liye bechain tha.

Yaha Vegas me Divya ko ek baar punaah Nolan ne apne department bulaaya hua tha.

Andar jaate hi ek aur report uske saamne table par patak di gayi.

Nolan : Ab sthiti haath se nikal rahi hai Divya. Take a look at this.

Report ko uthaate hue jab Divya ne sab kuch padha toh woh bhauchakki reh gayi. Atyant krodh janm liya, saath hi vyaakulta bhi.

Divya : Ye France waale paagal ho gaye hai kya? Andhe hai kya? Dikhaayi nahi deta kya namoono ko??

Nolan : Tumhe ek baat aur bataani hai. Kuch din pehle France ki orr se House of the Killers ke cases ko leke ek request aayi thi.

Divya : Wh-What?

Nolan : Hmm! Unhe report chahiye thi HOK ki.

Divya : Kyaaaaa?

Nolan : Aur humne unhe bheji bhi hai report.

Divya : What? Are you in your right mind??? HOK koi normal murder case nahi hai. Ye confidential hai. Classified reports ko department dusre desh me kaise bhej sakta hai?

Nolan : Unka daawa hai ki wahi hamla unke upar hone waala tha. Unhe saboot bhi mile hai. Aur iska rachayita unn logo ne kisse tehraya hai pata hai na?

Nolan ne agle hi pal report ka akhiri panna khola toh usme Veer ki tasveer bani hui thi.

Divya ka haal behaal ho utha. Woh apni jagah par baithate hue bhayanak peeda mehsoos kar rahi thi. Usse koi raasta nazar nahi aa raha tha. Uske nain bheeg uthe.



014ab73d076f5de5c8b7a9a2b1fcbb1e

Divya : Y-Ye sab-!!!

Nolan : Hum jaante hai Veer nirdosh hai. Hum sirf ek hi kaam kar sakte hai. Aur woh hai ki apni report bana ke bheje jisme Veer ko normal citizen ke roop me dikhaaya jaaye. Jaisa ki vaastav me hai. Lekin-! Jo kuch hoga woh wahi se ho payega. Mujhe nahi lagta woh maanenge.

Divya (sobs) : A-Aap kaise!? Kaise bhej sakte ho waha reports? *sniff*

Nolan : Divya! Jab dusra desh vipda me aane waala ho aur unhone koi maang rakhi ho toh hume badle me madad karni hi padti hai. Hamara desh iss samasya se joojh chuka hai. Upar se order the ki report ko bheja jaaye taaki woh pehle se iske liye taiyaar ho sake. Hume kya pata tha ki waha Veer ko fassa diya jayega!

Divya (screams) : Magar Veer nirdosh hai!!!!

Nolan : Jaanta hu! Isliye jo bann padega, department woh karega.

Itna bol woh baahar nikal gaya. Kintu, Divya wahi gir ke subakne lagi. Iss ladke se itna lagaav ho jayega usse, usne khud kabhi nahi socha tha.

***

Agli raat mahaul kuch aur hi tha. News par Ava se sawaal jawaab kiye jaa rahe the. Usse Paris aaye kuch hi ghante hue the ki reporters uske upar chadh pade.

Tamaam sawaalo ke saamne Ava mics se ghiri hui thi.

Aur unn sabhi sawaalo ka bas usne ek hi jawaab diya,

"Mujhe theek se yaad nahi mere saath kya hua tha. Mein bhaag rahi thi. Fir pakad li gayi aur fir kahi mujhe le jaaya gaya. Mujhe koi jankaari nahi hai inn sab ke peeche kaun hai. Mein abhi ghabrayi hui hu aur abhi kuch samay akele me guzarna chaahti hu."

Bas! Ye kuch shabd kaafi the. Doctors se leke security sabhi ne reporters ko Ava se dur kar diya. Doctors Ava ki health condition check karne lage. Toh wahi kuch reporters ke sawaal jawaab dene me lag gaye.

Sab kuch jab thoda shaant hua. Toh raat me Ava hospital ke liye chal padi.

Woh akeli thi. Face par mask tha uske. Car thode sunsaan raaste se guzar hi rahi thi jab theek saamne raaste par koi beech me aa gaya.

Ava ne car side me roki aur uss se baahar nikal woh uss shaks ki orr gayi.

Saamne wahi tha!!


Crimson!!!

Par uski aankhon me bhaiyankar krodh tha. Aag baboola ho rakhi thi uski aankhein.

Crimson (garajte hue) : Kaha hai woh??? Kaha hai??

Ava (frowns) : He's dead!

Agle hi pal Ava ka gala Crimson ke mazboot haatho me tha.

Crimson : NAHI!!!!! TUMNE MARRNE KAISE DIYA USSE??? WOH MERA SHIKAAR THA!!!!

Ava : Ngghhh!!!

*BAAAAAAMMMMMMM*

Ava ki laat turant hi Crimson ke pait se takraayi aur Crimson dur jaate hue lohe ke dabbo ke beech jaa gira. Uska ek haath wese hi pehle se gaayab tha. Seene par abhi bhi khoon ke dhabbe maujood the.

Ava : *huff* *huff* Mene tumhara kaam kar diya hai. Apne aadmiyo ko waapas bulao.

Crimson karaahte hue utha aur kuch derr tak Ava ko dekhta raha.

Ava ki awaaz agle hi pal kaafi khaufnaak ho gayi.

Ava : APNE AADMIYO KO WAAPAS BULAO! ABHI!!!

Crimson : Girl!!! Awaaz neeche! Bhulo nahi ki tum kis situation me ho abhi.

Fir bhi apna phone nikaal usne ek message bheja. Aur uske message bhejte hi,

8 se 10 snipers jo apna aim Grace Martin ke ward ki khidki par lagaaye baithe the woh waha se nikal gaye.

Crimson : They are gone!

Ava : Agar aisa kuch dobaara hua, toh mein tumhaare tukde tukde kar dungi! Fir chaahe apni hi jaan kyu na gawa du!

Crimson (gusse me) : Woh mera shikaar tha!!! Meraaaa!!!! But you let him-

Ava : He didn't surrender. He chose to die. He gave away his life rather than surrendering to you.

Kehte hue uski palke neeche ko jhuk gayi.

Crimson : Y-You-!!

Ava (glances) : Aur itna gussa kyu? Tum usse maarna chaahte the. Woh jaa chuka hai. Tumhara maqsad poora hua. Why the rage?

Crimson : Tch! Apne kaam se kaam rakho! Aur tumhara haal bhi toh alag hai. Aren't you caring for him too much? He was no one to you! Why such a reaction then!? Interesting!

Ava : Fuck off!

Ava waha se mudi aur apni car me baith ravana ho gayi.

Raaste par bas Crimson hi akela khada raha.

'Veeeeeerr!! You motherfucking bastard-!!! Mene nahi socha tha ki tum maut ko gale laga loge. Tch! Plan bigad gaya hai. Sirf iss ek move ke kaaran. Mujhe kuch aur karna hoga-!!! But first-!! I must fix something!'

Woh soch waha se hawa ke jhoke ki tarah gaayab ho gaya.

*Click*

Yaha Hospital me ward ka darwaza khula. Aur Ava apni Maa Grace ke kamre me pravesh ki.

Maa ko dekhte hi, Ava apne ghutno par gir padi.

Maa ko dekh woh unke paas aayi.

"Mother-!!!"


6e176aad-6f1f-4d25-a61e-d7c8cf91403e

Kintu, Grace toh kisi murti ki tarah sthir waha laiti hui thi. Koi harqat nahi. Bas saansein chal rahi thi.

"K-Kyu? Kyu meri itni pareeksha li jaa rahi hai? Kyu mujhe woh karna pada?"

"Mother-!!! I commited a sin!!!"

"Mujhse bohut bada paap ho gaya hai mamma!!! I-I- I killed an innocent mamma!!"

Woh kaanch ki tarah toot ke bikhar gayi.


1d7aab2b-842a-4c45-890b-3ced33dd101d

"Mein bewakoof-!! Samajh na paayi!! I couldn't understand his heart. I never wanted to do it. But I did-!!! Mamma!!!"

*sniff*

"Woh yaha mujhe bachaane ke liye aaya tha. He didn't even ask me for any details. *sniff* Yet I- Yet I worked with that guy to frame him!!!"

*hic*

"Mother-!! You are my strength!! But you are my weakness too!!"

"Kaise? *sniff* Yaha tak pohuch gayi hu. Ab kaise peeche hatt sakti hu?"

Uske mann me ek notification saaf saaf jhalak raha tha.


[Accumulated points : 18000]

[2000 points are required more to activate the Legendary Scroll ~ Maisie's cure!]

[Maisie's Cure - The scroll gives host the proper medication guidelines and surgery methodologies to recover any person from coma.]


"I'm sorry-!!! I'm sorry Veer!!! I never wanted to do it-!!! *sniff* Mamma!!! *sniff* Speak to me!!! P-Please-!!!"
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Itne bade bade bawaal updates ke baad ek cooldown update zaroori tha. Update 4.6k words ka hai. Like thokne ka. Target wahi hai. 140 likes. 2 updates aur aayenge. 1 poore past ko darshayega ki Crimson ne ye sab racha kaise. HOK kaise paida hua. Veer kaise framed hua. Dusre me wapas hum present me aa jayenge.

Dhanyavaad! ✨
JAIS AKI KAHA THA KI KYU AVA NE YE KIYA
DUSRI BAAT YE HAI AB 3 LOG HAI JINKE PASS SYSTEM HAI
QUESTION YE HAI KI KYA AVA KO PATA HAI VEER KE PASS SYSTEM HAI ?
KYA AVA KO PATA HAI CRIMSON KE PAS SYSTEM HAI ?
AUR KITNE LOG HAI JINKE PAS SYSTEM HAI ?
SABSEE BADA SAWAL KYA VEER AVA KO MAFF KAR PAYEGA YA FIR NAHI KAR PAYEGA MAFF
AGAR VEER USKO MAFF KARDETA HAI TO YE BAHUT HI BAKWAS BAAT HOGI PURI STORY KI
YE TO WAHI BAAT HOJAI GI KI EK CHUT KE LIYE PURA GAANV CHOOD DIYA JAYE :mahboi::mahboi:
 

Mohammadrafi

Member
101
221
59
EK ANDAJ LAGYA JA SAKTA HAI
KULMILKAR 10 LOGO KE PASS SYSTEM HAI AUR HAR KISI KO SYSTEM YAHI BATA RAHI HAI KI DUSRI SYSYTEM NAHI HO SAKTI ..
SAB KO CHUTIYA BANAYA JA RAHA HAI AUR POINTS KE NAAM PAR DUSRO KE SATH LADAI KARVAI JA RAHI HAI ?
TO POSIBILITY KYA HAI ?
1) KOI HAI JO IN SAB SYSTEM KO CREAT KAR KE KISI HOST KO TRANSFER KARTA HAI .
2) YA TO PHIR SYSTEM KO YAHI LAGTA HAI KI WO EK HI HAI PAR KOI AUR HAI JO INKO BANATA HAI AUR HOST ME TRANSFER KAR DETA HAI .
3) YA PHIR KUCH AUR HAI JO ABHI TAK DIKHAI NAHI DIYA HAI ?
Mega Update

Update - 143 ~ Luring the wolf with the hen

[Note : Update ko rush me bilkul mat padhna. Itminaan se samay leke dhyaan se padhna. Warna sarr ke upar se jayega.]

Ab tak...

Uske mann me ek notification saaf saaf jhalak raha tha.

[Accumulated points : 18000]

[2000 points are required more to activate the Legendary Scroll ~ Maisie's cure!]

[Maisie's Cure - The scroll gives host the proper medication guidelines and surgery methodologies to recover any person from coma.]

"I'm sorry-!!! I'm sorry Veer!!! I never wanted to do it-!!! *sniff* Mamma!!! *sniff* Speak to me!!! P-Please-!!!"


Ab aage...

A few months ago...
(Kuch mahine pehle...)


Kisi underground basement me sofe pe ek aadmi baitha hua tha. Ceiling par pankha halki gati me ghoom raha tha. Shor tha toh bas ussi pankhe ka, baaki harr jagah ek khamoshi chhayi hui thi.

My-Snarky-Self

Uske haath me ek wine ka glass tha toh dusre me cigarette. Ye koi aur nahi, Crimson hi tha jiske mann me kuch baatein ghoom rahi thi,

‘Why don’t you be my right hand? You’ve got potential!’

‘So you chose to betray me huh? Surprised? Mujhe kaise pata chala? You can’t lie to me you know!’

‘One of my preys is arriving there. Dhyaan rahe! Usse kuch hone na paaye!’

‘I can kill you anytime! Don't test my patience.’


Ye awaazein, ye bol uske dimaag me mandra rahe the.

Aur achanak hi,

*Crack*

Uske haatho me maujood wine ke glass ke tukde-tukde ho gaye. Wine uske haath ko bhigo ke zameen par gir gayi. Woh gusse me utha,

"Tujhe lagta hai tu koi bhagwan hai? Mein tujhe dikhaunga ki asli baazigar kaun hai. Just you wait-!"

Woh krodh me garja.

"Aur ye bhi pata laga lunga ki tu hai kaun asal me madarchod!!!"

*Crash*

Table par ek laat usne maari toh wine ki bottle aur glass sab toot ke bikhar gaye. Aur basement me punaah wahi khamoshi chhaa gayi.

***


Clark County Detention Center,
Las Vegas.
Night ~ 11 : 49 PM


Kuch din guzar jaane ke baad, Vegas ki iss jail me raat ke samay sab kuch pehle ki tarah hi tha. Qaidi log apne-apne cell me waqt kaat rahe the. Patrolling karne waale officers roz ki tarah apni duty par the.

Kahi bhi koi gadbad ki aashanka nazar nahi aa rahi thi jab achanak se,

*Pssssssssssssss*

Detention Center ki entrance ke paas hi chaaro orr dhua felne laga.


images-11

"Ye kya ho raha hai? Officers!!!"

Satark hote hue sabhi mauke pe pohuche aur dhue ke source ko dhundne lage. Lekin, unke yaha aate hi,

*Pssssssssssssss*

*Pssssssssssssss*

Harr jagah dhua uthne laga. Smoke bombs ek ke baad ek apna kaam karne me lag gaye. Aur saare detention center me afra-tafri mach gayi.

"Officers be alert!!!"

Par unn smoke bombs ke beech kuch aise bombs bhi feke gaye the, jinme behosh karne waali gas maujood thi.

Ek ke baad ek officers behosh hoke girte chale gaye. Jab tak unhe iss baat ka ehsaas hua ki gas me behoshi ka koi padaarth hai tab tak gas apna kaam kar chuki thi.

Security cameras dhue ke chalte kuch catch na kar paaye. Jail cells ke andar maujood apraadhi log bhi aashcharya me pad gaye. Unhe nahi pata tha ki baahar hall me kya ho raha tha. Tabhi achanak hi,

*Clang*

Ek cell ka gate zorr se awaaz kar ke khul gaya.

"H-Huhhh!?"

Jail ke andar baitha aadmi stabdh reh gaya. Ye sab ho kya raha tha? Aur uske jail ke cell ka darwaaza kisne khola? Usse samajh tak na aaya.

Par mauka dekhte hi woh bhaaga. Jail se chhootne ka iss se behtar mauka aur kya ho sakta tha?

'Fuck it! I'm free now! Hahaha!'

Aur ye shaks jo tha, woh koi aur nahi, wahi tha.

Jim! Yaani ki,

Jim the Slippery.

Ussi ke saath-saath baaki saare jail cells ke darwaaze khul gaye. Aur ek ek karke saare apraadhi baahar bhaagne lage.

"Hahahaha!!! Bhaago!! Bhaago! Iss se pehle ki extra unit aake hume pakad le."

Alert ke sirens bajne lage the. Bhaagne ka shor fela hua tha. Security cameras ko monitor karne waale logo ne turant hi extra units ko inform kar diya tha.

Yaha saare jail cells ke akhir me ek cell aur tha. Jiske andar baitha aadmi dheere se utha aur baahar aaya.

Uske chehre par ek behad hi bhayanak muskaan saji hui thi. Aisi muskurahat jisse dekh insaan darr jaaye. Badan par phate hue aur maile kapde the.

Woh paagalo ki tarah hasste hue bhaag kar entrance ke paas aaya.

"Ehehehehehehe! Hehehehe!"

Uski hassi badi hi vichitr aur khaufnaak si thi. Aisi jisse sunn aadmi ke raungte khade ho jaaye. Agle hi pal, uss khaske aadmi ki nigaahein dhue ki taraf daudi aur usse koi waha khada nazar aaya,

Usse dekhte hi aadmi ke honth ajeeb dhang se aur upar fel gaye aur muskaan pehle se bhi daraavni ho gayi.

"Ehehehehehe! Tum bhi hum me se ek ho? Ehehehe! Mere patients-!!! Hehehehe! Mein aaya-!!!"

Woh na jaane kya badbadaya aur waha se uchhalte koodte hue bhaag gaya.

Koi bhi hota toh usse iss waqt dekh paagal hi samajhta. Par dhue me khada woh aadmi usse dekhne ke baad ek shock me jaa chuka tha.

Kyuki abhi abhi uske mann me ek awaaz aayi thi.

*Ding*


[No information available.]

Uss shaks ki aankhein phati ki phati hui thi. Ye Crimson hi tha.

Wahi tha jo detention center se unn apradhiyo ko bhagaaya tha. Wahi tha jisne ye saare bombs fek ke iss ghatna ko anjaam diya tha. Uska maqsad yaha sirf Jim the slippery ko churraane ka tha.

Par na jaane uske haath kya lag gaya tha aaj.

'Y-Ye-! Woh aadmi!'


6ba56c11-b95d-4e13-8379-a2d158e72c26

Uske hosh ude hue the. Tabhi uske mann me ek awaaz punaah aayi,

[Yes! Woh aadmi ke paas system tha. Tumhari tarah!]

Spasht hote hi Crimson ko ek bada jhatka laga.

Kya kare? Uske peeche jaaye ya fir!?


[Yaha kyu khade ho? Jo karna hai jaldi karo!]

Par system ki baat sunte hi woh waha se tezz qadmo ke saath baahar nikal gaya.

Idhar Detention Center se bhaagte hue Jim alleys me ghus chuka tha.

*huff* *huff*

Haafte hue woh pakde jaane se bachne ke liye tezz gati me bhaag raha tha.

Andhere me doobi unn sakri galliyo me woh daud hi raha tha jab,

"Heugh!!!"

Achanak se kisi ne uski shirt ki collor ko peeche se pakda jiske chalte shirt uske gale par phande ki tarah kass gayi.

Fir apne aap hi uss shaks ne usse chorr diya. Jim ne jab palat ke dekha toh paaya ki andhere me koi khada hua tha.

Jim : K-Kaun? Kaun ho tum?

Woh apne gale ko sehlaate hue ghabrahat me pucha. Uske saamne Crimson tha. Parantu, andhere ke chalte Jim bechara uska muh nahi dekh saka.

Crimson : Mein kaun hu tumhe ye jaan'ne ki zaroorat nahi. Tumhe bas itna jaan'na hai ki mene hi tumhe jail se churraaya hai.

Jim : Heh! Toh? Toh ab tum chaahte ho mein tumhaare talve chaatu? Agar tum mujhe nahi bhi churraate toh bhi mein-

Crimson : Kaise bhi kar ke baahar nikal aata!

Jim (hairaani me) : Huh!!!?

Crimson : Yahi kehna chaah rahe the na?

Jim : T-Tum-!!! Kaun ho tum??

Crimson (smiles) : Jim the Slippery. Police se bach nikal ke bhaagne ke liye maana jaane waala mashoor criminal. Ladkiya, daaru aur drugs dealing me maahir. Taskari toh tumhare khoon me daudti hai. Kyu? Hai na?

Crimson ke itna kehte hi Jim ki aankhein bhay ke maare fel gayi. Saamne khada vyakti usse acche se jaanta tha. Usse aisa laga jaise woh iss aadmi ke saamne nanga khada hua tha. Jaise uss se kuch bhi chhipaya nahi jaa sakta tha.

Crimson : Bolo! Kya mein sahi hu?

Jim : Hmph! T-Toh kya? Y-Ye toh sab jaante hai mere baare me.

Crimson (smiles) : Kya ye bhi jaante hai ki iss se pehle tum grave body collector jaise illegal kaam me bhi shaamil the?

Iss baar Jim ke perr ladkhada gaye.

Jim (kaanpte hue) : T-Tum!!? Tumhe kaise pata? N-Nahiii!! Kaun? K-Kaun ho tum? Jawaab do!!!

Crimson (smiles) : Apni position ko samjho Jim! Tum maut se bas ek qadam dur khade ho.

Jim (frowns) : K-Kya chahiye tumhe?

Crimson : Kuch nahi!

Jim : K-Kya?

Crimson (smiles) : Tum azaad ho. Bas mere liye ek chota sa kaam karna hoga.

Jim : Bolo!

Crimson : Tum drugs dealing karte ho ya sharaab ka business, ya fir kuch aur. Mujhe iss se koi matlab nahi. Jo karna hai karo.

Jim : Hmm?

Crimson ne muskuraate hue agle hi pal jeb se kuch nikaal ke uski orr feka. Hadbada ke Jim ne usse haatho me thaama.

Jim : Y-Ye kya hai?

Usne apne haatho me pakde uss cheez ko tatol ke dekha. Ek card tha. Kisi credit card ki tarah.

Crimson (smiles) : Tumhe ye bechna hai. Police ya kisi ko bhi iski khabar lagni nahi chaahiye. Ye sirf tumhe kisi aise shop dealer ko bechna hai jo khud kisi illegal kaam me ho. Aur usse bhi kuch nahi batana hai. Samajh gaye?

Jim : P-Par ye hai kya?

Crimson : Jitna kaha gaya hai utna karo. Tumhe baad me samajh aa jayega.

Jim : Tch!!! Theek hai. Kaam ho jayega!

Crimson : Ye raha number. Iss number pe hi mujhe contact karna.

Jim : Th-Theek hai!

Crimson : Apni gang ko ikhatta kar lo. Time kam hai. Tumhare saath aur bhi do log judne waale hai!

Jim : K-Kaun?

Par Crimson bina kuch kahe hi waha se palat ke jaane laga.

Jim : H-Hey!! Jawaab do! Kaun do log?

Crimson (smiles) : Tumhe pata lag jayega. Go now! Aur haan! Welcome to the House of the Killers.

Kehte hue woh waha unn andheri galliyo me kahi gaayab ho gaya. Jim bas uss card ko taakta reh gaya. Bina samay gawaaye fir woh waha se bhaag nikla.

Aur idhar Crimson jeb me haath daale apne naye plan ko execute karta jaa raha tha.

Jin do logo ki woh baat kar raha tha woh koi aur nahi the. Woh wahi mashoor serial killers the-

Nightwalker aur Pitcher!!!

Alley se baahar aate hi ek luxury red car uske saamne khadi hui thi. Driving seat par ek khubsoorat ladki virajmaan thi.

Crimson (smiles) : Ahn! My sweetie! You arrived.

Sweetie : Yes! Toh? Ab kya?

Crimson ne wesa hi ek aur card nikaal ke Sweetie ki orr feka toh usne card ko catch kar liya.

Sweetie : Ye kya hai?

Crimson (smiles) : Maut ka aamantran! Inki copies banwani hai. Tumhare phone pe address diya hua hai. Jao aur iss card ki multiple copies banwaane keh do. Chip wahi rehni chahiye usme.

Sweetie : Kisi tarah ka entry card hai?

Crimson ne muskura ke haan me sarr hilaaya.

Sweetie : Well! Theek hai! Meri pagaar?

Usne itna kaha hi tha ki agle hi shan noto ki do badi badi gaddiya uski goad me thi.

Crimson : Go now!

Sweetie ek kutil muskaan liye unn noto ko apne hontho se choomi aur jitni tezzi me woh yaha aayi thi. Utni hi tezzi me waha se nikal bhi gayi.

Main road par aate hue Crimson cigarette ka kash lagaate hue upar unn bade bade hoardings ke bagal se lagi screen ko dekhne me lage hue tha.

Jisme jaani maani Singer Natalia Martin ke interview ki kuch snippets chal rahi thi.

Na jaane usse kya soojha par usne mann me hi,

'Check!'

*Ding*


[No information available.]

Crimson ki aankhein ek baar fir hairat ke maare fel gayi. Uske haantho se cigarette chhutak ke gir gayi.

Uska system TV screen ko toh check karta hi tha. Parantu, tv me dikhaayi dene waali cheez ko bhi check kar ke batla sakta tha.


[This is a surprise. Nahi laga tha ki Natalia Martin ke paas bhi system hoga. That explains her sudden rise in the industry. What now? What will be your action?]

Uske system ne uss se pucha.

Par Crimson ke mann me kisi aur ke hi bol goonj rahe the. Uss anjaan shaks ke-


‘One of my preys is arriving there. Dhyaan rahe! Usse kuch hone na paaye!’

Na jaane ye kaun tha par Crimson ko yakeen tha ki woh ateet me jis insaan se mila tha. Ye wahi vyakti tha.

Usse zindagi me aaj tak kisi se kabhi itna darr mehsoos nahi hua tha. Magar ye insaan usse maut ki anubhooti karwa raha tha.

Uske perro tale chal rahe kuch cheete ek rakha bana ke jaa rahe the. Aag baboola hote hue Crimson ne apna perr patka aur unme se ek cheeta uske perr ke neeche kuchal ke marr gaya.

"Sahi kehte hai. Insaan ki zindagi ek cheeti ke samaan hoti hai."


[What now?]

'One lf his preys is arriving here? Tab toh ek teer se do nishaane ho gaye.'

[We have Natalia too now!]

'Ohhh! Hahaha! My bad! Teen nishaane!'

[Jail me mile uss system waale aadmi ke baare me mat socho abhi. Aur uss caller ke baare me socho. Woh zyada dangerous maalum pad raha hai. He's scheming something.]

'I know! Aur ussi ke liye toh ye sab taiyaar kar raha hu. I must have my own force.'

Woh apne basement me laut ke aaya toh kuch hi derr me Sweetie bhi uske saamne haazir thi.

Crimson : Kaam ho gaya?

Sweetie : Hmm! Card ki copies jald hi mil jayengi. Par ye sab hai kis liye?

Crimson : Tumhara kaam hai mera kaha gaya order follow karna. Nothing else. Samajh rahi ho na?

Sweetie : Y-Yes!

Crimson : Singer Natalia Martin ke upar nazar rakhwao. Dhyaan rahe kahi se bhi usse pata na lag paaye. Aur logo ke beech ye khabar faila do ki Island par dherr saara treasure maujood hai ek mansion me. Saath hi Investigation department me ek spy plant kar do, jo hume pal pal khabar dete rahe.

Sweetie : Treasure? Singer Natalia!? Lekin-!!!? Theek hai!

Sweetie sawaal puchti par woh apni jagah jaanti thi. Bina koi prashn kiye woh raazi ho gayi aur firse baahar nikal gayi.

Aur aise shuru hua, House of the Killers ka karnaama.

Jim the Slippery apne drug dealing aur kaale karmo me jut gaya. Saath hi usne alleys me maujood slot machines ka vyapaar karne waalo ke beech kisi ek dukaan me unn cards ko bhijwana bhi shuru kar diya.

Ye wahi card the, jiska istemaal kar ke Nightwalker ke mansion me ghusa jaata tha. Sweetie uski copies banwa banwa ke Jim tak supply karti. Aur Jim unn cards ko alley me maujood uss dukaan me bhijwata.

Island par Nightwalker ka Mansion aur bhi bhawya bana diya gaya. Usse jo chahiye tha woh usse milne laga tha. Zinda kaatne ke liye insaan. Treasure ki feli khabar sunn, log alleys me jaate, uss card ko khareedte aur baad me island par jaate.

Jaha Nightwalker unke sang raat me maut ka khel khelne ke liye taiyaar rehta. Saath hi wines, drugs import aur export kar deals bhi karta.

Toh wahi Pitcher bhi iss tigdi ka hissa tha. Alag alag hotels me uski maut ki parties organise hoti. Mithridatism ki vidya liye woh ek se ek celebrities ko maut ke ghaat utaarta aur apni fetish ko santusht karta.

Crimson yaha unn fetish waale logo ko dhundhta jo live killing dekhne ke liye dherro paisa lutaate.

Unhe ikhatta kar woh Nightwalker, Pitcher ke through dark web me live killing dikhwata.

Inn chand mahino me usne itna paisa kama liya tha ki ab uski khud ki IT companies ki kuch buildings bhi thi. Itna investment kar chuka tha woh.

Uski force taiyaar hoti jaa rahi thi.

Khaas baat ye thi ki Jim, Nightwalker aur Pitcher, teeno ko hi Crimson ke baare me koi jankaari nahi thi.

Woh jaante the ki koi aadmi tha jo unka dhandha karwaane me madad kar raha tha. Par woh kaun tha? Iss baat se woh anibhigya the.

Kintu, jo sabse zyaada usse tang kare hue tha woh tha wahi-

Woh unknown caller. Aur uski baatein-


‘I can kill you anytime! Don't test my patience.’

Ek baar fir woh awaaz apne mann me sunn uska gussa saatve aasmaan par pohuch gaya.

*Crash*

Agal bagal padi cheezo ko usne gusse me bikher diya.

"Tu mujhe maarega behanchod!!!? Jald hi-!! Jald hi tera chehra mere saamne hoga. Kaun hai tu, tera maqsad kya hai sab pata laga lunga mein."

Woh abhi uss caller ko yaad kar hi raha tha ki itne me ussi caller ka usse phone aa gaya.

Aur crimson ke call uthaate hi waha se fir wahi awaaz aayi,

"Tum nahi maane! Hai na? I gave you a warning though. Ye antim warning de raha hu. Veer-!!! Mera shikaar hai. Waha aane waala hai. Usse kuch bhi hone na paaye. You got that!?"

Bas! Aur call cut ho gaya. Magar Crimson ke chehre par woh kapti muskaan felte hi jaa rahi thi.

"Veeer!!!?? Huh!!! Hahahahahaha!! Toh Veer naam hai uska!!!!"


[Kya plan hai next? You want to kill him!]

'Of course! Hahahaha! Shikaari ke shikaar ko hum churaaenge. Aur baad me uss shikaari ko bhi dhad dabochenge.'

[Be careful!]

'Aane do uss chooze ko.'

Aur issi beech, ek kaand aur hua. Pitcher ne Ava ki dost Charlotte ko maut ke ghaat utaar diya.

Sansani bann ke news fel gayi. Ava ko ye pata lagte hi ek dhakka laga. Bhale hi Charlotte uske itna qareeb nahi thi. Lekin, uss se hi-hello uski bani rehti thi.

Aur ab Crimson taiyaar tha apna dusra daav khelne ke liye.

Ava urf Natalia Martin akeli hotel me ek record company se mil ke parking me khadi apni car me baithne jaa hi rahi thi jab usse peeche se ek awaaz sunaayi di,

"Natalia Martin!!"

Ava ne palat ke dekha toh uske saamne Crimson maujood tha.

Ava : ???

Crimson (smiles) : Kaisa lag raha hai system ka istemal karte hue safalta ki uchhaiyo par pohuchne me?

Ava ek haafi lete hue stabdh hoke 2 qadam peeche ho gayi.

Ava : Who-!? Who are you?

Usne khud bhi uss aadmi ko check kiya magar,

*Ding*


[No information available.]

Ava ki aankhein phati ki phati reh gayi.

Ava : K-Kaun ho tum? Kya baat kar rahe ho meri kuch samajh me nahi aa raha.

Crimson ne jab punaah usse check kiya toh woh dang reh gaya. Kyuki iss baar,

*Ding*


[Name : Natalia Martin
Status : Business woman/ Singer/ Celebrity
Age : 25

Bio : Natalia Martin, ek singer hai. Kaafi saalo se mehnat kar ke woh aaj iss mukaam pe pohuchi hai. Kuch record companies ke sang ties hai. Abhi struggle kaafi hai lekin safalta mehnat se milti jaa rahi hai.

Favourability : 3
Relationship : Strangers.]


Crimson ne jaise hi ye padha woh zorr-zorr se hassne laga.

Crimson : Hahahahahahahaha!!!

Ava : Y-You-!!

Woh hasste hue uske qareeb aaya. Ava sachet hote hue ek qadam peeche hui.

Ava ke kaano ke nazdeek aake woh bola,

Crimson : System sirf tumhaare paas nahi hai Miss Natalia!!!

Ava uss se dur hatt usse bhayanak gusse me ghoori,

Ava : Kaun ho tum? Aur kya chaahte ho? Iska matlab tumhaare paas bhi-!!?

Crimson : Meet me upstairs.

Woh jeb me haath daale palat gaya.

Crimson (smiles) : Don't worry! Iss hotel ki aadhi partnership meri hai. Half owner mein hi hu iska. Meet me at the 4th floor.

Aur woh waha se upar nikal gaya.

Ava bas bhauchakki si wahi khadi rahi.

'Ye sab kya ho raha hai?'


[I don't know miss. There shouldn't have been more than 1 system. Lekin shayad lagta hai ki-!]

Ava ke mann me ek pyaari si female voice usse samjhaate hue boli,

'Forget it! Yaani mein akeli nahi hu jiske paas ye system hai. I must be careful then.'


[Yes.]

Woh upar ko chali gayi. 4th floor par aate hi Crimson uske saamne bade hi araam se jeb me haath daale khada hua tha.

Ek badi si jagah thi aur woh dono hi bas akele the waha.

Ava (frowns) : Say!

Crimson : Mere liye ek chota sa kaam karna hai tumhe.

Ava : What is it?

Crimson : Samay aane par mein bata dunga. Kaho? Do you agree?

Ava : Heh! Why should I? Tum hote kaun ho-!?

Crimson (smiles) : Grace Martin!

Apni maa ka naam sunte hi Ava ki aankhein bhay me fel gayi. Uska haath turant hi peeche apni jeans ki orr gaya aur ek hand gun nikaalte hue usne Crimson par taan di.

Ava : DON'T YOU DARE-!!

Crimson ahista ahista uske nazdeek aaya aur bola,

Crimson : Kya hoga jab Grace Martin... Your only family... Zinda na bach paaye toh?


Hande-Ercel-JPG

Ava : Y-You-!!!

Crimson : Veer!!!

Ava : ??

Crimson : Ye naam hai uss ladke ka jiske saath meri dushmani hai.

Usne jhooth bolte hue jeb se cigarette ke dabbe se ek cigarette nikaali aur kash lagaane laga.

Crimson : Woh Las Vegas jald hi aane waala hai. Mein chaahta hu tum nazar rakho uspe.

Ava : Huh!!?

Crimson (smiles) : Status toh tum apna badal hi sakti ho. Hai na? Jaise abhi thodi derr pehle badla.

Ava : Y-You-!!?

Crimson (smiles) : Tumhara koi nuksaan bhi nahi hai. Right? Why don't you collaborate with me girl? Hum dono ek dusre ke kaam aa sakte hai you know.

Ava : Fuck off!

Woh bhaagte hue uski orr aayi,

*Swoooossshhhhh*

Ek laat Crimson ke sarr ki orr tezz gati se ghoomte hue aayi par woh turant hi jhuk gaya.

*Baaaaaaaaammmmm*

Neeche jhukte hi usne ek punch Ava ke pait ki orr maara jisse Ava ne split second me apne haatho se block kar liya tha. Parantu, uske bawajood uska shareer kayi qadam peeche jaa ke ladkhada ke girte girte bacha.

Crimson (smiles) : Ohh! You wanna fight?

Aur dono hi aapas me bhid gaye. Ava ki haalat buri hoti jaa rahi thi. Par na jaane usse kya hua, woh agle hi shan bhayanak krodh me aa gayi.

*Bam*

*Bam*

*Bam*

Ek ke baad ek hits uske shareer par lagte jaa rahe the.

7 hits.

8 hits.

9 hits.

10 hits.

“What???” Crimson ke badan par daswa lagataar hit jab uske seene par laga toh agle hi pal uske seene ka kuch hissa phat gaya. Akasmaat hi uss hisse se khoon behna shuru ho gaya.

Woh hairat-angez me Ava ko dekha jo daudti hui uski hi orr aa rahi thi.


[Iss ladki ke paas koi card hai. Sambhal ke!]

Ek ladki ne uske badan se khoon nikaal diya? Uska gussa sarr chadh ke bol utha. Bhaagti hui Ava ko usne ek jhatke me uske gale se pakda aur,

*BAMMMMMMMMMM*

Wahi rakhi table par usse patak diya.

“Nnghhhh~”

Crismon : You should know your place! Behtar yahi hoga ki meri baat maan lo. Warna Grace Martin-

Na chaahte hue bhi Ava ko apne haath khade karne hi pade. Usse raazi hona hi pada. Uski maa uski sabse badi kamzori thi.

Woh apne ghar lauti toh uss anjaan vyakti ka usse call aaya. Wahi ajanabi jisne usse Slogan ke paas bhejne ka kaarya saupa tha.

Ava : Hello?

? : Hmm! Toh tum uss se bhi mil li ho! Right?

Ava : T-Tum!! Kaun ho? Kyu mujh pe nazar rakhe hue ho? Kya chaahte ho mujhse?

? : Hey! Hey! Mein toh tumhari bhalaayi ke liye hi keh raha hu. Don’t you want to know? Kya tum jaan’na nahi chaahti? Kaun woh hatyaara hai jisne tumhaare Dad ko maara? Hmm?

Ava ki mutthi zorr se kass gayi. Daant peeste hue woh boli,

Ava : What do you want exactly?

? : Mene tumse do maange rakhi thi. Yaad hai na?

Ava : Y-Yes! Tell me! What do I have to do?

? (smiles) : That’s like a good girl. Collaborate with him.

Ava : Kya?

? : Suna nahi? Tum abhi abhi kisi se mil ke aayi ho na?

Ava : That’s-

? : Collaborate with him. Jo woh keh raha hai woh karo. And then, I’ll tell you who your father’s killer is…

Ava : I-

? : Don’t worry! Mein apne vaade nahi todta. Ye tumhara akhiri kaam hai. Do it!

Ava (growls) : F-Fine!

***

Idhar mauto ka silsila jaari tha, toh wahi Veer Suhana ke sang Las Vegas pohuch chuka tha. Ye wahi waqt tha.

Bhavya hotel me Pitcher ki ek party chal rahi thi. Log masks pehne dance ka lutf le rahe the. Magar, issi party me ek sadasya galti se andar ghus aaya.

Ya kahe ki usse kuch gadbad mehsoos hui aur talaashi karne ke liye woh khud andar aa gaya.

Aur ye shaks tha~ Daniel!!

Jisne Pitcher ko dekha, jisne waha maujood masks pehne logo ko dekha. Aur jisne, usse bhi dekha jo gir ke apne muh se jhaag baha rahi thi. Ek aur anya celebrity. Pitcher ki shikaar. Jo marr chuki thi.

Ghabra ke woh bhaaga, par uski nigaaho ne kisi ek ko aur dekha.

Crimson!!

Jo haivaano waali muskaan liye usse hi ghoor raha tha. Daniel nahi jaanta tha ki uss bechaare ko pehle hi check kar liya gaya tha. Woh Investigation Department ka senior detective hai ye saari info Crimson ko dikh chuki thi.

Woh bhaaga. Apni jaan bachaane ke liye. Yaha pe itna bada kaand chal raha tha. Koi ek nahi, kayi log iss khel me shaamil the. Usse andaaza lag gaya tha. Woh khatre ko bhaanp chuka tha par tabhi,

*Splurt*

“Huh??”

Daniel ke qadam wahi tham gaye. Uski aankhein badi ho chali. Aisa laga maano jaise usne koi bhoot dekh liya ho.

Peeche palat ke dekha toh, usne paaya ki-

Wahi aadmi, yaani Crimson uske peeche khada hua tha. Uske haath me maujood chaaku pehle hi Daniel ki peeth me dhass chuka tha.

Crimson (smiles) : Sweet Dreams!

Daniel : Y-You!!!

Daniel ki saansein ukhadne lagi aur Crimson ne chaaku uski peeth se kheench ke nikaal di.

Zameen par girte hue Daniel apna phone nikaal call karne laga par,

*BAAAAMMMMMM*

Crimson ki laat padte hi phone ke chithde udd gaye. Aur woh usse ussi haalat me chhor waapas chala gaya.

Marrne se pehle Daniel ne ek kaam kiya. Aur woh tha wahi dying message chhorna.

Heinous thoughts destroys the mind. O
ften the glee tuns into, Unhappiness.

Sorrow remains but shall be forgotten. Emergence of a new beginning prevails.

Opulent, rich thoughts fills the mind once more. Fend off the fiend this time.

Kindle the fire in yourself. Intensify it. Lure the evil out of it. Lecherous demons shall be punished.

Escape if you realize you cannot handle it. Remember, there ain't a single one, if you do get caught,

Soul shall burn.


Aur yahi woh message tha jisse Divya ne decode kiya tha. Jiska arth tha - House of Killers.

Yahi woh samay tha jab, Investigation Department apne action me aayi. Veer aur Suhana Department me hai, iski khabar turant hi Sweetie ko lag gayi.

Department me spy jo baitha hua tha ek. Crimson ne hi toh bithaya tha Sweetie se keh ke. Woh harr pal ki khabar bhejta jaa raha tha.

Yeh khabar Sweetie ne Crimson tak pohuchaayi.

Toh wahi Crimson ne Ava tak. Ava jaan chuki thi ki Suhana ke sang Veer naam ka shaks Las Vegas pohuch chuka tha. Uska kaam tha iss shaks par nazar rakhna.

Yahi woh samay tha jab Jim the Slippery ko bhi Veer ne Las Vegas ki alleys me drug dealing karte waqt dhad dabocha tha. Jab usne Divya ko pehli baar apni fighting skills ka namoona dikhaya tha.

Yahi woh samay tha jab Veer aur Mike uss card tak pohuche aur usse khareed ke woh Island ki khoj kar paaye.

Yahi woh samay tha jab Veer ne Nightwalker jaise bade serial killer ko pakad ke department ke saamne pesh kiya tha.

Ek ke baad ek Veer Crimson ki banaayi force ki dhajjiya udaata jaa raha tha.

Kintu, fir bhi Crimson patience rakhe hue tha.

Jiske peeche ek hi kaaran tha,


[Agar usse maarna hi hai. Toh maar kyu nahi dete tum? Woh tumse kamzor hai.]

‘Abhi nahi System! Abhi nahi! Abhi maar dunga toh mujhe profit kaise hoyega? Mission ki possibility kitni hai?’

*Ding*


[Mission possibility : 60%]

Ye Crimson ki skill thi. Veer ko maarna tab hi qifaayat mand saabit ho sakta tha jab woh Mission milne ke baad usse maare. Lekin, abhi mission milne ki sambhaavna sirf 60% hi thi.

‘100% karne ke liye mujhe aur kya karna hoga?’


[Tum aur woh Veer jitna hi ek dusre ke raaste me aaoge, jitna ek dusre ke kaamo me hastakshep karoge, utna hi system usse ek obstacle maanta jayega. Aur jald hi ye possibility 100% tak pohuch jayegi. Fir mission mil hi jayega. Usse maarne ka.]

‘Hmm! Ek gadbad ho gayi hai. Mujhe nahi pata tha Veer Investigation Department ke liye yaha aayega. Dikkat ho gayi hai. Crimson Festival ki taiyaari shuru karni hogi. Uske pehle usse ek trailer dena zaroori hai.’

Bas dikkat ek thi. Bechaara Pitcher nahi jaanta tha ki Ava Crimson ke saath mil ke kaam kar rahi thi. Aur Ava ye nahi jaanti thi ki Crimson hi House of the Killers ka rachaita tha.

Pitcher ne Ava ko maut ka invitation bhej diya tha jo woh aksar harr celebrity ko bhejta tha. Invitation toh party ka hota tha parantu, party jaisa waha kuch nahi hota tha.

Aur yahi woh samay tha jab Ava ne Divya ko apne concert ke invitation ka card bheja.

IMG-20220814-153747

Iss se uske do kaam hone waale the. Card bhejne waale ka raaz Divya aur department ke zariye saamne aa jaata aur Veer ke aane se woh uss par ab nazar rakh sakti thi.

Yahi woh samay tha jab Divya, Veer aur Suhana pehli baar Ava ke concert me gaye the aur Veer pehli baar uss se mila tha.


Hande-Er-el

Na sirf usne Pitcher ko pakadwaya tha balki Ava ke liye bhi raaste se ek samsasya ko dur kar diya tha.

Crimson ki poori tigdi ko Veer ne barbaad kar ke rakh diya tha. Suhana ke sang woh hotel aaya hua tha. Balcony me woh khada hua tha jab usse koi dikha.

Yahi woh waqt tha jab Veer ne pehli baar Crimson ko dekha.



Yahi woh waqt tha jab Suhana aur uske peeche gang pad gayi thi. Crimson jo trailer dene ki baat kar raha tha woh yahi tha. Suhana ka Veer ko bachaane ke liye goli lagna aur Crimson ka Veer ko yu wahi chhor bas system ke baare me raaz bataate hue chale jaana.

Kyuki abhi bhi, possibility sirf 70% hi hui thi. Dono ko ek dusre ke raaste me aur aane ki zaroorat thi.

***

Par kya ye sab yahi samaapt ho gaya? Hargiz nahi! Investigation department poore zorr-shor se tehqiqaat karne me jut chuka tha.

Aur derr nahi lagni thi unhe Crimson ko dhundhne ke liye.


[Ab kya? Department jald hi tumhe trace kar lega.]

Crimson Paris me apni hotel ke kamre me baitha hua ek soch me dooba hua tha. Aage kuaa tha toh peeche khaayi. El taraf woh unknown caller toh doosri taraf uske peeche lagi Investigation Department kib team.

‘Mein chaahu toh abhi unn namoono ko maar du. Lekin aise me mera samay bhi barbaad hoga. Mein expose bhi zyada ho jaunga. Aur ye log maan’ne waale nahi hai. Akhir kitno ko maarunga mein? Gatar me macchar ki tarah ye firse naye naye jhund me aate hi jayenge.’


[Toh-]

Woh muskuraaya.

‘Samay aa gaya hai ki mein apna teesra aur akhiri daav khelu.’

Aur usne apna phone uthaate hue ek call laga diya.

*Ring* *Ring*

DGSI ke Head ke cabin me telephone par call aaya. Xavier jo apni seat par baithe kuch reports ko padhne me laga hua tha usne call uthaaya.

Xavier : Hello?

Crimson : Paris me ek bohut bada hamla hone waala hai.

Sunte hi Xavier apni seat se uth khada hua.

Xavier : K-Kaun? Kaun ho tum? Kya bol rahe ho?

Crimson (smiles) : Kaun hu, kaha se hu, ye sab sawaal puch kar samay zaaya kyu kar rahe ho. Zaroori soochna de raha hu. Paris me jald hi bohut bada terror attack hone waala hai.

Xavier : Y-Ye kya bakwaas kar rahe ho? Kaun ho tum? Tumhe andaaza bhi hai kis se baat ho rahi hai tumhari?

Crimson : DGSI ke Head, Mister Xavier se. Right?

Xavier : T-Tum-??

Crimson (smiles) : Woh firse dohraane waala hai. Woh firse ghatit hone waala hai.

Xavier : K-Kya ghatit hone waala hai? Kya kehna chaah rahe ho tum?

Xavier ne hadbadaate hue apni team me se phone call ko record karne ke liye ishaara kiya.

Crimson (smiles) : Call record kar rahe ho? Baad me trace bhi karoge. Hai na?

Xavier : Seedhe seedhe jawaab dete ho ya-?

Crimson : Shhh! Apni aukaat me raho Xavier!!

Xavier (gusse me) : Youuuuu-!!!!

Crimson : Aur chup-chaap meri baat suno. House of the Killers Paris me ghatit hone jaa raha hai.

Xavier : H-House? K-Kya? Ye kya bol rahe ho?

Crimson : House of the Killers ka leader jald hi Paris me aayega aur saare sheher me hahakaar fela ke rakh dega. Kayi mauto ko anjaam dega woh.

Xavier : Kaun? Kiski baat kar rahe ho tum? Hello?

Crimson : Agar meri baat ka yakeen na ho. Toh Las Vegas ke investigation department se House of the Killers ki report maang lena. Woh bhugte hue baithe hai. Umeed hai ek sheher dusre sheher ki madad kar hi dega. Aur mujhe apna shubh-chintak hi samajhna. Agla call mein kuch din baad lagaunga. Hope tab tak reports aa chuki hongi.

Xavier : H-Hello? Hello!!!!

Par call tab tak cut ho chuka tha.

Xavier ke poore chehre par paseene ki boondi saji hui thi.

"Jald se jald Las Vegas ke Investigation Department ke Head se mujhe contact karwao. Jaldi-!!!!!"

Woh zorr se garja toh kaam karne waale log fauran hi uss kaam me lag gaye.

Kuch hi derr me Xavier aur Nolan ek dusre ke contact me the.

Request rakhte hue DGSI ne reports ki maang rakhi toh badle me Investigation Department ne kuch hi dino me waha se HOK ki report bhej di.

Report padhte hi poora DGSI staff hakka-bakka reh chuka tha.

Itna bada game?

Itna bada maut ka khel khela gaya tha Las Vegas me?

Report me kahi par bhi Veer ka naam nahi tha. Uski privacy aur apni izzat bachaane ke liye Investigation Department ne Veer ka naam report me nahi daala tha. Kyuki woh department ka hissa nahi tha.

Xavier (screams) : Abhi ke abhi!!! Agent Chris aur Agent Terashima ko bulao. Abhi-!!!!

Meeting shuru hui aur woh sabhi ek table ke ird-gird baithe hue the.

Chris : Kya khabar pukhta hai Sir?

Xavier : Nahi! Lekin, hume alert rehna hoga. Hum isse nazar-andaaz nahi kar sakte hai.

Terashima : Right! Report ke hisaab se teen procedure me ye kiya jaata hai.

Xavier : Hmm!

Terashima : Yaani pehle woh card liya jaata hai. Fir logo ko island bulaaya jaata hai ya leke jaaya jaata hai. Right?

Xavier (nods) : Hmm!

Terashima : Aur ye celebrities ke saath kiya jaata hai. Aur fir waha pe maut!!

Chris : Hmm!

Xavier : Aur isliye tum dono undercover rahoge. Andre tumhare saath rahega. Recording ka kaam usse saupa hai mene.

Chris : Okay!

Woh sabhi baithe hi the, jab punaah Xavier ka telephone baj utha. Call ussi ka tha-

Crimson (smiles) : Kya ab meri baat pe yakeen ho gaya?

Xavier : T-Tum firse-!?

Crimson : Savdhaan kar raha hu. Mujhe toh tumhe thank you kehna chahiye. Alert raho. Nigrani rakho. Jald hi woh apne mission ko anjaam dega.

Xavier : Tum-!!!

Par firse, call cut ho gaya.

Terashima : Hume planning karni chahiye.

Idhar DGSI ki planning shuru hui aur udhar Crimson ne Ava ko Las Vegas se Paris bulwa liya.

Ava (growls) : Ab kya maqsad hai tumhara!!!?

Crimson : Veer ko message karo aur uss se kaho ki tum musibat me ho. Don't mention anything. Kaho ki help chahiye ASAP.

Majboori ke chalte usse woh karna pada. Yahi woh message tha jo Veer ko Ava dwaara aaya tha.

Jiske chalte Veer Ava ke liye Paris tak aaya.

Crimson : Apna maqsad mein tumhe bata hi chuka hu.

Ava : B-But he's innocent-

Crimson (frowns) : Tumhe kab se uss se itna lagaav ho gaya? Just do your work. Raat me tumhe usse alley me le jaana hai. Waha slot machines hongi.

Ava : Kyuuu??!

Crimson (smiles) : DGSI Veer par nigraani rakhegi. Aur tabhi mein apni gang aur nakli police force ko bhejunga. Woh waha hamla kar DGSI ko galat sanket de dengi. Jis se unhe ye lagega ki Veer pe hamla karna allowed hai. Zaahir hai tab woh bhaag ke niklega. Aur tumhe-!!! Usse meri owned uss building me laana hai.

Ava krodh me usse ghoorti rahi. Par chaah ke bhi kuch na kar saki. Kyuki Sweetie ne Crimson ko Grace Martin ke hospital ka pata de hi diya tha. Aur Crimson Grace ko dhundh chuka tha.

Alag alag buildings pe snipers bithwa ke Grace ko target kar ke rakha hua tha.

Ava apne bandhe haatho se sab kuch karne par majboor hoti gayi. Yaha tak ki uss unknown caller ne bhi usse Crimson ke saath kaam karne ke liye kaha hua tha. Kaise bhaagti inn sab se bach ke?


[Plan is good.]

Crimson ke mann me awaaz aayi.

Ye big game racha tha usne. Investigation Department jab uske peeche pada hi hua tha toh kyu na unhe unke target tak pohucha diya jaaye?

Issi tarah usne Veer ko fassa diya tha. Veer ka naam House of the Killers ka rachayita ghoshit hone waala tha.

Aur wahi hua bhi,

Ava usse nirdesh anusaar unn alleys me leke gayi.

Veer ke na dekhte hue woh khud ko nervous dikhaati jo Andre sab kuch record kar raha tha.

Terashima : Dekho! Natalia kaise darr rahi hai.

Andre : Right! Zaroor dhamka ke rakha gaya hai. This motherfucker-!!!

Utne me hi Crimson ki fake police waha ghusi aur idhar Terashima aur Chris ko galat jankaari haath me lag gayi.

Andre : Wh-What?? Cops usse shoot kar rahe hai? Matlab hum usse maar sakte hai?

Chris : Let's go!!!

Yahi woh waqt tha jab Ava waha se bhaagte hue Crimson ki owned IT building me gayi. Uske peeche jo gang members lage the unhe pata tha kya karna hai.

Ava chup chaap khadi rahi aur gang waalo ne usse baandh diya.

Fir woh rocket launcher ka blast. Veer ka bike utha ke bhaagna. Yahi sab toh ghatit hua tha.

Bilkul wesa hi ho raha tha jesa Crimson ne DGSI ko bataya tha. Jesa department se bheji gayi reports me likha hua tha.

Veer ne alleys me se woh pass khareeda hi tha. Las vegas me bhi card khareeda gaya tha. Chris aur Terashima ko unka pehla saboot mil chuka tha.

Dhamaake ke baad Veer ka island ki orr bhaagna aur celebrity Natalia ki kidnapping.

Aur ye tha dusra saboot jo unhe mil chuka tha.

Sab juch dohraya hi toh jaa raha tha. Matlab House of the Killers sach me racha jaa raha tha firse.

Koi sandeh nahi tha isme ki Veer hi ab-

House of the Killers ka rachayita tha.

Crimson apni tarqeeb me qamyaab ho chuka tha.

Bas ek cheez chorr ke.

*Bang*

Kisi ne uss par goli chala di thi peeche se.

Majbooran Veer ko chhor usse waha se bhaagna pada.

*Bang*

Ek aur bullet aayi aur uske seene par thodi si chot karte hue ghis ke nikal gayi.

Crimson uss source ka peeche karta gaya. Par tab tak goli chalaane waala vyakti bhaag chuka tha.

"Damn it!!! Madarchod hai kaun???"

Apne basement me pohuchte hi Sweetie uska waha intezaar kar rahi thi.

Sweetie : You are hurt.


422281205609931-GIF

Par usne koi jawaab na diya. Koi tha jo usse maarne ki koshish kar raha tha. Par kaun?

[Kahi ye wahi caller toh nahi?]

'Ho sakta hai! Lekin filhaal Veer ko Island leke jaana hai. Tabhi toh uspe aarop lagwa paunga mein. Uss par aarop lagte hi DGSI aur Investigation Department mera peecha chorr denge. Aur aarop lagne ke baad hi mission ki possibility jald hi 100% pohuch jayegi. Aur tab-!!! Mein usse maar paunga!!!'

Aur wesa hi hua. Veer harr taraf se fass chuka tha. Itni badi scheme uske peeth peeche uske liye rachi gayi thi uss bechaare ko andaaza bhi nahi tha.

Par Veer ne aenn mauke par baazi palat di.

Crimson ki Mission possibility 99% tak pohuchte hi,

Veer ne khud ko qurbaan kar diya.

Crimson ka saara khel dhara ka dhara reh gaya. HOK toh gaya hi saath hi Veer ko maarne ka jo mission milne waala tha, woh bhi ab gaya. Kyuki Veer jaa chuka tha.

Sthiti aisi thi jaise khade lund pe kisi ne laat maar di ho.

Aur isliye woh-

"Kaha gaya woh?? Where is he-!!!??"

Ava ka gala pakde uss par gussa nikaal raha tha. Itni badi machli uske haath se yu hi nikal gayi thi. Aur ye Ava dekhti rahi.

Parantu,

*BAAAAAMMMMMM*

Ek laat padte hi woh dur jaa gira.

Woh jaanta tha ye ladki Ava koi strong card rakhe hue thi. Wese hi uski condition sahi nahi thi.


[Don't fight her! You don't have an arm. Bullet tumne nikaal li hai lekin wound heal nahi hua hai. You need rest.]

Majbooran Crimson ko Grace Martin ko taak rahe snipers hataane hi pade.

Accha hua jo woh nahi bhida uss samay Ava se-

Kyuki woh nahi jaanta tha ki Ava kya rakhi hui thi.

Uske paas jo card tha woh tha-

*Ding*


Vinona-s-mark
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
It's big brain time. Ye update dimaag ki taare khol dega. Haha! Update consists of 7k words approximately. Dekhte hai kitne dots ko connect kar paate hai. Agla update hume Veer ki jankaari dega. Target abhi bhi wahi hai. 140. Toh like thokne ka aur revos rakhne ka.
Dhanyavaad! ✨
 
Top