• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,364 83.3%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 212 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.1%

  • Total voters
    1,638

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,812
103,215
259

Rihanna

Don't get too close dear, you may burn yourself up
684
3,420
123
Mega Update

Update - 148 ~ Demise

Ab tak…

Veer ki aankhein aisi phati hui thi jaise maano usne nangi taar ko haath me le liya ho.

Toh wahi woh akela nahi tha.

Ava use utne hi aashcharya me dekh rahi thi. Kyuki uske mann me bhi ek notification aaya tha aur woh tha -

*Ding*

[You have gained - Healing Factor.]


Ab aage…

'It's over!'

Veer apni saansein durust karne laga. Adrenaline rush dheere dheere kam ho raha tha. Woh apni dono hatheli khol unhe ghoorne me laga tha.

Crimson ab iss duniya se jaa chuka tha. Par ye sab kya tha? Crimson ke marte hi Veer ko mission ke points toh mile hi saath hi anya cheezein bhi praapt hui jo mission ke rewards me mentioned bhi nahi thi. Inka toh zikr hi nahi tha dur dur tak.

Limb Substitution? Probability Manipulation? Fir ye sab kya tha? Ye toh Crimson ke cards the. Iska matlab-!?

Veer ki aankhein hairaani ke maare fel gayi.

'Toh kya isliye-! Isliye Crimson mujhe maarna chaah raha tha?'

Uske haath kaanp rahe the. Ek aur nayi khoj uske haath lagi thi. Renshu ki kuch din pehle kahi gayi baat uske mann me goonji,

'Sansaar me sirf 30 system dhaarak log the. Par ab sirf-! 18 bache hue hai.'

Uski baat yaad aate hi ek aur bodh hua usse. Ab 18 nahi the. Crimson jaa chuka tha. Matlab ab sansaar me keval 17 hi system owners bache hue the.

'Kya isliye baaki ke 12 system owners maare gaye?'

Veer ke dimaag me vibhinn prakaar ke vichaar janm le rahe the. Kahi yahi wajah toh nahi thi jiske chalte baaki system owners maut ke muh me jaa gire? Kyuki 12 system owners yu hi marr jaaye? Baat hazam hone waali nahi thi.

System dhaarak vyakti apne aap me hi kitna shaktishali hota hai ek aam insaan ke muqaable. Aur aisa vyakti yadi marr jaaye, toh ye baat kayi sawaal khade karti hai. Woh abhi apne gehre chintan me tha jab-

Ek awaaz use hosh me laayi,

"Veer?"

Veer ki nigaahein turant hi uske bagal se khadi uss ladki par tik gayi. Khubsoorti ki woh bala use chintit nazro se dekh rahi thi.

Veer (frowns) : You-!!!

Ava : V-Veer! I-

Woh tezz qadmo ke saath aage badha aur usne ek jhatke me Ava ko uske gale se jakad liya. Aur, island ke chhor par lage ped me le jaake use bhida diya.

*Thud*

Ava : Nngh~

Veer chotil tha. Baahar se bhi aur…! Andar se bhi. Iss ladaayi me use bhi chot pahuchi thi. Crimson se mile ye baahri zakhm aur Ava ki di hui wo andhruni ghaat. Apni wahi haalat liye woh Ava ko daboche hue tha.

Kintu, urja jaise uske shareer se ab apne antim charno me thi. Adhkhuli aankhein liye woh Ava ki aankhon me ghoor ke dekh raha tha. Jaise batlaana chaah raha ho ki, 'ghayal zaroor hu, kamzor nahi.'

Ava ne apne aap ko chhuraane ka prayaas nahi kiya. Uske dono haath Veer ki chotil chhathi par tike the. Veer ki pakad uske gale par badhti jaa rahi thi. Lekin, Ava bas apne hontho ko daanto tale dabaye Veer ko dekhti rahi. Dard bardaasht karti rahi.

Ava : V-Veer!!!

Uski aankho se aansu ki kuch boonde nikli. Aur yaha Veer tabhi ladkhada gaya. Pakad dheeli hui aur woh saamne girne hi waala tha jab Ava ne turant hi use thaam liya.

Ava : Veer???

*huff* *huff*

Veer lambi lambi saansein le raha tha. Thakaan ke maare haafi aa rahi thi use.

Ava (frowns) : Y-You are hurt!

Jab apne aap ko Ava ke sahaare usne paaya toh ek jhatke me Ava ke haatho ko jhatkaar kar usne alag kar diya,

Veer : …

Woh kuch kehna toh chaahta tha, magar thakaan ke chalte shabd uske muh se baahar na nikle.

Ava wo celebrity thi jiski ek nazar ke liye log taraste the. Agar woh kisi ko sirf dekh hi leti thi toh aadmi apne aap ko khush kismat maanta tha.

Kintu, aaj wahi Ava jab Veer ko apne haatho se thaam use sahaara de rahi thi toh Veer ne uske komal haatho ko jhatkar kar use dur kar diya.

Na jaane kyu par ek ajeeb si peeda Ava ke dil me hui. Ek ajeeb sa dard. Ye kisi heartbreak se bhi zyada dardneeya tha. Kehne to woh hazaar shabd chaahti thi. Par kaha se shuruat kare? Uski samajh nahi aa raha tha.

Veer ped ke sahaare apni peeth tikaate hue Island ki uss ret par hi baith gaya.

Veer : T-Tum-!!! *huff* *huff* Let me guess! Fir se kisi fayde ke liye yaha aayi ho. Am I right?

Ava turant hi uski orr chalte hue aayi aur uske bagal se baith gayi. Kuch derr tak bas khamoshi chhaayi rahi. Saamne samundar ki lehro ka shor aur upar aasmaan se neech gir rahi halki halki baarish ki awaaz. Bas yahi sunayi de raha tha.

Nazaare ke roop me dur beech samundar me diesel me lagi aag ki wo lapte jo ahista ahista baarish ke chalte shaant ho rahi thi, agal bagal ret aur ghane lambe ped paudhe jo Island ki sateh ki shuruaat se hi lage hue the, aur saath dene ke liye kuch thandi baarish ki boonde.

Kuch shan baad Ava ke honth khule,

Ava : Y-You knew I have a system? Kab pata chale tumhe?

Veer (frowns) : Of course! When you killed me! Par mein khush kismat tha-! Jo zinda bach nikla.

Veer ki tone aur uske shabd, harr ek cheez Ava ko andhruni peeda pahucha rahi thi.

Lag raha tha jaise khanjar se uske dil ko ghaayal kiya jaa raha hai. Farq bas itna tha ki khanjar shabdo ke behroopiye me the.

Ava : V-Veer mein-! Y-Yes! Tum sahi ho. I have a system. Lekin, tum galat bhi ho.

Veer : ??

Ava : Ye baat sach hai ki mujhe tumhe assist karne ka mission mila tha abhi. Rewards me kuch bhi mentioned nahi tha. Lekin, mein yaha sirf mission complete karne ke liye nahi aayi thi. I-I came here to help you. Really!

Veer : What a nice routine huh!? Pehle khud hi maut ke muh me dhakelna aur fir khud hi madad ka haath aage badhana. You think I'm a fool???

Veer ki awaaz achanak hi oonchi ho gayi. Ava ki aankhon se aasu bahe aur uski nazre neeche jhuk gayi.

Ava : I-It was all my fault. I agree. I admit to it. T-Tumhe mujhe maaf karne ki zaroorat nahi. I don't deserve an apology Veer.

Perr modte hue woh sikud ke baith gayi. Uski awaaz bhi ekdum dheemi pad gayi.

Ava : K-Kya mein jaan sakti hu tumhe kya mila? Kya tumhe mission mila tha? Crimson ko maarne ka?

Veer chup chaap tha. Usne apni nazre ferr li. Agar koi aur hota toh Veer ne ab tak uska thobda hi phod diya hota. Parantu, Ava ke khubsoorat mukhde ne use aisa karne na diya. Aur aaj khud par hi kheejte hue usne apna muh hi mod liya.

Uski khamoshi ko Ava ne 'haan' samjha. Yaani, Veer ko mission mila tha.

Ava : K-Kya bata sakte ho kya rewards mile tumhe?

Woh ahista se uss se puch rahi thi. Jaise maano woh ek teacher ki tarah kisi kindergarten me pehle din aaye bacche se baat kar rahi ho.

Veer abhi bhi chuppi saadhe baitha tha. Aur uski khamoshi saaf jawaab de chuki thi ki use Ava pe zara bhi vishvaas nahi tha.

Ava : I-It's okay! If you don't want to tell. M-Mujhe…! Mujhe Healing Factor mila hai. It's…! It's a card.

Woh apni harr baat bata rahi thi. Kintu, Veer nahi. Wo bas sunn raha tha.

Ava : I still don’t understand a few things. Aisa pehli baar hua jab mission me rewards ke liye bas question mark banke aaya tha.

Veer ko tabhi dhyan aaya ki uske me bhi toh yahi tha. Crimson ko maarne ke mission me rewards ke saamne bas prashn chinh hi bane hue the.

Veer : Ek system owner ko jab dusra system owner maarta hai. Toh use maare gaye vyakti ki kuch skills aur cards milte hai. This is what I have assumed for now.

Ava : I-I see!

Ab paari palat chuki thi. Ab Veer kisi teacher ki tarah prateet ho raha tha aur Ava kisi bacchi ki tarah jo apne teacher se notes le rahi thi.

Ava : Toh isliye woh tumhare peeche tha? Mujhe bataya gaya tha ki…! Tumhari aur uski purani dushmani thi. Am I-

Veer : We were strangers! Wo mujhe isliye maarna chaahta tha taaki use mere cards aur skills mil sake.

Ava : …

Veer : Also, there are…! Total 17.

Ava : Total 17?

Veer (glances) : Total 17 System holders.

Ava : Whaaattt???

Ava ye toh jaanti thi ki ek se adhik system waale log hai iss sansaar me. Lekin, ye nahi jaanti thi ki itne saare honge. 17 ank bhi kam nahi tha.

Jab 2 ke bhidne me ye haal tha toh saare 17 jab aamne saamne aa jaaye aur aapas me bhid jaaye toh kya hoga? Samast dharti hi kaanp uthegi.

Ye khabar uske liye kaafi hairat-angez kar dene waali thi.

Ava : 17? P-Par ye kaise mumkin hai? K-Kisne bataya?

Veer (frowns) : Do I have a reason to tell you?

Ava : B-But-!!?

Veer ne use ye khabar isliye di kyuki Ava apne aap me ek system owner thi. Use kam se kam ye pata hona chahiye tha ki kitne system dharak log hai duniya me. Par, Renshu ke baare me jankari dena Veer ne uchit nahi samjha.

Aur kyu de woh bhala? Ava, ek baar use dhoka de chuki thi. Woh dobaara uspe vishwas nahi kar sakta tha.

Ava ko apni jagah ka bodh hua. Woh uss sthaan par thi hi nahi jaha woh Veer se jawaab ki maang rakh sake. Pehle glaani ke uss patthar ko apne upar se hatana tha. Woh ye turant hi samajh gayi aur isliye,

Ava : Tum sahi ho, Veer! Tumhe mujhe kuch bhi bataane ki zaroorat nahi! P-Par- Mein tumse kuch kehna chaahti hu.

Veer na hi uski baat sunn’na chaahta tha aur na hi use ab dekhna. Usne apni saansein durust kar li thi. Samay aa chuka tha ki ab woh yaha se nikle. Woh turant hi uth khada hua,

Veer : I must leave-

Ava : W-Wait!!!

Parantu, Ava ne uske haath ko thaam fauran hi use wapas neeche baitha diya.

Veer (frowns) : You-!!!

Ava : P-Please! Please, listen to me Veer! Meri baat sunn lo. Uske baad tum chale jaana. Mein tumhe nahi rokungi. But please- Please meri baat ek baar sunn lo!

Koi dekh ke keh sakta tha ki ye wahi famous singer Natalia Martin thi? Ek ladke ko yu thaame uss se gidgida ke minnat maangne waali ye ladki kya wahi Natalia thi? Wahi Natalia, jo kabhi ameer se ameer celebrities ko ghaas tak nahi daalti thi, kya ye wahi thi?

Ava jitna Veer ke saamne ro rahi thi, Veer ko utni hi kheej uth rahi thi. Kyuki, baar baar uske saamne Ava ki purani yaadein taaza hone lagti. Maatha garam hota, aur fir use apni bhadaas nikaalne ki woh urge paida hoti.

Ava : V-Veer! Please! Kya jaan’na nahi chaahoge ki maine aisa kyu kiya tumhare saath? Kya tum-

Veer : Talk!!

Usne beeche me hi Ava ki baat ko kaatate hue rukhepann se kaha. Ava ne ek gehri saans li aur bolna shuru kiya,

Ava : Tum naraaz ho! Gussa ho! Aur hurt bhi…! I know. Mein maafi nahi maangungi Veer. Lekin, akhir tak-! Meri baat sunn’na! Please!

Veer : …

Ava : You know…! Ye sab paisa, popularity, ye sab abhi ka hai. But actually...! We were broke Veer. Hum gareeb the. *smiles*

Veer : ???

Ava : Yes! Is it surprising? Lekin, pehle aisa nahi tha. Jab hum India me the. Sonia, Kaera…! Meri sabse achhi dost. Dad ka business tab uth raha tha. Mein unse mila karti. Unke saath khela karti. *smiles* Sweet memories. But unfortunately, kismat ko kuch aur hi manzoor tha. Everthing which begins must come to an end.

Veer : …

Ava : Dad, mom ke kehne par India chhor videsh chal diye. Mujhe bhi unke saath aana pada. Kaera aur Sonia…! Dono se mera touch khatam ho gaya. Abhi abhi nayi dosti ki dorr banayi thi. Par, woh ek jhatke me toot gayi. Mein use thaam hi nahi paayi. India chhor hum sab Vegas aa gaye.

Veer : ???

Ava : Vegas me business tezzi me upar utha. Par, kehte hai na juaa achhi cheez nahi. Woh sach baat hai. Vegas me hone ke baad agar insaan casino aur gambling se influenced na ho aisa kaise ho sakta tha bhala? Dad was the same!

Veer : He Lost!?

Ava (nods) : Yes! Aisa nahi tha ki casino se paisa nahi kamaya jaa sakta. Bilkul kamaya jaa sakta hai. Magar…! Dad ek galat casino owner ki deal me fass gaye. Na sirf unhone huge amount gawaya balki, business fund se leke building bhi gawa di. Dad ke paas power khatam ho chuki thi.

Veer : …

Ava : Mein unhe dosh nahi dungi! Galti insaan se hoti hai. Aur, usi ke liye woh Vegas se judi baaki cities me kaam dhoondhne lage. Unhone meri studies, ya mom ki life me kabhi kisi cheez ki kami nahi hone di. In fact, ye baat bhi ekdum end me jaa ke hamaare saamne aayi thi. Woh humse chhipaaye hue the. Taaki, hume koi tension na ho. That alone won my heart.

Veer : At least you had a fine dad…! Unlike mine!

Veer ne dheere se apni nazre ferrte hue kaha, jise Ava ne sunn liya. Woh samajh gayi thi. Veer ko ek shan dekhi, par uss baare me boli kuch nahi.

Ava : Yes! Dad was great. *smiles* Casino waalo se wo jaan boojh ke nahi bhide taaki hum par koi khatra na aaye. Lekin, inn cities me rehna koi asaan baat nahi Veer. Dheere dheere dad ki earning kam padne lagi. Aur, tab mom ne bhi kaam dhoondh liya. Woh bhi work karti, dad bhi…! Meri studies aur kharcho ke liye.

Veer : …

Ava : And, then one day suddenly, a voice resounded in my head. System has been awakened.

Veer : !!!?

Ava : Then, I knew…! Ki ab mein sab kuch theek kar dungi. Dad aur mom ki life ab mein better kar paungi. Aur, tab mujhe meri awaaz mili. *smiles*

Veer : Huh!?

Ava : Siren Rose!!! Meri singing skill. *smiles* Jiske zariye, mene iss glamour ki duniya me qadam rakha. Dekhte hi dekhte mujhe popularity milne lagi. System hone ki wajah se mujhe pata tha kaise aage badhna hai. Dad aur mom bohut khush the. Woh car se mujhse milne Vegas hi aa rahe the jab…!

Veer : …

Ava ki awaaz achanak hi dheemi pad gayi.

Ava : Jab…! Woh accident hua. Police ka call aaya. Aur, unhone mujhe hospital bulaaya. I went there…! Aur udhar…! Dad ki body meri aankhon ke saamne padi hui thi. Aur mom head injury ki wajah se coma me jaa chuki thi.

Veer shaant hoke sab sunn raha tha. Kahi na kahi uska gussa thanda ho chuka tha.

Ava : Kabhi kisi apne ko khoya hai Veer?

Veer : …

Ava : Apne khoon ke kisi insaan ko? Uss raat…! Mene toh jaise dono ko hi kho diya. Dad to gaye hi even mom…! Tab se wo usi state me hai. And, you know what the saddest thing is? *sniff*

Achanak hi Veer ko Ava ke subakne ki awaaz aayi. Usne mud ke jab use dekha toh paaya ki Ava ki aankho se aasu jhar-jhar kar ke beh rahe the.

Ava (cries) : The saddest thing is that… Mom ko pata hi nahi hai ki Dad iss duniya se jaa chuke hai. *sniff* He is no more! Unke liye toh jaise waqt tham gaya hai. Woh toh abhi bhi apni beti Ava ke singer bann’ne ki khushi me Vegas jaa rahi hai. She doesn’t know that- *sniff*

Woh poori tarah se toot gayi.

Veer : *frowns*

Ava : *sniff* M-Mujhe bataya gaya tha ki ye sab ek accident tha. Lekin, mein jaanti hu ki ye accident aise hi nahi hua tha. I checked my Dad’s car. Mere haath ek info lag gayi thi ki ise jaan boojh ke bheda gaya tha. And, I needed to find that person.

Veer : …

Ava : Aur tab, Ava se mein…! Natalia Martin bani! Ava was no more! Only Natalia existed! I trampled on the casino which robbed my dad. Destroyed it! Owned it! Remodeled it into my own label record company. But tab ek cheez aur hui-

Veer : ??

Ava : Ek unknown caller ki taraf se mujhe call aaya. Use pata tha ki mere paas Death Flag skill hai. Woh ye bhi jaanta tha ki mein apne dad ke killer ko dhoondh rahi hu. Aur woh ye bhi jaanta tha ki mere dad ka hatyaara kaha milega.

Veer : Unknown caller!?

Ava : Yes! Usne mujhse do maange rakhi. Badle me woh dad ke killer ke baare me bataane wala tha.

Veer : And you trusted him?

Ava : Toh kya karti? Use ye tak pata tha ki mere paas kya skills hai. Kaise nahi trust karti? Kam se kam woh mujhe aage badhne ke liye ek raasta de raha tha. Mere haath kuch toh lagta.

Veer : What did he ask for?

Ava : Mujhe yaad hai! Uski pehli farmayish thi ki mein India jau. Mera pehla kaam tha Slogan naam ke aadmi ke upar Death Flag lagana!

‘Slogan’ naam saamne aate hi, Veer ke badan me ek sihran daud gayi.

Veer : S-Slogan!?

Ava : Y-Yes! You know him?

Veer agle hi pal shant ho gaya. ‘Know him?’ Know him kya Veer hi toh tha jisne Slogan ko maara tha.

Ava : Mera kaam tha ye dekhna ki woh zinda hai ya nahi. Death Flag ki initial range sirf 1 km ki rehti hai. Uss range ko follow karte hue mein ek pahaadi par se uss par nazar rakhe hue thi. Jab finally, mujhe notification aaya ki Slogan marr chuka tha.

Veer (glances) : Then?

Ava : Then- Then I texted him. Kaam ho chuka tha. Usne kaha ki mein laut jau. Aur mein wapas aa gayi. I still don’t understand ki woh kya farmayish thi. Lekin, fir dekhte hi dekhte samay guzra aur iss Crimson ne…! Ye pata laga liya tha ki mere paas system hai.

Veer : !!?

Ava : Camouflage! Ye woh skill hai jo-

Veer : I know! Aage kya hua?

Ava : You know? Ohh! I- I see! Crimson-! That guy! *frowns* Mein uske saath koi collaboration nahi karne waali thi. Lekin, tabhi uss unknown caller ne dusri maang rakh di.

Veer : Huh?

Ava (glances) : Aur woh thi ki mein usi Crimson ke saath collab karu. My shitty luck! Aur tumhe pata hai uss Crimson ka plan kya tha?

Veer (frowns) : To frame me!!!

Ava : Y-Yes! Yes Veer! He targeted my mum too! Snipers! Pata nahi usne kab ye kiya tha. But I needed to save my mum. I had to undergo into a false camaraderie! *sniff* I-It was all my fault!

Veer : …

Ava : *sniff* Maisie’s cure! Veer!

Veer : ???

Ava : Ek Legendary scroll! Jo mujhe tab mila tha jab mein singing ki duniya me famous ho rahi thi. Fame points ki barsaat ho rahi thi Veer. I played scroll hunt. And luckily I was able to get this-

Veer : Maisie’s cure…!

Ava : Hmm! It can cure any coma patient. Magar, use istemal karne ke liye I need 20,000 points. Right now, I only have 18,000.

Veer : Unknown caller ka kya? Tumne dono maange uski poori kar di. Did he tell you who was the killer?

Ava : Usne kaha tha woh aaj batayega. I have sent him text regarding-

*Buzz*

Woh itna boli hi thi ki uska phone vibrate hua. Ek jhatke me Ava ne use apne jeb se nikala aur screen par dekha toh usi unknown caller ka message aaya hua tha.

“Hello there little girl! So? What’s the news? Kaun jeeta? Crimson? Ya Veer?”

Veer bagal se baithe screen par aa rahe message ko bhali bhaati dekh paa raha tha. Anjaan vyakti uske baare me bhi jaanta tha.

Renshu ke kahe gaye bol uske dimaag me fir goonj gaye,

‘Koi toh hai-! Koi hai jo hume iss shatranj ke khel me pyaade ki tarah istemaal kar raha hai Veer! Aur, filhaal use mein Mr. X keh ke bulaata hu. Jo hamari peeth peeche ye sab game khel raha hai.’

Veer : X..!?

Ava Veer ko apne qareeb dekhi aur fir screen par. Pata nahi kyu, par uske haath thar-thar kaanp rahe the. Thand iski wajah nahi thi. Darr tha asli kaaran!

Usne apne kaanpte hue haatho se Veer ko apna phona thama diya. Jaise woh chaah rahi thi ki Veer uss aadmi se baat kare.

Veer ne phone lete hue type kiya -

"Crimson is dead."

Aur message send kar diya.

Uss orr se fir ek message kuch hi shano me aa gaya.

"As expected. Anyways! Mene tumhe promise kiya tha. Right? Don't worry! I'm not that bad! I'll definitely tell you who your father's killer was."

Veer ne Ava ko dekha aur Ava ne use. Ava ke dil ki dhadkane behad tezz thi. Woh apne pita ke hatyaare ke baare me jaan'ne jaa rahi thi. Na jaane kitne din kaise guzaare the usne iss naam ko paane ke liye. Aaj woh naam uske samaksh aane waala tha.

"You father's killer was-"

Message aaya. Ava aur Veer dono hi screen par apni nazre gadaaye the. Aur agle hi pal, ek naam capital letters me saamne aa gaya.

"CRIMSON!"

*Silence*

Ek ghana sannata chha gaya.

Veer ke badan ke ruye khade hue. Toh ab tak? Ava usi aadmi ke saath collab kar rahi thi jo uske dad ko maare baitha hua tha? Bodh hote hi Veer ke badan me ek sihran daud gayi.

Darr iss baat ka nahi thi. Darr iss baat ka tha ki iss caller ne Ava ko Crimson ke saath kaam karne ko kaha ye jaante hue bhi ki Crimson hi Ava ke pita ka hatyaara tha.

Ava jaise sudh budh kho chuki thi. Iss khabar ko pachaaye kaise akhir?

Wait! Woh jhooth bhi toh bol sakta hai?

Ye khayal use aaya. Parantu, unknown caller ne jaise Ava ke mann ki baat padh li aur turant hi ek aur message bhej diya,

"If you don't believe me...!? See Crimson's past. Good night, little girl!"

Veer : Crimson's past!?

Veer ke muh se shabd nikle hi the ki uske mann me ghanti baji aur awaaz aayi,

*Ding*

[Past Illustration has been invoked.]

[Do you want to see Crimson's Past?]

Veer apni kasi hui bauhe liye Ava ko dekh raha tha aur Ava use. Ava ki aankhein jaise minnatein maang rahi thi. Veer jaanta tha use kya karna hai.

'Yes!'

Aur agle hi pal, Veer ki aankhein band ho gayi.

***

Samudra ke chhor ke paas ret pe ek naujavan baitha hua tha. Sooraj dhal chuka tha. Beach par maujood sabhi bache log apne apne gharo ki orr laut rahe the. Unme se kuch couples the toh kahi kuch family ke log. California ke iss beach par thodi kam hi bheed rehti thi. Woh bas yu hi logo ko jaate dekh raha tha.

Bina Maa Baap ke pala bada, Carlos ek aisa insaan tha jo apne aap ko zinda tab hi mehsoos kar paata tha jab jab woh maut ke ekdum qareeb hota tha.

Warna uski zindagi kisi naali ke keede samaan thi. Na parivaar, na pyaar, na ghar, na thikaana, California ki streets par sona, aur paise chura ke khaana khareedna, yahi uski zindagi thi.

Kabhi beach par aake lifeguard ki duty mil jaati thi toh woh kar liya karta. Aur jab nahi milti, toh yahi loot paat hi uska sahaara hota tha.

Aur inhi sab me uski jaan kayi baar maut ke itne qareeb hoti ki pal bhar ki chook bhi yadi ho jaaye galti se toh uski maut pakka thi. Kayi baar jiska paisa churaate toh woh maarne daud padta tha, toh kabhi streets me reh rahe khatarnak logo se panga ho jaata tha jo usse maarne aa padte the.

Ek chuhe ki zindagi thi uski. Idhar se bhaago toh uss bil me ghus gaye aur udhar se bhaago toh iss bil me. Aur beech me jaha jo jo khaane ka samaan mila woh utha liye.

Lekin yahi sab usse aur zinda mehsoos karwata tha. Ye jo thrill tha apni jaan bacha ke bhaagna aur akhir me zinda baahar nikalna. Yahi usse ehsaas karwata tha ki woh zinda hai.

Jitne bade risks woh leta tha utna hi zyaada use adrenaline rush mehsoos hota tha apne andar.

Log kehte hai na aksar ki gaand me gooda hai toh ye karke dikha. Carlos wahi banda tha. Confidence uska hamesha hi high rehta tha. Aur kyu na rahe? Jab aap hazaaro baar maut ke muh me jaake baahar aa jao toh maut bhi ek mazaak sa lagne lagti hai. Woh jese mrityu ke saath khel khelta tha.

Woh abhi soch hi raha tha ki aaj ka guzaara kaise kiya jaaye jab uske dost ki awaaz uske kaano me padi.

"Carlos!!!"

Carlos : Hmm?

Usne bagal se dekha toh paaya ki uska dost bhaagte hue uski orr aa raha tha.

Carlos : Jayden!?

Jayden! Uska sabse khaas dost. Bas yahi ek tha. Jo uski hi tarah tha. Ekdum anaath. Dono ek dusre ke saathi the. Dono ki zindagi ek samaan thi. Agar Jayden na hota toh Carlos shayad aaj zinda na hota. Jayden ne hi ek din use maut ke muh se bachaya tha jab mafia gangs ke beech woh galti se fass gaya tha.

Aur tab se, dono hi ek dusre ke saath the.

Carlos : Kya hua?

Jayden (smiles) : Ek badi party mil gayi. Chal! Baitha kya hai be. Raat ho rahi hai. Jugaad toh karna padega na!

Jayden ne uske kandho ko thap-thapaya aur bade hi josh me woh waha se aage badh gaya. Carlos utha aur Jayden ke peeche peeche chal diya.

Carlos : Kaha hai party?

Jayden : Yahi! Yahi par aayegi.

Carlos : Tujhe kaise pata?

Jayden : Pakki khabar hai be. Kal mene do logo ko baat karte hue sunn liya tha. Unse baat bhi ki thi mene-

Carlos : Kya baat ki?

Jayden : Yahi ki kya hum bhi shamil ho sakte hai?

Carlos : Toh kya kaha unn logo ne?

Jayden : Mujhe upar se neeche dekha aur fir muskuraaye. Bole ki kyu nahi! Bilkul!

Carlos : Accha? Aur kaam kya hai?

Jayden : Abe tu sabr toh rakh. Saara maza kirkira ho jayega agar mein hi sab bata dunga toh. Dekhte jaa bas tu.

Carlos ne apna sarr haar me hilaaya. Jayden ko samjhana matlab bhains ke aage been bajaane jaisa tha. Use kitna hi samjha lo, woh hamesha apne mann ki hi karta tha. Par jaisa bhi tha, bada hi accha tha.

Carlos use dekh andar hi andar muskura diya. Raat hui aur tabhi samudri tat par ek ship aake lag gayi.

Carlos : Ye kya hai? Ship?

Jayden : Haha! Chaunk gaya na? Yahi toh hai be badi party. Chal jaldi!

Woh use kheechte hue aage badha. Aur dono ship ke liye seedhiyo se upar chadh diye.

Jaise hi ship me qadam rakhne ki baari aayi, unn dono se pooch taach kari jaane lagi. Par unn do logo ne jaise hi Jayden ko dekha use andar aane ke liye allow kar diya.

Carlos ne dekha ki harr ek aadmi, aurat waha masks pehni hue the.

'Huh?'

Carlos : Ye kisi tarah ki party ho rahi hai kya yaha?

Jayden : Haan! Shayad! Sab ameer log hai be. Dekh! Ship me help karwayenge. Aur saath hi-

Carlos : Beech beech me mauka dekh ke kuch mehnga samaan bhi maar lenge. Right?

Jayden : Hahaha! Yes my boy! Safar ka safar! Lazeez khana! Aur upar se fayda hi fayda! Bol? Pasand aaya na?

Carlos : Interesting!

Jayden aage badh unn do logo se baat karne laga. Woh do log use samjha rahe the ki kya kya kaam hai ship me karne ko.

Toh wahi Carlos raat me iss light se jagmag ship ke harr kone ko bade hi dhyaan se dekh raha tha. Ek ajeeb si anubhooti ho rahi thi use. Kuch theek nahi lag raha tha. Bhala ye kis tarah ki party thi?

Tabhi Jayden ne use awaaz lagaate hue apne paas bulaaya. Woh Jayden ke paas jaake khada ho gaya.

Jayden : Ye Sir log hume ameero ka parichay de rahe hai. Bata rahe hai ki inka hume khaas dhyaan rakhna hai.

Carlos ne haami bhari. Aur, itne aankhon par mask lagaaye ek khubsoorat mahila kareeban 40-45 umr ki unn dono ke saamne aayi.

Badan par behad mehngi ek red dress aur laal hontho par reshesyamayi muskaan.

Woman in red : Hooo~ Such fine young men!!!

Aadmi : Ye toh bas additional hai Miss.

Woman in red : Toh kya hua?

Woh aage aayi aur usne Carlos ki chin ko apne komal haatho me liya,

Woman in red : What's your name, baby boy huh?

Magar, Carlos ko ye sab bilkul bhi pasand na aaya. Woh chup raha. Jayden ke maathe par paseene ki boonde jhalakne lagi. Isliye, woh tapaak se bol pada.

Jayden : Umm! M-Ma'am mein Jayden hu aur ye-

*Chataaaaaaakkkkkk*

Usne itna bola hi tha ki ek zordaar ulta thappad aake uske gaal pe pada. Chaate ki goonj poore ship me fel gayi. Carlos ki aankhein ye dekhte hi hairat me badi ho gayi.

Woman in red : Mene tumse jawaab nahi maanga tha, right?

Jayden (nods) : J-Jii!

Carlos (gurraate hue) : Y-You-!!!

Woman in red (smiles) : See! This is what happens when you try to act smart with me.

Kehte hue woh palat ke waha se chali gayi aur aas paas ke log unn dono ke upar hasste reh gaye.

Jayden apna gaal pakde use sehlaane me laga hua tha. Aur Carlos ko kos raha tha,

Jayden : Abey saale! Seedhe seedhe naam bata deta toh kya chala jaata? Tere chakkar me...! Mere ko thappad raseed diya usne. Haaye! Lekin, haath bada hi soft tha yaar! Uff! Bas zorr se maar gayi saali.

Carlos (frowns) : Uska mujhe uss dhang se chheena pasand nahi aaya. Saath hi uske woh shabd. Mein koi khilauna nahi.

Jayden : Abey toh theek hai na. Thodi derr kar leta naatak. Dekh, mera gaal kaise laal pad gaya. Ahn! Fuck!!!

Woh dono kuch hi sanag baad apne apne kaamo me lag gaye. Kahi Carlos deck ki safaayi karta toh kahi Jayden khaane ki plates ko utha ke unhe sink tak le jaata.

Kahi, Carlos unn dishes ko dhota toh kahi Jayden mehmaano ki servings me laga rehta. Kul milaake, dono bhaiyankar vyast ho chuke the.

Mauka dekh ke kuch na kuch chota mota item bhi maar lete. Jaise kisi ki anguthi ya kisi ki ghadi. Magar, zyada bada item nahi. Uski chori toh tab hi hoti jab ship land se ekdum kareeb rahe.

Filhaal, woh samundar ke beecho beech the. Kahi bhaag bhi nahi sakte the.

Woh dono hi abhi mauka dekh ke kuch lootne ki soch rahe the jab,

*Thud* *Thud*

Do zordaar vaar unke sarr par hue aur dono hi apne hosh kho baithe.

Na jaane kitna waqt guzar chuka tha. Magar, shor sharaabe ke chalte Carlos ko hosh aa gaya. Usne apne aas paas dekha toh paaya ki sangeet baj raha tha aur saare log aankhon par mask lagaaye naach rahe the.

Koi wine pee raha tha toh koi khaane me laga hua tha.

'Huh?'

Usne turant hi uthne ki koshish ki magar...!

'What???'

Uske haath bandhe hue the. Peeche mud ke dekha toh paaya ki Jayden ke haath bhi uske haatho se bandhe hue the.

Woh dono hi aapas me bandhe the. Aur tabhi Jayden ki awaaz uske kaano me padi,

Jayden : We got trapped!

Carlos : What?

Jayden : I-I'm sorry Carlos! Sab meri galti hai. Mujhe nahi pata tha ki ye aisi party niklegi.

Carlos : What do you mean?

Jayden : Look for yourself!

Uske ishaare ko follow karte hue Carlos ne jab deck ke chhor par dekha toh uske badan me raungte khade ho gaye.

Ek aadmi tha, uske haath perr aur muh sab bandha hua tha. Uske saath kya kiya jaa raha tha ye batlaane ki zaroorat nahi thi.

Agle hi pal sabki nazro ke saamne use peeche se laat maar ke dhakel diya gaya. Jaha Jayden aur Carlos ki haalat patli ho gayi thi ye drishya dekh ke toh wahi baaki sabhi enjoy kar rahe the.

Samudra me sharks ka jhund tha neeche. Uss aadmi ka kya haal hua hoga, ye sochne ki zaroorat hi nahi thi.

Jayden : And we are the next!

Carlos : Wh-Whaaaaatttt??

Qadmo ki awaaz aayi, aur wahi woman in red unn dono ke saamne thi. Unn dono ko pakad ke uthaaya gaya. Woh aurat unn dono ke chakkar lagaayi aur unhe upar se neeche tak dekhi.

Jayden ki chin pakadte hue usne pucha,

Woman in red : What's your favourite colour?

Jayden ne aurat ki dress dekhi aur tareef karne ke liye tapaak se bol diya,

Jayden : R-Red!!! Crimson Red!!!

Woman in red (smiles) : Good!

Woh ahista se Carlos ke paas aayi aur firse usne uski chin ko thaama,

Woman in red : And what's your baby boy?

Baby boy shabd sunn ke hi Carlos ka dimaag kharab tha. Woh uttar dena toh chaahta tha magar uski pride ne muh khulne na diya.

Jiska nateeja,

*Chataaaaaaakkkkkk*

Jayden : Ahhhn!!

Carlos : You fuckerssss!!!

Jayden ke muh pe firse ek thappad aake pada. Woh aurat Carlos ko nahi maarti. Jab jab wo jawaab dene se mana karta toh Jayden ke gaal laal kar deti.

Woman in red (smiles) : This look! This is what I like...! Hahahahaha!

Aadmi : Kya karna hai inke saath miss?

Woman in red (smiles) : Of course! Kill both of them. Hatte katte hai. Show will be long lasting. Fufu~

Aur sabhi aas paas thahaake lagaane lage.

Jayden : Fuckkkk! T-Toh ye isliye uss din mujhe upar se neeche dekh rahe the? Taaki mein sharks ke liye accha chaara bann saku? Inki maa ki choot!!!! Fuckkkkk!!!

Carlos : Jayden!

Jayden : Yeah!?

Carlos : I... I have an idea.

Jayden : Ohh?

Unn dono ko deck ke kareeb laaya gaya. Dono ke girne ke samay aa chuka tha. Aur yahi woh waqt tha jab Carlos ko apne andar kuch mehsoos hua aur mann me ek ghanti baji,

*Ding*

[System has been awakened.]

[You are now the owner of the system.]

[Analysing French language from the owner's mind...]

[Processing...]

[Process completed.]

[French language has been recognised.]

[I can help you!!!]

Awaaz sunn Carlos buri tarah se darr gaya.

Carlos : Whaaaaatttt? K-Kaun ho tum?

Jayden : Huh? Abe kis se baat kar raha hai? Wtf? Ye plan hai tera?

[Shhh! Stay calm! Sirf tum hi mujhe sunn sakte ho. Apne mann me baat karo!]

'I-I see! But-!'

[Sawaal kyu puchte ho? Kya tumhe yaha se bach ke nahi nikalna? Agar nikalna hai, toh ye bhul jao ki madad kaha se mil rahi hai aur kaise mil rahi hai. Iss baare me baad me bhi socha jaa sakta hai. Right?]

'A-Alright then!'

Jayden : Abey tu marrne ke darr se kahi paagal toh nahi ho gaya?

Carlos : Tujhe darr nahi lag raha?

Jayden (smiles) : Ab nahi lagta maut se darr.

Carlos : H-Hey!

Inn dono ki baatein ho rahi thi par kismat ko jaise kuch aur hi manzoor tha.

Unhe mauka tak nahi mila, jab unhe zorr se seedhe neeche dhakel diya gaya. Woh dono aapas me bandhe seedhe samundar me jaa gire.

[I will tell you how to open these rope knots. Follow my command.]

Paani me dono ko hi terrna aata tha. Dono apna santulan banaaye the. Magar...! Sharks kaha unhe samay dene waali thi.

Jaise hi knots khuli, Carlos ko mehsoos hua jaise kisi ne use peeche se dhakka diya ho. Palat ke dekha toh woh kisi murti ki tarah jamm ke reh gaya.

Jayden ko shark chaba chuki thi. Uske aadhe shareer ko nigal chuki thi.

Aur waha wahi crimson red blood samundar me fel gaya. Upar decks se cheh-chahaane ki awaazein aa rahi thi.

"Jaaaaaayddddeeeennnn!!!!"

Carlos chillaaya. Par Jayden jaa chuka tha.

[Save yourself first. Move to other side, quick!]

System ki baat maante hue woh neeche hi neeche ship ke dusre side aa gaya. Log waha deck se uss orr dekh rahe the aur Carlos iss orr aa chuka tha.

Badi hi mushqil se woh ship me pakad banaate hue chadha aur upar ko aa gaya. Poori tarah se bheega hua tha woh. Log waha uske paani me gaayab hone ke baare me baat kar rahe the aur torch maar ke use dhoondh rahe the.

Carlos ne dekha ki wahi woman in red muskuraate hue apne andar ke cabin me jaa rahi thi. Woh apni gusse se laal aankhein liye uske peeche peeche chal diya.

Apne cabin me aake woh aurat red wine ka ek glass liye wine pee rahi thi.

Ki tabhi,

*Khach*

Kuch nukeela sa uski gardan me mehsoos hua. Aur fir dard utha, fir atyant hi asaheneeya dard hua aur usne palat ke dekha.

Uski aankhein felti chali gayi. Saamne Carlos tha. Aur, usne wine ke glass ko tod ke jo sirf dandi waala hissa rehta hai, woh seedhe uske gale me ghused diya tha.

Agle hi pal, usne woh hissa nikaala aur ek naya glass lete hue usne uss aurat ko jhukaaya. Gale se khoon kisi nal ki tarah nikla aur glass me bhar gaya.

Aur wahi khoon se bhare glass ko usne aurat ke muh se laga diya. Aurat ki aankhein aisi feli hui thi jaise usne maano bhoot dekh liya ho.

Carlos : You wanted to know my name, right? Remember it in your afterlife. It's Crimson!!!

Jayden ki akhiri yaad ke roop me usne apna naam yahi rakh liya.

Carlos was dead. Crimson was born. Uss raat, ship par bas khoon hi khoon felta chala gaya. System ne na sirf Crimson ko waha se zinda nikala, balki baakiyo ko maut ke ghaat bhi utaar diya.

Aur unhi ke ship ke zariye woh land tak aa gaya. Ab uska maqsad bann chuka tha. Inn fetish waalo ko chun chun ke maarne ka.

Jayden ki jaan inki wajah se gayi thi. Uska aim clear tha. Par aise hi nahi. Woh aise hi nahi maarne waala tha inhe. Inhe inke bil se nikaal ke pehle inka saara paisa hadpega woh. Uske baad hi inhe maarega. Uska uddeshya spasht tha.

Par abhi sab khatam nahi hua tha. Usne ek car ko jaise taise khol chaalu kiya aur waha se bhaag nikla.

California se Vegas ki orr jaane waala ye raasta tha. Raat me sab kuch sunsaan tha. Use laga tha ki woh ab ek chenn ki neend le payega par nahi,

*Vrrrrooooooommmmm*

Ek car tezz gati me theek uske bagal se nikli.

'Huh?'

Par sirf ek nahi thi. Theek uske baad ek aur car utni hi speed me uska peecha karte hue nikli.

'What the-!?'

Crimson ne apni car unn do cars ke peeche laga di. Ek car sabse aage thi jisme koi tha aur woh tezzi se bhaag raha tha.

Toh wahi uske theek peeche ek open car thi. Jisme ek yuvak baitha hua tha aur woh uska peecha kar raha tha.

Crimson ne car uss peecha kar rahe yuvak ke bagal se lagaayi.

Crimson : H-Hey!!!

Usne awaaz lagaayi toh uss yuvak ne Crimson ki orr dekha. Aur aaj pehli baar Crimson ko darr ka ehsaas hua.

Uss aadmi ke chehre par ek kaala mask tha. Uska poora chehra dhaka hua tha.

Hosh uske tab ude jab,

'Check!'

*Ding*

[No information available.]

'Huh??'

Crimson (frowns) : You...!

Aadmi (smiles) : Ohh! System huh!

Crimson (baffled) : Wh-What? H-How? Tumhe kaise pata?

Aadmi (smiles) : Raaste par dhyaan do! Warna-

Crimson uski baat sunn jaise hi saamne dekha, uski aankhein phati reh gayi. Ek truck aa raha tha. Ek jhatke me usne apni car side ki aur truck uske bagal se nikal gaya.

Usne firse apni car uss aadmi ke bagal se lagaate hue uss se pucha,

Crimson : Tum system ke baare me jaante ho? Kaise? Kya tumhare paas bhi-!?

Aadmi kuch nahi bola.

Crimson : Aur woh aadmi kaun hai aage? Uska peecha kyu kar rahe ho tum?

Sabse aage waale aadmi ki haalat kharaab thi. Woh khoon se sana hua tha aur bhaybheet bhi tha.

Aadmi : Woh mera shikaar hai. I'm trying to kill him.

Crimson : Whaaaattt?

Aadmi : Chaunk kyu rahe ho? Tunhare khud ke kapdo me khoon laga hai. Tum iss kaam me naye nahi ho. Right?

Crimson ne apne kapdo par dhyaan diya. Uske kapde khoon se sane the.

Usne aage bhaag rahe aadmi ko dekha aur,

'Check'

*Ding*

[No information available.]

'What???'

Raaste me teeno cars tezz gati se badh rahi thi.

Aadmi : I have a deal for you!

Crimson : Huh?

Aadmi : Why don't you become my right hand man?

Crimson : !!!?

Aadmi : Chalo ek offer deta hu! Kill that man!

Crimson : Whatttt?

Aadmi : Kill him! Aur tumhe ek naya raaz pata chalega. *smiles*

Crimson : ...

Aadmi : Why fear now? Haath toh tumhaare wese hi khoon se sane hai. Don't you want to know the secret?

Crimson : Mujhe kya milega?

Aadmi (smiles) : Jo milega woh tum khud dekh lena.

*Vrrrrooooooommmmm*

Crimson ne gaadi aage badhaayi aur theek aage bhaag rahe aadmi ke peeche laga di.

Woh aadmi bohut hi buri tarah ghayal tha. Idhar Crimson ke peeche woh mask waala aadmi bade hi itminaan se gaadi chala raha tha, jab uske bagal se ek gaadi aayi.

Gaadi me ek aadmi aur ek aurat sawaar the. Aur ye dono koi aur nahi wahi the.

Jayesh aur Grace! Ava ke mata pita.

Jayesh : Y-Ye! Ye sab chal kya raha hai beech sadak me?

Grace : You! Please! Dear! Drive slow.

Jayesh : Haan! Don't worry! I'm here! You there-!!!

Masked man (in hindi) : Ohhh! Mein?

Jayesh : Huh? Tunhe Hindi aati hai?

Masked man : Bilkul!

Jayesh : Woh aage ki do gaadiyo ka kya chakkar hai? Itni speed me kyu bhaag rahi hai?

Masked man : Darasal, baat ye hai Uncle. Mein kab se ye sab rokne ki koshish kar raha hu. Par ye aadmi jo hai, uss aage bhaag rahe hai aadmi ko jaan se maarna chaah raha hai.

Jayesh : Whatttt??

Grace : Ahn!! Dear! Call the police!

Masked man : Police? Unhe aane me hi yaha ghanto lag jayega ma'am. Aapne kapde dekhe uss aadmi ke? Kaise khoon se sane hai. Uncle! Kya aapko nahi lagta ki hume ye sab hone se bachana chahiye?

Jayesh : Kahi woh dono...! Criminals wagarah toh nahi.

Masked man : Jo sabse aage bhaag raha hai, woh toh nahi hai. Lekin, iss peeche waale aadmi ka mujhe nahi pata. Hume jaan bachaani chahiye uski.

Jayesh : Toh ab kya?

Masked man : Ek upaay hai uncle. Aap waha se overtake kariye aur mein yaha left se karta hu. Hum dono hi car uski car ko agal bagal se bhed dheere dheere rok lenge. Kya bolte ho aap?

Jayesh (nods) : Alright! Fir bhi police ko khabar kar dena bhi behtar hoga. Grace!!!

Grace (nods) : Mene call laga diya hai.

Jayesh : Good!

Masked man : Speed badhaaiye uncle! Seat belts zaroor baandh lijiyega.

Crimson yaha uss aadmi ke peeche pada tha. Use nahi pata tha ki uske peeche ab ek nahi do cars aa rahi thi.

Jayesh ne jaise hi gaadi tezz kar Crimson ke bagal se lagaayi. Udhar se masked man ne bhi Crimson ke baayi orr gaadi laga di.

Masked man (in Hindi) : Uncle! Maariye left mod ke. Mein right modunga.

Kintu, Crimson ke kuch palle nahi pad raha tha. Uska system abhi upgrade hi nahi hua tha. Bhaasha keval woh French hi jaanta tha. Yaha woh mask waala aadmi Jayesh se Hindi me baat karne me laga hua tha.

Masked man (in French) : Hey! Ek sarfira buddha tumhe rokne ki koshish kar raha hai. Kya karoge tum? *smiles*

Crimson : Whattt???

Jayesh : Ruk jaa! Mein kehta hu rukk jaa abhi! Aur peecha karna chhor uss gaadi ka.

Grace : D-Dear! Uske kapde!!! Unme toh kh-khoon laga hai.

Jayesh : Ye aadmi theek nahi. Ye jaan ke peeche pada hai. Ise rokna hoga.

Grace : Be careful dear!

Crimson : Tum madarchodo!!! Chorro mujhe-!!!

Aur jo nahi hona chahiye tha wahi hua. Crimson ne apni gaadi itni zorr se daayi orr kar ke bhedi ki Jayesh ki gaadi road track se hi hatt ke baahar aa gayi.

Grace : Aaaahhhnnn!!!

Jayesh : Grace-!!!

Steering sambhaalna chaaha magar-

*Boooooooooooooooommm*

Woh jaake ped me zorr se bhid gayi. Jayesh on the spot maara jaa chuka tha toh wahi Grace head injury ke chalte wahi behosh ho chuki thi.

Aur idhar,

*Vrrrrooooooommmmm*

Masked man : Hoooo~ You did it!

Crimson ne saamne bhaag rahe aadmi ko bhi car se overtake kar daboch liya tha. Aur ant me,

"Aaaaaarggghhhhh!!!!"

Ek cheenkh uss sunsaan raaste me goonj gayi.

*Ding*

[You have gained the skill Vertigo!]

'Huh!??'

*Screech*


Uske peeche masked man ki gaadi aake ruki. Par woh utra nahi. Andar hi baitha hua tha.

Masked man (smiles) : Pata chala raaz ke baare me?

Crimson : Yes! Ek sawaal puchna hai.

Masked man : Ohh? Pucho!

Crimson : Kaun ho tum? Aur apne chehre pe ye mask kyu pehna hua hai?

Agle hi shan, uss masked man ke muh se kuch shabd nikle~

"Kyuki koi hoga...! Jo ise baad me dekhega!!"

Aur ek kapti muskaan uss mask ke peeche uske hontho par saj gayi.

Crimson : Huh?

***

Aankhein khuli, aur Veer ne khud ko sambhaalne ke liye ped ka sahaara liya. Uska badan kaanp raha tha.

"Kyuki koi hoga...! Jo ise baad me dekhega!!!"

Uske dimaag me woh shabd goonj rahe the. Poore shareer me raungte khade hue the.

Usne Ava ko dekha jo use hi tab se dekh rahi thi. Jaise sach jaan'ne ke liye uske kaan betaab the. Veer ne ek gehri saans li aur sab bata diya,

Veer : It's true. Your dad was killed by Crimson!

Ava : !!!??

Veer : B-But-!!! Koi aur bhi hai. Ek masked man! Jisne Crimson ko uksaaya tha!!

Ava : Huh!?

Veer : My purpose is done here! I'm leaving now!

Woh utha aur aage badha hi tha ki uski kalaayi Ava ne kass ke pakad li. Ek haath se ped ko pakde aur ek haath se uski kalaayi thaame Ava use rote hi dekh rahi thi.

Ava : V-Veer!? A-Are we still the same?

Veer : Not anymore! Tum apne raaste! Aur mein apne! Humare beech ab koi rishta nahi. And, don't you dare ever cross paths with me. You are on your own from now on.

Ava (tezz awaaz me) : What would you have done? Agar tum meri jagah hote...! *sniff* Toh kya kiya hota tumne? *sniff* Answer me!!!

Veer ne peeche mud use dekha. Hske rote hue mukhde ko jo aasuo se sana hua tha.

Veer : I wouldn't have killed you! Fir chaahe meri maa hi kyu na-

Aur itna bol, Veer ne apni kalaayi ek jhatke me Ava ki pakad se churra li!

Aur jaate jaate kuch kathor shabd aur rakh diye usne,

"And don't show me your face ever again!!!"

Woh island ke andar ki orr jhaadiyo me gaayab ho gaya.

Ava ki aankhein stabdh hone ke chalte phati ki phati hui thi.

Did he really mean it? Kya Veer agar uss situation me hota toh uski jaan bachaata? Even if his own mother would have been at gunpoint???

Veer uski aankhon se dekhte hi dekhte ojhal ho gaya.

Helicopter hawa me uda, Ava ke baal helicopter ki udti pankhi ke chalte zorro se hawa me lehra rahe the.

Aur woh waha se ravana hone laga. Veer ne palat ke Ava ki ek jhalak bhi nahi li. Woh bas ped se amar bel ki tarah lipti use jaate hue dekhti rahi.

'Lily!'

[Yes?]

'Upgrade Death Flag's range!'

[What?]

'Suna nahi tumne? Max the range.'

[Jaanti ho na upgrade ke liye kitne points lagte hai? First upgrade will take 5000 points. And second upgrade will tale 10,000 points. Total 15,000 points.]

'Yes! Jaanti hu! Do it!'

[My dear Miss! Why are you so determined? Kis liye itne points ikhatta kiye the? Ab jab hum itna close hai Maisie's cure ke liye, you want to waste them on Death Flag's upgradation?]

'Lily!!!'

[Fine then!]

*Ding*

[Death Flag's range has been upgraded.]

[5000 points have been deducted.]

*Ding*

[Death Flag's range has been maxed out.]

[10,000 points have been deducted.]

[You are now left with 3000 points.]

'Good!'

[Sirf iske liye-]

Lily apni baat aage kehti ki tabhi Ava ke mann me ek notification aaya jise dekh woh wahi jamm ke reh gayi.

*Ding*



e


'N-No!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 8.2 k words. Late aaya hai but I think length bilkul sufficient hai. In fact more than enough hai. Kaam mere yaha ho gaya hai. Fittings ho rahi hai bas. So, hum wapas se wahi schedule pe aa jayenge apne waale. Thanks for being patient. Baaki, likes thok ke jaane ka aur revos rakhne ka. Target same hi hai apna. 150. 2 more updates to go. Uske baad arc finish.

Dhanyavaad! ✨
Another super duper Update....

See. Mne kaha tha ava ko balidan dena hoga some sort of... Grace passed away. Ab veer k heart me bhi Ava k liye soft corner aa jaega... Veer nd ava ki chemistry ab better turn legi.

Nd that masked man. A new person? Or he's the same unknown caller? I'm confused...

Want to see 2 more updates now as soon as possible. I Want to know about kaera... Uski kya situation h? Is she okay or not? Waiting eagerly for the business part to start... Keep writing sir... :love3:

aur ye kya supreme ho gyi apki id? Mne abhi notice ki... :what1:
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,812
103,215
259
Fantastic Fabulous mazedaar awesome update sir😍😍😍😍.

awesome update.

Bahut hi badhiya update diya hai Werewolf bhai....
Nice and beautiful update....

Beautiful update Bhai ☺️😊

Super fantastic update bro 💗💗

At last Crimson is dead,ant bhala to sab bhala.Maja aa gaya.

Jabardast update bhai 👏
Thanks
 

Alok

Well-Known Member
11,370
28,041
258
Intejaar hai 🤔🤔🤔🤔
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,812
103,215
259
Werewolf bhai kya mask wala aadmi Mr.X hai.

Aur kya veer ne yeh cheez notice ki crimson ke past mien ki mask wala aadmi ke pass bhi system hai aur kya veer ko bhi doubt hai ki mask man and Mr.X ka kuch sambandh hai?

Aur ha ava ko bc itni asani se maaf mat karna usses bhi pata lage ki thukra ke mera pyar mera intkaam dekhegi
Mask wala Mr. x hai ya nahi ye readers ke upar hai anumaan lagana. Mein thodi bataunga abhi. Rahi baat Ava ki toh use maafi itni jald nahi milegi.
Super duper se upar bhai, ek baar to AWA ko uski aukat dikha di VEER ne phir bad me dosti hogi to chalega. Kyonki ab AWA us se milti rahegi to kuch na kuch to aage chal ke hoga hi, jo bad ki bad me dekh lenge.
Dhanyavaad update ke liye aur abhi free bhi ho gaye ho to update bhi regular milta rahega.
Dhanyavaad. Ava ko uske kiye ki saza mili hai.
Kya bawal update hai Bhai mtlb us mask Wale ko Mr x bol skte hai kyunki starting se end Tak sab karta dharta wahi chae wo crimson ho Ava ho ya veer
Mask wala kaun hai woh finale arc me pata chalega. Thanks a lot.
Veer bhai you are great aaapke updTe hamesha time pe rahe keep writting
Kaun Veer bhai?
Bahut hi saandar majedar update
Thanks
Kahi mask wala aadmi mr X to nahi 🤔
What ? Grace Martin dead 😟
Dekhte hai. Thanks btw.
Very fantastic update keep it up
Thanks
Quite an impressive update with plenty of facts and revelatory secrets. But I think that Death Flag's range should have been shown here with every upgrade.
You'll come to know that in Chinatown arc. Thanks and keep supporting.
Bohat zada paicheda hoti jaa rahi hain story. Ek taraf Ava ko apni ghalti ka bhod hona plus mission ke chaltey usay veer ko bachane ka mission mila wahi is crimson ki maut se usay mili new power lekin Aisa Kiya hain. Kiya khel racha jaa raha hai. Kia Renusha hi Mr. x Nahi hain aur woh sab se khel raha hain. Taki dusro ki powera jama kar ke last me khud Bach Jaye with all powera from the other.
Awaiting for next update.
Story complex hi hai. Dhyaan dena samajhne ke liye. Mr. x ki jankari finale arc me milegi. Baaki dekhte hai. Thanks. ✨
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,812
103,215
259

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,812
103,215
259
Boht badhiya update Werewolf bhai

Ava, Boht achcha kirdaar hai Ava. Dekha jaaye toh uski boht chhoti hai ya phir nahi bhi, uska hasta khelta parivar tha, maa baap use boht pyaar krte tha. Phir system mila singer bani, baap ka khoon hua maa zinda bhi hai toh murde ki tarah toh har kisi ko gussa aana laazmi hai aur khooni ko dhundhna bhi. Sab Veer ki tarah nahi hote jo aur logo ki parvah kare. Ava ko toh phir bhi apne kiye par dukh aur glani thi aur aakhir mei Veer ki baat sunkar uska vo death flag ko upgrade krna ye dikhata bhi hai ki usne apni maa ke moh mei galti ki hai nirdosh ki jaan khatre mei daal kar aur ab use aisa nahi krna chahiye. Ab toh Ava ke liye koi hate nahi bacha usko sthiti theek nahi thi aur caller ka darr bhi tha.
Absolutely. Zaroori nahi ki harr character veer ke nazariye se jiye apni zindagi. Zaroori nahi ki character wahi decision le jo hum readers yaha soch rahe hai.

Ava ki apni life hai aur usne jaldbazi aur pressure me aake ye decision liya tha. Usne aaj tak kabhi kisi innocent ko harm nahi pohuchaya hai. Veer ke liye woh pehla tha. Aur usko uska regret bhi hai. Dukh bhi. Saath hi uske karmo ka phal bhi use mil gaya hai. Grace jaa chuki hai.
Ab Crimson iska zindagi mei bhi dukh the, story ke baaki villain ki tarah ye bhi shuru se evil nahi tha haalat ne ise bigaad diya tha. Jo ise zindagi ne dikhaya vo isne kiya, eklauta dost tha uski maut ke baad vo krta bhi kya.
Update se ek baat aur pata chalti hai aapne kaha tha ki Crimson ka system powerful hai Ava se jabki Ava ko system pehle mila Crimson se. Iska matlab Crimson ne kaafi logo ko mara hai aur shayad system owners ko bhi
Nahi! Crimson ne ek hi system owner ka maara tha. Wahi ateet me jo dikhaya gaya tha use. Ye baat sach hai ki Ava ko system pehle Mila. Lekin Crimson ka system Ava se jaldi powerful hua.

Kaise? Woh aise kyunki Ava points ikhatte karne me lagi hui thi. 18000 points ho gaye the uske paas. Toh stats me utne points nahi gaye jitne jaane chahiye the. Stats me Crimson aage tha. Veer se bhi aur Ava se bhi. Yahi kaaran hai ki woh Veer pe bhari pad raha tha. Ava agar wo saare points stats me laga deti toh Veer aur crimson dono se upar nikal jaati.
Ye Mr. X ye kya hee aadmi hai sab pta hai ise. Masked man aur Mr. X ke same hone ke kaafi chances hai. Iss Masked man ki toh umar bhi zyada nahi hai Renshu ki tarah toh iske paas itna powerful system kaise hai.
Woh finale arc ka hissa hai. Mat socho uss baare me.
Iski iss line ne toh dimaag hee kharab kar diya saale ke paas lagta hai koi alag hee skill hai future wagera ki ise itna tak pata hai ki koi system owner ki crimson ko marega aur ise apna chehra nahi dikhana. Iska bhi alag hee twist hoga.
Bhaya ek baat kahunga kahani mei ab tak koi aisa antagonist nhi aaya jo pure evil ho Aatish, Slogan, Crimson sab ke sath kuch hua jiske karan ye aise bane mai aise kisi ko dekhna chahunga jo bilkul bewajah evil ho jiske liye koi soft corner na bane kise ke dil mei
Pure evil kaun hota hai? Halaat hi insaan ko bure karm karne ke liye uksaate hai. Jis kaaran se dheere dheere unki pravatti wesi hi ho jaati hai.

Pure evil shayad hi ek hi antagonist milega kahani me. Aur uska reason bhi justify karke diya jayega ki woh pure evil kyu aur kaise hai.
Baaki waiting for agla update and my favourite................................




KAERA bechari boht dino se underground hai company ko bhi loss ho rha hoga
Kaera wala update 150 hai. Usme nazar aayegi. Dhanyavaad! Aur aise hi bane rehne ka. ✨
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,812
103,215
259
To Kab ayega Werewolf bhai bata to do Kab ayega?
Dekho yaar. Tumhe siwae ye comment karne ke aur koi kaam toh hai nahi. Harr comment tumhara yahi hai ki update kab aayega. Jab aayega, toh yaha dikh hi jayega. Index bhi update ho jayega. Tab dekh lena.
 
Last edited:
Top