• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,364 83.3%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 212 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.1%

  • Total voters
    1,638

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,812
103,214
259

Malik-18

Active Member
573
708
108
agar ava mar jati hai to us ka marna hazam nahi ho ga filhal, itni development k bad ye character itni asaani se mar jaye to ye nainsaafi ho gi is character k sath, to is liye mujhy nai lagta k ava marne wali hai. aur ye bhi ho sakta hai k veer ko ava ko save karne ka mission mil jaye. kya esa possible hai k dono systems yani pari aur lily mil kar kaam karein solo missions nah ho kar 2no ko same mission as a team mily, it'll good agar esa hota hai to

keep writing and keep updating :dost:
 

Sushilnkt

Well-Known Member
3,160
5,384
143
भी ये साइड प्रॉब्लम कर रही है
 
  • Like
Reactions: Devil hunter123

Anupam Kumar

New Member
22
46
13
intezaar rahega Werewolf bhai....
Werewolf Bhai..one request..don't promise timelines of updates which are hard to keep..no one disputes the time and effort put in from your side for every episode..time to lagta hi hai bhai..if you were to go over pichle 4-5 episodes ke first given day.versus.actual posting..you wud know what I mean..am equally anxious to read the next one..take.care..and hope for a dhamaka update..
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,812
103,214
259
werewolf भाई बहुत हीं जोरदार स्टोरी लिख रहे है आप मैं पहले भी 8- 10 बार कमेंट कर चूका हु आप की स्टोरी पे फिर मेरी id ब्लॉक होगई फिर जब दूसरी id बनाई तो सिर्फ साइलेंट रीडर की तरह पड़ता रहा और नैन भाई की स्टोरी पे तो हम हमेशा हीं उपस्थित रहे है वो बात अलग है की आज कल वो खुद बिन बताए गायब है
Thread me punah swaagat hai bhai. :welcome1:
मुझे आप की स्टोरी हमेशा से पसंद थी लेकिन आज फिर एक बार कमेंट करने का कारण है जो लास्ट अपडेट आप ने दिया मुझे क्रीमसन की मौत वाले अपडेट की तुलना मे ये वाला ज्यादा पसंद आया वीर अपनी माँ बहनो और दादा जी से मिलना और सुहाना का वीर के लिए इस तरह खुल कर सामने आना वकई बहुत मजेदार और रोमेंस से भरपूर था 🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏
Bohut bohut dhanyawad. Harr update alag alag bhaav darshaate hai. Yeh update emotional side par based tha. Kuch ko action pasand aata hai toh kuch ko family side waale updates. Sabki apni apni pasand hai. Khushi hai ki ju ko pasand aaya. Keep supporting as usual. ✨
Bhai once again thanks for your efforts
Phone karab hua koi bi kya kar sakta he so we understand the situation so koi baat nahi. Aapko ye sab explain karke batane ki jarurat nahi bhai.
Shukriya bhai. Fir bhi explain kar diya mene.
Very very very nice update ava ki mom ko bhi crimson ne marwa diya ava ne dgsi ko clear kar diya ki uska kidnap crimson ne kiya tha Veer se milkar uski family khush ho gyi veer ne Suhana se bhi mil liya and Suhana fallen in love with Veer Veer india laut rha hai aur us pahadi par ava hi hai jo suicide karne ja rhi hai
Haan yahi toh dikhaya hai mene. Ye mujhe hi kyu bata rahe man? :Jerry:
Excellent update bhai ....
This update is full with emotion.
Aapne har kisi ke emotions ko bohot achhr tareeke se likha hai....
Superb....
:thanks: for your hardwork and update....
Shukriya! Keep supporting as usual. ✨
Bhai bohat pyara update kahne ko mega update thaa per jis tarah se aapne isme sare emotions ko jama kiya woh ek atulniya hain.
Shukriya bhai. Ek guzarish hai ki paragraph me gap de ke likhne ka man. Padhne me asaani jaati hai. Lines chhorne ka.
Shuruwat jaha kis ko apne sabse hardik azeez ke bichadne ke gham ki jis ke wastey usne yah sab kiya wohi khatam ho gayi. phir apradh bodh ki ussne veer ke liye kiya kiya aur usko kaisay beqasoor sabit karwaya DGSI ko apni ghalti ka manna aur veer ko beqasoor karar dena phir public ke sentiments change hona.
Saari public abhi maani nahi hai. Jo ki obvious baat hai. Ku h virodhi rahenge hi. Lekin, dheere dheere sab kuch saamne aata jayega aur ye virodhi bhi khatam ho jayenge.
Veer ki family se reunion ko bade acche se darshaya har ek ka alag emotions aur alag tarah se veer se milna aur sab se badi baat abhi question answer session hona aur India me sab ko jawab Dena jo ki crimson mission se bhi mushkil hoga magar yaha ek ko nahi bhulna chahiye Ji haan Suhana ko woh stabh sa ho jaana aur foran usko veer ki zindagi ki khabar milna like kisi pyasey insaan ko tapte registan me thanda Pani mil jana. Soch se bahar hai uski halat phir ko kuch bhi kiya woh to hona hi thaa magar end moqe per uska apne aap ko rok Lena bohat thaa warna sab barbaad ho jaata uska.
India pohuchte hi Veer ko sawaalo ke jawaab dene honge. Par kya Tej tab tak intezaar kar payegi? Ya flight me hi shuru ho jayegi? :D
Uspe bhi ab aki sawalo ka ghera hoga.
Aur aakhir me kiya Ava apni zindagi khatam kar legi nahi usay Aisa nahi karna chahiye zindagi ka to naam ki chaltey rehna aur aage badna. Agli update ka Intezar rahega aur apna khayal rakhey sath sath is story ke Safar per chaltey rahey aisay hi.
Shukriya bhai. Yu hi saath bane rehne ka. Keep supporting. ✨ :five:
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,812
103,214
259
Bhai itna kuch hone ke baad bhi apne update de diya uske liye thanxxx ... Or baat karein update ki to bohot hi badhiyan tha ... Bechari ava ki ma mar gai .... Or woh pahadi pe khud ko khatam karne pohonch gai ... Lekin woh aisa karegi nahi ... Kyunki abb usse jeene ki koi wajah dhundhni hogi ... Or veer ka sath dene se kya behter rahega .... Chalo abb veer ke uper se saare charges hat gaye hain yeh to badhiyan hua.. Or woh family se bhi mil liya .... Bass abb unke sawalon ke jawab dena baki hai .... Dekhtein hai ki woh kya jawab dega ... Mast update tha bhai ..
Ava ki zindagi me ab kuch bacha hi nahi hai. Ab kiske liye jiye woh? Upar se Veer ne apni shaqal na dikhaane ka bol diya. Keh diya ki kabhi path cross na kare. Use maaf tak nahi kiya. Kaise ab woh jiyegi? Isliye ye qadam usne utha liya hai. Thanks and keep supporting. ✨
Jaandaar bhai updated ekdm pyara bs ab love life dekna hai bole toh veer ki sbhi wife ek sath 😌
Business arc ka hissa hai woh.
The story flabbergasted me. The sudden U turn from culprit to victim of big conspiracy is the keynote of your narration warewolf Bhai. It's quite an adventurous journey with your story. I was pretty busy in my sister's marriage . I read your story today. The deliciousness of your story touched a new height.I will wait for another week for your next extravaganza meanwhile be healthy and happy. Thank you warewolf bhai
Thanks a lot man. Means a lot. ✨
New update will arrive soon. Keep supporting as usual. ✨

Thanks apka bhi Bhai hme itni achi story dene ke liye hamare liye itni pareshan hone ke liye apke mobile ka jitna afsos apko hai utna hin hum logo ko bhi hai bhai to utna preshan mat hoiye hum log wait kr lenge Bhai ap apne kimti samay se hamare liye itna time dete ho it's our duty to wait for your update and understand your situation and problem
Thanks man. ✨
Ab jo hua so hua man. Phone gaya. Ab woh wapas nahi aa sakta. Data bhi gaya. Ab naye sire se shuruaat karni hogi. Mere bohut kuch loss hua hai. Mujhe firse unn sab ko taiyaar karne ke liye time dena hoga. Keep supporting.

Super update bro
Time for the family‘s questions? let’s see how the handle.😉


Maybe Ava will get mission, make veer friend😆😆
Yes. It's time to answer their questions, which we'll see in the business arc.
bahut badhiya update hai............
waiting for next update
Shukriya
Boht Zaberdast update rahi, full with emotions, sentiments, La jawab. Lets see Ava kesy safe hoti, mera khyaL tha k Veer apni family k sath Ava k pass jaye ga Grace Martin ki tazyat k lye or apnaiyat ka ehsas dilany k liye. Lets see agy updates ma esa kuch nazer ayee. Rhnxx for a Good update and ending or Crimson Arc
Kyu jayega woh? Grace ke marrne ke use dukh hai lekin Grace uske kaaran nahi mari. Ava ne Veer ko maut ke muh me feka tha. Veer apne parivar se mil ke khush hai. Aur, kuch sochna nahi chaahta woh abhi.
 

Sidd19

Active Member
1,646
1,875
143
Waiting for the next update
 
  • Like
Reactions: Devil hunter123

achinsaha

I 🖤 🖤Darkness 🖤🖤
1,226
2,277
143
Mega Update

Update - 149 ~ Reunion

Ab tak…

Lily apni baat aage kehti ki tabhi Ava ke mann me ek notification aaya jise dekh woh wahi jamm ke reh gayi.

*Ding*

[Grace Martin is dead.]

'N-No!'


Ab aage…

Kaisa mehsoos hota hoga jab zindagi bhar insaan ko gham hi gham milte rahe? Jab aap apne logo ko tadapte dekho, akele pad jao, koi raasta na mile, koi raah na dikhe, koi haath badhaane ke liye aage na ho, koi sahara dene ke liye kandha na ho, koi zakhmo par marham lagane wala na ho, kuch samajh nahi aa raha ho ki kya karna hai, toh kya kare woh insaan aisi zindagi jee ke?

Kaise ubhre iss kasht se? Ava abhi kuch aisi hi sthiti me thi.

“Breaking News - Singer aur actress Natalia Martin, jinhe haal hi me ek kidnapping event se bachaya gaya tha, unki mata Grace Martin ka kal raat lagbhag 9 baje nidhan ho gaya.”

“Reports ke anusaar Grace Martin Paris ke hi hospital me bharti thi. Lagbhag dedh saal se woh coma me thi. Unhe harr sambhav ilaaj diya jaa raha tha. Lekin, kal raatri me unhone apni antim saansein li.”

“Breaking News - Hume abhi abhi khabar lagi hai ki inn sab ke peeche Hospital ki ek bohut badi galti thi. Pata laga hai ki Hospital ki security me kami paayi gayi. Jaanch ke anusaar ye saamne aaya hai ki kisi ne jaan boojh ke Grace ke medical equipments ke saath chhedh-chaadh ki thi jiske chalte Grace Martin apni jaan gawa baithi. Toh kya hai ye sab? Kya koi conspiracy? Ya Natalia Martin ke khilaaf ye koi saazish hai? Koi aapsi dushmani ya fir kisi prakaar ka badla?”

“Jaan’ne ke liye saath bane rahe. Hum aapke liye latest updates laate rahenge. France 24!”

Reporters ka jamawda laga hua tha. Cameras ki shutters ki awaaz aur journalists ke bol chaal se poore shamsaan me shor macha hua tha. Aur inhi sab ke beech-

Ava maun chup chaap baithi hui thi. Uski aankhon ke saamne uski maa Grace ka casket rakha hua tha. Grace, christianity ko belong karti thi. Aur, isliye uska antim sanskaar bhi usi dharm ke anusaar ho raha tha.

Casket ke andar death bed par laiti Grace iss duniya se ab jaa chuki thi. Dedh saal tak zindagi aur maut ke iss sangharsh me woh haar chuki thi. Lekin, fir bhi aisa lag raha tha jaise uske chehre par muskaan thi.

Jaise woh khush thi ki ab uske kaaran uski beti ko aur kasht nahi jhelna padega. Ava ne jiske liye itna sab kiya, ab wahi duniya se jaa chuka tha. Kaisa system? Kaise points? Sab kuch jaise dhara ka dhara reh gaya uske liye.

Ava ke liye toh praanvayu hi uski maa thi. Kaise jiyegi ab woh? Ye daulat, shauharat, paisa, rutba, tarakki. Kiske liye kamayegi ab woh? Kise dikhayegi ye safalta? Jab koi bacha hi nahi uski zindagi me.

Woh shoonya ho chuki thi. Andar se bhi aur baahar se bhi. Itne ant tak woh ladi, lekin haath kya laga? Kuch bhi nahi. Reporters apne news channel ko footage dilwaane me lage the toh wahi aam janta formality nibha rahi thi.

Natalia ke ird gird security bhaari maatra me janta ko uss se dur rakhe hue thi. Dekhte hi dekhte, Grace ke antim sanskaar ki vidhiyaan bhi shuru ho gayi. Aur Ava ke mann me kal ki ghatna flashback ke roop me chalne lagi.

Kal-! Kal use notification aaya tha Death flag ka. Usne Grace ko bhi mark kar ke rakha hua tha. Taaki, apni maa ki zindagi aur maut ki khabar use pal pal milti rahi. Usne kabhi jeevan me nahi socha tha ki system ke zariye use iss khabar ke baare me pata chalega.

Jab tak woh waha pohuchi, tab tak sab kuch samaapt ho chuka tha. Use pata chala ki raat me kisi ne jaan boojh ke uski Maa ke medical equipments hata diye the.

Security camera me check kiya toh pata laga ki koi aadmi tha jo nurse ki uniform me tha. Aur, usi ne iss vardaat ko anjaam diya tha.

Hospital waale bas haath jod Ava ke saamne khade reh gaye. Galti unki security me hui thi. Par, ye sab hua kaise? Aur kaun tha inn sab ke peeche?

Sweetie!!!

Ya yu kahe ki Crimson dwaara nirdesh par amal karne wali Sweetie. Ava ne snipers ko hatwa zaroor liya tha lekin Crimson ne apna ek aadmi hospital ke andar hi nurse ke roop me bheja hua tha.

Uska kaam sirf yahi tha. Grace Martin ke medical equipments hatana. Badi baat ye thi ki woh aadmi ek din nahi balki ussi din se uss hospital me kaam kar raha tha jis din se Crimson ne Grace Martin ko udhar dhoonda tha.

Ava ne baahri khatro ko toh dur kar diya tha. Lekin, hospital me pehle se kaam kar raha woh aadmi uski nazro se bach ke nikal gaya.

Crimson jaanta tha ki Ava use daga degi. Use dhoka degi. Aur, isliye usne woh aadmi pehle se waha lagwa diya tha. Baaki ka kaam toh Sweetie ne kar diya tha.

Cruise me Veer ke hamle se pehle hi Crimson ne Sweetie ko do baatein samjhaayi thi.

“Sweetie! Ho sakta hai mera ye plan bigad jaaye. Isliye, take this-!”

Usne ek chaavi hawa me uchhaalte hue Sweetie ki or feki. Ye motorboat ki chaavi thi.

“Agar kuch gadbad hoti hai, toh iss motor boat ke zariye yaha se nikal jaana. After all, I don’t want you to die here. Right? My Sweetie!?”

Sweetie ne kiya bhi wahi tha. Jab Cruise toot ke bikhar chuka tha toh woh wahi motorboat ke zariye waha se nikalne me qamyab thi.

Ek dusra kaam aur diya tha Crimson ne. Chaavi ke saath saath ek phone bhi Sweetie ke haatho me thamaya tha usne.

“Jab yaha se niklogi. Iska matlab yahi hoga ki plan me gadbadi ho gayi hai. Tab ek kaam aur karna hoga tumhe. Phone ke draft me ek message hai aur ek contact bhi. Uss message ko uss contact par bhej dena. That will be your last work. I can trust you, right?”

“S-Sure!”

“Good!”

Sweetie ka dusra kaam tha Crimson dwaara diye gaye phone se ek contact par message bhejna. Aur uss message me bas ek hi shabd likha hua tha~

KILL!

Jo ki seedha jaake hospital me maujood usi nurse waale behroopiye ko mila. Use toh pata hi tha kya karna hai. Woh baitha hi hua tha Grace ka kaam tamaam karne ke liye. Jald se jald andhere ke baad, raat me apna kaam kar woh waha se faraar ho gaya.

Ava chaah ke bhi apni bhadaas Hospital waalo par nahi nikaal paayi. Woh sab toh system ki duniya se pare the. Kya kar lete woh? Aur kaisi bhadaas? Ab toh use kuch mehsoos bhi nahi ho raha tha. Na gussa, na khushi, na gham, ek murde ki tarah ho gayi thi woh.

Jab inn sab khabro ka silsila chal hi raha tha, toh bhala Ushant ki khabar na mile channel waalo ko aisa kaise ho sakta tha? Itna bada kaand jo hua tha waha.

Ships aksar Island ki orr jaaya karti thi. Swabhavik tha ki yeh khabar sabko pata chalni hi thi.

"Breaking News~ Abhi abhi hume khabar mili hai ki Ushant Island me 50 se upar dead bodies ke tukde paaye gaye hai."

"Sutro se pata laga hai ki Ushant ki orr kisi badi aalishan cruise me 50 se adhik log sawaar the. Ek haadsa hua aur vishal-kaay cruise ko samundar le dooba."

"Haadse ki wajah ko lekar bareeki se jaanch padtaal jaari hai. Khoonkaar sharks ke chalte hi shavo ki ye dasha hui hai. Bodies ko identify karne ka kaam jaari hai. Pata lagte hi sabhi ke parijano ko soochit kiya jayega. Tab tak ke liye, bane rahiye France 24 ke saath."

Tamaam reporters aur news channels bas inhi do news ko dikhaane me lag gaye.

Ek toh Ava ki maa ka dehaant. Aur dusra Ushant.

Veer ke liye mushqile khatam nahi hui thi. Abhi bhi woh janta ki nazro me ek criminal hi tha.

Lekin, kehte hai na jab ek darwaza band hota hai toh dooja khulta hai.

Ava, jisne Veer ko fassaya tha. Ab wahi use iss daldal se nikaal rahi thi.

Dherr saare reporters ke beech mics aur cameras se ghiri hui woh kuch bolne ke liye taiyaar thi.

Reporter 1 : Miss Natalia! Aapki maa ke dehaant ke baare me jaan ke hum sabhi ko behad dukh hai. Par kya aap iske baare me kuch kehna chaahengi? Hospital ko lekar kuch? Jo unse choonk hui?

Ava ke chehre par koi bhaav nazar nahi aa rahe the. Grace ka antim sanskar ho chuka tha. Aur, use dafna ke woh wapas laut chuki thi.

'Speak to me' gaana jo usne khaas apni maa ke liye gaya tha. Sab dhare ke dhare reh gaye. Maa toh kuch bhi sunn na paayi. Na hi kuch jaan paayi. Atyant hi dukhad ant tha yeh.

Ava : Iss baare me mein koi charcha nahi karna chahungi.

Reporter 2 : Aapki baat sahi hai Miss Natalia. Parivar ke sadasyo ko khone ke baad insaan jaldi ubhar nahi paata. Isliye mera sawaal iss se sambandhit nahi hai. Mera sawal hai aapse ki Ushant me jo kuch bhi hua tha kya usko lekar aapko kuch yaad aaya? Koi jankari haath aage lagi aapke?

Ava : Yes! I remember now!

Muh se shabd nikalte hi, reporters sabhi aapas me ek dusre ki orr dekhne lage. Ek badi khabar unke haath lagne waali thi.

Ava : I remember each and every thing. Uske liye hi mein ye conference ke liye raazi hui hu.

Reporter 2 : Ye toh bohut acchi baat hai! Kya aap bata sakti hai kya yaad aaya hai aapko?

Ava (nods) : Hmm! DGSI se bohut badi galti hui hai.

Statement nikalte hi, TV dekh rahe DGSI ke saare team members ke maathe par paseene ki boonde jhalakne lagi.

Itni badi agency thi woh. Sare aam koi unpe aarop laga raha tha. Kintu, aarop sahi bhi tha. Janta ko kya muh dikhayenge ab woh? Tamaam sawaalo se saare team members joojh rahe the.

Aur inhi me unke Head Xavier athwa Chris, Terashima se leke Andre sab shaamil the.

Iss raat Ava ka ye interview bohut saare raazo par se parda hataane waala tha.

Terashima : Dekha? Dekha aap sab ne? Mene kaha tha na ki humse zaroor koi galti hui hai. Woh-! Woh ladka! Woh ladka criminal nahi tha.

Andre : This is bad. Pata nahi ab hum ise handle kaise karenge.

Chris : Miss Natalia ka poora interview hone ke baad hi kuch clues milenge. Dekhte hai hume koi trail milti hai ya nahi iss se.

Xavier apne staff ki baatein sunn zaroor rahe the lekin unka poora dhyaan TV par hi tha.

Reporter 1 : Kya matlab? DGSI se galti? Kaisi galti?

Ava : DGSI ne jise criminal ke roop me pesh kiya hai. Woh darasal koi criminal hai hi nahi balki woh toh ek sadharan ladka hai.

Ava ke harr uttar logo ke beech aur bhi zyada confusion paida kar rahe the. Ek ke baad ek jhatke lag rahe the unhe.

Idhar DSGI me bhi Ava ke statement ke baad sab spasht ho chuka tha.

Chris : Lo! Ho gaya kaam! Ab kya karna hai Sir?

Xavier (frowns) : Shh! Keep watching!

Reporter 2 : Ye aap kaise keh sakti hai? DGSI hamaare France ki badi security agencies me se ek hai. Woh itni badi galti kaise kar sakte hai?

Ava : Ye sawaal aap unse hi kyu nahi poochte? DGSI se bohut badi galti hui hai. Ek nirdosh ko unn logo ne maut ke muh me dhakela hai. Aur itna hi nahi, balki use criminal bhi ghoshit kar diya.

Reporter 1 : Aap aisa kaise keh sakti hai? Kya saboot hai aapke paas?

Ava : Saboot? Kya mera yeh kehna saboot nahi? Woh ladka-! Jise DGSI ne Criminal bana ke rakha hua hai. Woh toh meri jaan bachaane waha aaya tha. Aur asli criminal toh koi aur hi tha.

Reporter 2 : What?

Ava ke ye sab bolte hi waha logo ki khusur pusur shuru ho gayi. Agar asli criminal koi aur tha toh abhi tak DGSI kise pakad rahi thi?

Ava : Asli criminal toh ye tha-!

Ava ne agle hi pal apni mobile screen par Crimson ki ek tasveer dikha di. Chaaro orr shor fel gaya.

Aur udhar TV par sab dekh rahi DGSI ki team ke hosh hi udd gaye.

Terashima : Ye kaun hai? Mene ise pehle kabhi nahi dekha.

Chris : Lekin, Miss Natalia keh rahi hai toh baat sach hi hogi. Sir! Hume private me Miss Natalia se baat cheet karni hogi.

Xavier : Hmm!

Reporter 1 : Ye aadmi kaun hai? Kya aap bata sakti hai?

Ava : Yahi toh hai harr hamle ke peeche. Ushant se leke woh rocket launcher blast. Issi ne mujhe kidnap kiya tha.

Reporter 2 : Toh ye baat aapne pehle kyu nahi batayi? Hume sutro se pata chala hai ki jab woh ladka execute kiya gaya toh aap waha maujood thi. Toh tab aapne ye sab kyu nahi roka? Aur bataya kyu nahi?

Ava : Mein uss haalat me nahi thi. Aur, woh ladka ghayal tha. Khoon se sana hua tha. Mein use pehchaan na paayi. Jiska mujhe khed hai. Lekin, woh sahi salamat hai. Mujhe poora yakeen hai ki ye insaan jisne mujhe kidnap kiya tha, yahi harr problem ki jadd hai.

Crimson ki photo release hote hi public me nayi sansani si mach gayi.

Xavier : Chris! Miss Natalia se milne ke liye hum abhi nikal rahe hai.

Chris : Yes Sir!

Ava ne apne statements de diye the. Dekhte hi dekhte waha DGSI bhi pohuch gayi. Aur tamaam janta ke beech unhe dherr saare sawaalo se gher liya gaya.

Reporter 1 : Janta jaan'na chaahti hai ki kya Singer Natalia ne jo kuch bhi abhi kaha. Kya woh sach hai? Kya DGSI apne kaam me fail ho gayi hai?

Xavier : Dekhiye! Chhaan been jaari hai. Aur ye baat sach hai. Mujhe bataate hue khed ho raha hai ki hum sabhi ek masterplanka shikaar ho gaye the. Jiske chalte uss nirdosh ko apni jaan gawani padi. Aur asli mujrim hamari pakad se nikal ke bhaag gaya.

Xavier ne ye kaha hi tha ki poori janta waha ki bhadak uthi. Ye mazaak chal raha tha kya?

Ava : Woh ladka zinda hai. Sahi salamat hai.

Xavier : Huh?

Terashima : W-Woh zinda hai?

Ava (nods) : Hmm! xxxxxx hospital se mujhe call aaya tha. Kisi ne use bachaya tha aur hospital me admit karwa diya tha. Chunki woh mere liye waha aaya tha isliye hosh aane par usne mera hi naam liya aur hospital ne isliye fir mujhe call kiya. Wo recover kar chuka hai. Lekin, aam janta ke beech kaise aaye? Ek nirdosh par aap sabne itne warrants jo jaari kar rakhe hai.

Ava ne bade hi chalaaki se saari sachhaayi ko ghuma diya. Ye karna aavashyak bhi tha.

Xavier : Kya aap uss ladke se contact me ho?

Ava : Hmm? Bilkul! Woh meri jaan bachane ke liye aaya tha. Aur aap sabne asli mujrim ko chhor use hi execute kar diya?

Xavier (frowns) : Magar-! Woh uska chopper? Ushant me uska surrender na karna? Ye sab kya tha?

Ava : Uss baare me mein nahi jaanti. Lekin, itna zaroor jaanti hu ki woh nirdosh hai aur apne parivaar se milne ke liye betaab hai. Asli criminal ye screen par maujood insaan hai. Isne mujhe kidnap kiya tha. Yahi tha jo gangs ko orders de raha tha.

Xavier (nods) : Hum thoda aur spasht kar le aur uske baad saare warrants hata diye jayenge. Iske saath hi iss photo waale aadmi ki chhaan been bhi jaari ho jayegi. I hope that is fine with you?

Ava : Alright!

Samjhauta ho chuka tha. DGSI ko unki bhool ka ehsaas ho gaya tha. Higher authorities se bhi unn par pressure badh raha tha. Isliye, jald se jald saare arrest warrants ko aur Veer ki execution ki news ko saari media se hata diya gaya.

Balki, ulta uski bahaduri bhare karnaamo ki news chalne lagi. Samachaar me ye bataya jaane laga ki Veer naamak ladka Ava ki jaan bachaane ke liye itni dur tak gaya tha jaha woh kisi masterplan ka shikaar hoke ghayal ho gaya.

Crimson ki photo saari news media me release kar di gayi. Logo ko jab ye samajh aaya ki asli maajra kya tha toh unhe Veer ka samarthan karne me derr nahi lagi.

Ava ke fans wese hi uski baato par yakeen kar liye the. Dekhte hi dekhte saari janta Crimson ki maang karne lagi. Aur Veer ki veerta ko saraahne lagi.

Veer jo chhipe baithe saari news dekh raha tha use khud kayi nayi nayi baatein pata chal rahi thi.

'Ava's mom-!? She passed away?'

Woh bura bhala keh ke Ava ko Island par chhor ke aaya tha. Kahi na kahi Ava ki maa ki mrityu ka use bhi dukh tha.

Magar ye samay shok jataane ka nahi tha. Samay tha yaha se nikalne ka.

DGSI se uski baat ho chuki thi. Sab kuch Ava ne karwaya tha. DGSI abhi iss shaq me thi ki woh chopper kiska tha? Aur Veer itni jaldi recover kaise ho gaya? Saath hi uska surrender na karna.

Ye kuch sawaal the jo unhe sataa rahe the. Isliye, Veer se aamne saamne baat karne ki unhone thaani.

*Tococococococo*

Helicopter ke neeche aate hi, uske andar se Veer baahar aaya.

Sab kuch news me prakaashit kiya jaa raha tha.

Hotel me maujood Tejal, Bhavna, Arohi aur Manorath ne jab ye khabar dekhi toh jaise unki khushi ka thikana na raha. Itne dino baad woh sabhi use dekh rahe the. Unke bhaavo ko shabdo me bayaa karna mushqil tha.

Tejal : M-Mom!

Khabar dekhte hi Tej apni jagah se uth khadi hui.

Bhavna : Tej! Jaldi! Chalo!

Bhavna kisi hawa ke jhonke ki tarah saree pehne pehne hi room se baahar nikal gayi.

Tejal : R-Right! Wait! Mom!

Aur Tej uske peeche peeche daud ke chal di.

Arohi : Dada jii! Chaliye!

Manorath : Haan bhai haan! Chalo chalo!

Idhar Arohi ne Manorath ko kamre ke baahar nikaal, kamra lock kiya aur unhe apne sang laate hue neeche aa gayi.

Unn sabhi ki manzil Veer ki location hi thi jo unhe news se mil chuki thi. Cab book karte hi woh sabhi waha se chal diye.

Par wahi bas nahi the. Ek aur aalishaan hotel me maujood ek ladki gumsum si baithi hui thi. Aur, uske theek saamne ek aurat khadi thi.

Woh koi aur nahi, Ashita hi thi. Aur saamne baithi ladki ~


fa3b72e47c04aba2016fd1352a4a7202

Suhana!

Ashita : Akhir kab tak hum iss tarah hotel me rahenge? Huh?

Suhana : Why are you here? I told you to leave me alone!

Ashita : Ye sab kya laga rakha hai Suhana? Tumhare husband ka phone pichle 2 dino me 12 baar aa chuka hai. Agar mein pick karungi to tumhari saari pol khul jayegi. Sabko lata lag jayega ki tumhe split personality disorder hai.

Suhana : Prakash Uncle hai uske liye.

Ashita : And thank god that he's here. Warna agar woh na ho toh pata nahi mein tumhe kaise handle karungi. Tumhare husband ko jawaab tab se wahi de rahe hai. Lekin, mujhe lagta nahi woh ab zyada derr tak hold kar payenge ye sab.

Suhana : H-He-! He will manage. I believe in him.

Suhana ki haalat dekh, Ashita ka dil paseej utha. Woh ahista se uske bagal se aake baithi aur uska haath thaam kuch sochi,

'Agar mene iss baat ko abhi nahi rakha, toh shayad aage jaake ye aur nuksan-dayak hogi. Suhana ko mujhe realise karwana hoga. I know ye sahi state nahi hai inn sab baato ko jaan'ne ka. Lekin, mein aur derr nahi kar sakti. I'm sorry Suhana.'

Ashita : Suhana!?

Suhana : …

Ashita : Suhana???

Suhana : Ungh??

Ashita : Mujhe tumse kuch zaroori baat karni hai.

Suhana : O-Ohh!

Ashita (sighs) : Suhana! Tumhe pyaar ho gaya hai!

Aur usne keh diya. Seedhe seedhe!

Suhana : Hmm?

Ashita : Mujhe nahi pata ye pyaar ka beej tumhare andar kab boya gaya lekin, beej ankurit ho chuka hai Suhana. Usne paudhe ka roop lena shuru kar diya hai. Aur, mujhe darr hai ki kahi ye bada sa vraksh na bann jaaye. Agar aisa hua toh fir ye reversible nahi hoga. Fir tum pyaar ke daldal me fass jaogi Suhana!

Woh sab kuch sahi keh rahi thi. Parantu, Suhana uss haalat me thi hi nahi jaha woh inn pechida baato ko samajh sake. Woh toh Ashita ko aise dekh rahi thi ki jaise maano raah chalte kisi paagal insaan ko dekh rahi ho.

Suhana ne Ashita ka maatha chhua aur fir use waqai chintit nazro se dekhi,

Suhana : Kaun sa ped? Kaisa paudha? Kaha ka beej? Ashita! Tumhari tabiyat theek hai na? Should I take you to a doctor? Don't worry! I won't charge you for that.

Ashita : Ohh! God!!! This fucking stupid-!!! Aarrrghhh! Mera sarr fatt jayega. Calm down! Calm down! Suhana abhi calmly nahi soch rahi. Yes! She's not like her usual self. Tumhe dheere dheere aage badhna padega. Yes! Phew! Okay! So, meri baat suno Suhana.

Suhana (nods) : Uhh-huh! Mein sunn rahi hu!

Ashita : No! You are not listening you fucking stupid-!!! Argh!! Mein firse frustrate ho gayi. Calm down! Calm down! Ashita! Phew!

Suhana (frowns) : Are you really okay?

Ashita (screams) : Yesss! I'm fucking okay! But you are not you idiot-! Urgh! Anyways! Meri baat suno! Tumhe uss ladke se pyaar ho gaya hai. Do you understand?? Are you getting what I'm saying????

Suhana : Huh?

Ashita : Tumhe uss Veer naam ke ladke se pyaar ho gaya hai. Lekin, use bhul jao kyuki woh ab iss duniya se-

Woh abhi apni baat poori kehti ki tabhi room ka darwaza dhadalle se khula aur Prakash Uncle andar aake tapaak se bol pade,

"W-Woh Veer zinda hai! Miss Suhana! News dekhiye!"

Ashita : Ehh?

Ashita jaha confused reh gayi toh wahi Suhana tezzi me apne bistar se uth baahar room me aayi aur uski nazre seedhe TV par jaake tik gayi.

Khabar Veer ki hi chal rahi thi. Uska woh chehra, logo ke beech ghire hona, security ka uske liye jagah banaana.

Woh sab kuch apni aankhon se dekh paa rahi thi. Na jaane kya hua use jo woh seedha baahar ko apni car ki orr bhaag nikli.

Ashita : S-Suhana??? Wait!!!

Prakash Uncle : Lagta hai Miss issi news channel waali location par gayi hai.

Ashita : Aur aap…!

Prakash Uncle : Hmm?

Ashita : Uncle aap ko kya zaroorat thi ekdum se kisi ke kamre me aane ki. Do ladies andar baat kar rahi thi aur aap ho ki-

Prakash Uncle : Arrey mein woh- mein toh soochna dene aaya tha bas.

Ashita : De di soochna? Nikal gayi na woh. Ab chaliye!

Prakash Uncle : Bilkul! Abhi car laaya.

Suhana ke theek peeche Prakash Uncle Ashita ko leke bhi usi pate par chal diye.

***

Idhar Veer chaaro taraf se ghira hua tha. Adhiktar janta uska samarthan kar rahi thi. Parantu, kuch abhi bhi the jo bataayi gayi baato ka asaani se yakeen nahi kar rahe the. Nayi sacchayi ka khandan karne me lage hue the.

Sawaalo par sawaal Veer se reporters puchte jaa rahe the. Kintu, woh ek ka bhi jawaab dene ke liye nahi ruka.

Veer ke liye security iss waqt behad high thi aur woh log apna kaam poori mehnat se kar rahe the. Na jaane kab uspe kaun hamla kar de. Maamla poori tarah se shaant nahi hua tha.

Uske thoda aage badhte hi DGSI ki team uske saamne thi. Kisi jeeti jaagti hassti ke samaan prateet ho raha tha woh iss waqt.

DGSI ne uske aate hi apni kaaryavaahi shuru kar di. Terashima se leke sabhi upasthit the.

Aur ye jald hi siddh bhi ho gaya ki-

Veer!!! Criminal nahi tha.

Saare arrest warrants uss par se hatt gaye. Yaha tak ki DGSI ki orr se use maafi ke roop me kuch dhan raashi bhi uplabdh ho chuki thi.

Crimson aur Ushant ko leke tehqiqaat bhi shuru ho gayi. Aur, Veer ka jise sabse zyada intezaar tha. Woh pal bhi aa hi gaya.

"Veeeeeeeeeeerrrr!!!!"

Ek jaani pehchaani awaaz, jise sunn'ne ke liye woh kabse tadap raha tha. Jaha usne umeed hi chorr di thi ki woh ab ye awaaz kabhi nahi sunn payega.

Ye wahi awaaz thi.

Awaaz thi Bhavna ki! Uski maa ki!

Par awaaz ki goonj abhi khatam nahi hui thi jab ek aur awaaz waha uske kaano me goonj gayi,

"Veeeeeeerr!!"

Aur iss awaaz se bhi woh bhali bhaati parichit tha. Agar koi aam insaan hota, toh itne shor me inn awaazo ko sunn nahi paata. Magar, Veer ek system holder tha-! Uske senses aam insaano ke muqaable kahi zyada tha.

Ye awaaz thi Tejal ki!

Parantu, woh logo ke beech ghira hua tha. Nikle kaise inn logo ke beech se?

Jab woh inn soch vichaar me laga hua tha tabhi ek haath bheed me aage badha aur uski kalaayi ko thaama.

'Hmm?'

Jab tak woh kuch soch paata, ek zorr ke khichaav ne use bheed se ghaseetate hue baahar nikaala.

Logo ke gol ghere ko tod woh baahar nikal khichaav ke chalte ek ladki se jaa bhida. Bhidna bhi nahi kahenge. Ye toh milan tha.

Aankhein jab chaar hui toh Veer unn naino ko dekhte hi pehchaan gaya.

Arohi!!!

Dono kuch shano tak ek dusre ki aankhon me hi kho gaye. Paristhiti kitni hi jatil kyu na ho, Arohi hamesha unn sthitiyo me saralta se apna raasta khoj liya karti thi. Aaj bhi wahi hua.

Usne badi hi asaani se Veer ko bheed se baahar nikal liya tha. Woh baat alag thi ki ab ek naya ghera bann'ne jaa raha tha.

Arohi : V-Veer!

Veer : Arohi dii!?

Dono aage kuch keh paate ki tabhi Veer ke upar koi lapka. Security sachet hui magar unse derri ho gayi. Ucchalne wala shaks behad tezz tha.

Zorr ka jhatka Veer ko apni chhaathi pe mehsoos hua aur agle hi shan woh neeche zameen pe tha. Uske upar ek bhaar bhi tha.

Khushboo ne naak me jaise hi apni haazri lagayi. Veer sab samajh gaya.

Veer : Teju dii???

Tej uske upar use zorr se jakde hue thi. Shirt par uski pakad itni mazboot thi ki lag raha tha kahi shirt hi na faad de woh.

Tej uss badan se wahi khushboo lene ka prayaas kar rahi thi. Magar woh kahi maujood hi nahi thi. Kaise milti Veer ki wahi shareerik sugandh? Veer Crimson ko maar ke khoon aur samudra ke namkeen paani se sann'ne ke baad nayi shirt me aa chuka tha. Uski khaas sugandh toh ghar par hi padi hui thi. Wahi Suhana ke dwara diya gaya Las Vegas wala perfume.

Fir bhi, iss chhaathi se lagne maatr se Tej ki jaise saari chintaaye gayab ho gayi.

Woh dono ye bhul chuke the ki unhe saare news channels me darshaya jaa raha tha. Kuch derr yu hi uske upar chadhe rehne ke baad Tej ne haule se apna sarr uthaya aur use dekha,

Aankhein dekhte hi Veer bhaanp chuka tha ki ye khubsoorat aankhein kayi raato se uski talaash me pehra di hai. Naino ke neeche kam sone se woh kaalapann, Tej ki atalta ko toh darsha hi raha tha par saath hi kahi na kahi uski sundarta me bhi chaar chaand laga raha tha.

Ek ajeeb sa aakarshan tha ye.

Veer (smiles) : I'm okay!

Tej (nods) : Mmm~

Veer : Umm! Aap uthengi? Aas paas sab hume hi dekh rahe hai.

Tej : Dekhne do!

Veer : Teju dii!

Tej : ...

Veer : Teju dii! Please! Uthiye na! Jee bhar ke gale lag lena. Mene maa ki bhi awaaz suni. Kya unse nahi milne dogi aap?

Bhavna ka zikr aate hi iss baar Tej uske upar se uth gayi. Lekin, uthne se pehle woh apne Bhai ke gaal ko choomna nahi bhuli. Veer se uski pakad chhoothate hi use kisi aur ne apne aalingan me le liya.

Mazbooti me ye pakad uski apni pakad se bilkul bhi peeche nahi thi.

Veer apni maa, Bhavna ki baaho me tha.

Veer : Maa!

Bhavna ne pehle toh use kass ke jakde rakha. Uske baad turant hi sabse pehle uske shareer ka jayza liya. Aage peeche, upar neeche. Jab sab sunishchit ho gaya toh uska haath apne aap hi Veer ki shirt ke andar gaya aur uske pendant ko tatola.

Haath me pendant aate hi Bhavna ne ek raahat ki saans li. Uske baad apne bete ke haath ko upar kar usne uski kalaayi dekhi.

Veer ki kalaayi me woh kaala dhaaga abhi bhi bandha hua tha. Bhavna ne khud hi uske jaane se pehle ye baandha tha.

Kaale dhaage me darasal kuch bhi nahi tha. Woh koi jaaduyi dhaaga nahi tha. Lekin, Bhavna ka atal vishvaas tha usme. Aur, yeh kaafi tha uske liye.

Sab kuch jaanch lene ke baad fir usne apne bete ke mukh ko dekha. Wahi bhar nahi thi. Dur khadi Ava bhi sab kuch dekh rahi thi.

Jaha usne apni maa ko khoya tha toh wahi uski nazro ke saamne ek maa bete aapas me mil rahe the. Unke milan ko dekh, uske honth pal bhar ke liye upar ko uth gaye. Par unn aankhon me atyant dukhdayi peeda ki ek parat chadhi hui thi.

Ye pehli baar tha, jab saare cameras Veer ke upar focused the. Na ki khyaati praapt ki mahaan singer Natalia ke upar.

Aur, inhi shor sharaabe ke beech Ava ke qadam dheere dheere peeche ko chal diye. Woh janta ki nazro se kab gaayab ho gayi, kisi ko kuch pata hi nahi chala.

Idhar Bhavna Veer ko thaame use ghoorne me lagi thi.

Bhavna : Mein toh pehle din hi bhaanp gayi thi ki tu mujhse jhooth bol ke gaya hai.

Hamesha apne bete ko 'tum' keh ke pukaarne waali Bhavna ke muh se aaj apne aap hi 'tu' shabd nikal aaya.

Ye 'tu' shabd apnepann ko darshane ke liye tha. Bekaraari ko darshane ke liye tha. Jaise woh batlana chaah rahi thi ki uska baccha kidhar bhi kyu na chala jaaye, kitne hi meel dur kyu na bichad jaaye, rahega hamesha uske aanchal ki chhaav me hi.

Veer sirf uska tha. 'Tu' shabd saral maayno me yahi darsha raha tha. Woh jaanti thi ki uska laadla uss se jhooth bol ke gaya tha.

Veer : Aur mein bhi ye jaanta tha ki aap ye jaan gayi ho ki mein aap se jhooth bol raha hu.

Bhavna : Uske baad bhi tum jhooth bol ke gaye?

Veer badle me bas muskura diya.

Bhavna : Ek ek baat bataoge tum.

Veer (smiles) : Jaisi aapki aagya!

Bhavna ne punah use apne gale se laga liya.

*Badump* *Badump*

Uske seene se lage unn dhadkano ko sunn, apne aap hi uski aankhein bheeg uthi. Woh zinda tha. Sahi salamat tha. Iss se badi baat uske liye aur kuch nahi thi.

Bhavna ko sambhaalte hue Veer ne use Tej ke sahaare khada karwaya. Aur, Manorath ne bhi tabhi aage badh apne pote ko gale se laga liya.

Veer : Dada jii!? Aap yaha kyu aaye? Khamakha taqleef uthayi!

Manorath : Ab tu mera baap bann gaya? Hmm? Arre Bhai mera pota jab gaayab ho, uss se koi sampark nahi bann paa raha ho, toh sab ko chinta toh hoyegi hi na? Mein ghar pe kaise baith sakta hu?

Arohi : Jab se tumhara call lagna band hua tha. Tab se hi hum sab tension me the. Tumhe bohut se questions ke answers dene hai.

Veer (smiles) : Right!

Manorath : Chalo bhai! Ab jald se jald yaha se ghar chalo. Aur Arohi bitiya theek keh rahi hai. Prashno ki list taiyaar rakhi hai iss Tejal bitiya ne toh-!

Veer apne parivaar se bharat milaap me laga tha aur media ek ek pal record kar rahi thi. Saath hi DGSI waalo ka yakeen aur mazboot ho chuka tha ki Veer koi criminal nahi.

Bharat se uska parivaar aaya hua tha. Ye ek sharm ki baat thi unke liye ki baahar se aaye athiti ke saath unn sabne aisa vyavhaar kiya.

Veer ko laga tha ki usne sabhi log se mil liya. Lekin, use zara bhi andaza nahi tha ki use ye awaaz bhi yaha sunaayi degi.

"M-Move aside!!"

"J-Just a minute! Step aside-!!! P-Please!"

Awaaz sunte hi Veer ki dhadkane tezz ho gayi. Bauhe kass uthi. Uska sarr idhar udhar mud uss shaks ki talaash me lag gaya.

Woh ek jhatke me logo ke ghere se baahar nikla. Bhavna, Tej, Arohi aur Manorath sabhi use prashn bhari nazro se dekh rahe the.

Magar, Veer na ruka.

Logo ko idhar udhar kar woh jaise hi baahar nikla...



595cfe2ed7a3c7aa8f4039d8b0c19ba9

Waqt jaise tham gaya.

"Suhana!?"

Woh ye jaanta tha ki Suhana ne uski madad ke liye chopper bheja tha. Magar usne sapne me bhi ye umeed nahi ki thi woh khud yaha tak aayi thi.

Woh toh hospital me thi na? Uski chot ka kya? Tamaam sawaal Veer ke mann me use dekhte hi uth khade hue.

Par dono ke beech ek ajeeb si khamoshi chhaayi hui thi. Dono ke hi mukh adhkhule the. Aur iss chuppi ko Veer ne hi toda,

Veer : Miss Suhana!? Aap yaha?

Par Suhana jaise kisi aur hi duniya me jaa chuki thi. Veer se milne ki ajeeb si dhun use sawaar thi. Aur ab jab woh saamne tha toh use kuch samajh hi nahi aa raha tha ki kya kare. Woh bas chup-chaap yu hi khadi rahi. Aur fir turant hi...!

Uske aansu chhalak uthe.



d43196e6eb94b1ba7132647fd6f66739

*Click* *Click*

Cameras ki shutters ki awaaz jab uske kaano me zorr se padi toh use hosh aaya. Ye kya kar rahi thi woh? Use ehsaas hua ki woh khabar me aa rahi thi.

Na jaane kitne log ise dekh rahe honge. Yaha tak ki uska husband bhi dekh sakta tha ye sab. Woh kaise itni badi bhul kar gayi?

Iss baat ka bodh hote hi darr ke maare uske qadam peeche ho gaye. Woh jhatse mudi aur aage badhi hi thi ki-

*Badump*

Laga jaise dil ne ek dhadkan phaand li. Do mazboot haath uski kamar par bandhe use jakde hue the.

"W-Wait!"

Veer ki awaaz theek uske daaye kaan me padi. Suhana ki saansein tezz ho uthi.

Ye woh kya kar rahi thi? Nahi! Ye sab kaise ho gaya uss se? Woh baad me bhi toh mil sakti thi. Itni bekaraar kaise ho gayi woh? Milne ke liye itna bechain kyu thi woh?

Kuch samajh nahi aa raha tha uski. Jab ek message ne uske dimaag ke saare taaro ko jod sab spasht kar diya.

*Buzz*

Mobile vibrate hua. Suhana ne haath me pakda mobile kaanpte hue haatho se mod uski screen par message dekha.

Message Ashita ka tha.

Aur saaf saaf bas yahi likha hua tha~

"Dear! You have fallen in love with him."

Padhte hi Suhana ki aankhein achambhav ke maare fel gayi.

Veer ka haath tab tak uski peeth par komalta sa firr raha tha.

Veer : You recovered!? Tell me...! Kyu aayi aap yaha? Kyu kiya mere liye itna? Mujhe bohut saare sawaalo ke jawaab aap se-

Magar uski baatein adhuri reh gayi jab Suhana ne khud ko uski pakad se chhuraaya aur woh ghabraate hue daud ke waha se nikal gayi.



IMG-20230507-030307

Veer : N-No!!! W-Wait! Miss Suhaaaana!!!?

Logo ne fir use gher liya. Suhana...! Uski nazro se ojhal ho gayi.

***

Crimson ke ant ke baad sab kuch shaant sa ho gaya tha. Veer aur anya ghar waapsi ke liye flight me baith chuke the.

Magar, Paris me idhar dur countryside ke pahaadi ilaake me ek choti par ek ladki, uchaayi se neeche dekh rahi thi.

Uske baal ahista ahista maddham hawa me lehra rahe the. Aankhon me bas niraasha hi thi. Sundar se mukh me kahi koi josh nahi, chehra kehne ko toh khubsoorat tha magar chamak jaise gaayab thi.

Agle hi pal uska perr choti ke chhor par aaya aur woh uski kagaar par khadi ho gayi.

[W-Wait!!! What are you doing?]

Uske mann me ek awaaz aayi. Par woh koi jawaab nahi de rahi thi.

[D-Dear! Stop it! What the hell are you doing? H-Hey don't scare me! Please!]

Woh awaaz vyakul thi. Ladki ne fir ahista se apne mann me uss awaaz ko jawaab diya.

'There's nothing left now! I must go as

well! Lily...!'

[W-Wait!! N-Noooooo!]

Aur usne apna perr aage badha diya.

[Noooooooooooooo!!!!!]
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Mujhe nahi lagta iss se zyada pareshani mujhe kabhi kisi update ko likhne me gayi hogi. Ye update mujhe yaad rahega. Kitne kasht jhelne pade hai ise taiyaar karne me. Update ke post time dekh ke andaza laga sakte ho aap sab. Also, yes! My mobile is gone. Previous data bohut kuch jaa chuka hai. This update is actually around 6.1k words. Yes! Ye mega update hai. Toh Dil se like thok ke jaane ka. Target wahi hai apna. 150. Aur revos rakhne ka.

Dhanyavaad.
Zabardast khatarnak update yaar superb 👌
Waiting for next update
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
14,812
103,214
259
Werewolf Bhai..one request..don't promise timelines of updates which are hard to keep..no one disputes the time and effort put in from your side for every episode..time to lagta hi hai bhai..if you were to go over pichle 4-5 episodes ke first given day.versus.actual posting..you wud know what I mean..am equally anxious to read the next one..take.care..and hope for a dhamaka update..
Late night aayega par aayega zaroor update
 
Top