- 14,254
- 100,973
- 259
Last edited:
WaitingTomorrow! Aaj dhanteras hai. Isliye aaj toh boht zyaada busy hu. Aap sabhi ko dhanteras ki shubhkamnaye. Update kal jese tese likh ke raat me post kar dunga.
Behad hi shanadar or jabardast update bhai.Update - 20 ~ Ragini's Breakout and An Unknown Visit.
Ab tak...
Usse kholte hi Veer seedhi wo knife Ranga ki pasli me ghused thi...
*Splurt*
"Aaaaaarrrrrrrrrrrrrrgggggghhhhhhhhhhh"
Ek zorrdaar cheenkh jisse sunn aadmi ki rooh kaanp jaaye poore basement me fel gayi.
Ranga apni pasli pakad jese hi side hua...
*Thud*
Sarr pe ek waar aaya aur agle hi pal uski aankho ke saamne andhera chhaa gaya.
Ab aage...
"Haaaah... Haaaah...." Zorr zorr se lambi lambi saas lete hue Veer wahi neeche baithe Ranga ko dekh raha tha, jo ki iss waqt sarr par waar khaane ke baad behosh ho chuka tha.
Aur agle hi pal, Veer apne haath se rod ko zameen par giraate hue, apni peeth ke bal dhadaam se floor par gir pada, wo lambi lambi saasein le raha tha, yaha tak ki kaafi khaasi bhi aa rahi thi usse.
Uske peeche se Ragini samet baaki sab kursi par bandhe side muh karke usse hi ghoor rahe the. Ragini ki aankho me ek chinta thi, saath hi saath darr, glaani aur na jaane kitne emotions uski aankhein bayaa kar rahi thi. Aur, wo aasu jo lagataar uske chehre ko bhigoye jaa rahe the, uski haalat ko bakhubi darsha raha the.
'Whyyyy!? Just... Just whyyy!??' Uske mann me yahi sawaal baar baar aa raha tha. Akhir kyu Veer yaha pe tha!? Ye baat toh saaf thi ki wo yaha usse aur baaki sabhi ko inn gundo ke changul se bachaane ke liye aaya tha. Par sawaal tha kyu!??
Jo ravaiyya uske gharwaalo ne uske saath kiya tha uss hisaab se toh usse yaha hona hi nahi chaahiye tha, ulta usse toh khush hona chaahiye tha. Par unn sab ke bawajood wo yaha par tha.
Jis hisaab se wo saasein le raha tha, aur uske shareer par aaye wo chhile hue ghaav jinse khoon beh raha tha, ye dekh ke hi Ragini ko ek chinta sii sataa rahi thi. Aisa hona nahi chahiye tha kyuki Veer se wo kabhi baatein hi nahi karti thi, ulta apne Pati ke plan me jaane ya anjaane me shaamil rehti thi jiske chalte Veer ko harr baar fassaaya jaata tha.
Par aaj Veer ne usse bachaaya, aaj wo uska ek saviour tha. Wo tab aaya jab usne poori umeed chorr di thi. Shayad isliye!? Shayad isliye aaj Ragini ko uski aisi haalat dekh thodi chinta ho rahi thi!? Abhi toh usne khud nahi realize kiya tha ki uska mann Veer ki aisi haalat dekh chinta me hai.
Vivek bhi Veer ko dekh khud hairaan tha.
'Ye!? Ye yaha kya kar raha hai!? Isse kese pata chala?? Jo bhi ho... Iske kaaran aaj mein bach gaya. Accha hua isse nahi pata hai ki Pranjal ke saath mein bhi mila hua hu. Shayad isse ye bhi nahi pata abhi ki Pranjal hi iski ye haalat ka kaaran hai. Hahaha~ good! Good! Ye sahi hai... I just have to console Ragini.'
Wo apne mann me soch apne aage ke plan ki taiyaari karne me abhi se busy ho chuka tha.
Dinesh bhi Veer ko dekh usse mann hi mann dhanyavaad de raha tha. Uske mann me Veer ke prati izzat badh chuki thi. Wahi dusri orr, Vivek ki chhavi uske mann me poori tarah se neeche gir chuki thi. Aaj jo asli Rang Vivek ne apna dikhaya tha usse dekh wo mehsoos kar sakta tha ki uski beti par abhi kya beet rahi hogi.
Idhar Veer unn sabhi ki nazro se anjaan apne gale me dono haatho ko ferr raha tha. Usse mehsoos hua ki kitna close tha wo apni maut ke. Yadi usne wo pocket knife na uthaayi hoti toh Ranga aaj pakka uska gala rod se choke kar ke usse maut ke ghaat utaar diya hota.
Aur maut ke baare me soch ke hi uske andar ek sihran sii daud gayi.
Yadi Pari ne usse uss aadmi ki jebe check karne na kaha hota, toh wo pocket knife usse milti hi nahi, yadi Pari ne usse ek secret weapon khojne ke liye na kaha hota toh uske paas wo rod hoti hi nahi. Ye sab soch ke hi Veer ke mann me Pari ke liye izzat badh gayi.
[Master!? Are you okay!?]
'I'm... I'm fine Pari! Thanks! Thanks a lot! Yadi tum na hoti toh...'
[It's okay master. Don't say it like that. It's okay!]
Veer khud ki saasein control kar neeche zameen se utha. Aur uski nazar jese hi Ranga pe gayi...
'Check!'
[ Name - Ranga
Age - 29
Bio - Ranga apne bhau ke liye kaam karta hai. Pehle se hi wo anaath tha aur uske bhau ne usse sahaara diya. Apne bhau ke prati poora samarpit hai.
Favourability : -2
Relationship : Strangers.]
'Bhau!?'
[Iska boss Master.]
'Toh kya naam nahi jaan sakta mein!?'
[It's because I'm level 2 master. Level me up then see the magic.]
'Yeah! Yeah!'
'Wait!! Ye minus me favourability??'
[Yes master! Because aapne uspe hamla kiya toh favourability minus me toh jaane hi thi jab wo pehle se hi zero pe thi. Strangers ki favourability zero rehti hai na master. You remember!?]
'Ah! Yes! I do!'
Uske baad thoda karaahte hue Veer utha aur dheere dheere aage badh wo sabse pehle Dinesh ke paas pochucha.
Dinesh ke muh se tape nikaalte hue usne uske ird gird bandhi rassiya kholi.
Dinesh : Beta... Beta aaj tum na aate toh pata nahi kya hota.
Veer ne keval apna sarr haa me hilaaya aur uske bagal me baithi Ragini ki rassiya kholne ke liye wo neeche apne ek ghutne pe baitha aur rassiya kholne laga.
Ragini rote hue usse hi dekhti jaa rahi thi. Wo dekh paa rahi thi ki kese jagah jagah usse chot aayi thi. Par Veer ki nazre ek baar bhi Ragini ki nazro se na takraayi. Wo jese bas bina koi bhaav ke apne haatho se rassiyo ko kholne me laga hua tha.
Na hi usne upar muh karke Ragini ko dekha aur na hi uss se kuch kaha.
Dinesh idhar Vivek ki rassiyo ko kholne me jut gaya.
Jese hi sabhi unn rassiyo ki qaid se azad huye, Ragini uthate hi daudte hue Dinesh ke gale se lag gayi aur sisak sisak ke rone lagi.
Ye sab kuch uske liye boht zyaada tha. Khaaskar jab usse Aatish ka wo tamaacha pada tha, uske baad se hi Ragini me ek darr baith gaya tha. Warna uske pehle toh woh yahi soch rahi thi ki police aake unn sabhi ko bacha legi ya ye gunde zyaada kuch nahi karenge.
Par jab Aatish ne apne hi aadmi ke perr me goli chalaayi aur bas...
Ye dekhte hi Ragini ko samajh me aa chuka tha ki wo kitni badi musibat me phassi hui hai.
Aur ussi musibat se usse bachaane Veer kisi farishte ki tarah aaya. Na keval usne unn teeno ki jaan bachaayi balki ab Vivek ki company bhi bach gayi thi aur saath hi saath ab Dinesh ke kaagaz bhi wo waapas le sakte the aur saare evidence mita sakte the.
Dinesh apni bacchi ko gale se lagaaye uske chehre ko dekh raha tha. Aatish ka tamaacha khaane ke baad bechaari ka poora gaal laal ho chuka tha. Kese uske mote mote aasu uske gaalo se behte hue gir rahe the, wo sab kuch dekh paa raha tha.
Ragini : Papa...
Dinesh : Meri bacchi... Tu theek hai na!?
Ragini : Mein thik hu Papa... Aap theek hai na!? Unhone aap ke saath kuch kiya toh nahi na!? Kahi chot toh nahi aayi na aapko!?
Dinesh : Mein theek hu meri bacchi! Mein theek hu... Kuch nahi hua mujhe...
Vivek idhar dono baap beti ko dekh ab nazre jhukaaye khada tha. Usse samajh nahi aa raha tha ki kese wo Ragini ko face kare. Usne jo kuch derr pehle kiya tha uske kaaran Ragini pakke se behad khafa ho chuki hogi uss se. Aur, Vivek ko ab yahi kaam karna tha ~ Usse Ragini ko manaana tha jese bhi karke.
Abhi wo kuch keh paata ki tabhi Veer ki awaaz unn sabhi ke kaano me padi,
Veer : Hamaare paas samay nahi hai. Hume jald se jald yaha se nikalna hoga.
Veer ki baat sunn Dinesh ne haa me sarr hilaaya aur wo forun hi wahi table me rakhe saare apne kaagaz aur mobile me bane videos ko udaane laga.
Jab usne sab kuch dekh liya ki sab sahi hai uske baad usne Veer ko nikalne ka ishaara kiya.
Veer bhi ye jaan ke hairaan tha ki maamla kitna bada tha. Yaha wo soch raha tha ki sirf Ragini hi musibat me thi par maamla toh kayi guna pecheeda tha. Ragini ke saath saath Vivek aur Dinesh bhi yahi the aur yaha tak ki Dinesh ke Showrooms tak chhin chuke the.
Agle second hi sabhi uss abandoned building se baahar nikal tezz tezz qadmo ke saath main road ki taraf jaane lage.
Aur kuch hi derr me wo road ke paas aa chuke the. Ab unki nazro me kuch kuch gaadiya raaste me chalti nazar aane lagi thi.
Abhi jo sabse zyaada priority ka kaam tha wo tha yaha se nikalna. Kyuki kisi bhi waqt unn gundo ko hosh aa sakta tha aur wo Veer aur unhe dhundne aa sakte the. Isliye, jitna jaldi yaha se nikla jaaye utna behtar tha unke liye.
Kaafi derr tak wo bhaagte hue aage badhe the aur ab bas keval paidal hi chal rahe the kyuki Dinesh thak chuka tha.
Veer sabse aage chal raha tha aur uske peeche peeche Ragini aur baaki sab.
Apne qadmo ki raftaar tezz kar achanak hi Ragini Veer ke bagal se aayi aur uski chaal ke saath saath chalne lagi.
Ragini : Vee... Veer!?
Badi hi dheemi sii awaaz me usne pukaara. Par Veer ki taraf se koi reaction na mila usse. Wo bas saamne dekh chalta jaa raha tha. Jese maano Ragini uske liye bas hawa ke samaan thi.
Bauhe sikodte hue ek baar fir Ragini ne bechaini bhari awaaz me pukaara,
"Veer!!"
Par nateeja!?
Wahi...
Veer ne ek shabd na kaha.
Idhar Vivek apni patni ko Veer ke bagal se dekh hairaan tha.
'Ye!? Ye uss se kya baatein kar rahi hai!? Damn it! Mujhe... maamla suljhaana hoga, warna derr ho jaegi'
Aur agle pal hi Vivek aage badha aur Veer ke haath ko thaamte hue usse rok liya,
"Chote bhai..."
Usne badi hi vinamrta se usse pukaara aur aise me Veer ko rukna hi pada.
Vivek : Chote bhai! Aaj tumne hum sabhi ko bachaaya hai. Mein tumhara ye ehsaan kabhi nahi bhulunga bhai.
Bagal me khadi Ragini ne jese hi ye dekha uski aankhein phati ki phati reh gayi. Vivek kitni asaani se jhooth bol raha tha. Matlab ekdum safed jhooth.
Ab Ragini ko samajh aa raha tha ki uska pati kis kism ka ekdum nihaayti aur ghatiya insaan tha.
Na keval Vivek ne itne saare shadiyantra banaate hue Veer ko bhagaane me saath diya balki aaj usne apni hi patni ki jaan ki parvaah na kar seedhe seedhe usse qurbaan karne ki thaan bhi lii thi. Aur ab wo Veer ko apni meethi chikni chupdi baato me firse fassa kar usse behlaa raha tha.
'I never imagined you would be like this...' wo mann me soch Vivek aur Veer ke beech me hi koodna chaahti thi aur bataana chaahti thi ki uska pati kitna jhootha insaan hai, par Veer ne uski baatein suni hi nahi abhi kuch derr pehle hi...
'He must know... He must... Usse ye pata chalna hi chaahiye kese bhi karke...' Ragini ne jese thaan liya tha ki aage kya karna hai.
Vivek : Chote bhai! Mein jaanta hu tau jii tumse boht naraaz hai aur tumhe ghar se nikaal chuke hai. Par iska ye matlab toh nahi na ki mein aur baaki sab tumhaari parvaah nahi karte!? Bhale hi mein ghar me awaaz nahi utha sakta bhai... Par aaj jo tumne mere liye kiya hai. Usse mein kabhi nahi bhulunga. Tumhe jab bhi meri zaroorat pade bhai... Bejhijak mere paas aa jaana... Aur mein apni poori koshish karunga ki Tau jii ko mana ke tumhe waapas se ghar me laa saku. Kyu hai na Ragini!?
Par Ragini uski baat sunn keval usse dekhti rahi, wo kuch na boli. Aur jese...
Uski aankho me ek gussa tha. Jisse dekh Vivek awkwardly bas apni nazre idhar udhar firaata raha.
Veer : Koi zaroorat nahi hai. I had enough.
Itna bol wo waapas se palta aur kuch kadam chala hi tha ki Ragini bhaagte hue uske peeche se aayi aur uske haath ko thaam lii,
Ragini : Whyyyyy??? Kyu???? Kyu Veer!? Kyu bachaaya tumne hume!?
Usne tezz awaaz me chillaate hue Veer ko dekhte hue kaha.
Aur finally...
Veer uski taraf palta... Dono ki hi iss baar nazre mili aur Ragini achanak shaant pad gayi. Uske haatho ki pakad bhi Veer ke haath par se dheeli pad gayi.
Veer : Why!? Kyuki isme mera hi faayda tha. Just for my sake.
Ragini : Kesaaa faydaaaa!? Kya milaa tumhee!? Tumhe toh mujhe aur baaki sab ko hate karna chaahiye na!? Fir kyuuuu!? Kyu tumne aisa kiya!!!??
Veer : Mene kaha na! Just for my sake...
Ragini (chillaate hue) : I don't believe ittttt!!! I doooon'ttt...
Veer : Then so be it... And leave me alone.
Ragini : Whyyyyyyyyy!???
Par iss baar uske chillaate hi Veer ne apni aankhein dikhaate hue usse dekha jiske chalte bechaari Ragini thodi darr gayi aur uski awaaz achanak hi band ho gayi.
Veer : I won't repeat myself. Leave me fucking alone...
Pata nahi kyu... Par Veer ke bol sunn ek ajeeb sa dard hua usse andar hi andar. Kesa lagega aapko jab aapki koi jaan bachaane waala vyakti, aapke apno ki jaan bachaane waala vyakti aapse aisa kahe toh? Yahi hua tha Ragini ke saath.
Apna nichla honth daato tale dabaaye wo bas Veer ko ghure jaa rahi thi. Aankho se mote mote aasu beh rahe the. Usse apne sawaalo ke uttar bas chaahiye the, fir bhale hi Veer usse dhutkaar deta.
Par usne kuch bhi na bataaya.
Aur yahi sawaal Ragini ko andar hi andar khaaye jaa rahe the. Uski glaani ko badhaate jaa rahe the. Uski samajh me aa chuka tha ki kitna galat kiya tha usne Veer ke saath. Kitni buri bann gayi thi wo kisi ke liye.
Jis Veer se wo kabhi baat karne ke liye interest nahi rakhti thi aaj ussi Veer se baat karne ke liye wo marri jaa rahi thi. Bas ek baar bas wo uske muh se jese sunn'na chaahti thi ki akhir kyu kiya usne ye sab!?
Veer ka kehna tha ye uska swaarth tha, par iss baat pe Ragini ghanta believe karne waali thi.
Usse lag raha tha ki koi aur kaaran hai, aur yahi jaan'ne ke liye wo paagal hui jaa rahi rhi.
Veer : Aap sabhi jaaiye... Mein chala jaunga.
Veer ne Dinesh ko dekhte hue kaha toh Dinesh aage badh uske paas aaya.
Dinesh : Beta... Tum... Tum chalo... Mere saath... Ghar me. Tumne hamaari jaan bachaayi hai. Aise kese mein tumhe jaane de sakta hu? Aur aise akele kese jaoge!?
Veer : Mein akele hi toh aaya tha na? Don't worry! Mein chala jaunga. Aap log late mat kariye. Wo log kisi bhi waqt aa sakte hai yaha. Jald se jald taxi leke ghar ki orr nikaliye.
Kayi baar Dinesh ke manaane par bhi jab Veer na maana toh Dinesh ne ant me kuch paise nikaal Veer ke haatho me thama diye ki wo bhi taxi leke jald se jald yaha se nikal jaaye.
Jab taxi me baithne ki baari aayi toh Ragini ne ek bomb aur fod diya,
Ragini : Papa! Mein aapke saath aa rahi hu...
Aur ye sunte hi Vivek maano darr sa gaya...
'She... She's not leaving me right!?'
Vivek : Ragini!? Ghar nahi chal rahi!?
Ragini (stares) : Ghar hi jaa rahi hu.... Apne!!!!
Vivek : Accha!? Haha~ Theek hai. Aaj... Aaj Papa jii ke saath hi raho. Mein samajh sakta hu... Haha~
Aur Ragini Dinesh ke saath baith nikal gayi. Idhar Vivek bhi ek taxi kar nikal gaya aur bacha tha keval Veer.
Ant me usne bhi ek taxi kari aur wo bhi ghar ki orr nikal gaya.
Raaste me Ragini ne forun hi apna phone nikaal kisi ko call lagaaya,
Ragini : Hello!?
Dusri taraf se : Hello!? Haa bhabhi!
Ragini : Kavya!!! Kaha ho tum!?
Kavya : Mein toh ghar pe bhabhi, par aap kaha ho? Kabse aapko dhund rahe hai sab... Mujhe laga aap apne papa ke ghar gayi ho toh mene sabko wahi bataaya... Aap wahi ho na!?
Ragini : Oh thank god! Haa! Mein wahi hu... Aur suno na... Mujhe tumse boht important kaam hai.
Kavya : Kya kaam Bhabhi!?
Ragini : Kya tumhaare paas Veer ka number hai!?
Kavya (surprised) : Veer bhaiya ka!?
Ragini : Haa!
Kavya : Haa... Hai toh...
Ragini : Thank god! Please... Kavya... Please... Mujhe uska number send kar do jaldi. It's urgent.
Kavya : O... Okay!
Ragini : Haa! Thanks!
*Call ends*
Aur kuch hi seconds ke andar hi Kavya ki taraf se ek message aaya jisme Veer ka number tha.
Apne phone me Veer ka number save kar wo apni soch me pad gayi. Taxi me baithe hue uski nazre window se baahar raat me sadak par daud rahi gaadiyo par thi. Par dhyaan kahi aur...
'I must tell him... Mujhe bataana hoga usse ki kya kya uske saath hua hai. Jitna mujhe pata hai... I'll have to... And Vivek... I can never believe you again...'
***
Nidhi ke ghar pohuchte pohuchte Veer ko 10:30 baj chuke the. Usne door bell bajaayi, aur andar se Nidhi ne hi darwaaza khola.
Jese hi Nidhi ne door khol ke Veer ko dekha, uski aankhein ashcharya ke maare phatt gayi.
Veer ke chehre toh kahi haath me jagah jagah chot ke nishaan the, yaha tak kuch choto se khoon bhi beh raha tha.
Apne dono haatho se muh dhakte hue wo Veer ko stabdh nigaahon se dekhti rahi,
Nidhi : Veeeeeeerrrr!??? Ye...
Aur uska haath pakad wo kheechte hue usse andar laayi, usse baithaayi aur darwaaza band kar bhaagte hue andar se ek first aid ka dibba laayi.
Sofe par uske bagal se baith Nidhi ne bina kuch kahe hi sabse pehle uski first aid karna shuru kiya,
Dono ne hi na kuch kaha aur na hi ek dusre se nazre milaayi.
Veer ki nazre jaha neeche thi toh wahi Nidhi ki nazre uski choto par...
Ek ajeeb sii peeda Veer ko andar se ho rahi thi jis kaaran wo Nidhi se apni nazre nahi mila paa raha tha. Ek toh wo bina koi sacchaayi bataye ghar se gaya tha aur wo bhi tab jab aaj Nidhi ne bade hi pyaar se special dinner banaaya tha.
Dinner chorr ke gaya tha woh. Aur ab jab lauta toh aisi haalat leke. Par uske bawajood, Nidhi bina kuch puche uski itni parvaah kar rahi thi. Wo chaahti toh dherro sawaal kar sakti thi ki kaha se maar peet karke aa rahe ho? Wagarah wagarah.
Par jo sabse pehla reaction tha Nidhi ka wo tha chinta... Parvaah...
Uske prati...
Aur bas isliye Veer Nidhi se nazre nahi mila paa raha tha.
'She's too pure... I... I can't...'
[She cares for you master...]
'I...'
Veer mann me bhi kuch na keh paaya. Usse jese rona aa raha tha. Koi insaan itna accha kese ho sakta hai bhala!?
Na jaane kitne sawaal idhar Nidhi ke andar bhi umad rahe the jinhe puchne ke liye wo bechain thi. Par abhi first aid karna zyaada zaroori thi.
First aid hone ke baad dono hi chup chaap bas agal bagal baithe hue the.
Aur ant me Nidhi ne khaamoshi tod hi dii...
Nidhi : Veer!? You okay?
Veer (smiles) : I'm okay Ma'am! Thank you!
Nidhi (frowns) : Then!? Kya... Kya ab tum bataoge kese hua ye sab!? I mean... If you dont want to then... It's... It's okay...
Usne bolte hue nazre neeche kar lii par tabhi Veer ne uske haath ke upar apna haath rakh diya,
Nidhi : Huh???
Veer : I...
Usne Nidhi ka haath aur kass ke thaama aur bola,
Veer : I'm sorry Ma'am. Urgent tha...
[Master! Keh dijiye ki kisi ladki ko gunde cherr rahe the and you helped her... Isliye aap ko ladte hue chot aa gayi.]
'Nahi Pari! Mein jhooth nahi bolna chaahta unse ab. Kitna jhooth bolu Pari unse!? Look at her... Look at her eyes... I can't Pari... Iss se accha hai ki mein kuch na batau...'
[Then tell her the truth!]
'Huh!?'
[Yeah! Why not!? Tell her the truth. Bas mere baare me chorr ke... Tell her everything.]
Pari ki baat Veer ko sahi lagi aur isliye usne Nidhi ko ek baar fir dekha, uska haath kass ke thaama aur bolna shuru kiya,
Veer : Ma'am!!! Baat ye hai ki...
Aur fir Veer ne sab kuch...
Sab kuch bata diya ki Ragini kese waha gundo ke changul me thi aur kese usne unn sabhi ko waha se bachaaya.
Sunte sunte Nidhi kabhi chaunkti toh kabhi darrti, toh kabhi relax ho jaati ki akhir wo sabhi sahi salaamat the.
Nidhi : Itna sab kuch hua... Aur tumne mujhe nahi bataaya!?
Veer : Time nahi tha Ma'am... Wo....
Abhi wo apni baat aage rakh paata ki tabhi andar se Shreya aayi aur uski nazar Veer pe gayi aur agle hi pal wo hassne lagi,
Shreya : Pfffftttt ~ Hahahahaha~ Dekha!? Mene aapko bola tha na Dii ye gaya hai apni mashooqa ke paas... Par lagta hai aaj iski dhulaayi kar dii usne ya fir uske dusre boyfriend ne...
Nidhi : Shreyyyaaaaaa it's not funny! Tumhe pata bhi hai kya baat hai!?
Shreya : Kya!? I can tell easily ki ye kahi se pit ke aaya hai. Oyeeee! Bolo!? Aisa kya kar diya ki tumhari sutaayi ho gayi!? Haan!?
Nidhi se raha na gaya aur usne zorr se chillaate hue sab kuch bata daala jissse sunn Shreya thodi sann sii reh gayi...
Shreya : I... Wo...
Uske muh se ab ek shabd nahi nikal raha tha.
Uski ye haalat dekh Veer ne pyaar se muskuraate hue usse dekha par iss baar...
Shreya ko uski muskaan bilkul bhi acchi na lagi. Ulta dard hua usse...
"Sorry!" Wo kehte hue andar tezz qadmo ke saath chali gayi.
Nidhi : She didn't mean to...
Veer : I know Ma'am! It's okay! Don't worry! By the way... Aapne khaana khaaya!?
Uska sawaal sunn... Nidhi ne dheere se naa me gardan hila dii. Ye dekhte hi Veer ko ek aur jhatka laga aur uski glaani waale bhaav aur bhi badh gaye.
'If she keeps doing on that... Then... I will fall for her Pari... Inhe koi samjhaaye ki itna accha na rahe ye meri taraf... Warna mein inke pyaar me doob jaunga...'
[Anything is fair in love and war master.]
'I know... She deserves better though. Mein toh kuch bhi nahi unke liye Pari...'
[Maybe you are the best for her!?]
Pari ne budbudaate hue kaha.
'Huh? Kuch kaha tumne!?'
[Nothing master! ]
Ant me dono Nidhi aur Veer ne saath me khaana khaaya aur aaj ki ye raat ek behad hi badi musibat tal chuki thi.
***
Naya din...
Nayi subah...
Roz ki tarah Nidhi aur Veer college me the. Aur abhi subah subah first lecture lagne me thoda time bacha hua tha.
Veer apni class me sabse peeche ki bench par baitha hua tha par wo akela nahi tha...
Uske saath ek behad hi pyaari aur khubsoorat ladki baithi hui thi.
"Veer Bhaiyaaaa!!! Rakhiyeee naaa!!!!"
Veer : Kavya I told you na!? Mujhe nahi chahiye...
Kavya : Aapne nahi rakha toh mein udaas ho jaungi.
Veer : But...
Kavya : Mene kaha na rakhiye... Itni mehnat se mene ghanto tak dhund dhund ke liya hai...
Kehte hue usne ek badi sa packet Veer ko thama diya.
Iss packet me wo apne bhaiye ke liye kayi saari t shirts aur baaki samaan laayi hui thi. Ye usne kal khud apne paiso se liya tha. Na jaane kitni derr shopping kari thi usne mall me apne bhaiya ke liye...
Veer : Arre but mujhe zaroorat nahi hai Kavya...
Kavya : Kya...!? Kya aap... Kya aap ab bhi mujhe apna nahi maante bhaiya...!?
Uske aisa kehne par Veer ne ek saas bhari aur usko apne bagal se chipka liya,
Veer : Pagli hai tu... Laa de... Fine... Ab toh khush hai na!?
Kavya (giggles) : Hehe~ Boht khush...
Veer : Jaa accha ab... Apni class me jaa...
Kavya : Haa... Jaati hu... But ek baat aur...
Veer : Hmm!?
Kavya : Wo... Kal... Kal bhabhi ka call aaya tha. Unhone mujhse aap ka number maanga tha, and I have given her...
Aur itna bol wo bhaagte hue baahar nikal gayi.
Veer apni soch me doob gaya par wo neeche chal rahe scene se anjaan tha.
Neeche college ke campus me ek black colour ki Rolls Royce aake jo khadi hui thi.
Sabhi aas paas ke students phone nikaal ke photo le rahe the toh koi bas dekhta hi jaa raha tha.
Itni shandaar gaadi unke campus me kya kar rahi thi bhala!?
Par jese ye gaadi toh kuch bhi nahi thi jab uss gaadi ka darwaaza khula aur andar se ek ladki baahar nikli...
Aur usse dekh waha khade harr ladke ke muh khule ke khule reh gaye. Usne ek tube skirt, andar ek shirt aur upar ek blazer daala hua tha. Poori professional lag rahi thi woh.
Tabhi andar se hi ek ladki aur nikli... Ye thodi umr me badi lag rahi thi aur isne golden colour ki ek saree pehni hui thi jo uske shareer se itni kass ke bandhi thi ki uske akaar ko bakhubi dikha rahi thi.
Ek aadmi bhi nikla jo umr me kareeb 40-45 saal ka prateet ho raha tha.
Ladki : Yahi hai na!?
Aadmi : Jii Madam!
Ladki (smiles) : Interesting...
Dusri ladki : Dekh lena... Yaad hai na mene kya kaha tha!? Wahi hoega...
Ladki : I don't care... Ussi ke liye toh hai hum yaha aakhir...
Dusri ladki : It was just a coincidence... There's no need to...
Ladki : Still... I want to...
Dusri ladki : Hmph! Baad me mujhse mat kehna...
Ladki : Prakaash uncle!?
Aadmi : Jii!?
Ladki : Jaaiye...
Aadmi : Jii Madam!!!
Aur agle hi pal Prakaash campus se andar college ki building me jaane laga.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like kar diyo...
Bahut achhe bhai....Mega updateAb tak...
Update - 21 ~ The Truth
Ladki : Prakaash uncle!?
Aadmi : Jii!?
Ladki : Jaaiye...
Aadmi : Jii Madam!!!
Aur agle hi pal Prakaash campus se andar college ki building me jaane laga.
Ab aage...
Kal raat jab Ragini samet Dinesh apne ghar laute toh andar ghar me pravesh karte hi unhe ek bada jhatka laga tha. Ghar ke baahar gate pe jo guard unki rakhwaali ke liye khada rehta tha, wo iss waqt khud andar hi pillar se chipke hue rassiyo se bandha hua tha.
Uski ye haalat dekh bhaagte hue Ragini aur Dinesh uske paas pohuche aur jese hi uski rassiya kholi toh usne bataaya,
"Saahab! Saahab... Andar... Andar Bhabhi jii..."
Aur bas uska itna kehna tha ki dono Ragini aur Dinesh daudate hue andar gaye jaha pohuch ke unhe dusra jhatka laga.
Ragini ki maa~ Rohini, single seat waale sofe par bandhi hui behosh padi thi. Ghabraate hue dono ne usse churraaya aur usse hosh me laaya uske baad Rohini ne saari baatein bataayi ki kese kuch gunde unke ghar me aake usse baandh ke chale gaye, jis kaaran se na hi wo police me complaint kar paayi na hi kisi ka phone utha paayi aur na hi laga paayi.
Ragini : Iska matlab... Shayad isliye udhar ghar me mere baare me kisi ko nahi pata tha... Shayad isliye Kavya ne ye keh diya tha ki mein yaha ghar pe hu... Kyuki hamaare saath waha kya ho raha tha, kisi ko uski khabar hi nahi thi...
Sochte hue wo ek gehre chintan me doob gayi. Uske liye khatra tala tha ya fir aur musibate aane waali thi!? Ye toh waqt hi bataane waala tha. Par aaj usse itna zaroor samajh aa chuka tha ki duniya me kese kese log rehte hai aur kya kya kar sakte hai. Shayad ab... Shayad ab wo samajh chuki thi ki kuch logo se kyu nahi bhidna chaahiye.
***
Idhar Veer ko kal raat me hi Pari ke dwaara mission completion par 40 points mil chuke the. Jisse usne apne stats me invest kar liye the. Aur itna hi nahi, uski Pari bhi ab level 3 par aa chuki thi.
Ab wo baaki logo ke stats dikhaane me bhi saksham ho chuki thi. Saath hi saath kuch sawaal the jo Veer ke mann me, unhe bhi wo answer karne waali thi.
Veer ne apne stats me, 5 points apni strength me daale, intelligence me usne iss baar seedhe 15 points bhar daale, wahi bache hue 20 points usne 5-5 karke apni agility, aur endurance me daale aur appearance me last me akhiri 10 points jo bache the wo daal diye. Ab uske stats kuch iss prakaar the...
[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 15/100
Endurance - 15/100
Appearance - 22/100]
Kal Veer ne saare hi points upyog kar liye the aur ab uske paas Skill shop se khareedne ke liye koi points nahi bache the. Skills dekh ke wo itna chakra gaya tha ki uski samajh me hi nahi aaya kon si skill wo khareede aur wese bhi, abhi usse skills ki itni koi zaroorat nahi thi, aisa soch usne saare points apne stats me daalna hi behtar samjha.
Abhi woh baithe baithe khayaalo me hi dooba hua tha ki tabhi Nidhi uski class mein andar aayi. Kyunki pahla lecture ussi ka tha.
Veer ko dekhte hi wo muskuraayi aur board pe usne ek question likha jisse sabhi students solve karne me lag gaye. Veer bhi bade mann laga ke padh raha tha.
Kal usne appearance me 10 points add kiye the, uska asar aaj subah hi Shreya samet Nidhi ko bhi dikha tha, aaj dono ne hi uss se kaha tha ki wo smart dikh raha hai pehle se...
Yaha tak ki Kavya bhi abhi kuch derr pehle yahi baat bol ke gayi thi. Par unhe kya pata tha...
Ki ye kamaal toh appearance stat ka tha.
Veer ko yu padhta dekh, Nidhi mann hi mann muskuraayi. Kal na keval Veer ne uss se saari baatein saanjha kii thi balki itna sab kuch hone ke baad bhi wo college aane ke liye bilkul bhi na katraaya.
Wo Veer ke liye sacche mann se khush thi. Wo aaj kitna aage aa chuka tha apni pichle dino ki zindagii se, jidhar Nidhi ne usse bas ek toote hue insaan ke roop me hi dekha tha.
Aaj waapas se uske andar aatmvishvaash, nishtha aur prerna dekh Nidhi behad khush thi. Usse aisa feel ho raha tha jese uske kuch yogdaan ke kaaran kisi ka jeevan ujadte ujadte bach gaya.
Aur Veer ko uss sthiti se baahar laane ke liye wo behad khush thi. Wo khud par proud mehsoos kar rahi thi.
Dheere dheere uske kadam Veer ki taraf apne aap hi badh gaye aur usse khud pata na chala ki kab wo Veer ke bagal se aake khadi ho gayi.
Aahat paate hi jese hi Veer ne apna sarr utha ke dekha toh paaya ki Nidhi uske bagal se khadi usse hi ghoor rahi thi.
Apne hontho pe muskaan laate hue Veer ne usse ek smile pass ki toh Nidhi bhi badle me muskura baithi.
Usne Veer ki copy dekhi, aur uski khushi aur bhi badh gayi. Veer ne solution ekdum sahi dhang se solve kiya tha.
Nidhi mann hi mann muskuraayi, 'Iska matlab Veer waqai dhyaan de raha hai... Mujhe laga tha uska baahar jaana, apni gf se milna julna aur... Inn sab ke maare uska dhyaan padhaayi me nahi rahega. Par shayad mein galat thi...'
Nidhi ab bhi yahi sochti thi ki Veer ki koi gf zaroor hai jis se milne wo jaata rehta tha. Bhale hi Veer ne kal usse sab kuch sach bata diya tha par uss din uske gale me lage wo hontho ke nishaan ke peeche ki sachaayi abhi tak bayaa na kari thi usne.
Aur shayad yahi kaaran tha, jiske chalte Nidhi yahi assume karti thi ki koi na koi gf zaroor hai Veer ki.
Agle hi pal jese Nidhi ko kuch yaad aaya toh usne abhi hi bataana sahi samjha,
"Vee... Veer!?" Usne dheemi awaaz me Veer ko pukaara.
Veer : Huh!?
Nidhi : Veer... Aaj mujhe... Wo...
Veer : Kya hua Ma'am!?
Nidhi (dheemi awaaz me) : Veer! Aaj mujhe 1 baje thoda kaam se ek jagah jaana hai. Matlab mein, break me hi college se nikal jaungi. But... But don't worry, mein departure hone se pehle tumhe lene aa jaungi, okay!?
Veer : Kuch... Kuch zaroori kaam hai kya Ma'am!?
Veer ke sawaal se hi Nidhi ekdum chup pad gayi, usne ek gehri saans lii aur boli,
Nidhi : Hmm! Mujhe kaam hai Veer. Isliye, mujhe thoda jaana hai. Okay!? Mein departure ke pehle aa jaungi. Isliye, mene socha tumhe bata du, kahi tum mujhe dhundne na lago.
Veer (smiles) : Okay Ma'am!
Nidhi (smiles) : Hmm!
Aur itna bol Nidhi palat ke board ki taraf jaane lagi. Par uske palat'te hi Veer ke hontho pe jo muskaan thi wo agle pal hi gaayab ho gayi aur wo Nidhi ko peeche se jaate hue bas ghurta raha.
'She's hiding something.'
[Kese master!?]
'Tumne dekha nahi Pari!? Wo kehte waqt apni ungliya chatka rahi thi, unki nazre meri aankho me nahi thi, balki idhar udhar hi daud rahi thi. Aur khaaskar wo fake smile... I can tell ki wo definitely ek fake smile thi.'
[Nice observation master.]
'Unki favourability kitni hai ab!?'
[48 master!]
'Hmm! Par aisi kya baat hai jiske chalte wo mujhse jhooth bol rahi hai!? Shayad wo mere saath ye share nahi karna chaahti!? Maybe ye unka niji maamla ho shayad isliye!?'
[Maybe master... Nidhi thodi reserved hai. Aapko khud uske muh se nikalwana padega yadi aap kuch jaan'na chaahte ho toh. Kyuki wo khud se nahi bataegi.]
'Hmm! Also, Pari... Mujhe ab uss sawaal ka jawaab chahiye. Ab tum level 3 pe ho, toh mujhe koi bahana nahi chahiye.'
[Konsa sawaal master!? If you're qualified, then I'll tell you.]
'Tumne kaha tha ki tum sirf wahi dekh sakti ho, jo mein dekh sakta hu. Right!?'
[Exactly master.]
'Toh fir uss din tumhe ye kese pata chala tha ki Ragini bhabhi kaha pe hai!? Tumne wo kese dekh liya!? Mission dete waqt tumne mujhe unki location bhi dii thi. Mujhe ye baat samajh me nahi aa rahi.'
[Hmmm! Fine! I'll tell you. Master! Mein abhi bhi keval utna hi dekh sakti hu jitna aap dekh sakte ho.]
'Then...!?'
[Samjhaati hu. Imagine kariye ki aasmaan se dherr saari balls gir rahi hai.]
'Hmm!'
[Ab aap apne aap ko maaniye ki aap system hai aur wo saari balls missions hai.]
'Okayyyy!'
[Hmm! Toh kya aap ko abhi pata hai ki wo saari jo balls gir rahi hai unme kaun kaun se missions hai!?]
'Nahi!?'
[Ab maan lijiye aapka haath apne aap aage badhta hai aur aap ek ball ko pakad lete ho jisme mission ki saari details dii hui hai. Toh ab toh aapko pata chalega na ki kaun sa mission mila hai!?]
'Haan bilkul! Yadi uss ball me sab kuch likha hai mission se related... Wait... Iska matlab...'
[That's right master. Mujhe nahi pata rehta ki mission kon sii location par hai, aur missions kaun se hai. Ye sab kuch randomly aate hai jinhe mein show karti hu.]
'Hmm! Ye toh ekdum hi alag nikla meri expectations se. Matlab tumhare haath me nahi hai ye control karna. Saare missions randomly apne aap aate hai.'
[Yes master!]
'Hmm! Aur ye kese hota hai...!?'
[You're not qualifi...]
'Fuck this!!'
[I cannot help it master.]
***
Abhi teesra lecture hi chal raha tha ki tabhi Veer ki class me ek anjaan aadmi aaya aur teacher ko ek parchi thamaaya aur kuch bola.
Parchi dekhte hi, teacher ne uski baat sunn awaaz lagaayi,
"Veer!? Hai koi!?"
Veer : Yes Sir!
Teacher : Go... Someone wants to talk to you.
Veer : Huh!?
Confuse hote hue Veer ne anjaan aadmi par nazar daali, jo ki dikhne me 45 kuch ka lag raha tha aur kapde wagarah kaafi acche pehne hue tha.
'Who is this guy!??' apni bauhe sikodte hue Veer mann me chintan kar dheere dheere uss aadmi ki taraf aage badha, jo muskuraate hue usse hi dekh raha tha.
Class se jese hi dono baahar aaye toh Veer ne sawaal kiya,
"Do I know you!? Kaun ho aap!?"
Aadmi : Mein!? Haha~ Mujhe bhi jaan jaoge... Par pehle... Neeche kyu nahi chalte!? Hmm? Koi aur hai jo tumse milne ke liye intezaar kar raha hai.
Veer : Mujhse milne ke liye!?
'Kaun ho sakta hai bhala!?'
[ ]
'Pari kahi ye log...'
[I don't know master.]
'Damn it!'
Aadmi : Toh chale!?
Usne apna ek haath felaate hue chalne ka ishaara kiya toh Veer ne haa me gardan hila dii.
Jese hi dono seedhiyo se neeche jaa rahe the, wahi side ki ek class me Nidhi ki nazar achanak hi ittefaaq se Veer par padd gayi aur ye dekhte hi wo vichaar me pad gayi.
'Veer!???? Ye aadmi kaun hai uske saath!? Koi ghar ka sadasya!?'
Pata nahi Nidhi ko kya hua ki wo class me 5 minute me aane ka instruction deke baahar aa gayi aur unn dono ke peeche peeche jaane lagi.
Jese hi Veer aur wo aadmi campus me aaye, Veer ki aankhein phati ki phati reh gayi.
Campus me side me ek black Rolls Royce hai khadi hui thi. Aur jese hi uski nazre bagal se khadi do ladkiyo par gayi toh usse ek aur jhatka laga.
Kuch hi palo me Veer aur wo aadmi unn do ladkiyo ke saamne the...
'Don't tell me ki ye dono mujhse milne aayi hai. Oh man!! This girl... She's... Too beautiful... Just like her...'
Jese hi Veer ne qareeb se unn dono ko dekha toh uske hosh hi udd gaye. Keval wahi nahi, campus me jo bhi log maujood the wo sabhi unn dono ko hi taad rahe the.
Unn dono ke upar se logo ki nazre hatt hi nahi rahi thi. Yaha tak ki canteen ke workers aur guards tak taadne me lage hue the.
Par inn dono me se, ek zyaada khubsoorat thi. Aur wo thi jisne professional outfit pehna hua tha. Saree waali mahila bhi khubsoorat thi par utni nahi jitni wo young waali ladki lag rahi thi.
Veer ki bolti hi band ho gayi thi. Yadi uss club waali ladki ki sundarta ko koi match kar sakta tha toh woh yahi ladki thi, jo iss waqt uske saamne khadi thi.
Ab tak Veer yahi sochta tha ki Club waali ladki ab tak sabse khubsurat ladki thi jo usne dekhi thi par ab ye kehna thoda mushqil tha. Kyuki ye ladki bhi uss club waali ki sundarta ko takkar de sakti thi.
Jese hi uss ladki ne Veer ko dekha, apne aap hi uski aankho me ek chamak aa gayi. Wo muskuraate hue usse dekhne lagi. Uski nazre Veer ki aankho me hi tiki hui thi jiske chalte bechaare Veer ko sharam aa rahi thi, kyuki wo thi hi itni attractive.
Par jese hi usne Veer ke chehre aur haatho me lagi jagah jagah bandages aur ek do patti dekhi, uski muskaan gaayab ho gayi aur ek chinta uske chehre par aa gayi.
Ladki : Are you okay!?
Aur uss ladki ki madhur awaaz Veer ke kaano me padi. Itni pyaari awaaz jo kisi bhi kathor se kathor aadmi ko yu pighla de... Uss anokhi awaaz ka anubhav Veer ekdum saamne se kar paa raha tha. Aur sabse badi baat... Wo ladki uss se uski haalat ke baare me puch rahi thi. Kitna Lucky hona padega logo ko aisa anubhav paane ke liye?? Veer mann me khud se puch raha tha...
Veer : Huh!? Mein!? Yes...
Ladki : Ye chot...
Achaanak hi usne apna haath aage badhaate hue Veer ke gaal pe rakh diya jaha bandage lagi hui thi. Aur unn komal haatho ka sparsh paate hi jese Veer maano jannat me pohuch gaya tha.
'Fuckkkkkkk! Her hand... Itna... Itna softtt!???'
Veer (blushes) : Ohh!? Ye!? Ye... Kal... Wo... Fight me... Ahahahaha~
Ladki : Ohhh!!
Veer (blushes) : Yeah...
Idhar Nidhi unhe follow karke neeche aa chuki thi aur wahi building ke paas se saamne chal rahe scene ko bhali bhaati dekh paa rahi thi.
Usne dekha ki ek behad hi khubsoorat ladki Veer ke gaalo ko thaame usse nihaar rahi thi. Saath hi saath ek aur khubsoorat mahila bagal se khadi hui thi aur yaha tak ki itni luxurious gaadi unke side se khadi thi jo saaf batla rahi thi ki wo kisi bade gharaane se thi.
Par...
Pata nahi kyu...
Veer ko aise yu uss ladki ke saath dekh...
Nidhi ko andar hi andar kuch toh ho raha tha. Jissse wo ya toh samajhna nahi chaahti thi ya uss feeling se anjaan thi.
'Kaun hai ye sabhi!? Veer ke ghar se!? Relatives!? Haa! Wahi hone chahiye... Itne pyaar se toh gharwale hi pesh aate hai. Shayad ye acche log hai jo Veer se prem karte hai? Ya nahi!? Ek minute!!! Kahi ye Veer ki girlfrie....!?? Huh!?!??! Is she really....!?'
Aur Nidhi bechaari na jaane kya kya sochne lagi thi. Par isme uski koi galti nahi thi. Scene hi aisa tha.
Idhar Veer sharam ke maare uss ladki se nazre nahi mila paa raha tha.
'Fuckkkkkkkk! Why is she staring at me like that Pari!??? It's making me uncomfortable... Mujhe sharam aa rahi hai...'
[Hang on master...]
Ladki : Do you know me!?
Veer : Hmm? Ohh haa! Mein yahi puchne waala tha. Kya aap mujhse milna chaahti hai!?
Ladki (smiles) : Mmm-hmmm!
Veer : Par... Mein toh aapko nahi jaanta. Aur... I don't think ki aap bhi mujhe jaanti ho!? Hum ek dusre se pehle kabhi nahi mile hai...
Ladki (smiles) : Mile hai...
Veer (surprised) : Huhhh!?
Ladki : I mean kind of... Hehe~
Veer : I... I don't get it...
Tabhi uss ladki ne apna haath milaane ke liye aage badhaaya aur boli,
"I'm Sonia!!"
Veer (haath milaate hue) : And... I'm...
Sonia (smiles) : Veer... I know...
Veer (shocked) : Huhhhhhh!??? Aapko... Kese....!?
Sonia : Why don't we go somewhere else and talk about it!?
Iss se pehle Veer kuch keh paata, peeche se wo dusri ladki jisne saree pehni hui thi wo Veer ke paas aayi aur usse ghur ke dekhne lagi...
Veer : Umm... !??
Sonia (smiles) : Ah right! She's Suhana... My elder sister.
Suhana
Veer : Umm... Hello!?
Par Suhana na toh kuch boli aur na hi kuch kiya usne... Wo bas apni aankhein sikode Veer ko ghur ghur ke dekh rahi thi. Aur agle hi pal wo palti, aur car ki orr jaate hue boli,
"Sonu!! You will lose the bet. Apna vaada yaad rakhna."
Veer : Huh??
*Thud*
Aur car ka darwaza band kar wo andar baith gayi.
Idhar Sonia apni badi behan ki ye harqat dekh apni aankhein ghumaate hue naa me sarr hilaayi.
Sonia : Well... So!? Veer!? Shall we!?
Veer iss se pehle koi jawaab de paata, Sonia ne uska haath thaama aur usse kheechte hue car ke andar le gayi...
Idhar Suhana aur Prakash Sonia ki iss harqat par thoda achambhit reh gaye.
Suhana (mann me) : Sonu!??? Sonu ne... Uska haath pakda!? Kuch derr pehle bhi uske gaal pe... How can she...!?
Sonia ne car me ghuste hi Veer ko apni side se baithaaya.
Uske shareer se aati khushboo Veer ko pagal kiye jaa rahi thi.
'Kya lagaati hai yaar ye ladkiya!? Kon se talaab me dub ke aati hai!? Itni sugandh kyu aati hai inse!? Fuccckkk! Mujhe kuch kuch ho raha hai Pari...'
[ ]
Car me Suhaana window ke paas thi, beech me Sonia khud thi aur uske bagal se Veer tha.
Car drive toh Prakaash hi karne wala tha, uski driving skills par Sonia behad bharosa jo karti thi.
*Vroooom*
Aur agle hi pal car jitni jaldi waha aayi thi utni hi jaldi waha se nikal gayi...
Peeche khadi Nidhi bas hairaani aur thodi duwidha me sab kuch ghatit ho rahe scene ko dekhti rahi. Mann me dherro sawaal the jinhe wo Veer se puchna chaahti thi. Par abhi sahi samay nahi tha. Usse khud kuch derr me apne kaam ke liye nikalna tha aur isliye, apne sawaaliya mann ko thodi derr shaant kar wo andar waapas chali gayi.
***
Idhar Veer jaha college se nikla toh wo ab sheher ki sabse mehngi 5 star hotel me se ek hotel me baitha hua tha.
Wo bas ek poker face banaaye ek hi jagah dekhte jaa raha tha. Kuch hi minutes ke andar usne itni saari ayyaashi waali cheeze dekh lii thi ki inn sabko hazam karne me uska time toh lagne hi waala tha.
Rolls Royce ki andar ki wo luxury aur comfort, uske baad itni badi aalishaan hotel me lage wo bade bade jhoomar, aisa lag raha tha maano wo kisi palace me aa gaya ho.
Wahi Suhana aur Sonia itna comfortably baithi hui thi maano jese ye unka roz ka routine tha.
Sonia
Sonia : Do you know who I am?
Veer : Actually, Abhi aapke naam ke alaawa I don't know anything.
Sonia (giggles) : Fufu~ You know ****** motors!?
Veer : Huh!? Saare desh me mashoor hai ye company. Iske baare me kaun nahi jaanta!?
Sonia (smiles) : Ohh thank you so much! Mere great grandfather founder the iske. Abhi dad owner hai. Aur mein CEO thi... But abhi mene wo position kisi aur ko de dii hai. Ab mein COO hu.
Maano ek bomb sa phod diya tha Sonia ne Veer ke upar. Kya kaha!? ***** Motors ki CEO thi ye ladki pehle!? Great grandfather founder the!? Baap owner hai!? Soch ke hi Veer jo pehle hi awkward mehsoos kar raha tha, uska shareer ye sunte hi air stiff ho gaya.
Veer : Kyaaaaa!??? You're joking right!?
Sonia (giggles) : I'm not...
Veer : Wow! I mean... Wooowww!
Sonia (smiles) : Thank you! Toh shuru kare!?
Veer : Huh!? Ahh... Sure... Sure... Thanks!
'Huh? Thanks!? Fucccckkkkk.... Who tha fuck says Thanks? Thanks ke badle me hi thanks bol diya mene!? Pari... Help me... Mere muh se utt pataang shabd nikal rahe hai... I'm getting embarrassed...'
[ ]
Sonia (surprised) : Thanks? Kisliye!?
Veer (blushes) : Ummm... Wo...
Sonia : In fact, thanks to you... Veer!
Sonia ne bolte hue achanak hi uske haath par apna haath rakh diya, jiske chalte ek baar fir ye gesture Suhana aur Prakash ki nazro se na chooka.
Achanak hi Sonia ki awaaz dheemi ho gayi, aur wo bade hi pyaar se Veer ko dekh rahi thi. Saath hi saath kuch aisa tha jo uski aankhein bayaa kar rahi thi. Glaani!??
Veer (surprised) : Thanks!!? Mu...mujhe!? Wo kis liye bhala!?
Sonia (smiles) : You don't remember!?
Veer : Hmm?
Sonia : You saved me...
Veer : Hnn?
Sonia : That day... Remember... You had a car accident!?
Accident shabd sunte hi Veer ko dubaara se wahi manzar yaad aane laga, wo pal, wo din...
Ajay ke saath ladaayi... Wo baarish... Shareer me jagah jagah wo ghaav... Uske haatho se flower vase ka tootna... Brijesh ka usse ghar se nikaalna... Uske parivaar waalo ki wo nirdaayi aankhein... Dar badar bhatakna... Aur...
Aur wo raaste me car se accident.
Agle hi pal Veer ka sarr unn sab baato ko yaad kar jhuk gaya. Zakhm gehre the... Bharne me samay toh lagna hi tha.
Par kya pata...
Wo zakhm bhar bhi rahe the ya aur gehre ho rahe the!?
Veer : Hmmm... I remember.
Sonia abhi aage bolni hi waali thi ki tabhi bagal me khada Prakaash achanak hi sarr jhuka liya aur Veer se bola,
"Wo hamaari Madam ki hi car thi. Aur mein hi usse drive kar raha tha. Jo kuch bhi hua, usme meri galti thi. Uske liye mein aapse maafi maangta hu."
Prakaash ki baat sunn ek bada jhatka sa laga Veer ko. Aur usse jese realize hua.
Veer : Ohhhh! So... Isliye...
[Aaahhh! So that's what happened. Master! These people won't harm you. You can lower your guard.]
Sonia : Prakash uncle! Mein baat kar rahi hu na.
Prakash : Sorry Madam!
Sonia : Aur galti keval aapki nahi thi. Car me mein bhi thi, car meri thi, mere kaaran hi aap speed me the.
Prakash : Madam! Isme aap ki koi galti nahi thi... Galti saari...
Suhana : Ssssshhhhhhh! Pehle usse samjhao fir aapas me behas karna.
Sonia (blushes) : Aah! Right! Veer...
Veer : J...jii!?
Sonia : Actually... Ye lambi kahani hai. But, mein sirf tumhe utna hi bataungi jitna tumhara jaan'na zaroori hai.
Veer : Okay!
Sonia : Darasal, Uss din mein Prakash uncle ke saath kahi se laut rahi thi, hum boht jaldi me the. Baarish ke kaaran drive karne me bhi dikkat aa rahi thi aur upar se raat ka waqt...
Veer keval chup chaap saari baat sunta jaa raha tha.
Sonia : Aur... Koi hai jo meri jaan ke peeche pada hua tha.
Veer (shocked) : Huh!??
Sonia : Yes! Uss raat... Prakash uncle mujhe bachaane ke liye tezz raftaar me gaadi chala rahe the. Wo log... Hamaare peeche hi the... Unka bas ek hi target tha... Wo thi mein... Aur jese hi mod aaya, achanak se saamne tum aa gaye the. Jiske chalte wo haadsa hua...
Veer (surprised) : I... I see...
Veer ka reaction dekh, Sonia ne uska haath ek baar fir thaam liya.
Sonia : I... I'm so sorry Veer! I'm so sorry!
Veer ki samajh me hi nahi aa raha tha wo kya kare aur kya hi kahe. Aap ka accident hua, aap kuch dino baad uss haadse se ubhre par achaanak hi aapko pata chalta hai ki aapke saath wo haadsa karne waali ek behad hi khubsoorat ladki hai jo aapse milne kayi dino baad aayi hai aur aapse sach bata ke maafi maang rahi hai.
Uss waqt kya karenge aap!? Kya kahenge!? Kya uss ladki ko dosh denge!? Uss se medical fees ka kharcha maangege!? Uske khilaaf complaint darj karenge!? Ya maaf kar denge!?
Inhi sawaalo me Veer phassa hua tha. Uski samajh me hi nahi aa raha tha ki kya bole par iss waqt uske paas aur bhi kuch tha jo hamaare me se kisi ke paas nahi tha...
Wo thi Pari...
Apni buddhi ka istemaal karte hue Pari ne agle pal hi Veer ko suggestion diya,
[Master! Forgive her. I think ye hamaare boht kaam aaenge aage chal ke. Also, ye Sonia guilty feel kar rahi hai. Make her feel more guilt. Forgive her.]
'As you say then.'
Veer : It's okay! Mene aapko maaf kiya... Jo bhi baatein thi wo pichli baatein thi... Aur unn dino ko mein bhula chuka hu... Hospital me hosh aane ke baad se hi... Jo bhi yaadein bana raha hu, bas unhe hi yaad rakhna chaahta hu.
Uski baat sunn, Sonia kuch pal Veer ko yu hi dekhti rahi. Pehle toh usse vishwaash hi nahi hua ki Veer ne usse aise hi maaf kar diya. Same haal Prakash aur Suhana ka bhi tha. Unhe yakeen hi nahi hua ki Veer ne aise hi asaani se maamla rafa dafa kar diya.
Uske baad Sonia ke saath wahi hua jiska sanket Pari ne kiya tha. Uski glaani ke bhaav badh gaye...
Sonia : I... I... Mein tumse milna tak na aa saki. Bhale hi tumhara meri gaadi ke saamne ek ittefaaq tha, par Veer...
Veer : ?
Sonia : Tumhaare beech me aane se hi... Uss raat meri jaan bachi thi. Accident ke baad jo shor waha hua tha aur bheed jama hui thi... That saved me... Uss kaaran se wo log hamaari car ko catch na kar paaye...
Veer (smiles) : Ye toh... Acchi baat hai na!?
Uski muskaan dekh, Sonia ne apna nichla honth daato tale daba liya, "Par... Tumse ek baar bhi milne na aa saki mein... Mujhe wahi utar ke sabse pehle tumhe hospital le jaana chahiye tha par mein... Mein khud ki jaan ki parvaah kar, tumhe yu waha akela raaste me chorr ke chali gayi. I'm... I'm sorry Veer."
Veer : It's okay!
Sonia (tezz awaaz me) : Noooo! It's not okay!
Sonia : I mean... I... Jo kuch bhi hua. Usme meri galti thi. Aur isliye...
Suhana : Isliye, bolo kitne chahiye!? 1 lakh? 2 lakh? 5 lakh? 10 lakh? Kitne...!?
Veer : Huhhh!?
Suhana ke muh se shabd sunte hi Veer ko achambhav hua. Aur wo stabdh nigaaho se usse dekhta raha. Fir usne, Sonia ko dekha jo ek aas liye usse dekh rahi thi.
Saara maamla jese hi Veer ko samajh aaya toh woh gusse se uth khada hua...
Veer : Aap mujhe yaha isliye laayi thi!?
Suhana : Well! Haa! Mene toh kaha tha ki tumse milne ki koi zaroorat nahi hai. Jo kuch bhi tha keval ek ittefaaq tha aur mujhe nahi lagta ki tumse baat karne ki koi zaroorat thi par meri choti behan badi hi bholi hai aur ziddi bhi. Uska maan'na hai ki galti uski hai aur isliye uski bharpaayi wo aise karna chaahti hai. Tum apni maang rakhoge toh Sonu ke upar se thodi guilt gaayab ho jaegi... Toh batao... Kitne!? 5 lakh ? 10 lakh? Kitne!? Jaldi se batao toh ye matter close kare.
Sonia (chillaa kar) : Diiii!?? Ye kese bol rahi ho aap!? He'll misunderstand me...
Suhana ke ghamand se bhare shabd jab Veer ke kaano me pade toh uska mood aur bhi bigad gaya.
Kahi na kahi... Suhana ki chhavi uske pita Brijesh se mel khaa rahi thi. Vase toot'te waqt bhi uske pita uss samay vase ki keemat par zyaada dhyaan de rahe the na ki uski choto par.
Unn baato ko yaad kar Veer jaane ke liye palta par usne ek baar peeche dekha aur bola,
"Yadi keval ek baar hospital me mulaqaat karne aa jaati, toh uss se badi cheez mere liye kuch na hoti. In fact, abhi bhi maafi maangne ke baad mene aapko maaf already kar hi diya. Par ek galti kar dii...
Paiso ko beech me le aayi aap...
Even though mere paas paise nahi hai. Iska matlab ye nahi ki mein aise paiso ko apnaane laga. Paiso ka guroor, kabhi sahi nahi hota. Yaad rakhna!"
Aur bina kuch aage kahe Veer waha se chal diya.
"Veeeeeeeer.... Waaaiiiitttt!!" Sonia chillaayi par uska chillaaana bematlab tha. Kyuki na hi Veer peeche muda aur na hi usne Sonia ke chillane par koi response diya. Wo kuch hi derr me uski aankho se ojhal ho chuka tha.
Ek gehri saas lete hue Sonia waapas se apni kursi par baith gayi aur fir shuru ho gayi,
"What is wrong with you Dii!? Matlab great... Ab wo mujhe ek ghamandi paiso waali ladki samajh raha hoga."
Suhana : What is wrong with me!? Arre... What is wrong with you??
Sonia : Haan?
Suhana : Just how many times you touched him!? Tum, jiske peeche ladke khaali ek jhalak paane ke liye marte hai, itne bade bade gharaano ke ladke tumhaare paas rishta leke aate hai, jo tumse baat karne ke liye taraste hai aise logo ko tumne aaj tak bhaav na diya. Aur wo ladka... You touched him thrice. I noticed it. Tum kab se aise logo se baate karne lagi Sonu!? He doesn't even deserve to talk with you... Jinhe paiso ki aukaat ke baare me nahi pata wo kabhi paisa nahi kama paate. He's a fool... Jaane do usse... Yaha mein soch rahi thi, ki wo sabhi logo ki tarah laalchi niklega aur paiso ki maang karega... Aur fir mein tumse lagi shart jeet gayi hoti par... Nahi! Ye toh aur bhi bada waala bewakoof nikla... Haath me aa rahe paiso ko laat maar ke chala gaya waah...
Sonia : Dii! He's my benefactor. Ussi ke kaaran aaj mein tumhaare saamne hu. Bhale hi wo ittefaaq tha par hai toh fact hi. Yadi wo uss waqt saamne na aata, toh aaj pata nahi mein kaha hoti? Hoti bhi ya nahi!?
Suhana : Tum usse uski zaroorat se zyaada credit de rahi ho. Aur tumhe kuch nahi hua hota. Ek toh yaha usse college se utha ke yaha tak laaye aur uske baad bhi akad toh dekho uski... Usse pata bhi hai ki wo kiske saath baith ke baate kar raha tha!? Mann toh kar raha tha ek baar me usko uski aukaat dikha du. Par tum jo thi saath me... Fir tumhe bura lag jaata...
Sonia : Mujhe akele hi aana chaahiye tha. Na jaane wo kya soch raha hoga mere baare me...
Suhana : Sonuuu!?? Tum kab se ye sab sochne lagi!?? Ki dusre tumhare baare me kya sochte hai? Wo koi tumhara lover nahi hai Sonu, na hi koi celebrity ya crush hai jiske liye tum itna soch rahi ho. Arre usse toh khush hona chaahiye ulta aur hume thank you kehna chaahiye. Usse pehli baar Rolls Royce me baithne ka mauka mila, aur pakke se pehli baar itni badi hotel me aaya hoga. Fir bhi akad toh dekho uski... Hmph! I hate such men.
Ek aah bharte hue, Sonia apni behan ke bartaav par sarr hilaate hue seat se uthi aur baahar car ki orr chal dii.
'Will you hate me now!? Veer!?'
***
*Click*
Gaadi me se chaavi nikaalte hue Nidhi apni scooty se utri. Saamne ek bada ghar tha. Aaj usse yaha bulaaya gaya tha. College me recess ke waqt hi wo nikal gayi thi aur apni manzil par pohuch chuki thi.
Veer aur uss ladki ki chhavi abhi bhi kahi na kahi uske mann me mandra rahi thi. Usse bas jaan'na tha ki wo ladki kaun thi. Aur, Veer ki kya lagti thi.
Aage kadam badhaate hue Nidhi ghar ki entrance ki taraf badhi. Wo deewaare jo halki peele rang ki thi, wo rang jo aksar khushiyo ko darshaat hai.
Parantu, iss waqt Nidhi ki bauhe sikudi hui thi, chehre par shikan aur chinta thi. Aur uske dil ki dhadkane normal se kayi guna tezz ho chuki thi.
Jese tese kadam badhaate hue wo entrance par aayi aur usne door bell bajaayi,
*Ding* *Dong*
Aur kuch derr ke andar hi Darwaaza khula aur ek jaana maana ek aurat ka chehra uski nazro me pada.
Aurat ne dekhte hue usse andar aane ke liye raasta diya...
*Thud*
Aur gate band kar diya.
***
"Damn it! Damn it!! Arre yahi chaavi toh thi... Lag jaa taala..." Idhar Shreya ghar me apne haatho me spare chaaviyo ka guccha liye frustration nikaal rahi thi.
Uske saath me hi Juhi khadi hui thi jisse Shreya khud school jaake jaldi leke aa gayi thi.
Juhi : Maasi!?? Hum kaha jaa rahe hai!?
Shreya : Tumhari Mummy ke paas...
Juhi : Hmm? Mummy kaha gayi hai!?
Shreya : Sab pata chal jaega Juhi... Aao...
Aur Shreya Juhi ki ungli pakad forun se ghar se nikal ek taxi kar chal padti hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like maar dena..