- 13,822
- 98,429
- 259
Last edited:
मुश्किल रहता हैं भाई, क्योंकि दिखाने के लिए इतना कुछ रहता हैं कि एक ही अपडेट में वो संभव नहीं हो पाता।Finally update आ ही गया। As expected काफी भसड देखने को मिली, अच्छा भी लगा और बुरा भी, अच्छा इसलिए की शायद Chinatown arc की आने की आहट आनी शुरू हो गई हैऔर बुरा इसलिए की मैं चाहता था की ये फंक्शन वाला part इसी अपडेट में खत्म हो जाए, अब फिर से एक हफ्ते का wait, although मैं समझता हूं की इतने बड़े segment को एक ही अपडेट बिना कांट छांट के दिखा पाना थोड़ा मुश्किल था, but it's ok next update का wait रहेगा।
बिल्कुल सही कहा।सबसे पहले उस no information lady की, ज्यादातर लोग बोल रहे है की वो सुहाना हो सकती है but मुझे नही लगता क्योंकि सुहाना की खुद की कोई compney नहीं जिसका ceo वो वीर को बना सके, वो गौरव का काम देखती है जो खुद किसी दूसरी कंपनी का ceo है और दूसरा अपनी बहन की help करती है। So बहुत कम chances हैं की सुहाना होगी
मिल गई हैं। लेकिन, ये जानकारी पर्याप्त नहीं हैं। अभी काफ़ी confusion हैं। वीर काफ़ी चिंतित हैं क्योंकि वो अंधेरे में हैं। पीठ पीछे ना जाने क्या गेम चल रहा हैं।I think ये new lady Chinatown arc से ही connected हैं, and probably next update में Chinatown arc को लेकर कुछ extra information भी मिल जाए।
Nat की कंपनी जू भूल गए क्या?i hope ये nat भी नहीं होगी, coz उसकी भी कोई compney के बारे में पढ़ने को मिला नहीं था, फिर इतनी बड़ी pop star का एक normal से 5star होटल की पार्टी में आना थोड़ा logical नहीं लगता unless की वो उन्हें personally ना जानती हो, और उसे देख कर लगता तो नही की वो आदेश को जानती होगी
Exactly!रही बात वीर की तो मुझे शायद ही लगता है की वो इस offer को accept करेगा क्योंकि वीर खुद भी काफी ambitious है, खुद की एक बड़ी compney खोलना चाहता है और ऐसे में वो दूसरे का नौकर बन जाएं ये उसके character को suit नहीं करेगा, अब ceo है भले ही बहुत बड़ी पोस्ट पर दूसरी compney का होना मतलब नौकर होने जैसा ही है।
अरे टेंशन नहीं लेने का। वीर किसी के लिए नौकरी नहीं करने वाला। वो नौकरी देने वालों में से हैं। ना कि नौकरी करने वालों में से।Plus दूसरी compney में काम करने से वीर बंध जायेगा, फिर उसके mission का क्या होगा, उसकी cloth factory का, उसके food buisness का क्या होगा, जूही की चॉकलेट factory और फिर उसे एक हफ्ते के भीतर आदेश को बर्बाद भी तो करना है।
वीर को सब ज्ञात था भाई। मगर, काव्या को उस हाल में देख उसने खुद को नहीं रोका फिर। वो सब जानता था कि आदेश क्या चाले बिछा रहा हैं, लेकिन जब बात परिवार के ऊपर आ जाती हैं तो वीर अपना आपा खो देता हैं। Alpha - sigma balanced ज़रूर हैं मगर वीर उनमें से कभी भी एक पहलू को जागृत कर सकता हैं। फिर चाहे वो alpha हो या sigma.हालांकि मैं ये देख हैरान था की वीर almost आदेश के trap में फस ही गया था, जबकि वीर जैसे High iq वाले लड़के से ये expectations नहीं करते, even आरोही भी trap को तुरंत भांप गई पर वीर miss हो गया, पर ऐसा reaction suprising नहीं था, may be because काव्या का हाथ मोड़ दिया था इस वजह से spinal cord ने react किया हो
बिल्कुल। परंतु, सवाल ये हैं कि क्या वीर पूरी तरह से आदेश को तबाह करेगा? क्योंकि Garofano बता के गई हैं कि casa Belle में पहले ही हमले की तैयारी कही हो चुकी हैं। ऐसे में वीर क्या करेगा?वैसे ये देखने लायक रहेगा की अब वीर आदेश को कैसे बर्बाद करेगा क्योंकि वीर अब मीडिया की limelight में रहेगा और यदि आदेश को कुछ हुआ तो सीधा शक वीर के ऊपर ही जायेगा although वीर को उस से कुछ खास फर्क नहीं पड़ेगा पर फिर भी negetive publicity वीर नहीं चाहेगा
एक ट्रेलर उसे मिल चुका हैं। और भी जान जाएगा वो जल्द ही।मैं उस पल को पढ़ने के लिए बेताब हूं जब आदेश को पता चलेगा की जिस underworld के अंदर उसके सिर्फ कुछ connection है, वीर मुंबई के उसी underworld की सबसे बड़ी gang का boss है। आदेश की आंखों में वो खौफ पढ़ने में मजा आयेगा। At least उसे जल्दी समझ में आना चाहिए की इस बार उसने गलत आदमी से पंगा ले लिया है।
Exactly!काव्या का behaviour आप first time पढ़ोगे तो बहुत ही rubbish और irritating लगेगा लेकिन आप काव्या की जगह खुद को रख कर देखोगे तो पाओगे की काव्या की surrounding हमेशा से ऐसी रही है की उसके आस पास रहने वाले लोगो ने उसकी ख्वाइश उसके मुंह के निकलने से पहले पूरी की है इसीलिए काव्या अभी भी अपने alice in wonderland वाले दुनिया के रहती है जहां उसे लगता है की हर आदमी अच्छा होता है but actually अभी वो इस बात से अनभिज्ञ है की दुनिया गोल नही madafaka है, जिस दिन उसे ये बात समझ में आ जाएगी वो अपने आप mature हो जायेगी।
यहां जू confused हो गए ना।Although उसे ये बात समझानी जानी चाहिए थी की जब उनका खुद का होटल है,और कैसे casse belle उनकी rival है और उनके होटल के chef's को तोड़ने की कोशिश कर रहे है फिर भी उसके एक simple से card के लिए इतना eager होना ठीक नहीं, वीर की बहनों को ये काम करना चाहिए था
वो वैसी ही हैं। उसकी personality थोड़ी tomboy जैसी हैं। उसके पीछे एक बात और हैं।हां but मैं तेज से disappointed हूं, ज्यादातर मौकों पर वो काव्या का elder version लगती है, गुस्सैल,जिद्दी over possessive बिना सोचे समझे किसी काम को करने वाली. पर उसकी बाते cute लगती है, so जाने देते हैं।
आरोही इंटेलिजेंट ज़रूर हैं भाई।आरोही वीर की सारी बहनों में coolest और most intelligent है, जल्दी से भावनाओं में नही बहती, अपना दिमाग स्थिर रखती है, तभी तो वीर आदेश के चाल में फस गया पर आरोही ने तुरंत दिमाग लगा लिया की ये आदेश का trap हैं
लेकिन वो हाथ पर हाथ धरे भी नहीं बैठती। और क्या पता कहो खुद ही दौड़ी चली जाती।ज्यादातर का कहना है की सुहाना होती तो वीर का साथ जरूर देती but i doubt it, भले ही सुहाना वीर से प्यार करती है लेकिन ये बात वो भी जानती है की वीर से उसका शादीशुदा होने के बाद भी प्यार करना गलत है, ऐसे में गौरव के मौजूदगी में वो वीर का favour ना लेकर अपने शादीशुदा जीवन में दरार लाने से बचती जो की already बहुत बढ़ चुकी है ऊपर से media को gossip करने का कोई और मौका वो शायद ही देती, ये बस मेरा मानना है क्योंकि
मैं बता दू क्या?कुछ situations होती है जहा आप predict कर सकते है की सामने वाला कैसे react करेगा और कुछ में नहीं, काव्या का हाथ मोड़ने पर वीर का reaction obvious और reasonable था, दुनिया का कोई भी भाई वैसे ही react करता जैसे वीर ने किया पर सुहाना का reaction कुछ भी हो सकता था दोनो में से
so at the end it depends on wolfie bro की सुहाना कैसे react करती।
जो उदाहरण मैं हमेशा देता हूं वही दूंगा।Kaira, sometimes i feel pity for him, भले ही उसके emotions आ गए है लेकिन अभी उन emotions के used to होने के लिए समय लगेगा। उसे समझ में आना बाकी है की किस जगह किस तरह react किया जाता है। जैसे kaira सोच रही थी मदद करने के time अगर वीर ने भी वैसा सोचा होता तो शायद slogan कब का उसे मार चुका होता
She is sad because Veer is not taking any responsibility. ऐसे समझो कि एक लड़का लड़की के संग संबंध बना के भाग जाए और उसकी कोई चर्चा ना करे, लड़की को पाने की कोशिश ना करे तो लड़की को कैसा लगेगा? लड़की चाहती हैं कि लड़का आए और उसके साथ जो किया उसकी ज़िम्मेदारी ले। मगर लड़का उस पर घास भी नहीं डाल रहा हैं। तो कैसा महसूस होगा उस लड़की को?Btw मुझे अब तक समझ नही आया की actually kaira वीर से किस लिए नाराज है, क्या वो इसलिए नाराज है की वीर ने उसका फायदा उठा कर उसकी virginity ले ली या फिर इसलिए की वीर फ्रांस से आने के बाद उसे वो attention नही दे रहा जैसा वो expect कर रही या फिर इसलिए की वो सोनिया और सुहाना के साथ देखना पसंद नहीं करती, i hope जल्दी ही इसका जवाब मिलेगा।
अब उसके पीछे भी कारण हैं।Kaira ने जो space छोड़ा था सोनिया उस golden opportunity को grab करने में चूक गई, यदि सोनिया ने अभी मदद की होती तो वो kaira की insecurity और बढ़ा देती, और शायद वीर के दिल में अपनी favorability बढ़ा लेती।
जो कि स्वाभाविक हैं। प्यार कोई दो मिनट का खेल नहीं हैं कि बस हैंडसम लड़का देखा, या खूबसूरत लड़की देखी और प्यार हो गया।But actually मुझे अब तक की कहानी में सोनिया को देख कर यही लगा की वो वीर में intrested love की वजह से नहीं दूसरी वजह से है, शुरुवात में वीर का उसकी गाड़ी से accident हो जाने की sympathy और बाद में उसका intrest इसलिए है क्योंकि kaira जैसी लड़की वीर के intrest रखती है, वो बस कुछ भी करके kaira को हराना चाहती है।
Chinatown arc काफ़ी खतरनाक होने वाला हैं भाई। तो अभी जितना मज़ा इस बिज़नेस arc में ले सकते हो पूरा ले लो। क्योंकि इसके बाद एक से एक अपडेट्स आयेंगे। क्रिमसन arc जैसा हाल होएगा और एक्शन का पूछो मत। क्रिमसन arc से भी ऊपर को जायेगा।देखते है वीर का नया world tour कब से start होता है, renshu का debt के repay के रूप में क्या मांगेगा और वीर उसे कैसे repay करेगा
बहुत बहुत शुक्रिया भाया इतने लंबे और उच्चतम रेवो के लिए। अगला अपडेट रविवार की रात्रि में आएगा। समय नहीं बताऊंगा लेकिन रात्रि में आएगा। ऐसे ही साथ बने रहने का और यू ही इस तरह revo देते रहने का। मैं आप सभी का मनोरंजन करता रहूंगा।उम्दा अपडेट भाई, काफी अच्छे मोड़ पर लाकर छोड़ा है,
उम्मीद है अगला भाग इसके जैसे ही बेहतरीन पढ़ने को मिलेगा।
Stay happy and healthy And as always
Waiting for next update
Update k last ma pari ki gend mar ki shyd veer neUpdate - 59 ~ Mutual ExchangeAb tak...
Steve : Jisse sunn'na tha. Uss tak khabar pohuch gayi hai.
Slogan ne haa me sarr hilaate hue saamne table par se ek flyer uthaaya jis par advertisment tha.
Aur wo advertisement tha~
Mirror Gallery ka...
Slogan : Good!
Ab aage...
Aaj budhvaar ka din tha. Roz ki hi tarah Veer subah utha aur fresh hone ke baad wo neeche aaya. Kal raat ko usne Suman ya Aabha ke sang mil ke bed nahi hilaaya tha.
Kal wese hi wo kaafi thaka hua tha. Aur mentally exhausted bhi tha. Raat me Suman aayi zaroor thi uske kamre me par jab usne dekha ki uske maalik gehri neend me so rahe hai, toh ye dekh wo muskura ke pyaar se apne maalik ke sarr par haath ferr ke waapas apne kamre me chali gayi.
Kal dhandha toh Veer ka ekdum zorr shor se chaalu hua tha. Wo baat alag thi ki usne zyaada derr tak truck open nahi rakha. Par aaj se uska schedule badalne waala tha.
Abhi wo neeche hi maujood tha aur akhbaar khole hue tha apne chehre ke saamne. Par wo usse padh nahi raha tha. Kyuki uski behas toh apne hi mann me ho rahi thi...
Pari se...
[W-What do you mean ki tum sab jaan gaye ho?]
'Jesa ki kaha mene. I know what system is trying to do.'
[Oh really? Toh zara please mujhe bhi batana toh? Kyuki mein bhi toh sunu kya socha hai mere so called host ne?]
'Ab tak jitne bhi missions mujhe milte gaye hai. Ek baat toh saaf ho gayi hai uss se.'
[Kya? Kesi baat?]
'Yahi ki system mere well being ke baare me soch kar chal raha hai. Wo harr uss opportunity ko pakadta hai jo mere liye future me useful ho.'
[Of course! Yahi toh system ka kaam hai.]
'Hmm~ Mera Sonia aur Suhana se milna, Miss Kaera se mera judaav, aur sabse latest waala. Sonali ko business me shaamil karna.'
[Hmm! Toh!?]
'I know now! Sonali ko kyu business me shaamil karwana chaahta hai system.'
[K-Kyu bhala?]
'Because, Sonali future me important asset banegi maybe!? One, who will handle my food business.'
[Hmm~ It might be possible.]
'Aur mein tab tak kisi aur business me shift ho chuka hounga. But... Mere yaha se hatne par kisi na kisi ko toh jagah leni padegi na meri? I think yahi system karwa raha hai. Sach me! System hai toh bade kaam ki cheez.'
[Haan toh? Halke me le rahe ho kya mujhe?]
'Hmm? Yeah! Tumhe halke me but system ko nahi.'
[Excuse meee!?? What did you say? M-Mujhe halke me haan? I am the system, okay?]
'Ugh! Shut up! Kaha gayi meri wo puraani Pari?'
[Hmph~ ]
'To tell you the truth, I have already decoded you. Tumhari sacchayi... I know.'
*Silence*
Iss baar Veer ke itna kehte hi pal bhar ke liye jese shaanti sii chha gayi uske dimaag me. Pari ki taraf se koi jawaab nahi aaya. Fir kuch derr baad uski awaaz aayi,
[K-Kya matlab hai tumhara? K-Kesa secret? Don't talk rubbish!]
Ye jaan ke ki Pari uski baato se thoda jhep gayi hai Veer santusht hote hue muskuraaya. Par bola kuch nahi. Aur uska ye gesture jese Pari ko aur bhi irritate kar gaya.
[Boloooo!!! Sayyy! What do you mean by mera secret? Haan!?]
'Hahahaha~ Well! Raat ko bataunga.'
[Y-You... Ughhh!!!!]
Kheejte hue Pari bas khaamosh ho ke reh gayi. Kya bolti? Veer aur uski wese hi patri nahi khaa rahi thi.
Veer ne toh bas muskuraate hue Pari ki baat ko taal diya. Par bechaari Pari ki sthiti iss waqt sahi nahi lag rahi thi. Yaha wo hamesha Veer ko tension diya karti thi par aaj shayad pehli baar Veer ne usse hi tension de diya tha. Wo bhi ek bada tension.
Ab Veer bhale kuch soche ya na soche lekin Pari ab raat tak issi baare me sochne waali thi jab tak ki usse Veer ke muh se jawaab pata nahi chal jaata.
Veer chaahta toh abhi hi bata deta. Par...
Filhaal usse abhi kuch aur kaam karna tha. Aur wo kaam tha...
Ragini se turant milna.
Abhi abhi naashta karne ke baad, kisi aur ne gaur kiya ho ya na kiya ho par Ragini ka koi bhi gesture Veer ki nazro se nahi chuka tha.
Aaj Ragini ke hontho par feeki muskaan thi. Ya yu kahe ki ek jhoothi muskaan. Jo kal nahi thi. Kal toh wo kitna khush thi ye jaan ke ki Veer ne usse ribbon kaatne ke liye chuna tha. Par...
Achanak, raat bhar me aisa kya hua jo kal ki wo sacchi muskaan ek jhoothi muskaan me tabdeel ho gayi? Aisa kya badlaav aa gaya ekdum se?
Yahi jaan'ne ke liye Veer Suman sahet baaki sabhi ko wahi dining table par chorr ke aage badha aur seedha Ragini ke kamre ki orr jaane laga.
Darwaaze tak pohuchte hi usne dekha ki darwaaza andar se locked tha. Wo abhi knock karne hi waala tha jab usse achanak hi andar se Ragini ke baahar aane ki aahat aayi.
Aur Veer ko na jaane kya sujha ki wo bagal me deewaar ke peeche jaake chhup gaya.
*Click*
Darwaaza khula aur Ragini baahar aayi. Veer ne jhaak ke dekha ki Ragini jaldbaazi me thi aur washroom ki orr jaa rahi thi.
Kuch soch ke Veer, Ragini ke kamre me daakhil hua toh usse sab kuch normal hi laga.
Aur fir uski nazar bed par gayi. Jaha Ragini ka phone rakha hua tha.
Wese toh Veer kabhi aise kaam nahi karta tha. Bina kisi permision ke unki privacy ko chhedna. Par shayad aaj ye karna zaroori tha. Aur wo khud bhi thoda curious tha.
Ragini ke phone ka password Veer pehle se hi jaanta tha. Ragini ne khud usse bata ke rakha hua tha jo ki uska birth year tha.
Lock kholte hi, Veer ne sabse pehle messages check kiye. Aur wahi usse saare sawaalo ke jawaab mil gaye.
Sabse upar hi Vivek ki chat thi. Veer ne wo chat kholi aur kal raat baahar se aane ke baad ke saare messages wo check karne laga.
Usne padha ki...
Vivek : Ragini! Kyu call nahi utha rahi ho haan? Kab tak Ragini? Kab tak aise hi chalega?
Ragini : Don't talk to me Vivek! Mein bilkul bhi mood me nahi hu. Aaj hi Veer ne apna business start kiya hai. Waha se aane ke baad mein kaafi light mehsoos kar rahi hu. Just don't message me okay?
Vivek : I see! Toh ye sila de rahi ho mujhe tum haan? Yaha pati ko chorr ke waha dewar ke saath haan?
Ragini : What did you say? Tumne aisa...!??? Chhiiiii... Mujhe ghin aa rahi hai Vivek. How can you even think like that? How dare you...??
Vivek : Sab samajh raha hu Ragini! Toh bolo na? Kyu mujhe jawaab nahi deti ho? Call karta hu, toh wo tumhe uthaana nahi hai. Mom Dad aur mein milne aaye toh tumhe baat nahi karni. Just what the fuck you want Ragini?????? Answer me!!!
Ragini : I fucking don't want to talk to you. Okay?
Vivek : Mujhe answer chahiye Ragini. Tumhe pata bhi hai ki company me kya kya sunn'na padta hai mujhe? Ghar me kya izzat rehti hai meri? Aas pados waale kya sochte hai? Do you even know?
Ragini : Haha~
Vivek : What's so damn funny Ragini!?
Ragini : Aur mein sochti thi... Ki tumhe meri parvaah hai. Par... Par tumhe toh apni image ki chinta sata rahi hai Vivek. Company me employees kya sochenge? Ghar me kya izzat rahegi? Aas pados waale kesi nazro se dekhenge? Yahi na? Tum mujhe harr baar prove kar dete ho Vivek... ki kitne ghatiya aur kitne selfish insaan ho tum.
Vivek : Raginiiiii!!! Don't just...
Ragini : Shut up! Aur ahinda se ek message mat karna mujhe. I don't even want to see your face Vivek!
Vivek : Ragini?????
Vivek : Raginiiiiiii... Heyyyyyy!
* Missed call at 3:13 AM*
* Missed call at 3:14 AM*
* Missed video call at 3:15 AM*
Aur bas, Veer ne jese hi ye chat padhi wo sab samajh chuka tha ki kya hua tha derr raat me.
Usne phone ko side me rakha aur bed par hi baith ke wo Ragini ke wait karne laga.
Kuch seconds ke baad hi Ragini apne geele muh ko tauliye se pochte hue apne kamre me aayi aur aate hi jese hi usne apne bed par Veer ko baitha dekha toh wo thoda chaunk gayi.
Ragini : H-Huh!?? V-Veer?
Veer (smiles) : Mein aapke room me bina puche hi aa gaya. Maaf karna.
Ragini ne firse wahi feeki muskaan dii aur boli.
Ragini : Isme... Isme puchne ki kya zaroorat Veer? Paraaye thodi ho. You can come.
Veer : Kuch baat karni thi aapse.
Aage aate hue Ragini uske bagal se baith gayi. Veer ne dekha ki Ragini ke chehre par abhi bhi kahi kahi paani ki boonde saji hui thi, jo uske aakarshan ko aur bhi badha rahi thi. Wo bheegi bheegi baalo ki kuch latte jinhe wo baar baar apne kaano ke peeche kar usse dekhe jaa rahi thi.
Veer ye bhi dekh paa raha tha ki Ragini ki aankhein thodi laal thi.
'She cried...'
Ragini : Kaho na Veer! Kya baat karni hai?
Veer : Wo... Wese toh mene already decide kar liya tha. But fir bhi aapse puchna chaahta tha. Mujhe kya karna chahiye? College me exams bhi dete rahu ya business me poora focused rahu?
Ragini usse dekhi aur fir boli.
Ragini : Mere khyaal se tumhe exams dete rehne chaahiye Veer. Akhir saath saath degree bhi mil jaegi tumhe. Aur isme toh koi buraayi nahi hai na?
Ragini ki baat sunn Veer ne haami bhari.
Veer : Hmm~ Meri iss year ki fee toh bhari hui hai. Next do ki bachi hai. Toh mein asaani se exams attend kar sakta hu.
Ragini ne bhi haami bhari aur uske haath le upar apna haath haule se rakhte hue boli,
"Don't worry! Mein tumhaare agle do years ki bhi fee pay kar dungi Veer. Tum itminaan se apne exams do. Okay?"
Baat zara sii thi. Keval fees kii. Aur Ragini ke liye ye toh chutkiyo ka kaam tha. Par fir bhi...
Dusro ki madad ke liye aatur rehna. Ye mushqil hota hai. Aur yahi baat Veer ko ekdum chhu gayi aaj.
Veer (Ragini ka haath thaamte hue) : Bh-Bhabhi! Bas! Kitna karogi? No! Ye fee, mein apni earning se pay karunga. Please! Aap samajhiye! Aap boht kar chuki hai. Ab mujhe bhi kuch karne dijiye.
Ragini : Thik hai baba! Mein samajh gayi hu. Okay? Haha~ Nahi karungi mein pay. Ab theek?
Veer (smiles) : Hmm~ Good!
*Silence*
Aur ek baar fir thodi shaanti sii chha gayi.
Veer ko laga ki ab usse yaha se nikalna chaahiye. Aur wo uthne hi waala tha jab Ragini usse pukaari,
Ragini : V-Veer!?
Veer : ??
Ragini : Wo... Wese toh mene already decide kar liya tha. But fir bhi tumse puchna chaahti hu. Mujhe kya karna chahiye?
Iss baar Ragini ne bhi wese hi Veer se pucha jese abhi kuch derr pehle usne Ragini se pucha tha.
Ragini ka sawaal sunte hi Veer ke honth pal bhar ke liye khule reh gaye.
Usne dekha ki Ragini usse hi dekh rahi thi. Uski aankho ke kono par halki halki aasuo ki boonde saji hui thi. Girne ke liye ekdum aatur thi jo.
Thode kap-kapaate hue hontho se fir wo boli,
Ragini : K-Kya karna chahiye mujhe? Bolo? W-Waapas se uss ghar me chali jau y-ya... Ya Vivek ko chorr du? Bolo?
Veer ekdum sann bas Ragini ke haal ko dekh raha tha. Wo ro rahi thi, bina koi awaaz kiye hi.
Ye sawaal aisa tha ki jawaab haa me dena bhi galat tha aur na me dena bhi. Kyuki Veer ek aurat ka wo gamm nahi samajh paata kabhi. Wo aurat jisne apne saamne apne pati ko uski bali chadhaane ke liye suna tha.
Ek mard hone ke naate Veer nahi jaanta tha ki iss waqt Ragini, ek mahila ko kesa feel ho raha hoga.
Par wo itna zaroor jaanta tha ki... Uski hi tarah Ragini ne bhi... Kuch khoya tha.
Aage badhte hue Veer ne Ragini ko kheecha aur apne gale se laga liya. Ye sab kuch boht dheere hua. Kyuki usse darr tha ki kahi Ragini uska haath na jhatkaar de. Par aisa hua nahi. Ulta Ragini apne aap dheere dheere roti hui uske sameep aake uski chhaathi me sama gayi.
Veer : Mein nahi jaanta ki aapko kya decision lena chahiye Bhabhi. I really don't know. Aur yadi maalum bhi hota, toh bhi shayad mein jawaab na deta. Par itna zaroor yaad rakhna aap...
Ragini (cries) : *sniff.... *sniff*...
Veer (smiles) : Ki aap jo bhi decision logi, mein aapke harr decision me saath rahunga. I'll be there for you.
Bas! Ragini ko toh jese yahi sunn'na tha. Veer ki bright sii smile dekh wo khud ko na rok paayi aur zorr zorr se rone lagi.
Wo thoda sa uthi aur usne Veer ke gaal ko thaama. Usse kheencha aur...
*Chuuu*
Uska dusre gaal par ek haule se chumban kar diya.
Aur waapas rote hue uske gale se lag gayi. Par iss baar...
Pakad mazboot thi aur desperation se bhari hui bhi.
Shayad dono ko hi iss waqt ek dusre ki iss hug ki zaroorat thi.
***
Shaam ka waqt tha aur Veer apne food truck me Sonali ke sang laga hua tha. Matlab khaana banaane me.
Sonali ko naye bartano me thodi pareshaani jaa rahi thi. Ye the non stick bartan jinhe spatula se use kiya jaata tha. Steel ya lohe ke chamcho se nahi.
Aur Sonali bachpan se hi steel ke bartano me khaana pakaati aayi hai. Usse mitti ke bartan bhi use karna aate the par ye non stick bartan jese uske liye naya sar dard the.
Menu filhaal simple sa rakha tha Veer ne. Par jald hi wo apni signature dishes bhi banaane waala tha. Par usse iska idea nahi aa raha tha. Akhir banaaye toh banaaye kese apni khud ki dishes.
Wo soch hi raha tha jab usne dekha ki Sonali pan me noodles ko flip karne me struggle kar rahi thi.
Usse dekh ke Veer mann hi mann muskuraaya aur uth ke uske peeche aa gaya.
Uske peeche aate hi Veer ne Sonali ki kamar ke ird gird apne haath daalte hue aage uske dono haatho par apne haath rakhe.
Par iss achanak ke hamle se...
"Aaaaaaaaaaaaaaaa...."
Bechaari Sonali ekdum hi darr gayi.
Veer : Isse aise nahi. Aise karte hai...
Kehte hue Veer ne apne haatho se uske haath thaam ke rakhe aur fir pan ko flip kiya.
Sonali ko jese yakeen hi nahi ho raha tha ki Veer uske peeche chipak ke khada hua tha. Pal bhar ke liye toh uske zehan me aaya ki seedhe Veer ki pasli me apni kohni maar ke uska muh noch le.
Par jab usne dekha ki Veer usse sikha raha tha toh mann maar ke usne khud ko shaant kar liya.
Par kya yahi reason tha? Ho na ho, kahi na kahi...
Sonali ko Veer ki wo mazboot shredded chhathi toh zaroor mehsoos hui hogi?
Abhi wo dono aise khade hi the jab Veer ke kaano me ek jaani pehchaani sii awaaz aayi.
"Congratulations Veer for your... Huh!?"
Usne jese hi palat ke dekha toh Veer wahi murti bann ke reh gaya.
Kyuki saamne truck ke kitchen ki entrance par Kaera khadi hui thi. Bhale hi uske chehre par mask tha par Veer Kaera ko bhala kese nahi pehchaanta?
Wahi Kaera bhi knee length white sleevless dress me Veer ko shocked nigaaho se dekh rahi thi.
Aur kyu na dekhti? Veer ki chhaathi se lagi ek ladki khadi hui thi haatho me haath daale.
'Fuckkkkk my timing.... Fuccccckkkkk!!!!'
[Hahahahaha~]
'Shut up Pari! Don't you dare laugh!'
[Wahahahahahahahahahaha~]
'Fuckkk youuuu!!!'
Kaera : A-Are you...!? Are you having sex?
'Fuuuuuuccccckkkk!'
Ye sunte hi Veer jhepte hue peeche ho gaya toh wahi sex shabd sunte hi Sonali ke gaal laal se pad gaye.
Veer : W-Whaaaattt!? N-No No!!! Not at all! A-Aap yaha?
Kaera : I came to congratulate you!
Veer (paas aate hue) : N-Nahi nahi! Uss se pehle... How can you say it like that? M-Miss Kaera! You cannot just talk about sex so casually.
Kaera : Hmm?
Veer : Aarghhh! Mera matlab hai ki aisi baatein aise nahi kahi jaati.
Kaera : O-Ohhh! O-Okay!
Veer (sighs) : Anyways! Aaiye na... Chote sa truck hai ye mera toh... Haha~ nothing much.
Kaera (smiles) : I like it.
Veer : Ohh! Th-Thank you! Ye muh par mask?
Kaera : Media...
Veer : Ohhh!!!
Kaera ka jawaab sunn veer samajh gaya tha ki Kaera mask kyu pehni hui thi. Jagah jagah usse dekh ke media jo peeche pad jaati thi uske. Koi na koi photo nikaalne hi lagta tha.
Kaera : But I can take it off for you.
Kehte hue usne apne muh se mask jese hi hataaya toh Veer ki aankhein harr baar ki tarah phati ki phati reh gayi. Kaera khubsoorat hi itni thi.
Par wo akela nahi tha. Uske peeche khadi Sonali bhi Kaera ko pehli baar dekh bhauchakki sii wahi jamm gayi thi. Aur fir usne ghabra ke apna sarr jhuka liya. Aisi sundarta ke saamne aankh milaana hi mushqil tha Sonali ke liye.
Kaera : Hmm? Hello!
Kaera Sonali ko dekh boli toh Sonali keval mundi hi hila paayi.
Veer : Umm... Kyu na hum baahar chale? Yaha congested hai kaafi.
Kaera : Okay!
Sonali : R-Rukoooo... K-Kaha jaa rahe ho tum?
Veer : Bas yahi tak. Haha~ Don't worry mujhe pata hai tum sambhaal logi. Hahahahaha~
Veer ne itna bol Sonali ki peeth zorr zorr se thap thapaayi maano jese usse poora vishvaash tha Sonali pe? Bechaari harr ek thapki par poori hil ke reh gayi.
Aur Veer aur Kaera baahar aa gaye. Peeche se Sonali chillaati rahi par koi fayda nahi. Wo dono hi jaa chuke the. Ab saare customers Sonali ko hi sambhaalne the.
Sonali (mann me) : P-Paagal kahi ka...
***
Idhar baahar Kaera aur Veer jese hi baahar aaye toh side me ek jagah dono hi khade ho gaye.
Veer : Aap akeli ho?
Kaera : No! Jassi aur Raghu car me hai.
Veer : Ohhh!!!
Veer ne car ki orr dekha jo ki Kaera ki hi car thi. Ab itni mehngi gaadi aas paas aur bhala kiski ho sakti thi? Raghu aur Jassi dono andar hi the aur unki hi taraf dekh rahe the.
Kaera : That...
Veer : ??
Kaera : I'm sorry!
Veer : Kis liye?
Kaera : For not coming to meet you... Jab tum hospital me the. Because of me... I couldn't come. Sorry for that. I had some...
Veer (smiles) : Koi baat nahi!
Kaera : O-Okay! How are you feeling now?
Veer : All good!
Kaera : I'm glad to hear.
Veer : Bas dikkat ye hai ki... Mujhe business ke liye kuch signature dishes chahiye. Par samajh nahi aa raha ki unhe banau kese.
Veer ki baat sunn Kaera kuch sochte hue usse dekhti rahi, fir agle hi pal uska haath thaami aur usse daudaate hue car ki orr le jaane lagi.
Kaera : Come with me...
Veer : Huh?? W-Waaaitt!! Kaha? Kaha jaa rahe hai hum?
Kaera : Just come!
Aur kuch hi palo ke andar Veer Kaera ki car me tha.
Aage driving seat par Jassi baitha hua tha aur uske bagal se Raghu aur dono hi Veer ko bas dead stare de rahe the.
'Fuckkk!'
Veer : Umm...
Kaera : Raghu! You said you friend needed help? Usse TV, LED screen ka business shuru karna hai na?
Raghu : ??? Miss? Aapko kese pata chala?
Kaera : Just tell me.
Raghu : Wo... Haan haan! Usse naya business shuru karna hai TV ka. Paisa boht hai uske paas bas sahi se dimaag laga ke shuru karna chaahta hai.
Kaera : Then take me to him...
Raghu : A-Abhi???
Kaera : Yes!
Raghu : J-Jii miss! Jassi! Wahi wo office me laga le...
Jassi : Thik!
Veer : Ek minute... Koi meri sunega? Hum kaha jaa rahe hai?
Kaera : Just sit Veer! And by the way...
Veer : ??
Kaera : Who was that girl?
Kaera ne Veer ko dekhte hue pucha. Par pata nahi kyu Veer ko uski wo nazar kuch paini sii mehsoos ho rahi thi.
'Shiiitt!!!'
[You are dead. Rip!]
'Pehle tum shaant raho Pari! Fuck!!!!'
Veer : Wo? She's...
Kaera : Your sister?
Veer : N-Nahi... Aahaha... She's...
Kaera : Your cousin?
Veer : N-Nahi...
Kaera : Hmm... Then just a nobody?
Veer : Nooooo! She's... She's my friend.
Kaera : A friend!??? Huh??
Veer : Y-Yeah!
Kaera : Hmm~ Okay!
Surprisingly, Kaera uski baat sunn aage kuch na boli.
'Why was she like that?'
[Hmph! Ladkiyo ke maamle me you will be dense as always...]
'Ohh shut up!'
[Hmph~]
Kuch derr ki duri tay karne ke baad, Veer Kaera aur baaki sabhi Ek office ke baahar maujood the.
Andar jaate hi unhe cabin me ek aadmi jo thoda young tha wo baitha hua nazar aaya.
Aur jese hi usne Raghu aur baaki sabhi ko dekha wo jese samajh gaya aur bade hi aadar ke saath unn sabhi ko andar bithwaaya.
Kaera : Tumhe TV ka business karna hai na?
Ladka : J-Jii! Mujhe actually sirf bechne ka business karna hai. Mere bhaiya hai unhe manufacturing ka karna hai. Khud ki TVs. Ek naya brand. Par abhi kuch bhi nahi socha hai ki kese kya shuruaat kare. Kyuki hum business field se nahi hai.
Kaera ne tabhi kisi ko call lagaaya aur fir shaant hoke baith gayi.
Sab usse prashn janak nigaahon se ghurte rahe par wo kuch na boli. Veer aur baaki sabhi uss se sawaal kiye par wo toh jese kuch bol hi nahi rahi thi. Wo jese kisi ka wait kar rahi thi.
Aur fir kuch derr baad hi...
*Screeeechhhh*
Baahar kayi saari gaadiyo ke rukne ki awaaz aayi. Aur kayi saare males athwa females waha maujood ho gaye.
Kaera : Thank you for coming!
Sabhi : No problem Miss!
Kaera : Kya ye tumhari TV le sakti hu?
Ladke ne haan me sarr hilaaya toh Kaera ne fir TV ko dekhte hue kaha.
Kaera : Open that up. Andar harr ek part dekho, kis brand ka hai, kitni efficiency hai, kitne saal chalega, kon sa part kisse acche se support karta hai. Analyse everything and then give me a report.
Aur bas, uske kehte hi sabhi jutt gaye. Uss TV ka jese post mortem ho gaya tha.
Bechara ladka bas dekhta hi raha.
Aur kareeb 1 ghante ke baad...
Kaera ke haatho me ek report thi.
Aur wo sabhi log waapas chale gaye.
Kaera : Iss brand me ye saare items lage hue hai. Now, yahi same items apni TV me assemble karwao. Give more warranty. Jo TV ye brand 50,000 me market me utaarti hai, usse tum 40 ya uss se bhi kam me utaaro. Ye tab tak karo jab tak ki tum iss brand par haawi na pad jao. Jab tak ki tum isse apne competition se ukhaad ke na fek do. Aur fir... Jab ye brand hatt jaega. Apna wahi TV fir tum 80 me utaaro ya 90 me... Public ke paas ek hi option rahega. Tumhara TV buy karna. Bas! That is how you do business.
Kaera ne jese hi bolna khatam kiya, sabki aankhein ekdum khuli ki khuli thi. Aur unhe ye bhi samajh aa gaya tha ki ye ladki chalta firta bomb thi. Kabhi bhi kisi ki bhi khatiya khadi kar de.
Veer ko toh jese uska uttar mil gaya tha. Toh ye bataana chaah rahi thi Kaera usse. Usse signature dishes banaani hai toh wo kisi aur ki signature dishes bana ke usme ferr badal kar apni bana sakta hai, jab tak ki usse koi accha idea nahi aa jata.
Kaera (smiles) : I suppose, you got your answer.
Veer (smiles) : I do! Thank you!
Kaera : And now I want something in exchange.
Veer : To teach you about life?
Kaera (smiles) : Y-Yes!!!
*Aaaachooooo*
Par achanak hi usse cheenkh aa gayi.
'Who's remembering me?'
Bechaare Veer ko kya pata tha. Ki Sonali usse waha truck me se gaali diye jaa rahi thi. Itne customers jo sambhaalne pad rahe the usse.
***
Shaam dhali, aur raat ke waqt Veer apne bistar par tha as usual.
Par... Koi tha jo uska sarr khaaye jaa raha tha.
[It's fucking night time now! Now tellll meee!!!! Kya secret hai??? What do you mean you know my secret???]
'Hahahahaha~'
[Don't fucking laugh.... Telll meeee!!!! ]
'Yahi ki...'
[Huh???? ]
'You have a split personality. Just like Suhana.'
[...]
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like thok ke jaane ka aur comment karne ka.
Dhanyavaad!
Waiting