- 13,765
- 98,357
- 259
Last edited:
waiting for the next update....Very soon. Almost 80% blueprint ready hai. Bas kuch final touch up dena hai. Kuch important scenes aur ending decide karni hai arc ki. Uske baad hi new updates shuru ho jayenge.
Intejar rahega update ka bhaiVery soon. Almost 80% blueprint ready hai. Bas kuch final touch up dena hai. Kuch important scenes aur ending decide karni hai arc ki. Uske baad hi new updates shuru ho jayenge.
Ekdam ghazab update bhai....Update - 168 ~ In a custody
Ab tak...
Tej ne jaise hi khat padha, woh bas zorr se sabhi ko ekatr karne ke liye chillaayi.
“Bh-Bhaaaabhiii!!!!”
Ab aage...
China!
Bhala iss naam se kaun anjaan hoga? Ek aisa desh jo kareeban 1.4 billion se bhi adhik jan-sankhya se bhara hua tha aur poori duniya me population ke naam pe dusre sthaan par aata tha.
Jaise bhaarat me alag alag raajya yaani ki states maujood the, wese hi China me bhi the. Magar, inhe yaha ‘States’ ki jagah ‘Provinces’ kaha jaata tha.
China me kul 22 provinces the jo unke khud ke hisse the. Par, ek tha jo ki claim kiya gaya tha yaani ki hathiyaya gaya tha. Aur, woh tha ~ Taiwan!!! Toh ye kaha jaa sakta tha ki China me kul ab 23 provinces the.
Harr desh me kuch jagaahe aisi hoti thi jo aadhunik yug ko darshaati thi toh wahi kuch aisi hoti thi jo apni pracheen sanranchna ke liye jaani jaati thi. Jaise bhaarat me Bangalore, Mumbai, Kolkata jaise sheher naye daur aur aadhunikta ko darshaate the, kuch wese hi China me Beijing, Shanghai, Nanjing jaise sheher the jo modern aur smart cities ke liye jaane jaate the.
Magar, kuch sheher aise hote the jo aadhunik jeevan se thoda dur rehte the aur uss zameen par pracheenta ko bhaanpa jaa sakta tha.
Iska matlab ye ki China me bhi do pehlu the. Ek jo modernisation ko darshaata tha.
Lambi lambi buildings, vibhinn prakaar ke insaano dwaara banaaye gaye ajeebo gareeb structures, harr taraf lights, tez zindagi, harr kaam ke liye uplabdh machines, atyadhik traffic, clubs, pubs, aur na jaane kya kya. Ye tha woh China jo aam aadmi dekhta tha. Aur, dekhne jaata tha aur jo media dwara dikhaya jaata tha.
Kintu, dusra China tha jo ancient times ko jataata tha.
The Great Wall of China, ghane bade jangal, oonche oonche pahaad, vibhinn nadiyaan. Ye tha ancient China.
Siheyuan!!! Ek aisa structure hota tha ghar ka jisme beecho beech ek chaukor aakaar ka aangan rehta tha aur uske chaaro orr ird-gird me ghar rehte the. Isi structure par puraane China ke ghar bana karte the.
Ek bade parivaar ke liye yeh sarvashreshth maana jaata tha. Yaha tak ki Rajao ke daur me bhi iska istemal hua karta tha. Prakrati ki taazi hawa, jangalo se laga hua ek siheyuan ghar, puraane tareeqe se rehna-odhna aur khaana-peena, kheti kisaani aur wahi ke kuch aapas ke logo me bol chaal aur bhai chaara.
Ye tha Dusra China!!
Jo aam media aur aam logo ki pahuch se thoda dur tha. Kyuki, ye ilaake aksar jangalo se bhare rehte the. Yaha par rehna hi apne aap me ek challenge tha. Comfort dhoondhne waala vyakti inn jagaho ke liye nahi tha.
Parantu, Veer ko isi ilaake me abhi jaana tha. Uski destination thi China ka Sichuan province.
Ghar se woh bina bataaye toh nikal aaya tha. Majbooran use khat likh ke aise hi nikalna pada. Woh jaanta tha ki agar woh aisa nahi karta toh pakke se Tej use akele iss tarah jaane nahi deti.
Par, woh ye bhi jaanta tha ki China me yaha khatra hone waala tha. Aise me bhala woh kaise Tej ko ya apne kisi aur ko saath laa sakta tha?
Veer ka Chinese Visa taiyaar tha. Usne itne antraal me banwa liya tha. Woh nahi jaanta tha ki yaha par use kinn musibato ka saamna karna tha. Lekin, itna zaroor jaanta tha ki uske liye kuch bhi ab asaan nahi hone waala tha.
Plane airstrip par utra aur woh luggage leke akhir kaar China ki zameen par apne qadam rakha.
Chengdu Shuangliu International Airport.
Sichuan province ka jaana maana Airport. Ab idhar se Veer ko dusri location par jaana tha.
[We are here!]
Plane se utarte hi Pari ki awaaz uske mann me aayi.
‘Yeah!’
[Tumhe kya lagta hai? For what purpose Li Renshu invited us?]
‘I don’t know!’
[Well! I just want to see some fun~ Aur chaahungi ki tum *grins* khud ko mere hawaale kar do.]
‘Jo kabhi nahi hone waala. *sighs*’
[Oh dear!! I will- *smirks* I will make you submit to me.]
Uske confidence par Veer bas muskuraaya aur woh aage badh gaya. Uska sabse pehla kaam tha apne phone ke network ko activate karana. Airport par hi use SIM aur network ki facilities mil gayi thi. Veer ne pehle apne phone ki calling ko chaalu karwaya aur fir hi woh yaha se nikalne ke liye hua. Abhi woh chal hi raha tha jab uska jeb me rakha phone turant hi bajne laga.
Wahi rukte hue usne apna phone nikaala. Screen par dekha toh pata chala uski Teju dii ka Whatsapp call aa raha tha. Ye swabhavik tha. Na jaane akhir kab se uske ghar waale use call kar rahe honge, par plane me toh mobile airplane mode pe hi rehta tha. Baat bhala kaise ho sakti thi?
Veer ne turant hi call ko uthaaya,
Veer : Hello?
Aur udhar se Tej ki zorr se awaaz aayi,
Tej : Veeeeeeeeerrrrr!!!??
Veer ne apne kaano se phone ko thoda dur kiya. Shayad uski Teju dii behad pareshan thi. Awaaz se samajh aa raha tha.
Veer : Haan Teju di!?
Tej : Haan Teju dii? Haan teju dii ke bacche!!! T-Tum-!! Tum me aqal hai kuch??? Kaha ho tum? Kya kaam aa gaya achanak se? Aur- Aur ye bina bataaye kyu chale gaye ghar se? Abhi kaha ho? Kiske saath ho?
Tej kabhi bhi uss se iss tarah baat nahi karti thi. Woh uss par garajti nahi thi. Hamesha namr swabhaav aur thoda sharmaate hue hi pesh aati thi. Magar, Veer ki iss harqat se uska dimaag bhi kharab tha. Aur, yahi kaaran tha jo woh itni hyper ho rakhi thi.
Veer : Hey! Hey! Calm down dii! Mein ekdum theek hu!
Tej : Tum abhi kaha ho?
[You cannot tell her!]
Pari ki awaaz firse uske mann me goonji. Iss baar Veer Pari ki baat se sehmat tha. Woh nahi bata sakta tha Tej ko. Tej jab Paris aa sakti thi toh isme koi shaq nahi tha ki woh China bhi use dhoondhne ke liye aa sakti thi. Aur, iss baar woh koi risk nahi lena chaahta tha.
Veer : Mein thoda kaam se baahar aaya hu dii!
Tej : Baahar kaha?
Veer : Baahar matlab-!! India ke baahar!
Tej : T-Tum-!!!
Uska gussa fir badh gaya. Laga tha ki Veer India me hi agar hoga toh woh yu jhattse waha pahuch jayegi. Magar, Veer India ke baahar tha. Usne ek gehri saans lete hue khud ko shaant kiya.
Tej : India ke baahar kaha ho? Which country?
Veer : I-!!
Tej : ???
Veer : I’m sorry dii! Abhi mein aapko nahi bata sakta.
Tej : Y-You-!!!! Kyuuu? Kyu nahi bata sakte tum?
Veer : Kyuki, mein jaanta hu ki agar maine aapko bataya toh aap turant hi idhar aa jaogi.
Tej : Toh kya galat hai usme? Tum harr baar mujhse aur hum sab se bhaagte kyu rehte ho?
Veer : Galat kuch nahi hai dii! Aur, mein kisi se nahi bhaag raha hu. In fact, mein toh chaahta hi hu ki aap sab mere saath hi raho.
Tej : T-Toh fir? Fir kya dikkat hai Veer?
Veer : Because-!!! *sighs* Kuch nahi dii! Abhi mein jaha hu waha ke liye Visa lagta hai. Agar mein aapko bulaana bhi chaahu toh aap nahi aa sakti. Toh, ab iss baare me zyada mat sochiye.
Tej : T-Tum firse Paris gaye ho na?
Veer : Nahi! Agar udhar hota toh aap sab aa nahi jaate? *smiles* Ek short visa hi lagta hai udhar toh. Par nahi! Mein udhar nahi hu!
Tej : Toh kaha ho tum? P-Please! Veer! Bata do! Kaha ho tum!? Yaha sab pareshaan hai!
Veer (sighs) : I’m sorry dii! Maine kaha na! Mein abhi nahi bata sakta.
Itne me tabhi Tej ne audio call ko video call me switch kar ke lagaaya. Veer ne ek gehri saans li. Aur, usne Video call bhi receive kar liya.
Aur, uski badi behan ka khubsoorat chehra uske saamne haazir tha. Woh chinta me lag rahi thi.
Veer (smiles) : Ab khush?
Veer nahi jaanta tha ki Tej ne screen recording bhi on kar rakhi thi. Woh jaise tese kar ke koi saboot dhoondhna chaah rahi thi ki jis se pata lag sake akhir uska chhota bhai kaun se airport par hai.
Kintu, Veer uss se aur bhi zyada chalaak tha. Usne screen aisi kar rakhi thi ki siwae uske chehre ke aas paas ka kuch bhi nazar nahi raha tha.
Tej : Tch!! T-Tum-! Tum baithe kyu ho? Mujh par dhyaan mat do. Apna kaam karte raho.
Veer (smiles) : Kyu? Taaki phone ki screen idhar udhar hoye aur aap kuch information dhoondh sako? Isliye?
Tej : *frowns*
Tej ko chori pakdi gayi thi.
Veer : Haha! Jo aap soch rahi ho dii wo mein pehle hi soch liya tha. It's useless.
Tej : Kyu???
Iss baar uski awaaz kamzor thi.
Veer : !!??
Tej : Kyu Veer? Mujhe yakeen tha ki hamara rishta mazboot ho chuka hai. Aur, tum mujhse kabhi kuch nahi chhipaoge. Fir bhi tumne-
Veer : Iss baar ye zaroori hai dii. Mere liye nahi! Balki, aap sab ke liye.
Tej : ??
Veer : Mein aapse jhoot nahi bol paata. Jab se hamara rishta mazboot hua hai tab se hi ye ho raha hai. Mein keval aap se jhoot nahi bol paata hu. Aur, isliye mein aapse iss baare me baat nahi karna chaahta ki mein kaha par hu.
Tej ko ye sunn andar hi andar pata nahi kyu par khushi hui. Uska Bhai keval uss se jhooth nahi bol paata tha? Woh khush iss baat se nahi thi ki Veer jhooth nahi bol paa raha uss se.
Woh khush thi ‘keval’ shabd se. Yaani Veer baakiyo se jhooth bolne me saksham tha. Bas keval woh hi ek thi jiske liye uska bhai jhooth nahi bol paata tha.
Ye ‘keval’ shabd tha jo Tej ke dil me tarange utpann kar raha tha.
Veer : Aur mein chaahta hu ki-
Woh abhi uss se kuch kehne hi wala tha ki itne me uske phone me ‘beep beep’ ki awaaz aane lagi. Koi dusra call aa raha tha.
Veer : Ek call aa raha hai dii! Mein aapse baad me baat karta hu.
Tej : What??? Wait!!! Veeerrr!!
Par tab tak call cut chuka tha. Idhar Veer ne jaise hi unknown number se call uthaaya, uss orr se ek aadmi ki awaaz aayi.
“Mister Veer?”
Veer : Yes! It's me!
Aadmi : Where are you right now?
Veer : At the airport.
Woh aadmi angrezi me hi baat kar raha tha.
Aadmi : Okay! I would like you to please cover your face first. I'm your escort sent by Lord Renshu himself.
Veer : Ohh!?
Aadmi : Yes! Please come out and then head towards the East. You will spot a black colored car. That's our car. Ignore all the other people. There's no need to chat with anyone.
Veer (nods) : Got it!
Aadmi : I'm waiting, Sir!
Veer ne call rakha aur usne apna ek mask chehre par daal liya. Shayad maamla gambheer tha. Renshu ne hi driver ko ye sab keh ke bheja hoga.
Chehra chhipana hai iska matlab toh yahi ho sakta tha ki uski identity reveal hone ke chances the. Yaani ki yaha airport par koi aur bhi tha?
Veer ne chaaro orr nazre maari aur Beowulf's Blessings bhi ON kar li. Woh bina kisi se baat kiye seedhe airport ke baahar nikla aur daayi orr mud gaya.
Airport par toh use kuch bhi aisa wesa nazar nahi aaya. Beowulf's Blessings ko usne band kar liya.
Woh East direction me badhne laga aur waqai, kuch hi duri par use ek kaale rang ki gaadi khadi nazar aa gayi. Veer jaise hi waha pahucha, driver turant hi apni seat se baahar nikla. Shayad usne mirror me Veer ko aate dekh liya tha.
Usne sabse pehle haath aage kar Veer se kuch maanga.
Aadmi : Sir! The card please!
Veer : Ohhh! Here!
Woh aadmi wahi card Veer se maang raha tha jo Renshu ne use diya tha ek lifaafe me band kar ke. Veer ke paas abhi bhi woh sahi salamat rakha hua tha. Usne apni bag ki baahar ki ek chain khol woh card nikala aur uss aadmi ko de diya.
Aadmi ne card ko khol acche se dekha. Aur, woh pehchaan gaya ki yeh wahi card tha.
Aadmi : Please Sir!
Usne Veer ke liye darwaza khola aur andar baithne ka ishaara kiya. Veer car me baitha aur wo kuch hi palo me airport chorr apni next destination ke liye chal diya.
Aadmi : Ride kaafi lambi hogi Sir. Toh agar aapko kisi bhi cheez ki zaroorat abhi ho, ya kahi rukna ho toh be-jhijak bata dijiyega.
Veer : Ohh? Sure!
Shaam ke abhi 7 baj rahe the aur andhera toh pehle hi ho chuka tha. Agar ride waqai lambi hone waali thi toh shayad use dinner bhi aaj baahar restaurant me hi karna tha.
Raaste me chalte chalte use baahar ka nazaara andar car se saaf saaf nazar aa raha tha. Kintu, Veer ke kaan tab khade hue jab car me radio par chal rahi beech me ek news aayi.
“Mr. Nicholson ki mrityu hatyaa hai ya bas ek natural death? Khulasa hona jaari hai. Aur, unke dehaant ke baad unki sampatti ka maalik akhir kaun?”
‘Hmm?’
Veer ki bauhe upar chadh gayi.
‘Mr. Nicholson!?’
Naam usne pehle toh kabhi nahi suna tha. Isliye, usne bas dimaag me iss naam ko baithaya aur zyada soch vichaar nahi kiya.
Woh toh China aa chuka tha. Par kya sab kuch itna hi shaant tha jitna prateet ho raha tha? Jawaab tha~ Nahi! Veer ke aane se pehle hi halaat behad hi kharaab ho rakhe the.
2 din pehle, kuch aisi vardaatein hui jis se poore China me ek sansani mach gayi. Aur, woh thi-
Mr. Nicholson ki hatya!!!
***
2 days ago…
Heibei Province, Beijing
Night ~ 12:27 PM
*Click* *Click* *Click*
Ek atyant hi khubsoorat ladki apne work area me baith ke kaam kar rahi thi. Raat kaafi ho chuki thi aur bas table lamp aur kuch halki roshni me woh apne kaam me lagi hui thi.
‘This design might be good…!’
Woh apne aap se hi mann me baat kar rahi thi jab uske mann ki awaaz ko sunn ke, ek aur awaaz ne mann me hi uttar diya,
[Your designs are always good. But still… that’s not your forte.]
‘Uhh-huh!! Mein jaanti hu. Lekin, ye zaroori hai. A cover-up is still better than showing nothing, right?’
[Maybe?]
‘Kahi na kahi, ye design- It’s familiar!’
[Jo suit baahar mannequin par hai, ye uski design ki tarah hai.]
‘Right!’
Woh kuch sketches bana rahi thi. Ye sketches kapdo ke hi the. Kuch coats aur blazers ke sketches. Jinhe woh baad me inke hisaab se stitch karwaane waali thi.
Kaam lagbhag khatam ho chuka tha. Par raat ke 12:30 ab baj chuke the. Bacha hua kaam woh kal bhi kar sakti thi. Yahi soch usne apni fashion sketchbook band ki aur woh wahi haatho me haath table par rakh sarr neeche kar apne vichaaro me chali gayi.
‘Kal jo kuch bhi hua-’
[Well! Yahi toh hona tha. You don’t want the heritage?]
‘I actually don’t!’
[That was surprising. Everything okay?]
‘Yes!’
[Toh fir?]
‘Kuch nahi Freya!’
Woh abhi aur kuch baatein karti jab baahar se kuch aahat paate hi uske kaan chaukanne ho gaye.
Uske ghar ke theek baahar police ka jhund maujood tha. Do police waale darwaaze ke theek saamne khade the aur kaan laga ke andar ka jayza le rahe the.
Iske baad unme se ek ne ishaara kiya aur baaki sabhi ne haami bhari. Aur, fir usne darwaze ko zorr se apni raid skills ka istemaal kar dhadalle se khol diya.
*BAAAAMMMMM*
Awaaz aate hi andar baithi woh ladki apni jagah se uth khadi hui.
“Police are here!!!!”
“You are under arrest!!!”
“Andar jo koi bhi hai seedhe seedhe chup chaap baahar aa jaaye.”
Ekdum se saare police waale uss ghar me ghus gaye. Unme se kuch mahilaaye bhi thi police ki uniforms me. Kareeban 10 se 12 log ikhatte dhaawa bol diye the.
Andar ki orr aate hi unki nazre uss ladki par padi jo apni jagah par khadi aashcharya me unhe dekh rahi thi.
Officer : Ma'am! You are under arrest.
Ladki : Wh-Whaaaatt!!?
Lady officer : Aapke khilaaf kuch jankaari mili hai. Hume talaashi leni hogi. Tab tak aap under arrest hai. Please! Co-operate!
Ladki : M-Mere khilaaf? Kaisi jankaari?
Lady officer : I'm sorry! Hum apne sources ki jankaari nahi de sakte. Please co-operate.
Ladki : Arre par k-kal hi toh- kal hi toh aap sab-
Uski bauhe chinta me kass gayi. Kal yahi log use saantvna de rahe the aur aaj-
Aaj ye sab ke sab uske ghar me iss tareeqe se ghus ke use hi arrest kar rahe the!?
Ladki : Aap me se koi mujhe batayega ki kya ho raha hai?
Par, uska virodh kisi kaam ka nahi tha. Police toh jaise pehle se hi mann bana ke aayi thi ki kya karna hai aur kya nahi.
Jab unhe pata lag gaya ki uss ladki ke alaawa ghar me aur koi nahi tha toh baahar khade 2 aur police waale andar aa gaye. Parantu, woh akele nahi the.
Unke saath the chhaan been karne waale K–9 Dogs. Yaani ki woh kutte jo tehqiqaat me police ki madad karwaate the aur unke dwara hi trained kiye jaate the.
Woh ladki behad hi confusion me thi. Ye sab ho kya raha tha? Toh wahi police waale apne trained dogs ko jagah jagah le jaate hue investigation me lag gaye.
Idhar uss ladki ke paas female officers khadi hui thi. Bhale hi woh ladki iss samay sandigdh thi parantu, uske saath koi bhi galat sulook nahi kiya jaa raha tha.
Woh koi aisi wesi ladki nahi thi, ye baat lagbhag harr koi jaanta tha. Police waale toh bakhubi parichit the inn sab se.
Yahi kaaran tha jo woh thoda tareeqe se pesh aa rahe the. Warna agar koi aur hota, toh use toh daboch ke seedha neeche lita gaya hota.
Ladki abhi bhi confused thi. Woh jaanana chaah rahi thi ki akhir chal kya raha tha?
Ladki : Kya mein ye bhi nahi jaan sakti ki achanak ye sab kya ho raha hai mere ghar pe?
Lady officer : Aap shaq ke ghere me hai ma'am. Hume pata chala hai ki aap suspects me se ek hai.
Ladki : Aur kaise pata chala ye?
Lady officer : Hamare kuch sources hai. Aur, naam mat puchiyega. Please!
Woh ladki harr guzarte pal aur bhi confused hui jaa rahi thi. Akhir ho kya raha tha? Uska naam kisne diya? Kaun use fassaana chaah raha tha? Use iss baat ka koi darr nahi tha ki use arrest kiya jaa raha hai, use iss baat ki chinta thi ki akhir kisne uske khilaaf ye sab jankaari di???
Wo aaklan kar rahi thi. Jab akasmaat K-9 dogs ke bhaukne ki awaaz ne use wapas se hosh me laaya.
Andar dogs ko kuch praapt hua tha. Woh turant hi apni jagah se bhaagte hue andar jaane ko hui par peeche se lady officer ne use pakad liya. Officer uske saath saath hi peeche peeche aayi tabhi use andar aane mila.
Jaise hi ladki ne andar dekha toh uski aankhein hairat me fel gayi.
Dogs kareeban ek 15cm lambi sui ki taraf dekh bhauk rahe the. Police officer ne turant hi apne gloves pehne haatho se uss sui ko uthaaya. Sui ki nok par kuch laga hua tha.
Ladki ekdum bhauchakki reh gayi thi. Woh sui toh- Uss sui ko woh bhali bhaati jaanti thi.
[Looks like your cover-up is blown now!]
Woh kuch na boli. Bas mann me hi sochne par majboor ho gayi.
‘Y-Ye-! Ye kaise ho sakta hai?’
[Tumhara dhyaan kaha hai? Kya abhi bhi tum puch rahi ho? Of course!!! Someone intruded.]
‘H-Huh!!?’
[Aur tum kuch pata bhi nahi kar paayi. I'm disappointed.]
‘P-Par-!’
[We are not this weak.]
‘How can it be-!?’
[Socho zara. Kaun ho sakta hai? Have you provoked someone unintentionally? I don't remember anyone.]
‘Mujhe nahi pata.’
[Or…]
‘???’
[There is someone…! Maybe!?]
‘Kiski taraf ishaara hai tumhara?’
[Mujhse behtar tum jaanti ho. Right?]
Ladki ki bauhe ek pal ke liye kass gayi. Abhi toh uski samajh me kuch nahi aa raha tha.
Toh wahi, Officer ne uss sui ko haath me liye fir apni ek kamar par latki thaili se ek sample bag nikala.
Officer : Kya ye wahi hai?
Officer 2 : Shayad haan! Jaanch ke liye bhejna padega.
Officer : Matlab jankaari sahi thi?
Officer 2 (nods) : Hmm!
Aur, idhar ladki ke bagal se khadi lady officer ne kaha,
Lady officer : I'm sorry to say ma'am. But you are now a prime suspect. We are taking you to the police station.
Ladki toh jaise inn sab ko dekh wahi jamm chuki thi. Khaas kar uss 15cm lambi sui ko waha rakhe dekh use sabse bada jhatka laga tha.
Ye mumkin kaise hua bhala? Mann me yahi sawaal chal raha tha.
[Not gonna lie it is interesting though haha.]
Uske mann me Freya ki awaaz goonji. Zaahir hai woh ek system owner thi. Agar woh chaahti toh inn sab se badi hi asaani se bach ke nikal sakti thi.
Inme se koi bhi vyakti use pakad bhi nahi paata. Lekin, fir bhi woh bhaagi nahi. Kyuki, woh khud bhi curious thi. Aur na hi woh kabhi bhaagne waalo me se thi.
Jab usne koi gunaah nahi kiya toh bhaaga kyu jaaye? Magar, saboot uske khilaaf the.
Officer : Yaha kuch likha bhi hua hai. Aur, ab toh ye almost confirm ho gaya hai.
Officer 2 : Kya likha hai?
Officer : Garofano!!!!
Sunte hi ladki ek baar fir jhatka khaate hue uss officer ko dekhi. Sui ke pichhle hisse par badi hi bareeki se ek naam kureda gaya tha aur badi hi sundar likhawat se kureda hua tha.
Itni patli si jagah par bhi uss sui me carving kar ke naam likhna apne aap me ek bahut bada kaam tha. Parantu, bareeki se dekhne par naam asaani se nazar aa jaata tha. Aur, police officer ko bhi zyada samay nahi laga use padhne me.
Ab aage aur kuch dekhne ki zaroorat nahi thi. Jo unhe milna tha, woh unhone baramad kar liya tha.
Lady officer : Now please, come with us.
Woh uss ladki ko peeche se dhakelte hue baahar ki orr le gayi. Ladki besudh si lady officer ke saath chali jaa rahi thi. Abhi bhi usme darr nahi tha. Bas, hairani thi. Ye sab ho kaise gaya?
Ghar ke baahar laate hue ghar ke ird gird bhi ‘no trespassing’ waala tape maar diya gaya tha. Aur, use turant hi police ki gaadi me baitha diya gaya.
Bilkul, woh ladki koi aur ladki nahi, Garofano hi thi. Isme koi shaq nahi tha ki woh 15cm lambi sui uski hi thi.
Aur dekhte hi dekhte uska pyaara sa ek ghar ‘no trespassing' area me tabdeel ho gaya. Aas paas ke logo me ye charcha ka vishay bann gaya aur jald hi news me bhi aa gaya aur fir poore China me ye khabar sansani ki tarah fel gayi. Garofano ko seedhe giraft me le liya gaya.
Yahi thi… 2 din pehle ki ghatna.
***
Current day…
Sichuan Province,
On the outskirts of Panzhihua city, Night ~ 2:13 AM
Veeraan se raaste par chalti Hui gaadi kuch derr baad jangal se bhari ek jagah par aa kar ruki. Waqai, jaisa ki driver ne kaha tha bilkul wesa hi hua.
Lambi ride itni lambi hogi, Veer ko iska bilkul andaaza nahi tha. Chengdu city se woh Panzhihua city aa chuka tha.
Panzhihua bhi Sichuan Province ki hi ek city thi jo behad South me padti thi. Idhar se jangal lagna shuru ho jaata tha.
Veer jab car se utra toh usne dekha ki bahut hi bade area me bana ek siheyuan ghar saamne maujood tha.
Wahi ghar jisme beecho beech aangan hota tha. Aur ird gird kayi saare makaan. Wesa hi poora structure uski aankhon ke saamne maujood tha.
Ghar kaafi purana lag raha tha. Saamne bhavya gate ke upar bade aksharo me Chinese me kuch likha hua tha.
Veer ne mann me hi Translator ki madad se use Translate kia toh paaya ki udhar ‘Li Renshu’ hi likha hua tha.
Yaani yahi Ghar tha Li Renshu ka. Ghar ho na ho parantu ye property zaroor uski hi thi.
Veer ne idhar udhar dekh thoda aur jaayza liya. Raat ke gehre andhere me use pedo ke siwae aur toh kuch nazar nahi aaya. Shayad ilaake ki asli parakh ab ujaale me hi ho sakti thi.
Driver bhi car se utra aur usne Veer ko aage badhne ke liye ishaara kiya,
Driver : Aaiye Sir!
Veer ka trolley bag wahi liye hua tha.
[Interesting! Li Renshu koi bigshot lagta hai.]
‘Yeah!’
[Warna aisi jagah pe itni badi zameen hona. Koi bhi sarkaar yuhi allow nahi karegi.]
‘Hmm! I won't be surprised agar woh government ka hi koi official ho toh.’
[Ohh! That's a wild guess.]
‘Hume nahi pata uski asli identity kya hai. But I hope iss tour me mujhe kaafi kuch jaanane ko mil jayega.’
[Of course! I'm looking forward too. I hope iss tour me tum finally… ‘mommy’ keh hi doge. Fufu~]
‘Tum firse mat shuru ho jaana.’
[That's how I am. Deal with it.]
‘Aur mein kuch aur raaz bhi shayad jaan pau.’
[Jaise ki?]
‘Jaise ki system ke raaz. Tumhaare raaz.’
[Ohh!!? *smirks* You wanna know?]
‘Of course!’
[Call me ‘Mommy’ and I'll let you know everything you want to know. Kaisi hai deal? I think it's a fair one.]
‘Huh?’
[You only have to say just one word ~ ‘Mommy’ aur mein tumhe poori information de dungi apni.]
‘Aur tumhe aisa kyu lagta hai ki mein tumhari baat ka yakeen karunga?’
[What?? Tumhe lag raha hai mein mazaak kar rahi hu?]
‘Toh aur kya hai yeh?’
[I'm not joking okay! Trust me! Just call me ‘Mommy’ once and I'll-]
‘No thanks! I'll pass!’
[Y-You-!!!]
‘By the way, Profit Path ka Path 1 ek baar aur dikhaana zara. Dekhu kaha tak achieve kar liya hai mene.’
Pari ne aage kuch na kaha. Veer ke mann me uske saamne Path 1 khol use de diya bas.
Veer ne sabse pehle upar ke naam padhe. Arohi, Ragini, Mukta, Bhumika, Sudha aur Varsha.
Inn naamo ke theek bagal se jude hue the ~ Food, Clothes, Medicines, perfumes.
Path 1 ki wajah se hi Veer ne Mukta ko Hotel Prestige me Head Chef me taur par bheja tha.
Profit Path poora idea de deta tha ki kisko kaha par bhejne se faayda hoga.
Arohi, Ragini isme abhi chhoti chhoti madad karwa rahi thi. Magar, Veer jaanta tha ki woh dono hi iss field ke liye nahi thi.
Food me Sonali, Bhumika aur Mukta sabhi hi apni apni jagaho ko poorn roop se sambhaal rahi thi.
Clothes me use Louis mil chuka tha. Aur, Sudha jo silaayi me sabse avval thi Veer ne use bhi niyukt kar liya tha.
Aushdhiyo aur perfumes ke liye uske paas Varsha thi. Kuch naukar chaakar, paisa, jagah aur thoda samaan dene ki bas deri thi Veer ko. Aur, ye kaam bhi shuru ho jaana tha.
Veer ne fir neeche waale blocks ko dekha. Shyaam, farmers jo Land se jude hue the.
Zaahir hai usne ye bhi kar liya tha. Sabhi kisaan Bhai bade hi acche se apna kaam kar rahe the.
Woh aur neeche ke blocks par aaya. Jisme supply ke sang Saili, Louis aur Kaera ka naam tha.
Louis aur supply ka rishta toh Veer samajh chuka tha. Aur usne woh kaam shuru bhi kar diya tha.
Louis ko materials provide karwana, yaani ki poori supply dena ye Veer jaanta tha. Usne ye execute kar liya tha.
Parantu, abhi bhi jo use thoda sa pareshan kar raha tha woh tha Saili aur Kaera ka naam.
Saili Mukta ki hi beti thi. Mukta rang me behad kaali thi toh uski beti bhi rang roop me kaali hi thi. Magar, kaali hone ke bawajood uske nain naksh alag hi starr ke the. Ek prakaar se Saili ko black beauty kehna sahi tha.
Parantu, isme Kaera ka kya role? Veer ko iske baare me aur sochna tha. Woh punah neeche ke blocks me aaya.
Aabha, Shreya aur YouTube Brand. Usne ye bhi execute kar diya tha.
Lagbhag lagbhag usne poora Path 1 implement kar diya tha. Jald hi woh Path 2 draw kar sakta tha Profit Path se.
Parantu uske liye bhi pehle iss Path 1 ka complete hona zaroori tha.
Veer inn sab cheezo ko mann se alag kar saamne ki orr apna dhyaan wapas se laaya.
Woh dono pichhle 3 minute se bas chalte jaa rahe the. Jagah itni badi thi ki kaafi samay toh andar baahar jaane me hi lag jaaya karta tha.
Andar ka pravesh waale ek ghar ke paas akhir kaar woh dono hi pahuch gaye.
Aadmi : Idhar se aapko hi jaana hoga Sir. Aapka bag aapke kamre me bhijwa diya jayega. Be-fiqr rahiye.
Veer : Well…! Okay!
Shayad inhe bina ijazat ke andar aana allowed nahi tha. Veer kaafi impressed tha, inki loyalty ke liye. Renshu ne apni image ekdum tagdi bana ke rakhi thi.
Woh aage badha. Pehle waale ghar me ghuste hi use ku h modern ghar ke jaisa feel hua. Lights lagi hui thi, decoration ka kaafi samaan tha. Kuch bade se flower vases aur kuch unique si paintings tangi hui thi.
Shayad ye welcoming area tha. Ye sirf saaj sajja ke liye hi tha. Isme koi rehta nahi tha.
Woh abhi waha se badh aage aangan me jaane hi waala tha jab saamne se awaaz aayi,
“Who allowed you to trespass, Mister!??”
Veer : Huhh!!??
Aur Veer ke qadam wahi tham gaye. Sirf awaaz sunn ke nahi thame the. Saamne maujood uss saundarya ko dekh ke bhi qadam rukne par majboor ho gaye the.
Laal rang ki night dress me ek behad hi khubsoorat ladki uske saamne khadi hui thi.
Woh adab ke saath mudte hue uski orr apna chehra kari. Uski nigaahein Veer ke chehre par hi tiki hui thi.
“I asked you something. Didn't I?”
Veer ne kuch na kaha. Usne bas ek hi kaam kiya, aur use jhatke lagne shuru ho chuke the.
‘Check’
*Ding*
[No information available.]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Chinatown arc shuru ho gaya hai. This update consists of around 5k words. Kuch updates itni hi length ke rahenge toh kuch bade honge. Woh depend karega unke scenes ke upar. Kayi saari cheezein ho rahi hai ikhatte. Agle update se romanch bas badhna hi hai. Toh likes aur revos rakhne ka. Target apna uss baar 160 hai. Kaafi research lag rahi hai mujhe iss arc me. Toh apna apna kaam karne ka man.
Dhanyavaad.
waitingVery soon. Almost 80% blueprint ready hai. Bas kuch final touch up dena hai. Kuch important scenes aur ending decide karni hai arc ki. Uske baad hi new updates shuru ho jayenge.
Agar Veer ne kisi ko apna liya toh woh fir uski hi bann ke rahegi.Bro ma ye to nhi pucho ga ke update kab ai gi Qk ma janta huh job aur yaha story likhna kitni mehnat kam he mera AK Hg sawal he
Ke jo larkiya veer ki life ma ai he wo kisi aur ki to nhi hongi na khas kar keara ava Sonia Zoey
Is sawal ka jawab chaye
Hmmm waise to 7 saal se yaha huh but apki doni story sab se zyaada fav he bakhi ma sirf sex fun shock ke liya heAgar Veer ne kisi ko apna liya toh woh fir uski hi bann ke rahegi.
Veer se jyada insecure to tu lag raha hai bhai.Bro ma ye to nhi pucho ga ke update kab ai gi Qk ma janta huh job aur yaha story likhna kitni mehnat kam he mera AK Hg sawal he
Ke jo larkiya veer ki life ma ai he wo kisi aur ki to nhi hongi na khas kar keara ava Sonia Zoey
Is sawal ka jawab chaye