• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,446 82.6%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.5%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 240 13.7%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 38 2.2%

  • Total voters
    1,751

Werewolf

𝕽𝖚𝖒𝖇𝖑𝖎𝖓𝖌
Supreme
18,365
114,433
259
Last edited:

Werewolf

𝕽𝖚𝖒𝖇𝖑𝖎𝖓𝖌
Supreme
18,365
114,433
259
I just want to say I am here for this story.
Master piece, no wonder you took your time but gave us a "Master Piece".
The grip on the story is so good that I regretted the end of the story as I wanted more.
In last episodes I couldn't write because I didn't had words to narrate what I felt. I felt real bad for the turmoil through which Veer was passing through.
This episode gave me courage and enforced me to write my reply before leaving.
Keep it up please and complete it because I love your artwork.
Thanks a lot. The story hasn't ended. Why do you think it's the end!?
 
  • Like
Reactions: raju_babu

Werewolf

𝕽𝖚𝖒𝖇𝖑𝖎𝖓𝖌
Supreme
18,365
114,433
259
Let's Review Starts

Werewolf

Starting sonia keara ke scene se :
Yaha fight sirf Sonia Keara ke bich mein nahi hai, yaha do behne, Suchika aur Ruchika, dono bhi ek dusre ki competitors hain.

Sonia ko dekh kar iss baar lag raha hai ki shayad competition ke liye well-prepared hai. Suchika ke roop mein ek aisa weapon mil gaya jo shayad Sonia ka trump card sabit ho aage chal ke.

Suchika, maana padhega, apni sister ko exactly aur perfectly predict kiya. Well, yaha Suchika ke aane se Sonia aur Keara ke bich thoda gap kam hota dikh raha hai.

Saath hi Ruchika ka surprise, apni badi behan ke baare mein usse kuch idea nahi. Usse to pata bhi nahi ki Suchika Sonia ki secretary hai. Lekin Sonia ko usne brilliantly analyze kiya, shayad issi liye wo Keara ki secretary bhi hai.

Saath hi dono behno ka kuch past raha hai. Mujhe itna important to nahi lagta ki inka past major effect dalega, but who knows, kya pata inke kuch raaz surprise kar dein sabko.
Dono Suchika aur Ruchika ke beech ki story bhi hai. Bahut important toh nahi hai plot ko lekar but I'll show it in short. It'll give depth to their characters kyunki dono hi Sonia aur kaera ke saath rehne waali hai, unless they are removed from their jobs.
Mujhe pehle laga ki emotions wapas aane ke baad Keara ki business thinking par effect dalega, but abhi aisa kuch hota mujhe nahi dikh raha.
Aise ek dum se thodi emotions aa jaayenge bhai. Slowly slowly development hote jaayenge. Emerge hoyenge phir se.
Sonia ka maanna hai ki Suchika, Ruchika ke through, Keara ke varchasv ko todna chahti hai ya uske plans jaan na chahti hai. Well, mujhe abhi itna nahi lagta ki Keara jaisi lady apne decisions Suchika ki thinking se lekar aage badhegi. Yes, kuch plans mein Keara apni business secretary se suggestion le sakti hai, but uske suggestion se itna influence hona ye baat mujhe possible nahi lagti.

Pehli baat, bhale hi Keara Ruchika se consult kar chuki ho, but IconGlobe ko lekar uske plans surprise dene wale hain.
Ye zaahir hai ki decision toh Kaera hi leti hai. Lekin, uske peechhe wo apni secretary se discuss bhi karti hai. Especially agar aisi deals aa rahi ho toh-

Kyunki, secretary data collection ka kaam poora kar deti hai mostly. Baaki, end moment par decision toh owner hi lega. Same goes for Sonia.
Waise kya IconGlobal ko nahi pata hoga ki competitors, yani Sonia se business deals karne ka matlab seedha unhi ko nuksaan? Wo business ke jaane maane players hain, unhe bhi idea hoga ki agar Sonia deals ke liye agree kar rahi hai to unhe technology Elite Motors se share karni padegi. Jahan tak mera knowledge hai, company apni technology kisi se share nahi karti, aur ye case to unke competitors ka hai.
Not really. Mein ICONGLOBE se hu aur mein jald se jald India pe apna qabza jamaana chaahta hu toh mein kisi aisi company se deal karunga jo mujhe jald se jald establish hone me madad kare. Jiske paas immense capability ho, factories ho, staff ho, employees ho, mujhe bas paisa dena pade aur kaam shuru ho jaaye.

Aur, ye kaam Elite motors hi kar sakta hai kyunki automobiles sector ka wo raja hai. It's like maruti suzuki for India. Toyota kyu apni kuchh cars maruti suzuki se banwaata hai? Glanza (from baleno), Urban cruiser hyryder (from grand vitara), etc. Ab technically toh Maruti suzuki Toyota ki competitor hui na? Phir bhi dono ke beech collaboration hai aur unki cars maruti waale banaate hai.

Wahi same cheez toyota waale bechte hai mehngi kar ke aur unki bikti bhi hai. Kyu?? Think about it.

Of course Elite motors ICONGLOBE ka competitor ho sakta hai par companies inn sab se deal karna jaanti hai.

Koi nayi baat nahi unke liye. Aur, aisa kahi nahi hota ki company technology share kare. Shayad ju ne galat padh liya. Mein agar tumhe ek engine bana ke du aur kahu ki ise cars me lagao toh kya maine technology share kar di? Nahi! Mein toh tumhe part de raha hu jo internally lagega car me aur jiska patent bhi hai mere paas.

Lekin...

Ab agar tum usi engine ko reverse engineering kar ke uski technology dhundh lo toh? Yahi toh hota hai. Tumko kya lagta hai? India ne apna cryogenic engine kaise banaaya??? Jab US ne cryogenic engine ki technology dene se mana kar diya tha, jab unhone ye tay kiya tha ki india ke paas ye technology nahi jaani chahiye tab russia se cryogenic engine mangwaya gaya tha.

Use phir reverse engineering kar ke uske knowledge aur technology ko dhundha gaya. Aur, aaj India apna khud ka cryogenic engine banaata hai. Toh phir russia ne itni badi technology kyu di? Question arise hota hai na?

Bas, yahi Sonia karna chaahti hai. Ye uski planning hai. Aur, jaise Sonia planning kar rahi waise hi toh ICONGLOBE waale planning kar rahe honge na? Don't think from just one side.
Well, jo bhi ho, ye corporate gala Veer ke liye sir dard banne wala hai. Jisko deals nahi milegi, uska dukhda Veer ko sunna hi padega.

Saath hi dhyan dene par pata chalta hai ki IconGlobal batteries bhi banata hai. Yaha to Veer ke liye massive opportunity bhi bol sakte hain, ya competition tension bhi. Kyuki wo component manufacturing ke purane player hain, aur Veer to abhi batteries ka business start karne wala hai.

Agar Veer IconGlobe ke sath batteries mein partner bana, to yaha Veer ke liye ek huge opportunity hai.
Mazaak waali baat mat karo bhai. :D:

ICONGLOBE 10 billion dollars ki deal lekar aa raha hai. Veer ne abhi jaa ke apni company ko dhang se register karwa ke uske naam par batteries ke raw material, lithium ko import karwaya hai.

What makes you think ki ICONGLOBE Veer se deal karenge ki arey bhai... Tumhare paas lithium hai? Arey mein bhi 10 billion ki deal karne aaya tha. Aao deal kare. Will that happen?

NO!!! Straight up NO! Just because Veer is the protagonist, don't let down your logic of business. Aise businesses nahi chalte.
Ya just a thought, Sonia Keara me se ek business IconGlobal ke sath chale jaye, dusra Veer apne ideas aur investors ke sath milkar apna batteries brand khole. Saath hi dono Trinity me se ek, jiske sath IconGlobal ne deal nahi kiya, wo aage chal kar Veer ke sath apna EV launch kare. Obviously plan bada aur long-term wala hai, but mujhe lagta hai aisa kuch story mein aage hone ke chances hain.
We'll see about that.
Well, update ka first portion ekdum serious vibes de raha tha, fully corporate environment. Dono ladies jab bhi story mein aati hain, environment ekdum intense ho jaata hai.

Waise kya hum ise business arc ka update samjhe? Kyuki Familgia arc continue hai, thik waise hi Veer ka ye arc parallel chal raha hai. To isse hum business arc mein le sakte hain, kyuki I’m sure hume Veer ko abhi bahut badhte hue dekhna hai.
Yeah... Kinda... Rakhne ko rakh sakte ho. Ya dono hi famiglia aur business arc ka update samajh sakte ho. Like a combination type. Kyunki, business aur family matters dono chalne waale hai abhi. :approve:
Ragini Veer drama portions :
First, ye unexpected tha. I mean, iss ek truth reveal se bhuchal aane wala hai. Saath hi, yaha Shweta ki maturity ne thodi baat bigadne se bacha liya, warna abhi toofan aana tay tha.

Ek samay sach mein laga ki Veer kya ghar chhod dega, jaise usne Nidhi ka ghar chhod diya tha. Lekin shukar hai, baat itni nahi badhi.

Ragini ki situation abhi complex chal rahi hai. Ek samay Nidhi aur Veer ka bittersweet relationship develop ho raha tha, thik waise hi Ragini aur Veer ka rishta abhi usi track par hai.

Ek nazariye se socho to Ragini theek keh rahi hai, koi kaise apne partner ko share kar sakta hai? Ragini ki jagah agar koi bhi ho, chahe purush ya mahila, wo ye accept nahi karega. So iss nazariye se Ragini sahi hai.
That's right. :check:
But yaha opposite side bhi hai. Ragini ka baar-baar Veer ko ye kehna ki Veer ne uska sirf shareer istemaal kiya, ya sirf uske shareer se pyaar kiya, ye galat hai. Kaun insaan apne pyaar ka proof deta hai?
Nahi toh!? Kitni baar kaha usne aisa ki Veer ne uske shareer ka istemal kiya hai!? :think:

Mujhe toh nahi lagta maine pichhle update me aisa kuchh likha tha. :think:

Ragini ka kehna ye hai ki usne Veer ko sab kuchh de diya, which is true. :approve: Kya nahi kiya usne Veer ke liye. Usne Veer ko wo sab kuchh de diya jo aadmi shaadi se pehle se lekar baad tak ek aurat se praapt karta hai.

She gave him support, shelter, became his kinda gf, loved him, gave him sex, money, moral support, gifts and what not.

Ab uske baad bhi banda ye kahe ki bhai mein aur bhi aurton se pyaar karta hu toh? :D Dimag toh bhaskega hi...
Waise mujhe Ragini se bhi kuch questions poochne hain. Bina Veer ke clear answer ke usse itna aage nahi badhna chahiye tha. Kya usne aage badhne se pehle ye jaanne ki koshish ki ki Veer ki life mein koi aur to nahi?
Bilkul. Kya usne Veer se poochha nahi tha ki uski koi gf hai ya nahi? Veer ne na hi kaha tha because that time he never had a gf. Aur, abhi bhi nahi hai. Lekin, uske dil me feelings zaroor hai. Jo tab utni strong nahi thi baakiyo ko lekar. Aur, isliye Ragini aage badhi.

Ek do reasons aur bhi the.

She thought by providing him sex she'll seal her place. Use laga tha ki sex ke baad Veer definitely uska ho jaayega which didn't happen kyunki Veer ne pehle se hi sex ka maza chakh rakha tha. :D
Veer aur Ragini ke relationship mein pehl to Ragini ne hi ki thi. Yahan tak ki wo Ragini hi thi jo divorce ke baad Vivek ko jealous feel karane ke liye, Vivek ke samne hi Veer se apne kamar par haath rakhne ko kaha tha. Remember, Veer ne mystic touch ke alawa kabhi pehl nahi ki.

Issi liye Ragini ka Veer ko dosh dena sahi justification nahi hai.
You need to understand some things here.

Ragini dosh nahi de rahi hai Veer ko. Ragini naraaz hai kyunki Veer responsibility nahi utha raha aur indecisive hai. Isliye wo uss par gussa hai. Na ki isliye ki Veer ne uske saath sex kar liya bina ring pehnaaye.

Yes. Ragini ne pahal ki thi. Lekin, Veer koi doodh Peeta baccha nahi hai. :sigh:

He wanted the sex. He wanted her. Isliye, usne aage badhne diya. Aur, ab jab kiya hai toh ye uski responsibility bhi hai ki wo use jawab de aur use sab bataaye. Na ki baatein ghumaaye. Toh, sex ke maamle me dono hi galti kiye hai.

Rahi baat vivek ko jealous feel karwaane waali. Ragini is one of the possessive ladies in the story. Zaahir hai wo ye sab karegi hi karegi. Aur, aage bhi karegi. So don't mind it. It's her possessive nature.
Prestige hamle mein kya Ragini ne hi sab kuch khoya? Veer aur parivaar ne bhi kya kuch nahi khoya? Aise mein kal ko Bhumi, Shweta ko Veer ko dosh dena chahiye, ki prestige hamle mein unki barso ki mehnat aur reputation ko harm hua. Brijesh ko bhi dosh dena chahiye, uske to father ki jaan chali gayi hamle mein. Louis ko bhi, uska dream project tabah ho gaya. Janta hoon Ragini ne jo khoya wo comparable nahi, lekin iske liye Veer ko dosh dena kaha ka justice?
You need to again understand the seriousness about the loss.

Brijesh ne apne baap ko khoya, uska dukh utna bada nahi. Yes, he lost his father but ye bhi dekho ki manorath already budha tha. Aaj nahi toh kal, use jaana hi tha. Agar, wo event ke pehle hi ek raat aise hi marr jaata toh? Kya hum blame daalte kisi pe? Nahi. Usne apni zindagi jee li thi.

Rahi baat Shweta aur Bhumika ki... Udhar bhi loss extensively Veer ka hi hua. Hotel poora tabaah nahi hua jo Shweta aur Bhumika sadak par aa jaaye. Outer portion me hi destruction hua jaha basically Veer ka Yarnia tha showcase ke liye. So, Veer lost his Yarnia. Baaki, physical destruction hotel ko jo kuchh bhi hua tha wo thoda bahut Bhumika and Shweta ke khaate.

Louis ka loss jo hai wo uske time aur mehnat ka loss hai. Resources Veer ke the, paisa Veer ka tha. Jo ki phirse aa jaayega.

Par, Ragini ka kya? Wo toh abhi apni beauty ke peak par hai. Woh ek taang se apaahij ho gayi. Abhi young hai. Kitni life bachi hai uski abhi. Uski life ke toh lag gaye na. Veer dobaara paise jod sakta hai par Ragini naya perr nahi jod sakti.

Ab uss perr ke saath uska previous confidence bhi gaya. Jo beauty thi, wo bhi diminish ho gayi apahij hone ki wajah se. Aur, jise chaaha, woh keh raha hai ki woh baakiyo ko bhi pyaar karta hai. Kya dimag kharab nahi hoyega uska?
Shayad Ragini par zyada likha to Ragini lovers mere fielding set kar denge.

Waise room mein kya aisa magic tha ki Veer ke face par smile thi? Ragini ko marriage ka promise to nahi kiya, lekin kuch months se keh rahe the ki Veer ka ek relationship confirm hone wala hai, shayad ye wahi relationship hai.
Ek chhota sa scene iska added hai next update me. Unn do ghanto ki baat me kya hua.
Tej ko iss matter ka pata chala to uska sukh-chain chhin jayega. Abhi usse truth ka pata chala to ghar mein uske aur Ragini ke catfights start ho jayengi.

Saath hi sabse bura mujhe Kavya ke liye laga, uske samne itna bada sach reveal hua. Uska to Veer se ab trust level hil gaya hoga.
We'll see in the next update.
Bhavna ke expressions bata rahe the ki uske mann ke andar kya bhuchal aaya. Sab kuch predict karne wali Bhavna, Veer ke dil ko nahi padh payi. Ragini ka "I love you" kehna usse itna surprise nahi kiya hoga, lekin Veer ka "I love you" kehna uske liye shocking tha.

Suman, hum shayad Veer ke harem ki key Suman se hokar gujregi. Suman ek matra shakhsiyat hai jo Veer ke harem banane mein sabse badi support rahegi.
Suman is the harem maker :approve:
Ek idea aa raha hai ki Veer ke dil mein jo mahila ka sabse gehra relation hai, wo Ava, Keara, Suhana, Nidhi se bhi ho sakta hai. In sab ke liye Veer ke heart mein ek special place hai. Aur waise bhi, apart from sisters, Veer ke inse relations ke chances strong rahenge.

Second portion waqai intense aur surprising tha. Bhuchal aane ka phase start ho gaya.

Later half wala portion bahut fast progress kiya. Veer ko System Holder Summit ka invitation mil gaya. Lekin ye summit America mein hogi, mujhe laga Morocco mein jo setup chal raha tha MRX ka wahi rakha jayega.

Saath hi, agar MRX ke kahe words ke anusaar Veer ko waha system holder ki puri information milegi, to kya jiss cheez ka intezaar hum sab kar rahe hain, system ka raaz, wo MRX khud reveal karega?
Ye toh summit arc me hi pata chalega.
Mujhe nahi lagta MRX sab kuch easily bata dega. Kyuki raaz ka idea hona matlab uska baaki system holders se upper hand hona. Aise mein wo kyu apne loss mein hoga?

Ya to MRX apne nuclear program ko full force se jaldi launch karna chahta hai, issi liye wo saare system holders ko apni side chhune ko keh raha hai. Issi liye wo summit organize kara raha hai, taki apni alliance mein system holders ko manipulate kar le. "Duniya jeetne", "duniya par qabza jamane", aur "system holder supreme hain" aise vichar prakat kar wo system holders ko manipulate karna chahta hai.
Aur, aisa kyu lagta hai ki Mr. X duniyaa jeetna chaahta hai? :D

Just because wo main antagonist hai toh iska matlab wo duniya jeetna chaahta hai? :D
New York meeting ka timing 20th Feb diya gaya hai, iska matlab 6–7 updates baad Veer New York mein hona chahiye. Saath hi isse idea aaya ki Yarnia tabah hone ke 1½ month ka timeline story mein guzar chuka hai.

Raman dhananjay chapter closed :
Aisa laga tha ye chapter thoda lamba jayega. Mujhe laga shayad Kishore aur Raman fir mil sakte the, lekin Raman ki ek backstory hi thi.

Dhananjay Vandana ke story ko suljhane ka ye ek acha tareeka tha. Random baba ke chakkar mein Dhananjay padta to aur naye baba ka setup tayyar karna padta, bahut jhamela badh jaata.

Isse Trisha ki transfer problem bhi solve ho gayi. Ab normally Mumbai mein rehkar case solve kar sakti hai. Maybe Diswombler abhi gaya nahi, fir murder ho, aur uske investigation mein Trisha ka role ho, issi liye wapis Mumbai mein setup ho raha ho.

Bas ab dekhna hai kya Trisha ab bhi Slogan Murder Mystery ke piche hai ya nahi.
Aise hi kuchh cheezein tezi se aage badhengi.
Later half update ne story ki pace kaafi increase kar di. Kuch fronts kam se kam Veer ke band ho gaye, warna uske har taraf se problems thi.

Finally, GlobeRoy mein Veer ne bada jump liya. Erica usme shamil hai, kaam fast aur easy way mein hoga. Maybe Veer aaj ke world ki sabse important cheez, yani data, se GlobeRoy ko pachada dega.

Storage room ka access maang rahi thi Erica, maybe data se related, ya company se secrets ya data theft karna ho, ya koi virus put karna ho jisse GlobeRoy ki service kharab ho. Veer ka ek teer se do nishane, GlobeRoy ki image kharab, aur CEO Gaurav ke upar responsibility ka pressure. Yaha Gaurav aur GlobeRoy dono ka kaam tamam.
Globeroy nahi bhai.
Globerays. :declare:

Aane waale updates me dekhenge hum unka kya hota hai.
Agar ye kaam successful raha, to Niharika ka behavior Veer ke prati badal jayega.

Purvi aur Arun ka convo chhota tha, lekin cheezein develop karne ke liye important scene tha.

Casabella bhi picture mein aayega. Waha insult ke baad Veer ka pehla Casabella visit hoga. Aadesh to pakka shock hoga, lekin usse zyada shock ghar walon ko hoga, ki Veer fir Casabella me kadam rakhega. Maybe ghar me abhi tamasha hua to Veer shayad kisi member ko waha lekar nahi jaye, warna corporate gala me alag hungama mach jayega.

Overall as always update hamesha ki Tarah shandaar
Eagerly Waiting For More .

wese mera last 206 update review ke later half wala portion ka answer abhi nahi mila
Leave the page number for that man. Kyunki, itna peechhe jaane me dikkat hoti hai. Uss update ke baad ke bahut se replies maine nahi diye the.

I'm not feeling like going back now. :sweat:
Anyways, thanks a lot and keep supporting. ✨
 
  • Like
  • Love
Reactions: parkas and Avaran

Werewolf

𝕽𝖚𝖒𝖇𝖑𝖎𝖓𝖌
Supreme
18,365
114,433
259
Any update on next update or word count :eyes2:
Waiting eagerly
Abhi ye maan ke chalo ki...
4.3k words likhe hue hai. 3 scene likh chuka hu. 4th scene main hai. Toh, ise lagbhag aaj niptaunga hopefully. Aur, end scene kal. Toh, kal aa sakta hai update.
 

Meesa

Reader
35
132
33
Update - 61 ~ Mirror Gallery (1)
Ab tak...

Fuuuccckkk thisss shhitttt damnnn you fucking systemm....'

[Mujhe bhi tumhara secret pata chal gaya.]

'???'

[You are just like Suhana hehe~ Keep hitting the cushion.]

'Fuccccckkkkk youu pariiiii!!!!!!'


Ab aage...

Sunday | 2:32 PM
Outside xxxxxxxx hotel...

[She hasn't shown up.]

'She will!'

[Kuch zyaada hi confidence nahi hai tumhe?]

'Of course! Itna toh jaan hi gaya hu unko.'

[Well! Let's see~]

Aaj wo din aa chuka tha jiska Veer ko intezaar tha. Aaj shaam ko mirror gallery ka sheher me udhgaathan hone waala tha aur pehli 50 entries ekdum free thi logo ke liye. Naye saal me jese ye naya tohfa tha public ke liye.

Veer ko nahi pata tha waha kya hone waala tha par jese usne kuch apne mann me pehle se hi soch ke rakha hua tha.

Aur iss baar Pari ko usne apne mann ki baat padhne se mana kar ke rakha tha. Khaaskar Pari ki iss personality ko. Kyuki, Veer ki kuch sahi nahi jamti thi iss personality se. Dono ka hi jese 36 ka aakda rehta tha. Aur din-ba-din unke jhagde badhte hi jaa rahe the.

Aaj Veer ek simple white shirt with sleeves folded aur navy blue denim jeans daale ek hotel ke baahar khada hua tha. Aur wo intezaar kar raha tha Kaera ka. Yahi uska pick-up spot tha.

Ab wese toh mirror gallery ki entries shaam 7 baje se shuru hone waali thi par Veer shayad Kaera ke saath aur samay bitaana chaahta tha. Khud se vaada bhi jo kiya tha usne ki chaahe jo bhi ho jaaye, wo puraani Kaera ko waapas laa ke rahega.

Kaera ke khayalaato me wo dooba hi hua tha jab uske saamne ek luxurious car aake ruki aur uska door khula.

Andar se Kaera ek chamakti hui black dress me baahar aayi.


Kendall-Jenners-Hairstyles-Haircuts-for-2018-19

Wo behad kamaal ki lag rahi thi. Aur pichli baar ki tarah iss baar bhi uske chehre par mask tha.

Veer aur Kaera dono hi ek dusre ko dekh aage badh ke aapas me sameep aaye.

Veer (smiles) : Harr baar ki tarah, aap behad khubsoorat lag rahi ho.

Kaera : Am I? Thank you! You are looking handsome as well.

Veer : Mein? Haha~ Naah!

Kaera : I really mean it.

[Ab itna kya show off kar rahe ho. Yadi wo bol rahi hai toh kuch soch ke hi boli hogi na? Bhulo mat ki usne dherro tumse handsome handsome ladke dekhe honge. Uske baad bhi tum ho ki...]

'Yeah yeah!'

[Ek toh aadmi tareef kar raha hai aur fir tum...]

'Fuck! I get it. Okay? Chill!'

Veer : Umm... Well... Thanks!

Kaera : Then? Shall we?

Veer : Sure!

Aur fir dono hi Kaera aur Veer car me peeche ki orr jaake baith gaye. Iss baar bhi saamne ki do seats par Raghu aur Jassi hi baithe hue the.

Veer : Aapko thand nahi lag rahi? I mean shaam tak thand badh jaegi.

Kaera : Hmm? I have a blazer.

Kehte waqt Kaera ke hontho par ek ajeeb sii muskuraahat thi jo Veer na dekh saka. Kyuki Kaera ne mask jo pehna hua tha.

Veer : Okay!

Kaera : What about you? You only have a shirt.

Veer (smiles) : Ye kaafi hai mere liye.

Kaera : Okay! So? Kaha chal rahe hai hum?

Veer : Aapne Lunch kiya?

Kaera : No, I didn't.

Veer : Perfect! Then pehle hum lunch karenge.

Kaera : Okay! As you say! Kaha chalna hai fir?

'Haha~ Yadi Suhana mujhe harr baar ki tarah waha le jaati toh shayad waqai mein muh banaata. Par aaj Miss Kaera ke saath waha jaane ka jese khud mera mann kar raha hai.'

[Huh? Don't tell me you...]

'Oh! Yes! Yes! Haha~ I'm taking her there only.'

Veer : Aaj hum xxxxxxxx hotel chalenge. Aapko pata hai?

Kaera : Hmm? Actually! No! But I will try yadi tum kehte ho toh.

'She doesn't even knows it. Haha~'

[Umm... Well...]

Raghu ne Veer ki baat sunn gaadi ko seedha bataayi gayi hotel ke raaste mod diya. Wo jaanta tha hotel ke baare me. Kaera keval badi badi 5 stars hotels se hi familiar thi. Aur iss kaaran, usse Veer ki bataayi gayi hotel ke baare me koi jaankari nahi thi.

Fir bhi, Veer ki khatir wo jese aaj iss naye hotel me khaana try karna chaahti thi. Wo jaanti thi ki yadi Veer ne chuni hai ye hotel toh kuch khaas baat hi hogi.

Aur kuch derr ke antraal ke baad hi wo sabhi ek hotel ke baahar khade hue the.

Kaera : Hmm? Mene iss hotel me kabhi dine-in nahi kiya.

Veer (smiles) : Toh aaj mein aapko karwa dunga.

Kaera : Hmm~

Kaera, Veer aur Raghu-Jassi sabhi aage badhte hue hotel me pravesh kiye toh waha receptionist unhe dekhte hi samajh gayi thi ki party paise waali hai.

Kyuki sabhi acche kapde pehne hue the. Kaera ko hi dekh kar receptionist bhaanp gayi thi ki ye ladki koi aam ladki nahi thi.

Receptionist : H-How can I help you ma'am?

Kaera (frowns) : Hmm? Shouldn't you address him first?

Receptionist : Ah!??

Receptionist bechaari toh Kaera ko dekhte hi usse hi leader samajh baithi aur uss se hi puchne lagi. Par shayad ye baat Kaera ko zara bhi pasand nahi aayi thi.

Veer uske aage khada hua tha par uske bawajood uss receptionist ne Veer ko ignore kar uss se sawaal pucha. Bhala wo aisa kese bardaasht kar sakti thi? Aaj Veer hi yaha par usse laaya tha.

Kaera ke chidhe hue expression dekh ke bechaari receptionist darr gayi aur usne forun hi khud ke behaviour ko sahi kiya.

Receptionist : I-I am sorry Ma'am! I'm sorry Sir! Ahem! Sir? How can I help you?

Veer : A table for four please?

Kaera : Two! Only two, Veer! Raghu and Jassi toh alag baithenge. Hai na?

Raghu : Heinnnnn?

Jassi (Raghu ko kohni maarte hue) : J-Jii Miss bilkul!

Raghu : Ughh! J-Jii! Miss! Ahaha~ A-Alag baithenge hum log. Hahaha~ Koi dikkat nahi.

Aur Kaera ne unn dono ki baat sunte hi apne mask utaar diya. Jese hi uska chehra saamne aaya toh saamne khadi receptionist usse dekhte hi chillaa uthi.

Receptionist : Miss Kaeraaaaa!????

Kaera : Mm?

Receptionist : A-A-Aap?? Y-Ya-Yaha??? H-Hamari hotel me?

Kaera : Hmm? Can I not come here?

Receptionist : No No No No!!!! Haan! Nooo! I mean Haan! Shit! Kya bole jaa rahi hu mein. M-Mera matlab, you are always welcome. A-Always!

Kaera : Ohh! Thank you!

Receptionist : P-Please! Aaiye na!

[She has a huge fan following.]

'Yeah!'

Aur wo receptionist khud aage badh ke Kaera aur baaki sabhi ko right side ki entrance me le gayi.

Ye VIP logo ke liye hi thi.

Veer keval mand mand muskura raha tha. Wo yaha Kaera ko keval ek hi purpose se laaya tha. Aur jese usse agle hi pal wo nazar aa gaya jiski wo talaash me tha.

Ya yu kahe ki wo log nazar aa gaye.

Shweta aur Bhumika.

Jii haan! Veer aaj Kaera ko unki hi hotel me laaya hua tha.

Dono Maa beti VIP guests se baat kar rahi thi jab receptionist ne unhe awaaz laga ke apni orr bulaaya.

Aur entrance pe jaise hi Shweta aur Bhumika ne dekha ki kaun aaya hai. Pehle toh unke chehre par thoda confusion nazar aaya, fir jese aashcharya, fir ekdum khushi se chehra bhar gaya par uske baad hi unki bauhe sikud gayi.

Kaaran? Kaaran tha ki unhone pehle Kaera ko dekha, usse pehchaante hi dono hi Maa Beti khushi se jhoomne lagi mann hi mann. Par fir unki nazre bagal me gayi, jidhar ek jaana maana chehra nazar aaya unhe.

Veer!

Aur bas, usse dekhte hi dono hi prashno se ulajh gayi aur duwidha me doob gayi.

Unke mann me yahi chal raha tha ki Veer yaha kya kar raha tha? Wo bhi Kaera jaisi hasti ke saath? Maano sawaalo se sarr chakraane laga tha unka.

Dono hi aage badh ke unn ke nazdeek aayi.

Shweta : It's such a pleasure to have Miss Kaera in our tiny hotel. Please welcome!

Harr baar ki tarah bhi iss baar bhi wesa hi hua. Shweta ne Veer ko hawa ki tarah hi treat kiya.

Par shayad uski beti ke iraade kuch aur hi the.

Bhumika : Welcome! Miss Kaera! Welcome, Veer!

Veer ka naam apni beti ke muh se sunte hi Shweta ekdum achraj me apni beti ko dekhi ki jese puch rahi ho akhir tumhaara dimaag sahi toh hai na?

Kaera : Hmm? You know her?

Kaera ne Veer ko dekhte hue pucha.

Veer (smiles) : Yes!

Kaera : Ohh! Are you guys related?

Bhumika : I-I... I am his step sister.

Bhumika ne akhir iss baar jawaab de hi diya. Jaha wo pehle khud ko Veer se sambandhit hone par nakaar deti thi. Aaj wahi khud se upat ke bata rahi thi ki wo Veer ki step sister thi.

Par Shweta ko apni beti ke aaj ke haav bhaav kuch raas nahi aa rahe the. Wo chhup chhup ke Bhumika ko aankh dikha rahi thi. Bhumika fir bhi bina kuch kahe apne mann ki hi karti rahi.

Kaera : Ohh! Step sister. I see! Anyways, Veer come.

Kaera Bhumika aur Shweta ko chorr Veer ko table ki taraf le gayi.

Wahi Raghu aur Jassi thodi dur kisi aur table par jaa ke baith gaye.

Shweta Bhumika ko leke side me aayi aur usse hairaani se dekhte hue boli.

Shweta : Ye sab kya tha? Tum kab se Veer se baatein karne lagi Bhumi?

Bhumika : I... Miss Kaera aayi hai hamari hotel me. Toh bhala mein unse jhooth kese bolu? Aur jhooth bolna sahi bhi toh nahi Maa.

Shweta : Arre toh ye bataane ki zaroorat kya tha ki Veer tumhara bhai hai. Bas keh deti ki hum jaante hai ek dusre ko. Baat khatam!

Bhumika : Aap bhul rahi hai ki Miss Kaera Veer ke saath aayi hai yaha. Matlab wo Veer ko acche se jaanti hai.

Shweta : Wahi toh meri samajh nahi aa raha ki ye Veer bhala Kaera ke contact me kese aaya? Kismat toh dekho uski. Anyways, mein ek client se milne jaa rahi hu. Tum yaha dekhna sab sahi rahe. Okay?

Bhumika : Hmm!

Aur Shweta jaldbaazi me nikal gayi.

Wahi Veer aur Kaera apne apne lunch me lage hue the.

Veer : Kesa hai? Khaana?

Kaera : Not the best but bura bhi nahi hai. It's good! I like it. A little bit oily.

Veer (smiles) : By the way, thanks for coming. Mujhe nahi laga tha aap aaogi.

Kaera : Umm... Yadi aur koi din hota toh waqai aana thoda mushqil hota. It's Sunday today. So, I postponed my Sunday's work.

Veer : Huh? Sunday work se aapka kya matlab hai? Sunday bhi work karti ho aap?

Kaera : Yes! Every day! Including sundays.

Kaera ki baat se Veer shocked tha. Harr din kaam karna toh jese naamumkin tha. Uske bawajood Kaera ne itni asaani se jawaab de diya. Aur dukhad baat toh ye thi ki Kaera ko ye sab normal lag raha tha. Veer chup chaap Kaera ko dekh raha tha jo apne khaane me busy thi. Sach kaha jaaye toh iss waqt Veer ko Kaera par bada hi taras aa raha tha. Iss ladki ke paas sab kuch tha bhi aur nahi bhi.

Koi dekh ke kahega ki ye itni sundar sii ladki roz kaam karti hai? Kisi robot ki tarah? Bilkul nahi!

Veer : Mein puchne wala tha aapse par bhul gaya tha. Aap toh Delhi me thi na? Toh aap yaha kyu aayi? Mumbai me?

Kaera (khuspusaate hue) : I came for you.

Veer : Hmm? Mujhe kuch sunaayi nahi diya.

Kaera : I... I had some work. That's why...

Veer : Okay!

'I think I can check her now. Right?'

[Yes! Of course!]

'Alright then. Check!!!'

[Name : Kaera

Age : 26

Bio : Kaera, Kishor ki eklauti beti hai. xxxxxx company me as a CEO work karti hai, jo ki uske hi pita ki company hai aur worldwide famous hai. Aaye din wo iss country se uss country travel karti rehti hai. Company ki backbone Kaera hi hai. She's like a queen who knows how to rule. She's well versed in languages, literature, business, fashion styling, etc. Kaera ko phool behad pasand hai. Inn sab ke bawajood, there's a part of her which is lost somewhere. Kuch emotions hai jinhe wo mehsoos nahi kar paati theek se. Jald se jald yadi iska upaay nahi nikaala gaya toh Kaera ko iss daldal se nikaalna boht mushqil ho jaega.

Favourability : 48
Relationship : Good Friends.]

Kaera ka status padhne ke baad Veer ke muh se bas yahi nikla tha.

Veer : Wow!!

Kaera : Hmm?

Veer : No! Nothing!

Veer bechara status dekh ke hi blown ho chuka tha. Jaha Kaera itni talented thi, wahi dusri orr uske saath kuch gadbad bhi thi. Jiska samadhaan Veer ko jald se jald nikaalna tha, warna dikkat ho jaane wali thi.

Kaera : I know now.

Veer : Hmm?

Kaera : You told me some things that day. Right? Uss raat. When we were in club. Remember?

Veer : Ah... That...

Kaera : Tumne kaha tha ki... Jitna iss zindagi se dosti karna chaahoge, ye utna hi dur bhaagti hai. Kuch logo ke paas kaabiliyat hoti hai toh wo apni zindagi badal lete hai. Kuch ke paas kaabiliyat hoti hai par halaat unhe apni zindagi na badalne par majboor kar dete hai. Aur jinke paas kaabiliyat nahi hoti wo bas kismat ke liye baithe rehte hai. Ki kisi na kisi din unki kismat chamkegi.

'Did I say that? Mein kab se itni philosophy bhari baatein karne laga?'

[Tumne hi kaha tha, you idiot.]

'Shut up Pari! Fine! I remember now.'

[Hmph~]

Veer : Jii! Toh?

Kaera : I think I know now. Ki kyu mujhe wo relatable laga tha. Kyuki I'm the same Veer.

Veer : ??

Kaera : I'm the same. Kuch logo ke paas kaabiliyat hoti hai par halaat unhe zindagi na badalne par majboor kar dete hai. Ye mein hi toh hu na Veer? Look! I'm... I'm skilled. But uske bawajood... I don't know what's life? Why do people live like this? Pyaar karna, shaadi karna, kids and then earn karna aur fir iss world se chale jaana. What's the meaning behind it?

Veer : Toh aapke hisaab se kya karna chahiye?

Kaera : I... I don't know. But kya yahi hai? Is this life? I don't understand. Aise me toh I have Money, I have Power, par uske baad bhi... Why do I feel incomplete?

Veer (smiles) : You need to find love. Family love too.

Kaera : Love? What is it?

Veer : Jab aap dil se kisi ke liye care karo aur uske bina na reh sako. Then that means ki aap uss vyakti se pyaar karne lage ho.

Kaera : Hmm? Okay! Toh how can I find this love?

Veer : Umm... Ye toh aapko khud karna hoga. You can date someone.

Kaera : Hmm? No! Mujhe proposals aate hai on a regular basis. But I don't like any of them. So, I don't date.

Veer : Umm... Then, intezaar kariye. Koi na koi aapko wo khushiyan dene zaroor aaega.

[Aur wo mein hi rahunga hahaha~]

'Shut up! Tumhe lagta hai she will fall for me? Kaha wo... Aur kaha mein... It's impossible.'

[Tum bhul rahe ho ki tumhaare paas mein hu.]

'Ohh! Are you hitting on me? Haha~'

[W-Wh-What!? Y-You! That's... N-Nooo! Hmph! Stupid.]

Pal bhar ke liye Veer ko aisa laga jese Pari sharma rahi thi.

'Hey? Are you blushing? Don't tell me...'

[Ah?? W-Wh-What? N-No wayyyyy! Stupid! Idiot! I hate you! G-Go to hell. Hmph~]

'Hey!! Chill!!'

Kaera : Okay! I'll see. I don't understand much though.

'Inhe samjhaana boht mushqil hone waala hai.'

Kaera (mann me) : Koi aisa jiski mujhe parvaah ho? Hmm...

Veer ka lesson kuch khaas toh nahi tha par Kaera ke dimaag me kam se kam ek baat toh baith gayi thi. Yahi ki usse apna pyaar khojna padega.

Dekhte hi dekhte, aaj ka lunch ka samay bhi beet gaya aur shaam hote hi Veer aur Kaera Mirror gallery ke sthaan par pohuch chuke the.

Ground tha basically, jisme poora set-up kiya gaya tha.

Bilkul wese hi jese aksar sheher me circus ke tents laga karte the.

Bada sa hoarding bhi laga hua tha, kayi saare banners jo invite karne aur advertisements ke liye lagaaye gaye the.

Aur toh aur dekhte hi dekhte itni saari bheed jama hone lagi thi ki lag raha tha aaj ka ye silsila derr raat tak chalega.

Kaera : Too much crowd.

Veer : Well! Bheed toh hai. Kya aapne pehle kabhi mirror gallery dekhi hai?

Kaera : No!

Veer (surprised) : Waqai? Mujhe laga aapne toh dekhi hi hogi. Kyuki ye foreign me rehta hi hai. Aur aap toh foreign jaati rehti ho na. So I thought...

Kaera : Nahi! I haven't seen it.

Veer (smiles) : Aaj aapke saare first timers karwa raha hu mein.

[Sex bhi first timer karwa diya tha. Hahahaha~]

'Fuck you!!!!'

[Hahahaha~]

Kaera : I guess so.

Ye sabhi baatein kar rahe the jab announcement hua aur line lagna shuru ho gayi.

Andar jaane ke liye ek baar me do se zyaada entries allowed nahi thi. Ya toh akele jaiye ya toh kisi ek jan ke saath. Luckily, Veer aur Kaera do hi the. Aur Raghu aur Jassi bhi.

Veer line ke second last me khada hua tha Kaera ke saath aur Raghu aur Jassi theek uske peeche.

Wahi last the. Unke baad dusri line alag se bann rahi thi par tabhi waha ka jo sab kuch manage kar raha tha wo aaya aur usne announcement kiya.

"Dekhiye! Bas! Ab iske baad aaj ke liye aur koi entries nahi hoengi. Yahi 50 entries bhar jaengi. Paid waali entries kal se shuru kii jaengi. Maafi chaahta hu. Dhanyavaad!"

Aur uske itna kehte hi, logo ki gaaliya shuru ho gayi. Jo apna samay nikaal ke aaye the, unka maatha thanka aur wo manager se waha gaali galoch karne lage. Par jese tese ye maamla nipta toh thodi shaanti hui.

Dheere dheere line aage badhti jaa rahi thi. Aur Kaera bas curious sii nigaaho se sab kuch dekh rahi thi. Aas paas ke log usse hi taad rahe the. Kyuki, aam public me wo kisi model ki tarah lag rahi thi waha.

Yadi Kaera kile peeche do bade bade bodyguards na khade hote toh pakke se ek aad aadmi ne aa kar line zaroor maari hoti usse.

Kaera : It's taking too long.

Veer : Wo isliye, kyuki ek baar me ek ya do hi log enter kar sakte hai aur jab tak wo baahar nahi nikal jaate tab tak baaki log enter nahi kar sakte.

Kaera : Strange!

Veer : Yeah!

Kuch samay ke baad jese hi Veer aur Kaera ka number aaya toh Veer andar jaane se pehle bas ek baar palta aur Jassi ko dekh dheere se bola,
"Jese hi call du, andar aa jaana."

Aur itna bol Veer aage badh gaya.

Par Jassi jo wahi khada hua tha, wo ye sunte hi wahi jamm gaya. Aur jese hi usse samajh me aaya,

Jassi : Raghu! Support ke liye call karo. Abhi!

Raghu : Huh? Kya hua?

Jassi : Jesa keh raha hu wesa karo. Sawaal mat pucho.

Raghu : Ek minute! Iska matlab...??

Raghu kuch sochte hi aage badhne ke liye hua toh Jassi ne usse pakad kar wahi rok liya.

Raghu : Jassi?

Jassi : Usne kaha hai... Call karu toh andar aa jaana. Abhi mein jo keh raha hu wo karo.

Raghu : O-Okay!!

Idhar Veer jese hi Kaera ke saath andar jaane ke liye entrance par aaya. Usne bagal me baithe ek ladke ko dekha.

Aur usse dekhte hi Veer ne usse check kiya. Check karte hi, Veer ki aankhein felti chali gayi.

Ladka : Jaiye andar!

Andar jese hi Veer aur Kaera aaye. Peeche ka gate band ho gaya.

Aur andar, ek lamba corridor tha jaha aage jaake ek mod tha right me. Par poore corridor ke agal bagal bas sheeshe hi sheeshe lage hue the.

Poori zameen par ek laal carpet bicha hua tha aur lights bhi keval laal rang ki madhham madhham jal rahi thi.

Maano jese Mirror gallery me nahi, kisi horror gallery me aa gaye ho.

Kaera ne apna perr aage badhaaya badhne ke liye par tabhi uski kalaayi peeche se kisi ne pakad lii.

Peeche mud usne dekha toh paaya ki Veer tha. Par...

Par Veer ke chehre par koi bhaav nahi the. Uske muh se bas ek hi vaakya nikla aur wo bhi itni gambheer awaaz me ki Kaera kuch bol hi na paayi.

Veer : Stay with me!

Kaera ki naazuk sii kalaayi Veer ke mazboot haath ki giraft me thi.

Kyuki Veer jaanta tha. Wo sahi tha.

Idhar aane se kuch din pehle hi...

Jis din usne apna dhandha shuru kiya tha. Uss din hi Mirror gallery ka advertisement karne ke liye truck nikla tha.

Pehle toh Veer ne usse aisa hi samjha tha par uss raat usne truck ko check bhi kiya tha. Aur check karte hi usse uss raat ye jaan'ne ko mila tha.

[Mirro Gallery Advertising Truck.

Bio : Fake announcement by the Buyer. Mirror gallery currently is not being held by the owner.]

Ye padhte hi Veer ko ek jhatka laga tha. Owner hi jab ye nahi karwa raha hai toh kaun karwa raha hai ye?

Aur uske baad hi uss din hi usse kuch aur bhi dekhne ko mila tha. Kyuki truck ke nikal jaane ke baad hi...

*Ding*

[Mission : Take Kaera to Mirror Gallery.

Reward : ??? Points.
Mission Failure Penalty : 1000 Points Deduction.]

Yahi toh kaaran tha. Ki aaj Veer yaha Kaera ke saath tha. Aur usse jese abhaas tha ki kuch gadbad thi.

Aur usse ye bhi abhaas ho gaya tha ki shayad inn sab ke peeche uss aadmi ka haath tha.

Slogan!!!!

Keval itna hi nahi, yaha aane se pehle hi veer ki baat subah Suhana se bhi hui thi.

Veer : Aaj mein free nahi rahunga. Maybe shayad kayi din nahi rahu.

Suhana : Ohh accha! Ab jab free hoke mein aur Sonu tumhaare paas aana chaah rahe hai toh nakhre toh dekho zara. Itne bade aadmi nahi bann gaye tum abhi Veer ki mujhe mana kar sako. Samajh gaye.

Veer : It's not that... Baat kuch aur hai.

Suhana : Ohh accha!? Kya baat hai bhala?

Veer : SLOGAN!

*Silence*

Suhana : H-Huh??

Veer : Shaam ko yadi meri taraf se speed dial aaye. Then samajh jaana I need help. Police! I'll leave them to you. Aur yadi koi aur madad kar sako toh wo bhi... See ya!

*Call ends*

Suhana : What? Wait! H-Hello??? V-Veer??

'Damn it! Call cut kar diya. Damn you!!! That idiot fucker...'

Wo gusse me aate hi bagal me rakhe Teddy ko peetne lagi.

'What does he think he's doing? Paagal hai kya? Idiot!!! Damn him! He'll get killed. Slogan? Isse pata bhi hai kaun hai wo? This fucker... Ugh!!!'

Subah Veer yahi keh ke aaj apne iss mission par nikla tha. Aur yahi kaaran tha ki wo points ikhatta karne ki bharpoor koshish kar raha tha.

Sadly, uske 200 points barbaad ho chuke the. Aur bache hue 100 points wo stats me laga sakta tha par... Wo unhe quest ke liye bacha ke rakha hua tha.

Aur abhi abhi andar aane se pehle bhi...

Veer ne jese hi uss ladke ko check kiya toh usse ye dekhne ko mila tha.

[Name : Bhavesh

Age : 28
Bio : Just a local resident. Today working as a fake employee. Paise ki tangi hai.

Favourability : 0
Relationship : Strangers]

'Fake employee' shabd padhte hi Veer ka shaq yakeen me badal chuka tha.

Kaera ka haath thaame wo peeche hi tha uske. Ekdum nazdeek.

Kaera ki kuch samajh me nahi aaya. Par usne Veer ko apna haath pakde rehne diya.

Wo ek kadam chalti, rukti aur bagal me lage sheesho me apni chhavi dekhti.

Alag alag prakaar ke sheeshe the. Kuch me unki chhavi lambi dikhaayi deti toh kuch me choti. Kuch me wo mote prateet hote toh kuch me patle.

Kaera ne apna mask nikaal Veer ko thama diya jo usne apne jeb me rakh liya.

Aur kaafi samay baad wo muskuraayi.

Mirror par haule se haath ferr wo usme apni chhavi ko dekh rahi thi.

Kaera (smiles) : We look thin in this one.

Par bechara Veer iss waqt mirror gallery me least interested tha. Uska poora ka poora dhyaan aas paas ke vatavaran me tha. Uski nazre baaj ki tarah jese koi harqat pakadne ko dhund rahi thi.

Aur tabhi...

Achanak se hi harr jagah dhua dhua sa hone laga.

Aur Veer ki pakad Kaera ki kalaayi par aur mazboot ho gayi.

Usne Kaera ko aur bhi apne sameep kheench liya.

*Ssssssssss*

Ki awaaz se waha dhua hi dhua bharta jaa raha tha.

'Check!'

[Smoke.
Bio : Just the normal smoke, emitting from smoke machine.]

'It's not poisonous.'

Smoke toh poisonous nahi thi. Par jese Veer ko kisi aur baat ki tension lene ki zaroorat thi.

Kyuki tabhi uss smoke me hi neeche zameen ke side kuch harqat hoti hui nazar aayi. Maano jese kayi saare perr chalte hue aa rahe the.

Aur ye dekhte hi uske shareer ke baal khade ho gaye.

Kaera ko usne forun hi apne peeche kiya aur uske saamne uski shield bann ke khada ho gaya.

[Be prepared! Kuch gadbad hai. I think they are people.]

'Let them come...!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Don't forget to like and comment your thoughts.

And sorry for the wait. Thoda baahar aaya hua hu.
🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥🔥
Well written story
 
  • Like
Reactions: Werewolf
Top