- 16,277
- 109,739
- 259
Last edited:
Click anywhere to continue browsing...
Bhai ap hi bata do ki ek update me kitane story line chal raha hai. Aatish ki story line. Nidhi ki story line. Vivek aur pranjal. Suhana. Veer ki stepmother aur stepsister. Veer ki real mom aur sister jiska nam pata nahi. Aur club wali ladki. main Veer ki story line. Har update me 2 se 3 story line chal rahi hoti hai. Na ki koi ek story line focus hoti hai. Jis se bada update bhi adhura lagta. mujhe har update adhura lagta hai kyunki.
Uska ek hi resone hai. Ek sath 2 se 3 story line chalna. Wo bhi adhe adhura.
Pahile 10 se update sirf veer pe focus the isliye update pure lagte the. Par abhi ke nahi lagte.
Hey akkuI can understand Veer's condition, he was lonely since childhood and family's rude behavior towards him, he became friend for the first time and also left his side, it hurts, now everyone is with him and especially Pari who will Don't let him give up, so hopefully everything will be alright soon.
Well may Nidhi mam's love be the support of his strength and loneliness.I feel relieved to see Vivek upset
Pranjal and Vivek made a new plan, now let's see what ruckus these people create.
It's good you explained, I don't remember anythingI have come to see a wonderful romantic scene, hope my wish will come true soon.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
Nice update bhai waiting for next updateUpdate - 36 ~ Despair and LoveAb tak...
[This update contains some gore scenes. Beware!]
Ladkhadaate hue Veer bina kuch kahe aage badha aur button dabaayi toh darwaaza khul gaya.
Par...
Andar aate hi usse ek behad hi bhaiyankar darr ki anubhooti hui. Jese maano uski maut aane waali ho. Usse nahi pata tha ki agla padaav uske liye kya kuch laane waala tha. Kya wo waqai Golu ko bacha paega!?
Ab aage...
"Haaah haaah haaaahhhhh..."
[Master! Calm down! Saas araam araam se lijiye. Aap jitna zorr zorr se saas lenge, utna hi panic karenge aur fir behosh ho sakte ho aap.]
Lift se nikalne ke baad Veer ki haalat sahi toh kahi se bhi nahi thi. Fluothane ka concentration bhale hi kam tha. Par shareer ke andar jaate hi uske kuch na kuch side effects toh hone hi the.
Pari ki baat maan jab usne apni aniyantrit saaso ko control kiya toh kuch pal baad usse thoda sahi mehsoos hua.
Wo already ek naye kamre me aa chuka tha. Ye kamra andar se harr jagah safed rang se puta hua tha. Kamra kehna galat hoga. Balki ek behad bada hall type ka tha. Par...
Par ek hi baat thi jo boht hi zyaada ajeeb sii lag rahi thi iss waqt. Yaha tak ki Veer khud confusion me khada hua tha.
Wo ye ki...
Upar ceiling se dherr saari rassiyaa latak rahi thi. Matlab itni zyaada tadaad thi unki ki aisa lag raha tha maano rassiya nahi balki jangal me ped se latak rahi bel ho.
Aur harr ek rassi, dusri rassi se baraabar ke gap me lagi hui thi. Saath hi saath upar ceiling me chaukor khand bane hue the jinke beecho beech ek ek rassiya lagi hui thi.
'Ye sab... kya hai!?'
[Dusri paheli master! Shayad inni rassiyo se aapko kuch karna hai!?]
Aur Pari ke bol jese sahi saabit ho gaye.
Kyuki uske baad hi Aatish ki awaaz intercom se ek baar fir aayi aur Veer ke kaano me padi,
"Ab tum soch rahe hoge ki bhala ye sab kya hai? Kya bala hai ye!? Toh bataata hu... Ye saari jo rassiya dekh rahe ho, inme se kuch aisi hai jinhe kheechne se kuch nahi hoga. Par inhi me se kuch aisi hai, jinhe kheechne par kuch na kuch hoga. Ab tumhe inhi saari rassiyo me se ek rassi aisi dhundni hai jisse kheechne se wo waha diwaar me laga case khul jaaye."
Aatish ki baat sunn Veer ki nazar bagal me gayi jaha deewaar par ek kaale colour ka case laga hua tha.
"Uske khulte hi tumhe firse ek badi sii wahi gol laal button milegi, jisse daba kar tumhara iss kamre ka lock khul jaega. Simple hai. Hai na!? Toh fir shuru ho jaayo."
Aatish iss waqt jidhar bhi baitha hua tha, wo cameras se Veer ko dekh paa raha tha. Aur iss waqt uski awaaz sunn ke hi ye pata lagaaya jaa sakta tha ki wo kitna khush tha.
[Master!]
'Hmm?'
[Mujhe kuch gadbad lag rahi hai. Lift me gas leakage tha. Par yaha toh sab kuch normal lag raha hai. Aur mein nahi maanti ki ye itna simple hai.]
'Tumne thik kaha Pari... Par mujhe pata hai mujhe kya karna hai.'
[Hmm?]
'Check!!!!'
Veer ne ek ek kar ke ceiling par lagi unn chaukor khando ke beech, harr ek rassi ko check kiya. Aur ye karne ke baad jo results usse mile, usse jaankar hi uska dimaag hil gaya.
Kuch khando ke upar aisi aisi cheeze dali hui thi ki unke baare me sawaal uthna swabhaavik tha.
Kuch khando ke upar badi badi dherr saari eete dali hui thi. Kuch ke upar lohe ki rods. Toh wahi kuch me tezaab dala hua tha.
Jese hi Veer ko inn cheezo ke baare me pata chala uska badan sihar utha, ye soch ke ki yadi uske paas aaj ye Check function na hota aur yadi usne inme se kisi bhi ek rassi ko kheencha hota toh uska kya hota?
Maut!
Yahi jawaab tha bas.
Rassi kheechte hi upar ka chaukor khand palatne ke liye banaaya gaya tha. Zaahir sii baat thi, ki jese hi chaukor palatata, upar rakha jo bhi samaan hota wo seedha aake neeche maujood vyakti par girta.
Aaj Veer teen cheezo se bach gaya tha. Eete, rods aur savse khatarnak cheez ~ Tezaab.
Soch ke hi Veer ke raungte khade ho gaye the...
Tezaab jesi cheez ban hoti hai aur aam aadmi ke paas toh bilkul hi nahi rehti. Na jaane Aatish ne kaha se mangwaaya hoga. Par ye bhi baat thi...
Ki Aatish bhi koi aam aadmi thodi tha.
Aatish bhale hi khush tha abhi. Par iss round me baazi Veer ne maar lii thi.
Apne Check function ke kaaran usne sab kuch pehle hi pata laga liya tha.
Ab keval Veer ko acting karni thi.
Usne aage badh pehli rassi kheechi, aur ceiling ka wo chaukor hissa palat gaya.
Par...
Andar se kuch na nikla.
Aise hi usne kuch rassiya kheenchi jinme se kuch khaali thi toh kuch me eete neeche giri par unke girne se pehle hi Veer peeche hatt gaya. Kyuki usse pehle hi pata tha ki unn sab me kya tha.
Tezaab waali ek bhi rassi Veer ne nahi kheechi. Ye boht risky tha aur Veer risk nahi lena chaahta tha.
Veer ne inn rassiyo ko isliye kheecha tha taaki Aatish ko koi shaq na ho. Yadi wo pehli hi baar me sahi rassi chun leta toh ye suspicious maamla bann jaata. Bas Isliye usne dhong kiya aur aise hi kuch ek do rassiya kheechne laga.
Ant me usne wahi rassi kheechi jiske chalte wo kala case side me khula aur andar ek laal button usse nazar aayi.
Button dabaate hi darwaaza khul gaya aur room se baahar nikal usse dusri lift bhi nazar aa gayi.
Jiske zariye wo second floor par pohuch gaya.
'That was too easy... Golu... Chinta mat karna... Mein aa raha hu... Bas thodi derr aur...'
Veer iss samay thoda asmanjas me bhi tha. Kyuki kuch derr pehle jo Aatish itna zorr zorr se thahaake le raha tha, wo ekdum se shaant sa pad gaya tha.
'Shayad usse nahi laga tha ki mein uska dusra round clear kar paunga itni easily.'
[Haha~ Usse kya pata ki aap akele nahi ho. Ye Pari bhi aapke saath hai.]
***
Jab Veer second floor par pohucha. Toh intercom se firse Aatish ki awaaz aayi,
"Maan'na padega Veer. Waqai! Tumhari kismat ke kya kehne. Par pata hai!?... Mein tumhaari issi kismat ko sabak sikhaunga abhi. Bas dekhte jao. Uss Ragini ko jese mene toda tha... Wese hi tumhe todunga Veeeeerrr.... Tumhara jab wo darra hua chehra dekhunga naaaa... Jisme ek pal bhi jaan na bachi hooo.... Jisne jeene ki iccha chorr dii hooo... Wahi... Bas wahi dekhna chaahta hu mein... Aaahhh! Tabhi... Tabhi mujhe chenn milega..."
Uski awaaz achanak hi itni badh gayi ki intercom se sound frequency zyaada hone ke kaaran Veer ko apne kaano me haath lagaana pad gaya.
Next room me enter karte hi...
Usse apne perr pe ek ajeeb sa sensation hua.
Par iske pehle ki wo nazre neeche kar dekh paata...
Achaanak hi wo itni speed me khichta chala gaya ki uski kuch samajh me hi nahi aaya. Uska perr, rassi ke ek phande me phass chuka tha. Aur wo rassi jese kisi pulling machine se bandhi hui thi. Ki Veer ka perr jese hi usme aaya aur machine ne usse kheenchna shuru kar diya.
Iss waqt Veer hawa me ulta latka hua tha. Uska ek perr rassi me bandha hua tha aur wo daaye baaye jhul raha tha. Aur uske neeche...
Paani ka boht bada tank rakha hua tha.
"Daaaaaamnnnn ittttt!!!"
Aatish : Veeeeeerrrr!! Ab tumhe pata chalega ki kya hota hai mujhse ulajhna.
Next second hi...
Achanak hi wo rassi neeche aayi aur...
*Splaaaaaashhhhh*
Veer ko poora ka poora uss paani se bhare tank me dubo dii.
"Blurrrrghhhhhh...grrrhhhh" Paani ke bulbule Veer ke muh se chooth rahe the aur wo kisi machli ki tarah chhatpata raha tha, jab wo paani ke baahar aa jaati hai.
[Master!!!? Hold your breath. Paani andar mat lijiye.]
Kamar tak Veer andar hi tha aur fir rassi upar hui aur Veer paani ke baahar nikal aaya. Wo tezz tezz haaf raha tha, khaas raha tha, theek se saas lene ki koshish kar raha tha.
Uska poora shareer kamar se le kar sarr tak paani se geela ho chuka tha.
Aatish : Veer! Mein chaahta toh tumhe kab ka khatam kar sakta tha. Par bhala... Usme maza hi kaha? Jo maza torture karne me hai. Wo maza kisi cheez me nahi. Hahahaha~
Na jaane kitni hi baar Veer ko yu paani me duboya gaya hoga. Par Veer...
Kuch nahi bola...
Uski aankho me bas krodh ke bhaav the. Ekdum laal aankhein jo badla lene ke liye tadap rahi thi.
Wo taiyaar tha. Chaahe jitna bhi torture kyu na kar liya jaaye usse. Ek na ek din wo iss Aatish ko apne khud ke haatho se saza dega. Usne ye nirnay kar liya tha.
Par achanak hi jis baat ki Veer ko bilkul bhi umeeed nahi thi wo hua uske saath.
Achanak hi usse neeche kiya gaya.
Ab wo aisi position par tha ki wo apna ek haath neeche container par tika sakta tha.
Aur issi ka istemaal kar usne apne jeb se knife nikaali aur khud ko upar kar jitne cuts rassi me maar sakta tha utne maare...
Nateeja...
Wo kuch palo me hi free tha.
"Jao... Tum mere test pass hue Veer. Jao... Intezaar kiska hai? Wo laal button dabao aur darwaaza khol lift me jao. Third floor pe hi tumhara dost hai Veer. Jao..."
Bhale hi Aatish ke shabd positive the. Par the toh Aatish ke muh se nikle shabd...
Itni asaani se kese vishwaash kar leta Veer!?
Usne savdhaani barat'te hue wo button dabaayi, jiske chalte darwaaza khul gaya.
Aur Lift ka istemaal kar wo third floor pe bhi pohuch gaya. Koi bhi takleef ya koi bhi trap nahi mila usse.
Sab kuch ekdum shaant tha. Kahi koi gadbad nazar nahi usse.
Ab bas iss darwaaze ke khulte hi usse Golu nazar aa jaega.
Ek aas liye... Veer apne mann me hi khush hone laga. Bhale hi uski jaan inn traps me jaate jaate bachi thi. Par...
Par aaj wo unn traps ko paar kar Golu ke paas pohuch chuka tha.
Aur Golu ko jald se jald churraane ke liye jese hi Veer ne gate khol ke saamne ka nazaara dekha...
Toh...
Wo apne aap apne ghutno par aa gira...
Saamne ka nazaara dekh uski rooh kaanp gayi.
"N-No...!"
Usne apne kaanpte hue hontho se budbudaaya...
Akhir aisa kya tha jo usse nazar aa gaya tha! Raaste me toh usse koi gadbadi mehsoos nahi hui thi. Fir aisa kya tha...!?
Par saamne ka nazaara hi aisa tha ki Veer ne apni zindagi me iss se zyaada khaufnaak drishya nahi dekha tha.
Uski nazre ek hi jagah par tiki hui thi. Wo jese apni palke jhapakna bhul gaya tha. Bhaiyankar khaufnaak, darrawna aur rooh hila dene waala manzar maujood tha uske saamne.
Kyuki...
Saamne...
Ek sheeshe ka bada sa aquarium tha. Aur andar usme ek magar terr raha tha.
Par... Baat sirf yahi nahi thi.
Jis paani me wo terr raha tha...
Wo...
Ekdum laal hota jaa raha tha. Aur...
Veer ne dekha ki...
Magar ke hi paas me...
Kuch paani me terr raha tha.
Aur wo dekh Veer ki nazre darr ke maare felti chali gayi.
Kyuki...
Wo kuch aur nahi... Balki... Ek insaan ka haath tha.
Jiski twacha ke chithde udd paani me hi terr rahe the aur bhayanak laal rang paani me ghulta jaa raha tha. Wo kya tha... Iss baat ka andaaza lagaana bilkul bhi mushqil nahi tha.
Khoon!
Insaan ka khoon...
"Noooo... Nooooo...."
Uska badan boht tezz kampan maar raha tha.
Harr ek ang darr ke maare hil raha tha. Aur uske badan me harr jagah roye khade ho chuke the. Aisa khaufnaak nazaara pehle kabhi nahi dekha tha Veer ne apni life me.
Aur jese ek awaaz ne uska darr saatve aasmaan par pohucha diya...
*Ding*
['Mission : Get to Golu as fast as possible and save him.' has been failed.]
[Mission Fail Penalty : 100 points Deduction.]
[90 points have been deducted. 10 remaining.]
Ye jhatka jese kam tha tha jab agle hi pal Aatish ki baat sunn Veer ka darr yakeen me badal gaya,
"Hahahahaha~ Sahi soch rahe ho Veeeeeerrrr... Ekdum sahi... Yahi hai tumhara Golu... Arre yahi hai... Jo ab nahi raha hahahaha~ Dekh rahe ho? Laal rang ... Aaahh! Adhbhut! Apni shaqal dekho Veer... Yahi... Yahi toh mein dekhna chaahta tha.."
Veer ki aankho se aasu apne aap nikal rahe the. Wo jese kisi sadme me jaa chuka tha par sabse bada sadma jese usse abhi lagna baaki tha.
"Veeeeeerrrrr!!! Hahahahaha~ Tumhe pata hai? Tumne hi usse maara hai Veer... Tumne... Mene nahi... Tumne apne hi dost ka qatl kar diya Veeeerrr... Haan tumne hi..."
Veer : !!?
Aatish : Mene kaha tha na Veer... Mein tumhari kismat ko bhi sabak sikhaunga... Aur tumhe bhi andar se todunga ... Tumhe pata hai Veer...!? Wo dekho... Tank me tumhe teen gate dikh rahe hai!?
Aatish ki excited sii awaaz sunn Veer ki lifeless sii nazre apne aap hi tank ke uss hisse par chali gayi...
Aur waqai...
Waha usse teen bade gates nazar aaye jo tank ke hi andar maujood the.
Aatish : Wo saare gates band the Veer... Wo saare band the. Aur tumhara dost ek taraf tha aur gates ke uss taraf mera paaltu Magarmacch 'Clutch'.
Veer : ???
Aatish : Tumne apne dost ki jaan leli Veer. Jab jab tum uss Laal button ko daba rahe the... Tab tab yaha tank me maujood andar ke ye gates khul rahe the. Tumhe laga tha... Ki tum apne dost ko bacha rahe ho... Par Veeeeeerrrr... Tum unhi haatho se apne dost ko maut ke muh me dhakel rahe the. Tum apni khud ki jaan bachaane ke liye, uss laal button ko jab jab daba ke aage badh rahe the. Tab tab tumhe nahi pata tha... Ki tum apne dost ko maarte jaa rahe the Veeeeerrrrr... Hahahahaha~ Haan! Yahiiii.... Yahiii chehra mujhe dekhna tha Veeeerrrr....
Maano jese ek bomb sa foota Veer ke sarr aur uski saari sochne samajhne ki shakti gaayab ho gayi ye sunn ne ke baad...
Veer : ....
Aatish : Dekhoooo.... Dekhooo Veeeerrrr! Kese... Kese tumhare dost ke shareer ke tukde paani me terr rahe hai. Kese chithde udaa ke rakh diya mere paaltu magar ne... Khooon hi khooon hai Veerrrr... Aur ye sab... Tumne apne haatho se kiya Veeer... Tumne... Hahahaha~ Tumne hi apne dost ko maar diya... Mene toh kuch na kiya Veer. Tumne hi uski jaan leli...
Veer ka dimaag jese kaam karna band kar chuka tha. Uska haal iss waqt shabdo me bataane laayak nahi tha. Uska chehra safed pad gaya tha. Aankhein aisi jese maano unme jaan hi nahi thi. Ab na toh usse kuch sunaayi de raha tha aur na hi kuch feel ho raha tha.
Jis Golu ne uski do baar jaan bachaayi thi. Aaj ussi Golu ki jaan Veer ne apne haatho se leli. Bhala kese nikal paata wo iss glaani se? Inn feelings ke liye glaani bhi ek chota shabd tha.
Veer yaha ye soch raha tha ki... Wo apne pehle mitr, Golu ko bacha raha tha. Wo ye soch raha tha ki harr pal wo usse bachaane me kaamyaab ho raha hai. Par... Par aisa bilkul bhi na tha.
Wo toh ulta apne ussi dost ko maar raha tha. Aisi dardnaak maut insaan kabhi kisi ko na de. Jo manzar Veer ne dekha tha. Wo bataane me bhi kaho uske raungte khade ho jaaye. Fir wo toh khud experience kar raha tha. Na jaane wo iss waqt kinn bhaavo se guzar raha tha. Ye shock itna bada tha ki bechari Pari bhi ekdum shaant pad chuki thi. Usse bilkul bhi aisi umeed nahi thi.
Toh wo sab neeche gubbaare!? Kisi ke maut ke jashn ke liye the!? Veer ne buttons check nahi kii thi. Kyuki unn buttons ko dabaane se darwaaza khul jaa raha tha. Par usse kya pata tha...
Ki jin buttons ko wo daba raha tha wo saath hi saath tank me maujood gates se bhi connected thi. Akhir sahi hi toh kaha tha Aatish ne. Ek prakaar se Veer hi toh Golu ka hatyaara tha?
Aatish : Ab hamaare mehmaan ki bhi khaatir daari kari jaaye...
Veer ghutno ke bal baithe saamne abhi tak tank me ho rahi halchal ko dekh raha tha. Wo insaan ki taang jiske maans ke na jaane kitne tukde paani me idhar se udhar ho rahe the, wo haath...
Ye wahi haath tha... Jo Golu ne usse dosti ke liye aage badhaaya tha!?
Kuch bhaag aise the... Jo pehchaan me tak nahi aa rahe the.
Poora tank... Lahu luhaan ho chuka tha ekdum.
Aur ye sab dekh... Achanak hi Veer ko ubkaayi sii aayi... Aur uske muh se ulti behna shuru ho gayi.
Par jese Aatish ko ye manzoor nahi tha. Kyuki agle hi pal, Veer ke ird gird 8 se 10 log ikhatta ho gaye aur fir...
Usse itna maara gaya ki adhmari haalat me chorr diya.
Veer toh pehle hi sadme me jaa chuka tha. Usne ek baar bhi apne aap ko defend karne ki koshish na kii. Saare hamle wo tab tak sehta gaya jab tak ki wo behosh na ho gaya.
Ek dost mila tha usse...
Aur Veer ne apne hi haatho se uski hi jaan leli.
Aadmi 1 : Bhau! Ye behosh ho gaya hai. Kya karna hai? Isse maar de?
Aatish : Na Na Na Na! Maar denge toh maza hi kya? Wese ab mera kaam iss se nahi hai. Wo toh bas kuch dino se Jalsa me koi manoranjan nahi hua tha. Aur Veer ki badkismati thi ki wo mere plan ke beech me aa gaya. Nateeja... Saamne hai. Maut se acchi saza hoti hai logo ko tadpa ke unhe zinda rakhna.
Aadmi 1 : Bhau fir?
Aatish : Aksar hum bas yahi dhaarna leke chalte hai ki... Kuch log bure hote hai kuch log acche... Kyu hai na?
Aadmi 2 : J-Jii bhau!
Aatish : Veer ki nazro me mein bura tha kyuki mein uske raaste me aaya. Par yahi baat mein bhi toh keh sakta hu? Meri nazar me Veer bura tha kyuki wo merer raaste me aaya!? Insaan bura ya accha nahi hota kabhi bhi samjhe?
Aadmi 1 : Samjhe Bhau!
Aatish : Harr aadmi apni paristhiti ke hisaab se act karta hai. Ab harr aadmi ke apne apne tareeqe ho sakte hai. Veer ki kismat kharaab thi, jo wo mere raaste ke beech aaya. Ab na keval mene uski kismat ka sach usse bata diya balki usse andar se poora tod diya hai. Zindagi bhar ab wo glaani ki Zindagi jiyega... Hamesha uske mann me yahi rahega ki wahi apne dost ka hatyaara hai. Jao ab... Isse iske ghar ke baahar hi fek aao... Ab ye kisi laayak nahi raha. Aur ab hamaara raasta saaf hai.
Itna bol Aatish camera control room se baahar nikal gaya...
Par... Uska chehre par bade hi gusse ke bhaav the. Aur asantushti ke bhi.
***
Poora ek din guzar chuka tha iss ghatna ke baad.
Shaam ka waqt tha aur mand mand hawaaein chal rahi thi.
Nidhi ke ghar iss waqt Nidhi Juhi ke sang baith usse padhaane me lagi hui thi.
Toh wahi Shreya aaj shaam ka evening snack bana rahi thi.
"Ye meri cooking itni buri kyu hai? Aarghh! Kya likha hai?? Vegetables ko kaat ke saute karo?? Hmm! Lo bhai daal diye vegetables..."
Aaj usne josh josh me Juhi ko bol diya tha ki wo aaj noodles banaegi... Aur bas... Shaam hote hi Juhi uske peeche pad gayi. Ab bola hai toh karna toh tha hi kaam...
Isliye mohatarma lagi hui thi, sabhi ke liye Noodles banaane me.
Aur baahar baithi Nidhi Juhi ko pyaar se samjhaate hue padha rahi thi.
Tabhi Achanak hi uska phone baj utha...
Jab Nidhi ne caller name dekha toh wo wahi sthir sii pad gayi aur screen pe naam dekh wo bas wahi dekhti reh gayi.
'Veer!?'
Veer ka call aa raha tha.
'Iss waqt!? Aakhir ab kese usse meri yaad aa gayi? Uss din mandir me toh... Yu naraaz hoke chala gaya tha? Kabhi mujhse baat nahi karta... Fir kyu? Halaki Diwali par usne hi mujhe message kiya tha... Fir bhi...'
Ant me wo call utha leti hai.
Nidhi : Ab kese yaad aa gayi tumhe Veer apni iss madam kii?
Par dusri taraf se koi awaaz na aayi...
Nidhi : ???
Voice : Umm... Wo... Actually... Mein Veer bhaiya ki choti behan bol rahi Ma'am. I'm Kavya.
Nidhi : Aahhh!?
Kavya : J-Jii!
Nidhi (blushes) : Ohh no no! K-Kavya? Haan! Veer ne mujhe bataya tha beta aapke baare me. K-Kaho na? Kya baat ho gayi?
Kavya : Baat boht hi serious hai Ma'am.
Nidhi (frowns) : Kya hua?
Kavya : Mujhe aapse kuch puchna hai? Kya aap aur Veer bhaiya ke beech accha relationship hai?
Nidhi (blushes) : Ehhhhh?? W-Whaat??
Kavya : Hmm! I mean... Ek accha relationship hai na aap dono ke beech?
Nidhi : Y-Ye!? Tum kya puch rahi ho...!?
Tabhi Kavya ki ruwaasi sii awaaz Nidhi ke kaano me padi,
Kavya : Darasal... Kal bhaiya kahi gaye the raat me... Aur... Kal raat me wo... Itni buri haalat me ghar ke baahar mile the. Harr jagah *sniff* chot hi chot thi... Yaha sabhi *sniff* itna pareshan hai... Doctor ko bhi dikhaaya... Wo toh medicine deke chale gaye. Par... Par bhaiya kisi se baat hi nahi kar rahe hai. *sniff* Na jaane kya ho gaya hai unhe. Bas apne room me sarr jhukaaye baithe huye hai. Na khaana khaa rahe aur na kuch... *sniff*
Nidhi : H-Huh???
Kavya : Mene aapko isliye phone kiya hai, kyuki Veer bhaiya ko jab ghar se nikaala gaya tha tab wo aapke hi saath ruke huye the. Toh mujhe laga aapke aur unke beech aachhi khaasi understanding hogi. Shayad aapki baat maan jaaye wo? *sniff* Isliye mene aapko call kiya hai. K-Kya aap yaha aa sakti hai? Please? I-I beg you...
Jab poori baat ka Nidhi ko pata chala toh na jaane kyu par usse ekdum se bechaini sii hone lagi.
Ghabraahat bhi.
Nidhi : M-Mein abhi aati hu.
Aur usne bina koi samay waste kiye, seedha Veer ke ghar ki orr prasthaan kiya.
Juhi ko wo Shreya ki hi nigraani me chorr aayi.
Aur jese hi Veer ke ghar pohuch wo Veer ke kamre me daakhil hui.
Veer ki haalat dekh uski rooh kaanp gayi. Darwaaze ki dehleez pe hi uske kadam tham gaye. Aur ek atyant hi peeda aur ajeeb sa dard uske dil me hua Veer ko uss haalat me dekh.
Nidhi : V-Veeeer!??
Veer : ??
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Pasand aaye toh like kar diyo re.![]()
Supper updatesUpdate - 37 ~ Consolation and SchemesAb tak...
Veer ki haalat dekh uski rooh kaanp gayi. Darwaaze ki dehleez pe hi uske kadam tham gaye. Aur ek atyant hi peeda aur ajeeb sa dard uske dil me hua Veer ko uss haalat me dekh.
Nidhi : V-Veeeer!??
Veer : ??
Ab aage...
Kal jo kuch bhi khaufnauk haadsa hua tha, uss haadse ke baad se zaahir sii baat thi ki Veer ki haalat iss waqt shabdo me baya karne waali nahi thi.
Wo andar se aur saath hi saath baahar se bhi toota hua tha. Na keval Aatish ne usse andar se toda tha balki uske gundo ne milke, Veer pe haath saaf karne ki bhi koi kasar nahi chorri thi.
Usse jese ek behad bada jhatka sa laga tha. Apne kamre me zameen par paav sikode aur apna sarr jhukaaye baithe hue tha wo. Beech beech me Veer ka shareer kaanp uthata aur wo apne kaanpte hue haath khol unhe dekh khud se hi baat karne lagta...
'I-I killed him... Mene... Mene usse... Mene inhi haatho se G-Golu ko... Mene maar diya... Pari!?? Mene... I killed him Pari... I... *sniff* I killed him.'
[Master! Please! I beg you! Isme aap ki koi galti nahi thi Master. Hume nahi pata tha ki hum jab jab aage badh rahe the, hum Golu ko maar rahe the. Ye sab anjaane me hua Master. Isme saari galti uss aadmi ki hai. He set that trap. M-Master... Please! Khud ko sambhaaliye... Golu ki death ka badla aap ko hi lena hai master. Aap aise haar nahi maan sakte. Wo aadmi yahi chaahta hai master. Usne Ragini ke saath bhi wahi kiya tha na... Dekha nahi aapne? Waha se aane ke baad hi uske aur Vivek ke beech kitni badi daraar aa gayi hai? Master... Aapko hi kuch karna hoga.]
'Pari... Pari... Golu ko mene maar diya Pari... Mene apne hi haatho se... Usne meri jaan do baar bachaayi thi. Aur jaha mujhe usse bachaana chahiye tha. Waha... Waha mene ulta inhi haatho se usse maar diya.'
[Master! No! You didn't! Aapne nahi maara hai Golu ko master. Uss aadmi ne maara hai. Aap toh ye soch ke aage badh rahe the ki hum Golu ko bachaane ke liye uske nazdeek pohuch rahe hai. Par hume kuch nahi pata tha Master.]
'Sab meri galti hai... Sab... Mene kisi ka khoon kar diya Pari... Mene... I'm a murderer now... *sniff* Mein hi doshi hu... Saara ka saara dosh mera hai. Haan! Tum... Tum sab mujhe akela chorr do... Mein... Mein akela hi thik tha. Chali jao Pari tum bhi... I'm really a loser now. Ek dost ko nahi bacha saka mein... Ulta uski hi jaan le liya. Pari... Jao... Mein kuch nahi hu Pari. Tumhe iss shareer me sab bekaar hi milega Pari... *sniff*'
[Master! Please aisa mat kahiye. You are the best master. Aur, I cannot leave your body. Mein aapki body chorr kar jau, iske keval do hi raaste hai. Aur wo dono boht hi extreme hai. Aur mein kabhi aapse alag nahi houngi. Please! Master! Meri baat samajhne ki koshish kariye.]
'No... Pari... I...'
Veer ki maansik haalat itni kharaab thi ki wo Pari ki baat samajhne ka prayaas hi nahi kar paa raha tha. Jo jhatka usse laga tha, wo kahi hadd tak usse andar se hila ke rakha hua tha.
Pari ki harr baat ko wo ignore kar khud ko dosh diye jaa raha tha, jab achanak hi uske kaano me ek awaaz padi...
"V-Veer!?"
'??'
Aur ye awaaz sunte hi Veer ne apna sarr haule se uthaaya.
Uske saamne Nidhi chintit sa chehra liye darwaaze ki dehleez pe khadi hui thi. Aur itna hi nahi, Nidhi ke peeche hi Kavya aur Arohi bhi khadi hui thi.
Dheere dheere...
Nidhi apne kadam badhaate hue aage aayi. Uske perro me bandhi payal ki awaaz Veer bhali bhaati sunn paa raha tha.
Wo uske sameep aake jhuki aur usse dekhne lagi.
Nidhi Veer ki vartmaan haalat dekh ke hi ghabraayi sii hui thi. Aankho me halke halke aasu the, wo laal ho rakhi thi, aur unhi aankho ke neeche kaalapan. Jo ye batla raha tha ki Veer soya nahi hai raat bhar.
'Ye!? Ye kya haalat ho rakhi hai Veer ki!?'
Nidhi mann me soch aage badh Veer ke chehre par apne haath le gayi aur bade hi haule se usne Veer ke gaalo se unn aasuo ko pocha.
"Ma'am!?"
Uske thar tharaate hue hontho se jab wo shabd nikle toh Nidhi ne uski hatheli apne haatho me bheench lii.
Nidhi : Ye... Ye sab kya haal bana rakha hai Veer!?
Par Veer kuch na bola. Uski aankho se aasu nirantar behte chale jaa rahe the, jo Nidhi apne haatho se pochti jaa rahi thi.
'Kahi...!? Kahi Veer ke gharwaalo ne toh kuch nahi kiya uske saath!?'
Ye soch Nidhi ki nazre Kavya aur Arohi ki taraf gayi aur usne thoda gusse se unn dono ko dekha.
Par jab usse laga ki Kavya ne hi toh usse yaha call karke bulaaya tha aur saath hi saath dono behno ke chehre par jab usse chinta nazar aayi toh Nidhi ne ye khayaal forun hi apne mann se nikaal diya.
Nidhi : Veer!? Mein tumse kuch puch rahi hu. Jawaab do meri baat ka. Ye sab kya hai? Kya hua hai?
Par Veer abhi bhi kuch nahi bol raha tha. Yaha se Nidhi ki awaaz, toh andar se Pari ki awaaz aur fir uske khud ke antar mann ki awaaz jo usse doshi thehra rahi thi. Inn sab ke chalte wo bas ek jagah bina kisi hosh ke besudh sa dekhe jaa raha tha.
Nidhi : Tum Kavya ho na!?
Kavya : Huh? J-Jii!
Nidhi : Kal aisa kya hua tha? Jo Veer ki haalat aisi ho gayi hai? Batao mujhe... Jaldi...
Nidhi ke chehre par chinta dekh, Kavya thodi hairaan thi. Par ek baat usse clear ho chuki thi. Wo ye ki usne Nidhi ko yaha bula ke ekdum sahi decision liya tha.
Kavya : Wo... Ma'am... Mein aapko poori baat bataati hu. Darasal... Diwali ki night me mein aur Arohi dii yaha par aa rahe the. Tab raaste me hi kuch gunde hamaare peeche pad gaye the. Mene Veer bhaiya ko call karke bulaaya tha aur unhone hi hume bachaaya tha. Par uss din unn logo ne Veer bhaiya ko kaafi chotil kar diya tha.
Nidhi : Kyaaa?
Kavya : Hmm! Aur fir kal... Achanak hi bhaiya bole ki unhe kuch kaam hai aur raat me hi kareeb 7:30 baje ghar se nikal gaye. Par... *sniff* Par...
Bolte bolte Kavya yu rone lagi toh uski baat ko Arohi ne poora kiya.
Arohi : Par raat me hi... Kal Veer hume ghar ke baahar mila. Veer ko boht chot aayi hui thi. Abhi bhi uske badan par chot ke nishaan hai. Doctor ne treatment kiya aur medicine deke chala gaya tha wo. Par uske baad se... Veer na toh kuch khaa raha hai, na kisi se baat kar raha hai aur kuch bata bhi nahi raha hai. Meri kuch samajh me nahi aa raha hai ma'am. Wo log kaun the!? Aur kyu hamaare peeche pade hue the? Aur Veer kaha gaya tha kal jo uski ye haalat ho gayi? Yadi aap kuch hal nikaal sakti hai toh please...
[Master! Look! Nidhi ko aapki kitni chinta hai. Please! Listen to her.]
Nidhi : Veer! Meri taraf dekho... Kidhar gaye the tum kal!? Batao! Mein kuch puch rahi hu tumse Veer! Meri baato ko yu ansuna kar doge!? Mein tumhaari Ma'am hu na!? Bolo!?
Wo usse thoda sa hilaate hue puchi par...
Veer toh jese kisi murde ki tarah ho chuka tha. Koi harqat nahi kar raha tha.
[No! No! No! This is bad... Master ka emotional state itna unstable kese...!? Yadi aisa hi chalta raha toh master pakka depression me chale jaenge. Nooooo! Mujhe kuch karna hoga...]
Aur agle hi pal...
[Maaaaaassssteeeeeeerrrrrrrrr!]
'Huhhhh!?'
Pari uske andar itni zorr se chillaayi jiske chalte Veer ko kuch hosh aaya.
[Wo aadmi ab aapki Nidhi Ma'am ko maarega.]
Ye sunte hi Veer ki aankhein felti chali gayi!
'Huh!? M-Ma'am?? N-Nooo...'
[Yes! Even Shreya ko... Aapki Kavya ko... Arohi too... Ragini ko... Sabko maarega wo.]
'N-Nahi... Aisa nahi...'
[Of course! Aur kabhi aapne zara bhi fikar kii!?]
'???'
[Ki yadi aapki Juhi ko kuch hua toh!?]
Juhi ka naam sunte hi Veer ke raungte khade ho gaye. Uss pyaari sii bacchi ka khilkhilaata chehra uske mann me aaya. Yadi usse galti se bhi kuch hua...
Ye sochte hi Veer itna darr gaya ki uska badan kaanpne laga.
[Of course! He will kill them all. Kyuki aap toh yaha haath pe haath dharre baithe rahoge. Uske liye kaam asaan ho jaega. Yahi toh chaahta hai woh...]
'N-Nahiiiii... Aisa... Aisa kabhi nahi...'
[Bilkul hoga. Yadi aapne jald hi action nahi liya toh aisa hi hoga. Kabhi socha hai!? Ki yadi uss raat Kavya ya Arohi me se koi bhi pakdi jaati toh kya haal hota unka!? Fir aap... Apni hi behan ke hatyaare ho jaate Master. Aapki ek behan ki jaan jaati, ya dono ki hi jaa sakti thi.]
Ye baat jese kisi bhaari patthar ki tarah aake Veer ke upar giri. Aur uska poora astitv jese hila kar rakh diya.
[Aapki ye Nidhi Ma'am! Kabhi socha hai ki wo aadmi yadi inke peeche pad jaaye toh!?]
Pari ki baat sunn Veer ne Nidhi ko dekha jo usse hi chintit nazro se dekh rahi thi.
[You will lose her. You will lose everything. She will die.]
'N-Nahiiiiiiii'
[Bilkul! Yahi hoega! Aap sab kuch kho doge. Kaha gayi aapki wo pride? Kaha gaya aapke andar ka wo josh? Kya yu hi haar maan jaoge aap? Bhool gaye apna lakshya!? Aapko toh ek boht bada aadmi bann'na hai na? Kya hoga uss vaade ka jo aapne Juhi ko diya tha? Uske liye chocolate ki poori factory kholne waale the na aap?
Kya Nidhi jii ko uss Rajat ke changul se nahi nikaalenge aap? Bhool gaye ki abhi aapko apni saalo se bichdi Maa ko bhi dhundna hai? Kaha gaye wo saare vaade jo aapne mujh se kiye the? Kya wo sab dhong tha?
Yadi aise hi rahe aap... Toh sab kuch gawa baithoge Master. Nidhi, Shreya, Kavya... Ye sab aapke saamne maari jaengi aur aap kuch nahi kar paoge.]
'N-Nooooooo... I don't want to lose her... I don't want to lose anyone... Mein kisi ko bhi nahi khona chaahta... Nooooo... I really don't...'
Aur agle hi pal Veer ne aage badh Nidhi ko apni baaho me bhar liya.
"Aahhh!? Veeerrr!?"
Nidhi iss hamle se thodi hairaan zaroor thi par jab usse Veer ka kaampta hua badan mehsoos hua aur jab usse apne nagn kandhe par Veer ke aasuo ka ehsaas hua toh Nidhi kuch na boli aur uske haath apne aap hi Veer ke ird gird lapit gaye. Usne uske sarr ke peeche haath le jaa usse thaama aur apne se laga liga. Dheere dheere wo Veer ki peeth sehlaate hue usse shaant karne lagi.
Idhar Kavya aur Arohi dono hi hairat ke maare ye sab dekh rahi thi. Par kahi na kahi unhe iss baat se zyaada khushi thi ki Veer at least ab kuch movements toh show kar raha tha.
[Phew! Master ka dil boht kamzor hai. Unki family ne unke saath itna bura behave kiya hai... Aaarghhh! I hate them all. Hmm? Nidhi ki favourability 56? That's good! Kavya ki...!? 78!! Ohh! And Arohi?? Huh??? 40!?? Wow! This is surprising. Master ko baad me bata dungi mein.]
'Mein... Mein unhe khona nahi chaahta... I will kill him... Mein... Kuch nahi hone dunga kisi ko... I... I...'
"Haaaahhhh haaahhhh haaahhh..."
Aur achanak hi Veer ki saasein itni tezz ho gayi ki waha maujood sabhi ladkiya ghabra gayi.
Nidhi : Veer??? Ye... Ye kya ho raha hai...!? Kya hua tumhe?
Wo lambi lambi saasein le raha tha aur achanak hi usne apna seena zorr se haatho se bheech liya.
"Haaaaahh... Haaahhh"
Kavya : Bhaaaaiyaaaaaa
Kavya chillaayi toh Arohi bina samay gawaaye bhaagte hue neeche gayi aur Ragini ko bula kar laayi.
Ragini samet Suman aur baaki sabhi bhaagti hui aayi aur Veer ki haalat dekh Ragini ne koi galti nahi kii aur seedhe hi doctor ko phone laga diya.
Doctor ka ghar paas me hi tha aur uska clinic bhi uske ghar se bagal me tha toh woh forun hi kuch minutes me aa gaya.
***
Kuch derr baad...
Veer bistar par laita hua tha, uski aankhein band thi aur shirt ki saari buttons khuli thi jiske chalte uska saara seena nazar aa raha tha. Shayad doctor ne abhi check up kiya tha.
Ragini : K...Kya hua tha doctor Veer ko?
Doctor : He was hyperventilating.
Kavya : Huh???
Doctor : Samjhaata hu... Emotional stress ya emotional breakdown, anxiety ki wajah se kabhi kabhi aadmi panic kar jaata hai aur lambi lambi saasein lene lagta hai aur isse hum hyperventilation kehte hai.
Kavya : ??
Doctor : Insaan oxygen ko andar leta hai aur carbon dioxide ko baahar chorrta hai right?
Kavya : Hmm!
Doctor : Hyperventilation ke samay... Aap jitna oxygen andar nahi lete ho uss se zyaada carbon dioxide ko baahar chorrne lagte ho, jiske chalte carbon dioxide ki maatra body me kam ho jaati hai aur ye situation create ho jaati hai.
Kavya : Ahhh!
Nidhi : Toh... Toh thik toh hai na Veer!?
Doctor : Jii haa! Bas thoda araam ki zaroorat hai. Inhe rest karne dijiye... Accha! Ragini jii! Ab mein chalta hu. Yadi fir se koi dikkat samajh aati hai toh aap call kar lijiyega.
Ragini : J-Jii! Thank you so much doctor!
Doctor : Ye toh hamaara kaam hai Ragini jii!
Aur itna bol doctor fees leke waha se nikal gaya.
Idhar Veer ki khuli shirt dekh, Kavya aage badh unn buttons ko band karne hi waali thi jab usse apne bagal me achanak hi ek hawa ka jhoka mehsoos hua.
'Huhhh!?'
Dekha toh paaya ki...
Arohi uske bagal se nikal aage badhi aur Veer ke paas jaa pohuchi.
Apne haatho ko aage badha ke wo Veer ki shirt ki buttons dheere dheere band karne lagi.
Kabhi bauhe sikode wo Veer ke chehre ko dekhti toh kabhi uske seene ko jinpar halke halke choto ke nishaan the.
Na jaane kya chal raha tha uske mann me.
Kavya ne jab ye dekha toh uske kadam wahi tham gaye. Par...
Hontho par agle hi pal ek santushti bhari muskaan bhi aa chuki thi.
***
Ek bade se ghar me iss waqt ek kamre me ek aadmi idhar se udhar tehel raha tha aur kisi uljhan me nazar aa raha tha.
Toh wahi uske peeche ek sofe pe ek aur naujavaan ladka baitha hua tha.
Aur ye tehelne waala vyakti koi aur nahi, Vivek hi tha. Saath hi saath sofe par baitha yuvak uska chota bhai ~ Pranjal tha.
Pranjal : Aise tehelne se kuch nahi hoga bhaiya.
Vivek : Toh kya karuuuu?? Huh?? Ragini... Ek number ki murkh aurat hai... Idhar apne pati ka saath chorr ke udhar ghar me reh rahi hai. Saala company me na jaane kya kya afwaaye fela rahe hai employees. Ki bhaag gayi hogi, utha ke le gaya koi, talaak ho gaya... Fuck! Aur upar se wo saala Veer bhi wahi hai. Kya soch ke Ragini ne usse apne ghar me rakh liya? Dimaag kharab ho gaya hai kya uska?
Pranjal : Dekha jaaye toh isme aapki bhi thodi galti thi bhaiya. Ladkiya boht hi sensitive hoti hai. Aapne jo baat kahi thi uske chalte Bhabhi boht zyaada naraaz hai aapse jo ki bani baat hai. Aapko unhe behla fusla kar manaana hoga tab hi kuch hoga.
Vivek : Sab kar chuka hu chote. Yaha tak ki mom dad ko bhi leke gaya tha. Par saala wo sunn'ne ko hi taiyaar nahi hai. Upar se pata nahi kaun sii saheli ko bulaayi hai jo uske ghar me dera jama ke baithi hui hai. Ek baar me usne mom dad aur meri bolti band kar dii thi waha...
Pranjal : Hmm?? Ohh! Thoda samay dijiye fir bhabhi ko. Par harr ek do din me unse baat karte rehna. Unhe jataiye ki aapka unke bagerr mann nahi lagta. Dekhna, wo jald hi maan jaengi.
Vivek : Hmm! Wese... Kuch socha? Property ke baare me!?
Pranjal : Aapki baat Tai jii se hui thi na?
Vivek : Hmm! Haan! Unhe property Bhumika ke liye chaahiye haha~
Pranjal (smiles) : Bada hi mast plan bana ke unhe apne side liya tha humne hai na? Veer ko ghar se baahar nikalwaane me akhir unhone bhi samay samay par apna yogdaan dete hue hamaari madad kii thi. Aur humne unhe property ka kuch hissa dene ka waada kiya tha. Toh? Doge aap? Unhe property?
Vivek (smiles) : Hahaha~ pagal hai kya? Dene ke liye thodi hi ye plan kiya hu. Ek rupaya bhi na milne wala unhe. Wo toh upar se sauteli maa hai Veer ki. Bhala jab Veer ko kuch na mila toh hamaare rehte hue ye sauteli Tai aur unki beti ko kaha se kuch milega?
Pranjal : Hmm! Par yadi unhone ye raaz khol diya ki Veer ko baahar nikalwaane me hamaara haath hai toh?
Vivek (smiles) : Toh? Toh kya... Unka muh kese band karwaana hai uska bhi ilaaj hai mere paas... Hahaha~
Pranjal : Waah! Wese... Dada jii ke baare me kuch socha hai? Kyuki jab wo raazi honge tabhi toh property hume milegi bhaiya. Aur unhone toh keh ke rakha hai ki jab tak Veer nahi aa jaata tab tak wo koi faisla nahi lenge.
Vivek : Bas! Ussi ki toh tension hai chote. Kuch samajh nahi aa raha.
Pranjal : Wese... Mere paas ek idea hai. Yadi aap suno toh...
Vivek : Kesa idea?
Pranjal : Idhar aaiye...
Vivek ko apne paas bula ke Pranjal ne dheere se apne kuch bol rakhe, jisse sunn ke Vivek ekdum se hadbada ke uth gaya.
Vivek : Ch-Chote!?? Ye... Ye?? Tu? Ye boht zyaada nahi ho gaya?
Pranjal : Sach me? Yahi baat aapne mujhe tab bhi kahi thi jab hum Veer ko nikalwa rahe the. Kahiye! Kya tab zyaada hua tha? Kya kisi ko pata chala? Nahi na!? Fir?
Vivek : Fir bhi chote...
Pranjal : Isme jitna aap soch rahe ho utna risk nahi hai. Haa thoda maamla gambheer rahega but solution issi se niklega aap dekhna...
Vivek : Hmm! Theek hai fir... Yadi yahi sahi hai toh... Yaad rakhna... Koi gadbad nahi...
Pranjal : Bilkul! Isme mujhe aapki madad lagegi.
Vivek : Hmm!
***
Washington, United States...
Ek bade si 5 stat hotel me iss waqt ek shandaar luxury room me bistar par ek behad hi sundar ladki so rahi thi.
Kuch aahat paate hi uski bauhe sikudi aur agle hi pal wo neend se baahar aa gayi.
Palke jhapkaate hue wo uthi. Keval ek bra aur neeche panty pehni hui thi woh.
Usne jab gaur kiya ki toh dekha side me Dressing table ke paas ek red haired beauty khadi hui thi. Aur dressing ko jama rahi thi.
Ladki : Hmm? Julia?
Uss ladki ne pukaara toh wo laal baalo waali aurat forun hi palti aur usse dekhi...
Ye thi Julia. Bistar par laiti hui ladki ki head maid. Bole toh saari maids ki head.
Russian beauty thi woh. Uske laal baal bade hi acche se ek bun me bandhe hue the. Aur uska aakarshan hi dekhne laayak tha.
Julia : Miss! You are awake!? (Miss! Uth gayi aap?)
Ladki : Yeah!
Aage badh wo dressing ke paas aayi toh Julia ne forun hi uske shareer ko dhakne ke liye ek nighty nikaal aur usse peeche se pehnaane lagi.
Ladki : Julia?
Julia : Yes Miss!?
Ladki : What is life?
Julia : Miss! You are asking me this question for the 12th time. (Miss! Ye prashn aap mujhse baarvi baar puch rahi hai.)
Ladki : Just answer me Julia.
Julia (sighs) : People are born miss. It's a journey. During this journey, they make friends, establish relationships, they laugh, they love, they cry and this goes on. They make kids to teach them how to live and then again this goes on. One day, we die and everything we earned remains here only.
(Logo ka janm hota hai miss! Ye ek safar hai. Aur iss safar me, log dost banaate hai, rishte banaate hai, wo hasste hai, pyaar karte hai, rote hai aur yahi chalta jaata hai. Wo apni santaane karte hai aur unhe sikhaate hai ki zindagi kese jeete hai aur fir wahi chalta jaata hai. Ek din, hum marr jaate hai aur humne jo kuch bhi kamaaya wo yahi reh jaata hai.)
Ladki : ....
Julia : Was my answer to your satisfaction? (Kya mera jawaab aapke liye santushti janak tha?)
Ladki : No! I still don't understand.
Julia (sighs) : Sorry! Miss!
Ladki : No! It's okay! Prepare the tea. I'll take a bath.
Julia : As you wish Miss!
Aue wo ladki itna bol nahaane chali gayi. Aur Julia keval usse jaata hua dekhti rahi.
'Poor Miss! If only I could help her...'
***
Mumbai...
Outer area me sthit ek building ki top floor par ek aadmi kursi par baitha hua tha.
Ki tabhi uska phone baj utha...
Aadmi : Hello?
Voice : Kese ho Aatish mere sher!?
Jii haa! Ye Aatish hi tha. Aur phone ke dusre taraf se aa rahi awaaz sunn wo agle pal hi uth ke khada ho gaya.
Aatish : D-Dada aap!?
Voice : Hmm! Suno... Mene ye bataane ke liye phone kiya hai, ki ab tumhe uss ladki ke peecha karne ki koi zaroorat nahi hai. Mein already India aane waala hu aur wese bhi... Wo mera shikaar hai. Mene toh keval tumhe thode din maza karne ke liye ye kaam de diya tha haha~
Aatish : Ohh! Jesa aap kahe Dada!
Voice : Toh? Tumhaari aadat gayi ya nahi? Ya abhi bhi logo ke vishwaash todne me lage ho?
Aatish : Hahaha~ aap toh jaante hi ho... Yahi mera sukoon hai. Waqai! Abhi kuch dino se maza kaafi aa raha hai.
Voice : Hmm! Chalo! Accha rakhta hu. Meri flight ka time ho raha hai.
Aatish : Okay Dada!
*Call ends*
Aatish muskuraate hue apni hat aur hockey stick uthaaye neeche jaane laga.
'Tumhaare liye ek uphaar hai...'
Soch wo neeche chala gaya.
Par...
Usse nahi pata tha. Ki shayad Veer ko chorr ke usne ek boht badi galti kar dii hai. Shayad apne jeevan ki sabse badi galti...
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like kar diyo re!
Dhanyavaad!