• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,327 83.1%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 208 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,597

Werewolf

ʟʟᴏʏᴅ ꜰʀᴏɴᴛᴇʀᴀ
Supreme
14,218
100,784
259
Last edited:

Werewolf

ʟʟᴏʏᴅ ꜰʀᴏɴᴛᴇʀᴀ
Supreme
14,218
100,784
259
Update - 40 ~ Getting a Job
Ab tak...

Ye sab kuch Pari ke liye prashn janak tha.

Par...

Pari ke sawaal par...

Veer ke muh se ek hi uttar nikla...

"Maa... toh akhir Maa hoti hai... Pari!!!"

Ab aage...

Aatish ki death ke baad, Veer uss raat thoda buri haalat me ghar pohucha tha. Par ghar pohuchne se pehle usne clinic me apni first aid karwa lii thi.

Ghar me usne bilkul bhi aisa nahi dikhaaya ki wo ladkhada raha hai ya uske perr me kuch gadbad hai, warna sabhi uski jaan kha jaate. Wo seedha dinner karke apne room me jaa ke lait chuka tha. Jo bhi medications doctor ne provide kiye the, usse time to time usne liya aur bas araam farmaane laga.

Par bhala Veer kisi ka khoon karne ke baad itni asaani se kese araam farma raha tha?? Aur aise hi kese usne Aatish jese aadmi ko thikaane laga diya?

Iss sawaal ka jawaab ek hi tha.

~Suhana!

Jis din Veer Suhana se milne gaya tha. Toh Bhumika ki hotel se Suhana usse apni gaadi me baitha ke apne ghar le gayi thi. Aur unn dono ke beech jo bhi conversations hui thi, usme hi iss baat ka uttar chhipa tha.

Veer : Wait! Aap mujhe apne ghar kyu le jaa rhi ho!?

Suhana : Shut up okay! Ek toh mujh se kehte ho ki mujhse aake milo. Waah! Dekh rahe ho? Suhana yaani ki mein tumse milne aa rahi hu. Apne saare kaam chorr ke. Aur fir milte se hi ek bomb patakte ho ki tum uss Aatish ko maaroge... Mazaak chal raha hai kya!?

Veer : Mein jhooth nahi bol raha. I'll definitely...

Suhana : Wahi! Idiot! It's not a small matter. Ghar pe chal ke discuss karna padega.

Veer : Fine!

Jab dono hi ghar pohuche, toh ghar me sabhi servants unn dono ko hi dekhe jaa rahe the.

Suhana : Ignore the maids and servants. Aao! Mere room me hi discuss karte hai.

Aur Suhana Veer ko apne room me le gayi. Par uske aisa karne se servants ki beech baatein na bane, bhala aisa kese ho sakta tha?

Servant 1 : Suhana Ma'am ek ladke ke saath!? Wo bhi apne room me le gayi usse!?

Maid 1 : Sonia Madam ko pata hai ye baat? Kaun hai ye ladka bhala? Aaj ke pehle kabhi kisi ladke ko Suhana Madam apne kamre me nahi le gayi. Fir aaj kese? Uss din bhi aaya tha ye... Par hai kaun!?

Servant 2 : Hmm! Kuch gadbad toh nahi!?

Maid 2 : Tum log apna kaam karo aur faaltu ki baatein na banao. Yadi Suhana Madam ko pata chala toh pata hai na kya hoga!?

Uss dusri maid ke itna kehte hi waha maujood baaki sabhi servants ki bolti band ho gayi aur wo kuch ateet ke baare me soch ke forun hi apne kaamo me lag gaye.

Idhar andar Veer Suhana ke kamre me daakhil hua toh woh chakit reh gaya. Kamra waaqai neat and clean tha aur ek lady ka hi kamra prateet ho raha tha.

Par iss waqt uski nazre jese kisi cheez ko dhund rahi thi.

Suhana : Hmm? Kya hua? Kya dekh rahe ho aise?

Uske sawaal par agle hi pal Veer ko Suhana ki wahi image yaad aa gayi.

"Waaahahahahahahaha fuck you chorrrr..."

Jab wo Teddy ki dhulaayi badi hi berehmi se kar rahi thi. Aur ye yaad aate hi Veer ke paseene chootne lage.

Suhana : Oh hello? Kaha kho gaye?

Veer : Huh!? No... I... just...

Suhana : Bolo? Kya dekh rahe ho aise!?

Veer ek baar fir idhar udhar dekha aur jese hi uski nazar bed ke neeche padi uski aankho me jese ek chamak aa gayi.

Wo teddy wahi thusa hua pada tha. Jab Suhana ne uski nazro ko follow kiya aur usse ye ehsaas hua ki Veer kya dekh raha hai. Uski aankhein hairaani aur fir gusse ke maare fel gayi.

Agle hi pal usne teddy ko laat se aur andar thoos diya aur Veer ke paas apni gaand matkaate hue wo aayi aur dheere se boli,

"Tumne kuch nahi dekha. Right!?"

'Fucccccckkkkk! She's scary!'

Veer : Y-Yeah!!

Suhana (smiles) Good! Then... Baitho!

Aur dono hi aamne saamne baith gaye.

Suhana : Ab bolo!

Veer : Mein pehle hi bata chuka hu. Aur kitni baar batau?

Suhana (sighs) : Tumhe pata hai na tum kya baat kar rahe ho? Yadi meri nazro se dekhoge toh tumhe pata chalega ki tum kitna bada joke maar rahe ho.

Veer : I'm not joking.

Suhana : Dekho! Abhi tumhaari boht life hai yaar. Tum inn sab ke chakkaro me kaha pad gaye!? Tum toh ek college student ho. Aur wo Aatish Mumbai ka Don aadmi jesa hai. Arre wo ek phook me hi tumhe uda sakta hai. Fir kyu maut ke mooh me jaa rahe ho? Mein khud uske khilaaf kuch karne se darr rahi hu. Warna tumhe lagta hai mein shaant baithi rehti? Ye jaan ke ki meri behan ki jaan ke peeche koi pada hai? Definitely not!

Aur wo bolte bolte uth khadi hui aur palat ke window ke paas jaa pohuchi.

Suhana : Just live a normal life man. Inn sab me kuch nahi rakha...

Veer : Usne mere dost ko maara hai...

*Silence*

Suhana : ???

Veer : He planned it. That's why... Chaahe kuch bhi ho jaaye... I have to take him down.

Suhana : ...

Veer : Aur isliye... Mujhe aap se help chaahiye!

Suhana : ??

Veer : I want you to handle the Police and investigation.

Suhana : Hmm! Toh tum chaahte ho ki mein tumhaari kartoot ke baad saara kuch handle karu?

Veer : Kuch aisa hi...

Suhana : Aur mujhe kya milega? No wait! Tum itna yakeen ke saath kese keh sakte ho ki tum uss aadmi ko maarne me kaamyaab ho jaoge? Huh?

Veer : Trust me! I will bring him down.

Suhana (sighs) : Mujhe abhi bhi ye ek joke hi lag raha hai chaahe kisi bhi angle se kyu na dekhu. Alright! Maan lo mein agree kar gayi aur police ko handle kar liya... But... Mujhe kya!? Mujhe kya milega? Exchange equal hota hai you know right? Mein tumhari itni help kar rahi hu toh... You know...

Veer : Mein Aatish ko aapki behan ke raaste se alag kar raha hu kya wo kam nahi!?

Suhana : Oh c'mon! Wo Aatish abhi tak meri behan ka kuch nahi kar paaya hai. Toh uska hona obviously threat hai par aisa bhi nahi hai ki uske hone se meri behan jee hi nahi paa rahi hai. Toh itne se kuch nahi hone waala. Give me something equal to my favour...

Veer : Then... Mere paas aur kuch nahi hai dene ko... Aap wese hi crorepati log ho. Upar se aapne hi mujhe wo debit card diya tha. Toh paise dena toh murkhta hogi.

Suhana : Hmm! Then promise me...

Veer : ???

Suhana : You will do two favours.

Veer : Kaise favour?

Suhana (smiles) : Pehla ye ki... Mujhe jaana hai next week Delhi. Sonu bhi saath me rahe isliye wo abhi zyaada busy hai aur saare yaha ke kaam schedule se aage hi kar rahi hai. Taaki wo mere saath chal sake. Mere husband ki taraf se mujhe waha jaana hai. Basically, Boht bada function hai jaha dherr saare alag alag companies ke log aaenge... Kuch aage ki technologies se related innovative function rakha gaya hai.

Veer : Hmm! Toh!?

Suhana (smiles) : You'll come with us.

Veer : ???

"Kyaaaaaaaaaaaaaa????"

Aur Veer jhatke se khada ho gaya.

Suhana : Yeah! Dekho mein toh busy ho jaungi waha pohuch ke. Toh Sonu ko company dene wala koi hona chaahiye na? Aur tum dono wese hi ek dusre se familiar ho.

Veer : Wha...!? No... Wait!!! Mein kyu??? I mean... Aapke itne saare contacts...

Suhana : You don't understand.

Veer : Huh?

Suhana (sighs) : Aaye din inn ameer gharano se rishte aate hai Sonu ke liye tumhe pata hai? But she never pays any attention to them. Kyuki, wo sabhi ki personalities ek jhatke me dekh ke hi pehchaan jaati hai. I mean... Ahem... Excluding mine.

Veer : ??

Suhana : Isliye... Koi aisa hona chahiye uske saath jiske sang wo uncomfortable na feel kare, easy to talk ho banda... Aur tum se behtar kaun hai?

Veer : No... I mean... Unki friends bhi toh hongi na... Jo...

Suhana : Uski sirf 2 hi friends hai. Ek aur tha Pushkar... But wo ab iss duniya me nahi hai. Baaki 2 friends... Well... It's complicated. Isliye... Ab tum hi bachte ho... So? Mein haa samjhu ya...!?

Veer kuch derr socha... Par akhir usse ye shart toh maan'ni hi thi. Kyuki tabhi Suhana uski help karne raazi hoti...

Veer (sigh) : Fine!

Suhana (smiles) : That's good to hear. Passport wagarah toh hoga hi tunhaare paas hai na?

'Damn! Passport toh mera uss ghar me hai. Ab mein waha nahi jaa sakta...'

[Aap Ragini se keh ke passport mangwa sakte ho Master.]

'Ahh! Right! Thanks Pari!'

[You are welcome Master!]

Veer : Jii! Passport hai.

Suhana : Good! Then I agree...

Veer : Wait a minute! Dusra favour!?

Suhana (smiles) : Samay aane par... Uski bhi maang karungi. Filhaal toh yahi hai... Okay now... You can leave. Police and investigation mein dekh lungi. Also, kuch aadmi bhi bhijwa dungi... Par dhyaan rahe... Wo tumhaare saath ekdum andar nahi jaenge.

Veer : Chalega... And thanks! Also...

Suhana : Hmm??

Veer : 2 favour aur jod lijiye...

Suhana : Huh??

Veer : Mujhe police station jaana hai aur waha se kuch baraamad karna hai. Mere friend ki cycle. Uski akhiri nishaani... Thaane me hi hai. Aapko meri help karni hogi.

Suhana : Ohhhh! Ho jaega. Aur dusra kya!?

Veer : Dusra ye ki... Help me find someone!

Suhana : ???

Veer tabhi dheere se aage aaya, usne table par rakhe pen aur ek dairy se paper faad Suhana ko kuch likh ke usse thama diya.

Suhana : Kya hai ye? Hmm? Bhavana Singh!? Alias name Geeta!? Job... Archeologist!?

Veer : Meri Maa... Real maa... Unki details... I know aapke connections kaafi hai. Help me find her location. Mujhe vishwaash hai aap karwa logi ye...

Suhana (smiles) : Ohhhh! I see!

[Damn master! What a perfect plan. Suhana can really help you. Uski madad se jald hi location mil jaegi aapko apni mom ki...]

'Yeahhh!'

Suhana : Toh tumhaare ab teen favour ho gaye. Chautha toh yahi hai ki... You are coming with us. Remember this.

Veer : Hmm! Chalta hu...

Suhana : Okay!... And....

Veer : ???

Suhana : Good luck! Also... Don't die...

Veer jaane ke liye jese hi muda... Toh Suhana ke bol ke chalte ek baar fir wo ruk gaya.

Suhana : Wese... Tumhe kese pata chala ki mere itne contacts hai!? Itne yakeen ke saath kese aa gaye tum mere paas? Kuch toh pata chala hoga kahi se!?

Uski baat sunn, Veer dheere dheere uske kareeb aaya aur theek uske peeche khada ho gaya. Suhana abhi bhi window se baahar hi dekh rahi thi. Uski peeth abhi bhi Veer ki taraf thi. Wo mehsoos kar paa rahi thi ki Veer uske theek peeche khada hua hai.

Par agle hi pal Veer ne kuch aisa kaha, jiske chalte uski aankhein hairaani aur shock ke maare phatati chali gayi...

Veer : Aapka reaction kuch odd sa tha. Hotel me mene kisi ko maarne ki baat aapke saamne rakhi, aur aap of course thoda shock hui but after that... Aapke liye jese ye utna shocking bhi nahi tha. Ye meri guessing hai... But i feel it... You have killed someone before...Right?

Wo dheere se kahe gaye shabd, jese Suhana ke kaano me ghanti ko tarah baj rahe the. Wo last sentence jese kisi bomb ki tarah aake gira tha Suhana ke upar. Pal bhar ke liye toh uska shareer bhi sihar utha.

Fir toh usne na aav dekha na taav, wo tezzi se yu palti aur Veer ki collor ko bheench usne usse peeche dhakela jaha ek couch rakha tha. Aur dono hi uss couch par gir pade.

Suhana Veer ke thik upar thi. Uske zulfe Veer ke gaal ke bagal se hote hue latak rahi thi.

Veer ki collor uski giraft me thi aur wo ekdum gusse se Veer ko dekh rahi thi.

Suhana : How did you know?

Veer : I... I just guessed.

Suhana (glares) : Waqai!? Kyuki mujhe ab tumpe doubt ho raha hai.

Veer : Waqai!

Suhana halka sa aage jhuki, uska badan poora Veer ke seene par tika hua tha. Wo uske kaano ke sameep aayi aur badi hi dheemi par thodi bhayanak sii awaaz me boli,

"Tumhari guessing kuch zyaada hi sateek jaa rahi hai. Aage se... Iss baat ka zikr kabhi tumhaare muh se nahi nikalna chaahiye. Kisi ko pata nahi chalna chahiye. Sonu ko toh bilkul bhi nahi. Jis din aisa hua... Wo tumhara probably last din hoga."

Suhana ne daraate hue uss se kaha. Yadi koi aur hota toh waqai thoda ghabra jaata. Par Veer toh Veer tha... Aur wo bhi pehle waala nahi. Uske andar Pari jo thi ab.

Apne haath ko uthaate hue usne Suhana ki narm gardan ko thaama aur uski aankho me dekhte hue bola,

"Don't tempt a young man like that Suhana jii... Dusro ke secrets ko felaana... Meri aadat nahi! Aur ho sake toh... Uthiye please!"

Aisa response Suhana ne bilkul bhi expect nahi kiya tha. Usse laga tha wo Veer ko thoda darra degi par yaha toh situation hi alag bann gayi thi. Aur jab usse apni haalat ka dhyaan aaya toh achanak hi uske gaalo par halki laali sii chhaane lagi aur wo ekdum jhatke se uth ke do kadam peeche ho gayi.

Veer (smiles) : Chalta hu... Thanks again!

Aur Veer Suhana ko akela chorr waha se nikal gaya. Suhana keval usse jaate hue dekhti rahi.

Suhana Veer ki madad karne ke liye keval ek hi kaaran se raazi hui thi. Aur wo ye ki Veer Aatish se bhid chuka tha aur abhi tak zinda tha. Saath hi saath Veer ki Dushmani bhi Aatish se thi.

Ye kehna galat nahi hoga ki wo Veer ko as a pawn use kar rahi thi. Aur saath hi saath usse extra favours bhi mil chuke the. Par usse doubt tha ki kya Veer waqai ek maamuli sa ladka kuch kar paega?

Suhana shaatir thi. Usse pata tha yadi Veer fail hua toh kya karna hai. Wo Sonia ko kuch bhi pata nahi chalne deti ki isme uska haath tha. Par yadi Veer pass hua, toh sabse pehla sawaal uske mann me yahi aane waala tha ki akhir aisa kese kar liya usne? Aatish jese aadmi ko khatam karna?

Yadi aisa hua toh iska matlab saaf hone waala tha ki Veer kuch chhipa raha hai uss se. Aur isliye Suhana ne pehle hi dur ki soch lii.

Wo Veer se do kadam aage chal rahi thi.

Yadi Veer pass hua, toh usse apna favour nibhaana padega. Aur aisa karne ke liye usse uske saath jaana padega Delhi.

Aur issi trip me... Wo Veer ke secrets dhundne ka prayatn karegi. Ki akhir kese... Ek maamuli sa insaan kese Aatish ko maar diya? Par usse kya pata tha...

Ki Veer koi maamuli insaan nahi tha.

Jab Veer ghar aaya toh wo Ragini se mila.

Ragini : Kya hua Veer?

Veer : Bhabhi wo... Ab kese kahu... Mera passport rakha hai ghar me... Puraane waale...

Ragini : Passport? Nahiii! Arre mene tumhaare saare documents aur IDs pehle hi servant se mangwa lii thi Veer. Mere room ke cupboard me rakhi hai. Tum lelo jaake.

Veer : Huh? Really?

Ragini : Haan!

Aur next second hi Veer ne wo kiya jiske chalte Ragini hakki bakki sii murti bani khadi rahi.

Veer ne Ragini ko apni baaho me zorr se kheencha aur usse daboch lia,

"Ohh thank you Bhabhi! Aapne meri samasya hi hal kardi! Thanks a lot!"

Aur wo Ragini ke kamre me chala gaya. Par idhar bechaari Ragini, bhauchakki sii apne surkh laal gaal liye khadi rahi. Usse samajh me nahi aaya ki ye achanak se kya ho gaya.

Wahi dusri orr,

Idhar Suhana khaayalo me ghum thi jab kuch derr baad usse Veer ki taraf se ek message aaya,

"Shaam ko thaane me miliyega. Mujhe friend ki cycle baraamad karwaani hai. Need you help!"

Suhana : Ughh! Really... Ek cycle bhi nahi li jaaegi iss se...

Aur usne "Fine" reply kar mobile side me fek diya.

***

Aur ye thi Aatish ki death ki pehle ki poori planning. Veer ne Suhana ke aadmiyo ki madad se JALSA me unn gundo ki thikaane lagaaya tha. Baaki toh usne apne hi bal boote par kiya tha.

Ab sawaal tha ki wo 110 points kaha invest karne wala tha? Aur uski nayi skill Hawkeye kya thi?

'Pari! Show me my stats'

[Yes master!]

[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 30/100
Endurance - 45/100
Appearance - 22/100]

'Alright! Intelligence me 15 daal do. Agility me 20. Endurance me 5.'

*Ding*

[15 points have been added to Intelligence.]
[20 points have been added to Agility.]
[5 points have been added to Endurance.]

[70 points remaining.]

[Kisi aur me Master?]

'Hmm! Appearance me bhi 18 add kar do.'

*Ding*

[18 points have been added to Appearance.]

[Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 50/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 40/100]

'Good'

[52 points remaining hai. Kuch karna hai? Wese mujhe kuch baatein bataani hai aapko.]

'Kesi baatein?'

[50 points se ab upar jaane ke liye. Aapke 2 points keval 1 hi point consider kiye jaenge.]

'Huh? No... Ek minute!'

[Yes! That's right! Ab yadi aapko 50 se 52 par kisi stat ko badhaana hai toh aapko 2 nahi balki 4 points invest karne honge tab jaake wo 52 par aaega.]

'Wtf????? Ye toh pagalpan hai. Aise toh mere...'

[Yes! Aapko kya laga? Stats badhaana itna asaan hai? It will take time. And a lot of hard work.]

'Fuccccccckkkk!'

[Toh? Kisi me invest karna hai?]

'Abhi nahi! Yadi koi skill hai kaam kii toh wo dikhao. By the way, ye Hawkeye kya hai.'

*Ding*

[Skill : Hawkeye.

Description : A Diamond Tier Skill. Grants the user a perfect aim for anything. No target can slip away from Hawk's eye.]

'Holyyyy shittttttt!!!!'

Skill padhte hi Veer ko pata chal chuka tha ki ye kya thi. Ek Diamond Tier skill. System ki sabse highest skills hoti hai Diamond Tier skills. Uske neeche aate hai Gold, fir Silver aur Bronze.

Veer ke paas jo Basic Martial Arts skill thi wo ek Bronze skill thi. Saath hi saath Sex protection jo usne purchase kii thi wo ek Silver Tier Skill.

Aur ye thi... Ek Diamond Tier Skill.

Jise upgrade karne ki koi zaroorat nahi thi. Perfect Aim matlab perfect Aim. Permanent on hi rehne waali thi ye.

'Fuccckkk! This is insane. Wait! Toh mein Shop se Diamond Tier skills access kar sakta hu?'

[No way! Ye toh aapka reward tha. Aur... Reward randomly select hoke aaya. Isliye aapko jhatke me mil gayi. Warna iski probability boht kam rehti hai. You are lucky.]

Veer abhi aur functions ke baare me jaanta ki achanak hi uska phone bajne laga.

Dekha toh paaya ki Shreya ka phone tha.

Veer : Hello?

Shreya : Guess what?

Veer : Guess what kya?

Shreya : Arreeee buddhuu meri job lag gayi... Tumne jo bheja tha na mujhe address company ka. I went there... Mera interview hua and Omg... Like... They hired me... I'm so happy right now...

Veer (smiles) : Congratulations!

Shreya : All thanks to you... Mujhe toh pata hi nahi tha tumhara itni badi company me connection hai. Like mera bas interview hua aur kuch nahi... Aur suno... Abhi ke abhi mujhe xxxxxxxx mall me milo. Mein shopping karne jaa rahi hu. Tum saath me chaloge.

Veer : Hmm! Aata hu.

Aur bataaye gaye samay pe Veer pohuch chuka tha, xxxxxxxx mall me.

Kuch hi derr me Shreya bhi aa gayi.

Shreya : Kesi lag rahi hu?

Veer : Hmm? Great!!

Shreya (blushes) : Thanks! Toh chale?

Veer : Sure!

Aur dono hi shopping karne nikal gaye.

Shreya : Wese... Ab kesa feel kar rahe ho tum? Dii bataayi thi tum kaafi pareshaan the kuch dino se...

Veer (smiles) : I'm fine now. Nidhi ma'am aur Juhi kesi hai?

Shreya (smiles) : Juhi toh roz tumhaare baare me puchti hai. Aur... Dii bhi tumhe yaad karti hai. Dono acche hai... Bas... Tum the toh ghar ka mahaul aur khushnuma sa tha.

Veer : I... I see!

Shreya : Anyways! Aaj meri job lagi hai. Toh aaj mein apni savings se saari shopping karungi. Aur tumhe bhi mere saath chal ke ek shirt leni padegi.

Veer : Naah! It's okay! Balki, aap chalo... Aaj mein aapko aapki pasand ki cheez dilwaunga.

Shreya : What the hell? Joke maar rahe ho? Hahaha~ zyaada nahi fekte... Chalo ab.

Aur wo Veer ko kheench ke le gayi. Par usse nahi pata tha, ki Veer ke paas Suhana ka diya hua Debit card tha. Aur iss account me 5 se 6 lakh amount bhara hua tha.

[Master! Aap Nidhi ko kyu nahi de dete ye paise? After all, she needs money.]

'No! Itne me unka kuch nahi hone waala Pari. Kam se kam... 45 lakhs hone chaahiye. Tab jaake kuch ho sakta hai. Yadi abhi mein unhe dunga... She will question me. Ki itne paise kaha se aaye? Koi galat kaam toh nahi kar raha mein? Wo wese hi tension me hai. Unhe aur tension nahi deni hai.'

Wo Nidhi ke khayaalo me khoya hua tha jab Shreya ki awaaz usse waapas se hosh me laayi.

"Oye!? Kaha kho gaye? Look! How do I look? Is it good?"

Aur wo ek full sleeve top pehen ke baahar aayi jisme wo alag hi kayaamat lag rahi thi.

wp-content

Veer (smiles) : Aapke upar sab kuch accha lagta hai. After all, you are beautiful.

Shreya (jhepte hue) : Huh?? W-Wh-What??? Y-Ye achanak se, tumhe...!?

Aur uske gore se gaalo par halki sii laal parat chadh gayi.

Wo bhaag ke gayi aur fir kuch aur kapde pehen ke usne Veer ko dikhaaye.

Veer ne fir usse apni taraf se bhi ek top kharidwaaya aur apni Nidhi Ma'am ke liye ek suit bhi aur Juhi ke liye pyaari sii frock bhi.

Jab Shreya ne ye prashn kiya ki itne paise kaha se aaye toh usne yahi kaha ki mehnat ki kamaayi hai.

Shreya aaj behad khush thi. Naukri lagne se uske andar ka confidence badh chuka tha.

Shreya ko ghar pe drop kar Veer apne ghar ke liye jaane hi waala tha jab wo uske paas aayi aur ek baar fir se usse thanks boli,

Shreya : H-Hey!!

Veer : Hmm?

Shreya : Th-Thanks... Once again!

Veer : Baar baar thanks nahi kaha jaata...

Shreya (blushes) : R-Right!

Veer : You should go now! Ma'am aur Juhi wait kar rahi hongi aapka.

Shreya : Hmm! T-Tum nahi aaoge andar?

Veer : No! Mein do din baad Delhi jaa raha hu. Waha se aake hi milunga...

Shreya : Huh??? Delhi?? Kyu??

Veer : Kaam hai...

Shreya : O-Okay...

Veer : Jaaiye ab...

Shreya (blushes) : Hmm!

Wo jaane ke liye hui toh Veer apni gaadi me key lagaane laga.

Par achaanak hi wo palti aur agle hi pal, Veer ko apne gaalo par kuch geelapan sa mehsoos hua.

Iske pehle ki wo kuch samajh paata, Shreya sharmaate hue jhat-pat tezz kadmo ke saath lift ki orr bhaag gayi.

Aur bechaara Veer apni aankhein faade, hairaani me usse keval jaata hua hi dekhta raha.

'Huhhhhh!?'
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Baaki ju logo ko toh pata hi hai ki kya karna hai? 😁

Dhanyavaad!
 
Last edited:

Werewolf

ʟʟᴏʏᴅ ꜰʀᴏɴᴛᴇʀᴀ
Supreme
14,218
100,784
259
Fantastic update bhai..aatish kai sath bhi bht bura hua hai but vo bhi vhi galti kr raha tha jo thakur nai us tym ki thi or aj veer nai aatish ko vese hi khtm kr dia jese aarish nai thakur ko kia

Zabardast dushmani aur emotions alag alag rakh ka veer na sahi kia

Awesome Update

Aatish ke saath past mein bahot bura hua tha. Uske maa baap ko behrami se maara gaya aur saath hi uski maa ka balatkaar bhi kiya gaya.

Aur iss kathin samay mein uska saath diya ek aadmi ne jisse Aatish ne Dada bolke bulaya aur usi ki madad se Aatish ne apna badla liya aur pure mumbai mein raaj karne laga.

Veer ne bhi apna badla liya. Jo Aatish ne uske saath kiya tha same waisa hi usne bhi Aatish ke saath kiya. Par aakhir mein usne ek aisa kaam kiya jisse pari bhi hairan hogyi. Veer ne Aatish ka ek adhura kaam pura kiya. Uss sone se bane mandir mein woh photo rakhdi jo shayad Aatish rakhna chahta tha.

Ab shayad next villain woh Dada aayega jo shayad Aatish ki maut ka badla lega.

Last 2 updates were to fast... Esa laga jese aap story to fast forward mord pe rakh ke bhaga rase ho

Just awesome and action packed update Werewolf bhai....

Loved it very much
💗💗💗

वाह क्या बात है
और क्या कहूँ
मैं तो लाज़वाब हो गया हूँ

Awesome fantastic update

Ab lg rha h ki veer hero h behad sandar mindblowing superbbb speechless update..........
keep posting bhai..........
waiting for next update............

Nixe update
Akhir badla lay hi liya

Superb update sir g

Zabardast update bhai aaj ka update mujhe ab tak ka sabse best update laga ..
Apne isko Buhut achhe tarike se likha h

Very nice update dost

Awesome update brother

Awesome update

Nice updates

Awesome update bhai keep posting

Muze nahi laga tha ki atish ka itni jaldi the and hoga
Bt update is very nice

Shaandaar update dost

Bahut khoob. Hua chokra javaan re. Maza aa gaya Naye Veer ko dekh kar. Ashu ka past sad tha but usko nirdosho ko maarne ka koi huq nahi tha. Jaisi karni waisi bharni. Fantastic update Werewolf bhai

Next update kb aaega bhai

Nice update...

Sandarrr updates bhai

n

nice update..!!
yeh shweta me bahot akad hai yaar..iski akad toh apna veer hi nikalega..!! aarohi ko bhi ehsas hogaya hai ki usne veer ke sath kitna bura kiya hai..!! muze toh lagta hai ragini ko vivek se divorce hi lena chahiye..kyunki usse malum hai ki vivek ne kitna galat kiya hai veer ke sath aur khud ragini ke sath bhi..aise admi se alag hi hona behtar..!! ab dekhte hai atish ke sath kya karta hai veer..!!

Dhansu update mind-blowing fantastic thrilled update

Fanatic update bro maza aa gaya Aatish ka flashback bakai bura tha agar uske saath wo sab na hota to wo ek achcha insaan hota
Waiting for next update

Werewolf alag hi update tha
Veer is now diffrent and also changed and also looking more mature specially in his final part
But kya alga part ma back story doga ki veer itni jaldi aur asani sa kya plan bana liya jisa atish ko maar diya
And ab veer ka paas 120-10=110 points ha dekhte ha uska kya use hoga.
Kuch hint hi de do ya slogan kya ha

Superub 👌 Great 😊 awesome 🤩

Atish ka past bahot bura gujra tha 15 16 saal ki umer tak uske baad ki parwarish galat hatho huwi jiske chalte aisa ban gaya
Aaj Veer n golu ka badla le lia or naa jane kitne begunah longo ka bhai
Last wali line bahot kamal ki thi
MAA tow MAA hoti h
Chahe woh kisi bhi ho
Behtareen zaberdast shaandaar update bhai
Ab dekhte Slogan Arc m kia kia hota h

Awesome update kamal kya kaho alfaz hi nai mill rahy Totally speechless 🤐🤐🤐🤐

Awesome as always. Par kahani ruki si prateet ho rahi hai

Amazing update sahi kaha maa toh aakhir maa hoti he aatish arc khatam bara maza aaya ab dekhte hain aage kya hoga

Kamal ka update tha action se bharpur .you are superb writer

Nice update

Awesome fabulous update
Finally revenge is done lakin iske dada ab veer ko nahi chodega dekhte h dada ka revenge kaisa hoga agar main guess sahi hua to ye dada veer ke nana se jarur related hoga
Keep posting

Nice update bhai

Finally atish arc has been ended but feeling bad gor atish also he suffered a lot in his childhood and in same way our greed and fake pride some time makes so manypeople like atish now let's see what veer got in free skills and what he will do with remaining 110 points

Bahut hi umda lekhni ka pradarshan kiya Werewolf bhai...waiting for next update eagerly...

Super wonderful update

Awesome Update

Nice update

Zabardast update

Atish ka past bhi dhukdayak tha.Thakur ne zameen k chalte uske Aai aur baba ko maar diya.usko jisne bachaya don tha wo.Ashu apne mann me badly k bhavana liye atish ban gaya aur badla bhi le liya.
Wo apne soch me tha veer apni planning karke usko uski trap me phasa k maut k ghat uttar diya.pari is the guide for veer in his whole journey after his accident.
Atish k past janke veer ko dukh hua aur gussa bhi aya.Bhai vivek aur pranjal needs to be taught a lesson because of hurting veer so many times.
Super update...

Fantastic update bhai

Superb update

Super update bro

Mast behtreen update

Excellent update

Bahut hi shaandar update diya hai bhai...
Nice and beautiful update...

dil ko chhu lene wala update tha ..

aatish ki kahani bhi bahut emotional thi ,bura laga uski past life ke baare me jaankar .

thakur aur policewale bahut harami the 😡..
ek gareeb pariwar ko tabah kar diya un policewalo ne .
aatish se kitna pyar karte the uske maa baap 😍..
aatish ko hockey chahiye thi to papa ne apne savings se uski ye ichcha puri kar di jabki maa ka kehna tha ki case ladhne ke liye paise bachane chahiye .
maa aatish ko bada insan bante dekhna chahti thi aur jab wo kamiyab hoga to apne ghar ke mandir ko chandi ka banane ki ichcha thi .par kuch kamine logo ne uski ijjat loot li aur jaan se maar diya .

aatish ko sahara mila dada ka aur usne sab sikha diya dhande ke baare me aur aakhir wo din aa hi gaya jab aatish ne apne maa baap ke kaatilo ko dardnak maut di aur tabhi se uska naamkaran ho gaya aashu se aatish aur wo building jalsa bann gayi ..

aatish apne khayalo me khoya tha tabhi veer ne uske liye trap taiyar kar liya uske hi ghar me .
jaise golu ko mara tha waisi maut aatish ko di veer ne .
aur ye baat to sahi kahi ki galti ki aatish ne jo apne hi khunkhar jaanwar ko ye nahi sikhaya ki dushman kaun aur dost kaun 🤩..

ek kaam sahi kiya aatish ke liye veer ne ki uske aai baba ki tasveer us mandir me rakh di 😍..

waise ye hawkeye skill kya hai ???.

Bahut hi shaandaar update tha ye thanks

Nice update bhai atish ke sath bhi bura hua tha lekin o usse bhi bura kiya

आतिश तो मुख्य खलनायक था ही नहीं
अब दादा इंडिया में लैंड करने के बाद कहानी जरुर रोचक और रोमांचक मोड़ पर पहुंचेगी
अब तक वीर माफ़िया वालों को ठीक से हैंडल किया है
पर अब देखना होगा कि वह कानून से कैसे उलझेगा क्यूंकि रजत उसे कानून के चक्रव्यूह में फंसायेगा ज़रूर

In today's update, Aatish's family was mentioned seeing their financial condition don't know why my heart got sad, someone has rightly said that only those who do not have money can understand the importance of money, Thakur did wrong to them, snatched away the happiness of a happy family and perhaps this is the reason why Aatish is like this today, It would not be wrong to say that bad people and circumstances made a good person bad.
Aatish had to bear the punishment for mistake and this should never happen to anyone, One thing of Veer touched the heart after all, a mother is a mother, mother's love has no value, there is no one like a mother. Aatish's brother is about to come back, let's see what happens. In today's update, there was a confluence of good and bad feelings.
As always the update was great, You are writing very well, Till then waiting for the next part of the story.

Thank You...

Superb update

Super update hai Bhai

Fabulous Mind Blowing Updated... 🔥

★ Maa Ke Pyar ke Naam ye update... ❤

★ Atish/ashu ka to end ho gaya ab..?

★ Dada Lega ab atish ka badla..?

★ Maa ke pyaar ke liye jo atish ne kiya wo usne Thik kiya tha un sab ko saja deke..

★ But Jo atish ne Veer ke sath kiya wo bhi thik nhi tha..?

★ Atish ne apni maa aur baap ki sari icha puri ki jo ek bete ko krni chahiye thi...

★ Aur Jo Lagav usne atish ke past ko jan ke hua tha usko bhi hua tha past ko dekh kar dukh but Usne bhi apna Dost Golu Bhi Khoya tha.

★ Aur isliye uska past ko dekh kar wo Atish ke saman Hockey, aur maa baap ki taawir ko mandir me isliye rkha Qki wo janta tha ki uski maa ki akhiri wish tho wo jo atish ne puri ki thi..

★ Isliye Usna kaha MAA to akhir MAA hoti hai chahiye kisi ki bhi ho..

★ Qki MAA ke Na hone par jo dukh atish ko tha Wo dukh Veer ko bhi tha..

★ isliye usne Wo sab wha mandir me rakh diye unki santi ke liye..

Dekhte hai Ab Aage kya hota hai..

Waiting for next update... 🙏

Nice update 🤠🤠🤠

Dear werwolf bhai it's always a pleasure to read your story along with your frequent updates. The last update was mixture of emotion and cruelty. When cruelty will surpass over humanity the resultant will be always a havoc. Like Aatish when he crossed lines with veer he was totally shattered into pieces. It's a good message through your story that good and bad should not go hand to hand. Emotions were high when we learnt about the past of Aatish but his death was dealt without any remorse. Waiting for your next excavating update. Thank you Werewolf bhai

Veer become mumbai don??

Aapne sahi kaha maa to akhir maa hoti hai .... maa se pyara is duniya me kuch bhi nahi hai ......... shaandaar update

Ekdam joshila, fadu update
Bole to ekdm zalaaaasss
Ekdam rapchik
Ye veer bhidu to bohot डेअरिंग vala nikla

Nice update❤️

Waiting for next update bhai

Abhi aasli khahani ki shurwat hu gai haai ,🙂🙂

Wonderful update...

Shandar update bhai

Fantastic Update 👍👍
Waiting for next update

BEAUTIFUL update bro maza aa gaya

Wahhhhh jabrdast mindblowing superbbb speechless update.......
waiting for next update.......

Behad hi shanadar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Nice

update bro
bahut achha hua atish ka ChAPteR Close huA

Wolf bro story update ke schedule me thoda aage nahi ho sakta?

Zalim bhyankar khtarnaak update waiting for next update kya aj update ayega

Awsome update dude

Nice update

Atish ka flashback dikhaya gaya k wo kaise in sab me involved howa han uske sath galat howa but iska ye matlab to nhi k dosru k sath b wahi dohrana shiro ker do wo apne parent's ka badla lene tak to thk ta uske bad wo phyco ho gaya yani k khoon ki lat lag gayi use tuchi harkatu se logon ko moat dena nasha ho gaya uske liye lakin akhir me ant to hona hi ta to uska b howa Veer k hathu is baar us magarmach ka chara wo khud ban gaya
Zindagi 1 hud tak hi chout deti hai phir pasa palata hai or sb khatam 1 time pe hum dosru ka tamasha bana rhe hote or 1 waqt aisa b ata hai jb khud ka tamasha bante dair nhi lagti
Wo kehte hain na k
jaisi karni waisi bharni to bs phir usks b time poora ho gaya ta
Or last me jo Veer ne kiya wo koi zaraf wala hi ker sakta hai
Maa to akhir Maa hoti hai phir chahe wo kisi ki b ho
Although bohat hi baria update ta
aj k liye itna hi next intezar rhe ga
Keep going😊

Bhai aaj update aayega kya...

Waiting

bilkul hindi movie ishtyle ... chalo issi ka maza lete hain ... ab debauchery vibauchery kee ummed bhi nahi hai ... koi baat nahi ...

action packed updates ... regular updates ... :applause::applause:

ab Miss par concentrate karna hai ... yeh slogan uske peeche kyun pada hai ...

Pure update mein last mein Mandir wala scene dil ko chhu gaya. Respect for Veer - the character.

Nice update bhai waiting for next update

Next update kb aaega bhai

Next update kb aaega bhai

masterpiece
waiting for next

Goosebumps update bro basically last line MAA TO MAA HOTI H

भाई लगता है आज राइटर साहब कही और बिजी है हम यहाँ 1.15 तक इंतजार ही करते रहे

Waiting bro

Awesome update

Nice update janab

Waiting for next update?:):budhabudhi::hyper::hyper::hyper::ban2::ban2::drunk::drunk:

3 4 din se ye story padhna start kiya bahut mast story lagi. Although mujhe fantasy story utni pasand nai but animes bahut pasand hai. Aur ye story bahut had tak usko resemble krti hai.
Writing bahut mast hai special cringy dialogues nai hai ye bahut accha baat hai 😂😂
keep up the work. Next update ka wait rhega.

Bhai ajj ka update bhi jaldi de dena..bhai erotic update ka bhi intezaar hai par iss bar kisi apne ka sath

UPDATES : 37 – 39...

Golu ki maut ka bahut hi gehraa asar hua Veer par, joki laazmi bhi hai. Kahin naa kahin wo khud ko hi zimmedar maan raha hai iss ghatna ka... Aatish ke dimaag ki daad deni banti hai ke kiss tarah wo apne dushmano ko andar se todta hai... Shayad maut se bhi zyada buri haalat karne mein vishwaas rakhta hai wo... Lekin ek cheez iss baar uske khilaaf chali gayi... Pari... Jiss prakaar usne Veer ko kadwe shabd bolkar motivate kiya aur apna aur Golu ka badla lene ka raasta dikhaya wo darshata hai ke Pari ki ehmiyat kya hai Veer ki zindagi mein...

Nidhi ke character ki taraf samay ke saath jhukaav badhta hi jaa raha hai... Ek Maa ke roop mein... Ek behen ke roop mein ya fir uska aur Veer ka jo anokha bandhan hai uss roop mein... Nidhi ne har baar dil ko chhoo liya hai... Uske liye bas ek hi baat nikalti hai dil se ke wo ye sab bilkul deserve nahi karti jo bhi uske saath hua ya ho raha hai... She deserves better, a lot better... Jiss tarah Nidhi ki maujoodgi mein Veer ne behave kiya uss kaaran Kavya ka hairaan hona laazmi tha... Kherr, behadh hi emotional scenes the wo in dono ke beech...

Suhana ke saath bhi sab kuchh sort ho hi gaya aakhir kar... Jaisa ki expected tha wo split personality ki maalkin hai... Aur uski cute & childish side mujhe kaafi achhi lagi... Par doosri side ... Tauba... Uski madad se Veer ne Golu ki cycle haasil ki aur saath hi ek waada bhi kar diya Golu se ke uski maut zaaya nahi jaayegi... Suhana aur Sonia ki bhi Aatish naamak problem hal ho hi gayi ...

Aatish ka past hamare samaaj ki dark side darshaata hai... Ek masoom se bache se uski maasoomiyat chheenkar usse ek raakshas bana diya gaya... Jiss hockey stick se wo shayad apne Maa Baap ka naam ooncha karne ke sapne dekhta tha ussise wo logon ke sapne kuchalne laga... Thakur ho ya police ho sabhi barabar ke zimmedar the Ashu ke Aatish ban ne mein... Slogan urf Dada ne to wahi kiya jo aksar gunde ya aatankwaadi karte hain ... Dabe kuchle logon ko uss raaste par bhej dete hain jahaan ant mein maut likha hota hai ... Ek aesi maut jispar koyi rone waala bhi nahi hota...

Aakhir kaar Veer ne Aatish ko maarkar Golu ka revenge le hi liya ... Bilkul waisi hi maut mili Aatish ko jaisi Golu ko mili thi... Karma hits hard whenever it hits...

Meanwhile kaafi logon ki favourability pata chali iss dauraan... Nidhi ki to zyada increase nahi huyi hai par Aarohi ki favourability ne hairaan kar diya... Chalo ek aur ladki add ho gayi Veer ki Debauchery list mein :akshay:... Kavya ki favourability ab shayad sabse adhik ho gayi hai Veer ke liye ... Ya Veer ki maata shree ki zyada thi??? Unki to mujhe exactly yaad nahi hai ... Interesting rahega ab dekhna ke Veer kya karega apne 110 points ka aur saath hi ye Hawk Eye kaa cheez baa????

Outstanding Updates Brother & Waiting For Next...

:yourock::yourock::yourock:

Waiting....

Waiting brother

Waiting update

12.00 tak to aa jayega na bro

Zabardast awesome interesting update

Ok
Aur kitna intezaar karunga

Werewolf broo u r too awesome nd amazing 😍😍😍🤩🤩🤩🤩 ummmmmmhhhhh.
Veer is back with rockxxxx waiting for more thrilling update

Itna let update mat diya karo bro...

Abhi tk update nahi aya hai
0r kitna time lagega
Update 40 has been posted!
 
A.A.G.

Well-Known Member
9,638
20,181
173
Mega Update

Update - 39 ~ A Mother's Love will always be Eternal

[This update contains explicit gore scenes. Beware!]

Ab tak...

Veer uske jaate hi apne bagal me rakhi ek cheez ko dekhne laga aur uss par haath dheere se rakha usne...

'Kal... I promise... I will take him down...'

Usne mann me thaana, aur usse cheez ko zorr se bheench liya.

Aur Wo cheez thi...

Golu ki cycle...

Ab aage...

Wo mahina tha March ka. Jab thand ka mausam jaa raha tha aur garmiyo ka mausam aana shuru ho chuka tha. Mein apni Maa ki goad me sarr rakh ke laita hua tha.

Bade hi pyaar se wo apna ek paav jhula rahi thi taaki mujhe neend jaldi aa jaaye, par aaj jese mujhe neend aa hi nahi rahi thi.

Mein aur Maa ghar ke andar hi neeche zameen par chataayi bicchaaye baithe the. Ya yu kahu, ki Maa baithi thi aur mein laita hua tha. Ghar kehna bhi galat hoga. Ek chota sa hissa tha chaar diwaaro ka jisme upar se khappar ki chhat thi aur darwaaze ke naam pe bas ek toota foota lakdi ka darwaaza.

"Aai!?"

Mere pukaarne par meri Aai ne mujhe jhukte hue dekha aur boli,

"Tu abhi tak soya nahi Ashu?"

"Nahi Aai! Mujhe neend hi nahi aa rahi hai."

"Accha? Aur kyu nahi aa rahi hai mere lalla ko neend?"

"Aai! Mein ye soch raha tha, kal hamaare ghar wo 3-4 police waale kyu aaye the?"

Mere ye sawaal karte hi mene dekha ki Aai ke chehre par agle hi pal chinta aa gayi aur wo kisi soch me pad gayi.

"Aai?"

"H-Huh?? Kuch nahi lalla. Tu apne khel kood aur padhayi par dhyaan diya kar samjha?"

Aai ne thoda uchi awaaz me bola toh mein shaant ho gaya. School toh naam maatr ka tha. Hum sabhi bacche jaate, teacher aata ya nahi aata baat ek hi thi. Keval unhi ke upar dhyaan zyaada dete the teacher jinke baap ke paas paisa zyaada hota tha.

Mere Baba toh badi mushqil se meri school fees de paate the. Abhi mein Baba ke hi baare me soch raha tha ki utne me ghar ka darwaaza khula aur Baba andar aa gaye.

"Babaaa!"

Mein utha aur Baba se lipat gaya.

"Hahahaha~ Mera beta!! Aaj tere liye tohfa laaya hu. Wahi jiske baare me tu roz charcha kiya karta tha."

Mene Baba ko prashn bhari nazro se dekha toh unhone mujhe thoda dur karte hue apne peeche se ek jhola nikaala aur usse jese hi khola toh meri aankhein hairaani aur khushi dono ke maare felti chali gayi.

"Y-Ye toh..."

"Hahahaha~ Ye raha tumhara tohfa."

"Mera tohfaaaa..."

Mein chillaaate hue uss par jhapta. Aur kyu nahi jhapatata? Saamne mere ek hockey stick maujood thi. Roz mein maidaan me khelne jaata tha. Waha hum sabhi hockey khelte the. Kuch logo ke paas hockey stick thi toh kuch bas lakdiyo se apna kaam chalaate the.

Roz mein Baba ko iss baare me bataata tha aur wo meri baat sunke sarr hila dete the. Par mujhe nahi pata tha ki wo meri baat ko aise hi poora kar denge. Aaj mein boht khush tha. Kitni chamak rahi thi meri hockey stick. Kal jab mein apne dosto ko dikhaunga toh kitna jalenge sabhi.

Wese toh yadi aap accha khelo toh pradesh starr par khelne ka bhi mauka diya jaata tha. Par ye mauka keval 18 umr se upar waalo ke liye tha. Aur mujhe 18 ka hone me abhi 5 saal baaki the.

"Itna kharcha? Kyu??? Aap jaante hai hum wese hi kitni pareshaani me hai fir bhi?"

Aai ne chintit nazro se Baba ko dekhte hue kaha.

"Arre theek hai ab... Kab se laga hua tha wo... Kabhi kabhi chalta hai."

"Kabhi kabhi...? Arre ghar ki sthiti ka bhi toh dhyaan rakhiye."

"Mein sab dhyaan rakh raha hu meri priye. Tumhi batao... Kya mene tumlogo ke alaawa kabhi kisi aur baare me socha hai?"

"Ab... Ab aap aisa bolenge toh mein kya hi vrodh kar paungi?"

"Hahaha~ Tum chinta mat karo. Sab sahi ho jaega."

Na jaane Aai Baba kya baat kar rahe the par mein itna toh jaanta tha ki hamaare ghar ki aarthik sthiti boht kamzor thi.

"Aai! Tumhari kya khwaaish hai?"

Mene apni hockey ko rakhte hue pucha. Toh Aai muskuraayi aur bagal me rakhe ek chote se lakdi ke bane mandir ko dekhne lagi.

"Meri khwaaish? Meri khwaaish toh bas yahi hai ki tu ek boht bada aadmi bane. Aur ye jo mandir hai na... Mein isse poori chaandi ka banwaana chaahti hu. Par wo tabhi mumkin hoga jab tu bada aadmi banega samjha?"

"Hmmm!"

"Jaa ab so jaa."

Na chaahte hue bhi, mujhe laitna pada. Par neend toh aaj jese meri aankho se koso dur thi. Mein karwat leke laita hua tha kaafi derr se aur isliye shayad Aai Baba ko laga ki mein so gaya hu.

Aur wo baatein karne lage. Par mein jaag raha tha. Aur issi kaaran mujhe kayi saari baatein pata chali jo wese mujhe kabhi nahi pata thi.

"Aaj aap ko itna mehnga tohfa laane ki kya zaroorat thi waqai..."

"Tum abhi bhi uske peeche lagi ho. Arre baccha hai. Aur wo mene apni jama punji se liya hai uske liye."

"Yadi koi kitaab laake dete toh bhi koi baat hoti..."

"Khel se bhi aadmi bada aadmi ban sakta hai. Aur Ashu ko khel me ruchi hai toh hume toh usse uss taraf badhaava dena hi chaahiye na?"

"Aapke saamne meri ek na chalti. Accha wo... fir kya hua? Hamari zameen ka? Mujhe boht chinta ho rahi hai. Yadi wo hamaare haath se gayi, toh kya hoga hamaara?"

"Hmm! Uss kameene ne chhal se hamaari zameen ke kaagzaat chori karwaaye hai. Aur ab hume kese bhi karke unhe waapas lena hai."

"Wahi puch rahi hu aap se. Kal police waale bhi aaye the. Kitni dhamki deke gaye hume. Sab mile hue hai. Upar se... Upar se mujhe toh unn police waalo ke iraade bilkul theek na lag rahe..."

"Kya kehti ho? Kya kal unn ne...?"

"Hmm! Aapne shayad gaur nahi kiya. Par wo sabhi mere badan ko gandi nazar se dekh rahe the."

"Unn haraam ke pillo ki toh mein..."

"Shaant! Ashu uth jaega!"

"Hmm! Mujhe ab wo kadam uthaana hi padega..."

"??"

"Bhulo mat ki mein uske hi ghar me kaam karta hu. Mujhe pata hai usne kaagzaat kaha rakhe honge... Bas ek baar haath aa jaaye..."

"Choriii??"

"Chori nahi hai ye... Ye hamaara apna haq hai priye! Ye toh hamaari zameen hai. Uss thakur ko yadi waha building banwaani hai toh banwaaye. Par hamaaari kheti ki zameen ko chorr ke banwaaye. Aur hum apna haq leke rahenge. Bhale hi mujhe uske ghar se apne kagzaat kyu na lene pade."

"Par... Par yadi uss thakur ko pata chala toh..."

"Pata chala bhi toh kya? Kam se kam hamaare paas... kachehri me dikhaane ke liye kagzaat toh rahenge."

"Kachehri toh hume surakshit rakh legi par uske baad kya? Wo haraami thakur kuch bhi kar sakta hai. Yadi hamaare Ashu ko kuch ho gaya toh?"

"Bilkul nahi! Tum kal ek kaam karna... Ashu ko maidaan khelne bhej dena. Jese hi mein kaagaz leke aaunga hum seedhe dusre thaane chalenge aur kachehri bhi jaenge. Vakeel ko dene ke liye hai paisa humaare paas. Bas hume jald se jald sab kuch karna hoga. Iss se pehle ki wo thakur hamaare vakeel ko khareed paaye."

"Kya aapko waqai lagta hai ki hum safal honge?"

"Bhagwaan ke ghar derr hai, andherr nahi!"

"Hmmm! Aur... Hamara sabzi aur phal ka dhandha toh accha hai hi par aapke mochi ke dhande ka kya hua?"

"Aaj acchi kamaayi hui. Wo jinki haweli hai na? Singh sahab kii? Wo aaj mujhe haweli me bulwaaye the."

"Kyaa?"

"Haa! hahaha~ Arre unke joote videsh se aaye hai. Aur tum jaanti hi ho ki jooto ka mujhe kitna shauk hai. Mene joote ke baare me itna sab kuch bataaya unhe ki wo khush ho gaye aur meri acchi khaasi kamaayi ho gayi."

"Chaliye! Ye toh badi hi acchi baat hai."

Aai, Baba kuch derr yu baat karke so gaye the. Par unki baate mere dimaag me hi raat bhar ghumti rahi.

Agli subah wahi hua. Aai ne naashte me mujhe roti dii aur bas aam ka achaar. Mein thoda boht khaaya aur tab tak sooraj sarr ko chadhne par tha.

Din hote hi Aai ne mujhe maidaan me jaane keh diya. Mujhe pata tha ghar me kuch sahi nahi hai aur isliye mene jaane se mana kar diya.

"Ab jaata kyu nahi!? Wese toh roz ghar me laga rahega. Ab jab Baba tere liye hockey le aaye hai toh jaa na... Dikha apne dosto ko... Kyu nahi jaa raha ab!?"

"Mujhe nahi jaana..."

"Tu... Jaata hai ya mein pitaayi karu teri...!?"

Aai ne jhaadu uthaayi toh mein gusse me bina hockey uthaaye hi bhaag gaya. Mujhe rona aa raha tha. Ek toh mein itni chinta kar raha tha upar se Aai ne meri bhawnao ko samjha hi nahi. Hmph!

Gusse aur udaasi ke chalte mein poora din maidaan me raha. Ghar gaya hi nahi.

Jab shaam hui aur andhera hone ko aaya tab hi mein utha aur ghar ki orr jaane laga.

Hamaara ghar thoda ucche sthaan par tha. Thoda sa pahaadi ilaaka tha. Wese Mumbai me pahaad nahi the par baahri chhetr me kuch kuch hote the jinpe log makaan bana kar guzaara karte the.

Jese hi mein kacchi sadak se hote hue apne ghar ke paas pohucha toh...

Mujhe nazar aaya ki ghar ke baahar se 3 se 4 police waale nikal rahe the. Unki shaqale mujhe boht acche se yaad thi. Kyuki yahi log kal bhi aaye the.

Wo ghar se baahar nikle aur jaldbaazi me bhaag gaye. Mein thoda chintit hote ghar ke nazdeek aaya toh paaya ki andar se laalten jalne ki roshni baahar sadak tak aa rahi thi.

"Aai!?? Babaaa!?"

Awaaz lagaate hue mein jese hi andar aaya toh...
Meri aankhein phati ki phati reh gayi. Saamne ke drishya ko dekh meri rooh kaanp gayi. Ek pal me mere shareer ke raungte khade ho gaye. Dil zorro se dhadakne laga. Aur darr ke maare mera badan kaapne laga.

Mein waha aise jam gaya tha jese mene koi bhoot dekh liya ho.

"N-Nahiiiiiiiiiiiii!!!"

Mein cheenkha... Aur ladkhada ke aage badha...

Saamne...

Saamne mere Baba ka sarr phata hua tha. Unke sarr se poora khoon hi khoon beh raha tha. Khoon ke chheete diwaaro par bikhre hue tha. Zameen par khoon behte hue felta jaa raha tha.

Aur unke bagal se...

Meri hockey stick rakhi hui thi, jis par...

Khoon hi khoon laga hua tha.

"Baaabaaaaaaaaa!!!"

Mein firse cheekha... Aur thar-tharaate hue bagal me bistar ki orr dekha... Toh maano jese mere perro ke neeche se zameen khisak gayi thi.

Saamne meri Aai...

Peeth ke bal bistar par padi hui thi. Muh se jhaag beh raha tha. Aur unki aankhein...

Unki aankhein ekdum khuli hui thi, maano baahar hi aa jaengi.

Unke seene ka kapda phata hua tha, neeche ka kapda bhi phata hua tha. Alag alag jagah se unke ang dikh rahe the.

"A-Aaiii!?"

Mein girta hua reng ke unke paas pohucha aur unhe jese hi mene chhiya...

Unka shareer hilke dhadaam se bistar se neeche gir gaya.

"Aaaaahhhhhhhh!"

Mein darr ke 2 kadam peeche hata, aur unhe seedha kiya toh... Wo bas aankhein khole hue thi.

"Aaaiii!!! Uthooo... Uthoo aaiii!!!"

Mene na jaane kitni guhaar lagaayi hongi. Par Aai ek baar bhi na uthi.

"Nahi... Nahiiiiiiiiiiiii!!? Aaaaaiiiiiii!!! Baaabbaaaaaa!!"

Apna gala phaad phaad ke mene unhe pukaara. Par mere Aai Baba dono ne hi koi jawaab nahi diya.

Mene kaapte hue haatho se apni wo hockey stick uthaayi aur dekha... Toh mujhe samajh aaya ki ispe jo khoon laga tha aur jo khoon Baba ke sarr se beh raha tha, wo shayad ek hi tha.

Aur ye sab sochte hi mein agle hi pal, wahi behosh ho gaya.

Jab meri neend khuli toh pata chala mein kisi aur hi jagah par tha. Ek anjaan jagah.

Mene dekha toh paaya ki saamne mere ek aadmi maujood tha, jo kareeb 30-32 saal ka prateet ho raha tha.

"Toh hosh aa gaya tumhe!?"

Uske sawaal par mene haa me sarr hilaaya. Mene gaur kiya ki wo bade hi acche kapde pehne hue tha.

"Aaj se tum mere saath rahoge. Kyuki... Tumhara ab apna ghar toh raha nahi... Hai na?"

Uski baat se mujhe sab kuch yaad aa gaya. Aur agle hi pal meri aankho se aasu behne lage. Mein khub roya. Par jitna mein udaas tha, uss se kahi zyaada mujhme gussa bhara hua tha. Aur ek josh tha, pratishodh lene ka.

"Bolo? Rahoge mere saath?"

Mere paas aur koi chaara nahi tha. Mene haa me sarr hilaaya aur bas...

Uss din se mein uss aadmi ke saath rehne laga. Uss aadmi ne mujhe kaha tha ki mein usse 'Dada' keh ke pukaaru. Toh mein usse Dada keh ke hi bulaane laga. Mujhe pata chala ki uss raat Dada ke kuch aadmi udhar se guzar rahe the. Aur mujhe waha dekh ke wo mujhe Dada ke paas le aaye the.

Dheere dheere jese jese meri umr badhne lagi, mein Dada ke saath kaam karne me aur bhi leen hota gaya.

Mujhe pata chala Dada kya kaam karte the. Drugs, aur avaidh cheezo ki smuggling. Daaru se leke harr ek cheez jisme kaala dhan rehta tha, wo sabhi ka dhanda Dada karte the. Mujhe kabhi isme buraayi nazar nahi aayi. Akhir itna paisa jo aa raha tha.

Mujhe pata chala ki kese inn sab kaamo ko kiya jaata tha. Dada mujhe harr choti sii choti baat samjhaate, jisse mein apne dimaag me baitha leta tha.

Par issi waqt mujhe ye bhi pata chala, ki uss raat meri Maa ko unhone maara hi nahi tha, balki unki izzat bhi looti thi aur berehmi se mere Aai Baba ki jaan lii thi. Tab se lekar ab tak... Mein bas tadap raha tha. Ki kab mujhe mauka mile, aur kab mein unn saare policewalo ko apne haatho se maut du.

"Tum badla lena chaahte ho?"

"Jii! Dada!"

Aur aaj wo din aa chuka tha. Mene akhir kaar apne badle ki bhaavna Dada ke saamne rakhi. Wo muskuraaye aur bole,

"Aadmi aur hathyaar mein dilwa dunga. Par maarna tumhe hai. Ki kaise tum maarna chaahte ho aur kaha pe... Tum bhi meri hi tarah kismat ke maare ho. Mujhe tum se badi umeede hai. Ek accha pradarshan rakhna.""

"Jii! Dada!"

Dada ki baat saaf thi. Wo mujhse kaafi kuch umeede liye baithe the. Aur mein unhe bilkul bhi niraash nahi karna chaahta tha.

Fir wo din aaya...

Mere jeevan ka sabse khush-haal din...

Saari jad toh wo thakur tha. Mene na keval apni zameen ke kaagaz, balki apni chaturayi ke chalte uski khud ki building bhi mene apne kabze me karwaa lii thi.

Jin police waalo ki mujhe talaash thi. Wo sab bhi mere changul me fasse hue the.

Iss waqt hum sabhi Thakur ki hi uss building me khade hue the. Aur upar...

Upar uchaayi par...

Thakur, aur wo sabhi police waale rassi se bandhe latke hue the, jo gidgida rahe the. Hawa me perr unke kisi bin paani ki machli ki tarah hil rahe the.

Aur aankho me unka wo khauf dekh, pata nahi kyu... Mere hontho par apne aap ek daraavni sii muskuraahat felti jaa rahi thi. Mujhe ye sab accha lag raha tha. Aanand aa raha tha mujhe ye sab karne me.

"Haaah... Hahahahahaha~"

Mein paagalo ki tarah hassne laga. 10 saal... 10 saal tak mene intezaar kiya tha apna badla lene ke liye.

Aaj... Mere haatho me Baba ki dii hui wahi hockey thi. Perro me mehnge joote, jinka Baba ko hamesha shauk rehta tha. Aur aaj unn haraam ke pillo ki bilakhti hui awaazein jo 10 saal pehle mere Aai Baba par garajti thi.

Mene na keval Aai Baba ki zameen wapas lii thi balki uss madarchod Thakur ki zameen bhi hadap lii thi. Aur inn sab ko karne me meri chaturayi toh kaam aayi hi par Dada ne bhi mera boht saath diya.

"Udaa do ek ek ko..."

Mene ant me ishaara kiya aur tabhi...

*Bang* *Bang*
*Bang* *Bang*
*Bang* *Bang*

Goliyo ki awaaz poori building me goonj uthi. Upar khade aadmiyo ne apni bandooko se ek ke baad ek goliya unn aadmiyo ke shareer me ghop dii...

Aur...

Goli padte hi, unn sabhi ke jism se aise khoon ke chheete uchak ke bikhar rahe the maano jese hawa me koi rocket phoot ke chingaariya bikher raha ho. Unke ang goli ke lagte chithado ki tarah shareer se nikal ke alag hoke gir rahe the.

Waqai! Aaj mene khoon ki aatishbaazi karwa dii thi.

Neeche mein apne haath felaaye aankhein band kiye, apne Dushmano ke khoon me naha raha tha. Aur hontho par ek santushti bhari muskaan bikhri hui thi.

Jab sab kuch shaant hua toh Dada, jo kuch dur khade hue the wo bole,

"Aaj! Aaj hamaare khaas, Ashu ne apna badla liya hai. Jiska wo 10 saal se intezaar kar raha tha. Aaj ye building bhi uski hui aur uski apni zameen bhi. Isliye... Aaj iss khushi ke mauke par mein kuch ghoshna karna chaahta hu..."

Hum sabhi Dada ki baatein bade hi dhyaan se sunn rahe the.

"Aaj se... Ashu, 'Aatish' ke naam se jaana jaega. Aur ye building... 'Jalsa' ke naam se."

"Aatish Bhau! Aatish Bhau! Aatish Bhau! Aatish Bhau!"

Aur bas...

Mere naye naam ke naare lagne shuru ho gaye. Mein khush tha. Behad khush. Ajeeb sii muskaan feli thi mere hontho par jo jaa hi nahi rahi thi.

Dade mere kareeb aaye aur mere kandhe par haath rakhe aur bole,

"Aaj se ye akkha Mumbai ko tu bhi sambhalega. Mein jald hi yaha se chala jaunga... Tab... Poora ka poora ye Mumbai tere haatho me hoga. Mujhe niraash na karna."

"Jii! Dada!" Mene muskuraate hue jawaab diya.

Aur Dada chale gaye. Ek baat thi, jo mujhe pata thi. Yahi... Ki mene aaj itihaas likh diya tha.

***

Apne haatho me ek tasveer liye Aatish iss waqt Jalsa ke hi basement me apni puraani yaado ko yaad kar raha tha.

"Dekh! Mene kaha tha na... Tere liye uphaar hai ek."

Usne kehte hue jeb se ek kaagaz nikaala,

"Ye dekh Aai! Iss poori basement ki diwaaro par sone ki parat chadh jaegi. Ussi ka contract hai ye. Tu kehti rahi na? Tujhe chaandi ka mandir chaahiye? Arre tere Ashu ne poora sone ka itna bada mandir banwaya hai dekh..."

Usne photo ko ghumaaya, jese maano photo ko kuch dikha raha ho.

Saamne ek behad hi shaandaar boht bada sa sone ka mandir tha. Par...

Bas ek hi baat ajeeb thi. Wo ye ki wo ekdum khaali tha.

"Ab tu puchegi ki bhagwaan kaha hai? Tu jaanti hai na? Mein Bhagwan pe vishvaash nahi karta. Mein toh keval tujh pe aur Baba pe vishvaash karta hu. Hahaha~ Kaam karo toh bada karo..."

Wo hassa...

Par tabhi...

"Ekdum sahi kaha..."

Usse peeche se ek awaaz sunaayi dii. Aur ye sunte hi Aatish ke pal bhar ke liye raungte khade ho gaye.

Wo forun hi palta par...

*Pooooooooooowwww*

Ek zordaar ghusa uske chehre par aake kisi patthar ki tarah laga aur uss impact se Aatish ki body hawa me uchak ke peeche jaa giri.

*Craaaassshhhhhhhh*

Peeche rakhi ek table bhi gir gayi aur saath hi saath usme rakha samaan bhi.

Uske haath se uski hocky ki stick bhi gir chuki thi aur saath hi saath wo contract ka paper aur wo tasveer bhi.

Jese hi Aatish khada hua usne dekha ki saamne ek ladka maujood tha. Jo ek kaala hoodie aur kaala hi jeans pehne hue tha. Yaha tak ki uski aankho ke neeche bhi kaale rang ka kapda bandha hua tha.

Aatish : K-Kaun ho tum!?? Yaha andar kese aaye...!?

Par jese usse samajh aaya ki sawaal karna fizool hai aur yahi soch Aatish ne fataak se apne coat ki inner jeb se apna revolver nikala aur wo saamne khade ladke par chalaane hi wala tha ki tabhi...

*Craaaaaasssssshhhhhhhh*

Uske haath pe ek daaru ki bottle udd ke aayi aur seedha uske haath pe hi phoot gayi.

"Aaaaarrghh!"

Revolver ke neeche girte hi wo ladka aage badha aur uski collor pakad ke ghoose pe ghoose dena shuru kar diya.

"Aaaaarrghhhh!! Ughhhhh... Haraamiyo baahar aao jaldi... Kaha chhupe ho?"

Usne apne pantaro ko bulaana chaaha...

Par... Jese koi fayda hi nahi tha. Kyuki koi nahi aaya.

Chheena jhapti me jab Aatish ne kuch vaar kiye toh uss ladke ke muh se kapda hatt gaya aur saamne uss parichit chehre ko dekh uski aankhein phati ki phati reh gayi...

"T-Tummm!???"

"Haan! Mein!"

Saamne khada wo ladka koi aur nahi, Veer hi tha.

Veer ko dekh Aatish forun hi bhaaga. Aur lift ki orr gaya.

[Wo bhaag raha hai Master! Chase him down!]

Veer tezzi se aage badha aur next second hi...

*Ding*

[Mission : Take Down Aatish!

Rewards : 1) ??? Points.
2) One Random Free Skill.

Time Limit : 30 minutes.]

Veer ko Mission mil chuka tha par iss waqt mission padhne ka time bilkul nahi tha uske paas. Wo toh aaj wese hi Aatish ko maarne hi aaya tha, chaahe mission mile ya nahi.

*Huffff* *Hufff*

Tezz tezz saasein liye Aatish lift me ghus upar seedha second floor par jaane laga.

But too bad for him. Veer ne neeche se hi check kar liya tha ki lift kis floor par jaa rahi hai. Aur agle hi pal Veer stairs ki madad se seedha second floor ki orr bhaaga.

Lift khulte hi jese hi Aatish baahar nikla, toh saamne hi Veer khada hua tha.

Aatish : Huh???

Aatish ko yu pakad Veer ne usse kamre me fek diya. Ye wahi kamra tha, jaha rassiya hi rassiya latki hui thi.

Kisi me upar tezaab bhara tha toh kisi me eete, toh kisi me lohe ki rods.

Aatish : Veeeeeeeerrrr!! Tum yaha aa zaroor gaye... Par laut ke ab kabhi nahi jaa paoge... Tumne yaha aa ke sabse badi galti kii hi Veeeeeeerrr...

Wo cheenkha... Iss umeed me ki shayad uske ye kehne se Veer ka manobal dagmagaega.

Par Veer toh jese kisi faulaad ki tarah saamne nidar hoke khada hua tha. Uska seena haafne se upar neeche ho raha tha. Aur aankhein ekdum laal thi. Gusse se bharpoor.

Agle hi pal dono ek dusre par jhapte. Ek dusre ke kapde pakad wo jese haawi hone ki koshish kar rahe the.

Kuch punches Veer deta toh kuch Aatish usse maarta. Par most of the time, Veer dodge kar le raha tha. Jiske kaaran Aatish ki haalat jald hi kharaab ho rahi thi.

Abhi wo ek dusre ko jakde hi hue the ki tabhi... Aatish haivaano ki tarah muskuraaya aur...

*Pulls*

Usne bagal me latak rahi ek rassi kheench dii.

Upar ki ceiling ka box palta aur...

*Craaaaaaaaaaassssssshhhhh!*

Saari lohe ki roads neeche giri. Veer jaanta tha ki upar rods thi. Wo Aatish se ek kadam aage hi chal raha tha. Usne pehle hi nazar maar lii thi upar.

Aatish Veer ke changul se chooth peeche kuda aur Veer bhi kayi backflip maarte hue peece ho gaya.

'Huh!??'

[Moves apne aap niklenge. Mene kaha tha na master. Basic Martial Arts skill aapko parkour aur acrobatics me kaafi madad karengi.]

'Got it!'

Veer ko bachta dekh Aatish daant peeste hue bhaagne ke liye hua par tabhi...

Veer ne ek rassi haath me lii aur wo Aatish ke paas jaa pohucha. Usne Aatish ko ek laat dii...

*Poooowwwww*

Aur Aatish peeche ki orr gira...

'Got you!'

Aur agle hi pal Veer ne muskuraate hue haath me lii hui rassi kheench dii.

*Craasssssssssshhhhhhh*

*Thud* *Thud* *Thud*

Dherr saare Eete uske upar girne lage.

"Aaaaaaaaaaaaahhhhh"

Wo chillaaya aur apna jese tese sarr usne bachaaya. Par itna toh saaf tha ki uski peeth ki ek aad haddi toh toot hi gayi hongi.

Veer dheere dheere uske kareeb aaya aur usne Eeto ko hata ke Aatish ko ghaseet ke baahar nikaala.

Abhi wo Aatish ko aur maarta ki tabhi Aatish ne chalaaki se apne coat ki jeb me chhupi ek pocket knife nikaali aur Veer ke perr me ghop dii...

"Aaaaaaaarrrrrggghhhh.... Ssssss"

Veer jese hi gira toh Aatish khud ko churra ke lift ki orr bhaaga.

[He's running away master! Oh Noooo~ Are you okayyyy!?]

'Fuuuucccckkkkk!!!! Aaaarrrghhhh!'

[Jaldi! Apna rumaal use kariye. Hum koi bhi aham clue nahi chorr sakte. Aur isliye toh mene aapko gloves pehnaaye hai.]

Pari ki baat sunn Veer ne jaldi jaldi apna rumaal nikaal ke apne muh ki madad se rumaal ko taang par laga ke usme ek gathaan baandhi aur apni bleeding ko jese tese thoda roka.

Aatish third floor pe gaya tha. Udhar se hi secret passage tha jo seedha control room ko hote hue nikalta tha. Control room bole toh wahi room jaha par baith ke Aatish sabhi Cameras ki footages pe nazar rakhta tha.

Uthate hue Veer bhi apna dard ignore kar seedha third floor pe jaa pohucha. Aatish ne jese hi dekha ki Veer peeche se aa raha hai, wo dekh ke aaj pehli baar usse ghabraahat mehsoos ho rahi thi.

Veer bhi langda raha tha. Par... Uske bawajood wo dheere dheere aage badh raha tha. Aise jese maano wo jaanta tha ki aage kya hone waala hai.

Aatish haafte hue bhaagte bhaagte jese hi darwaaza kholne ke liye hua toh usse ek aur jhatka laga.

Darwaaza dusri taraf se locked tha.

"Huhhhh!??? Ye... Ye darwaaza!? Haraam ke pillo tum sab so gaye kya??? Baahar aao madarchodo... Kis baat ki tankha khaate ho tum?""

Par usse kya pata tha... Ki Veer yaha poori taiyaari se aaya tha. Veer ne hi control room se saare cameras off kiye the. Veer ne hi uss darwaaze par peeche se lock lagaaya tha. Veer ne hi uske pantaro ko ek ek karke daboch ke maar ke unhe baandh diya tha.

Sab kuch...

Wo itni derr pehle kar chuka tha. Ab baaki tha..
Toh bas badi machli ka shikaar karna.

"Veeeeeeerrrrrr!!!! Aaj ya toh tum bachoge ya toh mein." Aatish ghabraate hue chillaaya aur wo aage badh ke Veer pe hamla karne hi waala tha ki tabhi...

"Huhhhh?"

Uska perr ek rassi ke phande me phassa aur tabhi...

Uska poora ka poora shareer hawa me ulta jhool gaya.

Ek trap! Bilkul wesa hi jesa Aatish ne Veer ke liye banaaya tha.

Veer aage dheere dheere badha aur usne Aatish ke neeche uss boht badi sii cheez se parda hata diya.

Aatish ne jese hi neeche dekha toh uski haalat patli ho gayi. Aaj pehli baar usse itna darr mehsoos ho raha tha. Apni jaan ka darr.

Neeche bada sa glass tank tha. Aur uss glass tank me... Wahi Magar maujood tha jisne Golu ki jaan lii thi.

Wahi Magar, yaani ki Aatish ka paaltu janwar urf Clutch.

"Na-Nahiiiiii!!!! Nahiiiii!!!" Usne apna sarr naa me hilaaya aur ghabraate hue Veer ko dekhne laga.

Neeche Magar uska jese wait hi kar raha tha aur uss magar ki aankhein itni khatarnaak lag rahi thi iss waqt ki Aatish shabdo me bhi baya nahi kar sakta tha.

"Aise hi... Aise hi tumne Golu ko maara tha... Mujh se marwaaya tha usse haan!? I will kill you in the exact same way!!!!!!"

Veer ne itna bol dheere dheere ussi pocket knife se rassi kaatna shuru kar dii, jo Aatish ne kuch derr pehle usse maari thi.

"Naaaaaaahiiiiiiiiiiiii.... Nahiiiiiiii Veeeeeeeeerrrr"

Wo chillaaya par....

*Splaaasssssssshhhh*

Tab tak boht derr ho chuki thi. Aur agle hi pal wo paani me jaa gira.

*Chhap* *Chhap*

Uske haath perr vyarth hi idhar udhar machalte hue baahar nikalne ka prayatn kar rahe the. Par...

Agle hi pal...

*Cruncccccchhhhhhhh*

Magar aage badha aur ek baar me hi Aatish ke sarr ko apne nukile daato me jakad usse daba diya...

"Aai!!!!" Bas... Yahi aakhiri shabd uske muh se nikla.

Uske baad... Poore tank ka saaf paani bas laal rang ke khoon hi khoon se bhar gaya.

Aur Veer apni bauhe sikode saamne ke iss manzar ko dekhta raha jab tak ki paani me ho rahi wo chhap chhap awaaz kam na ho gayi. Aur fir shaanti sii na chha gayi...

'It's over!'

[Yes master! Aap theek ho na?]

'I'm not fine. But...'

[???]

'Aatish ne teen badi galtiya kari thi.'

[Hmm?]

'Pehli ye... Ki usne mere kareebi jano ko chherra.'

[...]

'Dusri ye ki usne mujhe zinda chorr diya.'

[Master!]

'Aur teesri ye... ki usne aisa jaanwar paala jo apne hi maalik aur maalik ke dushmano me antar karna nahi jaanta.'

[Hmm!]

Pari kuch soch ke shaant ho gayi par tabhi...

*Ding*

['Mission : Take down Aatish!!!' has been completed.]

*Ding*

[120 points have been rewarded.]

*Ding*

[You have been rewarded a Random skill. ~ Hawkeye.]

*Ding*

[Past Illustration function is invoked.]

[Do you want to see Aatish' Past?]

'Huh???'

Veer chakit ekdum saamne ki orr dekh raha tha. Tank me Aatish ke kuch shareer ke hisse terr rahe the. Aur ussi ke upar system ki screen hawa me khuli hui thi.

'Ye sab..!?'

[Mene aapko bataya tha na master. Past Illustration function ke baare me... Aap yadi kisi vyakti ko maarte hai toh uske baad uska past padh sakte hai. So? Kya aap dekhna chaahte hai?]

Veer ne kuch socha aur fir haa me sarr hilaaya aur mann me hi 'Yes' keh diya.

Uske baad Aatish ka poora past Veer ke saamne ussi screen me likh ke aa gaya. Sab kuch.

Jab Veer ne wo sab padha toh uska sarr apne aap jhuk gaya.

[Master! Do you regret it now?]

'No! I don't... Pari! Usne Golu ki jaan lii. Aur na jaane kitne nirdosh logo ki jaan lii hogi usne. I don't regret it. It's finally over.'

[Yes! Aapko yaha se jaana chaahiye!]

'Hmmm! Par uss se pehle... Kuch kaam hai..'

Veer third floor se waapas basement me aaya jaha wahi sona ka mandir rakha hua tha.

Usne aage aake wahi hockey stick uthaayi aur wo contract bhi...

Aur wo tasveer bhi... Usme ek aadmi, ek aurat aur ek bacche ki tasveer thi.

Unn sabhi ko leke wo mandir ke kareeb aaya aur teeno cheeze usne mandir me hi rakh dii.

[Hmm? Maaasteeerr!?? W-Whyy!? Aapne...!?]

Veer ka behaviour Pari ke palle nahi pada tha aur isliye... Usne ye sawaal kiya. Iss Waqt toh Veer ko apne ghar ki orr bhaagna chaahiye tha aur sabse pehle apni chot ke baare me sochna chahiye tha. Par wo ulta yaha waapas aake dushman ki cheezo ko utha ke idhar se udhar kar raha tha.

Ye sab kuch Pari ke liye prashn janak tha.

Par...

Pari ke sawaal par...

Veer ke muh se ek hi uttar nikla...

"Maa... toh akhir Maa hoti hai... Pari!!!"
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Issi ke saath yaha par khatam hota hai Aatish' arc. Slogan arc shuru hoega next update se. Tab tak ke liye like karke jaane ka pasand aaye toh aur comment karne ka. 😁

Dhanyavaad!
bhai kya zabardast update tha..!!
atish ki khud ki story bhale hi dardnak thi lekin usne apne zindagi me kitne masoom logo ko mara tha..isliye veer ko bura manane ki koi baat nahi hai..veer jo kiya woh bilkul sahi kiya..!!
 
431
1,868
123
Update - 40 ~ Getting a Job
Ab tak...

Ye sab kuch Pari ke liye prashn janak tha.

Par...

Pari ke sawaal par...

Veer ke muh se ek hi uttar nikla...

"Maa... toh akhir Maa hoti hai... Pari!!!"

Ab aage...

Aatish ki death ke baad, Veer uss raat thoda buri haalat me ghar pohucha tha. Par ghar pohuchne se pehle usne clinic me apni first aid karwa lii thi.

Ghar me usne bilkul bhi aisa nahi dikhaaya ki wo ladkhada raha hai ya uske perr me kuch gadbad hai, warna sabhi uski jaan kha jaate. Wo seedha dinner karke apne room me jaa ke lait chuka tha. Jo bhi medications doctor ne provide kiye the, usse time to time usne liya aur bas araam farmaane laga.

Par bhala Veer kisi ka khoon karne ke baad itni asaani se kese araam farma raha tha?? Aur aise hi kese usne Aatish jese aadmi ko thikaane laga diya?

Iss sawaal ka jawaab ek hi tha.

~Suhana!

Jis din Veer Suhana se milne gaya tha. Toh Bhumika ki hotel se Suhana usse apni gaadi me baitha ke apne ghar le gayi thi. Aur unn dono ke beech jo bhi conversations hui thi, usme hi iss baat ka uttar chhipa tha.

Veer : Wait! Aap mujhe apne ghar kyu le jaa rhi ho!?

Suhana : Shut up okay! Ek toh mujh se kehte ho ki mujhse aake milo. Waah! Dekh rahe ho? Suhana yaani ki mein tumse milne aa rahi hu. Apne saare kaam chorr ke. Aur fir milte se hi ek bomb patakte ho ki tum uss Aatish ko maaroge... Mazaak chal raha hai kya!?

Veer : Mein jhooth nahi bol raha. I'll definitely...

Suhana : Wahi! Idiot! It's not a small matter. Ghar pe chal ke discuss karna padega.

Veer : Fine!

Jab dono hi ghar pohuche, toh ghar me sabhi servants unn dono ko hi dekhe jaa rahe the.

Suhana : Ignore the maids and servants. Aao! Mere room me hi discuss karte hai.

Aur Suhana Veer ko apne room me le gayi. Par uske aisa karne se servants ki beech baatein na bane, bhala aisa kese ho sakta tha?

Servant 1 : Suhana Ma'am ek ladke ke saath!? Wo bhi apne room me le gayi usse!?

Maid 1 : Sonia Madam ko pata hai ye baat? Kaun hai ye ladka bhala? Aaj ke pehle kabhi kisi ladke ko Suhana Madam apne kamre me nahi le gayi. Fir aaj kese? Uss din bhi aaya tha ye... Par hai kaun!?

Servant 2 : Hmm! Kuch gadbad toh nahi!?

Maid 2 : Tum log apna kaam karo aur faaltu ki baatein na banao. Yadi Suhana Madam ko pata chala toh pata hai na kya hoga!?

Uss dusri maid ke itna kehte hi waha maujood baaki sabhi servants ki bolti band ho gayi aur wo kuch ateet ke baare me soch ke forun hi apne kaamo me lag gaye.

Idhar andar Veer Suhana ke kamre me daakhil hua toh woh chakit reh gaya. Kamra waaqai neat and clean tha aur ek lady ka hi kamra prateet ho raha tha.

Par iss waqt uski nazre jese kisi cheez ko dhund rahi thi.

Suhana : Hmm? Kya hua? Kya dekh rahe ho aise?

Uske sawaal par agle hi pal Veer ko Suhana ki wahi image yaad aa gayi.

"Waaahahahahahahaha fuck you chorrrr..."

Jab wo Teddy ki dhulaayi badi hi berehmi se kar rahi thi. Aur ye yaad aate hi Veer ke paseene chootne lage.

Suhana : Oh hello? Kaha kho gaye?

Veer : Huh!? No... I... just...

Suhana : Bolo? Kya dekh rahe ho aise!?

Veer ek baar fir idhar udhar dekha aur jese hi uski nazar bed ke neeche padi uski aankho me jese ek chamak aa gayi.

Wo teddy wahi thusa hua pada tha. Jab Suhana ne uski nazro ko follow kiya aur usse ye ehsaas hua ki Veer kya dekh raha hai. Uski aankhein hairaani aur fir gusse ke maare fel gayi.

Agle hi pal usne teddy ko laat se aur andar thoos diya aur Veer ke paas apni gaand matkaate hue wo aayi aur dheere se boli,

"Tumne kuch nahi dekha. Right!?"

'Fucccccckkkkk! She's scary!'

Veer : Y-Yeah!!

Suhana (smiles) Good! Then... Baitho!

Aur dono hi aamne saamne baith gaye.

Suhana : Ab bolo!

Veer : Mein pehle hi bata chuka hu. Aur kitni baar batau?

Suhana (sighs) : Tumhe pata hai na tum kya baat kar rahe ho? Yadi meri nazro se dekhoge toh tumhe pata chalega ki tum kitna bada joke maar rahe ho.

Veer : I'm not joking.

Suhana : Dekho! Abhi tumhaari boht life hai yaar. Tum inn sab ke chakkaro me kaha pad gaye!? Tum toh ek college student ho. Aur wo Aatish Mumbai ka Don aadmi jesa hai. Arre wo ek phook me hi tumhe uda sakta hai. Fir kyu maut ke mooh me jaa rahe ho? Mein khud uske khilaaf kuch karne se darr rahi hu. Warna tumhe lagta hai mein shaant baithi rehti? Ye jaan ke ki meri behan ki jaan ke peeche koi pada hai? Definitely not!

Aur wo bolte bolte uth khadi hui aur palat ke window ke paas jaa pohuchi.

Suhana : Just live a normal life man. Inn sab me kuch nahi rakha...

Veer : Usne mere dost ko maara hai...

*Silence*

Suhana : ???

Veer : He planned it. That's why... Chaahe kuch bhi ho jaaye... I have to take him down.

Suhana : ...

Veer : Aur isliye... Mujhe aap se help chaahiye!

Suhana : ??

Veer : I want you to handle the Police and investigation.

Suhana : Hmm! Toh tum chaahte ho ki mein tumhaari kartoot ke baad saara kuch handle karu?

Veer : Kuch aisa hi...

Suhana : Aur mujhe kya milega? No wait! Tum itna yakeen ke saath kese keh sakte ho ki tum uss aadmi ko maarne me kaamyaab ho jaoge? Huh?

Veer : Trust me! I will bring him down.

Suhana (sighs) : Mujhe abhi bhi ye ek joke hi lag raha hai chaahe kisi bhi angle se kyu na dekhu. Alright! Maan lo mein agree kar gayi aur police ko handle kar liya... But... Mujhe kya!? Mujhe kya milega? Exchange equal hota hai you know right? Mein tumhari itni help kar rahi hu toh... You know...

Veer : Mein Aatish ko aapki behan ke raaste se alag kar raha hu kya wo kam nahi!?

Suhana : Oh c'mon! Wo Aatish abhi tak meri behan ka kuch nahi kar paaya hai. Toh uska hona obviously threat hai par aisa bhi nahi hai ki uske hone se meri behan jee hi nahi paa rahi hai. Toh itne se kuch nahi hone waala. Give me something equal to my favour...

Veer : Then... Mere paas aur kuch nahi hai dene ko... Aap wese hi crorepati log ho. Upar se aapne hi mujhe wo debit card diya tha. Toh paise dena toh murkhta hogi.

Suhana : Hmm! Then promise me...

Veer : ???

Suhana : You will do two favours.

Veer : Kaise favour?

Suhana (smiles) : Pehla ye ki... Mujhe jaana hai next week Delhi. Sonu bhi saath me rahe isliye wo abhi zyaada busy hai aur saare yaha ke kaam schedule se aage hi kar rahi hai. Taaki wo mere saath chal sake. Mere husband ki taraf se mujhe waha jaana hai. Basically, Boht bada function hai jaha dherr saare alag alag companies ke log aaenge... Kuch aage ki technologies se related innovative function rakha gaya hai.

Veer : Hmm! Toh!?

Suhana (smiles) : You'll come with us.

Veer : ???

"Kyaaaaaaaaaaaaaa????"

Aur Veer jhatke se khada ho gaya.

Suhana : Yeah! Dekho mein toh busy ho jaungi waha pohuch ke. Toh Sonu ko company dene wala koi hona chaahiye na? Aur tum dono wese hi ek dusre se familiar ho.

Veer : Wha...!? No... Wait!!! Mein kyu??? I mean... Aapke itne saare contacts...

Suhana : You don't understand.

Veer : Huh?

Suhana (sighs) : Aaye din inn ameer gharano se rishte aate hai Sonu ke liye tumhe pata hai? But she never pays any attention to them. Kyuki, wo sabhi ki personalities ek jhatke me dekh ke hi pehchaan jaati hai. I mean... Ahem... Excluding mine.

Veer : ??

Suhana : Isliye... Koi aisa hona chahiye uske saath jiske sang wo uncomfortable na feel kare, easy to talk ho banda... Aur tum se behtar kaun hai?

Veer : No... I mean... Unki friends bhi toh hongi na... Jo...

Suhana : Uski sirf 2 hi friends hai. Ek aur tha Pushkar... But wo ab iss duniya me nahi hai. Baaki 2 friends... Well... It's complicated. Isliye... Ab tum hi bachte ho... So? Mein haa samjhu ya...!?

Veer kuch derr socha... Par akhir usse ye shart toh maan'ni hi thi. Kyuki tabhi Suhana uski help karne raazi hoti...

Veer (sigh) : Fine!

Suhana (smiles) : That's good to hear. Passport wagarah toh hoga hi tunhaare paas hai na?

'Damn! Passport toh mera uss ghar me hai. Ab mein waha nahi jaa sakta...'

[Aap Ragini se keh ke passport mangwa sakte ho Master.]

'Ahh! Right! Thanks Pari!'

[You are welcome Master!]

Veer : Jii! Passport hai.

Suhana : Good! Then I agree...

Veer : Wait a minute! Dusra favour!?

Suhana (smiles) : Samay aane par... Uski bhi maang karungi. Filhaal toh yahi hai... Okay now... You can leave. Police and investigation mein dekh lungi. Also, kuch aadmi bhi bhijwa dungi... Par dhyaan rahe... Wo tumhaare saath ekdum andar nahi jaenge.

Veer : Chalega... And thanks! Also...

Suhana : Hmm??

Veer : 2 favour aur jod lijiye...

Suhana : Huh??

Veer : Mujhe police station jaana hai aur waha se kuch baraamad karna hai. Mere friend ki cycle. Uski akhiri nishaani... Thaane me hi hai. Aapko meri help karni hogi.

Suhana : Ohhhh! Ho jaega. Aur dusra kya!?

Veer : Dusra ye ki... Help me find someone!

Suhana : ???

Veer tabhi dheere se aage aaya, usne table par rakhe pen aur ek dairy se paper faad Suhana ko kuch likh ke usse thama diya.

Suhana : Kya hai ye? Hmm? Bhavana Singh!? Alias name Geeta!? Job... Archeologist!?

Veer : Meri Maa... Real maa... Unki details... I know aapke connections kaafi hai. Help me find her location. Mujhe vishwaash hai aap karwa logi ye...

Suhana (smiles) : Ohhhh! I see!

[Damn master! What a perfect plan. Suhana can really help you. Uski madad se jald hi location mil jaegi aapko apni mom ki...]

'Yeahhh!'

Suhana : Toh tumhaare ab teen favour ho gaye. Chautha toh yahi hai ki... You are coming with us. Remember this.

Veer : Hmm! Chalta hu...

Suhana : Okay!... And....

Veer : ???

Suhana : Good luck! Also... Don't die...

Veer jaane ke liye jese hi muda... Toh Suhana ke bol ke chalte ek baar fir wo ruk gaya.

Suhana : Wese... Tumhe kese pata chala ki mere itne contacts hai!? Itne yakeen ke saath kese aa gaye tum mere paas? Kuch toh pata chala hoga kahi se!?

Uski baat sunn, Veer dheere dheere uske kareeb aaya aur theek uske peeche khada ho gaya. Suhana abhi bhi window se baahar hi dekh rahi thi. Uski peeth abhi bhi Veer ki taraf thi. Wo mehsoos kar paa rahi thi ki Veer uske theek peeche khada hua hai.

Par agle hi pal Veer ne kuch aisa kaha, jiske chalte uski aankhein hairaani aur shock ke maare phatati chali gayi...

Veer : Aapka reaction kuch odd sa tha. Hotel me mene kisi ko maarne ki baat aapke saamne rakhi, aur aap of course thoda shock hui but after that... Aapke liye jese ye utna shocking bhi nahi tha. Ye meri guessing hai... But i feel it... You have killed someone before...Right?

Wo dheere se kahe gaye shabd, jese Suhana ke kaano me ghanti ko tarah baj rahe the. Wo last sentence jese kisi bomb ki tarah aake gira tha Suhana ke upar. Pal bhar ke liye toh uska shareer bhi sihar utha.

Fir toh usne na aav dekha na taav, wo tezzi se yu palti aur Veer ki collor ko bheench usne usse peeche dhakela jaha ek couch rakha tha. Aur dono hi uss couch par gir pade.

Suhana Veer ke thik upar thi. Uske zulfe Veer ke gaal ke bagal se hote hue latak rahi thi.

Veer ki collor uski giraft me thi aur wo ekdum gusse se Veer ko dekh rahi thi.

Suhana : How did you know?

Veer : I... I just guessed.

Suhana (glares) : Waqai!? Kyuki mujhe ab tumpe doubt ho raha hai.

Veer : Waqai!

Suhana halka sa aage jhuki, uska badan poora Veer ke seene par tika hua tha. Wo uske kaano ke sameep aayi aur badi hi dheemi par thodi bhayanak sii awaaz me boli,

"Tumhari guessing kuch zyaada hi sateek jaa rahi hai. Aage se... Iss baat ka zikr kabhi tumhaare muh se nahi nikalna chaahiye. Kisi ko pata nahi chalna chahiye. Sonu ko toh bilkul bhi nahi. Jis din aisa hua... Wo tumhara probably last din hoga."

Suhana ne daraate hue uss se kaha. Yadi koi aur hota toh waqai thoda ghabra jaata. Par Veer toh Veer tha... Aur wo bhi pehle waala nahi. Uske andar Pari jo thi ab.

Apne haath ko uthaate hue usne Suhana ki narm gardan ko thaama aur uski aankho me dekhte hue bola,

"Don't tempt a young man like that Suhana jii... Dusro ke secrets ko felaana... Meri aadat nahi! Aur ho sake toh... Uthiye please!"

Aisa response Suhana ne bilkul bhi expect nahi kiya tha. Usse laga tha wo Veer ko thoda darra degi par yaha toh situation hi alag bann gayi thi. Aur jab usse apni haalat ka dhyaan aaya toh achanak hi uske gaalo par halki laali sii chhaane lagi aur wo ekdum jhatke se uth ke do kadam peeche ho gayi.

Veer (smiles) : Chalta hu... Thanks again!

Aur Veer Suhana ko akela chorr waha se nikal gaya. Suhana keval usse jaate hue dekhti rahi.

Suhana Veer ki madad karne ke liye keval ek hi kaaran se raazi hui thi. Aur wo ye ki Veer Aatish se bhid chuka tha aur abhi tak zinda tha. Saath hi saath Veer ki Dushmani bhi Aatish se thi.

Ye kehna galat nahi hoga ki wo Veer ko as a pawn use kar rahi thi. Aur saath hi saath usse extra favours bhi mil chuke the. Par usse doubt tha ki kya Veer waqai ek maamuli sa ladka kuch kar paega?

Suhana shaatir thi. Usse pata tha yadi Veer fail hua toh kya karna hai. Wo Sonia ko kuch bhi pata nahi chalne deti ki isme uska haath tha. Par yadi Veer pass hua, toh sabse pehla sawaal uske mann me yahi aane waala tha ki akhir aisa kese kar liya usne? Aatish jese aadmi ko khatam karna?

Yadi aisa hua toh iska matlab saaf hone waala tha ki Veer kuch chhipa raha hai uss se. Aur isliye Suhana ne pehle hi dur ki soch lii.

Wo Veer se do kadam aage chal rahi thi.

Yadi Veer pass hua, toh usse apna favour nibhaana padega. Aur aisa karne ke liye usse uske saath jaana padega Delhi.

Aur issi trip me... Wo Veer ke secrets dhundne ka prayatn karegi. Ki akhir kese... Ek maamuli sa insaan kese Aatish ko maar diya? Par usse kya pata tha...

Ki Veer koi maamuli insaan nahi tha.

Jab Veer ghar aaya toh wo Ragini se mila.

Ragini : Kya hua Veer?

Veer : Bhabhi wo... Ab kese kahu... Mera passport rakha hai ghar me... Puraane waale...

Ragini : Passport? Nahiii! Arre mene tumhaare saare documents aur IDs pehle hi servant se mangwa lii thi Veer. Mere room ke cupboard me rakhi hai. Tum lelo jaake.

Veer : Huh? Really?

Ragini : Haan!

Aur next second hi Veer ne wo kiya jiske chalte Ragini hakki bakki sii murti bani khadi rahi.

Veer ne Ragini ko apni baaho me zorr se kheencha aur usse daboch lia,

"Ohh thank you Bhabhi! Aapne meri samasya hi hal kardi! Thanks a lot!"

Aur wo Ragini ke kamre me chala gaya. Par idhar bechaari Ragini, bhauchakki sii apne surkh laal gaal liye khadi rahi. Usse samajh me nahi aaya ki ye achanak se kya ho gaya.

Wahi dusri orr,

Idhar Suhana khaayalo me ghum thi jab kuch derr baad usse Veer ki taraf se ek message aaya,

"Shaam ko thaane me miliyega. Mujhe friend ki cycle baraamad karwaani hai. Need you help!"

Suhana : Ughh! Really... Ek cycle bhi nahi li jaaegi iss se...

Aur usne "Fine" reply kar mobile side me fek diya.

***

Aur ye thi Aatish ki death ki pehle ki poori planning. Veer ne Suhana ke aadmiyo ki madad se JALSA me unn gundo ki thikaane lagaaya tha. Baaki toh usne apne hi bal boote par kiya tha.

Ab sawaal tha ki wo 110 points kaha invest karne wala tha? Aur uski nayi skill Hawkeye kya thi?

'Pari! Show me my stats'

[Yes master!]

[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 30/100
Endurance - 45/100
Appearance - 22/100]

'Alright! Intelligence me 15 daal do. Agility me 20. Endurance me 5.'

*Ding*

[15 points have been added to Intelligence.]
[20 points have been added to Agility.]
[5 points have been added to Endurance.]

[70 points remaining.]

[Kisi aur me Master?]

'Hmm! Appearance me bhi 18 add kar do.'

*Ding*

[18 points have been added to Appearance.]

[Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 50/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 40/100]

'Good'

[52 points remaining hai. Kuch karna hai? Wese mujhe kuch baatein bataani hai aapko.]

'Kesi baatein?'

[50 points se ab upar jaane ke liye. Aapke 2 points keval 1 hi point consider kiye jaenge.]

'Huh? No... Ek minute!'

[Yes! That's right! Ab yadi aapko 50 se 52 par kisi stat ko badhaana hai toh aapko 2 nahi balki 4 points invest karne honge tab jaake wo 52 par aaega.]

'Wtf????? Ye toh pagalpan hai. Aise toh mere...'

[Yes! Aapko kya laga? Stats badhaana itna asaan hai? It will take time. And a lot of hard work.]

'Fuccccccckkkk!'

[Toh? Kisi me invest karna hai?]

'Abhi nahi! Yadi koi skill hai kaam kii toh wo dikhao. By the way, ye Hawkeye kya hai.'

*Ding*

[Skill : Hawkeye.

Description : A Diamond Tier Skill. Grants the user a perfect aim for anything. No target can slip away from Hawk's eye.]

'Holyyyy shittttttt!!!!'

Skill padhte hi Veer ko pata chal chuka tha ki ye kya thi. Ek Diamond Tier skill. System ki sabse highest skills hoti hai Diamond Tier skills. Uske neeche aate hai Gold, fir Silver aur Bronze.

Veer ke paas jo Basic Martial Arts skill thi wo ek Bronze skill thi. Saath hi saath Sex protection jo usne purchase kii thi wo ek Silver Tier Skill.

Aur ye thi... Ek Diamond Tier Skill.

Jise upgrade karne ki koi zaroorat nahi thi. Perfect Aim matlab perfect Aim. Permanent on hi rehne waali thi ye.

'Fuccckkk! This is insane. Wait! Toh mein Shop se Diamond Tier skills access kar sakta hu?'

[No way! Ye toh aapka reward tha. Aur... Reward randomly select hoke aaya. Isliye aapko jhatke me mil gayi. Warna iski probability boht kam rehti hai. You are lucky.]

Veer abhi aur functions ke baare me jaanta ki achanak hi uska phone bajne laga.

Dekha toh paaya ki Shreya ka phone tha.

Veer : Hello?

Shreya : Guess what?

Veer : Guess what kya?

Shreya : Arreeee buddhuu meri job lag gayi... Tumne jo bheja tha na mujhe address company ka. I went there... Mera interview hua and Omg... Like... They hired me... I'm so happy right now...

Veer (smiles) : Congratulations!

Shreya : All thanks to you... Mujhe toh pata hi nahi tha tumhara itni badi company me connection hai. Like mera bas interview hua aur kuch nahi... Aur suno... Abhi ke abhi mujhe xxxxxxxx mall me milo. Mein shopping karne jaa rahi hu. Tum saath me chaloge.

Veer : Hmm! Aata hu.

Aur bataaye gaye samay pe Veer pohuch chuka tha, xxxxxxxx mall me.

Kuch hi derr me Shreya bhi aa gayi.

Shreya : Kesi lag rahi hu?

Veer : Hmm? Great!!

Shreya (blushes) : Thanks! Toh chale?

Veer : Sure!

Aur dono hi shopping karne nikal gaye.

Shreya : Wese... Ab kesa feel kar rahe ho tum? Dii bataayi thi tum kaafi pareshaan the kuch dino se...

Veer (smiles) : I'm fine now. Nidhi ma'am aur Juhi kesi hai?

Shreya (smiles) : Juhi toh roz tumhaare baare me puchti hai. Aur... Dii bhi tumhe yaad karti hai. Dono acche hai... Bas... Tum the toh ghar ka mahaul aur khushnuma sa tha.

Veer : I... I see!

Shreya : Anyways! Aaj meri job lagi hai. Toh aaj mein apni savings se saari shopping karungi. Aur tumhe bhi mere saath chal ke ek shirt leni padegi.

Veer : Naah! It's okay! Balki, aap chalo... Aaj mein aapko aapki pasand ki cheez dilwaunga.

Shreya : What the hell? Joke maar rahe ho? Hahaha~ zyaada nahi fekte... Chalo ab.

Aur wo Veer ko kheench ke le gayi. Par usse nahi pata tha, ki Veer ke paas Suhana ka diya hua Debit card tha. Aur iss account me 5 se 6 lakh amount bhara hua tha.

[Master! Aap Nidhi ko kyu nahi de dete ye paise? After all, she needs money.]

'No! Itne me unka kuch nahi hone waala Pari. Kam se kam... 45 lakhs hone chaahiye. Tab jaake kuch ho sakta hai. Yadi abhi mein unhe dunga... She will question me. Ki itne paise kaha se aaye? Koi galat kaam toh nahi kar raha mein? Wo wese hi tension me hai. Unhe aur tension nahi deni hai.'

Wo Nidhi ke khayaalo me khoya hua tha jab Shreya ki awaaz usse waapas se hosh me laayi.

"Oye!? Kaha kho gaye? Look! How do I look? Is it good?"

Aur wo ek full sleeve top pehen ke baahar aayi jisme wo alag hi kayaamat lag rahi thi.

wp-content

Veer (smiles) : Aapke upar sab kuch accha lagta hai. After all, you are beautiful.

Shreya (jhepte hue) : Huh?? W-Wh-What??? Y-Ye achanak se, tumhe...!?

Aur uske gore se gaalo par halki sii laal parat chadh gayi.

Wo bhaag ke gayi aur fir kuch aur kapde pehen ke usne Veer ko dikhaaye.

Veer ne fir usse apni taraf se bhi ek top kharidwaaya aur apni Nidhi Ma'am ke liye ek suit bhi aur Juhi ke liye pyaari sii frock bhi.

Jab Shreya ne ye prashn kiya ki itne paise kaha se aaye toh usne yahi kaha ki mehnat ki kamaayi hai.

Shreya aaj behad khush thi. Naukri lagne se uske andar ka confidence badh chuka tha.

Shreya ko ghar pe drop kar Veer apne ghar ke liye jaane hi waala tha jab wo uske paas aayi aur ek baar fir se usse thanks boli,

Shreya : H-Hey!!

Veer : Hmm?

Shreya : Th-Thanks... Once again!

Veer : Baar baar thanks nahi kaha jaata...

Shreya (blushes) : R-Right!

Veer : You should go now! Ma'am aur Juhi wait kar rahi hongi aapka.

Shreya : Hmm! T-Tum nahi aaoge andar?

Veer : No! Mein do din baad Delhi jaa raha hu. Waha se aake hi milunga...

Shreya : Huh??? Delhi?? Kyu??

Veer : Kaam hai...

Shreya : O-Okay...

Veer : Jaaiye ab...

Shreya (blushes) : Hmm!

Wo jaane ke liye hui toh Veer apni gaadi me key lagaane laga.

Par achaanak hi wo palti aur agle hi pal, Veer ko apne gaalo par kuch geelapan sa mehsoos hua.

Iske pehle ki wo kuch samajh paata, Shreya sharmaate hue jhat-pat tezz kadmo ke saath lift ki orr bhaag gayi.

Aur bechaara Veer apni aankhein faade, hairaani me usse keval jaata hua hi dekhta raha.

'Huhhhhh!?'
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Baaki ju logo ko toh pata hi hai ki kya karna hai? 😁

Dhanyavaad!
Jabardast mast update
 
Nandu babu

Member
243
1,014

Super update bhai Mazza AA gaya
 
Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,662
25,340
204
Update - 37 ~ Consolation and Schemes
Ab tak...

Veer ki haalat dekh uski rooh kaanp gayi. Darwaaze ki dehleez pe hi uske kadam tham gaye. Aur ek atyant hi peeda aur ajeeb sa dard uske dil me hua Veer ko uss haalat me dekh.

Nidhi : V-Veeeer!??

Veer : ??

Ab aage...

Kal jo kuch bhi khaufnauk haadsa hua tha, uss haadse ke baad se zaahir sii baat thi ki Veer ki haalat iss waqt shabdo me baya karne waali nahi thi.

Wo andar se aur saath hi saath baahar se bhi toota hua tha. Na keval Aatish ne usse andar se toda tha balki uske gundo ne milke, Veer pe haath saaf karne ki bhi koi kasar nahi chorri thi.

Usse jese ek behad bada jhatka sa laga tha. Apne kamre me zameen par paav sikode aur apna sarr jhukaaye baithe hue tha wo. Beech beech me Veer ka shareer kaanp uthata aur wo apne kaanpte hue haath khol unhe dekh khud se hi baat karne lagta...

'I-I killed him... Mene... Mene usse... Mene inhi haatho se G-Golu ko... Mene maar diya... Pari!?? Mene... I killed him Pari... I... *sniff* I killed him.'

[Master! Please! I beg you! Isme aap ki koi galti nahi thi Master. Hume nahi pata tha ki hum jab jab aage badh rahe the, hum Golu ko maar rahe the. Ye sab anjaane me hua Master. Isme saari galti uss aadmi ki hai. He set that trap. M-Master... Please! Khud ko sambhaaliye... Golu ki death ka badla aap ko hi lena hai master. Aap aise haar nahi maan sakte. Wo aadmi yahi chaahta hai master. Usne Ragini ke saath bhi wahi kiya tha na... Dekha nahi aapne? Waha se aane ke baad hi uske aur Vivek ke beech kitni badi daraar aa gayi hai? Master... Aapko hi kuch karna hoga.]

'Pari... Pari... Golu ko mene maar diya Pari... Mene apne hi haatho se... Usne meri jaan do baar bachaayi thi. Aur jaha mujhe usse bachaana chahiye tha. Waha... Waha mene ulta inhi haatho se usse maar diya.'

[Master! No! You didn't! Aapne nahi maara hai Golu ko master. Uss aadmi ne maara hai. Aap toh ye soch ke aage badh rahe the ki hum Golu ko bachaane ke liye uske nazdeek pohuch rahe hai. Par hume kuch nahi pata tha Master.]

'Sab meri galti hai... Sab... Mene kisi ka khoon kar diya Pari... Mene... I'm a murderer now... *sniff* Mein hi doshi hu... Saara ka saara dosh mera hai. Haan! Tum... Tum sab mujhe akela chorr do... Mein... Mein akela hi thik tha. Chali jao Pari tum bhi... I'm really a loser now. Ek dost ko nahi bacha saka mein... Ulta uski hi jaan le liya. Pari... Jao... Mein kuch nahi hu Pari. Tumhe iss shareer me sab bekaar hi milega Pari... *sniff*'

[Master! Please aisa mat kahiye. You are the best master. Aur, I cannot leave your body. Mein aapki body chorr kar jau, iske keval do hi raaste hai. Aur wo dono boht hi extreme hai. Aur mein kabhi aapse alag nahi houngi. Please! Master! Meri baat samajhne ki koshish kariye.]

'No... Pari... I...'

Veer ki maansik haalat itni kharaab thi ki wo Pari ki baat samajhne ka prayaas hi nahi kar paa raha tha. Jo jhatka usse laga tha, wo kahi hadd tak usse andar se hila ke rakha hua tha.

Pari ki harr baat ko wo ignore kar khud ko dosh diye jaa raha tha, jab achanak hi uske kaano me ek awaaz padi...

"V-Veer!?"

'??'

Aur ye awaaz sunte hi Veer ne apna sarr haule se uthaaya.

Uske saamne Nidhi chintit sa chehra liye darwaaze ki dehleez pe khadi hui thi. Aur itna hi nahi, Nidhi ke peeche hi Kavya aur Arohi bhi khadi hui thi.

Dheere dheere...

Nidhi apne kadam badhaate hue aage aayi. Uske perro me bandhi payal ki awaaz Veer bhali bhaati sunn paa raha tha.

Wo uske sameep aake jhuki aur usse dekhne lagi.

Nidhi Veer ki vartmaan haalat dekh ke hi ghabraayi sii hui thi. Aankho me halke halke aasu the, wo laal ho rakhi thi, aur unhi aankho ke neeche kaalapan. Jo ye batla raha tha ki Veer soya nahi hai raat bhar.

'Ye!? Ye kya haalat ho rakhi hai Veer ki!?'

Nidhi mann me soch aage badh Veer ke chehre par apne haath le gayi aur bade hi haule se usne Veer ke gaalo se unn aasuo ko pocha.

"Ma'am!?"

Uske thar tharaate hue hontho se jab wo shabd nikle toh Nidhi ne uski hatheli apne haatho me bheench lii.

Nidhi : Ye... Ye sab kya haal bana rakha hai Veer!?

Par Veer kuch na bola. Uski aankho se aasu nirantar behte chale jaa rahe the, jo Nidhi apne haatho se pochti jaa rahi thi.

'Kahi...!? Kahi Veer ke gharwaalo ne toh kuch nahi kiya uske saath!?'

Ye soch Nidhi ki nazre Kavya aur Arohi ki taraf gayi aur usne thoda gusse se unn dono ko dekha.

Par jab usse laga ki Kavya ne hi toh usse yaha call karke bulaaya tha aur saath hi saath dono behno ke chehre par jab usse chinta nazar aayi toh Nidhi ne ye khayaal forun hi apne mann se nikaal diya.

Nidhi : Veer!? Mein tumse kuch puch rahi hu. Jawaab do meri baat ka. Ye sab kya hai? Kya hua hai?

Par Veer abhi bhi kuch nahi bol raha tha. Yaha se Nidhi ki awaaz, toh andar se Pari ki awaaz aur fir uske khud ke antar mann ki awaaz jo usse doshi thehra rahi thi. Inn sab ke chalte wo bas ek jagah bina kisi hosh ke besudh sa dekhe jaa raha tha.

Nidhi : Tum Kavya ho na!?

Kavya : Huh? J-Jii!

Nidhi : Kal aisa kya hua tha? Jo Veer ki haalat aisi ho gayi hai? Batao mujhe... Jaldi...

Nidhi ke chehre par chinta dekh, Kavya thodi hairaan thi. Par ek baat usse clear ho chuki thi. Wo ye ki usne Nidhi ko yaha bula ke ekdum sahi decision liya tha.

Kavya : Wo... Ma'am... Mein aapko poori baat bataati hu. Darasal... Diwali ki night me mein aur Arohi dii yaha par aa rahe the. Tab raaste me hi kuch gunde hamaare peeche pad gaye the. Mene Veer bhaiya ko call karke bulaaya tha aur unhone hi hume bachaaya tha. Par uss din unn logo ne Veer bhaiya ko kaafi chotil kar diya tha.

Nidhi : Kyaaa?

Kavya : Hmm! Aur fir kal... Achanak hi bhaiya bole ki unhe kuch kaam hai aur raat me hi kareeb 7:30 baje ghar se nikal gaye. Par... *sniff* Par...

Bolte bolte Kavya yu rone lagi toh uski baat ko Arohi ne poora kiya.

Arohi : Par raat me hi... Kal Veer hume ghar ke baahar mila. Veer ko boht chot aayi hui thi. Abhi bhi uske badan par chot ke nishaan hai. Doctor ne treatment kiya aur medicine deke chala gaya tha wo. Par uske baad se... Veer na toh kuch khaa raha hai, na kisi se baat kar raha hai aur kuch bata bhi nahi raha hai. Meri kuch samajh me nahi aa raha hai ma'am. Wo log kaun the!? Aur kyu hamaare peeche pade hue the? Aur Veer kaha gaya tha kal jo uski ye haalat ho gayi? Yadi aap kuch hal nikaal sakti hai toh please...

[Master! Look! Nidhi ko aapki kitni chinta hai. Please! Listen to her.]

Nidhi : Veer! Meri taraf dekho... Kidhar gaye the tum kal!? Batao! Mein kuch puch rahi hu tumse Veer! Meri baato ko yu ansuna kar doge!? Mein tumhaari Ma'am hu na!? Bolo!?

Wo usse thoda sa hilaate hue puchi par...

Veer toh jese kisi murde ki tarah ho chuka tha. Koi harqat nahi kar raha tha.

[No! No! No! This is bad... Master ka emotional state itna unstable kese...!? Yadi aisa hi chalta raha toh master pakka depression me chale jaenge. Nooooo! Mujhe kuch karna hoga...]

Aur agle hi pal...

[Maaaaaassssteeeeeeerrrrrrrrr!]

'Huhhhh!?'

Pari uske andar itni zorr se chillaayi jiske chalte Veer ko kuch hosh aaya.

[Wo aadmi ab aapki Nidhi Ma'am ko maarega.]

Ye sunte hi Veer ki aankhein felti chali gayi!

'Huh!? M-Ma'am?? N-Nooo...'

[Yes! Even Shreya ko... Aapki Kavya ko... Arohi too... Ragini ko... Sabko maarega wo.]

'N-Nahi... Aisa nahi...'

[Of course! Aur kabhi aapne zara bhi fikar kii!?]

'???'

[Ki yadi aapki Juhi ko kuch hua toh!?]

Juhi ka naam sunte hi Veer ke raungte khade ho gaye. Uss pyaari sii bacchi ka khilkhilaata chehra uske mann me aaya. Yadi usse galti se bhi kuch hua...

Ye sochte hi Veer itna darr gaya ki uska badan kaanpne laga.

[Of course! He will kill them all. Kyuki aap toh yaha haath pe haath dharre baithe rahoge. Uske liye kaam asaan ho jaega. Yahi toh chaahta hai woh...]

'N-Nahiiiii... Aisa... Aisa kabhi nahi...'

[Bilkul hoga. Yadi aapne jald hi action nahi liya toh aisa hi hoga. Kabhi socha hai!? Ki yadi uss raat Kavya ya Arohi me se koi bhi pakdi jaati toh kya haal hota unka!? Fir aap... Apni hi behan ke hatyaare ho jaate Master. Aapki ek behan ki jaan jaati, ya dono ki hi jaa sakti thi.]

Ye baat jese kisi bhaari patthar ki tarah aake Veer ke upar giri. Aur uska poora astitv jese hila kar rakh diya.

[Aapki ye Nidhi Ma'am! Kabhi socha hai ki wo aadmi yadi inke peeche pad jaaye toh!?]

Pari ki baat sunn Veer ne Nidhi ko dekha jo usse hi chintit nazro se dekh rahi thi.

[You will lose her. You will lose everything. She will die.]

'N-Nahiiiiiiii'

[Bilkul! Yahi hoega! Aap sab kuch kho doge. Kaha gayi aapki wo pride? Kaha gaya aapke andar ka wo josh? Kya yu hi haar maan jaoge aap? Bhool gaye apna lakshya!? Aapko toh ek boht bada aadmi bann'na hai na? Kya hoga uss vaade ka jo aapne Juhi ko diya tha? Uske liye chocolate ki poori factory kholne waale the na aap?

Kya Nidhi jii ko uss Rajat ke changul se nahi nikaalenge aap? Bhool gaye ki abhi aapko apni saalo se bichdi Maa ko bhi dhundna hai? Kaha gaye wo saare vaade jo aapne mujh se kiye the? Kya wo sab dhong tha?

Yadi aise hi rahe aap... Toh sab kuch gawa baithoge Master. Nidhi, Shreya, Kavya... Ye sab aapke saamne maari jaengi aur aap kuch nahi kar paoge.]

'N-Nooooooo... I don't want to lose her... I don't want to lose anyone... Mein kisi ko bhi nahi khona chaahta... Nooooo... I really don't...'

Aur agle hi pal Veer ne aage badh Nidhi ko apni baaho me bhar liya.

"Aahhh!? Veeerrr!?"

Nidhi iss hamle se thodi hairaan zaroor thi par jab usse Veer ka kaampta hua badan mehsoos hua aur jab usse apne nagn kandhe par Veer ke aasuo ka ehsaas hua toh Nidhi kuch na boli aur uske haath apne aap hi Veer ke ird gird lapit gaye. Usne uske sarr ke peeche haath le jaa usse thaama aur apne se laga liga. Dheere dheere wo Veer ki peeth sehlaate hue usse shaant karne lagi.

Idhar Kavya aur Arohi dono hi hairat ke maare ye sab dekh rahi thi. Par kahi na kahi unhe iss baat se zyaada khushi thi ki Veer at least ab kuch movements toh show kar raha tha.

[Phew! Master ka dil boht kamzor hai. Unki family ne unke saath itna bura behave kiya hai... Aaarghhh! I hate them all. Hmm? Nidhi ki favourability 56? That's good! Kavya ki...!? 78!! Ohh! And Arohi?? Huh??? 40!?? Wow! This is surprising. Master ko baad me bata dungi mein.]

'Mein... Mein unhe khona nahi chaahta... I will kill him... Mein... Kuch nahi hone dunga kisi ko... I... I...'

"Haaaahhhh haaahhhh haaahhh..."

Aur achanak hi Veer ki saasein itni tezz ho gayi ki waha maujood sabhi ladkiya ghabra gayi.

Nidhi : Veer??? Ye... Ye kya ho raha hai...!? Kya hua tumhe?

Wo lambi lambi saasein le raha tha aur achanak hi usne apna seena zorr se haatho se bheech liya.

"Haaaaahh... Haaahhh"

Kavya : Bhaaaaiyaaaaaa

Kavya chillaayi toh Arohi bina samay gawaaye bhaagte hue neeche gayi aur Ragini ko bula kar laayi.

Ragini samet Suman aur baaki sabhi bhaagti hui aayi aur Veer ki haalat dekh Ragini ne koi galti nahi kii aur seedhe hi doctor ko phone laga diya.

Doctor ka ghar paas me hi tha aur uska clinic bhi uske ghar se bagal me tha toh woh forun hi kuch minutes me aa gaya.

***

Kuch derr baad...

Veer bistar par laita hua tha, uski aankhein band thi aur shirt ki saari buttons khuli thi jiske chalte uska saara seena nazar aa raha tha. Shayad doctor ne abhi check up kiya tha.

Ragini : K...Kya hua tha doctor Veer ko?

Doctor : He was hyperventilating.

Kavya : Huh???

Doctor : Samjhaata hu... Emotional stress ya emotional breakdown, anxiety ki wajah se kabhi kabhi aadmi panic kar jaata hai aur lambi lambi saasein lene lagta hai aur isse hum hyperventilation kehte hai.

Kavya : ??

Doctor : Insaan oxygen ko andar leta hai aur carbon dioxide ko baahar chorrta hai right?

Kavya : Hmm!

Doctor : Hyperventilation ke samay... Aap jitna oxygen andar nahi lete ho uss se zyaada carbon dioxide ko baahar chorrne lagte ho, jiske chalte carbon dioxide ki maatra body me kam ho jaati hai aur ye situation create ho jaati hai.

Kavya : Ahhh!

Nidhi : Toh... Toh thik toh hai na Veer!?

Doctor : Jii haa! Bas thoda araam ki zaroorat hai. Inhe rest karne dijiye... Accha! Ragini jii! Ab mein chalta hu. Yadi fir se koi dikkat samajh aati hai toh aap call kar lijiyega.

Ragini : J-Jii! Thank you so much doctor!

Doctor : Ye toh hamaara kaam hai Ragini jii!

Aur itna bol doctor fees leke waha se nikal gaya.

Idhar Veer ki khuli shirt dekh, Kavya aage badh unn buttons ko band karne hi waali thi jab usse apne bagal me achanak hi ek hawa ka jhoka mehsoos hua.

'Huhhh!?'

Dekha toh paaya ki...

Arohi uske bagal se nikal aage badhi aur Veer ke paas jaa pohuchi.

Apne haatho ko aage badha ke wo Veer ki shirt ki buttons dheere dheere band karne lagi.

Kabhi bauhe sikode wo Veer ke chehre ko dekhti toh kabhi uske seene ko jinpar halke halke choto ke nishaan the.

Na jaane kya chal raha tha uske mann me.

Kavya ne jab ye dekha toh uske kadam wahi tham gaye. Par...

Hontho par agle hi pal ek santushti bhari muskaan bhi aa chuki thi.

***

Ek bade se ghar me iss waqt ek kamre me ek aadmi idhar se udhar tehel raha tha aur kisi uljhan me nazar aa raha tha.

Toh wahi uske peeche ek sofe pe ek aur naujavaan ladka baitha hua tha.

Aur ye tehelne waala vyakti koi aur nahi, Vivek hi tha. Saath hi saath sofe par baitha yuvak uska chota bhai ~ Pranjal tha.

Pranjal : Aise tehelne se kuch nahi hoga bhaiya.

Vivek : Toh kya karuuuu?? Huh?? Ragini... Ek number ki murkh aurat hai... Idhar apne pati ka saath chorr ke udhar ghar me reh rahi hai. Saala company me na jaane kya kya afwaaye fela rahe hai employees. Ki bhaag gayi hogi, utha ke le gaya koi, talaak ho gaya... Fuck! Aur upar se wo saala Veer bhi wahi hai. Kya soch ke Ragini ne usse apne ghar me rakh liya? Dimaag kharab ho gaya hai kya uska?

Pranjal : Dekha jaaye toh isme aapki bhi thodi galti thi bhaiya. Ladkiya boht hi sensitive hoti hai. Aapne jo baat kahi thi uske chalte Bhabhi boht zyaada naraaz hai aapse jo ki bani baat hai. Aapko unhe behla fusla kar manaana hoga tab hi kuch hoga.

Vivek : Sab kar chuka hu chote. Yaha tak ki mom dad ko bhi leke gaya tha. Par saala wo sunn'ne ko hi taiyaar nahi hai. Upar se pata nahi kaun sii saheli ko bulaayi hai jo uske ghar me dera jama ke baithi hui hai. Ek baar me usne mom dad aur meri bolti band kar dii thi waha...

Pranjal : Hmm?? Ohh! Thoda samay dijiye fir bhabhi ko. Par harr ek do din me unse baat karte rehna. Unhe jataiye ki aapka unke bagerr mann nahi lagta. Dekhna, wo jald hi maan jaengi.

Vivek : Hmm! Wese... Kuch socha? Property ke baare me!?

Pranjal : Aapki baat Tai jii se hui thi na?

Vivek : Hmm! Haan! Unhe property Bhumika ke liye chaahiye haha~

Pranjal (smiles) : Bada hi mast plan bana ke unhe apne side liya tha humne hai na? Veer ko ghar se baahar nikalwaane me akhir unhone bhi samay samay par apna yogdaan dete hue hamaari madad kii thi. Aur humne unhe property ka kuch hissa dene ka waada kiya tha. Toh? Doge aap? Unhe property?

Vivek (smiles) : Hahaha~ pagal hai kya? Dene ke liye thodi hi ye plan kiya hu. Ek rupaya bhi na milne wala unhe. Wo toh upar se sauteli maa hai Veer ki. Bhala jab Veer ko kuch na mila toh hamaare rehte hue ye sauteli Tai aur unki beti ko kaha se kuch milega?

Pranjal : Hmm! Par yadi unhone ye raaz khol diya ki Veer ko baahar nikalwaane me hamaara haath hai toh?

Vivek (smiles) : Toh? Toh kya... Unka muh kese band karwaana hai uska bhi ilaaj hai mere paas... Hahaha~

Pranjal : Waah! Wese... Dada jii ke baare me kuch socha hai? Kyuki jab wo raazi honge tabhi toh property hume milegi bhaiya. Aur unhone toh keh ke rakha hai ki jab tak Veer nahi aa jaata tab tak wo koi faisla nahi lenge.

Vivek : Bas! Ussi ki toh tension hai chote. Kuch samajh nahi aa raha.

Pranjal : Wese... Mere paas ek idea hai. Yadi aap suno toh...

Vivek : Kesa idea?

Pranjal : Idhar aaiye...

Vivek ko apne paas bula ke Pranjal ne dheere se apne kuch bol rakhe, jisse sunn ke Vivek ekdum se hadbada ke uth gaya.

Vivek : Ch-Chote!?? Ye... Ye?? Tu? Ye boht zyaada nahi ho gaya?

Pranjal : Sach me? Yahi baat aapne mujhe tab bhi kahi thi jab hum Veer ko nikalwa rahe the. Kahiye! Kya tab zyaada hua tha? Kya kisi ko pata chala? Nahi na!? Fir?

Vivek : Fir bhi chote...

Pranjal : Isme jitna aap soch rahe ho utna risk nahi hai. Haa thoda maamla gambheer rahega but solution issi se niklega aap dekhna...

Vivek : Hmm! Theek hai fir... Yadi yahi sahi hai toh... Yaad rakhna... Koi gadbad nahi...

Pranjal : Bilkul! Isme mujhe aapki madad lagegi.

Vivek : Hmm!

***

Washington, United States...

Ek bade si 5 stat hotel me iss waqt ek shandaar luxury room me bistar par ek behad hi sundar ladki so rahi thi.

Kuch aahat paate hi uski bauhe sikudi aur agle hi pal wo neend se baahar aa gayi.

94dcba383aca71b2f2c4e5a66cd4a02e

Palke jhapkaate hue wo uthi. Keval ek bra aur neeche panty pehni hui thi woh.

Usne jab gaur kiya ki toh dekha side me Dressing table ke paas ek red haired beauty khadi hui thi. Aur dressing ko jama rahi thi.

Ladki : Hmm? Julia?

Uss ladki ne pukaara toh wo laal baalo waali aurat forun hi palti aur usse dekhi...

Ye thi Julia. Bistar par laiti hui ladki ki head maid. Bole toh saari maids ki head.

Russian beauty thi woh. Uske laal baal bade hi acche se ek bun me bandhe hue the. Aur uska aakarshan hi dekhne laayak tha.

Julia : Miss! You are awake!? (Miss! Uth gayi aap?)

Ladki : Yeah!

Aage badh wo dressing ke paas aayi toh Julia ne forun hi uske shareer ko dhakne ke liye ek nighty nikaal aur usse peeche se pehnaane lagi.

Ladki : Julia?

Julia : Yes Miss!?

Ladki : What is life?

Julia : Miss! You are asking me this question for the 12th time. (Miss! Ye prashn aap mujhse baarvi baar puch rahi hai.)

Ladki : Just answer me Julia.

Julia (sighs) : People are born miss. It's a journey. During this journey, they make friends, establish relationships, they laugh, they love, they cry and this goes on. They make kids to teach them how to live and then again this goes on. One day, we die and everything we earned remains here only.

(Logo ka janm hota hai miss! Ye ek safar hai. Aur iss safar me, log dost banaate hai, rishte banaate hai, wo hasste hai, pyaar karte hai, rote hai aur yahi chalta jaata hai. Wo apni santaane karte hai aur unhe sikhaate hai ki zindagi kese jeete hai aur fir wahi chalta jaata hai. Ek din, hum marr jaate hai aur humne jo kuch bhi kamaaya wo yahi reh jaata hai.)

Ladki : ....

Julia : Was my answer to your satisfaction? (Kya mera jawaab aapke liye santushti janak tha?)

Ladki : No! I still don't understand.

Julia (sighs) : Sorry! Miss!

Ladki : No! It's okay! Prepare the tea. I'll take a bath.

Julia : As you wish Miss!

Aue wo ladki itna bol nahaane chali gayi. Aur Julia keval usse jaata hua dekhti rahi.

'Poor Miss! If only I could help her...'

***

Mumbai...

Outer area me sthit ek building ki top floor par ek aadmi kursi par baitha hua tha.

Ki tabhi uska phone baj utha...

Aadmi : Hello?

Voice : Kese ho Aatish mere sher!?

Jii haa! Ye Aatish hi tha. Aur phone ke dusre taraf se aa rahi awaaz sunn wo agle pal hi uth ke khada ho gaya.

Aatish : D-Dada aap!?

Voice : Hmm! Suno... Mene ye bataane ke liye phone kiya hai, ki ab tumhe uss ladki ke peecha karne ki koi zaroorat nahi hai. Mein already India aane waala hu aur wese bhi... Wo mera shikaar hai. Mene toh keval tumhe thode din maza karne ke liye ye kaam de diya tha haha~

Aatish : Ohh! Jesa aap kahe Dada!

Voice : Toh? Tumhaari aadat gayi ya nahi? Ya abhi bhi logo ke vishwaash todne me lage ho?

Aatish : Hahaha~ aap toh jaante hi ho... Yahi mera sukoon hai. Waqai! Abhi kuch dino se maza kaafi aa raha hai.

Voice : Hmm! Chalo! Accha rakhta hu. Meri flight ka time ho raha hai.

Aatish : Okay Dada!

*Call ends*

Aatish muskuraate hue apni hat aur hockey stick uthaaye neeche jaane laga.

'Tumhaare liye ek uphaar hai...'

Soch wo neeche chala gaya.

Par...

Usse nahi pata tha. Ki shayad Veer ko chorr ke usne ek boht badi galti kar dii hai. Shayad apne jeevan ki sabse badi galti...
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like kar diyo re! :bigboss:
Dhanyavaad!
Awesome superb and mindblowing update bhai
 
Top