- 14,196
- 100,720
- 259
Last edited:
Married hai to kia ab uski chut per ban lag gaya hai matlab k kia kisi or ka lawda uski chut me ghus nhi sakta
Humara nhi to kum se kum Veer ka hi kuch kheyal ker lo babu aisa maal hath se nhi jane dene ka dekh lena sali khob tangen chowri ker k lawda legi
Maa kasam maja aa jaiga
Bhai apki story me kisi aur ki story ki tarif kar raha hun esliye mujhe maf karna... sach kahu to bhai apki story MARVEL'S wala story hai... agar apki story ek alaga hi tarike se likha jaye to picture bhi ban sakta haiHappy birthday bhai... have a great year ahead... God bless you bhai... sorry for late wish... ajkal bahat busy me hun bhai apki story bhi read nahi kar paya 39 updates tak read kiya hai... bhai apki story ek special story hai... bahat hi interesting...bhai apko 600 page aur I million views ki bahat bahat badhai
Apki story all time blockbuster ha bhai...
Bhai aaj mera favorite story firse start ho gaya hai... Koi To Rok Lo...bhai apko bhi ek request karta hun... jab bhi waqt mile ye story read karna...
Bhai apki story me kisi aur ki story ki tarif kar raha hun esliye mujhe maf karna... sach kahu to bhai apki story MARVEL'S wala story hai... agar apki story ek alaga hi tarike se likha jaye to picture bhi ban sakta hai...
Update - 40 ~ Getting a JobAb tak...
Ye sab kuch Pari ke liye prashn janak tha.
Par...
Pari ke sawaal par...
Veer ke muh se ek hi uttar nikla...
"Maa... toh akhir Maa hoti hai... Pari!!!"
Ab aage...
Aatish ki death ke baad, Veer uss raat thoda buri haalat me ghar pohucha tha. Par ghar pohuchne se pehle usne clinic me apni first aid karwa lii thi.
Ghar me usne bilkul bhi aisa nahi dikhaaya ki wo ladkhada raha hai ya uske perr me kuch gadbad hai, warna sabhi uski jaan kha jaate. Wo seedha dinner karke apne room me jaa ke lait chuka tha. Jo bhi medications doctor ne provide kiye the, usse time to time usne liya aur bas araam farmaane laga.
Par bhala Veer kisi ka khoon karne ke baad itni asaani se kese araam farma raha tha?? Aur aise hi kese usne Aatish jese aadmi ko thikaane laga diya?
Iss sawaal ka jawaab ek hi tha.
~Suhana!
Jis din Veer Suhana se milne gaya tha. Toh Bhumika ki hotel se Suhana usse apni gaadi me baitha ke apne ghar le gayi thi. Aur unn dono ke beech jo bhi conversations hui thi, usme hi iss baat ka uttar chhipa tha.
Veer : Wait! Aap mujhe apne ghar kyu le jaa rhi ho!?
Suhana : Shut up okay! Ek toh mujh se kehte ho ki mujhse aake milo. Waah! Dekh rahe ho? Suhana yaani ki mein tumse milne aa rahi hu. Apne saare kaam chorr ke. Aur fir milte se hi ek bomb patakte ho ki tum uss Aatish ko maaroge... Mazaak chal raha hai kya!?
Veer : Mein jhooth nahi bol raha. I'll definitely...
Suhana : Wahi! Idiot! It's not a small matter. Ghar pe chal ke discuss karna padega.
Veer : Fine!
Jab dono hi ghar pohuche, toh ghar me sabhi servants unn dono ko hi dekhe jaa rahe the.
Suhana : Ignore the maids and servants. Aao! Mere room me hi discuss karte hai.
Aur Suhana Veer ko apne room me le gayi. Par uske aisa karne se servants ki beech baatein na bane, bhala aisa kese ho sakta tha?
Servant 1 : Suhana Ma'am ek ladke ke saath!? Wo bhi apne room me le gayi usse!?
Maid 1 : Sonia Madam ko pata hai ye baat? Kaun hai ye ladka bhala? Aaj ke pehle kabhi kisi ladke ko Suhana Madam apne kamre me nahi le gayi. Fir aaj kese? Uss din bhi aaya tha ye... Par hai kaun!?
Servant 2 : Hmm! Kuch gadbad toh nahi!?
Maid 2 : Tum log apna kaam karo aur faaltu ki baatein na banao. Yadi Suhana Madam ko pata chala toh pata hai na kya hoga!?
Uss dusri maid ke itna kehte hi waha maujood baaki sabhi servants ki bolti band ho gayi aur wo kuch ateet ke baare me soch ke forun hi apne kaamo me lag gaye.
Idhar andar Veer Suhana ke kamre me daakhil hua toh woh chakit reh gaya. Kamra waaqai neat and clean tha aur ek lady ka hi kamra prateet ho raha tha.
Par iss waqt uski nazre jese kisi cheez ko dhund rahi thi.
Suhana : Hmm? Kya hua? Kya dekh rahe ho aise?
Uske sawaal par agle hi pal Veer ko Suhana ki wahi image yaad aa gayi.
"Waaahahahahahahaha fuck you chorrrr..."
Jab wo Teddy ki dhulaayi badi hi berehmi se kar rahi thi. Aur ye yaad aate hi Veer ke paseene chootne lage.
Suhana : Oh hello? Kaha kho gaye?
Veer : Huh!? No... I... just...
Suhana : Bolo? Kya dekh rahe ho aise!?
Veer ek baar fir idhar udhar dekha aur jese hi uski nazar bed ke neeche padi uski aankho me jese ek chamak aa gayi.
Wo teddy wahi thusa hua pada tha. Jab Suhana ne uski nazro ko follow kiya aur usse ye ehsaas hua ki Veer kya dekh raha hai. Uski aankhein hairaani aur fir gusse ke maare fel gayi.
Agle hi pal usne teddy ko laat se aur andar thoos diya aur Veer ke paas apni gaand matkaate hue wo aayi aur dheere se boli,
"Tumne kuch nahi dekha. Right!?"
'Fucccccckkkkk! She's scary!'
Veer : Y-Yeah!!
Suhana (smiles) Good! Then... Baitho!
Aur dono hi aamne saamne baith gaye.
Suhana : Ab bolo!
Veer : Mein pehle hi bata chuka hu. Aur kitni baar batau?
Suhana (sighs) : Tumhe pata hai na tum kya baat kar rahe ho? Yadi meri nazro se dekhoge toh tumhe pata chalega ki tum kitna bada joke maar rahe ho.
Veer : I'm not joking.
Suhana : Dekho! Abhi tumhaari boht life hai yaar. Tum inn sab ke chakkaro me kaha pad gaye!? Tum toh ek college student ho. Aur wo Aatish Mumbai ka Don aadmi jesa hai. Arre wo ek phook me hi tumhe uda sakta hai. Fir kyu maut ke mooh me jaa rahe ho? Mein khud uske khilaaf kuch karne se darr rahi hu. Warna tumhe lagta hai mein shaant baithi rehti? Ye jaan ke ki meri behan ki jaan ke peeche koi pada hai? Definitely not!
Aur wo bolte bolte uth khadi hui aur palat ke window ke paas jaa pohuchi.
Suhana : Just live a normal life man. Inn sab me kuch nahi rakha...
Veer : Usne mere dost ko maara hai...
*Silence*
Suhana : ???
Veer : He planned it. That's why... Chaahe kuch bhi ho jaaye... I have to take him down.
Suhana : ...
Veer : Aur isliye... Mujhe aap se help chaahiye!
Suhana : ??
Veer : I want you to handle the Police and investigation.
Suhana : Hmm! Toh tum chaahte ho ki mein tumhaari kartoot ke baad saara kuch handle karu?
Veer : Kuch aisa hi...
Suhana : Aur mujhe kya milega? No wait! Tum itna yakeen ke saath kese keh sakte ho ki tum uss aadmi ko maarne me kaamyaab ho jaoge? Huh?
Veer : Trust me! I will bring him down.
Suhana (sighs) : Mujhe abhi bhi ye ek joke hi lag raha hai chaahe kisi bhi angle se kyu na dekhu. Alright! Maan lo mein agree kar gayi aur police ko handle kar liya... But... Mujhe kya!? Mujhe kya milega? Exchange equal hota hai you know right? Mein tumhari itni help kar rahi hu toh... You know...
Veer : Mein Aatish ko aapki behan ke raaste se alag kar raha hu kya wo kam nahi!?
Suhana : Oh c'mon! Wo Aatish abhi tak meri behan ka kuch nahi kar paaya hai. Toh uska hona obviously threat hai par aisa bhi nahi hai ki uske hone se meri behan jee hi nahi paa rahi hai. Toh itne se kuch nahi hone waala. Give me something equal to my favour...
Veer : Then... Mere paas aur kuch nahi hai dene ko... Aap wese hi crorepati log ho. Upar se aapne hi mujhe wo debit card diya tha. Toh paise dena toh murkhta hogi.
Suhana : Hmm! Then promise me...
Veer : ???
Suhana : You will do two favours.
Veer : Kaise favour?
Suhana (smiles) : Pehla ye ki... Mujhe jaana hai next week Delhi. Sonu bhi saath me rahe isliye wo abhi zyaada busy hai aur saare yaha ke kaam schedule se aage hi kar rahi hai. Taaki wo mere saath chal sake. Mere husband ki taraf se mujhe waha jaana hai. Basically, Boht bada function hai jaha dherr saare alag alag companies ke log aaenge... Kuch aage ki technologies se related innovative function rakha gaya hai.
Veer : Hmm! Toh!?
Suhana (smiles) : You'll come with us.
Veer : ???
"Kyaaaaaaaaaaaaaa????"
Aur Veer jhatke se khada ho gaya.
Suhana : Yeah! Dekho mein toh busy ho jaungi waha pohuch ke. Toh Sonu ko company dene wala koi hona chaahiye na? Aur tum dono wese hi ek dusre se familiar ho.
Veer : Wha...!? No... Wait!!! Mein kyu??? I mean... Aapke itne saare contacts...
Suhana : You don't understand.
Veer : Huh?
Suhana (sighs) : Aaye din inn ameer gharano se rishte aate hai Sonu ke liye tumhe pata hai? But she never pays any attention to them. Kyuki, wo sabhi ki personalities ek jhatke me dekh ke hi pehchaan jaati hai. I mean... Ahem... Excluding mine.
Veer : ??
Suhana : Isliye... Koi aisa hona chahiye uske saath jiske sang wo uncomfortable na feel kare, easy to talk ho banda... Aur tum se behtar kaun hai?
Veer : No... I mean... Unki friends bhi toh hongi na... Jo...
Suhana : Uski sirf 2 hi friends hai. Ek aur tha Pushkar... But wo ab iss duniya me nahi hai. Baaki 2 friends... Well... It's complicated. Isliye... Ab tum hi bachte ho... So? Mein haa samjhu ya...!?
Veer kuch derr socha... Par akhir usse ye shart toh maan'ni hi thi. Kyuki tabhi Suhana uski help karne raazi hoti...
Veer (sigh) : Fine!
Suhana (smiles) : That's good to hear. Passport wagarah toh hoga hi tunhaare paas hai na?
'Damn! Passport toh mera uss ghar me hai. Ab mein waha nahi jaa sakta...'
[Aap Ragini se keh ke passport mangwa sakte ho Master.]
'Ahh! Right! Thanks Pari!'
[You are welcome Master!]
Veer : Jii! Passport hai.
Suhana : Good! Then I agree...
Veer : Wait a minute! Dusra favour!?
Suhana (smiles) : Samay aane par... Uski bhi maang karungi. Filhaal toh yahi hai... Okay now... You can leave. Police and investigation mein dekh lungi. Also, kuch aadmi bhi bhijwa dungi... Par dhyaan rahe... Wo tumhaare saath ekdum andar nahi jaenge.
Veer : Chalega... And thanks! Also...
Suhana : Hmm??
Veer : 2 favour aur jod lijiye...
Suhana : Huh??
Veer : Mujhe police station jaana hai aur waha se kuch baraamad karna hai. Mere friend ki cycle. Uski akhiri nishaani... Thaane me hi hai. Aapko meri help karni hogi.
Suhana : Ohhhh! Ho jaega. Aur dusra kya!?
Veer : Dusra ye ki... Help me find someone!
Suhana : ???
Veer tabhi dheere se aage aaya, usne table par rakhe pen aur ek dairy se paper faad Suhana ko kuch likh ke usse thama diya.
Suhana : Kya hai ye? Hmm? Bhavana Singh!? Alias name Geeta!? Job... Archeologist!?
Veer : Meri Maa... Real maa... Unki details... I know aapke connections kaafi hai. Help me find her location. Mujhe vishwaash hai aap karwa logi ye...
Suhana (smiles) : Ohhhh! I see!
[Damn master! What a perfect plan. Suhana can really help you. Uski madad se jald hi location mil jaegi aapko apni mom ki...]
'Yeahhh!'
Suhana : Toh tumhaare ab teen favour ho gaye. Chautha toh yahi hai ki... You are coming with us. Remember this.
Veer : Hmm! Chalta hu...
Suhana : Okay!... And....
Veer : ???
Suhana : Good luck! Also... Don't die...
Veer jaane ke liye jese hi muda... Toh Suhana ke bol ke chalte ek baar fir wo ruk gaya.
Suhana : Wese... Tumhe kese pata chala ki mere itne contacts hai!? Itne yakeen ke saath kese aa gaye tum mere paas? Kuch toh pata chala hoga kahi se!?
Uski baat sunn, Veer dheere dheere uske kareeb aaya aur theek uske peeche khada ho gaya. Suhana abhi bhi window se baahar hi dekh rahi thi. Uski peeth abhi bhi Veer ki taraf thi. Wo mehsoos kar paa rahi thi ki Veer uske theek peeche khada hua hai.
Par agle hi pal Veer ne kuch aisa kaha, jiske chalte uski aankhein hairaani aur shock ke maare phatati chali gayi...
Veer : Aapka reaction kuch odd sa tha. Hotel me mene kisi ko maarne ki baat aapke saamne rakhi, aur aap of course thoda shock hui but after that... Aapke liye jese ye utna shocking bhi nahi tha. Ye meri guessing hai... But i feel it... You have killed someone before...Right?
Wo dheere se kahe gaye shabd, jese Suhana ke kaano me ghanti ko tarah baj rahe the. Wo last sentence jese kisi bomb ki tarah aake gira tha Suhana ke upar. Pal bhar ke liye toh uska shareer bhi sihar utha.
Fir toh usne na aav dekha na taav, wo tezzi se yu palti aur Veer ki collor ko bheench usne usse peeche dhakela jaha ek couch rakha tha. Aur dono hi uss couch par gir pade.
Suhana Veer ke thik upar thi. Uske zulfe Veer ke gaal ke bagal se hote hue latak rahi thi.
Veer ki collor uski giraft me thi aur wo ekdum gusse se Veer ko dekh rahi thi.
Suhana : How did you know?
Veer : I... I just guessed.
Suhana (glares) : Waqai!? Kyuki mujhe ab tumpe doubt ho raha hai.
Veer : Waqai!
Suhana halka sa aage jhuki, uska badan poora Veer ke seene par tika hua tha. Wo uske kaano ke sameep aayi aur badi hi dheemi par thodi bhayanak sii awaaz me boli,
"Tumhari guessing kuch zyaada hi sateek jaa rahi hai. Aage se... Iss baat ka zikr kabhi tumhaare muh se nahi nikalna chaahiye. Kisi ko pata nahi chalna chahiye. Sonu ko toh bilkul bhi nahi. Jis din aisa hua... Wo tumhara probably last din hoga."
Suhana ne daraate hue uss se kaha. Yadi koi aur hota toh waqai thoda ghabra jaata. Par Veer toh Veer tha... Aur wo bhi pehle waala nahi. Uske andar Pari jo thi ab.
Apne haath ko uthaate hue usne Suhana ki narm gardan ko thaama aur uski aankho me dekhte hue bola,
"Don't tempt a young man like that Suhana jii... Dusro ke secrets ko felaana... Meri aadat nahi! Aur ho sake toh... Uthiye please!"
Aisa response Suhana ne bilkul bhi expect nahi kiya tha. Usse laga tha wo Veer ko thoda darra degi par yaha toh situation hi alag bann gayi thi. Aur jab usse apni haalat ka dhyaan aaya toh achanak hi uske gaalo par halki laali sii chhaane lagi aur wo ekdum jhatke se uth ke do kadam peeche ho gayi.
Veer (smiles) : Chalta hu... Thanks again!
Aur Veer Suhana ko akela chorr waha se nikal gaya. Suhana keval usse jaate hue dekhti rahi.
Suhana Veer ki madad karne ke liye keval ek hi kaaran se raazi hui thi. Aur wo ye ki Veer Aatish se bhid chuka tha aur abhi tak zinda tha. Saath hi saath Veer ki Dushmani bhi Aatish se thi.
Ye kehna galat nahi hoga ki wo Veer ko as a pawn use kar rahi thi. Aur saath hi saath usse extra favours bhi mil chuke the. Par usse doubt tha ki kya Veer waqai ek maamuli sa ladka kuch kar paega?
Suhana shaatir thi. Usse pata tha yadi Veer fail hua toh kya karna hai. Wo Sonia ko kuch bhi pata nahi chalne deti ki isme uska haath tha. Par yadi Veer pass hua, toh sabse pehla sawaal uske mann me yahi aane waala tha ki akhir aisa kese kar liya usne? Aatish jese aadmi ko khatam karna?
Yadi aisa hua toh iska matlab saaf hone waala tha ki Veer kuch chhipa raha hai uss se. Aur isliye Suhana ne pehle hi dur ki soch lii.
Wo Veer se do kadam aage chal rahi thi.
Yadi Veer pass hua, toh usse apna favour nibhaana padega. Aur aisa karne ke liye usse uske saath jaana padega Delhi.
Aur issi trip me... Wo Veer ke secrets dhundne ka prayatn karegi. Ki akhir kese... Ek maamuli sa insaan kese Aatish ko maar diya? Par usse kya pata tha...
Ki Veer koi maamuli insaan nahi tha.
Jab Veer ghar aaya toh wo Ragini se mila.
Ragini : Kya hua Veer?
Veer : Bhabhi wo... Ab kese kahu... Mera passport rakha hai ghar me... Puraane waale...
Ragini : Passport? Nahiii! Arre mene tumhaare saare documents aur IDs pehle hi servant se mangwa lii thi Veer. Mere room ke cupboard me rakhi hai. Tum lelo jaake.
Veer : Huh? Really?
Ragini : Haan!
Aur next second hi Veer ne wo kiya jiske chalte Ragini hakki bakki sii murti bani khadi rahi.
Veer ne Ragini ko apni baaho me zorr se kheencha aur usse daboch lia,
"Ohh thank you Bhabhi! Aapne meri samasya hi hal kardi! Thanks a lot!"
Aur wo Ragini ke kamre me chala gaya. Par idhar bechaari Ragini, bhauchakki sii apne surkh laal gaal liye khadi rahi. Usse samajh me nahi aaya ki ye achanak se kya ho gaya.
Wahi dusri orr,
Idhar Suhana khaayalo me ghum thi jab kuch derr baad usse Veer ki taraf se ek message aaya,
"Shaam ko thaane me miliyega. Mujhe friend ki cycle baraamad karwaani hai. Need you help!"
Suhana : Ughh! Really... Ek cycle bhi nahi li jaaegi iss se...
Aur usne "Fine" reply kar mobile side me fek diya.
***
Aur ye thi Aatish ki death ki pehle ki poori planning. Veer ne Suhana ke aadmiyo ki madad se JALSA me unn gundo ki thikaane lagaaya tha. Baaki toh usne apne hi bal boote par kiya tha.
Ab sawaal tha ki wo 110 points kaha invest karne wala tha? Aur uski nayi skill Hawkeye kya thi?
'Pari! Show me my stats'
[Yes master!]
[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 30/100
Endurance - 45/100
Appearance - 22/100]
'Alright! Intelligence me 15 daal do. Agility me 20. Endurance me 5.'
*Ding*
[15 points have been added to Intelligence.]
[20 points have been added to Agility.]
[5 points have been added to Endurance.]
[70 points remaining.]
[Kisi aur me Master?]
'Hmm! Appearance me bhi 18 add kar do.'
*Ding*
[18 points have been added to Appearance.]
[Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 50/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 40/100]
'Good'
[52 points remaining hai. Kuch karna hai? Wese mujhe kuch baatein bataani hai aapko.]
'Kesi baatein?'
[50 points se ab upar jaane ke liye. Aapke 2 points keval 1 hi point consider kiye jaenge.]
'Huh? No... Ek minute!'
[Yes! That's right! Ab yadi aapko 50 se 52 par kisi stat ko badhaana hai toh aapko 2 nahi balki 4 points invest karne honge tab jaake wo 52 par aaega.]
'Wtf????? Ye toh pagalpan hai. Aise toh mere...'
[Yes! Aapko kya laga? Stats badhaana itna asaan hai? It will take time. And a lot of hard work.]
'Fuccccccckkkk!'
[Toh? Kisi me invest karna hai?]
'Abhi nahi! Yadi koi skill hai kaam kii toh wo dikhao. By the way, ye Hawkeye kya hai.'
*Ding*
[Skill : Hawkeye.
Description : A Diamond Tier Skill. Grants the user a perfect aim for anything. No target can slip away from Hawk's eye.]
'Holyyyy shittttttt!!!!'
Skill padhte hi Veer ko pata chal chuka tha ki ye kya thi. Ek Diamond Tier skill. System ki sabse highest skills hoti hai Diamond Tier skills. Uske neeche aate hai Gold, fir Silver aur Bronze.
Veer ke paas jo Basic Martial Arts skill thi wo ek Bronze skill thi. Saath hi saath Sex protection jo usne purchase kii thi wo ek Silver Tier Skill.
Aur ye thi... Ek Diamond Tier Skill.
Jise upgrade karne ki koi zaroorat nahi thi. Perfect Aim matlab perfect Aim. Permanent on hi rehne waali thi ye.
'Fuccckkk! This is insane. Wait! Toh mein Shop se Diamond Tier skills access kar sakta hu?'
[No way! Ye toh aapka reward tha. Aur... Reward randomly select hoke aaya. Isliye aapko jhatke me mil gayi. Warna iski probability boht kam rehti hai. You are lucky.]
Veer abhi aur functions ke baare me jaanta ki achanak hi uska phone bajne laga.
Dekha toh paaya ki Shreya ka phone tha.
Veer : Hello?
Shreya : Guess what?
Veer : Guess what kya?
Shreya : Arreeee buddhuu meri job lag gayi... Tumne jo bheja tha na mujhe address company ka. I went there... Mera interview hua and Omg... Like... They hired me... I'm so happy right now...
Veer (smiles) : Congratulations!
Shreya : All thanks to you... Mujhe toh pata hi nahi tha tumhara itni badi company me connection hai. Like mera bas interview hua aur kuch nahi... Aur suno... Abhi ke abhi mujhe xxxxxxxx mall me milo. Mein shopping karne jaa rahi hu. Tum saath me chaloge.
Veer : Hmm! Aata hu.
Aur bataaye gaye samay pe Veer pohuch chuka tha, xxxxxxxx mall me.
Kuch hi derr me Shreya bhi aa gayi.
Shreya : Kesi lag rahi hu?
Veer : Hmm? Great!!
Shreya (blushes) : Thanks! Toh chale?
Veer : Sure!
Aur dono hi shopping karne nikal gaye.
Shreya : Wese... Ab kesa feel kar rahe ho tum? Dii bataayi thi tum kaafi pareshaan the kuch dino se...
Veer (smiles) : I'm fine now. Nidhi ma'am aur Juhi kesi hai?
Shreya (smiles) : Juhi toh roz tumhaare baare me puchti hai. Aur... Dii bhi tumhe yaad karti hai. Dono acche hai... Bas... Tum the toh ghar ka mahaul aur khushnuma sa tha.
Veer : I... I see!
Shreya : Anyways! Aaj meri job lagi hai. Toh aaj mein apni savings se saari shopping karungi. Aur tumhe bhi mere saath chal ke ek shirt leni padegi.
Veer : Naah! It's okay! Balki, aap chalo... Aaj mein aapko aapki pasand ki cheez dilwaunga.
Shreya : What the hell? Joke maar rahe ho? Hahaha~ zyaada nahi fekte... Chalo ab.
Aur wo Veer ko kheench ke le gayi. Par usse nahi pata tha, ki Veer ke paas Suhana ka diya hua Debit card tha. Aur iss account me 5 se 6 lakh amount bhara hua tha.
[Master! Aap Nidhi ko kyu nahi de dete ye paise? After all, she needs money.]
'No! Itne me unka kuch nahi hone waala Pari. Kam se kam... 45 lakhs hone chaahiye. Tab jaake kuch ho sakta hai. Yadi abhi mein unhe dunga... She will question me. Ki itne paise kaha se aaye? Koi galat kaam toh nahi kar raha mein? Wo wese hi tension me hai. Unhe aur tension nahi deni hai.'
Wo Nidhi ke khayaalo me khoya hua tha jab Shreya ki awaaz usse waapas se hosh me laayi.
"Oye!? Kaha kho gaye? Look! How do I look? Is it good?"
Aur wo ek full sleeve top pehen ke baahar aayi jisme wo alag hi kayaamat lag rahi thi.
Veer (smiles) : Aapke upar sab kuch accha lagta hai. After all, you are beautiful.
Shreya (jhepte hue) : Huh?? W-Wh-What??? Y-Ye achanak se, tumhe...!?
Aur uske gore se gaalo par halki sii laal parat chadh gayi.
Wo bhaag ke gayi aur fir kuch aur kapde pehen ke usne Veer ko dikhaaye.
Veer ne fir usse apni taraf se bhi ek top kharidwaaya aur apni Nidhi Ma'am ke liye ek suit bhi aur Juhi ke liye pyaari sii frock bhi.
Jab Shreya ne ye prashn kiya ki itne paise kaha se aaye toh usne yahi kaha ki mehnat ki kamaayi hai.
Shreya aaj behad khush thi. Naukri lagne se uske andar ka confidence badh chuka tha.
Shreya ko ghar pe drop kar Veer apne ghar ke liye jaane hi waala tha jab wo uske paas aayi aur ek baar fir se usse thanks boli,
Shreya : H-Hey!!
Veer : Hmm?
Shreya : Th-Thanks... Once again!
Veer : Baar baar thanks nahi kaha jaata...
Shreya (blushes) : R-Right!
Veer : You should go now! Ma'am aur Juhi wait kar rahi hongi aapka.
Shreya : Hmm! T-Tum nahi aaoge andar?
Veer : No! Mein do din baad Delhi jaa raha hu. Waha se aake hi milunga...
Shreya : Huh??? Delhi?? Kyu??
Veer : Kaam hai...
Shreya : O-Okay...
Veer : Jaaiye ab...
Shreya (blushes) : Hmm!
Wo jaane ke liye hui toh Veer apni gaadi me key lagaane laga.
Par achaanak hi wo palti aur agle hi pal, Veer ko apne gaalo par kuch geelapan sa mehsoos hua.
Iske pehle ki wo kuch samajh paata, Shreya sharmaate hue jhat-pat tezz kadmo ke saath lift ki orr bhaag gayi.
Aur bechaara Veer apni aankhein faade, hairaani me usse keval jaata hua hi dekhta raha.
'Huhhhhh!?'
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Baaki ju logo ko toh pata hi hai ki kya karna hai?
Dhanyavaad!
Kisi ko pata nahi chalna chahiye. Sonu ko toh bilkul bhi nahi. Jis din aisa hua... Wo tumhara probably last din hoga."
Sonia : You remember Pushkar right!?
Suhana : Hmm! Usse kese bhul sakti hu. Tumhara childhood friend.
Sonia : Yes! Dii...
Suhana : !??
Sonia : Aap jaanti hai na!? Pushkar ki death ka kaaran!?
Iss baar usne bada hi serious hote hue kaha. Ye topic kitna sensitive tha ye baat Suhana bhi bhali bhaati jaanti thi aur isliye wo bhi serious ho gayi.
Suhana : Hmm! Uska gharwaalo se jhagda ho gaya tha, fir usne ghar chorr diya tha. Tumne boht manaaya tha usse, bechaara galat raah pakad liya tha woh. Aur wahi raah usse le ke chali gayi iss duniya se...
Sonia : Hmm! Veer ke saath bhi aisa hi kuch hai dii...
Outstanding Update Brother & Waiting For Next...Hmmm.. to Veer ne Aatish ko thirkaane lagane mein Suhana ki madad li hai... Waise laga hi tha ke ye kaam bina kisi Support ke mumkin nahi hai aur Suhana & Sonia ko to direct faayda hi hua hai Aatish ki maut se... Suhana has Connections, Ismein koyi doraay nahi hai ke Suhana ke past mein bhi kuchh secrets chhippe huye hain jo shayad Veer hi unfold karega... Ab Bhavana urf Geeta, jo bhi naam hai Veer ki Maatu Shree ka, unhe dhoondhna bhi shayad thoda aasan ho jaayega Veer ke liye, basharte Suhana iss kaam ko seriously le... Bahut saare favours ikkathe kar liye hain Suhana ne Veer ki taraf iss kaand mein jinmein se ek hai Delhi Trip...
Lagta hai ke kaafi kuchh hone waala hai iss trip par... Koshish to Suhana ki yahi hogi ke Veer ki asliyat ko jaan paaye, jaan paaye ke kaise ek College going launde ne Mumbai ke sabse bade Don ko mau ke ghaat utaar diya... But bad luck Pari ki sachayi, uski existence ke baare Suhana kya uske Pitaaji bhi pata naa laga sakte...
[ Suhana : I have an Idea... I'll unfold your secrets on the Delhi Trip Veer...
Veer : Lmao... Hold My Pari...]
Khair, Dekha jaaye to Aatish ki maut se ek nuksaan bhi ho sakta hai Veer ko aur uss nuksaan ka naam hai : Slogan urf Dada... Ab Slogan bhi jaanta hai ke recently Veer se hi panga hua tha Aatish ka aur wo Club waali ladki ka matter bhi uske haath se Veer ke hi kaaran nikla tha to definitely Veer Slogan ki radar par hoga...
Suhana has history, history of murdering someone... Par kiska khoon kiya Suhana ne??Mera pehla andaza to yahi hai ke shayad Sonia ke doet Pushkar ka?? Let's dig more in this matter...
In lines ko dekha jaaye to lage ki Suhana bahut desperate hai ke Sonia ko iss murder ke baare mein bhanak tak nahi lagni chahiye...Ye mann mein shakk ko mazbooti deta hai ke wo marne waala insaan Pushkar ho sakta hai. But wait, time machine on karte hain...
Aur jaate hain Update – 22 ki in lines mein. Jab Pushkar ka zikr hua tab Suhana ka reaction ek dum normal tha. Kahin se bhi ghabrahat ya Uneasiness nahi dikhi uske behaviour mein.. . Jiska aapne murder kiya ho uske naam ke zikr par ye behaviour suspicious hai... Ye lines ishaara karti hain ke ya to Suhana ne Pushkar ka nahi kisi aur ka khoon kiya hai ya fir Suhana ek manjhi huyi khilaadi hai. Both are possible... Par agar itni hi trained hai Suhana apne Dark Past ko chhipaane mein to uss hisaab se uska reaction Veer ke saamne justify nahi hota... Khair, waqt aane par uss raaz se bhi parda uth hi jaayega. Filhaal to Suhana Murdered Pushkar ke chances 50-50 hi lagte hain...
Ab baat karen iss update ki baaki gatividhiyon ki to main to Shreya ki job lagna hi raha jiski bhanak poorva updates mein mil hi gayi thi... Shreya Veer ke saath shopping par gayi aur saath hi kaui maukon par uske gaal gulaabi bhi huye. Ab alag feelings janam le sakti hai uske mann mein Veer ke prati... Aur end mein Veer ke gaal ko geela karna bhi ishaara karta hai ke Werewolf Bhai ne ek aur param sukh pradaan karne ka zariya dhoond liya hai Veer ke liye...
Saath hi Veer nne apne points bhi use kar liye iss update mein . Sabhi cheezen 50 par pahunch gayi hain aur Appearance 40 par. Appearance mein direct 18 points add kiye hain Veer ne jiska asar agle din ladki logis ki aankhon mein dekhne mil sakta hai... Hawk eye ek Diamond Tier Skill muft mein mil gayi Veer ko... Joki bahut faaydemand saabit hohi uske liye... Dekhte hain Veer bache huye points ko kaise use karega aur intezaar rahega uss Delhi Trip ka...
Outstanding Update Brother & Waiting For Next...
Belated Happy Birthday Brother... Hope you have a great year ahead...I'm really sorry guys! There won't be any update today.
Yahi bataane ke liye aaj mein aaya hu online.So, kal mera b'day hai. And, mere ghar pe guests aaye hue hai. (Basically my cousins and all). Kaafi saalo baad sabhi ek saath mil rahe hai toh ghar me bheedam bhaad hai. Mene badi mushqil se time nikaal ke aaj reply kiya hai sabhi ko.
Update somewhat half completed hai. It's not fully completed. Kal mein kaafi busy rahunga. Friends, family ke saath plans hai. So... You guys can understand.
Mein koshish karunga, aaj late night me likh ke kal post kar du time nikaal ke. But yadi aisa nahi ho paaya then aapko pata hi hai ki next day toh aaega hi.
Really sorry for the inconvenience guys! But inform karna zaroori tha. Have fun you guys too!
BrotherSabse pehle guys... Kya kahu mein. Itni saari warm wishes ke liye boht boht dhanyavaad dosto.
Mera ye birthday, one of the best birthdays me se ek tha. Uske kayi kaaran hai. Ek kaaran aap logo ka pyaar bhi hai.
Sabhi ki life me kuch na kuch restrictions hote hai. Kayi saare log restrained rehte hai kisi na kisi cheez ko lekar. Kuch jaan boojh ke toh kuch majboori vash. Mere saath bhi same case tha. You guys know ki mein kabhi yaha forum me kisi ko gaali nahi diya. Uska yahi kaaran tha ki mein vachan baddh tha. Ju log ki Bhabhi ne mujhe roka hua tha ab tak.
Kyuki mein ek baar shuru hota hu toh rokna boht mushqil ho jaata hai mujhe. Mein aur baaki sabhi city se baahar hai iss waqt, aur bas abhi ghar waapsi ho rahi hai.
Kaafi saari baatein hui, kuch gehre anokhe pal guzre, aur ju log ki bhabhi ne mujhe finally uss promise se azaad kar diya hai. So, I'm finally back to my real personality. Ye sab share karna mene isliye zaroori samjha because it will change my personality here in the forum now. Toh ye ek disclaimer hai ki yadi mein kuch zyaada gaali bak du, toh ju log samajh jaana. Okay!?
Saral bhaasha me kahu toh Wolf ab unrestrained hai. Koi chains nahi hai. No more restrictions!!!
Haan! Ab baat karte hai update ki. Update ready hai guys! Lappy me rakha hai. Notepad me saved hai already file. Toh ghar pohuchte se hi mein nahi dene waala. Because sabhi tired hai abhi. But haan, update aaega zaroor. So chill.
Fun fact : If you have read my previous story Akhir kyu? Toh usme Rahul ki personality meri own real life personality ka depiction hai. (Mostly)