- 14,210
- 100,768
- 259
Last edited:
YesBhai Aaj update aaega n??
Kis time
Waiting
Dhanyavaad bhai!वीर और परी जहां मात खा गए कायरा वह अजूबा है...
वाह.... एक तरफ सोनिया की मन में असुरक्षा की भावना व जलन
दुसरी तरफ कायरा की बिजनस वुमन वाला रूप
भाई ग़ज़ब
Damm hot and beauty with brain
Super update
Keep posting
Kya kare bhai...!? Samay ki kami...हमेशा की तरह बेहतरीन
दुसरे कई लेखको की तुलना मे आपकी कहानी के अपडेट काफी बड़े होते है पर कहानी इतनी बेहतरीन है कि हमेशा यही लगत है कि अपडेट जल्दी खत्म हो गया, कुछ पैराग्राफ और होते तो अच्छा होता,
मन संतुष्ट ही नही होता, फिर अगले अपडेट के लिए 2-3 इंतज़ार करना मुश्किल लगता है।
Natalia is a different girl... Kaera ki head maid ka naam Julia hai bro. Thanks a lot!Keara to work clubwali girl he jisko veer ne bachaya tha keara and Sonia are childhood besties but abhi keara sonia ko importance nehni deti because wo age he sonia see.
Sonia bhi try Kartik arahii he keara ko beat karne ki but she always failed.now jealousy between to friends at it's peak.
Veer ko keara janti he he doubt Sonia k dimag me ghus gaya use dar he veer ko use keara chin naa le.
Keara is the girl beauty with brain.veer surprise ho gaya uske stats nehni check kar paya.Akhir kon he wo? Kya power he uske pass? Natalia is the girl may be mentioned in previous update as misstress is poor by her maid.
Super update...✌
Dhanyavaad bhai!Uttam lekhni ka prayog Werewolf bhai...waiting for next update eagerly...
Jii haa Kaera wahi club waali girl hai.lovely update ..to kaera wahi ladki hai jiski virginity tod di thi veer ne ,jab wo sonia ke saamne aayi to veer ne waha se khisakna hi sahi samjha ..
par suhana veer ko dobara uske saamne le hi aayi .
kaera hamesha aage rahi hai sonia se har baat me isliye ab sonia kaera ko harana chahti hai aur ye baat veer ko suhana ne batayi .
aaj bhi sonia ko aisa laga ki veer ko chhin na le kaera .
rohan ki to bahut beijjati ho gayi bina kuch kiye kaera ki taraf se ..
ye pari 4 level pe hone ke baad bhi kaera ki detail nahi jaan paa rahi ..
kaera ko sab bhali bhanti yaad hai us raat ke baare me aur jo veer ne kaha tha uske baare me aur ab wo detail chahti thi veer se par bich me uski p.a. jameen ka matter leke aa gayi ,,,
aur veer ko kaera ki kabiliyat ka pata chal gaya ki uska dimaag kitna best hai .
dekhte hai aage bhi inki baat jaari rehti hai ya veer ko leke chali jaati hai suhana ..
aur ye veer itna darr kyu raha tha kaera se ,wo itni badi hasti hai to sabke saamne veer ko ye to nahi kahegi ki veer ne uske saath sex kiya ..
A hot Beauty with the brainPura update padha par mann me vahi baat aa rahi kahne ke liye jo veer ne kahi, who the hell is this girl.
Thanks dude!Garda uda diye bhaiya maza aa gya ye kahani ekdam sahi chal rahi hai.
Waiting for new update.
Ohhhhh Nice guessing bro...Kaayi essa tu jeshe veer ke paas pari hai keara ke pass bi ek function hai saayed uss time usku virginity lose ka task milla hoga aaur esme Veer se aghe ke level .e hogi dekhte hai kyea hota hai
shuru hote hi khatam ho jaata hai!? Ni bhai... Mujhe toh aisa nahi lagta...Nice update but bro apka update shuru hote hi khatam ho jata h, make more lengthy,
Ab kab de rahe ho.Jii haa Kaera wahi club waali girl hai.
Yes! Pari level 4 pe hone ke baad bhi Kaera ka status nahi dekh paayi. Jabki Sonia aur Suhaha ka dekhne me wo saksham hai...
Veer darra nahi tha, nervous tha. What if Kaera Sonia ko bata deti?? Isliye...
A hot Beauty with the brain
Thanks dude!
Ohhhhh Nice guessing bro...
shuru hote hi khatam ho jaata hai!? Ni bhai... Mujhe toh aisa nahi lagta...
Superb updateUpdate - 4 ~ In the Hospital
Ab tak...
Ladki peeche mud window se uss ladke ko dekh rahi thi, uska nichla honth daato tale zorr se daba hua tha ki maano khoon hi nikal aae. Aankho me halke aasu bhi aa chuke the.
"I'm sorry..." Usne mann me kaha.
Aur wo car palak jhapakte hi logo ki nazro se ojhal ho gayi.
Idhar accident dekh aas paas ke jo bhi log dukaan ke neeche baarish se bachne ke liye khade hue the wo daudte hue aae aur Veer ko uthaane lage.
Ab aage...
"Arre... Arre... Uthao... Uthao..."
"Jaldi... Jaldi..."
"Car wala madarchod bhaag gaya..."
"Uthwao bhailog..."
Aur waha maujood log forun hi Veer ke paas aake usse uthaane lage. Bina baarish ki parvaah kiye.
Yadi uske parivaar waale hote toh kya woh usse iss waqt uthaate?
Shayad haa? Ya shayad nahi!?
"Arre isse toh boht zyaada chot aayi hai, khoon beh raha hai kaafi, jaldi ambulance ko call karo koi..."
Waha khade ek aadmi ne chillaaya toh agle ne forun hi 108 dial karte hue ambulance bulwa lii.
Abhi wo log savdhaani se Veer ko utha hi rahe the ki itne me ussi mod se ek aur car aayi par bheed ke kaaran uss car ko rukna pada.
Car waale ne jab horn maari toh usse itni gaaliya padi ki usse na chaahte hue bhi rukna pada.
"Dhatttt behanchod!! Iski maa ki aankh..." Car waale ne steering pe zorr se haath maarte hue chillaaya.
Dusra aadmi : Ab kuch nahi ho sakta... Car ghuma lo...
Pehla aadmi : Boss ko pata chala toh woh hamaari gardan na udaa de...
Dusra aadmi : Mein Boss ko samjha dunga... Tum car ghuma lo...
Pehla aadmi : Thik hai.
Aur wo car reverse karke waha se nikal gaye.
Idhar log Veer ko utha ke ek shop ke neeche lita ke uski choto par rumaal ya kapda baandh ke jese tese khoon rokne ki koshish kar rahe the.
Kuch derr me hi ambulance aayi aur Veer ko leke hospital ki orr chali gayi.
***
Veer ke ghar me...
Sabhi log iss waqt Manorath ke kamre me maujood the. Manorath apne bistar par baitha hua tha toh wahi baaki sabhi khade hue usse hi dekh rahe the.
Manorath : Aaj tak prasaad ka aisa apmaan hamaare ghar me kisi ne bhi nahi kiya.
Pranjal : Dada jii! Veer ko waqai aisa nahi karna tha.
Kavya : Par... Dada jii! Wo toh... Unhone jaan bujh ke nahi kiya hoga...
Pranjal : Kavya? Ye tum kya keh rahi ho? Pehli baar maante hai ki uska perr fisal gaya aur wo vase toot gaya par dusri baar bhi?
Pranjal ki baat sunn bechaari Kavya kuch virodh hi na kar paayi aur sar jhuka lii.
Sumitra : Jeth jii... Aapko aise... Veer ko ghar se nahi nikaalna tha.
Brijesh : Mene jo bhi kiya hai boht soch samajh ke kiya hai. Mein ye kadam pehle hi uthaane waala tha par hamesha Papa jii ke kaaran ruk jaata tha. Lekin aaj toh usne hadd hi paar kar dii. Akhir uss kameeni ki kokh se jo paida hua hai, aisa hi hona tha... Mere toh ek bhi gud nahi hai usme...
Manorath : Wo jaisa bhi hai iss parivar ka hissa hai. Usse jaake wapas le aao. Abhi zyada dur nahi gaya hoga.
Brijesh : Bilkul bhi nahi Papa jii. Mene aapko pehle bhi bol ke rakha hai. Ki jis din ye apni hadd paar karega uss din mein isse ghar se nikaal dunga. Aur aaj yahi hua hai... Ab mein usse iss ghar me ghusne tak nahi dunga... Aap apna faisla sunaaiye Papa jii...
Manorath : Toh tum log usse wapas nahi laoge?
Brijesh : Bilkul bhi nahi...
Manorath : Toh fir mera bhi yahi faisla hai. Zameen aur jaydaad kisko milegi ye bhi tab hi nirnay hoga jab parivaar ka harr ek sadasya ghar me maujood hoga.
Brijesh : Papa jii!??
Vivek : Dada jii!? Ye aap...!?
Manorath ke faisle se maano sabko ek jhatka sa laga. Jiss pal ke liye wo sabhi bekaraar the ki akhir kisko zameen aur jaydaad dii jaegi wo pal toh aaya hi nahi. Ulta ab jab tak ghar me Veer nahi aa jaata tab tak faisla tal chuka tha.
Manorath ke paas dherr saari zameen thi jiski keemat crores me thi aur jaydaad bhi. Aur ye sab kuch ghar ke ussi sadasya ko milne waala tha jo Manorath ki aankho me iske liye sahi tha.
Uske 2 petrol pump bhi rahe jo usne apne beto ko de diye the. Ek petrol pump ka maalik jaha Brijesh tha toh wahi dusre ka maalik Karunesh.
Karunesh ne dimaag se paisa kamaate hue apne bete Vivek ki upar lagaya aur aaj Vivek ki khud ki ek automobiles ki company thi. Bhale hi worldwide nahi thi abhi par uska business zorro shoro se chal raha tha.
Karunesh ki badi beti Arohi aur choti beti Kavya, Veer ke hi college me thi aur wo dono bhi B.Tech kar rahi thi. Jaha Arohi aur Veer ki branch same thi ~ IT.
Wahi Kavya CS branch se belong karti thi.
Pranjal bhi same college me tha par wo B.com kar raha tha. Uski building alag thi par saari buildings saath me hi thi, jis kaaran wo break ke time Arohi aur Kavya se milne jaata rehta tha.
Karunesh ko apne bete betiyo ki koi chinta nahi thi.
Par Brijesh ka aisa nahi tha. Brijesh ko bhi ek petrol pump diya gaya tha Manorath dwaara. Usne bhi dimaag se apni ek luxury hotel khulwaayi jo sheher me kaafi mashoor thi. Jaha wo petrol pump sambhaalta tha toh wahi uski hotel uski dusri patni Shweta sambhaalti thi.
Shweta ke hi saath uski beti, Bhumika bhi uska saath deti thi.
Aur aaj yahi faisla liya jaane wala tha ki kisko zameen aur jaydaad milegi.
Par sab kuch dhara ka dhara reh gaya.
Manorath : Mera faisla saaf hai. Jao aur mujhe akela chorr do abhi.
Vivek : Par Dada jii...
Manorath : Mene kaha jao... Aur Brijesh... Yadi tum Veer ko wapas nahi laane waale toh mujhe uske baare me harr cheez batao... Iss waqt kaha hai woh... Kiske ghar theher raha hai? Wo mera pota hai. Mein jaan'na chaahta hu wo sahi salaamat hai ya nahi?
Brijesh : Thik...
Aur ghar ke mukhiya ki awaaz sunn sabhi bemann waha se nikal gaye.
Idhar kamre me aate hi Vivek Pranjal pe toot pada.
Vivek : Chote ye kya kar diya tune? Ye daav toh ulta hi pad gaya. Dada jii ne toh faisla hi taal diya. Ab jab tak wo Veer nahi aa jaata tab tak Dada jii koi faisla nahi sunaenge.
Pranjal : Bhaiya! Ab mujhe kya pata tha aisa ho jaega? Mene toh yahi socha tha aaj Veer ko Dada ji ki nazro me gira dunga toh Dada jii uska naam lenge hi nahi. Par mujhe nahi pata tha Tau jii usse ghar se baahar hi nikaal denge.
Ragini : Mene kaha tha ye kuch zyada hi ho gaya hai.
Pranjal : Aap log tension mat lo. Hum log kese bhi karke Dada jii ko mana lenge aur wo jald hi faisla le lenge. Filhaal ek musibat toh gayi.
Vivek : Hmm!! Par chote tune wo sab kiya kese?
Vivek ke sawaal karne par Pranjal ne muskuraate hue jeb se kuch nikaala aur unn dono ko dikhaya.
Pranjal : Haha! Bhaiya! Saara kamaal iska hai.
Vivek (hairaani me) : Ye toh... Ye toh... Ye toh tufoil hai chote...
Pranjal : Haha! Haa bhaiya! Aapke hi yaha se laaya hu.
Tufoil ek aisa slippery oil jisse automobiles me use kiya jaata hai. Na keval ye automobiles ke liye balki ye apni slipness ke liye bhi jaana jaata hai.
Pranjal : Ye mene floor par daal diya tha. Aur mein Veer ko wahi se le gaya jaha ye oil mene daala tha. Bas! Fir kya tha, uska geela joota jese hi uspe pada, Veer fisla aur vase seedha neeche... Hahaha!
Ragini : Par wo prasaad ka kya?
Pranjal : Bhabhi! Wo bhi iska hi kamaal hai. Mene sleepers ke neeche bhi isse laga ke rakha hua tha.
Ragini (smiles) : Waah! Maan gaye tumhe bhi. Par wo chot ka kya jo Veer ko pehle se hi lagi hui thi?
Pranjal : Wo bhi mere kehne par hau tha Bhabhi. Mere kayi chelo me se ek hai wo Ajay. Mene usko keh ke rakha tha ki aaj pehla din hai toh koi bhi bahana bana ke aaj jamm ke thukaayi kar dena uss Veer ki... Aur usne yahi kiya hahahaha!
Vivek : Par chote, wo oil zameen par nazar kyu nahi aaya?
Pranjal : Kese aaega Bhaiya? Mene usse carpet ke ekdum bagal se giraaya tha hahaha!
Aur uske saath hi Vivek bhi hassne laga. Ragini muskuraate hue dono ko dekh rahi thi. Jaha ye jashn mana rahe the toh wahi koi aur tha jo iss waqt apni saaso se ladd raha tha.
***
Hospital...
Nurse : Iski haalat boht critical hai Doctor.
Doctor : I know... Humse jo bann padega hum karenge.
Nurse : Jii! But iski family...!? Iska mobile toh kaam hi nahi kar raha hai.
Doctor : Mene ward boy ko bola hai wo iske phone ki SIM apne phone me daalke iske ghar waalo ko call karega.
Nurse : Hmm!!
Aur Veer ka treatment shuru ho chuka tha.
Ward boy ne jab Veer ki SIM daal ke Brijesh ko call kiya toh Brijesh ne ye soch ke call nahi uthaya ki zaroor Veer ne paise maangne ke liye phone kiya hoga aur gusse me usne apna phone hi band kar diya.
Ward boy ne jab Sumitra ko call kiya toh call lag hi nahi raha tha. Kese lagta? Pranjal ne apni maa ke phone me Veer ka number block jo kar ke rakha tha.
Fir usne akhiri number jo ki Kavya ka tha usse call kiya.
Idhar iss waqt Kavya Arohi aur Pranjal ke saath hi baithi hui thi. Number dekhte hi Kavya soch me pad gayi.
'Veer Bhaiya mujhe kyu call kar rahe hai?? Phone utha lu? Thik hai utha leti hu.'
Par iske pehle ki wo phone utha paati, Pranjal ne uska phone chhina liya.
Pranjal : Zara dekho toh... Veer ab hamari Kavya ko phone laga raha hai. Kyu Kavya?
Kavya : Phone dijiye Bhaiya.
Pranjal : Nahi! Zaroor ab apni pyari behan se paise maangne ke liye phone kar raha hoga. Kyuki baahar ab usse paiso ki zaroorat toh padegi hi...
Aur usne forun hi phone kaat ke uska number hi block kar diya.
Pranjal : Ab tumhe disturbance nahi hoga behan hahaha!
Kavya : Hmm?
Pranjal : Accha wo sab chorro, chalo hum sab pizza mangwaate hai.
Kavya : Mera mann nahi hai Bhaiya aap hi khao. Aaj Veer Bhaiya ke saath itna sab kuch ho gaya aur aapko pizza ki padi hai?
Pranjal : Arre ye kya baat hui yaar. Kavya tum ab bhi usse apna bhai maanti ho? Wo bhai kehne laayak nahi hai Kavya. Kherr chorro! Arohi didi aap toh khaogi na?
Arohi : Nahi!
Pranjal : Thik hai toh mein hi mangwa leta hu...
Aur wo waha se chala jaata hai.
Kavya apna phone liye sochti rehti hai ki akhir Veer ne usse kyu call lagaya hoga. Wo sochti hai ki agli baar yadi phone aaya toh woh zaroor uthaegi. Par usse kya pata tha ki Pranjal ne Veer ka number hi block kar diya tha.
***
Idhar hospital me ek ward me ek ladki apni Maa ke paas baithi hui thi...
Ladki : Maa! Ab mein chalti hu... Tum dhyaan rakhna theek!
Aurat : Haa beta! Mujhe kya... Tumhaare Papa toh rahenge hi na mere saath. Ab tum jao... Raat ho rahi hai beta. Aur fir, Juhi akeli pados me zyada derr nahi reh paegi. Jaa beta...
Ladki : Jii Maa! Chalti hu. Tum dhyaan rakhna apna haa!? Koi bhi dikkat ho toh...
Aurat : Arre baba! Haa! Pata hai mujhe... Jaa ab tu...
Ladki : Thik!
Aur ladki apni Maa ke ward se baahar nikal aati hai.
Abhi wo aage badh ke nikalne hi wali thi ki usne dekha ki uski Maa ke bagal waale ward ke baahar doctor aur ward boy ke beech behas ho rahi thi jisse dekh wo rukk gayi.
Doctor : Dekho kese bhi karke iske parivaar walo ko inform karo.... Kese bhi karke...
Ward boy : Arre Sir! Kisi ne phone hi nahi uthaaya...
Doctor : Haa toh lagaate raho... Nahi toh fir police ko inform karo kyuki uske shareer pe maar peet ke bhi nishaan hai.
Inn dono ki behas chal rahi thi ki tabhi wo ladki jigyaasa purvak aage badhi aur usne ward me jhaank ke dekha, jab usne patient ka chehra dekha toh ekdum hi chaunk gayi aur uske muh se tezz swar me nikla, "Veeeeeeerr!????"
Doctor (palat'te hue) : Aap? Aap janti hai isse?
Ladki : Huh? Mein... Haa! Wo mera student hai. Mein usse pichle ek saal se jaanti hu.
Doctor : Bhagwaan ka shuqr hai chalo koi toh mila... Aapka shubh naam?
Ladki : Nidhi...
Doctor : Okay toh Nidhi jii... Aap idhar aaiye zara mere saath.
Kuch derr baad...
Nidhi Veer ke college me Maths padhaati thi. Aur iss saal wo Veer ki hi class ki classteacher thi.
Wo Veer ko jaanti bhi thi. Bhale hi Veer padhne me hoshiyaar nahi tha par Veer sabse shaant baccha tha uski class me. Aur ho bhi kyu na? Uske dost hi nahi the.
Aaj Nidhi apni Maa jinhe kal hi achanak minor heart attack aa gaya tha unhe hi dekhne ke liye hospital me aayi hui thi. Par ittefaaq se usse Veer bhi yahi mil gaya.
Veer ke liye saari kaagzi kaam Nidhi ne kiya aur yaha tak ki apne Pita jii se Nidhi ne Veer ke liye medical fees bhi advanced me kuch jama karwane ko keh diya.
Sab kuch itni jaldi hua ki Nidhi ki khud samajh me nahi aaya. Aur iss waqt wo ward ke darwaaze ki window glass se jhaakte hue Veer ko dekh rahi thi aur soch me padi hui thi.
'Ye achanak... Ye Veer haadse me kese...!? Aur iske Maa Baap phone kyu nahi utha rahe hai!? Kese Maa Baap hai? Mujhe kal jaake unse baat karni padegi.'
Nidhi ye soch hospital se nikal gayi.
Par uske jaate Veer ki haalat bigadna shuru ho gayi thi.
Nurse : Doctor...
Doctor : I know...
*Beep Beep Beep*
Uski heart beat bilkul band hone ki kagaar par aa chuki thi.
Ki tabhi achaanak se aisa kuch hua jiske chalte uski heartbeat waapas se normal ho gayi.
Doctor : Phew... He's out of danger now.
Aur kuch derr baad hi Doctors aur nurse Veer ki haalat stable roop me chorr ke baahar aa gaye.
Par kisi ko nahi pata tha...
Ki jab uski saasein jaane hi waali thi...
Tab uske andar ek awaaz gunji thi...
Jo kisi ko sunaayi nahi dii thi...
Aur wo awaaz ke bol the...
[System has been activated.]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!