- 13,762
- 98,338
- 259
Last edited:
Ab h slogan kon hai , uska status kyu check nhi hora aur who's that girl in car, h prinjal b kuch thoo karega UfFffff h twist pe twist , Next Update dekhe Thoo h malum padega, by The way nice updateUpdate-48~ Mystery and PlanAb tak...
'Y-Ye!?? Damnnnnnnn....!'
Bas baaki tha... toh Veer jo achraj me waha khada hua tha abhi bhi apni fist hold kiye aur baaki aadmi... Jo karaahte hue sadak par dale hue the.
Veer ne khush hote hue ek raahat ki saas lii...
Par ...
*Clap* *Clap* *Clap*
Apne just peeche se ye awaaz sunn uska shareer kaanp utha.'
Ab aage...
Achanak aayi unn taaliyo ki awaaz jese uss sunsaan sadak me goonjne lagi aur Veer ke raungte khade ho gaye. Kuch shan ke baad hi taaliyo ki goonj tham gayi aur sab kuch shaant pad gaya.
Ekdum ekaant sa...
Aur fir Veer dheere dheere palta...
Usne saamne dekha aur jese hi uski nazre saamne hui....
Uski ankhein phati ki phati reh gayi.
Uss limousine se ek vyakti nikal ke baahar aaya tha. Floral shirt, blazer, trouser, black formal shoes aur bas. Uske haatho me kuch nahi tha. Veer iss vyakti se kabhi nahi mila tha. Na hi usse jaanta tha. Par uske saamne khada ye vyakti, pata nahi kyu par Veer ko usse dekh ke hi khatre ki ghanti sunaayi de rahi thi.
Kuch gadbad thi.
Veer ko aisa mehsoos hua jese iss waqt usko yaha nahi hona chaahiye tha.
Ye wahi vyakti tha. Wahi vyakti...
Jisse Veer ne uss din Suhana ke saath hotel me dekha tha. Uss lift me. Bilkul!!!!
Veer ki memory sharp thi. Usse bakhubi yaad tha ki ye wahi insaan tha jo uss din lift me tha. Akhir kese Veer usse bhul sakta tha!?
Wo floral shirt... Uss aadmi ke dress up ki sabse eye-catching cheez thi. Jisse aadmi ek nazar me asaani se bhul hi na paaye.
Par sabse bada sawaal tha. Wo akhir yaha kar kya raha tha!? Inn aadmiyo se uska kya lena dena tha?
Dono ki nigaahe ek dusre ko aise scan kar rahi thi jese maano ek dusre ko ladne se pehle parakh rahe ho.
Veer : T-Tum...!!
Aadmi : *smiles*
Veer ke response par wo aadmi kuch nahi bola bas muskuraaya. Par kisi kaaran vash Veer ko uss aadmi ki muskuraahat aur bhi zyaada khatre ke sanket de rahi thi.
Uski bauhe apne aap sikudi... Aur usne firse pucha.
Veer (frowns) : Tum sab kaun!? And you... You were there in the elevator that night.
Aadmi (smiles) : Ohh! Beshaq! Toh mein yaad hu tumhe!? Good! Good! Toh mein bhi apna intro de du. Right!? So... Well! I go by the name of...
Veer (gulps) : ...
Aadmi (smiles) : SLOGAN!!!
Veer (frowns) : Slogan!?
Veer ne usse dekh ek shan bhi waste nahi kiya aur seedhe...
'Check!'
Par...
[You are not eligible to view this person's status.]
Ek aur bada jhatka laga usse.
Saamne khada vyakti jo kareeb 55-60 saal ki umr ka tha par utne ka prateet nahi ho raha tha. Wo muskuraate hue Veer ko aise dekh raha tha jese uski saari chaale jaanta ho.
Veer (frowns) : Ye sab tumhaare aadmi hai!?
Slogan : Bilkul bilkul! Par yaha pe sawaal toh mera hona chaahiye na!? Tum meri gaadi ke saamne aaye aur gaadi roki... Toh zaahir hai ki mere aadmi tumhe dushman hi samjhenge na?
Veer : T-That...
Slogan : Toh kya mein jaan sakta hu? Ek anjaan ladka meri gaadi ko itni raat gaye follow kiya aur fir saamne apni bike rok mere aadmiyo se lada. Ab iss par apne vichaar rakhna chaahoge tum?
'There's something wrong...!!! I can feel it. I cannot say ki mujhe mission mila tha.'
[Ye aadmi mujhe creepy vibes de raha hai Master! Ugh!]
Veer (frowns) : I think... Tum aur tumhaare aadmi kuch illegal kaam kar rahe hai. Gaadi ki window tints itni black kyu hai!? Transparent kyu nahi!? This is illegal.
Veer ne kuch soch ke ye jawaab diya. Kyuki zaahir sii baat thi. Mission tha ki gaadi me andar thehre vyakti ko chot na aaye. Matlab saaf tha, ki gaadi me koi aisa shaks tha jisse harm na pohuch paaye.
Aur ye log gaadi ki window tints ekdum kaali rakhe hue the. Veer inn sab baato ko parakhne ke baad, uska anumaan ek hi jagah par jaa raha tha.
That...
This was a Kidnapping!!!!
And someone was inside....
Zaroor! Zaroor kuch gadbad thi. Warna aisa mission me likh ke nahi aata. Wo bhi warning me likh ke aaya tha.
Pakke se iss aadmi ne kisi ko agvaah kiya hai aur Windows ka yu kaala hona koi ittefaaq nahi tha balki jaan boojh ke unke sheeshe kaale the taaki andar kya ho raha kisi ko bhi kuch pata na chale.
Aur itne aadmi same dress pehne hue!? Zaahir sii baat thi. There was something definitely wrong.
But what was it!???
Aisa kya tha jo sense nahi bana raha tha? Iska jawaab jaan'ne ke liye Veer ko keval uss limousine ke andar dekhna tha aur bas... Saara ka saara sach ek baar me saamne aa jaata.
Slogan : Mein illegal kaam kar raha hu? Ye windows safety purpose ke liye hai. Aur transport department se permission bhi hai mere paas... Toh bhala kyu nahi!?
Veer ki kuch samajh nahi aa raha tha. Kya ye vyakti waqai begunaah tha!? Kya uska hi system behak raha hai!?
Veer : Mujhe andar dekhna hai... Surely! Yadi kuch illegal nahi hai andar toh... You won't mind right!?
Slogan : Ahem!!! Par kyu!? Kyu dekhne du bhala mein? Mein chaahu toh abhi tumhaare khilaaf complaint kar sakta hu... Akhir dekho! Tumne kitne aadmiyo ko maara hai yaha mere...
'This doesn't makes sense at all... Damn ittt!!!!'
[This guy... Master!!!! Iski baato me mat ulajhiye... I can feel it. Ye baato me uljha raha hai.]
'I know it Pari!!'
Veer : Mujhe bas andar dekhna hai. Akhir mein concerned tha aur isliye follow kiya... So yadi koi illegal kaam nahi hai toh... You shouldn't mind right!?
Slogan : Well!!! Thik hai... Have a look...
Aur wo limousine ke darwaze se side hatt gaya aur Veer ko andar dekhne ke liye permission de diya.
Ahista ahista aur satarkta se bhare kadam badhaate hue Veer unn aadmiyo aur uss Slogan ke paas se guzra aur usne jese hi andar jhaak ke dekha...
Toh usse nazar aaya, ek ladki acchi si dress pehne hue baithi hui thi. Kahi se bhi wo aisi nahi lag rahi thi jo kidnapped kii gayi ho.
Veer : ???
Ladki : Hmm!?
Veer : Aapka naam!?
Ladki : Huh!? Why should I tell you? Aur tumhaare hi kaaran car ruki hai na? Tumne hi uncle ke aadmi ko maara na abhi? Get lost okay!? I'm in my way to home...
Par uss ladki ka jawaab sunn Veer toh ekdum hakka bakka reh gaya tha. Ye sab chal kya raha tha!? Akhir system ne usse ye car rokne ke liye kyu kaha!?
Veer : Ma'am! Aap safe hai na!? Aisa toh nahi ki... Ye sabhi aadmi aapko majboor kar kahi le jaa rahe hai!?
Ladki : What the hell? Are you mad or what? Ab iss se pehle ki mein police ko phone karu tum nikal lo yaha se samjhe!? Uncle chaliye na...! Kaafi neend aa rahi hai mujhe.
Veer ko laga tha ki shayad unn aadmiyo ke darr se ye ladki sach chhupa rahi hogi par aisa toh kuch bhi nahi tha. Wo toh poori tarah se normal lag rahi thi. Akhir kya chal raha tha yaha pe!?
Aur isliye ek baar aur confirm karne ke liye, Veer ne wahi kiya...
'Check!'
[Name : Priya
Age : 24
Bio : Priya! Ek xxxxxxx college ki student hai. She loves to go into the parties and dancing. Thodi selfish hai. Paiso ka guroor bhi hai. Priya ke Dad ek rich business man hai.
Favourability : 2
Relationship : Strangers]
Par status padhte hi Veer ko ek aur bada jhatka laga. Ye ladki kisi bhi danger me nahi thi. Everything was completely normal.
Then why this mission!?
Akhir system uss se karwana kya chaah raha tha!? Yu itni raat gaye kisi ki gaadi rokna? What the hell was wrong with this system!?
Veer awkwardly darwaaze se peeche hata.
Slogan (smiles) : Ab yakeen ho gaya!?
Veer : Y-Yeah... Sorry for that...
Slogan : Yadi tumhare intentions galat hote na ladke toh tum bhaari musibat me pad sakte the.
Veer : Y-Yeah!!
Aur Veer waha se bina kuch kahe hi jaane laga. Usse samajhne ke liye ab ekaant mahaul chahiye tha taaki wo samajh sake ki ye sab behanchod hua kya uske saath.
'Pari! Ghar pohuch ke... I need an explanation.'
[Even... I... I don't know master. System ne aisa Mission bhala kyu generate kiya hoga!? Jiska koi matlab hi nahi tha!?]
Par ye baat hamari bechari Pari bhi nahi jaanti thi. Kya waqai system ne ek sahi mission generate kiya tha? Ya ye koi internal malfunction tha system me!?
Jo kuch bhi ho, iska answer jaan'na Veer ke liye boht zaroori tha.
Abhi wo apni bike utha ke key ghuma hi raha tha jab peeche khade unn logo ki kuch awaaz uske kaano me padi.
Ek aadmi Slogan ki taraf muda aur bola,
"Usne sahi kaha tha Dada... Bilkul wesa hi hua. Ye toh jaadu ki tarah hai. Usko kese...!?"
Par iske pehle ki wo kuch keh paata. Slogan ka haath tezzi se ghuma aur ek tamaacha uss aadmi ke gaal par pada. Bechaare ke kaan me seeti bajne lagi itni zorr se wo jhaapad pada tha usse aur agle hi pal wo shaant pad gaya.
Veer ne ek baar fir shanka me unhe peeche mud dekha par fir gaadi chaalu kar wo nikal gaya.
Uske jaane ke baad ab keval Slogan aur uske aadmi hi bache hue the.
Steve, Slogan ka right hand aadmi jo kaafi derr se chup tha aur uske peeche khada hua tha wo aage aaya apne Dada se kuch kehne ke liye par jese hi usne apne Dada ki aag baboola aankhein dekhi toh uske shabd muh me hi reh gaye.
Slogan : Steve!!!
Steve : J-Jii Dada!
Slogan : Taiyaariya kesi chal rahi hai!?
Steve : Sab taiyaar hai Dada!
Slogan : Good!
Slogan andar limousine me baithne jaa hi raha tha jab Steve ne himmat kar puch hi liya.
Steve : D-Dada!!
Slogan : !??
Steve : U-Uss... Uski baat sahi nikli... Bilkul wesa hi hua... Ye sab...!?
Slogan : Aaj tak... Aaj tak iss Slogan ko kabhi koi darra nahi paaya hai Steve. Wo koi chhal kiya hai. Dekh lenge usse bhi.
Aur itna bol wo ghus gaya car me.
Ye sab kya baatein thi jo ye kar rahe the!? Kiske baare me baatein thi ye? Ye keval wahi jaante the.
***
Few Days later...
Uss raat uss ajeeb se mission ke baad, Veer ki life kuch shaant sii thi. Sabse strange baat par uss mission ki hi thi.
Uss raat jab Veer waha se lauta toh ghar pohuchte hi usse notification mil gaya tha.
*Ding*
['Mission : Follow the black limousine and stop it at all costs' has been completed.]
*Ding*
[200 points have been rewarded.]
Ye jese aur bhi bada surprise tha uske liye. Usse uss mission ke baare me toh kuch jaankaari nahi mil paayi par zaroori baat ye thi ki mision complete ho chuka tha aur toh aur...
200 points eksaath.
'Uss raat... Kuch aisi cheez hai Pari... Jisse hum dekh nahi paa rahe hai. I don't think ye system ka koi malfunction hai. Kyuki iss se pehle kabhi system ne aise behave nahi kiya hai.'
[I agree master! Wait I can do something.]
'Kya!?'
[Mein ek diagnostic run maar sakti hu. Uss se pata chal jaega ki system me kahi kuch kharaabi hai ya nahi!]
'Do it right now then!'
Veer ke nirdesh anusaar Pari lag chuki thi apne kaam me. System ko check kar rahi thi. Taaki yadi koi bhi error ho toh saamne aa jaaye.
Par...
[Everything is fine Master. There's nothing wrong!]
'Damn it!!! It doesn't makes any sense. System wanted me to not harm that girl. Iska matlab kahi mujhe keval uss se milwana toh nahi tha!? But she's just a rich girl. Usme koi aisi khaasiyat nahi hai. I don't think that's the case. Wait! Kahi... Wo kisi aise ko jaanti ho? Jis se future me mujhe milwaye wo!? Aur hamari mulaqaat ho? Isliye shayad system ne mujhe usse harm na pohuchaane ke liye kaha!? But no... Akhir milwaane ka matlab kya? Upar se mera pehla impression hi bekaar tha uske liye...'
[Kuch bhi ho master. Aapko ab pehle se zyaada alert rehna padega.]
'Yeahhh! Aur tum level 5 se kitni dur ho?'
[I'm almost there. One more Mission aur mein level 5 pe hehe~]
'Hmm!'
[And you will get surprises then... Hehe~]
'Hmm? Of course! Harr level up pe kuch na kuch internal feature unlock hota hai. Right!?'
[Yeah! Par iss baar aur bhi boht kuch hai. It will be a great surprise!]
'Meri umeede na jagao.'
[I promise Master! You know how much I love you right? Jhooth thodi bolungi.]
'Hmm... Alright! Let's go! Suhana ne business ke baare me discuss karne bulaaya hai. I need to earn money fast. Miss Kaera se milna padega. She's damn good in business.'
[Yesssssss!]
***
Same day...
At Veer's old house...
Raat ka waqt tha. Hall me hi ghar ke mukhiya Manorath viraajmaan the aur ek naukar unke perro me tel laga ke unki maalish kar raha tha.
Ussi hall me maujood couch par dono bhai, Vivek aur Pranjal baithe hue the jo ishaaro hi ishaaro me na jaane kya baatein kiye jaa rahe the.
Brijesh abhi tak ghar nahi lauta tha aur Karunesh bhi. Ghar me Sumitra, Arohi aur Kavya hi maujood thi aurato me.
Bhumika aur Shweta, bole toh Veer ki Sauteli behan aur Maa dono hi apni hotel me thi aur wo aksar raat me saara kaam kaaj waha ka nipta ke hi ghar lautati thi.
Kavya aur Arohi ek hi room me apni baato me lagi thi aur Sumitra ghar ki maid ke saath khaane ki taiyaari kar rahi thi.
Jab Pranjal ko mauka sahi laga toh usne apni baatein rakhna chalu kiya.
Pranjal : Dada jii!
Manorath : Hmm?
Pranjal : Dada jii! Aap akhiri baar hamaari kul devi ke mandir kab gaye the?
Manorath : Hmm? Accha... Beta kayi saal ho gaye.
Pranjal : Ye kya Dada jii!? Naya saal aa raha hai. Aur naye saal ki shuruaat me mere khayaal se aapko udhar jaana chahiye. Mein toh bachpan me gaya tha. Mujhe toh yaad bhi nahi waha ka kuch bhi. Kyu na hum log waha hoke aaye!?
Vivek : Chota sahi keh raha hai Dada jii! Akhir... Itne saal ho haye aapko khud ko gaye. Aur mein toh last time gaya bhi nahi tha. Naye saal ki shuruaat yadi devi jii ke ashirvaad se ho toh kitna badhiya rahega.
Dono ne jab ye baat kahi toh Manorath ko bhi waqai laga ki baat ekdum sahi thi. Jab naye saal me aadmi acche dhan, sukh, samridhhi prapti ki iccha karta hai toh sabse pehle Bhagwaan ko hi yaad karta hai. Aaj Manorath ke paas bhagwan ka diya sab kuch hai. Toh aise me usse apni kul ki devi ka ashirwaad lene waha jaana hi chaahiye aur waha pe bhi kuch karwaana chaahiye.
Manorath : Tum dono ki baat bilkul sahi hai. Waqai! Hume jaana chaahiye...
Pranjal (smiles) : Waqai!?
Manorath (smiles) : Kyu nahi beta!? Bilkul! Hum saparivaar jaenge... Hamaari taraf se mandir me jo kuch bhi ban padega hum karenge aur udhar bhandaare ka aayojan bhi karenge. Naye saal ki ye shuruaat devi jii ke ashirvaad se hi honi chaahiye. Bilkul! Mujhe ye jaan ke behad khushi hui ki aaj ke iss samay me bhi mere pote... Pooja paath se kitna jude hue hai. Wahi tumhaare pita ko dekho... Unn dono bhaiyo ko... Hmph! Subah shaam paisa paisa paisa... Aaj bhojan ke liye late hue toh dekhna kya haal karta hu unka.
Pranjal : Ye hui na baat Dada jii! Bas toh fir tay raha. Hum sabhi 31st ko jaenge aur ek raat wahi theher ke new year mana ke waha se lautenge.
Manorath : Par mujhe ab bhi vishwash nahi hota. Tum dono naya saal manaane ke liye udhar gaav jaane ke liye ready ho gaye!?
Pranjal : Harr saal toh hum hotel ya kahi aur party kar naya saal manaate hi hai na Dada jii? Fir ek saal gaav me jaane se aisa thodi hai ki koi nuksaan ho jaega hamaara? Aur hum toh devi jii ke liye jaa rahe hai. Wo toh jaha bhi viraajmaan ho wo harr bhumi shubh hai.
Pranjal ki baat sunn Manorath ki aankhein namm ho gayi aur wo apna chashma nikaal apni aankhein malne lage.
Manorath : Mere pote kitne samajhdaar hai. Devi jii ki kripa hai sab.
Pranjal : Aur Dada jii...
Manorath : ??
Pranjal : Darasal mene ye request isliye saamne rakhi kyuki... Mein devi jii se ek khwaaish maangna chaahta hu...
Manorath : ??
Pranjal : ki jald se jald Veer aur Tau jii ke beech jo bhi jhagda hai wo khatam ho jaaye aur mera pyaara bhai ghar laut aaye. Mein uska poora khayaal rakhunga. Uske bina ye ghar adhoora hai Dada jii. Mujhe yakeen hai ki devi jii meri baat zaroor sunengi aur Veer aur Tau ji ko dekhna aap ek karwa dengi...
Veer ka zikr hote hi Manorath ekdum shaant pad gaye. Unhe Veer ka hi chehra apne mann me nazar aane laga.
Manorath (mann me) : Mera Veer...
Manorath : Veer ko bhi hum..
Vivek : Wo... Veer Ragini ke saath ruka hua hai Dada jii. Chinta ki koi baat hi nahi hai. Ragini ki saheli bhi uske ghar me hai. Toh aisi koi chinta ki baat hi nahi. Meri bhi yahi khwaish rahegi devi jii se... Ki jald se jald Ragini ghar laut aaye.
Manorath : Isme galti saari tumhaari thi. Hmph! Fir bhi... Devi jii ka naam leke sacche mann se iccha maangna aur Ragini bitiya ke paas jaa kar maafi bhi. Dekhna wo zaroor laut aaegi.
Vivek : J-Jii Dada jii!
Aur Manorath itna bol apni aankhein band kar apne chintan me doob gaye toh wahi Pranjal aur Vivek ek dusre ko dekh rahe the. Na jaane kya vichaar chal rahe the unke mann me.
Kuch boht bada hone waala tha shayad...
***
30th December...
At Night...
Nidhi's House...
Nidhi as usual apne khaana banaane me vyast thi andar kitchen me toh wahi Shreya aur Juhi hall me baithe hue the.
Juhi toh apne T.V me lagi hui thi par Shreya apne hi vichaaro me leen thi.
'Meri job already lag chuki hai. Aur earning bhi theek thaak hai. But still... Hamesha mera dhyaan youtuber bann'ne ke liye jaata hai. I want to do it. But uske liye mere PC ko accha khaasa banaana padega pehle... Uske baad ek accha internet connection. Uske baad hi kuch ho paega. Maybe part time me mein stream kar sakti hu. Yeah! Right! And I can even invite Veer to join my stream... Dheere dheere meri popularity badhti jaegi. People will knowa about me. About Veer too... Ohh it's so romantic. Veer aur mein saath me stream karenge! People will comment about us ki are you both in relationship!? Haha~ We will react to videos together... Play games together. It'll be so...'
"Shreyaaaaaaaaaaa!!!"
Par iske pehle ki Shreya apne mann me bann rahe laddu khaa paati, andar se Nidhi ki awaaz jese usse hosh me laayi.
Shreya : H-Huh!? K-Kya!?
Nidhi : Andar aao thode ye aalu rakhe hai mene cooker me... Inhe peel kar do.
Shreya : Alright!!!
Aaj ghar me aalu ke paraathe bann rahe the jo Shreya ke favourite the. Wo bhi Nidhi ke haatho ke. Toh wo madad karne se peeche kese hatt sakti thi? Akhir Nidhi itne pyaar se uske liye jo bana rahi thi.
Shreya : Dii!
Nidhi : Hmm!?
Shreya : Kal ka kya plan hai!?
Nidhi : Kya!?
Shreya : For god's sake... Dii! Kal saal ka akhiri din hai. Naya saal aane waala hai... Aur aapka koi plan nahi hai?
Nidhi : I-I don't have any... Aur kya naya saal? Harr saal ek jese hi guzarte hai mere... Mere liye koi naya saal nahi hai...
Uski awaaz sunn Shreya ka mann maayus ho gaya. Isme bechari Nidhi ki koi galti nahi thi. Galti thi toh bas uski kismat kii. Par Shreya nahi chaahti thi ki uski behan ka ye saal ka akhiri din itna sadhaaran tareeke se beete...
Usne fatafat aalu peel kiye aur Nidhi ko diye aur wo jhatpat apne phone leke hi kitchen me ghusi aur kisi ko call karne lagi.
Aur jese hi udhar side se kisi ne phone uthaaya toh Shreya ne baat karna shuru kii...
Shreya : Haan hello Veer!??
Aur bas...
Veer ka naam sunte hi Nidhi ek jhatke me palti aur usne Shreya ko dekha. Jese maano puchna chaah rahi ho ki bhala Veer ko kyu call kari thi woh.
Par Shreya ne Nidhi ko dekhne ke bawajood usse ignore kar diya aur apni baatein jaari rakhi.
Shreya : Wo... Kal saal ka akhiri din hai. Toh tumhara kya plan hai!?
Veer : Filhaal toh koi plan...
Shreya : Ohh that's so great toh tumhara koi plan nahi hai!? Wonderful!
Veer : H-Huh!?
Shreya apne baalo ke sath khelte hue Veer se baatein karti jaa rahi thi aur Nidhi ko bhi dekhti jaa rahi thi jo palat palat ke beech me usse dekh rahi thi.
Shreya : Toh tay raha... Tum mein Juhi aur Dii... Hum sabhi raat me celebrate karne chalenge. Okay!?
Veer : ???
Veer toh surprised tha hi par sabse zyaada surprised thi Nidhi kyuki wo ek jhatke me palat gayi.
Veer : Umm... Well... Kya Ma'am ready hoengi? I don't think unke paas time ho...
Shreya : Of course! Dii ready hai! She's all prepared...
Nidhi (shocked) : Shreya tum...
Shreya : Ohh! Lagta hai Dii ko tumse baat karni hai... Ye lo Dii...
Nidhi : W-Wait...!
Aur agle hi pal Shreya ne apne haatho se phone seedha Nidhi ke kaano me laga ke usse thama diya...
Nidhi : ....
Veer : ....
Shreya nahi jaanti thi ki Veer akhiri time Nidhi se jab mila tha toh thappad kha ke gaya tha. Toh aise me iss waqt Nidhi se baat karna kitna awkward tha uske liye ye baat wo nahi jaanti thi.
Aur na keval Veer ke liye balki Nidhi ke liye bhi ye utna hi awkward tha.
Nidhi : ...
Veer : Umm... Hello!?
Veer ki awaaz sunn Nidhi ke honth khule par fir achanak hi band ho gaye. Na jaane kyu wo itna katra rahi thi.
Usne bebas nigaaho se Shreya ko dekha par Shreya toh jese aur encourage kare jaa rahi thi.
Shreya : Kya hua? Aree baat kariye...!
Aur majbooran Nidhi ko muh kholna hi pada.
Nidhi : H-Hello!?
Veer : Hello... Ma'am!! Wo... Shreya jii ne kaha... ki kal ka plan hai... Kuch...
Nidhi : Umm...
Veer : ???
Nidhi : Wo...
Par Nidhi kuch keh paati tabhi baahar washroom se Juhi ki awaaz aayi...
"Maaaasiiiiii.... Sabun khatam ho gaya hai..."
Shreya : Aayi Juhiii....
Aur Shreya agle hi pal baahar nikal gayi.
Ab bache the toh keval Nidhi aur Veer phone pe. Ye atmosphere aur bhi awkward ho chuka tha unn dono ke liye.
Veer : Wo... I'm sorry ma'am. Y-Yadi... Aap mujhse baat nahi karna chaahti then it's okay. Don't worry! Mein yaha se call cut kar deta hu... Shreya jii ko bol dunga network problem thi. It's.. it's totally fine. So...
Nidhi : N...Noooooo!!
Par agle hi pal ek desperation se bhari awaaz Nidhi ke muh se nikli...
Nidhi : A-Aisi koi... koi bhi baat nahi hai.
Veer : I... I see!
Nidhi : ....
Veer : So!? Umm... Aapne mujhe maaf kar diya!?
Nidhi : I... Hmm!
Veer : O-Okay!!! You know... Mere wese koi bhi intentions nahi the ma'am. I... I don't know... I just wanted to hold you.
Nidhi bechaari ye sunte hi... Uski aankhein hairaani ke maare felti chali gayi aur uski saasein bhi lambi hone lagi...
Veer : I mean... Just to give you... Emotional support you know. M-Mera koi bhi galat iraada nahi tha. S-So... I just wanted you to know ki... Mein aapki maayusi sehan nahi kar paata... And I always miss you. Aisa nahi hai ki mein apni Bhabhi ke ghar me hu toh ab mujhe aapke ghar ki yaad nahi aati. I always think of you... I mean... All of you...
Shreya : Ho gayi baat!? Lao do mujhe...
Shreya washroom se aayi aur Nidhi ke haatho se usne phone le liya aur baahar chali gayi.
Bechaara Veer jawaab ke taur par kuch bhi nahi sunn paaya.
Par...
Nidhi na jaane kya soch rahi thi. Par uski nazre ek jagah hi tiki hui thi. Saasein pehle se thodi tezz. Aur unn aankho ke saamne uske baal the jo uske expression ko chhupaaye hue the.
Kya hone waala tha kal!? Inke iss plan me!? Toh wahi Pranjal aur Vivek ke plan me!? Aur saath hi saath... Slogan!!!! Jiski activities Veer ke palle nahi pad rahi thi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Like maarne ka aur apne thoughts rakhne ka.
Dhanyavaad!
Aaj update ayega ki nahi bhai please reply do
No! Remember the schedule!Aaj aaega update?