- 13,762
- 98,339
- 259
Last edited:
Bhai its my first rply .... But mujhe aisa kyun lag raha hai ki hero mai jo pari hai woh planed hai ... Like ... Koi chahta tha ki aisa ho .... Waiting for rply
Jabardast update
Amazing update…vo ldki kahi veer ki sis to nhi ja veer ki mom sai jude logo mai sai …stry din b din intresing hoti ja rahi hai or new year m lgta hai dada ji musibat m padne vale hai or nidhi or veer k beech m fir kui gadbad hogi
Awesome lazwaab
Nice update slogan to Bada suspicious admi nikla I think system is related to another person or department it's my view bcz slogan k admi usay bta rahy jaisa ap ko Kahan gya waisa hua and end mein Nidhi aur veer ka interaction beautiful tha
Great update bro maza a gya
Nice update bhai..
Ab yeh slogan kaun hai jiske pichhe veer ka system usko laga raha hai....
Question bahut saare hai...
Amazing Bhai maza aa gya system ne mission diya taki veer apne next target Or dushman ko pehchaan sake par veer yahi ulaz gaya 70 mental power hone ke baad bhi pr dekhna to ye hoga ki kya veer apne dada ji ko pranjal Or vivek ke khatarnaak planning se bachha bhi payega ya nhi or veer or nidhi ma'am ka bhi dekhna hoga age chal kr sab sahi hoga ya baat or bigad jayegi waiting for your next update bro
Nice update...
Superb update
Awesome brother nice update
Nice updates
Kisi ne pari ko hack to nahi kar liya. Hain to pari ek system hi.
तो सिस्टम ने मिशन दिया था स्लोगन से मुलाकात के लिए उसके आदमियों से मुक्का लात के जरिए
यह स्लोगन हाई लेवल का विलेन है जिसे वीर स्कैन नहीं कर पाया
प्रंजल और विवेक की अलग खिचड़ी पक रही है
अभी भी निधि और वीर के बीच झिझक की दूरियां है
चलो देखते हैं आगे क्या होता है
बढ़िया अपडेट था बहुत ही जबर्दस्त हमेशा की तरह
Nice update bhai ab kiski kismat me kiya likha hai wo to hoke hii rahegi dekhte hai aage kya hota hai
Superb Update...
Very nice fantastic update waiting for next
romanchak update ..wo ladki slogan ko uncle keh rahi thi ,aur ye kiski baat kar raha tha steve aur wo aadmi jisko thappad maar diya slogan ne ..
slogan ka data pata nahi kar paayi pari par wahi us ladki priya ka data aasani se mil gaya matlab wo koi khas nahi hai ..
pranjal aur vivek kya plan kar rahe hai ye dono hi jaante hai ,kahi veer ko ghar laane kw bahane ragini ko ghar bulana to nahi chahte ya kahi kuch aur plan ho unka .
shreya to apne hi khwabo me doobi huyi thi youtuber banne ke aur veer ke saath stream karne ke ..
Awesome as always. Lagta hai maa se milne ka waqt aur avsar dono aa gaya hai.
उम्मीद के मुताबिक बेहतरीन अपडेट
संभव है कि भविष्य में वीर को स्लोगन से बचाने मे प्रिया का अहम रोल हो सकता है।
विवेक और प्रांजल दादाजी की नजर मे अच्छे और लायक बनने की पूरी कोशिश करेंगे,
वीर का निधि श्रेया और जूही के साथ का हर अपडेट बहुत प्यार भरा होता है,
उम्मीद है अगला अपडेट और भी मजेदार होगा।
Shandar update bhai
Awesome superb and mindblowing update Bhai..
Awesome Update
Awesome Update bhai Waiting for Next Update Eagerly...
Nice.... Update bhai update jaldi diya karo
Nice update
Nice update
nice update bro
Nice update bhai waiting for next update
Superb update bhai...
Nice update bas ek request hai ki 31st ka update bada dena
Super UPDAte BRO
SUpERB UPDaTe
fantastic update bhai
Fabulous mind-blowing super update
Awesome Updatee
Yeh system Veer ko jaanmuzz ke Slogan ke paas kyo leke gaya. Koi toh wajah hogi jiske wajah se usse aisa mission mila. Aur iss mission se usko 200 points bhi mile.
Idher Pranjal aur Vivek kuch toh aisa karne wale hai jo Manorath ke liye achha naa ho aur naahi Veer ke liye. Aur yeh chiz hogi New Year pe kuldevi ke mandir ke waha. Jarur Veer ko koi aisa mission milega jo usko uske family ke saamne laa ke khada karde.
Idher Shreya ke dil mein Veer ke liye kuch jyaada hi khaash jagah bangayi hai. Madam uske saath Youtuve stream karna chahti hai taaki log Veer ko uska boyfriend bole.
Dekhte hai Veer ka yeh New Year kaisa jaata hai. Usse kaun kaun se jhatke lagte hai. Aur shayad Slogan ko Pari ke baare mein kuch toh malum hai. Lets see. Kyaa hota hai
Nice update bro
Shaandaar update dost
Nice and awesome update...
Wah wah... Gajab ka update tha bhai
Shandaarrr update keep it up broo
Ek aur dushman ban gaya veer ka, ye system chah kya raha hai. Wo ladki koun thi aur Steve kis baare mein baat kar raha tha. Vivek aur Pranjal ne phir koi ghatya chal sochi hai kya veer ko harm karne aur property hadapne ke liye. Nice update.
Awesome update bhai keep posting
Superb update
Super update hai Bhai
Nice update
Bahut hi badhiya update diya hai Werewolf bhai...
Nice and beautiful update...
Slogan koyi bada khaternaak plaplan bana raha h Veer k khilaf
Pranjal or vivek tow apne dada ko raste se hatane ka plan h jo woh gaon shayad dada ji akhri baar gaon jaa rehe ho
Or dekhte h veer. Sherya or nidhi ki party sahi salamat hoti h ya koyi panga hota h
Badhiya shaandaar lajawab update bhai
Nice update bro
Superb update
Bhut acha update tha bhai but thoda short laga please lambaa update kare
Nic update
Ye us slogan ko kaise pata chala ki veer ko pata chal jayega. I think ki slogan, veer ke system aur pari ke baare me janta hain. Aur jahir si baat hain veer ek din badhsah banega to kahi ye slogan hi to kahani ka main dushman nahi hain. Ya uska wajir ho.
★ Fabulous Mind Blowing Updated...
★ "Usne sahi kaha tha Dada... Bilkul wesa hi hua. Ye toh jaadu ki tarah hai. Usko kese...!?"
★ Ye usko kon tha jisne Veer ke bare me Slogan ko jankari di hai..
Kya wo veer ki sari suchi bata dega like 'Pari'
★ kya veer pari ko kho dega Slogan kisko janta hai jisne sab kuch wesa hi btya tha jese ghata tha..?
★ Kya vivek aur priyanjal veer ko sath le jayege apne sath gaon aur usko apne dada ki naraz me fir se gira dege but khai unko apne mhu ki na khai pde Qki ab apna veer phele se badal chuka hai..?
★ Kya veer Nidhi mam ki party me jaa payega ya cancel kare apne dada se milne jyega agr uske dada ne intive kiya to..?
★ Kya Slogan koi bhut bada khatra hai Veer ke liye jese Atish tha..
★ New Kis ke sath manyega Veer Ragini ke sath ya Apne Dada ke sath ya Nidhi mam ke sath..?
★ Dekhte hai New Pr Veer ke liya kya naye Naye Dhamake le kar aata hai...
★ Waiting for next update...
nice update..!!
yeh slogan toh bada suspense wala aadmi hai aur yeh mission bhi thoda ajeeb tha veer ko pura confuse karke rakh diya lekin usse 200 points toh mil gaye..!! yeh pranjal aur vivek toh bade harami hai..apne hi dadaji ke sath kuchh plan bana rahe hai..ragini bas uss harami vivek se divorce lele toh achha hoga..!! dekhte hai veer, shreya, juhi aur nidhi kaise new year manate hai aur jaise veer ne apni feelings share ki hai nidhi ke sath toh lagta hai veer ko pyaar ho gaya hai usse aur nidhi ko bhi hai lekin woh maan nahi rahi hai..dekhte hai iss party me inn dono ke bich kuchh change hota hai ya nahi..!! aur bhai veer iss new year party ke liye ragini ko bhi sath le jaye toh uska mann bhi khush hojayega..kyunki woh bhi bahot din se ghar pe hai aur veer ke sath ke liye tadap rahi hai..!!
Nice update bhai
Ye update kaafi kuchh apne aap mein chhippaye huye tha... Jaisa ki update ka title tha Mystery & Plan ussike anuroop kayi saari mysteries samete tha ye update... Sabse pehle baat karte hain Nidhi Madam ki... Ajeeb hai, kaafi ajeeb hai unka behaviour... Ye to confirm hi hai ke Nidhi ke liye Veer ek aam student se bahut adhik ban chuka hai... 50 ki favourability, no doubt downfall aaya hai usmein, par fir bhi 50 is a really good number... So, kaafi hadh tak ye clear hai ke Nidhi ke mann mein Veer ke liye kuchh alag feelings panap rahi hain jinse filhaal wo khud bhi anjaan hai...
Nidhi aur Veer ke beech ki phone call kaafi awkward thi Nidhi ke liye... Usse khudko hi samajh nahi aa raha tha ke wo kya bole... Par wo Phone Cut bhi nahi karna chahti thi... Veer ka ye kehna ke – “ I wanted to hold you” aur saath hi ye baatein,
I think ke kaafi bada prabhaav ho sakta hai Nidhi par in baaton ka... Uske manobhaav kya honge Veer se agli mulaakat par uske kya thoughts honge aur kya expressions honge uske chehre par ye dekhna dilchasp rahega... I don't think that the ICE between them will break anytime soon... Kuchh bhi ho iss New Year bahut kuchh indono ke beech shayad hone waala hai... Especially jab ye bhi consideration mein hai ke Manorath bhi Veer ko shayad apne saath New Year celebration ke liye bula sakta hai... Aese mein agar Veer Nidhi ke saath nahi jaa paata hai is celebration ke liye to maybe ye inke beech ki problem ko aur adhik badha de...
Shreya... Dheere – dheere hi sahi ab uska jhukaav Veer ke prati abhut badh chuka hai... Wo Veer se jude rehna chahti hai, usse apne paas rakhna chahti hai... Just on the verge of the syndrome called Love?? Ab Passion to passion hi hota hai, chaahe kitni bhi success mil jaaye, fame mil jaaye par agar insaan apne passion ko follow nahi kar paata to ek kona mann mein khaali reh hi jaata hai... Shreya is no different... You Tuber ban na uska khwaab hai aur ab wo Veer ke satah videos karna chahati hai, vlogs & all... Apni aur Veer ki gossipping jo viewers karenge uske baare mein sochkar bhi excited ho rahi hai... She has literally got connected to Veer strongly...
Pranjal & Vivek, Chhota Kameena & Bada Kameena... Dono ne apne sanskaaron ka jhootha naatak apne poojniya Dadaji arthat Manorath Saahab ke saamne kiye aur wo apne nature ke mutaabik senty ho gaye... He still has a lot of affection for Veer in his heart... Wo to shayad waqt ka takaaza aesa tha ke uss waqt unhone bhi Veer ko ghar se nikal jaane diya par ab wo usse waapis bulaana chahte hain, at least kul devi ke mandir jaane ke liye to bulaana hi chahte hain... One more positive praani in Veer's Family...
Pranjal aur Vivek ki koyi chaal hai iss sabke peechhe... Aur iss baar unhe ek achha lesson zaroor milega... Kuchh update pehle shayad in dono ki khichdi pak rahi thi, maybe Veer ko tapkaane ki... Shayad ye sab taam – jhaam issi plan ko anjaam dene ke liye banaya gaya hai... Par iss baar Veer is not an an easy target for them... Kyonki he has Pari behind him this time around... Aur nischit hi in dono ko baraabar sabak milega iss baar...
Slogan... Slogan... Slogan... Kya planning chal rahi Dada ki... He's scary... Kuchh to extra hai jo Slogan jaanta hai... Uski baatein zaroor force kar rahi hain ye sochne ke liye that he knows about Pari... Par ye practical nahi hai... I don't think ke usse Pari ke baare mein kuchh bhi pata hoga... It doesn't seems to be plausible...
These lines are having something creepy... Kuchh to aesa hai ya kahun ke koyi to aesa hai jo yahaan chhippa hua hai...Kiski Baat sahi nikli, kiski taraf ishaara kar raha tha Steve... Wahin Slogan ki darne waali baat, kya rahasya chhippa hai ismein... I think koyi insaan hai jo yahaan par hidden hai... He or She must be playing a vital role in this dealing between Slogan and Veer... Aur haan Veer Slogan ko Check bhi nahi kar paaya arthat shayad wo Kaera ke baraabar ka hi praani hai...
Rahi baat Priya ki to wo ek thodi ghamandi... Thodi selfish ladki hai jiska aage chalkar role hoga Veer ko uski Behen se milwaane ka?? I think so, shayad yahi hoga aur is pehle hi bad impression ka asar Veer aur uski Behen ke relationship par bhi padega?? Khair, bahut se sawaal hain, bahut si mysteries jinka jawaab aage ke updates mein mil hi jaayega...
200 points ka reward means it was massive mission... Priya se mulaakat aur jo kuchh Slogan ke saath hua I think yahi kaaran hai iss gigantic reward ka... Slogan ke satah huye iss first encounter ne zaroor Veer ke baare mein kuchh to disclose kiya hai Slogan ke saamne jisse ye reward darsha raha hai... Dekhna hoga ke in points ka Veer kya karta hai... Maybe iss baar koyi skill khareedne waala hai wo...
So, bahut si gatividhiyon se bhara update... As usual mera favourite part raha Nidhi waala hi... Uski complex feelings ko padhne mein bahut aanand aata hai... Wahin Shreya ke alhadpan waale attraction ko bhi aapne bakhoobi darshaaya... Basically emotions, mystery aur thrill se paripoorn update tha ye jo sahi maayno mein kaabil – e – tareef tha...
Outstanding Update Bhai & Waiting For Next...
Great Review. Review started with Nidhi madam. It would have been better if the review ended with Nidhi Madam also. Mat puchna kyun please.
This story deserves this kind of review. My friend Werewolf will be surely feeling proud of himself after reading your review.
Title ka planning sayad New year planning yoga. But title ka Mystery likes to be many in number starting with Slogan, continuing with Priya (another girl for Veer) , last mission in itself and so on....
Main yeh kya kiya? Review ke upar hi review likh dala. Shame on myself
Super awsm update to gud Luvd it
Plz do cont asap
Takecare
Shandar brilliant damdaar update
Ye Aap meri tarif kr rhe the ya beijjati
Just started reading this amazing story a week ago and I want to say ki bhai aap ko sach me characters likhna aata hai be it veer, ateesh, ragini slogan and all others they are written beautifully but my favorite is nidhi ma'am goddamn i love her character every scene with veer and her involved is so beautiful and fun to read and mujhe lgta h Sirf main hi nhi hun jiski fav nidhi ma'am h that u can see on comments feed hehehe we do love older and mature females character, don't we?
That's it and hope we get more of nidhi's time in future hehehe
Wahhhhh jabrdast mindblowing superbbb speechless update.......
waiting for next update.......
Amazing update bro maza a gya
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
For completed 750 pages on your story thread.....
Lagta hai ki Manorath ki jindagi ki ulti ginti shuru ho gayi hai ...
Nixe update bhaii maza aya giea par kar ab new update ka intazar ha bhaiii wating new update
Jabardast update
Awesome update bhai
Lagta hai kaera aur Soniya ki last frnd singer hai uski entry bi hu gai hai vo he hai ji keara aur Soniya ki becch ja je pyeaar ka koi chkaar hai lgta hai slogan uske liye enke piche hai hmm to mush confusion
विदेशी महंगी कार के पीछे वीर को दौड़ाना सस्पेंस में ही रह गया । आखिर मंशा क्या थी सिस्टम की ?
वैसे उस महंगी कार में जो शख्स था वो कहानी का प्रमुख पात्र है , स्लोगन इसलिए यह भी नहीं कहा जा सकता कि सिस्टम ने कोई गलती कर दी थी । वीर ने खुद ही अंदाजा लगाया था कि कार में कोई ऐसा शख्स हो सकता है जो किडनैप कर लिया गया हो । सिस्टम ने ऐसा कोई इशारा नहीं किया था ।
एक चौबीस साल की जवान लड़की पाई गई थी कार के अंदर जो स्लोगन की रिश्तेदार लगती थी । इनके बारे में अभी तक पुरी जानकारी नहीं दी गई है ।
एक सस्पेंस सिस्टम ने पैदा किया था तो दूसरी बार स्लोगन और उसके साथियों के बातों से हुआ । उनकी बातें कुछ पल्ले ही नहीं पड़ा । पर ऐसा लगता है जैसे स्लोगन साहब वीर को पहचान रहे हैं ।
विवेक और प्रांजल दोनों निठल्ले भाई कुछ बड़ी ही साजिश रचते हुए लग रहे हैं । मुझे नहीं लगता कि ये दोनों आस्तिक हैं । कुलदेवी के दर्शन के नाम पर कुछ अपना उल्लू सीधा करना चाहते हैं ।
इधर श्रेया तो शर्तिया अपना दिल हार बैठी है वीर को । मुझे यह लड़की जूही की जैसी ही क्यूट लगती है । बहुत प्यारी और मासूम लड़की है वो । मैं आशा करता हूं वीर इस लड़की के दिल को कोई ठेस नहीं पहुंचाएगा । इसके साथ ही मैं डेथ किंग की बातों से भी पुरी तरह सहमत हूं कि भले ही कुछ भी हो जाए , चाकलेट की फैक्टरी जूही के लिए जरूर खुलनी चाहिए ।
निधि मैम के चेहरे की उदासी तब तक दूर नहीं होगी जब तक उनका नन्हा राजकुमार उनके गोद में नहीं आ जाता । इस मां की व्यथा वही समझ सकता है जिसके साथ ऐसी विपदा आ चुकी है । इन हालातों में कैसे कोई मां खुश रह सकती है !
दोनों अपडेट्स बेहद ही शानदार थे वेयरवोल्फ भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड जगमग जगमग ।
Update.....
Waiting bro
Good
Hmm yaha slogan to sab dekh ke ek dum shant he jese usse ye sab pata tha. Par veer ki halat jarur thodi kharab hui he slogan ko dekh ke. Uska aura hi esa he ki pari tak ko thoda darr laga. Ab veer ye to na keh sakta ki mujhe pari ne bola ki tumhara pucha karu . Par veer yaha jarur ab slogan ke redar me aa chuka he. Ya pahele he hi tha. Ab baat kare uss ladki ki to wo uske pariwar ki hi hogi. Ab itna paisa he to ghamnad hoga usne khud thode kamaye he jo down to earth rahegi. Check karke bhi uske bare me koi gadbad na lagi. Ab agli baar mulakaat hogi tab hi thoda janne ko milega. Jate waqt jarur kuch baate suni usne. Ab yaha wo kon he jiske bare me steve baat kar raha tha. Jisne ye sab predict kiya tha aur hua bhi bilkul vesa hi. lagta he sab ek bada plan tha. Dekhte he aage.
Veer ke purane ghar me to manorath ji aaram farma rahe he. Wahi pranjal aur vivek apna plan bana rahe. Ab ye pranjal ne achanak devi ke mandir Jane ke kyu socha. Lagta he uske dada ke samne achhi chhabi pesh Karna chahta he dono. Veer ke liya bhi do achhi baat keh di. Yaha manorath ji ne veer ko sath chalne ki baat kehte par bich me hi baat kaat di unki. Ab unke new year pe kya hota he dekhte he.
Suhana ke sath meeting he ab veer ki. Sonia sath hogi kya waha ? Aur kaera kab aayegi?? Ye karea to thodi Taniya jesi lagti he mujhe. Jab pyaar karegi to uske jesa hi karegi . Kaera to Vese uss teady ko apne sath hi rakhi hogi. Aur wo blazer bhi.
Yaha shreya jarur apne sapno me ghode douda rahi he. Vese dekha jaye to uski ichha abhi tak simple hi rahi he jo achhi baat he. Apni bahen ki khushi chahti he wo. Aur jab youtuber banegi to Q&A me veer ke bare me puchne par kya bolegi . Apni bahen ko support kar rahi he ab wo. Shreya ne yaha to khud hi plan bana liya. Nidhi to veer ka naam sunte hi palat gayi. Ab baat kese kare veer. Veer ne apni taraf se to saaf keh diya jo uske dil me tha. Nidhi ne bhi maaf kar diya ab jab milenge tab majha aayega. Juhi apni cuteness dikhayegi aur wo veer ke hote shreya ki goad me na chadhne wali. Family hi lagenge wo to. Ab Nidhi aur veer ko kareeb lane ka achha chance he yaha new year pe. Shreya bhi chahegi wo bhi kuch time veer ke sath bitaye. Dekhte he.
Socho agar kaera aur Sonia veer ko lene uske pass aaye jab wo Nidhi ke sath ho. Kaera ya Sonia ko bhi ichha hogi ki New Year pe veer uske pass rahe. Nidhi, kaera aur sonia aur bich me veer. Halat kharab veer ki. Aur ghar jake veer kharab karega suman ki.
Waiting for next update Werewolf bhai.
Superb Update Bro...
Waiting for Next
Aaj update ayega ki nahi bhai please reply do
Ab h slogan kon hai , uska status kyu check nhi hora aur who's that girl in car, h prinjal b kuch thoo karega UfFffff h twist pe twist , Next Update dekhe Thoo h malum padega, by The way nice update
Ab tak ke update behtarren hai bhidu...veer ka system ka update bhadta hi ja raha hai ...or ab wo mission 5 pr pauch gya hai...and I think bahut chize abhi aisi hai jo system abhi veer ko nhi dikhana chahta ....slogan vo aatish se bada Don hai fir bhi system uska status nhi de paya ....kaera ka status i think wo veer se connected hai ...means blood relation ho kuch usse ...ya fir relative ..aisa hi lag rha hai...suhana veer ka raaz pata Krna chahti hai uske paas kya hai jisse usne aatish jaise bnde ko maar diya ...Sonia I think ye character abhi postive chl rha hai....veer ko like krti hai abhi as a friend ...pr dhere -2 baat aage badh rhi hai ....pranjal or Vikram i thik wo kuch bada plan kr rahe hai or usme veer fasega ...aisa hi kuch hoga ....bhawna veer ki mom ..agr wo Zinda hai to usne kabhi beer se mine ki koshish kyu nhi ki ...or uski ek behan bhi hai ... suspense bahut hai abhi....abhi bahut things aisi hai jo abhi suspense me rakhi hai aapne ... dekhte hai ....veer ki life me kya mod aata hai ...
Bro waiting for update....
Bhai next update ka intzar hy
Aaj aaega update?
Kal after 1 am
Nice update brother
Keep writing ✍
भाई श्रेया के दिल मे वीर के लिए घंटी बजनी सुरु होगई जल्दी ही इनका भी उद्धार करते नज़र आएंगे हमारे परी के सोकोल्ड मालिक
वैसे फिर एक बार सिस्टम को और परी को गलि देना का मन कर रहा है साला वीर ने इतनी मुश्किल से कार को रोका और सबोको ठोका लेकिन फायदा क्या हुआ खाली पॉइंट लेकिन इस पॉइंट के चक्कर मे हमारा हीरो वीर उसकी नजर मे आगया अब इसी ढक्क्न परी का क्या कम
Writer bhaiya bde hi suspense waale hai kuch hungama krne wale hai slogan se bda
Werewolf broo u r totally awesome. Ap haar situation ko bht kamal tareeqey sy biyan krty hoo its an ability jo apko dosrey writers sy khas banati hy. Aisey hi likhtey rhoo. Or haam ko entertaint krty rhoo.
Update plz
Story to khub Achi hai Bhai... Lekin aap intajar bhut lamba karwate ho.. this is not fair... Waiting for another dhasu episode
Waiting for update
Sir g aaj update milega kya
Waiting for next update bhai
Fantastic update
Waiting for next update
Besabri se intezaar hai Bhai ... Aur Kitna tarpao gay
Waiting bhai
Update 49 has been posted.1 Bbajne wala hai
Superbbb UpdateeeUpdate - 49 ~ The Last Day of the YearAb tak...
Bechaara Veer jawaab ke taur par kuch bhi nahi sunn paaya.
Par...
Nidhi na jaane kya soch rahi thi. Par uski nazre ek jagah hi tiki hui thi. Saasein pehle se thodi tezz. Aur unn aankho ke saamne uske baal the jo uske expression ko chhupaaye hue the.
Kya hone waala tha kal!? Inke iss plan me!? Toh wahi Pranjal aur Vivek ke plan me!? Aur saath hi saath... Slogan!!!! Jiski activities Veer ke palle nahi pad rahi thi.
Ab aage...
31st December...
At Morning...
Kal Shreya se jab Veer ki phone par baat hui thi toh Veer ki haami liye bagerr hi Shreya ne usse apne plan me shaamil kar liya tha. Aur tay hua tha ki aaj ki raat Veer, Shreya, Nidhi aur Juhi sabhi saath me enjoy karne jaenge aur late night tak naye saal ka swaagat kar thoda celebration kar ke hi ghar lautenge.
Veer ko uss mission ke 200 points mil chuke the par abhi tak usne unn points ko spend nahi kiya tha siwae 10 points ke. Usne Appearance me 10 points kal raat me hi invest kar diye the. Aur ab uske stats kuch iss prakaar se the.
[ Stats :
Strength - 56/100
Intelligence - 70/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 50/100]
Veer shayad apne bache hue points ko ekdum effectively use karna chaahta tha. Shayad shop me aisi kisi anokhi skill ki talaash thi usse jo uske behad kaam aa sake.
'Show me my full status Pari!'
[Sure thing, Master!]
[Name : Veer
Age : 21
Status : Student
Stats :
Strength - 56/100
Intelligence - 70/100
Agility - 50/100
Endurance - 50/100
Appearance - 50/100
Skills :
1) Sex Protection : ON (Silver Tier Skill)
2) Basic Martial Arts Skill (Bronze Tier Skill)
3) Hawkeye (Diamond Tier Skill)
System's Internal Features :
Check-I, Check-II, Path Tracker, Past Illustration.
Relationships :
1) Suman : Loyal Slave (Favourability : 84)
2) Aabha : Familiar (Favourability : 58)
3) Sonali : Familiar (Favourability : 30)
4) Ragini : Close Friend (Favourability : 60)
5) Nidhi : Close Friend (Favourability : 52)
6) Shreya : Close Friend (Favourability : 64)
7) Juhi : Best Friend (Favourability : 85)
8) Suhana : Close Friend (Favourability : 59)
9) Sonia : Good Friend (Favourability : 50)
10) Kavya : Very Close Friend (Favourability : 80)
11) Arohi : Good Friend (Favourability : 55)
12) Bhumika : Familiar (Favourability : 20)
13) Shweta : Familiar (Favourability : 8)
System Level : Level 4
(56 EXP more to reach Level 5)]
'Hmm!! I need to earn money and need more points. Meri priority yahi hai abhi.'
[Right master!]
'So!? Umm... Miss Kaera ki favourability nahi dekh sakta kya mein!?'
[Dekh sakte ho but not now. Yadi kisi ka status nahi dekh sakte toh aap uski Favourability bhi nahi dekh paoge.]
'Hmm! I see! Alright! Let's go...'
Aaj Veer ke 2 jagah plans the. Ek toh wahi Shreya aur baaki sabhi ke saath raat ka plan tha aur dusra Ragini aur baaki sabhi ke saath.
Jab Veer ne ye baat bataayi thi ki wo raat me free nahi rahega, ye sunn ke Ragini kaafi udaas ho gayi thi. Par usne behla fusla ke Ragini ko jese tese mana liya aur din me ghoomne chalne ko keh diya. Yaha Veer ko ek aur baat jaan'ne ko mili ki Kavya aur baaki sabhi parivaar ke saath kul devi ke mandir ke liye subah nikal chuke the.
Beshaq! Veer iss achanak trip se unki thoda aascharya chakit tha par usne zyaada nahi socha. Kavya ka kehna tha ki uske Dada jii ne Veer ko saath le chalne ke liye bhi bola tha par Vivek ne beech me kood kar Dada jii ke kaan bhar diye aur wo baat wahi tal ke reh gayi.
Kherr! Aaiye, toh wahi chal ke dekhte hai ki waha kya chal raha tha iss waqt...
Iss samay subah ke 8 baj rahe the aur sabhi ghar waale do badi badi gaadiyo me baithe hue the apni aur apne gaav ki orr jaa rahe the.
Veer ke parivaar ke poorvaj saalo se uss devi mata ki pooja karte aaye the aur uss mandir ki sthaapna bhi unke poorvajo ne hi kii thi par jese jese samay guzarta gaya aur aane waali peedhi sheher se judti gayi, wo mandir dheere dheere waha ke trust me samarpit kar diya gaya.
Kaaran!? Kaaran tha ki ab Veer ka parivaar sheher me panap raha tha aur ghar ka koi sadasya roz roz mandir ki dekh bhaal ya chakkar lagaane ke liye kisi ke paas itna samay nahi tha. Toh uss mandir ko wahi ke trust me samarpit kar diya gaya. Ab uss mandir ki poori zimmedari unn trust waale logo ki thi.
Par aaj bhi, jab bhi Veer ka parivaar, khaas kar Manorath jii jab bhi waha jaate the, gaav ke sabhi log unhe bade hi aadar aur satkaar ke saath unka swaagat karte the. Yaha tak ki wo ye bhi kehte the ki ab bhi ki wo mandir unhi ka hai aur hamesha unhi ka rahega. Shayad aaj bhi unki acchi khaatirdaari hone waali thi.
Unn do cars me se, ek car me Brijesh sang Bhumika, Shweta, Kavya aur Manorath viraajmaan the.
Toh wahi dusri me Karunesh sang Sumitra, Vivek, Arohi aur Pranjal.
Dono hi car me do drivers the. Sheher se kuch ghanto ki duri par hi unka gaav tha.
Kavya : Dada Jii aapne... Veer bhaiya ko nahi bulaaya!?
Manorath : Beta mene kaha tha par Vivek bola ki aaj Veer shayad kahi aur jaa raha hai... Meri toh koi sunta hi nahi hai. Jese jese budha hota jaa raha hu, meri baato ko ab log hawa me udaate jaa rahe hai.
Brijesh : Papa jii... Aisi baat kyu keh rahe ho aap!? Hum sab aapki baat maante hai. Ab uss baare me charcha mat kariye aap. Mandir jaa rahe hai, accha mood rakh ke chaliye.
Brijesh ki iss baat pe sabhi shaant pad gaye. Wo aage driver ke sang baitha hua tha. Toh wahi peeche side ki seat par Manorath aur unke bagal se Kavya, fir Bhumika aur fir Shweta.
Bhumika : Aaj saari responsibility Nandini ko deke aayi hu Mom.
Nandini unke hotel ki manager thi. Jo sab kuch badi hi acchi tareeke se manage kar leti thi.
Shweta : Hmm! Chinta ki koi baat nahi hai. Wo acche se dekh legi.
Bhumika : Hmm! Bas koi bada client ya guest na aa jaaye. Aur aisa na ho ki kuch problem ho jaaye.
Shweta : Don't overthink! Just enjoy the day mera baccha...!
Bhumika (smiles) : Hmm!
Aur kuch ghanto ki doori tay karne ke baad hi wo pohuch chuke the apne kuldevi ke mandir.
Sabhi ka waha harr baat ki tarah bade hi aadar ke saath swaagat kiya gaya. Saath hi saath waha unke rukne aur khaane ki bhi vyavastha kii gayi.
Darshan kar lene ke baad sabhi khaana khaane me lage hue the jab Vivek aur Pranjal aapas me baith na jaane kya baatein kar rahe the.
Pranjal : Saara plan ready hai bhaiya... Bas derr hai toh usse anjaam dene kii...
Vivek : Nahi chote... Aaj nahi...! Hume wese bhi kal nikalna hai. Aaj risky hai. Kal karna... Wese bhi yaha se naashta karne ke baad hi niklenge hum.
Pranjal : Thik hai bhaiya! Kal sahi fir...
Na jaane dono kis plan ko anjaam dene ki baat kar rahe the.
***
Idhar Veer din me apne parivaar ke saath ho rahi baato se anibhigya Ragini aur baaki sabhi ke saath aaj ghoomne nikla hua tha.
Par achanak hi raaste me usse nazar aaya ki kuch ladies kisi kapde ki sale par humgama kar rahi thi.
Veer : Kya ho raha hai udhar!?
Ragini : Virodh!
Veer : Virodh!? Kesa virodh!?
Ragini : Umm... Wo dekho na... Mahila mandal jama ho gaya poora udhar. Kisi sale ki peeche ladaayi ho gayi hai. Shayad kuch ghapla kiya hai sale waale ne. Isliye aurate itni awaazein laga rahi hai.
Aur waqai! Jab Veer ne dhyaan se dekha toh usse samajh aaya ki naye saal ki sale ke bahaane kapdo ka business karne waala aadmi kuch phate aur bekaar pieces ko nikaalne ke liye ye sale rakha hua tha. Aur wo kapdo ki wrapping ko kholne nahi de raha tha.
Jab kuch aurato ne khol ke kapdo ki jaanch kii toh unhone dhaava bol diya. Ittefaaq se mahila mandal wahi se kahi aur jaa rahi thi aur ye virodh dekh wo bhi unke saath jud gayi aur poori tarah se waat laga dii uss dukaan daar kii.
Ragini (sighs) : Harr sale me kuch na kuch hota hi hai.
Veer bade hi dhyaan se sab kuch dekh raha tha aur achanak hi jese uske dimaag ki ghanti baji aur agle hi pal uske hontho par ek muskaan bikhar gayi.
Veer : Bhabhi!
Ragini : Hmm!?
Veer : Meri aap se ek request hai. Aap poori karogi!?
Ragini : Hmm? Okay! Kya baat hai!?
Veer : Kya aap... Kya aap Suman jii ko sheher ke poore taur tareeke sikha sakti ho? Mera matlab hai saare niyam kaayde, khareed-daari se leke devices ko operate karna sab kuch. Ek modern vyakti ka poora knowledge jitna apa de sakti ho... Kya aap kar sakti ho?
Ragini (surprised) : Huh!? P-Par ye ekdum se aise kyu!?
Veer : Suman jii ne mujhse hi khud kaha tha. Kyu hai na!? Suman jii!?
Suman : E-Ehhh!? Ohhh! Haa haa! Mene kaha tha...
Suman baat ko samajh forun hi haa me sarr hilaayi aur apni razamandi dii. Par uski samajh me nahi aa raha tha ki uske maalik ke dimaag me akhir chal kya raha tha.
Ragini : O-Okay! Mein apni poori koshish karungi inhe sab kuch bataane me...
Veer (smiles) : Thank you Bhabhi!
Ragini : Umm... It's okay!
Lunch ke samay, Ragini aur Veer agal bagal hi baithe the jab Veer ne Ragini ke chehre par maayusi ko turant hi bhaanp liya...
Veer : Aap pareshaan lag rahi ho Bhabhi!
Ragini : Huh!? N-Nahi toh!? Mein bhala kyu pareshaan hone lagi!?
Veer : Jhooth mat boliye! Mujhse toh bilkul bhi nahi! Vivek bhaiya ka call aaya tha na!?
Veer ki baat sunn Ragini iss baar dheere se haa me sarr hilaayi aur apne nigaahe neeche kar baith gayi.
Veer : Kya kaha unhone!?
Ragini : Wo... Wo sabhi aaj hamaari kuldevi ke mandir gaye hai.
Veer : Unhone aap ko bhi bulaaya hoga!?
Ragini (nods) : Umm...
Veer : Toh!??
Ragini ne apni nigaahe upar kar ek pal ke liye usse dekha... Unn aankho me nami jo panap rahi thi wo Veer asaani se dekh paa raha tha.
Ragini : I... Mein... Mein kabhi bhi mandir ke naam par devi ka tiraskaar nahi karti mana kar ke... Par...
Veer : ....
Ragini : Par...
Veer : Aapka mann nahi kiya zara bhi...
Ye vaakya sunn Ragini chaunki aur Veer ko ghurne lagi.
Bhala uske mann ki baat Veer ne kese bhaanp lii thi!?
Veer : Itne dino se aap ke saath reh raha hu. Thoda boht toh mein bhi aapko samajhne laga hu.
Kehte hue usne jese hi apna haath Ragini ke haath ke upar rakha toh bechaari Ragini ki idhar haalat hi bigadne lagi. Wo phati aankho se Veer ko ghure jaa rahi thi.
Uske gulaabi honth khule... Par keval halki sii hawa hi baahar nikli, koi shabd nahi.
Aur aankhein jyo ki tyo Veer par tiki thi.
Veer : I don't know ki aap kya decision logi. But aap jo bhi decision logi. Hum sab aapke saath hai. But if... Yadi aapne Vivek bhaiya se sach me alag hone ka decision liya then... I was wondering ki... Kya hum aise hi reh paenge!? I mean... Fir aap uss ghar ki sadasya nahi rahogi aur mera aur Suman jii ka aapke ghar rukna...
Wo apni baat aage rakh paata ki uske pehle hi Ragini ne apna haath uske hotho par rakh usse rok diya.
Ragini : Veer! Mein uss parivaar ki sadasya rahu ya na rahu. Tum aur Suman jii mere apne sadasya ho. Wo ghar mera akele ka nahi hai. Tum sabhi ka bhi hai. Aur kya karungi mein itne bade ghar me akele reh ke!? Bhulo mat Veer... Tum bhi... Uss parivaar se alag ho chuke ho. Toh aise me yadi mein bhi hoti hu... Toh... Aren't we the same!?
Usne muskuraate hue kaha par Veer jaanta tha. Ki uss smile ke peeche kaafi kuch chhipa hua tha. Jisse shayad vyakt karna abhi Ragini ke bas me nahi tha.
Aur bilkul wesa hi hua... Bhaavuk hote hue Ragini ne forun hi apna chehra ferr liya aur jab usne dekha ki Suman samet sabhi counter se waapas uski aur Veer ki taraf aa rahi hai toh forun hi apni aankhein mal seedhi hokar baith gayi.
Ant me unn sabhi ne thoda enjoy kiya jiske chalte Ragini ka mood kaafi hadd tak theek ho chuka tha.
Par ab samasya thi raat ki...
Veer ko Nidhi ko jo face karna tha. Wese toh Nidhi ne usse maaf kar diya tha. Par...
Pratkyash aamne saamne milna ek alag baat thi.
Aur zaahir hai ki dono ke beech awkwardness barkaraar rehne waali thi.
***
31st December...
At Night...
Veer apni bike par tha aur wo theek Nidhi ki society me hi neeche khada hua tha jab Nidhi samet Juhi aur Shreya neeche utarti hui aayi.
Shreya : Arre kya koi mehmaan ho tum haan!? Jo ek minute ke liye bhi upar nahi aa...
Par uske bol wahi tham gaye jab usne paas aate hue Veer ko dekha.
Appearance me 10 points daalne ka asar tha ye!?
Shreya (blushes) : You... You look good!
Veer (smiles) : Thanks!
Shreya (blushes) : Aisa... Aisa kya laga rahe ho aajkal huh!? Hume bhi bata do...
Veer (smiles) : It's a secret!
"Maaaaaamuuuuuuuu!!!"
Aur beshaq! Veer ko dekhte hi uski pyaari fuljhadi bole toh Juhi sarpat daudati hi aayi aur uske perr se lipat gayi. Veer ne forun hi usse godi me uthaay aur uska gaal choom liya.
Veer : Aa gayi Juhi!? Kya pehni ho aap!? Ohhhh! New jacket!??
Juhi : Hmm! Maasi ne dilaayi!
Veer : Kya baat hai!? Boht kharche ho rahe hai!?
Shreya : Kyu na honge!? Ab mein kamaane jo lagi hu.
Veer (smiles) : Hmm!
Shreya (blushes) : Wese bhi... Sab tumhari hi wajah se toh hai.
Veer aage kuch keh pata ki tabhi...
*Tuck* *Tuck* *Tuck*
Usse heels ki awaaz sunaayi dii aur usne dekha ki Nidhi ek khubsoorat sii saree pehne aur ek shawl upar daale neeche aa rahi thi.
Aaj wo itni khubsoorat dikh rahi thi ki Veer khud apne aap ko kuch derr yu taktaki lagaye usse dekhne se na rok saka.
Dono ki hi nazre mili aur pal bhar ke liye dono hi jese bhul gaye ki wo dono akele nahi hai. Aas paas bhi log hai.
Shreya : Toh chale!?
Veer : Ah! Y-Yeah! Right!
Juhi : Mein Maamu ke saath baithungi... Aage bike pe...
Shreya : Huh!?
Nidhi : Nahi Juhi! Mere saath baitho chalo. Maasi ko baithne do unke saath. Hum apni scooty me chalte hai.
Wese toh iss baat se Shreya boht khush thi ki usse Veer ke saath baithne ka mauka mil raha tha par fir bhi... Wo apni behan se bhi utna hi pyaar jo karti thi. Aur uski fiqr bhi.
Nidhi saree me thi. Aur aise me scooty chalana wo bhi Juhi ko lekar, raat ke waqt. Ye kitna kathin tha wo jaanti thi. Aur khatarnak bhi ho sakta tha.
Isliye...
Shreya : Nahi dii! Aap aur Juhi Veer ke saath baithiye! Aapne saree pehni hui hai Dii. Dikkat jaegi. Aur mera kya hai? Mein toh jeans me hu. Mein scooty se chalti hu.
Nidhi ne ek pal Veer ko dekha jo bina kuch kahe hi uske nirnay ka intezar kar raha tha aur fir akhir kaar Nidhi ne finally dheere se haa me sarr hilaaya aur Veer ke theek peeche jaake wo baith gayi.
Ye pal...
Veer ke hontho par apne aap hi muskaan laa diya. Aise hi toh ek saath baith ke college se lauta karte the wo. Aise hi toh Nidhi uske peeche yu baitha karti thi. Aaj itne dino baad ussi anubhuti ko firse mehsoos kar paa raha tha Veer. Par sabse aham baat ye thi ki iss waqt chaand bhi apne poore rang dhaaya hua tha. Poora chamak raha tha aur apni roshni bakhoobi bikhere hue tha.
Aur finally Veer aur baaki sabhi society se nikle.
Raat ka plan simple tha. Koi acchi si jagah jaake pehle thoda entertainment. Fir dinner aur ant me new year celebration ke fireworks dekhne ka plan.
Sabse pehli jagah Veer aur baaki sabhi amusement park me gaye the. Amusem park toh nahi tha, ek pradarshini lagi hui thi. Bhale hi amusement park se thoda chota tha par rides idhar bhi thi.
Juhi baccho waali rides enjoy kar rahi rhi, toh wahi Shreya uski photos utaar rahi thi. Aur wahi Veer aur Nidhi side me khade unhe dekh rahe the.
Juhi : Mummyyyyy! Mujhe wo bade waale me baithna.
Usne ishaara karte hue kaha. Uska ishaara Giant wheel ki orr tha.
Nidhi : Huh? Nahi Juhi! Bilkul bhi nahi! Darr jaogi baad me tum hi. Dekh rahi ho kitni upar tak jaata hai.
Shreya : Juhi! Wo dekho! Wo train waali me baithe apan!? Mein bhi baitha sakti hu usme toh.
Juhi : Haa chalo chalo maasi... Jaldi...!
Aur wo kheech ke Shreya ko le gayi.
Ab bache the toh keval Veer aur Nidhi.
Veer : Umm... Kya aap chalna chahogi!? Ma'am!? Giant wheel me!?
Nidhi : Huh? M-Mein!? N-Nahi... Mein nahi...
Veer : O-Okay!
Wo jawaab dete hue apni nazre jhuka liya. Par jese Nidhi ne uska expression dekh liya tha toh wo puchi,
Nidhi : Umm... Kya tumhe ride karna hai!?
Veer : Hmm? Y-Yeah! Mein kabhi baitha nahi hu inn rides me. Kabhi koi laaya hi nahi...
Usne ek feeki smile dete hue kaha toh Nidhi ko jese yaad aaya ki Veer ka bachpan kese guzra tha. Aur ye yaad karte hi wo bauhe sikode usse dekhne lagi aur ek duwidha me phass gayi.
Nidhi : O-Okay! If... If you want then... Hum chal sakte hai!
Bas fir kya tha kuch hi derr me Veer aur Nidhi dono hi Giant wheel par sawaar the. Par...
*Ding*
[Mission : Hug Nidhi! Let her know you are her support.
Rewards : ?? Points
Time limit : Before 12 A.M
Mission Failure Penalty : 50 Points Deduction.]
'What the fuckkkkkkkkk!?'
[Hahaha~]
'Mazaak chal rahi hai? No seriously!? Mazaak hai? Fuckkkk! Uss din hi mene unke haathe se thappad khaaya tha aur ab ye? Jhoote padwaane ki planning hai kya? Wtf is this mission?'
[I cannot help it master! Execute this mission properly. Aur... Haa~ iss Mission ke complete hote hi mein level up ho jaungi. But I'll be in sleep mode for loading your new resources. Toh pehle se hi wish kar deti hu. Happy new year master! Enjoy your time! Hehe~]
'W-Wait what!??? Wtf??? Sleep mode achanak kyu?'
[I told you kuch surprise hai right? So wait for it!]
Nidhi : Ummm...
Nidhi ne uska dhyaan kheecha toh Veer hosh me aaya. Giant wheel ghoomte hue upar jaa raha tha.
Aur Nidhi aur Veer agal bagal baithe hue upar se poora nazaara dekh rahe the.
Nidhi : It's so beautiful...
Veer : Bilkul aap ki tarah...
*Badump*
Nidhi (gasps) H-Huhhhh!?
Veer : Mene kabhi iss ride pe sawaari nahi kii thi. Aaj aap aayi toh ye bhi ho gaya... Thanks for agreeing.
Nidhi : It's... It's fine!
Nidhi : Veer!
Veer : Hmm?
Nidhi : Sach kahu... Toh I'm really mad at you.
Veer : ??
Nidhi : Kitna kehti rehti hu tum se. Kitna keh chuki hu pehle bhi. Don't leave your studies. Par tum hai ki sunte hi nahi. Kya karna chaahte ho aage!? Kya karoge!? Kuch plan hai ki nahi? Mein tumhe daant nahi rahi hu. Tumhari teacher bhi hu. Tumhare career ki chinta mujhe lagi rehti hai. Aur tum toh mere khaas student ho. Ek tarah se parivaar ka hissa bhi ban gaye the tum haal hi me. Toh kidhar jaana chaahte ho, koi lakshya hai ki nahi? Kya kar rahe ho abhi? Study nahi karte toh kya karte ho din bhar? Kuch socha hai future ke baare me? Kyu nahi aate ho college!? Ye saare sawaalo ke jawaab tumhe acche se pata hone chaahiye Veer.
Wo lagataar bole jaa rahi thi. Par Veer chaand ki uss roshni me keval Nidhi ke husn ko hi dekhta raha aur bas muskuraata raha.
Abhi bhi Nidhi ko Veer ke bhavishya ko lekar chinta thi.
Veer (smiles) : Aapki yahi baatein toh mera dil jeet leti hai.
Nidhi : Huhhhh!??
Veer : M-Mera matlab hai... Aapko meri itni chinta hai?
Nidhi : Kyu nahi hoegi? Akhir tum...
Kehte hue wo ruk gayi.
Veer : Akhir tum!?? Akhir tum kya ma'am!?
Wheel ekdum upar aa chuka tha jab Nidhi ne Veer ke chehre ko dekha aur uska chehra apne ekdum sameep paaya toh uske bol wahi tham gaye.
Nidhi : Kuch... Kuch nahi...!
'Fuckkk! I'm doing it. Jo hoga dekha jaega. Ek thappad aur kha lunga.'
Aur agle hi pal Veer ne Nidhi ko zorr se apni baaho me kheech liya.
Iss achanak hamle ki umeed Nidhi ko bilkul bhi na thi. Wo apni aankhein faade abhi abhi jo kuch hue usse digest karne ki koshish kar rahi thi. Aur jese hi usse abhaas hua ki iss waqt wo Veer ki baaho me thi aur Veer usse zorr se bheencha hua tha, Nidhi ki saasein tez ho gayi.
Usne apna haath upar le jaake Veer ke seene par rakha aur usse dhakelne hi waali thi jab Veer ke shabd uske kaano me pade,
"Sabse pehle toh thank you ma'am. Mujhe uss daldal se nikaalne ke liye. Fir apne saath rakhne ke liye, mera itna support karne ke liye ye jaante hue bhi ki aap khud itni pareshaani me ho. Uske baad thank you ki aapne harr hardship me mera saath diya. Aaj bhi aapko meri parvaah hai, thank you ki aap aaj aane ke liye taiyaar hui, mere saath ride me baithne ke liye taiyaar hui. Rahi baat mere aim ki... I'm leaving the college ma'am. Because I know ki mujhe kya karna hai. Thank you so much! Aap hamesha hi meri ma'am rahogi, chaahe mein college jau ya nahi. And lastly... Jese aapne mera saath diya wese hi mein bhi aapka saath dunga. I'm here for you. Always!"
Unn baato ko sunte hi Nidhi ka haath jo Veer ko dhakelne ke liye the wo ekdum se dheela pad gaya.
Dono ke hi chehre aapas me behad qareeb the. Dono hi ek dusre ki garam saaso ko bakhubi mehsoos kar paa rahe the.
Aur na jaane aise kya hua ki Veer apne aap hi Nidhi ki orr jhukne laga.
Nidhi ka attraction jese usse kheech raha tha.
Paas aate hi usse sunaayi dii... Nidhi ke tezz dhadkate hue dil ki heartbeat. Kitni zorro se dhadak raha tha uska dil.
Wo bas lambi lambi saasein liye jaa rahi thi.
Par jese hi Veer uske ekdum kareeb aa gaya, jab wo uske hontho se bas kuch hi centimetres ki duri par tha, Nidhi ne zorr se dhakka deke usse peeche dhakel diya.
Nidhi : N-Nooooooooooo!!!!!!!!
Aur ek baar fir dono ke beech me wahi awkwardness ka mahaul chha gaya.
Uske baad toh jese dono me hi koi baat nahi hui.
Dinner ke baad bhi wo dono ek dusre se baat nahi kiye. 12 bajte hi jab fireworks ka show shuru hua toh dono hi baithe zaroor the par dono ke beech me Juhi baithi hui thi.
Aur dono hi pal do pal apni nazro ko ek dusre se milaate par nateeja wahi, koi bhi kuch kehne ki haalat me nahi hota.
Aur tabhi...
*Ding*
[System has reached Level 5.]
*Ding*
[In-built feature ~ Translator has been unlocked.]
*Ding*
[In-built feature ~ Slot has been unlocked.]
*Ding*
[Quest hunt is now accessible.]
'Huh!??!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Awesome fantastic updateUpdate - 49 ~ The Last Day of the YearAb tak...

Nidhi : Kitna kehti rehti hu tum se. Kitna keh chuki hu pehle bhi. Don't leave your studies. Par tum ho ki sunte hi nahi. Kya karna chaahte ho aage!? Kya karoge!? Kuch plan hai ki nahi? Mein tumhe daant nahi rahi hu. Tumhari teacher bhi hu. Tumhare career ki chinta mujhe lagi rehti hai. Aur tum toh mere khaas student ho. Ek tarah se parivaar ka hissa bhi ban gaye the tum haal hi me. Toh kidhar jaana chaahte ho, koi lakshya hai ki nahi? Kya kar rahe ho abhi? Study nahi karte toh kya karte ho din bhar? Kuch socha hai future ke baare me? Kyu nahi aate ho college!? Ye saare sawaalo ke jawaab tumhe acche se pata hone chaahiye Veer.