• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,342 83.1%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 210 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,614

Ashish120

RIP
Staff member
Sectional Moderator
22,327
19,784
229
Waiting
 

Raj

Well-Known Member
4,444
15,232
158
Update - 61 ~ Mirror Gallery (1)
Ab tak...

Fuuuccckkk thisss shhitttt damnnn you fucking systemm....'

[Mujhe bhi tumhara secret pata chal gaya.]

'???'

[You are just like Suhana hehe~ Keep hitting the cushion.]

'Fuccccckkkkk youu pariiiii!!!!!!'


Ab aage...

Sunday | 2:32 PM
Outside xxxxxxxx hotel...

[She hasn't shown up.]

'She will!'

[Kuch zyaada hi confidence nahi hai tumhe?]

'Of course! Itna toh jaan hi gaya hu unko.'

[Well! Let's see~]

Aaj wo din aa chuka tha jiska Veer ko intezaar tha. Aaj shaam ko mirror gallery ka sheher me udhgaathan hone waala tha aur pehli 50 entries ekdum free thi logo ke liye. Naye saal me jese ye naya tohfa tha public ke liye.

Veer ko nahi pata tha waha kya hone waala tha par jese usne kuch apne mann me pehle se hi soch ke rakha hua tha.

Aur iss baar Pari ko usne apne mann ki baat padhne se mana kar ke rakha tha. Khaaskar Pari ki iss personality ko. Kyuki, Veer ki kuch sahi nahi jamti thi iss personality se. Dono ka hi jese 36 ka aakda rehta tha. Aur din-ba-din unke jhagde badhte hi jaa rahe the.

Aaj Veer ek simple white shirt with sleeves folded aur navy blue denim jeans daale ek hotel ke baahar khada hua tha. Aur wo intezaar kar raha tha Kaera ka. Yahi uska pick-up spot tha.

Ab wese toh mirror gallery ki entries shaam 7 baje se shuru hone waali thi par Veer shayad Kaera ke saath aur samay bitaana chaahta tha. Khud se vaada bhi jo kiya tha usne ki chaahe jo bhi ho jaaye, wo puraani Kaera ko waapas laa ke rahega.

Kaera ke khayalaato me wo dooba hi hua tha jab uske saamne ek luxurious car aake ruki aur uska door khula.

Andar se Kaera ek chamakti hui black dress me baahar aayi.


Kendall-Jenners-Hairstyles-Haircuts-for-2018-19

Wo behad kamaal ki lag rahi thi. Aur pichli baar ki tarah iss baar bhi uske chehre par mask tha.

Veer aur Kaera dono hi ek dusre ko dekh aage badh ke aapas me sameep aaye.

Veer (smiles) : Harr baar ki tarah, aap behad khubsoorat lag rahi ho.

Kaera : Am I? Thank you! You are looking handsome as well.

Veer : Mein? Haha~ Naah!

Kaera : I really mean it.

[Ab itna kya show off kar rahe ho. Yadi wo bol rahi hai toh kuch soch ke hi boli hogi na? Bhulo mat ki usne dherro tumse handsome handsome ladke dekhe honge. Uske baad bhi tum ho ki...]

'Yeah yeah!'

[Ek toh aadmi tareef kar raha hai aur fir tum...]

'Fuck! I get it. Okay? Chill!'

Veer : Umm... Well... Thanks!

Kaera : Then? Shall we?

Veer : Sure!

Aur fir dono hi Kaera aur Veer car me peeche ki orr jaake baith gaye. Iss baar bhi saamne ki do seats par Raghu aur Jassi hi baithe hue the.

Veer : Aapko thand nahi lag rahi? I mean shaam tak thand badh jaegi.

Kaera : Hmm? I have a blazer.

Kehte waqt Kaera ke hontho par ek ajeeb sii muskuraahat thi jo Veer na dekh saka. Kyuki Kaera ne mask jo pehna hua tha.

Veer : Okay!

Kaera : What about you? You only have a shirt.

Veer (smiles) : Ye kaafi hai mere liye.

Kaera : Okay! So? Kaha chal rahe hai hum?

Veer : Aapne Lunch kiya?

Kaera : No, I didn't.

Veer : Perfect! Then pehle hum lunch karenge.

Kaera : Okay! As you say! Kaha chalna hai fir?

'Haha~ Yadi Suhana mujhe harr baar ki tarah waha le jaati toh shayad waqai mein muh banaata. Par aaj Miss Kaera ke saath waha jaane ka jese khud mera mann kar raha hai.'

[Huh? Don't tell me you...]

'Oh! Yes! Yes! Haha~ I'm taking her there only.'

Veer : Aaj hum xxxxxxxx hotel chalenge. Aapko pata hai?

Kaera : Hmm? Actually! No! But I will try yadi tum kehte ho toh.

'She doesn't even knows it. Haha~'

[Umm... Well...]

Raghu ne Veer ki baat sunn gaadi ko seedha bataayi gayi hotel ke raaste mod diya. Wo jaanta tha hotel ke baare me. Kaera keval badi badi 5 stars hotels se hi familiar thi. Aur iss kaaran, usse Veer ki bataayi gayi hotel ke baare me koi jaankari nahi thi.

Fir bhi, Veer ki khatir wo jese aaj iss naye hotel me khaana try karna chaahti thi. Wo jaanti thi ki yadi Veer ne chuni hai ye hotel toh kuch khaas baat hi hogi.

Aur kuch derr ke antraal ke baad hi wo sabhi ek hotel ke baahar khade hue the.

Kaera : Hmm? Mene iss hotel me kabhi dine-in nahi kiya.

Veer (smiles) : Toh aaj mein aapko karwa dunga.

Kaera : Hmm~

Kaera, Veer aur Raghu-Jassi sabhi aage badhte hue hotel me pravesh kiye toh waha receptionist unhe dekhte hi samajh gayi thi ki party paise waali hai.

Kyuki sabhi acche kapde pehne hue the. Kaera ko hi dekh kar receptionist bhaanp gayi thi ki ye ladki koi aam ladki nahi thi.

Receptionist : H-How can I help you ma'am?

Kaera (frowns) : Hmm? Shouldn't you address him first?

Receptionist : Ah!??

Receptionist bechaari toh Kaera ko dekhte hi usse hi leader samajh baithi aur uss se hi puchne lagi. Par shayad ye baat Kaera ko zara bhi pasand nahi aayi thi.

Veer uske aage khada hua tha par uske bawajood uss receptionist ne Veer ko ignore kar uss se sawaal pucha. Bhala wo aisa kese bardaasht kar sakti thi? Aaj Veer hi yaha par usse laaya tha.

Kaera ke chidhe hue expression dekh ke bechaari receptionist darr gayi aur usne forun hi khud ke behaviour ko sahi kiya.

Receptionist : I-I am sorry Ma'am! I'm sorry Sir! Ahem! Sir? How can I help you?

Veer : A table for four please?

Kaera : Two! Only two, Veer! Raghu and Jassi toh alag baithenge. Hai na?

Raghu : Heinnnnn?

Jassi (Raghu ko kohni maarte hue) : J-Jii Miss bilkul!

Raghu : Ughh! J-Jii! Miss! Ahaha~ A-Alag baithenge hum log. Hahaha~ Koi dikkat nahi.

Aur Kaera ne unn dono ki baat sunte hi apne mask utaar diya. Jese hi uska chehra saamne aaya toh saamne khadi receptionist usse dekhte hi chillaa uthi.

Receptionist : Miss Kaeraaaaa!????

Kaera : Mm?

Receptionist : A-A-Aap?? Y-Ya-Yaha??? H-Hamari hotel me?

Kaera : Hmm? Can I not come here?

Receptionist : No No No No!!!! Haan! Nooo! I mean Haan! Shit! Kya bole jaa rahi hu mein. M-Mera matlab, you are always welcome. A-Always!

Kaera : Ohh! Thank you!

Receptionist : P-Please! Aaiye na!

[She has a huge fan following.]

'Yeah!'

Aur wo receptionist khud aage badh ke Kaera aur baaki sabhi ko right side ki entrance me le gayi.

Ye VIP logo ke liye hi thi.

Veer keval mand mand muskura raha tha. Wo yaha Kaera ko keval ek hi purpose se laaya tha. Aur jese usse agle hi pal wo nazar aa gaya jiski wo talaash me tha.

Ya yu kahe ki wo log nazar aa gaye.

Shweta aur Bhumika.

Jii haan! Veer aaj Kaera ko unki hi hotel me laaya hua tha.

Dono Maa beti VIP guests se baat kar rahi thi jab receptionist ne unhe awaaz laga ke apni orr bulaaya.

Aur entrance pe jaise hi Shweta aur Bhumika ne dekha ki kaun aaya hai. Pehle toh unke chehre par thoda confusion nazar aaya, fir jese aashcharya, fir ekdum khushi se chehra bhar gaya par uske baad hi unki bauhe sikud gayi.

Kaaran? Kaaran tha ki unhone pehle Kaera ko dekha, usse pehchaante hi dono hi Maa Beti khushi se jhoomne lagi mann hi mann. Par fir unki nazre bagal me gayi, jidhar ek jaana maana chehra nazar aaya unhe.

Veer!

Aur bas, usse dekhte hi dono hi prashno se ulajh gayi aur duwidha me doob gayi.

Unke mann me yahi chal raha tha ki Veer yaha kya kar raha tha? Wo bhi Kaera jaisi hasti ke saath? Maano sawaalo se sarr chakraane laga tha unka.

Dono hi aage badh ke unn ke nazdeek aayi.

Shweta : It's such a pleasure to have Miss Kaera in our tiny hotel. Please welcome!

Harr baar ki tarah bhi iss baar bhi wesa hi hua. Shweta ne Veer ko hawa ki tarah hi treat kiya.

Par shayad uski beti ke iraade kuch aur hi the.

Bhumika : Welcome! Miss Kaera! Welcome, Veer!

Veer ka naam apni beti ke muh se sunte hi Shweta ekdum achraj me apni beti ko dekhi ki jese puch rahi ho akhir tumhaara dimaag sahi toh hai na?

Kaera : Hmm? You know her?

Kaera ne Veer ko dekhte hue pucha.

Veer (smiles) : Yes!

Kaera : Ohh! Are you guys related?

Bhumika : I-I... I am his step sister.

Bhumika ne akhir iss baar jawaab de hi diya. Jaha wo pehle khud ko Veer se sambandhit hone par nakaar deti thi. Aaj wahi khud se upat ke bata rahi thi ki wo Veer ki step sister thi.

Par Shweta ko apni beti ke aaj ke haav bhaav kuch raas nahi aa rahe the. Wo chhup chhup ke Bhumika ko aankh dikha rahi thi. Bhumika fir bhi bina kuch kahe apne mann ki hi karti rahi.

Kaera : Ohh! Step sister. I see! Anyways, Veer come.

Kaera Bhumika aur Shweta ko chorr Veer ko table ki taraf le gayi.

Wahi Raghu aur Jassi thodi dur kisi aur table par jaa ke baith gaye.

Shweta Bhumika ko leke side me aayi aur usse hairaani se dekhte hue boli.

Shweta : Ye sab kya tha? Tum kab se Veer se baatein karne lagi Bhumi?

Bhumika : I... Miss Kaera aayi hai hamari hotel me. Toh bhala mein unse jhooth kese bolu? Aur jhooth bolna sahi bhi toh nahi Maa.

Shweta : Arre toh ye bataane ki zaroorat kya tha ki Veer tumhara bhai hai. Bas keh deti ki hum jaante hai ek dusre ko. Baat khatam!

Bhumika : Aap bhul rahi hai ki Miss Kaera Veer ke saath aayi hai yaha. Matlab wo Veer ko acche se jaanti hai.

Shweta : Wahi toh meri samajh nahi aa raha ki ye Veer bhala Kaera ke contact me kese aaya? Kismat toh dekho uski. Anyways, mein ek client se milne jaa rahi hu. Tum yaha dekhna sab sahi rahe. Okay?

Bhumika : Hmm!

Aur Shweta jaldbaazi me nikal gayi.

Wahi Veer aur Kaera apne apne lunch me lage hue the.

Veer : Kesa hai? Khaana?

Kaera : Not the best but bura bhi nahi hai. It's good! I like it. A little bit oily.

Veer (smiles) : By the way, thanks for coming. Mujhe nahi laga tha aap aaogi.

Kaera : Umm... Yadi aur koi din hota toh waqai aana thoda mushqil hota. It's Sunday today. So, I postponed my Sunday's work.

Veer : Huh? Sunday work se aapka kya matlab hai? Sunday bhi work karti ho aap?

Kaera : Yes! Every day! Including sundays.

Kaera ki baat se Veer shocked tha. Harr din kaam karna toh jese naamumkin tha. Uske bawajood Kaera ne itni asaani se jawaab de diya. Aur dukhad baat toh ye thi ki Kaera ko ye sab normal lag raha tha. Veer chup chaap Kaera ko dekh raha tha jo apne khaane me busy thi. Sach kaha jaaye toh iss waqt Veer ko Kaera par bada hi taras aa raha tha. Iss ladki ke paas sab kuch tha bhi aur nahi bhi.

Koi dekh ke kahega ki ye itni sundar sii ladki roz kaam karti hai? Kisi robot ki tarah? Bilkul nahi!

Veer : Mein puchne wala tha aapse par bhul gaya tha. Aap toh Delhi me thi na? Toh aap yaha kyu aayi? Mumbai me?

Kaera (khuspusaate hue) : I came for you.

Veer : Hmm? Mujhe kuch sunaayi nahi diya.

Kaera : I... I had some work. That's why...

Veer : Okay!

'I think I can check her now. Right?'

[Yes! Of course!]

'Alright then. Check!!!'

[Name : Kaera

Age : 26

Bio : Kaera, Kishor ki eklauti beti hai. xxxxxx company me as a CEO work karti hai, jo ki uske hi pita ki company hai aur worldwide famous hai. Aaye din wo iss country se uss country travel karti rehti hai. Company ki backbone Kaera hi hai. She's like a queen who knows how to rule. She's well versed in languages, literature, business, fashion styling, etc. Kaera ko phool behad pasand hai. Inn sab ke bawajood, there's a part of her which is lost somewhere. Kuch emotions hai jinhe wo mehsoos nahi kar paati theek se. Jald se jald yadi iska upaay nahi nikaala gaya toh Kaera ko iss daldal se nikaalna boht mushqil ho jaega.

Favourability : 48
Relationship : Good Friends.]

Kaera ka status padhne ke baad Veer ke muh se bas yahi nikla tha.

Veer : Wow!!

Kaera : Hmm?

Veer : No! Nothing!

Veer bechara status dekh ke hi blown ho chuka tha. Jaha Kaera itni talented thi, wahi dusri orr uske saath kuch gadbad bhi thi. Jiska samadhaan Veer ko jald se jald nikaalna tha, warna dikkat ho jaane wali thi.

Kaera : I know now.

Veer : Hmm?

Kaera : You told me some things that day. Right? Uss raat. When we were in club. Remember?

Veer : Ah... That...

Kaera : Tumne kaha tha ki... Jitna iss zindagi se dosti karna chaahoge, ye utna hi dur bhaagti hai. Kuch logo ke paas kaabiliyat hoti hai toh wo apni zindagi badal lete hai. Kuch ke paas kaabiliyat hoti hai par halaat unhe apni zindagi na badalne par majboor kar dete hai. Aur jinke paas kaabiliyat nahi hoti wo bas kismat ke liye baithe rehte hai. Ki kisi na kisi din unki kismat chamkegi.

'Did I say that? Mein kab se itni philosophy bhari baatein karne laga?'

[Tumne hi kaha tha, you idiot.]

'Shut up Pari! Fine! I remember now.'

[Hmph~]

Veer : Jii! Toh?

Kaera : I think I know now. Ki kyu mujhe wo relatable laga tha. Kyuki I'm the same Veer.

Veer : ??

Kaera : I'm the same. Kuch logo ke paas kaabiliyat hoti hai par halaat unhe zindagi na badalne par majboor kar dete hai. Ye mein hi toh hu na Veer? Look! I'm... I'm skilled. But uske bawajood... I don't know what's life? Why do people live like this? Pyaar karna, shaadi karna, kids and then earn karna aur fir iss world se chale jaana. What's the meaning behind it?

Veer : Toh aapke hisaab se kya karna chahiye?

Kaera : I... I don't know. But kya yahi hai? Is this life? I don't understand. Aise me toh I have Money, I have Power, par uske baad bhi... Why do I feel incomplete?

Veer (smiles) : You need to find love. Family love too.

Kaera : Love? What is it?

Veer : Jab aap dil se kisi ke liye care karo aur uske bina na reh sako. Then that means ki aap uss vyakti se pyaar karne lage ho.

Kaera : Hmm? Okay! Toh how can I find this love?

Veer : Umm... Ye toh aapko khud karna hoga. You can date someone.

Kaera : Hmm? No! Mujhe proposals aate hai on a regular basis. But I don't like any of them. So, I don't date.

Veer : Umm... Then, intezaar kariye. Koi na koi aapko wo khushiyan dene zaroor aaega.

[Aur wo mein hi rahunga hahaha~]

'Shut up! Tumhe lagta hai she will fall for me? Kaha wo... Aur kaha mein... It's impossible.'

[Tum bhul rahe ho ki tumhaare paas mein hu.]

'Ohh! Are you hitting on me? Haha~'

[W-Wh-What!? Y-You! That's... N-Nooo! Hmph! Stupid.]

Pal bhar ke liye Veer ko aisa laga jese Pari sharma rahi thi.

'Hey? Are you blushing? Don't tell me...'

[Ah?? W-Wh-What? N-No wayyyyy! Stupid! Idiot! I hate you! G-Go to hell. Hmph~]

'Hey!! Chill!!'

Kaera : Okay! I'll see. I don't understand much though.

'Inhe samjhaana boht mushqil hone waala hai.'

Kaera (mann me) : Koi aisa jiski mujhe parvaah ho? Hmm...

Veer ka lesson kuch khaas toh nahi tha par Kaera ke dimaag me kam se kam ek baat toh baith gayi thi. Yahi ki usse apna pyaar khojna padega.

Dekhte hi dekhte, aaj ka lunch ka samay bhi beet gaya aur shaam hote hi Veer aur Kaera Mirror gallery ke sthaan par pohuch chuke the.

Ground tha basically, jisme poora set-up kiya gaya tha.

Bilkul wese hi jese aksar sheher me circus ke tents laga karte the.

Bada sa hoarding bhi laga hua tha, kayi saare banners jo invite karne aur advertisements ke liye lagaaye gaye the.

Aur toh aur dekhte hi dekhte itni saari bheed jama hone lagi thi ki lag raha tha aaj ka ye silsila derr raat tak chalega.

Kaera : Too much crowd.

Veer : Well! Bheed toh hai. Kya aapne pehle kabhi mirror gallery dekhi hai?

Kaera : No!

Veer (surprised) : Waqai? Mujhe laga aapne toh dekhi hi hogi. Kyuki ye foreign me rehta hi hai. Aur aap toh foreign jaati rehti ho na. So I thought...

Kaera : Nahi! I haven't seen it.

Veer (smiles) : Aaj aapke saare first timers karwa raha hu mein.

[Sex bhi first timer karwa diya tha. Hahahaha~]

'Fuck you!!!!'

[Hahahaha~]

Kaera : I guess so.

Ye sabhi baatein kar rahe the jab announcement hua aur line lagna shuru ho gayi.

Andar jaane ke liye ek baar me do se zyaada entries allowed nahi thi. Ya toh akele jaiye ya toh kisi ek jan ke saath. Luckily, Veer aur Kaera do hi the. Aur Raghu aur Jassi bhi.

Veer line ke second last me khada hua tha Kaera ke saath aur Raghu aur Jassi theek uske peeche.

Wahi last the. Unke baad dusri line alag se bann rahi thi par tabhi waha ka jo sab kuch manage kar raha tha wo aaya aur usne announcement kiya.

"Dekhiye! Bas! Ab iske baad aaj ke liye aur koi entries nahi hoengi. Yahi 50 entries bhar jaengi. Paid waali entries kal se shuru kii jaengi. Maafi chaahta hu. Dhanyavaad!"

Aur uske itna kehte hi, logo ki gaaliya shuru ho gayi. Jo apna samay nikaal ke aaye the, unka maatha thanka aur wo manager se waha gaali galoch karne lage. Par jese tese ye maamla nipta toh thodi shaanti hui.

Dheere dheere line aage badhti jaa rahi thi. Aur Kaera bas curious sii nigaaho se sab kuch dekh rahi thi. Aas paas ke log usse hi taad rahe the. Kyuki, aam public me wo kisi model ki tarah lag rahi thi waha.

Yadi Kaera kile peeche do bade bade bodyguards na khade hote toh pakke se ek aad aadmi ne aa kar line zaroor maari hoti usse.

Kaera : It's taking too long.

Veer : Wo isliye, kyuki ek baar me ek ya do hi log enter kar sakte hai aur jab tak wo baahar nahi nikal jaate tab tak baaki log enter nahi kar sakte.

Kaera : Strange!

Veer : Yeah!

Kuch samay ke baad jese hi Veer aur Kaera ka number aaya toh Veer andar jaane se pehle bas ek baar palta aur Jassi ko dekh dheere se bola,
"Jese hi call du, andar aa jaana."

Aur itna bol Veer aage badh gaya.

Par Jassi jo wahi khada hua tha, wo ye sunte hi wahi jamm gaya. Aur jese hi usse samajh me aaya,

Jassi : Raghu! Support ke liye call karo. Abhi!

Raghu : Huh? Kya hua?

Jassi : Jesa keh raha hu wesa karo. Sawaal mat pucho.

Raghu : Ek minute! Iska matlab...??

Raghu kuch sochte hi aage badhne ke liye hua toh Jassi ne usse pakad kar wahi rok liya.

Raghu : Jassi?

Jassi : Usne kaha hai... Call karu toh andar aa jaana. Abhi mein jo keh raha hu wo karo.

Raghu : O-Okay!!

Idhar Veer jese hi Kaera ke saath andar jaane ke liye entrance par aaya. Usne bagal me baithe ek ladke ko dekha.

Aur usse dekhte hi Veer ne usse check kiya. Check karte hi, Veer ki aankhein felti chali gayi.

Ladka : Jaiye andar!

Andar jese hi Veer aur Kaera aaye. Peeche ka gate band ho gaya.

Aur andar, ek lamba corridor tha jaha aage jaake ek mod tha right me. Par poore corridor ke agal bagal bas sheeshe hi sheeshe lage hue the.

Poori zameen par ek laal carpet bicha hua tha aur lights bhi keval laal rang ki madhham madhham jal rahi thi.

Maano jese Mirror gallery me nahi, kisi horror gallery me aa gaye ho.

Kaera ne apna perr aage badhaaya badhne ke liye par tabhi uski kalaayi peeche se kisi ne pakad lii.

Peeche mud usne dekha toh paaya ki Veer tha. Par...

Par Veer ke chehre par koi bhaav nahi the. Uske muh se bas ek hi vaakya nikla aur wo bhi itni gambheer awaaz me ki Kaera kuch bol hi na paayi.

Veer : Stay with me!

Kaera ki naazuk sii kalaayi Veer ke mazboot haath ki giraft me thi.

Kyuki Veer jaanta tha. Wo sahi tha.

Idhar aane se kuch din pehle hi...

Jis din usne apna dhandha shuru kiya tha. Uss din hi Mirror gallery ka advertisement karne ke liye truck nikla tha.

Pehle toh Veer ne usse aisa hi samjha tha par uss raat usne truck ko check bhi kiya tha. Aur check karte hi usse uss raat ye jaan'ne ko mila tha.

[Mirro Gallery Advertising Truck.

Bio : Fake announcement by the Buyer. Mirror gallery currently is not being held by the owner.]

Ye padhte hi Veer ko ek jhatka laga tha. Owner hi jab ye nahi karwa raha hai toh kaun karwa raha hai ye?

Aur uske baad hi uss din hi usse kuch aur bhi dekhne ko mila tha. Kyuki truck ke nikal jaane ke baad hi...

*Ding*

[Mission : Take Kaera to Mirror Gallery.

Reward : ??? Points.
Mission Failure Penalty : 1000 Points Deduction.]

Yahi toh kaaran tha. Ki aaj Veer yaha Kaera ke saath tha. Aur usse jese abhaas tha ki kuch gadbad thi.

Aur usse ye bhi abhaas ho gaya tha ki shayad inn sab ke peeche uss aadmi ka haath tha.

Slogan!!!!

Keval itna hi nahi, yaha aane se pehle hi veer ki baat subah Suhana se bhi hui thi.

Veer : Aaj mein free nahi rahunga. Maybe shayad kayi din nahi rahu.

Suhana : Ohh accha! Ab jab free hoke mein aur Sonu tumhaare paas aana chaah rahe hai toh nakhre toh dekho zara. Itne bade aadmi nahi bann gaye tum abhi Veer ki mujhe mana kar sako. Samajh gaye.

Veer : It's not that... Baat kuch aur hai.

Suhana : Ohh accha!? Kya baat hai bhala?

Veer : SLOGAN!

*Silence*

Suhana : H-Huh??

Veer : Shaam ko yadi meri taraf se speed dial aaye. Then samajh jaana I need help. Police! I'll leave them to you. Aur yadi koi aur madad kar sako toh wo bhi... See ya!

*Call ends*

Suhana : What? Wait! H-Hello??? V-Veer??

'Damn it! Call cut kar diya. Damn you!!! That idiot fucker...'

Wo gusse me aate hi bagal me rakhe Teddy ko peetne lagi.

'What does he think he's doing? Paagal hai kya? Idiot!!! Damn him! He'll get killed. Slogan? Isse pata bhi hai kaun hai wo? This fucker... Ugh!!!'

Subah Veer yahi keh ke aaj apne iss mission par nikla tha. Aur yahi kaaran tha ki wo points ikhatta karne ki bharpoor koshish kar raha tha.

Sadly, uske 200 points barbaad ho chuke the. Aur bache hue 100 points wo stats me laga sakta tha par... Wo unhe quest ke liye bacha ke rakha hua tha.

Aur abhi abhi andar aane se pehle bhi...

Veer ne jese hi uss ladke ko check kiya toh usse ye dekhne ko mila tha.

[Name : Bhavesh

Age : 28
Bio : Just a local resident. Today working as a fake employee. Paise ki tangi hai.

Favourability : 0
Relationship : Strangers]

'Fake employee' shabd padhte hi Veer ka shaq yakeen me badal chuka tha.

Kaera ka haath thaame wo peeche hi tha uske. Ekdum nazdeek.

Kaera ki kuch samajh me nahi aaya. Par usne Veer ko apna haath pakde rehne diya.

Wo ek kadam chalti, rukti aur bagal me lage sheesho me apni chhavi dekhti.

Alag alag prakaar ke sheeshe the. Kuch me unki chhavi lambi dikhaayi deti toh kuch me choti. Kuch me wo mote prateet hote toh kuch me patle.

Kaera ne apna mask nikaal Veer ko thama diya jo usne apne jeb me rakh liya.

Aur kaafi samay baad wo muskuraayi.

Mirror par haule se haath ferr wo usme apni chhavi ko dekh rahi thi.

Kaera (smiles) : We look thin in this one.

Par bechara Veer iss waqt mirror gallery me least interested tha. Uska poora ka poora dhyaan aas paas ke vatavaran me tha. Uski nazre baaj ki tarah jese koi harqat pakadne ko dhund rahi thi.

Aur tabhi...

Achanak se hi harr jagah dhua dhua sa hone laga.

Aur Veer ki pakad Kaera ki kalaayi par aur mazboot ho gayi.

Usne Kaera ko aur bhi apne sameep kheench liya.

*Ssssssssss*

Ki awaaz se waha dhua hi dhua bharta jaa raha tha.

'Check!'

[Smoke.
Bio : Just the normal smoke, emitting from smoke machine.]

'It's not poisonous.'

Smoke toh poisonous nahi thi. Par jese Veer ko kisi aur baat ki tension lene ki zaroorat thi.

Kyuki tabhi uss smoke me hi neeche zameen ke side kuch harqat hoti hui nazar aayi. Maano jese kayi saare perr chalte hue aa rahe the.

Aur ye dekhte hi uske shareer ke baal khade ho gaye.

Kaera ko usne forun hi apne peeche kiya aur uske saamne uski shield bann ke khada ho gaya.

[Be prepared! Kuch gadbad hai. I think they are people.]

'Let them come...!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Don't forget to like and comment your thoughts.

And sorry for the wait. Thoda baahar aaya hua hu.
SUPERB AWESOME FANTASTIC EXCELLENT AND INTERESTING UPDATE BHAI
 

Raj

Well-Known Member
4,444
15,232
158
Update : 62 ~ Mirror Gallery (2)
Ab tak...

Kyuki tabhi usse smoke me hi neeche zameen ke side kuch harqat hoti hui nazar aayi. Maano jese kayi saare perr chalte hue aa rahe the.

Aur ye dekhte hi uske shareer ke baal khade ho gaye.

Kaera ko usne forun hi apne peeche kiya aur uske saamne uski shield bann ke khada ho gaya.

[Be prepared! Kuch gadbad hai. I think they are people.]

'Let them come...!'


Ab aage...

Veer Kaera ko apne peeche kiye usse protect karne ke liye khada hua tha.

Aur dhua tha, jo hattne ka naam hi nahi le raha tha.

Kaera kehna toh hazaar shabd chaahti thi par Veer ki tight grip uski kalaayi par mehsoos kar, aur ye dekh ki wo kitna serious tha wo chup reh gayi.

Veer idhar chup zaroor tha par uska dimaag nirantar chale jaa raha tha. Kareeb aate hue perro ko dekh usne forun hi unhe check kiya.

'Check!'

[Hired goons.

Bio : Goons hired from local area. They are here for Kaera.]

Aur bas, ye padh ke ab usse 100% visvaash ho gaya tha ki ye sab kuch Kaera ke liye hi rachaaya gaya tha.

[Kaera ko thoda sa peeche karo. Don't let her get involved in the fight.]

'Yeah!'

Aur Pari ki baat maan, Veer ne Kaera ko thoda apne peeche ki orr kar diya. Uski kalaayi chorr ke wo aur aage aaya.

Aur beshaq, jese hi wo aage badha saamne se aa rahe log aur tezzi se uski orr aage badhe aur...

[Here they come!]

Saamne se sabse pehle ek aadmi bhaagte hue uss dhue me se aaya aur aate hi usne ek tezz tarraar ghusa seedha Veer ke muh pe maarne ki koshish kii.

Par, Veer pehle ki tarah nahi tha. Ek pal me hi uski aankhein fel gayi jaise maano wo fighting mode me aa gaya ho aur usne turant hi apna sarr side kar liya.

*Whoooossshhhh*

Uske kaan ke bagal se wo ghusa nikla toh Veer ko uski hawa mehsoos hui. Aur wo ye bata sakta tha ki aadmi ne apna haath kitni zorr se chalaaya tha.

Par Veer toh Veer tha. Sambhalne ka koi samay nahi dene waala tha wo apni enemies ko.

Agle hi pal usne apne right hand se uss aadmi ka wahi haath thaama aur apne dusre haath ki fist se seedha uss aadmi ke gaal par punch kiya.

*Pooowwwwww*

"Ughhhh!!!" Wo aadmi Veer ke haatho punch khaate hi peeche bagal me jaa gira. Veer ke reflexes fast the. Aadmi ko samajh me hi nahi aaya ki kab Veer ne uska haath thaam usse maar bhi diya.

Uske girte hi baaki aadmi Veer ke kareeb aaye. Unme se dusre ne sabse pehle do baar apne ghuso se vaar kiya.

*Whooooossssshhhh*

*Dodge*

*Whoooossshhhhh*

*Dodge*

Hamle toh tezz the, par Veer se tezz nahi. Dono hi ghuso ko Veer ne left aur right lean kar ke unhe asaani se dodge kar liya tha. Jab uss aadmi ne apna teesra vaar karna chaaha toh...

"Wrong choice buddy!"

Kehte hue Veer ne usse iss baar koi mauka nahi diya. Achanak hi wo tezzi se uske ekdum kareeb aaya aur...

*Poooooowwwww*

Ek kamaal ki spinhook kick.

Jo seedha jaake uss dusre aadmi ke jabde par padi aur uske poore shareer ko hawa me uchhaal ke kisi lattu ki tarah ghumaate hue peeche fek dii.


Negligible-Ethical-Dodo-max-1mb-1

"Damn!!! Hahaha~"

[That was a nice kick indeed.]

"Basic Martial arts skill waqai kamaal kii hai. Kitna kuch hai isme."

[Yes! But trust me, ab samay aa gaya hai ki tum intermediate level waali martial arts skill purchase karlo. Kyuki I think tumne basic waali kaafi hadd tak master karli hai.]

'Yeah!!! Points milne ke baad.'

[200 points hai tumhaare paas.]

'They are for quest.'

[Y-You!!! Okay! Enough talking! Teesra banda aa raha hai. Careful! Haath me weapon hai uske shayad.]

'Yeah!'

Do bando ko giraane ke baad Veer Pari ki baat sunn teesre par focused ho gaya. Aur Pari sahi thi.

Uss teesre bande ke haath me hathiyaar toh nahi tha par haan, uski mutthi par khatarnak knuckles zaroor the. Wo nukile knuckles pehne Veer ko maarne aaya.

Yaha par Veer ne samajhdaari dikhaate hue uske kuch deadly vaar dodge kiye. Kyuki ek bhi baar yadi wo nukile knuckles uske contact me aate toh nateeja fir saamne hota.

Chotil hona aur khoon ka behna.

Savdhaani baratna behtar tha yaha par.

Par Veer dodge kar nahi paa raha tha kyuki chautha banda bhi uss pe ussi waqt toot pada.

Zaahir tha ki wo yaha 1 vs 1 nahi karne aaye the. Jab itni tadaad me aaye the toh saaf tha ki wo dhaava bolne hi aaye the Veer pe.

Veer jese tese dodge kar raha tha aur unke attacks ko deflect kar raha tha. Kaera ko usne ekdum darwaaze ke paas khada kar diya tha jaha se wo enter hue the. Par palatvaar karne ka usse sahi mauka aur space nahi mil rahi thi.

[Use your surroundings.]

'You mean...!?'

[Yes! Mirrors! Use them!]

'Ye mat kehna ki...'

[Of course~ Slam them into it. Mirrors me bhed do unhe.]

'Wait! Aise me...'

[What? Nuksaan hoega? Don't you know ki ye sab kuch owner nahi karwa raha hai. Yaha ye illegal use ke liye khola gaya hai. Ab isme kya mirror todne ke baare me soch rahe ho tum? Just fucking slam them. Destroy it!]

'Alrighty!!!'

Pari ne jese Veer ki ek mushqil hal kar dii thi. Aas paas lage sheesho ko todne me Veer thoda sankoch dikha raha tha. Kyuki wo abhi full control me fight kar raha tha. Usse apne aas paas ki sabhi cheezo ka dhyaan tha. Isliye, usse thoda sa sankoch ho raha tha.

Lekin Pari ne uski ye pareshaani bhi dur kar dii thi. Jab ye saara samaan owner ki permission ke bina use ho raha tha toh kyu nahi? Todo behanchod!

Aur muskurate hue iss baar Veer ne uss knuckle waale bande ke attack ko jab dodge kiya toh wo fir ruka nahi. Usne dodge karte hi apni fist uske pait par maarni chaahi lekin...

*Dodge*

'Hmm?'

Wo banda Veer ke ghuse ko apne dono haatho se rok peeche ho gaya.

[He dodged it.]

Neeche pade unn do bando se alag tha shayad ye aadmi jo knuckles pehne hue tha. Fighting me ye unse behtar tha. Warna Veer ki fist yu nahi rok paata.

'I see!'

Sochte hue Veer next attack ke liye khud ko prepare kar raha tha jab chauthe bande ne achanak hi uspe ek lakdi se vaar kiya.

*Swoooossshhhh*

*Dodge*

'What the...!?'

Duck karte hue Veer uss hamle se bacha. Dhue me se achanak se wo lakdi uske muh par aayi thi seedhe. Yadi uske reflexes tezz na hote toh aaj pakke se Veer ka thobda gaya tha.

Aur wo chautha banda maano jese pagla hi gaya tha.

"Haaaaaaa~" gusse me chillaate hue wo Veer ki taraf daudte hue kahi bhi uss lakdi ko chalaaye jaa raha tha.

*Whooooshhhh* *Swooooosssshhhh*

Kuch aisi awaaze aa rahi thi uske harr vaar se. Aur hawa me maujood dhua, uske harr attack par chirr jaata aur uski chhavi Veer ko dikhne lagti.

Veer multiple back hand spring maarte hue peeche ki orr jaata jaa raha tha aur wo aadmi uski taraf bhaagta jaa raha tha.

Back hand spring~
Spotless-Faroff-Americangoldfinch-max-1mb

[Flick his toe.]

Pari ki awaaz kaan me padte hi Veer ne ussi waqt jis waqt wo back hand spring maar raha tha tabhi apne dono perro ki bajaaye iss baar ek perr hi zameen par giraaya aur jhukte hue dusre perr se uss saamne aate hue aadmi ke perr ko flick kar diya.

*Flick*

Aur nateeja saamne tha. Perr par Veer ki laat padte hi wo aadmi apna santulan kho baitha aur dhadaam se neeche gira. Wo uth paata ki tabhi Veer uspe toot pada.

Uske haatho ko restrict karke Veer ne do zordaar ghuse uske gaal par jade. Veer usse aur dhunta par jo knuckes waala banda tha wo apne saathi ko pitate dekh Veer ki taraf bhaagte hue aaya.

'This guy... Tch!'

[Isse jaldi thikaane lagao. He's a pain in the ass.]

'Yeah!!'

[Mirrors!]

'Hmm~ Samajh gaya!'

Pari ki hint milte hi Veer lapak pada uss bande par.

Haan thoda tough tha iss bande se deal karna kyuki wo bhi dodge karna jaanta tha par fir bhi Veer se behtar nahi.

Jab finally wo Veer ki pakad me aaya toh ussi waqt uska khel khatam ho chuka tha.

Veer ke hontho par muskaan thi. Uske muh se bas yahi shabd nikla...

"One inch punch!"

*Pooooooooooowwwwww*

"Aaarrghhhh!!!!!!"

Aur wo knuckles pehna hua aadmi ek strong force ke saath ucchal ke left side par lage mirrors me se ek mirror me jaake bhid gaya.

*Craaaashhhhhhhh*

Hazaaro tukdo me wo sheesha toota aur uss aadmi ke saath hi wo kaanch ke tukde bikharte hue neeche idhar udhar fel gaye.

Kaera ekdum shocked nazro se sab hota hua dekh rahi thi. Wo thoda sehmi hui bhi thi kyuki ye pehli baar tha jab wo aisi ladaayi live dekh rahi thi.

Beshaq, usne pehle bhi kayi dafa trained logo ko ek dusre ke saath ladte hue dekha tha par ye kuch alag tha. Yaha ladaayi jaan lene ke liye ho rahi thi. Aur harr vaar ekdum asli aur chot pohuchaane ke liye kiya jaa raha tha.

Iss se pehle yadi Kaera ne koi live fight dekhi thi toh woh tab hi thi jab Raghu usse aur Veer ko bachaane aaya tha uss din.

Finally, saare bande down the. Keval 4 hi log se haath bhidha tha abhi Veer ka.

[I think there might be more.]

'Hmm~'

Pari ka yaha ye sochna galat nahi tha. Aisa bilkul possible tha ki aur bande bhi honge. Keval 4 logo ko toh bhejega nahi koi Kaera jaisi ladki ko kidnap karne ke liye.

Veer, Pari ki baat par dhyaan dete hue soch hi raha tha jab achanak hi Pari zorr se uske mann me chillaayi.

[Get dooooowwwnnnn!!!!!!]

*Duck*

Apne aap hi Veer ka shareer jhuk gaya. Maano jese Pari uski koi remote controller thi. Pari ke harr bol par Veer ke reflexes itne fast the ki Pari koi instruction jese hi deti toh next guzarte second hi Veer ki body usse follow kar leti.

*Whooooosssshhhh*

Uske jhukte hi koi cheez tezz raftaar se ekdum se guzri aur peeche jaake diwaar me khus gayi.

Veer ne jese hi palat ke dekha toh pal bhar ke liye uske raungte khade ho gaye.

Peeche ek badi sii chhuri thi jo deewaar me khusi hui thi aur wo bhi Kaera ke sarr se bas kuch inch dur.

'Shit!!!'

[Marrte marrte bachi hai wo. Pay attention!]

Kaera ekdum sehmi hui wahi khadi thi. Usne apni jagah ek centimetre bhi nahi badli thi. Maano jese bhay se wahi jamm gayi thi woh.

Jisne bhi ye knife pheki thi wo definitely koi skilled tha.

Kyuki yadi Veer jhuka nahi hota Pari ke kehne par toh wo knife seedha uske maathe me jaa kar ghusti.

Aur uska wahi THE END ho jaata.

[Be careful!]

'Hmm~'

Ab mahaul kuch tang sa ho gaya tha. Veer ki bauhe ab tension ke maare sikud rahi thi. Saamne dhuye ke peeche jo koi bhi tha woh neeche pade unnc haar chutiyo se kahi zyaada trained tha.

Ye baat usne apni knife phek ke hi saabit kar dii thi.

[Remember! Mirrors are your friends!]

'Yup! Got it!'

Apni shirt, jiski sleeves 2 baar folded thi. Veer ne unhe ek-ek baar aur fold kiya aur apni shirt ki aasteen ko aur upar chadhaaya.

Uske baad usne ek martial art stance liya. Jese kehna chaah raha ho ki 'Aao, mein ready hu.'

Saamne dhuye me khada vyakti bhi shayad Veer ki baat samajh chuka tha.

Aur bina koi samay gavaaye wo tezzi se Veer ki taraf aaya.

[He's fast!!!]

'Haan!'

*Whooooooossshhhh*

Ek punch seedha Veer ki pasli ki taraf...

*Dodge*

Lekin shandaar body roll karte hue Veer uss hamle se bacha.

*Whoooooossshhhh*

Iss baar ek kick aayi uski chhaathi par jo boht tezz thi.

'Shit!'

Apne dono haatho ko Veer ne X banaate hue wo laat apne haatho par lii aur uske force ke chalte peeche jaa gira.

[He's coming!!!]

Veer ke girte hi wo aadmi seedha hawa me udte hue ek aur kick maarte hue aaya.

*Craaaaashhhhhh*

Lekin sahi samay par Veer ne neeche zameen par roll karte hue khud ko bachaaya aur nateeja?

Wo aadmi waha lage unn kayi saare Mirrors me se ek mirror me ghus gaya.

[G-Good! Attack him!]

Yahi sahi mauka tha. Jaha wo aadmi abhi sambhal kar unn sheesho ke tukdo ke beech uth raha tha toh Veer aage badha aur uss aadmi ki orr aaya.

Par Veer ka ye plan ki wo uss aadmi ko yu hi pakad ke gira dega agle pal hi fail ho gaya.

Kyuki girne ke turant baad hi wo apni chot ko chinta kiye bagerr hi uth ke khada ho chuka tha.

Veer ko apne kadam wahi thaamne pade.

[He's strong!]

Pari ki baat se sehmat hote hue Veer ne usse check karna hi theek samjha.

'Check!'

[Name : Dexter

Age : 34
Bio : Dexter ek trained assassin hai. Paiso ke liye hi ye apne saathiyo ke saath assassination missions par jaata hai. Yahi uska dhanda hai. Melee combat me tezz hai. Agility boht hai. Knife ki fights me uske dost usse iska master bulaate hai.

Favourability : -60
Relationship : Enemies.]

'Shit!!!'

Sab kuch saamne tha. Saamne khade aadmi ka naam Dexter tha aur wo koi local aadmi nahi balki ek skilled aur trained Assassin tha. Uska status hi sab kuch uski khubiyoo ke baare me bayaa kar raha tha.

Ye toh pakke se dikkat se bharpoor hone wala tha Veer ke liye.

[Favourability dekhi? It's minus 60.]

'Yeah! Of course! Ek assassin hone ke naate wo mujhe yaha maarne aaya hai. Toh definitely itni toh rahegi hi.'

[Hmm~ See! Wo knife me master hai according to his status. Aur humne dekh hi liya ki usne kis tareeqe se wo knife tumhaari orr pheki thi.]

'Yeah!'

[My point is... Melee combat me uske haath me knife mat aane do.]

'What if he has another one?'

[He has. Ek pocket knife zaroor hogi uske paas jese tumhaare paas hai. Assassin hai woh. Now listen to me.]

'Jo bhi bolna hai jaldi bolo. Wo aane hi waala hai.'

[Right! Dekho! Ek assassin ki kamzori kya hoti hai?]

'What?'

[Wo tezz hote hai, nimble hote hai, furtile ekdum. Unki haath ki safaayi ka koi muqaabla nahi hota lekin...]

'Lekin?'

[Lekin wo utne strong nahi hote.]

'You mean...!?'

[Yes! Tumhe bas do chaar tagde vaar karne hai uspe. Wo tezz isliye rehte hai kyuki wo bodybuilder nahi hote. Jis kaaran se unka wazan kam hota hai bodybuilder ke muqaable. Tabhi toh assassin kehlaate hai. Bas do se chaaar strong hits weak region me maaro aur khel khatam. Trust me!]

'Alright! I'll try!'

Jis waqt Veer idhar apne mann me Pari se baat kar raha tha tab wo Dexter uth ke apne kapdo se sheeshe ke tukdo jhatkaar raha tha. Jaise usse visvaash tha ki wo yaha se jeet ke hi lautega, itne araam se khada hua tha.

Aur khud ke shareer se kaanch ko hataane ke baad hi wo ek baar fir Veer ki taraf lapka.

*Thud*

*Whoooosssshhhh*

*Dodge*

Iss baar dono hi Veer aur wo Dexter poori tarah se bhid chuke the. Hatho se haath takra rahe the, aapas me mutthiya kassi hui thi, kohni se toh kahi perro se vaar kiye jaa rahi thi.

Aur harr guzarte pal dono hi kuch na kuch damage apne shareer par le rahe the.

Par issi beech wo hua jis se Veer hairaan bhi tha aur chintit bhi.

*Scraaaaaatttttchhhhhh*

'Aarrghhhh!!! Shittttt!!!'

Wo apne seene par haath lagaaye jhuka. Aur...

*Drip*

*Drip*

*Drip*

Khoon ki laal laal bunde uske seene se gir rahi thi jaha kuch derr pehle hi Dexter ne apni churri se vaar kiya tha.

'When did he..!?'

[Uska strap...]

'Huh???'

Veer ko samajh me nahi aaya tha ki hathapaayi ke waqt aakhir achanak se Dexter ke haatho me chhuri kese aa gayi thi?

[Uski t-shirt par strap bandha hua hai.]

'Shit! Iska matlab...'

[Yes! Ladte waqt hi usne apne seene par bandhe strap ko khola aur dhuye ka fayda utha ke tumhari nazar se bacha ke wo knife haath me le kar tumhare chest par vaar kiya.]

'That bastard....!'

[Mene kaha tha na. Inki haath ki safaayi boht hi skilled hoti hai. Upar se ye dhua. I think ki ye dhua uske advantage ke liye hi kiya gaya tha. Aur... Shit!!! Dodge that...]

Pari bolte bolte achanak hi ghabra gayi kyuki Dexter jo shaant khada tha wo ekdum se uss dhue me se daudta hua uski taraf aane laga.

Par Pari ki warning thodi late thi.

'Huh?'

Jab tak Veer ne saamne dekha tab tak Dexter ki laat uski chaathi par lag chuki thi aur...

*Thud*

"Uggghhhhh!!!"

Karaahte hue Veer hawa me peeche ki orr gira.

Aur jaake...

*Thud*

*Thud*

Kaera ke bagal se entrance waali deewaar par jaa bhida.

"Veeeeeeerrrrrr!!!!"

Kaera bechaari ghabraate hue cheenkhi aur usne forun hi apne ghutno ke bal baithate hue Veer ko thaama.

Par agle pal hi wo jese jhep sii gayi. Uska shareer kaapne laga.

Kyuki Veer ke seene par uss safed shirt par kuch geela geela failta jaa raha tha.

Aur iss baat ka pata lagte hi ki wo kya tha, Kaera ka badan wahi jaam sa ho gaya tha, maano jese saanp sungh gaya ho usse.

Kaera (kaapte hue) : V-Ve-Veer!???

Veer bas lambi lambi saasein le raha tha, kuch keh nahi raha tha aur uski khamoshi Kaera ko aur bhi bechain kar rahi thi.

Wo Veer ko zorr se jhanjori aur usse pukaari toh iss baar finally Veer ne jawaab diya.

Veer : Don't.... Don't worry! I'm fine!

Kaera (rote hue) : Noooooooo!! YOU ARE NOT!!!!

Veer : Look at me!!! Mene kaha na~ I'm fine!

Kaera (cries) : Y-You are bleeding!

Kaera ko jese khoon dekh ke kuch ho gaya tha. She was getting PTSD.

PTSD maane Post traumatic stress disorder. Ek aisi health condition jo tab trigger hoti hai jab aapne kisi khaufnaak drishya ko dekha ho.

Kaera jab choti thi tab hi usne uss din apne ghar ke maali ki laash dekhi thi khoon se sani hui. Tab se hi bechari Kaera ke andar blood ko lekar wo traumatic experience uske mann me basa hua tha.

Aaj Veer ko bhi ussi tarah chhathi par khoon dekh, uske andar ka wahi PTSD trigger ho chuka tha. Yahi kaaran tha jo itni strong woman aaj yu iss tarah kaap rahi thi.

Veer : I know I'm bleeding! Don't worry! Mujhe kuch nahi hoga.

Wound lamba toh tha par kismat thi Veer ki jo wound deep nahi tha. Warna yaha dikkat aa sakti thi uske liye.

Wo utha aur usne deewar par khusi wahi chaaku nikaali jo kuch waqt pehle Dexter ne uski orr pheki thi.

Usse nikaalte hue Veer ne usse apni shirt ke kandho ke hisse par chalaayi aur apni uss poori sleeve ko phaad ke usse lamba kar usne wo aasteen apne seene par baandh lii.

Ghaav gehra nahi tha par lamba zaroor tha. Blood jitna jaldi ruk sake utna behtar tha. Aur abhi uske paas yahi option tha.

Veer ne fataak se jeb me haath daal phone nikaal Raghu ko call lagaaya.

*Ring* *Ring*

Par...

Dexter waha khade khade usse ye sab kuch karne kaha dene waala tha.

Ek baar fir uske kadam Veer aur Kaera ke kaano me pade toh Kaera firse darr gayi.

Lekin Veer ki nazar iss baar ekdum focused thi. Wo ready tha.

'Come!'

Wo jhuke hue tha iss baar.

'Yadi mujhe dhuye me dekhne me pareshaani ho rahi hai toh definitely isse bhi ho rahi hogi.'

Aur waqai wahi hua. Dexter ne andaaze se Veer ki jagah par chaaku se vaar kiya...

*Swoooooooossshhhh*

Dhua hata par...

Veer waha nahi tha. Aur shayad pehli baar Dexter ki nigaaho darr ke maare fel gayi.

Kyuki Veer...

Waha nahi, balki ussi jagah par neeche jhuka hua tha.

Veer : *smiles*

Aur fir...

*Pooooowwwwwww*

Ek kohni ka vaar seedhe Dexter ki pasli par aaya.

"Ughhhh!!!! Gwaaakkkkkhhhh!!!!" Uske muh se thook nikla aur uske baad hi...

*Poooowwwwwww*

Kohni ke baad Veer ki ek ulti fist Dexter ki seedha naak par aake lagi.

*Craaaaaaassssshhhhhh*

Aur ek baar fir wo iss baar right side lage hue mirrors me jaake ghus gaya.

Saare sheesho ke tukde hote hue waha gir gaye.

"H-Hello? Hellooooooo!!!"

Idhar Veer ne apne liye time nikaal liya tha. Aur jese hi usne phone kaan me lagaaya udhar se Raghu ki hello hello ki awaaz aa rahi thi.

Veer (lambi saas lete hue) : Jaldi! Andar aao...

Aur itna bol Veer ne phone kaat diya.

Baahar Raghu ne jese hi ye suna toh Raghu aur Jassi dono hi tension me aa gaye.

Wo bhaagte hue andar jaane ke liye hue par jese hi entry ke paas pohuche...

Unke saamne do aur trained Assassins khade hue the jo side se nikal kar aaye the. Aur saath hi saath wo entrance waala banda bhi unke hi saath khada hua tha.

Jassi : Accha hua support bulwa lia. Inse nipatna padega pehle Raghu hume.

Raghu : Hmm!

Jassi (frowns) : Bas tab tak Veer sambhal le andar...

Raghu : Mene kaha tha tujhe gun rakh leni chaahiye thi.

Jassi : Mene rakhi thi emergency ke liye. Lekin wo car me hai.

Raghu : Waah! Aur tere kehne par mein nahi laaya aaj. Sahi me yaar... Kherr! Inn chutiyo se pehle nipat'te hai.

Jassi : Right! Yaad hai na? No killing!

Raghu : Haan haan!

Idhar andar Veer ne Raghu ke baad hi Suhana ko speed dial kar diya tha.

Aur udhar uska ishaara samajhte hi Suhana ne forun hi help bhej dii thi, saath hi police aur investigation ka saara maamla wahi sambhaalne waali thi. Par iss waqt wo bhi waha apne ghar me gehre chinta me doobi hui thi.

'Yadi tumne Slogan ko maar diya na veer then trust me... Mein tumhe lab me le jaake tumhaare upar 36 experiments karne waali hu. Kyuki there's no way you can kill someone like him, without any help. My eyes will be on you!!!'

Suhana ke thoughts se pare Veer idhar apne phone ko jeb me rakh ek baar firse ready tha ladne ke liye.

Dard toh thoda ho raha tha usse seene me par jo dard Veer pehle ladaayi me seh chuka tha ye chot uske muqaable kuch bhi nahi thi.

Kaera toh itna ghabra gayi thi uski haalat dekh ke ki uske masoom se chehre par poore aasuo ki boonde saji hui thi. Jhar jhar kar ke aasu beh rahe the uske. Aaj pehli baar Veer ne usse rote hue dekha tha. Kaha wo strong willed powerful Kaera aur kaha ye Kaera jo ro rahi thi aur rukne ka naam hi nahi le rahi thi.

[Bas ek aur hit! Aur wo gaya. You need to hit him one more time.]

'Yeah! Iss baar mein aggresive rahunga.'

Kaera (cries) : Veer!! You're bleeding!!

Kaera usse pukaar rahi thi toh iss baar veer palta aur Kaera ke sameep aake usne Kaera ka maatha thaama aur aage badh ke uske maathe ko choom liya.

Yadi koi aur ladka ye iss waqt kar raha hota toh Kaera uska kya hashr karti ye toh koi bhi nahi bata sakta tha. Par iss waqt Veer ki harqat usse zara bhi buri nahi lagi thi. Ulta wo aur zorr zorr se rone lagi thi.

Veer : Unme se ek ko bhi aapke paas aane nahi dunga. Trust me! I'll be your shield. And don't worry, ye bas ek scratch hai. Nothing else!

Bas itna bol wo firse muda aur Dexter ko face karne ke liye ready tha.

Aur tabhi...

*Click*

Entrance ka darwaaza khula aur Raghu andar aaya.

"Missssss!!!!!"

Kaera : Raghuuuuuuu!!!!

Usne Kaera ke haath ko thaamte hue forun hi usse le jaane ke liye kaha.

Par tabhi...

Dherr saare kadmo ki awaaz aane lagi.

Aur ek baar fir, Veer aur unn sab ke saamne kayi saare log khade hue the. Iss baar dhua thoda kam tha jis kaaraj Veer unki tadaad dekh sakta tha.

Takreeban 8 se 10 toh the hi.

Raghu : Support team se kuch members aa gaye hai jo baahar Jassi ki help kar rahe hai. Oye Veer! Jaldi! Waqt nahi hai. Chalo nikle yaha se.

Veer : Miss Kaera ko leke jao.

Kaera : Huh!??

Raghu : K-Kyaaa??

Veer : Trust me! Go now! Inhe mein dekh lunga.

Kaera (cries) : Noooooooooooooo~

Raghu (chilaate hue) : Oye dimaag toh theek hai na?

Veer : I told you na... Go now! Wo aa rahe hai. I have some unfinished business.

Apne daant meeste hue Raghu na chaahte hue bhi Kaera ko waha se forcefully le jaane laga.

Kaera (cries) : W-Whaaat??? Raghuuuuuu!!! Leave meeee! Wo waha akela hai. Veeeeeeerrrr!!! Nooooooooo~

Kaera jaate jaate Veer ke chehre ko hi dekh rahi thi. Usse andar se aaj pehli baar itni tadap aur peeda mehsoos ho rahi thi jisse wo bata bhi nahi sakti thi.

Wo cheenkhte jaa rahi thi par koi fayda nahi. Raghu ki pakad mazboot thi. Jaate jaate Kaera ne Veer ke chehre par bas ek muskaan dekhi thi.

Jisse dekh wo aur bechain ho uthi. Aisa laga tha jese maano wo Veer ki akhiri muskaan dekh rahi thi.

Aur uske mann me bas yahi sawal gunj rahe the.

'Whyyy? Why did he save me??? Kyu usne apni jaan jokhim me daal ke mujhe bachaaya? Uss din bhi aisa hi Kiya tha usne? Whyyyy???'

Par usse iska jawaab na mila.

"I'll send the help!"

Itna kehte hue Raghu Kaera ko lekar baahar nikal gaya.

*Click*

Aur darwaza ek baar fir band ho gaya.

Veer toh bas muskura raha tha kyuki...

*Ding*

[Mission : Take Kaera to Mirror gallery has been completed.]

[You have been rewarded 900 points.]

Par Veer ko majbooran yaha rukna tha.

Uska kaaran tha...

*Ding*

[Mission : Confront the gang!

Rewards : ???? Points.]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Don't forget to like and share your thoughts! ✨
JABARDUST MARVELLOUS MIND BLOWING AND INTERESTING UPDATE BHAI
 
Top