- 16,427
- 110,507
- 259
Last edited:
Itni asaani se site shut down nahi ho sakti. Itne saare hawsi logo ko giraana koi saral kaam nahi.Absolutely stunning...
Itne dino baad wahi purani feeling aayi h... Also site is back with its initial address. I was getting a little worried that it might shut down but it's good that we're still here.
Let's talk about the update now...
Kar bhi li hogi ya nahi bhi. Does it matter? If yes, you'll see it soon. If it doesn't, you won't. That's how it goes.The police matter is clear now... So things are being displayed on the news channels... A little surprised that why Veer's family has not talked about this news with Veer... Or maybe you haven't shown us that scene?Loved the detailings of the crime scene. Short and sweet description serving its purpose and linking the previous scenes... plus filling the void of police interference which was missing.
That is one of the rules of writing. Always revisit the places you've visited in the past. That's how nostalgia hits.Then the Nidhi scene... Nidhi and her home... There's something special about that place... About her apartment... It takes me back to the first time when Veer came to her house... Those memories comes back whenever I read Nidhi's apartment incidents. And then nidhi telling Veer 2 cup chai me 3 chammach shakkar... Humesha ki tarah... Ufff... Pure nostalgia vibes...![]()
I'm glad it made you laugh.I won't mention Juhi's cuteness... She always steals the show...That drawing part
Maasi... Aap ped ho
I laughed at it... Like really... Actually mujhe hasana badi hi tedhi kheer h... J don't laugh for lame jokes nd all... But Juhi's cuteness nd her innocent filled response made me laugh...
Thanks a lot.So much was going on in that apartment... Shreya's jealousy, Nidhi's hesitation, Veer's silence but aggressive approach, Juhi's cuteness, cries and laughter, a little sensual moment b/w Veer nd nidhi (almost) nd finally Shreya's doubts. What a splendid scene.
He's actually sly. Ab mein aur kitna samjhau?Nd the things are moving here as well... Aadesh... As always... He's dumb... I've called it earlier.. I'll still call it... He's the biggest dumb person in the whole story...I don't want to say anything about this lunatic... All I did was to scream to Veer to beat more sense into him...
We'll get to see that in the next update.The last part... Dhananjay... Trisha nd Veer both are on the way to him... It would be interesting to see how things would go when both of them will meet at the same spot...
As I said... The next update will give you answers for these questions.Trisha would definitely join the dots and confirm that Veer is the one... Would Veer be able to do something in front of Trisha?If he does... Fir to given h ki Veer hi culprit h... Full on suspense h... Stakes are high this time... Also Trisha didn't tell Aadesh about veer?
Nd even told her subordinates to stay silent...
That would have been abusing your authority. Wo helmet checking waala police waala nahi hai jo dhamka ke raseed bana dega. DGP hai aur upar se uski subordinate uski wife DSP hai. Agar, Trisha ne uss se ye chhipaya hai toh koi na koi kaaran hoga.Yha pe Rohan chahta to apni authority ka use krke truth nikalwa sakta tha un subordinates se... Like.... Main DGP hu... Jaldi se sach batao varna... Nd all... But I guess that's not in his character?Nah... Police wala hoke usme ye na ho main kese maan lu?
Well, toh can say that as well. Wo familiars hai. Rohan kayi baar Trisha ke police station jaata rehta hai toh toh can say ki woh uske subordinates ko jaanta hai. That Is another way to look at it.Those subordinates were good friends of Trisha and very loyal to her? Nd rohan didn't want to force upon them bcoz they were familiarsThis is the only thing that comes to my mind...
Thanks a lot and keep supporting.Overall a very good update... The next one gonna be a doozy. Keep writing sir.![]()
Woh DGP hai bhai. Itna bada kaand hua hai toh obviously uska rehna zaroori hai. Wo nahi involve hoyega toh aur kaun hoyega.Rohan Bakshi ka role bada lag raha hai story me baar baar aa raha hai
It's a love triangle.Shreya ki jalan dekhne ko ban rahi hai maaza aa ra hai hai
Jalan ke mare Shreya ka date ke liye puchana wah ji wah maaza aa gaya
Aur fir Nidhi ko veer ke karib aate dekhna charam sukh aa gaya hai bhai ji dono behano ka veer ke liye jagra dekh do maaza aajayega dekha hai Shreya ab kya karti hai
Trip? Kaun si trip?Juhi ka apne papa ke liye pyar mazaa hi aa gaya bus ab dekhana ye hai ki trip par Nidhi veer ke kitna karib aayegi kya dono me kiss aur sex hoga kya ye bus yahi tak ka tha
Shekhar ne Trisha ko Mirror gallery ki kuchh tasveerein dikhayi di chhaan ke computer pe jaha Slogan toh dikha hi tha saath hi Veer aur Kaera bhi nazar aaye the. Fir wo hotel me Slogan ka marrna, par koi bhi eye witness na hona. Kaera ko toh wo itni easily investigate nahi kar sakti.Trisha ka veer ke bare me pata lagana lag raha wo Veer ke baare me janane ke liye paresan hai kya us ka koi aur motive hai kya kuch aur bhi
Dimag se hi toh kaam liya hai. Warna Casa Belle me ghus ke uske owner ko sab ke saamne maarna koi kam dimag ka aadmi kar sakta hai kya?Veer ka aadesh ke u pitana samaj nahi aa rahai hai jaha tak abhi tak veer ko mai samajh hu wo yesa nahi hai wo dimag se kam leta hai ye to app hi jaano kya dekhna hai
Pari ko sab samajh aa raha hai aur isliye wo chintit hai. Veer badal raha hai...! Wo gusse me hai aur apne gusse ke chalte iss baar wo alag tactic apna raha hai. Seedhe hunt karne ki... Lekin iss tarah se uske andar kuchh aur hi jaag raha hai, jo Pari ko tension me daal ke rakhe hue hai.Jis tarah Pari ko samaj nahi aa raha haj ki kya ho gaya hai veer ko mere ko bhi nahi samaj aa raha hai mere ko kuch baatao please
It's the right time. Agar abhi miss hua, toh bahut late ho jaayega because iske baad ke saare arcs hardcore hai jo alag alag jagaho par honge. Veer brutal nahi tha kabhi. Toh ek hi raat me wo itna brutal ho hi nahi sakta. That would be unbelievable. Ki ek raat me itna change aa gaya.Werewolf
Superb as always. But to be honest I don't feel the need of romance right now. Kyuki basically ye Veer ka heel turn hai to mujhe light romance bhi abhi ke liye sahi nahi lag rha. Brutality up to the mark chal rha hai pr agar thoda aur ruthless hota to maza ata. I feel even Trisha need to learn a lesson, she should know kaha pr hath nahi dalna chahiye . Trisha kuch zada interfere kr rhi hai jabki Veer ne uspe ehesan hi kiya hai . Well, Dhananjay Ke matter me mujhe aur brutality dekhni hai . I also noticed veer bech me torture krna enjoy bhi kr rha tha more like blood lust. Hope this doesn't take negative effects on Veer's relationship with his Family.
Great update. Isme sabse achha to mujhe Veer, Nidhi, Shreya aur Juhi ka scene laga.Update - 201 ~ From the shadows (1)
From the shadows ka meaning hai working from the shadows. Aur, ye Veer ke liye hi hai. But nahi, iska matlab ye nahi hai ki woh shadows se baahar aa chuka hai. You're saying the opposite. In fact, he's working from the shadows now.Great update. Isme sabse achha to mujhe Veer, Nidhi, Shreya aur Juhi ka scene laga.
Shru karte hain, sabse pehle title se. 'From the shadows' akhir kiske liye use kiya hai. Mere andaaz se Veer ke liye hi, jo ab shadows se bahar aa kar khul kar saamne aa raha hai. Apne dushmano ke liye hi nahi, balki apne pariwaar jano ke liye bhi, aur khaas kar Trisha ke dwara police ke liye bhi. Ho sakta hai jo uske dushman, khaas kar Damien aur Rebecca ke liye use kiya ho, par mere guess se nahi.
There's no need for him to go inside the lair. Generally, bade authority ke log aisi jagaho me pravesh nahi karte. Saara kam senior officers aur baaki officers hi dekhte hai. Agar, wahi andar ghus ke kaam karne lagega toh DGP ka kaam kaun karega?Rohan Disembowler ki lair ke andar nahi gaya, shayad wahan ki tasweeron ko dekh kar usko sab pata to chal hi gaya tha, phir bhi apne saath kaam karne walon ko motivate karne ke liye jana chahiye tha. Uske atirikt apni aankhon se dekhne ki baat kuch aur hi hoti hai. Shayad weh media walon ko sambhalne ke liye ruk gaya tha. Mere khayal se yeh lair natural hai, jisko Disemblower ne dhunda ho aur wahan par apni lab banayi ho.
Use pata hai ki kabhi na kabhi Trisha use bata hi degi. Aur, agar abhi wo nahi bata rahi hai toh koi reason hoga zaroor. He trusts Trisha.Yahan par mahatvapurna baat yeh hai ki Trisha ne Rohan ko Veer ke baare me nahi bataya. Rohan ki baat bhi manani padegi ki usne apni patni ki baat rakhne ke liye Trisha ke saath kaam karne walon par dabav nahi daala.
Nahi! Use abhi koi realisation nahi hua hai ki Veer ke peechhe Aatish, Slogan pade hue the. Crimson ko woh kaise jaan sakti hai bhala? Rahi baat Disembowler ki toh use bhi sabhi log serial killer ki drishti se dekhte hai, na ki Disembowler ke naam se. System holder ka concept unn sab se parey hai.Yeh to saaf hai ki Trisha ko Veer se sahanubhuti ho gayi hai, usne uski beti ko jo bachaya hai. Uske saath-saath yeh bhi ho sakta hai ki usko yeh realise hua ho ki Veer ke peeche Aatish, Slogan, Crimson aur ab Disembpwler jaise criminal pade hain, Veer ka koi dosh nahi hai aur use Veer ka saath dena chahiye. Ab bas Dhananjay ko Veer maar nahi de, nahi to weh police ki najron me aa jayega jahan se use nikalna kathin ho jayega.
Dhanyavad.Ab aate hain Veer ka Nidhi ke ghar me huyi baatien. Yeh jyadatar repetition hi hoga, phir bhi jo mujhe accha laga, weh dobara likh raha hoon, kyonki yeh itne sundar dhang se likha gaya tha, ki isko ek do lines me likh kar chhodna writer aur readers ke saath anyaya hoga.
Yes. I pay a lot of attention to the dialogue deliveries.<Kintu, Juhi ka yu Veer ko 'Papa' bulaane se, uski aankhein chand pal ke liye sikudi.>
Sab kuch jaan'ne ke baad bhi in chand palon ne Shreya ke mann ki vyatha vyakt kar di.
<Nidhi : Veer...! T-Tum... Aa gaye!?>
Yeh jabaan ka ladkhadana... in dots ne Nidhi ke mann ko itne acchi tarah se describe kar diya jo shabd nahi kar paate.
Shreya humesha se hi 'tum' kar ke baat karti aayi hai Veer se. I don't know if you remember or not but... Shreya Veer se badi hai umr me. You can go back to update 6. Jab Veer uss se pehli baar mila tha Nidhi ke ghar me, she was like 24. Aur, ab she's like 26 something. Wo Veer se 3-4 saal badi hai. Veer is 22 something.<Shreya : Itna pyaar karte ho Juhi se???
Veer : Haan!>
This was very sweet, no ifs and buts, just plain truth. Ek baat aur notice kari ki Shreya Veer se 'Tum' karke baat kar rahi hai. More than a friend.
Nidhi ek righteous woman hai. Toh wo wahi karti hai jo use sahi lagta hai. Ye ek reason aur hai ki wo kyu Veer ko itni jaldi accept nahi kar paa rahi. Kyunki, use pata hai ki ye sab galat hai.<Nidhi : Kuchh important cheezein ab mein nahi bhoolti.>
Yeh kahna, aur phir sharma ke palat jana, saaf hai ki ab Veer Nidhi ke liye khaas hai. Tha to pehle bhi, lekin ab weh isko accept karne lagi hai.
<Juhi : Mumma Juhi ke baal banaati hai toh... toh, Juhi Papa ke banayegi.>
Isme ek close knit family ki mahak aa rahi hai.
<Nidhi : Hazaar baar karungi.>
No regrets. Why, iska uttar jaan kar bhi Ndhi ke pass nahi. Waise usne utter bhi diya ki yeh usko sahi lagta hai.
Nidhi har baar ki tarah hesitant hi thi. But at least this time she was trying to fight it.Chalo, kisi ko to yeh NIdhi ko batana tha, Juhi ke munh se sun kar accha laga.
<Veer : Jab karwaana ho toh mujhe bula lijiyega.>
Yeh nahi kaha, main karva deta hoon. So natural and sweet. No show off.
<[Oh! Someone's jelly...!]>
Haan, aakhir Pari kyon peeche rehti, usne bhi maze le liye. Ab phir chai ka alag taste, ya aur bhi, Shreya ke jalne ki badbu to saaf aa rahi hai.
<Juhi : Aap ped ho!!!
Shreya (yells) : Kyaaaaaaa????
Veer (laughs) : AHAHAHAHAHA!!!!>
Hahaha... laughter at its best, so innocent, so sweet... so pure...
<Juhi : Date pe? Mumma date pe kaise jaa sakte hai?? Usko to likhte hai na?>
Too good.
<Nidhi : P-Par, fir bhi- Y-Ye nahi->
Yahan bhi ownership ki baat hai, Veer ko kaun own karta hai.
Exactly.<Veer ka haath achanak Nidhi ke haath ke upar aaya, toh bechari Nidhi jhatka kha kar reh gayi. Nazrein mili. Aur, saansein tez ho gayi. Lekin, iss baar-
Nidhi ne apna haath nahi hataaya.>
First sign pf surrender.
It depends. Jald hi love triangle aur bhi tight hota jaayega. Tab kya karegi Shreya?<'I-It can't be...!!!!?'>
First sign of doubt. Shreya ka character abhi tak bahut sundar dikhaya hai, hopefully aage bhi aisa hi rahega. She really loves her sister and niece.
Yeh pura scene itna emotional aur sundar tarah se likha tha, hats off to you.
Pushpendra? Woh toh Suman ka dusra pati raha. Yaha Dhananjay ke liye jaa rahe hai Trisha aur Veer.Ab dekhte hain ki kaise pehle Veer Pushpendra ki gutthi ko suljata hai aur phir kaise Damien ke paas pahunchta hai. Aur uske baad master mind Rebecca ko link karta hai kyonki Damien sab Rebecca ke aadesh par hi kar raha tha.
Kaera Sonia Suhana Karan sab apne apne ghar me hi hai. Unhe bhj dikhaya jaayega. Lekin, abhi nahi dikha sakte. Abhi saare scenes bandhe hue hai. Rahi baat Garofano aur baakiyo ki toh woh sab hotel me thehre hai.Arre, kaera kahan reh gayi. She is another person who can change Veer back to his original self. Aur Veer ke system friends ka kya hua. Garifano ne hi Veer ko sari leads di hain, shayad Dhananjay ke baare me bhi.