- 16,278
- 109,939
- 259
Last edited:
Click anywhere to continue browsing...
Nice update bhaiUpdate - 3 ~ A Full Fledged Plan
Ab tak...
Brijesh (zorr se) : Ab khade khade intezaar kya kar rahe ho? Aage badho aur apne Dada jii ko tohfa do.
Manorath : Aao Veer!
Aur apne Dada jii ki sahuliyat se Veer aage badhte hue apne Dada jii ko gift dene jaane laga.
Ab aage...
Veer ke Dada jii, Manorath uss par kayi hadd tak bharosa karte the. Kyuki jitni bhi shikaayat wo sunte aa rahe the, unhone aaj tak Veer ko kabhi apni aankho se koi galat kaam karte nahi dekha tha. Aur aaj ye pehli baar nahi tha jab Pranjal ke muh se unhone Veer ki ghatna ke baare me suna tha.
Ye toh saalo se chala aa raha tha. Koi na koi aake Manorath ke saamne Veer ke karmo ki shikaayat karta tha aur Veer keval sar jhukae khada rehta tha. Veer virodh kiya karta tha par uske paas apni baat ko sahi saabit karne ka koi proof nahi rehta tha. Aur isliye ab usne virodh karna bhi chorr diya tha.
Aaj bhi kuch aisa hi tha. Veer ke paas koi saboot nahi tha apni begunaahi saabit karne ka. Aur kya kehta woh? Kon uski baato ka yakeen karta?
Pichle kayi saalo se jo image uski ghar me bani hui thi, uske chalte toh koi uss par reham bhi nahi khaata tha.
Jab Veer apne haatho me wo flower vase lete hue aage badha tabhi achaanak se pata nahi kya hua uska perr fisla aur wo buri tarah saamne ki orr jaa gira.
*Crash*
Flower vase uske haatho se chhuth kar gol ghumte hue ek tezz shor karte hue neeche jaa gira aur ek hi jhatke me wo sundar sa vase dherr saare tukdo me bikhar gaya.
"Aaaaaaaaaaa," Waha baithi mahilae aur ladkiyo ke muh se kuch aisi hi hairaani bhari awaaz nikli.
Aur fir ek shaanti sii chhaa gayi.
Sab ki aankhein phati ki phati reh gayi. Sabhi Veer ko aise dekh rahe the jese maano usne kisi ka khoon kar diya ho.
Dekhe bhi kyu na, akhir wo flower vase itna keemti jo tha. Manorath ko shuru se hi paudhe aur flower vases ka boht shauk tha, yahi kaaran tha ki unke ghar me ek alag se garden bhi tha.
Iss waqt Veer ki haalat kharab thi. Usne khud apne Dada jii ke liye ek flower vase chunn ke rakha hua tha jisse wo baad me unhe dene waala tha. Iss vase ke saamne uska vase toh kuch bhi nahi tha. Par ab kya? Ab toh wo vase uske haatho toot chuka tha.
Bas! Brijesh jo apna gussa pehle hi badi mushqil se control kiye hue tha wo uth khada hua aur chillaaya.
Brijesh : Haram khor! Tujhe pata hai wo tohfa kitna mehnga tha?
Apne Dad ki garajti awaaz sunn ek baar fir wo sihar utha. Brijesh usse aag babula hoke khaa jaane wali nazro se ghur raha tha.
Manorath : Brijeesshhhh!!!
Brijesh : Papa jii... Aap... Aap jaante hai ye tohfa kitne ka tha? Ye flower vase 3 lakh ka tha. Mene khud import karwaya tha China se isse aapke liye... Aur iss bewakoof ne...
Vase ki keemat sunte hi waha khade logo ko jese ek bada jhatka laga. 3 lakh unn sabke saamne yu barbaad hoke bikhar ke jo pade hue the.
Sabse zyaada haalat toh Veer ki kharaab thi. Uski samajh nahi aa raha tha wo kare kya.
Brijesh se ab raha na gaya, wo wese hi kayi saalo se Veer se pareshaan tha. Veer uski harr umeedo par paani ferr deta tha.
Veer ki taraf tezz kadmo ke saath jaate hue wo usse ek zorrdaar thappad maarne hi wala tha ki...
Manorath : Brijeessshhh!!
Brijesh : Par Papa jii...
Manorath : Aaj mera janmdin hai. Aur mere janmdin ke din tum aisa suluk karoge toh matlab hi kya. Jo hua usse ek galti maan ke aage badho. Vase kitna hi mehnga kyu na ho, wo toh ab toot chuka hai. Ab uske peeche rone ka koi fayda nahi. Rahi baat paiso ki toh iske paise mein de dunga.
Brijesh : Ye aap kesi baatein kar rahe ho Papa jii? Aapka janmdin hai. Mein bhala aap se paise kyu lunga?
Manorath ki baat sunn Brijesh ne apne haath rok liye par uska gussa abhi tak kam nahi hua tha.
Pranjal : Dada jii, mene Veer se kaha tha baahar hi ki apne shoes utaar de kyuki baarish se geele ho chuke hai. Par Veer ne meri suni hi nahi. Bola ki maids toh ghar me lagi hi hai, wo kis kaam aaengi?
Aur uski baat sunn sabhi ki nazre Veer ke perro par gayi jo geele jute pehna hua tha aur farsh ko ganda kar raha tha.
Aur ye dekh Brijesh aur krodhit ho gaya. Tabhi Veer ki stepmom Shweta uth khadi huyi.
Shweta : Veer din ba din laaparwaah hota jaa raha hai.
Pranjal : Veer! Apne jute utaaro, idhar aao ye sleepers pehn lo aur ab galti ho gayi toh ho gayi. Ye dekho bhagwaan ka prasaad rakha hua hai. Dada jii ko ye prasaad do aur unse maafi maang lo.
Pranjal usse haath pakad ke uske jute utarwaata hai aur usse wahi Dada jii ke paas rakhi ek sleepers ko pehna deta hai. Pranjal ne wahi table pe rakhe hue dahi shakkar jo ki bhagwaan ko chadhaaya gaya tha usse katori me laake Veer ko thama diya.
Pranjal : Jao Veer! Dada jii ko prasaad do aur maafi maango.
Veer bechaara itna seham gaya tha aaj ki ghatnao se. Aaj uski zindagi ka sabse manhoos aur bura din tha.
Veer ne prasaad ki katori haath me thaami aur wo aage badha hi tha ki firse uska perr na jaane kese fisla aur prasaad ki katori uske haath se chhatak kar seedhe uske Dada jii ki orr jaa giri.
Aur saara ka saara prasaad uske Dada jii ke kapdo par jaa gira.
Bas! Brijesh ka jo gussa abhi apni limit par tha, wo cross ho gaya. Wo aage badha aur...
*Chataak* *Chataak* *Chataak*
Thappado ki jhadi laga dii aur Veer ke gaalo par raseed raseed ke maarte gaya.
Thappado ki goonj se Kavya sehamte hue sab kuch dekh rahi thi. Usse waqai Veer pe taras aa raha tha. Arohi bhi bauhe sikodti hui saamne ho rahe drashya ko dekh rahi thi.
Wahi Pranjal aur Vivek khushi se fule nahi sama rahe the.
Vivek (khuspusaate hue) : Yahi hai wo grand show... Haha!
Ragini : Ohhh! Toh tum iski baat kar rahe the. Par... Par ye kuch zyaada nahi ho gaya?
Vivek : Hmph! Zyaada kaha ye toh abhi bhi kam hai.
Ragini : Aur ye idea kis ka tha?
Vivek (smiles) : Chote ka...
Ragini (hairaani me) : Pranjal ka??? Devar jii kuch zyaada hi chatur ho rahe hai aaj kal...
Idhar thappado se Veer ke gaal laal ho chale the.
Brijesh (gusse me) : Tu jaanta hai aaj tune kya kiya hai? Haram khor!!! Wo prasaad hamaare kul ki devi ka tha. Aur tune usse zameen pe gira diya? Aur wo bhi Papa jii ke upar? Naye kapde bhi kharaab kar diye tune unke... 3 lakh ke tohfe ka chuna laga diya... Roz roz tere haath se kuch na kuch gadbad hoti hi hai. Beta nahi panauti hai tu... Mein kehta hu nikal jaa... Nikal jaa issi waqt ghar se... Aur ahinda se iss ghar me qadam bhi mat rakhna...
Aur Brijesh usko haatho se pakad ke ghaseet ke baahar le gaya aur zorr se dhakka dete hue usse darwaaze ke baahar fek diya.
Ghar me maujood sabhi log darwaaze ki orr tezz kadmo ke saath aae siwae Manorath ke...
Aaj tak Devi ke prasaad ka aisa apmaan unke kul me kisi ne bhi nahi kiya tha. Manorath khud abhi iss waqt atyant dukh aur gusse me tha. Issi kaaran usne Brijesh ko bhi iss baar nahi toka.
Aur wo wahi baitha hua chup chaap apne hi mann me Devi se shama maangne laga.
Brijesh : Nikal jaa! Nikal jaa iss ghar se... Aaj se tera aur mera koi sambandh nahi. Marr gaya aaj se tu mere liye... Mera koi beta nahi hai. Khabardaar yadi tune iss ghar me dubaara kadam bhi rakha toh...
Veer kaapte hue sab kuch apni aankho se dekh raha tha, ye pal bhar me kya se kya ho gaya. Aaj kyu uske saath ye sab hua?
Veer ki sauteli Maa, Shweta saamne ke nazaare ko badi hi khushi se dekh rahi thi. Uski mann ki muraad poori jo ho gayi thi. Ab uski beti hi jaydaad ki maalkin banegi. Yahi sochte hue wo apni beti ki orr mudi toh dekha ki uski beti, Bhumika ke chehre par koi expression nahi the. Aur ye jaan kar Shweta ko khushi hui. Ki uski beti ke mann me bhi Veer ke prati koi bhaav nahi hai.
Veer ke aasu uski aankho se lagataar bahe jaa rahe the. Par wo kuch nahi bola.
Wo chup chaap utha aur baahar ki orr chal diya. Usne apne jeb me se gaadi ki chaavi nikaali aur wo gaadi on karne hi waala tha ki peeche se Brijesh ki awaaz aayi.
Brijesh : Ye gaadi teri nahi hai...
Aur Veer chaavi ko gaadi me lage hi chorr kar ghar se baahar nikal aaya.
Usne ek jhalak peeche mud ke dekha. Shweta aur Bhumika usse bina koi bhaav ke dekh rahi thi. Brijesh ki aankho me bhayaanak gussa nazar aa raha tha. Wahi uske Karunesh chacha bhi usse bina koi bhaav ke dekh rahe the.
Uski Sumitra chachi thoda chintit zaroor prateet ho rahi thi.
Vivek aur Pranjal ke chehro par halki khushi nazar aa rahi thi. Ragini aur Arohi bauhe sikode jese kisi soch me doobi hui thi. Jab uski nazar Kavya par gayi toh Kavya ne sehamte hue sar jhuka liya.
Bas! Uske baad Veer palat ke ghar se dur jaane laga. Ghar ke security guards bhi Veer ko jaata hua dekh rahe the.
Achanak baadal garje aur baarish firse shuru ho gayi.
Par Veer na ruka. Aur kuch hi palo me wo apne gharwaalo ki nazro se ojhal ho chuka tha.
Iss waqt Veer ko baarish acchi lag rahi thi. Usse apni lag rahi thi. Jab Ajay se maar khaate waqt wo ghar laut raha tha tab bhi baarish ne uska saath diya tha. Aur abhi jaha uske ghar waalo ne usse ghar se nikaal ke usse akela chhorr diya tab bhi baarish uska saath de rahi thi.
Uske saath saath mausam bhi yu ro raha tha. Veer bina koi awaaz kiye rote rote bas chalta jaa raha tha.
Usne apne seene par latka pendant apne haatho me thaam liya. Ek bada hi pyaara sa pendant tha, ekdum alag type ka.
Usse bheenchte hue Veer ke aasu aur tezzi se behne lage. Ye woh pendant tha jo uski asli Maa ne usse pehnaaya tha.
Veer ko apni asli Maa ke baare me kuch bhi nahi pata tha. Bas itna pata tha ki uss Maa ne usse janm diya hai. Jab bhi wo Brijesh se apni Maa ke baare me puchta tha toh Brijesh bas ek hi baat bolta~ "Naam mat lo uss kameeni aurat ka..."
Uski Maa ka naam tha Bhawana. Veer ke janm ke ek saal baad hi dono ke beech talaak ho gaya aur Bhawana ghar se chali gayi thi.
Kaha gayi woh, kis haal me hogi abhi, zinda bhi hai ya nahi uski Maa usse kuch nahi pata tha. Yaha tak ki uski Maa ka naam bhi uske Dada jii ne usse bataya tha. Na hi uss aurat ko lekar ghar me charcha hoti thi na hi koi uske baare me koi topic chedhta tha.
Veer ko toh ye bhi nahi pata tha ki uski Maa kesi dikhti thi. Koi bhi photo album nahi tha, uski Maa se judi koi bhi cheez nahi thi ghar me.
Baarish ke kaaran sadko par abhi gaadiya bhi kam chalti hui nazar aa rahi thi. Usse nahi pata tha wo kaha jaa raha hai. Jab tak uske perr chal rahe the wo bas chalta jaa raha tha. Usse apni sagi Maa ki yaad aane lagi. Yadi wo yaha hoti abhi toh uski Maa uske saath kesa vyavhaar karti? Kya usse pyaar deti? Ya fir Brijesh ki hi tarah wo bhi...!?
Paani se bheega hua Veer main road par aa chuka tha, abhi wo mudne hi waala tha ki ekdum se ek car mod se aayi aur Veer ne palat ke car ko dekha.
Par tab tak boht derr ho chuki thi.
Car ka agla hissa uski pasli se takraaya aur thokar hote hi wo zorr se jaate hue dur gir pada.
"Ohhhh! Noooo...." Car me baithe ek aadmi ke muh se nikla.
Car ko jhatka lagte hi peeche baithi ek ladki forun hi aage ki seat se jaa bhidi, "Aaaahhhh!"
Aadmi : Madam aap theek toh hai na?
Ladki (sar malte hue) : Haa! Mein... Mein thik hu.
Fir jese hi uss ladki ne saamne dekha toh uski maano saasein hi atak gayi. Saamne ek ladka zameen par dala hua tha aur usse samajhne me derr na lagi ki abhi abhi uski car kis se takraayi thi.
Wo ladka waha baarish me car se bhid ke pada bheeg raha tha.
Ladki (ghabraate hue) : Ye... Ye....
Aadmi : Inn sab ka samay nahi hai Madam. Hume jald hi nikalna hoga.
Aur itna bol wo aadmi forun hi gaadi aage badhaane lagta hai.
Ladki (chillaate hue) : Ye kya bol rahe ho aap? Nahi... Hum aise usse chorr kar nahi jaa sakte...
Aadmi : Madam! Baat ko samajhiye... Iss waqt humaara yaha se nikalna boht zaroori hai.
Aur usne car ke accelerator par perr rakh car aage badha dii.
Ladki peeche mud window se uss ladke ko dekh rahi thi, uska nichla honth daato tale zorr se daba hua tha ki maano khoon hi nikal aae. Aankho me halke aasu bhi aa chuke the.
"I'm sorry..." Usne mann me kaha.
Aur wo car palak jhapakte hi logo ki nazro se ojhal ho gayi.
Idhar accident dekh aas paas ke jo bhi log dukaan ke neeche baarish se bachne ke liye khade hue the wo daudte hue aae aur Veer ko uthaane lage.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Do leave a like!
Finally ab maza ayega bhaiUpdate - 4 ~ In the Hospital
Ab tak...
Ladki peeche mud window se uss ladke ko dekh rahi thi, uska nichla honth daato tale zorr se daba hua tha ki maano khoon hi nikal aae. Aankho me halke aasu bhi aa chuke the.
"I'm sorry..." Usne mann me kaha.
Aur wo car palak jhapakte hi logo ki nazro se ojhal ho gayi.
Idhar accident dekh aas paas ke jo bhi log dukaan ke neeche baarish se bachne ke liye khade hue the wo daudte hue aae aur Veer ko uthaane lage.
Ab aage...
"Arre... Arre... Uthao... Uthao..."
"Jaldi... Jaldi..."
"Car wala madarchod bhaag gaya..."
"Uthwao bhailog..."
Aur waha maujood log forun hi Veer ke paas aake usse uthaane lage. Bina baarish ki parvaah kiye.
Yadi uske parivaar waale hote toh kya woh usse iss waqt uthaate?
Shayad haa? Ya shayad nahi!?
"Arre isse toh boht zyaada chot aayi hai, khoon beh raha hai kaafi, jaldi ambulance ko call karo koi..."
Waha khade ek aadmi ne chillaaya toh agle ne forun hi 108 dial karte hue ambulance bulwa lii.
Abhi wo log savdhaani se Veer ko utha hi rahe the ki itne me ussi mod se ek aur car aayi par bheed ke kaaran uss car ko rukna pada.
Car waale ne jab horn maari toh usse itni gaaliya padi ki usse na chaahte hue bhi rukna pada.
"Dhatttt behanchod!! Iski maa ki aankh..." Car waale ne steering pe zorr se haath maarte hue chillaaya.
Dusra aadmi : Ab kuch nahi ho sakta... Car ghuma lo...
Pehla aadmi : Boss ko pata chala toh woh hamaari gardan na udaa de...
Dusra aadmi : Mein Boss ko samjha dunga... Tum car ghuma lo...
Pehla aadmi : Thik hai.
Aur wo car reverse karke waha se nikal gaye.
Idhar log Veer ko utha ke ek shop ke neeche lita ke uski choto par rumaal ya kapda baandh ke jese tese khoon rokne ki koshish kar rahe the.
Kuch derr me hi ambulance aayi aur Veer ko leke hospital ki orr chali gayi.
***
Veer ke ghar me...
Sabhi log iss waqt Manorath ke kamre me maujood the. Manorath apne bistar par baitha hua tha toh wahi baaki sabhi khade hue usse hi dekh rahe the.
Manorath : Aaj tak prasaad ka aisa apmaan hamaare ghar me kisi ne bhi nahi kiya.
Pranjal : Dada jii! Veer ko waqai aisa nahi karna tha.
Kavya : Par... Dada jii! Wo toh... Unhone jaan bujh ke nahi kiya hoga...
Pranjal : Kavya? Ye tum kya keh rahi ho? Pehli baar maante hai ki uska perr fisal gaya aur wo vase toot gaya par dusri baar bhi?
Pranjal ki baat sunn bechaari Kavya kuch virodh hi na kar paayi aur sar jhuka lii.
Sumitra : Jeth jii... Aapko aise... Veer ko ghar se nahi nikaalna tha.
Brijesh : Mene jo bhi kiya hai boht soch samajh ke kiya hai. Mein ye kadam pehle hi uthaane waala tha par hamesha Papa jii ke kaaran ruk jaata tha. Lekin aaj toh usne hadd hi paar kar dii. Akhir uss kameeni ki kokh se jo paida hua hai, aisa hi hona tha... Mere toh ek bhi gud nahi hai usme...
Manorath : Wo jaisa bhi hai iss parivar ka hissa hai. Usse jaake wapas le aao. Abhi zyada dur nahi gaya hoga.
Brijesh : Bilkul bhi nahi Papa jii. Mene aapko pehle bhi bol ke rakha hai. Ki jis din ye apni hadd paar karega uss din mein isse ghar se nikaal dunga. Aur aaj yahi hua hai... Ab mein usse iss ghar me ghusne tak nahi dunga... Aap apna faisla sunaaiye Papa jii...
Manorath : Toh tum log usse wapas nahi laoge?
Brijesh : Bilkul bhi nahi...
Manorath : Toh fir mera bhi yahi faisla hai. Zameen aur jaydaad kisko milegi ye bhi tab hi nirnay hoga jab parivaar ka harr ek sadasya ghar me maujood hoga.
Brijesh : Papa jii!??
Vivek : Dada jii!? Ye aap...!?
Manorath ke faisle se maano sabko ek jhatka sa laga. Jiss pal ke liye wo sabhi bekaraar the ki akhir kisko zameen aur jaydaad dii jaegi wo pal toh aaya hi nahi. Ulta ab jab tak ghar me Veer nahi aa jaata tab tak faisla tal chuka tha.
Manorath ke paas dherr saari zameen thi jiski keemat crores me thi aur jaydaad bhi. Aur ye sab kuch ghar ke ussi sadasya ko milne waala tha jo Manorath ki aankho me iske liye sahi tha.
Uske 2 petrol pump bhi rahe jo usne apne beto ko de diye the. Ek petrol pump ka maalik jaha Brijesh tha toh wahi dusre ka maalik Karunesh.
Karunesh ne dimaag se paisa kamaate hue apne bete Vivek ki upar lagaya aur aaj Vivek ki khud ki ek automobiles ki company thi. Bhale hi worldwide nahi thi abhi par uska business zorro shoro se chal raha tha.
Karunesh ki badi beti Arohi aur choti beti Kavya, Veer ke hi college me thi aur wo dono bhi B.Tech kar rahi thi. Jaha Arohi aur Veer ki branch same thi ~ IT.
Wahi Kavya CS branch se belong karti thi.
Pranjal bhi same college me tha par wo B.com kar raha tha. Uski building alag thi par saari buildings saath me hi thi, jis kaaran wo break ke time Arohi aur Kavya se milne jaata rehta tha.
Karunesh ko apne bete betiyo ki koi chinta nahi thi.
Par Brijesh ka aisa nahi tha. Brijesh ko bhi ek petrol pump diya gaya tha Manorath dwaara. Usne bhi dimaag se apni ek luxury hotel khulwaayi jo sheher me kaafi mashoor thi. Jaha wo petrol pump sambhaalta tha toh wahi uski hotel uski dusri patni Shweta sambhaalti thi.
Shweta ke hi saath uski beti, Bhumika bhi uska saath deti thi.
Aur aaj yahi faisla liya jaane wala tha ki kisko zameen aur jaydaad milegi.
Par sab kuch dhara ka dhara reh gaya.
Manorath : Mera faisla saaf hai. Jao aur mujhe akela chorr do abhi.
Vivek : Par Dada jii...
Manorath : Mene kaha jao... Aur Brijesh... Yadi tum Veer ko wapas nahi laane waale toh mujhe uske baare me harr cheez batao... Iss waqt kaha hai woh... Kiske ghar theher raha hai? Wo mera pota hai. Mein jaan'na chaahta hu wo sahi salaamat hai ya nahi?
Brijesh : Thik...
Aur ghar ke mukhiya ki awaaz sunn sabhi bemann waha se nikal gaye.
Idhar kamre me aate hi Vivek Pranjal pe toot pada.
Vivek : Chote ye kya kar diya tune? Ye daav toh ulta hi pad gaya. Dada jii ne toh faisla hi taal diya. Ab jab tak wo Veer nahi aa jaata tab tak Dada jii koi faisla nahi sunaenge.
Pranjal : Bhaiya! Ab mujhe kya pata tha aisa ho jaega? Mene toh yahi socha tha aaj Veer ko Dada ji ki nazro me gira dunga toh Dada jii uska naam lenge hi nahi. Par mujhe nahi pata tha Tau jii usse ghar se baahar hi nikaal denge.
Ragini : Mene kaha tha ye kuch zyada hi ho gaya hai.
Pranjal : Aap log tension mat lo. Hum log kese bhi karke Dada jii ko mana lenge aur wo jald hi faisla le lenge. Filhaal ek musibat toh gayi.
Vivek : Hmm!! Par chote tune wo sab kiya kese?
Vivek ke sawaal karne par Pranjal ne muskuraate hue jeb se kuch nikaala aur unn dono ko dikhaya.
Pranjal : Haha! Bhaiya! Saara kamaal iska hai.
Vivek (hairaani me) : Ye toh... Ye toh... Ye toh tufoil hai chote...
Pranjal : Haha! Haa bhaiya! Aapke hi yaha se laaya hu.
Tufoil ek aisa slippery oil jisse automobiles me use kiya jaata hai. Na keval ye automobiles ke liye balki ye apni slipness ke liye bhi jaana jaata hai.
Pranjal : Ye mene floor par daal diya tha. Aur mein Veer ko wahi se le gaya jaha ye oil mene daala tha. Bas! Fir kya tha, uska geela joota jese hi uspe pada, Veer fisla aur vase seedha neeche... Hahaha!
Ragini : Par wo prasaad ka kya?
Pranjal : Bhabhi! Wo bhi iska hi kamaal hai. Mene sleepers ke neeche bhi isse laga ke rakha hua tha.
Ragini (smiles) : Waah! Maan gaye tumhe bhi. Par wo chot ka kya jo Veer ko pehle se hi lagi hui thi?
Pranjal : Wo bhi mere kehne par hau tha Bhabhi. Mere kayi chelo me se ek hai wo Ajay. Mene usko keh ke rakha tha ki aaj pehla din hai toh koi bhi bahana bana ke aaj jamm ke thukaayi kar dena uss Veer ki... Aur usne yahi kiya hahahaha!
Vivek : Par chote, wo oil zameen par nazar kyu nahi aaya?
Pranjal : Kese aaega Bhaiya? Mene usse carpet ke ekdum bagal se giraaya tha hahaha!
Aur uske saath hi Vivek bhi hassne laga. Ragini muskuraate hue dono ko dekh rahi thi. Jaha ye jashn mana rahe the toh wahi koi aur tha jo iss waqt apni saaso se ladd raha tha.
***
Hospital...
Nurse : Iski haalat boht critical hai Doctor.
Doctor : I know... Humse jo bann padega hum karenge.
Nurse : Jii! But iski family...!? Iska mobile toh kaam hi nahi kar raha hai.
Doctor : Mene ward boy ko bola hai wo iske phone ki SIM apne phone me daalke iske ghar waalo ko call karega.
Nurse : Hmm!!
Aur Veer ka treatment shuru ho chuka tha.
Ward boy ne jab Veer ki SIM daal ke Brijesh ko call kiya toh Brijesh ne ye soch ke call nahi uthaya ki zaroor Veer ne paise maangne ke liye phone kiya hoga aur gusse me usne apna phone hi band kar diya.
Ward boy ne jab Sumitra ko call kiya toh call lag hi nahi raha tha. Kese lagta? Pranjal ne apni maa ke phone me Veer ka number block jo kar ke rakha tha.
Fir usne akhiri number jo ki Kavya ka tha usse call kiya.
Idhar iss waqt Kavya Arohi aur Pranjal ke saath hi baithi hui thi. Number dekhte hi Kavya soch me pad gayi.
'Veer Bhaiya mujhe kyu call kar rahe hai?? Phone utha lu? Thik hai utha leti hu.'
Par iske pehle ki wo phone utha paati, Pranjal ne uska phone chhina liya.
Pranjal : Zara dekho toh... Veer ab hamari Kavya ko phone laga raha hai. Kyu Kavya?
Kavya : Phone dijiye Bhaiya.
Pranjal : Nahi! Zaroor ab apni pyari behan se paise maangne ke liye phone kar raha hoga. Kyuki baahar ab usse paiso ki zaroorat toh padegi hi...
Aur usne forun hi phone kaat ke uska number hi block kar diya.
Pranjal : Ab tumhe disturbance nahi hoga behan hahaha!
Kavya : Hmm?
Pranjal : Accha wo sab chorro, chalo hum sab pizza mangwaate hai.
Kavya : Mera mann nahi hai Bhaiya aap hi khao. Aaj Veer Bhaiya ke saath itna sab kuch ho gaya aur aapko pizza ki padi hai?
Pranjal : Arre ye kya baat hui yaar. Kavya tum ab bhi usse apna bhai maanti ho? Wo bhai kehne laayak nahi hai Kavya. Kherr chorro! Arohi didi aap toh khaogi na?
Arohi : Nahi!
Pranjal : Thik hai toh mein hi mangwa leta hu...
Aur wo waha se chala jaata hai.
Kavya apna phone liye sochti rehti hai ki akhir Veer ne usse kyu call lagaya hoga. Wo sochti hai ki agli baar yadi phone aaya toh woh zaroor uthaegi. Par usse kya pata tha ki Pranjal ne Veer ka number hi block kar diya tha.
***
Idhar hospital me ek ward me ek ladki apni Maa ke paas baithi hui thi...
Ladki : Maa! Ab mein chalti hu... Tum dhyaan rakhna theek!
Aurat : Haa beta! Mujhe kya... Tumhaare Papa toh rahenge hi na mere saath. Ab tum jao... Raat ho rahi hai beta. Aur fir, Juhi akeli pados me zyada derr nahi reh paegi. Jaa beta...
Ladki : Jii Maa! Chalti hu. Tum dhyaan rakhna apna haa!? Koi bhi dikkat ho toh...
Aurat : Arre baba! Haa! Pata hai mujhe... Jaa ab tu...
Ladki : Thik!
Aur ladki apni Maa ke ward se baahar nikal aati hai.
Abhi wo aage badh ke nikalne hi wali thi ki usne dekha ki uski Maa ke bagal waale ward ke baahar doctor aur ward boy ke beech behas ho rahi thi jisse dekh wo rukk gayi.
Doctor : Dekho kese bhi karke iske parivaar walo ko inform karo.... Kese bhi karke...
Ward boy : Arre Sir! Kisi ne phone hi nahi uthaaya...
Doctor : Haa toh lagaate raho... Nahi toh fir police ko inform karo kyuki uske shareer pe maar peet ke bhi nishaan hai.
Inn dono ki behas chal rahi thi ki tabhi wo ladki jigyaasa purvak aage badhi aur usne ward me jhaank ke dekha, jab usne patient ka chehra dekha toh ekdum hi chaunk gayi aur uske muh se tezz swar me nikla, "Veeeeeeerr!????"
Doctor (palat'te hue) : Aap? Aap janti hai isse?
Ladki : Huh? Mein... Haa! Wo mera student hai. Mein usse pichle ek saal se jaanti hu.
Doctor : Bhagwaan ka shuqr hai chalo koi toh mila... Aapka shubh naam?
Ladki : Nidhi...
Doctor : Okay toh Nidhi jii... Aap idhar aaiye zara mere saath.
Kuch derr baad...
Nidhi Veer ke college me Maths padhaati thi. Aur iss saal wo Veer ki hi class ki classteacher thi.
Wo Veer ko jaanti bhi thi. Bhale hi Veer padhne me hoshiyaar nahi tha par Veer sabse shaant baccha tha uski class me. Aur ho bhi kyu na? Uske dost hi nahi the.
Aaj Nidhi apni Maa jinhe kal hi achanak minor heart attack aa gaya tha unhe hi dekhne ke liye hospital me aayi hui thi. Par ittefaaq se usse Veer bhi yahi mil gaya.
Veer ke liye saari kaagzi kaam Nidhi ne kiya aur yaha tak ki apne Pita jii se Nidhi ne Veer ke liye medical fees bhi advanced me kuch jama karwane ko keh diya.
Sab kuch itni jaldi hua ki Nidhi ki khud samajh me nahi aaya. Aur iss waqt wo ward ke darwaaze ki window glass se jhaakte hue Veer ko dekh rahi thi aur soch me padi hui thi.
'Ye achanak... Ye Veer haadse me kese...!? Aur iske Maa Baap phone kyu nahi utha rahe hai!? Kese Maa Baap hai? Mujhe kal jaake unse baat karni padegi.'
Nidhi ye soch hospital se nikal gayi.
Par uske jaate Veer ki haalat bigadna shuru ho gayi thi.
Nurse : Doctor...
Doctor : I know...
*Beep Beep Beep*
Uski heart beat bilkul band hone ki kagaar par aa chuki thi.
Ki tabhi achaanak se aisa kuch hua jiske chalte uski heartbeat waapas se normal ho gayi.
Doctor : Phew... He's out of danger now.
Aur kuch derr baad hi Doctors aur nurse Veer ki haalat stable roop me chorr ke baahar aa gaye.
Par kisi ko nahi pata tha...
Ki jab uski saasein jaane hi waali thi...
Tab uske andar ek awaaz gunji thi...
Jo kisi ko sunaayi nahi dii thi...
Aur wo awaaz ke bol the...
[System has been activated.]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Nice update bhaiUpdate - 5 ~ System Activation
Ab tak...
Par kisi ko nahi pata tha...
Ki jab uski saasein jaane hi waali thi...
Tab uske andar ek awaaz gunji thi...
Jo kisi ko sunaayi nahi dii thi...
Aur wo awaaz ke bol the...
[System has been activated.]
Ab aage...
Veer ke accident ke kuch ghanto baad hi jab Brijesh ka phone baja tha aur screen par Veer naam jab usne dekha tha toh pata nahi kyu Brijesh ne call nahi uthaaya.
Shayad kuch derr pehle usne khud hi apne bete ko dhakke maar ke ghar se baahar nikaala tha iss kaaran vash? Ya fir wo abhi Veer ke muh se koi bhi baat nahi sunn'na chaahta tha. Kuch tha jo usse rok raha tha Veer se baat karne ke liye.
Ki tabhi uske phone par firse call aaya par ye uske khud ke vyakti ka tha.
Brijesh : Hello?
Aadmi : Saahab! Veer jii ka car se accident hua hai. Abhi wo xxxxxxxxxx hospital me bharti hai.
Aur ye sunte hi Brijesh uth khada hua. Aur forun hi hospital ke liye jaane laga.
***
Agle din Kavya college me apni soch me ghum thi.
'Veer bhaiya ka call uske baad se aaya hi nahi. Kya karu? Call back karu? Iske pehle unhone kabhi mujhe call nahi kiya fir achanak kal kyu? Kahi koi dikkat toh nahi? Kal unke beech mein call na kar saki thi...'
Aur ye soch wo call lagaati hai par call nahi laga. Kese lagta? Ward boy ne Veer ki SIM waapas se uske phone me jo daal dii thi.
Ant me Kavya uske whtsapp par message daal deti hai ye puchne ki wo theek hai ya nahi?
Idhar Nidhi din me hi Veer ke ghar gayi thi taaki wo jaan sake ki kyu uske Maa Baap ne call nahi uthaaya tha.
Jab wo waha pohuchi aur jesa ravaiyaa usne dekha Brijesh, Shweta aur baaki ghar waalo ka Veer ke prati ye dekh ke usse itna gussa aaya ki wo khud ko control na kar saki.
Nidhi ek Maa bhi thi. Uski khud ki beti abhi choti thi aur aise me wo jaanti thi ki ek parent hona kya hota hai. Aise me jab usne Brijesh aur Shweta ka behaviour dekha toh bas wo bhadak uthi.
Nidhi : Kese Maa Baap ho aap log? Aapka Beta waha apni zindagi se ladd raha hai aur aap logo ko koi chinta hi nahi hai? Yaha tak ki aapne usse apne ghar se baahar hi nikaal diya!?
Brijesh : Dekhiye Madam! Veer ab iss parivaar ka hissa nahi hai. Rahi baat paise ki toh uske medical kharcho ki bharpayi mein kar chuka hu par iske baad ab wo jaane ki wo kaha rahega kese rahega... Aur aap hamare parivaarik maamlo se dur rahe toh hi accha hoga.
Nidhi : Bhul se bhi aise Maa Baap na de bhagwaan kisi ko...
Aur Nidhi apni namm aankhe liye waha se bhaag aayi. Usse Veer ke liye waqai boht bura lag raha tha. Kaha wo khud ko badqismat samajhti thi par ab Veer ko dekh usse mehsoos hua ki kam se kam usse Maa Baap ka pyaar toh mil raha tha par Veer ko toh wo bhi nahi mila...
Na jaane kya kya saha hoga uss bechaare ne ab tak?
Na jaane kese kese din bitaaye honge Veer ne unke beech rehke?
Idhar hospital me abhi shaam ke waqt Veer ko hosh aa chuka tha.
"Arrrghhh!" Ek karaah ke saath uski aankh khuli.
Aankho se dhundhlapan hata, saamne ka nazaara nazar aaya.
Usne dekha ki wo hospital me hai. Aankhein uski jal rahi thi. Usse sab kuch jese yaad aane laga...
Kya hua tha?
Haan! Aur kal ki saari vardaat flashback ki tarah uske dimaag me mandraane lagi.
Aur usne apna sar pakad liya...
Aankho se aasu behne lage...
Abhi wo soch hi raha tha ki itne me uske andar ek awaaz gunji jiske chalte uske raungte khade ho gaye.
[Sytem has been activated. You are now the owner of the system.]
Veer (ghabraate hue) : Huh? Kaun? Kaun hai?
Awaaz se maano Veer bechaara darr hi gaya. Usne apna sar idhar udhar hilaate hue dekha par wo awaaz kaha se aayi usse kuch bhi pata na chala.
[Name the System!!]
Veer (chillaate hue) : Kaun hai? Mein puchta hu kaun hai?
Aur firse ek awaaz uske dimaag me gunji...
[Analyzing Hindi language from owner's mind...
Processing...
Process completed.
Hindi Language has been recognised.]
Veer (chillaate hue) : Kaun hai? Saamne aao... Kiski awaaz hai ye jo mere sarr me gunj rahi hai...!?
Tabhi wahi awaaz firse uske mann me gunji...
Par iss baar uske bol alag bhaasha me the.
[Shaant! Mein System hu. Aur ab se tum mere master ho.]
Veer (darrte hue) : Kaun bol raha hai? Mujhe tum dikhayi kyu nahi de rahe?
[Mene kaha na Shaant! Mein ek system hu. Meri koi physical body nahi hai. Mein tumhare andar hu.]
Veer (ghabraate hue) : Me... Mere andar?
[Haa! Kya tumhe yaad hai kal tumhare saath kya hua tha? Tumhara accident hua tha. Aur tum marrte marrte bache ho tumhe pata hai? Yadi mene samay par madad na ki hoti toh tum zinda nahi bachte.]
Veer (chillaate hue) : Kesi madad? Tum mere andar kese ho? Baahar aao...
[Arre! Itni zorr se mat chillao. Andar mann me hi kaho jo kuch bhi kehna hai. Mein tumhaare mann, dil, dimag sab se judd chuki hu. Aur tumhare mann ki baat sunn sakti hu. Aise chillaoge toh log tumhe pagal samjhenge.]
Aur uss vichitr mann ki awaaz sunn Veer apne mann me hi baat karne laga.
Veer : Meri... Meri kuch samajh me nahi aa raha hai. Ye sab kya chal raha hai?
[I know! Abhi tumhe samajhne me time lagega. Bas itna samajh lo ki mein tumhe koi nuksaan nahi pohuchaane wali. Ulta mein tumhari madad ke liye yaha hu.]
Veer : Meri madad?
Veer ne kaapte hue pucha.
[Haa! Tumhari madad! Mein tumhari madad karungi. Hamesha tum apni kismat ko koste the na? Ab mein tumhara saath dungi aur tum apni kismat palat ke rakh doge.]
Veer : Wo... Wo kaise?
[Yahi toh mera kaam hai. Yadi mera istemaal sahi se kiya. Toh tum duniya par raaj kar sakte ho.]
Veer : Sach!?
[Ekdum sach.]
Veer : Toh kya tum ladki ho? Kyuki tumhari awaaz ladkiyo jesi hai.
[Nahi! Mein na hi ladki hu na hi ladka. Mein kisi bhi gender me apne aap ko dhaal sakti hu. Mene tumhaare mann me jhaank ke dekha toh pata chala tumhe ladkiya zyada pasand hai ladko ke muqaable isliye mene apni awaaz ladki ki rakhi hui hai.]
Veer (blush) : Huh? Obviously Mujhe ladkiya pasand hai. Ladke nahi. I'm not gay...
[Yadi kaho toh awaaz ladke ki rakh lu!?]
Veer : Huh? Nahi! Nahi! Aise hi theek hai.
[Hehehe~]
Veer : ..........
[Accha! Ab apni aankhein band karo aur mann me hi kaho ~ Status]
Veer (aankhein band karte hue) : Status!
Aur Veer ke itna kehte hi uske mann me ek window khul gayi,
[ Name - Veer
Age - 20
Status - Abandoned student.
Stats :
Strength - 3/100
Intelligence - 4/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 6/100
Talents - 0
Points - 0 ]
Ye sab dekh ke Veer ke hosh hi udd gaye.
[Baap re Baap! Tumhara toh boht bura haal hai. Itne bekaar stats mene kabhi nahi dekhe apne life cycle me. Ye kya? Zero talents? Baap re!!! Tum reh kese liye itne din? Hmm? Endurance bas zyada hai tumhara. Arre haa! Itni maar khaoge toh ye toh zaahir si hi baat hai. Hehehe~]
Veer : Udaa lo... Tum bhi mera mazaak uda lo... Ab toh mujhe aadat pad gayi hai.
[Hey! Hey! Sorry! But ab tension mat lo. Mein hu na. Mein tumhe dekhna kaha se kaha pohucha dungi.]
Veer : Aur tum aisa kyu karogi? Kya milega tumhe aisa karke?
[Mera kaam hi yahi hai. Mera kaam hai logo ko sabse sarvashreshth banaana.]
Veer : Toh tumne mujhe hi kyu chuna?
[Mene chuna nahi. Jab mein yaha se guzri toh tum hi paas me the aur mein tumhare shareer me pravesh kar gayi. Apne aap ko Lucky keh sakte ho tum.]
Veer (shocked) : Yaha se guzri matlab?
[Uss baare me mein zyaada baat nahi kar sakti.]
Veer : Toh? Toh Doctor ko pata nahi chala? Ki tum mere andar ho?
[Hahaha~ Doctor kya... Tumhaari Prithvi me rehne waala koi bhi vyakti ye nahi bata sakta ki tumhaare andar mein maujood hu.]
Aur ek aur jhatka Veer ko. Ye kya bala ghuss gayi achanak se uske andar aake?
Veer : Aur tumhe Hindi kese aati hai??
[Arre buddhu abhi toh bataya, mein tumhare mann, dimaag aur dil se jud chuki hu. Aur abhi abhi toh seekhi tumhaare dimaag se hi. Isliye jitni Hindi tumhe aati hai utni hi mujhe bhi.]
Veer : O... Okay!
[Par tumhaare stats boht hi bekaar hai. Mujhe khud taras aa raha hai dekh ke. Tumhe jald se jald apne stats badhaane honge.]
Veer : Ye? Ye stats kya hai?
[Ye tumhari asli shamtaaye hai. Tumhari strength 3 hai yaani ki jo taaqat hai tumhare andar usse yadi number se darshaaya jae toh woh 3 hai. Intelligence matlab tumhari buddhi, agility tumhari furti, endurance tumhari sehan-sheelta aur appearance tumhare physical features yaani ki chehra body haath perr ye sab.]
Veer : Aur mein inhe badha sakta hu? Toh mere asli shareer me badlaav aaenge?
[Haa!]
Veer (shocked) : Baap re! Aise me toh mein fir...
[Tabhi toh kaha ki ab mein tumhari kismat palat ke rakh dungi.]
Veer : Par wo points kese badhenge?
[Missions karke. Samay samay par tumhe missions milenge aur jese jese tum unhe complete karoge tumhe points milenge. Unn points se tum apne stats badha paoge aur saath hi saath nayi skills khareed paoge. Saath hi saath jitni uplabdhiya aur naam kamaoge tumhe points milte rahenge.]
Veer : Mein kuch samjha nahi...
[Hmm! Tumhara intelligence kam hai na isliye abhi sab kuch tumhare bheje ke upar se jaega. Bas itna samajh lo. Jese jese tum missions poore karte jaoge, mera level aur saath hi saath tumhaara level badhta jaega. Jiske chalte aur bhi anokhi skills unlock hoti jaengi. Dhyaan rahe! Yadi mission ko time limit me poora nahi kiya gaya. Toh tum hamesha hamesha ke liye mujhe kho doge.]
Veer : O... Okay!!
[Hmm! Ek aur akhiri baat. Kabhi bhi... Kabhi bhi ghamand mat karna. Jis din tumhe ghamand aana shuru hua, uss din se hi tumhara ant bhi shuru ho jaega.]
System ki baat sunn Veer ke raungte khade ho gaye. Apna thook nigalte hue usne firse kaha.
Veer : Mujhe ab bhi yakeen nahi ho raha ki duniya me aisi bhi koi cheez hoti hai.
[Duniya me aisi koi cheez nahi hai. Saari duniya me mein hi ek hu jo tumhare andar iss waqt maujood hu. Mein iss planet se nahi hu. Aur planet ke baahar kesi kesi cheeze maujood hai ye tum insaan soch bhi nahi sakte.]
Veer : .........
Iske pehle ki Veer kuch aage keh paata, Nidhi uske ward me aa gayi.
Darwaaze ki aahat se jab Veer ne palat ke dekha toh apni ma'am ko dekh kar chaunk gaya.
Veer : Ma'am!?
Nidhi : Ohh God!! Finally... Tumhe hosh aa gaya.
Aur Nidhi tezz kadmo ke saath aage aayi aur Veer ka haath thaam lii...
Veer (shocked) : Nidhi Ma'am aap yaha!?
Nidhi ne fir saari baat usse bata dii. Jab usse pata chala ki Brijesh ne uska call nahi uthaaya tha toh uske chehre par dard bhari muskuraahat aa gayi. Nidhi usse bechain bhari nazro se dekh rahi thi.
Veer : Aapne mere liye medical fees dii!?
Nidhi : Mene toh sirf advance diya tha baad me tumhaare Dad ne saari pay kii.
Kehte hue usne Veer ka haath ek baar fir thaam liya.
Nidhi (bauhe sikodte hue) : Tumhe... Tumhe bura lag raha hoga na? Tumhare Maa Baap tumhe dekhne tak nahi aaye. Jese maano unhe koi parvaah hi nahi hai tumhari.
Veer (smiles) : Isme koi nayi baat nahi hai Ma'am. Ye sab toh roz ka hai. I'm not surprised. Haha~
Uski wo fake hassi dekh pata nahi kyu, par Nidhi ko apne dil me atyant hi dard mehsoos hua. Aur usne Veer ka haath aur zorr se bheench liya.
Tabhi Veer ke andar firse awaaz gunji,
[Apne mann me kaho 'Check' aur fir iss aurat ki taraf dekho.]
System ki baat sunn Veer ne wesa hi kiya aur jese hi usne check kehte hue Nidhi ko dekha toh uske hosh hi udd gaye.
Nidhi ke sar ke upar hawa me ek window mandraa rahi thi jisme kuch shabd likhe hue the ~
[ Name - Nidhi
Age - 30
Status - Divorce pending.
Bio - Nidhi ki ek beti hai jiska naam hai Juhi. Saath hi ek beta hai jisse wo apne saath rakhna chaahti hai par uske Pati Rajat ne usse apne paas rakha hua hai. Rajat se uska rishta kharaab chal raha hai jiske chalte Nidhi akeli apni beti ke saath ek ghar me rent dete hue rehti hai kyuki wo apne mata pita par bojh nahi bann na chaahti. Uski Maa ko do din pehle hi dil ka daura pada tha aur wo bhi issi hospital me bharti hai. Nidhi ki life boht hi dukh aur pareshaniyo se bhari hui hai.
Favourability - 20
Relationship - Student - Teacher ]
Ye sab kuch Veer ko Nidhi ke sar ke upar nazar aa raha tha.
Veer (ghabraate hue) : Ye... Ye aapke sar pe...
Nidhi : Huh? Kya hua? Mere sar pe!?
[Arre Buddhu! Ye sirf tum dekh sakte ho? Baaki koi nahi.]
Veer : Nahi! Ma'am! Wo mein aise hi...
'Itna toh mein ek saal me nahi jaan paaya Ma'am ke baare me jitna abhi jaan gaya. Kya kamaal cheez hai ye.'
Usne mann me socha.
'System? Ye favourability 20 ka kya matlab hai?'
[Iska matlab hai ki wo tumhaare baare me kya sochti hai. Ek prakaar se uske mann me tumhare liye jo bhaav hai usko darshaata hai.]
'Toh ye 20 matlab?'
[Matlab ki abhi wo tumhare liye sirf 20 favourability rakhti hai. Jese jese tumhara aur uska relation accha hoega ye badhta jaega. Yadi ye 80 ke upar hai matlab ki koi tumhe chaahta hai. Yadi ye 90 ke upar hai matlab ki koi tumhe dil se pyaar karta hai. Aur yadi 100 hai matlab ki dil-o-jaan se pyaar karne waala vyakti.]
'Samjha!'
Nidhi : Veer? Kaha kho gaye?
Jab Nidhi ne chutki bajaate hue apna haath uske saamne hilaaya toh Veer jese apne khayaalo se baahar aaya.
Veer : Haa! Wo mein... Ma'am...
Nidhi (haath thaamte hue) : Just forget about everything Veer! Aur kuch mat socho. Bas tumhe jald se jald thik hona hai. Okay? And don't think tumhara koi nahi hai. I'm with you okay? Abhi tum rest karo ab. Mein ab kal shaam ko hi aaungi. Aaj mene wese hi leave lii thi. Roz nahi le sakti.
Veer : Jii ma'am! Thank you!
Nidhi : Thank you kesa isme...?? *Smiles* Take care okay?
Veer : Hmmm!
Aur Nidhi uske ward se chali gayi. Veer keval Nidhi ko jaate hue dekhta raha.
Nidhi 30 saal ki ek aisi husn ki mallika prateet hoti thi ki maano keher hi dhaa de. Par limited paiso aur din bhar ki mehnat aur thakaan ke chalte jaise uska husn poora khil ke nahi jhalak paa raha tha. Kyuki wo dhyaan hi nahi de paati thi apne upar.
Ye dekh Veer ko waqai taras aa raha tha uss par. Uski khud ki Maa yaha admit thi par uske bawajood Nidhi ne uski madad ki aur uske liye advance me paise bhi bharwae. Wahi dusri orr uske gharwale jo saari sampatti se sampann hai unhone ek shan bhi nahi socha ki wo jee raha hai ya marr raha hai.
*Ding*
Aur achaanak hi uske dimaag me ghanti baji aur uske saamne ek window khuli.
[Mission : Solve Nidhi's problem.
Reward : ?? points
Time limit : 1 year ]
'Huh? Mission?'
[Haa! Mission mil chuka hai tumhe.]
'Nidhi Ma'am ki problem? Konsi problem?'
[Ye toh tumhe khud dekhna padega.]
'O... Okay!'
[Ab tumhara safar shuru ho chuka hai. Ya toh tum yahi ke yahi reh jaoge ya meri madad paa ke ek Badshaah banoge. Toh bolo? Kesa jeevan chahiye? Ek aam aadmi ki tarah jesa ki tum abhi jee rahe the ya fir ek Badshaah ka?]
Sawaal sunn ke Veer ne socha hi nahi. Usse pata tha usse kya jawaab dena hai.
Veer (smiles) : Ek Baadshah!!!!
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Nice update bhaiUpdate - 6 ~ A New Home
Ab tak...
[Ab tumhara safar shuru ho chuka hai. Ya toh tum yahi ke yahi reh jaoge ya meri madad paa ke ek Badshaah banoge. Toh bolo? Kesa jeevan chahiye? Ek aam aadmi ki tarah jesa ki tum abhi jee rahe the ya fir ek Badshaah ka?]
Sawaal sunn ke Veer ne socha hi nahi. Usse pata tha usse kya jawaab dena hai.
Veer (smiles) : Ek Baadshah!!!!
Ab aage...
Kaafi din yu guzar chuke the. Aur aaj Veer ko hospital se leave milne waali thi. Aisa ek bhi din nahi tha jis din Nidhi usse dekhne na aayi ho. Aur aisa ek bhi din nahi tha jis din galti se bhi uske gharwalo me se koi usse dekhne aaya ho.
Kitni ajeeb baat thi.
Par thi toh sacchi baat.
Ghar me asal me Brijesh ne kuch nahi bataya tha. Veer ke accident ki baat keval Brijesh aur uski sauteli maa Shweta ko hi pata thi.
Jab Manorath ne Veer ke baare me dubaara pucha toh Brijesh ne jhuth bol ye keh diya ki Veer apne dost ke ghar me thehra hua hai.
Par aisa toh bilkul bhi nahi tha. Kyuki uska koi dost hi nahi tha.
Yaha inn kuch dino me Veer ne System ke baare me badi hi bareeki se jaana.
Usse pata chala ki jese jese wo missions complete karega ya uplabdhiya haasil karega ya izzat kamaega, apna fame badhaega wese wese usse Experience milega.
Aur yahi Experience jab ikhatta hota jaega wese wese hi uske System ka level badhta jaega.
System se usse free me 10 points bhi mile the jo System ne usse uske owner bann'ne ke liye gift ke roop me diye the. Aur Veer ab issi soch me tha ki kis stat me wo points add kare.
'Mein strength me add karta hu. Sahi rahega na?'
[Mein tumhe suggest karungi ki pehle tum apna ye bheja sahi karo. Ahem! Yaani ki apna intelligence badhao.]
'Hmph! Toh fir abhi mein add nahi karna chaahta.'
[Are you sure? Dhyaan rahe! Tum jo bhi changes karoge apne stats me wo raat bhar lenge change hone me. Matlab yadi tum apni strength abhi badhaate ho toh wo abhi nahi badhegi. Tumhe uska result agle din dekhne ko milega.]
'I see!! Hmm! Toh ek kaam karo. 7 points meri strength me daalo. 2 mere intelligence me aur 1 mere appearance me.'
[Are you sure!?]
'Haan!'
[Well okay!]
Aur tabhi ek ghanti baji...
*Ding*
[7 points have been added to strength.
2 points have been added to intelligence.
1 point has been added to appearance.]
Aur uske baad hi Veer ke stats badal chuke the. Par uska effect agli subah se usse dekhne ko milne wala tha.
Stats :
Strength - 10/100
Intelligence - 6/100
Agility - 3/100
Endurance - 7/100
Appearance - 7/100
'Good!! Wese... System!?'
[Hmm!??]
'Tumne kaha tha ki tumne meri jaan bachaayi? Kya tum ek marre hue vyakti ko bhi zinda kar sakti ho?!'
[Nahi! Mene sirf apni urja ka istemaal kiya tha. Yahi kaaran hai ki mein ek din tak shut down thi. Aur tum khud bhi behosh the isliye tumhe pata nahi chala.]
'Wow! Toh aise me toh tum mujhe harr waqt khatro se bacha sakti ho hai na?'
[Bilkul bhi nahi! Aisa sochna bhi mat. Wo urja keval ek baar hi istemaal karne ke liye praapt thi mujhe.]
'Ohh mujhe aur batao na iss baare me.'
[Pehle mera level badhao. Abhi tumhe inn baato ko jaan'ne ka haq nahi hai.]
'Okay!'
[Aur haa! Mujhse zyaada baatein mat kiya karo. Jab zaroori ho keval tabhi...]
'Kyu?'
[Kyuki bolte waqt mujhe energy chaahiye. Aur ye energy mein tumhaare hi shareer se leti hu.]
'Fuck!!! Aur tum mujhe ye ab bata rahi ho!? Tabhi mein sochu mujhe itni thakaan kyu mehsoos hoti thi.'
[]
***
Ab shaam ka time ho chuka tha aur Veer ko hospital se discharge kar diya gaya tha.
Abhi wo wahi ek bench par baitha hua tha ki Nidhi saare kaagzi kaam karte hue uske paas aayi aur bagal se baith gayi.
Nidhi
Nidhi : Veer!? Saari formalities ho chuki hai. Ab tumhe hospital se chhutkaara mila.
Nidhi ne muskuraate hue kaha.
Veer : Thank you Ma'am! Mein zindagi bhar aapka abhaari rahunga.
Nidhi : Ye tum kesi baatein kar rahe ho Veer? Ek teacher hone ke naate ye toh meri duty hai ki mein apne student ki help karu.
Veer : Fir bhi Ma'am! Aaj kal toh ghar ke apne saath nahi dete aur aapne sirf meri teacher hone ke naate itna kiya. Uske liye thanks toh banta hi hai na?
Iss baar Veer ne smile karte hue kaha. Par uski smile dekh ek baar fir Nidhi ki bauhe sikudi aur usse andar hi andar ek ajeeb sa dard hua.
Nidhi : Ab... Ab tum kaha jaoge Veer? Tumhare gharwale toh...
Veer : Hmm? Mujhe nahi pata Ma'am. Dekhta hu. Kuch na kuch kar hi lunga.
Nidhi : Nahi! Par aise kaha jaoge tum? Tumhe abhi bhi rest ki zaroorat hai. Kaha rahoge? Kya khaoge? Aur college ka kya?
Veer : College? Mujhe kuch nahi pata Ma'am. Jo bhi hoega, dekha jaega.
Wo itna keh ke waha se utha hi tha ki Nidhi ne uska haath thaam liya.
Nidhi : Nahi! Mein tumhe aise jaane nahi de sakti. Bilkul bhi nahi! Kaha jaoge aur tum? Kaha bhatkoge aisi haalat me? Tum... Tum mere saath chalo.
Veer (shocked) : Huh?
Nidhi : Haa! Aaj se... Aaj se tum mere saath rahoge.
Kitni hi asaani se keh dii Nidhi ne ye baat.
Aur kitni hi asaani se Brijesh ne wo baat kahi thi ~ "Nikal jao iss ghar se."
Dono me kitna antar tha.
Aur kismat ka khel toh dekho. Ki uske ghar se usse yu nikaal diya gaya tha aur aaj Nidhi jo ki sirf uski teacher thi wo yu usse apne ghar le jaane taiyaar thi.
Aur yahi dekh ke Veer ki aankho me aasu aa gaye. Usne Nidhi ka status dekha tha. Wo jaanta tha ki Nidhi khud kitna kasht bhara jeevan vyateet kar rahi thi.
Par iske bawajood usne Veer ko apne ghar par rehne ke liye keh diya.
Veer (namm aankho se) : Nahi! Ma'am! Ye aap... Ye aap kya keh rahi ho? Mein aapko pehle hi boht kasht de chuka hu, ab aur mujhe mushqil me mat daaliye ma'am.
Nidhi : Chup raho ekdum! Aur chalo mere saath.
Veer : Ma'am...
Nidhi : Mene kaha na chup raho. Aaj se tum mere saath hi rahoge. Aur aage ek shabd nahi kahoge tum.
Usne apna haath Veer ke hontho par rakh diya. Nidhi ke komal haatho ka sparsh apne hontho pe paate hi Veer wahi khada ka khada reh gaya. Jab Nidhi ko bhi dhyaan aaya ki usne ekdum se kya kiya usne forun hi apna haath peeche le liya aur uska haath pakad ke usse le jaane lagi.
Veer ke laakho manaane ke baad bhi Nidhi ne uski ek na suni aur usse laake apni scooty par peeche baitha diya.
Nidhi : Acche se pakad ke baithna okay?
Uske bolte hi Veer ke haath Nidhi ki patli kamar pe lipat gaye. Ek pal ke liye toh Nidhi ko bhi ek jhatka sa laga jese hi Veer ke haath uski kamar par bandhe.
Wo iss waqt navy blue saree aur kaala blouse pehni hui thi. Aur peeche se uske aadhe nagn kandhe saaf nazar aa rahe the jo harr pal Veer ko madhosh kar rahe the. Wo khule baal aur wo nasheeli aankhein jo kisi bhi waqt aadmi ko apna deewana bana de.
Thandi hawao se dono ka shareer thanda zaroor ho raha tha par saath hi saath ek ajeeb sii garmi bhi thi jo dono ke hi shareer me iss waqt kahi dabi hui thi.
'Check' Veer ne mann me Nidhi ko peeche se hi dekhte hue kaha toh forun hi Nidhi ke sar ke upar wahi window firse khul gayi.
Sab kuch same hi tha pehle ki tarah siwae ek cheez ke. Aur wo thi...
[Favourability - 30]
Nidhi ki favourability Veer ke prati 10 points se badh gayi thi. Aur kyu na badhti? Wo roz Veer se milne shaam ke waqt aaya karti thi. Roz roz yadi aap kisi se bhi baat karo, aapko thoda boht interest unme aa hi jaata hai. Aisa hi haal kuch Nidhi ka bhi tha.
Veer uska student tha aur iss se pehle kabhi bhi Nidhi ne aise apne kisi bhi student se mulaqaat nahi ki thi. Na hi itni baatein kari thi. Aur toh aur wo ab Veer ko apne ghar le jaa rahi thi. Toh bhala dono ke beech friendship gehri kese nahi hoti?
Veer ke mann me Nidhi ke prati jo respect thi wo ab kayi guna badh chuki thi.
Kitni hi asaani se usne Veer ko apne ghar rehne ko keh diya. Veer jaanta tha ki wo akeli apni beti ke saath rent se rehti hai uske bawajood Nidhi ne uspar iss hadd tak bharosa kar liya ki wo uske saath reh le. Usne ek baar bhi nahi socha ki Veer ko apne ghar par rakhna theek hai ya nahi? Usne ye nahi socha ki uske ghar ki owner kese react karegi ye dekh ke?
Aur isliye Veer ki nazro me Nidhi kisi devi se kam nahi thi.
Veer kass ke uski patli kamar ko apne dono haatho se thaame hue tha. Aur Nidhi bhi Veer ke haatho ko bhali bhaati feel kar paa rahi thi. Na chaahte hue bhi uski dhadkan normal se thodi tezz ho chuki thi.
Iss se pehle keval uske husband ne hi usse aise touch kiya tha. Aur usse hue bhi 2 saal ho chuke the. Aur aaj wahi feeling wo mehsoos kar rahi thi.
Par farq ye tha ki uski kamar ko thaamne waala iss waqt uska husband nahi balki uska student Veer tha. Jo ki uss se 10 saal chota tha.
Aur yahi baat Nidhi ko sata rahi thi. Wo nahi chaahti thi ki Veer jo ki uske chote bhai jesa hai uske touch se wo aisa mehsoos kare. Par inn sab ke bawajood uski dhadkane slow hone ka naam hi nahi le rahi thi.
2 saalo se ye pehli baar tha jab usne kisi mard ko itni paas se mehsoos kiya tha. Aur usse nahi pata tha ki ek ajeeb sii anubhooti ne uske andar janm le liya hai.
Kuch hi derr me jab ghar aaya, Nidhi ne usse dhyaan se utarwaaya aur gaadi park kii.
Wo ek flat me rent se rehti thi. Uska flat 2nd floor par tha. Veer ko lift me le jaate hue wo 2nd floor par pohuchi aur jese hi apne flat ke paas aayi toh chaunk gayi.
Flat ka taala khula hua tha. Usne forun hi bell bajaayi toh kuch seconds me hi darwaaza khul gaya.
Aur andar se uski beti jo ki abhi abhi school jaana shuru kii thi wo daudte hue aayi aur uske perro se lipat gayi, "Mummmmmyyyyy... Mummy aa gayi!"
Hairaan hote hue Nidhi soch me pad gayi. Wo toh flat me taala laga ke apni beti Juhi ko bagal waale flat yaani ki pados me chorr ke gayi thi. Fir ye sab kya tha?
Ki tabhi andar se ek aur shaks baahar aaya. Aur usse dekh Nidhi ke chehre pe hairaani, fir confusion, aur fir khushi jhalakne lagi.
Ek sundar sii ladki aage badhte hue uske gale se lag gayi, "Diiii!!"
Nidhi (gale lagte hue) : Shreya tu? Yaha?
Shreya
Shreya : Kyu?! Nahi aa sakti?
Nidhi : Mera matlab wo nahi tha tu jaanti hai.
Shreya : I know! And yes! Mein yaha. Hehe~ Aur ab se mein yahi rahungi aapke saath.
Nidhi (hairaani me) : Kyaaaa?
Shreya : Haa! Itna shocked kyu ho? Aap nahi chaahti kya ki mein yaha rahu?
Nidhi : Nahi! Mein bas ye soch rahi hu ki achanak se tum yaha.
Shreya : Hmm! Kyuki Maa papa ne khud kaha hai.
Veer khade khade itna toh jaan gaya tha ki saamne khadi ladki Nidhi Ma'am ki choti behan thi. Fir bhi usne check karna hi sahi samjha.
Veer (mann me) : Check!
Aur Shreya ke sar ke upar tabhi wahi window khul gayi aur uspe likhe shabd Veer ko nazar aane lage.
[ Name - Shreya
Age - 24
Status - Maiden in search for true love.
Bio - Shreya Nidhi ki sagi choti behan hai. Uska mann padhayi me shuru se hi nahi lagta tha aur isliye aaj wo ek youtuber hai. YouTube pe stream karte hue games khelna aur vlogs banaana usse pasand hai. Abhi zyaada subscribers na hone ke kaaran wo zyaada busy nahi rehti. Apni behan Nidhi se boht zyaada pyaar karti hai. Uska sapna hai ek boht badi youtuber bann'na. Sacche pyaar ki talaash me hai. Par koi mila nahi hai abhi. Shreya love at first sight par believe karti hai.
Favourability - 0
Relationship - Strangers.]
Shreya ke baare me jaante hi Veer thoda hairaan tha. Usse dekh ke koi nahi keh sakta tha ki wo ek youtuber thi.
'Hmm! Interesting... Interesting!'
[Sapne dekhna chorr do master!]
'Huh? Kyu??'
[Nahi degi!]
'What the..!?'
[Master aapne dekha na? Wo love at first sight par believe rakhti hai. Pehli nazar me pyaar. Aur aapko abhi dekh ke koi bhi ladki aapke pyaar me nahi padne waali.]
Iske pehle ki Veer System ko jawaab de paata. Shreya ki awaaz uske kaano me padi.
Shreya : Ye kaun hai?!
Nidhi : Ye hai Veer! Mera student.
Shreya : Ohh! Toh? Tuition shuru kar dii kya aapne?
Nidhi : Nahi! Aaj se ye mere saath hi rahega.
Pal bhar ke liye maano sannaata sa chha gaya aur tabhi Shreya ekdum se chillaayi,
Shreya : Whaaaaaaaatttt??
Nidhi : Haaa!
Shreya : Kya kaha aapne? Ye... Ye aapke saath rahega?
Nidhi : Hmm! Lambi kahani hai.
Shreya : Wait! What? But kyu? Aap aise kese kisi ko bhi apne ghar me...!?
Nidhi : Sshhh! Andar chalo pehle.
Andar le jaate hue Nidhi ne Shreya ko Veer ke baare me sab kuch bata diya, jisse sunn Shreya ka dil bhi thoda paseej gaya aur wo Veer ko rakhne ke liye taiyaar ho gayi. Abhi Nidhi washroom gayi hui thi ki tabhi Shreya uske paas aayi...
Shreya : Dekho! Hum tumhe yaha rakh rahe hai kyuki meri dii badi hi bholi hai aur sabki madad karti hai. Aur hum tumhe yaha rakhne ke liye taiyaar hai. Par meri dii ke baare me koi bhi galat khayaal mat laana samjhe? Hmph! I'm watching you...
Aur wo do ungli Veer ki aankho ki taraf karte hue mud ke apni gaand matkaate hue andar chali gayi.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like zaroor kijiyega yadi pasand aaye. Next update se story me action aur masala aana shuru hoega.
Update - 7 ~ Busted
Ab tak...
Shreya : Dekho! Hum tumhe yaha rakh rahe hai kyuki meri dii badi hi bholi hai aur sabki madad karti hai. Aur hum tumhe yaha rakhne ke liye taiyaar hai. Par meri dii ke baare me koi bhi galat khayaal mat laana samjhe? Hmph! I'm watching you...
Aur wo do ungli Veer ki aankho ki taraf karte hue mud ke apni gaand matkaate hue andar chali gayi.
Ab aage...
Ek bade se bunglow me iss waqt ek bade se room me ek behad hi khubsoorat ladki apni comfortable chair par baithi hui thi. Aur kuch zaroori kaagzi kaam kar rahi thi. Ghar itna aalishaan tha ki pucho mat.
Tabhi uske room ka darwaza khula aur andar ek middle aged aadmi ne aakar uske saamne ek file rakhi aur bola,
Aadmi : Madam! Ye rahi file.
Ladki : Jii!
Aadmi : Wo... Madam!
Ladki : Hmm?
Aadmi : Wo... xxxxxxxx company hamaare saath deal karna chaahti hai. Ek bar firse mujhe unka call aaya tha.
Ladki (lambi saas lete hue) : Mene kitni baar aapko kaha hai ki unhe mana kar dijiye par aap ulta unko latka rahe ho? Mujhe nahi karni koi bhi deal unke saath.
Aadmi : Par madam isme galat kya hai? Ek acchi company hai aur ulta hume hi fayda hai. Aap bhala ye deal kyu nahi karna chaahti? Buraayi kya hai?
Ladki : Aap jaante hai na? Mein meeting ke waqt iss company ke maalik se mili thi. And, I can tell he's not trustworthy.
Aadmi : Par mujhe toh unka ravaiyya ekdum pasand aaya. Mujhe nahi lagta ki...
Ladki : Aap nahi jaante. Mein bhala kabhi galat hui hu?
Aadmi : Nahi! Par...
Ladki : Then bharosa rakhiye! Aur uss kaam ka kya jo mene aapko saupa tha!?
Aadmi : Jii... Wo mein... Jald hi details pata lag jaengi madam.
Ladki : Itna sa kaam karne me itna time lag raha hai?
Aadmi : Sheher bada hai madam. Thoda sa time lagega. Aur ab iss kaam ke liye mein CBI me toh nahi jaunga na? Par aap nishchint rahiye. Jald ho jaega.
Ladki : Hmm!
Aur wo aadmi baahar nikal gaya. Idhar wo ladki apne anguthe ko zorr se apne daato tale dabaate hue kisi soch me pad gayi. Na jaane kya soch rahi thi wo iss waqt. Par uske chehre par aasha, jigyaasa aur tanaav ke mile jule bhaav utpann ho rahe the.
***
Nidhi ka ghar...
Veer ko apne ghar me laate hi sabse pehle Nidhi ne apne kapde badle aur usne apni saree utaar ke ek red night gown daal liya. Wo bhali bhaati jaanti thi ki ab wo akeli nahi hai, ek naujavan ladka bhi uske saath uske ghar me rehne waala hai par iske bawajood usne gown pehna. Jese usse vishvaash tha ki Veer koi bhi utt pataang harqat nahi karega.
Uski choti behan bhi yahi maujood thi. Yadi Nidhi chaahti toh iss waqt safety ke darr se wo Veer ko ye keh ke apne ghar se nikaal sakti thi ki ab uski choti behan aa gayi hai toh jagah nahi hai ghar me theherne ki, ya ye keh sakti thi ki ab uski behan aayi hui hai aur aise me wo Veer ko apne saath nahi rakh sakti. Wo kuch bhi keh sakti thi.
Par Nidhi bilkul bhi peeche na hati. Aur usse itna toh vishwaash tha ki Veer koi bhi galat harqat nahi karega uske saath.
Iss waqt red gown me wo qayaamat lag rahi thi. Poori aag ka shola. Veer toh bas yahi soch raha tha ki kitna bada murkh hoga Nidhi ka pati jo aisi aurat ko apne haath se jaane de raha tha.
Baahar nikalte hue Nidhi ne Veer ko nahaane ke liye kaha, kyuki itne dino se wo hospital me tha aur aise me zaahir sii baat thi ki usse ek bath ki sakht zaroorat thi. Par dikkat thi underwear aur kapdo ki. Veer toh khaali haath ghar se nikla tha. Bhala ab chaddi kaha se lae wo? Na uske paas extra kapde the, na hi wo koi Doraemon tha.
Hospital me jo kapde usse mile the wahi wo iss waqt pehna hua tha. Kyuki uski college ki dress toh khoon se pehle hi kharaab ho chuki thi. Aur abhi wo issi duwidha me tha ki kya kiya jaaye,
Veer : Umm... Ma'am mein naha toh lu but wo...
Kehte waqt uska chehra halka laal pad gaya toh Nidhi ne confused hote hue pucha.
Nidhi : Kya dikkat hai Veer?
Veer : Wo... Mere kapde? Aur underwear!? Mere paas nahi hai...
Bolte hi wo blush karne laga. Akhir usne bol bhi kese diya ye? Mann me wo khud se hi sawaal kar raha tha.
Aur ye sunn Nidhi ke bol bhi thoda ladkhada gaye,
Nidhi : Ohh! Haa! Arre... Wo... Mein bhi na... Mein ek kaam karti hu... Veer! Tum nahao... Mein shopping mart jaati hu... Aur udhar se le aaungi... Kuch kapde bhi le aaungi daily use ke liye.
Uski baat sunn pal bhar ke liye Veer ekdum maun ho gaya.
'Did she really said that? Ma'am mere liye kapde aur underwear lene jaa rahi hai?'
Aur ye sochte hi uske shareer me ek ajeeb si halchal hui andar hi andar.
Veer : Ma'am ye aap kya keh rahi ho? Aap rehne dijiye... Mein manage kar lunga...
Nidhi : Arre kya manage kar loge? Dobaara se wahi pehnoge kya? Tum ye bucket me kapde utaar ke rakh dena, mein washing machine me dho dungi.
Aur itna kehte hi wo mud ke jaane lagti hai ki tabhi usse yaad aata hai ki usne size toh pucha hi nahi.
Nidhi : Wo!! Tumhara size Veer? Kapdo ka?
Veer : Ma'am t shirt mujhe M size ki fit aati hai. Baaki...
Nidhi : Okay! Aur neeche ke liye mein lower le aaungi thik?
Veer : Jiii!
Wo fir se mud ke jaane waali thi ki tabhi usse firse kuch yaad aaya aur wo sochte hi uske gaal ekdum surkh laal pad gaye.
Wo palti aur Veer ko dekh badi hi dheemi awaaz me boli,
Nidhi (blush) : Wo... Wo... Tumhari... Underwear ka size?
Ye sawaal sunte hi Veer khud stabdh sa khada raha.
Ab bataana toh padega hi...
Usne apna thook nigalte hue sharmaate hue bataaya,
Veer (blush) : Ma'am... Wo... Mera... 85 hai...
Nidhi (blush) : 8... 85!?
Veer (blush) : 85 cm.
Nidhi (blush) : O... Okay!
Aur Nidhi tezz kadmo ke saath baahar nikal ke bhaag gayi. Veer ne ek raahat ki saas lete hue bathroom me pravesh kiya. Pehli baar koi ladki uske liye ye sab cheeze khareed rahi thi. Bada hi ajeeb sa lag raha tha usse.
Kuch derr baad...
Nidhi shopping kar ke aa chuki thi aur Veer ke liye wo kuch kapde khareed ke le aayi thi saath hi saath uske undergarments bhi. Poori tarah se jab Veer taiyaar hoke baahar aaya toh dekha ki Nidhi ke haath furti me kitchen ke kaamo me lage hue the.
Nidhi khud iss waqt bada hi sharma rahi thi. Iss se pehle usne apne pati tak ki bhi kabhi underwear na khareedi thi. Aur aaj wo pehli baar kisi mard ke liye underwear khareedne gayi thi aur wo bhi uske apne hi student ki.
Paas aate hue Veer kitchen me hi side ke platform se tik ke khada ho gaya aur Nidhi ko dekhne laga jo iss waqt roti belne me busy thi.
Veer ki aahat paa ke hi usne ek baar Veer ko mud ke dekha uske baad waapas se roti belni lagi aur dheere dheere khud hi baat karne lagi,
Nidhi : Fatafat roti sek deti hu aur Veer mene ye fry daal aur mix veg sabzi bana dii hai. Tum kha loge na? Dekho toh... Aaj pehla din hai aur mein kuch bhi special na bana paayi. Kal pakka kuch special banaungi. Tumhe kya pasand hai Veer? Jo tum bologe kal wahi banega... Aaj na jaldi me thi aur hospital se aate aate kaafi thak gayi... Thoda rest karungi na toh kal ekdum fresh mehsoos karungi... Fir kal hum sabhi eksaath special dinner karenge... Landlady ko bhi inform karna hai ki ab se tum mere saath rahoge... Yadi wo rent badhaati hai toh badha de... Wo dekh lungi mein... Uski tension mat lena tum haa?
Itna sab kuch wo bolti jaa rahi thi, uske haath itni speed me chal rahe the ki jitni baar wo roti belti uski chuudiyo ki khanak utni hi baar aur tezz shor karti. Roti belne ke kaaran uske haath ek rythm me hil rahe the aur ussi rythm se uske kaano me lagi hui baali bhi hil rahi thi.
Nidhi ko jese hi ehsaas hua ki usne itna sab bola par Veer ne koi pratikriya nahi dii toh wo palti aur Veer ko dekhi.
Aur usne dekha ki Veer keval apne haath baandhe platform se tike usse hi nihaar raha tha. Usse apne prati aise dekh uske gaalo par halki laali chhaa gayi.
Nidhi (blush) : Aise... Aise kya dekh rahe ho Veer!?
Veer : Dekh raha hu ki aap kitni mehnat karti ho Ma'am.
Nidhi (smiles) : Mehnat toh karni hi padti hai sabko. Tabhi toh zindagi chalti hai.
Veer (smiles) : Hmm!
Aur wo waapas se apne kaam me lag gayi par kuch derr baad hi uske kaano me Veer ki awaaz padi,
"Aapne itna sab kuch kyu kiya mere liye ma'am?"
Aur ye sawaal sunte hi Nidhi jiske haath abhi roti belne me lage hue the wo achanak hi ruk gaye.
Usne palat ke Veer ko dekha aur bolne hi waali thi ki firse Veer ki awaaz ne usse rok diya.
Veer : Mein jaanta hu ki aap yahi kahengi ki ye aapka ek teacher hone ke naate farz tha. Par aapne mere liye ek farz se kahi zyaada kiya hai Ma'am. Aur abhi bhi kar rahi ho. Ye sab kapde, ye mera yaha rehna, hospital me wo advanced fees, mujhe roz dekhne aana, haalchaal puchna, Kyu???
Veer ki baat sunn Nidhi ne ek gehri saas lii aur boli,
Nidhi : Kyuki mein jaanti hu tum kesa feel kar rahe ho Veer. Mein jaanti hu akelapan kesa hota hai. Kesa hota hai ghar se baahar nikalna. Kesa mehsoos hota hai. Isliye mein ye sab kar rahi hu. Aur... Bhale hi college me hamaari zyaada baat nahi hui Veer. But meri nazar apne harr ek student par rehti hai. Mujhe pata hai ki kon kesa hai. Mein jaanti thi ki tumhara koi dost nahi hai. Aur aise me tum kaha jaate? Mene wahi kiya jo mujhe sahi laga.
Veer : Aur ye jaante hue bhi ki aap ek ladke ko apne ghar laa rahi ho, ye jaante hue bhi ki aapki landlady aur aas pados ke log kya sochenge iss baare me? Ye jaante hue bhi ki aapki behan bhi yahi rehti hai aapke saath aur iske bawajood aap ek anjaan ladke ko yu rehne de rahi hai apne ghar me?
Nidhi (smiles) : Yes! Because I believe you!
Aur itna sunte hi Veer ka shareer sihar utha.
Veer : Kyuuu???
Nidhi : Tumhe kya lagta hai Veer? Tumhe kya lagta hai ki I don't know? Kya mujhe nahi pata ki log mujhe kin nazro se dekhte hai? Ghar se college, college se ghar, itne logo ki nazar mujhpe padti hai. Kuch jaan pehchaan ke toh kuch anjaan. Tumhe kya lagta hai ki mujhe nahi pata wo kin nazro se mujhe ghurte hai? Kya chalta hai unke mann me? Yaha tak ki college ke students jo na jaane kitne saal chote hai umr me...
Kehte waqt uske honth thar thara rahe the aur Veer ne notice kiya ki uski aankhein halki bheeg chuki thi.
Nidhi : I know.... I know everything Veer! I know everything.
Usne zorr se kass ke apne gown ka ek hissa bheench liya aur nazre neeche kar lii. Aaj pehli baar Veer ko khud kisi ke liye itna bura lag raha tha. Uska khud ka dil tadap raha tha Nidhi ki aisi haalat dekh.
Nidhi : But tum...
Usne nazre uthaate hue dubaara bolna shuru kiya. Aur iss waqt Veer bhali bhaati dekh sakta tha unn aasuo ko jo Nidhi ki palko par saje hue the.
Nidhi : Tumhari aankhein kabhi bhi nahi bhatki... And that's why... I believe you!
Nidhi ke bol sunte hi Veer ke shareer ke roye khade ho gaye.
Wo samajh chuka tha Nidhi kya baat bata rahi thi. Yahi ki kese log usse taadte hai aur khaa jaane waali nazro se ghurte hai. Yaha tak ki college ke students bhi jo usse aise ghurte the ki maano kabhi bhi uspe toot padenge. Par Veer ne aajtak kabhi bhi Nidhi ko wesi nazro se nahi dekha tha.
Jab jab Nidhi uss se baat karti, ya toh wo nazre jhuka ke baat karta tha ya fir uske chehre me dekhte hue. Naa ki uske shareer pe nazar maarte hue. Aur ye baat Nidhi bhali bhaati jaanti thi. Logo ki nazro aur unke iraado se wo harr tarah se parichit thi. Yahi kaaran tha ki usse Veer pe vishwaash tha. Uske iraado aur uski aankho par usse vishwaash tha.
"Dekho toh... Mein bhi na... Kya boring baato ko lekar baith gayi. Aur tum ye mat sochna bilkul bhi Veer ki tumhe ab kaam nahi karna padega. Boht kaam karwaungi tumse samjhe!?"
Nidhi ne apne aasu ko halke haath se pochte hue ek smile ke saath mazaakiya dhang me kaha, toh Veer bhi badle me muskura diya,
Veer : Aapka hukum sar aankho par ma'am.
Abhi usne bola hi tha ki tabhi Nidhi ki ungli dhoke se garam garam Daal se bhare pan par lag gayi aur uske muh se ek aah nikal gayi...
"Aaahhhh!!! Ssss.... Ouch!!!"
Aur agle hi pal Veer ne aage badh Nidhi ki jali hui ungli apne muh me bhar lii...
*Sannaata*
Ab bhar toh liii ungli muh me josh josh me...
Par ab Veer ko khayaal aaya ki usne kya kar diya.
Yadi iss waqt koi gaana Veer ki situation ko describe kar sakta tha toh woh tha~
Laude lag gaye...
Idhar Nidhi hakki bakki sii khadi Veer ko dekh rahi thi. Uski aankho me achambhav saaf nazar aa raha tha. Uska muh halka khul chuka tha.
Veer ki zubaan aur andar se muh ka garam taapmaan wo bhali bhaati apni ungli par mehsoos kar paa rahi thi. Jalan aur dard toh jese wo bhul hi chuki thi.
Dono ek dusre ki aankho me aankhe daal dekh rahe the.
Ki tabhi...
"Tururu tururu tururu ruru ruru... Aaah! Ye shaam ko late nahaane me maza hi aa jaata hai."
Shreya fridge me se orange juice ki bottle se juice peete peete kitchen me aa gayi... Aur usne jo saamne dekha...
*Phhhhhhuuuuuuuuuuuu*
Saara ka saara juice uske muh se nikal ke neeche zameen par jaa gira. Uski aankhein aisi phaili hui thi maano jese bechaari ne bhoot dekh liya ho. Muh khula ka khula...
Veer uski badi behan ki ungli apne muh me daale hue khada tha. Ab bas teeno ek dusre ko dekh rahe the aur ek khaamoshi sii chhaa gayi.
Veer : ....
Nidhi : ......
Shreya : .....
[]
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Sorry! Iss update se action start hone wala tha story pace pakadti but mujhe laga ek ye update zaroori tha. Ab next update se Veer apne stats badhane niklega. Like zaroor karna pasand aaye toh.
Dhanyavaad!
Awesome brother gajab update tha bhai keep writing waiting for next updateMega updateAb tak...
Update - 21 ~ The Truth
Ladki : Prakaash uncle!?
Aadmi : Jii!?
Ladki : Jaaiye...
Aadmi : Jii Madam!!!
Aur agle hi pal Prakaash campus se andar college ki building me jaane laga.
Ab aage...
Kal raat jab Ragini samet Dinesh apne ghar laute toh andar ghar me pravesh karte hi unhe ek bada jhatka laga tha. Ghar ke baahar gate pe jo guard unki rakhwaali ke liye khada rehta tha, wo iss waqt khud andar hi pillar se chipke hue rassiyo se bandha hua tha.
Uski ye haalat dekh bhaagte hue Ragini aur Dinesh uske paas pohuche aur jese hi uski rassiya kholi toh usne bataaya,
"Saahab! Saahab... Andar... Andar Bhabhi jii..."
Aur bas uska itna kehna tha ki dono Ragini aur Dinesh daudate hue andar gaye jaha pohuch ke unhe dusra jhatka laga.
Ragini ki maa~ Rohini, single seat waale sofe par bandhi hui behosh padi thi. Ghabraate hue dono ne usse churraaya aur usse hosh me laaya uske baad Rohini ne saari baatein bataayi ki kese kuch gunde unke ghar me aake usse baandh ke chale gaye, jis kaaran se na hi wo police me complaint kar paayi na hi kisi ka phone utha paayi aur na hi laga paayi.
Ragini : Iska matlab... Shayad isliye udhar ghar me mere baare me kisi ko nahi pata tha... Shayad isliye Kavya ne ye keh diya tha ki mein yaha ghar pe hu... Kyuki hamaare saath waha kya ho raha tha, kisi ko uski khabar hi nahi thi...
Sochte hue wo ek gehre chintan me doob gayi. Uske liye khatra tala tha ya fir aur musibate aane waali thi!? Ye toh waqt hi bataane waala tha. Par aaj usse itna zaroor samajh aa chuka tha ki duniya me kese kese log rehte hai aur kya kya kar sakte hai. Shayad ab... Shayad ab wo samajh chuki thi ki kuch logo se kyu nahi bhidna chaahiye.
***
Idhar Veer ko kal raat me hi Pari ke dwaara mission completion par 40 points mil chuke the. Jisse usne apne stats me invest kar liye the. Aur itna hi nahi, uski Pari bhi ab level 3 par aa chuki thi.
Ab wo baaki logo ke stats dikhaane me bhi saksham ho chuki thi. Saath hi saath kuch sawaal the jo Veer ke mann me, unhe bhi wo answer karne waali thi.
Veer ne apne stats me, 5 points apni strength me daale, intelligence me usne iss baar seedhe 15 points bhar daale, wahi bache hue 20 points usne 5-5 karke apni agility, aur endurance me daale aur appearance me last me akhiri 10 points jo bache the wo daal diye. Ab uske stats kuch iss prakaar the...
[ Stats :
Strength - 50/100
Intelligence - 35/100
Agility - 15/100
Endurance - 15/100
Appearance - 22/100]
Kal Veer ne saare hi points upyog kar liye the aur ab uske paas Skill shop se khareedne ke liye koi points nahi bache the. Skills dekh ke wo itna chakra gaya tha ki uski samajh me hi nahi aaya kon si skill wo khareede aur wese bhi, abhi usse skills ki itni koi zaroorat nahi thi, aisa soch usne saare points apne stats me daalna hi behtar samjha.
Abhi woh baithe baithe khayaalo me hi dooba hua tha ki tabhi Nidhi uski class mein andar aayi. Kyunki pahla lecture ussi ka tha.
Veer ko dekhte hi wo muskuraayi aur board pe usne ek question likha jisse sabhi students solve karne me lag gaye. Veer bhi bade mann laga ke padh raha tha.
Kal usne appearance me 10 points add kiye the, uska asar aaj subah hi Shreya samet Nidhi ko bhi dikha tha, aaj dono ne hi uss se kaha tha ki wo smart dikh raha hai pehle se...
Yaha tak ki Kavya bhi abhi kuch derr pehle yahi baat bol ke gayi thi. Par unhe kya pata tha...
Ki ye kamaal toh appearance stat ka tha.
Veer ko yu padhta dekh, Nidhi mann hi mann muskuraayi. Kal na keval Veer ne uss se saari baatein saanjha kii thi balki itna sab kuch hone ke baad bhi wo college aane ke liye bilkul bhi na katraaya.
Wo Veer ke liye sacche mann se khush thi. Wo aaj kitna aage aa chuka tha apni pichle dino ki zindagii se, jidhar Nidhi ne usse bas ek toote hue insaan ke roop me hi dekha tha.
Aaj waapas se uske andar aatmvishvaash, nishtha aur prerna dekh Nidhi behad khush thi. Usse aisa feel ho raha tha jese uske kuch yogdaan ke kaaran kisi ka jeevan ujadte ujadte bach gaya.
Aur Veer ko uss sthiti se baahar laane ke liye wo behad khush thi. Wo khud par proud mehsoos kar rahi thi.
Dheere dheere uske kadam Veer ki taraf apne aap hi badh gaye aur usse khud pata na chala ki kab wo Veer ke bagal se aake khadi ho gayi.
Aahat paate hi jese hi Veer ne apna sarr utha ke dekha toh paaya ki Nidhi uske bagal se khadi usse hi ghoor rahi thi.
Apne hontho pe muskaan laate hue Veer ne usse ek smile pass ki toh Nidhi bhi badle me muskura baithi.
Usne Veer ki copy dekhi, aur uski khushi aur bhi badh gayi. Veer ne solution ekdum sahi dhang se solve kiya tha.
Nidhi mann hi mann muskuraayi, 'Iska matlab Veer waqai dhyaan de raha hai... Mujhe laga tha uska baahar jaana, apni gf se milna julna aur... Inn sab ke maare uska dhyaan padhaayi me nahi rahega. Par shayad mein galat thi...'
Nidhi ab bhi yahi sochti thi ki Veer ki koi gf zaroor hai jis se milne wo jaata rehta tha. Bhale hi Veer ne kal usse sab kuch sach bata diya tha par uss din uske gale me lage wo hontho ke nishaan ke peeche ki sachaayi abhi tak bayaa na kari thi usne.
Aur shayad yahi kaaran tha, jiske chalte Nidhi yahi assume karti thi ki koi na koi gf zaroor hai Veer ki.
Agle hi pal jese Nidhi ko kuch yaad aaya toh usne abhi hi bataana sahi samjha,
"Vee... Veer!?" Usne dheemi awaaz me Veer ko pukaara.
Veer : Huh!?
Nidhi : Veer... Aaj mujhe... Wo...
Veer : Kya hua Ma'am!?
Nidhi (dheemi awaaz me) : Veer! Aaj mujhe 1 baje thoda kaam se ek jagah jaana hai. Matlab mein, break me hi college se nikal jaungi. But... But don't worry, mein departure hone se pehle tumhe lene aa jaungi, okay!?
Veer : Kuch... Kuch zaroori kaam hai kya Ma'am!?
Veer ke sawaal se hi Nidhi ekdum chup pad gayi, usne ek gehri saans lii aur boli,
Nidhi : Hmm! Mujhe kaam hai Veer. Isliye, mujhe thoda jaana hai. Okay!? Mein departure ke pehle aa jaungi. Isliye, mene socha tumhe bata du, kahi tum mujhe dhundne na lago.
Veer (smiles) : Okay Ma'am!
Nidhi (smiles) : Hmm!
Aur itna bol Nidhi palat ke board ki taraf jaane lagi. Par uske palat'te hi Veer ke hontho pe jo muskaan thi wo agle pal hi gaayab ho gayi aur wo Nidhi ko peeche se jaate hue bas ghurta raha.
'She's hiding something.'
[Kese master!?]
'Tumne dekha nahi Pari!? Wo kehte waqt apni ungliya chatka rahi thi, unki nazre meri aankho me nahi thi, balki idhar udhar hi daud rahi thi. Aur khaaskar wo fake smile... I can tell ki wo definitely ek fake smile thi.'
[Nice observation master.]
'Unki favourability kitni hai ab!?'
[48 master!]
'Hmm! Par aisi kya baat hai jiske chalte wo mujhse jhooth bol rahi hai!? Shayad wo mere saath ye share nahi karna chaahti!? Maybe ye unka niji maamla ho shayad isliye!?'
[Maybe master... Nidhi thodi reserved hai. Aapko khud uske muh se nikalwana padega yadi aap kuch jaan'na chaahte ho toh. Kyuki wo khud se nahi bataegi.]
'Hmm! Also, Pari... Mujhe ab uss sawaal ka jawaab chahiye. Ab tum level 3 pe ho, toh mujhe koi bahana nahi chahiye.'
[Konsa sawaal master!? If you're qualified, then I'll tell you.]
'Tumne kaha tha ki tum sirf wahi dekh sakti ho, jo mein dekh sakta hu. Right!?'
[Exactly master.]
'Toh fir uss din tumhe ye kese pata chala tha ki Ragini bhabhi kaha pe hai!? Tumne wo kese dekh liya!? Mission dete waqt tumne mujhe unki location bhi dii thi. Mujhe ye baat samajh me nahi aa rahi.'
[Hmmm! Fine! I'll tell you. Master! Mein abhi bhi keval utna hi dekh sakti hu jitna aap dekh sakte ho.]
'Then...!?'
[Samjhaati hu. Imagine kariye ki aasmaan se dherr saari balls gir rahi hai.]
'Hmm!'
[Ab aap apne aap ko maaniye ki aap system hai aur wo saari balls missions hai.]
'Okayyyy!'
[Hmm! Toh kya aap ko abhi pata hai ki wo saari jo balls gir rahi hai unme kaun kaun se missions hai!?]
'Nahi!?'
[Ab maan lijiye aapka haath apne aap aage badhta hai aur aap ek ball ko pakad lete ho jisme mission ki saari details dii hui hai. Toh ab toh aapko pata chalega na ki kaun sa mission mila hai!?]
'Haan bilkul! Yadi uss ball me sab kuch likha hai mission se related... Wait... Iska matlab...'
[That's right master. Mujhe nahi pata rehta ki mission kon sii location par hai, aur missions kaun se hai. Ye sab kuch randomly aate hai jinhe mein show karti hu.]
'Hmm! Ye toh ekdum hi alag nikla meri expectations se. Matlab tumhare haath me nahi hai ye control karna. Saare missions randomly apne aap aate hai.'
[Yes master!]
'Hmm! Aur ye kese hota hai...!?'
[You're not qualifi...]
'Fuck this!!'
[I cannot help it master.]
***
Abhi teesra lecture hi chal raha tha ki tabhi Veer ki class me ek anjaan aadmi aaya aur teacher ko ek parchi thamaaya aur kuch bola.
Parchi dekhte hi, teacher ne uski baat sunn awaaz lagaayi,
"Veer!? Hai koi!?"
Veer : Yes Sir!
Teacher : Go... Someone wants to talk to you.
Veer : Huh!?
Confuse hote hue Veer ne anjaan aadmi par nazar daali, jo ki dikhne me 45 kuch ka lag raha tha aur kapde wagarah kaafi acche pehne hue tha.
'Who is this guy!??' apni bauhe sikodte hue Veer mann me chintan kar dheere dheere uss aadmi ki taraf aage badha, jo muskuraate hue usse hi dekh raha tha.
Class se jese hi dono baahar aaye toh Veer ne sawaal kiya,
"Do I know you!? Kaun ho aap!?"
Aadmi : Mein!? Haha~ Mujhe bhi jaan jaoge... Par pehle... Neeche kyu nahi chalte!? Hmm? Koi aur hai jo tumse milne ke liye intezaar kar raha hai.
Veer : Mujhse milne ke liye!?
'Kaun ho sakta hai bhala!?'
[]
'Pari kahi ye log...'
[I don't know master.]
'Damn it!'
Aadmi : Toh chale!?
Usne apna ek haath felaate hue chalne ka ishaara kiya toh Veer ne haa me gardan hila dii.
Jese hi dono seedhiyo se neeche jaa rahe the, wahi side ki ek class me Nidhi ki nazar achanak hi ittefaaq se Veer par padd gayi aur ye dekhte hi wo vichaar me pad gayi.
'Veer!???? Ye aadmi kaun hai uske saath!? Koi ghar ka sadasya!?'
Pata nahi Nidhi ko kya hua ki wo class me 5 minute me aane ka instruction deke baahar aa gayi aur unn dono ke peeche peeche jaane lagi.
Jese hi Veer aur wo aadmi campus me aaye, Veer ki aankhein phati ki phati reh gayi.
Campus me side me ek black Rolls Royce hai khadi hui thi. Aur jese hi uski nazre bagal se khadi do ladkiyo par gayi toh usse ek aur jhatka laga.
Kuch hi palo me Veer aur wo aadmi unn do ladkiyo ke saamne the...
'Don't tell me ki ye dono mujhse milne aayi hai. Oh man!! This girl... She's... Too beautiful... Just like her...'
Jese hi Veer ne qareeb se unn dono ko dekha toh uske hosh hi udd gaye. Keval wahi nahi, campus me jo bhi log maujood the wo sabhi unn dono ko hi taad rahe the.
Unn dono ke upar se logo ki nazre hatt hi nahi rahi thi. Yaha tak ki canteen ke workers aur guards tak taadne me lage hue the.
Par inn dono me se, ek zyaada khubsoorat thi. Aur wo thi jisne professional outfit pehna hua tha. Saree waali mahila bhi khubsoorat thi par utni nahi jitni wo young waali ladki lag rahi thi.
Veer ki bolti hi band ho gayi thi. Yadi uss club waali ladki ki sundarta ko koi match kar sakta tha toh woh yahi ladki thi, jo iss waqt uske saamne khadi thi.
Ab tak Veer yahi sochta tha ki Club waali ladki ab tak sabse khubsurat ladki thi jo usne dekhi thi par ab ye kehna thoda mushqil tha. Kyuki ye ladki bhi uss club waali ki sundarta ko takkar de sakti thi.
Jese hi uss ladki ne Veer ko dekha, apne aap hi uski aankho me ek chamak aa gayi. Wo muskuraate hue usse dekhne lagi. Uski nazre Veer ki aankho me hi tiki hui thi jiske chalte bechaare Veer ko sharam aa rahi thi, kyuki wo thi hi itni attractive.
Par jese hi usne Veer ke chehre aur haatho me lagi jagah jagah bandages aur ek do patti dekhi, uski muskaan gaayab ho gayi aur ek chinta uske chehre par aa gayi.
Ladki : Are you okay!?
Aur uss ladki ki madhur awaaz Veer ke kaano me padi. Itni pyaari awaaz jo kisi bhi kathor se kathor aadmi ko yu pighla de... Uss anokhi awaaz ka anubhav Veer ekdum saamne se kar paa raha tha. Aur sabse badi baat... Wo ladki uss se uski haalat ke baare me puch rahi thi. Kitna Lucky hona padega logo ko aisa anubhav paane ke liye?? Veer mann me khud se puch raha tha...
Veer : Huh!? Mein!? Yes...
Ladki : Ye chot...
Achaanak hi usne apna haath aage badhaate hue Veer ke gaal pe rakh diya jaha bandage lagi hui thi. Aur unn komal haatho ka sparsh paate hi jese Veer maano jannat me pohuch gaya tha.
'Fuckkkkkkk! Her hand... Itna... Itna softtt!???'
Veer (blushes) : Ohh!? Ye!? Ye... Kal... Wo... Fight me... Ahahahaha~
Ladki : Ohhh!!
Veer (blushes) : Yeah...
Idhar Nidhi unhe follow karke neeche aa chuki thi aur wahi building ke paas se saamne chal rahe scene ko bhali bhaati dekh paa rahi thi.
Usne dekha ki ek behad hi khubsoorat ladki Veer ke gaalo ko thaame usse nihaar rahi thi. Saath hi saath ek aur khubsoorat mahila bagal se khadi hui thi aur yaha tak ki itni luxurious gaadi unke side se khadi thi jo saaf batla rahi thi ki wo kisi bade gharaane se thi.
Par...
Pata nahi kyu...
Veer ko aise yu uss ladki ke saath dekh...
Nidhi ko andar hi andar kuch toh ho raha tha. Jissse wo ya toh samajhna nahi chaahti thi ya uss feeling se anjaan thi.
'Kaun hai ye sabhi!? Veer ke ghar se!? Relatives!? Haa! Wahi hone chahiye... Itne pyaar se toh gharwale hi pesh aate hai. Shayad ye acche log hai jo Veer se prem karte hai? Ya nahi!? Ek minute!!! Kahi ye Veer ki girlfrie....!?? Huh!?!??! Is she really....!?'
Aur Nidhi bechaari na jaane kya kya sochne lagi thi. Par isme uski koi galti nahi thi. Scene hi aisa tha.
Idhar Veer sharam ke maare uss ladki se nazre nahi mila paa raha tha.
'Fuckkkkkkkk! Why is she staring at me like that Pari!??? It's making me uncomfortable... Mujhe sharam aa rahi hai...'
[Hang on master...]
Ladki : Do you know me!?
Veer : Hmm? Ohh haa! Mein yahi puchne waala tha. Kya aap mujhse milna chaahti hai!?
Ladki (smiles) : Mmm-hmmm!
Veer : Par... Mein toh aapko nahi jaanta. Aur... I don't think ki aap bhi mujhe jaanti ho!? Hum ek dusre se pehle kabhi nahi mile hai...
Ladki (smiles) : Mile hai...
Veer (surprised) : Huhhh!?
Ladki : I mean kind of... Hehe~
Veer : I... I don't get it...
Tabhi uss ladki ne apna haath milaane ke liye aage badhaaya aur boli,
"I'm Sonia!!"
Veer (haath milaate hue) : And... I'm...
Sonia (smiles) : Veer... I know...
Veer (shocked) : Huhhhhhh!??? Aapko... Kese....!?
Sonia : Why don't we go somewhere else and talk about it!?
Iss se pehle Veer kuch keh paata, peeche se wo dusri ladki jisne saree pehni hui thi wo Veer ke paas aayi aur usse ghur ke dekhne lagi...
Veer : Umm... !??
Sonia (smiles) : Ah right! She's Suhana... My elder sister.
Suhana
Veer : Umm... Hello!?
Par Suhana na toh kuch boli aur na hi kuch kiya usne... Wo bas apni aankhein sikode Veer ko ghur ghur ke dekh rahi thi. Aur agle hi pal wo palti, aur car ki orr jaate hue boli,
"Sonu!! You will lose the bet. Apna vaada yaad rakhna."
Veer : Huh??
*Thud*
Aur car ka darwaza band kar wo andar baith gayi.
Idhar Sonia apni badi behan ki ye harqat dekh apni aankhein ghumaate hue naa me sarr hilaayi.
Sonia : Well... So!? Veer!? Shall we!?
Veer iss se pehle koi jawaab de paata, Sonia ne uska haath thaama aur usse kheechte hue car ke andar le gayi...
Idhar Suhana aur Prakash Sonia ki iss harqat par thoda achambhit reh gaye.
Suhana (mann me) : Sonu!??? Sonu ne... Uska haath pakda!? Kuch derr pehle bhi uske gaal pe... How can she...!?
Sonia ne car me ghuste hi Veer ko apni side se baithaaya.
Uske shareer se aati khushboo Veer ko pagal kiye jaa rahi thi.
'Kya lagaati hai yaar ye ladkiya!? Kon se talaab me dub ke aati hai!? Itni sugandh kyu aati hai inse!? Fuccckkk! Mujhe kuch kuch ho raha hai Pari...'
[]
Car me Suhaana window ke paas thi, beech me Sonia khud thi aur uske bagal se Veer tha.
Car drive toh Prakaash hi karne wala tha, uski driving skills par Sonia behad bharosa jo karti thi.
*Vroooom*
Aur agle hi pal car jitni jaldi waha aayi thi utni hi jaldi waha se nikal gayi...
Peeche khadi Nidhi bas hairaani aur thodi duwidha me sab kuch ghatit ho rahe scene ko dekhti rahi. Mann me dherro sawaal the jinhe wo Veer se puchna chaahti thi. Par abhi sahi samay nahi tha. Usse khud kuch derr me apne kaam ke liye nikalna tha aur isliye, apne sawaaliya mann ko thodi derr shaant kar wo andar waapas chali gayi.
***
Idhar Veer jaha college se nikla toh wo ab sheher ki sabse mehngi 5 star hotel me se ek hotel me baitha hua tha.
Wo bas ek poker face banaaye ek hi jagah dekhte jaa raha tha. Kuch hi minutes ke andar usne itni saari ayyaashi waali cheeze dekh lii thi ki inn sabko hazam karne me uska time toh lagne hi waala tha.
Rolls Royce ki andar ki wo luxury aur comfort, uske baad itni badi aalishaan hotel me lage wo bade bade jhoomar, aisa lag raha tha maano wo kisi palace me aa gaya ho.
Wahi Suhana aur Sonia itna comfortably baithi hui thi maano jese ye unka roz ka routine tha.
Sonia
Sonia : Do you know who I am?
Veer : Actually, Abhi aapke naam ke alaawa I don't know anything.
Sonia (giggles) : Fufu~ You know ****** motors!?
Veer : Huh!? Saare desh me mashoor hai ye company. Iske baare me kaun nahi jaanta!?
Sonia (smiles) : Ohh thank you so much! Mere great grandfather founder the iske. Abhi dad owner hai. Aur mein CEO thi... But abhi mene wo position kisi aur ko de dii hai. Ab mein COO hu.
Maano ek bomb sa phod diya tha Sonia ne Veer ke upar. Kya kaha!? ***** Motors ki CEO thi ye ladki pehle!? Great grandfather founder the!? Baap owner hai!? Soch ke hi Veer jo pehle hi awkward mehsoos kar raha tha, uska shareer ye sunte hi air stiff ho gaya.
Veer : Kyaaaaa!??? You're joking right!?
Sonia (giggles) : I'm not...
Veer : Wow! I mean... Wooowww!
Sonia (smiles) : Thank you! Toh shuru kare!?
Veer : Huh!? Ahh... Sure... Sure... Thanks!
'Huh? Thanks!? Fucccckkkkk.... Who tha fuck says Thanks? Thanks ke badle me hi thanks bol diya mene!? Pari... Help me... Mere muh se utt pataang shabd nikal rahe hai... I'm getting embarrassed...'
[]
Sonia (surprised) : Thanks? Kisliye!?
Veer (blushes) : Ummm... Wo...
Sonia : In fact, thanks to you... Veer!
Sonia ne bolte hue achanak hi uske haath par apna haath rakh diya, jiske chalte ek baar fir ye gesture Suhana aur Prakash ki nazro se na chooka.
Achanak hi Sonia ki awaaz dheemi ho gayi, aur wo bade hi pyaar se Veer ko dekh rahi thi. Saath hi saath kuch aisa tha jo uski aankhein bayaa kar rahi thi. Glaani!??
Veer (surprised) : Thanks!!? Mu...mujhe!? Wo kis liye bhala!?
Sonia (smiles) : You don't remember!?
Veer : Hmm?
Sonia : You saved me...
Veer : Hnn?
Sonia : That day... Remember... You had a car accident!?
Accident shabd sunte hi Veer ko dubaara se wahi manzar yaad aane laga, wo pal, wo din...
Ajay ke saath ladaayi... Wo baarish... Shareer me jagah jagah wo ghaav... Uske haatho se flower vase ka tootna... Brijesh ka usse ghar se nikaalna... Uske parivaar waalo ki wo nirdaayi aankhein... Dar badar bhatakna... Aur...
Aur wo raaste me car se accident.
Agle hi pal Veer ka sarr unn sab baato ko yaad kar jhuk gaya. Zakhm gehre the... Bharne me samay toh lagna hi tha.
Par kya pata...
Wo zakhm bhar bhi rahe the ya aur gehre ho rahe the!?
Veer : Hmmm... I remember.
Sonia abhi aage bolni hi waali thi ki tabhi bagal me khada Prakaash achanak hi sarr jhuka liya aur Veer se bola,
"Wo hamaari Madam ki hi car thi. Aur mein hi usse drive kar raha tha. Jo kuch bhi hua, usme meri galti thi. Uske liye mein aapse maafi maangta hu."
Prakaash ki baat sunn ek bada jhatka sa laga Veer ko. Aur usse jese realize hua.
Veer : Ohhhh! So... Isliye...
[Aaahhh! So that's what happened. Master! These people won't harm you. You can lower your guard.]
Sonia : Prakash uncle! Mein baat kar rahi hu na.
Prakash : Sorry Madam!
Sonia : Aur galti keval aapki nahi thi. Car me mein bhi thi, car meri thi, mere kaaran hi aap speed me the.
Prakash : Madam! Isme aap ki koi galti nahi thi... Galti saari...
Suhana : Ssssshhhhhhh! Pehle usse samjhao fir aapas me behas karna.
Sonia (blushes) : Aah! Right! Veer...
Veer : J...jii!?
Sonia : Actually... Ye lambi kahani hai. But, mein sirf tumhe utna hi bataungi jitna tumhara jaan'na zaroori hai.
Veer : Okay!
Sonia : Darasal, Uss din mein Prakash uncle ke saath kahi se laut rahi thi, hum boht jaldi me the. Baarish ke kaaran drive karne me bhi dikkat aa rahi thi aur upar se raat ka waqt...
Veer keval chup chaap saari baat sunta jaa raha tha.
Sonia : Aur... Koi hai jo meri jaan ke peeche pada hua tha.
Veer (shocked) : Huh!??
Sonia : Yes! Uss raat... Prakash uncle mujhe bachaane ke liye tezz raftaar me gaadi chala rahe the. Wo log... Hamaare peeche hi the... Unka bas ek hi target tha... Wo thi mein... Aur jese hi mod aaya, achanak se saamne tum aa gaye the. Jiske chalte wo haadsa hua...
Veer (surprised) : I... I see...
Veer ka reaction dekh, Sonia ne uska haath ek baar fir thaam liya.
Sonia : I... I'm so sorry Veer! I'm so sorry!
Veer ki samajh me hi nahi aa raha tha wo kya kare aur kya hi kahe. Aap ka accident hua, aap kuch dino baad uss haadse se ubhre par achaanak hi aapko pata chalta hai ki aapke saath wo haadsa karne waali ek behad hi khubsoorat ladki hai jo aapse milne kayi dino baad aayi hai aur aapse sach bata ke maafi maang rahi hai.
Uss waqt kya karenge aap!? Kya kahenge!? Kya uss ladki ko dosh denge!? Uss se medical fees ka kharcha maangege!? Uske khilaaf complaint darj karenge!? Ya maaf kar denge!?
Inhi sawaalo me Veer phassa hua tha. Uski samajh me hi nahi aa raha tha ki kya bole par iss waqt uske paas aur bhi kuch tha jo hamaare me se kisi ke paas nahi tha...
Wo thi Pari...
Apni buddhi ka istemaal karte hue Pari ne agle pal hi Veer ko suggestion diya,
[Master! Forgive her. I think ye hamaare boht kaam aaenge aage chal ke. Also, ye Sonia guilty feel kar rahi hai. Make her feel more guilt. Forgive her.]
'As you say then.'
Veer : It's okay! Mene aapko maaf kiya... Jo bhi baatein thi wo pichli baatein thi... Aur unn dino ko mein bhula chuka hu... Hospital me hosh aane ke baad se hi... Jo bhi yaadein bana raha hu, bas unhe hi yaad rakhna chaahta hu.
Uski baat sunn, Sonia kuch pal Veer ko yu hi dekhti rahi. Pehle toh usse vishwaash hi nahi hua ki Veer ne usse aise hi maaf kar diya. Same haal Prakash aur Suhana ka bhi tha. Unhe yakeen hi nahi hua ki Veer ne aise hi asaani se maamla rafa dafa kar diya.
Uske baad Sonia ke saath wahi hua jiska sanket Pari ne kiya tha. Uski glaani ke bhaav badh gaye...
Sonia : I... I... Mein tumse milna tak na aa saki. Bhale hi tumhara meri gaadi ke saamne ek ittefaaq tha, par Veer...
Veer : ?
Sonia : Tumhaare beech me aane se hi... Uss raat meri jaan bachi thi. Accident ke baad jo shor waha hua tha aur bheed jama hui thi... That saved me... Uss kaaran se wo log hamaari car ko catch na kar paaye...
Veer (smiles) : Ye toh... Acchi baat hai na!?
Uski muskaan dekh, Sonia ne apna nichla honth daato tale daba liya, "Par... Tumse ek baar bhi milne na aa saki mein... Mujhe wahi utar ke sabse pehle tumhe hospital le jaana chahiye tha par mein... Mein khud ki jaan ki parvaah kar, tumhe yu waha akela raaste me chorr ke chali gayi. I'm... I'm sorry Veer."
Veer : It's okay!
Sonia (tezz awaaz me) : Noooo! It's not okay!
Sonia : I mean... I... Jo kuch bhi hua. Usme meri galti thi. Aur isliye...
Suhana : Isliye, bolo kitne chahiye!? 1 lakh? 2 lakh? 5 lakh? 10 lakh? Kitne...!?
Veer : Huhhh!?
Suhana ke muh se shabd sunte hi Veer ko achambhav hua. Aur wo stabdh nigaaho se usse dekhta raha. Fir usne, Sonia ko dekha jo ek aas liye usse dekh rahi thi.
Saara maamla jese hi Veer ko samajh aaya toh woh gusse se uth khada hua...
Veer : Aap mujhe yaha isliye laayi thi!?
Suhana : Well! Haa! Mene toh kaha tha ki tumse milne ki koi zaroorat nahi hai. Jo kuch bhi tha keval ek ittefaaq tha aur mujhe nahi lagta ki tumse baat karne ki koi zaroorat thi par meri choti behan badi hi bholi hai aur ziddi bhi. Uska maan'na hai ki galti uski hai aur isliye uski bharpaayi wo aise karna chaahti hai. Tum apni maang rakhoge toh Sonu ke upar se thodi guilt gaayab ho jaegi... Toh batao... Kitne!? 5 lakh ? 10 lakh? Kitne!? Jaldi se batao toh ye matter close kare.
Sonia (chillaa kar) : Diiii!?? Ye kese bol rahi ho aap!? He'll misunderstand me...
Suhana ke ghamand se bhare shabd jab Veer ke kaano me pade toh uska mood aur bhi bigad gaya.
Kahi na kahi... Suhana ki chhavi uske pita Brijesh se mel khaa rahi thi. Vase toot'te waqt bhi uske pita uss samay vase ki keemat par zyaada dhyaan de rahe the na ki uski choto par.
Unn baato ko yaad kar Veer jaane ke liye palta par usne ek baar peeche dekha aur bola,
"Yadi keval ek baar hospital me mulaqaat karne aa jaati, toh uss se badi cheez mere liye kuch na hoti. In fact, abhi bhi maafi maangne ke baad mene aapko maaf already kar hi diya. Par ek galti kar dii...
Paiso ko beech me le aayi aap...
Even though mere paas paise nahi hai. Iska matlab ye nahi ki mein aise paiso ko apnaane laga. Paiso ka guroor, kabhi sahi nahi hota. Yaad rakhna!"
Aur bina kuch aage kahe Veer waha se chal diya.
"Veeeeeeeer.... Waaaiiiitttt!!" Sonia chillaayi par uska chillaaana bematlab tha. Kyuki na hi Veer peeche muda aur na hi usne Sonia ke chillane par koi response diya. Wo kuch hi derr me uski aankho se ojhal ho chuka tha.
Ek gehri saas lete hue Sonia waapas se apni kursi par baith gayi aur fir shuru ho gayi,
"What is wrong with you Dii!? Matlab great... Ab wo mujhe ek ghamandi paiso waali ladki samajh raha hoga."
Suhana : What is wrong with me!? Arre... What is wrong with you??
Sonia : Haan?
Suhana : Just how many times you touched him!? Tum, jiske peeche ladke khaali ek jhalak paane ke liye marte hai, itne bade bade gharaano ke ladke tumhaare paas rishta leke aate hai, jo tumse baat karne ke liye taraste hai aise logo ko tumne aaj tak bhaav na diya. Aur wo ladka... You touched him thrice. I noticed it. Tum kab se aise logo se baate karne lagi Sonu!? He doesn't even deserve to talk with you... Jinhe paiso ki aukaat ke baare me nahi pata wo kabhi paisa nahi kama paate. He's a fool... Jaane do usse... Yaha mein soch rahi thi, ki wo sabhi logo ki tarah laalchi niklega aur paiso ki maang karega... Aur fir mein tumse lagi shart jeet gayi hoti par... Nahi! Ye toh aur bhi bada waala bewakoof nikla... Haath me aa rahe paiso ko laat maar ke chala gaya waah...
Sonia : Dii! He's my benefactor. Ussi ke kaaran aaj mein tumhaare saamne hu. Bhale hi wo ittefaaq tha par hai toh fact hi. Yadi wo uss waqt saamne na aata, toh aaj pata nahi mein kaha hoti? Hoti bhi ya nahi!?
Suhana : Tum usse uski zaroorat se zyaada credit de rahi ho. Aur tumhe kuch nahi hua hota. Ek toh yaha usse college se utha ke yaha tak laaye aur uske baad bhi akad toh dekho uski... Usse pata bhi hai ki wo kiske saath baith ke baate kar raha tha!? Mann toh kar raha tha ek baar me usko uski aukaat dikha du. Par tum jo thi saath me... Fir tumhe bura lag jaata...
Sonia : Mujhe akele hi aana chaahiye tha. Na jaane wo kya soch raha hoga mere baare me...
Suhana : Sonuuu!?? Tum kab se ye sab sochne lagi!?? Ki dusre tumhare baare me kya sochte hai? Wo koi tumhara lover nahi hai Sonu, na hi koi celebrity ya crush hai jiske liye tum itna soch rahi ho. Arre usse toh khush hona chaahiye ulta aur hume thank you kehna chaahiye. Usse pehli baar Rolls Royce me baithne ka mauka mila, aur pakke se pehli baar itni badi hotel me aaya hoga. Fir bhi akad toh dekho uski... Hmph! I hate such men.
Ek aah bharte hue, Sonia apni behan ke bartaav par sarr hilaate hue seat se uthi aur baahar car ki orr chal dii.
'Will you hate me now!? Veer!?'
***
*Click*
Gaadi me se chaavi nikaalte hue Nidhi apni scooty se utri. Saamne ek bada ghar tha. Aaj usse yaha bulaaya gaya tha. College me recess ke waqt hi wo nikal gayi thi aur apni manzil par pohuch chuki thi.
Veer aur uss ladki ki chhavi abhi bhi kahi na kahi uske mann me mandra rahi thi. Usse bas jaan'na tha ki wo ladki kaun thi. Aur, Veer ki kya lagti thi.
Aage kadam badhaate hue Nidhi ghar ki entrance ki taraf badhi. Wo deewaare jo halki peele rang ki thi, wo rang jo aksar khushiyo ko darshaat hai.
Parantu, iss waqt Nidhi ki bauhe sikudi hui thi, chehre par shikan aur chinta thi. Aur uske dil ki dhadkane normal se kayi guna tezz ho chuki thi.
Jese tese kadam badhaate hue wo entrance par aayi aur usne door bell bajaayi,
*Ding* *Dong*
Aur kuch derr ke andar hi Darwaaza khula aur ek jaana maana ek aurat ka chehra uski nazro me pada.
Aurat ne dekhte hue usse andar aane ke liye raasta diya...
*Thud*
Aur gate band kar diya.
***
"Damn it! Damn it!! Arre yahi chaavi toh thi... Lag jaa taala..." Idhar Shreya ghar me apne haatho me spare chaaviyo ka guccha liye frustration nikaal rahi thi.
Uske saath me hi Juhi khadi hui thi jisse Shreya khud school jaake jaldi leke aa gayi thi.
Juhi : Maasi!?? Hum kaha jaa rahe hai!?
Shreya : Tumhari Mummy ke paas...
Juhi : Hmm? Mummy kaha gayi hai!?
Shreya : Sab pata chal jaega Juhi... Aao...
Aur Shreya Juhi ki ungli pakad forun se ghar se nikal ek taxi kar chal padti hai.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like maar dena..![]()